вısмıʟʟαнıяяαнмααпıяяαнεεм
┄─┅
❖═══▩★★★۩ ۩★★★▩═══❖
P Y A R E Y
N A B I
K I
P Y A R I - S U N N A T
❖═══▩■■۩PART'01۩■■▩═══❖
☞ SUNNAT OR JADEED SCIENCE ☜
❀❖❖❀
┣━─• Hazart G SHEKH ZULFIQAR AHMAD NAQSHBANDI DB ka wo bayan he jo America ki ek university me talba( students) ke darmiyan hua, lihaza daurane guftugu samaeen ka khayal krte huye bakasrat angrezi jumle(sentence) istemal huye hai, is bayan me hazrat G ne ehsaas dilaya k science ki aijadaat aaj jo baat keh rhi he wo AAP ( صلي الله عليه وسلم ) ki layi hui shariat me or batlaye huye tarike me pehle se mojud he,
┣━─• Aye kash ! Ke hamari samajh me ye baat ajaye ke hamari haqiqi taraqqi or haqiqi nijaat AAP ( صلي الله عليه وسلم ) ke batlaye huye raste par chalne me he, banda mu'min apne sar par khilafat-e-ilaahi ka taaj rakh kr kaha taamak toyiya maarte phir rha he, Allah kare ke Aaj ummat huzur-e-paak ( صلي الله عليه وسلم ) ki pakiza adaao par amal pira hojaye taa ke mehboob ki mehboob adaao par amal karke khud b mehboob banjaye or jab ke gair huzur ( صلي الله عليه وسلم ) ke bataye huye tariqe par amal krke zaahiri fawaid hasil karne me lage ho to phir hum kyu unko apnakar zaahiri or baatini fawaid hasil na kare,
☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
◆Part -02◆
©ontinue....
Next time Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'02۩■■▩═══❖
┣━─• Saal k Awwal me is aajiz ko America ka daura krne ka mauka mila, Shikagow university me sunnat-e-nabiwi ( صلي الله عليه وسلم ) par talba (students) me baat huye, padhe likhe hazraat ki mehfil dekh kar ye khayal aya ke kyu na Aaj isi unwaan (topic) par baat ki jaye...¤
┄┅═══●✧●═══┅┄
BEHTREEN TARIQAYE ZINDAGI
┄┅═══●✧●═══┅┄
┣━─• Sunnate Nabwi ( صلي الله عليه وسلم ) ek sitaare ke maanind he ke jisko jis zaviye se bhi dekhe ye Roshan nazar aayegi, sunnat-e-nabiwi dekhne ka ek zaviya to ye he k hum amal karenge to Allah Rabbul izzat raazi honge, mehshar me kaamyabi hogi or Jannat me jagah milegi. Ye sab baaten 100feesadi durust hain magar unko ek tarf rkh dain.
➫ TOPIC OF DISCUSSION ye ke jis kaam ko Nabi ( صلي الله عليه وسلم ) ne jis tariqe se kiya, duniya me us kaam ke karne ka is se behtar koi or tariqa na tha...
☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
◆Part -03◆
©ontinue....
Next time Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'03۩■■▩═══❖
WUZU KI SUNNATEN
┄┅═══●✧●═══┅┄
┣━─• Aaj science uloom bohot tafseel se samne aa chuka hai unki roshni me mere mehboob صلى الله عليه وسلم ki sunnato ka jayeza liya jata he to chamakte huye sitaron or nageenon ki tarah nazar ati hain,✨
➫ ek aadmi jab subha ko sokar uthta he to saaf zahir he ke pehle wo wuzu karega, wuzu me hum kiya krte he qudrati tor par (Naturally) jism ke jo Exposed parts he (Khule hisse) hai unko dhoya jata he, hathon ko kohniyo tak dhoya jata he, paaon ko dhoya jata he, normal jism k wo hisse hai jo kaam karte waqt Exposed (Khule) reh jate hai un ko din me 5 baar dhone ka hukum diya gaya he, baqiya(Baaki) jism to aam tor pr kapdo se dhaka hua hota he, jism ke wo hisse jo k kaam kaaj krte waqt (Uncovered) hotel hai, to unko goya 5 baar dhoya jana chahiye,
┣━─• to dekhiye ek aadmi jab apne chehre ko dhota he to uske upar jitne b mitti ke zarrat (Dust particles) hote hai wo saare ke saare saaf ho jate he, chehre ko dhone ka amal din me 5 baar kiya jata he...
┣━─• Duniya ka koi bhi saaf tareen aadmi le lijiye jo ke Muslim na ho wo apne chehre ko din me kitni baar dhoyega ??
Subha ko tab le lega, sham ko shower le lega, zyada teer marega to dopher ko muh (Face) dho lega... Pabandi k sath din me 5 baar chehre, hath, paao, dhona ye saa'adat sirf ek Musalman ko hasil hoti he...
☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
◆Part -04◆
©ontinue....
Next time Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'04۩■■▩═══❖
HATH (HANDS) DHONA
┄┅═══●✧●═══┅┄
┣━─• Wuzu me sabse pehle hath dhoye jate he Kyuk hath aam tor pr kaam kaaj me masroof rehte hai isliye in ke jaraasim or mail kuchail se aaluda hone ka qawi imkaan mojud he jo log auto machanic hote unke hatho par to griss wagera khub lagi hoti he, agar hatho ko na dhoya jaye, or ese hi kulli ki jaye to ungliyo (fingers) par mojud jaraasim or mail muh (mouth) ke andar ja skti he, wuzu ke dauran muh (mouth) ko dhoya jata he, paak kiya jata he, miswaak ka itna ehtimaam batlaya gaya ke miswaak ke sath padhi gayi namaz bager miswaak ke padhi gayi namaz se 25 gunah zyada afzal hai_...
┣━─• Aaj agar science ke nuqtay-e-nazar se dekhe to insaan ka muh uske liye giza ke andar le Jane ka ek rasta hota he is ka (Crushing unit) he, jab insaan khana khata he, agar muh ko saaf na kare or is me kuch zarrat (Residues) bach jaye to un zarrat me kuch arse (years) baad badbu (Smail) paida hojati he, gosht (Meet) or giza ke kuch baarik tukde phans jaye to in me Fermentation paida ho jati he,
┣━─• ab ye daanto (teeth) ke liye nuksaan daah he or wese b muh ke andar badbu machayenge or muh k andar jaraasim paida krenge or phir isi ganda zehni ke sath agar wo banda agla khana khayega to ye muh ki gandgi bhi khuraak (Food) ke sath uske ma'ade me chali jayegi, insan ke daanto ke andar jo jagahe hoti hai, waha jaraasim ne apni calories banayi hoti hai, lakho ke hisaab se jaraasim waha parwarish pa rahe hote hai, ab jo admi apne muh ko saaf nh karta wo apni giza (Giza) ke sath bimariyo ke jaraasim khud andar le ja rha hota he or apne aap ko bimaar karne ka zariya Bana rha hota he...
☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
◆Part -05◆
©ontinue....
