❀۞❀06-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 41
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Agar Ek waqt me Bahut se Janaze Jama ho jaye ??
↴↴↴↴↴↴
✿ Agar ek hi waqt me kai janaze Jama ho jaye to behtar ye he k har janaze ki Namaz alhida ( alag alag ) padhi jaye ,
⇛Aur agar sab janazo ki ek hi Namaz padhi jaye tab bhi jaa'iz he ,,aur us waqt chahiye k sab janazo ki saf qaayam kar di jaye ,jiski behtar soorat ye he k ek Janaze ke aage doosra Janaza rakh diya jaye ,k sab ke payr ek taraf ho aur sabke Sar ek taraf aur ye soorat isliye behtar he k isme sabka seena imaam ke muqabil ho jayega ,Jo Masnoon he ,
Bahishti Gohar,
✿ Agar Janaze mukhtalif asnaaf ( Qismo ) ke ho to is tarteeb se unki saf qaayam ki jaye k imaam ke qareeb Mardo ke janaze ,unke baad Ladko ke janaze aur unke baad Baaliga Aurto'n ke ,unke baad Baaliga ladkiyo ke ,
Bahishti Gohar,
Next -42 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 70
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀07-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 42
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Janaze Ki Namaz me masbooq aur Laahiq ke Ahkaam ,-1,
↴↴↴↴↴↴
✿ Agar koi shakhs Janaze ki Namaz me ese waqt pahuncha k kuchh takbeere uske aane se pehle ho chuki ho to Jis qadar Takbeere ho chuki ho unke aitbaar se Wo shakhs masbooq samjha jayega ,
⇛ Hashiya -- Kuunki pichhe maloom ho chuka he k Namaze Janaza me Takbeere Tehrima samet har Takbeer poori ek Raka'at ke hukm me he ,Pas jitni Takbeere faut ho gayi Goya k utni hi raka'ate faut ho gayi ( Shaami )
✿ Aur usko chahiye k foran aate hi aur Namazo ki tarah Takbeere Tehrima keh kar shareeq na ho jaye balki imaam ki agli Takbeer ka intezar kare ,Jab imaam Takbeer kahe to uske saath ye bhi Takbeer kahe aur ye Takbeer uske haq me Takbeer e Tehrima hogi ,
⇛ Fir Jab imaam Salam fer de to ye shakhs apni gayi hui Takbeero ko ada kare ,aur isme kuchh padhne ki zaroorat nahi ,
Bahishti Gohar,
⇛Hashiya -- Lekin agar Wo Shakhs imaam ki agli Takbeer ka intezar kiye bager foran aate hi '" Allahu Akbar " keh kar Namaz me shareeq ho gaya to fir bhi Namaz durust ho jayegi ,Albatta shareeq hote waqt Jo Takbeere usne kahi Wo un 4 Takbeero me Shumaar na hogi Jo Namaze Janaza me Farz he ,
lihaza jab imaam Salam fer de to us Shakhs per laazim he k Jo Takbeere uske Namaz me shamil hone se pehle ho chuki thi Wo padh kar fir salaam fere ,
Shaami ,
✿ Agar koi Shakhs Takbeere Tehrima yani pehli Takbeer ya kisi aur Takbeer ke waqt mojood na tha aur Namaz me shirkat ke liye tayyar tha magar susti ya kisi aur vajah se shareeq na hua ,( Yani usne Takbeere nahi kahi ) to usko imaam ki agli Takbeer ka intezar nahi karna chahiye balki foran Takbeer keh kar shareeq e Namaz ho Jana chahiye, aur us Takbeer ka lotana ( yani imaam ke Salam ke baad ) uske zimme na hoga ,
⇛Basharte k qabl iske k imaam agli Takbeer kahe ,ye us Takbeer ko Ada kar le, magar imaam ki maiyat na ho ,Haa'n is Takbeer se pehle Jo Takbeere faut ho chuki un Takbeero me ye Shakhs masbooq he ,Wo Takbeere ye imaam ke salaam ke baad ada kare ,
Shaami ,Bahishti Gohar,
✿ Janaze ki Namaz ka masbooq jab apni gayi hui Takbeero ko ada kare aur ye khof ho k agar Dua padhega to der hogi aur Janaza uske saamne se utha liya jayega to Dua na padhe ,
Bahishti Gohar, Shaami ,
✿ Janaze ki Namaz me agar koi Shakhs laahiq ho jaye to iska hukm wahi he Jo aur Namazo ke laahiq ka he ,
Bahishti Gohar,
Next -43 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 70
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀08-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 43
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Janaza Ki Namaz me Imaamat Ka Mustahiq ,
↴↴↴↴↴↴
✿ Janaze ki Namaz me imaamat ka istahqaaq sabse zyada Haakime Waqt ( Badshah ,Sarbarahe Mulk ) ko he ,chahe Taqwa me usse behtar log bhi waha mojood ho ,
⇛Agar Haakime Waqt waha mojood na ho to uska nayab yani Jo shakhs uski taraf se Haakime Shehar ho Wo Mustahiqe imaamat he ,chahe Taqwa me usse Afzal log waha mojood ho ,aur Wo bhi na ho to Qazi Shehar ,Wo bhi na ho to uska naayab ,in logo ke hote hue doosre ko imaam banana bila unki ijazat ke jaa'iz nahi ,unhi ka imaam banana waajib he ,
⇛Agar ye log waha mojood na ho to us Mohalle ka imaam Mustahiq he ,basharte k Mayyat ke qareebi ( Rishte ) me usse Afzal na ho ,varna Mayyat ke Wo qareebi ( Rishtedar ) Jinko haq e wilayat haasil. He imaamat ka Mustahiq he ya Wo Shakhs jisko Wo ijazat de ,
Agar bager ijazat wali e Mayyat ke kisi ese Shakhs ne Namaz padha di ho jisko imaamat ka istahqaaq nahi aur Wali us Namaz me shareeq na ho to Wali ko akhtyar he k us Mayyat per baad me Namaz padh le ,chahe Mayyat dafan ho chuki ho tab bhi uski Qabr per Namaz padh sakta he , Jab tak ki naash ke fat jaane ka khayal na ho ,
Bahishti Gohar,
✿ Haasil ye he k Ek Janaza ki Namaz kai martaba padhna Jaa'iz nahi, magar Wali e Mayyat ko , Jabki uski ijazat ke bager kisi gair Mustahiq ne Namaz padha di ho to Dobara padhna durust he ,
Bahishti Gohar,
Next -44 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 73
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀09-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 44
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Namaze Janaza Gaaibana ,
↴↴↴↴↴↴
✿ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Gaaibaana Namaze Janaza nahi padhte the ,lekin ye sahi he k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Shaahe Habsha Najashi ki Namaze Janaza gaaibaana padhi ,aur Hazrat Ma'aviya layshi Raziyallahu Anhu per bhi gaaibana Namaze Janaza padhi , lekin ho sakta he k ( Mayyat Huzoor Sallallahu Alaihivasallam per munkashif kar di gayi ho ya ) ye baat Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki khusoosiyat ho ,
Shaami,
✿ Gaaibana Namaze Janaza ko Imaam Abu Hanifa Reh .aur Imaam Maalik Reh . mutlaqan mana karte he'n ,aur Aaimma Hanfiya ka iske adme jawaaz per ittefaaq he ,
⇛Janaza ka saamne mojood hona Sahate Namaze Janaza ki Shart he ,
Shaami , Alhijr ,Bahishti Gohar, Madarij Al nabuwah,
Next -45 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 74
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀10-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 45
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Janaza me Kasrate Ta'adaad ki Barkat aur Ahmiyat ,
↴↴↴↴↴↴
✿ Hazrat Aayesha Siddiqa Raziyallahu Ta'ala Anha se Rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jis Mayyat per Musalmano ki ek badi Jama'at Namaz padhe Jinki Ta'adaad 100 tak pahunch jaye ,
Aur Wo Sab Allah ke Huzoor me us Mayyat ke liye Sifarish kare ( Yani Magfirat v Rehmat ki Dua kare ) to unki ye sifarish aur Dua zaroor hi qubool hogi ,"
Sahih Muslim, Ma'aful Hadees
✿ Hazrat Maalik bin Huberah Raziyallahu Anhu se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Aap Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad suna k ,
" Jis Musalman Bande ka inteqal ho aur Musalmano ki teen safe uski Namaze Janaza padhe ( aur uske liye Magfirat v Jannat ki Dua kare ) to zaroor hi Allah Ta'ala uske vaaste ( Magfirat aur Jannat ) waajib kar deta he ,"
⇛Maalik bin Huberah Raziyallahu Anhu ka ye dastoor tha k Jab Wo Namaze Janaza padhne walo ki Ta'adaad kam mehsoos karte to isi Hadees ki vajah se un logo ko Teen safo me taqseem kar dete the ,
Sunan Abi Dauwd ,Ma'arful Hadees
✿ Jab mayyat ki Namaz se faarig ho jaye to foran uske Dafan karne ke liye jaha Qabr khudi ho le Jana chahiye,
Bahishti Gohar
✿ Namaze Janaza ke baad Ahle Janaza ki ijazat ke bager Dafan se pehle wapas na hona chahiye aur Dafan ke baad Bager ijazat ke bhi wapas ho sakte he'n,
