Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Tuesday, March 31, 2015

April fool ek bekaar kaam or uski nahusat



    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                             
     ⚀αρrïℓ F๑๑ℓ εк вeкααr
           kααm αur uรкï nαнบรαт⚀
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                 ⊙ PART -01 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

•••EK BAAR WAQT NIKAALKAR•••
●●●zaroor padna●●●

April fool ka translation in roman English..

¤ April fool ki dardnaaq haqeeqat..¤

Jab isaai afwaj Spain ko fateh kiya toh us waqt Spain ki zameen par muslamno ka itna Khun bahaya Gaya ke fateh faug ke ghode jab galiyon se guzar te the toh unke tange guthnoh tak muslamno ke Khun main dubhi hote the.. Jab qabiz afwaj ko yakeen hogaya ke aab Spain main koi bhi musalman Zinda nahi bacha hain toh unhone giraftar musalman farma rawa ko yeh mauka diya ke woh apne khandan  ke saath wapas maracas (Morocco) Chala jaye..jaha se iske family and relatives aaye the.. Qabiz afwaj gernata se koi 20km dur ek pahadi par isse chhor kar wapas chale gaye.. Jab issai afwaj musalman hukmarano ko apne mulq se nikal chuke joh hukumati jassoos gali gali ghumte rahe ke koi musalman Nazar aaye toh usse shaheed kar diya jaye joh musalman Zinda Bach Gaye woh apne ilake chord kar dusre ilakoh main jaa basee Aur waha Jakar apne galoh main talibe Dali Aur issai naam rakh liye, ab zahir main Spain main koi musalman Nazar nahi Aa raha tha Magar abhi issai yoh ko yakeen tha ke Sare musalman Qatal nahi huve kuch chhup kar apni shanat chupakar Zinda hain ab musalmano ko Bahar nikalne ki tarqibe Sochi jaane lagi Aur phir ek mansuba banaya Gaya pure mulq main elaan huva ke 1st April ko tamam musalman gernata main ek ikaththaa hojaye tha ke inne inke mulq bhej diya jaye.. Jaha woh jana chahe ab kyunki mulq main aman Kayam ho chuka tha Aur musalmano ko Khud zahir hone main koi khauff mehsus nah huva march ke pure mahine main aylanat hote Rahe.. Al hamrah ke nazdik bade  bade maidanoh main tent banaye Gaye.. Paani ka Jahaz dock par aake thahar jaate musalmano ko har Tariqe se yakeen dilaya Gaya ke inke kuch nahi Kaha jayega . Jab musalmano ko yakeen ho Gaya ki ab humare saath kuch nahi hoga toh woh Sab gernata main ikaththaa huve. Isi tarah huqumat ne tamam musalmano ko Jama kiya Aur inki badi khatir ki yeh koi 512 phele 1st April ka deen tha jab tamam musalmano ko paani ke jahaz main bitaya Gaya musalmano ko apna watan chhord the huve takleef ho rahi thi Magar aitminan tha ke jaan toh Bach jayegi, dusri Taraf issai hukmaran apne mehlat main jashn mananeh lage. Jane walo musalmano main budde, jawan, Aurte, bache Aur mariz bhi the ! Jab jahaz Samandar ke bich main pahuncha toh planning ke hisaab se Inhe gahare paani main dubo diya Gaya. Aur iss tarah se tamam musalman Samandar main abdi neend sogaye.
Iss par Spain Main Khub jashn mañaya Gaya ke Humne kis Tarah apne dushmano ko bewakoof banaya fir yeh din Europe ka azim fateh din ban Gaya.. Aur isse angrazi Main 1st April fool ka naam de diya Gaya (yaani 1st April ke bewakoof) aaj bhi ise duniya main yeh din mañaya jaata hain logo ko juth bolkar bewakoof banaya jaata hai !!!

IS RASAM KE NUQSHANAT:

1) dushmano ki Kushi Main shirkat karna.

2) nifaq main dub jaana.

3) jhuth bolna.

4) ALLAH ki narazgi.

5) joh musalman behen bhai shaheed huve unki khushi mañana.

6) musalman behen, bhaiyoh ko musibat main dalna.

7) duniya Aur Akhirat main tabahi tabahi hain.
●●●kyaa ab bhi hum april fool manaayenge???●●●

April fool nahi mañaya jaana chaiye iss message ko zyaada se zyaada share kijiyen!!
                                 
     (pαʀт ⇨02)
            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

    ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                             
     ⚀αρrïℓ F๑๑ℓ εк вeкααr
           kααm αur uรкï nαнบรαт⚀
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                 ⊙ PART -02 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
��April phool Ek Gunaho Ka Zakhira

��Aur Jhoot Bolna Gunahe Kabirah

��Faisla Aap Khud Karen (April fool)

⏩Jhoot bolne wale par ALLAH TA'ALA ki laanat hoti hai.

