Assalamu Alaykum
Wa rahmatullahi
Wa barakatuh
DOSTO ! ye khidmat sirf isliye he ke hamare no-jawan gande tariqo se bach jaye or islami talimat par amal Karen
[1] HALAT E HAIZ & NIFAS ME JIMA (APNI BIWI SE HAM BISTARI)NA KARNA
Duniya Ke Paida Karne Wale Malik Ne Mard/Orat Ke Under Ek Dusre Ki Sohbat Se Sukoon Hasil Karne Or Lazzat Hasil Karne Ki Jo Khwahish Rakhi He Usko Pura Karne Ke Liye Islami Shariyat Ne Nikah Ka Tariqa Bataya He, Or Isi Liye Nikah Huzur Nabi Kareem ﷺ Ki Bohot Aham Sunnat He. Uske Zarye Insan Zina Jaise Khatarnak Gunah Se Bachta He. Yahi Wajah He Ke Nikah Ko Aadha Imaan Bhi Kaha Gaya He. Nikah Ke Zarye Jaha Insan Haram Kari Se Bachta He Waha Usko Badan Ki Sihhat, Zehni Sukoon, Muhabbat Or Ek Dusre Ki Sachchi Hamdardi Or Razdari Wagerah Mukhtalif Qism Ke Faide Bhi Hasil Hote He.
Nikah & Rukhsati Ke Bad Jab Mard-Orat Tanhai Me Ek Sath Hote He To Mard Ke Andar Zyadah Tar Mubasharat Ka Jazbah (Khwahish Puri Karne Ka Shok) Bohot Zyadah Ubharta He, Or Us Waqt Baz Mard Badi Be Sabri Ke Sath Orat Par Toot Padte He, Bohot Si Martaba Biwi Haiz Ki Halat Me Hoti He, To Is Darindagi Se Bohot Takleef Hoti He, Or Wo Manaa Bhi Karti He, Magar Ahkame Ilahi Ki Na-Waqifiyat Or Uske Nuqsano Ka Ilm Na Hone Ki Wajah Se Orat Ke Inkar Ka Lihaz Na Karte Huwe Sohbat Karlete He, Jabke Qurane Azeem Ne Saaf Alfaz Me Halat E Haiz Me Sohbat Karne Se Roka He, Or Haram Qarar Diya He: Halate Haiz Me Orat Se Alag Thalag Raho. (Surah Baqrah)
Quran E Hakeem Ke Is Hukm Ke Bare Me Is Zamane Ke Docters Ne Is Bat Ka Khulasa Kiya He Ke Haiz Se Nikalne Wale Khoon Me Ek Qism Ka Zahreela Maadah (Zahrili Chiz) Hota He, Jo Agar Jism Ke Andar Reh Jaye To Sihhat Ko Nuqsan Dene Wala Hota He. Is Tarah Haiz Me Sohbat Karne Se Bachne Ka Parda Hata Diya. Haiz Ke Dino Me Orat Ka Khas Hissa Khoon Ke Jamaa Hone Ki Wajah Se Sukde Huwe Hote He, Or Bhi Takleef Hoti He, Is Liye Haiz Ki Halat Me Jinsi Ikhtelat (Biwi Se Faida Uthana) Nuqsan Or Kabhi Haiz Ke Rukne Ka Sabab Ban Jata He, Or Bad Me Bohot Si Kharabiya Jaise Orat Ka Khas Hisse Me Jalan Wagerah Peda Hojati He, Or Mojudah Zamane Me Eds Name Ki Sab Se Khatarnak Bimari (Jis Se Allah Ki Panah) Janam Leti He.
Qurban Jayye Shariyate Muhammadi ﷺ Par Ke Jisne Hamko Ahkame Ilahi Ke Zarye Esi Gandi Harkat Se Roka, Jinse Dono Ko Tarah Tarah Ki Bimariya Lagti He Jiska Chukadah Puri Zindagi Chukana Padta He, Balke Olad Par Bhi Uska Asar Padta He, Olad Kodhi Hojati He.