Aalamgiri, 1/ 165
Next -46 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 75
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀11-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 46
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Dafan Ka Bayan -- Qabr ki No'iyat _,1,
↴↴↴↴↴↴
✿ Mayyat ke Gusl ,Kafan aur Namaze Janaza ki tarah Dafan karna bhi Farze Kifaya he, agar kisi ne bhi ye Farz ada nahi kiya to sab gunahgar honge ,
Bahishti Gohar, Aalamgiri
✿ Qabr Kam se kam Mayyat ke nisf ( half ) qad ke barabar gehri khodi jaye ,aur poore qad ke barabar gehri ho to zyada behtar he ,Qad se zyada na hona chahiye, aur muwafiq iske qad ke lambi ho aur Chodaai nisf qad ke barabar ,,Bagli Qabr Banisbat sandooqi ( Shaq ) ke behtar he ,
⇛Haa'n agar Zameen bahut naram ho aur Bagli khodne se Qabr ke beth Jane ka andesha ho to fir Bagli qabr na khodi jaye ,
Shaami,
✿. Bagli Qabr,----
Yani Lahad ,iska Tareeqa ye he k Qabr khod kar uske andar se qibla ki jaanib ek gadha khoda jaye jisme Mayyat ko rakha ja sake , ye ek Chhoti si Kothri ki tarah hota he ,
Shaami,
✿ Sandooqi ( Shaq ) Qabr ,----
Iska Tareeqa ye he k taqriban ek Fit Qabr khod kar uske bicho beech ek Gadha Mayyat ke nisf qad ya poore qad ke barabar gehra khoda jaye ,Jiska Tol ( naap ) Mayyat ke qad ke barabar ho aur Chodaai zyada se zyada nisf qad ke barabar ho ,
Shaami,
✿ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Qabr Mubarak bhi Lahad yani Bagli banayi gayi thi ,baaz rivayaat se maloom hota he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke zamane me sandooqi Qabr bhi jisko Arbi me " Shaq " kehte he ,hasbe moqa banayi gayi he'n ,lekin Afzal Lahad yani Bagli Qabr hi ka Tareeqa he ,
Ma'arful Hadees ,
Next -47 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 76
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀12-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 47
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Dafan Ka Bayan - - Qabr Ki No'iyat - 2,
↴↴↴↴↴↴
✿ Ye bhi Jaa'iz he k Agar zameen Naram ya Sailab zada ho aur Bagli Qabr na khud sake to Mayyat ki kisi Sandooq ( Taboot ) me rakh kar Dafan kar de ,Sandooq chahe Lakdi ka ho ya patthar ya Lohe ka ,Behtar Ye he k Sandooq me mitti bichha di jaye ,
Shaami , Bahishti Gohar
✿ Bagli Qabar ko kachchi iente'n ( bricks) aur narkal vagera lagakar band kanna chahiye, Pukhta iente'n ya Lakdi ke Takhte laga kar band karna Makrooh he ,
⇛Albatta jaha Zameen Naram ya Sailabi hone ki vajah se Qabr ke beth Jane ka andesha ho to Pukhta iente'n ya Lakdi ke Takhte se band kiya ja sakta he ,aur esi soorat me Sandooq ( Taboot ) me rakhna bhi jaa'iz he, Albatta Sandooqi Qabr ( Shaq ) me Mayyat ke ouper Lakdi ke Takhte ya siment ke slipper lagana bila karahat durust he ,
Durre Mukhtar,
✿ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Qabr ko ouncha nahi banate aur use iente'n patthar vagera se Pukhta tameer na karte aur use Qalai aur sakht mitti se na leepte ,Qabr ke ouper koi imaarat aur Qubba na banate ,ye sab bid'at aur makrooh he ,
⇛ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Qabr e Anwar aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke dono Sahaba Raziyallahu Anhu ki Qabre bhi Zameen ke ( Taqriban ) barabar he'n ,Sangreze surkh un per chashpa he'n ,
Madarijun Nabuwah ,Safarul Sa'adat
Next -48 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 76
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀13-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 48
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Dafan ka Bayan -- Qabr ki No'iyat -3 ,,
↴↴↴↴↴↴
✿ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Qabr Sharif ki haiyat aur Shaql ount ke Kohaan ke mushabe he ,
Shaami ,Ba- Hawala Bukhari Sharif,
✿ Hazrat Saad bin Abi Waqqaas Raziyallahu Anhu ke Sahabzade Aamir Raziyallahu Anhu bayan karte he'n k mere Walid Sa'ad bin Abi Waqqaas Raziyallahu Anhu ne apne Marze Wafaat me Vasiyat Farmayi thi k ,
" Mere Vaaste Bagli Qabr banayi jaye aur usko band karne ke liye Kachchi iente'n khadi kar di jaye ,Jis tarah Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke liye kiya gaya tha ,"
Muslim Sharif ,Ma'arful Hadees ,
✿ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnate Taiyaba ye thi k Lahad ( Bagli Qabr) banwate ,aur Qabr gehri karwate aur Mayyat ke Sar aur Paanv ki Jagah ko Faraakh karwate ,( Yani Qabr ki lambaai Mayyat ke Qad se kuchh zyada rakhi jati thi ,taki Sar aur Paanv ki taraf Jagah kushada rahe ,)
Zawadul Ma'ad ,
✿ Qabr ke liye agar Aam musalmano ke Qabristaan me jagah na mile ya kisi khaas vajah se ijazat na ho to Qabr ke liye Zameen khareed li jaye ,uski qeemat bhi digar samaane Tajheez v Takfeen ki tarah Mayyat ke tarke me se ada ki jayegi ,
Mufeedul Variseen ,32
Next -49 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 77
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀14-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 49
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Qabr me Utaarna -1,
↴↴↴↴↴↴
☞ Na'ash ko ( Death boady ko ) ek Shehar se doosre Shehar le Jana ,,
✿ Na'ash ko ek Shehar se doosre Shehar me Dafan ke liye le Jana Khilafe Avla he ,jabki Wo doosra maqaam ek do meal se zyada na ho ,agar isse zyada musafat he to jaa'iz nahi ,
⇛Aur Dafan ke baad Na'ash khod kar le Jana to har haalat me na-jaa'iz he ,
Bahishti Gohar,
⇛ Qabr me Janaza Utaarna ,:-
✿ Janaze ko pehle Qibla ki simt Qabr Ke kinaare is tarah rakhe k Qibla Mayyat ke Daayi Janib ho ,fir utaarne wale Qibla rukh khade hokar Mayyat ko Ahatyaat se uthaakar Qabr me rakh de ,
Bahishti Gohar,
✿ Qabr me Rakhte waqt ,
" Bismillahi va billahi va Alaa millati Rasoolillahi ,,"
Kehna mustahab he,
Bahishti Gohar, Zaadul Ma'aad ,
✿ Qabr me utaarne walo ka Taaq ( 3,5,7 ) ya Jaft hona masnoon nahi ,Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko Aapki Qabre Muqaddas me 4 Aadmiyo'n ne utaara tha ,
Bahishti Gohar,
Next -50 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 79
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀15-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 50
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Qabr me Utaarna - 2,
↴↴↴↴↴↴
✿ Qabr me Mayyat ko utaarte Waqt ya Dafan ke baad Azaan kehna Bid'at he ,
Bahishti Gohar,
✿ Mayyat ko Qabr me rakh kar Daahine pehlu per usko Qibla rukh kar dena Masnoon he ,sirf Moonh Qibla ki taraf kar dena kaafi nahi balki poore Badan ko achchhi tarah karwat de dena chahiye,
Bahishti Gohar, islaahi inqlaab e Ummat ,
✿ Qabr me rakhne ke baad Kafan ki Wo girah Jo Kafan khul Jane ke khof ki vajah se di gayi thi ,khol di jaye ,
Bahishti Gohar
✿ Aurat ko Qabr me rakhte waqt Parda karke rakhna mustahab he ,aur agar Mayyat ke Badan ke zaahir ho Jane ka khof ho to fir Parda karna Waajib he ,
⇛ Mardo ke Dafan ke waqt Qabr per Parda karna na chahiye, haa'n agar uzr ho Maslan paani baras raha ho ya barf gir rahi ho ya dhoop ho to fir jaa'iz he,
Bahishti Gohar,
Next -51 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 79
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀16-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 51
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Qabr me Utaarna--3 ,
↴↴↴↴↴↴
✿ Jab Mayyat ko Qabr me rakh de to Qabr agar Bagli he to use kachchi iente'n aur narkal vagera se band kar de ,aur agar Qabr Sandooqi he to uske ouper lakdi ke Takhte ya Siment ki silate rakh kar band kar diya jaye ,
