☆☆☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 121☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-7 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Mimbar per Khade hokar Khutba Padhna❂
◆◇◆◇◆
★ Mimbar per khade hokar khutba padhna sunnat he
★ Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam aur Khulfa e Rashedeen Raziyallahu Anhum ka yahi mamool tha,
M↳® Durre Mukhtar, 2/161
↳ Next -122 in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 153
─━══━ғяσм━══━─
Ahle deoband
grσսք
╙━═══○═✧═○═══━╜
★
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 122☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma-7 ✺
◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆
❂ Khutba ke Doraan Mamnu’a Cheeze ❂
◆◇◆◇◆
★ Jab khutba shuru ho jaye to tamaam Hazireen ke liye uska ( khutba ) sunna wajib he, Chahe imaam ke nazdeek bethe ho ya door,
★ Koi esa Kaam Jo khutba sunne me khalal daale Makrooh Tehrimi he,
Maslan – Khana, Pina, Baat cheet Karna, Chalna Firna, Salaam karna, ya Jawab dena, Tasbeeh padhna, Kisi ko shara’i masla batana,,,, Jese Namaz ki haalat me mamnu’a he’n wese hi Khutba ke waqt bhi mamnu’a he’n,
Albatta Khateeb ke liye jaa’iz he Khutba padhne ki haalat me kisi ko shara’i masla batane ki zarurat mehsoos kare to bata sakta he,
M↳® Ba-Hawala Shaami, 1/111
↳ Next – 123 in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 153
─━══━ғяσм━══━─
Ahle deoband
grσսք
╙━═══○═✧═○═══━
★
☆☆☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 123☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma -8 ✺
✯————————————
❂ Khutba Ke Baaz Aham Masail ❂
◆◇◆◇◆
★ Khutbe ke darmiyan kisi khas haalat me bethna masnoon nahi, jis tarah sahulat ho Beth jaye magar imam ki taraf mutawajjah rahe, or khutba Gor se sune,
⇨ Logo ne ye Jo dastoor bana rakha he k pehle khutbe me namaz ki tarah haath baandhe, or Doosre khutbe me Qa’ade ki tarah ghutno per haath rakhe, Shariyat me iski koi asal nahi,,,,
★ Khutbe ke darmiyan namaz padna bhi jaa’iz nahi,
★ Khutbe ke darmiyan buland awaz se Darood Sharif bhi padna jaa’iz nahi,, Balki Apne dil hi me pade,
★ Khutbe ki Azan ka jawab bhi dil hi me de, ba- awaaz nahi,
★ Khutbe ke darmiyan baat -cheet karna, hansna, janamaz se ya or kisi cheez se khelna najaa’iz or haraam he,
↳ Next – 124 in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/397
─━══━ғяσм━══━
Ahle deoband
grσսք
╙━═══○═✧═○═══━╜
★
☆☆☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 124☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma – 9 ✺
✯————————————
❂ Juma Ke Baaz Aham Masail ❂
◆◇◆◇◆
★ Juma sirf Shehar, Bade kasbo ki hudood ke andar hi jaa’iz he,
★ IMAM Abu Haifa R A ke nazdeek chhoti basti me juma jaa’iz nahi aur Jo padhte he’n wo. log Zuhar ki namaz bhi chhodne wale gunahgar samjhe ja’enge aur iska bawal sar per rahega,
⇨ Aur Jo ye kaha jata he k Jaha’n Juma. shuru ho waha’n band na kiya jaye,
iska matlab ye he k masla samjha diya jaye uske bavjood nahi maante, to wo apne amal ke khud zimmedar honge, magar chhoti basti me juma padhna kisi haal me bhi jaa’iz nahi aur Jo shari’at ke masle ke khilaf Jume me imamat kar raha he, wo bhi kam gunahgar nahi,,
★ Jume se pehle aur baad ki Sunnate -Sunnate juma hi kehlati he’n isliye. sunnate juma hi ki niyat kare zuhar ki nahi,
↳ Next – 125 in sha Allah ta’ala,
