❥✦❥
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
●═══════════════════════●
{GhairmuqaLLid or hanfi ikhtilaf}
●═══════════════════════●
☞ HAQQ PAR KON
█ PART - 01 █
❉→Is ikhtilaf ki noiyat samajhne ke liye chand umoor ko samajh Lena Zaroori he,
❉→is ummat me nazariyati ikhtilaf to biLa shubha ek fitna he, magar Farui masaiL me " ijtehadi ikhtilaf " na sirf ek fitri cheez he, balki ba-irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam ye ummat ke liye ek Rehmat he, basharte k isme shiddat ka nukta lagakar ek doosre par Laan taan karke jehmat me tabdeel na kiya jaye,
Next-02©ontinue in sha Allah,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
IkhtiLafe Ummat or Sirate Mustaqeem
╭─━═☜█✼✦✼ █☞═━─╮
⊙Join Group ⊙
✧ AhLe deoband ✧
. ✆+91 7037363325
╰─━═☜█❈✦❈ █☞═━─╯
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
❥✦❥
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
●═══════════════════════●
{GhairmuqaLLid or hanfi ikhtilaf}
●═══════════════════════●
☞ HAQQ PAR KON
█ PART - 02 █
❉→2-Jin Akabire ummat ko Aimma e ijtehad tasLeem kiya gaya, wo na sirf Quran Sunnat ke mahir the balki baad ki poori ummat se badh kar shariyat ke nukta shanas the, ilm or FazaL, Dayanat or Amanat, Faham or Bashirat, or Taqwa, or khuda shanasi ke unse badh kar koi shakhs is ummat me paida nahi hua,
❉→ yahi vajah he k in Buzurgo ko ilm ke bade bade pahaad or kashf v ilhaam ke bade bade dariya kaha jata he, wo sab in Aaimma e ijtihad ki pervi karte the,,, aise ba kamaal buzurgo ka inki pervi karna inke Buland martabe ki daleel he,
❉→ 3- Aaimma e ijtihaad bahut se akabir hue magar Allah ta'ala ki hikmate baalga ne ummat ke sawade aazam ko 4 Buzurgo ke ijtehaad par jama kar diya he,
❉→ Yani imaam Abu Hanifa, imaam Shafai, imaam Maalik or imaam Ahmed bin Hambal Rehmatullahi Alaihi,
❉→ 4- Chothi Sadi ke baad jitne Akabir, Ulama or mashaikh guzre hain, wo sab inhi charo me se kisi ek ki pervi karte the, Goya ke poori ummat ke Arbabe ilm or fazal or Arbabe quLood or Mukashfa in Buzurgo ki qayadat or sayadat per muttafiQ he,, or Qabile zikr Aalim or Buzurg aisa nahi milega jinhone in Buzurgo me se kisi ek ki itteba na ki ho
Next-03©ontinue in sha Allah,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
IkhtiLafe Ummat or Sirate Mustaqeem
╭─━═☜█✼✦✼ █☞═━─╮
⊙Join Group ⊙
✧ AhLe deoband ✧
. ✆+91 7037363325
╰─━═☜█❈✦❈ █☞═━─╯
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
❥✦❥
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
●═══════════════════════●
{GhairmuqaLLid or hanfi ikhtilaf}
●═══════════════════════●
☞ HAQQ PAR KON
█ PART - 03 █
❉→ 5- in Buzurgo me bahut se farui masaiL me ikhtilaf bhi he, magar apni apni jagah sab haqq par hain, isliye shariyate mutahhara per amal karne ke liye in me se jinki pervi ki jaye sahi he, magar in me se kisi ki be-adabi or gustakhi jayaz nahi, kyuki kisi Aalim ki gustakhi dar asal ilm ki toheen he, or ilme shariyat ki be-hurmati baargahe khudawandi me na-kabile maafi he,