Baaz Fuqaha Ne Is Hukm Ki Khilaf Warzi Par Hadees Ke Mutabiq Kaffarah Bhi Rakha He, Jis Shakhs Se Josh Me Aakar Haiz Ki Halat Me Jimaa Ka Gunah Hojaye To Use 1 Deenar Ya Aadha Deenar Kaffarah Dena Chahye. (Ashab-Us-Sunan V Tabrani)
Hazrat Imam Abu Hanifarh Or Imam Malikrh Or Imam Shafeerh Ke Nazdeek Kaffarah Wajib Nahi, Al-Batta Istegfar Wajib He, Or Imam Ahmedrh Ka Farmana He Ke Kaffarah Ada Kare, Agar 1 Deenar Ada Na Kar Sake To Aadha Deenar Ada Karen.
[2] HALATE HAIZ ME BIWI KE SATH LETNE KI IJAZAT
Islam ke ahkam fitri or insani hote he, jis se samaj kamiyab banta he, or zindagi me tangi mehsoos nahi hoti.
Baaz mazhabo me orat ko haiz ki halat me is darja na-pak samja jata he ke uske hath ka khana-pani or sath letna bhi na-pasandidah samja jata he, magar shariyat e muhammadi ﷺ me siwaye sohbat orat ke tamam badan se faidah hasil karna jaiz he, sath letne or bos o kinar (bosa dena) ki puri aazadi he, magar orat ke naaf se lekar ghutno tak ke hisse ko barhana (kapda utarna) na kare, sath me khana-peena or ek sath letna bhi manaa nahi he.
[3] HAIZ KE BAD KAB JIMAA KIYA JAYE ?
Jab haiz ka khoon band hojaye or orat apni sharmgah ko dhole ya wuzu karle ya gusl karle, tab us se jimaa karna jaiz hoga, isliye ke quran majeed me taharat ka lafz aaya he jo bayan kiye gaye teeno halato par bola jata he. (ashab-us-sunan v tabrani)
Is masle me charo imam ka ikhtelaf he. Imam malikrh, imam shafeerh, or imam ahmedrh ke nazdeek jabtak gusl na karle ya kisi uzr ki wajah se gusl ke bajaye tayammum na karle us se jimaa jaiz nahi, imam abu hanifa ke nazdeek haiz ki muddat kam se kam 3 din or zyadah se zyadah 10 din he, ab agar khoon 10 din se kam me band hojaye to orat se jimaa us waqt jaiz he jab wo gusl karle ya ek farz namaz ka waqt guzar jaye, or agar khoon pure 10 dino ke bad band ho to gusl se pehle bhi us se jimaa jaiz hoga, lekin mustahab yahi he ke orat ke gusl karne ke bad hi jimaa kare, isliye ke haiz ke dino me orate gusl karna band kar deti he, isliye sahi aqal wale ka chahna bhi yahi he ke gusl ke bad hi sohbat kee jaye, take bos o kinaar (bosa dena) ke waqt orat ke badan ki badboo na-gawar na maloom ho.
[4] FITRAT KE KHILAF AMAL NA KARE
Jis tarah haiz ki halat me biwi se sohbat karna haram he, isi tarah biwi ke dubur (pakhana ki jagah) me khas uzw dakhil karna bhi haram he, nabi e kareem ﷺ ne saaf tor par is bure kam se manaa farmaya he. Hazrat khuzaima bin sabitrd se ek lambi hadees marwi he, jisme huzur ﷺ ne farmaya he ke orato ke pichhle hisse me jimaa na karo.
Jo shakhs apni biwi ke pichhle hisse me jimaa karta he allah taala us ko nazre karam se na dekhenge.
