Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, December 11, 2015

✦Khareed Farokht Or Mehnat Mazdoori ke Usool Or Zaabte Mukammal Part ✦

: ★☆★21-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 01 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Tijarat me Munafa Ka Shar'an Hukm   ▣

★ Shariyat ne munafa ka taayn nahi farmaya k itna jaa'iz he aur itna jaa'iz nahi ,

★ Fir bhi Shariyat sareeh  Zulm ki ijazat nahi deti ( jise hamari zubaan me Jeb kaatna kaha jata he ) ,

★ Jo shakhs ese munafa khori ka Aadi ho uski kamaai se barkat uth jati he ,aur hukumat ko akhtyar diya gaya he k munsifana munafa ka ek maiyaar muqarrar karke zaa'id  munafa khori per pabandi laga de ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.40

   Next- 2 , Soon in sha Allah

         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★03-11-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 02 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Cheezo ka Tabaadla ( Adla badli )  ▣

★ Jo cheeze bhi naap kar ya tol kar farokht ki jati he ,Jab unka tabaadla unki jins ke saath kiya jaye to zaroori he k Dono cheeze barabar barabar ho ,aur ye maamla dast ba dast kiya jaye ( haatho haath ) ,

★ isme udhaar bhi na-jaa'iz he aur Kami bhi na-jaa'iz he ,

→ Maslan - Genhu ( Wheat ) ka tabadala Genhu ke saath kiya jaye to dono baate na-jaa'iz hongi ,yani kami bhi na-jaa'iz aur Udhaar bhi na-jaa'iz,

★ Aur agar Genhu ( Wheat) ka tabadla Maslan Jo ke saath kiya jaye to Kami jaa'iz magar udhaar na-jaa'iz he ,

★ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne 6 cheezo ka zikr farmaya, Sona ,chaandi ,Genhu ,Jo , Khajoor ,Namak  aur Farmaya,

" Jab Sona ,sone ke badle ,Chaandi Chaandi ke badle ,Genhu Genhu ke badle ,Jo Jo ke badle ,Khajoor Khajoor ke badle ,Namak Namak ke badle farokht kiya jaye to barabar hona chahiye aur ek haath  le doosre haath de ,Kami sood he ,

Mishkaat ,244

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.41

   Next- 3 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★23-11-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 03 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Ek hi Jins Ki Do Jinso ka Tabadla ( Adla Badli ) Kis tarah kare ,?   ▣

★ Galle ka tabaadla Jab Galle ke saath kiya jaye to agar dono taraf ek hi Jins ho ,magar dono ki Qisme mukhtalif ho to dono ka barabar hona aur dast ba dast  Len den hona shart he ,kami besi bhi Jaa'iz nahi, Aur ek taraf se udhaar bhi Jaa'iz nahi ,

★ Agar dono ki Qeemat kam v zyada he to Jins ka tabaadla Jins ke saath na kiya jaye ,Balki dono ka alag alag Sauda ,alag alag Qeemat ke saath kiya jaye ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.42

   Next- 2 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★24-11-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 04 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Tijarat Ke liye Munafa per Raqam Lena  ▣

★ Kisi se Raqam lekar Tijarat karnna aur Munafe me se usko Hissa dena iski do  soorte'n he'n ,

★•1- Ek soorat ye he k Baat tay kar li jaye k Tijarat me jitna munafa hoga itna fi sadi ( Maslan 1/2 ) Raqam wale ko milega aur itna kaam karne walo ko ,

⇨ Aur agar khuda na khwasta Tijarat me Khasara ( Nuqsaan ) hua to ye Khasara bhi Raqam wale ko bardasht karna padhega ,Ye soorat to Jaa'iz aur Sahi he ,

★•2- Doosri Soorat ye he k Tijarat me nafa ho ya nuqsaan ,aur Kam nafa ho ya Zyada ho ,har soorat me Raqam wale ko ek muqarrar miqdaar me munafa milta rahega ,

⇨ ( Maslan --Saal ya 6 mahine ke baad 200 Rupiya ya kul Raqam ka 10% ) ye Soorat Jaa'iz nahi he,

★isliye agar Aap kisi se Raqam le kar Tijarat karna chahte he'n to Pehli Soorat akhtyar karna chahiye,

★ Aur agar Raqam Qarz maangi thi to us per munafa Lena Dena Jaa'iz nahi he ,,
( Ye sood hua Jo k Haraam he )

