⚀⚀⚀
╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝MASAIL E TAHARAT PAAKI
Part number➝01
❥➝Nahane se vuzu ho jata he, dobara vuzu ki zarurat nahi.
❥➝ Vuzu me niyat karna zaruri nahi, lekin vuzu ka sawab niyat karne per hi milega.
❥➝ Aaza'e vuzu ka ek baar dhone se bhi vuzu ho jata he,, lekin 3 baar dhona mukammal sunnat he.
❥➝ Dadi agar ghani ho ke andar ki jild nazar na aaye to usko uper se dhona farz aur iska khilal karna sunnat he.
❥➝ Dadi agar halki he to poori dadi ko paani se tar karna zaroori he.
❥➝Jab tak vuzu se 2 raka'at ya koi doosri ibadat, jisme vuzu shart ho, na karli jaye dobara vuzu karna makrooh he.
❥➝ Agar vuzu na toote to ek vuzu se kayi ibadate ki ja sakti he'n, har ibadat ke liye vuzu zaruri nahi hai karna chahe to karle achchha he.
❥➝ Namaze janaza ke vuzu se doosri namaze bhi pad sakte he, lekin namaze janaza ke liye kiye gaye tayammum se doosri namaz nahi pad sakte.
❥➝ Vuzu ke bache hue paani se vuzu kiya ja sakta he.
❥➝ Musta'amal aur gair musta'amal paani agar mil jaye to galib ( zyada) ka etbaar he aur dono barabar ho to ahatyatan gair musta'amal ko galib qaraar diya ja'ega aur isse vuzu sahi nahi.
❥➝ Musta'amal paani wo kehlata he jo vuzu aur gusl ke waqt badan se girta he.
❥➝ Jaha'n tak ho sake vuzu qibla rukh bethkar karna chahiye, agar koi majboori he ya kapde kharab hone ka andesa ho to khade hokar bhi vuzu kiya ja sakta he.
❥➝ Quran majeed ki jildsazi ke liye vuzu Zaroori he.
❥➝ VUZU Se pehle miswaak mard aurat dono ke liye sunnat he.
❥➝ Masnui ( naqli) baLo ka istemal jaa'iz nahi, agar koi majboori he to masah ke waqt unko Utaar kar masah karna zaruri he.
❥➝ Sohbat ke baad vuzu karna sehat ke liye bhi behtar he.
❥➝ Zakhm per paani nuqsaan karta ho to zakhm ya patti per masah kar sakte he'n.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal-2.
(pαʀт ⇨02)
Nεxт тimε insнα αllααн
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
⚀⚀⚀
╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝MASAIL E TAHARAT PAAKI
Part number➝02
❥➝ Jin chizo se vuzu toot jata he, aur jin cheezo se vuzu nahi toot'ta
❥➝ Daanto ( teeth ) se khoon nikle aur thook ka rang surkh ho jaye ya mooh me khoon ka suwaad aaye to vuzu toot jata he.
❥➝ Badan ke kisi bhi hisse se khoon nikal kar beh jaye to vuzu toot jata he, agar khoon baha nahi wahi jam gaya to vuzu nahi toota.
❥➝ Nakseer aane per vuzu toot jata he.
❥➝ Behosh ho jane per vuzu toot jata he.
❥➝ Pagal ho Jane se vuzu toot jata he.
❥➝ Namaz ki halat me khiL'khiLa kar hansne se vuzu toot jata he.
❥➝ mooh bhar kar kai ( ulti) ho jaye to vuzu toot jata he.
❥➝ Dukhti aankh se najis ( kharab) paani nikalne se vuzu toot jata he.
❥➝ Agar letne ya tek laga kar bethne se neend aa gayi to vuzu toot gaya aur neend nahi aayi to vuzu qaa'im he.
❥➝ Hanfiya ke nazdeek bivi ka bosa lene se vuzu nahi toot ta.
❥➝ Kapde badalne se ya apna sarapa dekhne se vuzu nahi toot ta.
❥➝ kisi ko barhana ( nanga) dekhne se vuzu nahi toot ta.
❥➝ Barhana tasveer ya film dekhna gunah he, lekin isse vuzu nahi toot ta, magar dobara vuzu kar lena behtar he.
❥➝ Peshab ya pakhana karne, ya Reeh kharij ho jane se vuzu toot jata he.
❥➝ khana khane se vuzu nahi toot ta.
