Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Monday, August 10, 2015

۞ H A J J ۞

۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬01 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj se Gunaho ki maafi aur Gunaho se paak hona????

✯ Hajj bahut badi ibaadat he, jisse gunah maaf ho jate hai, " Goya aaj hi apni maa ke pet se paida hua, "

✯ ye gunaho se paak hone ko samjhane ke liye he k jis tarah molood bachcha ( infant) gunaah se paak saaf hota he, isi tarah" Hajj Mabroor " ke baad Aadmi gunaho se paak saaf ho jata he,

Aapke Masail aur unka Hal,,,
JILD-4 Safa no. 25

Next -2 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬02 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞  Hajj Maqbool ki pehchan,

✯ Hajj Maqbool wahi he jisse zindgi ki line badal jaye, Aainda ke liye gunaho se bachne ka ahatmam ho

✯ Aur itaa'at ki pabandi ki jaye, Hajj ke baad jis shakhs ki zindgi me khushgawar inqlaab nahi aata uska maamla mashkook he,

Aapke Masail  aur unka Hal,,,
JILD-4 Safa no. 25

Next -3 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬03 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj aur Umra jese muqaddas Aamal ko gunaho se paak rakha jaye,

✯ Hajj Umra me bhi log gunaho se baaj nahi aate, Deen ke masail na kisi se poochhte hai aur na hi zaroorat mehsoos karte hai,,

⇰ log Dadiya mundakar Roza e Athar per jate hai aur unhe zara bhi sharm nahi aati aur Davaa e ishqe Rasool Sallallahu Alaihivasallam karte hai magar shaql dushmano jesi banate hai,

✯ isse ye maqsad nahi k ese logo ko HAJJ UMRA per Jana hi nahi chahiye, balki maqsad ye he k in muqaddas Aamalo ko gunaho se paak rakhna chahiye,

Aapke Masayal or unka Hal,,,
JILD-4 Safa no. 25

Next -4 ©ontinue in sha Allah,,

       •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬ 04 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

           ☞ Hajj ki Farziyat,,

✯ Hajj ki farziyat ke liye Sahibe nisaab hona hi kaafi nahi balki, jiske paas hajj ka safar kharch bhi ho aur apni gair haajri me ahalo ayaal ka kharch bhi ho,

➯ Hajj se wapsi per itni raqam uske paas hona chahiye jisse uske ahlo ayaal ki baqadre zaroorat kifayat ho sake,

Aapke Masayal aur unka Hal,,
JILD-4 Safa no. 30

Next -5 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬05 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Pehle Beti ya bete ki Shadi kare ya hajj???

✯ Fuqha ne likha he k agar ek shakhs ke paas itni rakqam ho k wo apni shadi kar sakta he ya hajj kar sakta he, to agar hajj ke ayyam ho to uske zimme hajj farz he,

⇰ isi se is masle ka hal samajh lena chahiye k pehle hajj kare varna gunahgar hoga,,

Aapke Masail aur unka Hal,,
JILD-4 Safa, 30

Next -6 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬06 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Karobaar ki niyat se Hajj karna??

✯ Hajj ke dauran karobaar ki ijazat Qurane Paak me di gayi he, lekin safare hajj se maqsood hi karobaar ho to zaahir  he k usko apni niyat ke mutabik badla milega,

Aapke Masail aur unka Hal,,
JILD-4 Safa no. 30

Next -7 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬07 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

    ☞  Chand Aham Masail,

✯  Hajj per jane wale ke liye ye zaroori he k hajj per Jane se pehle tamaam ahle huqook ke huqook ada kare aur sabse huqook maaf karaye,

✯ Hajj Aurat per bhi usi tarah farz he jese mardo per farz he, jab koi mehram mayassar na ho to marne se pehle hajj badal ki vasiyat kar de,

✯ Hajj farz ke liye aurat ko apne shohar se ijazat Lena ( basharte k uske saath koi mehram ja raha ho ) aur Bete ko maa baap ki ijazat lena zaroori nahi,

✯ Beva iddat poori hone se pehle hajj na kare,

✯ Hamila Aurat bhi hajj kar sakti he , pet ke bachche ka hajj nahi hota,

✯ Nabalig ka hajj nafl hota he, baalig ho Jane ke baad agar istta'at ho to un per hajj farz hoga,

Aapke Masail aur  unka Hal,,,
Jild -4,safa no.32

Next 8 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬08 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞,  Hajj farz ke liye karz Lena,

✯ agar hajj farz he aur karz mil sakta he aur karz basahulat Ada ho Jane ki tawakko ho to agar hajj farz na bhi ho to bhi karz lekar hajj karna jaa'iz he,

⇰ Kabira gunaho ke baad sabse bada gunaah ye he k Aadmi makrooz hokar duniya se jaye aur itna maal chhod kar na jaye jisse uska karz Ada ho sake,, isliye adaaye karz ka ahatmam sabse aham he,

Aapke Masayal or unka Hal,,,
JILD-4,  Safa no. 32

Next -9 ©ontinue in sha Allah,,

       •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬09 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞  isteta'at ke bavjood hajj se pehle umra karna???

✯ Umra hajj ka badal nahi he, jis shakhs per hajj farz ho uske liye zaroori he k wo hajj kare,

✯ jis shakhs ko hajj ke dino me betullah tak pahunchne aur hajj tak waha rehne ki taqat ho us per hajj farz ho jata he, isliye ese shakhs ko Jo sirf ek baar Betullah Sharif pahuchne ki tamanna rakhta ho, hajj per jana chahiye, umrah ke liye safar karna aur farziyat ke bavjood hajj na karna bahut galat baat he,

Aapke Masail aur unka Hal,
Jild- 4, Safa no 38

Next -10 ©ontinue in sha Allah,,

       •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬10 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Umara karne se kya hajj laajzim ho jata he??

✯ Umrah Ada karne se hajj laajzim nahi hota jab tak k ye do sharte na payi jaye, -

↠1- Agar hajj ke Dino me Makka Mukarrama pahunch jaye,

↠2- Aur hajj tak waha theharna bhi mumkin ho, to hajj farz ho jata he,

↠ Agar ye do no sharte na payi jati ho to hajj farz  nahi hota,

Aapke 'Masail' aur unka Hal,,
JILD-4, Safa 38
Next -11 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬11 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Saudi Arab me Mulazmat karne walo ka Umrah v Hajj,

✯ Jo log mulazmat ke silsile me Saudi Arab gaye ho aur hajj ke Dino me Betullah Sharif pahunch sakte ho, un per hajj farz he,

↠ Agar ikhlas ke saath Hajj aur Umrah ke arkaan bhi sahi Ada kare to in sha Allah unko bhi hajj aur umrah ka itna hi sawab milega jitna k apne watan se jane walo ko,

Aapke Masail aur unka Hal,,
JILD-4, Safa no 38

Next -12 ©ontinue in sha Allah,,

       •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬12 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Gareeb ko uski Niyat per hajj ka sawab???

✯ Aur Jo Gareeb Aadmi paisa-paisa jama karke hajj ki tayyari karta raha,

Magar itna sarmaya mayassar na aa saka k hajj ke liye jaye,

in sha Allah ta'ala uski niyat per usko hajj ka sawab milega,

Aapke Masail aur unka Hal,,
JILD-4, Safa no 38

Next -13 ©ontinue in sha Allah,,

    
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬13 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞  Najaa'iz Kamai se Hajj karna ,

✰ Hadees Sharif me he, " ek shakhs door se ( Betullah ke) Safar par jata he, uske sar ke baal bikhre hue he, badan mail kuchel se ata hua he, wo ro ro kar Allah ta'ala ko " Ya rab,  Ya rab" kehkar pukarta he, halanki uska khana haraam ka, libaas haraam ka, uski Giza haraam ki, uski dua kese qubool ho? "

✯ Hadees me he, " Jis jism ki Giza haraam ho dozakh ki aag uski zyada mustahik he,

Aapke Masail aur unka Hal,,
JILD-4, Safa no 41

Next -14 ©ontinue in sha Allah,,

   
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬14 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Haraam Raqam ke Badle Gair Muslim se karz lekar hajj karna,

✯ Jis shakhs ki kamai haraam he aur hajj karne ka khwahishmand he, esa shakhs kisi gair Muslim se karz le lega to ye raqam uske liye halaal hogi,

↠ isse hajj bhi kar sakta he, ( khair ke tamam kaam kar sakta he), Baad me uska karz haraam raqam se Ada karega to ye gunah to hoga lekin hajj me haraam raqam istemal na hogi,,

Aapke Masail aur unka Hal,,
JILD-4, Safa no 41

Next -15 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬15 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Umrah  ka Sawab pahunchana .

✯ Jis Tarah doosre nek kaamo ka isaale sawab ho sakta he isi tarah Umrah ka bhi isaale sawab ho sakta he,

↠iski 2 surate hai,

1-Asaan ye he k Umrah apni taraf se karke sawab bakhsh de,

2-Aur agar kisi ki taraf se umrah karna ho to Ahraam bandhte waqt, Jinke liye karne Ja rahe ho unke liye niyat karke unke naam se Ahraam bandhe or dua kare, " ya Allah ye umra mere liye Asaan farma or fala ( naam le) ki taraf se ise qubool farma,"

Aapke Masail aur unka Hal,,
JILD-4, Safa no 50

Next -16©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬16 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Yaume Arafa se lekar 13 Zilhijja tak Umrah karna makrooh tehrimi he??