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.43

   Next- 5 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★25-11-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 05 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Kapde ( Tijarat ka koi bhi Samaan ) Ka Aib bataye Bager Farokht ( Sell ) Karna  ▣

★ Ek Musalman ka Tareeqa e Tijarat yahi he k Gaahak ( Customers) ko apni cheez ka Aib bata de ,Ya kam se kam ye Zaroor keh de k ," Bhai ! Ye cheez tumhare Saamne he ,Dekh lo ! Me iske kisi Aib ka Zimmedar Nahi hu ,"

★ Hazrat imaam Abu Hanifa Rehmatullahi Alaihi Kapde ki Tijarat karte the, ek baar apne Rafeeq se farmaya k

,"ye kapda Aibdaar he ,Gaahak ko bata dena ,"

Khud kahi tashreef le gaye the, Unke saathi ne Hazrat imaam Abu Hanifa Reh .ki gair mojoodgi me Kapda farokht kar diya ,

→ Aap jab wapas aaye to daryaft farmaya ( ask ) k us Kapde ka Aib bata diya tha,?

Usne nafi ( Not ) me jawab diya ,,

Aap Reh. ne bahut afsos ka izhaar farmaya aur us din ki saari Aamdani Sadqa kar di ,,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.45

   Next- 6 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★26-11-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 06 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Gaahak ( customers) ke Saath Bhaav me Kami Besi karna ▣

★• Gaahak ( customers ) ke saath Cheezo ke bhaav me kami Besi karna Jaa'iz he ,

⇨ Lekin Insaaf ka taqaza yahi he k baad me uske ( Zyada liye paise ) wapas kar diye jaye ,

★ Har ek ( Customers ko ) ko ek hi daam per farokht karna zaroori nahi he ,Kisi ke saath ri'ayat bhi kar sakte he'n ,

⇨lekin Na-jaa'iz munafa ki ijazat nahi aur na hi kisi ki majburi se faayda utha kar zyada qeemat lene ki ijazat he ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.47

   Next- 7 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★27-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 07 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Jhoot Bolkar Khreed Farokht karna ya Jhooti Qasam khana ▣

★• Zabani Kalami Khareed Karke Cheez Kï Zyada Qeemat Ke Liye  Qasam Khana,

⇨ (Maslan Aapas me Zabani Kalami yani Jhooti kharid farokht karke Gaahak ko fir Qasam khakar bechna )

★ Ye mahaz Fareb he dhoka he aur esi Tijarat Dhoke ki Tijarat he,

★ Jhoot bolkar Kamaai karna haraam he aur isko halaal karne ka Tareeqa ye he k Gaahak ko sahi baat batakar maafi maang li  jaye,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.47

   Next- 8 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★28-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 08 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Qeemat Zyada Bata kar Kam Lena  ▣

★  Cheez farokht karne ke liye ek Rate ( qeemat) muqarrar ki jati he ,aur Gaahak utni qeemat me nahi leta balki kuchh na kuchh kam karata he ,agar Kuchh Rupiya zyada batana taki Wo kam karaye to barabar aa jaye ,to kya ESA karna munasib he ya ye baat Jhoot me Shumaar he ??

★ Daam bata kar usme kam karna Jhoot to nahi he ,isliye Jaa'iz he ,

→ Magar usoole Tijarat ke lihaaz se ye RIVAAZ galat he ,balki ek Daam batana chahiye,

★ Shuru me to log pareshan karenge magar jab sabko maloom ho jayega k inka ek hi usool he to pareshan karna chhor denge ,balki isme Raahat mehsoos karenge ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.62

   Next- 9 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★29-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 09 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Cheezo ka Wazan karte waqt Kharidaar ka Mojood hona Zaroori He   ▣

★ Jo cheez wazan karke li jaye uski teen soorte 'n he'n ,

★ 1- Ek soorat ye k Jab dene wale ne wazan karke di ,us waqt kharidaar ya uska numainda ( Jo uske badle me ho ) Tol ke waqt mojood tha ,,,is soorat me aage farokht karte waqt dobara Tolna zaroori nahi ,Bager Wazan kiye aage bech sakte he ,aur Khud khaa pi sakte he'n ,

★ 2- Doosri Soorat ye he k Us waqt kharidaar ya uska numainda mojood nahi tha ,balki uski gair mojoodgi me Dukaandar ne Cheez Tol kar daal di ,,,,is soorat me us Cheez ko istemal karna aur aage bechna bager Tol kiye Jaa'iz nahi ,,

