✿✿✿✿
★
┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
GULDASTA-E-MAGFIRAT
❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
⚄ AMAAL - E - JUMA ⚄
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Juma Ke Din khoob Dhyan se Khutba. Suniye, 10 Din ke. Gunaah Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jo sakhsh achchhi tarah Vazu karta he fir Juma ki namaz ke liye aata he,
khoob dhyan se khutba sunta he. aur khutbe ke dauran Khamosh rehta he,
To is Juma se guzishta Juma tak aur mazeed 3 din ke gunaah maaf kar diye jate hai'n,
Aur jis shakhs ne kankriyo ko haath lagaya yani daurane khutba unse khelta raha ( ya chatai, kapda vagera se khelta raha ) to usne fizool kaam kiya,
Muslim, 1/ 283
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Juma ke Din Fajar ki Namaz se Pehle ye Dua Padhiye, Saare Gunaah Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs juma ke din Fajar ki namaz se pehle 3 martaba
Astagfirullahallazi laa ilaaha illa huval hayyul qayyoom wa atubu ilayhi
padhe to Allah ta’aala uske Gunaaho ki magfirat farma denge chahe uske Gunaah samundar ke jhaag ke barabar ho’n,”
Ravaah ibnul Sunni kazafi amal al Yaum, 83
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Jume. Ke. Din Fajar. Ki. Namaz. Ba 'jama'at. Padhiye. Gunaah Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat Abu Ubeda Raziyallahu Anhu. se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Juma ke din Fajar ki namaz ba-Jama'at padhne se koi namaz afzal nahi. he,
Aur mera gumaan ye he k. Jo Aadmi Fajar ki namaz ba-Jama'at padhega uski zarur ba zarur magfirat kar di ja'egi,"
Kanzul Ummaal,, 7/369
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ JUMA ki Namaz se faarig hokar, '"Subhanallahil Azeemi wa bihamdihi, " 100 martaba Kaha karo, Aapke Ek Laakh. Aur Walden ke 24 Hazaar Gunaah Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis shakhs ne Juma ki namaz se faarig hokar
Subhanallahil azeemi va bihamdihi
100 martaba padha to Allah ta’aala uske ek lakh Gunaah maaf farma denge
aur uske walden ke 24 hazaar gunaah maaf farma denge,
Ravaah ibnul Sunni Fi Amal al Yaum, 164
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Juma ke Din Surah Kahaf Padhiye, Gunaah Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Jo shakhs Juma ke din Surah Kahaf ki Tilawat karega uske qadam se lekar Aasmaan ki bulandi tak noor ho ja’ega Jo Qayamat ke din Roshni dega,
aur guzishta Juma se is juma tak ke uske sab Gunaah maaf ho ja’enge,( sagira gunaah muraad he ) ”
Kanzul Ummaal, 1/576
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Jume ki Raat me Surah Yaseen padhiye, Gunaah Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne Shabe Juma me Surah Yaseen padhi uski magfirat kar di ja’egi,”
Targeeb, 1/514
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Jume ki Namaz ke baad Surah Fatiha, Surah. ikhlaas , Surah Mauzateen 7-7 Martaba Padhiye , Saare Gunaah Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs Juma ki namaz ke baad
Qul huvallahu Ahad,
Qul A’uzu birabbil Falaq,
Qul A’uzu birabbin Naas,
Saat saat martaba padhe to Allah Rabbul izzat Aa’inda juma tak burayi se panaah me rakhenge, ”
( Maasi ke irtkaab se badhkar Aadmi ke liye konsi burayi ho sakti he )
Ibne Sunni Fi Amalal Yaum val Laylah, 1/145
★ Aur Qaseeri ki rivayat me alfaaze hadees is tarah he’n –
” Jo shakhs Juma ke din imaam ke Salaam ferne ke baad usi haalat me Bethe hue
• Surah Fatiha,
• Qul huvallahu Ahad,
• Qul A’uzu birabbil Falaq,
• Qul A’uzu birabbin Naas,
Saat saat martbaba Padhe to uske angle pichhle gunaaho ki magfirat kar di ja’egi,
⇨ Aur jitne log Allah aur Qayamat ke din per imaan rakhte he’n unke adad ke ba-qadr usko ajr ataa kiya ja’ega,
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Jisne Juma Ke Din Apne Walden Ya unme SE kisi Kï Ziyaarat ki uske Gunaah Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs Juma ke din apne Walden ya unme se kisi ek ki qabr ki ziyarat kare to uski magfirat kar di ja’egi, aur usko farmabardar likha jaa’ega, ”
Kanzul Ummaal, 17/468
●═══════════════════════●
☞ Juma Kï Sunnate'n,
█ ℘αят - 06 █
❉ 1- Gusl karna ,
↳ ₢ Bukhari ,1/120
➧ 2 - Achche Aur Saaf Kapde Pehanna ,
↳ ₢ Abu Daowd ,1/154
❉ 3 - Masjid me Jaldi Jane Kï fikr karna ,
↳ ₢ Tirmizi, 1/112 Ibne maaja, 1/76
➧ 4 - Masjid Paidal Jana ,
↳ ₢ Ibne maaja, 1/56
❉ 5 - imaam ke qareeb bethne Kï koshish karna ,
↳ ₢ Ibne maaja ,76 Tirmizi ,1/111
➧ 6 - Agar Safe pur ho to logo Kï gardane faand kar Aage na badhna ,
↳ ₢ Abu Daowd ,1/159 Tirmizi ,1/111
❉ 7 - Koi fizool kaam na karna Yani maslan Apne kapdo se ya Baalo se lahu v lahab ( khel ) na karna ,
↳ ₢ Ibne maaja, 78
➧ 8 - Khutba ko gor se Sunna ,
↳ ₢ Tirmizi 1/ 114 ,Ibne maaja 78
❉ 9 - Juma ke Din Jo Surah Kahaf padhega uske liye Arsh ke niche se Asmaan ke barabar buland ek Noor zaahir hoga Jo Qayamat ke andhere me uske kaam aayega aur is Juma se Pehle Juma tak ke tamaam Gunaah ( Sagira ) uske maaf ho jayenge ,
↳ ₢ Bahishti Zever ,Ibne kaseer ,122 Targeeb v Tarheeb 1/353
➧ 10 - Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k Juma ke Din mujh per Kasrat se Darood bheja karo k Darood mere huzoor pesh kiya jata he ,
↳ ₢ Ibne maaja, 76
❉ 11 - Juma ke Din Baalo me Tel Lagana aur Khushbu ya itr ka istemal karna Masnoon he ,
↳ ₢ Bukhari ,1/121
❥═┄ ʀεғεʀεηcε
Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,31
▔▔▔▔▔▔▔
❖ KIYA JUMA MUBARAK KEHNA BID'AT HAI
•─━━━━━══════━━━━━─•
No comments:
Post a Comment