🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 1☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat Ke Ma'ani ✺
◆◇◆◇◆
★ Zakaat ke ma'ani ( meaning ) Pakizgi, Badotri aur Barkat ke he,
★ Allah ta'ala ka irshad he, :-
خُذْ مِنْ أَمْوَالِهِمْ صَدَقَةً تُطَهِّرُهُمْ وَتُزَكِّيهِم بِهَا وَصَلِّ عَلَيْهِمْ
⇨ Tarjuma: -
" Unke maal se zakaat lo taki unko paak kare'n aur Barkat kare'n uski vajah se aur Dua de'n unko,
↳® Surah At- Taubah, 103
★ Shara'i istlah me Maal ke us khaas hisse ko zakaat kehte he'n jisko Allah ta'ala ke hukm ke mutabik faqeero'n, mohtajo'n vagera ko dekar unko maalik bana diya jaye,
↳ Next -2 in sha Allah ta'ala,
↳® Zakaat Ke Masail, (Hazrat Mufti Nazeeb Qasmi.), 1
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 2☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat ka Hukm ✺
✯————————————
◆◇◆◇◆
★ Toheed v Risalat aur Namaz ke baad islaam ka Teesra sabse bada Rukn zakaat he,
★ Quran kareem me 70 se zyada maqamaat me Aqamate -Salaat aur Adae- Zakaat ka hukm saath saath kiya gaya he,
Jisse maloom hota he k Deen me in dono Ka maqaam qareeb qareeb he aur zakaat ki farziyat ka munkir Deene islam se kharij he
★ Namaz ki tarah zakaat ka hukm bhi agli Shariyat me mojood tha,
⇨ Hazrat Ismaiyl Alaihissalam ke bare me he :-
وَكَانَ يَأْمُرُ أَهْلَهُ بِالصَّلَاةِ وَالزَّكَاةِ
" Woh apne ghar walo ko Namaz aur zakaat ka hukm dete he'n, "
M↳® Surah Mariyam, 55
↳ Next -3, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 270
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 3☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat Ke Pehlu-1 v 2 ✺
✯————————————
◆◇◆◇◆
★ Neki aur Fawa'id ke lihaaz se zakaat me 3 pehlu he'n :-
● 1- Apna kamaya hua maal Allah ta'ala ke hukm ke mutabik Allah ta'ala ke Bando'n per kharch karta he to goya Allah ta'ala ke huzoor maali Nazrana pesh karke apni Aazizi v inksaari ka izhaar karta he k
" ye maal dar haqeeqat aapka atiya tha Jo mene aapko Razi karne ke liye kharch kiya, "
● 2- Zakaat ke zariye gareeb v mohtaaj Bando'n ki khidmat v i'aanat hoti he, is tarah unki khoob Duae'n hasil hoti he,
↳ Next - 4,in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 270
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 4☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat Ke Pehlu-3 ✺
✯————————————
◆◇◆◇◆
★ Zakaat ka ma'ani paaki he, Jis tarah meyla kapda dhone se paak ho jata he, Meyla jism nahane se paak saaf ho jata he,
Isi tarah zakaat nikaalne se wo maal paak saaf ho jata he aur khud zakaat dene wale ko bhi paaki haasil hoti he, Uske andar se maal ki hirs, muhabbat, Bukhl vagera andruni bimariyo'n ka ilaaj hota he,
★
خُذْ مِنْ أَمْوَالِهِمْ صَدَقَةً تُطَهِّرُهُمْ وَتُزَكِّيهِم بِهَا.ٌ
" Ey Nabi ! Aap musalmano ke amwaal me se Sadqa ( zakaat ) vasool kijiye jisse unke quloob ki tatheer aur unke nafso'n ka tazkiya ho, "
M↳® Surah AT- Taubah, 103
↳ Next -5, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 270
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 5☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat Ada Karne Ki Fazilat -1✺
◆◇◆◇◆
★" Jo log Allah ki raah me apne maalo ko kharch karte hai,
unke kharch kiye hue maalo ki haalat esi he jese ek daane ki haalat ,
jisse ( farz karo) saat baale (aur) har baal ke andar 100 Dane ho'n aur ye afzuni khuda ta'aala jisko chahta he ataa farmata he,
Aur Allah ta'ala badi wus'at wale hai'n ,. jaanne wale hai'n,
→ Jo log apna maal Allah ki raah me kharch karte hai fir kharch karne ke baad na to (us per ) ahsaan jatate hai'n aur na ( bartav ) se usko azaar pahunchate hai'n ,
in. logo ko in ( ke amaal ) ka sawab milega, unke parvardigar ke paas aur na un per koi khatra hoga aur na ye magmoom honge, "
↳® Surah Al-Baqrah, 261-262
↳ Next -6, in sha Allah ta'ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 3/341
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 6☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat Ada Karne Ki Fazilat -2✺
✯———————————
◆◇◆◇◆
★ Hazrat Abu Hurayra Raziyallahu Anhu farmate. hai'n k Hujzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,
"Jo shakhs ek khajoor ke Dane ke barabar paak kamai se sadqa kare aur Allah ta'ala sirf paak hi ko qubool farmate hai'n ,
To Allah ta'ala usko apne dast me lekar qubool farmate hai'n , fir uske Maalik ke liye uski parvarish farmate hai'n ,. jis tarah k tumme se ek shakhs apni ghodi ke bachche ki parvarish karta he,
yaha tak k woh (ek khajoor ke Dane ka sadqa qayamat ke din ) pahaad ke barabar ho jayega, "
↳® Sahih Bukhari, Muslim