→ Albatta agar dene wale Dukaandar ko ye keh diya jaye k ,,Maslan is theli me jitni bhi cheez he chahe kam ho ya zyada Wo itne paiso me kharidta hu'n ,,,,,to dobara wazan karne ki zaroorat nahi ,

★ 3- Teesri Soorat ye he k Boriyo'n ,Thelo'n ( bags ) aur Gaantho'n ke hisaab se Khareed Farokht ho to Chahe unka wazan kam ho ya zyada, unko dobara Tolne ki zarurat nahi ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.62

   Next- 9 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★30-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 10 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Mazdoori Halaal Kamaai se Vasool Kijiye  ▣

★ Agar ek Musalman ki Mehnat Jaa'iz thi to uske liye Mazdoori halaal he ,

Do Sharto 'n ke saath ::----

★ 1- Ek ye k Aapne Kaam sahi kiya ho , us kaam me kaam chori se ahatraaz kiya ho ,,

★ 2- Doosra ye k Jo kaam Aapne kiya Shar'an uska karna Jaa'iz bhi ho ,

→ iske baad agar Maalik Haraam paise se Aapko ujrat deta ho to usko qubool nahi kiya jaye ,balki usko majboor kijiye k kisi se Halaal Rupiya udhaar ( qarz ) lekar aapka mahantana ( Mazdoori) ada kare ,

★ Usse Haraam Rupiya se Aapka mehntana Lena Jaa'iz nahi hoga ,

★ Agar Aapko maloom ho k Falaa Aadmi Haraam Rupiye se Aapko Mazdoori dega to uski Mazdoori hi na ki jaye ,,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.65

   Next- 11 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

: ★☆★01-12-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 11 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Sharraaf Lapata Zevraat ka Kya KARE ?  ▣

★ Aam tor per Sarrafo ke paas apne Gaahako ke naam aur Pate likhe hote he'n ( aur chunki maut v hayaat ka pata nahi isliye likh Lena bhi zaroori he ) ,

★ Jin logo ki Amanate ek zamane se padi ho ,agar unke naam aur pate mehfooz he'n to unke ghar per ittela karna zaroori he ,aur afar mehfooz nahi he to kisi mumkinana zariye se tashheer kar di jaye ( Akhbaar ya elaan vagera ke zariye se ),,

★ Aur agar Tashheer ke ek saal baad tak agar koi na aaye to unka hukm gumshuda cheezo ka hoga ,aur Maalik ki taraf se unko Sadqa kar diya jayega ,

★ Lekin agar Sadqa karne ke baad Maalik ya uske waariso ka pata chala to unko matla karna laazim hoga ,fir unko akhtyar hoga k agar Wo chahe to Sadqa ko bahaal rakhe or chahe to apni cheez vasool kar le ,

★ Agar Wo apni cheez ka mutalba kare to Jo Raqam Sarraf ne Sadqa ki he Wo khud sarraf ki taraf se samjhi jayegi aur Maalik ko itni Raqam ada karna laazim hoga ,

★ isliye zaroori hoga k Sadqa karne ki Soorat me ye yaddasht tehreeri tor per likh kar rakhi jaye k

" Fala Shakhs ke itne Zevraat Maalik ka pata nishan na milne ki vajah se uski taraf se Sadqa kar diye gaye he'n ,agar kabhi us Shakhs ka ya uske waariso ka pata chala aur unhone iska mutalba kiya to unhe iska mu'awza ada kar diya jaye ,"

→is Tehreer ka Vasiyat nama ki shakl me mehfooz rehna zaroori he ,

�� Aapke Masail aur Unka Hal ,
�� Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.70

   Next- 12 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★02-12-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 12 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Jhoot Bol kar Maal Bechna   ▣

★ Jhoot Bol kar Sauda bechna Haraam he ,

★isme ek to Jhoot Bolne ka Gunaah he ,Doosre Musalman ke saath dhoka aur Fareb karna he ,

★ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ,

" Taajir log Qayamat ke din badkaar hone ki haalat me uthaaye jayenge ,Siva e us Shakhs ke Jo neki ka kaam kare ,( Maslan -- Sadqa v Khairaat diya kare ) aur Sach bole ,""