↳®.Aapke Masail aur unka Hal, 2/405
─━══━ғяσм━══━
Ahle deoband
grσսք
╙━═══○═✧═○═══━╜
☆☆☆
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part- 125☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Juma – 10✺
✯————————————
❂ Jumatul Vidaa ❂
◆◇◆◇◆
★ ” Jumatul Vida ” yani Ramzanul Mubarak ka akhri juma,
→ Hadees shareef me iski koi khushoosi fazilat zikr nahi ki gayi he,,
→ Jese Ramzan ul Mubarak ke doosre Jume he’n , ese hi Akhri Juma bhi he,
★ Fuqha ne Akhri Juma ” Juma tul Vida” me Firaak or Vida ke Mazameen ko makrooh likha he,,,
↳ Next – 126 in sha Allah ta’ala,
↳®Aapke Masail aur Unka Hal,2/413
★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 126 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -1 ✺
✯————————————
❂ Imamat Sahi hone Ki Shara’it ❂
◆◇◆◇◆
★ 1-Musalman hona,
★ 2- Aaqil hona, ( Pagal, Majnu, Diwana na ho )
★ 3- Baalig hona,
★ 4- Mard hona, ( Aurat ki imamat sahi nahi)
★ 5- Farz Qiraat ke ba-qadr yaad hona,
★ 6- Namaz se maan’a koi uzr na ho,
⇨Maslan – Nakseer vagera na chali ho,
⇨Neez namaz ki koi shart maslan – Raharat, Satar vagera na chhot rahi ho,
M↳® Ba- Hawala– Noorul Eyza, Shami,
↳ Next -127, in sha Allah ta’ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 240
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 127 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -2 ✺
✯————————————
❂ Nabina ki imamat ka Hukm ❂
◆◇◆◇◆
★ Nabina ki iqtida makrooh tanjihi he,
Albatta agar Nabina ilm v Amal, Taqwa v Taharat ke lihaaz se doosro se afzal ho to usko imaam banane me koi karahat nahi, Balki usko imaam banana afzal he,
↳ ® Ba- Hawala— Shami,
↳ Next -128, in sha Allah ta’ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 241
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 128 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -3 ✺
✯————————————
❂ Daadi Katane Wale ki Imamat ❂
◆◇◆◇◆
★ Daadi ek qabza ( ek musht ) se kam kataana haraam he, Aur elaaniya gunaah ka irtkaab he,
★ isliye kataane ya mundane wala faasik he aur faasik ki imamat makrooh tehrimi he,
★isliye ese shakhs ko imaam banana jaa’iz nahi, Agar koi esa shakhs jabran imaam ban gaya ya Masjid ki intezami commety ne bana diya aur hataane per Qudrat na ho to kisi doosri masjid me saaleh imaam talaash kare ( Yani doosri masjid me ba-jama’at Namaz padhe ) ,
Agar mayassar na ho to jama’at na chhode balki faasik ke pichhe hi Namaz padh le, Uska azaab v Vabaal Masjid ke muntazimeen ( intezamiya commety ) per hoga,
↳ ® Ba- Hawala— Shami, Ahsanul fatawa-3/26
↳ Next – 129,in sha Allah ta’ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 241
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 129 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -4 ✺
✯————————————
❂ Jahri Qiraat ki Miqdaar ❂
◆◇◆◇◆
★ Imaam ke liye Jahri NamaZo me qiraat ki miqdaar ye he k,
Itni awaaz me qiraat padhe k pehli Saf ke NamaZi qiraat sunle,
Tamaam Namazio’n ko sunana laazim nahi,
↳ ® Ba- Hawala—- Durre Mukhtar, 1/499
↳ Next -130 in sha Allah ta’ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 243
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 130 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -5 ✺
✯————————————
❂ Shafa’i aur Ahle Hadees ki imamat ❂
◆◇◆◇◆