↳ Next -7, in sha Allah ta'ala,
↳® Aapke Masail aur Unka Hal, 3/341
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 7☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat Ada na Karne Ka Vabaal -1✺
◆◇◆◇◆
★ Allah Ta'ala ka irshad he, َ
" Jo log Sona chandi jama karke rakhte hai'n aur unko Allah ki raah me kharch nahi karte,
→ so Aap unko ek badi dardnaak saza ki khabar suna dijiye k us roz waqe hogi k unko dozakh ki aag me avval tapaya jayega
→ fir inse un logo ki peshaniyo aur unki karwato aur unki pushto ko daag diya jayega,
→ye woh hai jisko tumne apne vaaste jama karke rakha tha,
→ so ab apne jama karne ka maza chakho, "
↳® Surah At-Tauba, 34-35
↳ Next - 8,in sha Allah ta'ala,
↳® Aapke Masail aur Unka Hal , 3/342
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 8 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat Ada na Karne
Ka Vabaal -2 ✺
◆◇◆◇◆
★ Hazrat ibne Masu'od Raziyallahu Anhu Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai'n k
" Jo shakhs apne maal ki zakaat Ada nahi karta Qayamat ke din uska maal ganje saanp ki shakal me uski gardan me daal diya ja'ega,
→ fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne is majmoon ki aayat hume padhkar sunayi, ٌ
⇨ Aayat ka tarjuma ye he --
" aur hargiz khayal na kare ese log Jo esi cheez me bukhl karte hai'n Jo Allah ta'ala ne unko apne fazal se di he k ye baat kuchh unke liye achchhi hogi balki ye baat unki bahut buri he,
woh log qayamat ke roz tauk pehna diye ja'enge uska jisme in hone bukhl kiya tha,"
↳®Ravah Al- Tirmizi,
★ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna he k Aap Sallallahu Alaihivasallam farmate the k,
" Zakaat ka maal jab doosre maal se makhloot ( mix ) ho to zarur usko tabaah kar dega, "
↳® Musnad Shafai,
↳ Next -9 in sha Allah ta'ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 3/343
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 9☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat Kis Per Farz He ✺
◆◇◆◇◆
★ Zakaat Baalig per wajib he,,
⇨ Na-balig Bachcho ke maal per zakaat nahi, Albatta sadqa e fitr Na-balig ki taraf se Ada karna bhi zaruri he, (agar na-balig sahibe maal ho)
★ Majnoon, Pagal ke maal per zakaat nahi,
★ Zever aurat ki milkiyat hote hai'n , aur zakaat Ada karne ki zimmedari bhi Maalik hi per hogi, Shohar agar uske kehne per zakaat Ada kare to Ada ho ja'egi,
★ Shohar aur Bivi ki zakaat ka hisaab alag -alag he,
★ Marhoom Shohar ki zakaat Beva ke zimme Farz nahi, agar vaaris Ada kare to achchhi baat he,
★ Agar Na-Baalig ladki ko zever ki Maalik bana diya to jab tak ladki baalig nahi hogi zakaat Farz nahi he,
⇨ Sirf ye keh dena ya ye niyat kar lena k zever ladki ke Jahez me diya ja'ega, zakaat se mushtasna nahi karaar diya ja sakta, Jab tak k ladki ko zever ka Maalik na bana diya jaye,
→Aur ladki ko Maalik bana dene ke baad us zever ko khud istemal karna jaa'iz nahi hoga,
↳ Next - 10,in sha Allah ta'ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, jild 3/safa 344
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 10☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat kis per Farz he -2✺
◆◇◆◇◆
⇨Zakaat in cheezo per Farz he,
★1- Sona Jabke Saade Saat Tola ( yani 87.479 gram), ya isse zyada ho,
★2- Chandi Jabke Saade Bavan Tola ( yani 612.35 gram ) ya isse zyada ho,
★ 3- Rupya- Paisa, aur Maale- Tijarat Jabke iski maaliyat Saade Bavan Tola chandi (612.35 gram) ke barabar ho,
→ Agar kisi ke paas thoda sa Sona he, kuchh Chandi he, Kuchh Naqad Rupya he , ya kuchh maale Tijarat he aur inki majmooi ( in sabki qeemat jodne ke baad ) maaliyat Saade Bavan Tola chandi (612.35 gram) ke barabar he to is per bhi zakaat Farz he,
→ isi tarah agar kuchh Sona he, kuchh Chandi he, ya kuchh Sona he, kuchh Naqad Rupya he, ya kuchh Chandi he, kuchh maale Tijarat he, tab bhi inko milakar dekha jayega k Saade Bavan Tola chandi ki maaliyat banti he ya nahi,
agar banti he to zakaat wajib hogi varna nahi,
✔ Khulasa ye he Sona, Chandi, Naqdi, Maale Tijarat me se koi si bhi do ( Ya do se zyada ) Cheezo ki maaliyat jab Chandi ke nisaab ( 612.35 gram) ke barabar ho to us per zakaat Farz hogi,
★ 4- in ( Jo mazkoor hui ) cheezo ke alawa charne wale maveshiyo (animals) per bhi zakaat Farz he, isme Bhed, Bakri, Gaay, Bhens, Ount ke alag alag nisaab hai'n ,
→ Jo log maveshi rakhte hai'n ahle ilm motbar ulema Hazraat se daryaft kar le, ( isme tafseel zyada he isliye isko nahi likha )
★ 5- Ushri Zameen ki paydawar per bhi Zakaat Farz he, jisko Ushr kaha jata he,
( Tafseel aage zikr ki ja' egi in sha Allah)
