★★★
╓━══════◐◐◑◐◑◑══════━╖
Bismillahirrahmanirraheem
╙━══════◐◐◑◑◐◑══════━╜
❖═══▩★★★۩ ۩★★★▩═══❖
{ROOHANI TADABEER}
BY HAZRAT PEER
ZULFIQAR AHMAD
NAQSHBANDI DB
❖═══▩■■۩PART'01۩■■▩═══❖
⚄→ Tadbeer No.1↴
◆ Husn -e-Niyat peda kijiye◆
⚄→Momin ki Niyat ka Maqam
Nabi ﷺ ka Irshad hai
INNAMAL A'AMAALU BIN NIYAAT
amal ka daromadar niyato par hai,
⚄→ek dosri hadees pak m farmaya Momin ki niyat iske amaal se bhi zyada Achi hoti hai,
⚄→Talibe ilm ko Ye baat samjhne me zara Mushkil pesh Ati hai- magar haqiqat yahi hai k Niyat amal se zyada behtar hoti hai-
⚄→Ulama ne iski kayi wujuhaat Likhi hain:
⚄→ Sabse pehli Baat to ye hai ki NIYAT karne se MOMIN ko ajar milta hai or iski neki likhi jati hai- Bhaley baad me iske Amal me RIYA Nikle ya kisi Wajha se iska amal Qubul na ho- lekin NIYAT k karlene se iske NAMA E AMAAL me NEKI likh di Jaati hai
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
◆Part -02◆
©ontinue....
Next time Insha Allah
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
☆☆☆
★★★
╓━══════◐◐◑◐◑◑══════━╖
Bismillahirrahmanirraheem
╙━══════◐◐◑◑◐◑══════━╜
❖═══▩★★★۩ ۩★★★▩═══❖
{ROOHANI TADABEER}
BY HAZRAT PEER
ZULFIQAR AHMAD
NAQSHBANDI DB
❖═══▩■■۩PART'02۩■■▩═══❖
⚄→ MOMIN KI NIYAT KA MAQAM
⚄→dusri wajah ye hai ki Niyat ke Anadar dawam hota hai OR amal k andar dawam nahi hota, Koi bhi amal karen wo mehdud hoga,Lekin Niyat ki koi had nahi
⚄→ misal ke tor par ek admi ye Niyat kar skta hai k jab tak meri Zindagi hai main tahajjud ki namaz padhunga- Agar iski zindagi 100 saal ki ho to ye Niyat 100 saal tak ki hogi
⚄→ Or agr isse bhi zyada hai to isme Niyat b zyada Muddat tak muheet ho jaegi- is dawam ki wajah se Niyat amal se afzal ho jati hai
⚄→ yahan ek • Nukta samjhne ki zarurat hai" insaan jo bhi Amaal krta hai wo mehdud hotey hain , lekin isko iske badley me jo JANNAT milegi isme wo hmesha hamesha Rahega, Isi trha insaan jitney bhi Gunha karta hai wo mehdud hotey hain lekin JAHANNUM ka Azaab hamesha hamesha milta rahega
yani KAFIR ne KUFR to mehdod umar k liye kiya, Magaar hamesha hamesha ka azaab milega
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
◆Part -03◆
©ontinue....
Next time Insha Allah
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
☆☆☆
❖═══▩■■۩PART'03۩■■▩═══❖
⚄→ MOMIN KI NIYAT KA MAQAM
⚄→ ULAMA ne iski yahi wajah batai hai k agar chey momin Mehdod amal karta hai, Magar iski niyat ye hoti hai k jab tak meri Zindagi hai me Apne
⚄→ PARWARDIGAAR ki farmabardari karunga, isiliye wo hamesha hamesha k liye JANNAT✨ me rahega..
Or kafir ki niyat ye hoti hai k mene
⚄→ Allah ko nahi manna 'ya phr iske sath kisi ko shareek bana diya - is niyat ki wajah se isko hamesha hamesha k liye JAHANNUM ka azaab diya jaega...
⚄→ iski tisri wajah ye hai k Niyat Qalb ka Amal hai-is Qalb ko purey Jism me Fazilat ka maqam hasil hai , Qki wahan par insaan ko marfat hasil hoti hai-lihaza Qalb ka amal baki tamam Jism k aza par Fazilat rakhta hai isilye hamesha apni Niyaton ko tatoltey rehna chahiye -inki Nigrani krte rehna chahiye k hum jo kaam kr rahey hain kya wo waqai
⚄→ ALLAH RABBUL IZZAT ki raza k liye kar rahey hain ya isme koi or maqsad bhi hai❓❓
® reference:
( QALBI SAFAI KE LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'04۩■■▩═══❖
⚄→ BHALAI KI NIYAT PAR BAKSHISH KA FESLA
⚄→ NIYAT ki kharabi ki wajah se pahadon jese badey Amal QAYAMAT ke din HABAA AM MANSOORA bana diye jaengey,
⚄→ or chotey chotey Amal jinko Insaan kar k Bhool jata hai-Niyat k Ikhlaas ki wajah se QAYAMAT k din INSAAN ki bakshish ka sabab Ban jaengey...
⚄→ Hadees pak me aaya hai k ek banda Qayamat k din ALLAH RABBUL IZZAT k huzur pesh kiya jaega, isse Haq lene waley bohot hongey - Jab unko Haq dediya jaega to is bandey k Sarey Amaal hi khatam hojaengey-
Dekhne waley ab ye samjhengey k ye Banda ab Zarur zarur JAHANNUM me jaega..
Magar PARWARDIGAAR E ALAM farmaengey :iske Nama e Amaal k agr chey sarey Amaal logo me taqseem hogaey!!
⚄→ lekin ye bhi Likha hua hai ki is bandey ki NIYAT sab k liye hamesha bhalayi ki hoti thi- is Bandey ki Bhalai ki ye Niyat mujhe itnii pasand aai K is NIYAT par mene is Bandey ki bakshish farmadi-
Allaahu Akbar kabeeeera!!!
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'05۩■■▩═══❖
⚄→ HERAAN KARDENE WALEY
NAMA E AMAAL
⚄→ek Rawayat me aya hai k Qayamat k Din ek banda pesh kiya jaega..
Uskey Nama e Amaal m Hajj ka umrah ka or na malum kitni Shabbey Dariyon ka sawab likhaHoga,
⚄→ Wo bada heraan hoga k Rabbey KAREEM !! mene to hajj kiya hi nahi mene to umrah bhi nahi kiya, ya itne nahi kiye jitney likhe huey hain, ya meri umar to kam thi or hajjon ki tadaad isse b zyada hai??
⚄→iske jawab me kaha jaega:
K tumne amaal thoda hi kiya tha lekin Tumharey dil k andar har saal ALLAH k dar par hazri dene ki niyat hoti thi , har raat tahajjud padhne ki Niyat hoti thi, wo jo tum kehtey they:
........Aey kaaash!!
........Agar mere bas me hota-
........Agar wasail hotey-
........Agar mere halat muafiq hotey to me hajj or umrah karta-
⚄→wo jo tumharey dil sw ek arzuu or Tamanna uthti thi us Tamanna k ikhlas ko dekhtey huey hum us Amal ka sawab tumharey Nama e Amaal me likh Diya karte they....