★ Agar ye yaqeen ho k imaam namaz ke arkaan v Shara’it me doosre mazahib ki riaayat karta he to uski iqtida bila karahat jaa’iz he,
★ Agar riaayat na karne ka yaqeen ho to uske pichhe padhi hui Namaz sahi nahi hogi,
Aajkal ke Gair Muqallideen sirf ye hi nahi k riaayate mazahib ka khayal nahi rakhte balki usko galat samajhte he’n aur umda uske khilaaf ka ahatmam karte he’n aur isko sawab samajhte he’n, isliye uski iqtida se jaha tak mumkin ho ahatraaz laazim he,
Magar ba-waqte zarurat unke pichhe Namaz padh le, Jama’at na chhode,
★ Ye Tafseel us waqt he k ye imaam sahi ul aqeeda ho, Agar uska aqeeda faasid he, Muqallid ko mushrik samajhta he aur sab salf ( yani Aaimma ko gaali galoch ) karta he, to uski imamat makrooh tehrimi he,
M↳® Ahsanul fatawa, 3/282
↳ Next – 131, in sha Allah ta’ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 244
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 131☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -6 ✺
✯————————————
❂ Bid’ati ki imamat ka Hukm ❂
◆◇◆◇◆
★ Aajkal ke Firqa e mubtda’a ke aqaa’id Shirk ki had tak pahunche hue he’n, isliye unke pichhe Namaz nahi hoti,
★ Albatta agar koi bid’ati shikiya aqaa’id na rakhta ho, sirf teeja, chaliswa vagera jesi bid’ato me mubtila ho uski imamat makrooh tehrimi he,
↳ ® Ganiyat, 480
★ Koi sahi ul aqeeda imaam mil jaye to bid’ati ki iqtida me Namaz na padhe, varna usi ke pichhe Namaz padh le, Jama’at na chhode,
★ Bid’ati ki iqtida me padhi hui namaz agarche makrooh tehrimi he magar waajibul a’aadah nahi ( lotane ki zarurat nahi), Ye ese bid’ati ka Hukm he Jo mushrik na ho, Shirkiya aqaa’id rakhne wale ka Hukm ouper likha ja chuka he, uske pichhe qatan Namaz nahi hoti,
↳ Next -132, in sha Allah ta’ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 245
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 132 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -7 ✺
✯————————————
❂ Mutafarrik. ❂
◆◇◆◇◆
★ Qiraat ki baaz galtya’n esi he k unse Namaz Faasid ho jati he, isliye qiraat me galtiya’n karne wale shakhs ko imaam banana jaa’iz nahi,
★Imaam ke hote hue kisi aur ko imaamat nahi karni chahiye, bager imaam ki ijazat ke Namaz makrooh Tehrimi he,
★ Kisi ahal ke hote hue ijazat ke bager usse kamtar imaamat kare to uski imaamat khilafe afzal aur makrooh tanzihi hogi,
★Dadi munde shakhs ke pichhe Namaz makrooh Tehrimi he, lekin agar puri jamaat me koi bhi ba shara aadmi nahi to tanha tanha Namaz padhne ke bajaye ese shakhs ke pichhe Jo Namaz padha sakta ho aur Namaz ke zaruri masail se waqif ho to ese imaam ke pichhe Namaz padhna tanha padhne se behtar he,
↳ Next -133 in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/234
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 133 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -8 ✺
✯————————————
. ❂ Mutafarrik ❂
◆◇◆◇◆
★ Taraveeh ki ujarat jaa’iz nahi, Panjgana Namaz ki imaamat ki ujrat ko mutakhryn ne jaa’iz rakha he,
★ Ek imaam do masjido me imaamat nahi kar sakta kyuki uski pehli Namaz Farz hogi aur doosri nifl, Farz padhne walo ki iqtida nifl wale ke pichhe sahi nahi,
★ Agar sirf ek Mard aur ek Aurat muqtadi ho to Jo Mard muqtadi he wo imaam ki dahini janib (zara sa pichhe hatkar) barabar khada ho jaye aur Aurat pichhli saf me akeli khadi ho,
↳ Next -134, in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/234
