बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 51
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ EyeBrow Banwana ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ EyeBrow Banwana ,:-
✿ Zebo Zeenat ki garz se bhanvo ko bareek Karna qabile laanat fayl hai, isse ahatraaz zaroori hai, Albatta agar bhanvo ke Baal Bahut ghane or badnuma maloom ho to inko katar kar kisi qadar kam Karna bila shuba jaa'iz hai.
⇨ Wazeh rahe k eyebrows mein takhfeef ki ijazat har Aurat ko nahi balke sirf un Aurto'n ko hai jinki eyebrows aam haalat se ghani or badi hui ho, agar eyebrow aam haalat se ghani na ho to in me takhfeef karna qabile lanat aur na -jaa'iz hai,,
⇨ Neez eyebrows ghani hone ki soorat me bhi sirf itni takhfeef ki ijazat hai jitni aam haalat ke mutabiq eyebrow hoti hai isse zyada takhfeef Karna Shar'an jaa'iz nahi.
☞ Chehre Ke Baal aur Roe'n Saaf Karna ,
✿ Aurat keliye chehre ke Baal saaf Karna jaa'iz hai aur agar Dadhi or Moonch ke Baal nikal aaye to inka azala mustahab hai.
⇨ Laanat ke qabil ye hai ke eyebrow ke atraaf se Baal ukhaad kar bareek dhaari banayi jaye...
⇨ Eyebrow Bahut zyada feli hui ho to inko drust karke aam haalat ke mutabiq karna jaa'iz hai,
☞ Kalaiyo'n aur Pindliyo'n ke Baal saaf Karna,
✿ Zebo Zeenat ke liye bazuo'n aur taango ke Baal saaf karne ki gunjaish hai ,
⇨ Allama Rasheed Ahmed Gangohi Reh. farmate hai:
",Pindli or Raan ke Baal ka door karna durust hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam tamaam Badan per sivaye chehre k noorah krte hai the,"
Next -52 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 63
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 52
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Bagal V Zere Naaf ke Baal saaf Karna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Ahadees mein baglo ke Baal saaf karna aur zere naaf Baalo ki safayi ki Bahut takeed farmayi gayi , kyunki badan ki nizafat ka inse gehra talluq hai.:-
,"Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu farmate hai, Ek jihaad mein hum Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke ham raah the, waapsi per jab hum Madeena ke qareeb pahunche to maine kaha ,
Ya Rasoolallah meri nayi shadi hui hai , (Agar Aap ijazat de to main lashkar se pehle ghar chala jaoo'n),
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,:-
"Kya tumne shadi kar li?"
Maine kaha haan! to Aapne puchha:
" Bivi kunwari thi ya Beva?"
Maine arz kiya k Beva thi,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:
"To tumne kunwari se kyu Nikaah nahi kiya taki tum uske saath khelte aur Wo tumhare saath khelti- "
Fir jab hum Madeena pahunch gaye aur gharo mein jane ka iraada kiya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:_
" Abhi thehar jao hum Raat ( Shaam ke waqt ) gharo mein Dakhil honge taki jis Aurat ke Baal paraganda ho Wo Kanghi choti karle aur wo Aurat jiska khawind mojood nahi tha hamare saath Jihaad mein gaya tha Apne zaa'id ( Bade hue ) Baal saaf kar le,"....
↳ ₢ Mishkaat
Next -53 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 89
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 53
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Zaa'id ( Bagal v Zere Naaf ) Baal saaf na Karne ke Nuqsanaat,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Hakeem Tariq Mehmood Chugtayi Likhte hai:-,
"hamari jild ( Skin )/mein taro taazgi ko baqi or hamesha rakhne ke liye glandz hote hai jinhe gudoodi ,roghni,ya oily glandz kehte hai,
⇨ Jism ke wo hisse jaha'n ke Baal saaf karne ka Sharai hukm hai, waha'n ye glandz kam hote hai, kyunki agar ye glandz apni harkat zyada kare,to waha'n Baalo ki nasho v numa mein numaya farq pad jayega or saath hi Bimariya'n shuru hojayengi ,,chunke jild ( skin ) ke us hisse ko jaha'n se Baalo ka kaatna ya tarashna ya nochna zaroori hai, waha'n har waqt oxygen ki zaroorat rehti hai or jild ke in hisso ke holes agar Baalo ki Vajah se band ho jaye to aisi bimariyo ke paida hone ke khatraat baqi rehte hai, jin mein exima, elergy, kharish, phode phunsi hai,
⇨ Jism ke in hisso ke Baal agar saaf na kiye jaye to aise mein ye khatraat ka andesha rehta hai:-
1-Baaz Auqaat mel ke zarraat ke baar baar jama hone ki wajha se jild per mel ki teh jam jati hai, jiski Vajah se aisi khatarnak bimariya shuru hojati hai jo bayan se bahar hai.