(Surah:Al Imran,
Surah No:3, Aayat No. 61)

♦Har saal 1 April ko April fool manaya jata hai, Is ki ibteda k bare me mukhtalif Kahaniya Milti hai, “ Kahani koi bhi ho Sawal ye paida hota hai”.

✏Kya ham samajhte hai jhoot bolna acchi adat hai?

✏Kya ham pasnd karte hai k koi ham se jhoot bole?

✏Kya ham me se koi pasnd karta hai k us ka mazakh udaya jaye?

��Yaqinan ham jhoot ko accha nahi samajhte na hi kisi ka mazakh udana hamare nazdeek koi pasndida harkat hai aur na hi Ham khud apne liye aisa chahte hai to Phir April Fool kaise mana sakte hai Jo Jhoot bolkar doosron ko bewaqoof banana aur un ka Mazakh udane ka din hai.

✅Allah Tala Irshad Farmate hai:
“Aye Iman walon! Mard doosre Mardon ka Mazaq na udayen Mumkin hai k ye un se behter ho aur na Aaorten Aaorton ka Mazaq udayen Mumkin hai k ye un se behter hon, aur Aaps me aik doosre ko Aaib na Lagao, Aur na kisi ko Bure Laqab do, Iman k baad Fusq bura Naam hai, Aur jo toba na karen wahi Zalim log. hai.
��Surah: Al-Hujrat, Surah No:49, Aayat No:11

✏Na mazakh banayye aur na mazakh ka nishana baniye.

✏Na jhoot boliye aur na kisi k jhoot me shamil hoyye.

✏Apne akhlaq o aamal ki khoobsurti ko duniya k samne layye ta k wo jaan saken k aap kitne shandar deen k numayenda hain.

��Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:
“Jis ne kisi qoum ki mushabihat ikhtiyar ki wo unhi me se hai.��Bukhari
✏Kisi ko Fool banana aik Qabeeh (buri) harkat hoti hai, Jhoot bole bagair kisi ko bewaqoof nahi banaya ja sakta aur Aik Musalman ko Jhoot nahi zeba deta.

✏Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:
“Halakat hai us shaksh k liye jo logon ko hansane k liye jhoot bole, us k liye halakat hai, us k liye halakat hai.

��Abudawood,Tirmizi

✏Yaad rahe! Musalman wo hai jo apne bhai k liye wahi pasnd karta hai jo apne liye pasnd karta hai, jab ham apne liye jhoot aur mazakh pasnd nahi karte to phir kisi doosre k liye kaise kar sakte hai?.

✏Aur Jhoot bolna gunahe kabirah hai.

                                 
     (pαʀт ⇨03)
            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

    ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                             
     ⚀αρrïℓ F๑๑ℓ εк вeкααr
           kααm αur uรкï nαнบรαт⚀
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                 ⊙ PART -03 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

     ▫April  FooL▫

 ApriL  FooL  Ki  Rasam  Magrib  Se  Hamare  Yaha'n  Aayi Hai.
 
      Aur  Ye  Bahot  Se  Kabira  Gunah  Ka  Mazmua  Hai.

____1  Gunah:-
   
  Is  Din  Saaf  Jhoot Bolne  Ko  Log  Jaiz  Samjhte  Hei'n.
       
    ★ Jhoot  Ko  Agar  Gunah  Samajh  Kar  BoLa  Jaye  To  Gunah-e-Kabeera  Hai…

   ★  Jhoot  Ko  Agar  HaLaL  Ya  Jaiz  Samjh Kar  BoLa  Jaye  To  Kufr  Ka  Khof  Hai.

  ★  Jhoot  Ki  Burai  Aur  Mazammat  Ke  Liye  Yahi  Kaafi  Hai  Ke

     "Qur'aan-E-Kareem"

      Mein  Irshad  Farmaya:-

     Jo  Log  APRIL  FOOL  Manate  Hai  Woh  Qur'aan  Ki  Nazar  Mein  Mal'uoon Thehraye  Gaye  Hai
Or  Unpar  Khuda  Ta'aaLa  Ki  Lanat  Warid  Hui  Hai.

       ®__Attargeeb  va  Tarheeb

                                 
     (pαʀт ⇨04)
            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

    ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                             
     ⚀αρrïℓ ℘н๑๑ℓ εк вeкααr
           kααm αur uรкï nαнบรαт⚀
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                 ⊙ PART -04 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

�� Afwah APRIL FOOL KE BARE ME
(Rumour) Ka
Kya Kare ��
Aksar Dekha
Jata Hai Ke
Log Choti-
Choti Baato Ki Badi Afwaye(Rumour)
Failaney Lag Jaatey Hai,.. Jo Ki Bohot
Hi Galat Baat Hai. Chotey-Chotey
Wakiyat, Chotey-Chotey Halaat Ko
Lekar Itni Afwaye Failayi Jaati Hai Ke
Uski Koi Inteha Nahi …
Aur Tamam Mu’ashre Me Bus Wahi
Aag Failti Jaati Hai.