�� Ravaah Tirmizi ,1 / 145 ,ibne Maaja 161

★ Farmaya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne k ," Jo Shakhs humko ( yani Musalmano ko ) Dhoka de Wo humme se nahi ,,"

�� ibne maaja ,161 Sunan Abi Dauwd ,1/133

★ Aur Farmaya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne k ,

" Bahut badi khayanat ki baat he k tu apne Bhai ( Musalman ) ko esi baat kahe k Wo usme tujhko sachcha jaanta ho aur tu us per jhoot keh raha ho ,"

�� Mishkaat, 413

★ Agar kuchh log Jhoot Fareb ke saath Tijarat karte he'n to apni Duniya bhi bigaad te he'n aur Akhirat bhi barbaad karte he'n, ESE logo ki rozi me barkat nahi hoti ,woh Raahat v sukoon ki daulat se mehroom rehte he'n aur unki daulat jis tarah haraam Tareeqe se aati he usi tarah haraam raaste jati he ,

★ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k ,

" Sachcha aur Amanat daar taajir Qayamat ke din Nabiyo'n ,Siddiqo ,Shaheedo aur Waliyo'n ke saath hoga ,""

�� Ravaah Tirmizi ,1/ 230

�� Aapke Masail aur Unka Hal ,
�� Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.79

   Next- 13 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★03-12-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 13 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Girvi Ya Rahan rakhi hui cheezo ka Hukm  ▣

★ Aaj kal Gareeb ilaaqo me Aurte'n ( Ya Mard bhi ) apne Zeveraat ( ya aur koi cheez ) apni moonh boli Raqam ki avaz me rakhwa dete he'n , iske saath ye bhi kaha jata he k agar makhsoos ( Tay shuda muddat ) muddat tak Raqam wapas na de sake to rakhe hue zaeveraat Rakhne wale ki milkiyat Tasavvur honge ,

★ isko " Rahan " ya " Girvi " rakhna kehte he, Shar'an iski ijazat he ,

★ Magar Jiske paas Wo cheez Girvi rakhi jaye Wo uska Maalik nahi hota ,na hi usko istemal karne ki ijazat he ,

★ Balki Qarz ki muddat poori hone per usko Maalik se Qarz ka mutalba karna chahiye, agar Qarz vasool na ho to Maalik ki ijazat se us cheez ko farokht karke apna Qarz vasool kar le aur Zaa'id ( baqi Raqam) Raqam usko wapas kar de ,

�� Aapke Masail aur Unka Hal ,
�� Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.89

   Next- 14 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★04-12-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 14 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Gasb Shuda ( Qabza ki hui ) cheez ki Aamdani istemal karna bhi Haraam he   ▣

★ Apne Bhai ka ( Ya kisi bhi Shakhs ka ) Makaan ( Ya koi bhi cheez ) apne naam ( Dhoke se )  kara lena aur apne Bhai ko ( ya uske asal Maalik ya hissedar ko ) mehroom kar dena " Gasb " ( Qabza karna ) he ,

★Hadees Sharif me he k ,

" Jisne kisi ki ek Baalisht Zameen bhi Gasb ki ,Qayamat ke din Saat zameeno  tak Wo Tukda ( Zameen ka ) uske gale ka toq ( Gale me Daal diya jayega ) banaya jayega ,aur Wo isme dhasta rahega ,

�� Mishkaat ,256 ,Bahawala Sahih Bukhari ,1/332, Musnad Ahmad ,1/188

- Ek aur Hadees me he k ," Jis shakhs ne ek balisht Zameen bhi nahaq li ,use Qayamat ke din saato Zameen tak Zameen me dhansaya jayega ,"

�� Sahih Bukhari, 1/ 332

★ Gasb Shuda Makaan ( ya koi aur cheez ) ka kiraya ( ya usse hui Aamdani) Haraam he ,Jo log doosre ke Huqooq Gasb karte he'n unke liye Akhirat ka khamyaza bada sangeen hoga ,

★ Kisi Shakhs ki Razamandi ke bager uske Maal per is tarah Musallat ho Jana k Maalik ka Qabza zaa'il ho Jaye ,ya Wo us per qaabiz na ho sake " Gasb " kehlata he ,

�� Fatawa Hindiya ,5/119

★ Aur Gasb Shuda Zameen per Namaz makrooh he ,

�� Shaami ,1/379

★ Agar Wo Gasb Shuda cheez Maalik ko wapas na kare to us Gasb ke badle me uski Namaz, Roza ,vagera ( nek amaal ) mazloom ko dilaye jayenge ,

