Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Saturday, September 12, 2015

MUSALMANO KI PASTI KA RAAZ KUFFAR KI NAQQALI HAI

Musalmano ki Pasti ka Raaz Kuffar ki Naqqali hai

Musalmano Ki Pasti:
Pichle Kuch Ashron Se Musalman Ghulami Ki Zindagi Guzar Rahe Hain,
Na In Ka Apna Taleemi Nizam Hai,
Na Zaraa’e Ablaagh Hain,
Na Sochne Ki Salahiyat Baaqi Hai Aur To Aur Ab In Ki Soch O Fikr Bhi Apni Nahi Rahi,
Tehzeeb Bhi Apni Nahi Rahi,
Ma’aashirat Bhi Apni Nahi Rahi,
Khushiyan Bhi In Ki Apni Nahi Rahiin, Tehwar Bhi In Ke Apne Nahi Rahe.

Ghairon Ne Aaj Musalmano Ke Gird Is Tarah Jaal Bichaya Hai Keh Musalman Batadreej In Saari Daulaton Se Mehroom Hota Chala Jaraha Hai.
Aaj Musalmano Me Jo Ghair Islami Rusoomaat Phail Rahi Hain In Ki Sab Se Badi Wajeh Maghrib Ki Zehni Ghulami Hai Jo Musalmano Ke Dil O Dimagh Par Musallat Hai. Maghloob Qaum Ke Log Chaunkeh Ghaalib Qaum Se Zehni Taur Par Mar’oob Ho Jate Hain Aur Us Par Rashk Bhi Karte Hain Is Liye Inhe Apne Aaqaaon Ki Naqal Karne Me Zehni Taskeen Milti Hai Kyun Keh Inhe Apne Aaqaaon Me Quwwat Aur Iqtedar Nazar Aaraha Hota Hai. Ab To Ghairon Ki Naqqali Aur Unki Rusoomaat Ikhtyar Karne Ka Amal Is Qadar Badh Chukka Hai Keh Is Baat Ka Khuaf Paida Hogaya Hai Keh Musalman Kahin Islaam Ke Daayere Se Kufr Ke Daayere Me Na Chala Jaye, Is Liye Keh Rasool E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya

             قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَنْ تَشَبَّهَ بِقَوْمٍ فَهُوَ مِنْهُمْ»

       رَوَاهُ أَحْمد وَأَبُو دَاوُد

(Mishkaatul Masabeeh Kitabul Libas, Safha 375)

“Jo Kisi Qaum Ki Mushabahat Ikhtyar Karega Wo Usi Me Se Shumar(Count) Kiya Jayega.”

Kuffar Ki Naqqali:
Jo Kisi Qaum Ki Mushabahat Ikhtyar Karta Hai Wo Unhi Me Se Hota Hai. Agar Kisi Shakhs Ne Kaafiron Ki Tehzeeb Ikhtyar Karna Shuroo Ki To Unhi Me Se Shumaar Kiya Jayega. Kaafiron Ki Khushiyaan Manana Shuroo Ki To Aakhirat Me Unhi Ke Sath Uthaya  Jayega.  Agar Unke Tehwar Musalman Ne Manana Shuroo Kar Diye  To Samajh Lijye Keh Goya Islam Us Se Khatam Hone Wala Hai Aur Ummat E Muslimah Se Us Ka Talluq Kamzor Hai Aur Tootne Ke Qareeb Hai.

Allah Paak Ka Irshad Hai:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَتَّخِذُوا الْيَهُودَ وَالنَّصَارَى أَوْلِيَاءَ بَعْضُهُمْ أَوْلِيَاءُ بَعْضٍ وَمَنْ يَتَوَلَّهُمْ مِنْكُمْ فَإِنَّهُ مِنْهُمْ إِنَّ اللَّهَ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الظَّالِمِينَ

(Al Maaidah:51)

Tarjumah:
“Aye Iman Walo ! Yahood O Nasara Ko Apna Dost Mat Banaao , Wo Aapas Me Ek Doosre Ke Dost Hain. Aur Jo Koi Tum Me Se Un Se Dosti Karega To Wo Unhi Me Se Hoga.”

