Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Wednesday, February 17, 2016

GULDASTA-E-MAGHFIRAT 1 SE 50

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 1☆★

❄ 1- Shirk v Kufr aur Bugz v Hasad se Bachiye, Aapke Gunah Maaf ❄

⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" har peer aur jumeraat ko amaal pesh kiye jate hai'n fir har us momin ki magfirat kar di jati he

Jo Allah ke saath kisi ko shareek na karta ho, magar wo shakhs k uske darmiyan aur uske bhai ke darmiyan bugz, dushmani aur keena ho,

Haq ta'aala Shanhu farishto se irshad farmate hai'n in dono ko chhode rakho yaha'n tak k ye'n aapas me sulah kar le'n, "
( yani inki magfirat ko sulah per mokoof rakho )

   �� Ravaah Muslim,

Next - 2 ,�� in sha Allah Ta'aala,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -2☆★

❄ 2-Shabaan ki 15 vi raat me Shirk karne wale aur Bugz v Adawat rakhne wale ke Siva sabke Gunaah Maaf ❄

⇨Hazrat Muaaz bin Jabal Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Haq ta'aala Shanhu Shabaan ki 15 vi raat ko apni makhlooq ki taraf tavajjah farmate hai'n, aur apni tamaam makhlooq ki magfirat farma dete hai'n sivae Mushrik ke aur Bugz v Adawat rakhne wale ke, "

   �� Kanzul Amaal, 3/467

Next -3 ,�� in sha Allah Ta'aala,    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 3☆★

❄ 3- Jo Shirk, Jaadu aur Keena se bacha uske Gunaah maaf ❄

⇨Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Teen khaslate esi hai'n jinme se koi ek bhi kisi me na ho to Allah ta'aala unke alawa ki magfirat farma dete hai'n jiske liye chahe,

1-Jo is haal me mare k Allah ta'aala ke saath kisi ko shareek na thehrata ho,

2- Jadugar na ho k jaadugaro ke pichhe firta rahe,

3- Aur apne bhai se keena na rakhta ho, "

   �� Kanzul Amaal, 5/840

Next - 4,�� in sha Allah Ta'aala,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -4☆★

❄ 4-Aalim Ba-amal baniye Gunaah maaf ❄

⇨ Qayamat ke din Allah ta'aala farmaenge,

" A  Ulema ki jama'at!
Mene tumhare seeno me sirf isliye ilm rakha tha k tumhare zariey se apni pehchan karau'n,

Utho beshak me tumko maaf kar chuka hu'n,"

   �� Kanzul Amaal, 10/173

Next -5 ,�� in sha Allah Ta'aala,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -5 ☆★

❄ 5- Jo ilme Deen ki Talab me Lag gaya uske Gunaah maaf❄

⇨ Hazrat Sakheerah Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

" Jo ilm ki talab me lag gaya uske guzishta Gunaho ki magfirat ho jaa'egi, "

   �� Tirmizi, 2/9

Next - 6,�� in sha Allah Ta'aala,  

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -6☆★

❄ 6- Jo Talab e ilm ke Liye nikla Uske Gunaah Maaf❄

⇨ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis Bande ne Joota pehna ya charmi Moza pehna ya koi Libaas pehna ilm ki Talab me To Allah ta'aala uske Gunaaho ki magfirat farma dete hai'n hattaki wo apne ghar ki dehleez per pahunche, "

   �� Tabrani, 1/105

Next -7 ,�� in sha Allah Ta'aala,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 7☆★

❄ 7- Talibe ilm ke Ahatraam me Farishte Parvaaz rokkar khade ho Jate he'n aur Aalime Deen ke liye Tamaam Makhlooq Magfirat ki Dua karti he ❄

⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu kehte hai'n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko farmate hue suna,

" Jo sakhsh ilm hasil karne ke liye kisi raaste per chale to uski vajah se Allah ta'aala uske liye jannat ka raasta asaan farma denge,

Aur uske is amal se khush hokar farishte Talibe ilm ke liye apne paro ko rakh dete hai'n ( yani parvaaz rok kar khade ho jate hai'n),

Aur Aalim ke liye aasmano ki tamaam makhlooq aur zameen ki tamaam makhlooq Dua e Magfirat karti he hattaki Machhliya'n paani me,

Aur Aalim ki fazilat Aabid per esi he jesi chaand ki fazilat baqi sitaaro per,

Aur tehqeeq ulma Ambiya ke vaaris hai'n, aur Ambiya Alaihissalam dinaar aur dirham ka kisi ko vaaris nahi banate, woh to ilm ka vaaris banate hai'n,