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 134 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -9 ✺
✯————————————
❂ Mutafarrik ❂
◆◇◆◇◆
★ Imaam ka Mehrab me khada hona makrooh he, Mehraab to qibla ki shanakht ke liye hoti he, imaam ka musalla mehraab se zara sa bahar hona chahiye, taki imaam jab khada ho to uske paanv mehraab se bahar ho,
★ Immam ovper wali manzil se bhi imaamat kar sakta he, lekin behtar munasib ye he k imaam pehli manzil me rahe,
★ Agar Umar ke lihaz se baalig he aur abhi Dadi nahi nikli uski imaamat sahi he, isi tarah jis shakhs ki qudrati Dadi na ho uski imaamat bhi sahi he,
↳ Next -135, in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/238
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 135 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -11 ✺
✯————————————
❂ Mutafarrik. ❂
◆◇◆◇◆
★ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Dadi badhane ka hukm diya he, albatta baaz Sahaba ikraam Raziyallahu anhum se ek musht se zyada ka kaatna saabit he, isse tamaam fuqha e ummat ne ek musht se zyada ke kaatne ko jaa’iz aur isse kam ke kaatne ko haraam farmaya he, ese imaam ke pichhe Namaz jaa’iz nahi,
★ Imaam agar musafir ho to wo qasr padhega aur uske pichhe Jo log muqeem he’n wo apni baqi raka’ate ( 3 ya 4 raka’at wali namaz me )puri kar lenge, agar imaam muqeem ho aur muqtadi musafir ho to wo imaam ke saath puri Namaz padhega,
★ Jo imaam siyaah khizab lagata ho uske pichhe Namaz makrooh Tehrimi he,
↳ Next – 136, in sha Allah ta’ala,
↳®Aapke masail aur unka Hal, 2/241
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 136 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -12 ✺
✯————————————
❂ Mutafarrik. ❂
◆◇◆◇◆
★ Salwaar, Pajama aadhi pindli tak rakhna sunnat he, Takhno tak rakhne ki ijazat he aur Takhno se niche rakhna haraam he aur Namaz me ye fa’al aur bhi haraam he,
⇨ Jo imaam salwaar ya pajama takhno se nicha rakhne ka aadi ho agar wo isse baaz na aaye to usko imamat se hata dena durust he,
★ Faasiq haraam aur kabeera gunaah karne wale ki iqtida me adaa ki gayi Namaz makrooh Tehrimi he,
★ Bank ke mulazim ki imaamat makrooh Tehrimi he, Bank ki mulazmat jaa’iz nahi, Bank ki tankhwah chuki sood se milti he isliye wo bhi halaal nahi,
↳ Next -137, in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/243
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 137☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -13 ✺
✯————————————
❂ Mutafarrik. ❂
◆◇◆◇◆
★ Jo shakhs T V dekhta ho, Gana sunta ho, cinema dekhta ho wo faasiq he uske pichhe Namaz makrooh Tehrimi he, usko imaam na banaya jaye,
★ Rishwat lena kabeera gunah he, iska murtkib faasiq he aur faasiq ki imamat makrooh Tehrimi he,
★ Qatil ne apne gunaah se tauba kar li ho to uske pichhe Namaz bila karahat jaa’iz he, varna makrooh Tehrimi he,
↳ Next – 138, in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal, 2/245
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 138 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -14 ✺
✯————————————
❂ Mutafarrik. ❂
◆◇◆◇◆
★ Kya imaam Sunnate Mokada padhe bager imaamat kara sakta he
⇨ Imaam ne Sunnate na padhi ho tab bhi wo jama’at kara sakta he, imaam sahab ko chahiye k sunnato se pehle faarig hone ka ahatmam kiya kare aur agar kabhi imaam pehle faarig na ho sake to muqtadiyo ko chahiye k imaam ko sunnato ka moqa de diya kare,