�� Bahawala --Sahih Bukhari, 1/133, Mishkaat, 435  ,Muslim ,2/320

�� Aapke Masail aur Unka Hal ,
�� Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.93

   Next- 15 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★05-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 15 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Naqad Aur Udhaar Ka Farq   ▣

★ Agar Qeemat Naqad ada kar di jaye aur Cheeez Mahine Do Mahine ( yani baad me ) dene ki miyaad per tay ki jaye to Chand Sharto ke saath Jaa'iz he :-

1- Jins Maloom ho ,( Yani Jisko Khareedna he Wo  Cheez maloom ho )

2- No'a maloom ho ,( Yani fala qism ki Gandum hogi ya cheez hogi )

3- Wasf maloom ho ,( Yani A'ala Darje ki ,Darmiyani ya Ghatiya Darje ki hogi )

4- Miqdaar maloom ho ,

5- Wasooli ki tareekh muqarrar ho ,

6- Jo Raqam ada ki gayi uski miqdaar maloom ho ,

7- Aur ye tay ho jaye k ye cheez fala jagah se Kharidaar uthayega ,

★ Naqad Kam Qeemat per Khareed kar Udhaar Zyada Qeemat per Farokht Karna:__Yaha 2 Masle he'n ,

1- Ek kisi ki nadaari aur majburi se Faayda utha kar Kam Daamo me cheez kharidna agarche Qanoonan Jaa'iz he ,magar Akhlaq v muravvat ke Khilaf hone ki vajah se Makrooh he ,

2- Doosra Masla udhaar me Zyada Qeemat per dena he ,ye Jaa'iz he ,magar Naqad Aur Udhaar ke darmiyan Qeemat ka fark munasib hona chahiye,,

�� Aapke Masail aur Unka Hal ,
�� Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.97

   Next- 16 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★06-12-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 16 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Maal Qabze se Pehle Farokht Karna  ▣

★ Tijarat ka usool he k Jo maal qabze me na aaye uska farokht karna durust nahi ,

★ Qabze me aane ke baad hi Qeemat muqarrar karke sauda karna chahiye

★ Bager Dekhe khareedna Jaa'iz he ,Dekhne ke baad agar maal mutalba maiyar ka na nikla ( Jesa maanga tha wesa na nikle ) to Khareedaar ko Sauda khatm karne ka akhtyar hoga ,

★ Ek cheez khareedne se pehle uska aage Sauda nahi kiya ja sakta ,albatta Vaada kar sakta he k me ye cheez itne daamo me muhayya kar dunga

�� Aapke Masail aur Unka Hal ,
�� Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.106

   Next- 17 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★07-12-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 17 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

         ▣  Zakheera Andazi   ▣

★ Zakheera Andazi ki kai soorte'n he'n ,aur har ek ka hukm Juda he ,

★ 1- Ek soorat to ye he Koi Shakhs apni Zameen ka galla roke rakhe aur farokht na kare ye Jaa'iz he , lekin agar is soorat me girani aur qahat ka intezar karna gunaah he,

★ Aur agar log tangi me mubtila ho jaye to apni zaroorat se Zyada galla farokht karne per majboor kiya jayega ,

★ 2- Doosri Soorat ye he k Koi Shakhs Galla Khareed kar Zakheera karta he aur Jab log Qahat aur qillat ka shikaar ho jaye tab Bazaar me laata he ,Ye soorat Haraam he , Ese Shakhs ko Aap Sallallahu Alaihivasallam ne malo'un kaha he ,

★ 3- Teesri soorat ye he k Bazaar me us Jins ki Farawani he ( Asaani se mil jati he ) aur logo ko kisi tarah ki tangi aur qillat ka saamna nahi ,esi Soorat me Zakheera Andazi Jaa'iz he ,Magar girani ke intezar me Galle ko roke rakhna Karahat se khali nahi ,

★ 4- Chothi Soorat ye he k insaano ya Chopayo'n ( Animals ) ki khuraak ki Zakheera Andazi nahi karta iske alawa digar cheezo ki Zakheera Andazi karta he ,Jisse logo ko tangi laahiq ho jati he ,ye bhi na-jaa'iz he ,

�� Aapke Masail aur Unka Hal ,
�� Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.110

   Next- 18 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★08-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 18 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