⭕ Aur Allah Rabbul Izzat Ne Quraan
Me Iss Se Manaa Kiya – “Jab Koi
Fasiq (Untrusted Person) Koi Khabar
Lekar Aaye Tou Khoob Tehqeeq Kar
Liya Karo Ke Khabar Kitni Sacchi
Hai”..

⭕(Surah 49 Al-Hujraat:
Aayat-6)

Aur Baaz Logon Ko Dekha Gaya Ke
Thodi Koi Baat Untak Pohoch Jaye
Tou Bina Sochey Samjhey Muashre
Me Faila Dete Hai, Aur Khabre Aisi Hi
Failti Hai, Shaitan Ke Kamo Me Se Ek
Kaam Hai – “Afwaho Ko Failana”
• Jaise Ke Misaal Ke Taor Pe –
Ek School Ke Class Room Me Jaha
100-200 Tak Bacche Padh Rahe Ho ,..
Aur Ustaad(Teacher) Ke Table Ke
Nichey Se Koi Sanp Ka Baccha Nikal
Aaye ,..

Tou Wo Pehle (Bencher’s) Se Aakhri
Bencher’s Tak Baat Pohchtey Pohctey
Wo Na Jaane Kitne Kissey Bantey
Rehte Hai …

* Pahle Bencher’s (Saff) Ki Line Tak
Baat Pohchi – “Saanp Ka Baccha
Nikla Teacher Ke Table Ke Niche Se
..”
* Wo Baat Uske Piche Waley
Benchers Tak Pohchti Hai – “Ek Bohot
Bada Saanp Nikla Teacher Ke Table
Ke Niche Se …”

* Aakhri Benchers Tak Baat Pohchte
Pohochety – “Bohot Bada Ajdaha
Nikla, Aagaya Tha Teacher Ke Table
Ke Nichey Se, Teacher Ko Nigaleny
Hi Wala Tha..”

Bus Kissey Ban Rahe Hai Ek Se
Dusrey Tak, Dusrey Se Tisrey Tak …
* Baat School Ke Bahar Tak Jati Hai –
“Bohot Bada Ajdaha Nikla, Pet Me Se
Bakri Nikli, Toley 70 Kilo Ka Vajan
Bhara Uska …”

* Aur Jab Koi Uss Teachers Se Jakar
Puchey Tou Pata Chala “Ek Mamuli
Chotasa Saanp Ka Baccha Nikla” …
Tou Aisa Hi Hota Hai, Afwah Kabhi
Rukti Nahi, Wo Sanp Ki Misaal Ki
Tarha Badhti Hi Jaati Hai …
Lihaja Meharbaani Karke Aisi Afwahe
Na Failaye, Iss Se Mahoul Kharaab
Hota Hai ,

Aur Ismey Kabhi Kabaar Youn Hota
Hai Ke Kisi Shakhs Ki Badd’naami,
Beizzati Ya Uspar Tohmat Lagti Hai,
Aur Agar Ismey Jhut Raha Tou
Rasool’Allah(Sallallahu Alaihi
Wasallam) Farmatey Hai –
⭕“Agar Koi Shakhs Kisi Par Ilzam
Lagaye, Tou Roze Qayamat Usko
Allah Aag Ke Pinjrey Me Band Karega,
Jab Tak Ke Ilzam Sabit
Nahi Karega Usey Waha Se Nikala
Nahi Jayega.

(Mehfum-e-Hadees:
Riwayat: Musnade Ahmad)

⭕» Sabaq: Lihaja Hume Chahiye Ke Kisi
Bhi Khabar Par Aitbaar Karne Se
Pahle Usey Thik Se Jaanch Liya Kare,
Aur Bina Tehkik Kisi Baat Ko Aagey
Pohchaney Se Pahle Soch Liya Karey
Ke Ismey Kita Shar Hai Aur Kitna
Khair ..

Haa! Koi Baat Tasdik Shuda Lagey
Usey Man’ne Me Koi Harz Nahi Lekin
Fir Bhi Hum Yahi Kahenge Bila Tahkik
Kisi Fasiq Ki Baat Par Aitbaar Na
Kareye.

