Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Monday, March 21, 2016

{ MAUT KI TAYYARI 01 SE 40 PART}


๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓  maut ki tayyari        ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆          
             –——————–
                ☆ PART— 1☆
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
             Insaani zindagi
                       Ki
                Haqeeqat
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
♣→ insaani  zindagi  hawa  me rakhe  huy  ek  chiraagh  ki   manind  hai

♣→ boodha  aadmi  chiragh  sehar  hai  to  jawaan aadmi  chiragh sham  hai

♣→jis tarah  hawa me rakha  hua  chiragh hawa ke ek  hi  jhonke ka mohtaaj  hota hai  isi tarah  insaani  zindagi bhi ek hi pal ki mohtaaj hoti  hai

♣→pal jhapak ne ki der me insaan  is jahan  se dusre jahan  pohuch  jata hai

★Zindagi kya hai tharakta hua ek nanha sa  diya

★Ek  hi  jhonka  jise aake bujha deta  hai

★Ya sar misgan gham ka tharakta hua ek aansu

★Pal jhapakna jise mitti  me mila deta hai

♣→jis  tarah  rone  wale  ki palkho  par aansu  hota hai bas  pal jhapakte hi  wo mitti me mil jata hai yahi insaani zindagi  ka mamla hai

♣→kisi aarif  ka qol hai ki duniya baghair maut  ke ek paise ke barabar bhi qeemat nahi  rakhti

�� 2, next time in sha allah

     Maut ki tayyari
              P - 11
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         
     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 2☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
   Ap saLLaLLahu aLayhi
               Wasallam
    Ki nazar me aqalmand
                    Kon              
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
♣→ chand  nojawan ap saLLaLLahu aLayhi wasaLLam ki khidmat me hazir  huy or arz kya ya RasooLuLLah SaLLaLLahu aLayhi wasaLLam insaan me sab se zada aqalmand  or samjhdar  kon  hai apne  irshad  farmaya

♣→ wo shakhsh jo maut ko kasrat se yaad karne wala ho

♣→wo shakhsh jo maut ki sab se zada tayyari karne wala ho

♣→ye  hain aqalmand log ye log duniya ki sharafat or akhirat ki buzurgi   le gay

♣→lazzat ko khatm karne wali  cheez ko yaad kiya karo sahaba  rz ne poocha allah  ke nabi lazzat ko khatm karne wali cheez kya hai apne irshad farmaya lazzat ko khatm karne wali cheez maut hai

♣→hazrat aaysha rz ne ek martaba nabi-e-akram se poocha ay allah ke nabi kya kisi ka hashr shaheedo ke sath bhi hoga ap ne irshad farmaya han unka jo apni maut ko din raat me 20 martaba yaad karta hai

♣→jis tarah koi bhi aqalmand insaan pul ke upar ghar nahi banaya karta isi tarah allah wale is duniya se dil nahi lagaya karte

♣→sayyadna hazrat siddeeqe akbar rz ne farmaya ay insaan too duniya ke saman me laga hai or duniya tujhe apne me se nikaalne me sargaram hai balke tere duniya ke ghar to bahut waseea hai chode hain kash teri  qabar marne ke baad waseea yani chodi lambi  hoti

��,3 next time in sha allah

         Maut ki tayyari
                 P - 12
    ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         
     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 3☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
          Paigham-e-fana
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
♣→ agar ham maut ko bhool bhi jay to phir bhi duniya ki har cheez  hamko paighame fana de rahi  hoti  hai

♣→ sooraj rozana nikalta hai or phir chup jata hai yani ghuroob ho jata hai or wo ghuroob hote waqt hamko paigham deta hai ke ay insaan ek din teri zindagi ka sooraj bhi aise hi  doob jayga

♣→ek darakht ka beej boya jata hai pehle ek nanha sa chota sa poda banta hai phir tan or darakht ki shakl akhtiyar karta hai or bilaakhir kat kar jala diya jata hai ya fanichar ki shakhl akhtiyar kar leta hai isi tarah darakht bhi hamko paigham de raha hota hai ke ay insaan ek din tera wajood bhi baqi nahi rahega

♣→goya jis cheez ko zindagi mil jati hai usko bata diya jata hai ke ye zindagi khatm hone ke liy mili  hai kisi ne aflatoon se poocha fala aadmi ki maut ka kya sabab bana farmaya us ki zindagi

�� 4,  Next time in sha allah

           Maut ki tayyari
                    P -13
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 4☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
       Khulafa-e-rashidin
                     Ke
              Malfoozat
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
♣→sayyadna siddeeqe akbar rz ne farmaya  har aadmi apne ahle khana yani ghar walo ke sath subah karta hai or maut  uske joote ke tasme se bhi qareeb hoti  hai

♣→ sayyadna umar farooq rz ne farmaya  ay  umar naseehat ke liy maut hi  kafi  h

♣→sayyadna hazrat usman-e-ghani rz ne farmaya ke beshak duniya ki niyamato me se tujhe islaam ki niyamat kafi hai or duniya ke mashaghil me se tere liy ita, at mashghala kafi hai or farmaya beshak ibrat hasil karne ke liy tere liy maut ki ibrat kafi  hai

�� 5,  Next time in sha allah

          Maut ki tayyari
              P - - 13-14
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         
     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 5☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
          Maut kab aaygi                  
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
♣→nabi-e-akram saLLaLLahu aLayhi WasaLLam ne apne dost ahbab se poocha maut ke bare kya jante ho

♣→ ek ne arz  kya ay Allah ta'aala ke Nabi-e - akram SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam subah uthta hun to yaqeen  nahi  hota sham aaygi  ya nahi aaygi

♣→dusre ne kaha ay Allah ta'aala ke Nabi - e - akram SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam char raka'at ki niyat bandhta hu to yaqeen nahi hota charo raka'ate mukammal bhi hogi ya nahi hogi

♣→huzure akram SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ne farmaya mera to ye haal hai jab me namaz padh raha hota hun or ek salam pherlu to yaqeen nahi hota dusri taraf salam pher sakuga ya nahi

♣→mere  dosto bhaiyo or behno  yaqinan ek pal ka bhi bharosa nahi maut to kisi waqt bhi aasakti hai

♣ → aagah apni maut se koi bashar nahi

♣ → saman so baras ka pal ki khabar nahi

�� 6,  Next time in sha allah

           Maut ki tayyari
                   P - 14
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         
     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 6☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
         Panch-5 cheezo
                ka ilm                      
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
♣→hazrat imam malik rh ne 17 saal tak madeena manwwara me dars diya ek dafa khab me apko nabi - e - akram SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ki ziyart ka sharf hasil hua apne huzure akram SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam se khab me hi poocha ay Allah ta'aala ke Nabi - e - akram SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam maut kab aaygi ap SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ne hath ki ungliyo'n ki taraf ishara kar diya imam malik rh ishara ka matlab wazeh tor par na samjh sake lihaza socha 5  din ya 5 maah ya 5 saal se muraad hogi

