Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Wednesday, February 17, 2016

GULDASTA-E-MAGFIRAT 151 SE MUKAMMAL

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 151☆★

❄151-Ayadat karne walo ke Saamne Bimaar Aadmi Allah ki Ta'areef kare, Uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Jab Banda Bimaar pad jata he to Allah ta'aala uske paas do farishto ko ye kehkar bhejte he'n k,

" usko zara dekho apni ayadat ko aane walo se kya kehta he?

Fir agar wo bimaar banda mizaaj pursi ke liye aane walo ke saamne apni is haalat per Allah ki ta'areef karta he to farishte uske is qaul ko Allah ta'aala ki baargah me pesh karte he'n, Halanki Allah ta'aala sab se zyada jaanne wale he'n,

Fir Mala'aka se irshad hota he k,
" Isko agar maut de di to isko jannat me dakhil karunga aur agar Shifa di to pehle gosht se badiya gosht aur pehle khoon se badiya khoon isko dunga aur iske gunaho ko maaf kar dunga, "

�� Kanzul Aamaal, 3/15

Next -152�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

      ★☆ PART - 152☆★

❄152- Bimaari se saare Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Mareez ka dard se karahna Tasbeeh he aur dard se cheekhna Tehleel he Aur saans lena sadqa he,

Bistar per letna ibadat he ek pehlu se doosre pehlu ki taraf karwat lena esa he jesa k Allah ki raah me dushman se qitaal kar raha ho,

Allah ta'aala farishto se farmata he k,
" Sahat ki haalat me woh Jo achchhe amal kiya karta tha unko naama amaal me likho, "

Jab woh sahatyab hokar bistar se uthkar chalta he to is tarah ho jata he k goya usne koi gunaah nahi kiya jesa k apni maa se pedaish ke din tha,"

�� Kanzul Aamaal, 3/311

Next -153�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

      ★☆ PART - 153☆★

❄153- Jo ek Raat ya isse zyada Bimaar raha uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Huzur Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte he'n k Aapne farmaya,

" Jo Aadmi ek raat bimaar raha, fir us per sabr kiye raha aur Allah ta'aala se raazi raha to woh apne gunaaho se ese nikal ja'ega jese maa se pedaish ke din tha yani kuchh bhi gunaah baqi nahi rahega,

�� Tirmizi fil targeeb, 4/299

Next -154, �� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

      ★☆ PART - 154☆★

❄154- Safar me jiski Tabiyat kharaab ho gayi, Uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat ibne Abbaas  Raziyallahu Anhu se marvi he k Huzur Paak Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Musafir Aadmi jab bimaar ho jaye aur apne daa'en baa'en aur aage pichhe dekhne lage aur koi bhi usko jaan pehchan ka Aadmi nazar na aaye,

To Allah ta'aala uske guzishta gunaho ko maaf farma deta he,"

�� Kanzul Aamaal, 3/308

Next -155�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

      ★☆ PART - 155☆★

❄155- Bukhaar ko Bura Bhala na kaho, isse Gunaah Maaf hote he'n❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Jaabir  Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Umme Saa'ib ke waha tashreef le gaye, Aapne irshad farmaya,
" Are kya baat he, kapkapa rahi ho? "

Wo arz karne lagi k bukhaar he Allah isme barkat na de,

Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Bukhaar ko bura mat kaho kyuki ye bani Aadam ki khataao'n ko is tarah door kar deta he jis tarah bhatti lohe ke mel ko door kar deti he,"

�� Sahi Muslim, 2/319

Next -156�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

      ★☆ PART -156☆★

❄156- Ek Raat ke Bukhaar se Ek saal ke Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat ibne Mas'ud  Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Bukhaar hissa he har momin ka aag se yani dozakh se aur ek raat ka bukhaar ek pure saal ke gunaho ka kaffara ban jata he,"

�� Akhrajatul Qana'iy,

Next -157�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 157☆★

❄157- Mamooli Bimari per Ek Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Aayesha  Raziyallahu Anha se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Kabhi bhi kisi musalman ki rag nahi fadki magar iski vajah se Allah ta'aala uski ek khata maaf farma dete he'n aur uske liye ek neki likhte he'n aur ek darja Allah ta'aala uska buland farma dete he'n,"