Lihaza jisne ilm hasil kiya usne bahut badi khair hasil ki, "

   �� Tirmizi,, 2/93

Next -8 ,�� in sha Allah Ta'aala,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -8☆★

❄ 8- Din ke Suru aur Aakhri hisse me Nek kaam kijiye, Darmiyan ke Gunaah maaf ❄

⇨ Jis shakhs ne din ka aagaaz bhale kaam se kiya aur din ki inteha bhale kaam se ki uske bare me Allah ta'aala farishto se farmate hai'n,

iske darmiyani hisse ke gunaaho ko mat likho, "

   �� Kanzul Amaal,, 15/781

Next - 9,�� in sha Allah Ta'aala,

   

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 9☆★

❄ 9- Jisne Aainda achchhe kaam kiye, uske Pichhle Gunaah maaf❄

⇨ Hazrat Rasule Paak Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,

"Jisne baqi aainda zindgi me achchhe amal kiye to mazi( pichhle) gunaahi ki bakhsish kar di ja'egi,

Aur jisne baqi aainda zindgi ko bure aamaal aur gaflat me guzaar diya to guzishta ayyam aur baqi ayyam dono ka muwakhza hoga, "

   �� Kanzul Amaal,, 2/244

Next -10 ,�� in sha Allah Ta'aala,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -10 ☆★

❄ 10- Nek Kaam Karo aur Bade Gunaaho se Bacho, Chhote Gunaah Maaf❄

⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Qasam he us zaat ki jiske qabze me meri jaan he, Nahi he koi banda Jo Paancho Namaze padta ho, Ramzanul Mubarak ke Roze rakhta ho, Zakaat Ada karta ho saath kaba'ir ( bade gunaah) se bachta ho magar uske liye Jannat ke Aatho'n darwaze  qayamat ke din khol diye jaa'enge,

Fir Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ye aayat tilawat farmayi,

( Tarjuma)- Jin kaamo se tumko mana kiya ja raha he agar tum unme se Jo bade bade gunaah hai'n bachte rahoge to hum tumhare chhote chhote gunaah tum se zaa'il kar denge, "

   �� Kanzul Amaal,, 15/862

Next 11- ,�� in sha Allah Ta'aala,

     �� Talibe Dua ,,

   ⇨ Ahle deoband

  ☏ +91-7037363325

  ��Plz Forward to all Muslims,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 11☆★

❄ 11- Jisne apne Bete ko dekh kar Quran padna sikhaya, Uske Gunaah Maaf ❄

⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jisne apne bete ko Naazra Quran padhaya uske agle pichhle gunaaho ki magfirat kar di ja'egi ,"

   �� Tabrani, 2/557, Majma uzzawa'id, 7/168

Next -12 ,�� in sha Allah Ta'aala,

   

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 12☆★

❄ 12-Achchhi Tarah Vazu kiniye aur Namaz Padhiye, Gunaah Maaf ❄

⇨ Hazrat Ubada bin Saamit Raziyallahu Anhu farmate hai'n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna,

" Allah ta'aala ne 5 waqt ki namaz farz farmai he,
Jo sakhsh in Namazo ke liye Achchhi tarah Vazu karta he aur unhe mustahab waqt me Ada karta he,
Ruku ( Sazda) itminan ke saath karta he aur poore khushu se padhta he,

To Allah ta'aala ka vaada he k uski zarur magfirat farmaega,

Aur Jo sakhsh in Namazo ko waqt per Ada nahi karta aur na hi khushu se padhta he to usse magfirat ka koi vaada nahi,
Chahe magfirat farmae chahe azaab de, "

   �� Abu Daoud, Baabussalaat 465,

Next -13 ,�� in sha Allah Ta'aala,

   

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -13 ☆★

❄ 13- Namaz ke Vazu Kijiye, Gunaaho ko Dho daliye❄

⇨ Hazrat Abdullah Suna Bihi Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab Momin Banda Vazu karta he aur is dauran kulli karta he to uske moonh ke tamaam gunaah dhul jate hai'n,

Jab wo naak saaf karta he to naak ke tamaam gunaah dhul jate hai'n,

Jab chehra dhota he to chehre ke gunaah dhul jate hai'n yaha tak k palko ki jado se nikal jate hai'n,

Jab haatho ko dhota he to haatho ke gunaah dhul jate hai'n yaha tak k haatho ke nakhuno ke niche se nikal jate hai'n,

Jab sar ka Masah karta he to Sar ke gunaah dhul jate hai'n yaha tak k kaano se nikal jate hai'n,