✯ Yaume Arafa se 13 Zilhijja tak 5 din Hajj ke din he, in Dino me umrah ki ijazat nahi, isliye umrah in Dino me makrooh tehrimi he,

⇰ Ahraam Baandhne ke baad agar bimari ki vajah se umrah na kar sake to Ahraam Tod dene ki vajah se Dam bhi wajib he aur umrah ki qaza bhi laazim he,,

Aapke Masail aur unka Hal,,
JILD-4, Safa no 50

Next -17 ©ontinue in sha Allah,,

       •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬17 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj aur Umrah ki istlahaat;, 1

✯ Hajj ke 'masa'il me baaz Arabi Alfaz istemal hote hai, isliye " Moallimul Hujjaj " se naqal karke chand Alfaz ke maani likhe jate hai,

↠ istlaam -

Hajre Aswad ko bosa Dena aur haath lagana,

↠ idhtaba -

Ahraam ki chadar ko dahini bagal ke niche se nikaal kar baaye kandhe per dalna,

↠Aafaaqi

Wo shakhs Jo mikaat ki hudood se bahar rehta ho, jese Indian, Pakistani, misri, iraani, etc,

↠Ayyame Tashreek -

Zilhijja ki 11,12,13 tarekh ayyame Tashreek kehlati he, kyuki isme bhi 9,10 Zilhijja ki tarah har farz namaz ke baad" takbeere tashreek " padhi jati he,

↠Ayyame Nahar -

10 Zilhijja se 12 tak,

↠Afraad -

Sirf hajj ka ahraam bandhna aur sirf hajj ke af'aal karna,

↠ Tasbeeh -

Subhanallah kehna,

Aapke Masail aur unka Hal,,
JILD-4, Safa no 52

Next -18 ©ontinue in sha Allah,,

       •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬18 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj aur Umrah ki istlahaat;, 2

↠Tamatto-

Hajj ke mahine me pehle umrah karna fir usi saal hajj ka ahraam baandh kar hajj karna,

↠Talbiya -

Labbaik poori padhna,

↠Tehleel -

La ilaha illallah padna,

↠Jamraat ya Jamaar -

Mina ke 3 makaam jaha sutuno per kankriya mari jati he,

↠ Ramal-

Tawaaf ke pehle 3 fero me akad kar shana hilate hue qareeb qareeb qadam rakh kar jara tezi se chalna,

↠ Rami -

Kankriya fekna,

↠ Zamzam -

Baitullah ke qareeb mashoor chashma he Jo ab Kuwe ki shaql me he,

↠ Sa'ie -

Safa (Betullah ke qareeb  ek chhoti si pahadi) aur Marva ke darmiyan makhsoos tareeqe se 7 chakkar lagana,

↠ Shot -

Ek chakkar Baitullah ke charo taraf lagana,

↠ Tawaaf -

Baitullah ke 7 chakkar makhsoos tareeqe se lagana,

↠ Umrah -

Hal ya Mikaat se Ahraam baandh kar Baitullah ka Tawaaf aur Safa Marva ki Sa'ie karna,

Aapke Masail aur unka Hal,,
JILD-4, Safa no 52

Next -19 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬19 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj aur Umra ki istlahaat -3

★ Arafaat ya Arafa,-

Makka Mukarrama se Takriban 9 meel mashrik ki taraf ek maidan he jaha Haji log 9 Zilhijja ko theharte he,

★ Qiraan -

Hajj or Umra do no ka ahraam ek saath bandh kar pehle umra karna fir Hajj karna,

★ Qarin -

Qiraan karne wala,

★ Qaran -

Takriban 42 meel per ek pahad he Jo yaman or hijaaz or Tahama se aane walo ki Mikaat he,

★ Qasr-

Baal katarwana,

★Mehram-

Ahraam baandhne wala,

★ Mufarrad -

Hajj karne wala,Jisne Mikaat se akele Hajj ka ahraam baandha ho,

★ Mikaat -

Wo makaaam jaha se Makka Mukarrama Jane wale ke liye ahraam baandhna wajib he,

★Jannatul Ma'ala-

Makka Mukarrama ka Qabristan,

★ Jable Rehmat -

Arafaat me ek pahaad he,

★ Hajre Aswad -
Syah patthar ( black stone),

Ye jannat ka patthar he, jannat se aane ke waqt doodh jesa safed tha, lekin Bani Adam ke gunaho ne ise syah kar diya,

★ Haram -

Makka Mukarrama ke charo taraf kuchh door tak zameen Haram kehlati he, isme hudood nishanat lage hue hai, isme shikar khelna, darakht kaatna, Ghaas janwar ko charana haraam he,

★ Hall-

Haram ke charo taraf Mikaat tak zameen ko Hall kehte hai ,

★ Halaq-

Sar ke Baal mundwana,

★ Hateem -

Baitullah ke Shumali janib ek diwar he jaha kuchh hissa takriban 6 gaz sharai zameen chhooti hui he,

★ Dam-

Ahraam ki halat me baaj kaam Jo mana he, karne se bakri vagera jibah karna wajib hoti he, ise Dam kehte he,

Aapke Masa'il aur unka Hal,,,
JILD-4, Safa 56

Next -20 ©ontinue in sha Allah,,

       •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬20 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj aur Umra ki istlahaat -4

★ Rukne Yamani -

Baitullah ke junubi magribi goshe ko kehte he,

★ Mutaaf -

Tawaaf karne ki jagah,

★ Makaame Ibrahim-

Jannati patthar he, Hazrat Ibrahim A S ne is per khade hokar Baitullah ko banaya tha,, ise ek jaalidar kubbe me rakha hua he,

★ Multazim -

Hajre Aswad or Baitullah ke darwaze ke darmiyan ki diwar jisse lipat kar dua maangna masnoon he,

★ Masjid Khaif-

Mina ki badi masjid

★Masjid Namra -

Arafaat ke kinare per ek masjid,

★Muda'i -

Dua maangne ki jagah, masjide Haraam or Makka Mukarrama ke qabristan ke  darmiyan ek jagah he jaha dua maangna Makka Mukarrama me dakhil hote waqt mustahab he,

★Muzdalfa -

Mina or Arafaat ke darmiyan ek maidan he Jo Mina se 3 meel mashrik ki taraf he,

★Mohassar -

Muzdalfa se mila hua ek maidan jaha se guzarte waqt daud kar nikalte hai,

★Marwa-

Ek chhoti si pahadi jaha Sa'ie khatm hoti he

★ Hadi -

Jo janwar haji haram me qurbani ke liye saath lata he,

★ Yome Arafa -

9 Zilhijja jis din hajj hota he, or haji log arafaat me theharte he,

★ Yalamlam-

Makka Mukarrama se junoob ki taraf 2 manzil per ek pahaad he, ise Saadiya bhi kehte he, Yaman or India se aane walo ki mikaat he,

Aapke Masa'il aur unka Hal,,,
JILD-4, Safa 56

Next -21 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬21 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj or Umra ki fazilat, -1,

✯ Hajj islam ka azimusshan rukn he, islam ki takmeel ka elaan hajjatul vida ke moqe per hua, aur hajj hi se arkaane islam ki takmeel hoti he,

✮ " Jisne mahaz Allah ta'ala ki raza ke liye hajj kiya fir usme na koi fahash baat ki aur na nafarmani ki, wo esa paak saaf hokar aata he jesa viladat ke din tha, "
  
↳ ( Mishkat, 221)

✯ Aap Sallallahu Alaihivasallam se daryaft kiya gaya k sabse afzal amal konsa  he ?

↣Farmaya,  Allah ta'ala aur uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam per iman lana,

↣arz kiya gaya, iske baad,?

↣ Farmaya, k Allah ki raah me jihaad karna,

↣ Arz kiya gaya, iske baad?

↣Farmaya: hajj mabroor, "
     ↳ ( Mishkat, 221)

Aapke Masa'il aur unka Hal,,
JILD-4, Safa no 60

Next -22 ©ontinue in sha Allah,,

      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬22 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞  Hajj aur Umra ki fazilat, -2,

✯ Ek umrah ke baad doosra umrah darmiyani arse ke gunaho ka kaffara he, aur hajj mabroor ki jaza jannat ke Siva kuchh aur ho hi nahi sakti, "

✯ Pe darpe hajj or Umra kiya Karo, kyuki ye do no faqr or gunaho ko is tarah saaf kar dete hai jese bhatti lohe or sone chandi ki mel ko saaf kar deti he, or hajj mabroor ka sawab sirf jannat he,
    
   ↳( Mishkat: 222)

✯ Hajj ishqe ilahi ka mazhar he aur betullah Sharif markaz tajalliyat ilahi he, isliye betullah Sharif ki jiyarat aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki bargahe ilahi me haajri har momin ki jaane tamanna he, agar kisi ke dil me ye aarzoo na ho to uske imaan ki jade khushk he,

↠ Jo shakhs betullah tak pahunchne ke liye zad aur ahliyat rakhta tha uske bavjood usne hajj nahi kiya to uske haqq me koi fark nahi padta k wo yahudi ya nasrani hokar mare,

↳  ( Mishkat: 222)

Aapke Masa'il aur unka Hal,,
JILD-4, Safa no 60

Next -23 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬23 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj karne walo ke liye hidayaat✦

✮ Hajj ki Shara'it aur Adaab ki ri'ayat karte hue sahi sahi Ada kare,

✯ Hajj ki filme dekh kar hajj sikhne ke bajaye, Masa'ile hajj ki kitaabo aur Moatbar Ulema ikram se hajj ke masa'il sikhne ki koshish kare, safar me iska ahatmam kare,

↣in kitabo ka bhi muta'ala kare,

1- Faza'ile hajj,
( hazrat shaikhul muhaddis maulana muhammad  zakariya nurullahu marqadhu )

2- Aap hajj kese kare,
( Hazrat molana manjoor nomani madzillahu )

3- Mo'allimul-hujjaj,
( Molana mufti Saied Ahmed marhoom )

✯ Naam - namood aur numaish se parhez kare, aur huqooq ki adaygi ka khayal rakhe,

↣ Rukhsati ke waqt  Foolo ke haar pehanna, aur Dawate karna, Vedeo fime aur photography karna, esi lagviyaat se bachte hue Huqooq ki adaygi, khashiyat aur Taqwa, mamlaat ki safai aur Safar ke adaab ka ahatmam hona chahiye,

✯ Safare hajj me namaze bajama'at ka ahatmam kare,

✯ Hajj ke dauran na fahash kalami, hukm udooli aur ladayi jhagde se bache,

✯ zyada se zyada waqt haram sharif me guzare,

✯ Bager zaroorat bazaro ka gasht bilkul na kare,kharidari ka ahatmam bilkul na kare,

✯ Kisi ko koi amal karta hua dekh kar amal shuru na kare, balki tehqeek kare k ye hanafi maslak ke mutabik sahi bhi he ya nahi?