Allaahu Akbar Kabeeera★★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'06۩■■▩═══❖
⚄→ TAMANNA" JO PASAND AGAI
⚄→IMAMA Ahmad bin hambal RM.Ka ek padosi lohar tha wo fot hogaya- Kisi ne khwab me dekha to pucha:"Jii !kya bana?? Kehne laga:"Allah Rabbul izzat ki rehmat hogai or mujhe baksh Diya gaya or mujhe Ahmad Bin Hambal RM.k darjey me pohcha diya gaya" wo sun kar bada heran hua iske baad uski ankh khul gai, khwab dekhney waley khud bhi muhaddis or Alim they-
Wo sochney lagey iske ahley khana se puchna chahiye k iska konsa khaas amal hai jo ALLAH RABBUL IZZAT ko pasand agaya??
Chunanchey jab unhone Ahley khana se pucha to unhone kaha jesi ek aam insaan ki zindagi hoti h aesi hi Zindagi thi-phr unhone bataya k me is wajah se puch raha hu.........
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'07۩■■▩═══❖
⚄→phir unhone bataya ke me is wajah se puch raha hu-
Chunanchey Ahley khana ne unko bataya ke mene 2 baten inme badi ajeeb dekhi-
⚄→ 1 to ye ke unke dil me ALLAH RABBUL IZZAT ka ahtram bohot tha, yahan tak k Jab ye loha kuut rahey hotey they or hathora marne k liye sar se upar utha they agar en us waqt par azaan ki Awaz "ALLAAHU AKBAR" ati to ye us waqt hathorey ko nichey rakh detey they k ab mere PARWARDIGAAR ne bulaya hai,ab me pehley iska Hukum pura karta hu-
Subhan Allah★★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'08۩■■▩═══❖
★TAMANNA JO PASAND AGAI★
⚄→★2 DOSRA ye k jab ye thakey huey Ghar atey they or Raat ko dekhtey they k IMAM AHMAD BIN HAMBAL RM.apni chat k upar ibadat kartey hain,
To ye hasrat or afsos k stath sard aahen bhartey they or kehtey they me kya karu mere bacchey zyada hain-
⚄→ Agar me kaam nahi karunga to in baccho k liye kese intizam hoGa??
Agar meri pith halki hoti or mujh par baccho ka ye bojh na hota or me waqt farig kar sakta to me bhi IMAM AHMAD BIN HAMBAL RM.ki tarha raaten guzarta-!!!
⚄→WO Muhaddis farmaney lagey : haan! Inka ye amal aesa tha k iske dil k ikhlaas k badley RABBEY KAREEM ne JANNAT me wahi darja ata farmaya jo IMAM AHMAD BIN HAMBAL RM.ko ata farmaya tha-
Allahu Akbar kabeera★★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'09۩■■▩═══❖
⚄→lohar k waqiey se pata chala k insaan ek amal khud to nahi kar sakta , Lekin is amal ko karne ki tamanna to dil me rakh sakta hena!!
⚄→hum Nek to nahi ban saktey magar nek banney ki tamanna to Rakh saktey hena!!
⚄→hum sar se lekr paun tak ALLAH RABBUL IZZAT ki shariat k mutabik nahi ban sakey, lekin tamanna to rakh saktey hain!!
⚄→to Niyat karne se basa awqaat insan ko wo nemat mil jati hai jo amal par bhi isko nahi mila karti....
(Note Niyat par ajar tab milta h jab niyat sacche dil k stath ki gai ho us niyat k andar Ikhlaas ho)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'10۩■■▩═══❖
✨✨SIDQ-E-DIL KI ALAMAT✨✨
⚄→Sidq e dil ki Alamat ye hai k jo insaan k bas me ho wo karley-
⚄→ Ek banda kehta hai k jii me ye chahta hu- Ab ye kese pata chaley k wo thik keh raha hai ya galat???
⚄→ To SIDQ E DIL ki alamat likhi gai hain--
⚄→jitna iskey ikhtiyar me hai agar wo kar ley to ALLAH RABBUL IZZAT isey uska bhi ajar ata farmadega jo iske Ikhtiyaar se bahar hoga,
⚄→isiliye Qayamat k din kitney log aese hogey jo duniya k andar bade Ameer guzrey hogey, Duniya k andar unka shumaar amaraa me hoga , magar qayamat k din ALLAH RABBUL IZZAT unko fuqara me shumaar farmaengey
⚄→or kitney aese log hogey jo Duniya me faqon me zindagi guzartey they , magar qayamat k din qaroon k sath unka hashar kr diya jaega-
⚄→isliye k unkey Dil ki bhi wahi niyat thi jo qaroon k dil ki thi, ye dil ki niyat par muhasir hai...
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'11۩■■▩═══❖
★★SID-E-DIL KI ALAMAT★★
⚄→Agar humarey dil me ye niyat hogi k hum ALLAH RABBUL IZZAT ki marfat hasil karna chahtey hain
⚄→or uski Muhabbat se apne dil ko labrez karna chahtey hain to aen mumkin hai k is niyat ko ALLAH TA'ALA qubul kar k qayamat k din apne chahney walon ki jamat me humey bhi shamil farma ley....
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'12۩■■▩═══❖
★⚄→ TADBEER NO.2↴
★ APNE ANDAR IKHLAAS ★
★PEDA KIJIYE★
⚄→DEEN K 3 DARJEY HAIN jinko tey karke insaan ALLAH TA'ALA ka muqarrab banda banta hai :
★-(1) pehla darja ilm ka hasil karna hai-
⚄→ilm ek Noor hai jissey insaan apni zindagi guzarney ki rehnumai hasil karta hai- Agr ilm hi na hoto insaan amal kese kar skta hai Lihaza ye ek bunyaad hai isiliye Nabi e pak ﷺ ne farmaya:ilm ka hasil karna har musalman mard or aurat par farz hai..
⚄→is ek ka matlab ye hai k zaruriyat e deen ka ilm hasil karna har ek par lazim hai,albatta iski tafisilat ka hasil karna farzey kifaya hai, Ek aesi jamat har zamaney me honi chahiye- Reh gai mere or aap jese awam un naas ki baat to hume zaruriyat e deen ka pata hona zaruri hai ,yaad rakhen k:_
⚄→Farz ka ilm hasil karna farz hai,
⚄→Wajibat ka ilm hasil karna wajib hai,
⚄→sunnan ka ilm hasil karna sunnat hai...
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'13۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
▣[2]....dosra darja ilm par amal karney ka hai, Wii fakt ilm hasil karney se kaam nahi banta-agr sirf ilm par magfirat hoti to Shetaan ki ho chuki thi-uskey paas ilm to Bohat tha lekin amal me kotahi kar gaya- Jo insaan apne ilm par amal karta hai ALLAH TA'ALA usey ilm e lazzati ata farma deta hai-
《 JO APNEY ILM PAR AMAL KARTA HAI ALLAH TA'ALA USEY WO ILM ATA KARTA HAI JO WO NAHI JANTA》
▣ aam tor par shetaan tulaba k dil me ye baat dalta hai k tum abhi ilm hasil karlo phir baad me ikhtatta amal kar lena-jisne ye baat sochna shuru kardi wo shetaan ke dhokey me agaya- Iska ek hi tarika hai idhar padhi or udhar amal karo,yahi sahaba Karam ka khulq tha,
✿ SAYYIDINA SIDDIQ E AKBAR RZ.farmatey hain k mene 2 saal me SuratuL BAQARA padhi lekin jab surah BAQARA mukammal hui to mera amal bhi surah BAQARA k mutabiq ho chuka tha!!