⇛Takhto vagera ke darmiyan Jo suraakh aur Jhiriya'n reh jaye unko Kachche dhelo ,pattharo ya Gaare se band kar de ,uske baad mitti daalna shuru kare ,
Bahishti Gohar, Shaami ,
✿ Mitti Daalte waqt Mustahab he k Sarhane ki taraf se ibtida ki jaye, aur Har Shakhs 3 martaba apne dono haatho me Mitti bhar kar Qabr me daal de,
⇛Aur pehli martaba daalte waqt kahe,
" Minha Khalaqnakum "
Aur Doosri Martaba kahe,
" Va Feeha nu'iedukum "
Aur Teesri martaba kahe,
" Va minha nukhrijukum Taaratan Ukhra ",
Bahishti Gohar,
✿ Jis qadar mitti us Qabr se nikli ho wo sab us per daal de, isse zyada mitti daalna makrooh he, jabki bahut zyada ho k Qabr ek Baalist se bahut zyada ounchi ho jaye, aur agar bahar ki mitti thodi si ho to makrooh nahi,
Bahishti Gohar,
✿ Qabr ka murabba ( Chokor ) banana makrooh he, mustahab ye he k uthi Hui misl kohaan e Satar ( Ount ke kohaan ) ke banayi jaye, iski bulandi ek Baalist ya isse kuchh zyada hona chahiye,
Bahisti Gohar,
✿ Mitti daal chukne ke baad Qabr per paani chhidak Dena mustahab he,
Bahishti Gohar,
Next -52 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 79
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀17-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 52
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Dafan ke Mutafarriq Masail ,-1 ,
↴↴↴↴↴↴
✿ Agar Mayyat ko Qabr me Qibla rukh karna yaad na rahe aur baad Dafan karne ke mitti daalne ke khayal aaye to fir Qibla rukh karne ke liye uski Qabr ko kholna jaa'iz nahi,
⇛Haa'n agar sirf Takhte rakhe gaye ho mitti na daali ho to Takhte hatakar usko Qibla rukh kar dena chahiye,
Bahishti Gohar,
✿ Agar koi Shakhs pani ke jahaaz ya kashti per mar jaye aur zamane waha se is qadar door ho k laash ke kharaab ho Jane ka khof ho to us waqt chahiye k Gusl aur Takfeen se faragat karke uske saath koi wazni cheez patthar ya Loha vagera baandh kar usko Dariya me daal de ,
⇛Aur agar kinaara door na ho aur waha zaldi utarne ki ummeed ho to us laash ko rakh chhore aur pahunch kar zameen me Dafan kar de ,
Bahishti Gohar, Aalamgiri,
Next -53 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 80
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀18-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 53
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Dafan ke Mutafarrik Masail -2 ,
↴↴↴↴↴↴
✿ Jab Qabr me mitti pad chuke to uske baad Mayyat ka Qabr se nikaalna Jaa'iz nahi,, Haa'n agar kisi Aadmi ki haqtalfi hoti ho to Albatta nikaalna jaa'iz he ,---Jese ----
⇛1' - Jis Zameen me usko Dafan kiya he Wo kisi doosre ki milk ho aur WO uske Dafan per raazi na ho ,
⇛2' - Kisi Shakhs ka maal Qabr me reh gaya ho ,
Bahishti Gohar,
✿ Agar koi Aurat mar jaye aur uske Pet me zinda bachcha ho to uska pet chaak karke Wo bachcha nikaal liya jaye ,
⇛isi tarah agar koi shakhs kisi ka maal nigal kar mar jaye aur maal wala maange to Wo maal uska pet chaak karke nikaal liya jaye ,lekin agar Mayyat maal chhor kar Mära he to uske tarke me se Wo maal ada kar diya jaye aur pet chaak na kiya jaye ,
Bahishti Gohar,
✿ Ek Qabr me ek se zyada laasho ko Dafan nahi karna chahiye Albatta shadeed zarurat ke waqt jaa'iz he ,
fir agar sab murde Mard ho to Jo un sab me Afzal ho usko aage ( Qibla ki taraf ) rakhe ,baqi sabko uske pichhe darja ba darja rakh de ,
⇛ Aur agar kuchh Mard ho aur Kuchh Aurten aur Kuchh Bachche to Mardo ko aage fir Bachcho ko fir Aurto'n ko rakh de ,aur har do Mayyat ke darmiyan mitti se kuchh Aad bana de ,
Bahishti Gohar, Aalamgiri,
Next -54 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 80
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀19-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 54
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Tadfeen Ke Baad ,
↴↴↴↴↴↴
✿ Mayyat ke Dafan se faarig hone ke baad Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Aur Aapke Sahaba Raziyallahu Anhu us Qabr ke paas khade hokar Mayyat ke liye munkar Nakeer ke Jawab me saabit Qadam rehne ki Dua khud bhi farmate aur doosro ko bhi talqeen farmate k Apne Bhai ke liye saabit Qadam rehne ki Dua karo ,
Zaadul Ma'aad,
✿ Dafan ke baad itni der theharna mustahab he jitni der me ek ount zibah karke uska Gosht taqseem ho sakta he ,
Aalamgiri, 1/166
⇛iska ye matlan nahi k ount Zibah kiya jaye aur Gosht taqseem kiya jaye ,balki sirf waqt ki miqdaar batana Maqsood he ,
✿ Dafan ke baad thodi der Qabr per theharna aur Mayyat ke liye Dua e Magfirat karna ya Quraan Sharif padh kar sawaab pahunchana mustahab he ,
Shaami ,Bahishti Gohar
✿ Dafan ke baad Qabr ke sarhane Surah Baqrah ki ibtidaayi Ayaat " Muflihoon " tak aur Paanv ki taraf Surah Baqrah ki Akhri Ayaat " Aanarrasoolu " se Khatm tak Surah padhna mustahab he ,
Bahyqi ,Shoabul imaan ,Ma'arful Hadees, 3/485
Next -55 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 81
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀20-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 55
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Qabr per Kutba Vagera Lagana ,imaarat banana ,Qabr per chalna firna aur Khilafe Sunnat kaam ,
↴↴↴↴↴↴
✿ Qabr per koi cheez ( Naam vagera) bator yaddasht likhna baaz ulma ke nazdeek jaa'iz nahi aur baaz ulma ne zarurat ho to iski ijazat di he ,
⇛Lekin Qabr per ya iske kutbe per Quran Sharif ki Aayat likhna ,ya Sher likhna ya Mubalga aamez tareef likhna makrooh he ,
Shaami,
✿ Qabr per koi imaarat misl gumbad ya Qubba banana bagarze zeenat haraam he ,aur mazbooti ki niyat se banana makrooh he ,
Bahishti Gohar,
✿ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnat ye bhi he k Qabro per chalne ,bethne aur Tek lagane se parhez kiya jaye ,
Zaadul Ma'aad
✿ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki sunnat nahi k Qabro ko ( bahut zyada ) ouncha kiya jaye ,na pakki iento se aur na pattharo se ,na kachhi iento se , aur na Qabro ko Pukhta karna sunnat me Dakhil he ,aur na un per Qubbe banana ,
Zaadul Ma'aad,
✿ Qabro per charaag jalana aur Qabro ko Sazda gaah bsnane se Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne mana farmaya he ,
Zaadul Ma'aad,
✿ Qabr beth jaye to dobara us per mitti daalna jaa'iz he ,
imdadul Fatawa ,525
Next -56 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 84
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀21-10-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 56
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Maut Per Sabr ka Ajro Sawab aur Mayyat ka Sog Manana ,
↴↴↴↴↴↴
✿ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ,
" Allah Ta'ala ka irshad he k Jab imaan wale Bande ( ya Bandi ) ke Kisi pyare ko uthaa lu'n ,fir Wo sawab ki ummeed me Sabr kare to mere paas uske liye Jannat ke Siva koi muawza nahi ,,"
Sahi Bukhari ,Ma'arful Hadees
✿ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,
" Kisi Momin ke liye halaal nahi k 3 ( Teen ) din se zyada kisi ka Sog manaye ,sivae Beva ke k ( Shohar ki maut per ) uske Sog ki muddat chaar ( 4 ) Mahine das ( 10 ) din he ,"
Tirmizi. Bukhari ,
⇛ Yaha Sog se matlab Zaibo Zeenat ka chhod dena he ,yani Beva ko apne Shohar ki Wafaat ke baad iddat me 4 mahine 10 din tak Zaibo Zeenat ko chhod dena To zaroori he ,iske alawa kisi Shakhs ko kisi moqe per 3 din se zyada sog manana Jaa'iz nahi,
✿ Sunnat ye he k Allah Ta'ala ke Faislo per raazi rahe ,Allah ki Hamdo Sana kare aur ( Jab bhi Gam aaye ) " inna lillahi va inna ilayhi Raajioun " padha kare ,
⇛Aur Musibat ke waqt kapde faadne walo ,Buland Awaaz se Noha v maatam karne walo aur Baal mundwane walo se bezaari ka izhaar kare ,
Zaadul Ma'aad,
Next -57 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 84
