★ ★ ★
BismiLLahirrehmaanirraheem
❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊
JALAQ
(HATH SE MANI NIKALNE) KI
MUMANAT
••••••••••••••••••••••••••••
★ Umdatul ahkam (kitab ka
name) me hazrat jabir rd. se
riwayat naqal ki gayi he ke
huzur SaLLaLLahu ALayi
WasaLLam ka irshad he ke
sab ke sath khane me
shifa he, or irshad he ke
bohot bure he wo log jo
tanha khaye, or apni londiyo
(pehle zamane ki bandi) ko
mare, or apni bakhshish ko
band karde or nikah kare hath
se (jalaq lagaye) .
★ Ek din hazrat ibne abbas rd.
ki majlis se sab log chale
gaye, ek jawan betha raha.
Aapne us se puchha ke tum
ko kuchh kam he ? usne kaha
ke me ek masla puchhna
chahta hu, pehle to logo ki
sharam aar thi or ab aapki
haibat or tazeem mujko
kehne nahi deti Aapne
farmaya ke aalim ka
darjah bap ki tarah hota he,
jo bat tu bap se keh deta
he wo mujse bhi kehde !
usne arz kiya ke me jawan
hu or biwi nahi he, aksar hath
se zarurat puri (jalaq) karta hu
Isme kuch gunah hota he
kya?
★ Hazrat ibne abbas rd. ne
uski taraf se munh fer liya or
farmaya ” chhi chhi “ londi
se nikah karlena teri is harkat
se behtar he (us zamane me
londi se nikah karna bura
samja jata tha). Is se malum
huwa ke jalaq lagana sakht
tareen gandi HARKAT he.
★—★—★—★—★
Peshkash:↴
Ahle deoband
Group
*************************
No comments:
Post a Comment