Subhan Allah☆☆
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'14۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
▣{3}...tisra darja ikhlaas ka hai_ yani jo bhi karen iska maqsad Allah ta'ala ki raza ho- ye sabse mushkil marhala hai, Amaal karlena asaan hai, lekin is meyar k amaal karna jo ALLAH RABBUL IZZAT ko pasand ye intihai mushkil kaam hai-
▩ISILIYE ALLAH WALEY KARTEY BHI HAIN OR DARTEY BHI HAIN
-wo sari umar raat ko TAHAJJUD ki pabandi k sth guzarney k bawajud kehtey hain:
MAA ABADNAA HAQQA ABAA DATIKA WA MAA ARAFNAA KA HAQQA MA'ARIFATIK"
wo sari raat TAHAJJUD ki namaz padhney me guzar detey they or phir subha k waqt is par itneey nadim hotey they or istagfar kartey they jese wo saari raat kisi KABIRA GUNAH k murtakib ho rahey hotey they
《 RAAT KO KAM SOYA KARTEY THEY OR SEHRI K WAQT MAGFIRAT MANGA KARTEY THEY》
▣wo raat bhar ALLAH RABBUL IZZAT k samney ibadat kartey they or subha k waqt hasrat krtey they k hum aese amal na kar sakey jese hume karne chahiye they ,
▩hatta k kitabon m yaha tak likha hai k wo subha k waqt uth kar apne chehrey par is khof se hath laga kar dekh tey they k kahin humari shaklen to maskh nahi hogain-
▣aaj hum gunahon par itna khof zada nahi hotey jitna humarey akabir apni nekiyon k rad ho janey par ALLAH se khof zada hua kartey they_
ALLAHU AKBAR KABEERA!!
❖═══▩■■۩PART'15۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
《 RIYA SE BACHNA UMMUL WAZAIF HAI》
⚄→Agar insaan Ahlullah (Allah waley) k pas waqt na guzarey to phr iske andar riya kari or dikhawa hota hai-
●Dikhawa kisey kehtey hain
✿ Dikhawa ye hai banda amal to karta hai lekin wo chahta hai k log mujhe acha kahen-to wo hiley bahaney se logon ko batata hai k mene y kaam kiya-or jab log kehtey hain k apki taqrir to bohat achi thi , or apke shagird to bohat zyada hain to isko badi khushi hoti hai,
Baaz awqat insaan bat krtey krtey ye kehta hai k jab me panchvi dafa hajj par gaya to ye waqia pesh aya , ab agr koi puchey agr aapne waqia hi sunana tha to ye 5 ka lafz bolna kya zaruri tha???
▩magar nafs kehta hai me bataunga mene 5 hajj kiye hain, to log smjhengey y bhi kch hai,
▣Goya makhluq se tareef ki tawaqo rakhna or inki tarefon par khush hona hi RIYA KARI HAI or issey jaan churana bada
Mushkil hai,!!
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'16۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
《RIYA SE BACHNA UMMUL WAZAIF HAI》
● Ek buzurG farmatey they k jab koi banda amal me riya karta hai to ALLAH TA'ALA apney farishton se farmatey hain k fala bandey ki taraf dekho wo humarey sath tehtaha or mazak kar raha hai-
▣humarey asalaf ki to ye halat hoti thi k wo rozey par roza rakhtey they or jab bahar nikalney lagtey apna hath munh dhokr hoton par ghii laga letey they takey dekhney waley hoton ki khuski se bhi na pehchaney k isne roza rakah hua hai,
✿ SAYYIDINA UMAR E FAROOQ RZ.jab kisi ko dekhtey they k zahir me garden jhuka k or bana sawar k baten kar raha hai to isko durra lagatey or farmatey ye kefiyat zahir karne ki jagah tanhai hoti hai,
▣Jo log riya se apni jaan chura lete hain apne andar ikhlaas peda kar letey hain unki tabiyaton me ajizi ajati hai or wo apne amal par nigraan hotey hain-yahi mukhlis bandey ki pehchan hoti hai..
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'17۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
♣RIYA KARI KI 3 ALAMTEY♣
▩Humarey akabir ne RIYA KARI ki 3 alamtey likhi hain jisse insaan apne apko tol sakta hai k me kis haal me hu-
⚄→(1) pehli alamat... ↴ ↴
Khalwat me susti or jalwat me chusti - yani k wo tanhai me ibadat k andar gaflat or susti baratta hai, or namaz padhta hai to mukhtasir c, jabke logon ki mefil me badi chusti dikhata hai, jab log dekh rahey hotey hain to bada sufi safi ban jata hai, Is waqt faqt ishraq k nafil nahi padhta balki pichli qaza namazen bhi yaad ajati hain, or jab log nahi dekh rahey hotey to farz namaz padhna bhi mushkil nazar ata hai-
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'18۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
♣RIYA KARI KI 3 ALAMTEY♣
◐[2]....dosri alamat↴
Wo duniya daron se tareef ki tawaqo rakhey_ yani iske andar chaht ho k log meri tareef karen,
▣ Dekhen!! Tareef riya kar ki bhi hoti hai or Mukhlis bandey k bhi, magar dono Me farq hota hai_
◐Riya kar dil me pasnad kar raha hota hai k meri tareef ho,
❥ Or jab mukhlis bandey ki tareef ki jaey to is waqt iska dil rota hai,
⚄→IMAM E AZAM RM.k barey me ata hai k jab kabhi koi banda inki tareef karta to hamesha wo tanhai me dua kartey: Aey ALLAH! ! Apne logon ko mere sath husn e zan ata kar diya Ab mujhe inke husne zan k mutabiq bana dijiye!!
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'19۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
♣RIYA KARI KI 3 ALAMTEY♣
⚄→ 1 tareef maa baap ,peer ustad ki hoti hai-ye tareef mustahsan hai , balkey matlob hai_ agar koi shagird isliye acha padhey k ustad meri tareef karen to ye achi bat hai......Kyu????
┣━─• Is liye k wo ustad ko ALLAH ka nek banda samjhta hai , or uski ye niyat hoti hai ALLAH k is nek bandey ka dil khush hoga ye dua karega or iski dua par ALLAH bhi razi ho jaega_
▣ Kisi ne hazratey aqdas Thanvi RM.se kaha : hazrat!! Ye apke murideen apse itna dartey hain k itna to KHUDA se bhi nahi dartey_ hazrt ne unki betha liya _farmaney lagey , bhai! Dekho, me koi thanedar hu, wo mujhse Q dartey hain??