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀22-10-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 57
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Ta'aziyat karna aur Mayyat ke Ghar walo se Husne Sulook,
↴↴↴↴↴↴
✿ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Mayyat ke saath esa ahsaan aur maamla farmate the Jo uske liye Qabr aur Akhirat me faaayde mand ho aur uske ghar walo aur Rishtedaro ke saath bhi Husne Sulook farmate ,
⇛Mayyat ke liye Astagfaar farmate, aur Namaze Janaza ke baad Dafan tak Janaza ke saath jate ,aur Qabr ke sarhane khade hokar Aap Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba Kiraam Rizwanullahi Ajmaiyn uske liye Kalma imaan per saabit Qadam rehne ki Dua farmate ,fir uski Qabr ki ziyarat ke liye tashreef le jaya karte aur Sahibe Qabr ko Salam karte aur uske liye Dua farmaya karte the,
Madarij Annabuwah ,
✿ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k ," Jis shakhs ne kisi musibat zada ki Ta'aziyat ( Tasalli ) ki uske liye esa hi Ajro Sawab he jesa us musibat zada ke liye ,"
Jamia Tirmizi, ibne maaja ,Ma'arful Hadees
✿ Jis ghar me gami ho unke yaha teesre din tak ek baar Ta'aziyat ke liye Jana mustahab he ,Mayyat ke mutalliqeen ko taskeen v tasalli dena aur Sabr ke fazail aur uska Azeemushshan Ajro Sawab suna kar unko Sabr ki ragbat dilana aur Mayyat ke liye Dua e Magfirat karna Jaa'iz ( balki bada nek kaam he ) he ,isi ko Ta'aziyat kehte he ,
⇛Teen din ke baad Ta'aziyat karna Makrooh tanzihi he ,
⇛lekin agar Ta'aziyat karne wala Safar me ho ya Mayyat ke Azeezo Aqaarib ( jinke paas Ta'aziyat ke liye Jana chahiye Wo ) Safar me ho aur Teen din ke baad aaye to is soorat me Teen din ke baad bhi Ta'aziyat ko Jana makrooh he ,
Bahishti Gohar,
Next -58 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 85
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀23-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 58
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Ahle Mayyat ke liye Khana Bhejna Mustahab he ,
↴↴↴↴↴↴
✿ Hazrat Abdullah bin Ja'afar Raziyallahu Anhu ka bayan he k jab ( Unke Walide Majid ) Hazrat Ja'afar ( bin Abu Talib ) Raziyallahu Anhu ki Shahadat ki khabar Aayi to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k,
" Ja'afar ke ghar walo ke liye khana Taiyar kiya jaye ,woh is ittela ki vajah se ese haal me he'n k khana taiyar karne ki taraf tavajjoh na kar sakenge ,
Jamia Tirmizi, ibne maaja ,Ma'arful Hadees
✿ Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnate Taiyaba ye bhi thi k Mayyat ke ahle khana Ta'aziyat ke liye aane walo ko khana khilane ka ahatmam na kare'n ,balki Aap Sallallahu Alaihivasallam ne hukm farmaya k Doosre log ( Dost aur Azeez ) unke liye khana taiyar karke unhe bheje ,ye cheez Akhlaaqe Hasna ka ek namoona he aur Mayyat ke ghar walo ko subukdosh karne wala Amal he ,
Zaadul Ma'aad
✿ Ahle Mayyat ke padosiyo aur Door ke Rishtedaro ke liye mustahab he k wo ek din ka ek Raat ka khana taiyar karke Mayyat walo ke yaha bheje aur agar Wo GAM ki vajah se na khate ho to israar karke unhe khilaye ,
Durre Mukhtar v Shaami, 1/841
✿ Jo log Mayyat ki Tajheez v Takfeen aur Dafan ke kaamo me masroof ho unko bhi ye khana khilana Jaa'iz he ,
Madarij Annabuwah ,1/710
Next -59 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 87
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀24-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 59
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Ahle Mayyat ki Taraf se Dawat e Aam Bid'at he,
↴↴↴↴↴↴
✿ Aaj kal baaz na-waakif logo me Jo Rasm he k Ta'aziyat ke liye Aane walo ke waste Mayyat ke ghar wale khana pakwate he'n aur unki Dawat karte he'n,
⇛ Ye Sunnat ke Khilaf hone ki vajah se na-jaa'iz he aur Bid'at he ,
⇛Kyunki Dawat Khushi ke moqe per hoti he Gami per nahi ,
✿ Aane walo ko bhi chahiye k agar woh Ahle Mayyat ke waste khana nahi bhej sakte to kam se kam un per apna Bojh to na daale ,
Shaami, 1/841,842
Next -60 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 88
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀25-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 60
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Ziyarate QUboor -1,
↴↴↴↴↴↴
✿ Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Mene tumko Ziyarate Quboor se mana kiya tha ( ab ijazat deta hu k ) tum Qabro ki ziyarat kar liya karo ,kyuki ( iska faayda ye e k ) isse Duniya ki Be-ragbati aur Akhirat ki yaad aur Fikr paida hoti he ,
Sunan ibne maja ,Ma'arful Hadees
✿ Qabro ki Ziyarat karna yani unko Jaakar dekhna Mardo'n ke liye mustahab he ,Behtar ye he k har hafte me kam az kam ek baar Qabro ki Ziyarat ki jaye aur Zyada behtar ye he k Wo din Juma ka ho ,,
Bahishti Gohar,
✿ Buzurgo ki Qabro ki Ziyarat ke liye Safar Karna bhi Jaa'iz he basharte k Aqeeda aur Amal khilafe Shara'a na ho ,Jesa k Aaj kal Urso'n ( ke naam per ) me mufasid hote he'n ,,
Bahishti Gohar
➡ Kabhi kabhi Shabe Bara'at me bhi Qabristaan Jana aur Ahle quboor ke liye Dua e magfirat karna Sunnat se saabit he ,Jab Qabristaan me Dakhil ho to waha ke sab ahle quboor ki niyat karke unko ek baar Salaam karna chahiye,
Hadees Sharif me he k ," Jo Shakhs bhi apne kisi Jaanne wale( musalman) ki Qabr per guzarta aur usko Salam karta he ,Wo Mayyat usko pehchan leta he aur usko Salam ka jawab deta he ,( agarche us jawab ko Salam karne wala nahi sunta )
Bahishti Johar bahawala Kanzul Aamaal ,
Next -61 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 88
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀26-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 61
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Qabro ki Ziyarat-2,
↴↴↴↴↴↴
✿ Ahle Quboor ko Salam in alfaz me karna chahiye,
" Assalamu Alaykum Ya Ahlal Quboori , Yagfirullaahu Lana Va Lakum Antum Salafuna Va Nahnu Bil asari ,,""
⇛Tarjuma::---
" Salam ho Tum per Ey Qabr walo ! Allah Ta'ala hamari aur Tumhari magfirat farmaye ,Tum humse aage Jane wale ho aur Hum pichhe pichhe aa rahe he'n, "
✿ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Madina Tayyaba ki Chand Qabro se guzre to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unko inhi alfaaz me Salam farmaya tha ,
Jamia Tirmizi, Ma'arful Hadees
✿ Salam ke baad Qibla ki taraf pusht karke aur Mayyat ( Qabr ) ki taraf moonh karke Jitna ho sake Quran Sharif padh kar Mayyat ko sawab pahuncha de ,
⇛Maslan Surah Fatiha ,Surah Yaseen ,Surah Mulq ,Surah Alhakumuttakasur ,ya ,Surah Ikhlaas ( Qulhuvallah ) 11 martaba ya 7 martaba ya jitni asaani ho padh kar Dua kare k Ya Allah ! Iska sawab Sahibe Qabr ko pahuncha de ,
Mirqaat Sharah Mishkaat ,4/115 ,
✿ Mayyat ke liye Dua e magfirat bhi karni chahiye, Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Aadate Kareema ye thi k Aap Sallallahu Alaihivasallam Qabro ki Ziyarat isliye ( bhi ) farmate the k unke liye Dua e Magfirat farmaye'n ,"
Madarij Annabuwah ,
Next -62 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 88
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀27-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 62
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Aurto'n ka Qabristaan ( Ya Qabro'n per ) Jana ,
↴↴↴↴↴↴
✿ Aurto'n ka Qabristaan Jana baaz fuqha kiraam ke nazdeek bilkul na-jaa'iz he ,
⇛Lekin Fatwa is per he k Jawaan Aurat ko to Jana Jaa'iz hi nahi he aur Budhi ( old ) Aurat ko is shart ke saath Jaa'iz he k Parda ke saath jaye ,Ban sanwar kar ya Khushbu laga kar na jaye ,
Aur is baat ka yaqeen ho k Khilafe Shariyat koi Amal na karegi ,,
Maslan ---Rona Peetna ,Ahle quboor se haajate maangna ,aur doosri na-jaa'iz Baate aur Bid'ate Jo Qabro per ki jati he'n un sabse parhez kiya jaye ,
