★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 01 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 01- Parde ka Hukm Quran me,
★ Khaliq e Fitrat ne Bila zarurat Aurat ka ghar se nikalne ko bardasht nahi kiya taki napaak nazro ki hawas se gard alood na ho jaye,
★ Qurane Kareem ka irshad he,
وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ الْجَاهِلِيَّةِ الْأُولَىٰ
® Shrah Al- Ahzab, 33
→Tarjuma :- aur Tiki raho apne gharo me aur mat niklo pehli jahiliyat ki tarah ban than kar,
★Pehli jahiliyat se muraad islam se pehle ka daur he jisme Aurte'n Be-hijaab bazaro me apni naswaniyat ki numaish kiya karti thi,
★Doosri Jaahiliyat ka daur bhi aane wala he ( balki qareeb qareeb aa chuka he ) Jisme Aurte'n apni fitri khususiyaat ke taqazo ko jaahiliyat jadeeda ( moderate) ke sailaab ki nazar kar dengi,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/28
Next -02 ©ontinue in sha Allah,,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 02 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 02- Parde ka Hukm , Hadees me,
★ Quran ki tarah Sahibe Quran Sallallahu Alaihivasallam ne bhi sanafe nazuk ko saraapa Satar qaraar dekar Bila zarurat Aurat ke ghar se bahar nikalne ko na-ja'iz qaraar farmaya he,
★ Hazrat ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate he'n k Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Aurat sarapa Satar he, pas jab wo nikalti he to Shaytaan uski taak jhaank karta he,
® Mishkaat, Tirmizi,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/28
Next -3 ©ontinue in sha Allah,,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 03 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 03 - Zarurat ke Waqt bahar nikle to Kese Nikle ? ,
★ Agar zarurat hawaij ke liye Aurat ko ghar se bahar qadam rakhna pade to use hukm diya gaya he k wo esi badi chaadar oadkar bahar nikle jisse poora badan sar se paanv tak dhank jaye,
★ Allah ta'ala ne Surah Al-ahzab, 59 me irshad farmaya,
يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ قُل لِّأَزْوَاجِكَ وَبَنَاتِكَ وَنِسَاءِ الْمُؤْمِنِينَ يُدْنِينَ عَلَيْهِنَّ مِن جَلَابِيبِهِنَّ
⇨Tarjuma :- Ey Nabi Sallallahu Alaihivasallam apni Biviyo'n aur Sahabzadiyo'n aur Musalmano ki Aurto'n se keh dijiye k woh ( Jab bahar nikle to ) apne ouper badi chaadare jhuka liya kare, "
★ Matlab ye he k unko badi chaadar me lipatkar nikalna chahiye aur chehre per chadar ka ghunghat hona chahiye
★ Chunki badi chaadaro me is tarah lipatkar Jana k pehchani tak na jaye, Ab chinki badi chaadar ko sambhalna muskil tha, isliye shurfa ne chadar ke bajaye apne gharano me Burka ka rivaaj diya, ,
Aapke Masail aur unka Hal, 8 /28
Next -4 ©ontinue in sha Allah,,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 04 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ ▩═══❖══✰
☞ 04-Aurat ko Ghar per Namaz Padhne ka Hukm,
★ Huzoor Paak Sallallahu Alaihivasallam ne islam ke Qanoon me Satar ka yaha tak lihaaz kiya he k Aurat ke apne Makaan ke hisso ko taqseem karke farmaya, k fala'n hisse me uska Namaz padhna Fala'n hisse me Namaz padhne se afzal he,