↳ Next -11 in sha Allah ta'ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 3/ 345
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 11☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Maale Tijarat me Kya Kya
Dakhil he ✺
◆◇◆◇◆
★ Maale Tijarat me har wo cheez dakhil he jisko Aadmi ne bechne ki niyat se kharida ho, ( aur Yahi niyat baqi ho )
★ Lihaza Jo log investment ki garz se plot kharid lete he'n aur shuru hi se niyat hoti he k jab achchhe paise milenge to usko farokht karke usse munafa kama lenge to us Plot per bhi Zakaat waajib he,
⇨ lekin agar Plot is niyat se kharida k agar moqa hua to us per Riha'ish ( residence) ke liye Makaan banwa lenge ya moqa hoga to usko Kiraaye per chada denge ya kabhi moqa hoga to usko farokht kar denge,,,,,,,,
Yani koi waazeh niyat nahi he Balki wese hi kharid liya he to is soorat me us Plot ki qeemat per zakaat waajib nahi he,
↳ Next -12, in sha Allah ta'ala,
↳® Zakaat ke Masail, Mufti Muhammad Najeeb Qasmi,
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 12☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat Ke Hisaab ke liye
Tareekh Mutayan Karna ✺
◆◇◆◇◆
★ Aksar log sirf Ramzan me zakaat nikaalte he'n aur usi me hisaab karte he'n, Ramzanul Mubarak me Zakaat nikaalne ki fazilat to he lekin apne maal ka hisaab bhi Ramzan hi me kiya jaye? Isme bahut si kharabiya he"n,
Isliye k Zakaat ka sahi tareeqa ye he k Aap Qamri Maah ( Chand ki tareekh ) ki jis tareekh ko Sahibe Nisaab hue the, hamesha wahi tareekh aapki zakaat ke hisaab ke liye mutayan rahegi,
★ is Tareekh me Aapke paas Jo Sona, Chandi, Maale Tijarat aur Naqdi Jo kuchh bhi ho, chahe ek Roz pehle hi mila ho sab per zakaat Farz hogi, Zakaat ka hisaab isi tareekh ko hoga Ada chahe jab kare,
★ Agar darmiyan saal me nisaab keep mutabik maal bilkul nahi raha to ab fir ( dobara ) jis tareekh me Sahibe Nisaab honge, wo tareekh mutayan hogi,
★ Agar Sahibe Nisaab banne ki Qamri tareekh ( chand ki tareekh ) yaad nahi ho to goro fikr ke baad jis tareekh ka itminan zyada ho wo mutayan hogi,
★ Agar kisi tareekh ka bhi itminan na ho to khud koi Qamri tareekh Mutayan kar lijiye, isme Angrezi Saal se hisaab karna durust nahi he,
M↳® Ahsanul fatawa, 4/205
↳ Next -13, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 147
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part-13 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat ki Mikdaar ✺
◆◇◆◇◆
★ Sona, Chandi, Maale Tijarat ki qeemat lagakar usme Naqdi Jama karke Jab majmui maaliyat ( Jama Punji ) maloom hogi to ab Zakaat ki mikdaar
2-1/2 % ( 2.5 % ) Yani 40 va hissa
Ya 40 Rupye per 1 Rupya Zakaat Ada karna zaruri he,
★ ( Sona Chandi, Maale Tijarat me us din ki qeemat ( Bazaar ki Rate ) ke etbaar se hisaab hoga )
↳ Next -14, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 275
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part-14 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Sona Chandi per zakaat ✺
◆◇◆◇◆
★ Sona Chandi ki har cheez per zakaat waajib he, Asli zari, Sona Chandi ke Batan, vagera in Sab per zakaat Farz he Chahe Thappa, Gota aur Zari kapde me lage ho,
▩◆● Tambeeh ●◆▩
⇨ Bahut se logo ka khayal hota he k Sona Chandi ke istemali zevraat vagera per zakaat Farz nahi, Halanki Shar'an zevraat istemali ho ya gair istemali sab per zakaat Farz he,
★ Hazrat Abdullah bin Amru bin Aas Raziyallahu Anhu se rivayat he k ek khatoon apni ek Ladki ko lekar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me haazir hui, Us ladki ke haath me Sone ke mote bhari Kangan the,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne puchha: -
" Kya tum in Kangano ki zakaat deti ho? "
Usne arz kiya k me zakaat nahi deti,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,:-
" Kya tumhare liye ye baat khushi ki hogi k Allah ta'ala tumhe Kangano ki ( zakaat na dene ki ) Vajah se qayamat ke din aag ke Kangan pehnaye? "
Allah ta'ala ki us bandi ne dono Kangan haath se utaarkar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saamne daal diye aur arz kiya,:-
" Ye Allah ta'ala aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke liye he'n,
↳ ® Sunan Abi Daoud Jamia Tirmizi,
↳ Next -15, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 275
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part-15 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Mil Kaarkhano. Per zakaat ✺
◆◇◆◇◆
★ Kaarkhana aur mil ki imaarat aur masheen vagera per zakaat Farz nahi lekin usme Jo maal tayyar hota he us per zakaat Farz he,