↣ Chuki hajj ke mauke per mukhtalif maslak ke log jama hote hai,

✯ Namaze fahar se baad ishraak tak aur Asar ke baad guroob tak aur makrooh auqaat me dogana tawaaf padhne ki ijazat nahi lekin bahut se log doosro ki dekha dekhi padhte rehte hai,

✯ Ahraam kholne ke baad sar ka mundana afzal he, kam se kam chothai sar ka saaf karana zaroori he, lekin log jinhe masle ka sahi ilm nahi hota,  dekha dekhi kaano ke ouper se chand baal katwa lete hai,

Aapke Masa'il aur  unka Hal,,,
Jild -4, Safa 62

Next -24 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬24 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj ke Aqsaam ki tafseel *

☆ Hajj ke aqsaam 3 hai,

1- Qiraan

2- Tamatto

3- Afraad,

★ Hajj Qiraan, ye he k-

⇨ Mikaat se guzarte waqt hajj Aur Umrah do no ka ek saath ahraam baandha jaye, pehle umrah ke afaal Ada kiye jaye fir Hajj ke arkaan Ada kiye jaye,
Aur 10 Zilhijja ko rami aur qurbani ke baad do no ka ahraam ek saath khola jaye,

☆ Hajj Tamatto,ye he k-

⇨ Mikaat se umrah ka ahraam baandha jaye aur Umrah ke afaal Ada karke ahraam khol diya jaye aur 8 Zilhijja ko Hajj ka ahraam baandha jaye aur 10 Zilhijja ko rami aur qurbani ke baad ahraam khol diya jaye,

☆ Hajj Afraad, ye he k-

⇨ Mikaat se sirf hajj ka ahraam baandha jaye aur 10 Zilhijja ko rami ke baad ahraam khol diya jaye, ( is soorat me qurbani wajib nahi ),

☆ Pehli soorat yani Hajj Qiraan afzal he aur Doosri soorat yani Hajj Tamatto teesri se,yani Hajj Afraad se afzal bhi he aur Sahal bhi he, jis shakhs par hajj farz ho uske liye bhi yahi tarteeb he,

Aapke Masa'il aur unka Hal,,,
JILD-4, Safa no 66

Next -25 ©ontinue in sha Allah,,

      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬25 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj Tamatto ka Tareeqa ●
           
☆ Hajj Tamatto ka Tareeqa ye he k ,
               
⇨mikaat se pehle ( Jahaaz me savaar hone se pehle) sirf Umrah ka ahraam baandh le,

⇨ Makka Mukarrama pahunch kar Umrah ke arkaan ( Tawaaf aur Sa'ie )Ada karke ahraam khol de,

⇨ Ab aap per ahraam ki koi pabandi nahi he,

⇨8 Zilhijja ko Mina Jane se pehle Hajj ka ahraam baandh le,

⇨Aur Arafaat aur Mujdalfa se wapas aakar 10 Zilhijja ko pehle bade shaitan ki Rami kare,

⇨Fir qurbani kare aur Baal saaf karakar ( Aurat ungli ke pore ke barabar sar ke Baal kaat le) ahraam khol de,

⇨Fir Tawaafe jiyarat ke liye Baitullah Sharif jaye aur Tawaaf ke baad Hajj ki sa'ie kare,

⇨Aur agar Mina Jane se pehle ahraam baandh kar nafli Tawaaf kar liya aur uske baad Hajj ki sa'ie pehle kar li to ye bhi jaa'iz he,

Aapke Masa'il Aur unka Hal,,,
JILD-4, Safa no.66

Next -26 ©ontinue in sha Allah,,

      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬26 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

            ☞  HAJJ BADAL ✦

✯ Jis shakhs per hajj farz ho aur usne itna maal chhoda ho k uske tihai hisse se hajj karaya ja sakta he aur usne hajj badal karane ki vasiyat bhi ki ho to uski taraf se hajj badal karana uske vaariso per farz he,

✯ Jiske shakhs ke jimme hajj farz tha magar usne itna maal nahi chhoda ya usne hajj badal karane ki vasiyat nahi ki, uski taraf se hajj badal karana vaariso per laajim nahi, lekin agar vaaris uski taraf se khud hajj badal kare ya kisi doosre ko hajj badal ke liye bhej de to Allah ki rehmat se ummed he k marhoom ka hajj farz Ada ho jayega,

✯ Aur jis shakhs per hajj farz nahi agar vaaris uski taraf se hajj badal kare ya kisi ko bhej de to ye Hajj nafli hajj baraye isaale sawab hoga,

✯ Agar esi bimari ya kamjori, jiski vajah se khud hajj ko jane se majoor he to bhi kisi ko hajj badal per bhej sakte hai,

✯ Hajj badal esa shakhs kare jisne pehle apna hajj kiya ho, jisne apna hajj nahi kiya ho ese shakhs ka hajj badal karna makrooh he,

✯ Hajj badal apne watan se kiya jaye,, Saudi Arab se jayaz nahi,

✯ Nabalig hajj badal nahi kar sakta,,

✯ Hajj badal karne wale ko sirf hajj ka ahraam baandhna chahiye,, uska Hajj Afraad hoga, or Hajj Afraad me hajj ki vajah se qurbani nahi hoti,

✯ Agar hajj badal karne wala agar Tamatto kare ( yani mikaat se sirf Umrah ka ahraam baandhe or Umra se farig hokar 8 Zilhijja ko hajj ka ahraam baandhe) to tamatto ki qurbani khud apne maal se laajim he,, agar bhejne wale ne  ijazat de di ho to unke maal se qurbani kar sakte hai,

Aapke Masa'il aur unka Hal,,,
JILD-4, Safa 68

Next -27 ©ontinue in sha Allah,,

   
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬27 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Ahraam Bandhne ke Masa'il ✦

✯ Hajj aur Umrah ke liye ahraam baandhne ke makaam ko Mikaat kaha jata he,

✯ India, Pakistan aur Bangladesh aur Ahle yaman ki mikaat Yalamlam he,

✯ Hawai safar ki soorat me rawangi ke waqt Airport se hi ahraam baandh lena behtar he, magar Hajj aur Umrah ka Talbiya mut'alka mikaat se us waqt shuru kiya jaye jab airplane me baqaayda elaan ho,

✯ Ahle haram ( Makka Mukarrama  ke rehne wale log) Hajj ke liye to apne gharo se hi ahraam baandhenge, jabki Umrah ki adaygi ke liye in he haram ki hudood se bahar ( Tan'iem ya Juarana) kisi bhi jagah se ahraam baandhna hoga,

✯ wo log Jo haram ki hudood se bahar jabki Mikaat ke andar rihaish rakhte hai, wo Hajj aur Umrah do no ke liye apni rihaishgah hi se ahraam baandhenge,

Hajj aur Umrah ( guide book),
Safa no.  33,

Next -28 ©ontinue in sha Allah,,

       •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬28 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Ahraam ke waqt Masnoon kaam

✯ Hajj ya Umrah ke ahraam ke liye pehle gusl kiya jaye,

      ↳( Tirmizi)

✯ Mard hazraat sirf apne badan per ( na k ahraam ki chadro per) khushbu lagaye,

    ↳( Bukhari Sharif)

✯ Mardo ke liye 2 saaf suthri bina sili chadre ( safed ho to behtar he), ek tehband aur doosri ouper odne ke liye- lekin sar aur chehra nanga rakhe, joota koi bhi pehna ja sakta he, magar takhne nange hona chahiye,

     ↳( Bukhari Sharif)

✯ Umrah ya hajj dono ki niyat ke liye mikaat se rawana hote waqt alfaz ki adaygi ke saath niyat kare,

↛Maslan- " ya ilahi me teri bargah me Hajj ya Umrah ke liye haajir hu "

⇰ Agar kisi ki taraf se hajj ya Umrah kar rahe hai to " ya ilahi me Teri bargah me Fala ( uska naam  waldiyat ke saath le jiski taraf se kiya jaye) ki taraf se hajj ya Umrah ki adaygi ke liye hajir hu, "
................Baqi agle Part me in sha Allah,

Hajj or Umrah ( guide book),
Safa no.  33,

Next -29 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬29 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Ahraam ke Waqt Masnoon Kaam, 2

✮ Agar ahraam bandhte waqt kisi bimari ya kanooni adchan ki bina per haram tak pahunchna mushkil nazar aa raha ho to use chahiye k ye alfaz kahe - " ya ilahi mere halaal hone ki jagah wahi he jaha tu mujhe rok dega, "

      ↳( Bukhari Sharif)

⇰ is niyat ka fayda ye hoga k agar rukawat aane ki soorat me ahraam kholna pada to Fidya ki adaygi se bach jayega aur Hajj ya Umrah nafli he to qaza bhi nahi,,, ba soorat ek janwar qurbani ke liye haram bhej de, aur andazan k jibah ho Jane per Baal katwakar ahraam khol de,

⇰ Agar qurbani ka janwar harame makka nahi bhej sakta to rukawat ke makaam per hi qurbani jibah kare,

⇨ Aur agar waha bhi qurbani ki taqat nahi rakhta to ( hajj Tamatto ki tarah ) 10 roze rakhe,
 
       ( wallahu Aalam)

✯ Ahraam ke baad hi mikaat se talbiya shuru kare,

✯ Agar mumkin ho sake to Hajj ya Umrah ka ahraam namaze zuhar ke baad baandhna chahiye, magar musafir ki sahuliyat ke etbaar se kisi bhi waqt baandha ja sakta he,

Hajj aur Umrah ( guide book),
Safa no.  33,

Next -30 ©ontinue in sha Allah,,

       •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬30 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

        ☞ Aurto'n  ka. Ahraam

✯ Aurte'n' bhi ahraam se pehle gusl kare, aur haiz v nifaas ki haalat me he to bhi gusl kare, 
           ↳ Muslim

✯ Aurto'n' ke liye Hajj aur Umrah do no ki adaygi ke liye koi khas ahraam nahi, aurten aam libaas me ahraam ki niyat karengi, albatta na dastane pehne aur na nakaab dale jabki zebo zeenat se bachte hue rangeen kapde aur zever pehanne ki ijazat he,