❉→ 6-Shariyate mutahhara ka beshtar hissa wo he jis per ye charo imaam muttafiq hai, Ba- qaul Hazrat Shah waliullah Muhaddis Dehalvi RA ke -in charo Buzurgo ka kisi masle per ittefaaq karna, ijmaye ummat ki alaamat he, yani jis masle per ye Aimma Arba muttafiq ho, samajh lena chahiye k Hazraate Sahaba ikram RA se lekar aaj tak poori ummat is per muttafiq chali aayi he, isliye ittefaqi masle se bahar nikalna jayaz nahi,"
❉→ 7- IJTEHADI -IKHTILAF,
Yani farui masaiL me ikhtilaf -
jese namaz me haath kaha Baandhe,
Kadmo ke darmiyan kitna faasla ho,
Rafayaden kiya jaye ya nahi, Ameen buland awaaz me kahe ya ahista, Imaam ke pichhe surah fatiha pade ya nahi,
❉→ in maslo ki tadaad chahe kitni bhi ho, dono fareeqo me se jiski Jo Tehkeeq ho, uske liye usi per amal karna Zaroori he,
❉→ Agar Ahle hadees Hazraat imaam Abu Hanifa Ra ki tehkeeq per mutmain nahi to unhe is per majboor nahi kiya ja sakta, isi tarah Ahle hadees ki Tehkeeq Layiqe itminan nahi to koi Zaroori nahi ke hum unki Tehkeeq per amal kare,
❉→ 8- Hume maloom hona chahiye k Farui ikhtilaf Hazraate Sahaba ikram RA, Salfe Saleheen or Aimma ke darmiyan bhi rahe hai, or ye ikhtilaf agar apni hadd ke andar rahe to sarapa rehmat he, ke ummat ke kisi na kisi Fard ke zariye Allah ta'ala ne Apne Nabi Paak Sallallahu Alaihivasallam ki ek ek sunnat ko kisi na kisi shaqL me mehfooz kar diya he,
❉→Lekin is masle me ek fareeq doosre fareeq ke khilaf zabane taan daraz kare or in masaiL ki bina per ek doosre ko Gumrah bataya jaye, to ye ikhtilaf rehmat nahi rahega balke Zehmat ban jayega or ummat ki Amali Taaqate in farui masaiL me kharch hokar khatm ho jayegi,
❉→ Har cheez apni hadd me rahe to achchhi lagti he or jab hadd se aage nikal jaye to ye mazmoon ban jati he, yahi haal in faruiyat ka he,
❉→Msg ko dhiyaan se padhe or soche Aaj ham kahan hai
Next-04©ontinue in sha Allah,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
IkhtiLafe Ummat or Sirate Mustaqeem
╭─━═☜█✼✦✼ █☞═━─╮
⊙Join Group ⊙
✧ AhLe deoband ✧
. ✆+91 7037363325
╰─━═☜█❈✦❈ █☞═━─╯
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
❥✦❥
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
●═══════════════════════●
{GhairmuqaLLid or hanfi ikhtilaf}
●═══════════════════════●
☞ HAQQ PAR KON
█ PART - 04 █
❉→ NAZARIYATI IKHTILAF
❉→ Ahle Hadees( jinko Aam tor per Gair Muqallid kaha jata he ) or Hanafi me nazariyati ikhtilaf
❉→1- Ahle hadees ke nazdeeq kisi imaam ki iqtida, pervi nahi karna chahiye balke har shakhs ko Quran or Hadees se Jo baat samajh me aaye us par amal karna chahiye, Ye masLa Taqleed or Tarke Taqleed ke unwan se mashoor ho gaya he,
