★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ BOL CHAL BAND KARNA ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 01 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Bol Chaal Band karna,
❃ Maslan Aaj jaha kisi ko koi nagawari ki baat hui, Bol Chaal band kar di jati he, Khushi aur Gami me shirkat se bhi kinara kashi akhtyar kar li jati he,
❃ Hattaki Agar kahi dono ka saamna ho bhi jaye to har ek moonh modkar alag Raasta apna Leta he, Ye tareeqa sahi nahi he,
❃ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Kisi shakhs ke liye halaal nahi k wo apne bhai se teen raato se zyada Bol Chaal qasdan band kar de,
Dono is haal me mile k har ek Doosre se eraaz karta ho, Unme behtar wo shakhs he Jo Salam se ibtida kare, "
↳ ®Mishkat, 2/42
Next -02, in sha Allah,
Allah se Sharm Kijiye, 198
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ BOL CHAL BAND KARNA ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 02 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Bad Gumani Ki Vajah se,
❃ Hadees me he k, Badgumani se bachte raho, isliye k Badgumani sabse buri baat he,
⇰ Aur kisi par Tohmat mat Lagao aur na jasoosi Karo aur na bhaav badhao na aapas me Hasad Karo na Bugz Karo,
⇰ Aur peeth pichhe ek Doosre ki Burayi mat Karo, Aur sab Allah ke Bande he'n, Bhai Bhai ban jao, "
↳ ® Mishkat, 2/427
Next -03, in sha Allah,
Allah se Sharm Kijiye, 198
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ BOL CHAL BAND KARNA ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 03 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Sulah se inkaar Karna,
❃ Basa auQaat ye dekha gaya he k do Aadmiyo me ek Sulah karna chahta he, Doosra Sulah par Aamada nahi hota,
❃ Ye dekhna chahiye k wo Sulah par Aamada kyu nahi ho raha he, aur agar uska koi haqq banta he Jiska wo mutalba kar raha he to uska haqq Ada kiya jaye,
❃ Aur agar wo khamkha Sulah se inkaar karta he to Ladai aur naza'a ka gunaah Sulah chahne wale par na hoga balki sirf us shakhs per hoga Jo Sulah se inkaar kar raha he,
❃ Chunache ek rivayat me he k,
" Teen din se zyada Bol Chaal band karna jaa'iz nahi he, fir agar dono ki mulaqaat ho aur ek ne Salam kiya to agar doosra jawab de de to dono sawab me shareek ho jaenge,
Aur agar doosra jawab na de to ye ( salam karne wala) gunaah se bari ho jayega aur doosra ( jawab na dene wala) gunahgar hoga,
↳ ® Attargeeb v tarheeb, 3/305
Next -04, in sha Allah,
Allah se Sharm Kijiye, 199
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ BOL CHAL BAND KARNA ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 04 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Shirk v Kufr, Bugz v Hasad ,Rishte Todne se Bachiye,
❃ Hazrat Abu Hurera Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
→ " har peer aur jumeraat ko amaal pesh kiye jate hai'n
→ fir har us momin ki magfirat kar di jati he
→ Jo Allah ke saath kisi ko shareek na karta ho,
→ magar wo shakhs k uske darmiyan aur uske bhai ke darmiyan bugz, dushmani aur keena ho,
❃ Haq ta'aala Shanhu farishto se irshad farmate hai'n
→" in dono ko chhode rakho yaha'n tak k ye'n aapas me sulah kar le'n, "
→( yani inki magfirat ko sulah per mokoof rakho )
Ravaah Muslim,
Next -05, in sha Allah,
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ BOL CHAL BAND KARNA ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 05 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Khulasa,
❃ Hasil ye he k har Momin ko doosre ki taraf se Dil saaf rakhna zaruri he,
❃ Aur agar ittefaqan koi koi baat nagawari ki pesh aa jaye to jald se jald use Rafa Dafa karne ki koshish karni chahiye,
❃ is bare me kotahi aur Laparwahi se bade Fasaad janam lete he'n aur baad me inka Sulajhna bahut mushkil ho jata he,
➡ Allah hamari Aapas ke Bigaad aur Na ittefaqi se hifazat farmaye aur Humme Muhabbat aur ittefaq qayam rakhe,
-- Alhamdulillah Mukammal Hue,--
Allah se Sharm Kijiye, 199
------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
No comments:
Post a Comment