Aur jab paanv dhota he to paanv ke gunaah dhul jate hai'n yaha tak k paanv ke nakhuno ke niche se nikal jate hai'n,

Fir uska Masjid ki taraf chal kar Jana aur Namaz padhna uske liye mazeed ( fazilat ka zaria ) hota he,"

   �� Nasaa'i,  1 / 29

Next - 14,�� in sha Allah Ta'aala,

   

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 14☆★

❄ 14- Namaz Padhiye, Gunaho se Paak Saaf ho ja'iye ❄

⇨ Hazrat Umar bin Absa Sulmi Raziyallahu Anhu farmate hai'n k,

" Agar Vazu ke baad khade hokar Namaz padhta he jisme Allah ta'aala ki esi Hamd v Sana aur buzurgi bayan karta he Jo uski shaan ke laa'iq he aur apne dil ko tamaam fikro se khali kar ke Allah ki taraf mutavajjah rehta he to ye shakhs Namaz se faarig hone ke baad apne gunaho se esa paak v saaf ho jata he jesa k aaj hi uski maa ne
usko jana ho, "

   �� Muslim, 1/276

Next - 15,�� in sha Allah Ta'aala,

   

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 15☆★

❄ 15- Agar kisi se Gunaah Sarzad ho jaye to Achchhi tarah Vazu karke 2 Raka'at namaz padhe aur Maafi maange Gunaah maaf❄

⇨ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu farmate hai'n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna,

" Jis shakhs se koi gunaah ho jae fir woh achchhi tarah Vazu kare aur uth kar 2 raka'at namaz padhe fir Allah ta'aala se maafi maange to Allah ta'aala use maaf farma dete hai'n,

Iske baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye aayat tilawat farmayi,

Tarjuma - Wo Bande jinka haal ye he k jab unse koi gunaah ho jata he ya koi bura kaam karke wo apne ouper zulm kar bethte hai'n to jaldi hi unhe Allah ta'aala yaad aa jate hai'n, fir wo Allah ta'aala se apne gunaaho ki maafi ke taalib hote hai'n aur baat bhi ye he k sivae Allah ta'aala ke koi gunaaho ko maaf nahi kar sakta he aur bure kaam per wo adte nahi aur wo yaqeen rakhte hai'n k tauba se gunaah maaf ho jate hai'n,"

   �� Abu Daoud, 1/ 213

Next -16 ,�� in sha Allah Ta'aala,

   

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -16 ☆★

❄ 16- Vazu karke Foran Ye Dua Padhiye, Do Vazuo'n Ke darmiyan Jo Gunaah kiye Wo Maaf ❄

⇨ Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu farmate hai'n k mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna,

" Jis Aadmi ne Vazu ka iraada kiya fir apne dono haath dhoye, fir teen baar kulli ki, teen baar naak me paani daala aur teen baar apne chehre ko dhoya aur apne dono haath kuhniyo samet teen martaba dhoya aur apne sar ka masah kiya, fir apne dono paanv ko dhoya fir baat kiye bager
" Ashhadu Allailaha illallahu Wahdahu la shareeka lahu wa Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu, "

Pade to us vazu se lekar Aainda Vazu tak gunaaho ki magfirat kar di jati he,"

   �� Musnad Abu Ya'ala, 1/ 157

Next -17 ,�� in sha Allah Ta'aala,

     �� Talibe Dua ,,

 

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 17☆★

❄ 17- Raat ko Ba-Vazu Soya karo Gunaah Maaf ❄

⇨ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

" Apne Jismo ko Paak rakha Karo Allah ta'aala tumhe Paak rakhega,

Kyuki Jo Banda bhi Ba-Vazu raat guzarega to uske saath uske andruni Kapde me ek Farishta raat guzaarta he,

Raat ki jis Ghadi me bhi jab Banda Karvat Leta he to Farishta kehta he,

" A  Allah !  Apne is Bande ki magfirat farma de kyuki isne Ba-vazu raat guzaari he, "

   �� Kanzul Amaal,, 9/ 277

Next - 18,�� in sha Allah Ta'aala,

   

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -18 ☆★

❄ 18-  Jiski Aameen Farishto Ki Aameen se Mil gayi Uske pichhle saare Gunaah Maaf ❄

⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab tumme se koi ( Surah Fatiha ke Aakhir me ) aameen kehta he to usi waqt Farishte Aasmaan per Aameen kehte hai'n,

Agar us shakhs ki Aameen Farishto ki Aameen ke saath mil jati he to uske pichhle tamaam gunaah maaf ho jate hai'n,"

   �� Bukhari, 1/ 108
         Muslim,  1/ 176

Next - 19,�� in sha Allah Ta'aala,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -19 ☆★