★ Abdullah ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate he'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Aurat ki sabse afzal Namaz wo he Jo apne ghar ki chaardiwari me Ada kare,
Aur uska apne makaan ke kamre me Namaz Ada karna apne sahan me Namaz padhne se afzal he,
Aur pichhle kamre me Namaz padhna aage ke kamre me Namaz padhne se afzal he,
® Abu Daoud, Mishkaat,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/30
Next -5 ©ontinue in sha Allah,,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 05 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 05- Nazre Nichi Rakhne ka Hukm,-1
★ Aurat ghar se bahar nikle to use sirf yahi takeed nahi ki gayi k chaadar ya Burqa oadkar nikle, Balki gohare nayaab Sharm o Haya ko mehfooz rakhne ke liye mazeed hidayaat bhi di gayi he,
★ Maslan Mardo'n ko bhi aur Aurto'n ko bhi ye hukm diya gaya he k apni naZare nichi rakhe aur apni Asmat ke fool ko nazre bad se mehfooz rakhe,
وَقُل لِّلْمُؤْمِنَاتِ يَغْضُضْنَ مِنْ أَبْصَارِهِنَّ وَيَحْفَظْنَ فُرُوجَهُنَّ وَلَا يُبْدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا مَا ظَهَرَ مِنْهَا
َ
® Surah An- Noor, 31
★ Tarjuma :-
Aur Momin Aurto'n se bhi keh dijiye k wo apni naZare nichi rakhe aur apni Asmat ki hifazat kare aur apni zeenat ka izhaar na kare magar ye k majboori se khud khul jaye, "
Aapke Masail aur unka Hal, 8/ 30
Next -6 ©ontinue in sha Allah,,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 06 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 06- Nazre Nichi Rakhne ka Hukm-( Mardo'n ke liye),
قُل لِّلْمُؤْمِنِينَ يَغُضُّوا مِنْ أَبْصَارِهِمْ وَيَحْفَظُوا فُرُوجَهُمْ ذَٰلِكَ أَزْكَىٰ لَهُمْ إِنَّ اللَّهَ خَبِيرٌ بِمَا يَصْنَعُونَ
® Surah An- Noor, 30
★ Tarjuma :-
Ey Nabi Sallallahu Alaihivasallam! Momino se keh dijiye k apni naZare nichi rakhe aur apni Sharmgaho ki hifazat kare, Ye unke liye zyada Pakizgi ki baat he aur Jo kuch wo karte he'n Allah ta'ala usse Ba-khabar he,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/30
Next -7 ©ontinue in sha Allah,,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 07 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 07 - Nazre Nichi Rakhne ka Hukm-2
★ Ek hidayat ye di gayi he k Agar achanak kisi Na-mahram per Nazar pad jaye to use foran hata le aur dobara qasdan dekhne ki koshish na kare,
★ Hazrat Buryda Raziyallahu Anhu farmate he'n k Hazrat Ali Karamullahu Wajhu se Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Ey Ali ! Achanak nazar ke baad dobara nazar mat karo, Pehli to ( Be akhtyar hone ki Vajah se ) tumse maaf he magar doosri ka gunaah hoga,
® Musnad Ahmad, Tirmizi, Abu Daoud, Mishkaat,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/30
Next -8 ©ontinue in sha Allah,,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 08 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 08- Aurat Kis tarah Chale ?