⭕ Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Se
Dua Hai Ke –

# Allah Ta’ala Hume Tamam Kism Ke
Shaitani Fitno Se Bachney Ki Taufiq
Dey,
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam
Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
                                 
     (pαʀт ⇨05)
            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

    ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                             
     ⚀αρrïℓ ℘н๑๑ℓ εк вeкααr
           kααm αur uรкï nαнบรαт⚀
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                 ⊙ PART -05 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

��APRIL FOOL KI HAKEEKAT��

Allah rabbul aalaameen ney "jhoot" bolney walo par laanat farmayi hai, Aur jis par Allah tala laanat kardey, wo bahot badnaseeb hai.

April fool manana, jhoot hi bolna hota hai Aur ye bhi angrezo ka hi diya huwa ek tohfa hai, jissey bahot sey musalmaano ney bhi qubool kar rakha hai.

Ham shaan sey kisi ko bewaqoof banatey hai, tarha tarha k jhoot boltey hai, Aur jab koi us par yaqeen kar leta hai tou barey shaan sey boltey hai "April fool"

Yaad rakhiye jhoot bahot bada gunah hai jis par Allah tala ney laanat kar rakhi hai, Aur Aap sallallaahu ALayhi wa sallam ney bhi farmaya hai k tum us waqt tak momeen nahi ho sakte jab tak mazaak main bhi jhoot bolna na chchod do.

Lihaza musalmaan ko aesi jahaalat sey bachna chahiye.

                J H O O T  
         ➖➖➖➖➖➖➖

◽ Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Irshaad Farmaya :
      Jhoot Se Bachte Raho, Is Liye ke Jhoot Gunah ki Taraf Le Jaata hei, aur Gunah Jahannam mei Pahuncha Deta hei, aur Aadmii Barabar Jhoot BoLta Rehta hei, Yaha Tak ke ALLaah Ta'aaLa ke Yahan Us ka Naam Jhooto'n mei Likh Diya Jaata hei.

�� MusLim- 6804.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

◽ Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Irshaad Farmaya:
     Kisi Bande ka Imaan MukammaL Nahie ho Sakta Jab Tak ke Hansee Mazaaq mei bhi Jhoot ko Na Chhore.

�� Musnade Ahmad- 8630.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

◽ Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Irshaad Farmaaya :
     Jo Logo'n ko Hansane ke Liye Jhoot boLe Us ke Liye HaLaakat hei, Us ke liye HaLaakat hei, Us ke Liye HaLaakat hei.

�� Tirmizee- 2315.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

◽ Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Irshaad Farmaya :
     Mei Us Shakhs ke Liye beech Jannat mei Ghar ki Zamaanat Leta hu'n, Jo Jhoot ko Chhor de, Agar Che Mazaaq mei hi Kyun Na ho.

��  Abu Dawood- 4800.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

◽ Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Irshaad Farmaya :
     Jab Banda Jhoot BoLta hei to Farishta Us ke Jhoot ki Bad-boo ki Wajah Se Ek MeeL Door ChaLa Jaata hei.

�� Tirmizee- 1972.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

◽ Aap SaLLaLLahu ALayhi WasLLam Ne Irshaad Farmaya :
     Aadmi ke Jhoota hone ke Liye Yahii Kaafi hei ke Wo har Suni Sunaai Baat ko Bayaan Karta fire.

�� MusLim- 5.

" FORWARD TO ALL MUSLIMS "
                                 
     (pαʀт ⇨06)
            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

    ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                             
     ⚀αρrïℓ ℘н๑๑ℓ εк вeкααr
           kααm αur uรкï nαнบรαт⚀
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                 ⊙ PART -06 ⊙
                 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                •─┅─◐▤•▤◑─┅─•

     Allah ne Sood se roka,
     ★★★★★★★★★★
             Hum ne Bank bana liye•
             ☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆

     Allah ne Zinaa se roka,
       ★★★★★★★★★★
              Hum ne Club bana liye•
              ☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆

      Allah ne Pardy ka hukam diya,
     ★★★★★★★★★★★★★★
             Hum ne TV, DVD or Dish
             kharid k Be-Hayaai
                         ko Aam kar diya•
            ☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆

     Allah ne kaha Quran me tumhari
                      kamyabi hai,
      ★★★★★★★★★★★★★★
            Hum ne Oxford ki kitaabo ko
                   kamyabi bana liya•
             ☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆

       Allah ne Jhoot se roka,
        ★★★★★★★★★★
             Humne April fool manana
                   shoru kar diya•
            ☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆

     Allah ne Burhapy mein Maa
        Baapki khidmat karne ka
                      Hukm diya,
       ★★★★★★★★★★★★★★
           Hum ne Old Home bana liye•
            ☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆

     Aaj Musalmaan is wajah se
                 pareshan hai,
      ★★★★★★★★★★★★
             Jis ko Raazi kerna tha usko
                 Naraaz kar diya to phir
                             REHMAT kaisi•
             ☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆

                 •─┅─◐▤••▤◑─┅─•

�� ALHAMDULILLAH  Khatm  hue.

    ━═─────────────────═━

No comments:

Post a Comment