❄ 19- Jiski Tamheed Farishto ki Tamheed se Mil gayi Uske pichhle saare Gunaah Maaf ❄

⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab imaam ( ruku'a se uthte hue) " Samiallahu liman hamidah" kahe to tum " Allahumma Rabbana lakalhamd " kaho,

Jiska ye kehna Farishto ke kehne ke saath mil jata he uske pichhle saare Gunaah maaf ho jate hai'n,"

   �� Muslim,, 1/176

Next -20 ,�� in sha Allah Ta'aala,   

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 20☆★

❄ 20- Chaasht ki 2 Raka'at padhne ka Ahatmam kijiye Gunaah maaf ❄

⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo chaasht ki do raka'at padhne ka ahatmam karta he, uske Gunaah maaf kar diye jate hai'n agar che wo Samandar ki jhaag ke barabar ho, "

   �� Ibne Maaja, 98

Next - 21,�� in sha Allah Ta'aala,

     �� Talibe Dua ,,

   ⇨Ahle deoband
   ��+91-7037363325
  ��Plz Forward to all Muslims,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -21 ☆★

❄ 21- Tahajjud ka Ahatmaam Kijiye, Gunaah Maaf ❄

⇨ Hazrat Abu Umama  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad  farmaya,

" Tahajjud zarur padha Karo, wo tumse pehle ke nek logo ka Tareeqa raha he, isse tumhe apne Rab ka Qurb haasil hoga, Gunaah maaf honge aur Gunaaho se Bache rahenge, "

   �� Mustadrak Haakim, 1/ 308

Next -22 ,�� in sha Allah Ta'aala,

   

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -22☆★

❄ 22- Juma ke Din Gusl kijiye Gunaah Maaf ❄

⇨  Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Juma ke din gusl karna Gunaaho ko Baalo ki Jado se Soont kar nikaal deta he ",

   �� Kanzul Amaal,, 7/ 754

Next - 23,�� in sha Allah Ta'aala,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 23☆★

❄ 23- Juma ke Din Ye Kaam kijiye Gunaah Maaf ❄

⇨ Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu farmate hai'n k mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko irshad farmate hue suna,

" Jisne Juma ke din gusl kiya aur Jo achchhe Kapde use Mayassar the wo pehne aur khushbu lagai agar uske pass ho Fir wo Namaze Juma ke liye haazir hua aur iski ahatyaat ki k pehle se bethe hue logo'n ki gardano ke ouper se falaangta hua nahi gaya

Fir (Sunnato aur Niflo ) ki Allah ne tofeeq di wo padhi, Fir jab imaam Khutba dene ke liye aaya to Adab aur Khamoshi se uski taraf mutvajjah hokar Khutba suna,

Yaha'n tak k Namaz padh kar faarig hua to us Bande ki ye Namaz is Juma aur isse pehle wale Juma ke darmiyan Gunaaho aur Khatao ke liye Kaffara ho ja'egi, "

   �� Musnad Ahmed,, 5/ 420

Next - 24,�� in sha Allah Ta'aala,

   

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -24 ☆★

❄ 24-Jume ke Din Khoob dhyan se Khutba suniye, 10 din ke gunaah maaf  ❄

⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo sakhsh achchhi tarah Vazu karta he fir Juma ki namaz ke liye aata he,

khoob dhyan se khutba sunta he aur khutbe ke dauran Khamosh rehta he,

To is Juma se guzishta Juma tak aur mazeed 3 din ke gunaah maaf kar diye jate hai'n,

Aur jis shakhs ne kankriyo ko haath lagaya yani daurane khutba unse khelta raha ( ya chatai, kapda vagera se khelta raha) to usne fizool kaam kiya,

   �� Muslim, 1/ 283

Next -25 ,�� in sha Allah Ta'aala,

 

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 25☆★

❄ 25- Ishraaq ki Namaz padhiye, Gunaah Maaf❄

⇨ Hazrat Muaaz bin Anas Juhani Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo sakhsh Fajar ki namaz se faarig hokar usi jagah betha rehta he,

Khair ke alawa koi baat nahi karta,

Fir 2 raka'at ishraaq ki namaz padhta he,

Uske Gunaah maaf ho jate hai'n chahe wo samandar ke jhaag se zyada hi ho'n, "

   �� Abu Daoud, 1/ 182

Next - 26,�� in sha Allah Ta'aala,

   

