╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝QURAAN SHAREEF KI AZMAT
OR USKI TILAWAT
Part number➝01
❥➝ Chhote Bachcho ki taLeem ke liye Para Am ki tarteeb badalna jayaz he, Take wo chhoti surate yaad kar sake.
❥➝ Qurane kareem ki sabse Lambi aayat surah Bakrah ki aayat no 282 he, Jo aayate Madayna kehLati he, Aayatal kursi Zyada lambi nahi magar Sharf or Martaba ke aitbar se sabse badi he, or Sayyadul Aayat kehlati he.
❥➝ QURANE MAJEED KO CHOOMNA JAYAZ HE.
❥➝ Anguthi per Aayate Qurani ho to unko pehan kar betul khala (Toilet) me le Jana makrooh he, utaar kar Jana chahiye.
❥➝ Muqaddaa Aoraaq ko behtar he k dariya me ya kisi gair abaad kuwe (well) me dal diya jaye ya zameen me dafan kar diya jaye, or Basurat Majboori inko jala kar Raakh me paani milakar kisi paak jagah jaha per na pade dal diya jaye,
❥➝ Qurane paak ki aayat ko Akhbarat me chhapna be adabi he.
❥➝ T V per prograam ke liye Qurane Kareem ki Aayato dekhne wale or dikhane wale do no gunahgar honge, kyu ki Awwal T V dekhna khud gunah he, or haraam cheez ka Qurane Kareem ke liye istemal haraam he.
❥➝ Dil me padne se tilawate Quran nahi hoti Tilawat ke liye Zabaan se alfaz Ada karna Shart he.
❥➝ Fajar se Tulu'a Aftaab tak or Asar se Magrib tak Tilawat, Tasbihaat ke liye behtreen waqt he.
❥➝ Deeni kitaabe jinme Qurane paak ki aayate darj ho, unko bager wazu ke haath laga sakte hai, lekin Aayate sharifa ko be wazu haath lagana jayaz nahi.
❥➝ Qurane majeed ko be wazu padna jayaz he lekin haath lagana jayaz nahi, Na balig bachche be wazu chhoo sakte hai.
❥➝ Tilawat karne wale ko salam na kiya jaye or uske Zimme jawab dena bhi Zaroori nahi.
❥➝ Kis lafz per waqf (stop) karna he, or kaha Zaroori nahi, ye baat jaanna har Tilawat karne wale ke liye Zaroori he.
❥➝ Masjid me itni buland awaz se tilawat karna jayaz nahi jisse kisi ki namaz me khalal paida ho.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal.
3/193.
(pαʀт ⇨02)
Nεxт тimε insнα αllααн
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝QURAAN SHAREEF KI AZMAT
OR USKI TILAWAT
Part number➝02
❥➝ Jo shakhsh apne tor per Quran paak pad raha ho, uska sunna wajib nahi or ghar walo ke liye bhi behtar he ke ahista pade.
❥➝ Surah Tauba ke shuru me Bismillah sharif padne ka hukm ye he ke agar uper se padta aa raha ho tab to Bismillah pade bager Surah Tauba shuru kar de or agar us surat se Tilawat shuru ki ho to aam mamool ke mutabik
اعوذ بالللاہ, بسم الللہ
❥➝ pad kar shuru kare,
❥➝ isi tarah agar Surat ke darmiyan me tilawat rok di thi, to aage jab tilawat shuru kare tab bhi
اعوذبالللہ, بسم الللہ ا
❥➝ Padkar shuru kare,
❥➝ Taraveeh me poora Quran Sharif sunna sunnate muaqida he or isse mehroom rahna badi sakht mehroomi he, doosri koi ibadat iska badal nahi ban sakti.
❥➝ Quran sharif padna mustaqiL ibadat he chahe uske maa'ani samjhe ya na samjhe, or Qurane Kareem ka samajhna alag ibadat he.
❥➝ Taraveeh me Hafiz Sahab aise muqarrar kiye Jaye Jo alfaz Quran ko sahi sahi Ada kare.