♣→ ibne serin rh mashhoor tabieen hai inhone ye suna to farmaya panch ungliyo'n ke ishare ka matlab sure luqmaan ki wo panch aayat hain jisme Allah ta'aala ne irshad Farmaya hai mene panch cheezo ka ilm kisi ko bhi aata nahi kiya irshade bari ta'aala��

♣→Qayamat kab aaygi barish kis waqt hogi maa ke pet se baccha peda hoga ya bacchi insaan agle din me kya karega or insaan ko kis jagah maut aaygi

Note →in panch  cheezo ka ilm Allah ta'aala ne kisi ko nahi diya hai

�� 7,  Next time in sha allah

          Maut ki tayyari
                  P - 15
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
        

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 7☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
            Maut ko yaad
            karne ke fayde                      
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
♣→tafseere qurtabi me hai ke jo shakhsh maut ko kasrat se yaad karta hai usko teen Karamat aata hoti hain

♣→ pehli  usko toba ki tofeeq naseeb hoti hai

♣→dusri ye ke usko thodi duniya hi par kana'at hasil hoti hai

♣→or teesri ye ke usko ibadat me nishaat hasil ho jata hai

♣→or ye sab cheeze usko hi hasil hogi jo maut ko kasrat se yaad karta ho

♣ → kal tujhko bhi Allah ta'aala ke samne pesh hona hai tere kiy ka phal tujhko milna hai phir kiyu ghafil hai too ay insaan kya tujhe maloom nahi ek din tujhko ye duniya ye sab kuch chodna hai Allah ta'aala hamko maut ki tayyari karne ki tofeeq ata farmay    ameen

�� 8,  Next time in sha allah

          Maut ki tayyari
              P - 15-16
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         
     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 8☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
         Duniya qedkhana
               Or jannat                    
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
♣→duniya momin ke liy qedkhana or kafir ke liy jannat hai

♣→ yani Allah ta'aala or uske Rasool par imaan lane ke baad Allah ta'aala ke ahkaam or RasooLALLaah SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ke tariqo par amal karne ka ahad karlena hai isliy jis taraf ek qedi qedkhane me apni man marzi nahi kar sakta isi tarah momin bande ko bhi duniya me apni man marzi karne ka koi akhtiyar nahi hai

♣→or dusri taraf kiyu ke kafiro ne Allah ta'aala or uske Rasool SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ki ghulami ka toq apne gale me nahi dala hota isliy unko is duniya me har qisam ki marzi ka akhtiyar hasil hai wo jo chahe kare mgar akhirat me unhe Allah ta'aala or Rasool SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam par imaan na lane or apne apko ghulami me pesh na karne ki saza hamesha hamesha  ke liy di jaygi

♣→or momin banda kiyu ke duniya me apni mansha marzi ko Allah ta'aala ki marzi me ghum kar deta hai iskiy akhirat me inki har khahish ka ahtaram kya jayga or inki mehman nawazi ki jaygi

Subhan Allah

�� 9,  Next time in sha allah

          Maut ki tayyari
                  P - 16
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 9☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
         Maut ka Aealaan
                                   
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
♣→me wo maut hun jo beti'yon or maa'on me judayi daal deti hun

♣→ me wo maut hun jo bhai'yon or behno me judayi dal deti hun

♣→me wo maut hun jo har dost me judayi dal deti hun

♣→me wo maut hun jo miya or bivi me judayi dal deti hun

♣ →me wo maut hun jo gharo or muhal'laat ko kharab kar deti hun

♣ →me wo maut hu jo Qabristaan ko aabad karti hun

♣ → me wo maut hun jo tumko talash karti hu or tumko mazboot qilo se bhi paleti hun or koi makhlooq mera zayqa chakhe bina nahi reh sakti

�� 10,  Next time in sha allah

          Maut ki tayyari
                 P - 17
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
             
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 10☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
           Maut ka zayqa
                                   
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

♣→Allah ta'aala quraan me irshad faemate hain

♣ → كُلُّ نَفْسٍ ذَآئِقَةُ ٱلْمَوْتِ ۗ

♣ →tumse se har jee ko maut  ka zayqa chakhna hai or qayamat ke din tumko poore poore badle diy jayge  bas jo shakhsh gunaah se bachcha or nek kam kiy uske liy  jannat hai  beshak  wo insaan kamyab ho gaya duniya ki zindagi to sirf  dhoke ka ghar hai

♣→ ab  zayqa 2 qisam ka hota hai (1) ya to mitha hota hai (1) ya phir  kadwa hota hai

♣→jis insaan  ne acchi zindagi  guzari hogi wo jab maut ka piyala piyga to usko mitha zayqa mehsoos  hoga

♣→or jis insaan ne ghaflat ki zindagi guzari hogi uske liy  wo piyala itna kadwa hoga ke pina mushkil ho jayga taham charo nachar use pina hoga

�� 11,  Next time in sha allah

          Maut ki tayyari
                   P -18
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                         ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 11☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
            Maut ke baad
             Baad insaan
                      Ke
             5 Panch hisse
                                   
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

♣→ek kitaab me likha hai ke maut ke baad insaan ke 5 hisse ho jate hain

♣ →(1) ek  rooh  hai usko malakul maut le kar chala jata hai

♣→(2) dusra insaan ka jism jisko keede makode kha jate hain

♣→(3) insaan ka maal hai jo uske waris  le jate hain

♣→(4) insaan ki hadya hain jinko mitti kha jati hai

♣ → (5) insaan ki nekiya hain jo uske haqdar qarazdar le jate hain

♣ →lihaza ham kiyu gheebat or dusri aisi baton ke zary apni nekiya zay karte hain hadees paak me aaya hai jis tarah aag lakdiyon ko kha jati hai isi tarah hasad nekiyo ko kha jata hai

♣ → isi tarah jab insaan kisi ki gheebat karta hai to jiski gheebat ho rahi ho uske gunaah dhal rahe hote hain or jo gheebat kar raha hai uske sar par wo gunaah pad rahe hote hain dar asal ham apne kisi Mukhalif ki gheebat nahi karte balke apne Mukhalif ko apni nekiya de rahe  hote hain

�� 12,  Next time in sha allah

           Maut ki tayyari
                P -18-19
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            ๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 12☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
            Hazrat ali  rz
                    Ka
           Zindo or murdo        
              Se  khitaab                                  
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

♣→ye mamla to insaan ke sath hoga magar kya maloom hai ke uske bivi bacche or maal asbab kis khate me jate hain wo iske kisi kaam aate hain ya nahi

♣ →ek martaba hazrat ali rz Qabristaan me tashreef le gay or wahan buland awaaz se kaha ay pewand khak ho jane wale logo tumhare maal taqseem ho chuke hain tumhare gharo me riha'ish rakhli gayi hai tumhari biviyon ne phir se shadiyan karli hain or tumhari awlad roz ba'roz muh pherti ja rahi hai hazrat ali rz ka ye to murdo ko khitaab tha