★ Agar Namazi aage pichhe ho ya saf me jagah khali ho to imaam ko hidayat karni chahiye,
↳ Next – 139,in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke Masail aur unka Hal ,2/247
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 139 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -15 ✺
✯————————————
. ❂ Mutafarrik ❂
◆◇◆◇◆
★ Imaam ki awaaz (muqtadiyo tak ) pahunche ya na pahunche iqtida sahi he aur sawaab me bhi koi kami nahi aati,
★ Imaam ko chahiye k namaz me muqtadiyo ki riaayat kare aur itni lambi namaz na padhaye k log tang ho jaye, imaam ko halki Namaz padhane ka hukm he, kyuki muqtadiyo me koi kamzor hoga, koi bimaar hoga, koi haajat mand hoga,
⇨ Ek aur Hadees me hukm he k jama’at me Jo sabse kamzor Aadmi ho uski riaayat karte hue Namaz padhaye,
↳ Next -1140, in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke masail aur unka Hal, 2/248
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 140 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ IMAMAT -16 ✺
✯————————————
❂ Mutafarrik. ❂
◆◇◆◇◆
★ Imaam ko chahiye k namaz ke baad muqtadiyo ki taraf pusht karke na bethe, balki ya to muqtadiyo ki taraf moonh karke beth jaye ya daaye baaye moonh karke beth jaye,
⇨ Namaz ke baad imaam ko muqtadiyo ki taraf moonh karke bethna koi zaruri nahi, daaye, baaye jis taraf chahe beth sakta he,
★ Imaam se kisi duniyavi sabab se naraazgi rakhna bura he, Jis imaam se naraazgi ho Namaz uske pichhe jaa’iz he,
⇨ imaam se agar masle me ikhtilaf ho jaye chahe imaam ki galti ho ya muqtadi ki, uske pichhe padhi hui Namaz sahi he,
↳ Next – 141, in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke masail aur unka Hal, 2/249
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 141 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Muqtadi Ke Masail -1 ✺
◆◇◆◇◆
★ Muqtadi ka ruku v Sajda aur qoma v jalsa imaam ke saath hi hona chahiye basharte k muqtadi imaam ke rukn shuru karne ke baad us rukn ko shuru kare neez ye k imaam se aage nikalne ka andesha na ho,
⇨ agar imaam ke uthne bethne ki raftaar sust ho aur ye andesha ho k agar imaam ke saath hi rukn shuru kiya to imaam se aage nikal ja’ega to esi haalat me thoda sa tawakkuf karna chahiye,
Next – 142, in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke masail aur unka Hal, 2/255
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 142 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Muqtadi Ke Masail -2 ✺
◆◇◆◇◆
★ Muqtadi ko takbeere ahista kehni chahiye aur ahista ka matlab ye he k awaaz sirf uske kaano ko sunai de, imaam ko buland awaaz se,
★ Jab imaam qiraat shuru kar de to sana chhod deni chahiye aur Sirri Namazo me ( zuhar, Asr ) me ye khayal ho k imaam qiraat shuru nahi ki hogi to sana padh le, uske baad chhod de,
★ Shafai Hazraat Fajar ki doosri raka’at me ruku ke baad aur sajde se pehle khade hokar duae qunoot padhte he’n, hamare nazdeek ( Hanafiya) haath chhodkar khamosh khade rehna behtar he aur jab imaam sajde me jaye to Sajde me chale jaye,
↳ Next – 143, in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke masail aur unka Hal, 2/256
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 143 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Muqtadi KE Masail -3 ✺
◆◇◆◇◆