❥➝ Huqqa, bidi, sigret, paan khane pine se vuzu to nahi toot ta, magar moonh ki badbu se namaz makrooh he, isliye dobara vuzu kar Lena behtar he.
❥➝ Aina ( mirror) dekhne se vuzu nahi toot ta.
❥➝ T.v dekhna gunah he aur gunah ke baad dobara vuzu karna mustahab he.
❥➝ Kaan ka mel nikalne se vuzu nahi toot ta, lekin behte hue kaan me ungli daalne se ungli ko paani lag jaye to vuzu toot jata he.
❥➝ Baal banwane, nakhun kaatne se vuzu nahi toot ta.
❥➝ Sar ya dadi per menhdi ho to vuzu sahi hone ke liye mehndi utaarna zaruri he.
❥➝ Bachche ko doodh pilane se vuzu nahi toot ta.
❥➝ Daant ( teeth) me chandi ya koi dhatu bhari ho ya naqli daant ya battisi ho to vuzu ho jata he.
❥➝ Nakhun palish ya surkhi ( lipstick) ka utaarna zaruri he varna vuzu nahi hoga.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal-2.
(pαʀт ⇨03)
Nεxт тimε insнα αllααн
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
⚀⚀⚀
╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝MASAIL E TAHARAT PAAKI
Part number➝03
❥➝Ghusal ka masnoon tareeqa aur aham Masail
❥➝ Pehle istanja kare, phir haath dhole.
❥➝ Badan per kisi jagah najasat lagi ho to use dhole.
❥➝ Vuzu kare, gusl se pehle vuzu karna sunnat he.
❥➝ Badan per thoda paani dalkar male.
❥➝ Saare badan per 3 martaba paani daale.
❥➝ Gusl me 3 Farz he,Garara karna ( Roza ho to kulli kare),
naak me paani dalna,
Aur poore badan per paani bahana.
❥➝ Badan ki agar ek baal barabar jagah bhi sookhi rahe to gusl nahi hoga.
❥➝ Naak, kaan ke surakho me paani pahunchana bhi zaruri he.
❥➝ Anguthi, chhalla agar tang he to hilakar uske niche paani pahunchana.
❥➝ Nakhun palish, surkhi etc utarkar gusl karna varna gusl nahi hoga.
❥➝ Jo chize paani ko badan per pahunchane me rukawat he unko hatana zaruri he.
❥➝ Aurto ko sar ke baal ke holkar tar karna.
❥➝ Satar ka chupana mustahab he.
❥➝ Gusl ke waqt dua, kalma padna zaruri nahi.
❥➝ Parde ki jagah kapde utaarkar gusl karna chahiye.
❥➝ Gusl sahi hone ke liye mehndi ka rang utaarna koi shart nahi, ye aurto'n ki mangadant baat he.
❥➝ zarurat se zyada paani istemal karna makrooh he.
❥➝ Gusl ke waqt agar satar chhupa he to qibla rukh kare varna na peeth aur na hi rukh qibla rukh ho.
❥➝ Janabat ki halat me gusl me itni der karna ke namaz faut ho jae gunah he.
❥➝ Janabat ki halat me kulli karke khana peena behtar he, bina kulli khana peena makrooh he.
❥➝ Janabat ki halat me agar sehri ka waqt tang ho to vuzu karke roza rakhle baad me gusl karle.
❥➝ Napaaki ki halat me nakhoon aur Baal kaatna makrooh he, Baal nakhoon dhone ke baad kaate ja sakte he.
❥➝ Gair Zaruri baalo ka Har hafte saaf karna mustahab he, 40 din tak safai muakhhar karna ki ijazat he iske baad gunahgar hoga iss halat me bhi namaz ho jati he.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal-2.
(pαʀт ⇨04)
Nεxт тimε insнα αllααн
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
⚀⚀⚀
╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝MASAIL E TAHARAT PAAKI
Part number➝04
❥➝Kin Chizo se GhusaL wajib ho Jata he
❥➝ Sote me Aadmi napaak ho jaye to us per gusl farz ho jata he magar isse roza nahi toot ta.
❥➝ Hambistari ke baad gusle janabat Mard, Aurat dono per wajib ho jata he.
❥➝ Aurat ko bachcha paida hone ke baad usi waqt gusl karna wajib nahi balki jab khoon band ho jaye to uske baad gusl wajib hoga.
❥➝ Peshab ke saath qatra kharij hone per gusl wajib nahi hota.
❥➝ Khwab me khud ko napaak dekhne se gusl wajib nahi hota jab tak jism per koi najasat zahir na ho.