Next time Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'05۩■■▩═══❖
┣━─• ALLAH RABBUL IZZAT ke mehboob ( ﷺ ) din me 5 baar wuzu karne ki talqeen farmate hai or har baar miswaak ke sath wuzu karne ki talqeen farmate hai,
Aap mujhe koi banda duniya me bata dey jo din me 5 baar brush karke apne daanto ko 5 baar saaf karta ho???,
┣━─• duniya me sabse zyada saaf rehne wala gair Muslim bhi din me 2 ya 3 baar apne muh ko saaf karega din me 5 baar apne muh ko saaf krne or apne daanto ko brush karne ki saa'adat kisko naseeb h?? Ye faqt Musalman ko naseeb he, iski ehmiyat se koi inkar nahi kr sakta,,,
┣━─• Ek waqt tha ke jab hum bahar ke mulk ka safr kiya jata tha to log us waqt kehte the, ke subha jane se pehle brush kiya jana chahiye duniya ke zehen me subha brush karne ki aadat chhaayi hui thi, magar ab jab science ki tehqiqaat or zyada hui to science ne thoda pentara (System) badla ke subha ke waqt brush krna ehem (Important) to he magar itna important nahi he jitna ke raat ko sone se pehle brush karna..........
☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★ ☆ ★
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
◆Part -06◆
©ontinue....
Next time Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'06۩■■▩═══❖
┣━─• MENE EK DOCTOR SAHAB SE PUCHHA ke raat ko brush krna kyu zaruri hai ?? Kehne lage ke din me to insaan bolta rehta he or muh ko harkat deta rehta he jiski wajah se jaraasim ko halaak (Destruction) krne ka mauka nahi milta, magar raat ko jab insaan muh band krke so jata he to muh ruka hua hota he jiski wajah se jaraasim ko phalne phulne ka zyada se zyada (Maximum) waqt milta he daanto ko kharab krne ka,,,
┣━─• Lihaza dental doctor is baat ki tasdeeq karenge ke raat ko jitne daant kharab ho sakte hai itne daant din ko kharab nahi ho sakte.
┣━─• Ab west me kehte hai ke raat ko daant brush karke sona chahiye... Mene kaha ! Mere mehboob ( ﷺ ) ki sunnat he k Aap ( ﷺ ) raat ko jab b sote the baa wuzu hokar sote the or har wuzu me Kyuk daant bhi saaf karte the, lihaza Aap ( ﷺ ) raat ko apna muh saaf karke aram farmate the..
┣━─• Duniya ne Aaj kehna shuru kiya he or ALLAH ke mehboob ( ﷺ ) ne 1436 saal pehle is baat ki hame ta'aleem de di he..
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-07©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'07۩■■▩═══❖
NAAK ME PAANI DALNA
┄┅═══●✧●═══┅┄
┣━─• Iske baad hum naak ne paani dalte hai, naak ke raste se hawa andar jati he naak ke andar jo baal (Hair) hai wo filter ka kaam karte hai, hum apni Caro ke filter kuch arse (Years) baad tabdeel karwate hai, saaf karwate hai, hame to chahiye ke hum apna bhi air filter saaf kiya karey kitni baar?? Din me 5 baar. Hukum hua kyu?? Mumkin he din me aap aisi jagah se guzrey ho jaha hawa ke andar koi plasma yaa jaraasim maujood ho, Aap saans andar (Inhale) le rahe ho or hawa ke andar jo jaraasim hai wo naak ke andar aa chuke ho,
┣━─• Lihaza Aap ko is air filter k din me 5 baar saaf karne ka hukum diya gaya_....
JILDI(SKIN) BIMARIYO SE NIJAAT
┄┅═══●✧●═══┅┄
┣━─• Ek M.B.B.S Doctor likhte hai ke jo insaan naak ko din me 5 baar saaf krega uski jild (Skin) ki bimariya dur ho jayengi...
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-08©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'08۩■■▩═══❖
CHEHRE (Face) KE SATH AANKHO KA DHULNA
┄┅═══●✧●═══┅┄
┣━─• Insaan ki aankh din me 5 baar dhoyi jarhi hai, hame andaza nahi he ke hamari aankh ke upar chhote chhote zarrat (Dust particles) jama ho rahe hote hai magar ALLAH TA'ALA ne safayi ka nizaam (Cleaning system) automatic bana diya he, ye hamari aankh jo jhapakti he iske sath thoda sa paani (Liquid) sa laga hota he jo wiper ka kaam deta he ye wiper chalta rehta he or ye aankh ko saaf karta rehta he is ka pata aise chala
┣━─• Ek Sahab ka accident hua, uski aankh ka upar ka jo parda tha wo kat gaya ab ye aankh soye to bhi nangi, jaage to bhi nangi, ek museebat pad gayi ke har ghante 2 ghante ke baad aankh ka dekhna dhundla ho jata , Doctor kehte ke aap aankh jhapakte rehte the safayi hoti rehti thi ab ye safayi nahi hoti ab gird (Dust) jo jama hoti he iski wajah se tmhe sahi nazar nahi ata,,,
┣━─• Chunancha usne aankh ko dhona shuru kar diya 1 dafa dhoye 2 dafa dhoye Chunancha baar baar paani daal rha he din me 20 martaba paani daal rha he hattaa ke 6 mahino ke andar iske chehre ka gosht galna shuru hogaya paani zyada daalne ki wajah se to kehne ko to ye ek chhota sa parda he jo baar baar harkat karta he,,,
┣━─• ☆Magar ye parda itna bada kaam kar raha he ke is ki qadr ka ehsaas tab hua jab insaan is ni'amat se mehroom ho gaya, Insaan to kaam kar raha he magar iski cleaning din me 5 martaba batayi gai he...
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-09©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'09۩■■▩═══❖
┣━─• AAJ KAL (EYE SPECIALIST) imraaz chashm ke maahir kehte hai ke taza paani se aankho ko dhona chahiye ye insaan ko mukhtalif bimariyo se bachata he hattaa ke (kaala motiya) or (safed motiya) ke jo mareez hote hai unko bhi kehte hai ke apni aankho ko paani se subha wash karey.
《KAANO KA MASAAH KARNA》
┣━─• Iske baad hum apni gardan k pichhe hisse par (Back side) masah karte hai hamare Dimag se jitna bhi (narrows system) ko signal ka kaam ja raha he wo reedh ki haddi se Back Side se jata he ye hamara (Data Highway) hota he uske upar signal ja rahe hote hai, hamare pure (Communication) ki jo main transmission line he wo hamare Dimag se puri ki puri wiring is (Back Side) se hoti huyi hamari reedh ki haddi me daakhil hoti he or ye kaam kar rhi hoti he, ye jagah hamari kitni ehem he kya aam insaan din me paani laga kr ise soft karta ha??
┣━─• Nahi karta, agar sardiyo ke Dino me 3 din baad nahaya he tab dhoyega magar wuzu karne wala jo insaan he wo din me 5 martaba tar kar raha hota he isliye ke yaha ki (surface) ke andar (Tension) paida na ho, (Tension) ke paida hone se (Data high way) ke signal me farq padta he,
┣━─• Jo computer se ta'alluk rakhne wale log hai wo is baat ko (Appreciate) karenge ke jo (Data high way) he uske upar agar kisi wajah se (Interference) aajaye to phir computer gad-bad kar jata he...
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-10©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'10۩■■▩═══❖
┣━─• EK FACTORY ME (MICRO PROCESS BASE SYSTEM) tha jo ek dam shut down ho jata tha uski har chiz thik thi, phir kuch saal ke baad shut down hojata phir shut down hojata badi mushkil se is ka fault malum kiya, wo kiya tha ke uski jo (Main data highway) thi wo ek jagah se andar daakhil ki jarhi thi or turn lete huye uski jagah par usme kuch khinchaao agaya tha jab wo dabti thi to bairuni pressure ki wajah se uske andar Interference paida ho jata tha or wo shut down hojata tha,,,
┣━─• Hame is jagah ko tar rakhne ka hukum diya gaya or din me 5 martaba ese tar karne ka hukum diya gaya taki yahan ke reze (Tissues) saaf rahe or unme preshani paida na ho, Aap jism ke kisi hisse ko bilkul na dhoye.