2:-Baaz Auqat in hisso mein juen pad jati hai ,hatta ki aise mareez sunne mein aaye jo in hisso mein pissu padne ke shaqi the or is ke ilaaj ki tadbeer kar rahe the.
3:-Jism ke in hisso ke Baalo ko agar Bahut jald saaf na kiya jaye to nafsiyati tor per iske bure asraat padte hai.
-France k Mahireen e Jild ne logo ko khabardar kiya hai k agar wo zere naaf or zere Bagal or nakhun trashne mein takheer karenge to inko ye bimariya kisi bhi waqt lag sakti hai:-
⇨.agar wo zere naaf Baal saaf nahi krenge to is ke bure asraat jild mein oily glandz or jinsi amraaz per padte hai, hatta k aids, aatishik, suzaak or kodh ke jareeseem in Baalo mein atak kar Aurto'n mein muntaqil hoskte hai.
.⇨.mahereen k mutabiq ager in Baalo ko jald tarasha na jaye to in ke asraat bad aesabi nizam ke baaz is tarah padte hai ,jisse insaan Bahut jald depression , frustration , exeity ,or khudkushi ki taraf maa'il hote hai.
↳ ₢ Sunnate Nabvi Aur Jadeed Science ,4-/ 60
Next -54 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 91
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 54
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Chehre Ki Zaibo Zeenat , --- Kaan Chhedna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ CHEHRE KI ZAIBO ZEENAT:_
✿ Husn v jamaal me agarche baqi cheeze Baal, libaas Vagera bhi mossir hai lekin chehre prr zyada tavajjoh di jati hai,
✿ Jaha'n tak parde ka talluq hai to asal parda chehre ka hi hota hai, Ab zeb v zeenat ke wo ahkaam zikr kiye jayenge jinka, talluq chehre se hai.
☞ Kaan Chhedna ,
✿ Aurto'n ko kaan chhedana or isme Baali Vagera zever pehanna jaa'iz hai ,kyunki zamana e qadeem se ye mamool chala aa raha hai...
✿ Imaam Bukhari Rahmatullah ne ,:,,",Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu ki hadees naqal farmayi:-
↬ " Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai:, Nabi Akram Sallallahu ta'ala Alaihivasallam ne Aurto'n ko sadqa karne ka hukm diya to mene Aurto'n ko dekha k unke haath apne, kaano or galo me ja rahe the ""
↳ ₢ Sahih Bukhari ,2/874
↬ ( yani galo or kaano se baliyan haar utaar kar sadqa kar rahi thi ) or zaahir hai k jab kaano me baaliya'n pehni jaye to iske liye kaano ko chedwana padta hai..
Next -55 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 94
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 55
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Naak Chhidwana ,Daant Bareek Karwana,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Naak Chhidwana,
✿ Zebo zeenat Aurto'n ke liye mubah hai, or isme har wo kaam jo Sahar'an mamnoo na ho akhtyar karne ki ijazat hai, lihaza aurto'n ka naak chidwana or isme nath vagera pehenna jaa'iz hai.
☞ Daant Bareek Karwana ,
✿ Bagarz zeenat Daanto ko bareek karwana or inme faasla paida karna na-jaa'iz hai,
Nabi Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad mubarak hai:-
,"khuda ki laanat ho un aurto'n per jo husn ke liye daanto ke darmiyaan kushaadgi karati hai," ...
↳ ₢ Durre Mukhtaar ,6/420
✿ Hazrat Alqama farmate hai:-
⇨ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu ne farmaya:-
Allah Rabbul izzat ne un aurto'n per laanat farmayi:,
Jism godne wali, jism gudwane wali, eyebrows ko bareek karne wali, bareek karwane wali, husn ke liye daant kushada karwane wali,
Fir farmaya:-mein un aurto'n per kyu laanat na karu jin per Rasoolallah Sallallahu ta'ala alaihi va sallam ne bhi laanat farmayi ( k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Kï laanat Allah Kï laanat he ,)
Aur iski daleel khud Quran mein maujood hai.
",Rasool jo ahkaam tumhe bataye un per amal kro or jis cheez se mana kre us se ruk jao",....
↳ ₢ Sahih Bukhari ,2/ 878
Next -56 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 96
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 56
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Sone ka Khol Chadana,Chehra Gudwana ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Daanto Per Sone ka Khol chadhana.
