★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 9 1☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Qaza Namaz-4✺
✯————————————
❂ Qaza Ke Din- Tareekh Yaad na Ho ❂
◆◇◆◇◆
★ Agar bahut si Namaze qaza ho gayi, Ab Din – Tareekh , Mahine- Saal kuchh bhi yaad na ho to is tarah niyat kare k,
→ Fajar ki jitni Namaze mere zimme he’n unme se Jo sabse avval he uski qaza padhta hu’n,
→ Ya zuhar ki jitni Namaze mere zimme he’n unme se jo sabse avval he uski qaza padhta hu’n,
★ is tarah niyat karke barabar qazae’n padhte rahe Yaha tak k Dil gawahi de de k ab tamaam Namaze qaza ho chuki he’n to qaza padhna chhod de,
M↳® Durre Mukhtar, 1/690
↳ Next – 92 in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 136
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 9 2☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Qaza Namaz – 5 ✺
❂ Qaza Namazo Ke Avqaat ❂
◆◇◆◇◆
★ Teen avqaate mamnu’a ke alawa har waqt qaza Namaz padhi ja sakti he,
→Ye zaruri nahi ki zuhar ke waqt Zuhar ki Namaz hi qaza padhe balki ek waqt me 2-3-4 Jitni qaza Namaz chahe padh sakte he’n,
★ Aur Tarteeb se padhna bhi zaruri nahi, agar Fajar ki qaza padhi aur mazeed 2 raka’at ka waqt mojood he to doosre din ki Fajar ki qaza bhi padh le,
→Kyuki 6 ya isse zyada Namaze zimme laazim ho jane se tarteeb saqit ho jati he,
M↳® Sharah Tanveer, 1/709,
Sharah Bidaya, 1/162
↳ Next – 93 in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 137
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part-9 3 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Qaza Namaz – 6✺
✯————————————
❂ Behoshi Ki Haalat me Qaza Namazo ka Hukm ❂
◆◇◆◇◆
★ Agar Behosh ho jaye to hosh me aane ke baad dekhe k behoshi ek din ek raat se zyada rahi he ya isse kam,
★ Agar ek din raat tak behoshi rahi ya isse kam to itne avqaat ki qaza Namaze padhna laazim he,
★ Agar behoshi ek din raat se zyada rahi yani 6 Namaze zimme laazim ho gayi to qaza laazim nahi balki maaf He,
M↳® Hidaya -1/170
↳ Next -94 in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 138
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 9 4☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Qaza Namaz – 7✺
✯————————————
❂ Shadi ke Moqe per Namaz se Gaflat ❂
◆◇◆◇◆
★ Shadi Byaah isi tarah digar taqribaat ke moqe per Mard Aurate’n aksar Namaze qaza kar dete he’n, Apni nikali hui rasmo ko to esi pabandi se puri karte he’n k goya bilkul farz he aur khudavand kareem ke farzo se bilkul Gaflat barti jati he, Baaz to Namaz ko hi bhula dete he’n aur baaz ye khayal kar lete he’n k baad me padh lenge, is tarah qaza kar dete he’n,
★Dulhan jab tak Dulhan rehti he Namaz padhti hi nahi, Namaz padhne ko besharmi samjha jata he ye ajeeb baat he Khane pine aur Behaya Rasmo me to Sharm nahi he aur Namaz padhne me sharm aade aati he,
★ isi tarah is zamane me bahut se Namzai log bhi shadi Byaah aur digar taqribaat vagera ke moqe per Namaz se gafil ho jate he’n, Ye nihayat afsos ki baat he,
↳ Next – 95 in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 106
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 9 5☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Qaza Namaz – 8 ✺
✯————————————
❂ Qaza Namaz Ghar me Padhe Ya Masjid me ❂
◆◇◆◇◆
★ Masjid me bhi qaza Namazo ka padhna jaa’iz he, magar logo ko ye pata na chale k ye qaza Namaze padhta he,
→ Kyuki ka qaza Karna gunaah he aur gunaah ka izhaar bhi gunaah he,
M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/354
↳ Next – 96 in sha Allah ta’ala,