�� Kanzul Aamaal, 3/306

Next -158�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 158☆★

❄159- Bimaar Aadmi ki Dua Maqbool aur Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat ibne Umar  Raziyallahu Anha se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Bimaro ki ayadat kiya Karo aur unse apne liye dua ki darkhwast kiya Karo,

Kyuki mareez ki Dua maqbool he aur uska gunaah maaf he, "

⇨Aur ek rivayat me Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Huzur Paak Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab tum mareez ke paas jao to usse apne liye dua ki darkhwast Karo kyuki mareez ki Dua farishto ki Dua ki tarah he, "

�� Kanzul Aamaal, 9/96

Next -159,�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 159☆★

❄159- Jisne Mareez ki Ayadat ki uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Ali bin Abi Taalib  Raziyallahu Anhu va Karamullahu Vajhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo shakhs shaam ke waqt kisi mareez ki ayadat kare to uske hamraah 70 hazaar farishte chalte he'n Jo subeh tak uske liye astagfaar karte he'n

Aur Jo subeh ke waqt kisi mareez ki ayadat ko jaye to uske hamraah 70 hazaar farishte chalte he'n Jo shaam tak uske liye astagfaar karte he'n,"
�� Abu Dauwd, 2/442

Next -160,�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 160☆★

❄160- Haalate islaam me jiska ek Baal safed hua uska ek Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat ibne Umar  Raziyallahu Anha se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Haalate islaam me koi Aadmi budha nahi hota magar Allah rabbul izzat iski vajah se uske liye ek neki likhte he'n aur uski ek khata maaf farma dete he'n,"

�� Abu Dauwd, 29/578

Next -161,�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 161☆★

❄161- Namunasib haalaat per Sabr kijiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Bala har roz puchhti he k aaj kis taraf rukh karu?
Haq ta'aala irshad farmate he'n,

" Mere mehboob aur maty'a farmabardaar bando ki taraf, teri vajah se logo me se sabse behtreen ko jaanchta hu'n aur unke sabr ka imtihaan leta hu'n aur unke gunaho ko zaail karta hu'n aur Teri hi vajah se unke darjaat buland karta hu'n, "

Farakhi ( khushali ) bhi roz Allah ta'aala se punchhti he k aaj kidhar ka rukh karu?

Irshad hota he,
" Mere dushmano aur mere nafarmaano ki taraf, tere zariye unki sarkashi badhana chahta hu'n unke gunaho me izafa karna chahta hu'n aur Teri vajah se unki fori giraft karta hu'n aur Teri vajah se unki gaflat zyada karna chahta hu'n,"

�� Kanzul Aamaal, 3/341

Next -162�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 162☆★

❄162- Agar koi kahe Allah ki qasam!  Teri magfirat nahi hogi to Sabe kijiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Ek Aadmi ne kaha k Allah ki qasam!  Allah ta'aala falaa ki magfirat nahi farmayega,

Haqq ta'aala Shanh ne irshad farmaya,

" Kon he Jo mere bare me qasmiya kehta he k me falaa ki magfirat nahi karunga? Mene falaa (gunahgar) ki magfirat kar di aur tere amaal barbaad kar diye, "

�� Akhraja Muslim, 2/329

Next -163�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 163☆★

❄163- Teen cheezo ko Chhupaye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Teen cheeze neki ke khazano me se he,

1- Sadqa ko makhfi tareeqe se Ada karna,

2- Musibat ko chhipana,

3- Har qabil shikayat baat ko chhipana,

Allah ta'aala ka irshad he,

" Jab me apne kisi bande ko aazmaish me mubtila karu, fir wo sabr kare aur apni iyadat ke liye aane walo se shikayat na kare, fir me usko tandurast kar du to uske gosht se badiya gosht aur uske khoon se badiya khoon badle me use ataa karta hu'n,

Aur agar usko chhod du ( yani mareez hi ki haalat me zinda rakha) to is haal me chhodta hu'n k us per koi gunaah baqi na rahe aur agar uski rooh qabz karu to is haal me qabz karunga k me apni rehmat me usko thikana dunga, "