      ↳ Abu Dauod

✯ parde ka ahatmam hajj aur Umrah ke moqe per bhi zaroori he, ya to peshani se ouper sar per koi chhajja sa lagaye taki parda bhi ho jaye aur kapda chehre per bhi na lage, ya koi pankha vagera haath me rakh le aur use chehre ke aage kar liya kare, isme koi shaq nahi k ese halaat me parde ki pabandi badi mushkil he, lekin jaha tak ho sake parda ka ahatmam zaroori he aur Jo apne bas se bahar ho to Allah ta'ala maaf farmaye,

↳ Aapke Masa'il  aur unka Hal,

Hajj or UmraH ( guide book)
Safa no, 34

Next -31 ©ontinue in sha Allah,,

         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬31 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Ahraam ki haalat me ja'a'iz umoor ✦

✯ Ahraam ki haalat me ba waqte zaroorat darje zel kaam karne ki ijazat he,-

⇎ Gusl karna,

⇎ Sar, badan khujlana,

⇎ Marham Patti karana,

⇎ Khana peena,

⇎ Ankho me surma lagana, Dava dalna,

⇎ Muji janwar ko maarna,

⇎ Ahraam ki chadare badalna,

⇎ Anguthi, Ghadi, Enak ( glass) Peti, Chhatri ka istemal karna,

⇎ Bager khushbu wale Tel aur sabun ka istemal karna,

⇎ Samundri Shikar karna,

⇎ Bachcho ya mulazimo ko taleem v tarbiyat ke liye saza dena,

⇎ Roze rakhna,

⇎ Ilaaj karana,

Hajj aur Umrah ( guide book)
Safa no, 34

Next -32 ©ontinue in sha Allah,,

       

      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬32 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞  Nabalig bachcho ka ahraam,-

✯ Nabalig bachche bhi hajj aur Umrah Ada kar sakte hai, jinka ajro sawab unke walden ko milega,

     ↳ Muslim Sharif

Hajj aur Umrah ( guide book )
Safa no 35

Next -33 ©ontinue in sha Allah,,

         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬33 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Ahraam ki halat me Mard aur Aurat do no ke liye Najaaiz Umoor -

⇔Miya bivi ki hambistari aur Jima'a se mutallik muta'ala karna,

⇔Ladai jhagda,

⇔ Gunah aur nafarmani ke kaam,

⇔ Khushbu lagana,

⇔ Nikah karna ya karwana, paigam bhijwana,

⇔ Khushki per shikar karna,

⇔ Khushki per Shikari ki shikar maarne ya haankne me madad karna,

⇔ Shikar kiya hua janwar Jibah karna,

⇔ Baal ya Nakhoon kaatna,

✯ in umooro ke alawa 3 kaam sirf Mardo ke liye najaaiz he magar aurto ke liye nahi, -

⇔ 1- Sila hua kapda pehanna,

⇔ 2- Sar per topi ya pagdi vagera rakhna,

⇔ Moje ya jurabe pehanna,

✯ Aur majeed kaam aurto ke liye mana he,

⇔1- Ahraam me naqaab istemal karna,

⇔2- Ahraam me dastane pehanna,

Hajj aur Umrah ( guide book)
Safa no, 35

Next -34 ©ontinue in sha Allah,,

       

      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬34 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ TAVAJJOH  TALAB UMOOR ✦

✯ Ahraam ki halat me agar koi shakhs jahalat ya bhool Jane ki bina per ya be khayali me sila hua kapda pehan le ya apna sar dhanple ya khushbu lagale to ilm hone per ya yaad aa jane per usse foran ruk jaye or is soorat me usper koi fidya vagera nahi hoga,

✯ Hajj ya Umrah karne wala jab Kaaba sharif per pahunch jaye to Tawaaf shuru karne se pehle Talbiya padna band kar de,

✯ Ahraam ki haalat me faut ( death) ho jane wale shakhs ko na khushbu lagai jaye, na uska sar dhanpa jaye aur use ahraam ki chadaro me hi kafan diya jaye, qayamat ke din ( in sha Allah ta'ala) wo isi haalat me talbiya pukarta hua uthega,

✯ Mikaat se agar bager ahraam ke guzar jaye to Dam wajib ho gaya lekin agar wapas aakar Mikaat se ahraam baandh liya to Dam sakit ho gaya,

Aapke Masail aur unka Hal,,,
JILD-4 Safa no 102

Next -35 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬35 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Ahraam kholne ka Tareeka ✦

✯ Ahraam kholne ke liye Halaq ( yani sar ke Baal saaf karana) afzal he aur kasar jaaiz he,

⇰ Imaam Abu Hanifa r a ke nazdeek ahraam kholne ke liye ye shart he k kam se kam chothai sar ke Baal ek pore ke barabar kaat liye Jaye,

⇎ agar sar ke Baal chhote ho aur ek pore se kam ho to ustare se saaf karana zaroori he iske bager ahraam nahi khulta,

✯ Umrah ke ahraam se farig hone ke baad se hajj ka ahraam baandhne ke waqt tak Jo waqfa he us me koi pabandi nahi,

✯ Ahraam ke kapdo ka baad me aam kapdo ki tarah istemal jaaiz he,

Aapke Masail aur unka Hal,,,
JILD-4 Safa no, 102

Next -36 ©ontinue in sha Allah,,

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬36 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

          ☞ Hajj  Ke  Faraiz ✦

✯ Jis tarah Namaz me Faraiz, wajibaat aur Sunnate he'n isi tarah Hajj me bhi he'n, inko Zahan nasheen kar le'n,

⇨ Hajj me Teen Farz he'n,

✯ 1- Ahraam: -
Dil se Hajj ki niyat karke Talbiya yani " Labbek Allahumma Labbek, " akhir tak padhna isko Ahraam kehte he'n,

⇨ Bager sile hue kapde Jo Ahraam me pehne jate he'n, mijazan unko bhi Ahraam kaha jata he,

✯ 2- Waqoofe Arafaat: -
Navi Zilhijja ko zawale aaftaab ke baad se lekar Dasvi zilhijja ki Subeh sadik ke darmiyan Arafaat me theharna, Chahe jara si der ke liye ho,

✯ 3- Tawafe Ziyarat: -
Ye waqoofe Arafaat ke baad kiya jata he, ( isse pehle Jo Tawaf ho wo farz me shumar nahi hoga, )

⇰ In teeno Faraiz me se agar koi cheez chhoot jaye to Hajj na hoga aur uski talafi Dam dene se bhi nahi ho sakti he,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 357

Next -37 ©ontinue in sha Allah,,

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬37 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

            ☞ Wajibaate Hajj ✦

⇰ Hajj ke Chh ( 6 ) wajibaat he'n,

✯ 1- Muzdalfa me waqoof ke waqt Fajar ke baad Roshni achchhi tarah felne tak theharna,

✯ 2- Safa aur Marva ke darmiyan Sa'i karna,

✯ 3- Rami Jam'ar karna yani Kankriya maarna,

✯ 4- Qarin aur Mutmata ko Qurbani karna,

✯ 5- Halaq yani Sar ke Baal mundwana ya takseer yani  Katarwana,

✯ 6- Afaaqi yani Miqaat se bahar rehne wale ko Tawafe Vida karna,

® Hindiya,  1/ 219

Note: - 1-Qaarin - Jiska ahraam Hajj v Umrah dono ka he,

2- Mutmatta - Jisne Umrah karke Ahraam khol diya he,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 358

Next -38 ©ontinue in sha Allah,,

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬38 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

          ☞  Hajj  Ki  Sunnate ✦

    ⇨Hajj ki Sunnate Ye he'n,

✯ 1- Mufarrid ( Jiska Ahraam sirf Hajj ka he ) Afaaqi aur Qareen ( Jiska Ahraam Hajj v Umrah dono ka he ) ko Tawafe Qadoom karna,

✯ 2- Tawafe Qadoom me Ramal aur iztbaa karna,

⇨ Agar iske baad Sa'i karna ho,  Agar tawafe Qadoom ke baad Sa'i na ki to tawafe Ziyarat ke baad Sa'i karni hogi aur us waqt tawafe Ziyarat me Ramal karna hoga,

✯ 3- Aathvi ( 8 vi ) Zilhijja ki subeh ko Mina ke liye rawana hona aur waha Paanch Namaze padhna,

✯ 4- Tulu'a Aftaab ke baad Navi Zilhijja ko Mina se Arafaat ke liye rawana hona,

✯ 5- Arafaat se guroob Aftaab ke baad imaame Hajj se pehle rawana na hona,

✯ 6- Arafaat se wapas hokar Raat ko Muzdalfa me theharna,

✯ 7- Arafaat me Gusl karna,

✯ 8- Ayyame Mina me raat ko Mina me theharna,

® Muallimul Hijaaj, 95

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 359

Next -39 ©ontinue in sha Allah,,

         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬39 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj Ke 5 Din , Pehla Din - 8 Zilhijja  ✦

✯ Aaj tulu Aftaab ke baad haalate Ahraam me sab Hajiyo ko Mina Jana he, Mufarrid ( Jiska ahraam sirf Hajj ka he ) aur Qareen ( Jiska ahraam Hajj aur Umrah dono ka he ) unke ahraam pehle se bandhe hue he, Mutmatta ( Jusne umrah karke Ahraam khol diya tha ) aur isi tarah Ahle Haram Aaj Hajj ka Ahraam baandhe,

✯ Sunnat ke mutabiq Gusl karke Ahraam ki chadre pehan le, Ahraam ke liye 2 raka'at padhe aur Hajj ki niyat karke Talbiya padhe,

⇨ Talbiya padhte hi Ahraam shuru ho gaya,, Ab Ahraam ki tamaam pabandiya laazim ho gayi ( Jo pehle guzar chuki he ),

✯ iske baad Mina ko rawana ho jaye,

⇨ Mina Makka Mukarrama se 3 meal ke faasle per 2 tarfa pahado ke darmiyan ek bahut bada Maidan he, 8 vi tareekh ki Zuhar se 9 vi tareekh ki subeh tak Mina me 5 Namaze padhe aur is Raat ko Mina me qayaam karna Sunnat he, agar is Raat ko Makka Mukarrama me raha ya Arafaat me pahunch gaya to Makrooh he,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 364

Next -40 ©ontinue in sha Allah,,

         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬40 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj ke 5 Din,  Doosra Din - 9 Zilhijja - Kist -1 ✦

✯ Aaj Hajj ka sabse bada Rukn yani Waqoofe Arafa Ada karna he, Jiske bager Hajj nahi hota,