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 9 6☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Qaza Namaz – 9✺
✯————————————
❂ Qaza Namaz ke Mutallik Galat Aqaa’id -1❂
◆◇◆◇◆
✘ Baaz log kehte he’n k Jumatul Vida ke din 2 raka’at Namaz qaza e umri ki niyat se padhna chahiye, Kehte he’n k isse pure saal ki Namaze Ada ho jati he,
Shariat me Qaza e umri ki koi istlaah nahi, Shariat ka hukm to ye he k Musalman ko Namaz qaza nahi karni chahiye kyuki hadees me he k
→Jo sakhsh jaan bujhkar Namaz qaza kar de Allah ta’ala ka zimma usse bari he,
★Kisi cheez ki fazilat ke liye zaruri he k woh Huzur Sallallahu Alaihivasallam se saabit ho kyuki bager vahi e ilaahi ke kisi cheez ki fazilat aur uska sawab maloom nahi ho sakta,
⇨Isi tarah Maahe Rajjab ki Namaz aur Rozo ke bare me, aur isi tarah Jumatul Vida ki Namaz aur Roze ke bare me Jo fazail bayan kiye jate he’n ye Huzur Sallallahu Alaihivasallam se qat’an saabit nahi, Isliye in fazail ka aqeeda rakhna bilkul galat he,
⇨Shariat ka masla to ye he k agar koi shakhs ek Farz tark kar de to saari umr ki nifli ibadaat bhi us ek Farz ki talafi nahi kar sakti,
M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/360
↳ Next – 97 in sha Allah ta’ala,
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 9 7☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Qaza Namaz – 10✺
✯————————————
❂ 27 Ramzan aur Qaza Umri ❂
◆◇◆◇◆
★ Shariat Mtaharah me Quran hadees se koi esa kanoon saabit nahi k 27 Ramzan ul Mubarak ya aur kisi Mubarak din 12 Raka’at ya 4 Raka’at padhne se Umar bhar ki qaza Namazo ka kaffara ho jaye,
★ Esi suni sunai baato per yaqeen nahi karna chahiye,
M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/358
↳ Next – 98 in sha Allah ta’ala,
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 9 8☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Qaza Namaz – 11✺
✯————————————
❂ Ek Galat Rivayat ❂
◆◇◆◇◆
★ Rasulullah Sallallahu alaihivasallam ne farmaya k jis shakhs ki Namaze qaza ho gayi ho aur use maloom na ho k kitni Namaze qaza hui he’n to use chahiye k Peer ki Raat me 50 raka’at Namaz padh le, Har raka’at me Surah Fatiha ke baad Surah ikhlas padhe aur farig hokar darood padhe, in raka’to ko Allah ta’ala sab qaza Namazo ka kaffara kar dega, agarche wo ek so baras ki kyu na ho,
✘⇧⇧⇧✘
⇨ Magar Ye hadees laaiqe etmaad nahi, Muhaddiseen ne isko moju yani manghadant kaha he,
Qaza Namazo ka Kaffara yahi he k Namaz qaza karne se tauba ki jaye aur guzishta Umar ki qaza shuda Namazo ko ek ek karke qaza kiya jaye,
M↳® Aapke Masail aur Unka Hal, 2/356
↳ Next – 99 in sha Allah ta’ala,
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 9 9☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Qaza Namaz – 12✺
✯————————————
❂ Jaagne Ki Raato me Nawafil ki Bajae Qaza Namaze Padhe ❂
◆◇◆◇◆
★ Jis shakhs ke zimme qaza Namaze ho usko Jaagne wali raato ( Shabe Qadr, Shabe Baraat vagera) me Nawafil padhne ke bajae qaza Namaze padhni chahiye,
⇨ Chahe Masjide Nabvi Sallallahu Alaihivasallam me padhe ya Haram Sharif me,
M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/356
↳ Next – 100 in sha Allah ta’ala,
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 100☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Qaza Namaz – 13✺
✯————————————
❂ Jo sakhsh Tauba kar le, Uske Zimme bhi Guzishta Qaza Baqi he ❂
◆◇◆◇◆
★ Jo sakhsh galti aur Kotahi ki Vajah se Namaze Qaza karta raha, Fir usne tauba kar li aur Ahad kiya k ab koi Namaz qaza nahi karega,
→Tab bhi guzishta Namaze uske zimme baqi rahegi aur unka qaza karna us per laazim hoga,