❉→ 2- Baaz Avqaat shonqe ijtehad me ijmae ummat se bhi beniyaz ho jate hai, jese 20 Rakaat Taraveeh ko Bid'at kehte hai,
❉→ 3- Teen Talaaq ba Lafze wahid ( ek baar) ka he,
❉→ TAQLEED KYA HE??←❉
❉→ Taqleed ke maani he, " kisi layiqe etmaad aadmi ki baat ko bagair mutaLba daleel tasleem kar Lena,"
❉→ Jis Aadmi ki baat mani ja rahi he agar wo sire se hi Layiqe etmaad nahi he to Zahir he k uski baat ka maanna hi ghalat hoga or agar wo apne Fun ka mahir he to usse daleel ka mutalba karna ghalat hoga,
❉→ iski misaal aisi he k aap kisi doctor ke paas jate hai or wo aapke liye nuskha tajveez karta he, agar wo doctor apne Fun me mahir hi nahi he to aapka uske paas Jana hi ghalat hoga or agar wo apne Fun ka mustnad mahir he to uske tajveez kiye hue nuskhe ki ek ek cheez ke bare me bahas karna or usse daleel maangna bilkul bhi sahi nahi hoga,
❉→Vajah ye he k ek Aam aadmi kisi mahir ke paas jata hi us waqt he jab k wo masla uski aqal or faham ki Sateh se uncha ho,
❉→ Bilkul isi tarah Deen or Shariyat ka mamla samajh lena chahiye, pas deen ke Jo aam masail Jo Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke zamane se mutawasir chale aa rahe hai or jinko har aam musalman jaanta he, aise masail ke bare me kisi ko kisi Aalim ke paas Jane ki Zaroorat pesh nahi aati or na hi koi jata he, Deeni masail me ahle ilm ki Zaroorat usi waqt pesh aati he jab hum jese aam Aadmi ki aqal, Zehni sateh se masla bahar ho, aisi haLat me 2 soorate hai, -
❉→ 1- Hum khud Quran or Hadees kholkar beth jaye or humari apni aqal or faham me Jo baat sahi lage use " Deen" samajh kar us per amal karne Lage,
❉→ 2- Doosri soorat ye he k Jo Hazraat Quran or Hadees ke mahir hain, unse Ruju kare or unhone apni maharat, Taveel tajurba or khuda daad Bashirat se Quran or Hadees me ghor kar ke Jo natija nikala he, us par etmaad kare ,
❉→ Pehli soorat khud Raay ki he Jo " Gair Muqallid " he,
❉→Or doosri soorat ko " Taqleed " kaha jata he, Jo ain taqaazaa e aqal or fitrat ke mutabik he,
Next-05©ontinue in sha Allah,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
IkhtiLafe Ummat or Sirate Mustaqeem
╭─━═☜█✼✦✼ █☞═━─╮
⊙Join Group ⊙
✧ AhLe deoband ✧
. ✆+91 7037363325
╰─━═☜█❈✦❈ █☞═━─╯
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆ ❥✦❥
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
●═══════════════════════●
{GhairmuqaLLid or hanfi ikhtilaf}
●═══════════════════════●
☞ HAQQ PAR KON
█ PART - 05 █
❉→Mahireene Shariyat ki tehqiqaat se sarfe nazar(inkaar) karte hue ek ek masLe ke liye Quran o hadees me ghor karne wale shakhs ki misaL aisi he k koi shakhs bahut si pechida bimariyo'n me mubtaLa ho or Doctor ke paas Jane ko apni kasre shan samjhe or ilaaj ki achchi achchi kitaabe khoL kar beth jaye or Jo aqal me aaye wo ilaaj ka tajurba apni Zaat pe karne lage,, avval to koi aqalmand aisi harkat karega nahi!!