★ Ek hidayat ye di gayi he k Aurte'n is tarah na chale Jisse unki makhfi zeenat ka izhaar Na- mahramo ke liye Ba'ise kashish ho,
★ Allah ta'ala ka irshad he,
ِ وَلَا يَضْرِبْنَ بِأَرْجُلِهِنَّ لِيُعْلَمَ مَا يُخْفِينَ مِن زِينَتِهِنَّ
َ
® Surah An- Noor, 31
★ Tarjuma:-
Aur apna paanv is tarah na rakhe k jisse unki makhfi zeenat zaahir ho jaye,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/31
Next -9 ©ontinue in sha Allah,,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 09 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 09 - Bager Parda Aurat ka Sare aam Ghoomna,
★ Aajkal gali kucho me, Bazaro me, Collego aur Daftaro me Be-Pardgi ka Jo Toofan barpa he aur Yahood o Nasara ki Taqleed ( follow) me hamari Bahu Betiya'n Jis tarah se ban than kar Be- hijaab ghoom fir rahi he'n, Qurane Kareem ne isko "Jahiliyat ka Burj " farmaya he, aur Ye insaani Tehjeeb ke moonh per Zannate ka tamacha he,
★ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad marvi he k,
" Jis Aurat ne apne ghar ke Siva doosri kisi jagah Kapde utare, Usne apne darmiyan aur Allah ta'ala ke darmiyan Jo Parda haa'il tha, Use chaak kar diya,"
® Mishkaat, Tirmizi 103,
★Aurat ke sar ka ek baal bhi Satar he aur Na-mahram ke saamne Satar kholna shar'an haraam aur Be gairati he,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/32
Next -10 ©ontinue in sha Allah,,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 10 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 10 - Na- mahramo se Parde ki Had,
★ Ajnabi Na- mahramo se chaardiwari ka parda he aur Jo Na- mahram Rishtedar ho'n aur Aurat unke saamne Jane per majboor ho, Unse chaadar ka Parda laazim he, iski tafseel Hazrat Thanvi Rh ke risale " Ta'alimul Taalib " se naqal karta hu'n: -
★ " Jo Rishtedar shar'an Mahram nahi, maslan Khala zaad, Mamu zaad, Fufi zaad Bhai ya Behnoi ya Dever vagera, Jawan Aurat ko unke ru ba ru ( saamne ) aana aur Be takalluf baate karna hargiz nahi chahiye,
⇨Jo makaan ki tangi ya har waqt ki aamad o raft ki Vajah se gehra parda na ho sake to Sar se paanv tak tamaam Badan kisi chaadar se dhaank kar Sharm v lihaaz se Ba-zarurat ru ba ru ( saamne ) aa jaye,
⇨Aur kalaai ( wrist) Baaju aur Sar ke Baal aur Pindli in sabka zaahir karna haraam he,
⇨Isi tarah in logo ke Ru ba Ru itar lagakar Aurat ko aana jaa'iz nahi aur na hi bajta hua zever pehne, "
® Ta'alimul Taalib, 5
Aapke Masail aur unka Hal, 8/35
Next -11 ©ontinue in sha Allah,,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 11 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 11 - Aurat ka Mardo'n ke Shana Ba Shana Kaam karna,
★ Allah ta'ala ne Mard aur Aurat ka daayrakaar alag alag banaya he,
★ Aurat ke kaam ka maidaan uska ghar he aur Mard ka maidane amal ghar se bahar he,
★Jo kaam Mard kar sakta he Aurat nahi kar sakti aur Jo Aurat kar sakti he Mard nahi kar sakta,
★Dono ko apne apne daayre me rehkar kaam karna chahiye,
★Jo log Mard ka bojh Aurat ke naajuk kandho per daalte he'n, wo Aurat per zulm karte he'n,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/36
Next -12 ©ontinue in sha Allah,,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 12 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 12 - Mardo'n se Haath milana,
★ Islami nuqta e Nazar se Na-Mahram ke saath haath milana haraam he,
★ Aur kisi Na-Mahram ke Badan se mas karna esa he jese Khinjeer ke khoon se haatho ko duba diya jaye,
⇨Is haqeeqata se kisi ko inkaar nahi he k hamare mashre me 99 fisadi buraiya'n Be- pardgi ki Vajah se vajood me aayi he'n, aur jab tak Be-pardgi he Buraiya'n bhi rahengi,,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/39
