♻✳♻
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART- 1 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨1- Maa Baap ke saath husne sulook ko dono jaha'n ki sa'adat Samjhe,
★ Khuda ke baad insaan per sabse zyada haqq maa Baap hi ka he,Maa Baap ke haq ki ahmiyat aur azmat ka andaza isse kijiye k Qurane Paak me jagah jagah maa Baap ke haq ko khuda ke haq ke saath bayaan kiya he aur khuda ki shukr guzari ke saath saath maa Baap ki shukr guzari ki takeed ki he,
→ "Aur aapke Rab ne faysla farma diya he k tum khuda ke Siva kisi ki bandgi na Karo aur Walden ke saath nek sulook Karo, "
👉 Bani isra'iyl, 23
★ Hazrat Abdullah bin Masud Raziyallahu Anhu kehte he'n, mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se puchha,
" Konsa amal khuda ko sabse zyada mehboob he?"
Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" wo Namaz Jo waqt per padhi jaye, "
Mene fir puchha,
" Iske baad konsa amal khuda ko sabse zyada mehboob he?"
Farmaya,
" Maa Baap ke saath husne sulook,"
Mene puchha,
" iske baad"
Farmaya,
" Khuda ki raah me jihaad karna, "
📓 Bukhari, 5970,Muslim,
★ Hazrat Abu umama Raziyallahu anhu farmate he'n,
Ek shakhs ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se puchha,
" Ya Rasulullah! Maa Baap ka olaad per kya haq he? "
Irshad farmaya,
" Maa Baap hi tumhari jannat he'n aur Maa Baap hi Dozakh "
( Yani inke saath nek sulook karke tum jannat ke mustahiq honge aur unke huqooq ko pamaal karke tum jahannam ka iydhan banoge,)
📓 ibne maaja, 3662
Next-2 ,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra, 85
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻✳♻
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART- 2 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 2- Walden ke Shukrguzar Rahiye,
★ Mohsin ki shukrguzari aur Ahsanmandi sharafat ka avvaleen taqaza he aur haqeeqat ye he k hamare vajood ka sabab Walden he'n, Fir Walden hi ki parvarish aur nigrani me hum palte badte aur shaour ko pahunchte he'n, Aur jis gair mamooli qurbani, bemisl janafsani aur intehai shafqat se hamari sarparasti farmate he'n uska taqaza he k humara seena unki aqeedat v ahsaanmandi aur azmat v muhabbat se sarshar ho aur humare dil ka resha resha unka shukr guzaar ho, yahi vajah he k khuda ne apni shkrguzari ke saath saath Walden ki shkrguzari ki takeed farmayi he,
★ Maa Baap ko hamesha khush rakhne ki koshish kijiye aur unki marzi aur mizaaj ke khilaf kabhi koi esi baat na kahiye Jo unko nagawaar ho
bilkhusus budhape me jab mizaaj chidchida ho jata he aur Walden kuchh ese mutalbe karne lagte he'n Jo tawaq'a ke khilaf hote he'n,
Us waqt bhi har baat ko khushi khushi bardast kijiye aur unki kisi baat se ukta kar jawab me koi esi baat hargiz na kijiye Jo unko nagawaar ho aur unke jazbaat ko thays lage,
★ Agar unme se ek ya dono tumhare saamne budhape ko pahunch jaye to unko uff tak na kaho, na unhe jhidkiya do, "
👉 Bani isra'iyl, 23
➖ Baqi agle part me,
Next- 3,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra,85
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
★βisмiнi τα'ααℓα★
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART- 3 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 2- Walden ke Shukrguzar Rahiye -2,
★ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu anhu kehte he'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Khuda ki khushnudi Walden ki khushnudi me he aur khuda ki naraazi Walden ki naraazi me he, "
📓 Tirmizi 1899