Usne kaha G wo islye dartey hain wo apko ALLAH ka wali samjhtey hain or wo ye samjhtey hain agar aap khafa hogaey to kahin unki aqibat hi na kharab ho jaey_is par hazrat RM.ne farmaya: chunkey wo mujhey ALLAH ka dost samjhtey hain or wo ye samjhtey hain k agar me khafa hogaya to ALLAH Naraz ho jaengey is liye mujhse darna haqiqat me ALLAH k khof hi ki ek kiran hai , jo ALLAH ne inke dilon m dal di hai,
❉isiliye ALLAH walon ki tareef , peer ki tareef , ustad or maa baap ki tareef achi hoti hai or inke duaon se insaan agey badhta hai, ek hota hai aam tor par dil me makhluq se tareef ki niyat hona ye bura hai..
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'20۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
♣RIYA KARI KI 3 ALAMTEY♣
●[3]...Teesri Alamat ↴
→ Jab makhluq me se koi admi deen k kaam me iski malamat karta hai, to deen ka kaam chordh kr beth jata, -
■Chunchey zara c koi baat kardey to sunnat par amal khatam ho jata hai-
▩ → Aapne suna hoga k Shadi k mokey par aksar Aurten kehti hain agr yu karen to log kya kahengey??
۩ kya unhoney kabhi ye bhi kaha k is mokey par yu kiya to ALLAH OR uske Nabi ﷺ kya kahengey?
⚄→ ALLAH TA'ALA OR USKE RASOOL ﷺ k barey me soch hi nahi ati- balkey sochtey hain k humney yu kiya to humari Naak hi kat jaegi-
▣ O BHAI ! Duniya me kya Naak kategi' jo Naak Qayamat me kategi isko saari makhluq dekhey Gi -
۩ AAJ agr 2 bandon ne baat kr bhi di k unhen shadi par Dhol bajey nahi bajaey to koi baat nahi- isse pareshan hone ki zarurt nahi hai - Arey log kehtey hain to kehtey rahen humne to ye Dekhna hai k Humarey PARWADIGAAR kiya kehtey hain jinki raza k liye hum ye kaam kr rahe hain-☆★☆
❉ALLAH TA'ALA HUMEN RIYA KI TEENO ALAMATON SE MEHFOZ FARMAEY OR HUMEY PURI ZINDAGI ME IKHLAS K SATH AMAL KARNEY KI TOFIA ATA FARMAEY-★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'21۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
JITNA IKHLAS....UTNA AJAR
⚄→Ek usool yaad rakhiye k Jitna IkhlaS hoga utna ajar zyada hoga-
❉Amal chahey kitna chota Q na ho Ikhlas ki wajah se chota amal bhi ALLAH RABBUL IZZAT Ki nazar me mota ban jaya karta hai -
❖ Aapney heera to Dekha hoga k chota sa hota hai or is chotey se heerey ki Qimat lakhon Rupon me hoti hai-
❥ Dekhney me chota or Qemat me mota, Isi tarha IKHLAS Bandey k amal ko heerey ki tarha qeemti bana diya karta hai-
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'22۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
☆IKHLAS KI BARKAT SE KAM ADHUREY NAHI REHTEY☆
⚄→SAYYIDNA UMAR( رضي الله عنه )K zamaney me ek ilaqey ka Shehzada tha _ wo Giraftar hokar pesh hua_ Hazrat umar ( رضي الله عنه ) chahtey they us bandey ko qatal hi karwa de qki unhone musalmano k khilaf bohat hi musibat banai hui thi _ chunachey apne use Qatal ka hukm de diya , jab Qatal ka hukm dediya to usney kaha , G kiya Ap meri Akhri tamanna puri kar saktey hain??
→Umar ( رضي الله عنه ) ne pucha konsi?
→usney kaha mujhe pyas lagi hui hai lihaza mujhe pani ka piyala Dijiye-
→ Umar ( رضي الله عنه )ne hukm diya k isey pani ka piyala do chunachey isey pani ka piyala dediya gaya,
→jab usney pani ka piyala hath me liya to kaapna suhru kr diya-.........
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'23۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
☆IKHLAS Ki BARKAT SE KAM ADHURA NAHI REHTA☆
⚄→Jab usney pani ka piyala hath me liya to kanpna shuru krdiya-
→ hazrt Umar ( رضي الله عنه )ne pucha bai!! Aap Kanp Q rahe hain??
→kehney laga mujhe dar lag raha hai k me idhar pani piney lagun ga or udhar jallad mujhe qatal kardega, isilye mujhse piya hi nahi ja raha-
→ Hazrat Umar ( رضي الله عنه )ne farmaya: tu fikr mat kar jab tu ye pani Nahi piley ta us waqt tak tujhe Qatal nahi kiya jaega , jese hi Aap ( رضي الله عنه )ne ye kaha usney pani ka piyala zameen par gira diya or kehney laga , G aap mujhe qol de chukey hain k jab tak me pani ka ye piyala nahi piunga aap mujhe qatal nahi karengey lihaza ab aap mujhe Qatal nahi kr sktey......................
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'24۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
☆ IKHLAS KI BARKAT SE KAM ADHURA NAHI REHTA☆
⚄→AAP mujhe Qol de chukey hain jab tak me pani ka ye piyala nahi piunga ap mujhe qatal nahi karengey, lihaza ab Ap mujhe qatal Nahi kr saktey -
۩ → Hazrat Umar ( رضي الله عنه ) ne farmaya haan mene tujhe qol diya tha lihaza ab me tujhe qatal nahi karta, jese hi aap ( رضي الله عنه ) ne farmaya me tujhe qatal nahi karta, to is waqt wo kehne laga , G acha, apne to farmaya aap mujhe Qatal nahi karengey
❉ → Lekin meri baat sun lijiye k aap Mujhe kalma padha kr musalman bana dijiye
۩ → aap ( رضي الله عنه )ne pucha bhai!! Ap pehley to musalman nahi baney ab ban rahe hain???
→usney jawab diya k pehley aap mere Qatal ka hukm de chukey they , agr me us waqt kalma padh leta to log kehtey maut k khof se musalman hua hai,
Lihaza me chahta tha k koi aesa fesla karu k maut ka khof tal jaey,
Phr me apni marzi se islam qubul karun or logo ko pata chal jaey ALLAH ki raza k liye islam qubul kiya hai-
❖ → TO MUKHLIS BANDEY KA KAAM KABHI ADHURA NAHI REHTA BALKI HUMESHA ✨ALLAH RABBUL IZZAT PURA KR DETEY HAIN-
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'25۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
❉HEDAR-E-KRAR( رضي الله عنه ) KA MEDA-E- KARZAR ME IKHLAS-❉
↓↓↓↓↓↓↓↓
۩Ek martaba sayedana hazrat Ali ( رضي الله عنه ) jihad k doran ek kafir k seney par chardh k beth gaey _ aap ( رضي الله عنه )chahtey they k isko khanjar se zabah kardun, isne sayedana Ali karamAllahu wajhu, chehra anwar par Thuk diya- jese hi is mardod ne thuka ap pichey hat gaey ,wo bada heraan hua k ab to inhen zarur hi qatal kardena chahiye tha wo puchne laga k G apne mujhe Qatal Q nahi kiya
→Aap ( رضي الله عنه )ne farmaya k me tujhe ( الله تعالى )ki raza k liye marna chah raha tha , Ab tumne meri tarf jo thuka to meri nafs ka Gussa bhi shamil hogaya , or me apne nafs ki khatir kisi ko Qatal karna Nahi chahta -
→jab usne ye suna to wo itnaa mutasir hua k kehney laga:acha !!