✿ Zewrat ki had tak Aurto'n ko sona istemal karne ki ijazat hai,iske alawa Mard v Aurat har ek ka hukm barabar hai yani jis tarah Mardo ke liye sone ka istemal mamnoo hai isi trah aurto ke liye bhi sona mamnoo hai ( Zever se Zaa'id ),/lihaza mahaz zeenat ke liye sone ka khol chadhana jaa'iz nhi.
☞ Chehra Gudwana ,
✿ Jism gudwana ek maloun fel ( kaam ) hai, Nabi Akram sallallahu alaihivasallam ne jism godne or gudwane wali aurto ko maloun qaraar diya,
⇨",Hazrat Abu Hurera Raziyallahu anhu farmate hai k Rasoolallah Sallallahu alaihi va sallam ne farmaya:
-Allah ne un aurto'n pe laanat ki hai jo baalo mein baal milati hai ya milane ka kaam karti hai or jo jism godti ya gudwati hai,".
↳ ₢ Sahih Bukhari ,2/341
⇨ lhaza thodi ya peshani ya jism ke kisi bhi hisse ko gudwana na-jaa'iz hai.
Next - 57 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 97
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 57
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Til banana v ,Surma Lagana ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Kaajal Ya Surma se Til banana ,
✿ Til ko bhi jazib nazar or asbabe husan me shumaar kiya jata hai. lihaza agar surme ya kisi aisi cheez se til bnaya jaye jo dhulne ke baad mit jaye to iski gunjaish hai.
☞ Surma Lagana ,
✿ Surma Mahaz zeenat hai jo na sirf jaa'iz balke masnoon hai.
⇨",Hazrat Saeed bin Juber ,Hazrat ibne Abbas se rivayat ksrte hai k janabe Nabi Kareem Sallallahu ta'ala Alaihivasallam ne farmaya:,
" tumhare surmo me Asmad behtreen surma hai, ye nigaah tez karta hai, or ( palko ) ke bal ugata hai",..
☞ Surma Science Kï Nazar me ,
✿ Surme ke scienci v tibbi fawaa'id per roshni daalte hue Hakeem tariq Mehmood chughtayi likhte hai:
,"surma jaha sunnat he waha iske fawaa'id Dunyavi lihaaz se bhi balatar hai...
@_surma Aala darje ka anti septic hai.
@_jadeed tahqeeq ke mutabiq jab Aankho me surma lagaya jata hai to suraj ki tez shuae'n ( rays ) altravoilet aankho ki putli (retina) ko nuqsan nahi pahuncha sakti ,
@_surme se aankho ke ouper phunsi ,lead infection bilkul nhi hote.
@_Aashoobe chashm ke mareez ke liye surma bahut mufeed hai, hatta k jo Aadmi surma mustaqil istemal karta hai, ise Aashobe chashm ka Marz kam hoga
.
@_mahreene chashm ke mutabiq Aankho ke un Amraaz se bachata hai jin amraaz ka jadeed science me ilaaj na mumkin hai.
@_Aankho ke zakhm, kharash,or sozish ke liye surma bahut mufeed hai, ye har qism k jaraseem (contagious germs) ko khatm kar deta hai.
↳ ₢ Sunnate Nabvi aur Jadeed Science, 1/ 345
Next -58 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 99
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 58
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Chashma Pehanna ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Chashma Pehanna ,
✿ Chashma Pehanna zaruratan to jaa'iz hai bila zaroorat iske istemal se ijtinaab karna chahiye k isme dikhawapan v banawat ki bu payi jati hai.
☞ Sone Ka Frame istemal karna ,
✿ chunke frame zevraat ke hukm me nahi, lihaza isme Aurto'n ka hukm bhi Mardo wala hoga k sone ka frame istemal krna jaa'iz nhi.
☞ Colour Lense ,
✿ Agar nazar ki kamzori ki vajah se istemal kiye jaye to isme koi harj nahi.
Zebo zeenat me inka istemal hamare liye aam nahi k iski ijazat di jaye, laazman ise bator naqqali hi istemal kiya jayega, lihaza inke istemal ki ijazat nahi hogi, khaas kar jab ye dekha jaye k Aala qism k intehayi mehnge hai, or aam lense Aankho ke liye nuqsanda hote hai, Fir inme ek qism ki dhoka dahi payi jati hai .lihaza zeenat ki garaz se inka istemal jaa'iz nahi hoga.