★ Jama’at ki namaz me qiraat imaam ka wazifa he, muqtadi ko khamoshi ka hukm he,
★ Imaam Abu Hanifa Rh ke nazdeek imaam ki qiraat muqtadi ke liye kaafi he, lihaza imaam ke pichhe soorate padhna sahi nahi, Aur Ahle hadees hazraat imaam ke pichhe sirf Fatiha padhne ka hukm karte he’n,
⇨ Imaam ke pichhe qiraat ke maamle me apne apne maslak per amal kare, Ikhtilafi Masail me ek doosre se ulajhna nahi chahiye,
↳ Next – 144, in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke masail aur unka Hal, 2/259
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 144 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Muqtadi Ke Masail -4 ✺
◆◇◆◇◆
★ Imaam ke salaam ferne tak muqtadi qa’ada me doosri duae bhi padh sakta he,
★ Ruku aur Sajda me Imaam se pehle jana gunaah he, imaam se pehle salaam ferna naja’iz aur makrooh Tehrimi he,
★ Imaam ki iqtida ke liye Saf me hona zaruri he,
↳ Next – 145, in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke masail aur unka Hal, 2/260
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 145 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Masbooq Aur Laahiq -1 ✺
◆◇◆◇◆
★ Jis shakhs se imaam ke pichhe Namaz ki kuchh raka’ate reh gayi ho aur wo baad ki raka’ato me imaam ke saath shareek usko masbooq kehte he’n, maslan Jo shakhs imaam imaam ke saath doosri raka’at me shareek hua wo Masbooq he,
★ Masbooq Aakhri qa’ade me imaam ke pichhe sirf Attahiyat padhe aur imaam ke salaam ferne ka intezar kare fir jab imaam salaam ferle to khada ho jaye aur jitni raka’ate reh gayi ho wo poori kare,
★ Agar ek raka’at reh gayi ho to uthkar jis tarah pehli raka’at padhi jati he Sana se shuru kare aur Surah Fatiha aur Surat padhkar raka’at puri kare, Aur agar do raka’ate reh gayi ho to uthkar pehli do raka’ato ki tarah padhe,
★ Agar 3 raka’ate reh gayi ho to pehli raka’at Sana se shuru karke Surah Fatiha aur koi Surat padhe aur us raka’at per qa’ada kare, doosri raka’at me Surah Fatiha aur Surat padhe aur Teesri me sirf Surah Fatiha padhe aur aakhri qa’ada kare,
★ Jo shakhs ibtida me imaam ke saath namaz me shareek hua tha magar kisi vajah se uski baad ki raka’ate imaam ke saath nahi hui usko “Laahiq” kehte he’n, maslan Jo shakhs imaam ke saath pehli raka’at me shareek tha magar doosri raka’at me kisi vajah se shareek nahi raha Laahiq he,
↳ Next – 146, in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke masail aur unka Hal, 2/289
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 146 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Masbook Aur Laahiq -2 ✺
◆◇◆◇◆
★ Ruku me shareek hone wala khada hokar Allahu Akbar kahe aur bager Sana padhe Allahu Akbar kehkar Ruku me chala jaye,
⇨ Imaam jis haalat me bhi ho masbooq ko usi haalat me Shareek ho jana chahiye imaam ke qayaam ka intezar na kare,
★Baad me shareek hone wala bhi imaam ke saath Sajda Sahu kare,
★ Agar Masbooq imaam ke saath hi salaam fer diya tha to uthkar Namaz puri kar le, Sajda Sahu ki zarurat nahi, aur agar imaam ke faarig hone ke baad Salaam fera to Namaz puri karke akhir me Sajda Sahu kare,
↳ Next – 147, in sha Allah ta’ala,
↳® Aapke masail aur unka Hal, 2/291
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 147 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Eid Ki Namaz-1 ✺
◆◇◆◇◆