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -2 6☆★

❄ 26- Ramzan me Taraveeh ka Ahatmam kijiye, Gunaah Maaf ❄

⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo Ramzan ki raat me Allah ta'aala ke vaado per yaqeen karte hue

aur uske ajr v inaam ke shoq me namaz padhta he,

Uske pichhle sab Gunaah maaf ho jate hai'n,

   �� Bukhari,, 1/10

Next - 27,�� in sha Allah Ta'aala,

         

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

��Guldasta -E -Magfirat��
( Mayoos Kyu Khada He)

★☆ PART -27☆★

❄ 27- Paidal chal kar aaiye aur Jama'at se
Namaz padhiye, Gunaah Maaf ❄

⇨ Hazrat Usman bin Affan Raziyallahu Anhu
farmate hai'n k mene Rasulullah Sallallahu
Alaihivasallam se irshad farmate hue suna,

" Jo sakhsh kaamil vazu karta he fir Farz namaz
ke liye chal kar jata he

Aur logo'n ke saath ya Jama't ke saath ya masjid
me Namaz Ada karta he

To Allah ta'aala uske Gunaah maaf farma dete
hai'n,"

�� MUSLIM,, 1/ 122

Next -28 ,�� in sha Allah Ta'aala,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

  �� Guldasta -E -Magfirat ��
        ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 28☆★

❄ 28- Gunaaho ko Mitane Wale Chand Aamaal ❄

             ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,,

" Kya me tumhe ese amal na batlau'n jinki vajah se Allah ta'aala gunaaho ko mitaate hai'n aur darje buland farmate hai'n,

Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya-
Ya Rasulullah! Zaroor batlaiye,

Irshad farmaya-
Nagawari,v Mashaqqat ke bavjood kaamil vazu karna,

Masajid ki taraf kasrat se qadam uthana,

Aur ek Namaz ke baad doosri Namaz ke intezar me rehna,

Yahi haqeeqi rubaat ( duahmanane deen ki nigrani karna) he, "

   �� Muslim,, 1/127

Next - 29,�� in sha Allah Ta'aala,

   

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)

★☆ PART - 29☆★

❄ 29- Buland Awaaz se Azaan Dijiye, Gunaah Maaf ❄

⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Bara bin Aazib Raziyallahu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,,

" Bila shubha Allah ta'aala pehli saff walo per rehmat bhejte hai'n,

Farishte unke liye Duae rehmat karte hai'n,

Aur Moazzin ke gunaah maaf kiye jate hai'n jaha tak uski awaaz pahunchti he,

Jo jaandar v bejaan uski awaaz ko sunte hai'n iski tasdeeq karte hai'n,

Aur Moazzin ko un tamaam Namaziyo ke barabar ajr milta he jinhone uske saath Namaz padhi, "

�� Nasaa'i,, 1/ 106

Next - 30 ,�� in sha Allah Ta'aala,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)

★☆ PART - 30☆★

❄ 30- Paancho Namazo ka Ahatmam kijiye, Gunaah Maaf❄

           ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,,

" Paancho Namaze, Juma ki namaz pichhle Juma tak aur Ramzan ke Roze pichhle Ramzan tak ke gunaaho ke liye Kaffara hai'n,

Jabki in Aamaal ko karne wala kabeera gunaaho se bache, "

�� Muslim,, 1/122

Next - 31 ,�� in sha Allah Ta'aala,

��Talibe Dua ,,

⇨ Ahle deoband

☏ +91 7037363325

��Plz Forward to all Muslims,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)

★☆ PART - 31☆★

❄ 31- Janabat ke baad Gusl kijiye , Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Paancho Namaze aur ek Juma se lekar doosre Juma tak

aur Amanat ka  Ada karna ye apne darmiyani Gunaaho ka kaffara he, "

Arz kiya gaya -
"Ya Rasulullah ! Amanat ka Ada karna kya he? "

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Janabat ke baad gusl karna,

kyuki har Baal ke niche janabat yani najasat hoti he, "

�� Ibne Majaa,, 44

Next -32 ,�� in sha Allah Ta'aala,


♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)

★☆ PART - 32☆★

❄ 32- Saff me Khali Jagah ho to Pur kijiye, Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Hujyfa Raziyallahu Anhu se rivayat he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis shakhs ne Saff me khali jagah ko pur kiya

Uski magfirat kar di jati he,"

�� Bizzar Majmu az zawaid, 2/ 251

Next - 33,�� in sha Allah Ta'aala,


♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)

★☆ PART -33☆★

❄ 33- Jangal me Rehne Wala Jab Azaan kehta he aur Namaz padhta he, to Uske Gunaah maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Uqba bin Aamir Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab koi bakriya'n charane wala kisi pahaad ki Jad me ( ya Jangal me ) azaan kehta he Aur Namaz padhne lagta he,