Next -59 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 100
⊙Talibe Dua⊙
ⓖ Haqq Ka Daayi,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 59
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Miswaak istemal Karna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Miswaak Karna ,
✿ Taharat v nazafat ayn fitrat hai, Nabi Akram Sallallahu Alaihivasallam ne miswak ki bahut takeed fermayi hai,or ise fitrat me shumar farmaya:-
⇨ " Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu alaihi v sallam ne farmaya:-
,10cheeze insani fitrat me se hai.
1_Moonch traashna.
2_Dadhi badhana.
3_Miswak karna.
4_Naak me pani daalna.
5_Nakhun katna.
6_Ungliyo ke jod dhona.
7_Zere Bagal Baal ukhadna.
8_Zere naaf Baal saaf karna.
9_pani se istanja karna.
⇨ Hadees ke raawi Zakariya kehte hai k meine ye hadees Mus'ab se suni aur wo keh rahe the k 10 vi cheez me bhool gaya hu lekin kuchh yu'n yaad padta hai k...
10_kulli karna hai.
↳ ₢ Abu Daowd ,1/9
☞ Miswaak Karna Mard Aurat dono ke liye Yaksa'n Sunnat he ,
✿ ,"Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai:-
Rasulullah Sallallahu ta'ala alaihivasallam jab miswak karte to mujhe dhone ke liye dete to pehle me usi miswak se miswak karti phir dho kar Aapke hawale krti,"..
↳ ₢ Abu Daowd ,1/9
✿",Hazrat Yazeed bin Asim farmate hai:-
" Ummul Mumineen Memuna ka miswak pani me pada rehta tha, agar kisi kaam ya Namaz Vagera me mashghool na hoti to miswak kiya karti thi,".
↳ ₢ Ibne Abi Shiah ,1/156
✿ Hazrat Wasila bin Asqa Raziyallahu Anhu farmate hai:-
" Sahaba kiraam Apne miswak talwar latkane ke halqo me aur Sahabiyaat Apne dupatto me rakhti thi,"....
↳ ₢ Mukhtsar ittehaful Sadatul Muhrah ,1/200
Next -60 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 63
,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 60
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Brush Karna ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Brush Karna ,
✿ Taharat v nazafat islam ki ibtedayi talimaat me dakhil hai,shariate mutahara ne jaha'n taharat v nazafat ka hukm diya wahi iske tareeqo ko bhi mutaiyan kar diya..
⇨ Agar koi in makhsoos tareeqo ke alawa taharat v nazafat ka iltezam kare to agarche islam ke taharat wale hukm per Amal to hua Lekin makhsoos tareeqe ke tark ki Vajah se sunnat ke sawab se mehroom rahe ga..
⇨ Brush se danto ko saaf kiya jaye to jaa'iz hai ba-sharte ye k Brush ki banawat me kisi Haraam cheez ki aamezish maslan:-khinzeer ( pig ) ke Baal Vagera na ho , For Bhi Brush karne se miswaak ki fazeelat aur fawa'id haasil na honge.
☞ Brush aur Science ,
✿ ",Mahereen jaraseem ki barso ki tehqeeq ke baad ye baat saamne aayi hai k jis brush ko ek dafa istemal kiya jaye iska istemal sehat or tandrusti ke liye us waqt muzir hai jab isko dobara istemal kiya jaye ,
⇨ Kyunke iske ander jaraseemo ( Bacteria ) ki teh jam jati hai, agar isko pani se saaf kiya bhi jaye to jaraseem chhipe rehte hai,,
⇨ Doosri baat brush daanto ke ouper chamkeeli aur safed teh ko utaar deta hai, jiski vajah se daanto ke darmiyan khala ( Gape ) paida ho jata hai ,aur aahista aahista masodo ki jagah chod jate hai, isi tarah giza ( food ) ke zarrat ( piece ) khalao'n mein Fa's kar masodo or daanto ke liye nuqsaan ki vajah bante hai,".
↳ ₢ Sunnate Nabvi aur Jadeed Science, 1/21
Next -61 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 104
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 61
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Lipistik Lagana ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Lipistik Lagana,
✿ Lipistik Agarche Asbabe zeenat me se hai, lekin deendar,shareef gharano me ise nihayat bura samjha jata hai,neez iska istemal zyada tar aisi aurte'n karti hai jinka deen v shariyat se koi khaas talluq nahi hota, Fir bhi agar sirf shohar ki khushnudi ke liye ise istemal kiya jaye to uski gunja'ish hai albatta ye ahtiyaat ki jaye k isme kisi haraam cheez ki aamezish na ho,,
⇨,Lipistik ka sharai hukm to yahi hai, albatta tibbi lihaaz se iske fawaid ya bhi humare saamne rehna chahiye.
