Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Monday, February 15, 2016

ⓞ Kisi Doosre Ki Post Ko Apne Naam Se Share Karne Ka Anjaam ⓞ

❀۞❀ 21-09-2015                                  
          
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
              ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
ⓞ  Kisi  Doosre  Ki  Post  Ko  Apne  Naam  Se  Share  Karne  Ka  Anjaam  ⓞ
               ※ PART – 01 ※
  ✧ *:・゚✦*:・゚✧✦✧ *:・゚✦*:・゚✧
★ Social media ke badte hue istemal ne jaha hamari sochne samajhne aur fory rad e Amal ki istedaad ko bada diya he, Doosri taraf hamare andar mojooda safli jazbaat ko bhi jila bakhshi he,
★ Aaj ke is barq raftaari ke daur me ek doosre se aage nikalne, taraqqi karne aur apne khayalaat ko doosro ke zahno me muntaqil karne ke✩ liye jis raftaar ki zarurat thi wo hume social media ne faraham kar di,
★ Ek taraf iske anginat fawaid apni poori shan shokat ke saath Hamare zahno per sawaar he to doosri taraf iske beshumar nuqsanaat se bhi kisi danishmand ko qatai inkaar nahi,
★ Jaha la tadaad nuqsanaat mojood he unhi me se ek intehai khatarnaak aur duniya v Akhirat barbaad kar dene wala esa Amal aaj kal tezi se hamare mashre me parvaan chad raha he, jise ek bada tabqa buraayi Samajhne ko bhi tayyar nahi he,
★ Social media khususan Facebook, Whats app ke mustqil istemal karne wale isse ba khubi waqif he’n, k Doosro ki tehreero ko apne naam se share karne aur jhooti shohrat hasil karne ka fashion badi zoro per he ,,,
           Baqi agle part me,,
    Next -2 in sha Allah ߔ܊◈ Tarjumani By Ahle deoband,
◈ Ba Shukriya Bhai Arsalan Saifi, Media Balaag,
⚙⚝⚙
❀۞❀22-09-2015                                  
          
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
              ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
ⓞ  Kisi  Doosre  Ki  Post  Ko  Apne  Naam  Se  Share  Karne  Ka  Anjaam  ⓞ
               ※ PART – 02 ※
  ✧ *:・゚✦*:・゚✧✦✧ *:・゚✦*:・゚✧
★ Ab tak esa hota tha k kisi doosre mulk ya door daraaz ke kisi writer ,qalamkaar ki koi tehreer log apne naam se akhbaraat v Risaalo me chhapwa kar waah wahi bator lete the,
★Lekin ab social media ne is burayi ko itna aam kar diya k ek hi tehreer mukhtalif naamo se is raftaar se poori duniya me gardish karti he k baaz avqaat khud asal qalamkaar ko shubha hone lagta he k waaqai ye usi ki tehreer he bhi ya nahi,,,,
★, iski beshumar misaale har ek ke saamne he, aur ye bimari roz ba roz badti ja rahi he,
★ Mukhtasar ye he k waqti shohrat ,aur kuchh der ki waah waahi ke liye kiye Jane wale is Amal ( Chori ) se duniyavi izzat ,shohrat to haasil ki ja sakti he lekin ye izzat shohrat waah waahi kal akhirat me khasare ka samaan bhi ban sakti he ,,,
,,,,,,,,,,Baqi agle part me,,
    Next -3 in sha Allah ߔ܊◈ Tarjumani By –Ahle deoband
◈ Ba Shukriya Bhai Arsalan Saifi, Media Balaag,
⚙⚝⚙
❀۞❀                                  
          