★ Hazrat Abdullah Raziyallahu anhu ka bayaan he k ek Aadmi apne maa Baap ko rota hua chhodkar Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me hijrat per bayt karne ke liye hazir hua, to Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jao apne Maa Baap ke paas wapas jao aur unko usi tarah khush karke aao jis tarah tum unko rulakar aaye ho, "
📓 Abu Dauwd, 2528
★ Dil o jaan se Maa Baap ki khidmat kijiye, agar aapko khuda ne iska moqa diya he to, Darasal ye is baat ki tofeeq he k aap khud ko jannat ka mustahiq bana sake aur khuda ki khushnudi haasil kar sake, Maa Baap ki khidmat hi se dono jahaa ki bhalai, sa'adat aur azmat haasil hoti he aur Aadmi dono jahaa ki aafato se mehfooz rehta he,
Hazrat Anas Raziyallahu anhu ka bayaan he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Jo Aadmi ye chahta ho k uski umar darazi ki jaye aur uski rozi me kushadgi ho, usko chahiye k apne Maa Baap ke saath bhalai kare aur silah rehmi kare, "
📓 Targeeb v tarheeb, 16
➖ Baqi angle part me,
Next- 4,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra,85
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
★βisмiнi τα'ααℓα★
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART- 4★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 2-Walden ke Shukr guzaar rahiye -3
★ Aur Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,
"Wo Aadmi zaleel ho, fir Zaleel ho, Fir Zaleel ho,"
logo ne puchha,
"Ey khuda ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam, Kon Aadmi?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Wo Aadmi jisne apne Maa Baap ko budhape ki haalat me paaya, Dono ko paaya ya kisi ek ko, aur fir ( unki khidmat karke ) jannat me dakhil na hua, "
📓 Muslim, 6510
★ Ek moqe per to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Walden ki khidmat ko Jihaad jesi azeem ibaadat per bhi tarjih di, aur ek sahabi ko Jihaad me jane se rok kar Walden ki khidmat ki taqeed farmayi,
Hazrat Abdullah bin Umar Raziyalkahu Anhu farmate he'n,
" Ek shakhs Nabi Kareem Sallallahu Alaibivasallam ke paas jihaad me shareek hone ki garaz se aaya,
Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne usse puchha,
" Tumhare Maa Baap zinda he'n, "
Usne kaha,
Ji haa zinda he'n,
Irshad farmaya,
" Jao aur unki khidmat karte raho, yahi jihaad he, "
📓Bukhari, Muslim, 6504
★ Maa Baap ka adab v ahatram kijiye aur koi baat esi ya harkat na kijiye Jo unke ahatram ke khilaf ho,
★Hazrat Abu Hurayra Raziyallahu Anhu ne ek baar ek Aadmi ko dekha, ek se puchha ye doosre tumhare kon he? Usne kaha, mere walid he, Aapne farmaya,
"Dekho! Na unka naam Lena, na kabhi unse aage aage chalna aur na kabhi unse pehle bethna, "
📓Al adabul mufarrid, 44
Next- 5,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra,87
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
★ βisмiнi τα'ααℓα★
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART-5 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 3- Walden ke saath Aajizi aur inksaari se pesh aaiye,
★ Aur Aajizi aur narmi se unke saamne bichhe raho "
👉 Surah, Bani isra'iyl, 24
★ Aajizi se bichhe rehne ka matlab ye he k har waqt unke martabe ka lihaaz rakho aur kabhi unke saamne apni badai na jatao aur na unki shaan me gustakhi Karo,
★ Walid se muhabbat kijiye aur usko apne liye baaise sa'adat v ajre aakhirat samjhiye,
★Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu kehte he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam farmate he'n,
" Jo nek olaad bhi Maa Baap per muhabbat bhari ek nazar daalti he uske badle khuda usko ek Hajj maqbool ka sawab bakhshta he, "
Logo ne puchha,
Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam! Agar koi ek din me so baar isi tarah rehmat v muhabbat ki nazar daale?