☞ Lipistik ke Nuqsanaat Science Ki Nazar me ,
✿ Hakeem Tariq Mehmood chughtayi ,--;;
" Lipistik honto ka qudrati husn chheen leti hai..."
Ke unwaan ke tahat likhte hai:-
",zyada garm or zyada thandi cheeze khane peene se honto ka qudrati husn khatm ho jata hai or agar khwateen foran ilaaj na kare to honto ka qudrati rang hamesha ke liye khatm ho jata hai, is baat ka khulasa ghair mulki beauty report mein kiya gaya hai...
",Report ke mutabiq Kam umri me khwateen zyada garm or zyada thandi cheeze khane ki shoqeen hoti hai..jisse hont mutassir hote hai baaz martaba honto ke tissues mustaqil tor per mar jate hai ,
⇨ Expert ke mutabiq lipistik bhi honto ko qudrati husn se mehroom karti hai,
⇨ Khaas tor per Lipistik ki teh jam jane se honto par beshumar aise virus janam lete hai, jo na sirf honto ki sehat ko kharab karte hai balki daanto or baaz auqaat moonh ke saare nizaam ko bigaad dete hai..ilaaj na karne se surtaan ka marz bhi lagta hai,,,
⇨ Expert ka kehna hai k khwateen ko Lipistik lagane ke 6 ghanto tak honto ko khane peene or polution se bachana chahiye, varna honto per fungus hone ke khatraat badh jate hai,,lihaza khwateen keliye lipstic muzir ( durust nahi ) hai.
↳ ₢ Sunnate Nabi aur Jadeed Science ,2/371
Next -62 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 106
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 62
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Ubtan ,Cream Vagera Ka istemal,Beauty Parlor,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Ubtan Cream ka istemal,
✿ In cheezo ke istemal me koi buraai nahi, albatta is baat ka lihaaz kiya jaye k haraam v najis cheezo ki milawat se pak ho varna inka istemal najasat ki vajah se durust na hoga.
☞ Muhaso aur Dano Ka ilaaj,
✿ Hakeem Tariq Mehmood chughtayi is unwan ke tahat likhte hai:-
",chehra dhone se chehre per dane nahi nikalte ya fir inke nikalne ki sharah kam ho jati hai, Beauty Expert v Health is baat per mutafiq hai k tamaam cream,ubtan,or lotions chehre per daag chhorte hai, husn or khubsurti ke liye chehre ka kai baar dhoya jana bahut zaroori hai,,
American concell for beauty ki member lady teacher ne ajeeb v gareeb research kiya hai, ,uska kehna hai k musalmano ko kisi qism ke cream, lotion ki zaroorat nahi, inke islami wazu se chehre ka gusl ho jata hai or chehra kai bimariyo se bach jata hai.
↳ ₢ Sunnate Nabvi aur Jadeed Science, 1/29
☞ Beauty Parlor me Moonh Dhulwana ,
✿ Beauty parler mein mun dhulwana Fizool kharchi or laghv kaam hai,,balki dhoka bazi bhi hai ,Apne asli rang ko chhupana or naqli khubsurti ki numaish karna hai ,is qism ke kaamo se bachna chahiye..Aurat apne shohr ki khatir saada or purane tareeqe ke mutabiq jo fashion mein dakhil na ho,or fijoor v fasiq ,kuffar ke saath mushabihat lazim na aati ho, aisi zebo zeenat kar sakti hai..
☞ Make up aur Science:-
⇨ Hakeem Tariq Mehmood chughtayi ", kehte hai:-
",meri zindgi fitrat ke musalsal muta'ala ( study ) mein guzri hai is baat ko gor se dekha k hum fitrat ke qareeb rehte hue fitrat se door to nhi ja rahe?
⇨ Fashion or Riwaaj ki Duniya ne hume sirf dhoka or fareb diya hai ,Make up husn ko nikhaar ke liye tha lekin Jitna nuqsaan isne husn ko diya shayad hi kisi cheez ne diya ho,
⇨ Kya Aapne Kabhi gor kiya k Make up ke samaan me kitna Khatarnak Chemical istemal hota he aur isse kya nuqsan hota he ,?