♣→bukhari shareef me hai ke ek dafa zindo se bhi yun farmane  lage duniya din ba'din muh pherti ja rahi hai or aakhirat roz ba'roz qareeb aati ja rahi hai or duniya or Aakhirat me se har ek ki mustaqbil awlad hai tum duniya ki awlad na bano balke aakhirat ki awlad bano aaj  ke din  amal karlo magar hisaab na hoga or kal ke din hisaab hoga magar amal ki mohlat bhi na milegi

�� 13,  Next time in sha allah

           Maut ki tayyari
                  P - 19
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         
๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 13☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
            Duniya watan
              Iqamat hai
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

♣→mere doston ham pardesi hain ye duniya hamara asal watan nahi hai watan asal to jannat hai or ye duniya to watan iqamat hai kuch muddat ke liy ham yahan there huy hain  or aazmay ja rahe hain

♣ →ham sab musafir hain or ye safar har waqt jari hai ham sote ho ya jaagte ho hame ahsas ho ya na ho sardi ho ya gharmi ho bahar ho khiza ho ham khade ho ya bethe ho watan me ho ya watan se door  ho hamara safar har waqt jari hai

♣→ham rozana apni maut ke qareeb se qareeb hote ja rage hain afsos ke ye insaan lambi ummeede'n bandta hai jab ke maut iske qareeb khadi ho kar Muskura rahi hoti hai or hamari aqal par aisa parda pada hota hai  ke ham maut ko bilkul hi bhool jate hain jab ki hamko maloom bhi hai ki ek na ek din har insaan ko ye duniya chodni hai ye sab kuch chod jana hai

�� 14,  Next time in sha allah

          Maut ki tayyari
                  P - 20
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            ๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 14☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
       Panch tarik'yon ke
                    Liy
            Panch chiragh
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

♣→Allah ta'aala ki nafarmani karne wale tarik'yon ke gadhe me hote hain Allah ta'aala ne inse nikalne ki rahe bhi banayi hain

♣ →sayyadna Hazrat siddeeq-e-akbar rz ne irshad farmaya yani panch qisam ki tarik'yan hain or unke liy panch qisam ke chiragh hain

♣→{1} duniya ki muhabbat ek tariki hai or taqwa or parhezgari iska chiragh hai

♣ → {2} ghunaah ek tariki hai or toba iska chiragh hai

♣ → {3} qabar ek tariki hai iska chiragh kalma hai

♣ → {4} aakhirat ek tariki hai or iska chiragh nek aamal hai

♣ → {5} pulsaraat ek tariki hai or uska chiragh yaqeen hai

♣ → agar in panch tarik'yon ke liy chiragh ka bandobast nahi kiya gaya to phir aakhirat ki sari zindagi tarik ho jaygi

�� 15,  Next time in sha allah

         Maut ki tayyari
              P - 20-21
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
           ๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 15☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
       Duniya ki be'sabati
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

★→kitne hi log the jinhone hamse pehle in deso or bastiyon ko aabad kiya aaj wo duniya me mojood nahi hain

★ →koi aata hai koi jata hai mehfil ka hai rang wahi

★ → saqi ki nawazish jari hai mehman badalte rehte hain

★ →aaj ham dharti par mehmaan hain kal nay chehre honge kidhar gay wo log aaj inka tazkira karu me tazkira  baqi nahi raha bade maghroor takabbur me zindagi ghuzaar ne wale  qabro ke andar dabe pade hain or hawa in qabro ki mitti uda rahi hai kese be'daagh chere the jo aaj duniya me mojood nahi hai ye nizaam hai qudrat ka jo duniya me aaya usko ek din jana padta hai

★ → Allah ta'aala ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se farmaya hamne kisi insaan ke liy yahan hamesha rehna to nahi likha yaqinan ye duniya hamesha to nahi rahegi yahan ki har cheez fana ke daagh se daaghdar hai

★ → na ye jawaani hamesha rahegi na budhapa hamesha rahega na ye gham hamesha rahega na ye khushi hamesha rahegi

★ → mere doston jab yahan ki har cheez fana hone wali hai phir kiyu is duniyan se dil lagat huy ho hame chahiye ke apne aakhirat wale ghar ko banay ham duniya se dil lagayge to apna hi nuqsaan kar ke jayge yaad rakho jo insaan duniya se dil lagayega ek din usko duniya se juda kar diya jayga or jo insaan Allah ta'aala se dil lagayega ek din usko zaroor mila diya jayga

★ → jagah jee lagane ki duniya nahi hai

★ → ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

�� 16,  Next time in Sha Allah

          Maut ki tayyari
               P - 21-22
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            ๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 16☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
             Jahannam
                  ke liy
                Mehnat
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

★→ek buzurg farmaya karte the ke jitni Mehnat se log jahannam kharidte hain usse aadhi Mehnat se to jannat mila karti hai

★ →or ye baat haqiqat hai ham badi Mehnat se jahannam kharidte hain

★ → maslan   chori karna kitna bada ghunaah hai log iske liy takleef bardasht karte hain raaton ko jaagte hain din ka sakoon luta dete hain tab ja kar chori jese ghunaah karte hain

★ →kash itni  Mehnat hamne apne deen ke liy ki hoti  raaton ko jage hote Allah ta'aala ke  liy Allah ta'aala ham sab ko sahi samjh ata farmay
                Aameen

★ → Allah ta'aala ham sab ke dil me deen ki pakki sacchi muhabbat ko peda karde or ham sab ki ghunaaho se hifazat farmay   Aameen

�� 17,  Next time in sha allah

         Maut ki tayyari
                P - 22
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            ๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 17☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
             Allah ta'aala
                     Se
                   Haya
          Karne  ka tariqa
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

♣→hazrat Aayesha siddeeqa rz se Riwayat hai ke ek martaba huzure akram SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam member par tashreef farma the sahaba-e-Kiraam saamne halqe ki shakal me mojood the ap SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ne farmaya logon  tum Allah ta'aala se aisi sharm kiya karo jese Allah ta'aala se sharm karne ka haqq hai  sahaba-e-Kiraam ne arz kiya ay Allah ta'aala ke Nabi - e - akram SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam Allah ta'aala se to ham haya karte hain

♣ →ap SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ne farmaaya tumme se jo shakhsh Allah ta'aala se haya kare uske liy zaroori hai ke us par koi raat aisi na ghuzre jis me uski maut uski aankho ke samne na ho

♣ →uske liy zarori hai apne pet ki hifazat kare or us cheez ki bhi hifazat kare jisko uske pet ne gher rakha hai or apne sar ki bhi hifazat kare or us cheez ki bhi hifazat kare jis ko uske sar ne gher rakha hai

♣ →uske  liy zarori hai maut ko yaad rakhe or us baat ko yaad rakhe ke marne ke baad sara jism shakista ho kar khak ho jayga

♣ → uske liy zarori hai duniya ki zeenat ko chod de

�� 18,  Next time in sha allah

            Maut ki tayyari
                P - 22-23
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            Maut ki tayyari
                    P--22
          Ulama e deoband
                   Group
            Male and female
       ��+91-7037363325
          ▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁

        Forward to all Muslim      
       ▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
       ▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
                 Talibe dua
     Muhammad babar  rashidi
      ■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■

๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 18☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
             Allah ta'aala
                     Se
                   Haya
          Karne  ka tariqa
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

★→Ulama ne likha hai sar ki hifazat ka matlab ye hai ke Allah Ta’laa ke alawa kisi or ke samne na jhuke na ibadat ke liy na tazeem ke liy hatta ke jhuk kar salam bhi na kare or jin cheezon ko sarne gher rakha hai iska matlab yani aankh kaan zabaan ki hifazat kare ye sab cheeze sar ke tehat me dakhil hain in sab ki hifazat kare

★→isi tarah pet ki hifazat  ka matlab ye hai ke mushtabah maal se pet ki hifazat haram maal se hifazat kare  kare or jis cheez ko pet ne gher rakha hai isse muraad wo cheezen hain jo pet ke qareeb hain jese sharamgah hath pao or  dil ke in sab ki hifazat kare imaam navvi rh farmate hain ke is hadees ko kasrat se padhna mustahab hai

�� 19,  Next time in sha allah
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            Maut ki tayyari
                    P--22
       
          ▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁

        Forward to all Muslim      
       ▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
       ▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
                 Talibe dua
     Muhammad babar  rashidi
      ■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■

๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 19☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
       Ye baat yaad rakho
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

♣→ye baat zehan nashee karle maut barhaqq hai magar kafan ke milne me shak hai koi nahi janta kis haal me maut aaygi kahan  aayi  kis jagah maut aaygi mere ghar me aaygi ya bahar aaygi mere mulk me aaygi ya pardes me aaygi

♣ →kayi martaba akhbaraat me padha ilaqe ke bade muazzam aadmi ko pardes me aisi jagah maut aayi ke logo ne usko lawaris samjh kar dafn kar diya or is waqt us par rone wali ek aankh bhi nahi thi

♣ → akhbaraat me roz is tarah ki bahut si khabre milti hain Allah ta'aala ham sab ki aaisi maut se hifazat farmay or ham sab ka khatma imaan par ho izzat ki maut Allah ta'aala ham sab ko naseeb farmay Aameen

�� 20,  Next time in sha allah
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            Maut ki tayyari
                    P--22
       
          ▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁

        Forward to all Muslim      
       ▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
       ▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
                 Talibe dua
     Muhammad babar  rashidi
      ■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■

๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 20☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
           Ek zimidaar ka
               Ibrat naak
                  Waqiya
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

★→sarghoda ke -  ek aadmi ko dushmano ne qatl kar ke darya-e-jahallum me dal diya wo darya ke pani se ghuzarta hua nehar me aagaya is ki lash kharab ho gayi ek roz usko police walo ne nikaal kar ek basti walo ke hawale kar diya ke ye ek musalman ki mayyat hai isko dafna do loudspeaker khula or aylaan hua ke be'waris mayyat hai  iske kafan ke liy sab hazrat chanda kare ba'aad me pata chala uski do biviyan thi char beton ka baap tha or 15 murabba zameen ka malik tha itne bade zimidaar ko chande ka kafan pehnaya gaya

★ → is duniyan me bahut bade bade badsha aay bahut bade bade maaldar magar ye apna maal or ma'taa aage na Le-ja sake yahan takke jab inki qabar banayi gayi to qabar me niche qaleen bhi na bichaya gaya koi makhmal ka tukda bhi na rakha gaya wahan koi roshni ka bandobast bhi na kiya gaya mayyat ke qad ke hisaab se qabr ki pemaish ki jati hai

★ → do gaz zameen ka tukda chota sa tera ghar hai

�� 21,  Next time in sha allah
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            Maut ki tayyari
                    P--22
       
          ▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁

        Forward to all Muslim      
       ▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
       ▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
                 Talibe dua
     Muhammad babar  rashidi
      ■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■
๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 21☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
        Ibrat ke nishanaat
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
★→ye aalishaan mehlaat or makaanat me zindagi guzaarne wala insaan aainda ek aise ghar ki taraf ja raha hota hai jahan ye letega to uthakar beth nahi sakega iski qabar iske liy isi soorat me jannat ka baagh banegi jab isne qabar ki tayyari ki hogi qabar hamare liy ibrat ka ek maqaam hai ek aarif kaha karte the ay dost qabar par ghor karo or dekho kese kese haseen mitti me mil gay hain kitne be-daagh chehre the naaz-o-niyamat me pale log the jo duniya me apni man marzi ki zindagi ghuzaarte the jo aish-o-aaram ki zindagi guzaarte the jo mehal ke andar zaafrni muskurahate bakhairte the or log inke chere ko dekhte reh jate the lekin maut ne inko mitti me mila diya

★ → keedo'n ne inke ghosht ko khaliya aaj inki had'diya'n bosida padi hain  yani tuti photi padi huyi hain aaj agar inki qabar khod kar dekhi jay to ibrat ke nishanaat bane huy hain

★→kaha'n gay inke wo libaas jo pehna karte the

★→kha'n gayi inki wo
cheeze jinko saaf kar ke samet kar  rakha karte the

★→ kha'n gay inke wo mamlaat jinke liy jaan diya karte the

★→wo karobar na raha wo maal na raha wo dost-o-ahbab na rahe sab cheeze yahin chod kar ye akele is duniya se agle safar par rawana ho gay

�� 22,  Next time in Shaa Allah
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            Maut ki tayyari
                    P--25
       
          ▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁

        Forward to all Muslim      
       ▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
       ▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
                 Talibe dua
     Muhammad babar  rashidi
      ■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■

๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 22☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
        Ibrat ke nishanaat
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
★→ek nojawaan kisi ko ghar ke halat or walid ki bimaari batate huy kehne laga mere walid sahab marte marte bache hain kisi buzurg ne ye baat suni to farmaya azeezam  tere walid sahab ek din bachte bachte hi mar jayge jab anjaam maut hi hai to kiyu  na aakhirat ke liy Tayyar rahe aakhirat ki tayyari kare

★ → huzure akram SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne irshaad farmaya duniya me aaise raho jese koi musaafir rehta hai ya rasta chalne wala musafir hota hai

★ → nahi aaya wo jo chala gaya

★ → na saghir raha or na saqi raha

★→ na poocha meri intehan maut hai

★→me wo muj'rim hun jis ki saza maut hai

�� 23,  Next time in Shaa Allah
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            Maut ki tayyari
                    P--26
       
          ▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁

        Forward to all Muslim      
       ▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
       ▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
                 Talibe dua
     Muhammad babar  rashidi
      ■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■
๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 23☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
         Ibrat ka samaan
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
★→ek  buzurg ne kisi Qabristaan me muraqba kiya kisi ne poocha hazrat apne Qabristaan walo ko kis haal me paya

★ → farmaya unko apni aqal'liyat par itni hasrat hai ke agar unki ye hasrat logo'n par taqseem kare to sab pagal ho jayge

