Shadi Ya Barbadi
Allah Paak Ne Quran-E-Kareem Mein Irshad Farmaya Hai:-
Jo Log Musalmano Mein Be-Hayai Failana Chahte Hain Unke Liye Duniya Wa Aakhirat Mein Dardnak Azab Hai…
(Surah Noor)
Irshad-E-Nabavi Hai:-
Gane Bajane Ka Kaam Karne Wale Aur Apne Gharo Mein Gane Bajane Ka Ahtemam Karne Wale Dono Per Lanat Hai.
(Baihaqi)
Irshad-e-Nabavi Hai:-
Sharab Noshi Aur Gane Bajane Ki Wajah Se Is Ummat Ke Kuch Logo Ko Qurbe Qayamat (Qayamat ke Qareeb) Mein Bandar Aur Khinzeer Ki Shakal Mein Badal Diya Jayega.
(Ibn Hibban)
Irshad-e-Nabavi Hai:-
Gane Sunne Walon Ke Kaano Mein Qayamat Ke Din Pighla Hua Seesa Dala Jayega.
Irshad-e-Nabavi Hai:-
Gana Sunna Gunah Hai Aur Gana Sunne Ke Liye Baithna Na-Farmani Hai Aur Isse Lutf Lena Kufriya Kaam Hai.
Mohtaram Hazraat Is Qadar Waeede Sunne Ke Baad Bhi Agar Hamara Dil Gunaho Ke Chhodne Per Aamada Na Ho To Is Se Badhkar Hamare Liye Aur Kya Bad Qismati Hogi, Aur Hamari Barbadi Ke Liye Kya Ye Sab Kaafi Nahi Hai?
Dosto, Nikah Nabi E Kareem S.A.W. Ki Sunnat Bhi Hai Aur Badi Ibadat Bhi Hai, Afsos Itni Badi Ibadat Aur Us Ki Is Qadar Tauheen?
Main Aapse Ek Sawal Karna Chahta Hoon Jab Aap Haj Ya Umrah Karne Ke Liye Jate Ho, Kabhi Kisi Dhol Wale Se Dhol Bajwaya? Jab Aap Quran Shareef Padhte Ho, Kisi Baja Bajwane Wale Se Baja Bajwaya? Jab Aap Namaz Padhne Ke Liye Jate Ho, Kabhi Aatish Bazi Ki?
Jab Juma Ki Namaz Padhne Ke Liye Jate Ho Sharab Peekar Jate Ho? Kabhi Aapne Aisa Nahi Kiya!
Nikah Jo Bahut Badi Ibadat Hai Us Ki Is Qadar Tauheen Kyun?
Ibadat Ke Sath Itna Bada Khilwad Mazaq Aur Tauheen Astaghfirullah, Nauzubillah Hairat Hai.
Ye Ibadat, Sehra, Aatishbazi, Dhol, DJ, Naach-Gana Aur Sharab Ke Sath. Goya Sunnat Ke Sath Gandagi Ko Milane Ki Koshish, Agar Koi Shakhs Koi Dusra Gunah Kare To Shayad Itna Bada Gunah Na Ho Jitna Bada Gunah Sunnat Ka Naam lekar Sunnat ki Dawat De kar Sunnat Ka Mazaq Udana Hai Zara Sochiye…!!!
Pyare Nabi Ki Sunnat, Aur Sehre Ke Sath?
Pyare Nabi Ki Sunnat, Aur Aatishbazi (Fireworks) ke Sath?
Pyare Nabi Ki Sunnat, Aur Dhol Ke Sath?
Pyare Nabi Ki Sunnat, Aur D.J. ke Sath?
Pyare Nabi ki Sunnat, Aur Naach Gaane Ke Sath?
Pyare Nabi Ki Sunnat, Aur Sharab Ke Sath?
Musalmano! Aaj Ham Ehad Karein. Ki Nabi Kareen Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Sunnat Ki Tauheen Na Khud Karenge Aur Na Doosro Ko Karne Denge Aur Na Aisi Majliso Mein Shareeq Honge (Jaha Sunnat Ki Tauheen Ho Aur Mazaq Udaya Jaye) Allah Rabbul Aalameen Ham Sabko Amal Ki Taufeeq Ata Farmaye…
AAMEEN…
Bhalai Ka Hukm Karna Aur Burai Se Rokna Hamari Zimmedari Hai…
Aaiye Is Zimmedari Ko Nibhaye…
Is Paigham Ko Khoob Phailaye, Aur Shadiyo Mein Ho Rahi Nabi ki Sunnato Ki Tauheen Ko Khatam Karein…
Wassalam…
No comments:
Post a Comment