❉→ Or agar koi waqayi khush fehmi ka shikar hokar doctor ko dikhane ke bajaye khud hi pechida bimariyo ka ilaaj apne mutale ke Zor per karne lage to usko sehat ki dolat to naseeb nahi hogi albatta use apne kafan dafan ka intezaam pehle se kar lena chahiye,,
❉→ Jis tarah tib (ilaaj) me khud ray Aadmi ko qabr me pohcha kar chordti he, usi tarah Deen me khud ray Aadmi ko gumrahi ke ghaar me pahunchati he,
❉→ Yahi vajah he hamare saamne jitne gumrah firqe hue un sabne apni mashq ka Aghaaz khud ray or tarke taqleed se kiya he,,
❉→ Mashoor muhaddis Aalim Molana Muhammad Husen Batalvi Ra' is khud ray or tarke taqleed ka maatam karte hue bilkul sahi farmate hai,,
❉→25 baras ke tajurbe se humko ye baat maloom hui he ke Jo log be ilmi ke saath mujtade mutLaq hone ka daava karte hai or mutLaqe taqleed ke tarik ban jate hai wo aakhir islaam ko salaam kar bethte hai,
❉→ kufr o irtdaad ke asbaab or bhi bakasrat mojood he magar deendaro'n ke bedeen ho jane ke liye be ilmi ke saath tarke taqleed bahut bada sabab he, Agar wo ahle hadees me Jo be ilm ya kam ilm hokar tarke mutlaqe taqleed ke muddayi hai, wo in nateejo se dare,
Or Tamaam hazraat in logo se, in gumrah firqo, giroh se bachbkar Rahe,, is giroh ke log azaad or khud mokhtar ho jate hai, Allah Hifazat kare,
Next-06©ontinue in sha Allah,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
IkhtiLafe Ummat or Sirate Mustaqeem
╭─━═☜█✼✦✼ █☞═━─╮
⊙Join Group ⊙
✧ AhLe deoband ✧
. ✆+91 7037363325
╰─━═☜█❈✦❈ █☞═━─╯
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
❥✦❥
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
●═══════════════════════●
{GhairmuqaLLid or hanfi ikhtilaf}
●═══════════════════════●
☞ HAQQ PAR KON
█ PART - 06 █
❉→Bahut se akabir auliya Allah ka mamooL tha ke aaimma ke aqwal ko jama karte the or har masLe me aise koL ko akhtyar karte the jisme Zayada se Zayada Ahtiyaat nazar aaye,
❉→ Maslan ek imaam ke nazdeek ek cheez zaroori hai or Dusre ke nazdeek Zaroori nahi to wo hazraat Zaroori wale qol par amal karte,
❉→ isi tarah masLan ek imaam ke nazdeek koi cheez makrooh he or doosre ke nazdeek makrooh nahi to wo hazraat makrooh wale qol par amal karte hue usse parhej karte the
❉→ Ye to khudatars bando ki shan thi, magar ab tarke taqleed ka matlab ye samjha jata he ke jis imaam ka Jo masla khahishe nafs ke mutabiq nazar aaye us per amal karo,
❉→ Ye darasaL Quran o sunnat ki pervi nahi balke khahishe nafs ki pervi he, use shaitaan ne Quran o hadees ki pervi ka Rang de diya,,
❉→ Shah valiullah muhaddis dehalvi Ra farmate hain,, ke chothi sadi se pehle kisi muayyin imaam ki taqleed ka Riwaaz nahi tha balke hota ye tha ke jisko masLa maloom karna hota wo kisi aalim se masla poochh leta or us par amal karta,
❉→ Lekin chothi sadi ke baad haqq ta'ala shanuhu ne ummat ko Aaimma arba ki iqtda par jama kar diya, or ek muayyin imaam ki taqleed ko Lazim samjha jane laga, is zamane me yahi khair ki baat he,, isliye k ab logo me dayanat o taqwa ki kami aa gayi, agar ek muayyin imaam ki taqleed ki pabandi na hoti to har shakhs apni pasand ke masaiL chun chun kar un par amal karta or deen ek khilona bankar Reh jata,,