" Ji haa'n! Agar koi so baar esa kare tab bhi, khuda ( tumhare tasavvur se ) bahut bada aur ( tangdili jese aybo se ) bilkul paak he,
📓 Mishkaat,
Next- 6,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra,85
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
★βisмiнi τα'ααℓα★
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART-6 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 4- Maa Baap ki Dil o Jaan se ita'at kijiye,
★ Maa Baap ki Dilo jaan se ita'at kijiye, agar wo zyadti bhi kar rahe ho tab bhi khushnudi se ita'at kijiye aur unke azeem ahsanaat ko peshe nazar rakh kar unke wo mutalbe bhi khushi khushi pure kijiye Jo aapke zoq aur mizaj per gira ho basharte k wo Deen ke khilaf na ho,
★ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu ka bayaan he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jis Aadmi ne is haal me subeh ki wo un hidayaat v ahkaam me khuda ka ita'at guzaar raha, Jo usne Maa Baap ke haq me nazil farmaye he'n to usne is haal me subeh ki k uske liye jannat ke darwaze khule hue ho aur agar Maa Baap me se koi ek ho to jannat ka ek darwaza khula hua he,
Aur jis shakhs ne subeh ki is haal me k Maa Baap ke bare me khuda ke bheje hue ahkaam v hidayat se moonh mode hue he to usne is haal me subeh ki k uske liye dozakh ke darwaze khule hue he'n, aur agar Maa Baap me se koi ek he to dozakh ka ek darwaza khula hua he,
Us Aadmi ne puchha,
Ey khuda ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam! Agar Maa Baap uske saath zyadti kar rahe ho tab bhi,?
Farmaya,:
"Haa'n agar zyadti kar rahe ho tab bhi, agar zyadti kar rahe ho tab bhi, agar zyadti kar rahe ho tab bhi,"
📓 Mishkaat,
Next-7 ,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra,89
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
★βisмiнi τα'ααℓα★
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART- 7 ★☆
♻ Walden ke Saath Husne Sulook ♻
⇨ 5- Maa Baap ko apne maal ka maalik samjhe aur un per Dil khol kar kharch kijiye,
★
يَسْأَلُونَكَ مَاذَا يُنفِقُونَ قُلْ مَا أَنفَقْتُم مِّنْ خَيْرٍ فَلِلْوَالِدَيْنِِ
→Tarjuma,
Log aapse puchhte he'n, hum kya kharch kare? Jawab dijiye k Jo maal bhi tum kharch Karo, uske avvaleen haqdaar Walden he'n,
👉 Surah, Al- Baqrah, 215
★ Ek baar Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke paas ek Aadmi aaya aur apne Baap ki shikayat karne laga,
wo jab chahte he'n mera maal le lete he'n,
Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne us Aadmi ke Baap ko bulwaya, laathi tekta hua ek budha kamzor shakhs haazir hua, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne us budhe shakhs se tehqeeq farmai, to usne kehna shuru kiya,: -
" Khuda ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam! Ek zamana tha jab ye kamzor aur bebas tha aur mujhme taaqat thi, me maaldaar tha aur ye khaali haath tha, mene kabhi isko apni cheez lene se nahi roka,
Aaj me kamzor hu'n aur ye tandurast v qavi he, me khaali haath hu'n aur ye maaaldaar he, Ab ye apna maal mujhse bacha bacha kar rakhta he,
Budhe ki ye baate sunkar Rehmate Aalam Sallallahu Alaihivasallam ro pade aur budhe ke ladke ki taraf mukhatib hokar farmaya,:
" Tu aur tera maal tere Baap ka he, "
Next-8 ,🔜 in sha Allah ta'aala,
.