❥➝ Enima ( yani khas nalki ke zariye mareez ki aanto me paani pahunchaya jata he ) ke amal se gusl wajib nahi hota magar kharij shuda paani chunki najis he isliye badan aur kapdo per Jo najasat lag jati he uska dhona zaruri he.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal-2.
(pαʀт ⇨05)
Nεxт тimε insнα αllααн
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
⚀⚀⚀
╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝MASAIL E TAHARAT PAAKI
Part number➝05
❥➝TAYAMMUM
❥➝ Tayammum ki ijazat sirf aisi soorat me he ke. Paani mayassar na ho, ye haalat amuman safar me pesh aa sakti he.
❥➝ Paani ek meel door ho.
❥➝ Kunwa to he magar kunwa se paani nikaalne ki koi soorat na ho.
❥➝ Paani per koi darinda betha ho, Ya paani per dushman ka qabza ho aur khof ki vajah se paani tak pahunchna mumkin na ho.
❥➝ Paani mojood ho magar wo bimaar he aur vazu ya gusl se jaan ki halakat ka ya kisi Uzv ke takleef ho Jane ka, ya bimari me shiddat ho Jane ka ya bimari ke bad Jane ka andesha ho
❥➝ Khud vazu ya gusl karne se mazoor ho aur koi doosra aadmi vazu.ya gusl karane wala mojood nahi ho to esa shakhsh tayammum kar sakta he.
❥➝ TAYAMMUM KA TAREEQA
❥➝ Paak hone ki Niyat karke Dono haath Paak Mitti per fer kar unko jhaad lijiye aur achchhi tarah moonh per mal lijiye, k ek Baal ki jagah bhi khali na rahe,
❥➝ Fir dobara mitti per haath maar kar dono haatho per kohniyo tak mal lijiye.
❥➝ Vazu aur Gusl ke Tayammum ka ek hi tareeqa he.
❥➝ Rail gaadi ( Train ) me paani dastyab na ho to Tayammum kiya ja sakta he magar shart ye he k Rail ke kisi dibbe me bhi paani na mile aur ek meel shara'i ke andar paani ke mojood hone ka ilm ho jaha Rail rukti ho.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal-2.
(pαʀт ⇨06)
Nεxт тimε insнα αllααн
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
⚀⚀⚀
╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝MASAIL E TAHARAT PAAKI
Part number➝06
❥➝PAAKI SE MUTALLIQ AURTO KE MASAIL
❥➝ Haiz ki kam se kam muddat 3 din aur zyada se zyada 10 din he, haiz ki muddat ke dauran Jo khoon aaye wo haiz hi me shumar hoga, chahe 3-4 ghante ke waqfa hi se aaye.
❥➝ aisi haalat me bivi se sohbat najaa'iz aur haraam he aur gunahe kabira he.
❥➝ Ayyam ki haalat me wazifa e zojiyat sakht haraam he balki naaf se lekar ghutno tak ke hisse ko shohar ka haath lagana aur mas karna bhi bager parda jaa'iz nahi.
❥➝ Ayyam ki haalat me sivae Roza, Namaz aur Tilawate Quran Paak ke baqi tamaam chize Aurat ke liye jaa'iz qaraar di, hattaki zikrullah aur darood sharif aur digar duae padh sakti he.
❥➝ wazaif sivae Quran paak ke kar sakti he,
khana pakaana, kapde dhona aur digar gharelu khidmaat baja lana jaa'iz he.
❥➝ Bachcha paida hone ke baad Jo khoon aata he usko nifaas kehte he, Jis tarah haiz me namaz maaf he isi tarah nifaas me bhi maaf he, aur jis tarah haiz ke Rozo ki qaza he ese hi nifaas ke Rozo ki baad me qaza rakhna hoga.
❥➝ Aurto'n ke khaas ayyam me mehndi lagana sharan jaa'iz he aur ye khayal galat he ke Ayyam me mehndi napaak ho jati he.
❥➝ Gair zaruri baalo ke liye Aurto'n ko Chuna, Powder, Sabun vagera istemal karne ka hukm he, lohe ka istemal unke liye pasandida nahi, magar gunaah nahi.
❥➝ Aurto'n ko khaas ayyam me Qurane paak ki aayaat padna jaa'iz nahi, albatta bator Dua ke alfaze quran, hadees Dua ki niyat se padh sakti he.