To haq ta'aala Shanh usse behad khush hota he aur ta'ajjub v tafakhur se Farishto se farmata he

Dekho mera banda azaan keh kar namaz padhne laga ye sab mere dar ki vajah se kar raha he

Mene iski magfirat kar di aur Jannat ka dakhila tai kar diya, "

�� Kanzul Aamaal,, 7/294

Next - 34,�� in sha Allah Ta'aala,


♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)

★☆ PART - 34☆★

❄ 34- Namaz ke liye Paidal aaiye aur Jaaiye, Har Qadam per ek Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo Aadmi us Masjid ki taraf chale Jaha bajama'at namaz hoti ho to

har ek qadam uski ek khata ko mita dega aur doosre qadam per ek neki likhi jaa'egi, aate hue bhi aur jaate hue bhi,"

�� Tabrani, 1/ 207

Next -35 ,�� in sha Allah Ta'aala,


♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)

★☆ PART - 35☆★

❄ 35- Azaan Sunkar ye Dua Padhe, Aapke Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo shakhs Moazzin ki azaan sunne ke waqt ( yani jab wo azaan padh kar faarig ho jaye) ye dua padhe

" Ashhadu Alla ilaaha illallaahu Vahdahu La sharika lahu Va anna Muhammadan Abduhu Va Rasuluhu,
Razitu billahi Rabbanv va bil islaami deenanv va bi muhammadi Sallallahu Alaihivasallam Rasula "

To uske Gunaah bakhsh diye ja'enge , "

�� Ravaah Muslim v Tirmizi, 1/185

Next -36 ,�� in sha Allah Ta'aala,


♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)

★☆ PART - 36☆★

❄ 36- Jisne Sazde me 3 Martaba " Rabbigfirli " kaha Uske Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Saied Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis Aadmi ne sazde ki haalat me 3 martaba  
        "Rabbig firli "
Kaha, Sazde se wo sar utha nahi paa'ega  k uski magfirat kar di ja'egi, "

�� Kanzul Aamaal,, 7/ 465

Next -37 ,�� in sha Allah Ta'aala,


♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
  ( Mayoos Kyu Khada He)

    ★☆ PART -37☆★

❄ 37- Jisne Zuhar se Pehle 4 Raka'at Sunnat Padhi, Uske din ke Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

"Jisne Zuhar se pehle 4 raka'at padh li to Allah ta'aala uske us din ke Gunaaho ko maaf farma denge, "

�� Kanzul Aamaal,, 7/375

Next - 38,�� in sha Allah Ta'aala,

     

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 38☆★

❄ 38- Jisne Asar se Pehle 4 Raka'at padhi, Uske Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Ali Karamullah Vajhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Meri ummat Musalsal Asar se pehle 4 raka'at padhti rahegi hattaki wo zameen per is haal me chalegi k yaqeenan uski magfirat ki ja chuki hogi, "

�� Kanzul Aamaal,, 7/384

�� Aaj Ummat Ka haal ye he K Asar ki Sunnato ko chhodne ki aadat bana chuki he, Allah maaf kare aur Tamaam Ahle imaan ko Tamaam Sunnato ka Paband banaye,
Aameen ya Rabbul Aalameen,

Next -39,�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 39☆★

❄3 9- Jisne Magrib ke Baad 6 Raka'at padhi, Uske Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Ammar bin Yaasir Raziyallahu Anhu se rivayat he k mene apne Habeeb  Rasulullah Sallallahu  Alaihivasallam ko dekha k Magrib ke baad 6 Raka'ate padhte the,

Aur Huzure Anwar Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo banda Magrib ke baad 6 raka'at padhega uske Gunaaho ki magfirat kar di ja'egi chahe samundar ke jhaag ke barabar ho'n, "

�� Tabrani, 1/ 404

Next -40,�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 40☆★

❄40- Miya Bivi ek doosre ko Bedaar kare aur Tahajjud padhe , Dono ke Gunaah maaf  ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu v Abu Saied Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab khawind raat ko apni bivi ko uthaye Fir do no Tahajjud padhe to un do no ko bakasrat Allah ka zikr karne wale Mard aur bakasrat zikr karne wali Aurto'n me likh diya jata he, "

Aur Tabrani ne alfaze hadees yu'n naqal kiye he'n,

" Jo Aadmi raat ko Bedaar hokar apni bivi ko jagaye jis per neend ka galba ho raha ho ( aur galba e neend ki vajah se wo na uth saki) to uske moonh per paani ka chheenta de diya, fir dono apne ghar me ibadat ke liye khade hue aur raat ki ek ghadi Allah ta'aala ka zikr karne lage to Allah ta'aala dono ki magfirat farma dete he'n, "