✯ Tulu Aftaab ke baad jab kuchh dhoop fel jaye Mina se Arafaat ke liye rawana ho jaye Jo Mina se takriban 6 meal he, Mina se Arafaat ke liye rawana hote waqt Talbiya, Tehleel, Takbeer, Dua aur Darood padhte hue chale,

⇨ Fir Jab Jable Rahmat per nazar padhe ( Jo maidane Arafaat me ek pahaad he ) to Tasbeeh, Tehleel v Takbeer kahe aur Jo chahe Dua maange,

✯ 9 vi Zilhijja ko zawaal ke baad Subeh sadiq ke darmiyani hisse me Ahraame Hajj ki haalat me agar thodi si der ke liye bhi Arafaat me thehar jaye ya waha se guzar jaye to Hajj ho jayega,

✯ Agar us waqt me zara der ke liye bhi Arafaat na pahuncha to Hajj nahi hoga,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 364

Next -41 ©ontinue in sha Allah,,

         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬41 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj ke 5 Din,  Doosra Din - 9 Zilhijja - Kist -2 ✦

✯ Mustahab ye he k Zawal ke baad gusl kar le aur iska moqa na mile to vaju kar le aur waqt ki ibtida me Namaz Ada karke waqoof shuru kar de,

✯ Sunnat tareeqa ye he k Zuhar aur Asr ki Namaz ikatthi Amire Hajj ki iqtida me padhi jaye,

⇨ Yani Asr ko bhi Zuhar ke waqt me padh le, waha Jo Badi Madjid he jisko Masjide Namra, isme imaam dono Namaze ikatthi padhata he, lekin chunki har shakhs waha pahuch nahi sakta aur sab Haji isme shamil nahi ho sakte aur Bager Amire Hajj ki iqtida ke dono Namazo ko jama karna bhi durust bhi nahi he,

⇨ Isliye India, Pak, Bangladesh, Afghanistan vagera ke Hanafi Ulma Hajiyo'n ko Yahi Fatwa dete he'n k Wo apne apne khemo me Zuhar ke waqt me aur Asr ke waqt me ba-jama'at padhe aur Namazo ke alawa Jo waqt he use Zikr v Dua aur Talbiya me lagaye,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 366

Next -42 ©ontinue in sha Allah,,

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬42 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

         ☞  Waqoof e Arafaat -1✦

✯ Zawal ke baad se guroob tak poore Maidane Arafaat me Jaha chahe waqoof kar sakte he'n, magar Afzal ye he k '" Jable Rahmat ", Jo Arafaat ka mashoor pahaad he, Uske qareeb jis jagah Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne Waqoof kiya tha, Us jagah waqoof kare,

✯ Bilkilul us jagah mumkin na ho to jitna usse qaeeeb ho behtar he,
Lekin agar " Jable Rahmat" ke paas Jane me dushwari ho ya watalashe waqt apna khema talash karna mushkil ho to Apne Khemo me waqoof kare,

---- Baqi hissa agle Part me,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 365

Next -43 ©ontinue in sha Allah,,

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

۞✵۞ 
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬43 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

         ☞  Waqoof e Arafaat -2 ✦

✯  Behtar ye he k Qibla rukh khada hokar magrib tak waqoof kare aur haath uthakar Duae'n karta rahe, agar poora waqt khada na ho sake to jis qadar bhi khada reh sakta ho khada rahe, fir Beth jaye, Fir jab quvvat ho khada ho jaye aur poore waqt me khushu Khuzu aur giryawzari ke saath Zikrullah, Dua, Astagfaar me mashgool rahe, aur thode thode waqt me Talbiya padhta rahe,

✯ Aur Dini v Duniyavi Maqsad ke liye apne waaste, apne mutallikeen v ahbaab ke waaste, khaskar un logo ke waaste jinhone Dua ke liye darkhwast ki he aur Tamaam Musalmano ke liye Duae'n maange,

Ye waqt qubiliyate Dua ka khaas waqt he aur hamesha naseeb nahi hota, is din bila Zarurat aapas ki jaa'iz  guftgu se parhez kare, poora waqt Duao'n, Zikrullah me sarf kare,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 365

Next -44 ©ontinue in sha Allah,,

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞  27-08-2015/1
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬44 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞  Arafaat se Muzdalfa Rawangi -1 ✦

✯ Muzdalfa Arafaat se waapas Makka Mukarrama ki taraf 3 meal ke faasle per he, Aftaab guroob hote hi Muzdalfa ke liye Rawana ho jaye, Raaste me zikrullah aur Talbiya padhta rahe,

✯ is Roz Hujjaj ko magrib ki Namaz Arafaat ya Raaste me padhna jaa'iz nahi,

⇨ waajib ye he k Magrib ko moakhar karke isha ke waqt Namaze isha ke saath padhe,

✯ Muzdalfa pahunchkar avval Magrib ke Farz padhe aur foran baad isha ke Farz padhe,  Magrib ki sunnate, isha ki sunnate aur vitr baad me padhe,

⇨ Muzdalfa me Magrib v isha dono no  Namaze ek Azaan aur ek Aqamat se padhi jaye aur Muzdalfa me dono Namazo ko ikattha padhne ke liye jama'at shart nahi, Tanha ho tab bhi ikattha karke padhe, 

✯ Agar Magrib ki Namaz Arafaat me ya Raaste me padhli to Muzdalfa pahunchkar isko dohrana waajib he,

⇨Agar isha ke waqt se pehle muzdalfa pahunch gaya to abhi magrib ki Namaz na padhe, isha ke waqt ka intezar kare aur is ha ke waqt dono Namazo ko ikattha padhe,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 370

Next -45 ©ontinue in sha Allah,,

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞  27-08-2015/2
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬45 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞  Arafaat se Muzdalfa  Rawangi -2 ✦

✯ Muzdalfa ki Raat me jaagna ibaadat me mashgool rahna mustahab he, aur is Raat Muzdalfa me Rahna Sunnat Mokada he,

✯ Bahut se log  waqt se pehle hi Fajar ki Azaan dekar Namaze Fajar Muzdalfa me padh kar Mina ko chale jate he'n,

⇨ Avval to waqt se pehle Namaz nahi hogi, Doosra waqoofe muzdalfa chhodne ka gunaah hota he, Jo waajib he aur Dam bhi waajib hota he,

✯ Albatta agar Aurat  hujoom ki vajah se Muzdalfa me na thehre, Sidhi Mina chali jaye to uske liye gunzaish he, us per Dam waajib nahi hoga, lekin Mard ke liye jaa'iz nahi,

✯ Muzdalfa me Raat guzaarna Sunnate Mokada he aur Subeh sadiq ke baad Muzdalfa me rehna waajib he, Waajib ke chhoot Jane se Dam waajib hota he,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 370

Next -46 ©ontinue in sha Allah,,

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞  28-08-2015/1
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬46 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj ke 5 Din,  Teesra Din - 10 Zilhijja - Kist -1 ✦

✯ Zilhijja ki 10 vi tareekh me Hajj ke chand ahkaam me Pehla hukm waqoofe muzdalfa he Jo waajib he, iska waqt tulu Fajar se tulu Aftaab tak he,

✯ Agar koi shakhs Tulu Fajar ke baad thodi der thehar kar Mina chala jaye. Tulu Aftaab ka intezar na kare to bhi waajib waqoof Ada ho gaya,

⇨ waajib ki adaaygi ke liye itna kaafi he k Namaze Fajar Muzdalfa me padh le, magar sunnat yahi he k Tulu Aftaab se kuchh pehle tak thehre,

     ---- Baqi hissa angle part me,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 372

Next -47 ©ontinue in sha Allah,,

       

      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 28-08-2015/2
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬47 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj ke 5 Din,  Teesra Din - 10 Zilhijja - Kist -2 ✦

✯ Muzdalfa ke maidan me jaha chahe waqoof kar sakta he, sivaye waadie muhassir ke Jo Mina ki jaanib Muzdalfa se bahar wo jagah he jaha Ashabe Feel per azaab aaya tha, 

✯ Afzal ye he k Jabale Quzah ke qareeb waqoof kare,

⇨ Agar rash ki vajah se waha pahuchna mushkil ho to Muzdalfa me jis jagah thehra he wahi Subeh ki Namaz andhere me padh kar waqoof kare,

✯ is waqoof me bhi Talbiya, Takbir, Tehleel aur Tauba v astagfar aur Dua kasrat se kare,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 372

Next -48 ©ontinue in sha Allah,,

      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞  29-08-2015/1
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬48 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞  Muzdalfa se Mina Rawangi ✦

✯ Jab Suraj tulu hone me 2 raka'at ada karne ke baqadr waqt reh jaye to Muzdalfa se Mina ke liye rawana ho jaye ,iske baad talheer karna khilafe sunnat he ,

✯ Aur Behtar ye he k Rami ke liye Kankriya Chane ya Khajoor ki Guthliyo ke barabar Muzdalfa se uthakar Saath le jaye ,Varna kahi se bhi uthale ,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 372

Next -49 ©ontinue in sha Allah,,

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
  ⓖ Ahle deoband Group,
      ☏ +91 7037363325
    
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞  29-08-2015/2
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬49 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞  Jamrah Uqba ( Bada Shaitan ) ki Rami  karna  ✦

✯ Mina pahunchkar Sabse pehla kaam Jamrah Uqba ki Rami karna he ,

✯ Mina me 3 Sutoon ounche bane hue he'n ,inko " Jamaraat " aur ek ko " Jamrah " kaha jata he ,

⇨ in me se Jo  Jo masjide Khayf ke qareeb he usko Jamrah Avla aur uske baad wale ko Jamrah Vasati aur uske baad wale ko Jo sabse akhir me he Jamrah Uqba kehte he'n ,

✯ in sutoono ke gird Ghera bana hua he ,isme kankriya fenkne ko Rami kehte he'n,

⇨ 10 vi tareekh ko sirf Jamrah Uqba ( Bada Shaitan ) ki Rami hoti he,

Jab Mina Pahunche to Pehle aur Doosre Jamrah ko chhodkar Sidha Jamrah Uqba per jaye aur usko 7 kankriya maare ,aur Pehli kankri ke saath ho Talbiya padhna khatm kar de ,