★ isi tarah Jo Khaam Maal ( Raw material ) Kaarkhane me samaan tayyar karne ke liye rakha he, us per bhi zakaat Farz he,
↳ ® Ba- Hawala--Durre Mukhtar, Shami,
↳ Next - 16,in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 276
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 16 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Company ke Shares
Per Zakaat ✺
◆◇◆◇◆
★ Milo aur Companiyo ke Shares per bhi Zakaat Farz he, Ba-sharte k Shares ki qeemat baqadre nisaab ho ya uske alawa digar maal se Shares Holder Maalike Nisaab ban jaye,
★ Albatta Companies ke Shares ki qeemat me chuki mashinry aur makaan, Furniture ki laagat bhi shamil hoti he, Jo dar haqeeqat zakaat se mutashna ( Free ) he,
⇨Isliye agar koi shakhs Company se maloom karke jitni raqam uski Mashinry, Makaan aur Furniture me lagi hui he usko apne hisse ke mutabiq Shares ki qeemat me se kam karke baqi ki Zakaat de to ye bhi jaa'iz he,
★ Saal ke khatm per jab Zakaat dene lage us waqt Jo Shares ki qeemat hogi wahi lagegi,
↳ Next - 17,in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 276
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 17☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Provident Fund
Per Zakaat-1 ✺
◆◇◆◇◆
★ Provident fund me Jo Raqam mulazim ki tankhwah se kaati jati he aur us per Mahana ya Saalana izafa kiya jata he, Ye sab mulazim ki khidmat ka wo muaawza he Jo abhi uske qabze me nahi aaya, Lihaza wo mahkame ke zimme mulazim ka qarz he,
★ Zakaat ke maamle me Fuqha ikraam Rh ne qarz ki 3 qisme bayaan farmayi he'n, Jinme se baaz per zakaat waajib hoti he aur baaz per nahi hoti, Vasool hone ke baad zaabte ke mutabiq Zakaat waajib hogi, Jiski Tafseel ye he,
★ 1- Mulazim agar pehle se Sahibe Nisaab nahi tha, magar us raqam ke Milne se Sahibe Nisaab ho gaya to vasool hone ke waqt se ek Qamri Saal pura hone per Zakaat waajib hogi, Ba-sharte us waqt tak ye shakhs Sahibe Nisaab rahe,
⇨Agar Saal pura hone se pehle Maal kharch hokar itna kam reh gaya k Sahibe Nisaab nahi raha to zakaat waajib nahi hogi,
⇨ Aur agar kharch ya Jaaya hone ke bavjood Saal ke akheer tak Maal ba-qadre nisaab bacha raha to jitna baqi bach gaya sirf uski zakaat waajib hogi, Jo kharch ho gaya uski nahi hogi,
------ To be continued,
↳ Next -18, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 277
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 18☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Provident Fund
Per Zakaat-2 ✺
◆◇◆◇◆
★ 2- Agar Ye mulazim pehle se Sahibe Nisaab tha to fund ki raqam chahe miqdare nisaab se kam mile ya zyada uska saal alag se shumar nahi hoga,
→Balki jo maal pehle se uske paas tha Jab uska saal pura hoga yani pehle se mojooda nisaab ki zakaat nikaalne ki tareekh aayegi to fund ki vasool shuda raqam ki zakaat bhi usi waqt waajib ho jayegi chahe us nayi raqam per ek din hi guzra ho
⇨Zakaat ki ye tafseel imaam e aazam Abu Hanifa Rh ke qoal per mubni he, Sahabeen Rh ke qoal ke mutabiq qarz ki har qism per zakaat Farz he,
→Lihaza agar koi ahatyaat per amal karte hue guzishta tamaam saalo ki zakaat Ada kare to behtar he,
⇨ iska behtar tareeqa ye he k jabse ye mulazim Sahibe Nisaab ho us waqt se har saal ke khatm per hisaab kar liya jaye, k ab uske fund me kitni raqam jama he, Jitni raqam jama he uski zakaat Ada kar de, isi tarah har saal karta rahe,
------ To be continued,
↳ Next -19, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 277
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 19☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Provident Fund
Per Zakaat-3 ✺
◆◇◆◇◆
★ Agar Usne ye Raqam kisi shakhs, Bank, Insurance company ya kisi aur Tijarati Company me Ya mulazimeen ke numaindo per mushtamil board ki taraf muntkil karwa di ho to ye esa he jese khud apne qabze me le li ho,
⇨Kyuki is tarah wo shakhs ya company us mulazim ki vakeel hogi aur vakeel ka qabza shar'an muvakkil ke qabze ke hukm me he,
⇨Lihaza jabse ye Raqam us company ki taraf muntkil hui us waqt se us per bila ittefaaq zakaat waajib hogi aur har saal ki zakaat mazkoora baala zaabte ke mutabiq laazmi hogi,
★ Tijarati company ko Nafa nuksaan me shirkat ki buniyad per dene ki soorat me jabse us per Nafa milna shuru hoga us waqt se Nafa per bhi zakaat waajib hogi,
★ insurance company ya kisi aur Soodi karobaar karne wali company ko dene ki soorat me nafa haraam he,
↳ Next -20, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 278
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part-20 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Tijarati Pilot