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
              ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
ⓞ  Kisi  Doosre  Ki  Post  Ko  Apne  Naam  Se  Share  Karne  Ka  Anjaam  ⓞ
               ※ PART – 03 ※
  ✧ *:・゚✦*:・゚✧✦✧ *:・゚✦*:・゚✧
★Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,
※ Momin jhoota nahi hota ( mafhoom ),
※ Ek doosri jagah munafik ki nishaniya bayan farmate hue irshad farmaya ,
→Jab uske paas amanat rakhi jati he to usme khayanat karta he ,
※ Aur ek jagah irshad farmaya,
→ Momin na dhoka deta he aur na hi dhoka khata he ,
★ In ahadees ki Roshni me jab hum is amal ko dekhte he’n to chand baate bilkul vaaje ho jati he ,
★ 1- kisi ki tehreer ko apne naam se felaana doosro ko dhoka dena he ,
★ 2- Haqeeqatan tehreer kisi doosre ki ho aur logo me apne naam se pesh karna jhoot he ,
★ 3- Jab koi Banda intehai mehnat ke baad apni koi tehreer aap tak pahunchata he aur Aap uski Tehreer ko apne naam se aage badate he to ye khayanat he ,
⇨ Ab gor karne ki baat he k ,” kisi doosre ki tehreer ko apne naam  pesh karne per Banda ek saath Jhoot ,Dhoka aur Amanat me khayanat jese Teen bade gunaaho ka murtkib hota he ,
★Is silsile me badi tavajjo dene ki zarurat he ,waqti khushi ke liye is gunaah ko aaj kal gunaah. Bhi Tasavvur nahi kiya jata ,hamari akhirat ki barbadi ka sabab ban sakta he ,aur Chand roz izzat v shohrat ke baad hamesha hamesha ki akhirat me zillat ka samaan bhi ,
,,,,,,,,,,,,Baqi agle part me,,
    Next -4 in sha Allah ߔ܊◈ Tarjumani By –Ahle deoband,
◈ Ba Shukriya Bhai Arsalan Saifi, Media Balaag,
⚙⚝⚙
❀۞❀ 24-09-2015                                 
          
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
              ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
ⓞ  Kisi  Doosre  Ki  Post  Ko  Apne  Naam  Se  Share  Karne  Ka  Anjaam  ⓞ
               ※ PART – 04 ※
  ✧ *:・゚✦*:・゚✧✦✧ *:・゚✦*:・゚✧
,
★ Chand Duniyavi Nuqsanaat ,
※ 1- ESA shakhs kabhi kuchh likhna chahe to bhi likh nahi sakta ,kyuki likhne ki mashakkat se bachne ka asaan raasta tehreer ki chori ka WO Aadi ho chuka hota he ,
※ 2- Zyada Din WO apni chori me kaamyab bhi nahi hota ,ek na ek din pakda jata he aur Duniya hi me zillat uthani padti he ,
※ 3- Agar WO apni mehnat se kuchh likh bhi le to Duniya use qubool nahi karti ,isliye k us per chori ka label pehle hi lag chuka hota he ,
※ 4- Uski khud ki tehreer bhi mehfooz nahi rehti ,
※ 5- Chori ki tehreero se chori karne ki mashakkat ke bavjood bhi kisi ko koi faayada nahi hota he ,isliye k babool ke beej bokar Aam ki ummeed ki jati he
※ 6- Tehreer jab doosre naam se asal Musannif tak pahunchti he to uski dil shikni hoti he aur kisi Momin ka dil dukhana gunaah kabira he
※ 7- ESA shakhs logo me be aitmaad ho jata he
※ 8- Hamesha shak ki nigaah se dekha jata he ,,vagera vagera
★ Tehreer aage badakar doosre ki milkiyat per APNA jhoota Haq jamana dhoka he ,amanat me khayanat aur chori jese kabira gunaho ka murtakib hona he ,
→Jo k ek Momin bande ki sift nahi he balki kisi munafik me to ho sakti he kisi MOMIN me nahi ,
⇨ Khudara hosh me aaiye ,Duniya ki waqti aur Chand roza shohrat ki khatir hamesha hamesha ki zindgi ko barbaad na kijiye ,
★ Aaj aur abhi se is baat ka pakka iraada kijiye aur is la ilmi me sarzad hone wale khatarnak gunaah se khud bhi bachiye aur doosro ko bhi bachahiye ,
※ Allah Hume Amal ki Tofeeq ataa farmaye ,har tarah ke gunaho se ,jhoot se ,dhoka se khayanat aur doosre ki Haq talfi se hum sabki Hifazat farmaye ,
Aameen Ya Rabbal Aalameen
※Wama tofeeqi illa billaah ,
Mera paigam mohabbat he jaha tak pahunche ,
           ※※  Talib. E. Dua. ※※
◈ Tarjumani By –Ahle deoband
◈ Ba Shukriya Bhai Arsalan Saifi, Media Balaag,
⚙⚝⚙

No comments:

Post a Comment