★ Shawwal ke Mahine ki pehli tareekh ko Eidul Fitr aur Zilhijja ki Dasvi tareekh ko Eidul Azha kehte he’n, Ye dono din islaam me Eid aur khushi ke din he’n, aur in dono Dino me bator Shukr 2-2 raka’at Namaz padhna waajib he,
⇨ Namaze Juma ke wajoob aur Sahat ke liye Jo sharayat Juma ke baab me zikr ki ja chuki he’n wahi sab Eiden ki Namaz me bhi he’n, Sivaye khutba ke k Juma ki Namaz me khutba Shart he aur Namaz se pehle padha jata he,
Jabki Eiden ki Namaz me Shart nahi sunnat he aur Namaz ke baad padha jata he, magar Eiden ke khutbe ka sunna bhi Juma ke khutbe ki tarah waajib he Yani us waqt baat cheet karna ya Namaz padhna sab na-jaa’iz he,
↳ Next – 148, in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 154
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
☆ Part- 148 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Eid Ki Namaz Ka Tareeqa ✺
◆◇◆◇◆
★ Eiden ki Namaz ka Tareeqa ye he k Dil me ye niyat kare k me 6 takbeero ke saath Eid ki 2 raka’at waajib Namaz padhta hu’n,
⇨ Niyat ke alfaz Zaban se kehna zaruri nahi, Dil me iraada kar Lena kaafi he,
★ Niyat karke Haath baandh le aur Sana ” Subhan kallahumma ….” Aakhir tak padh kar 3 martaba ” Allahu Akbar ” Kahe, har martaba Takbeer Tehrima ki tarah dono haath kaano tak uthaye, aur Takbeer ke baad haath latka de ( chhod de ),
★ Imaam do takbeero ke darmiyan itni der tak thehre jisme 3 martaba ” Subhanallah ” kaha ja sake,
→Teesri takbeer ke baad haath baandh le, aur imaam ” A’uzubillah …” aur ” Bismillah …” padh kar ” Surah Fatiha ” aur koi Soorat padh kar ruku v Sajda karke khada ho,
★Doosri raka’at me Surah Fatiha, soorat padh le, Uske baad 3 takbeere is tarah kahe k har martaba haath kaano tak uthaye aur Chothi takbeer me haath na uthaye takbeer kehte hue sidha Ruku me chala jaye, Sajda vagera Namaz ko Aakhir tak mukammal karke salaam fer de,
★Namaz ke baad khutba padhe, ( Muqtadi khoob dhyan se sune ),
↳ Next – 149, in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 154
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
( Eid. Ki. Namaz )
☆ Part- 149 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Namaz e Eid ke liye Shahar
se Bahar Jana Sunnat He ✺
◆◇◆◇◆
★ Eidgaah Shahar se bahar Sunnat Mokada he, kyuki Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Eiden ki Namaz hamesha bahar hi Ada farmate the, balki mazoor logo ko saath le Jane ka ahatmam farmate the, Sirf ek martaba Barish ki Vajah se bahar tashreef na le ja sake,
® Ravah Abu Daoud,
⇨ isliye asal hukm yahi he k Eid ke liye Shahar se bahar ek jagah ijtima e Azeem ho, isme shokate islam ka muzahrah bhi he,
★Agar Shahar ke gunjaan abaadi ki Vajah se bahar nikalna mushkil ho, ya intezami mushkilaat ho to Shahar ke andar kisi bade maidaan me ba-waqte zarurat Masjid me Ada karna bila karahat durust he,
★ Lekin Jaha tak ho sake laazim he k har Mohalle me chhote chhote ijtimaat ki bajaye ek mukaam per bade ijtimaa ki koshish ki jaye, ( Yani kisi badi jagah per Eiden ada ki jaye),
® Ahsanul fatawa, 4/129
↳ Next – 150, in sha Allah ta’ala,
↳® Fiqhul ibadaat, 155
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
( Eid Ki Namaz)
☆ Part- 150 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
. ✺ Mutafarrik -1✺
★ Eid ki namaz wajib he aur Takbeerat bhi wajib hai,