�� Kanzul Aamaal, 15/480

Next -164�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 164☆★

❄164-Koi Namunasib baat kahe to Sabr kijiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Ek Aadmi Namaz padh raha tha jab wo sajde me gaya to ek aur  Aadmi aaya aur uski gardan ko usne ( be khayali me) rond diya,

Jo sajde me pada hua tha usne kaha, Allah kabhi bhi Teri magfirat nahi karega,

Haq ta'aala ne irshad farmaya,
" Mere bande ke bare me qasam khakar wo ye kehta he k me uski magfirat nahi karunga tehqeeq mene uski magfirat kar di,"

�� Kanzul Aamaal, 3/560

Next -165�� in sha Allah Ta'aala,

      

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 165☆★

❄165- Aazmaish ke Waqt Sabr kijiye,Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Hurayra  Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Momin banda aur Momin Aurat ki jaan me uski aulaad aur maal me aazmaish aati rehti he hattaki wo Allah ta'aala se ja milta he aur us per koi gunaah nahi hota, "

�� Jamia Tirmizi, 2/63

⇨ Qareeb qareeb raho aur sidhe sidhe raho har nagawar baat Jo musalman ko pahunche wo uske Gunaaho ka kaffara he hattaki koi musibat Jo usko pahunche aur kaanta Jo usko chubhe, "

�� Akhraja Tirmizi, 2/319

Next -166�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 166☆★

❄166- Talabe Maash me thaka uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Aayesha  Raziyallahu Anha se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis shakhs ne shaam ki is haalat me k apne haath se kaam karne ki vajah se thaka hua tha to usne shaam ki is haalat me k uski magfirat ho chuki, "

�� Kanzul Aamaal, 7/4

Next -167�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 167☆★

❄167- Ranjo Gam aur Maashi Tafakkuraat se bhi Gunaah Maaf hote he'n❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Aayesha  Raziyallahu Anha se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab Bande ke gunaah bahut ho jaye aur uska koi amal esa nahi hota Jo un gunaho ka kaffara ban sake to Allah ta'aala usko gam me mubtila kar dete he'n taki Allah ta'aala us gam ki vajah se uske gunaho ko maaf farma de, "

�� Akhraja Ahmad, 4/287

Hazrat Abu Hurayra Raziyallahu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Momin ko Jo thakan pahunchti he aur marz pahunchta he aur Fikr v Ranj aur Aziyat aur Gam, hattaki kaanta bhi chubhta he to Allah ta'aala in tamaam ki vajah se uski khatao ko maaf farma dete he'n,"

�� Akhraja Bukhari v Muslim,

Next -168�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 168☆★

❄168- Maaldar k Mohlat dijiye aur Gareeb ka Qarz maaf kijiye,Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Qayamat ke din Allah ke paas uske bando me se ek bande ko laaya ja'ega jisko Allah ta'aala ne duniya me maal ataa farma rakha tha, irshad farma'ega,

" Duniya me kya Amal kiya?

Wo arz karega,

" Ya Allah! Mene koi Amal esa nahi kiya ( jisko teri jaanib me pesh kar saku ) Albatta itni baat zaroor he k tune mujhe maal ataa farmaya tha,
Me logo se tijarat kiya karta tha aur meri ye khaslat thi k maaldar ko mohlat de deta tha aur tangdast ko maaf kar diya karta tha,"

Haq ta'aala Shanh irshad farmaega,

" ( ye kareemana ravayya ) mere liye zyada sazadar he aur me iska tujhse zyada haqdaar hu'n k maafi aur darguzar ka maamla karu, "

Allah ta'aala farishto se farmaega k,
" mere is bande se darguzar Karo, "

�� kazafil targeeb, 2/43

Next -169�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 169☆★

❄169- Ek doosre se na bolne wale baham Sulah kar le, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Hurayra  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Peer aur Jumeraat me Allah har musalman ki magfirat farma deta he sivae un do shakhso ke jinhone aapas me bolna chhod rakha he, "

Irshad hota he k,
" in dono ko chhod do yaha tak k ye dono sulah kar le,"