☆→AAP 2 mahine ke baad dekhenge k us jagah khinchao sa mehsoos hone lag jayega wo jagah khushk si hojati he to iska insaan ko nuksaan hota hai...,
Lihaza shariat ne paanch (5) martaba is ko tar karne ka hukum diya...
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-11©ontinue Insha Allah
┌──━━━•┄┅┄•━━━──╮
█ ❥═┄ʀεғεʀεηcε─┐
█ Sunnat e Nabvi or
█✍Jadeed science inkishafat
└──━━━•┄┅┄•━━━──╯
❖═══▩■■۩PART'11۩■■▩═══❖
《HAATH KOHNIYO SAMAIT DHONA》
✿ ✿ ✿ ✿ ✿ ✿ ✿ ✿
┣━─• Phir baazuo ko kohniyo samait dhoya jata hai, dekhiye aksar log kaam - kaaj karte waqt apni aasteeney upar chadha lete hai jiski wajah se haatho ke saath saath baazu bhi aaludgi (Pollution) ka shikaar ho jate hai agar unko bhi na dhoya jaye to jild (Skin) kharab hoskti hai,,,
┣━─• Maslan jab mazdoor log siment wagerah banate hai to baazuo par bhi siment lag jata hai or agar wo baazu na dhoye?? to jild (Skin) kharab hojati hai....
《PAAON DHONA》
✾ ✾ ✾ ✾ ✾ ✾ ✾
┣━─• Hamare ek dost sugar ke mareez the wo kisi doctor ko check krwane ke liye America gaye, American doctor ne kaha mujhe PAAON dikhaye?? Unhone PAAON dikhaye to bade saaf, kehne laga ke aap ka sugar level blood me itna hai or aap ke PAAON bilkul saaf hai ye kaise hua??? Usne kaha kyu?? Kehne laga, sugar ke mareezo ka aam taur par sugar level ziyada hone ki wajah se unka blood jo bahaao (Flow) pura nahi rehta lihaaza PAAON be-his (Insensitive) ho jate hai, jab blood ka doraan pura nahi rahega to wo PAAON jo hai wo Sensitive nahi rehte, pata nahi chalta ke PAAON ke saath koi cheez lagi hai Ke nahi.....,
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-12©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'12۩■■▩═══❖
《PAAON KA DHONA》
❃ ❃ ❃ ❃ ❃ ❃ ❃ ❃
┣━─• KAI MARTABA PAAON PAR ZAKHAM lag jate hai or sugar ke mareezo ko pata hi nahi chalta, khud sugar ke mareez batayenge yaha to chot lagi thi kab lagi thi iska bhi pata nahi to PAAON iske baad Sensitive na hone ki wajah se signal nahi dete, Aam tor par unki ungliyo (Fingers) ke darmiyan zakhm ban jata hai or unko ye pata nahi chalta ke PAAON ki ungliyo (Fingers) ke darmiyan kya hua hai.
┣━─• Sugar ke mareezo ke liye PAAON ke zakhm ek headache bane huye hote hai, to doctor log agar sugar level high ho to PAAON dekhte hai ke iska physical asar kya ho raha hai,
Usne dekha to PAAON bilkul saaf-shaffaaf,,, kehne laga ye kyu hai?? Isne kaha : mujhe kya ma'aloom albatta din me 4 - 5 martaba dhota Hu, kehne laga 5 martaba dhote ho ?? kehne laga ji haan, me musalman Hu din me 5 martaba namaz padhta Hu, Hamare liye namaz se Pehle wuzu karna zaroori hai, or hum ise din me 5 martaba dhote hai,, isne kaha : Acha mujhe dhokar dikhaao, jab Usne dhokar dikhaya to usne PAAON ko achi tarha mala taake paani har jagah pohoch jaye...,,
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-13©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'13۩■■▩═══❖
《PAAON DHONA》
❃ ❃ ❃ ❃ ❃ ❃ ❃ ❃
┣━─• PHIR UNGLIYO KE DARMIYAN khalaal kiya, jab usne dikhaya to usne kaha : Aaj mujhe ek nayi haqeeqat ka pata chala ke jo musalman hoga sugar ka mareez bhi hojaye to uske PAAON kabhi bhi is tarha kharab nahi ho saktey, us ne kaha wo kyu?? Kehne laga, isliye ke tum to din me 5 martaba masah karte ho, ab wo us Angle se dekh raha hai.
┣━─• American doctor kehta hai ke har musalman din me 5 martaba PAAON ka masah karta hai, Kehne laga : Jo tum dho rahe ho is me Actually tum apne PAAON ka masaaj bhi kar rahe ho or jis sharyaano me khoon (Blood) ka dauraan nahi pohonchta masaaj karne se khoon (Blood) ka dauraan bhi theek ho jata hai or ungliyon me khalaal karne ki wajah se fangs (Jaraasim) bhi khatm ho jata hai,,,
☆→Lihaaza koi aam mareez sugar ka is level ka hota to usko kitne nuqsanaat hotey, ek aadmi baa-qaayedgi se wuzu karne wala in fawaayed ko haasil kar leta hai.
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-14©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'14۩■■▩═══❖
(KHÂAŃE Kİ SŮNNĂTEŅ)
❃ ❃ ❃ ❃ ❃ ❃ ❃ ❃
JADEED SCIENCE KI ROSHNI MAIN□□
《KHAANE SE PEHLE HATH DHONA》
┣━─• Aap ( ﷺ ) khaane se pehle HATH dhote they HADEES MUBAARAKA ME AYA HAI ke jo shakhs khaane se pehle or baad me wuzu karega usko Rizq me barkat naseeb hogi. Wuzu se muraad muhad-diseen ne likha hai apne haatho ko dhona ya kulli karna chunke kulli jo hai wo muh (mouth) ka wuzu hai ab sunnat kya hai?? Sunnat ye hai ke hum khana khaane se pehle apne haatho ko saaf Karen, ab aaj ke padhe - likhe tabqe waale log kehte hai ke haath saaf hai. Aey KHUDAA ke bandey
★→Aap ki aankh inhe saaf dekh rahi hai. Kaash Aap inhe MICRO SCOPE ki aankh se dekhte to phir aapko pata chalta ke ye saaf hai yaa nahi??
┣━─• Islaam ki beauty dekhiye, Islaam ka husn dekhiye , isne kitna (Deep Down) jakar hamey guide kiya, mumkin he ke mujhe khaansi ayi ho or maine haath muh (Mouth) par rakh liya ho ab mere haath par Jaraasim lag gaye doctor is baat ki tasdeeq karenge ke jab insaan khaansi karta hai to uske andar se Million of Germs nikalte hai or wo aapke haath ke sath lag jate hai...
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-15©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'15۩■■▩═══❖
《KHAANE SE PEHLE HATH DHONA》
┣━─• MAINE EK CHEEZ KO PAKDA mumkin hai ke yaha jaraasim lage huye ho ab zaahir to hath saaf hai magar doctors ki nazar me kharaab hai mumkin he maine darwaze (Door) ko pakda ho jis par makkhiyaan bethi rahi ho or Un makkhiyo ke paaon ke sath koi khaas gandgi ke jaraasim lage huye ho, mujhe kiya pata meri aankh dekh rahi hai ke hath saaf hai magar Instrument ki aankh jab Deep Down jakar dekhti hai to wo batati hai ke ye baat nahi hai magar ab chunke isi se khana (Food) khaana hai is liye unko saaf Karne ki zarurat hai,
┣━─• Shariyat ne hamey 1400 saal (Years) pehle guide kiya ke khana khaane se pehle saaf hath bhi agar nazar aate ho to bhi inhe dho lo, taa ke tumhare hath jaraasim se saaf ho jaye in saaf hathon ke saath tum apna khana khaalo or ye fayeda har bandey ko mil raha hai,,,
┣━─• Educated banda hai to usko bhi or agar an-padh banda hai Sunnat par amal kar raha hai to ye fayed usko bhi mil raha hai..