   ▣  Hissedar Companio ka Munafa   ▣

★ Company Apne hissedaro ko Jo munafa deti he uske halaal hone ki 2 Sharte'n he'n ,

★ 1- Ek ye k Company ka karobaar Shar'an usool ke mutabiq Jaa'iz aur Halaal ho , Agar company ka Karobaar Shar'an Jaa'iz nahi hoga to uska munafa bhi Halaal nahi hoga,

★ 2- Doosri Shart ye he k Wo company baqaayda hisaab karke Haasil hone wale munafe ko taqseem karti ho aur agar Asal Raqam ke fisad ( Percentage) ke hisaab se munafa muqarrar kar deti he to ye Jaa'iz nahi balki Sood he ,

�� Aapke Masail aur Unka Hal ,
�� Jild - 7( izafa shuda ), Safa No. 120

   Next- 19 , Soon in sha Allah

         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★09-12-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 19 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Shirakati ( partnership) Companiyo ki Shara'i Haisiyat   ▣

★ Kisi Company me Sarmaya ( Raqam) Jama karke uska munafa Haasil karna 2 Sharto ke saath Halaal he ,

★ 1- Ek ye k Wo company Shariyat ke usool ke mutabiq Jaa'iz karobaar karti ho ,Pas jis company ka karobaar Shariyat ke usoolo ke mutabiq Jaa'iz nahi hoga uska Haasil hone wala munafa bhi Jaa'iz nahi hoga ,

★ 2- Wo company usoole muzarbat ke mutabiq Haasil shuda munafe ka theek theek hisaab laga kar hisse dark ko taqseem karti ho pas Jo company bager hisaab se muqarrarah munafa deti ho ,Maslan Asal Raqam ka 5 fisadi ( Percentage) isme bhi sarmaya ( Raqam) lagana Jaa'iz nahi ,kyuki ye sood he ,

★ Jo company Soodi karobaar karti ho usme Shirakat Jaa'iz nahi ,kyunki is company me saare hissedar shareeke Gunaah honge ,

★ Kisi se. Raqam lekar Tijarat karna aur Munafa me usko hissa dena iski 2 soorte he ,::-

★ 1- Ek ye baat tay kar li jaye k Tijarat me jitna nafa hoga uska itna fi sadi Raqam wale ko milega aur itne fi sadi kaam karne wale ko milega aur agar khuda na khwasta Khasara huva to Khasara bhi Raqam wale ko bardasht karna padega ,ye soorat Jaa'iz aur sahi he ,

★ 2- Doosri Soorat ye he k Tijarat me nafa ho ya nuqsaan aur nafa kam ho ya Zyada, har Soorat me Raqam wale ko ek muqarrar miqdaar me nafa milta rahe ,Ye soorat Jaa'iz nahi ,

�� Aapke Masail aur Unka Hal ,
�� Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.122

   Next- 20 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
: ★☆★10-12-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✦  Khareed Farokht aur Mehnat Mazdoori ke Usool aur Zaabte  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART - 20 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Makaan Dukaan ki Pagdi Lena aur Advance ka Hukm ▣

★ Aaj kal poore mulk me Pagdi system per Dukaane aur Makaanaat Kiraye per diye jate he'n , yani kiraye per dene se pehle kuchh Raqam maangi jati he ,Maslan ,ek laakh Rupiya, fir kiraya bhi ada karna hoga ,

★ Ye kisi Shar'ai qaayde ke tahat me nahi aata ,Allah Jane logo ne ye Tareeqa kaha se akhtyar kiya he ? Aur kis Aalim se puchh kar ye Tareeqa akhtyar kiya he ,ya khud hi inke Zahan ne ye ijaad kiya he ,

★Bahar haal Shar'ai Qaayde ke lihaaz se ye maamla na-jaa'iz he,

★ Malike Makaan ka Kirayedaar se Advance Raqam Lena Ye Amanat he ( Qarz nahi ) lekin agar kirayedaar ki taraf se istemal ki ijazat ho to ye Qarz shumar hoga ,

★ Advance ki Raqam Makaan Maalik apni marzi se istemal nahi kar sakta balki Raqam ke Maalik ki ijazat se istemal kar sakta he ,

�� Aapke Masail aur Unka Hal ,
�� Jild - 7( izafa shuda ), Safa No.165

- Alhamdulillah Mukammal Hue -

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

No comments:

Post a Comment