Per Zakaat ✺
◆◇◆◇◆
★ Agar koi shakhs tijarat ki niyat se plot kharide aur yahi niyat baqi rahe to plot ki qeemat per zakaat waajib hogi,
→Doosre Tijarati maal ke saath iski zakaat bhi Ada ki jaye,
→Aur agar doosra maal na ho to bhi plot ki qeemat nisaab ke ba-qadr hone ki soorat me zakaat waajib he
↳®Ahsanul fatawa, 4/305
★ Masla No. 1: --
→Kharide gaye plot aur Makaan per kharidte waqt usme 3 qism ki niyate hoti he'n,
→Kabhi to ye niyat hoti he k yaha'n makaan banakar Rihaish akhtyar karenge, Agar is niyat se plot kharida he to ese plot per zakaat nahi,
★ Masla No. 2: --
⇨ isi tarah agar kharidte waqt na to farokht karne ki niyat thi aur na khud rehne ki niyat thi, is soorat me bhi us per zakaat nahi,
★ Masla No. 3: --
⇨ Jo makaan ya plot is niyat se kharida jaye k usko baad me farokht kar denge to ese makaan aur plots ki haisiyat Tijarati maal ki hogi, is soorat me unki Kul qeemat per har saal jitni qeemat hogi zakaat Farz hogi,
↳®Ba- Hawala Durre Mukhtar, 2/298
↳ Next -21, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 279
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼
🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 21☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Fix Deposits
Per Zakaat ✺
◆◇◆◇◆
★ Bank me raqam jama karane ka ek tareeqa Fix Deposit he, iski soorat ye he k raqam ko Bank me ek makhsoos muddat ke liye ( 3 ya 5 ya 7 saal ) is shart per rakhte he'n k Muddat mukarrah se pehle ye Raqam naqabile wapas hogi, is muddat ke khatm hone per ye Raqam ek mukarrah Sood ( interest) ke saath wapas mil jati he,
★ is per Jo Sood milta he wo na-jaa'iz aur haraam hone ki Vajah se bager Sawab ki niyat se sadqa karna zaruri he, Asal jama shuda raqam per zakaat waajib he lekin uski adaygi vasooli ke saath hi waajib hogi, vasool hone se pehle waajib nahi , jaa'iz he,
⇨ Lihaza agar kisi ne vasooli se pehle hi zakaat Ada kar di to bhi zakaat Ada ho jayegi,
↳®Makhuzaz - Jadeed Fiqhi masail 132,
↳ Next -22 , in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 279
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 TypeNoteFile.txt - 22-
🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 22☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Bank me Jama Shuda
Raqam Per Zakaat ✺
◆◇◆◇◆
★ Bank me Jama shuda raqam per bhi zakaat waajib he,
★ Saal guzarne per doosre maal ke saath unki ( Bank me Jama Shuda raqam ki ) zakaat bhi Ada ki jaye,
⇨ Fix Deposit ke alawa digar accounts jinme har waqt raqam nikaalne ka akhtyar hota he, Unme vasooli ka intezar na kare,
↳ ® Makhuzaz - Ahsanul fatawa, 4/311
↳ Next -23 , in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 280
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 23 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Hajj Ke liye Jama Raqam Per Zakaat ✺
◆◇◆◇◆
★ Maaldar hone ke etbaar se zakaat waajib hone ki tareekhe mukhtalif hoti he'n, Mukarrarah tareekh me Jo maal milk me mojood hoga us per zakaat Farz hogi,
⇨ Ab agar kisi ne Hajj ke liye raqam jama karwayi he aur uska saal pura ho raha he ek Ramzan ko, To aamado raft ka kiraya aur muallim vagera ki fees ke liye Jo Raqam di gayi he us per zakaat nahi,
isse zaa'id Jo Raqam carancy ki soorat me usko wapas milegi us per zakaat Farz he, Doosri raqam ke saath uski zakaat bhi Ada kare,
↳® Makhuzaz - Ahsanul fatawa, 4/264
↳ Next -24, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 280
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 24 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Hajj Ya Makaan Ya Beti ki Shadi Ke liye rakhi Hui Raqam Per Zakaat ✺
◆◇◆◇◆
★ Agar kisi shakhs ne itni raqam Jo nisaab tak pahunchti he, isliye jama kar rakhi he k me isse Hajj karunga ya isse Makaan kharidunga ya banaunga Ya isse Beti ki Shadi karunga vagera vagera,
⇨ To agar us raqam per saal guzar gaya to us per zakaat waajib ho gayi, Jab tak ye Raqam rakhi rahegi kharch nahi ho jayegi, Us waqt tak Maalik ko har saal zakaat Ada karni hogi,
⇨ Hajj ka iraada karna ya Makaan kharidna, banwana, Beti ki shadi vagera sab kaam per zakaat ki adaaygi ke liye uzr tasavvur nahi honge,
↳® Fatawa Darul Uloom Devband, Jild -6,
Ba- Hawala, Durre Mukhtar, 7/2
↳ Next -25, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 280
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 25 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Kiraye per dene ke liye kharide hue Makaan ya Samaan Per Zakaat-1 ✺
◆◇◆◇◆