★ → mere dosto'n jume ke din Qabristaan me jana masnoon hai is ki wajah ye hai ke insaan wahan ja kar is  shehar khamosh se ibrat hasil kare

★ →ay khoobsoorat libaas ke harees kafan ko na bhool

★→ ay mehlo'n ke shedayi qabar ke gadhe ko na bhool

★→ay umda ghiza khane wale keedo ki ghiza banna na bhool

★→ay imaan ki dolat se ghaflat baratne wale maut ke waqt ki muflisi ko na bhool

�� 24,  Next time in Shaa Allah
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            Maut ki tayyari
                    P--26
       
          ▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁

        Forward to all Muslim      
       ▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
       ▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
                 Talibe dua
     Muhammad babar  rashidi
      ■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■
๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 24☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
          Ek badshah ki
                 Aankh
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
★→ek kitaab me likha hai ke ek aadmi apne makaan ke bare me betha hua apne bhai se jhagda kar  raha tha ke ye mera makaan hai to Allah ta'aala ne inki hidayat ke liy ek waqiya ro'numa kar diya makaan ki diwaar me ek inth lagi hui thi usme se awaaz aane lag'gayi ay meri malkiyat pe jhagda karne walo'n tum mujhse kiyu nahi poochte ke me kon hun wo pehle to ghabray phir unme se ek ne kaha batao tum kon ho wo inth kehne lagi me ek badshah ki aankh thi wo badshah ek mulk ka hakim tha or duniya me isne bade aysh-o-aaram ki zindagi guzaari thi jab iski maut aayi to isko qabar me dafnaya gaya or usko keedo ne khaliya or wo mitti ban gaya wo kehne lagi me mitti ke wo zarrat hun jo kisi dor me us badshah ki aankh thi in aankho se wo ghero'n ko muhabbat ki nigaah se  dekha karta tha meri halat to dekho Aaj mitti bani hui hun or makaan ke andar lagi hui hun tum bhi isi tarah ek din mitti bane huy pade honge

★ → mere dosto'n ham me se har ek ko maut ki tayyari karni hai isliy ke jo din Allah ta'aala ki raza ke baghair guzar gaya wo hamare sar ke upar bojh hai

�� 25,  Next time in Shaa Allah
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            Maut ki tayyari
                    P--27
       
          ▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁

        Forward to all Muslim      
       ▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
       ▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
                 Talibe dua
     Muhammad babar  rashidi
      ■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■
๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 25☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
        Ek naseehat aamoz
                Hikaayat    
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
★→ek aadmi ne apne liy ek khoobsoorat mehal banwaya dosto'n ne mashwara diya ki tum iske liy shandaar dawat ka ahtamam karo chunache isne aisa hi kya shehar ke logo'n ko bulwaya or  apne mehal me ek takht bichwaya wo taaj pehan kar us takht par beth gaya itne me darwaze par dastak hui isne apne khadim ko bheja pata karo kon hai jab khadim ne darwaza khol kar dekha to usko ek boodha sa aadmi nazar aaya or usne kaha jao apne malik ko batado ke malakul-maut aay hain ye hairaan pareshaan bhaga bhaga wapas aaya or aakar kaha ke malakul-maut aay hain or wo darwaza khatkhata rahe hain isne suna to uske pasine chuth gay isne khadim se kaha usko wahi se kuch de kar farigh kardo abhi ye baat kar hi raha tha ke kya dekhta hai ke wo boodha qareeb pohuch chuka tha ab boodhe ne usko ghoora or kaha too bahane banata hai ke mujhe wapas bhejega me apne waqt par aata hun or jab aata hun me rooh qabz kiy baghir nahi jata me insaan ke sine pe panja ghaadta hun or me uski rooh ko qabz kar leta hun or jab me iski rooh qabz karta hun to baqi roona shuru kar dete hain me makaan ke kone me khada ho kar kehta hun ay rone walo'n tum is mayyat par ro rahe ho mujhe to abhi phir yahan aana hai or tumme se jitne zinda hain itni martaba aa ' aa kar rooho'n ko le kar jana hai agar wo awaaz rone wale sunle to rona chod de or apni apni fikr me lag jay

★ → Allah ta'aala ham sab ko maut se pehle maut ki tayyari karne ki tofeeq ata farmay  or ham sab ka khatma imaan par ho

                   Aameen

�� Maut ki tayyari
              P--28

�� 26,  Next time in Shaa Allah
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       
       
          ▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁

        Forward to all Muslim      
       ▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
       ▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
                 Talibe dua
     Muhammad babar  rashidi
      ■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■

๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 26☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
                Be gharz
               Muhabbat        
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
★→Aaj insaan kehta hai meri bivi mere bacche mera makaan meri dukaan meri tijaarat mera falan or kal ko pata chalega ke mera to kuch bhi nahi tha ye to udhaar ka maal tha jo Allah ta'aala ne mujhe kuch arse saal de kar wapas le liya

★→koi bhi apna nahi hai     han agar apna hai to Allah ta'aala hain or wo aisi zaat hai ke jo insaan ke saath baghair kisi matlab ke muhabbat karne wali hai

★ → hatta ke maa baap ke dil me bhi koi na koi baat hoti hai ke budhape me beta kaam aayga agar be'gharz ta'alluq hai to faqat Allah ta'aala ka apne bando ke sath hai

★ → isliy bande ko chahiye wo bhi Allah ta'aala se dil  lagay or isi ko manay kiyu ke ek na ek din Allah ta'aala ke pas ham sab ko zaroor jana hai

�� 27,  Next time in Shaa Allah
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            Maut ki tayyari
                    P--28
       
          ▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁

        Forward to all Muslim      
       ▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
       ▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
                 Talibe dua
     Muhammad babar  rashidi
      ■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■
๏ ¤ ๏

     ╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
     ▓      maut ki tayyari      ▓
     ╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯

     
                   ◆  بسم الله الرحمن الرحيم ◆        
           –——————–
             ☆ PART— 27☆
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
            Malakul'maut
                     Ke
                  Qasid        
          ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
 
★→huzure akram SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ne ek martaba malakul'maut se farmaya ke malakul - maut too apne aane se pehle koi paigham bhej diya kar malakul - maut ne arz kiya ay Allah ta'aala ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam  qasid to bahut bheje jate hain par log to inke paigham ko sunte hi nahi

★→ap SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ne poocha kon se

★→ farmaya ay Allah ta'aala ke Nabi dant ka toot jana bhi paigham hai

★ → insaan ke baal ka safaid ho jana bhi paigham hai

★→ binayi ka kamzor ho jana bhi paigham hai ye sab paigham hi to hain

★ → dosto'n hamara time guzar raha hai hamari kheti pak rahi hai or jab kheti pak jati hai to zara danti chahti hai isko kaata jata hai or jab ye kheti pak jati hai to Allah ta'aala isko kaat lete hain

�� 28,  Next time in Shaa Allah

�� Maut ki tayyari P - 29 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         
           Ahle  deoband
                   Group
         