�� Kanzul Aamaal,, 7/ 793

Next -41,�� in sha Allah Ta'aala,

      ��Talibe Dua ,,
     ⇨ Ahle deoband
   ☏ +91 -7037363325
         
           →
��Plz Forward to all Muslims,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 41☆★

❄ 41-Salaat ul Tasbeeh Padhiye, Sare Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Huzur Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ek martaba apne chacha Hazrat Abbas Raziyallahu Anhu se farmaya,

" Ey   Mere chacha kya me tumhe ek atiya karu'n?
Ek bakhshish karu'n?
Ek cheez batau'n?
Tumhe 10 cheezo ka maalik banau'n?

Jab tum is kaam ko karoge to haq ta'aala Shanh tumhare sab gunaah pehle pichhle purane aur naye, galti se kiye hue aur jaan boojhkar kiye hue,chhote aur bade, chhup kar kiye hue aur khullam khulla kiye hue sab hi  maaf farma dega,

Wo kaam ye he k 4 raka'at nifl ( Salaat ul tasbeeh ki niyat baandh kar) padho aur har raka'at me jab  Alhamd aur soorat padh chuko to

ruku se pehle khade hue
"Subhanallahi Walhamdulillahi Wa lailaaha illallahu Wallahu Akbar"
15 martaba padho,

Fir jab ruku karo to 10 martaba usme padho,

Fir jab ruku se khade ho to 10 martaba padho,

Fir jab sazda Karo to 10 martaba usme padho,

Fir sazde se uth kar betho to 10 martaba padho,

Fir jab doosre sazde me jao to 10 martaba usme padho,

Fir jab doosre sazde se utho to ( doosri raka'at ke liye ) khade hone se pehle beth kar 10 martaba,

In sab ki mizaan 75 hui,
isi tarah har raka'at me 75 dafa hoga,

Agar mumkin ho sake to rozana ek martaba is namaz ko padh liya Karo ye na ho to har Juma ko ek martaba padh liya Karo, ye bhi na ho sake to har mahine me ek martaba padh liya Karo, ye bhi na ho sake to saal me ek martaba padh liya Karo, ye bhi na ho sake to umar bhar me ek martaba to padh hi lo, "

�� Aur Hazrat Abdullah bin Mubarak Raziyallahu Anhu se is namaz ka ye tareeqa naqal kiya gaya he k
Sana padhne ke baad Alhamd sharif padhne se pehle 15 dafa in kalmo ko padhe, fir Auzu aur Bismillah padh kar

Alhamd sharif aur fir koi soorat padhe,

Soorat ke baad ruku se pehle 10 martaba padhe,

Fir ruku me 10 martaba padhe,

Fir ruku se uth kar, fir dono sazdo me, aur dono sazdo ke darmiyan beth kar 10 martaba padhe ye 75 ho gayi,
( lihaza doosre sazde ke baad Beth kar padhne ki zarurat nahi rahi ),

�� Abu Dauwd, 1/183

Next -42,�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 42☆★

❄42-Jume ke Din Fajar ki Namaz ba-jama'at Padhiye, Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Ubeda Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Juma ke din Fajar ki namaz ba-Jama'at padhne se koi namaz afzal nahi he,

Aur mera gumaan ye he k Jo Aadmi Fajar ki namaz ba-Jama'at padhega uski zarur ba zarur magfirat kar di ja'egi,"

�� Kanzul Aamaal,, 7/369

Next -43, �� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 43☆★

❄43- Masjide Aqsa me Namaz Padhiye, Saare Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab Hazrat Suleman bin Dauwd Alaihissalaam Betul muqaddas ki tameer se faarig ho gaye to Allah ta'aala se ye 3 duae maangi, :-

1- Esa faisla ata farma Jo hukme ilaahi ke muwafiq ho,

2- Ey   Allah  mujhe esi saltnat ata farma Jo mere Siva kisi aur ke liye munasib na ho,

3- Jo bhi banda is masjid me sirf namaz padhne ki garz se hazir ho wo apne gunaaho se is tarah nikal jaye jis tarah maa se pedaish ke din tha ( yani kuchh bhi gunaah baqi na rahe),

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

Behar haal pehli 2 duae to Hazrat Suleman Alaihissalaam ki qubool kar li gayi aur mujhe Allah ki zaate aali se ummeed he k unki teesri dua bhi qubool farma li gayi,"