❥➝ Qurane majeed ke alfaz ki tilawat ke bager sirf Tarjuma padne se Quran paak padne ka sawab nahi milta.
❥➝ Tarjuma padkar ahkame khudawandi ko samajhna achchhi baat he lekin, bager kisi Aalim haqqani ke Qurane Kareem ka na mafhoom sahi samajh sakte or na hee mansha-e-khudawandi ke mutabiq amal pera ho sakte hai.
❥➝ Chalte firte bhi Qurane Kareem ki tilawat, darood Sharif, zikr azkaar kar sakte hai.
❥➝ Bachcho ke Kahatme Quran ki khushi me Dawat, diyafat, sheerni wagerah takseem karna jayaz he ba sharte k usme koi aur kharabi na payi jaye, agar Muhabbat me hadiya ya tohfe bhi de diye jaye to koi muzayqa nahi, lekin Riyakari, naam namood or Rasm parasti na ho.
❥➝ Hadees sharif me ek aadmi ko 3 din se kam per Qurane Kareem khatm karne ki muma'anat aayi he, Taraveeh.me ek raat me Jo Qurane Kareem khatm kiya jata he wo itni tezi se pada jata he ke alfaz sahi tor per samajhna mushkil he, is tarah padna makrooh or mamnu'o he.
❥➝ Sabina Jayaz he ba sharte ke mufasad se khali ho warna sahi nahi.
❥➝ Quran majeed sunne se Zyada padna afzal he, or Tap records ya C D ki tilawat ko aksar Ulama ne Tilawat me shumar nahi kiya he.
❥➝ Qurane kareem ki Taleem ki ujrat,
( salary) jayaz he.
❥➝ Na mahram hafiz se Qurane Kareem yaad karna parde ke saath ho to gunzaish he ba sharte kisi fitne ka andesha na ho, maslan do no ke darmiyan tanhayi na ho.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal.
3/205.
(pαʀт ⇨03)
Nεxт тimε insнα αllααн
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝QURAAN SHAREEF KI AZMAT
OR USKI TILAWAT
Part number➝03
❥➝Na-jayaz karobar ke liye or Buri jagah per Quran khwani ka har shareek gunahgar hoga, or muaviza wali Quran khwani ka koi sawab nahi.
❥➝ Daftari Aukat ke waqt me agar kaam nipta kar faarigh betha ho to tilawat me koi harj nahi or agar kaam me harj hota ho to jayaz nahi.
❥➝ Qurane kareem yaad kar ke bhool jana bada sakht gunah he, or hadees me iska sakht wabaal aaya he, or jab bhool jane ke baad dobara pad liya or fir hamesha padta raha to Qurane Kareem bhoolne ka wabaal nahi hoga,
❥➝ Qurane Kareem haath se gir Jane per uske barabar Gandum khairat karne ka Jo masla awaam me mashhoor he, ye kisi kitaab se sabit nahi, is kotahi per tauba or astagfaar karna chahiye or sadka khairat karne ka bhi muzayqa nahi.
❥➝ Qabr me murde ke saath qurane Kareem ya uska kuchh hissa rakhna be adabi or na-jayaz he.
❥➝ Qurane kareem ko kisi Arabi ke alawa doosri zaban (language) me chhapna jayaz nahi, or ye uzr ke log Arbi nahi pad sakte fizool he, agar thodi si mehnat ki jaye to Aadmi Qurane Kareem seekh sakta he.
❥➝ Qurane Kareem ki aayat sharifa ki tasveer khichna haraam he or Qurane Kareem ki be adabi he, or Aayat ko is andaaz me likhna ke galat padi jaye jayaz nahi.
❥➝ Aajkal internet ke jariye ye baat aam ho gayi he, Allah hifazat kare.
❥➝ Masjid me rakhe Qurane Kareem ke nuskhe agar Zaroorat se Zyada ho to kisi or masjid me ya madarsa me muntaqil kar dena chahiye lekin ghar le Jana jayaz nahi.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal.
3/234.
(ALHAMDULILLAH MUKAMMAL)
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
No comments:
Post a Comment