Pehley to me kufr par mar raha tha ab apka ikhlas mujhe itnaa acha laga k aap mujhe bhi kalma padha kr musalman bana dijiye -
Ab zahir me ye nazar araha hai k ye pichey hat gaey to ye bandey ko nahi marengey -
❉ → Magar ( الله سبحانه وتعالى )kaam ko adhura nahi rehne detey -
Allah ta'ala ne us bandey ko kalimey ki tofiq ata farmadi__★★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'26۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
۩ HAZRAT KHALID ( رضي الله عنه ) KA DAAMNEY IKHLAS NA CHUTH SAKA ۩
┣━─• Sayedana Umar Farooq ( رضي الله عنه ) Ne Jang yarmuk k moqey par Hazrat Khalid bin waliid ( رضي الله عنه ) ko khat bheja ki aaj se , Aap jo ameer lashkar they is post ( ohda ) se utar gaey , or jo khat lekar arahey hain ye is post par agaey , agar aap mere paas wapis ana chahen to Madina Ajaen or Agar Aam foji ki tarha ladna chahen to apko ladney ki ijazat hai- To hazrat khalid bin waliid ( رضي الله عنه ) wapis nahi aey balki AAM foji ban kr ladna Qubul kiya..
┣━─• Baad me kisi ne Khalid bin waliid ( رضي الله عنه ) se pucha , hazrat ! Pehley to aap foj k comender chief they or ek khat k zariye aapko ek AAM foji bankr ladna padha, apke liye to bada mushkil hoga ,
→ hazrt Khalid bin waliid ( رضي الله عنه ) ne farmaya mere koi mushkil nahi tha , QKI jab me foj ka ameeer tha to is waqt bhi me isi malik ko razi karna chahta tha or jab me ek sipahi ban kar lada tab bhi isi malik ko razi kar raha tha -★☆
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'27۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
۩Imam Dawood r.m ki LILLAHIYAT par jannat ja parwana ۩
┣━─•Imam dawood r.m ek bohat badey muhaddis guzrey hain ek martaba kashti ka safar kar rahey they inke bilkul samney se ek kashti arahi thi inko safar k doran is waqt cheenk aai jab saamney se aney waley ki kashti bilkul qareeb thi -
┣━─•jis bandey ko cheenk aaey usey chahiye k wo "Alhamdulillah" kahey or "Alhamdulillah" k alfaz sunney waley ko chahiye k wo usko jawab me "Yarhamu kallah " kahey iske baad cheenkney wala admi iske jawab me "yahdiikumullahu " kahey ,
┣━─• chunanchey unhone cheenk aaney par "Alhamdulillah" kaha - sath wali kashti me se ek admi ne inki zuban se "Alhamdulillah" suna to usne jawab me "yarhamu kallah" kaha lkn jab hazrt abu dawood r.m ne jawab dena tha to kashti door ja chuki thi or wahan tak awaz nahi pohonch sakti thi........
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'28۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
┣━─•jab abu dawood r.m ne jawab dena tha to kashti door ja chuki thi or wahan tak awaz nahi pohonch sakti thi , jab kinarey par pohnchey to wahan jakar unhone ek or kashti kiraey par li or ek darham isko diya or kashti se wapis aaey or wapis akar is bandey ko jisne "yarhamu kallah " kaha tha isey jawab me "yahdiikumullahu" kaha or wapis gaey
┣━─•Raat ko jab soey to khwaab me kisi kehne waley ne kaha k abu dawood r.m ko mubarakbadi dedo k isney ek darham k badley me Allah se jannat kharid li hai,,Allahu akbar!!!
┣━─•muhaddisin Allah ki raza k liye yu ikhlas k sath amal kartey they - isi wajah se aaj inka faiz jaari hai , aaj duniya inki kitaben padh rahi hai or apni zindagi ko shariyt k mutabik guzar rahi hai,
Or wo hazrt apni qabron k andar ajro sawab par rahey hain
۩ to ikhlaas waley bandey ki mehnat chohti or isey ujart moti milti hai , wo thoda kaam karta hai or Allah ta'ala ki tarf se ajar bada paleta hai ۩
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'29۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
۩ IKHLAS NE RIZQ K DARWAZEY KHOL DIYE ۩
┣━─•Ibne aqeel r.m apna waqia likhtey hain k me bohat hi zyada gareeb tha ek martaba tawaf kartey huey mene ek haar(necklace ) dekha jo bada qeemti tha _ mene wo haar utha liya mera nafs chahta tha k me isey chupa lu lkn mera dil kehta tha k hargiz nahi ye chori hai , balki diyanat dari ka taqaza ye hai k jiska ye haar hai usme me wapis kardun - chunanchey mene mutaf me khadey hokr aelan kardiya k agr kisi ka haar gum hogaya hua ho to akar mujhse leley
→ kehtey hain k ek nabina admi aya or kehne laga ye haar mera hai or mere theley me se gira hai - mere nafs ne mujhe or malamat ki haar to tha bhi nabina ka iska kiso kya pata chalna tha chupaney ka acha moka tha magr mene wo haar isey dediya nabina ne dua or chala gaya ........
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'30۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
┣━─•Nabina ne dua di or chala gaya ibne aqeel r.m kehtey hain me dua bhi mangta tha k Aey Allah! ! mere liye koi rizq ka bandobast kardey - Allah ki shan dekhen me wahan se kisi basti me agaya wahan ek masjid me gaya to pata chala k kch din pehley imam sahab faut hogaey they logon ne mujhe kaha k namaz padha do jab mene namaz padhai to unhen mera namaz padhana acha laga, wo kehney lagey tum yahan k imam Q nahi ban jatey ?? Mene kaha bohat acha mene wahan imamat k faraiz anjam dena shuru kardiye,
┣━─• thodey dino k baad pata chala k jo imam sahab pehley faut huey they unki ek jawan sal beti hai wo wasiyat kar gaey they k kisi nek bandey se iska nikah kardena,
Muqtadi logon ne mujhse kaha G agr aap chahen to hum is yateem bacchi ka nikah apse kardete hain? Mene kaha G bohat acha chunanchey unhone Iske sath mera nikah kardiya.......
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'31۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
┣━─• imam aqeel r.m kehtey hain shadi k kch arsey baad mene apni biwi ko dekha iske galey me wahi haar tha jo mene tawaf k doran ek nabina ko wapis kardiya tha , isey dekh kar me heran reh gaya mene kaha ye haar kiska hai?? Usne kaha mere abbu ne mujhe diya tha
→ mene kaha apke abbu kon they ?? Usne kaha mere abbu alim they is masjid me imam they or nabina they , tab mujhe pata chala k iske abbu wahi they jinko mene wo haar wapis kiya tha , mene usko bataya k ye haar to mene unko utha kar diya tha usney kaha apki bhi dua qubul hogai mere abbu ki bhi dua qubul ho gai mene kaha wo kese??