★ Ek shakhs ke paas apne rehne ke alawa bahut se makaan he aur un makaano ko kiraye per chalane ke liye kharida he aur maqsood ye bhi he taki uska Rupya bhi mehfooz rahe to ese makaanat ki qeemat per zakaat Farz na hogi chahe wo kitni hi qeemat ke ho,
⇨ Albatta unke kiraye se haasil shuda raqam nisaab ke ba-qadr ya usse zyada jama ho aur saal bhi guzar jaye to uski zakaat dena zaruri he,
★ Lekin agar is niyat se kharida he k jab qeemat bad jayegi to farokht karke nafa kamayenge, Us waqt tak kiraye per chalta rahe, To fir qeemat per zakaat Farz hogi,
---- To be continued,
↳ ® Aapke Masail aur unka Hal, Jild -3,
↳ Next -26, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 281
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 26 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Kiraye per Dene ke liye Kharide hue Samaan per zakaat ✺
◆◇◆◇◆
★ Isi tarah Agar koi shakhs Bartan, Shamiyana, Furniture, Cycle vagera ya aur koi samaan kiraye per dene ke liye kharidta he aur kiraye per chalata he to in cheezo per bhi zakaat Farz nahi
⇨ Albatta kiraye ki vasooli shuda raqam agar ba-qadre nisaab ho aur us per ek saal guzar jaye to is raqam per zakaat Farz hogi,
★ Aur agar doosre maal ka nisaab bhi mojood he to kiraye ki raqam usi maal me shamil kar diya jayega, us per fir mustkil saal guzarna zaruri nahi hoga,
↳® Fatawa Qaazi khan, 1/17
↳ Next -27, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 281
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 27 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Maqrooz Per Zakaat ka Hukm ✺
◆◇◆◇◆
★ Agar koi shakhs esa he jiske paas kuchh sona aur kuchh chandi bhi he jis per zakaat Farz ho sakti he lekin wo maqrooz bhi he,
⇨ To esa shakhs apni tamaam cheezo ko yani sona, chandi, naqdi, tijarati maal vagera Jo kuchh uski milk me he usko jama karke fir dekhe k qarz chukane ke baad uske paas ba-qadre nisaab yani Saade Bavan tola chandi ki qeemat ke barabar raqam bachti he ya nahi,
⇨ Agar itni raqam bachti he to us per us zaa'id bachi hui raqam per zakaat Farz hogi,
⇨ Agar ba-qadre nisaab raqam nahi bachti to maqrooz per zakaat Farz nahi,
↳® Ba- Hawala-- Sharah Bidaya, 2/168
↳ Next -28, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 281
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 28 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Qarz Per di hui Raqam per Zakaat ✺
◆◇◆◇◆
★ Qarz dena apne musalman bhai ki zarurat ko pura karna he aur ye bahut ajro sawab ka kaam he,
★ Qarz per di hui raqam zakaat qarz dene wale ke zimme laazim he lene wale ke zimme nahi, kyuki iski maaliyat raqam qarz dene wale ki milk me dakhil he,
★ Agar kisi ne kuchh raqam qarz de rakhi he ya Farokht shuda maal ki qeemat kharidaar ke zimme baqi he to us raqam ki zakaat maalik per har saal waajib hogi,
⇨ Albatta akhtyar hoga k chahe vasool hone se pehle zakaat nikaal de ya Jab ye qarz vasool ho jaye ( Jitne saalo me bhi vasool ho ) to guzishta tamaam saalo ki zakaat ikatthi nikaal de,
↳ Next -29, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 283
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 29 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Ladkiyo ke Naam kiye Hue Zevero Per Zakaat ka Hukm ✺
◆◇◆◇◆
★ Baaz log bachcho ke jahez ke naam per zevraat kharid lete he'n, Un per zakaat ka Hukm ye he k Agar bachcho ko maalik nahi banaya to Baap ke zimme laazim he k doosre maal ke saath un zevraat ki bhi zakaat Ada kare,
⇨ Agar Bachcho ko maalik bana diya to Baalig hone se pehle us maal per zakaat Farz nahi, Baalig hone ke baad Jo Ladki Saahibe Nisaab hogi us per zakaat Farz hogi,
↳ ® Ba- Hawala---- Durre Mukhtar, 2/258
★ Ladkiyo per zakaat waajib hone ki soorat me adaygi ki do soorte he'n,
1-Ya to Baap unki taraf se zakaat Ada kare
2- Ya ladkiya apni taraf se Ada kare,
Agar esi koi soorat na ho to zevraat ka kuchh hissa bech karke zakaat Ada kar di jaye,
↳ Next -30 , in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 282
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 30 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Chande Ki Raqam Per Zakaat ka Hukm ✺
◆◇◆◇◆
★ Agar kisi idaare ne Beva, Yateem vagera mustahiqeen per kharch karne ki niyat se chanda karke zakaat ki raqam ikatthi ki aur wo raqam nisaab se zyada he, Saal ke dauran kuchh raqam aati rahi aur hasbe zaabta kuchh kharch hoti rahi,
⇨ Saal ke aakhir me ba-qadre nisaab ya isse zyada ki bachat to us zakaat ki bachi Hui raqam per zakaat Farz nahi hogi,
⇨ Kyuki ye kul raqam hi zakaat hi ki he aur ye kisi Farde wahid ki milk me dakhil bhi nahi he,
↳ ® Ahsanul fatawa, 4/299