➡( Maslan - Tawaf karna ,Choomna ,Sajda karna ,Ruku ki haalat me khade hona ,Mannat ke liye Dhaga ya jhoola baandhna ,Mannat maanna ,ye tamaam umoor na-jaa'iz aur Haraam he'n )
✿ Ek Hadees Sharif me Qabristaan Jane Wali Aurto'n per ALLAAH ki laanat mazkoor he ,,Fuqha kiraam Reh, farmate he'n k Jo Aurte'n mazkoora baala sharto ki pabandi ke bager Qabristaan jati ho woh is laanat ki Jad me he'n ,
Shaami, 1/843 ,imdadul Fatawa 1/520 ,imdadul Ahkaam 1/720
Next -63 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 89
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀28-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 63
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Isaale Sawab Ka Masnoon Tareeqa,-1,,
↴↴↴↴↴↴
✿ iski ( isaale sawab ki ) Haqeeqat Shar'a me sirf itni he k kisi ne koi Nek kaam Kiya ,us per usko Jo kuchh sawab mila usne apni taraf se wo Sawab kisi doosre ko de diya ,( chahe Murda ho ya Zinda ) ,Wo is tarah k ,
" Ya Allah ! Mere is Amal ka sawab Jo Aapne mujhe ata farmaya he Wo fala ( us Shakhs ka naam ) Shakhs ko de dijiye, aur pahuncha dijiye ,
⇛Maslan-- Kisi ne khuda ki Raah me kuchh khana ya kuchh naqad Raqam ya Kapda vagera diya ,
ya Nifl Namaze padhi ,Nifl Roze rakhe ya Nifl Hajj ya Umrah kiya ya Kalaame Paak ki tilawat ki ,Tasbihaat ,Kalma Taiyaba Vagera padha ,
Ya muskil Khairaat Jaariya Maslan - Ta'ameer Masjid , Dini Madaris ya Dini Kitaabo ki isha'at fi sabilillah ki ,
⇛iske baad Allah Ta'ala se Dua ki k,
" Jo kuchh iska Sawab mujh mila he WO sawab fala Shakhs ( uska naam le ) ko pahuncha dijiye, "
Khwah is qism ka kaam Aaj kiya ho ya isse pehle Umar bhar me kabhi kiya tha ,Dono ka sawab pahunch jata he , bas is qadar Shara'a se saabit he ,
Shaami ,Bahishti Zever,
-- Baqi in sha Allah Agle part me ,,,
Next -64 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 90
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀29-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 64
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Isaale Sawab Ka Masnoon Tareeqa ,-2,
↴↴↴↴↴↴
☞ Pichhle Part se Aage ,,,,,,
✿ Isaale Sawab ke liye Shar'an koi khaas Waqt ya Din muqarrar he ,k iske alawa Isaale Sawab na ho sakta ho ,Na koi khaas Jagah muqarrar he ,na koi khaas ibaadat,
⇛Na ye zaroori he k Isaale Sawab ke liye Aadmi Jama ho'n ya khane ki koi cheez mithaai vagera saamne rakhi jaye ya us per Dam kiya jaye Ya kisi Aalime Deen ko ya Hafiz ,Qari ko bulaya jaye ,Na ye zaroori he k poora Quran Paak khatm kiya jaye ,
⇛Logo ne apni taraf se ye Rasme ijaad karke pabandiya bada li he ,Varna Shariyat ne Isaale Sawab ko itna asaan banaya he k Jo Shakhs jis waqt bhi chahe ,Jis Din bhi chahe koi si bhi Nafli ibaadat karke uska Sawab Mayyat ko pahuncha sakta he ,
✿ Agar kisi ibaadat ka Sawab ek se zyada Shakhso ko bakhsha ,Maslan ek Rupiya Sadqa kiya aur uska Sawab 10 murdo ko bakhsh diya ,to har Mayyat ko poore ek Rupiya ka Sawab milega ya ek hi Rupiya ka sawab Sab Murdo me thoda thoda taqseem hoga ???
⇛iski Quran v Sunnat me koi Sarahat nahi milti ,ahatmal dono he'n lekin Fuqha ki ek jama'at ne pehle ahatmal ko tarjeeh di he ( k Sabko barabar poora poora Sawab milega ), Aur Allah Ta'ala ki wusate Rehmat ke zyada laayaq bhi yahi he ,
Shaami , 1/ 845
Next -65 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 90
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀30-11-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 65
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Isaale Sawab ka Hadees se Saboot,
↴↴↴↴↴↴
✿ Kisi ki maut ke baad Rehmat ki Dua karna ,Namaze Janaza Adaa Karna ye Aamaale masnoona he'n ,inke saath doosra Tareeqa Mayyat ki nafa rasani ka ye he k Mayyat ki taraf se Sadqa kiya jaye ya Koi Amale khair karke uska Sawab Mayyat ko pahunchan diya jaye ,isi ko Isaale Sawab kaha jata he ,
✿ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Sa'ad bin Ubaadah Raziyallahu Anhu ki walida ka inteqal ese waqt hua k khud Sa'ad mojood nahi the, ( Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath ek gazwah me tashreef le gaye the, jab wapas aaye ) to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me aakar arj kiya ,:-
" Ya Rasulullah ! Meri adme mojoodgi me meri Waalda ka inteqal ho gaya ,agar me unki taraf se Sadqa karu to kya Wo unke liye faayda mand hoga ,?( Aur unko isaka sawab pahunchega ? )
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
Haa'n ! Pahunchega ,
Unhone arj kiya ,:-
To me Aapko gawaah banata hu k apna baag mene apni waalda ( ke sawab ) ke liye Sadqa kar diya ,
Sahih Bukhari ,Ma'arful Hadees,
Next- 66 ,soon in sha Allah
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 91
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀01-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 66
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ istqaate Hamal ke Masail-1,
↴↴↴↴↴↴
☞ 1- Hamal me sirf Gosht ka Tukda gire ,
✿ Agar Hamal gir jaye aur uske haath paanv ,naak ,moonh vagera uzv kuchh na bane ho to usko Gusl na diya jaye ,na Kafan diya jaye ,na Namaze Janaza padhi jaye aur na baqaayda usko Dafan kiya jaye ,
⇛Balki kisi kapde me lapet kar wese hi gadha khod kar Zameen me daba diya Jaye ,aur uska naam bhi na Rakha Jaye ,
Shaami ,1/809
☞ 2- Hamal me kuchh A'aza ban gaye ho ,
✿ Agar Hamal gir jaye aur uske kuchh uzv ban gaye ho ,poore a'aza na bane ho to uska naam rakha jaye aur Gusl bhi diya jaye ,
⇛lekin baqaayda Kafan na diya jaye balki yuhi ek kapde me lapet diya jaye aur Namaze Janaza bhi na padhi jaye ,Bager Namaz padhe yuhi Dafan kar diya jaye ,
Shaami ,1/830 ,Bahishti Zever
☞ 3- Murda Bachcha Paida hone ka Hukm ,
✿ isqaate Hamal me ya mamool ke mutabiq wiladat me Mara hua Bachcha paida ho aur Paidaish ke waqt Zindgi ki koi Alamat usme mojood na ho ,chahe A'aza sab ban chuke ho to ESE Bachche ka wahi Hukm he Jo pichhle masle ( 2-Hamal me Kuchh A'aza ban gaye ho ) me bayan hua ,
⇛Yani k usko Gusl bhi diya jaye aur naam bhi rakha jaye ,lekin baqaayda Kafan na diya jaye aur na namaze janaza padhi jaye balki yuhi kisi ek Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye ,
Shaami, 1/830
Next -67 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 103
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀02-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 67
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ istqaate Hamal ke Masail-2 ,
↴↴↴↴↴↴
☞ 4 - Paidaish ke Shuru me Bachcha Zinda tha ,Fir Mar gaya ,
✿ Wiladat ke waqt Bachcha ka faqat sar nikla ,us waqt wo zinda tha ,fir mar gaya ,to uska hukm wahi he Jo Murda Bachcha paida hone ka pichhle hisse me bayan hua ,
⇛ k usko Gusl diya jaye ,naam rakha jaye ,lekin baqaayda Kafan na diya jaye ,balki kisi ek Kapde me lapet kar bager Namaze Janaza ke yuhi Dafan kar diya jaye ,
Shaami ,829-830,
☞ 5- Badan ka Aksar hissa nikalne tak Bachcha Zinda ho ,
✿ Wiladat ke waqt Badan ka Aksar hissa nikalne tak Bachcha Zinda tha ,uske baad mar gaya ,uska Hukm zinda Bachcha paida hone ki tarah he ,
⇛Baqaayda usko Gusl diya jaye ,Kafan diya jaye ,Behtar ye he k Ladka ho to Mard ki tarah, Ladki ho to Aurat ki tarah Kafan diya jaye ,Lekin ladke ko sirf ek aur ladki ko Sirf Do kapde dena durust he ,
⇛Aur uska naam bhi rakha jaye aur Janaze ki Namaz padh kar baqaayda Dafan kiya jaye ,
( Aksar hissa nikalne ka matlab ye he k Bachcha sar ki taraf se paida ho to Seene tak aur Agar ulta paida ho to Naaf tak Zinda nikalne se Aksar hissa nikalna samjha jaye )
Shaami ,
☞ 6- Murda Aurat ke Pet me Bachcha Zinda ho to Kya Hukm he ?