❥➝ Khwateen ke liye khaas ayyam me Tilawate Quran ki mumanat to hadees sharif me aayi he lekin Quran sunne ki mumanat nahi he, lihaza Quran sunna jaa'iz he.
❥➝ Hafiza ko bhoolne ka andesha ho to khaas ayyam me bager zuban hilaye dil hi dil me sochti rahe, kapde vagera se safe ulatna jaaiz he.
❥➝ Aurto'n ke sar ke Baal bhi Satar me dakhil he, Jo Baal kankhi me aa jate he unka dekhna bhi na mehram ko jaa'iz nahi, isliye in baalo ko fekna nahi chahiye balki kisi jagah daba dena chahiye,
❥➝ Nakhun polish lagana kuffar ki taqleed he isse na vazu hota he na gusl, na namaz.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal-2.
(pαʀт ⇨07)
Nεxт тimε insнα αllααн
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
⚀⚀⚀
╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝MASAIL E TAHARAT PAAKI
Part number➝07
❥➝ MASAHA
❥➝ Moze chahe ouni ho ya sooti, unme ye shara'it ho to un per masah Jaa'iz he varna nahi.
❥➝ itne gaade aur mote ho ke agar bager joote ke unko pehan kar 3 meel shara'i ( 8 hazaar qadam) chale to wo na fate.
❥➝ Unko pehan kar pindli per baandha na jaye to gire nahi, aur ye na girna unke mote hone ki vajah se ho, agar tang hone ya plastik ki dori ( elastik) lagi hui hone ki vajah se nahi girne ka etbaar nahi.
❥➝ Inse paani na chhane.
❥➝ Inme se paanv nazar na aaye.
❥➝ Imaam Abu Hanifa Rh ke nazdeek ek shart ye bhi he ke esi jurabo per mardana Jute ki miqdar ka chamda chada hua ho.
❥➝ Agar plaster kholna zakhm ke liye muzar ho to plaster kholkar us uzv ko dhona zaruri nahi balki plaster per masah kaafi he, aur agar kholna muzir nahi magar plaster aam qeemat se zyada me milega ya qeemat to zyada nahi magar tangdasti ki vajah se kharidne per qudrat nahi to bhi masah Jaa'iz he.
❥➝ Agar zakhm ko paani nuqsaan karta ho ya faaya hatane me takleef ho to faaya hataye bager us per masah kare,
❥➝ Patti ke girne se sabiq masah nahi toot ta albatta zakhm achchha hone ke baad patti giri ho to sabiq masah toot ja'ega aur us jagah ka dhona zaruri hoga.
❥➝ Chamde ke moze ke niche agar juraab ho to masah Jaa'iz he, Plastic ke moze per juraab ho to masah Jaa'iz nahi.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal-2.
(pαʀт ⇨08)
Nεxт тimε insнα αllααн
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
⚀⚀⚀
╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝MASAIL E TAHARAT PAAKI
Part number➝08
❥➝PAAKI NAPAAKI ME TILAWAT, DUA, AZKAAR
❥➝ Agar gusl ki zarurat ho to na Quran Sharif ko haath lagana jaa'iz he aur na padhna hi jaa'iz he.
❥➝ Bager Vazu Quran Sharif ko haath lagana jaa'iz nahi, albatta padh sakte hai'n.
❥➝ Jis kagaz per Aayat likhi ho, napaaki ki haalat me usko choona jaa'iz nahi,lekin kapde vagera me lipta ho to chhoona jaa'iz he.
❥➝ isi tarah napaaki ki haalat me taveez pehanna jaa'iz he agar wo kagaz, kapde me lipta hua ho.
❥➝ Gusl laazim hone per Qurane paak ki tilawat jaa'iz nahi, Zikr, Dua, Darood sharif vagera sab jaa'iz he.
❥➝ Khaate hue Tilawate Quran khilafe adab he.
❥➝ Betul khala ( toilet) me kalma zaban se padhna jaa'iz nahi.
❥➝ Betul khala ( toilet) me qadam rakhne se pehle aur Jungle me Satar kholne se pehle dua padhi jaye.
❥➝ Agar Dua bahar padhna bhool jaye aur andar jaakar yaad aaye to zaban se na padhe dil me padh le.
❥➝ Napaaki ki haalat me nakhun nahi utaarna chahiye.