       ��+91-7037363325
          ▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁

        Forward to all Muslim      
       ▁▁▁▁▁▁▁▂ ▂▁▁▁▁▁▁▁
       ▔▔▔▔▔▔▔▔ ▔▔▔▔▔▔▔▔
                 Talibe dua
     Muhammad babar  rashidi
      ■◣◢■◤◥■◣◢■◤◥■◣◢■

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                            
               ⚀maut ki tayyari⚀
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       ━═─────────────────═━
Allah ta'aala maut kiyu dete hain
        ━═─────────────────═━
                 ⊙ PART -28 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★→ek martaba hazrat mosa as ne Allah ta'aala se poocha Allah ta'aala Aap logon ko peda kar ke marte kiyu hain

★→Allah ta'aala ne irshaad farmaya zameen me kheti karo hazrat mosa as ne khet me anaj ghandum ki fasal laga di

★→kuch arse ke baad fasal pak kar tayyar ho gayi hazrat mosa as ne jab dekha fasal pak gayi hai to usko katne ki fikr ki

★→chunache fasal kaat di gayi anaaj or bhoosa alag kar diya gaya Allah ta'aala ne poocha ay mere pyare mosa as tone  ghandum ko kaat kar bhoosa or dane alag alag kiyun kar diy

★→arz kya ay mere parvardigaar  fasal pak chuki thi isliy kaat di hai phir Allah ta'aala ne farmaya ay mosa me bhi yahi karta hun jab logon ki zindagi ki fasal pak kar tayyar ho jati hai to me kaat deta hun or dane ke manind logon ko jannat me dakhil kar deta hun or bhoose ke manind logon ko jahannam ne dakhil kar deta hun

     (pαʀт ⇨29)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

          ��Maut ki tayyari
                    P /30/

            Ahle deoband Group
                         ↓ Join↓
           ��91 - 7037363325
         Muhammad babar rashidi 
         ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                            
               ⚀maut ki tayyari⚀
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       ━═─────────────────═━
Maut ke waqt pardon ka khulna
        ━═─────────────────═━
                 ⊙ PART -29 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★→mere doston duniya ka gham aarzi hai or duniya ki khushiyan bhi aarzi hain Aaj Aap apne ird gird nazar dodakar dekhe halaat pooch kar dekhe to Aap ko har insaan kisi na kisi darje me pareshaan nazar aayga

★→koi karobar ki wajah se pareshan

★→koi apni sehat ki wajah se pareshan

★→koi apni awlad ki wajah se pareshan

★→koi nokri ki wajah se pareshan

★→koi makaan ki wajah se pareshan

★→koi miya bivi ke jhagdon ki wajah se pareshan

★→koi apni awlad ki sasuraal ki wajah se pareshan

★→koi padosiyon ki wajah se pareshan

★→koi apne rishtedaaron ki wahah se pareshan

★→aakhir aaisa kiyu hai iski wajah kya hai ke Aaj hamari zindagi me aakhirat ki fikar koi nahi hai jiski wajah se pareshani'yan musladhar barish ki tarah aarahi hain

★→is duniyan me koi bhi insaan begham nahi hai agar koi hai to phir wo bani aadam hi nahi hai

★→Aaj to ham kehte hain hame bahut zada pareshani'yan thi or aakhirat ki pareshani'yan bhoole huy hain magar jab zaahir ki aankh band hogi to phir hamari aankhon se parde hatege ke ham kis tarah ki zindagi basar karte rahe

★→yaad rakhe maut ke waqt shetaan murda maa baap ya dost ki shakal me aakar insaan ko bad'deen hone ki dawat deta hai is fitne se Allah ta'aala ki rehmat ke baghir koi nahi bach sakta hazrat ka'ab ahbaar rz farmaya karte the ke jis shakhsh ne maut ko pehchan liya uspar duniya ki museebaten or fikre sab aasaan ho gayi

★→Allah hu akbar

     (pαʀт ⇨30)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

          ��Maut ki tayyari
                    P /30-31/

            Ahle deoband Group
                         ↓ Join↓
           ��91 - 7037363325
         Muhammad babar rashidi 
         ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                            
               ⚀maut ki tayyari⚀
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       ━═─────────────────═━
Aalame naza me sahaba Rz ke saath narmi
        ━═─────────────────═━
                 ⊙ PART -30 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★→nabi - e - akram SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ke ek sahabi rz bimaar the Aap Sallallahu Alaihivasallam ayaadat ke liy tashreef le gay

★→abhi Aap Sallallahu Alaihivasallam wahan pohche hi the ki malakul maut aagay

★→nabi - e - akram SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ne dekha ke malakul - maut ne apni ungli inke seene ke upar rakhi or in sahabi rz ki rooh qabz karli

★→ap SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ne malakul maut se farmaya zara aasani karna malakul maut ne arz kiya ay Allah ta'aala ke mehboob SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam mujhe Allah ta'aala ne pehle hi hukm diya hai ke mere mehboob ke har sahabi rz ki rooh ko tone aasani ke sath qabz karna hai isliy mene ek ungli se ap SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ke is ghulam ki rooh qabz ki hai

★→agar kisi or ki rooh ko qabz karta to uske seene ke andar apna panja ghad diya karta hun

     (pαʀт ⇨31)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

          ��Maut ki tayyari
                    P /30/

            Ahle deoband Group
                         ↓ Join↓
           ��91 - 7037363325
         Muhammad babar rashidi 
         ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                            
                         
            ____________________
           [■□maut ki tayyari□■]           
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
      
       ━─────────────────━
       Naza ke waqt ki takleef              
       ━─────────────────━
                 ⊙ PART -31 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★→hadees paak me hain agar Jaanwaro ko apni maut ka tumhari Tarah ilm hota to tumko koi mota janwar khane ko nahi milta

★→ghor kijy agar kisi ki ungli kat jay to kitna dard hota hai is hisse me se rooh nikal kar baqiya jism me simat gayi ab agar is ungli me se rooh nikalne ki itni takleef hoti hai or jab poore jism ki rooh nikal rahi hoti hai tab kya Aalam hota hoga

★→ek misaal de kar samjhaya gaya hai agar kanto wali ek tehni insaan ke jism me dakhil karde or ek dam se usko kheechLe to jese poore jism me kante chubhe hain or uski takleef mehsoos hoti hai isi tarah maut ke waqt insaan ko takleef mehsoos hoti hai

★→dusri misaal de kar farmaya maut ke waqt insaan ko itni takleef hoti hai jese zinda bakri ki khaal kheenchi ja rahi ho

★→hazrat Ali rz jab khutba dete to us waqt mujahideen se farmate ay mujahid Allah ta'aala ke raste me shaheed ho jaoge to tumhe bilkul takleef nahi hogi or agar ghar jaa kar maroge to tumko qechi'yon se katarne se zada takleef hogi ba'aaz oqaat farmate the degh me bhoon dene se zada tumhe takleef hogi