Jo log apni biwiyo ke pichhle hisse me jimaa karte he wo maloon (allah ki rahmat se door) he. (abu dawud shareef)
Imam gazalirh. Ne ihyaul uloom [kitab ka name he] me likha he ke pusht ki taraf me sohbat karna yani lawatat karna durust nahi, balke uska haram hona haiz ki halat me karne se bhi zyada sakht he, kyuke isme orat ko hamesha takleef hoti he.
[5] JALAQ (HATH SE MANI NIKALNE) KI MUMANAT
Umdatul ahkam (kitab ka name) me hazrat jabir rd. se riwayat naqal ki gayi he ke huzur ﷺ ka irshad he ke sab ke sath khane me shifa he, or irshad he ke bohot bure he wo log jo tanha khaye, or apni londiyo (pehle zamane ki bandi) ko mare, or apni bakhshish ko band karde or nikah kare hath se (jalaq lagaye) .
Ek din hazrat ibne abbas rd. ki majlis se sab log chale gaye, ek jawan betha raha. Aapne us se puchha ke tum ko kuchh kam he ? usne kaha ke me ek masla puchhna chahta hu, pehle to logo ki sharam aar thi or ab aapki haibat or tazeem mujko kehne nahi deti. Aapne farmaya ke aalim ka darjah bap ki tarah hota he, jo bat tu bap se keh deta he wo mujse bhi kehde ! usne arz kiya ke me jawan hu or biwi nahi he, aksar hath se zarurat puri (jalaq) karta hu. Isme kuch gunah hota he kya ?
Hazrat ibne abbas rd. ne uski taraf se munh fer liya or farmaya ” chhi chhi “ londi se nikah karlena teri is harkat se behtar he (us zamane me londi se nikah karna bura samja jata tha). Is se malum huwa ke jalaq lagana sakht tareen gandi harkat he.
[6] DULHAN KE GHAR ME AANE KE WAQT KE AHKAM
Nikah & rukhsati ke bad jab dulhan ghar me aaye to dulhan ka hath pakadkar ye dua padhe, or baaz kitabo me likha he ke uski paishani ke bal pakadkar ye dua padhe
اللهم إني أسألك خير ها وخير ما جبلتها عليه وأعوذ بك من شرها و شر ما جبلتها
Allah'humma inni as' aluka khairaha wa khaira maa jabaLtaha alaihi " wa'A'Auzu bika min sharriha wa sharrima JabaLtaha
Tarjuma: A allah me aap se iski bhalay or iski aadato ki bhalay ka suwal karta hu, or iski buray or buri aadato se panah chahta hu.
Is dua ki barkat ye he ke allah taala is orat se buray door kardega, or uske ghar me is orat ki neki phelegi.
[7] SHABE ZUFAF (SOHBAT) KE AADAB
Jis Waqt Tanhay Hasil Ho, Or Aapas Me Ragbat (Shoq) Badhjae To Sohbat Se Pehle “ Bismillah “ Ke Sath 3 Martaba “ Surah Ikhlas “ Aauzu-Bismillah Ke Sath Padhne Ke Bad Ye Dua Padhkar Sohbat Shuru Kare.
بسم الله اللهم جنبناالشيطان و جنب الشيطان ما رزقتنا
Bismillahi allah'humma jan'nib nash'shaitana wa janni'bish'shaitana ma Razaq'taha
Tarjumah : Allah Ke Name Se Shuru Karta Hu. A Allah Ham Dono Ko Shaitan Se Door Rakhye, Or Jo Kuch Ladka, Ladki Hame Naseeb Kare Usko Bhi Shaitan Se Door Rakhe.
Phir Jab Inzaal (Mani Nikalne) Lage To Dil Hi Dil Me Ye Dua Padhe
اللهم لا تجعل للشيطان فيما رزقتني نصيبا
Allah'humma La taj'aL Lish'shaitani feema razaqtani naseeba
Tarjumah : A Allah Na Kijiye Kuch Shaitan Ke Liye Is Bachche Me Jo Aap Hame Naseeb Kare.