❥➝ Akhbar ya Kitaab me jaha Quran Paak ki aayat likhi ho sirf usi jagah be vazu haath lagana manaa he, doosri jagah haath lagana jaa'iz he, albatta agar chhoti se chhoti aayat yani 6 haruf se bhi kam ho to ek qol ke mutabik us per bhi haath lagane ki gunzaish he.
❥➝ Radio, Tap recorder,( Audio CD ) me Qurane kareem ki kitaab he aur na hi uski awaaz Qurane kareem ki awaaz he balki sada e baaz gasht ki tarah awaaz ki naqal he, lihaza iske ahkaam Qurane kareem jese nahi ise be vazu chhona jaa'iz he aur sazde ki aayat sunne se sazda wajib nahi hoga.
❥➝ Qurane kareem ke khali safha ko bhi be vazu chhona jaa'iz nahi, balki jild per bhi haath lagana manaa he.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal-2.
(pαʀт ⇨09)
Nεxт тimε insнα αllααн
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
⚀⚀⚀
╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝MASAIL E TAHARAT PAAKI
Part number➝09
❥➝NAJASAT AUR PAAKI -1
❥➝ Najasat Ki 2 qisme hai'n,
❥➝ Najasat Galiza - maslan ek aadmi ka pakhana, peshab, sharaab, khoon, Jaanwaro ka gobar aur haraam janwaro ka peshab vagera,
ye sab agar patla he to ek rupiya ke sikke ke felaav ke baqadr maaf he, Aur agar gaada ho to 5 mashe vazan tak maaf he isse zyada ho to namaz nahi hogi.
❥➝ Najasat Khafifa - maslan ( halaal janwaro ka peshab) kapde ke chothai
( 1/4 ) hisse tak maaf he.
❥➝ Chothai kapde se muraad kapde ka wo hissa he jis per najasat lagi ho maslan Aasteen alag shumar hogi, Daaman alag shumar hoga.
❥➝ Maaf hone ka ye matlab he k isi haalat me namaz padh li to namaz ho ja'egi, dobara lotane ki zarurat nahi he, lekin is najasat ka door karna, kapde ka paak karna zaruri he.
❥➝ Agar kisi ke paas paak kapda na ho aur napaak kapde ko paak karne ki bhi koi surat na ho to, 3 surate he'n -
❥➝ Avval ye k kapda ek chothai paak he aur teen chothai napaak he, esi surat me usi kapde se namaz padhna zaruri he.
❥➝ Doosri Surat ye he k kapda ek chothai se kam paak ho, is surat me akhtyar he k chahe us napaak kapde ke saath namaz padhe, ya kapde utaarkar bethkar ruku, sazda ke ishare se namaz padhe.
❥➝ Teesri Surat ye he k kapda kul ka kul napaak he to is Surat me napaak kapde ke saath namaz na padhe, balki kapda utaarkar namaz padhe, lekin barhana Aadmi ko bethkar namaz padhne Ka hukm he, ruku, sazde ka ishara kare taki jaha tak ho sake satar chhipa rahe.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal-2.
(pαʀт ⇨10)
Nεxт тimε insнα αllααн
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
⚀⚀⚀
╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝MASAIL E TAHARAT PAAKI
Part number➝10
❥➝ PAAKI KE MASAIL-1
❥➝ Jis shakhs ko ye marz ho Der tak use qatre aate rehte ho use paani ke saath istinja karne se pehle dhele ya tishu paper ka istemal laazim he, jab itminan ho jaye tab paani se istinja kare.
❥➝ Hoz se vazu karte waqt ahatyat se kaam Lena chahiye k chhinte hoz me na gire lekin in chhinto se hoz napaak nahi hota.
❥➝ Nazla aur Zukaam ki vajah se Jo paani naak se behta he wo najis aur napaak nahi he kyuki ye kisi zakhm se kharij nahi hota na kisi zakhm per se guzar kar aata he.
❥➝ Bachche ka peshab napaak he isliye kapde ka paak karna zaruri he aur paak karne ke liye itna kaafi he ke peshab ki jagah per itna paani baha diya jaye k jitne paani se wo kapda 3 martaba bheeg sake.
❥➝ Dry Cleaning ke dhule Kapdo ka Hukm, -
❥➝ Napaak kapde ko paak karne ke liye ye shart he k 3 martaba paak paani me daala jaye aur har martaba khub nichoda jaye, Dry clean se me is tadbeer per amal nahi hota isliye waha dhule kapde paak nahi.