┣━─• usney kaha apki dua to istrha qubul hui k Allah ta'ala ne apko ghar bhi diya ghar wali bhi di or rizq bhi diya or mere abbu ki dua istrha qubul hui k jab wo haar lekr wapis aaey to wo dua mangtey they k aey Allah ! Ek ameen ( amantdar ) shaks ne mujhe mera haar lotaya hai aey Allah! Aesa hi ameen shaks meri beti k liye khawind k tor par ata farmadey _ Allah ne mere baap ki dua bhi qubul karli apko mera khawind bana diya -★★
۩Mukhlis bandey ka kam Allah ta'ala kabhi rukne nahi detey , atakney nahi detey, balki iski kashti humesha kinarey laga diya kartey hai ۩
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'32۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
۩ hazrt yaqub r.m ka maarna bhi Allah k liye tha ۩
┣━─•Hazrt maulana yaqub nanotvi r.m humarey akabireen me se they ek martaba wo kisi bacchey ko kisi galti par saza deney lagey , isey do chaar thappad lagaey , jab bacchey ko thappad lagey isey dard hua to rokr kehney laga Hazrt G ! Mujhe Allah k liye maaf krden , Hazrt r.m ne farmaya O khuda k bandey ! Me tujhe Allah k liye hi maar raha hun,
۩ To malum hua k inka gussey k waqt bhi kisi ko marna Allah k liye hua karta tha - ۩
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'33۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
۩ Hazrat Madni r.m ka ikhlas bhara amal ۩
┣━─• hazrat lahori R.M ek waqia sunaya kartey they k hazrt Madni r.m HAJJ ke safar se wapsi par train me safar kar rahe they inkey qareeb ek hindu Gentlemen bhi betha hua tha , Dorane safar usko betulkhala jane ki zarurt pesh ai isne jakr dekha to betulkhala bohat ganda tha -
Chunanchey wo jald hi wapis agaya kisi ne pucha k aap gaey they or jald wapis agaey ?
Isne kaha log gand macha detey hain baitulkhala me safai hi nahi rakhtey , mujhe zarurt to thi lkn baitulkhala itna ganda tha k me isko istemal nahi kr saka, ye baat keh kar wo hindu beth gaya
┣━─•Thodi der k bad shekh ul hadees shekh tariqat hazrt madni r.m uthey or train k baitulkhala me tashreef le gaey or sarey baitulkhala ko saaf kardiya..
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'34۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
┣━─•Thodi der k bad shekh ul hadees shekh tariqat hzrt madni r.m uthey or train k baitulkhala me tashreef le gaey or sarey baitulkhala ko saaf kardiya - jab saaf krne k bad wapis akar bethey to kehney lagey me baitulkhala istemal karne gaya to abhi to bada saaf tha - ( ye isiliye kaha k wo hindu baitulkhala istemal krle ) ab jab hindu dobara gaya to isne baitulkhala ko bada saaf paya isney istemal kiya or wapis akar kehney laga k Jii waqai kisi ne saaf kardiya tha,
┣━─•logo ko tajassus hua k akhir baitulkhala ko kisne saaf kiya ??
Wahan ek alim or bethey huey they inka naam KHWAJA NIZAMUDDIN tha unhone hazrt MADNI R.M k barey me Gaibana tor par kuch baten suni hui thi wo inki mukhalfat kiya kartey they unhone jab khod khured ki to pata chala k hzrt MADNI R.M ne baitulkhala saaf kiya.......
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'35۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
┣━─• Jab khod khured ki to pata chala k HAZRAT MADNI R.M ne baitulkhala saaf kiya - ye dekh kar is khadr posh faqeer k samney KHUWAJA NIZAMUDDIN r.m ne apne hath jod diye or kehney lagey , G aap mujhe maaf krden , mene umar bhar apki GEEBAT ki mujhe apki azmato ka pata nahi tha aaj pata chala aap kitney azeeem insaan hain ek hindu k khatir apne aesa kaam kiya hazrt Madni r.m ne farmaya mene to apne Mehbob ﷺ ki sunnat par amal kIya , log heraaan hokr puchne lagey wo kese ? ? ? ? ? ?
To farmaya : ek martaba Nabi ﷺ
Ki khidmat me ek yahoodi aya isko bhook lagi hui thi - Nabi ﷺ ne isko khana diya to isney khana zyada kha liya.......
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'36۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
┣━─• Hazrt Madni r.m ne farmaya ek martaba Nabi ﷺ ki khidmat me ek yahuudi aya isko bhuuk lagi hui thi Nabi ﷺ ne isko khana diya to isney khana zyada kha liya - Raat ko Nabi ﷺ ne isko soney k liye bistar diya - pet naram hone ki wajah se qudratan iski aesi kefyt hui k isi bistar me iska pakhana kharij ho gaya- wo subha isi halat me uth kar wahan s se chal diya jab wo kuch door pohncha to usey yaad aya k wo jaldi me apne kuch saman wahan bhuul gaya hai,
┣━─• Chunanchey jab wo saman lene k liye wapis aya to dekha k Nabi ﷺ apne hathon se us bistar ko dho rahe they - ye manzar dekh kar iski Ankhon me ansu nikal aaey or isne kaha : Apko Allah ne wo khulq ata kiye jo khulq Duniya me kahin kisi k paas nhi ho saktey - lihaza aap mujhe kalma padha kar musalman bana dijiye - to hazrt MADNI R.M ne farmaya k mere AAQA ﷺ ne mehman ki khatir ye amal kiya tha or mene bhi apne AAQA ﷺ ki sunnat par amal kiya hai -
SUBHAN ALLAH to ye MUKHLIS LOG THEY ♡♥♡♥
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'37۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
۩ ALLAH K LIYE 99 MATKEY TODEY MAGAR........... ۩
┣━─•ek badsha k 100 matkey sharab k ja rahey they ek ALLAH waley ko pata chala to unko Gussa agaya - chunanchey unhone matkey todney shuru kardiye _ unhone 99 matkey tod kr 1 ek chordh diya - jab badshah ko pata chala to usne inhe giraftar karwa liya_ isney pucha tumne matkey Q todey
┣━─•wo kehne lagey jab mujhe pata chala k in matkon me sharab hai to meri gerat ne gawara na kiya k tum musalman ho or sharab peetey ho isliye mene inko tod diya isney kaha Acha !! 99 matkon me to gerat kaam ai lekin sooyen matkey me gerat Q kaam na aai ??