To Hadees Me He Ke Agar Is Jeema (Sohbat) Se Farzand Muqarrar Ho To Hargiz Usko Shaitan Nuqsan Na Pohnchaye.
Shaikh Abdul Haqq Rh. Farmate He Ke Is Se Maloom Huwa Ke Agar Jeema Ke Waqt Ye Dua Na Padhe To Muqarrar Shaitan Ko Dakhal Hota He, Or Isi Sabab Se Aulad Me Fasaad Or Tabahkari Hoti He. (Rifah-Ul-Muslemeen)
Sohbat Ke Waqt Mard & Ourat Bilkul Janwar Ki Tarah Pure Nange Na Ho. Bilkul Nange Hokar Sohbat Karne Se Aulad Be-Hayaa Paida Hoti He. Huzur ﷺ Khud Ko Or Biwi Ko Sar Se Per Tak Chadar Ya Kisi Kapde Se Dhanp Liya Karte The, Or Aawaz (Bat Chit) Aahista Karte The, Or Biwi Se Farmate The Ke Waqar (Barabar) Se Rahe.
Huzur ﷺ Ne Ye Bhi Farmaya Ke Koi Shakhs Janwar Ki Tarah Apni Biwi Par Na Jaa Pade, Balke Usko Chahye Ke Pehle Boso Kinar (Kiss) Or Aahista Bat Chit Se Aamadah (Tayyar) Kare, Jab Mard Ko Inzaal (Mani Nikalna) Hojaye To Fovran Na Hate, Balke Isi Tarah Kuch Der Thehra Rahe, Take Ourat Ka Matlab Bhi Pura Hojaye. Kyunke Baaz Ourato Ko Der Se Inzaal Hota He. Faragat Ke Bad Mard & Ourat Alag Alag Kapdo Se Apni Apni Sharmgah (Khas Jagah) Ko Saf Karke Juda Ho.
[8] JIMAA (SOHBAT) KA FITREE TARIQAH
Jimaa Ka Fitree Tariqah To Yahi He Ke Ourat Niche Ho Or Mard Upar Rahe, Chunache Tamam Haiwanat Isi Fitree Tariqe Par Amal Karte He, Or Quran E Pak Me Bhi Yahi Tariqah Bohot Barik Tariqe Se Ishare Me Farmaya Gaya He.
Tarjumah : Jab Mard Ne Ourat Ko Dhanp Liya To Usko Halka Sa Hamal Reh Gaya. (Surah Aaraf : 189 )
Iski Soorat Yahi Hosakti He Ke Ourat Sidhi Lete Or Mard Uske Upar Ulta Lete To Is Tarah Mard Ke Jism Se Ourat Ka Jism Dhak Jayega.
Isi Tariqe Me Zyadah Rahat Or Aasani He. Ourat Ko Bhi Mashaqqat (Takleef) Nahi Uthana Padti Or Hamal Ke Therne Me Bhi Ye Tariqah Mufeed He.
Hakeem Boo Ali Seena (Mashhoor Hakeem) Ne Bhi Apni Kulliyat Qanoone Tibb (Kitab Ka Name) Me Isi Tariqe Ko Pasandidah Bataya He. Unke Nazdeek Jimaa (Sohbat) Ki Tamam Shaklo Me Buri Shakl Ye He Ke Ourat Mard Ke Upar Ho Or Mard Niche Chit Leta Ho, Kyunke Is Soorat Me Mani Mard Ke Uzw Me Baki Rehkar Kharab Hojati He, To Bimari Ka Sabab Hoti He
[9] MUBASHARAT SE FARAGAT KE BAD KYA KARE ?
Sahibe Shuratul Islam (Kitab Ka Name) Ne Likha He Ke Sohbat Se Faragat Ke Bad Mard Or Ourat Dono Ko Paishab Karlena Chahye, Nahi To Kisi La-Ilaaj (Jiska Koi Ilaaj Nahi) Bimari Me Mubtala Hojayege. Ilm E Tibb (Doctory) Ki Kitab Me Likha He Ke Baaz Waqt Mani Ka Koi Qatrah Paishab Ki Naali Me Atka Rehta He To Jalan Or Zakhm Paida Kar Deta He.