★ → isliy farmaya murdon ko bura na kaho kiyu ke wo apni jaza ya saza ko pohuch chuke hain isse maloom ye hua ke maut ki takleef bahut zada hoti hai

★→balke ap huzure akram SaLLaLLahu aLayhi WasaLLam ne maut ke bare me farmaya

★←والله لو تعلمون ما اعلم لضحكتم و لبكيتم كثيرا ولا تلذذتم
بالنساءالفر شات

★→ khuda ki qasam jo kuch me jaanta hun agar tum jaante to tum kam haste zada rote or bistaron par apni aurton se lutf andoz na hote yani tum apni bivi ke sath sohbat nahi kar pate

★→Allah hu akbar
Allah ta'aala ham sabki maut ki sakhti  se bachay Aameen

     (pαʀт ⇨32)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

          ��Maut ki tayyari
                    P /32-33/

            Ahle deoband Group
                         ↓ Join↓
           ��91 - 7037363325
         Muhammad babar rashidi 
         ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                            
                         
            ____________________
           [■□maut ki tayyari□■]           
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
      
       ━─────────────────━
                  Maut ki sakhti              
       ━─────────────────━
                 ⊙ PART -32 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★→hazrat sufyaan sori rh farmate hain jab malakul maut dil ki rag ko chute hain us waqt Aadmi logon ko pehchaan nahi sakta zabaan bhi band ho jati hai or duniya ki sab cheeze bhool jata hai us waqt itni shadeed takleef hoti hai ke agar us waqt  maut ka nasha sawar na hoto qareeb bethne walon par talwaar chalane lag jay

★→Allah hu akbar
Allah ta'aala ham sabki maut ki sakhti  se bachay Aameen

     (pαʀт ⇨33)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

          ��Maut ki tayyari
                    P /33/

            Ahle deoband Group
                         ↓ Join↓
           ��91 - 7037363325
         Muhammad babar rashidi 
         ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                            
                         
            ____________________
           [■□maut ki tayyari□■]           
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
      
       ━─────────────────━
                 Maut ki kefiyat              
       ━─────────────────━
                 ⊙ PART -33 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★→hazrat umar bin aas rh apni mehfilon me aksar kaha karte the  ke maloom nahi marne wale apne aakhri waqt ki kefiyat bayan kiyu nahi karte

★→jab in par rooh nikalne ka Aalam tari hua to bete ne kaha abba jaan Ab Aaphi apni kefiyat bayan karden

★→apne farmaya beta aisa mehsoos hota hai ke mera jism Aag ke takhte par hai sooyi ke nake se sans aarahi hai or ohad pahad mere seene par rakh diya gaya hai

★→Allah hu akbar
Allah ta'aala ham sabki maut ki sakhti  se hifazat farmay  Aameen

     (pαʀт ⇨34)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

          ��Maut ki tayyari
                    P /33/

            Ahle deoband Group
                         ↓ Join↓
           ��91 - 7037363325
         Muhammad babar rashidi 
         ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                            
                         
            ____________________
           [■□maut ki tayyari□■]           
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
      
       ━─────────────────━
          Namazi Aadmi ke liy
            Kalma tayyaba ki
                     Talqeen                    
       ━─────────────────━
                 ⊙ PART -34 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★→ek riwayat me aata hai ke malakul - maut namazon ke waqt me Aadmiyon par nazar rakhte hain

★→jo Aadmi waqt par namaz padhne ka ahtamam karte hain unko uski wafaat ke waqt khud hi kalma tayyaba ki talqeen karte hain or shetaan ko uske pass se hata dete hain

★→Ab Aap sab khud hi batay ham me se kon hai jo ye nahi chahta ke hame malakul maut---muat ke waqt kalma tayyaba ki talqeen na kare

★→Allah hu akbar
Allah ta'aala ham sabko maut ke waqt kalma tayyaba naseeb farmay
              Aameen

     (pαʀт ⇨35)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

          ��Maut ki tayyari
                    P /34/

            Ahle deoband Group
                         ↓ Join↓
           ��91 - 7037363325
         Muhammad babar rashidi
      
         Plz forward to all Muslim
         ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                            
                         
            ____________________
           [■□maut ki tayyari□■]           
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
      
       ━─────────────────━
          Ek sharabi ki maut
        ━─────────────────━
                 ⊙ PART -35 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★→jo log apni bad'aamaliyon se Allah ta'aala ko naraz kar lete hain or poori zindagi Allah ta'aala ki nafarmani me dhut rehte hai inki maut bhi isi haal me hoti hai

★→inke aakhir lamhaat me inki zabaan par wahi kuch hota hai jo inke dilo me bhara hota hai

★→basra me ek buzurg the wo kehte hain ke ek shaksh jab marne laga log usko kalma tayyaba ki talqeen karne lage Lekin iski zabaan se nikaal raha tha

★→sharab ka gilaas too bhi pee mujhe bhi pila too bhi pee mujhe bhi pila  Astaghfirullah Allah ta'aala ham sab ki hifazat Farmaye
                      Aameen

     (pαʀт ⇨36)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

          ��Maut ki tayyari
                    P /34/

            Ahle deoband Group
                         ↓ Join↓
           ��91 - 7037363325
         Muhammad babar rashidi
      
         Plz forward to all Muslim
         ━═─────────────────═━

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                           
                         
            ____________________
           [■□maut ki tayyari□■]          
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
     
       ━─────────────────━
             Ek ghafiL ki maut
                  Ka manzar
       ━─────────────────━
                 ⊙ PART -36 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★→ek shakhs ka jab inteqaal hone laga log usko kalma padhne ki talqeen kar rahe the

★→ magar wo kisi cheez ke bechne ka kam karta tha karobar karta tha or namaz ki parwaah nahi karta tha

★→isliy wo jawab me kehne laga das das rupy giyara giyara rupy bara bara rupy

               Astaghfirullah

★→Allah ta'aala ham sako bajamat namaz padhne ki tofeeq Ata farmaay or marte waqt kalma tayyaba naseeb farmaay  Aameen

����Aaj tak ke sabhi  part��
★ → http://apkemasailorunkahal.blogspot.in/2015/02/maut-ki-tayyari.html?m=1

     (pαʀт ⇨37)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

          ��Maut ki tayyari
                    P /34/

            Ahle deoband Group
                         ↓ Join↓
           ��91 - 7037363325
         Muhammad babar rashidi
     
         Plz forward to all Muslim
         ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                           
                         
            ____________________
           [■□maut ki tayyari□■]          
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
     
       ━─────────────────━
             SaFar aakhirat ki
                           Ki      
                    ManziLen
       ━─────────────────━
                 ⊙ PART -37 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★→mere doston aakhirat ke safar ki panch 5 manziLen hain
     
            ★ PehLi manziL★

★→ pehLi manziL sakraat ki manziL hai marne se pehLe jab insaan ki sans ukhad jaati hai us waqt ko sakraat ya nazaa kehte hain