❉→ Ab is khud Ray ka ek hi ilaaj he ke nafs ko kisi ek maahire shariyat ke fatwe par amal karne ka paband kiya jaye or isi ka naam taqleede shakhsi hai
Next-07©ontinue in sha Allah,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
IkhtiLafe Ummat or Sirate Mustaqeem
╭─━═☜█✼✦✼ █☞═━─╮
⊙Join Group ⊙
✧ AhLe deoband ✧
. ✆+91 7037363325
╰─━═☜█❈✦❈ █☞═━─╯
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
❥✦❥
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
●═══════════════════════●
{GhairmuqaLLid or hanfi ikhtilaf}
●═══════════════════════●
☞ HAQQ PAR KON
█ PART-07 █
❉→Ahle hadees hazraat ki janib se kaha jata he ke chunke taqleed ka Rivaaj kayi sadiyo baad hua he, isliye ye bidat he, magar taqleed bidat kehna unki galti he, isliye k avval to isse ye Lazim aayega k in ahle hadees hazraat ke siva ( jinka vajood hi 13 vi sadi me nahi tha),poori ummate Mohammediya gumrah ho gayi, nauzubillah
Or ye theek wahi Ravayya he Jo shiya mazhab Hazraate sahaba Raz ke bare me pesh karte hai, or chuke islaam Qayamat tak ke liye aaya he, isliye poori ummat ka ek Lamha ke liye bhi gumrahi par muttafiq hona batil he,
❉→ doosre Aap hazrat sallallahu alaihivasallam or sahaba Raz. ke zamane me bhi ye dastoor tha k nawaqif or aami log ahle ilm se masail poochhte or unke fatwe par bagair taLabe daleel amal karte the, or isi ko taqleed kaha jata he, goya taqleed ka lafz Agarche istemal nahi hota tha magar taqleed ke maani par Log us waqt bhi amal karte the chahe uska naam taqleed na kehkar aap use iqteda, itteba kahe baat ek hi he,
❉→ farz karo us waqt taqleed ka Rivaj nahi tha, tab bhi isko bidat nahi kaha ja sakta isliye k shariyat par chalna farz he, or me pehle bata chuka hu ke aaj Jo " shakhsi taqleed " ke bagair shariyat par chalne ki koshish karega, wo kabhi nafs v shaitan ke makr o fareb se mehfooz nahi reh sakta,,
❉→ isliye bagair khatre deen per chalne ka ek hi raasta he or wo he k kisi ek mahire shariyat imaam ki pervi karna he,,
❉→ Aam tor par dekha jata he ke ahle hadees hazraat- chand masail ke siva, ahle Zahir muhaddiseen ki pervi karte hai, phir bhi taqleed se inkaar karte hai,,,,! iske bina koi chara nahi, isliye ke deen koi aqli ijaad nahi balke mankulaat ka naam he, or mankulaat me har baad me aane wala apne pehle walo ke nakshe Qadam par chalna Lazim he, ye fitri cheez he jiske bagair shariyat par amal mumkin nahi,,
Next-08©ontinue in sha Allah,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
IkhtiLafe Ummat or Sirate Mustaqeem
╭─━═☜█✼✦✼ █☞═━─╮
⊙Join Group ⊙
✧ AhLe deoband ✧
. ✆+91 7037363325
╰─━═☜█❈✦❈ █☞═━─╯
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
❥✦❥
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
●═══════════════════════●
{GhairmuqaLLid or hanfi ikhtilaf}
●═══════════════════════●
☞ HAQQ PAR KON
█ PART-08 █