⇨ Chehre ke muhase ,Kaale Dhabbe ,Keel ,Jhaaiya'n ,Naak per Daane ,Aam fode funsiya ,Fungus ye bimariya he Jo Jadeed ( modern ) science ne bataye he ,
↳ ₢ Sunnate Nabvi Aur Jadeed Science ,1/327
Next -63 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 108
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 63
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mehndi Lagana ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Mehndi Lagana,
✿ Haatho me Mehndi Lagana na sirf Jaa'iz balki mustahsan he ,
✿ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha farmati he'n ,
" Ek Aurat ne Haath bada kar Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko Kitaab dena chahi to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ( apna ) haath kheench liya ,
Us Aurat ne Arz kiya ,Ya Rasulallah ! Mene Aapko kitaab dena chahi aur Aapne nahi li ,
To Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,,mujhe maloom na tha k ye Aurat ka haath he ya Mard ka ( isliye mene haath kheench liya ),
Us Aurat ne kaha ,Aurat ka haath tha ,
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,Agar tum Aurat hoti to kam az kam Apne nakhuno per Mehndi to lagati ,"
↳ ₢ Sunan Nasa'i ,
✿ Mehndi lagane me Waqt Kï koi qaid nahi jab chahe laga sakti he'n ,isi tarah mukhtalif design banane me bhi koi Harj nahi basharte k Kisi Jaandaar Kï tasveer na banayi jaye ,
Next -64 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 113
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 64
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Nakhoon Badhana ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Nakhoon Badhana ,
✿ Nakhoon Katana ayn fitrat he ,
, Hazrat Ibne Abaas Raziyallahu Anhu Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se naqal karte he'n ,
"_Zere Naaf saaf karna ,Nakhoon tarashna aur moonche Chhoti Karna fitrat insani me Dakhil he ,"
✿ Nakhoon Badhana fitrat ke khilaf hone ke saath saath tibbi lihaaz se bhi muzir he ,lihaza fitrat ke khilaf cheez ko Zeenat nahi kaha ja sakta aur na hi iski ijazat he ,
⇨ Nakhoon Badhane Kï Aafaat me se ek Aafat ye bhi he k isse rizq me kami hoti he ,
✿ Nakhoon tarashne ke baad unhe dafan karna behtar he ,isi tarah Jo Baal kanghi karne se gire unhe bhi dafan karna behtar he,
✿ Nakhoono ko har roz saaf karna zaroori he taki unke andar mail Jama na ho sake Jo Sahat ke liye behad nuqsandah he ,Apne Nakhoono ko 15 din me ek baat zaroor taraashe taki na to itne lambe ho jaye k unke andar mail Jama ho jaye aur na hi itne chhote ho k unke niche ka gosht Nazar aane large ,
☞ Banawti ( Naqli ) Nakhoon ,
✿ Masnui v Banawti Nakhoon ka istemal shariyat ke khilaf hone ke saath saath Kaafir aur Faasiqo se tasbih he ,lihaza inka istemal jaa'iz nahi ,
Next -65 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 114
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 65
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Nail Polish,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Nail Polish ka istemal jabki isme najish cheezo Kï milawat na ho ,agarche mubah he lekin iska istemal ada e Farz se mana he ,kyuki Nail Polish Kï Teh Wazu me Nakhoon per pani behne me rukawat he aur Namaz ka ada karna farze ayn he ,lihaza Jo mubah farz ke liye rukawat bane uski ijazat nahi di ja sakti he ,
☞ Nail Polish ke nuqsanaat ,
✿ Report ke mutabiq Misr Kï Aurte'n bhi Apne Nakhoono per Rang v rogan karri thi aur Nail Polish ka rivaaj Firoun ke zamane Kï yaadgar he ,lekin Aaj kal Jo Nail Polish istemal Kï jati he jo Nakhoon ke liye khatarnak he ,Saste Nail Polish Nakhoono ke qudrati tail ko jazb kar lete he'n ,Jiski vajah se unki chamak halki pad jati he ,
✿ Rang insani zindgi per asar daalte he'n aur insani jism jis Rang ko baar baar dekhta he uska Asar uski zindgi per gaalib hota he ,Chunki Aksar Nakhoon Polish surkh rang Kï hoti he aur ye Rang istemal ,Gussa ,Blood perssor high karta he,
⇨ Nakhoon Polish Nakhoon ke Masamaat ko band kar deti he ,chunki isme rangdaar chemical hote he'n isliye ye chemical beshumar bimariyo Kï vajah bante he'n Khaas tor per iska Asar Jism ke harmony system per bahut bura padta he ,Jisse Khatarnak Zanana Bimariya paida hoti he ,
↳ ₢ Sunnate Nabvi aur Jadeed Science, 1/324