❥➝ Washing machine me sabun ke paani me kapdo ko dhoya jata he aur fir us paani ko nikaal kar naya paani daala jata he aur ye amal baar baar kiya jata he yaha tak k kapdo se sabun nikal jata he isliye Washing machine me dhule hue kapde paak he'n.
❥➝ Bartan kachcha ho ya pakka 3 baar dhone se paak ho jata he.
❥➝ Aisi cheeze jinko nichodna mumkin na ho usko paak karne ka Tareeqa ye he k usko dhokar rakh diya jaye, yaha tak k usse qatre tapakna band ho jaye is tarah 3 baar dho liya jaye.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal-2.
(pαʀт ⇨11)
Nεxт тimε insнα αllααн
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
⚀⚀⚀
╭─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╮
вiѕмiʟʟaнiʀʀaнмaniʀʀaнeeм
╰─━━━━━━──•┉┉•──━━━━━─╯
┏──━━━━━━•━━━━━ ━━━━━━━──╯
┗➝MASAIL E TAHARAT PAAKI
Part number➝11
❥➝ PAAKI KE MASAIL -2
❥➝ Napaak kapde dhoop me sukhane se paak nahi hote.
❥➝ Kapde dhote waqt agar napaak ho to chheente bhi napaak honge.
❥➝ Napaak zameen khushk hone ke baad paak ho jati he aur esi jagah ke khushk hone ke baad waha bager kapda bichhaye bhi namaz padhna jaa'iz he, Taham agar karahat mehsoos ho to waha kapda bichha kar namaz padh li jaye, lekin isse tayammum karna durust nahi.
❥➝ Jis cheez ka napaak hona yaqeeni ya galib na ho usko paak hi samjha kijiye, chahe kitne hi vasvase aaye unki parwah na kijiye, aur jis cheez ke bare me galib guman ho k ye napaak hogi usko paak kar liya jaye uske baad vasvasa na kijiye.
❥➝ Kutte ka badan khushk ho ya geela kutte ka luaab jis cheez ko lag jaye wo napaak he,ye najis bhi he aur zahar bhi, isliye jis jagah kutte ka luaab lag jaye wo napaak he aur uska saaf karna laazim he.
❥➝ Billi ke saath kapde lagne se napaak nahi hote, chahe Billi khushk ho ya geeli ho,, basharte k uske badan per koi zahiri najasat na ho.
❥➝ Napaak charbi ka istemal jaa'iz nahi lekin ese sabun ka istemal karna jisme ye charbi daali gayi ho jaa'iz he, kyuki Sabun ban jane ke baad uski haiyat tabdeel ho jati he.
❥➝ Kunve( well) me najis cheez gir jaye aur nikal na sake to use nikaalna zaruri nahi, Sirf paani nikaalne se kunva paak ho jaa'ega.
❥➝ Albatta agar ayn najasat gir jaye to use nikaale bager kunva paak nahi hoga agar kisi surat se bhi nikaalna mumkin na ho to itni muddat tak kunve ko istemal na kiya jaye jab tak ye gaalib gumaan na ho jaye k giri hui najasat mitti ho gayi hogi, itni muddat guzarne ke baad kunve ka paani nikaal kar kunva paak kiya jaye.
❥➝ baaz fuqha ka qaul ye he k 6 maah tak intezar kiya jaye.
❥➝ Murgi ka jhoota paak he magar najasat khane wali murgi me ye tafseel he k uski chonch ki taharat ka yaqeen he to paani paak he, aur agar chonch ki najasat ka yaqeen ho to paani napaak he, aur agar kisi amr ka yaqeen nahi to makrooh tanzihi he.
❥➝ Paani me rang ki boo aaye aur agar ye rang khinzeer ke Baalo ke brush se na kiya ho to us paani se vazu aur Gusl jaa'iz he, agarche paani me rang ki boo ya zaaiqa aa jaye.
❥➝ Bartan, Tanki ya matki me Bakri ya Ount ki mengni gir Jane se paani najis ho jaa'ega.
❥➝ Albatta agar tanki zameendoz ho aur esi jagah ho k mengni vagera se hifazat mushkil ho aur usme paani bhi kaafi zyada ho to ek do mengni maaf he.
Reference:
Aapke Masail aur
unka Hal-2.
(ALHAMDULILLAH MUKAMMAL)
╭─━━━━━──•┉•──━━━━━─╮
┣━━────Join───•
┣━━─Ahle deoband group
┣━━─91- 7037363325
╰─━━━━━──•┉•──━━━━━─╯
❥ ❥ ❥
No comments:
Post a Comment