★ Agar zindgi me apni Namaze puri nahi kar saka to marte waqt uske zimme vasiyat karna zaruri hoga k uske zimme itni Namaze qaza he’n aur unka Fidiya adaa kar diya jaye,
→ Yahi hukm zakaat, Roza, aur Hajj vagera digar faraiz ka he,
↳ Next – 101 in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/355
◆◎◎
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 101 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Qaza Namaz – 14 ✺
✯————————————
❂ Isha Ke Baad Guftgu Makrooh He ❂
◆◇◆◇◆
★ Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Isha ki Namaz ke baad karne se mana farmaya he,
→ Albatta 3 soorto me isme chhot he,
1- Ye k Aadmi mehmaan ki dildari ke liye usse baat cheet kare,
2- Miya Bivi aapas me guftgu kare,
3- Ye k kuchh log safar me ho aur raat guzaarne ke liye guftgu kare,
→ Iske alawa isha ke baad guftgu karna Makrooh aur Na pasandida he,
★ Musalmano ke Din bhar ke Amaal ka khatma nek amal per hona chahiye aur wo isha ki Namaz he,
M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/360
⇨ Aaj kal Khaaskar Nojawano ka Ye Amal ban chuka he k Raat der tak idhar udhar ki baat cheet karne me, Ghoomne firne me waqt ko barbaad karte he’n,
Der se sone ka ye bhi asar dekha gaya he k Der tak soye pade rehte he’n aur Fajar ki Namaz qaza kar dete he, Subeh ki Barkaat se bhi chheen li jati he,
is Aadat ko badalna zaruri he,
↳ Next – 102 in sha Allah ta’ala,
━═══○═✧═○═══━
◆◎◎
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 102☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
❂ Namazi Ke Saamne Se Guzarna-1❂
◆◇◆◇◆
★ Namazi ke saamne se guzarna gunaah he magar isse Namazi ki Namaz nahi tooti,
★ Koi bhoole se guzar gaya to majoor he,
★ Agar koi maydan me ya badi Masjid me Namaz padh raha ho to teen safo ki jagah chhodkar usko aage se guzarne ki gunzaish he,
★ agar chhoti Masjid me mutlaqan gunzaish nahi to jo shakhs bilkul NamaZi ke saamne betha ho usko uthkar jane ki ijazat he,
M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 294
↳ Next – 103 in sha Allah ta’ala,
━═══○═✧═○═══━
◆◎◎
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 103☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
❂ Namazi Ke Saamne Se Guzarna -2 ❂
◆◇◆◇◆
★ Agar Namazi ke liye kisi aur jagah Namaz padhne ki gunzaish na ho aur guzarne walo ke liye doosri jagah se guzarne ki gunzaish he to guzarne wala gunahgar hoga,
★ Agar Namazi ke liye doosri jagah gunzaish thi magar guzarne wale ke liye aur koi raasta nahi to is soorat me Namazi gunahgar hoga,
★ Dono ke liye gunzaish ho, Namazi ke liye doosri jagah Namaz padhne ki aur guzarne wale ke liye aur taraf se nikalne ka doosra raasta tha, is soorat me dono gunahgar honge,
M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/294
↳ Next -104 in sha Allah ta’ala,
━═══○═✧═○═══━
◆◎◎
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 104☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
❂ Namazi. Ke. Saamne. Se. Guzarna -3 ❂
◆◇◆◇◆,
★ Namazi ke aage se guzarne wale ko haath ke ishare se rok de agar na ruke to jane de wo khud gunahgar hoga,
★ Hadees me chhote Bachcho ko Masjid me le Jane ki muma’anat aayi he,
→ chhote Bachche aksar Namaziyo ke saamne se guzarte he’n,
★ Khana Kaaba ka tawaaf karne wala tawaf ki haalat me Namazi ke aage se guzar sakta he ,
M↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/295
↳ Next – 105, in sha Allah ta’ala,
━═══○═✧═○═══━
◆◎◎
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 105 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
❂ Namaz Todne Ke Uzraat-1 ❂
◆◇◆◇◆