┣━─•farmaney lagey 99 ninyanwey tak to me todta chala gaya jab 99 ka matka tod raha tha to mere dil me khushi ki ek lehar peda hui k dekho mene kitna bada kaam krliya - phir mene socha k ab tk kaam Allah k liye kiya tha or ab agr agla matka todunga wo apni nafs ki wajah se todunga isliye sowaan chordh diya - jab badshah ne ye suna to inko saza deney ki bajaey wesey hi Azaad krdiya-___
★Allahu Akbar ★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'38۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
۩ ۩ RIYA SE MIT JATEY HAIN AJR O SAWAB ۩ ۩
┣━─•Ek martaba hazrat Bayazid bastami r.m ne "SURAH TAA" ki tilawat ki - Rat ko khwab me dekha k ek quraan majid hai jiske upar sunherey hurfon me likha hua hai _unhone khwaab me bhi "SURAH TAA " padhi wo badey khush huey ALLAH TA'ALA k yahan mere nama e amal me " SURAH TAA " ki tilawat ka ajr likh diya gaya -
┣━─•jab shok se dekh rahey they to ek safey par dekha k darmiyan me se kuch ayaton ki jagah khali hai wo khwaab me badey heeran huey k ye jagah khali Q?? sochtey rahey sochtey rahey bilakhir ALLAH TA'ALA ne madad farmai or khwaab me hi ye khayal aya k haan jab me tilawat kar raha tha to is waqt un ayat k tilawat krtey waqt ek waqif banda mere qareeb se guzra tha or mere dil me ye khayal aya tha ye banda meri tilawat sunkt khush hoga - bss dil me itney se khayal peda honey par ALLAH TA'ALA ne in ayat ki tilawT ke ajr se mehroom frmAdiya ,
■ k dil me ye khayal Q peda hua k ye banda tilawat sunkr khush hoga ■ ■ ■
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'39۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
۩ RAZA E ILAHI K MUTALASHI ۩
┣━─•mukhlis bandey ki alamat ye hai k wo apni nekiyon ko dosron se is tarha chupata hai jese log apne gunahon ko dosron se chupatey hain _ _ Qki wo ALLAH TA'ALA ki raza k liye kaam kr raha hota hai ,
★ humarey Akabir bhi nek kaam kr k dosron se chupatey hain or kisi ko bhi nahi batatey they iski bhhht si misalen milti hain -
┣━─•SYYADA AISHA SIDDIQA R.Z ka amal ye tha k agar koi sail inke darwaze par ata to apni khadma k hath isko pese bhijwa deti or darwazey par akar khud sunti k wo kya kehta hai, khadma ko bhi is baat ka pata tha isne ek din puchliya UMMUL MOMININ ! aap k ek amal ki hume samjh nahi ati k jab bhi apke dar par koi sail mangney ata hai to ap isko humarey hath se dilwati hain magr parde k pichey jakr sunti hain k isne lekr kya kaha iski kya wajah hai ??
★ UMMUL MOMININ ne farmaya k me jakr sunti hu k wo mujhe kya dua de raha hai, jo dua wo mujhe deta hai me wahi dua us bandey k liye kar deti hu taki meri dua iski dua ka badla ban jaey , AMAL KA AJAR TO ME APNE PARWARDIGAR SE CHAHTI HUN --
subhan Allah inko is baat ka kitna khayal hota tha k mujhe apne amal ka badla ALLAH RaBBUL IZZAT se chahiye
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'40۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
۩ RAZA E ILAHI K MUTALASHI ۩
┣━─•chohti sadi hijri me ek buzurg guzrey hain ABU AMR MUJAHID R.M inke waqt me Hakim ne logon k faidey ki khatir ek falahi kaam karwana tha lekin isme bht zyada pesa lagta tha jabke inke pas itni raqam nhi thi - usne abu amr mujahid r.m se arz kiya hazrat ! Me chahta hu k sadqa e jariya ka kam karun lekin mere paas khazaney me itna pesa nhi hai k me ye kaam kar sakun hazrt r.m ne isey 2 lakh deenar dediye wo ye raqam lekr bht khush hua ___
┣━─•agley din usne logon ko bulaya or targeeb di k jo raqam bachti hai wo bhi aap log deden or bat kartey kartey usne logon ko bata diya abu Amr mujahid r.m ne mujhe 2 lakh deenar ata kiye hain jese hi isney y kaha abu amr mujahid r.m khadey hogaey or kehne lagey Aameer sahab !! Mujhse ek galti hogai hai k mene ye raqam apko to dedi magar apni walda se ijazat nhi le saka or me samjhtaa hu me inse ijazat lelun to aap meri raqam wapis kardijiye -
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'41۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
┣━─• Abu amr mujahid r.m khadey hogaey or kehne lagey Aameer sahab !! Mujhse ek galti hogai hai k mene ye raqam apko to dedi magar apni walda se ijazat nhi le saka or me samjhtaa hu me inse ijazat lelun to aap meri raqam wapis kardijiye -
┣━─•Ab jab unhone itney logo me raqam wapis mangi to jo log pehley tareefey kar rahey they ab in sab ne unhe buri nazar se dekha or kaha k ye kesa banda hai -
Ameer e wqt ko bhi wo raqam wapis krni padhi jab Ameer e waqt ne raqam wapis krdi or unhone le li or sab log chaley gaey to raat k andherey me wo wahi raqam 2 lakh deenar lekr dobara aaey or ameer se kheney lagey k apne to mujhe zabah hi karna chaha magar Allah ne mujhe bacha liya mene walda ka bahana banaya tha halakey ye raqam meri hi milkyt me thi ab ye apko dobara Allah k naam par deta hu ___ AAP MERA NAAM KISI K SAMNEY NA LIJIYEGA ★★★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'42۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
۩ MUKHLIS KI PEHCHAN ۩
┣━─•Ek martaba faqih Abullais samarqandi Rh.alaih se kisi ne pucha: Mukhlis kise kehte hain???
Unhone farmaya: kya tumne charwaahe ko dekha hai?? Usne kaha: ji haan.
Farmaya: jab charwaaha bakriyon ke darmiyaan namaz ke liye bethta hai to kya uske dil me ye tama'a hoti hai ke bakriyan meri tareef karengi. Usne kaha nahi‚ usko to zara bhi tawaqqo nahi hoti ke Bakriyan meri tareef karengi. Hazrat Rh.alaih ne farmaya: jis tarah charwaaha bakriyon ke darmiyaan beth kar namaz padta hai aur uske dil me bakriyon se tareef ki tama'a nahi hoti usi tarah Mukhlis banda jab logon ke darmiyan beth kar ALLah rabbul izzat ki ibadat karta hai ise bhi logon se koi tawaqqo nahi hoti k ye meri tareefen karenge.
Ye hai mukhlis bande ki phchan..
Subhan ALLah
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'43۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
۩ KARODON SE BHI QEEMTI CHEEZ AAMAAL HAI ۩
┣━─• "Aur jinhone hamare raaste me jaddo jahad ki ham unhe apne raste dikha denge".
Agar nek niyati se amal kiya jaye aur wo amal ret ke zarrat se bhi chhota ho fir bhi qubool hojayega. Heere kitne chhote chhote hote hain magar inki qeemat kitni zada hoti hai.
┣━─• Saudiya me ek dafa ek dost ki heere jawaharaat ki dukaan par gaye unhone kuch moti mere hath par rakh diye aur kaha k ye kai karod k hain. Isi tarah ikhlaas se kiye hue kaam bazahir chhote bhi hon magar jaza ke waqt krodon se bhi zada qeemti hote hain.
SUBHAAN ALLAAH
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'44۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.2 ↴ ↴
★APNEY ANDAR IKHLAS★
★ PEDA KIJIYE★
۩ EK AE'RAABI KI AJEEB DUA ۩
┣━─• Mujhe ek aeraabi ki baat yad agai. Dehaat ke rehne wale the. Sahaabi the‚ agaye masjide nabwi صل اللہ علیہ وسلم me‚ Dua mangte hain aur kya kehte hain.