�� Ravaah ibne maaja, kitabussiyaam, 124

Next -170�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 170☆★

❄170- Jisne Nabina Aadmi ko uske Ghar tak pahuncha diya uske 40 Kabira Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat ibne Abbaas  Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo Nabina Aadmi ko le chala hattaki uske ghar tak pahuncha diya to uske 40 kabira gunaaho ki magfirat kar di ja'egi aur 4 Kaba'ir bhi dozakh ko wajib kar dete he'n,"

�� Kanzul Aamaal, 15/792

Next -171�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 171☆★

❄171-Aapko koi Takleef pahunchaye to maaf kar dijiye,Aapke Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Darda  Raziyallahu Anha se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis kisi musalman ko apne jism me koi takleef kisi Aadmi ki taraf se pahunche, fir wo usko maaf kar de to Allah ta'aala uska ek darja buland farma dega aur ek khata uski maaf farma dega, "

�� Kanzul Aamaal, 12/15

Next -172�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 172☆★

❄172- Aapko koi Zakhm pahunchaye ti maaf kar dijiye Aapke Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Ubada bin Saamit Raziyallahu Anhu Huzur Paak  Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte he'n k Aapne irshad  farmaya,

" Jis Aadmi ke jism ko zakhmi kar diya jaye fir ye zakhmi jarah ko maaf kar de to baqadre maafi Allah uske Gunaaho ko maaf farma denge, "

�� Kanzul Aamaal, 12/15

Next -173�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 173☆★

❄173- Logo ke saath achchha sulook kijiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Hurayra  Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Khush khalqi gunaho ko ese pighla deti he jese suraj barf ko pighla deta he, "

�� Kanzul Aamaal, 3/3

⇨ " Khush khalqi khatao ko yu'n pighla deti he jis tarah paani barf ko pighla deta he aur bad khalqi amal ko yu'n bigaad deti he jis tarah sirka shahad ko bigaad deta he, "

�� Kazafil targeeb, 3/409

Next -174�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 174☆★

❄174- Logo per Raham kijiye aur unki Khatao ko maaf kijiye Aapke Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Amro bin Aas  Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Raham Karo tum per bhi Raham kiya ja'ega, Bakhsh diya Karo tumko bhi bakhsh diya ja'ega,

Kharabi he un logo ke liye Jo qayf ki tarah ( ilm ki baat sunte he'n lekin na usko yaad rakhte he'n na us per amal karte he'n, ese logo ko qayf se tashbeeh di jisme Tel ya Sharbat ya Arq guzar kar doosre bartan me chala jata he usme kuchh nahi rehta) aur kharabi he zid karne walo ke liye Jo gunaho per israar karte he'n halanki unko ilm he, "

�� Kanzul Aamaal, 3/164

Next -175�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 175☆★

❄175- Do musalman mulaqaat ke waqt Musafa kare aur Muskuraye Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Dauwd Al A'amaa Raziyallahu Anhu  Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se rivayat karte he'n k Aapne irshad farmaya,

" Do musalman jab aapas me mile aur musafa kare aur un dono me se har ek apne saathi ke chehre ko dekh kar muskuraye aur ye tamaam amal Allah hi ke liye ho to juda hone se pehle dono ki magfirat kar di ja'egi,"

�� Ravaah Tabrani Kazafil targeeb, 3/431

Next -176�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 176☆★

❄176- Bhooko ko khilaye Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Jaabir  Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Bhooke musalman ko khana khilana bhi magfirat ko wajib karne wale aamaal me se he, "

�� Kanzul Aamaal 9/243

⇨Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

" Jo shakhs apne musalman bhai ki bhook ki vajah se ( khaane ka) ahatmaam kare, aur fir usko khaana khilaye hattaki woh ser ho jaye aur usko pilaye yaha tak k woh seraab ho jaye, to uski magfirat kar di jati he,"

�� Ravaah Abu Ya'alaa, kanzul Aamaal, 2/424

Next -177�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 177☆★

❄177-Pyaso ko Paani pilaye Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Hurayra  Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Us asna me k ek Aadmi chala ja raha tha, use sakht pyaas lagi, chalte chalte use ek kunva mila woh uske andar utra aur paani pikar bahar nikal aaya,

Kunve ke andar se nikal kar usne dekha k ek kutta he jiski zubaan bahar nikli hui he aur pyaas ki shiddat se wo keechad chaat raha he,