★→ye kefiyat Tari hone se PehLe pehLe insaan ke liy toba ka darwaaza khula rehta hai is waqt nek Aadmi ke istaqbaal ke liy jannat se farishte Aate hain

             
★→or jab ghunaahgar Aadmi ki maut ka waqt aata hai to us waqt jahannam se farishte aate hain unke pass jahannam ke hathode hote hain iski rooh ko qabz karte huy farishte bad'bu ki wahah se naak par parda rakhLete hain nabi-e-kareem Sallallahu ALayhi wasaLLam ne kar ke dikhaya hai

★→ Allah ta'aala ham sabko ghunaaho se bachne ki tofeeq Ata farmaay
                   Aameen
           
     (pαʀт ⇨38)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

          ��Maut ki tayyari
                    P /35/

            Ahle deoband Group
                         ↓ Join↓
           ��91 - 7037363325
         Muhammad babar rashidi
     
         Plz forward to all Muslim
         ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                           
                         
            ____________________
           [■□maut ki tayyari□■]          
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
     
       ━─────────────────━
             SaFar aakhirat ki
                           Ki      
                    ManziLen
       ━─────────────────━
                 ⊙ PART -38 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★→mere doston aakhirat ke safar ki panch 5 manziLen hain
     
            ★ Dusri manziL★

★→ insaan ke safar-e-aakhirat ki dusri manziL qabar hai hadees shareef me Aata hai ke qabar ko matti ka dher na samjho baLke ya to ye jannat ke baghon me se ek baagh hai ya jahannam ke gadhe me se ek gadha hai

★→jab kisi nek Aadmi ko qabar me rakha jata hai to qabar usse mukhaTib ho kar kehti hai duniya me jitne insaan the mujhe unme sab se zada muhabbat tujhse thi ab too mere pass aaya hai ab mera husne salook bhi dekhna iske baad wo qabar itni wasee ho jati hai ke jahan tak us mard ki nazar jaati hai wahan tak qabar wasee ho jaati hai
             
★→or jab kisi ghunaahgar Aadmi ko qadar me rakha jata hai to qabar isse mukhatib ho kar kehti hai ke duniya me jitne insaan base the us sab me se mujhe tujhse zada nafrat thi ab too mere pass aaya hai to mera salook bhi dekhna iske baad qabar usko itna dabati hai ke ek taraf ki pasliyan dusri taraf ki pasliyon me ghus jaati hain

              Allah hu akbar

★→ Allah ta'aala ham sab ki hifazat farmaay
                   Aameen
           
     (pαʀт ⇨39)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

          ��Maut ki tayyari
                    P /35/36/

            Ahle deoband Group
                         ↓ Join↓
           ��91 - 7037363325
         Muhammad babar rashidi
     
         Plz forward to all Muslim
         ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                           
                         
            ____________________
           [■□maut ki tayyari□■]          
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
     
       ━─────────────────━
             SaFar aakhirat ki
                           Ki      
                    ManziLen
       ━─────────────────━
                 ⊙ PART -39 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★→mere doston aakhirat ke safar ki panch 5 manziLen hain
     
            ★ Teesri manziL★

★→ safar aakhirat ki Teesri manziL hashr hai hadees shareef me Aata hai ke hashr ka ek din pachas hazaar saal ka hai

★→kafiron ke liy pachas hazaar saal ka din hoga magar Allah walon ke liy chand lamho ke barabar hoga
             
★→hadees shareef me Aata hai nabi - e - kareem Sallallahu ALayhi wasaLLam ne farmaya ke imaan walon ke liy qayamat ka din Fajar ki do raka'at Sunnat padhne ke barabar hoga

           
★→ sayyadah hazrat aaisha siqdiqa rz farmati hain ke nabi - e - kareem  Sallallahu ALayhi wasaLLam ki sab se mukhtasar namaz Fajar ki do Sunnaten hua karti thi

★→baaz riwaayat me aata hai suraj ki 7 aankhen hain is waqt ek aankh khuli hui hai roze mehshar me saaton aankhe kholega

★→us waqt nafsi nafsi ka Aalam hoga har shakhs apne gunaahon ki baqadar apne paseene me duba hua hoga koi  gutno tak koi takhno tak koi gale tak apne paseene me duba hoga

★→yahi nahi ki wo sirf paseena hoga balke wo paseene me jal raha hoga

★ → Allah ta'aala ham sabko qayamat ke din apne arsh ka saya naseeb farmaay

     (pαʀт ⇨40)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

          ��Maut ki tayyari
                    P /36/

            Ahle deoband Group
                         ↓ Join↓
           ��91 - 7037363325
         Muhammad babar rashidi
     
         Plz forward to all Muslim
         ━═─────────────────═━ ⚀

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                           
                         
            ____________________
           [■□maut ki tayyari□■]          
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
     
       ━─────────────────━
             SaFar aakhirat ki
                           Ki      
                    ManziLen
       ━─────────────────━
                 ⊙ PART -40 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★→mere doston aakhirat ke safar ki panch 5 manziLen hain
     
            ★ Teesri manziL★

★→ Lekin baaz mut'taqeen ko itna thoda paseena aayga jitna betulkhala yani (toilet) me bethne wale ko Aata hai

★→us din Allah ta'aala ke arsh ke say ke siwa or koi saya nahi hoga
             
★→7 qisam ke bande us din Allah ta'aala ke arsh ke say ke niche honge

★→1 AadiL badshah

★→2 wo nojawan jo jawani me Allah ta'aala ki ibadaat karta tha

★→3 wo shakhsh jis ka diL masjid me atak raha ho yani masjid me diL Lagta ho

★→4 wo do shakhsh jinme Allah ta'aala hi ke waste muhabbat ho isi par inka ijtama ho isi par inki judayi

★→5 wo shakhsh jisko koi haseen aurat apni taraf muwajje kare or wo kahe mujhe Allah ta'aala ka dar ma'ne hai

★→6 wo shakhsh jo aise makhfi tariqe se sadqa kare ke dusre hath ko bhi khabar na ho

★→7 wo shakhsh jo Allah ta'aala ka zikr tanhayi me kare or uske aansu behne lage

           
★→ us din kisi shakhsh ke qadam bhi us waqt tak apni jagah se harkat nahi kar sakege jab tak ke wo char sawalon ke jawab na de lega

★→1 pehLa sawal kya jayga apni umar kin kamo me guzaari

★→2 dusra sawaL hoga ke apne jism ki tawanayi yani taqat kahan kharch ki

★→3 teesra sawal hoga apne iLm par kitna amal kiya

★→4 or aakhri sawaL hoga maal kahan se hasil kiya or kin kin kamo me kharch kiya tha

     (pαʀт ⇨41)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

          ��Maut ki tayyari
                    P /36/37/

            Ahle deoband Group
                         ↓ Join↓
           ��91 - 7037363325
         Muhammad babar rashidi
     
         Plz forward to all Muslim
         ━═─────────────────═━

{ MAUT KI TAYYARI 41 SE 80 PART }

No comments:

Post a Comment