★ Ek Dirham ( qariban saade Teen masha Chandi) ke nuqsan ka andesha ho to Namaz todne ki ijazat he,
★ Namaz ke doraan gumshuda cheez yaad aaye to Namaz tod kar use utha laye,
★ Kisi shakhs ki jaan bachane ki koi tadbeer kar sakta ho to Namaz Tod de,
★ Agar koi behosh hokar gir jaye to usko uthane ke liye Namaz Tod sakte he’n,
↳ Next – 106 in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/322
━═══○═✧═○═══━
◆◎◎
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 106☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
❂ Namaz. Todne. Ke. Uzraat-2 ❂
◆◇◆◇◆
★ Agar Namaz me achanak koi zehrila keeda aa jaye aur Namazi ki taraf badhe to agar namaz tode bager usko maar sakte ho to theek varna uske liye namaz Tod sakte he’n,
★ Durre mukhtar me likha he k agar Farz namaz me ho to Walden ke bulane per namaz na tode sivae iske k wo kisi nagahani musibat me mubtila hokar usko madad ke liye pukare,
→ is soorat me Walden ki khususiyat nahi balki kisi ki jaan bachane ke liye namaz Todna zaruri he ,
⇨ aur agar nifl Namaz me ho aur Walden ko iska ilm ho to na tode, aur agar ilm na ho to Namaz Tod kar jawab de,
↳ Next – 107 in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/322
━═══○═✧═○═══━
◆◎◎
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 10 7☆
✰━═━═━═━═━═━═━═☆
❂ Namaz me Vazu Ka Toot jana -1 ❂
◆◇◆◇◆
★ Dorane Namaz Vazu toot jane per Namaz ko wahi chhod kar chup chaap Vazu kar aaye aur munasib yahi he k Vazu ke baad dobara namaz shuru Kare,
★ Agar imaam sahab ka Vazu toot jaye to saf me se kisi ko ( imaamat ke liye) aage kar de aur khud Vazu karke muqtadiyo ki saf me shareek ho jaye,
★ Bevazu Namaz padhte rehna sakht gunaah he, baaz ulma farmate he’n k isse andesha e kufr he,
↳ Next – 108 in sha Allah ta’ala,
↳®Aapke Masail aur unka Hal, 2/326
━═══○═✧═○═══━
◆◎◎
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 108 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
❂ Namaz. Me. Vazu. Ka. Toot jana-2 ❂
◆◇◆◇◆
★ Saf me nikalne ki gunzaish na ho to saf ke aage se guzar kar ek taraf ko nikal jaye,
→ aur agar kisi tarah nikalna mumkin hi na ho to Namaz todkar Namaz se kharij ho jaye, yani apni jagah per betha rahe,
★ Agar kisi ka Vazu Bimari ki vajah se na theharta ho to wo mazoor kehla’ega , aur Namaz ke waqt usko ek baar Vazu kar Lena kaafi he, iske baad waqt ke andar jitni Namaze chahe padhta rahe is khaas uzr ki vajah se uska Vazu nahi tootega haa’n agar kisi aur vajah se Vazu toot jaye to aur baat he, aur jab Namaz ka waqt nikal jaye to uska Vazu toot ja’ega ab dobara Vazu kare,
( Behtar ye he k is masle ko apne Ulema ikraam se Samajha jaye )
↳ Next – 109 in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur Unka Hal, 2/327
━═══○═✧═○═══━
☆★☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 109☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
❂ Sunnat Namazo Ki Adaaygi -1❂
◆◇◆◇◆
★ Jis cheez ki Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne aksar pabandi farmai ho aur jiske Tark ko laa’iq e malamat qaraar diya gaya ho wo Sunnat mokada he,
★ Aur jis cheez ki targeeb Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne di ho magar uske chhodne per malamat na ki gayi ho wo Sunnat e gair mokada he,
↳ Next – 110 in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/337
━═══○═✧═○═══━
★☆★
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 110☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
❂ Sunnat Namazo Ki Adaaygi -2❂
◆◇◆◇◆
★ Namaz to chahe Farz ho chahe Sunnat v Nifl ho sab Allah ta’aala hi ke liye hoti he,