[10] SOHBAT KE BAD UZW KA DHONA ZARURI HE
Faqeeh Abullais Samarqandi Rh. (Buzrug Ka Name) Ne Likha He Ke Sohbat Ke Bad Apne Uzw Ko Dho Lena Chahye, Is Se Badan Tandurast Rehta He, Lekin Sohbat Ke Bad Fouran Thande Pani Se Na Dhoye, Kyunke Is Tarah Bukhar Aajane Ka Khatra He, Itni Der Ruk Jaye Ke Badan Ki Garmi Thandi Hojaye, Or Jaisa Ke Hazrat Ali Rd. Ka Irshad He Ke Ke Wati Ke Bad Paishab Karle, Nahi To La-Ilaaj Bimari Ka Sabab Hoga, Or Zakar (Khas Uzw) Ko Halke Garam Pani Se Dhoye, Ke Ye Amal Badan Ko Sahi Rakhta He, Or Agar Garam Pani Na Ho To Thodi Der Ke Bad Dhone Me Koi Harj Nahi.
[11] KHALWAT KI BATE BAYAN KARNE KI MUMANAT
Aam Tor Par Miya / Biwi Ki Pehli Mulaqat Yani Shabe Zufaf Ki Bate Dulhan Apni Saheliyo Or Dulha Apne Dosto Ko Batate He. Magar Huzur ﷺ Ne Miya / Biwi Ki Tanhay Ki Bate Dost V Ahbab Or Saheliyo Ko Bayan Karne Ko Na-Pasandeedah Qarar Diya He. Esa Karna Be Sharmi Ka Jahilana Tariqah He
[12] BAGER GUSL KE SOHBAT NA KARE
Baaz Tajrubakar Logo Ka Kehna He Ke Agar Kisi Shakhs Ko Ehtelam Huwa Ho To Wo Bagair Gusl Kiye Apni Biwi Se Sohbat Na Kare, Nahi To Khatra He Ke Ladka Diwana (Pagal) Or Bakheel (Kanjus) Paida Hoga. Isi Tarah Ek Martaba Sohbat Karne Ke Bad Phir Dobarah Usi Waqt Sohbat Ki Khwahish Ho To Dono (Miya / Biwi) Gusl Ke Bad Mashgool Ho, Esa Karna Afzal He, Or Huzur ﷺ Ne Apne Sahaba Rd. Ko Taleem Di He Ke Tum Me Se Koi Shakhs Apni Biwi Se Jimaa (Sohbat) Kare Or Phir Esa Dobarah Karna Chahe To Use Chahye Ke Darmiyan Me Wuzu Karle. [ Muslim Shareef. Abu Dawud Sahreef ]
Sahibe Ehyaa (Imam Gazali) Ne Likha He Ke Koi Ek Bar Sohbat Karne Ke Bad Ya Ehtelam Hojane Ke Bad Sohbat Karna Chahe To Pehle Zakar (Khas Uzw) Dho Dale, Ya Paishab Karle. Bagair In Dono Me Se Ek Kiye Bagair Sohbat Na Kare.
[13] SOHBAT KE BAD FOVRAN PANI NA PIYE
Atibba (Doctors) Ki Tehqeeq (Research) He Ke Sohbat Ke Bad Fouran Pani Nahi Pina Chahye, Esa Karne Se Tanaffus Yani Damm Ki Bimari Paida Hojati He, Is Liye Pet Bhare Hone Ki Halat Me Jimaa (Sohbat) Karne Se Mana Kiya Gaya He, Kyunke Jab Pet Bhara Huwa Ho To Jimaa Ki Hararat (Garmi) Se Khushki (Sukhapan) Paida Hota He, Or Piyas Ka Galba (Zyadah) Hota He.