✯ Rami karte hue har kankri ke maarne ke waqt Takbeer aur Dua ( agar yaad ho ) padhe ,Takbeer ke bajaye " Subhanallah " ya " Laa ilaha illallah " padhna bhi jaa'iz he ,lekin zikr karna bilkul na chhode ,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 372

Next -50 ©ontinue in sha Allah,,

         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞  30-08-2015/1
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬50 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Kankriya maarne ka Waqt ✦

✯ Pehle din 10 Zilhijja ko sirf " Jamrah Uqba ( Bada shaitan) " ki rami ki jati he, iska waqt subeh sadiq se shuru hota he, magar tulu aftaab se pehle rami karna khilafe sunnat he,

⇨masnoon waqt tulu aftaab se zawal tak he, zawal se guroob tak bila karahat  aur guroob se agle din subeh sadiq tak karahat ke saath jaaiz he,

⇨ agar koi uzr ( Aurte, Bachche, bimar, kamjor) ho to guroob ke baad bhi bila karahat jaaiz he,

✯ 11 vi or 12 vi Zilhijja ki Rami ka waqt zawal ke baad se shuru hota he, guroob aftaab tak bila Karahat aur guroob se subeh sadiq tak karahat ke saath jaa'iz he,

⇨ Magar aaj kal hujoom ki vajah se guroob ke pehle Rami na kar sake to guroob ke baad bila karahat jaa'iz he,

✯ 13 vi tareekh ki rami ka masnoon waqt to zawal ke baad he lekin subeh sadiq ke baad zawal se pehle is din ki Rami karna Imam Abu Hanifa r a ke nazdeek karahat ke saath jaa'iz he,

✯ Bimar ya kamjor aadmi ka doosre se rami karana jaa'iz he,

Aapke Masail aur unka Hal,,
JILD-4, Safa no 131

Next -51 ©ontinue in sha Allah,,

     
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞  30_08_2015 \2
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬51 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Rami Tark karne se Dam Waajib hota He ✦

✯ Jo log khud Rami kar sakte hen, Bahut se Log Unki taraf se bhi nyabta Rami Kar dete 'he' n, Ye durust nahi he, is tarah karne se Rami chhodne ka gunaah hota he aur Dam waajib hota he,

✯ Guroobe Aftaab ke baad wo log Rami karle jo Bheed aur Rash ki vajah se doosro ko naayab bana dete 'he' n, 'Aurto' n ko Raat me Rami karade, isse Takleef na hogi,

⇨ Agar kisi ne Subeh Sadiq tak bhi Rami nahi ki to Qaza hogi, 11 vi tareekh ko uski Qaza bhi kare aur Dam bhi de,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 373

Next -52 ©ontinue in sha Allah,,

         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞  31_08_2015/1
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬52 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

               ☞  Qurbani ✦

✯ Jamrah Uqba ki Rami se farig hokar bator Shukriya Hajj ki Qurbani mufarrid ke liye Mustahab he aur Qarin aur Mutamatta per waajib he,

✯ Mufarrid ne agar qurbani se pehle halaq ya kasr kara liya aur uske baad qurbani ki to us per Dam vagera waajib nahi, Albatta uske liye Rami Zibah se pehe aur Zibah halaq ya kasr se pehle mustahab he aur Rami Halaq ya kasr se pehle waajib he,

⇨ Aur Qarin aur Mutamatta per Rami aur Zibah halaq ya kasr se pehle waajib he,

✯ Jo shakhs Zibah karna jaanta ho uske liye apne haath se Zibah karna afzal he aur agar Zibah karna na jaanta ho to Zibah ke waqt Qurbani ke paas khada hona Mustahab he,

⇨ Agar Zibah ki jagah hazir bhi na ho aur doosre se zibah kara de to ye bhi durusr he,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 375

Next -53 ©ontinue in sha Allah,,

         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞  31_08_2015/ 2
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬53 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Haaji per Eid ki Qurbani ka Hukm ✦

✯ Eid ki jo Qurbani Sahibe Nisab per waajib hoti he uska Hukm Haajiyo ke bare me ye he k Unme se jo shakhs Hajj se pehle Makka Muazzama me 15 din ya isse zyada ki niyat karke muqeem tha aur wo Hajj ke Ahkaam ada karne ke liye Mina aur Arafaat aaya he to us per wo doosri qurbani bhi waajib he, Lekin uska Mina ya Haram me hona zaruri nahi, agar apne watan me kara de tab bhi durust he,

✯ Aur jo shakhs Makka Muazzama me 15 din ya isse zyada ki niyat karke muqeem nahi tha balki 15 din se kam muddat Makka me rehkar Mina v Arafaat ke liye rawana ho gaya to us per Wo ( Eid ki) qurbani waajib nahi,

✯ Qarin aur Mutamatta per qurbani waajib he yani Ek Bakri ya Bhed ya Dumba jiski umar kam se kam 1 saal ho zibah kare,
Ya 5 saala Ount ya 2 saala Gaay me saatva hisaa le le,

✯ Tamatto aur Qiraan ki Qurbani hudoode Haram me hona waajib aur Mina me hona afzal he,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 375

Next -54 ©ontinue in sha Allah,,

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 01_09_2015/1
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬54 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞. Agar Qurbani ki 'isteta'at na ho? ✦

✯ Agar koi mutamatta ya Qarin paisa na hone ki vajah se qurbani na kar sake to wo iske badle 10 Roze rakhe,

⇨ lekin shart ye he k 3 Roze 10 vi Zilhijja se pehle pehle aur Ahraam ke baad rakhe ho, aur Hajj ke mahine me yani yani Shawal, 'Zilqa'ada, Zilhijja me rakhe ho,
Aur 7 Roze Ayyame tashreeq guzar jane ke baad rakhe, chahe Makka me rakhe chahe kisi aur jagah, lekin ghar aakar rakhna afzal he,

✯ Agar kisi Qarin ya Muttama ne 10 vi tareekh se pehle se pehle ye teeno roze nahi rakhe to ab qurbani hi karni padegi,

⇨agar us waqt qurbani ki qudrat nahi he to sar mundakar ya baal katakar ahraam se nikal jaye, lekin jab maqdoor ho jaye to ek Dam Qiraan ya Tamatto ka aur ek Dam Zibah se pehle halaal hone ka de de, Yani 2 qurbaniya de, aur agar Ayyame nahar ke baad Zibah kare to teesra Dam Ayyame Nahar se moakhhar karne ka laazim hoga,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 376

Next - 55 ©ontinue in sha Allah,,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞  01_08_2015/2
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬55 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Qurbani ka Waqt ✦.

✯ Qurbani 10 vi, 11 vi, 12 vi tareekho me se kisi tareekh me karna laazim he, 12 vi ka suraj guroob hone se pehle pehle Qurbani kar de,

✯ Lekin Tamatto aur Qiraan wala jab tak qurbani na kare us waqt tak usko Sar mundana ya baal katana 'jaa'iz nahi, Agar esa karega to ek Dam waajib hoga, jo Hajj ki qurbani ke alawa hoga,

✯ Kisi vajah se 10 vi tareekh ko qurbani na kar sake to 11, 12 ko kar le, Lekin Qiraan ya Tamatto me Baal mundana ya katrana Qurbani ke baad hi hoga, isko khoob samajh lena chahiye,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 376

Next -56 ©ontinue in sha Allah,,

         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

۞✵۞ 02_09-2015/1
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬56 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Halaq. Aur. Qasar ka Bayan ✦

✯ Halaq sar mundane ko aur Qasar Baal katane ko kehte he,

✯ Ahraam Umrah ka ho ya Hajj ka ya Dono ka ek saath baandha ho, har soorat me Halaq aur Qasar hi ke zariye Ahraam se nikalna mumkin hoga, Jab tak Halaq ya Qasar na karega Ahraam se nahi niklega,

✯ Agar Sile hue kapde Halaq ya Qasar se pehle pehan liye ya Sar ke alawa kisi aur jagah ke Baal moond le ya Nakhoon kaat le ya Khushbu laga le, to Jaza Waajib hogi,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 376

Next -57 ©ontinue in sha Allah,,

       

      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
۞✵۞ 02-09-2015/2
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬57 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Halaq aur Qasar ka Waqt ✦

✯ Umrah karne wala shakhs jab Umrah ki 'Sa'i se farig ho jaye Halaq ya Qasar kara le, aur Hajje Afraad wala aur Tamatto wala ( jisne 8 tareekh ko Makka se Hajj ka Ahraam baandha tha aur isse pehle Umrah karke farig ho chuka tha ) aur Qarin, Ye teeno 10 vi tareekh ko Mina me Rami aur Qurbani ke baad Halaq ya Qasar karaye,

✯ Agar 12 vi tareekh ka Suraj guroob hone se pehle tak Halaq ya Qasar ko moakhhar kar de to ye bhi 'jaa'iz he, 12 vi tareekh ka Suraj guroob hone ke baad Halaq ya Qasar karenge to Dam waajib hoga aur ye bhi jaanna chahiye k Halaq ya Qasar Haram hi me hona waajib he, Agar Haram ke bahar kiya to iski vajah se ek Dam waajib hoga,

⇨ Jiska sirf Hajj ka ahraam ho yani Mufarrid ho wo 10 tareekh ko Rami karne ke baad Halaq ya Qasar kara sakta he kyuki Qurbani us per waajib nahi, Mustahab he, agar wo Mustahab per Amal karta he to behtar he k Qurbani ke baad Halaq ya Qasar karaye,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 377

Next -58 ©ontinue in sha Allah,,

       

      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

☢☢03-09-2015/1
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ۞ H A J J ۞

✰══❖═══▩☢☢☢▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬58 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Halaq aur Qasar ka Tareeqa ✦

✯ Qibla rukh bethkar sar ke baal mundaiye ya Katwraiye, Apni Daayi Janib se Sar mundana ya Katarwana Shuru kare,

✯ Chothai sar ke Baal moond dena ya Chothai sar ke Baal kam se kam ungli ke ek pore ke barabar Kaat dena Ahraam se nikalne ke liye waajib he, isse kam Mmundwana ya Kaatne se Ahraam se nahi niklega,