13, in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 13 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 13 - Mard Doctor se ilaaj,
★ Tabeeb ( Doctor) ke liye Aurat ka ilaaj zarurat ki bina per jaa'iz he,
★ Agar koi Mu'alij Aurat ( Lady Doctor) mil sake to usse ilaaj karana zaruri he,
★ Agar koi Aurat na mil sake to Mard ko chahiye k Aaza e Mastoora khususan Sharmgah ka ilaaj ka tareeqa kisi Aurat ko bata de, khud ilaaj na kare,
★ Agar kisi Aurat ko batana bhi mumkin na ho aur Mareeza Aurat ki halaakat ya naqabile bardasht takleef ka andesha ho to laazim he k takleef ki jagah ke alawa tamaam badan dhaank diya jaye,
★ Bachcha Janaa'i ka kaam khaas Aurato'n ka kaam he, Agar maamla Aurto'n ke qaabu se bahar ho ( maslan operation ki zarurat ho aur operation karne wali koi Lady Doctor bhi mojood na ho ) to ouper guzri Sharto'n ke saath Mard ilaaj kar sakta he,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/54
Next -14 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 14 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 14 - Budi Aurat ke liye Na Mahram Nojawano se Parda,
★ Jo Badi Budi Aurat Nikaah ki mi'aad se guzar gayi ho, Wo agar Gair Mahram ke saamne Parda khol de, ba sharte k Zeenat ka izhaar na ho to koi harj nahi,
★ Lekin Parda unke liye bhi behtar he, aur ye baat fizool he k Ye Bachcha to mere saamne palkar jawan hua he isliye isse Parda nahi,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/56
Next -15 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 15 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 15 - Mahram aur Na-Mahram,
★ Jin Azeezo ( Rishtedaro ) se Nikaah hamesha ke liye Haraam he, Jese: - Baap, Dada, Bhai, Bhatija, Bhanja, Nana, Mamu, vagera, Ese log Mahram kehlate he'n, inse Aurat ka Parda nahi,
★ Inke alawa wo tamaam Rishtedar jinse Nikaah ho sakta he, Na-mahram kehlate he'n aur Shar'an Na-mahram se Parda he, in sabse Parda zaruri he,
⇨ Agar kisi ka Mahram Be- Deen ( Be-Hayaa) ho k usko izzat v Aabru ki sharm na ho, Usse bhi Parda karna zaruri he,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/62
Next -16 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 16 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 16 - Moonh Bole Bhai aur Bete se bhi Parda zaruri he,
★ Islam me moonh Bole Bhai ( Ya Bete ) ki haisiyat ajnabi ki he, Usse bhi Parda laazim he,
★ Shariyat me moonh Bola Beta banane ki koi haisiyat nahi he,
⇨ Qurane Kareem me iski saaf muman'at aayi he,
⇨ isliye Moonh Bole Bete ka Hukm bhi shar'an Ajnabi ka he, aur usse Parda karna laazim he,
★ Ek saath rehne wale Na-mahramo se bhi Jawaan hone ke baad Parda laazim he,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/62
Next -17 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★ ★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 17 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 17 - Mangni Ke baad bhi Mangetar se Parda laazim he,
★ Mangni Nikaah ka vaada he, Nikaah he,
★ Aur Jab tak Nikaah nahi ho jata dono Ek Doosre ke liye Ajnabi he'n aur Parda zaruri he,
⇨ Jisse Nikaah karna ho shariyat ne usko ek nazar dekh lene ki ijazat di he taki Pasand Na-pasand ka faisla karne me asaani ho, iske alawa Mangetar ka Hukm bhi Ajnabi ka he Jab tak Nikaah na ho,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/ 63
Next -18 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 18 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 18 - Safar e Hajj me bhi Parda Zaruri he,
★ Ahraam ki haalat me Aurat ko hukm he k Kapda uske chehre ko na lage, lekin is haalat me jaha tak apne bas me ho na- mahramo se Parda karna zaruri he, aur jab ahraam na ho to chehra dhaankna laazim he,