¤ Nabi ( ﷺ ) ki aadat-e-shareefa thi ke khane se pehle hath dhote the to toliya (Towel) istemaal nahi karte they, kapda (Clothe) istemaal nahi karte they, or haan khaane ke baad jab hath dhote to toliye (Towel) se khushk kar liya karte they
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-16©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'16۩■■▩═══❖
《KHANA (FOOD) CHABAANA》
┣━─• Ab khane (Food) ke dauran Nabi kareem ( ﷺ ) ki aadat-e-shareefa thi ke Aap (s.a.w) khaane ko achhi tarha chabaaya karte they ek riwayat me to yaha tak aya hai ke Aap ( ﷺ ) jab tak ek niwale ko chaba kar nahi kha letey they us waqt tak dusra niwala nahi liya karte they...
┣━─• To iska kya matlb hua?? Ke insaan itminaan se apne khane (Food) ko muh (Mouth) me crush karke ley jaye ye hamara muh (Mouth) asal me Crushing Unit hai, ye khane (Food) ko Crush karta hai or iske baad ma'ada ke hawale kar deta hai hum kiya karte hai hum ne 5 mint me kuch idhar dala kuch udhar dala 2 - 4 martaba muh (Mouth) chalaya or andar nigal lete hai phir ye hota hai ke Uncrushed giza jo andar chali jati hai uski wajah se ma'ada ko ziyada kaam karna padta hai to ma'ada par jab Load padega to gas bhi banegi or haazme ki bhi kharabi kharabi hogi phir kahenge ke ma'ada ko pata nahi kya hogaya hai ab bhook nahi lagti ab khatti dakaarey aati hai ab tabkheer ka marz hogaya, ye sab kuch isliye hai ke ma'ada Over Loaded hota hai jab hum ne muh (mouth) Load ma'ada par shift kar diya, to saaf zahir hai ke ab usko double kaam karna pad jayega wo kaam jo is Crushing Unit se lena tha wo nahi liya.....
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-17©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'17۩■■▩═══❖
《KHANA (FOOD) CHABAANA》
┣━─• DOCTOR IS BAAT KI TASDEEQ karengey ke aadmi jis tarf se chabaye us tarf ke daant (Teeth) jaldi kharab ho jayenge islye Doctor Advise karte hai ke jab tum khana (Food) khao to dono tarf ke daant (Teeth) istemaal kiya karo islye jab hum unko istemaal karte hai or roz (Daily) us par Load padta hai to daanton (Teeth) ki Strength badhti hai, To jidhar ke daanton (Teeth) se chabate rahenge unki Strength badhti rahegi or wo mazboot rahenge or jidhar se kaam nahi lengey udhar se apko Payeria ho jayega idhar Cavities banni shuru ho jayegi to udhar bimaariya aani shuru ho jayengi to jitna ziyada istemaal karengey daant (Teeth) bhi mazboot rahenge or ma'ada par bhi kam Load padega,,,,,.......
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-18©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'18۩■■▩═══❖
《KHANA (FOOD) CHABAANA》
┣━─• EK TEESRA FAIDA OR BHI HAI jise aaj ki Science ki duniya bata rahi hai..
■ ■ Mere ek dost Doctor the unke paas ek dafa jana hua unke paas chhote - chhote pumfilt pade huye the (American Medical Association ) ke taaza tareen chhupe huye the koi Skin par tha, koi Heart par tha, koi Cholesterol par tha, koi Dieting par tha...
┣━─• Maine wo padhe or unki ek-ek copy apne paas rakh li taa ke mere paas Refrains ke taur par maujood rahey un me ek ajeeb baat likhi huyi thi Likha hua tha ke "JO SHAKHS APNE AAP KO SMART BANANA CHAHTA HAI USE CHAHIYE KE WO KHOOB CHABA KAR KHANA (FOOD) KHAYA KARE" ye padh kar badi hairangi huyi ye sirf 3 mahine (Months) pehle ka likha hua Pumfilt tha. Maine iski tafseel padhni shuru kardi tafseel me aage ek ajeeb baat likhi hui thi unhone likha hua tha ke
┣━─• "AADMI JAB KHANA (FOOD) KHATA HAI TO USKO KAISE PATA CHALTA HAI KE PAIT (STOMACH) BHAR GAYA ??" unhone likha hua tha ke "YAHA PAIT (STOMACH) KE UPAR SENSORS HAI JO MAUJOOD DIMAG KO SIGNAL DETE HAI KE PAIT (STOMACH) KHAALI HAI YAA BHARA HUA HAI,,,....
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-19©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'19۩■■▩═══❖
《KHANA (FOOD) CHABAANA》
┣━─• EK AADMI KE DIMAG KO EK SECOND ME laakho se zyada signal pohonch rahe hote hai itni tez raftaari se Transaction ho rahi hoti hai In Both Way wo aa bhi rahe hote hai jaa bhi rahe hote hai wo Narrows System insaan ka kaam kar raha hota hai insaan ka Automatic System bana diya gaya hai, wo Sensors batate hai ke "Ji pait (Stomach) bhar gaya hai dimag faisla kar leta hai ke theek hai pait (Stomach) bhar gaya hai".
┣━─• Kayi dafa agar is System me farq aajaye to aadmi ko ek bimari hojati hai or is bimari me aadmi khata hai or uska pait (Stomach) phatne ko aa jata hai lekin iska dil nahi bharta or wo aadmi samajhta hai ke abhi bhook lagi huyi hai islye ke abhi upar Signal nahi jaraha hota islye dimag keh raha hota hai ke khana (Food) abhi or khana hai.....,,, ┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-20©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'20۩■■▩═══❖
《KHANA (FOOD) CHABAANA》
┣━─• JABKE PAIT (STOMACH) PHATNE KO aa jata hai to likha hua tha ke "WO (SENSORS) UPAR SIGNAL BHEJ RAHE HOTE HAI WO (SENSOR SLOW) HAI, WO (SLOW SENSORS PROCESSING SENSORS) HAI, WO APNE SIGNAL (PROCESS) KARTE HAI,".. 5 se 7 minutes lete hai,
■ Lihaaza agar me ek dam koi cheez pait (Stomach) me daal du or mera pait (Stomach) bhar jaye to mere Sensors ka jo dimaag ko Signal milega wo 5 se 7 minutes ke baad milega iski tasdeeq ke liye
┣━─• banda agar khana (Food) khaye to thoda sa khaa kr chhod de to dobara usko bhook hi nahi hoti, to hum kehte hai ke "BHOOK MAR GAYI" to wo mar nahi gayi hoti daraa - sal idhar se signal pohonch chuka hota hai or jab hum jaldi - jaldi khana (Food) khaa lete hai to Phir hum kehte hai ke "JI AAJ HUMNE BOHOT KHAA LIYA" islye ke 5 minute ke baad wo Signal upar pohoncha to tab hame ehsaas hua ke humne ziyada khaa liya (Over Dose) le li to likha hua tha ke "JAB AAP GIZA KO APNE MUH (MOUTH) ME ZYADA DER CHABAYENGE"...