"ALLAAHUMMAGH FIR ALLAAHUMMAGH FIR FA INNAKA LAA TAGHFIR FAGHFIR."
TARJAMA: Ae ALLah! Mujhe maaf karde‚ Ae ALLah! mujhe maaf karde aur agar tune meri maghfirat nahi bhi karni to fir bhi maghfirat farma de. Bar Bar yahi Dua karrahe the.
┣━─• Sochiye ke jab itni ajizii ke sath itni inkisaari ke sath ALLah se Dua mangega ke Aye ALLA! Meri bakhshish farma de agar bakhshish nahi bhi karni to parwardigaar fir bhi bakhshish farma de. ALLah ta'ala ki rahmat josh me q nahi ayegi fir ALLah ta'ala meherbani farmate hain.
┣━─• Qur'aan hame pukaarraha hai:
"Mere bandon ko kehdo jo gunahon me dube firte hain ke tum meri ramat se mayus na hona." ALLah rabbul iZzat apni rahmat farmaye hamari zindagi ki kotahiyon se darguzar farmaye aur ALLah ta'ala hame ilm‚ amal aur ikhlaas ke sath zindagi guzarne ki tofeeq naseeb farmaye.
Aameen ya rab
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'45۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ AAJIZI KA MTALAB ۩
┣━─• Nabi alaihissalaam ka irshad hai:
(AL'AJZU FAKHRI)
"Ajizi mera fakhr hai".
Baaz riwayat me↓
(ALFAQRU FAKHRI)
"Fukr mera fakhr hai" bhi aya hai. Magar sahab majmaul bahaar ne (AL'AJZU FAKHRI) ki bhi tasdeeq ki hai.
┣━─• Kisi ke samne apne apko kam samajhna aur uske sath istarah pesh ana jese koi kisi bade ke sath pesh ata hai‚ ajizi kehlata hai. Ajizi afzal tareen ibadat me se hai bashart ye shari'at ke mutabiq ho.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'46۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩EK JAME'UL AADAAB IBAADAT ۩
┣━─• Shari'at ne Namaz ko behetreen amal kaha hai. Agar ap gor karen to Namaz poori ki poori ajizi hi ki misaal hai. Ek admi kisi bade ko dekh kar teen tarah se uska adab karta hai‚ " ya to dur se dekh kar khada hojayega‚ ya uske samne jhuk jayega‚ ya fir uske qadmo me pad jayega".
┣━─• Namaz in teeno tareeqon ka majmu'ah hai. "Qayam me insan adab ke sath ALLah ta'ala ke samne hath bandh kar khada hota hai‚ Ruku me ALLah rabbul izzat ke samne jhuk jata hai‚ aur Sajde me insan ALLah rabbul izzat ke samne apni peshani zameen par tek deta hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'47۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ TAKABBUR KI SHANAKHT۩
┣━─• Insan ki ye fitrat hai ke use koi kamyabi mile ya uski marzi ke mutabiq kaam hojayen to woh apne apko koi chiz samajhna shuru kardeta hai‚ uske andar 'mai' ajati hai‚ ye 'mai' insaan ke liye bhot hi nuQsandah hoti hai. Kyunki Nabi صل اللہ علیہ وسلم ne irshad farmaya:
"WO SHAKHS JANNAT ME DAKHIL NAHI HOSAKTA JISKE DIL ME ZARRA BARABAR BHI TAKABBUR HO"
angrezi me zarra 'aetam' ko kehte hain.
┣━─• isse maloom hua ke ye ek aetami bimari hai jis tarah log aetami hathiyaron se darte hain ke ye bhot hi zada tabahi felate hain‚ usi tarah Takabbur bhi insaan ki roohaniyat me bhot zada tabahi fela deta hai.
┣━─• Ap gor kijiye ke shaitan jino me se tha aur bada ibadatguzar tha hattaa ke wo "Tausul malayeka" kehlata tha lekin usko ALLah ta'ala ne apne darbar se nikaal diya aur farmaya:
("NIKAL JA YAHAN SE TU MARDOOD HAI")
BAQI NEXT PART ME
IN SHA ALLAH
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'48۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ TAKABBUR KI SHANAAKHT ۩
┣━─• ALLah ke darbar se uske nikalne ka kya sabab bana??
Uska takabbur Darbare ILahi se nikalne ka sabab bana. ALLah rabbul izzat ne irshad farmaya:
"AADAM ALAIHISSALAAM KI TARAF SAJDA KARO" Lekin 'usne inkaar kiya aur takabbur kiya' aur 'na maanne walon me se ban gaya'.
┣━─• Pata chala ke takabbur ek aesi buri chiz hai jo itne ibadat guzaar bande ko bhi ALLah ki Dargaah se mardood kardeti hai‚ ALLah ta'ala ne iski hazaron saal ki ibadat ko thokar laga di.
ALLah hmsabko takabbur jese gunah se bachaye Aameen
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'49۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩TAWAZA'A-RIF'ATE SHAAN KA SABAB ۩
┣━─• Iske bilmuqabil tawaza'a hai. Apne ap ko jhukane aur mitane ka naam tawaza'a hai. Agar ye tawaza'a ALLah ke liye ho to ye mehdood hai kyunki Hadees paak me aya hai ke:
"JISNE ALLAH KE LIYE TAWAZA'A IKHTIYAAR KI‚ ALLAH NE USKO BULANDI ATA KARDI"
┣━─• YE bhi tawaza'a ki alaamat hai ke insaan mamuli kaam karne par apne nafs me bojh mehsoos na kare‚ kai martaba insaan chhote se kaam ko apni shaan ke khilaaf samajhta hai‚ Bhai! Shaan to ALLah hi ko sajti hai‚ Bande ki kya shaan hai. Isliye hamare akabir mamuli kaam ko bhi apne liye bura nahi samajhte the wo apna kaam apne hath se karlete the.
┣━─• wo Qolan ya fe'alan koi aesa amal nahi karte the jisse ye sabit ho ke wo kuch hain. Agar inko ALLah ta'ala koi zahiri ya batini nematen ata farmate the to wo inpar itrate bhi nahi the balke fir bhi tawaza'a ikhtiyar karte the.
SUBHAAN ALLAAH
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'50۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ APNI "MAI" KO MITAA LO ۩
┣━─• Apni "mai" ko mita lo. Yaad rakhna ke jo apni "Mai" ko nahi mitata Fir ALLah ta'ala khud uski "Mai" ko mitate hain aur jiski "Mai" ko ALLah ta'ala mitata hai fir uska Tamasha Duniya dekhti hai‚ isse pehle ke ALLah hmari "Mai" ko tod den hum apni "Mai" ko khud tod len.
Ise kehte hain 'NAFS' ko mitana.
۩ TASAUWWUF KI BUNIYAAD ۩
┣━─•Apne Nafs ko mita dene wali ye nemat upar se chali aarahi hai. Aj log puchte hain ke tasauwwuf ki buniyaad kahan se hai??
Bhai ye apne aap ko mit dena‚ Nafs me ajab aur Takabbur jesi bimariyon ko khatm karna hi to Tasauwwuf hai aur ye ta'alimat to hame Sahaba kiraam aur Salfe swaliheen se milti hain.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
No comments:
Post a Comment