⇨ Umrah aur Hajj dono me ek hi Hukm he, afzal ye he k poore sar ke Baal mundwade,, Agar na mundwaye to poore sar ke Baal ungli ke ek pore ke baqadr katwade, Kuchh mundwana,

✯ Kuchh chhod dena Mamnoo he, lihaza poora sar mundwaye ya poore sar ke Baal ungli ke ek pore ke baqadr katwaye taki sunnat ke khilaf na ho,

✯ aurat ke liye Sar mundwana haraam he, wo ek pore ke baqadr Baal katakar hi Ahraam se nikal sakti he, magar kam se kam chothai sar ke Baal ek pore ke baqadr zarur katwa le,

⇨ Halaq aur Qasar karwane ke baad Haaji ke liye 'mamnu'aat Ahraam ki pabandi khatm ho jati he, albatta miya Bivi wale khaas tallukaat halaal nahi hote, wo Tawafe Ziyarat ke baad Halaal hote 'he'n,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 377

Next -59 ©ontinue in sha Allah,,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
☢☢☢ 03-09-2015/2
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ☢ H A J J ☢

✰══❖══⚅☢☢☢⚅═══❖══✰

              ⚄ PART↬59 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

           ☞  Tawaafe Ziyarat ✦

Mina me Rami, Zibah aur Halaq ya Qasar karane ke baad Makka Muazzama jaakar Tawaafe Baitullah kare, Ye Tawaaf Hajj ke 'Fara'iz me se he, Jisko Tawaafe Rukn aur Tawafe Ziyarat kehte 'he'n,

✯ iska avval waqt 10 vi Zilhijja ki Subeh Sadiq tulu hote hi shuru hota he,, isse pehle 'Jaa'iz nahi,

⇨aur Tawafe Ziyarat 10,11,12 teeno dino me ho sakta he, albatta 10 vi Zilhijja ko ada kar lena afzal he, aur Jab 12 vi Zilhijja ka Aftaab guroob ho gaya to iska waqt khatm ho gaya, Ab agae Tawaf karega to Tawaf ada nahi hoga lekin ek Dam waajib hoga,

✯ agar kisi ne Tawafe Qadoom ke saath Hajj ki 'Sa'i kar li thi to ab Tawafe ziyarat me Ramal na kare aur agar us waqt 'Sa'i nahi ki thi to ab Tawafe Ziyarat ke baad 'Sa'i kar le aur Shuru ke teen chakkaro me Ramal bhi kare,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 378

Next -60 ©ontinue in sha Allah,,      
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

⊙✵⊙ 04-09-2015/1
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ⊙ H A J J ⊙

✰══❖═══▩⊙回回⊙▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬60 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉


☞ Tawafe Ziyarat ke Baad Mina waapsi ✦

✯ 10 vi tareekh ko Tawaafe Ziyarat ke baad Mina waapas aa jaye aur 11, 12 vi Shab Mina me guzaare, aur in dono Dino me Zawaal ke baad teeno Jamraat ( Teeno Shaitan) ki Rami kare,

✯ 10 Tareekh ko Tawafe ziyarat na kiya ho to 11 vi, 12 vi tareekh me se kisi waqt, Raat ko ya Din ko Makka Muazzama Jaakar Tawaaf kar le,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 379

Next -61 ©ontinue in sha Allah,,

      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
⊙✵⊙ 04-09-2015/2
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ⊙ H A J J ⊙

✰══❖═══▩⊙回回⊙▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬61 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

. ☞ 4 tha Din -11 Zilhijja. ✦

✯ Agar Qurbani ya Tawafe ziyarat kisi vajah se 10 tareekh ko nahi kar saka to 12 vi ko kar le, Zawal ke baad teeno jamaraat ki Rami kare, Zawal se pehle durust nahi,

✯ is din ki Rami ka mustahab waqt Zawal ke baad shuru hokar guroob tak he, Guroob ke baad makrooh he, magar 12 tareekh ko Subeh tulu hone se pehle pehle kar li jaye to Ada jo jati he, Dam dena nahi padta,

⇰Aur agar 12 vi tareekh ki Subeh ho gayi to ab 11 vi tareekh ki Rami ka Waqt khatm ho gaya, iski qaza aur Jaza dono laazmi hogi, Yani 12 vi tareekh ko us din ki Rami bhi kare aur 11 vi ki qaza bhi kare aur Dam bhi de,

Fiqhul ibadaat ,
  Safa no 379

Next -62 ©ontinue in sha Allah,,

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

⊙✵⊙ 05-09-2015/1
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ⊙ H A J J ⊙

✰══❖═══▩⊙回回⊙▩═══❖══✰

              ⚄ PPART↬62 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

. ☞. 11 Zilhijja Ko Rami Ka Tareeqa ✦

✯ 11 vi tareekh ki Rami is tarah kare k Pehle Jamrah Avla per saat kankriya is tareeqe se maare jis tarah 10 vi tareekh ko Jamrah Uqba ki Rami kar chuka he,

✯ isse faarig hokar majma se hatkar qibla rukh khada hokar haath uthakar Dua kare, itni der thehre jitni der me 20 'Raka'ate padhi ja sake, is waqfe me takbeer, tehleel, astagfar aur Darood Sharif me mashgool rahe, Apne aur apne ahbaab aur aam musalmano ke liye Dua kare, ye bhi qubuliyat ka maqaam he,

Iske baad Jamrah Vasati per aaye aur usi tarah Saat kankriya maare, aur majma se hatkar qibla rukh hokar Dua v Astagfar me kuchh der mashfool rahe,

✯Fir Jamrah Uqba per aaye, saat kankriya maare aur iske baad Dua ke liye na thehre, kyuki yaha Dua ke liye theharna Sunnat se saabit nahi,

⇰Albatta yaha se waapis hokar chalte hue Dua maang le,

✯11 vi tareekh ka kaam poora ho gaya baqi Avqaat apni jagah per Mina me guzaare,

�� Fiqhul ibadaat ,
��  Safa no 380

Next -63 ©ontinue in sha Allah,,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
⊙✵⊙ 05-09-2015/2
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ⊙ H A J J ⊙

✰══❖═══▩⊙回回⊙▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬63 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

. ☞ Paanchva ( 5 va) Din - 12 Zilhijja ✦

✯ is Din ka kaam Teeno jamraat ki Rami karna he, Zawal ke baad teeno Jamraat ki Rami kare, Jis tarah 11 vi Tareekh ko ki,

✯ 12 vi tareekh ki Rami ka masnoon waqt Zawal se guroob tak he aur Guroob se lekar Subeh Sadiq tak waqte makrooh he, magar 'Aurto'n aur Kamzoro ke liye makrooh nahi, aur Zawal se pehle is Din ki Rami bhi durust nahi,

⇰Agar Ab tak Qurbani na ki ho ya Tawafe ziyarat nahi kiya ho to is Din Suraj guroob hone se pehle zaroor kare aur Aaj ki Rami bhi kare,

�� Fiqhul ibadaat ,
��  Safa no 381

Next -64 ©ontinue in sha Allah,,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
⊙✵⊙ 06-09-2015/1
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ⊙ H A J J ⊙

✰══❖═══▩⊙回回⊙▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬64 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞. 13 Zilhijja ki Rami aur Makka Muazzama waapsi ✦

✯ 12 tareekh ko Rami karne ke baad 13 vi tareekh ki Rami kar le, Mina me mazeed qayaam karne ya na karne ka akhtyar he, Agar chahe to 12 tareekh ki Rami se faarig hokar Makka Muazzama Ja sakta he, ba sharte k guroob se pehle Mina se nikal jaye, agar 12 tareekh ko Suraj Mina me guroob ho gaya to ab nikalna makrooh he, Ab Mina me qayaam kare, 13 vi tareekh ko Rami karke Makka muazzama jaye,

✯ Afzal yahi he k 12 vi tareekh ko Rami ke baad guroob se pehle jana 'jaa'iz hone ke bavjood khud apne iraade se Raat ko waha thehre aur Subeh ko zawal ke baad teeno jamraat ki Rami karke Makka Muazzama jaye,

✯12vi aur 13 vi ki Rami karke Makka Muazzama aa jaye aur Makka Muazzama se rawana hone tak Amaale Saleha me mashgool rahe, Khususan Tawaaf kasrat se kare aur chahe to Umrah karta rahe, lekin zyada Tawaaf karna zyada Umrah karne se behtar he,

⇰ aur jo Umrah kare 13 tareekh ke baad kare,

�� Fiqhul ibadaat ,
��  Safa no 381

Next -65 ©ontinue in sha Allah,,

         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
⊙✵⊙ 06-09-2015/2
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ⊙ H A J J ⊙

✰══❖═══▩⊙回回⊙▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬65 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

          ☞  Taeaafe Vida  ✦

✯ Miqaat se bahar rehne walo per waajib he k Tawaafe Ziyarat ke baad rukhsati ka Tawaaf bhi  Kare ,is Tawaaf ko Tawaafe Vida kehte he'n, aur ye Hajj KA Akhri waajib he aur isme Hajj ki teeno qisme barabar he yani har qism KA Hajj karne wale per waajib he ,albatta ye Tawaaf ahle Haram aur Hudoode Miqaat ke Andar rehne walo per waajib nahi.