→ Ye khayal galat he k Sunnate Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasllam ke liye he,
★ Farz Namaz me Jo kami ( yani khushu v khuzu me Jo kami ) reh jati he usko pura karne ke liye Sunnate aur Nifl he’n,
★ Sunnat mokada ka chhodna bura he aur iske chhodne ki aadat bana Lena bhi Gunaah he,
→ Sunnate gair mokada aur Nawafil me akhtyar he chahe padhe, ya chhod de,
↳ Next – 111, in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/337
━═══○═✧═○═══━
☆★☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 111☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Suunat Namaz ki Adaaygi- 3✺
✯————————————
❂ Kya Aaj Ke Mashini Daur Me Farz Padh Lena Kaafi he? ❂
◆◇◆◇◆
★ Mashini daur ki masrufiyaat ke bavjood khurafaat ke liye, gap shap ke liye, tafreeh ke liye aur namaloom kin kin cheezo ke liye waqt nikaala jata he to mashini daur masrufiyat ka nazla sirf Namaz hi per kyu giraya jaye ?
↳ Next – 112 in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal,2/338
━═══○═✧═○═══━
☆★☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 112☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
❂ Sunnat Namazo Ki Adaaygi -4❂
◆◇◆◇◆
★ Sunnate ghar me padhna afzal he,
→ magar iske liye shart ye he k ghar ka mahol pur sukoon ho aur ghar jate hi gharelu kaamo ki tashvysh lahaq na ho jaye,
→ agar esa andesha ho to Masjid me Sunnate padhna afzal he,
★ Sunnat v Nifl ke liye mutlaq Namaz ki niyat kaafi he, isme waqt aur raka’at ki niyat karne ki zarurat nahi,
113, Continue in sha Allah,
↳®Aapke Masail aur unka Hal, 2/338
━═══○═✧═○═══━
☆★☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 113☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Sunnat Namazo ki Adaaygi-5✺
✯————————————
❂ Fajar Ki Sunnato Ki Takeed ❂
◆◇◆◇◆
★ Fajar ki Sunnato ki takeed zyada he, isliye agar Namaz Fajar fot ho jaye to Suraj Tulu hone ke baad zavaal se pehle isko Sunnato Sahit padhne ka hukm he,
★ Fiqha Hanafi ka masla ye he k agar Jama’at ki doosri raka’at ( balki tashahud bhi ) mil Jane ki ummeed ho to kisi alag jagah per Fajar ki Sunnate pehle adaa kare tab Jama’at me shareek ho,
★ Waqt nikal Jane ke baad Fajar ki Sunnato ke alawa baqi kisi Sunnat ki qaza nahi,
↳ Next -114, in sha Allah ta’ala,
↳®Aapke Masail aur unka Hal, 2/338
━═══○═✧═○═══━
☆★☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 114☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Sunnat Namazo Ki Adaaygi -6✺
✯————————————
❂Sunnato ke liye Jagah Badalna❂
◆◇◆◇◆
★ Zuhar aur isha ki Sunnate agar reh jaye to Farzo ke baad padhe, Pehle do raka’at baad wali padhe, fir chaar raka’at pehli wali padhe, agar pehle chaar, fir do padh le tab bhi sahi he,
★ Sunnate Mokada, gair mokada, Nifl aur vitr ki tamaam raka’ato me Surah Fatiha ke baad Surat milana wajib he, varna namaz nahi hogi, aur agar Surah Fatiha ya Surat milana bhool gaya to Sajda Sahu wajib hoga,
★ Farz Namaz se farig hokar imaam aur muqtadi dono ke liye jagah badal Lena mustahab he,
⇨” Kya tumme se ek Aadmi is baat se qaasir he k farz namaz ke baad sunnat shuru kare to zara aage pichhe ya daaye baaye ho liya kare, ”
Sunan Abu Dauwd 1/144,
↳ Next – 115, in sha Allah ta’ala,
↳®Aapke Masail aur unka Hal, 2/339
━═══○═✧═○═══━
☆☆☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 115☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz E Juma- 1 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Juma Ki Namaz Chhodne Ka Gunah❂
◆◇◆◇◆
★ Paanch waqt Namazo ki tarah Juma ki Namaz adaa karna bhi har musalman aaqil baalig azaad mard per farz he,