(14)KHADE HOKAR SOHBAT KARNE KI MUMANAT
Tibb e nabwi ﷺ me sahibe qinyah (qinyah kitab ke likhne wale) ke hawale se likha he ke khade hokar sohbat karne se badan kamzor hojata he, or pet bhara hone ki halat me jimaa nahi karna chahye, is se oulad kund zahan (kamzor zahan wali) paida hoti he. Tibb e unani ki baaz kitabo me likha he ke khade hokar sohbat karne se raasha (hath per dhujne) ki bimari paida hojati hai
[15] SOHBAT KE WAQT SHARMGAH DEKHNE KI MUMANAT
Ek Buzrug Ne Apni Kitab Me Likha He Ke Sohbat Ke Waqt Ourat Ki Sharmgah Ko Na Dekhe, Kyunke Is Se Khatra He Ke Kahi Oulad Andhi Paida Na Ho.
Masle Ke Etebar Se Agarche Sharmgah Dekhna Jaiz He Or Ourat Or Mard Ek Dusre Ke Jism Ke Har Hisse Ko Dekh Sakte He, Magar Ulama Ne Likh He Ke Ourat Ki Sharmgah Dekhne Se Nazar Kamzor Hoti He.
[16] MUBASHARAT KE WAQT BAT NA KARE
Faqeeh Abullais (Ek Buzrug Aalime Deen) Ne Apni Kitab “ Bustan “ Me Likha He Ke Sohbat Ke Waqt Zyadah Bate Na Ki Jaye, Esa Karne Se Khatra He Ke Bachcha Gunga Paida Ho.
[17] AANKH DUKHTE WAQT JIMAA NA KARE
Jame Kabeer (Kitab Ka Name) Me Hazrat Umme Salma Rd. Se Riwayat He Ke Jab Kisi Bibi Ki Aankhe Dukhne Aati Thi To Rasoolullah ﷺ Usse Qurbat (Sohbat) Na Farmate The, Jab Tak Tandurast Na Hojaye.
Note: Is Hadees E Pak Se Ye Isharah Milta He Ke Agar Biwi Kisi Dukh / Bimari Me Ho To Uski Tandurasti Or Ragbat (Chahat) Ka Andazah Kiye Bagair Sohbat Karna Munasib Na Hoga, Or Samajdari Bhi Isi Me He Ke Bimari Ki Halat Me Jimaa Se Door Raha Jaye, Kyunke Jazbat Me Barabari (Dono Taraf Se Chahat) Ke Bagair Mubasharat Ka Lutf (Maza) Hasil Nahi Hota He.
[18] SOHBAT KARNE KA SAHI WAQT
Faqeeh Abu-Al-Lais Rh. Ne Apni Kitab “ Bustan “ Me Likha He Ke Jimaa Ke Liye Sab Se Behtar Waqt Rat Ka Aakhri Hissa He, Kyunke Rat Ke Pehle Hisse Me Pet Khane Se Bhara Hota He.
Hazrat Aaisha Rd. Ke Hawale Se Hazrat Imam Gizali Rh. Ne Ihyaaul Uloom Me Likha He Ke Aap ﷺ Jab Rat Ke Aakhri Hisse Me Witr Padhlete To Agar Aapko Zpni Biwi Se Zarurat Hoti To Unse Qurbat (Sohbat) Farmate, Warna Jaye Namaz (Namaz Ki Jagah) Let Jate, Yaha Tak Ke Hazrat Bilal Rd. Aapko Namaz Ki Ittela Dete.
Tibbe Nabawi ﷺ Me Bhi Bhare Pet Par Sohbat Na Karne Ko Likha He, Kyunke Rat Ke Pehle Hisse Me Pet Khane Se Bhara Hota He.