✯ Agar Tawaafe Vida kar lene ke baad kisi zarurat se Makka me qayaam kare to rawana hote waqt Tawaafe Vida dobara karna mustahab he ,

✯Tawaafe Vida ke baad 2 raka'at Namaz padhe ,fir qibla rukh hokar Zam Zam KA pani piye ,fir Haram se rukhsat ho ,

⇰Is moqe per koi khaas Dua masnoon nahi ,Jo chahe Dua maang le ,aur waapsi per hasrat aur afsos kare aur baar baar aane ki Dua kare ,

⇨ Jo Aurat Hajj ke sab Arkaan v wajibaat ada kar chuki ho aur Tawaafe Ziyarat ke baad usko Haiz aa gaya aur abhi paak nahi hui he ,uska mahram rawana hone laga to Tawaafe Vida uske zimme waajib nahi ,WO Apne Mahram ke saath bager Tawaafe Vida ke chali jaye ,

�� Fiqhul ibadaat ,
��  Safa no 383

Next -66 ©ontinue in sha Allah,,

         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
⊙✵⊙ 07-09-2015/1
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ⊙ H A J J ⊙

✰══❖═══▩⊙回回⊙▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬66 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Madina Munavvara ki Hajri,

✯ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke Roza e Athar ki ziyarat ke bager Jo shakhs wapas aa jaye Hajj to uska Ada ho gaya lekin usne be muravvati se kaam liya aur ziyarate Sharifa ki barkaat se mehroom raha,

⇰ Hadees Paak me he,

" Jis shakhs ne Baitullah Sharif ka hajj kiya aur meri ziyarat ko na aaya usne mujhse be muravvati ki, "

.↳ ( Ravah ibne Adi )

✯ Roza e Athar ki Ziyarat ke adaab

⇰ Jamhoor Aqabire ummat ke nazdeek Roza e Sharif ki ziyarat ki bhi niyat kare,

⇨Baargahe Aali me Salaam pesh karne ke baad Shafa'at ki darkhwast kare,

⇰ Qibla Rukh hokar Duae maange,

⇨Hisne Haseen " me  hai k,,
agar Aap Sallallahu Alaihivasallam ( ki Qabr Mubarak) ke paas duae qubool nahi hongi to fir kaha hongi, "

⇨ Madina Tayyaba me Darood sharif kasrat se padhna chahiye,

✯ Masjide nabvi me 40 namaze takbeere Tehrima se Ada karna,

⇰ Hazrat Anas raziyallahu anhu se rivayat he k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya Jis shakhs ne meri masjid me 40 namaze is tarah Ada ki k uski koi bhi namaz ( ba jamaat) faut na ho, uske liye Dozakh se aur Azaab se baraat likhi jayegi, aur Nifaak se bari hoga, "

↳. ( Musnad Ahmed)

��Aapke Masail aur unka Hal,,

Next -67 ©ontinue in sha Allah,,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
⊙✵⊙ 07-09-2015/2
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ⊙ H A J J ⊙

✰══❖═══▩⊙回回⊙▩═══❖══✰

              ⚄ Part- 67 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Chand Galtiyo ki taraf ishara, ( Jinka irtqaab aksar Zaayreen karte hai), 1-20, ❖

✯1- Apne raaste ke Mikaat se bager ahraam ke guzar Jana, Jo shakhs esa kare us per laazim he k wo dobara Mikaat se aakar ahraam baandhe, agar esa na kar sake to Dam Ada kare,

✯2- Tawaf karte hue asaani ya jaldi ki bina per Hajre Ismaiel( Hateem) ke andar se guzarna, Jo k Kaaba ka hi hissa he, is soorat me Tawaf batil ho jata he,

✯3- Hajre Aswad per Chehra ya sar ka koi hissa barkat ke liye ragadna, jabki ise sirf haath se chhoona ya bosa dena hi sunnat he,

✯4- Kaaba sharif ke charo kono ko chhoona, Diwaro ko choomna, apna jism ragadna, jabki Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne sivaye rukne Yamani aur Hajre Aswad ke, kisi aur jagah ko nahi chhua,

✯5- Tawaf karne walo ka buland awaaz se zikr or Duae padhna, Jo k logo ke liye sakht takleef ka baais banta he,

✯6- Tawaaf ke baad Maqame Ibrahim per hi logo ka kasrat ke bavjood 2 rakaat Ada karna, jabki is soorat me 2 rakaat Masjide Haraam ke kisi bhi jagah Ada karna durust he,

✯ 7 - Sai'e ke agaaz me ya fir har chakkar ke akhtam per baaz logo ka Safa Marva per Chadkar Kaaba sharif ki taraf moonh karke do no haatho se takbeer kehte hue is tarah ishara karna jese wo namaz me Takbeere Tehrima ke waqt do no haath uthate he, Jabki Aap Sallallahu Alaihivasallam ne sirf haatho ko uthakar qibla rukh dua ki he,

✯8- Baaz Hajiyo ka Maidane Arafaat se bahar  kisi jagah theharna aur saara din guzaar kar isi jagah se Muzdalfa ka rukh karna, isse unka hajj jaaya ho jata he kyuki waqoofe arafaat hajj ka rukn he,

✯9- Baaz logo Kaabatullah ke Jable rehmat ki taraf moonh karke duae mangna,jabki sunnat tareeqa qibla rukh hokar dua maangna he,

✯10- Baaz logo ka Arafa ka roza rakhna, Jo k sarasar khilafe sunnat he,

............ Baqi agle part me,

�� HAJJ or Umra ( guide book)
�� Safa no. 80

Next -68©ontinue in sha Allah,,

       •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
⊙✵⊙ 08-09-2015
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ⊙ H A J J ⊙

✰══❖═══▩⊙回回⊙▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬68 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ ,Chand Galtiyo ki taraf ishara ( jinka irtqaab aksar Zaayreen karte 'he'n) 1-20,

✮ 11- Baaz logo ka ek hi mutthi me 7 kankriya lekar ek baar hi fekna, ulema ne is soorat me use sirf ek kankri hi shumar kiya he,

✯12- Baaz logo ka aur khas tor per 'aurto'n ka logo ki bheed ke khof se doosro se kankriya marwana, jabki ye rukhsat sirf kisi bimaar ya taaqat na rakhne walo ke liye he,

✯13- Baaz logo ka Tawafe vida ke baad Masjide Haraam se ulte paav kaaba ki taraf rukh karte hue is guman se nikalna k ye Baitullah ki tazeem he, iski shariyat me koi daleel nahi,

✯14- isi tarah Masjide Haraam ke beruni darwaze per beth kar musalsal duae karna aur ye khayal karna k wo Baitullah ko vida kar rahe hai, iska koi sharai saboot nahi, Jabki sawab ki niyat se kiye jane wale kisi bhi amal ke liye Sharai daleel zaroori he,

✯ 15- Baaz zaayreen Makka Mukarrama ke qayaam ke dauran mukhtalif maqamaat ki ziyarat ka ahatmam karte hai, aur Masjide Haraam ki ek laakh namazo ki azro sawab rakhne wali bajamaat namaz ko chhod dete hai, ya qaza karke ada karte hai,

✯16- Baaz Maqamaat jese Gare sor, Gare hira, Jable sor, Jable hira, Jable rehmat tak mashakkat jhel kar Jana, waha bethkar lambi ibadate karna, chille kaatna vagera, ye sab kaam gair mashrooa he,

✯ 17- Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ki Qabr Mubarak ki ziyarat ke waqt Roza e aqdas  ka tawaf karna,uski diwaaro aur lohe ki jaaliyo ko haath ferna, moonh, chehra,  jism ragadna, ese hi khidkiyo, jaaliyo per dhaage baandhna, gair sharai amaal hai, Jabki sharai tareeqa ye he k darood salam padha jaye aur qibla rukh hokar duae ki jaye,

✯19- Jannatul Baqi ya Shohdae uhad ki qabro ki ziyarat karte waqt unki taraf rupya paisa patakna, likhe khat fekna, Murade maangna, khilafe sunnat he,

✯20 - Masjide nabvi ki ziyarat ke baad ulte paav wapas aana sunnat se sabit nahi,

 Allah Tabarak wa Ta'ala se Dua he k wo Musalmano ke halaat durust farmaye, unhe Deen ki sahi samajh dekar hume aur un sabko Gumrahiyo se bachaye, Beshaq wo sunne wala aur qubool karne wala he, ( Ameen)

�� HAJJ or Umra ( guide book)
�� Safa no 80

Next -69 ©ontinue in sha Allah,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
⊙✵⊙ 08-09-2015/2
               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                 ⊙ H A J J ⊙

✰══❖═══▩⊙回回⊙▩═══❖══✰

              ⚄ PART↬69 ⚄

                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉

☞ Hajj ke Mutafarrik Masail ◈   

★ Hajj aur Umrah ke baad bhi agar gunaho se na bache to goya uska hajj maqbool nahi hua, 

★ Hajj ke maqbool hone ki alamat ye he k hajj ke baad Aadmi ki zindgi me Deeni inqlaab aa jaye aur uska rukh khair aur neki ki taraf badal jaye,

★ Harmen Sharifen pahunch kar waha ki namaz bajama'at se mehroom rehna bahut badi mehroomi he, Harmen Sharifen ke Aimma imam Ahmed bin Hambal r a ke muqallid he, ahle sunnat he, agarche hamare masail me ikhtilaf he lekin ye nahi k unke pichhe namaz hi na padi jaye,

◈ Hajj ke Dauran Photographi◈

★ Agar hajj me koi gunaah ka kaam kiya jaye to Hajj" Hajje mabroor" nahi rehta, Hajj ke dauran Photographi karna, Video banana, ese Amaal hai jinse sawab jaaya ho jata he,

◈ Haram sharif me chhode hue chappal aur jooto ka sharai hukm,

★ Jin chappalo ke bare me khayal ho k maalik inko talash karega unka pehanna sahi nahi aur jinko is khayal se chhod diya gaya he k chahe koi bhi pehnle unka pehanna sahi he,

★ Bager ijazat company ki gadi or doosre samaan vagera ka istemal jaa'iz nahi, ye khayanat aur chori he,

◈ Haajiyo ko Tohfe Tahaif dena,◈

★ Azeez aqarib ko tohfe dene ka shariat me hukm he k isse mohabbat badti he, lekin dili mohabbat aur ragbat ke bager mahaz naam ke liye ya rasm nibhane ke liye galat baat he,

⇨ Aaj kal ye ek rasmiyat aur rivaaj ho gaya he isliye ye shar'an chhod dena behtar he,

◈ Haji kehalwana ya Naam ke saath likhna◈

★ Haji ka Apne naam ke saath Haji ka laqab lagana bhi riyakaari ke siva kuchh nahi, Hajj to raza e ilahi ke liye kiya Jata he, Haji kehlane ke liye nahi,

◈ Haajiyo ka istaqbaal karna ◈

★ Haajiyo ka iataqbal to achchhi baat he, unse musafa aur muanqa bhi jaa'iz he, aur  unse Dua karane ka bhi hukm he,

⇨ lekin Foolo ke haar,  Naare, Juloos, vagera se etraaz karna behtar he,
          
¤→(ALHAMDULILLAH MUKAMMAL)

�� Aapke masail aur unka Hal,,
�� Jild -4,Safa no, 154

    
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────━
★☆★

No comments:

Post a Comment