Us Aadmi ne dil me kaha k is kutte ko bhi pyaas ki esi hi takleef he jese k mujhe thi,

aur wo us kutte per raham khakar fir us Kunve me utra aur apne chamde ke moze me paani bharkar usne usko apne moonh me thaama aur Kunve se nikal aaya aur us kutte ko wo paani pila diya,

Allah ta'aala ne uski Raham dili aur us mehnat ki qadar farmayi aur is amal per uski bakhshish ka feysla saadir farmaya, '

Baaz sahaba Raziyallahu anhum ne Huzur Sallallahu Alaihivasallam se ye waq'aya sunkar daryaft kiya,

Ya Rasulullah!  Kya jaanwaro ki takleef door karne me bhi hamare liye ajro sawab he?

Aapne farmaya,
"Haa'n har zinda aur tar jigar rakhne wale jaanwar ( ki takleef door karne) me sawab he, "

�� Bukhari, 1/318, Muslim, 2/237

Next -178�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 178☆★

❄178.. Agar koi fareeq sauda khatm karna chahta he to khatm kar dijiye; Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat abu Hurayra Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

“ Jo Banda apne kisi Musalman bhai ke saath iqaala ka maamla kare ( yani uski bechi hui ya kharidi hui cheez ki wapsi per raazi ho jaye)  to Allah ta'aala uski galtiya'n ( yani gunaah) bakhsh dega, "

�� Ravaah abu Dauwd, 490, ibne maaja, 2/566

Next -179�� in sha Allah Ta'aala,

   
         

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 179☆★

❄179- Jo bigde hue Talluqaat ko hamwaar karne me Pehal karega, Uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Hishaam bin Aamir Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Kisi musalman ke liye halaal nahi he k doosre musalman se 3 din se zaa'id qata talluq rakhe,

Pas agar wo 3 din se zyada qata talluq kiye rahe to wo dono haq se tajavuz karne wale he'n jab tak wo dono apni ladaai per qaa'im rahe,

Aur un dono me se pehle sulah ki taraf ruju karne wale ke liye sulah ki taraf sabqat aur pehal uske Gunaah ka kaffara ban ja'egi,

Aur agar wo dono apni ladaai ko baqi rakhte hue mar gaye to jannat me dakhil na honge, "

�� Ravaah Bukhari, Muslim, 142

Next -180�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 180☆★

❄180- Jisne Raaste se khaardar tehni hatai uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Hurayra  Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Us shakhs ki magfirat kar di ja'egi Jo logo ke raaste se khaardar tehni ko hata de aur uski ye magfirat guzishta aur aainda gunaho ki hogi, "

�� Kanzul Aamaal, 2/420

Next -181�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 181☆★

❄181- Mehmaan ka Eyzaaz v ikraam kijiye Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Salman  Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab kabhi bhi koi musalman apne musalman Bhai se mulaqaat ke liye jaye aur mezbaan mehmaan ka eyzaaz v ikraam karne ki garaz se mehmaan ko takiya pesh kare to Allah ta'aala us( mezbaan) ki magfirat farma denge,"

�� Kanzul Aamaal, 9/155

Next -182�� in sha Allah Ta'aala,

   
          

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 182☆★

❄182- Jisne Musalman bhai ki koi Haajat puri ki uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo shakhs apne musalman Bhai ki kisi haajat me chala to Allah ta'aala har qadam ke badle 70 nekiya'n likhenge aur 70 gunaho ko mita'enge yani maaf farma'enge, Yaha tak k wo us maqaam per lotkar wapas aa jaye jaha usne apne Bhai ko chhoda tha,

Ab agar usne uski haajat puri kar di to wo apne gunaaho se esa nikal aa'ega jis tarah apni maa se pedaish ke din tha ( yani kuchh bhi gunaah baqi na rahega) aur agar isi sa'i v koshish me wafaat paa gaya to jannat me bager hisab dakhil ho ja'ega, "

�� kazafil targeeb, 3/392

Next -183�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 183☆★

❄183- Jisne Musalman bhai ko khush kar diya uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Hasan bin Ali  Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Magfirat ko wajib karne wale Aamaal me ye bhi he k tu apne musalman Bhai ko khush kar de, "