■ Your Brain will get the Signal Maximum ■
........
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-21©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'21۩■■▩═══❖
★KHANA (FOOD) CHABANA ★
★★ AAP THODA KHANA (FOOD) KHAYENGEY aapke dimaag ko Signal milega ke "JI BADA KHA LIYA" Lihaza thoda khane par pet (Stomach) bhar jayega jab thoda khane par pet (Stomach) bhar jayega to khud-ba-khud apka Weight control me rahega....
Mene kaha : SUBHAN ALLAH mere mehboob ( ﷺ ) ki Sunnat thi ke AAP ( ﷺ ) chaba-chaba kar khana (Food) khaya karte the,,,,
★★★ AAJ ki Science ki duniya ne guthne (Knee) tek diye ke waaqai isi tarha chaba-chaba kar aahista khana (Food) khaana charity, Panjabi me kehte hai ke
"KHOTI MAD-TAD KE BOHAR THALE " Urdu me kahenge "GADHA CHAL PHIR KE PHIR BOHTAR KE DARAKHT KE NICHE AATA HAI" .........
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-22©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'22۩■■▩═══❖
★KHANA (FOOD) CHABAANA★
★★★ AGAR AAP ME KUCH (Pharmaceutical) se ta'alluq rakhne wale kuch log bethte hai, wo is baat ko check karenge ke aaj jo log Slimming ke liye capsule khaate hai wo dimaag ko Active kr dete hai chunancha jab insaan thoda sa khaata hai to wo sochta hai ke Mene bohot ziyada khaa liya hai or pet (STOMACH) bhara hua mehsoos hota hai chunancha jo aaj ke insaan ne Dieting ke liye capsule banaaye hai to is se wahi maqsad haasil hoga jo ke insaan ko khana (Food) zila da chabane se haasil hota hai....
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-23©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'23۩■■▩═══❖
★BIN CHHANE AATEY KI ROTI★
★★★ Phir dekhiye Nabi ALAIHISSALAAM ki ye aadat-e-shareefa thi ke AAP ( ﷺ ) bin chhane aatey ki roti khaate the kabhi chhaan kr roti nahi khayi hum log maide ki roti pasand karte hai, Sunnat mubaarka kya hai ?? Bin chhane aatey ki roti khaana ab ek nayi cheez hai.
★★★ Aap me se aksar log jante honge (Cholesterol) jo aaj ke daur me museebat bani huyi hai har bande ke liye sochte hai ke Cholesterol level high hogaya O G ! ! 200 tak pohonch gaya 220 tak pohonch gaya, ab kya karey?? Ji na tum andey (Egg) ki zardi istemaal kar sakte hai na ghee, na falaah, na falaah tumhey parhez karni chahiye warna tum par Dil ka Attack hosakta hai ab agar isko Down karna ho to Phir kya soorat hai??Iski mukhtalif dawayiya hai, magar jo sab se behtreen dawaayi istemaal hoti hai....
Aaj kal wo chhaan bhoora hai, hum chhaan bhoora kehte hai jo Gandam ka chhilka hai__.......
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-24©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'24۩■■▩═══❖
☞ SUNNAT OR JADEED SCIENCE ☜
❀❖❖❀
《CHHAAN BHOORE KI 2 KHUBIYA》
┣━─• YE 2 KHUBIYA RAKHTA hai ek aap ke ma'ade me jaakar (Digestive System) me madad dega,,
■■ Mai Facts par baat kar raha hu Science se ta'alluq rakhne wale log check kr sakte hai Un baaton ko or dusri baat ye ke isse hamara Cholesterol Level Down jayega,,,.
《 CHHAAN WAALE AATEY (FLOUR) KI QEEMAT 》
┣━─• LIHAZA BAAHAR KE MULKO me wo aata jisme chhilka maujood hota hai wo chhane huye aatey se mehenga bikta hai,
■ Hamare ek dost ka Cholesterol Level High tha ek jumma padh kar aa rahe the to kehne lage ke aaye zara Store par chale kuch aata (Flour) le chale ,,, Mene kaha theek hai wo jo gaye to waha maide ki qeemat sabse kam, chhane huye aatey ki qeemat isse zyada thi or bin chhane aatey ki qeemat isse bhi zyada thi,,,,,,,,,
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-25©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'25۩■■▩═══❖
☞ SUNNAT OR JADEED SCIENCE ☜
❀❖❖❀
《 CHHAAN WAALE AATEY (FLOUR) KI QEEMAT 》
┣━─• OR WAHA JO SIRF AATEY ka chhilka pada hua tha wo aam saada aatey se dhhaai gunaah zyada mehenga bik raha tha us bandey ne wo chhilka khareeda, Mene kaha ye to bhai ! Chhaan boora hai?? Kehne lage Haa Doctor ne Recommended kiya hai ke tum aam aata lekar isme 40 feesad ye daalo or 60 feesad aam aata to tumhara Cholesterol Level Down ho jayega,
■ Mene kaha SUBHAAN ALLAH aaj ki duniya jise khaane ke liye aaj Recommended de rahi hai mere Mehboob ( ﷺ ) ka aaj se 1400 saal pehle yahi amal tha "Gadhaa phir chal kar kaha pohoncha?? Badh ke darakht ke niche" Science bil-aakhir waha pohonchi jo mere Mehboob ( ﷺ ) ki Sunnat hai ke bin chhane aatey ki roti insaan ke liye zyada fayede mand hai..__
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-26©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'26۩■■▩═══❖
☞ SUNNAT OR JADEED SCIENCE ☜
❀❖❖❀
《 SWEDEN KE CAKE 》
┣━─• BALKE MENE SWEDEN me naashte me cake dekhey wo cake kya hai?? Yahi chhaan boora halka unke andar sugar daal kar or dusra kuch daal kar unko Bind kar detey hai or dudh (Milk) ke andar khaalis Yahi chhaan boora daal kar subha ka nashta karte hai isi se hi Doctor Recommend (Salaah) karte hai.._
《 ACHCHI SEHAT KI NISHAANI 》
┣━─• NABI ALAIHISSALAAM KI aadat-e-shareefa thi ke bhook lagne par khaana khaya kartey the,
● mashhoor hadees hai ke ek hakeem saahab ko madeene munawwara aakar 2 saal guzar gaye unke paas koi mareez hi nahi ata tha bade pareshaan Huzoor ( ﷺ ) ki khidmat me haazir hote ke aye Allah ke Nabi ( ﷺ ) ! Me isliye aya tha ke yaha koi tabeeb (Doctor) nahi log ayenge or me unka ilaaj muaalija karunga ye log ate hi nahi , Allah ke Rasool ( ﷺ ) ne ek usool bataya ke ye log islye beemar nahi hote ke ye khate us waqt hai jab sakht bhook lagi huyi hoti hai or jab thodi si bhook reh jati hai to ye khana (Food) khaana band kar detey hai, ye achhi sehat ki daleel (Wajah) batayi gai hai.....