★ Aur Juma azeem sha’ar -e -islam me se he,
★ Juma ki farziyat se inkaar karne se aadmi kaafir ho jata he aur bila uzr isko tark karna bada gunaah he, is per sakht wa’ied aayi he, isse aadmi faasiq balki isse badkar munafiq ke darje tak pahunch jata he,
M↳® Ravaah Bayhki,
↳ Next – 116, in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 151
━═══○═✧═○═══━
☆☆☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 116 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-2 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Juma ki Namaz chhodne Ka Gunah -2❂
◆◇◆◇◆
★ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k,
→” Jo sakhsh bila uzr Juma ki Namaz chhod deta he wo esi kitaab me munafiq likha jata he Jo na kabhi mitai jati he aur na tabdeel ki jati he,”
★ Aur baaz rivayaat me ye he k Jo sakhsh 3 Juma chhod de ye wa’ied uske liye he,
M↳® Musnad, Shafa’i
↳ Next – 117 in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 151
━═══○═✧═○═══━
☆☆☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 117☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-3 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Juma Ki Namaz Padhne Ka Tareeqa ❂
◆◇◆◇◆
★ Juma ki pehli azaan ke baad khutba ki azaan se pehle 4 raka’at sunnat mokada he,
★ Fir khutba ke baad Juma ki 2 raka’at farz imaam ke saath padhe ,
★ Fir 4 raka’at sunnat padhe , ye sunnate bhi mokada he,
★ Fir 2 raka’at sunnat padhe, Ye 2 raka’at bhi baaz Hazraat ke nazdeek mokada he,
M↳® Bahishti Gohar,
↳ Next – 118 in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 151
━═══○═✧═○═══━
☆☆☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 118 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-4 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Juma Sahi hone ki Shart ❂
◆◇◆◇◆
★ 1- Shehar ya esa bada Qasba hona, Jiski sadke Shehar jesi ho aur usme Shehri Sahuliyaat mojood ho yani zaruriyaat zindgi muhayya ho, aur Thana, Daak khana vagera bhi mojood ho,
★ 2- Zuhar ka waqt hona,
★ 3- Khutba hona,
★ 4- Khutba ka Namaz se pehle hona,
★ 5-Jama’at yani imaam ke Siva kam se kam 3 aadmiyo ka shuru khutba se pehli raka’at ke sazde tak mojood rehna,
★ 6- Juma ki Namaz Elaan e Aam ke saath padhna yani us jagah Namaziyo ko dakhil hone se na roke,
M↳® Durre Mukhtar, 1/546
↳ Next – 119 in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 152
━═══○═✧═○═══━
☆☆☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 119☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-5 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Juma Faut ho Jane ka Hukm ❂
◆◇◆◇◆
★ Agar kisi se Juma faut ho jaye to baad me 4 raka’at zuhar ki qaza padhe,
Ab uske liye akele Jume ki niyat se 2 raka’at padhna jaa’iz nahi, Ab uske zimme zuhar hi ki qaza wajib he,
M↳® Durre Mukhtar, 2/17
↳ Next -120 in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 152
━═══○═✧═○═══━
☆☆☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 120☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-6 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Jume Ki Azaan Avval ke Baad Khareed Farokht ❂
◆◇◆◇◆
★ Jab apne mohalle ki Masjid me Juma ki Azaan Avval ho jaye to khareed farokht ko foran moqoof ( postpone) kar dena laazim he,
Kyuki Azaane Avval ke baad khareed farokht Makrooh Tehrimi he,
★ Agar kisi ne Azaane Avval ke baad khareed farokht kar li ho to gunaah se bachne ke liye us maamle ( sauda ) ko khatm karna laazim he,
M↳® Durre Mukhtar, 4/147
↳ Next – 121 in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 153

No comments:
Post a Comment