✿ Agar kisi Aurat ka Hamal ki haalat me inteqal ho jaye aur uske pet me Bachcha Zinda ho to Aurat ka Pet chaak karke Bachcha nikaal liya jaye ,
Durre Mukhtar, 1/840
⇛Fir agar ye Bachcha Zinda nikalne ke baad mar jaye to sab Bachcho ki tarah iska naam rakha jaye ,Gusl ,Kafan, Dafan ,Namaze Janaza baqaayda kiya jaye ,
⇛Aur agar Hamal me jaan hi na padhi ho ya Jaan padh gayi ho lekin bahar nikalne se pehle Wo bhi mar gaya to ab Aurat ka Pet chaak karke Bachcha na nikaala jaye ,lekin agar nikaal liya to uska wahi Hukm hoga Jo Murda Bachche ka he ,
Next -68 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 104
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀03-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 68
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mutafarrik Masail ,-1
↴↴↴↴↴↴
☞ 1- Jo Shakhs pani me Doob kar mar gaya ho ,
✿ Agar koi Shakhs pani me doob kar mar jaye to nikaalne ke baad usko Gusl dena Farz he ,Pani me doobna Gusl ke liye kaafi nahi ,
Kyuki Mayyat ko Gusl dena zindo per Farz he ,aur doobne me Zindo ka koi Gusl nahi hua ,
Albatta agar pani se nikaalte waqt Gusl ki niyat se Mayyat ko pani me harkat de di jaye to Gusl ada ho jayega ,
Al Bahar Ar-Ra'iq
⇛iske baad Mayyat ko baqaayda Kafan dekar Namaze Janaza padh kar Sunnat ke mutabiq Dafan kare ,lekin agar usko Baagiyo ,Dakuo ya Gair Muslim mulk ke kaafiro ne Dubo diya ho aur usme Shaheed ki Qisme Avval ki Wo sab sharte mojood ho to us per Shaheed ke Ahkaam Jari honge ,
☞ 2- Jo laash Fool gayi ho ,
✿ Kisi ki laash pani me doobne ya Tajheez v Takfeen me takheer ya kisi aur vajah se agar itni fool jaye k haath lagane ke bhi qaabil na rahe ,Yani Gusl ke liye haath lagane se fat Jane ka andesha ho to esi soorat me laash per sirf pani baha dena kaafi he ,
⇛ Kyuki Gusl me malna vagera zaroori nahi he ,aur fir baqaayda Kafnakar Namaze Janaza ke baad Dafan karna chahiye,
⇛Lekin agar Namaz se pehle laash fat jaye to Namaz padhe bager hi Dafan kar diya jaye ,
Aalamgiri, Bahar ,imdadul Ahkaam
☞ 3- Jis Laash me Badbu paida ho gayi ho ,
✿ Jis Laash me Badbu paida ho gayi ho magar Fati na ho uski Namaz Pashu jayegi ,
⇛ Aur jo Laash Fool kar Fat gayi ho uski Namaze Janaza saaqit he uski Namaze Janaza na padhi jaye ,
Bahar v imdadul Ahkaam,
Next -69 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 103
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀04-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 69
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mutafarrik Masail-2,
↴↴↴↴↴↴
☞ 4 - Sirf Haddiyo ka Dhancha Baramad hua ho ,,
✿ Jis Laash ka Gosht vagera sab alag alhida ho gaya ho aur uski sirf Haddiyo ka Dhancha baramad hua ho ,to us Dhanche ko Gusl dene ki zarurat nahi , us per Namaze Janaza bhi na padhi Jaye balki wese hi kisi paak kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye ,
imdadul Ahkaam, 1/738
☞ 5- Jo Shakhs Jal kar Mara ho ,
✿ Jo Shakhs Aag ya Bijli vagera se Jal kar mar jaye use baqaayda Gusl v Kafan de kar aur Namaze Janaza padh kar Sunnat ke mutabiq Dafan kiya jaye ,aur agar laash fool aur fat gayi ho to uska hukm pehle bayan ho chuka he ,
Durre Mukhtar, Bahar ,imdadul Ahkaam
⇛Lekin jis Shakhs ko Baagiyo ,Daku ya gair Muslim mumalik ke kaafiro ne jala kar maara ho ya Wo m'arka Jung me Mara hua paya jaye aur usme Shaheed ki Qisme Avval ki sab Sharayat mojood ho to us per Shaheed ke Ahkaam jari honge ,
Next -70 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 106
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀05-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 70
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mutafarrik Masail-3,
↴↴↴↴↴↴
☞ 6 - Jal kar Koyla ho Jane ka Hukm ,
✿ Jo Shakhs jal kar bilkul Koyla ban gaya ya Badan ka aksar hissa jal kar Khaaktar ho gaya to usko Gusl v Kafan dena aur Namaze Janaza padhna kuchh waajib nahi he ,Yuhi kisi Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye ,
Aalamgiri v Fatawa Darul uloom ,1/345
⇛ Aur agar Badan ka aksar hissa jalne se mehfooz ho ,agarche Sar ke bager ho ya Adha Badan may sar ke mehfooz ho ya poora Jism jala ho magar mamooli jala ho ,Gosht posht aur Haddiya saalim ho to usko baqaayda Gusl v Kafan dekar aur Namaze Janaza padh kar Dafan karna chahiye,
Aalamgiri v Shaami ,1/809
☞ 8 - Dab kar Ya Gir kar Marne wale ka hukm ,
✿ Jo Shakhs kisi diwaar ya imarat ke niche dab kar mar jaye ya kisi Buland Jagah se niche gire ya Fizayi Haadse ka shikaar hokar halaak ho jaye ,aur Badan ka aksar hissa mehfooz ho to usko baqaayda Gusl v Kafan dekar aur Namaze Janaza padh kar Dafan karna chahiye,
⇛Lekin agar ye Haadsa Dushman kaafiro ya Baagiyo ya Dakuo ki kaarwayi ho to usme Marne walo per Shaheed ke Ahkaam jaari honge ,
☞ 9- Aam Hadsaat ka Shikaar hone walo ka Hukm ,
✿ Motor Cyclo ,Rail Gadiyo aur Digar Sawariyo ke Tasadam ( Accident ) se halaak Shuda ka bhi wahi hukm he Jo ouper ( 8 no. ) me bayan hua ,
Durre Mukhtar
Next -71 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 107
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀06-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 71
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mutafarrik -4 ,
↴↴↴↴↴↴
☞ 10 - Jo Laash Kunve ( Well ) Ya Malbe se nikaali na Ja sake ,,
✿ Agar koi Shakhs Kunve vagera me gir gaya ya kisi imaarat vagera ke Malbe me dab kar mar gaya aur waha se Laash nikaalna Mumkin na ho to majboori ki vajah se uska Gusl v Kafan maaf he ,
⇛Aur Jaha Laash doobi ya dabi rah gayi ho usi jagah ko uski Qabr samjha jayega aur usi haalat me us per Namaze Janaza padhi jayegi ,
Shaami ,1/ 827
☞ 11- Jo Laash Samundar vagera me lapata ho jaye ,
✿ Koi Shakhs Samundar me doob kar mar gaya aur Laash ka pata na chale ya Kisi aur Tareeqa se mara ho aur Laash gum ya laapata ho to esi soorat me Gusl v Kafan, Namaze Janaza aur Takfeen sab Maaf he ,
⇛ Uski Namaze Janaza gaaybana bhi na padhi jaye ,Kyunki Namaze Janaza durust hone ke liye ek shart ye bhi he k Mayyat saamne mojood ho ,
Shaami ,1/827
☞ 12- Khudkushi Karne Wale ka Hukm ,
✿ Jo Shakhs apne aapko galti se ya jaan boojhkar halaak kar de to usko baqaayda Gusl v Kafan de kar Namaze Janaza padh kar Dafan kiya jaye ,
Durre Mukhtar v Shaami ,1/815
Next -72 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 108
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀07-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 72
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mutafarrik - 5,
↴↴↴↴↴↴
☞ 13- Musalman aur Kafir ki Laashe Khalat Mslat ho Jaye aur Pehchani na ja sake,,,
✿ Kisi haadse me agar Musalmano aur Kaafiro ki laashe khalat malat ho jaye to agar Musalman kisi bhi alamat ( Khatna Vagera) se pehchane ja sake to unko alag kar liya jaye ,aur unka Gusl, Kafan ,Namaze Janaza aur Dafan vagera sab kaam Musalmano ki tarah kiye jaye aur Kaafiro ki laasho ke saath Wo maamla kiya jaye Jo kaafiro ke saath kiya jata he ,
Bahishti Gohar v Shaami ,1/805, Aalamgiri ,1/159
⇛Agar Musalmano aur Kaafiro ke darmiyan koi fark maloom na ho sake aur kisi alamat se pata na chale k konsi laash Musalman ki he aur Konsi kaafir ki he ,to uski 3 soorate he'n ,,,,--
☞ 1- Agar Marne walo me Musalmano ki tadaad zyada ho to sab laasho ke saath wahi maamla kiya jaye Jo Musalmano ke saath kiya jata he ,yani baqaayda Gusl ,Kafan ,Namaze Janaza ke baad Musalmano ke Qabristaan me Dafan kiya jaye , Lekin Janaze ki Namaz me sirf Musalmano per Namaz padhne ki Niyat ki jaye ,Kaafiro per Namaz e Janaza ki Niyat karna Jaa'iz nahi ,
Shaami ,1/805 ,Aalamgiri ,1/159
☞ 2- Agar laashe Kaafiro ki zyada aur Musalmano ki kam ho to Sab laasho ko Gusl v Kafan diya jaye aur un per Namaze Janaza bhi sirf Musalmano ki Niyat se padhi jaye aur uske baad sabko kaafiro ke Qabristaan me Dafan kar diya jaye ,
Shaami v Durre Mukhtar, 1/805
✿ Ye Gusl v Kafan Musalmano ki tarah baqaayda nahi hoga ( balki yunhi paani se laasho ko dhokar ek ek Kapde me lapet diya jaye ),
Fatawa Aalamgiri, 1/159
☞ 3- Agar Musalmano aur Kaafiro ki laasho ki tadaad barabar ho to jesa ouper ( 2 ) me likha gaya he k Gusl v Kafan dekar sab per Musalmano ki Niyat se Namaze Janaza padhi jaye ,
⇛Albatta Maqame Dafan me Fuqha ke 3 qol he'n --
1- ek ye k Sabko Musalmano ke Qabristaan me Dafan kar diya jaye ,
2- doosra ye k Sabko Kaafiro ke Qabristaan me Dafan kar diya jaye ,
3- Teesra ye k unke liye koi alag se Qabristan bana diya jaye , is qol me ahatyaat Zyada he ( Lekin inme se jis qol per bhi amal kar liya jaye durust he )
Durre Mukhtar, Shaami 1/805-806
Next -73 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 109
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀08-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 73
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mutafarrik Masail-6,
↴↴↴↴↴↴
☞ 14-- Jis Mayyat ka Musalman hona maloom na ho ,
✿ Kisi Mard ya Aurat ki laash mile aur kisi alamat vagera se maloom na ho k Musalman he ya Kaafir,?