EK HAKEEM KA MASHWARAH : Agar Kisi Shakhs Par Shahwat (Sex) Itna Zyadah Hojaye Ke Wo Aakhir Rat Tak Ya Aadhi Rat Tak Intezar Na Kar Sake To Usko Chahye Ke Magrib Bad Hi Thoda Khana Kha Le, Pet Bhar Kar Na Khaye Take Isha Bad Jab Amal Me Mashgool Ho To Pet Bhara Huwa Na Rahe.
FAIDAH: Ye Sab Tibbi (Doctory) Maslihate He, Shariyat Ke Etebar Se Har Waqt Sohbat Ki Ijazat He. Nabi Kareem ﷺ Se Bhi Rat Ke Pehle Hisse Me Or Din Ke Mukhtalif Waqto Me Sohbat Karna Sabit He. (Shamaile Tirmizi)
19] SOHBAT KE WAQT CHAND MUKHTASAR AADAB
Ourat & Mard Paak Or Ba-Wuzu Ho.
Mustahab He Ke Bismillah Se Shuru Kare, Agar Pehle Bhul Jaye To Inzal Hone (Mani Nikalne) Ke Bad Keh Le.
Sohbat Se Pehle Khushbu Lagana Bhi Huzur ﷺ Se Sabit He.
Har Qism Ki Badbu, Chahe Wo Mele Kuchele Hone Ki Wajah Se Ho Ya Tambaku Or Sigret Pine Ki Wajah Se Ho, Shahwat (Sex) Ko Murdah Or Ragbat (Shok / Chahat) Ko Nafrat Se Badal Deti He.
Sohbat Ke Waqt Qiblah Ki Taraf Rukh Na Ho.
Sohbat Ke Waqt Bilkul Nanga Na Ho.
Mard Inzaal (Mani Niklne) Ke Bad Fouran Biwi Se Juda Na Ho, Balke Ruka Rahe, Yaha Tak Ke Ourat Ko Bhi Inzaal Hojaye.
Jab Inzaal Hone Lage To Us Waqt Ki Dua Padh Le. Agar Is Jimaa Se Oulad Paida Ho To Usko Hargiz Shaitan Nuqsan Na Pohnchayega.
[20] SOHBAT KARNE ME NIYYAT KYA HO ?
Hazrat Ali Rd. Ne Wasaya Me Likha He Ke Jab Kabhi Mubasharat Ka Iradah Ho To Is Niyyat Se Kiya Kare Ke Zinaa (Ajnabi Aurat Se Khwahish Puri Karna) Se Bach Jawunga, Or Dil Ko Idhar Udhar Bhatakne Se Faragat Hogi, Or Aulad Nek Bakht Hogi.
Is Niyyat Ke Sath Sohbat Karne Me Sawab He.
Ajnabi Aurat Ko Dekhkar Apni Biwi Se Sohbat Karna Dil Ki Taharat (Paki) Ka Sabab He.
Imam Gizali Rh. Ne Apni Kitab Me Likha He Ke Hazrat Junaid Bagdadi Rh. Farmaya Karte The Ke Mujko Jimaa Ki Hajat Esi Hi He Jaisi Giza (Khana) Ki, Haqiqat Me Biwi Giza Or Dil Ki Taharat Ka Sabab He. Isi Wajah Se Jis Shakhs Ki Nazar Ajnabi Aurat Par Pade Or Uska Nafs Uske Pichhe Lag Gaya Ho, Usko Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Apni Biwi Se Sohbat Karle, Is Liye Ke Sohbat Karna Dil Ke Waswase Ko Door Kardega, Or Farmaya Ke Aurat Jab Samne Aati He To Shaitan Ki Surat Me Aati He. Pas Jab Tum Me Se Koi Kisi Aurat Ko Dekhe Or Wo Usko Achhi Lage To Chahye Ke Apni Biwi Se Sohbat Karle Ke Uske Pas Bhi Wahi Bat He Jo Dusri Ke Pas He.
No comments:
Post a Comment