📓 Madni Maashra,90
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
★βisмiнi τα'ααℓα★
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART-8 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 6- Maa Baap agar Gayr Muslim ho tab bhi unke saath Sulook kijiye,
★ Maa Baap agar gayr Muslim ho tab bhi unka adab, ahatraam aur unki khidmat barabar karte rahiye, albatta agar wo shirk v ma'asiyat ka hukm de to unki ita'at se inkaar kar dijiye aur unka kaha hargiz na maniye,
وَإِن جَاهَدَاكَ عَلَىٰ أَن تُشْرِكَ بِي مَا لَيْسَ لَكَ بِهِ عِلْمٌ فَلَا تُطِعْهُمَا وَصَاحِبْهُمَا فِي الدُّنْيَا مَعْرُوفًا
→Tarjuma,
Aur agar Maa Baap dabaav daale k mere saath kisi ko shareek banao jiska tumhe koi ilm nahi he to hargiz unka kehna na mano aur duniya me unke saath nek bartaav karte raho,
★ Hazrat Asmaa Raziyallahu Anha farmati he'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke ahad Mubarak me mere pass meri walida aayi aur us waqt wo mushrika thi,
mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se arz kiya k mere pass meri walida aayi he aur wo islaam se mutnaffir he, Kya me unke saath Sulook karu?

" Haa'n tum apni Maa ke saath silah rehmi karti raho, "
📓 Bukhari, 5978
Next- 9,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra,91
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART-9 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 6- Maa Baap ke liye Barabar Dua karte rahiye,
★ Maa Baap ke liye Barabar Dua karte rahiye aur unke ahsanaat ko yaad karke khuda ke saamne gidgidaiye aur intehai dil sozi aur qalbi jazbaat ke saath unke liye Reham v Karam ki darkhwast kijiye ,
★ Allah ta'aala ka irshad he,
" Aur Dua karo k parvardigaar! Un do no per Reham farma, Jis tarah un dono ne bachpan me parvarish farmai thi, "
👉 Bani isra'iyl,, 24
★ Yani Ey parvardigaar bachpan ki bebasi me, jis zehmat v jaanafsani aur shafqat v muhabbat se unhone meri parvarish ki aur mere khatir apne aysh ko qurban kiya! Parvardigaar ab ye budhape ki kamzori aur bebasi me mujhse zyada khud Rehmat v shafqat ke mohtaj he'n, Khudaya! Me inka koi badla nahi de sakta Tu hi inki sarparasti farma aur unke haale zaar per Reham ki nazar kar,
Next- 10,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra,92
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART-10 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 7- Maa ki khidmat ka khususi khayal rakhiye, -1
★ Maa tab'an zyada kamzor aur hasaas hoti he aur Aspki khidmat aur sulook ki nisbatan zyada zarurat mand bhi, Fir Maa ke ahsanaat aur qurbaniya bhi baap ke muqable me kahi zyada he'n isliye Deen ne Maa ka haq zyada bataya he aur Maa ke saath Sulook ki khususi targeeb di he,
★ Qurane Paak me irshad he: -
وَوَصَّيْنَا الْإِنسَانَ بِوَالِدَيْهِ إِحْسَانًا حَمَلَتْهُ أُمُّهُ كُرْهًا وَوَضَعَتْهُ كُرْهًا وَحَمْلُهُ وَفِصَالُهُ ثَلَاثُونَ شَهْرًا
⇨ Tarjuma: -
" Aur humne insaan ko Maa Baap ke saath bhalai karne ki takeed ki, uski Maa takleef utha uthakar usko pet me liye liye firi aur takleef hi se Jana, aur pet me uthane aur doodh pilane ki ye ( takleefdah) muddat tees mahine he, "
👉 Surah Al Ahqaaf, 15
★ Hazrat Abu Hurayra Raziyallahu Anhu farmate he'n,:
Ek shakhs Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me aaya aur puchha,
" Ey khuda ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam! Mere nek sulook ka sabse zyada mustahiq kon he? "

" Teri maa, "
Usne puchha, Fir kon?

Irshad farmaya," Teri maa",
Usne kaha, Fir kon?
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
"Tera Baap, "
📓 Bukhari, 5971
Next- 11,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra, 92
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART- 11 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 7- Maa ki khidmat ka khususi khayal rakhiye,-2
★ Hazrat Jahima Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me haajir hue aur Kaha,
"Ya Rasulullah! Mera iraada he k me aapke hamraah jihaad me shirkat karu aur isiliye aaya hu'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam se is maamle me mashwara lu ( farmaiye kya hukm he? )"
Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne unse puchha:
" Tumhari walda( zinda) he?