⇨ Ye baat galat he k Makka Mukarrama me ya Safar e Hajj me Parda Zaruri nahi,
★ Aurat ka bareek kapda pahan kar ( Jisme se Sar ke baal jhalakte ho ) Namaz aur Tawaaf ke liye aana haraam he, aur ese Kapde me unki Namaz bhi nahi hoti,
★ Tawaaf me Aurto'n ko chahiye k Mardo'n ke hujoom me na ghuse aur Hajre Aswad ka Bosa lene ki bhi koshish na kare, varna gunahgar hogi,
⇨ Aurat ko chahiye k Hajj ke dauran bhi Namaz apne ghar ( Yani Riha'ish me ) me padhe, Ghar ( Riha'ish )me Namaz padhne se usko poora sawab milega, unka Ghar per Namaz padhna Haram Sharif me Namaz padhne se afzal he, aur Tawaaf ke liye Raat ko jaye us waqt hujoom kam hota he,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/70
Next -19 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 19 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 19 - Shadi aur Doosre Program Ke Moqe per Parde se Gaflat,
★ Aksar khwateen Jo Parda karti he'n, Jabki Shadi vagera ke moqe per Parda nahi karti,
⇨ Halanki unka saamna Mardo'n se bhi hota he,
★ Agar Mardo'n se saamna na bhi ho to Movi aur Tasaveer ( pics ) ye kasar poori kar dete he'n k Ba-Parda Khwateen ko Mard hazraat bhi dekh lete he'n,
⇨ Kya ye Parda munasib he? Esi Aurte'n Pardadaar nahi balki Parda Dar he'n,
★ Shadi ya doosre ese Taqareeb ( Programs ) me bhi Parda rehna chahiye,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/76
Next -20, in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 20 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 20 - Aurat ka Mardo'n ko Khitaab karna,
★ Na- mahramo ke saamne Be-Parda Taqreer karna jaa'iz nahi haraam he,
⇨ Aur Ba-waqte zarurat Parde ke saath guftgu jaa'iz he magar Lab o lahza me sakhti ho,
★ Aajkal Jo Jalso me Khwateen Hazraat ka mushtarka Khitaab ( Taqreer ) hota he ye Jahiliyat e Jadeed ki Bid'at he,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/81
Next -21 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 21 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 21 - Aurto'n ka Screen Per aana, Khelo me Hissa Lena,
★ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k ,
" Allah ki laanat un Mardo'n per Jo Aurto'n ki mushabhat akhtyar karte he'n aur Allah ki laanat un Aurto'n per Jo Mardo'n ki mushabhat akhtyar karti he'n, "
★ Jo Aurte'n Khuda aur Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke ahkaam ko todkar Screen ( TV, Movi vagera ) per apni numa'ish karti he'n, Unhe khuda aur Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki Khushnudi kese haasil ho sakti he,
★ Islam fahashi ko bardaast nahi karta, Aurto'n ka Mardo'n ke Shana ba Shana chalte hue Khel ke maidan me Jana, Ye magribi tahzeeb he, Jisne Mardo Zan ka imtiyaaz mita daala,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/94
Next -22 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 22 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 22- Khulasa -1
★ Aurat ko chehre ka parda laazim he kyuki gandi aur bimar nazre isi per padti hai,
★ Chehra, haath, payr aurat ka satar he yani namaz me in aaza ka chhipana zaroori nahi lekin gandi nazro se aaza ka hattalvasa chhipana zaroori he,
★ Aurat ka sarapa satar he, pas jab wo nikalti he to shaytan uski taak jhaak karta he,
★ Shar'an chehre ka parda laazim he, khususan is zamane me jab dil aur nazar do no napaak ho to napaak nazro se chehre ki aabru ko bachana laazim he,
★ Aurat ki sharm haya ka takaza to yahi he k wo kisi waqt bhi khule sar na rahe, lekin baap, bhai, beta, bhatija vagera jitne mehram hai unke saamne sar, gardan, baaju aur ghutne se niche ka hissa kholna shar'an jaa'iz he,