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-27©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'27۩■■▩═══❖
☞ SUNNAT OR JADEED SCIENCE ☜
❀❖❖❀
《 MAGAR-MACH (CROCODILE) KI LAMBI UMR ACHCHI SEHAT KA RAAZ 》
┣━─• AAJ SCIENCE KI DUNIYA ek ajeeb baat batati hai mene ek Science ki kitaab me padha hai unme likha huwa tha ke is waqt duniya me jo zi-rooh (Species) cheez maujood hai unme sabse zyada lambi umr pane wala jaandaar magar-mach (Crocodile) hai,,,
┣━─• Aaj ke daur me bhi iski umr 300 saal tak ho sakti hai, ek baat ! ! Dusri baat ye ke itna taqatwar (Strong) hota hai ke ek martaba kisi cheez ko pakad le to koi banda use chhuda nahi sakta, itni zyada usme Strength hoti hai, Science daanon ne research ki ke iski lambi umr or uski Strength ka raaz kya hai??......
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-28©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'28۩■■▩═══❖
☞ SUNNAT OR JADEED SCIENCE ☜
❀❖❖❀
《 MAGAR-MACH (CROCODILE) KI LAMBI UMR ACHCHI SEHAT KA RAAZ 》
┣━─• IS PAR EK STUDY REPORT mene padhi usme likha huwa tha ke jis magar-mach ka wazan 700kg hota hai {Ek sehat mand no-jawaan ka bhi wazan taqreeban 70kg hota hai or 10 sehat mand no-jawano ka wazan 700kg ka hota hai ek magar-mach ke barabar hoga} to wo magar-mach jiska wazan 10 shakhso ke barabar hota hai iski 24 ghanto ki khuraak 700gram hoti hai or likha huwa tha ke uski lambi umr or uski achchi sehat or taaqat ka raaz uske kam khane me poshida (chhupa) huwa hai....
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-29©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'29۩■■▩═══❖
☞ SUNNAT OR JADEED SCIENCE ☜
❀❖❖❀
《 KHANA (FOOD) KIS WAQT KHAANA CHAHIYE 》
┣━─• MERE MEHBOOB ( ﷺ ) KI Sunnat thi ke khana us waqt khate jab bhook lagi huyi hoti thi or jab thodi si bhook baqi hoti thi to khana chhod dete the. SUBHAN ALLAH aaj ki Science ki duniya in baato se parda hata rahi hai or kehti hai ke ye sabse behtreen aadat hai.._
《 KHAJOOR ME ITNI CELERIAC !!!》
┣━─• OR YAQEEN KAREY KE hum jitni Celeriac rozana khatey hai ye hamari zarurat nahi hoti balke aam shakhs jo gizaa me se 15-20 feesad uski zarurat hoti hai baaqi saara ka saara hum Crush karke phir bahar Dispose off kar detey hai apne aap ko Over load hi karte hai or kuch nahi karte......
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-30©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'30۩■■▩═══❖
☞ SUNNAT OR JADEED SCIENCE ☜
❀❖❖❀
《 KHAJOOR ME ITNI CELERIAC !!! 》
┣━─• HUKMAA NE LIKHA KE ek banda agar sirf ek khajoor hi khaye 3 din tak use bhook ki wajah se maut nahi aa sakti ek khajoor ki Celeriac itni taaqat hame dey deti hai ,,,
● To phir MASHA ALLAH dekhiye jo kuch hum rozana khaa letey hai kilo, dedh kilo, 2 kilo subha phir dopher, phir shaam me hum to bohot zyada Over Eating kar rahe hote hai Over Eating ki wajah se kabhi Blood pressure high hogaya or kabhi Heart-Attack hogaya hum apne hatho se museebat khareed rahe hotey hai..._
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-31©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'31۩■■▩═══❖
《 KHANA(FOOD) KHANE KE LIYE BETHNE KA TAREEQA 》
┣━─• MERE MEHBOOB ( ﷺ ) ke bethne ka tareeqa kya tha?? ke AAP daayen paao (RIGHT LEG) ki raan khadi karte they or baayen (LEFT) ko bichha kar bethte the dastarkhuwaan lagakar aap is tarha beth kar kha kar dekh ley aap ek had se zyada khana khaa hi nahi saktey, agar isse zyada khana khaye to aap ko Position badalni padegi, phir aap chokdi maar kar bethiye phir aap jitna chahey khaa lijiye, Sunnat tareeqe ki barkat ye hai ke aap sunnat tareeqe se beth kar khana khaye to ek khaas had tak khana khaa payenge isse upar aap khaa hi nahi saktey aapka pet (Stomach) apko batayega ke me ab bohot bhar chuka Hu......
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-32©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'32۩■■▩═══❖
《 KHANA(FOOD) KHANE KE LIYE BETHNE KA TAREEQA 》
┣━─• OR AGAR AAP KURSI (CHAIR) Maiz par beth kar khana khaye phir raaste itne saaf honge ke aap phir jo marzi chahey kursi par laa saktey hai jitna Weight Table par pada hai wo saara ka saara kursi par laa saktey hai,
┣━─• Mere MEHBOOB ( ﷺ )ke khane ka tareeqe me hikmat thi jis cheez ko khate they usme hikmat, jis waqt me khate they usme hikmat,.
▪▪Mene Science ke khane ki hikmaten dekhi to waqayi phir mujhe kehna pada ke "Ghadaa chal-fir ke badh ke darakht ke niche aagaya "
Waqayi aisi hi baat hai._
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-33©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'33۩■■▩═══❖
《 KHANE (FOOD) ME TEL (OIL) KA ISTEMAL 》
┣━─• NABI KAREEM ( ﷺ ) ke daur me bakriya bohot hoti thi, Bani kalb ek qabeela tha hazaaron bakriya ek-ek ghar wale ke paas thi dudh (Milk) aam tha lekin ye kahi nahi ayega ke NABI ( ﷺ ) makkhan (Butter) Se roti khate they yaa Ghee istemaal krte they.
┣━─• Khane me AAP ( ﷺ ) zaitoon ka tel (Oil) istemaal karte they, Aaj ki Science ki duniya bhi kehti hai ke Agar tel (Oil) istemaal krenge to aap ke jism or sharyaano me jamne wale Cholesterol kam banenge
┣━─• Lihaaza ye faida-mand hai, isliye aaj ki duniya ko Cooking Oil par agayi Lihaaza jab me dekhta Hu ke log desi Ghee ko chhod kar Cooking Oil ke istemaal par aagaye hai ke ji Doctor Sahab ne kaha to me kehta Hu ke SUBHAN ALLAH mere mehboob ( ﷺ ) ka 1400 saal pehle ka amal tha ke AAP ( ﷺ ) apni gizaa me aksar zaitoon ka tel istemaal kiya karte they...
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
Next-34 ©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'34۩■■▩═══❖
《 SUN BATH KA RIWAAJ 》
┣━─• CHALEY KISI OR TOPIC par baat karte hai baahar ke mulko me Sun Bath lene ki aadat hai, kiya karte hai ke darya ke kinarey (Beach) par jakar kapde utaarey or mukhtasar chand inch ke kapde pehne, Mard or aurtey sab dhoop me letey huye hai isko SUN BATH kehte hai.
┣━─• SUN ka matlab suraj bhi hai or SUN ka matlab dhoop bhi hai ke dhoop me gusal karna.
▪▪ Me ek baahar ke mulk me tha ek gair-Muslim ladki Islam ke bare me puchhti rahi phir kehne lagi ke aap SUN BATH letey hai?? Mene kaha hum to nahi letey, kehne lagi ke (( No Your Skin Needs Some Sun )) Apki skin ko bhi dhoop ki zarurat hai aap bhi aisa karey, Mene kaha me nahi leta kyuke mere mehboob ( ﷺ ) ne aisa tareeqa nahi bataya, kehne lagi nahi hum ko to har saal chhuttiya hoti hai is cheez ki zarurat hoti hai hum to SUN BATH zarur letey hai. . . . .