❉→Ahle hadees hazraat ki ijaad, pedaish India me he,or chunki yaha Hanafi Log pehle se hi the isliye in logo ke itrazaat ka shikar avval or Aakhir Hanafi hi he,, isi par bas nahi balke inhone imaame aazam Hazrat Abu Hanifa Ra ki kasre shaan me koi kasar nahi chhordi, HaLanke ahle hadees ka bahut sa anjeeda tabqa khususan inke Akaabir o buzurg imaam Abu Hanifa Ra ki be adabi ko achchha nahi samajhte, magar inka nojawan tabqa " amal bil hadees" ke maani hi hazrat imam Abu Hanifa Rm ki be adabi or gustakhi karne ko samajhte hai,
❉→ inka ye amal inke haqq me khatarnak he kyuki imaame aazam ki bulandi e shan ke liye yahi kaafi he k mujaddid Alfishani Ra.or shah Abdul Aziz muhaddis Ra. jese akaabir unke muqallid hue,, isliye chand khush faham Logo ki tankeed se hazrat imam Ra. ki bulandi or martaba me to koi farq nahi aayega albatta salfe saleheen or khasane khuda ki gustakhi ka Jo wabaal nazil hua karta he, wo in logo ke liye khatre ki cheez he,,
Next-09©ontinue in sha Allah,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
IkhtiLafe Ummat or Sirate Mustaqeem
╭─━═☜█✼✦✼ █☞═━─╮
⊙Join Group ⊙
✧ AhLe deoband ✧
. ✆+91 7037363325
╰─━═☜█❈✦❈ █☞═━─╯
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
❥✦❥
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
●═══════════════════════●
{GhairmuqaLLid or hanfi ikhtilaf}
●═══════════════════════●
☞ HAQQ PAR KON
█ PART-09 █
❉→Ahle hadees hazraat ke nazariyati ikhtilaf ka doosra nukta ye he k ye hazraat baaz oqaat shoke ijtehad me " ijmayi ummat " se bhi beniyaz ho jate hai, yaha uski 2 misaale hai,
❉→ Aapko maaloom hona chahiye k 20 Rakaat taraveeh ka dastoor musalmano me hazrat Umar Raz ke zamane se aaj tak chala aa raha he or charo aaimma e deen (imaamo ) me is par koi ikhtilaf nahi he, sab muttafiq hain, lekin ahle hadees isko bila takalluf " Bita'at " kehte hai, or baaz log to hazrat Umar Raz. ki shaan me bhi gustakhi karte hai,,,
❉→ Doosra masla ye he k "3 talaaq ba lafze wahid ka he" yani agar koi shakhs apni bivi ko ek lafz ya ek majlis me 3 talaaq de dale to 3 hi talaaqe shumar hogi, ye fatwa bhi hazrat Umar Raz ne diya tha or tamaam sahaba ikram Raz., Taabaeen, ne isi fatwe per amal kiya, yahi mazhab tamaam aaimma e deen ka he, lekin ahle hadees badi jurrat se aise teen talaaqo ke ek hone ka fatwa dete hai,,,
❉→ Ahle hadees in do no maslo ( taraveeh or talaaq) me ijmayi ummat se hatkar Shiyao ke naqshe qadam per chal rahe hai, or hazraate khulafa e rashideen ki pervi ka hukm janabe Rasoolullah sallallahu alaihivasallam ne ummat ko diya tha, usse ye inkaar kar rahe hai,,
( FAISLA)
❉→ in ahle hadees ( Gair Muqallid) ki jad,,, sahaba Raz taabaeen, aaimma e deen or akaabir e ummat ke maslo ko galat Qaraar dekar,, aaj ke kuchh Zyada padhe likhe (Jo haqeeqat me gumrah he) logo ki Raay ko Zyada sahi qaraar dena,, Nauzubillah,,,,
❉→ Ab aap samajh sakte hai, kon haqq par he,, kon nahi Allah RabbuL izzat hame Hame haqq par chaLne waLa banaye or aise gumraah Logon se hamari hifazat farmaye Aameen Ya Rab
(ALHAMDULILLAH MUKAMMAL)
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
IkhtiLafe Ummat or Sirate Mustaqeem
╭─━═☜█✼✦✼ █☞═━─╮
⊙Join Group ⊙
✧ AhLe deoband ✧
. ✆+91 7037363325
╰─━═☜█❈✦❈ █☞═━─╯
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
☆
No comments:
Post a Comment