Next -66 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 116
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 66
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞kangan chudi Anguthi V Ghari RumaaL ka istemal
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Kangan Pehanna,
✿ Kangan Asbabe Zeenat me Dakhil he aur Shar'an iska istemal bila karahat Durust he ,
☞ Chudiya'n Pehanna ,
✿ Aurto'n ke liye har qism ki Chudiya'n Jaa'iz he basharte k Chudiya'n khud pehne ya Aurto'n se pehanwaye kisi Ajnabi ( Mard ) se Chudiya'n Pehanna Haraam he ,Kyuki kisi Ajnabi ( Mard ) ko haath pakadne ya kisi Uzv ko chhone Kï ijazat dena jaa'iz nahi ,
☞ Anguthi Pehanna ,
✿ Anguthi ke istemal se Haatho Kï Zeenat me izafa hota he aur ye Zaibo Zeenat ka aham pehlu he ,iske istemal me koi muzayqa nahi,Aurto'n ko ijazat he k Wo jis ungli me chahe Jitni chahe Anguthiya'n pehan sakti he'n , ,Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Sone Kï anguthiya'n pehnti thi ,
☞ Haath me Rumaal rakhna ,
✿ Agar bagarz zarurat maslan pasina v Naak saaf karne ke liye istemal kiya jaye to jaa'iz he ,bila zarurat isko haath me rakhna durust nahi ,
☞ Sone Kï Ghari Pehanna,
✿ Ghari Zarurat ke alawa Zeenat ka kaam bhi deti he lekin Zevraat se zyada nahi ,lihaza jis tarah Mardo'n ke liye iska istemal jaa'iz nahi usi tarah Aurto'n ke liye bhi mamnoo aur na-jaa'iz he ,
✿ Lekin esi Ghari Jisme sone ya Chandi ka pani chada ho ( Yani Khaalis sone ya chandi Kï na ho ) jaa'iz he ,
Next -67 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 116
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 67
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mobile ka istemal, Boot v Sandal Pehanna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Mobile Phone istemal karna ,
✿ Agarche Mobile ka talluq zebo zeenat k baab se nahi, fir bhi Aaj kal iska fashion bhi chal nikla aur sare aam aurte'n aur ladkiya'n Mobile istemal karti hai aur ise qabile faKhr samajhti hai ,
⇨ Shariyat me bilkul bhi iski ijazat nahi, Aur fuqha kiraam ne Aurto'n ki awaaz ko bhi aurat ( jisko chhipana zruri ho ) shumar kiya hai ,aur namaz me galti per tokne ke liye bajaye awaaz ke haath per haath maar kar tambeeh karne ka hukm diya hai, to sare aam, bus stop, raasto or gaadiyo me Mobile istemal kar ke Ajnabi v gair Mahram ko apni taraf mutawajjah karna islami taleemat ki sarasar khilaf varzi hai..
☞ Boot ( Joota)Pehanna ,
✿ Boot pahenna, Boot darasal Mardo ke istemal ki cheez me se hai aur ismein tashbiha bil rijaal paya jata hai, lihaza iski ijazat nahi,
-",Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se puchha gya :-kya aurte'n mardana joote pehan sakti hai?
.
To unhone jawab diya:-Rasoolallah Sallallahu Alaihivasallam ne un Aurto'n per laanat farmayi hai jo mardana rawish akhtyar karti hai,".
↳ ₢ Majmua Az Zawaid ,2 /108
☞OUnchi edhi wali sandal:-
✿ OUnchi edhi wali sandal Pehanna kai Vajaho se jaa'iz nahi:-,
1_isme tashbiha bil fasiqat paya jata hai.
2_Dhoka dahi bhi hai k Qad ( hight ) ko ouncha zahir kiya jata hai.
3_sakht edhi ki Vajah se joote ki awaaz paida hoti hai, jisse mardo ki tawajjoh isi jaanib hoti hai.
4_isme sureen ka ubhaar bhi zyada maloom hota hai.
5_chalne me chaal bhi tirchi hoti hai.etc inke alawa bhi kai nuqsan isme paye jate hai,
Next -68 ©ontinue in Sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 124
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 68
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Paazeb v Sone ka Zever Pehanna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Paazeb ,,
✿-islam ne Aurat ko parde ka hukm diya aur har us amal se mana kiya jo fitne ki Vajah banta ho, chunke Aurat ke paazeb pehanne me fitne ka zyada andesha hai lihaza iska istemal karna na-jaa'iz hai...
✿",Hazrat Binana bint Abdurrahman riwayat karti hai k me Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke paas baithi thi k ek baandi ko laya gaya jisne paazeb pehne thi wo baj rahi thi to Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya:-
ise mere paas is haalat me nahi lana, agar lana hai to iski paazeb kaat do , kyunki meine Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ko ye farmate suna hai k Rehmat ke farishte us ghar me dakhil nahi hote jisme ghantiya'n aur baaje baje,".