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-35©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'35۩■■▩═══❖
《 SUN BATH KI WAJAH SE JILD (SKIN) KA CANCER 》
┣━─• IS SAAL JAB ME AMERICA GAYA to Mene American Medical Association ka ek pumfilt padha jis par likha huwa tha ke "Skin Cancer aam taur par Sun Bath ki wajah se paida horahe hai" wajah likhi huyi thi ke "Suraj ki shuaao me mukhtalif qism ki Rays hoti hai or unme Ultra Violin Rays bhi hoti hai, ye Ultra Violin Rays jab Skin par padti hai to Jildi Cancer (SKIN CANCER) ka ba'as banti hai".
┣━─• Or ab baahar ke log khauf ke maarey Sun Bath nahi letey, Doctor Recommend kartey hai ke agar iske baa-wajood tum Sun Bath lena chahtey ho to tumhe ek Cikren leni padegi,,,
┣━─• Jaise maa ek chhote bachche ko makkhiyo se bachane ke liye upar jaali daal deti hai.
▪Ye bani huyi Cikren ab sath le jatey hai upar daltey hai Ultra Violin Rays se bachne ke liye or phir kehtey hai ke ab Sun Bath ley saktey hai. . . . .
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-36©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'36۩■■▩═══❖
《 SUN BATH KI SHAREE'AT ME MUMAANAT 》
┣━─• MUJHE EK ANGREZ KEHNE laga ke aap kaise kehtey hai ke mere mehboob ( ﷺ ) ne pehle hi mana kar diya tha?? Mene kaha isliye ke sharee'at ka masla hai ke agar koi paani dhoop me garam hojaye or dusra paani mojood ho to dusrey paani se wuzu karna afzal hai, dhoop ke garam paani se wuzu karna MAKROO hai (MAKROO TANZEEHI likha gaya hai).
┣━─• Me aksar sochta tha ke dhoop se garam hogaya to kyu mana kiya gaya magar is pumfilt ko padhne ke baad pata chala ke dhoop me garam paani se Ultra Violin Rays ne bhi to kuch asar daala hoga,
┣━─• ALLAH ke mehboob ( ﷺ ) ne is paani se wuzu karne se mana farmaya, HARAAM nahi hai agar iske alaawa paani nahi hai to istemaal kar saktey hai magar ek Indication de di gayi ke pasan-deeda nahi hai,
●● SUBHAN ALLAH ye ta'aleem kab di jarahi hai 1450 saal pehle or aaj Science is baat ko Confirm kar rahi hai to
Gadhaa chal-fir kar kaha pohoncha?? "Badh ke darakht ke niche"
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-37 ©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'37۩■■▩═══❖
《 JILDI (SKIN) IMRAAZ 》
┣━─• BAAHAR KE MULKO ME SKIN ki beemariya kyu aam hai iski 2 wajuhaat hai 1 ye ke wo "SUN BATH" kartey hai or 2 ye ke wo log "GUSAL" nahi kartey.
《 GUSAL-E-JANAABAT 》
┣━─• DAILY NAHANA WO OR cheez hai ek hai miya-biwi dono ikhattey huye Islam ne dono par GUSAL FARZ qaraar de diya, darasal insaan ke purey jism me chhote - chhote masaanaat hai jin me se paseena nikalta hai jo kamzor insaan hai agar wo mil kar alaihida (Juda) ho to use apne jism me paseena mehsoos bhi ho sakta hai kamzori ki wajah se,
┣━─• Strong aadmi ko pata nahi chalega magar Strong ho yaa Weak badan (Body) ke masaamo se baareek-baareek. Tiny Particals bohot chhote se Fluid zarur nikaltey hai kyuke jab ikhattey huye to iske jism se ek Product nikla , is Product ko uski jismaani Factory ne taiyar kiya to is Factory ke kuch Affluent reh jate hai. . . . .
┬━─━─━─━─━─━─━─┬ Next-38©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'38۩■■▩═══❖
《 GUSAL-E-JANAABAT 》
┣━─• ISLIYE HAMAREY MUAASHRE me aap dekhiye Skin ki beemariya bohot thodi hai aap baahar jaa kar dekh ley har dusra - chotha banda aap ko Skin ka mareez nazar ata hai,
┣━─• Mere mehboob ( ﷺ ) ne 1400 saal pehle is baat ka hukum de diya or phir kaha ke nahana bhi hai or mal-mal ke bhi nahana hai hattaa ke ek baal ke baraabar jagah bhi reh gayi to tumhara gusal mukammal nahi samjha jayega.._
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
Next -40©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'39۩■■▩═══❖
《 GUSAL-E-JANAABAT 》
┣━─• ISLIYE HAMAREY MUAASHRE me aap dekhiye Skin ki beemariya bohot thodi hai aap baahar jaa kar dekh ley har dusra - chotha banda aap ko Skin ka mareez nazar ata hai,
┣━─• Mere mehboob ( ﷺ ) ne 1400 saal pehle is baat ka hukum de diya or phir kaha ke nahana bhi hai or mal-mal ke bhi nahana hai hattaa ke ek baal ke baraabar jagah bhi reh gayi to tumhara gusal mukammal nahi samjha jayega.._
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
Next -40©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'40۩■■▩═══❖
《 EK NOBLE PRICE WINNER KI WARZISH 》
┣━─• KIS-KIS SUNNAT KI HIKMATEN bayan ki jaye,
▪▪Me ek kitaab padh raha tha ek noble price winner tha us se interview liya gaya ke aap noble price winner kaise baney?? Kehne lage ke is ke liye me rozana aisi warzish karta hu jo dusrey nahi kartey, unhone kaha wo konse?? Kehne laga ke me Upside Down rozana 15 minutes khada rehta hu, kya matlab?? Kehne laga ke me sar (Head) niche kar leta hu or mere paaon (Legs) upar kar leta hu. Puchha gaya ke aisa kyu kartey ho?? Kehne laga ke mera dil pump hai or jab pump niche ko pani bhejta hai to niche ki manzilo me pani badi aasaani se chala jata hai or upar ki Storey par bhejta hai to Preshar Drop ho jata hai is tarha mere dimag ko wo pura blood nahi milta jo ke milna chahiye,,,,,
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
Next -41 ©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'41۩■■▩═══❖
《 EK NOBLE PRICE WINNER KI WARZISH 》
Pichhle parts se aage.....
┣━─• TUMHEY UPSIDE DOWN khade hone ki kiya zarurat thi tum kalma padh kar Musalman ban jatey to ye Exercise tumhey din me 5 martaba karni naseeb ho jati, aap dekhey sajdey me jab koi banda jata hai to uska dil upar or sar niche hota hai or thoda sa lambaa sajda karke dekhey aap ko apne chehrey (FACE) me, aankhon (EYES) me, kaanon (EARS) me Blood yu mehsoos hoga jaise Flood hokar aagaya ho
┣━─• Lambey sajdey ko shari'at ne pasand kiya hai ab hum naa kare to ye hamara marz, hum ne fayeda nahi uthaya shari'at ne to bohot saal pehle keh diya ke jo insaan raaton ko uth kar sajdey karega, lambey sajdey karega ALLAH TA'ALAA use Sulhaa ka noor ataa karega..._
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
Next-42
©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'42۩■■▩═══❖
《 AMERICAN DOCTOR KA BAYAN 》
┣━─• EK AMERICAN DOCTOR SAHAB kehte hai ke agar hum logo ko namaz ke fayedo ka pata chal jaye to koi bhi aurat namaz ko naa chhode, ye Specialist keh rahe hai Washington me beth kar, ye meri baat nahi, mene kaha wo kaise?? Kehne laga ke jab insaan sajdey me jata hai to aam haalat me to aadmi ka dil niche hota hai or sar upar hota hai khade huye bhi, bethe huye bhi or letey huye bhi teeno soorto me khoon upar pohonchta to hai magar bohot zyada Quantity nahi jati,
┣━─• Isliye ye jo insaan ka chehra (FACE) hai is me bohot chhoti-chhoti ragey maujood hai un me khoon puri tarha nahi pohonchta,
┣━─• Lihaza Skin murda si ho jati hai Lihaza aisi warzish karni zaruri hoti hai jisme dil upar sar niche taa ke khoon puri tarha gardish karey or chhoti-chhoti rago me bhi chala jaye.......