↳ Next -31 , in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 284
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 31 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Murgikhana aur Machhli ke Talaab Per Zakaat ✺
◆◇◆◇◆
★ Murgikhana aur Machhhli ke talaab ki zameen, makaan aur isse mutalliq samaan per zakaat nahi,
⇨ Murgiya'n aur Chuje kharidte waqt agar unhi ko bechne ki niyat ho to unki maaliyat per zakaat he, aur agar unki bajaye unke ande aur bachche bechne ki niyat ho to zakaat waajib nahi,
↳ ® fatawa Qazikhan, 1/117
★ Talaab me machhliya'n ya unke bachche khareed kar dale ho to unki maaliyat per zakaat Farz he, varna nahi,
⇨ Murgikhana aur Talaab ki aamdani per bahar soorat zakaat he,
↳® Ahsanul fatawa, 4/300
↳ Next -32, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 285
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 32 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Masarife Zakaar aur Uski Tafseel ✺
◆◇◆◇◆
★ Zakaat ki adaaygi ke liye Shariyat Mutahra ne ye usool muqarrar farmaya he k,
Zakaat sirf unhi logo ko di ja sakti he Jo mustahiq ho,
⇨ Aur mustahiq e zakaat wo log he'n jinke paas Saade Bavan tola chandi ya iski qeemat ke barabar raqam ya itni maaliyat ka koi samaan zarurat se zyada na ho,
↳ ® Ba- Hawala-- Durre Mukhtar, 2/347
⇨ Zakaat ki adaaygi ki Shart,,,
★ Zakaat ki adaaygi ke liye ye shart laazim he k kisi mustahiq shakhs ko bager kisi avaz ke mahaz lillaah fillaah maalik banakar de di jaye,
⇨ Lihaza jin soorto me kisi mustahiq ko maalik nahi banaya jaye unme zakaat Ada nahi hogi,
®Ba- Hawala--- Durre Mukhtar, 2/344
↳ Next -33, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 285
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 33 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Masraf Talash karne me
Kotahi ✺
◆◇◆◇◆
★ is silsile me baaz log ye kotahi baratte he k Zakaat nikaalte to he lekin iski parvaah nahi karte k sahi masraf me lag rahi he ya nahi, Kahi esa to nahi k laparvahi me gair mustahiq ko zakaat de di aur samajhte rahe apne zimme se farig ho gaya,
⇨ Halanki gair mustahiq ko dene ki Vajah se zimma farig nahi hua, kyuki jis tarah maaldar per ZAKAAT ki adaaygi zaruri he, Mustahiq talaash karna bhi zaruri he,
⇨ Bager tehqeek kisi bhi shakhs ko Zakaat ki raqam pakda di to usse na zakaat Ada hogi na zimma farig hoga, isliye khoob tehqeek karke dena laazim he,
↳ Next -34, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 286
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 34 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Gareeb Rishtedaro ko Zakaat Dene ki Fazilat ✺
◆◇◆◇◆
★ Agar aap azizo aqaarib me gareeb log mustahiqe zakaat ho to unko Zakaat v Sadqa dena zyada behtar he aur dohra sawab rakhta he,
Avval Sawab Sadqa ka aur dom Silah rahmi ka,
⇨ isme ye bhi zaruri nahi k unhe ye batakar zakaat de k Sadqa ya zakaat de raha hu'n balki kisi Tohfa ya Hadiya ke unwaan se bhi diya ja sakta he taki lene wale shareef Aadmi ko apni khaft mehsoos na ho,
★ Suleman bin Aamir Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k,
Kisi ajnabi miskeen ko Allah ke liye kuchh dena sirf Sadqa he,
Aur apne kisi azizo aqaarib ( zaruratmand ) ko Allah ke liye dene me do pehlu he'n aur do tarah ka sawab he,
Ek ye k Sadqa he, doosre ye k Silah rahmi he ( Yani haqe qarabat ki adaaygi Jo bajaye khud badi neki he ),
↳ ® Musnad Ahmad, Tirmizi,
↳ Next -35, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 286
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 35 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat Ada karne Ka Tareeqa -1 ✺
★Zakaat dete waqt zakaat ki niyat zaroori he Jo cheez zakaat ki niyat se na di jaye usse zakaat Ada nahi hogi,
★Behtar he k zakaat ki niyat karke kuchh raqam alag rakh li jaye or fir us me se waqtan fa waqtan,thodi thodi dete rahe to zakaat Ada ho jayegi,
★ Ekmusht Zakaat Ada ho jati he, magar kisi ko ekmusht itni zakaat de dena k wo Sahibe nisab ho jaye makrooh he,
★ Zakaat dete waqt ye batana zaroori nahi k ye zakaat he,
Hadiya ya Tohfa ke unwaan se Ada ki jaye aur Ada karte waqt niyat zakaat ki kar li jaye to zakaat Ada ho jayegi,
↳ Next - 36,in sha Allah ta'ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 3/377
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 36 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat Ada karne ka Tareeqa -2 ✺
◆◇◆◇◆
★Agar doosra aadmi, sahibe maal ke hukm ya ijazat se uski taraf se zakaat Ada kar de to zakaat Ada ho jayegi varna nahi,