★ koi mehram esa behaya ho k usko izzat aur namoos ki parvah na ho, wo na-mehram ke hukm me he aur usse parda karna laazmi he,
★ Esa MakAan jaha aurat ke liye na-mehramo se chardiwari ka parda mumkin na ho waha ye kare k poora badan dhakkar aur chehre par ghunghat karke sharm hayaa ke saath na-mehramo ke samne jaye,
Aapke Masail aur unka Hal, Jild -8,
Next -23 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 23 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 23- Khulasa -2
★ Jin mahramo se parda nahi unse bila- takalluf guftgu karne ki ijazat he lekin hansi mazaak karne ki apne mahram ke saath bhi ijazat nahi,
★ Aurat ka bager zaroorat bazaar me Jana jaa'iz nahi aur mardo ke samne chehra kholne ki bhi ijazat nahi, agar bazaar jane ki zaroorat ho to ghar se nikalne ke baad ghar aane tak parde ki pabandi laazim he, jisme chehra dhakna bhi laazim he,
★ Ajnabi na- mahramo se chardiwari ka parda he, na- mahram agar rishtedar ho aur Aurat saamne Jane per majboor ho to chadar ka parda laazim he,
⇨ Chachazaad, khalazaad, Fufizaad, Mamuzaad bhai, Behnoi ya Dever isi hukm me dakhil hai,
★ Mard ki Raane aur ghutne Satar me shumaar he'n inko aam jagah per kholna jaa'iz nahi,
⇨ Aajkal mard bhi esa libaas pehan kar ghoomte firte hai, k unki Raane aur ghutne saaf nazar aate hai, ye na-jaa'iz aur gunaah he,
★ Surah An-Noor me mardo ko bhi nazar nichi rakhne ka hukm diya gaya he,
★ Jis ladki se rishta hona ho use ek nazar dekhna jaa'iz he,
★ Mard ka nange sar firna insani murawwat aur sharafat ke khilaf he aur Aurat ke liye gunahe kabira he,
Aapke Masayal or unka Hal,,,,
JILD 8,
Next -24 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 24 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 24- Khulasa -3
★ Ajnabi na-mahram se haath milana na-jaa'izz he,
★ T V ke Deeni Programs me Aurto'n ka gair mahram ke saath saamne bethna islam me to na-jaa'iz he, lekin shayad T V walo ka islaam kuchh mukhtalif ho? ?
⇨ Jaa'iz kaam ke liye na-jaa'iz cheez ka istemal kisi bhi Soorat me jaa'iz nahi,, isliye T V ka istemal Deeni Programs ke liye na-jaa'iz he,
★ Nabalig ladki ko parda karwana Maa Baap ki zimmedari he,
★ Aurat ki awaaz bhi shar'an Satar he, gair mardo ko uska sunna aur sunana jaa'iz nahi, khususan jabki mojibe fitna ho,
⇨ Aurto'n ka Jalso me vaaz nasihat karna, Naate kalam pesh karna,.is hukm me dakhil he, muntzim, sunne wale, sunane wale sabhi gunahgar he, aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki naraazgi or bad- dua ke mustahik he,
⇨( Jadeed waqt me Aurto'n ka mobile par mardo'n se baat karna bhi fitna he,)
★ Asal to yahi he k Aurat bazaar na jaye lekin zaroorat ke waqt parde ki pabandi ke saath kharid farokht kar sakti he, magar na- mahramo ke saath awaaz me lachak paida na ho, sakhti ho,
Aapke Masayal or unka Hal,,,,
JILD 8,
Next -25 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 25 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 25- Khulasa -4
★ Aurat ke sar ka ek baal bhi satar he aur na-mahramo ke samne satar kholna shar'an haraam ar tab'an begerati he,
★ Allah ta'ala ne Mard aur Aurat ka daayra alag alag banaya he, Aurto'n ke kaam ka maidan uska ghar he aur Mard ka maidane amal ghar se bahar he, Jo kaam mard kar sakta he aurat nahi kar sakti aur Jo Aurat kar sakti he mard nahi kar sakta, do no ko apne apne daayre me rehkar kaam karne ka hukm he,
★ Jo log Mard ka bojh Aurat ke zaief kandho per daalte hai wo mard Aurat per zulm karte hai,
Aapke Masa'il aur unka Hal,,,,
JILD 8,
Next -26 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 26 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 26- Khulasa -5
★ Shohar ya Sasural walo ke majboor karne per Dever or Behnoiyo se parda na karna??