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
Next -43
©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'43۩■■▩═══❖
《 AMERICAN DOCTOR KA BAYAN 》
┣━─• SKIN KE ANDAR taazgi rahe jab sajdey me koi banda hota hai to khoon puri tarha chhoti-chhoti rago me bhi gardish kar raha hota hai, Isliye namazi aadmi jitne bhi hote hai unke chehro par khaas noor hota hai,
┣━─• Agar aurton ko pata chal jaye to wo bechaariya lotion kharidne ke liye bhagne ki bajaye din me lambe-lambe sajdey karne waaliya ban jaye,
┣━─• Aaj ka ek Doctor Washington me beth kar ye baatey kar raha hai jaha kehte hai ke Science badi Morden hogayi hai waha beth kar wo ye bata raha hai.
Kaha pohonchi baat?? Wahi pohonchi jo mere mehboob ( ﷺ ) ne 1450 saal pehle bata di thi.._
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
Next-44 ©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'44۩■■▩═══❖
《 TEZ CHALNE KI SUNNAT KE FAWAID 》
┣━─• JAPAN ME AAJ KAL KYA karte hai?? Kehte hai ke din me jo ek-do martaba jogging karte hai wo itna fayeda nahi deti iski jagah (Brisk Walk) fayeda deti hai,
┣━─• Doctors ne bhi ab salaah (Recommend) karna shuru kar diya hai. Jogging kya tha?? Pehle bhagte the ab kehte hai bhago nahi zara tez chalo,
┣━─• Mere Nabi ( ﷺ ) ki ye Sunnat thi ke AAP ( ﷺ ) jab chalte the to yu mehsoos hota tha ke koi oonchaayi se niche ki taraf utar raha hai itna tez chalte the.
●● Hadeeso me aata hai, ab aaj ke Doctor kehte hai ke jogging ke bajaye tez chalna chahiye iska zyada fayeda hai (Brisk Walk)
"SUBHAN ALLAH"
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
Next -45 ©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'45۩■■▩═══❖
《 NAMAZ EK HALKI-PHULKI WARZISH 》
┣━─• BRISK WALK SE BHI BAAT aagey aagayi Japan me kehtey hai ke Brisk Walk ka fayeda to hai lekin itna fayeda nahi, Iske bajaye insaan waqfe-waqfe se thodi-thodi Exercise karey unka maqsood kya hai, unle nazdeeq insaan ka jo Heart Beat hai uske Rate ko badha diya jaye jab Rate badh jayega dil zyada khoon ko pump karega, pure jism me khoon ki Flushing ho jayegi or agar din me 4 - 5 martaba khoon ki Flushing ho jaye to aap ko or warzish ki zarurat hi nahi,
┣━─• Lihaaza ab kiya kartey hai ke meeting me bethe huye hai 3 - 4 aadmi 1-2 ghantey meeting ke baad sab khade ho jayenge or wahi khade-khade koi hath hila raha hai, koi upar ja raha hai, koi niche ja raha hai is tarha 5 minutes Exercise ke baad sab beth jayenge or phir kaam karna shuru karenge.........
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
Next -46
©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'46۩■■▩═══❖
《 NAMAZ HALKI-PHULKI WARZISH 》
Pichhle part se aage.....
┣━─• INSAAN HAIRAAN HOTA HAI ke ek Secretary ke paas khada he letter lene ke liye wo letter type kar rahi hai jaise hi letter type hua bagair kisi hijaab ke wo apni kursi (Chair) ke paas hi Exercise karna shuru kar degi
or 2 minute Exercise karne ke baad wo phir beth kar type karna shuru kar degi,
┣━─• Ye ab unke Culture ka hissa banta ja raha hai. Mene jab unka ye amal suna to dil me kaha ke " Bajaye is Exercise karne ke agar kalma padh kar Musalman ho jatey to din me 5 waqt ki namaz inke liye ek halki-phulki Regular warzish ban jati",,,
┣━─• Ek Musalman ko ye cheez pehle se naseeb hai, Interval Regular ke sath hum namaz padh rahe hote hai ab dekho kitni halki-phulki warzish kar rahe hote hai.
"SUBHAN ALLAH"
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
Next -47
©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'47۩■■▩═══❖
《 NAMAZ KI HIKMATEY 》
┣━─• NAMAZ ME KITNI hikmatey hai?? Dekhey!! Jab insaan raat ko sota hai to iska system jo hai Slow Down ho jata hai maslan, "Me car chala raha hu mene speed par paao rakha hua hai, engine badi tezi se chal raha hai me paao pichhe hata lu engine phir bhi chalega magar kam speed par or phir ek speed par chalta rahega,
┣━─• Jab banda raat ko so jata hai to insaan ka system Slow Down ho kar ek khaas speed par
chalta rehta hai raftaar kam hogayi magar zinda rehta hai,
┣━─• Jab System bhi Slow hogaya to phir iske andar ka level bhi kam ho jata hai, Lihaza subha jab uthta hai to sugar level bhi kam hota he or Cholesterol level bhi kam hota hai,,,,,,,
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
Next -48
©ontinue Insha Allah
❖═══▩■■۩PART'48۩■■▩═══❖
《 NAMAZ KI HIKMATEY 》
Pichhle part se aage.....
┣━─• AAP DEKHEY SUBHA Ki namaz ki kitni raka'atey bataayi gayi?? 4 raka'atey , halki-phulki namaz , Koi banda kahe ke tilaawat lambi wo to khade ho kar hi kar rahe ho naa kuch or Exercise badani taur par to nahi kar rahe,
┣━─• Badani taur par aap kya kar rahe hai?? Aap 4 raka'at hi to padh rahe hai, phir din me aap ne kaam shuru kiya, nashta (Breakfast) kiya or phir dupher ka khana (Lunch) kar liya phir jab khoob lunch kar liya to farmaya ke aajao ab tumhara Cholesterol level, Sugar level bohot high ho chuka hai isliye ab tumhari tabi'at saaf kartey hai ab tumhey Zohar ki namaz 12 raka'at padhni padegi.._
┣━─• To ye Islam ki khubiya roz awwal se ehl-e-islam ko naseeb hai..
,,,Aye kaash, ke hum iski qadardaani karke apni zindgi ko amal par ley aatey to in Sunnaton ke fawayid ko ba-husn khoobi hum pa saktey they.
●●● ALLAH TA'ALA in sunnato par amal ki taufeeq ataa farmaye ●●●
AAMEEN,
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
◆ALHAMDULILLAH IKHTITAAM◆
┌──━━━•┄┅┄•━━━──╮
█ ❥═┄ʀεғεʀεηcε─┐
█ Sunnat e Nabvi or
█✍Jadeed science inkishafat
└──━━━•┄┅┄•━━━──╯
No comments:
Post a Comment