★ Riyakari aur numaish ki garaj se zakaat ki tashheer jaa'iz nahi, balke isse sawaab batil ho jata he,
★ Peshgi ( advance) zakaat Ada karna bhi sahi he, zakaat Ada ho jayegi,
★ Agar koi shakhs gaflat aur kotahi ki vajah se farayaz ko chhodta he to farayaz maaf nahi honge ,
⇨balki hisaab karke zakaat jitne saalo ki zimme he waqtan fa waqtan thodi thodi Ada karte rahe yaha tak k zakaat poori ho jaye,
★ Dukan me jitna maaliyat ka samaan he, uski qeemat laga kar, Jo Qarz agar zimme ho usko ghata kar Jo raqam bache uska 40 va hissa zakaat Ada kar de,
↳ Next -37 in sha Allah ta'ala,
↳® Aapke masail aur unka Hal, 3/379
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 37 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Zakaat ada karne ka Tareeqa -3 ✺
◆◇◆◇◆
★Zakaat ki raqam ka jab tak kisi miskeen fakeer ya mustahiq ko maalik nahi bana diya jayega zakaat Ada nahi hogi,
★Raddi aur na bikne wali cheez ka zakaat me dena ikhlaas ke khilaf he,
★Qarz di hui raqam me zakaat ki niyat karne se zakaat Ada nahi hogi,
⇨kyuki qarz dete waqt zakaat ki niyat nahi hoti he,, aur zakaat Ada karte waqt niyat karna shart he,,ese hi mulazim ( servant) ko advance di hui raqam ki zakaat ki niyat karna durust nahi,
★Zakaat ki raqam se mulazim (servant) ko tankhwah ( salary) dena jaa'iz nahi, imdaad ke liye zarurat ya mohtaaj samajhkar tankhwah ke alawa zakaat de di jaye to zakaat Ada ho jayegi,
★Zakaat ki raqam ko masjid me lagana jaa'iz nahi,
★Aurat ke paas Rupya Paisa na ho to zever bechkar zakaat Ada kare,
★Agar Naqdi Rupya Paisa na ho to Saabka aur Aainda saalo ki zakaat me zever de sakte hai,
★ income tax Ada karne se zakaat Ada nahi hoti,
⇨ income tax mulki zaruriyat ke liye government ki taraf se muqarrar hota he, jabki zakaat ek musalman ke liye fariza e khudavandi aur ibadat he, income tax Ada karne se zakaat Ada nahi hoti, balki zakaat ka alag Ada karna zaroori he,
↳ Next -38, in sha Allah ta'ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal,3/382
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 38 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ In Rishtedaro Ko Zakaat de Sakte he'n -1 ✺
◆◇◆◇◆
★ In Rishtedaro ko zakaat di ja sakti he Ba-sharte k wo mustahiqe zakaat ho: -
★ 1- Apne Haqeeqi Bhai Bahan ( jinke maa baap ek ho ),
Alaati Bhai Bahan ( jinke baap ek ho lekin maa alag alag ho ),
Akhyafi Bhai Bahan ( Jinki maa ek ho aur baap alag alag ho ),
Razaa'i Bhai Bahan ( Jinhone muddate raza'at me ek hi aurat ka doodh piya ho )
Inko zakaat dena durust he, isi tarah inke alawa ko bhi dena durust he,
★ 2- Apne Chacha, Chachi, Fufa, Fufi, Mamu, Mumani, Khala, Khalu aur in sabki Aulaado ko bhi zakaat dena durust he,
★ 3- Apne Sotele Maa Baap, Razaa'i Maa Baap, Razaa'i Beta Beti aur in sabki Aalaado ko bhi zakaat dena durust he,
★ 4- Apne Sasur, Saas aur unki Aulaad ko bhi zakaat dena durust he,
★ 5- Shohar Apni Bivi ki esi Aulaad Jo uske pehle Shohar se ho, isi tarah Bivi apne Shohar ki esi Aulaad Jo pehli Bivi se ho, unko Zakaat dena durust he,
★ 6- Apne Damaad aur Bahu ko bhi zakaat dena durust he,
↳® Fatawa Darul Uloom Devband, Jild -6,
↳ Next -39, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 287
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 39 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ In Rishtedaro ko Zakaat nahi de Sakte ✺
◆◇◆◇◆
★ 1- Apne Maa, Baap, Dada, Dadi, Pardada, Pardadi, ko zakaat dena durust nahi he,
★ 2- Apne Nana, Nani, Padnana, Padnani, ko bhi zakaat dena durust nahi he,
★ 3- Apne haqeeqi Beta, Beti aur unki Aulaad yani Pota, Poti,padpote, Padpoti, Navasa, Navasi Padnavasa,Padnavasi ko bhi zakaat dena durust nahi he,
★ 4- Shohar apni Bivi ko aur Bivi apne Shohar ko bhi zakaat nahi de Sakti he,
↳ Next -40, in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 288
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
🌼🍀🌼 🌼🍀🌼
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
💎 Zakaat Ke Masail 💎
☆ Part- 40 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Shadi Shuda Aurat ko Zakaat dena ✺
◆◇◆◇◆
★ Aurat Jiska Mahar nisaab ke barabar ya usse zyada ho aur ye ummeed ho k jab ye Aurat Mahar talab karegi to uska Shohar bila ta'amul de dega, To esi Aurat ko zakaat dena na-jaa'iz he,
⇨ lekin agar Shohar itna gareeb he k Mahar Ada nahi kar sakta ya Maaldar to he lekin nahi deta, aur khud Aurat ke paas nisaab ke ba-qadr maal mojood nahi, To esi Aurat ko zakaat dena durust he,
↳® Ba- Hawala-- Sharah Tanveer, 2/113
↳ Next -41 , in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 289

No comments:
Post a Comment