⇨ Jaha esa mahol ho ye koshish kare k chehra, do no kalaiya aur do no payr ke alawa poora badan dhaka rahe aur zaroorat ki baat karne ki ijazat he,, lekin apne liye astagfar aur Allah se dua bhi kare,
★ islam me moonh bole bhai, beta banane ki koi haisiyat nahi, Qurane majeed me iski saaf muma'anat aayi he, isliye moonh bole bhai, bete, baap ka hukm bhi shar'an ajnabi ka he aur usse parda laazim he,
★ Esa ghar jaha koi shakhs bachpan guzare lekin Jawan hone per na-mahram se parda laazim he chahe ghar ke ek ek fard se achchhi tarah wakif ho,
★ Mangni ke baad bhi mangetar se parda laazim he, kyuki mangni nikah ka vaada he nikah nahi aur jab tak nikah nahi ho jata do no ek doosre ke liye ajnabi hai aur parda zaroori he,
★ Burka ya chadar me Aankho ka khula rakhna jaa'iz he,
Aapke Masa'I aur unka Hal,,,,
JILD 8,
Next -27 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 27 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 27- Khulasa -6
★ " Dever Maut he " hadees ka matlab???
⇨ is hadees ka matlab saaf he k dever se maut ki tarah darna aur bachna chahiye, usse betakallufi ki baat na ki jaye, Tanhai me uske paas na betha jaye vagerah,
★ Shohar ke kehne par parda chhor dena??
⇨ Parda sharai hukm he, shohar ke kehne par na chehra kholna jaa'iz he aur na parda ka chhorna hi jaa'iz he, Shohar agar majboor kare to usse talaaq le li jaye taki wo esi bivi la sake Jo har ek ko nazara husn ki dawat de sake!
⇨ Aur khud parda chhor kar shohar par ilzaam rakhna galat he, lekin unke gunah me shohar bhi barabar ke shareek he, kyuki wo bepardgi ko bardast karte hai,
★ Sharai parde se inkaAr karne wale ladke se shadi na kare, Parda khuda ta'aala ka hukm he is me kisi doosre ki itaa'at jaa'iz nahi,
★ Agar koi aurat parde per amaada na ho to use pyar mohabbat se samjhaya jaye, agar na mane to alhedgi akhtyar kar li jaye,
★ Damaad se parda nahi hota lekin agar do no jawan ho to parda laazim he,
★ Ladkiyo ka Gair mehram mardo se be parda padhna jaa'iz nahi, Parde ke saath jaa'iz he,
★ Ghar me nojawan mulazim ( servant) ho to usse parda karna zaroori he,
★ Aurat ka be pardgi wali jagah ( jaha gair mehram mardo se be pardgi ka andeaha ho) Jana jaa'iz nahi,
Aapke Masa'il aur unka Hal,,,,
JILD 8,
Next -28 in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ PARDE KE AHKAAM ✦
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART - 28 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 28- Khulasa -7
★ Ghar me parde ka ahatmam hona chahiye, Darwaze khidkiyo se agar gair nazro ke guzarne ka ahatmal ho to un par parde lagana chahiye,
★ Jawan Mard ahr Aurat ka ek bistar per letna???
⇨ Hadees Sharif me farmaya gaya he k " Jab bachche 10 saal ke ho jaye to unke bistar alag kardo"
® Mishkaat, 85,
★ Aurto ka Medical sikhna, Kanoon padhna jaa'iz he basharte k Shara'i parada mehfooz rahe varna bepardgi haraam he,
★ Doodh Shareek bhai apne haqeeki bhai ki tarah mahram he, usse parda nahi, albatta agar wo badnazar ho to fitne se bachne ke liye usse bhi parda laazim he,
Aapke Masa'il Aur unka Hal,,,,
JILD 8,
➖ Alhamdulillah mukammal hue ➖
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sharm v Hayaa Aurat ki Zeenat he aur Parda uski izzat, Asmat Ka Nigahbaan He,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ------------
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
No comments:
Post a Comment