⇛To Jis ilaaqe se ye laash mili he waha agar Musalmano ki aksariyat he to usko Musalman samjha jaye aur Baqaayda Gusl v Kafan dekar Namaze Janaza padh kar Dafan kiya jaye ,
⇛Aur Agar waha gair Muslimo ki aksariyata he ( yani tadaad zyada he ) to uske saath gair Muslim ka sa maamla kiya jaye ,
Durre Mukhtar v Aalamgiri v Bahishti Gohar ma'a Hashiya ,
☞ 15- Jis Mayyat ko Gusl ya Namaze Janaza ke bager hi Dafan kar diya gaya ,
✿ Agar Kisi Musalman Mayyat ko galti se Gusl diye bager ya Namaze Janaza padhe bager Qabr me rakh diya to agar mitti daalna se pehle yaad aa jaye to Mayyat ko bahar nikaal kar ,agar Gusl bhi nahi diya tha to Gusl de kar Namaze Janaza padh kar Dafan kiya jaye ,aur agar Gusl de diya tha to sirf Namaze Janaza padh kar Dafan kar diya jaye ,
⇛Aur agar Mitti daalne ke baad yaad aaye to Gusl ya Namaz ke liye uski Qabr kholna Jaa'iz nahi ,ab Hukm ye he k Jab tak gumane galib ye ho k laash fati na hogi ,Qabr hi per Namaz padhi jaye ,
⇛Aur jab galib guman ye ho k laash fat chuki hogi to ab Namaze Janaza na padhi jaye ,esi soorat me qudrat ke bavjood na padhne wale gunahgar hue ,un per laazim he k Tauba v Astagfaar kare aur Aainda esi galti na kare ,
Durre Mukhtar,
✿ Agar Shak ho k laash fati hogi ya nahi ?? To is soorat me bhi Qabr per Namaze Janaza nahi padhi jaye,
Shaami ,1/827
Next -74 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 110
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀09-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 74
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mutafarrik Masail-7,
↴↴↴↴↴↴
☞ 16 - Kisi laash ke Tukde dastyab hue.
✿ Agar Kisi ki poori laash dastyab na ho ,jism ke kuchh hisse dastyab ho to iski chand soorte'n he'n ::---
✿ Sirf haath ya Taang ya Sar ya Qamar ya Koi uzv mile to us per Gusl v Kafan aur Namaze Janaza kuchh nahi, balki kisi Kapde me lapet kar yunhi Dafan kar dena chahiye,
✿ Jiske chand Mutafarrik A'aza Maslan sirf 2 Taange ya sirf 2 haath ya sirf ek haath aur ek taang ya isi tarah digar chand A'aza mile aur ye Mutafarrik A'aza mil kar Mayyat ke poore Jism ke Aadhe hisse se kam ho ,Mayyat ka aksar hissa gayab ho to un A'aza per Gusl v Kafan aur Namaze kuchh nahi yunhi kisi Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye ,
✿ Agar Mayyat ke Jism ka Adha hissa bager Sar ke mile to uska bhi Gusl v Kafan aur Namaze Janaza kuchh nahi ,Yunhi Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye ,
✿ Agar Mayyat ke Jism ka Adha hissa ma'a sar ke mile to usko baqaayda Gusl v Kafan de kar aur Namaze Janaza padh kar Dafan kiya jaye ,
✿ Agar Mayyat ke Jism ka aksar hissa mil jaye agarche bager sar ke mile to bhi baqaayda Gusl v Kafan de kar aur Namaze Janaza padh kar Dafan kiya jaye ,
Shaami ,Bahishti Gohar,
Next -75 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 111
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀10-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 75
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mutafarrik Masail-8,
↴↴↴↴↴↴
☞ 17-- Dafan ke baad Baqi A'aza mile ho ,
✿ Kisi Mayyat ke Jism ka aksar hissa mila aur baqi hissa na mila aur aksar hissa e Badan per Namaze Janaza padh kar Dafan kar diya, uske baad jism ka baqi hissa mila to ab us baqi hissa per Janaze ki Namaz nahi padhi jayegi ,Balki yunhi Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye ,
Aalamgiri v Shaami
☞ 18- Zindgi me Jism se Alhida ho Jane wale A'aza ka Hukm,
✿ Kisi Zinda Shakhs ka koi Uzv uske Badan se Kat jaye ya Operation ke Zariye Alhida kar diya jaye to uska Gusl v Kafan aur Namaze Janaza kuchh nahi ,Yunhi kisi Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye ,
Durre Mukhtar,
☞ 19- Qabr se Sahi Saalim laash Baramad ho ,
✿ Koi Qabr khul Jaye ya kisi vajah se laash bahar nikal aaye aur Kafan us per na ho to agar laash fat chuki he to ab Kafan ki zarurat nahi yunhi Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye ,
⇛Aur agar Laash fati na ho to Poora Kafan Sunnat ke mutabiq dena chahiye, iska poora kharch usi Mayyat ke asal Tarka se liya jayega ,agar uska Tarka Wariso me taqseem ho gaya tha to har Waaris ko jitna jitna fi sadi hissa miraas me mila tha ,Kafan ka kharch bhi isi tarah har waaris per aayega ,
Durre Mukhtar v Shaami ,
☞ 20- Daku ya Bagi Ladaai me Qatl ho jaye ya Wo doosro ko Qatl kar de ,,
✿ Agar Daku ya Bagi ladaai ke dauran Qatl ho jaye to unki Ahanat aur Doosro ki ibrat ke liye Hukm ye he k unko Gusl na diya jaye ,na unki Namaze Janaza padhi Jaye balki yunhi dafna diya jaye ,Lekin agar ladaai ke baad Qatl kiye gaye ya ladaai ke baad apni maut se mar jaye to fir unko Gusl v Kafan diya jayega aur Namaze Janaza bhi padhi jayegi ,
⇛Yahi hukm un logo ka he Jo Qabaili ,Watani ya Lisani ta'assub ke liye ladte hue maare jaye ,
⇛Aur Agar Daku ya Bagi Dakazani ya ladaai ke dauran kisi ko Qatl kar de to Wo ( Jisko Qatl kiya gaya ) Shaheed he ,Bager Gusl v Kafan ke Sirf Namaze Janaza padh kar Dafan kar diya jaye ,
Durre Mukhtar v Shaami ,1/814
Next -76 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 112
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀11-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 76
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Maut Ki iddat --1,
↴↴↴↴↴↴
✿ Shohar ka inteqal ho jaye ya Talaaq ho jaye ya Khula vagera ya kisi aur tarah se Nikaah toot Jaye to in sab soorto me Aurat ko muqarrar muddat tak ek ghar me rehna padta he ,Jab tak ye muddat khatm na ho jaye us waqt tak kahi aur Jana Jaa'iz nahi ,is muddat guzaarne ko " iddat " kehte he ,is Muddat me kisi aur Mard se Nikaah bhi nahi kar sakti, agar kar liya to Wo Nikaah baatil he ,mun'aqd hi nahi hua ,
Bahishti Zever, islahi inqlabe Ummat ,
✿ Jis Aurat ke Shohar ka inteqal ho jaye Wo 4 mahine 10 din tak iddat me rahe ,Shohar ke inteqal ke waqt jis ghar me raha karti thi usi ghar me rehna chahiye, bahar nikalna durust nahi ,
Bahishti Zever,
✿ Shohar ki zindgi me uske saath Aurat ki mubashrat ( hambistari ) ya kisi qism ki tanhaai ( khilwat ) hui ho ya nahi hui ho ,Rukhsati hui ho ya na hui ho aur Chahe mahwari aati ho ya nahi aati ho ,Budhi ho ya JaWan ,Baliga ho ya Nabaliga sabka hukm ye he k 4 mahine 10 din iddat me rahe ,
⇛Albatta agar Wo Aurat Hamal se thi ,isi haalat me Shohar ka inteqal hua to Bachcha paida hone tak iddat rahegi ab mahino ka kuchh aitbaar nahi ,agar Shohar ki maut ke thodi der baad hi Bachcha paida ho gaya tab bhi iddat khatm ho gayi ,
Bahishti Zever, Aalamgiri, imdadul Fatawa ,
Next -77 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 115
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀12-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 77
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Maut Ki iddat - 2,
↴↴↴↴↴↴