Aye Iman Walo! Yahood O Nasara Se Dastiyaan Mat Lagao. Agar Lago Ge To Tum Unhi Me Se Hoge, Is Liye Ke Baap Ka Dushman Bête Ka Bhi Dushman Huwa Karta Hai. Maa Ka Dushman Halali Beti Ka Bhi Dushman Huwa Karta Hai, Haan Agar Aulaad Be Ghairat Ho To Phir Baap Ke Dushman Ke Sath Dushmani Nahi Karegi Balkeh Us Se Bhi Dostiyaan Lagayegi.

Arey Hamare Hazaaron Baap, Hazaaron Maayen Allah Ki Azmat Par Qurban , Isliye Mere Azeezo! Islam Ke Ghairat Mand Beton Ki Ghairat Ka Taqaza Ye Hai Ke Allah Ke Dushman Ko Apna Dushman Samjha Jaye.

Allah Ke Dushmano Se Dosti Na Karo:

Allah Paak Quran Me Fermata Hai:

  يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَتَّخِذُوا عَدُوِّي وَعَدُوَّكُمْ أَوْلِيَاءَ الخ….

(Al Mumtahinah:1)

Tarjuma:
“Aye Imaan Walo! Mere Aur Apne Dushmano Ko Dost Mat Banaao.”

Ye Quran Ke Alfaaz Hain. Allah Ka Hokum Hai Magar Is Ki Taraf Tawajjoh Nahi Hai. Tawajjoh Hai To Ghairon Ke Khoobsoorat Alfaz Ki Taraf Jin Ke Mainey Kuch Aur Mafhoom Kuch Hota Hai. Chaunke Zindagi Ghulami Wali Hai, Is Liye Un Ki Taraf Tawajjoh Hai. Ghairon Ne Achi Istelahaat Ko Apne Mainey O Mafhoom Ke Mutabiq Dhaal Kar Un Ke Zehnon Me Daal Diya Hai Aur Ye Is Mainey Ke Mutabiq Inhen Istemal Karte Aur Un Par Chalte Hain.

Intehaa Pasandi Ek Khoobsoorat Lafz Hai Lekin Ahl E Maghrib Ne Isey Ghalat Mafhoom O Mainey Ke Aetebar Se Dunya Me Mashhoor Kar Diya Hai Aur Usi Mainey Me Dunya Wale Bashmool Musalman Use Istemal Kar Rahe Hain. Intehaa Pasandi Ka Matlab Kya Hai? Inteha Pasandi Ka Matlab Yeh Hai Keh Deen Par Ghairat Ke Sath Chalna Magar Ahle Maghrib Ne Use Adm Bardasht Aur Tang Nazri Ke Mutaradif Ke Taur Par Istemal Kiya Hai.

Mere Bhaiyo! Yeh Baat Intehaai Wazeh Aur Usooli Hai Keh Jahan Tak Aqaaid Ka Talluq Hai Un Me Kisi Qaum Ki Narmi Bardasht Nahi, Is Baate Me Quran E Kareem Ki Taleem Yeh Hai Keh Deen Me Poore ke Poore Daakhil Hojao.

                 يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا ادْخُلُوا فِي السِّلْمِ كَافَّةً

(Surah Baqarah :208)

“Aye Imaan Walo! Tum Sab Islam Me Daakhil Hojao Poore Ke Poore.”

Is Ka Wazeh Aur Aasan Tareen Matlab Yahi Hai Keh Aisa Bilkul Mumkin Nahi Keh Aap Musalman Bhi Hon Aur Islami Aqaaid Ka Mazaaq Bhi Udate Hain….! Ap Yun To Musalman Hon Magar Aap Ka Halqa E Ahbaab Hinduon, Yahoodiyon, Eisaiyon Aur Ghair Muslimo Par Mushtamil Ho! Islam Ghair Muslimo Se Len Den Aur Samaji Talluqaat Se Mana Nahi Karta Lekin Dosti Se Wazeh Taur Par Manaa Karta Hai. Allah Ta’ala Ka Irshad Hai:

“Aye Imaan Walo! Yahood O Nasara Ko Apna Dost Mat Banao, Who Aapas Me Ek Doosre Ke Dost Hain, Aur Tum Me Se Jo Koi Un Se Dosti Kare To Wo Un Me Se Hi Hai Beshak Allah Ta’ala Zaalim Logon Ko Hidayat Nahi Deta”

No comments:

Post a Comment