Jaahima Raziyallahu Anhu ne kaha, "Ji haa'n ( zinda he)"
Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Fir jao aur unhi ki khidmat me lage raho kyuki jannat unhi ke qadmo me he, "
📓 Ibne maaja, 2781
★ Hazrat Uvesh Rehmatullah Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke dor me mojood the magar Aap Sallallahu Alaihivasallam ki mulaqaat ka sharf haasil na kar sake, Unki ek budhi Maa thi, Din Raat unhi ki khidmat me lage rahte,
Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke didaar ki badi aarzu thi aur kon momin hoga Jo is tamanna me na tadapta ho k uski aankhe didaare Rasool Sallallahu Alaihivasallam se roshan ho,
Chunache Hazrat Uvesh Rehmatullah ne aana bhi chaha lekin Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne mana farmaya,
Fariza e Hajj ki bhi unke dil me badi aarzu thi lekin jab tak unki walda zinda rahi unki tanhai ke khayal se hajj nahi kiya aur unki wafaat ke baad hi ye aarzu puri ho saki,
Next-12 ,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra, 93
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART-12 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 8- Razai Maa ke Saath bhi Husne Sulook kijiye,
★ Razai Maa ke saath bhi husne sulook kijiye, uski khidmat kijiye aur Adab v ahatram se pesh aaiye,
★ Hazrat Abu Tufayl Raziyallahu anhu kehte he'n k mene Joarana ke Maqaam per Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko dekha k Aap Sallallahu Alaihivasallam gosht taqseem farma rahe he'n, itne me ek Aurat aayi aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke bilkul qareeb pahunch gayi,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unke liye apni chaadar bichhadi, wo us per beth gayi,
Mene logo se puchha," Ye kon Sahiba he'n?
Logo ne bataya k Ye Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Maa he'n, Jinhone Aap Sallallahu Alaihivasallam ko doodh pilaya tha,
👉 Abu Dauwd, 5144
Next-13 ,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra,94
Ahle deoband ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART-13 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 9- Maa Baap wafaat ke baad bhi Husne Sulook ke Haqdaar he'n,
★ Walden ki wafaat ke baad bhi unka khayal rakhiye aur unke liye magfirat dua'en karte rahiye ,
★ Qurane Paak ne Momin ko ye Dua sikhayi he: -
رَبَّنَا اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِلْمُؤْمِنِينَ يَوْمَ يَقُومُ الْحِسَابُ
Tarjuma: -
" Parvardigar meri magfirat farma aur mere Walden ki aur sab imaan walo ko us roz maaf farma de jabki hisaab qa'im hoga."
👉 Surah Ibrahim, 41
★ Hazrat Abu Hurayra Raziyallahu Anhu ka bayaan he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Jab koi aadmi mar jata he to uske amal ki mohlat khatm ho jati he, sirf 3 cheeze esi he'n Jo marne ke baad bhi fayda pahunchati rehti he'n,
Ek- Sadqa e jaariya
Doosra- uska faylaya hua ilm jisse log fayda uthaye,
Teesre - Woh Saaleh olaad Jo uske liye duae magfirat karti rahe'n,
👉 Ibne maaja, 241
Next- 14,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra,95
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART- 14 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 10- Walden ki ki hui Vasiyat ko pura Kijiye,
★ Walden ke kiye hue Ahado Payman aur Vasiyat ko pura Kijiye, Maa Baap ne apni zindgi me bahut se logo se kuchh vaade kiye honge, Apne khuda se kuchh Ahad kiya hoga, Koi nazar maani hogi, Kisi ko kuchh maal dene ka vaada kiya hoga, Unke zimme kisi ka koi karz reh gaya hoga aur adaa karne ka moqa na pa sake honge, Marte waqt kuchh vasiyate ki hongi Aap apne apne imkaan bhar in sab kaamo ko pura Kijiye,
★ Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu ka bayaan he k Hazrat Sa'ad bin Ubada Raziyallahu anhu ne Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam se arz kiya:-
Ya Rasulullah! Meri Waalda ne nazar maani thi lekin wo nazar puri karne se pehle wafaat pa gayi, Kya me unki taraf se nazar puri kar sakta hu'n?
Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya: -
Kyu nahi ! Tum zarur unki taraf se nazar puri karo,
👉 Bukhari, 2761
Next- 15,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra,95
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART- 15 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 11- Baap ke Dosto aur Maa ki Saheliyo ke saath bhi Husne Sulook karte rahiye,
★ Baap ke Dosto aur Maa ki Saheliyo ke saath bhi husne Sulook karte rahiye, Unka ahatraam kijiye, Unko apne mashwaro me apne Buzurgo ki tarah shamil kijiye, Unki Raay aur mashwaro ki ta'azeem kijiye,
★ Ek moqe per Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"Sabse zyada nek sulook ye he k Aadmi apne waalid ke Dost ahbaab ke saath bhalai kare, "
👉 Muslim, 6513
★ Hazrat Abu Bardah Raziyallahu Anhu farmate he'n k me jab Madina aaya to mere paas Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu tashreef laaye aur kehne lage,: -
"Abu Dardah Raziyallahu Anhu! Tum jaante ho me tumhare paas kyu aaya hu'n?
Mene kaha, " Me to nahi jaanta hu'n k Aap kyu tashreef laaye ho?
is per Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya: -
" Mene Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ko farmate hue suna he k Jo sakhsh Qabr me apne Baap ke saath nek sulook karna chahta ho usko chahiye k Baap ke marne ke baad Baap ke Dost ahbaab ke saath achchha sulook kare,"
Aur fir farmaya: -
" Bhai mere Baap Hazrat Umar Raziyallahu Anhu aur aapke waalid me gehri dosti thi, me chahta hu'n k is dosti ko nibhau aur iske huqooq adaa karu, "
👉 Targeeb v Tarheeb, 34
Next- 16,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra,96
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
♻❇♻
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
💟 MADNI-MAASHRA💟
☆ ★ PART- 16 ★☆
♻ Walden Ke Saath Sulook ♻
⇨ 12- Maa Baap ke Rishtedaro ke saath Nek Sulook karte rahiye,
★ Maa Baap ke rishtedaro ke saath bhi barabar nek sulook karte rahiye aur un Rishto ka puri tarah paas v Lihaaz rakhiye,, Un rishtedaro se beniyazi aur beparvahi dar asal Walden se beniyazi he,
★ Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya he k,
" Tum apne Aaba v Ajdaad se hargiz beparvahi na barto, Maa Baap se beparvahi baratna khuda ki nashukri he, "
👉 Mafhoom, madni Mashra 96
Next- 17,🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Madni Maashra,96
Muhammad babar rashidi
Ahle deoband Group
91-7037363325

MADNI-MAASHRA
☆ ★ PART-17☆
Walden Ke Saath Sulook
⇨13- Maa Baap se sulook me kotahi ho jaye to Mayoos na ho,
★ Agar zindgi me Khuda na khwasta Maa Baap ke saath sulook karne aur unke huqooq adaa karne me koi kotahi ho gayi he to fir bhi Khuda ki rehmat se mayoos na ho, Marne ke baad unke haq me barabar khuda se Duae magfirat karte rahiye, ummeed he khuda aapki kotahi se darguzar farmaye aur aapka shumar apne saaleh bando me farmade,
★ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ka bayaan he k Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,:-
” Agar koi Banda e khuda zindgi me Maa Baap ka nafarman raha aur Walden me se kisi ek ka ya dono ka isi haal me inteqal ho gaya to ab usko chahiye k wo apne Walden ke liye barabar Dua karta rahe aur khuda se unki bakhshis ki Dua karta rahe, Yaha tak k Khuda usko apni rehmat se nek logo me likh de, ”
Mafhoom, Madni Mashra, 97
Alhamdulillah Khatm hue,
Madni Maashra,97Muhammad babar rashidi
Ahle deoband Group
91-7037363325
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
No comments:
Post a Comment