✿ Ghar bhar me Jaha ji chahe rahe ,Baaz gharano me Jo Rasm he k khaas ek jagah muqarrar karke rehti he ,Bechari ko us jagah se hatna ayb aur bura samjha jata he ye bilkul wahiyaat aur galat he ,Ye Rasm chhodna chahiye ,
Bahishti Zever,
✿ Aurat Ghar se bahar kisi kaam ke liye kahi gayi thi ( shohar Saath ho ya na ho ) itne me uske Shohar ka inteqal ho gaya to ab foran waha se chali aaye aur jis ghar me rehti thi usi me rahe ,Shohar ka inteqal chahe kisi bhi jagah hua ho ,
Bahishti Zever, imdadul Fatawa, 2/442 ,427
✿ Jis Aurat ko naraaz hokar maayke bhej diya ho ,fir Shohar ka inteqal ho jaye to wo Shohar ke ghar aakar iddat poori kare ,kyuki iddat us ghar me poori ki jati he jaha Shohar ke inteqal per Aurat ko mustaqil rihaaish thi ,aarzi rihaaish ka aitbaar nahi ,aur Zahir he k Maayke me aana aarzi tha ,
imdadul Fatawa, 2/427
✿ Agar Shohar ka inteqal chand ki pehli tareekh ko huva aur Aurat ko Hamal nahi he to Chand ke hisaab se 4 mahine 10 din poore karna honge ,aur agar pehli tareekh ke alawa kisi aur tareekh me inteqal huva to har Mahine 30 - 30 din ka lagakar 4 mahine 10 din poore karna honge ,( Yani poore 130 din ) aur Jis waqt Wafaat hui jab ye Muddat guzar kar wahi waqt aayega iddat khatm ho jayegi ,
Bahishti Zever v Ma'arful Quran
✿ iddat Shohar ki Wafaat se shuru ho jati he ,agar che Aurat ko Wafaat ki khabar na ho aur usne iddat ki Niyat bhi na ki ho ,
Durre Mukhtar,
✿ Kisi ke Shohar ka inteqal ho gaya magar usko khabar nahi mili ,4 mahine 10 din guzar Jane ke baad khabar mili to uski iddat poori ho chuki ,yani jab se khabar mili us waqt se Az sareno iddat nahi guzari jayegi ,
Bahishti Zever,
✿ Kisi Aurat ko Shohar ke inteqal ki khabar kai din baad mili ,magar tareekhe Wafaat me shak he to Jis tareekh ka yaqeen ho iddat us tareekh se shumar ki jayegi ,
Shaami ,2/838
✿ Baaz logo me ye dastoor he k Shohar ki maut ke baad Aurat Saal bhar tak iddat ke tor per bethi rehti he ,ye bilkul haraam he ,
Bahishti Zever ,
Next -78 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 116
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀ 13-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 78
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Iddat ke Masail --1
↴↴↴↴↴↴
☞ 1- Zamana e iddat me Aurat ka Naan Nafqa ,,
✿ iddate Wafaat me Aurat ka Naan Nafqa ( Khana Kapda ) aur Rihaaish ka Makaan uski sasural ke zimme nahi ,Shohar ke Tarke me se bhi Naan Nafqa lene ka haq nahi ,Albatta Tarke me Jo hissa miraase Shariyat ne muqarrar kiya he Wo usko milega ,
Bahishti Zever
☞ 2- Haamla ki iddat aur isqaate Hamal,
✿ Haamla Aurat ki iddat Bachcha paida hone se khatm hoti he ,lekin agar Hamal gir jaye yani isqaate Hamal ho jaye to isme ye tafseel he k agar Hamal ka koi uzv Maslan moonh ,Naak ya ungli vagera ban gaya tha tab to iddat khatm ho gayi aur agar koi uzv bilkul na bana tha sirf lothda ya Gosht ka Tukda tha ,to isse iddat khatm na hogi balki YU samjha jayega k ye Aurat Hamal se nahi thi ,lihaza uski iddat 4 mahine 10 din hi hogi ,
⇛Agar kisi Haamla ke pet me 2 Bachche the ek paida ho gaya ,doosra baqi he to jab tak doosra Bachcha bhi paida na ho iddat khatm na hogi ,
Shaami ,2/831
Next -79 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 117
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀ 14-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 79
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ iddat ke Masail -2 ,
↴↴↴↴↴↴
☞ 3 - iddate Talaaq me Shohar ka inteqal ho jaye ,,
✿ Jis Aurat ko Shohar ne kisi bhi qism ki Talaaq di ho ya Khula huva ho ya kisi aur tarah se Nikaah toot gaya ho ,fir iddate Talaaq khatm ho Jane ke baad us saabiq Shohar ka inteqal ho jaye to ab maut ki vajah se Aurat per koi iddat waajib nahi aur Wo uski Vaaris bhi nahi ,
Shaami ,2/833
⇛ Aur agar Shohar ka inteqal iddate Talaaq khatm hone se pehle ho gaya to isme tafseel ye he ::--
✿ 1- Agar Shohar ne Talaaq e Rujui di thi ,chahe apni bimari me di ho ya tandurasti me ,to ab iddate Talaaq ko wahi chhod kar inteqal ke waqt se az sareno sire se iddate Wafaat guzaregi aur Shohar ki Vaaris bhi hogi ,
✿ 2- Agar Talaaq Baa'in di thi aur Talaaq ke waqt Shohar tandurast tha ,chahe Talaaq Aurat ki marzi se di ho ya marzi ke bager ,fir iddate Talaaq khatm hone se pehle Shohar ka inteqal ho gaya ,to ab Aurat sirf iddate Talaaq hi jitni baqi reh gayi ho Wo poori karegi ,iddate Wafaat nahi guzaregi aur Shohar ki Vaaris bhi nahi hogi ,
✿ 3- Agar Talaaq e Baa'in ke waqt Shohar bimaar tha aur Talaaq Aurat ki marzi se di thi to is soorat me bhi wahi Hukm he Jo ouper bayan huva k Aurat Sirf iddate Talaaq hi jitni reh gayi Wo poori karegi ,iddate Wafaat nahi guzaregi aur Shohar ki Vaaris bhi nahi hogi ,
Shaami v Hidaya ,
✿ 4- Agar Talaaqe Baa'in Shohar ne apni bimari me Aurat ki marzi ke bager di thi to is soorat me dekha jaye k Talaaq ki iddat poori hone me zyada din lagenge ya Maut ki iddat poori hone me,, jis iddat me Zyada din lagenge Aurat Wo iddat poori karegi aur Shohar ki Vaaris hogi ,
Shaami ,2/832, Bahishti Zever
Next -80 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 119
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀ 15-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
↓↓↓↓
Part~ 80
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Wo Kaam Jo iddat me Jaa'iz nahi -1 ,
↴↴↴↴↴↴
✿ Jis Aurat Ke Shohar ka inteqal huva ho uske liye Hukm ye he k iddat ke zamane me na to ghar se bahar nikle ,na apna doosra Nikaah kare ,na kuchh banaav singaar kare ,
⇛iddat me ye sab baate us per Haraam he ,is singaar na karne aur mele kuchele rehne ko " Sog " kehte he'n ,
Bahishti Zever ,
☞ Iddat me sog waajib he ,
✿ Sog karna usi Aurat per waajib he Jo Musalman Aaqil v Baalig ho ,Kaafir ya Majnun Aurat ya Na-baalig ladki per waajib nahi ,unko banaav singaar karna Jaa'iz he ,Albatta ghar se nikalna aur Doosra Nikaah karna unko bhi durust nahi ,
⇛ Jiska Nikaah sahi nahi huva tha ,be qaayda ho gaya tha fir esi Aurat ka Mard mar gaya to esi Aurat ko bhi Sog karna waajib nahi,
⇛jo Aurat iddate Wafaat me ho use saaf lafzo me paigame Nikaah dena ya usse mangni karna Haraam he ,
✿ Jab tak iddat khatm na ho us waqt tak Khushbu lagana ,Kapde ya Badan me Khushbu basana ,Zever ,Gehna pehanna ,Fool pehanna ,Choodiya'n pehanna ,Surma lagana ,Paan khana ,Sar me Tel daalna ,Kanghi karna ,Mehndi lagana ,Reshmi aur Range hue naye kapde pehanna ye sab baate Haraam he ,
✿ Sar dhona aur Nahana iddat me Jaa'iz he ,Zarurat ke waqt Kanghi karna bhi durust he ,Jese kisi ne sar dhoya ya Ju pad gayi ,lekin patti na jhukaye na bareek Kanghi se Kanghi kare ,jisme Baal Chipke hue jate he'n ,balki mote Dandane wali Kanghi kare k zeenat na hone paye ,
Bahishti Zever,
Next -81 ©ontinue in sha Allah,,
Ahkaam e Mayyat,
. Safa no. 119
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
No comments:
Post a Comment