�� Nasaa'i, 1/ 112

Next -44�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 44☆★

❄44- Shabe Qadr me Khoob Namaz padho aur Ramzan me Roze Rakho, Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo shakhs Shabe Qadr me imaan ke saath aur Sawaab ki niyat se ( ibaadat ) ke liye khada ho uske pichhle tamaam gunaah maaf kar diye jate hai'n,

Aur Jo shakhs Ramzan ul Mubarak Ka Roza rakhe imaan ki haalat me aur Sawaab ki ummeed rakhte hue, to uske guzishta gunaaho ki magfirat kar di ja'egi,"

�� Ravaah ul Bukhari, Kitabul imaan, safa 7

Next -45�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -45☆★

❄45- Magrib aur Isha ke Darmiyan Namaz Padhiye Din bhar ke Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Salmaan Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Magrib aur Isha ke darmiyan namaz ko laazim pakdo kyuki ye din bhar ke Gunaaho aur behudgiyo ko saaf kar degi, "

�� Kanzul Aamaal, 7/ 387

Next -46�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 46☆★

❄46- Jisne Raza e ilaahi ke liye Masjid banai ya Kunvaa khudwaya, Uske Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jisne Khalis Allah ki raza ke liye Masjid banai to Allah uske liye Jannat me ghar ghar banayenge, Agar usi din Mar gaya to uski magfirat kar di ja'egi,

Aur jisne Allah ta'aala ki raza ke liye kunvaa khoda to uske liye Allah ta'aala Jannat me ghar banayenge, agar wo usi din Mar gaya to uski magfirat kar di ja'egi,"

�� Kanzul Aamaal,, 7/655

Next -47�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -47☆★

❄47- Das Martaba Allahu Akbar, Das Martaba Subhanallah aur Das martaba Allahummagfirli  kahiye, Aapke Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Salma Raziyallahu Anha se rivayat he k  mene arz kiya,
Ya Rasulullah!  Mujhe Chand kalimaat bata dijiye magar zyada na ho,

Aap Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" 10 martaba Allahu Akbar kaho,
Allah ta'aala farmate he'n ye mere liye he'n,

10 martaba Subhanallah kaho,
Allah ta'aala farmate he'n ye mere liye he'n,

Aur kaho, Allahummagfirli,
Ey Allah meri magfirat farma de,

Allah ta'aala farmate he'n, mene magfirat kar di,

Tum isko 10 martaba kaho, Allah ta'aala har martaba farmata he, mene magfirat kar di,"

�� Tabrani, 10/ 109

Next -48�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -48☆★

❄48- Teesre Kalme ka Vird kijiye, Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Dauwd Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Subhanallahi Walhamdulillahi Wa lailaaha illallahu wallahu Akbar, wala havla wala quvvata illa billahi,

Kaha karo, ye baqayamat saalihaat ( baqi rehne wali nekiya'n ) he'n,
aur ye gunaaho ko is tarah mita dete he'n, jis tarah darakht se ( sardi ke mosam me) patte jhadte he'n,
Aur ye kalimaat jannat ke khazano me se he'n,

�� Tabrani, 10/ 104

Next -49�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 49☆★

❄49- Ye Dua kijiye, Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Zaid Raziyallahu anhu se rivayat he k unhone Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna he,

" Jo shakhs-
Astagfirullahillazi laa ilaaha illa huval hayyul qayyoom va atubu ilayhi

Kahe uski magfirat kar di ja'egi, agarche wo maidane jihaad se bhaga ho,"

Ek rivayat me in kalmaat ko 3 martaba padhne ka zikr he, "

�� Tarjuma,
Me Allah ta'aala se magfirat chahta hu'n jiske Siva koi ma'abood nahi wo zinda he, qaaim rakhne wale he'n aur usi ke saamne Tauba karta hu'n, "

�� Abu Dauwd, Mustadrak Haakim  2/118

Next -50�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 50☆★

❄50- Aapke Gunaah Samundar ke Jhaag ke barabar ho to Ye Kalmaat Kahiye, Saare Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Zameen per Jo shakhs bhi

La ilaaha illallahu vallahu akbar valaa havla valaa quvvata illa billahi

padhta he to uske tamaam gunaah maaf ho jate hai'n chahe samundar ke jhaag ke barabar ho, "

�� Tirmizi, 2/ 184

�� Ek aur rivayat me ye fazilat

"Subhanallahi valhamdulillahi "

Ke izaafe ke saath zikr ki gayi he,

�� Mustadrak Haakim, 503

Next -51�� in sha Allah Ta'aala,

      ��Talibe Dua ,,
     ⇨ Ahle deoband
   ☏ +91 -7037363325
         
         
��Plz Forward to all Muslims,

No comments:

Post a Comment