★ Eid ki namaz me agar muqtadi der se aaya aur zaa’id Takbeerat nikal gayi to, Qiraat shuru ho ya nahi muqtadi Takbeere tehrima kehkar zaa’id Takbeerat bhi kehle,
★ Agar imam ruku me ja chuka ho aur ye guman ho k takbeerat kehkar imam ke saath ruku me shamil ho sakta he to Takbeere tehrima ke baad khade khade 3 Takbeerat bhi kehkar ruku me chala jaye,
★ Agar ye guman ho k Takbeerat kahunga to imam Ruku se uth jayega to Takbeere tehrima kehkar ruku me chala jaye aur ruku me ruku ki Tasbeehat ( Subhana Rabbi yal azeem ) ke bajaye bina haath uthaye Takbeerat kehle,
⇨Aur agar takbeere poori na ho aur imaam ruku se uth jaye to Takbeere chhod de, imaam ki pervi kare,
★ Agar raka’at hi nikal gayi to jab imam salam ferle, apni raka’at poori kare to pehle Qiraat kare, fir takbeerat kahe, aur ruku ki takbeer kehkar ruku me jaye,
★ Eid ki namaz me agar imam galti kare aur galti esi ho jisse namaz fasid nahi hoti to namaz lotane ki zaroorat nahi,
⇨ Fuqha ne likha he Eid ki namaz me agar majma zyada ho to sajda Sahu na kiya jaye,
Aapke Masail aur unka Hal, 4/154
Next -151 ©ontinue in sha Allah,,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
( Eid Ki Namaz)
☆ Part- 151 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Mitafarrik -2✺
★ Eid ka khutba sunnat he, khutba namaz ke baad hota he,
★ Dua baaz hazraat namaz ke baad karte hai aur baaz khutbe ke baad, do no ki gunza’ish he,
★ Eid ke din gale milna sunnat nahi, ye mahaz logo ki banayi hui ek Rasm he, isko deen ki baat samajhna aur na karne wale ko malamat karna ‘Bid’at ‘ he,
Gair Muslimo se Eid milna ” Haraam ” he,
Eid milna dosti ki alamat he aur Allah ke dushman se Dosti haraam he, kyuki Dushman ka Dost bhi Dushman hota he,
★ Eid ki namaz ki qaza nahi aur na hi iska fidya he, sirf astagfar kare,
★ zilhijja ki 9 tareekh ki subeh se 13 tareekh ki Asar tak har Farz Namaz ke baad har Balig, Aaqil mard aur Aurat per takbeere Tashreeq wajib he, Halki buland awaz se ye Takbeerat padhe,
⇨ ” Allahu Akbar Allahu Akbar
La ilaaha illallahu
vallahu Akbar
Allahu Akbar
valillahil hamd, ”
★ Eid ke Din Eidi ki Rasm ka rivaaz he, ye sunnat to nahi lekin khushi ke izhaar ke liye esa kiya jata he to koi harj nahi,
Aapke Masail aur unka Hal, 4/157
Next -152 ©ontinue in sha Allah,,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
⊙ Namaz Ke Masail ⊙
( Eid ki Namaz )
☆ Part- 152 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Eiden Ki Namaz ke Baad Masafa Makrooh hone Ki Had ✺
◆◇◆◇◆
★ Eiden ki Namaz ke baad musafa karna makrooh he, Bid’at he, Kyuki Eiden ki Namaz ke foran baad khade hokar musafa aur mu’aanqa ( gale milna ) karna Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba kiraam Raziyallahu Alaihim Ajmayin se saabit nahi he,
⇨ Lekin karahat sirf Eidgaah tak ke liye he, Uske baad agar kisi se mulaqaat ho jaye aur mulaqaat ke waqt musafa kare ya kisi door se aane wale se ek arsa ke baad mulaqaat ho jaye, Ab Eiden ke din unse mulaqaat per musafa ya mu’aanqa kare to isko makrooh ya Bid’at nahi kaha jayega,
Kyuki ye musafa ya mu’aanqa Eid ki Vajah se nahi he balki aam mulaqaat ka musafa he aur aam mulaqaat ke waqt musafa door se aane walo se mu’aanqa shar’an saabit he,
®Ahsanul fatawa, 9/354 Ba- Hawala Durre Mukhtar, 1/381
↳ Alhamdulillah Mukammal
↳® Fiqhul ibadaat,
————
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
★☆★
No comments:
Post a Comment