↳ ₢ Abu Daowd, 2/229
☞ Sone Ke Zever Pehanna,
✿ Sone ke zevraat bila shak v shuba Aurto'n ke liye mubah hai,
✿ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai:-Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-,
Ye do cheeze( Resham v Sona ) meri ummat ke Mardo per Haraam aur Aurto'n ke liye halaal hai,
↳ ₢ Ibne maaja, 257
⇨Sone ka zever Aurto'n ke liye mubah hai ,zever ka design pasand karne me Aurto'n ko akhtyar hai ,albatta is baat ka lihaaz zaruri hai k jin zevraat me baaja ghanti ( Ghungru ) Vagera ho unka Pehanna na-jaa'iz hai ,
⇨ aur jin Zevraat me khud ghanti to na ho lekin aapas mein lag kar bajte hai ,agarche inka Pehanna jaa'iz hai, lekin inhe pehan kar is andaz se chalna k inse awaaz nikle jaa'iz nahi...
Next -69 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 133
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 69
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mukhtalif Zever aur israaf Karna ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Zevraat Pehanna me israaf Karna ,
✿ Zebo zeenat Aurto'n ke liye shar'an mubah hai, lekin isme israaf ( Fizool kharchi ) Karna durust nahi, isi tarah Zevraat me bhi israaf se kaam lena jaa'iz nahi.
☞ Chaandi Ka Zever ,
✿ Chandi k Zevraat ka jaa'iz hone me kisi ka bhi ikhtelaf nhi.
☞ Jawahraat ,,
✿ Heere, jawahraat, firoz, zamrrud,
,yaqoot, marjaan, Vagera ke Zevraat pehenna bhi jaa'iz hai.
☞ Haddi ka Zever ,
✿ Jaanwaro ki haddiyo, singo aur daanto se taiyar karda Zevraat bhi durust aur jaa'iz hai , kyunki siwae khinzeer ke baqi jaanwaro ( halaal ho ya haraam ) ki haddiya'n sing ,or daant najis nahi,
⇨",Murdaar ke gosht ke alawa uski khaal, sing, Baal, oun, daant, haddi halaal yani qabile intefa hai,".
↳ ₢ Daare Qutni ,1/42
⇨",Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- Sobaan !,Fatima ke liye ek haar aur haathi daant ke do kade khareed lena,".
↳ ₢ Abu Daowd, 2/227
Next -70 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 136
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 70
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞Mukhtalif Zeveraat
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Taaj Pehanna ,
✿ Aurto'n ki zeenat me taaj pehanne ko bahut ahmiyat haasil thi , Agarche mojooda zamane me iska istemal khatm ho gaya hai, Fir bhi agar koi taaj pehanne ka iltezam kare to shar'an isme koi harj nahi.
☞ Foolo ka Zever ,
✿ Foolo ki maala gardan me daalna ya foolo ka kada bana kar haatho me pehanna or isi qism ki diger cheezo ka istemal bila karahat durust hai.
☞ Plastic ka Zever
✿ isse muman'at sarahatan balki isharatan bhi nahi aur is cheez mein asal abahat hai k qaayde ke peshe nazar ise jaa'iz kaha jayega.
☞ Lohe Ka Zever ,,
✿ Sone or chandi k alawa digar dhaatu masalan:-loha,taanba, peetal, Vagera ke Zevraat pehanna makrooh hai,
⇨ Hazrat ibne Bureda Raziyallahu Anhu apne Walid se riwayt karte hai k. ek Aadmi Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke paas aaya usne taanbe ki anguthi pehan rakhi thi, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- kya masla hai tumhare paas buto ki bu aa rahi hai ? Us Shakhs ne wo Anguthi Fenk di, jab doosri martaba aaya to lohe ki pehne hue tha, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, Kya Vajah hai k me tum per jahannamiyo ka Zever dekh raha hu?? Usne ise bhi utaar diya aur kaha kis cheez ki Anguthi banau?? Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, Chandi ki Anguthi banao aur ek misqaal se zyada na ho,"
↳ ₢ Abu Daowd ,2/228
☞ Dikhlawe Ke liye Zever Pehanna,
✿ Fakhr v Riya aur dikhlawe ki garz se jo bhi kaam kiya jaye na-jaa'iz v makrooh hai, aur ahadees me Aurto'n ke liye sone ke Zevraat ka istemal ki muman'at bhi izhaar v dikhlawe per mahmool hai, lihaza is niyat se Zevraat Pehanna jaa'iz nahi.
(ALHAMDULILLAH MUKAMMAL)
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 139
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
No comments:
Post a Comment