�� Kanzul Aamaal, 2/433

Next -184�� in sha Allah Ta'aala,

   

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 184☆★

❄184- Jisne logo ke darmiyan Sulah karadi uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo logo ke darmiyan Sulah karayega Allah ta'aala uske maamle ko durust farma denge aur har kalme ke badle Jo daurane guftgu usne bola ek ek gulaam azaad karne ka sawab ataa farmaenge aur ( apne ghar) is haal me lotega k uske Guzishta gunaho ki magfirat ho chuki hogi, "

�� kazafil targeeb, 2/489

Next -185�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART -185☆★

❄185- Aapke gunaah zyada he'n to Paani pilaiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab tere gunaah zyada ho jaye to baar baar paani pila ( agar tu paani ke kinare per ho ) is amal se tere gunaah is tarah jhad ja'enge jis tarah sakht hawa me darakht se patte jhad jaate he'n,"

�� Kanzul Aamaal, 2/209

Next -186�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 186☆★

❄186- Ahle khana aur Padosiyo ki haq talfi ka kaffara ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Aadmi agar apne ahalo ayaal aur apne maal jaan aur aulaad aur padosi ke bare me kisi musibat me mubtila ho jaye to Roza, Namaz, Sadqa, Amr bil ma'aroof aur nahi anil munkar iska kaffara ban ja'enge, "

�� Sahi Bukhari, 1/75,Muslim, 82

Next -187�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 187☆★

❄187- Salaam kijiye aur Naram Guftgu kijiye Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Haani bin Yazeed Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Magfirat ko wajib karne wale Aamaal me se salaam ko felana aur kalaam ko narmi aur khubi se pesh karna bhi shamil he, "

�� Kanzul Aamaal, 9/116

Next -188�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 188☆★

❄188- Allah ka Darwaza khatkhatate Rahiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Allah ta'aala ka irshad he,

" Ey ibne Aadam teen baate he'n ek mere liye, ek tere liye aur ek tere aur mere darmiyan mushtarik he,

Bahar haal Jo mere liye he wo ye he k tu meri is tarah ibaadat kar k mere saath kisi ko bhi shareek na thehra,

Aur Jo tere liye he wo ye he k tu Jo bhi amal karega ( bhala ya bura) me tujhe uska badla dunga, fir agar me tujhko maaf kar du to me gafoorurraheem hu'n,

Aur wo baat Jo mere aur tere darmiyan mushtarik he wo ye he k Dua aur Sawaal ki zimmedari teri aur Ataa aur qubooliyat ki zimmedari mujh per he, "

�� Akhraja Tabrani,

Next -189�� in sha Allah Ta'aala,

     
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 189☆★

❄189- Agar Naama Aamaal ke shuru me aur Aakhir me Khair likhi hui ho to darmiyan ke Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Kiraman Kaatbeen apna noshta jab Allah ta'aala ki janaab me pesh karte he'n aur haq ta'aala Shanh Naama amaal ke shuru me aur Aakhir me mulahiza farmata he k khair likhi hui he to haq ta'aala Shanh farishto se farmata he,

" Tum gawah raho k mere bande ke naama amaal ke darmiyan me Jo kuchh he usko mene maaf kar diya,"

�� Kanzul Aamaal, 15/781

Next -190�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

     ★☆ PART - 190☆★

❄190- Naama Aamal ke Shuru Akheer me Astagfaar he to Darmiyan ke Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Farmaya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne k,

" Aamaal likhne wale farishte jab bhi kisi din Allah ta'aala ki baargah me ( kisi bande ke ) naama amaal pesh karte he'n aur Allah ta'aala naama amaal ke avval v Aakhir me astagfaar dekhta he to Allah tabarak v ta'aala farmata he k mene apne bande ke tamaam gunaah aur qasoor maaf kar diye Jo iske naama amaal ke avval v aakhir ke darmiyan likhe hue he'n, "

�� Bizaar,

➖Alhamdulillah Mukammal Hue➖

      ��Talibe Dua ,,
     ⇨ Ahle deoband
   ☏ +91 -7037363325
��Plz Forward to all Muslims,

No comments:

Post a Comment