Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, March 11, 2016

PYARE NABI KI PYARI SUNNATE

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

     ☞ So Kar Uthne Kï Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 01 █

             
❉ 1- Neend se Uthte hi Dono Haatho se Chehra aur Aankho ko Malna taki Neend ka Khumaar door ho jaye ,

↳ ₢ Shamaa'il ,Baab maaja fi ibaadat Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam, 18

➧ 2- Subeh Jab Aankh Khule to ye Dua Padhe ,

" Alhamdu lillahillazi Ahyaana Ba'da ma Amaatana Wa ilayhin nushoor ,"

↳ ₢ Bukhari ,934 Muslim ,2/348

❉ 3- Jab So kar uthe to Miswaak kar le'n ,

↳ ₢ Musnad Ahmad ,5/475,Abu Daowd ,jild -8

➧ Wazu me dobara Miswaak Kï jaye ,So kar uth kar Miswaak karna Alhida Sunnat he,

❉ 4- Pajama ya Salwaar pehne  to Dahine paanv me fir Baaye Paanv me ,Kurat ya Kameez pehne to pehle Daayi Asteen me haath daale fir Baayi me ,

↳ ₢  Bukhari, 2/870, Tirmizi ,1/307

➧ isi tarah joota pehne to pehle Daaye paanv me pehne fir Baaye me aur Jab utaare to pehle Baaye taraf ka utaare fir Baayi taraf ka ,

➧ Aur Badan Kï pehni hui har Cheez ke ( Pehanne aur ) utaarne ka yahi tareeqa masnoon he ,

❉ 5- Bartan me Haath Daalne se pehle Teen martaba haatho ko Achchhi tarah dho le'n ,

↳ ₢ Tirmizi ,1/13

❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunaate'n ,6

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    
         ❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

☞ Betul Khala Aane Jane  Kï Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 02 █

             
❉ 1-  istanje ke liye Pani aur Dhele dono le jaye,Teen Dhele ya Patthar ho to mustahab he, Baaz ulma Kiraam ne toilet paper istemal karne ka mashwara diya he taki flush kharab na ho ,

↳ ₢ Muslim ,1/123 ,Tirmizi ,1/7, Ibne maaja ,26

➧ 2- Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Sar dhaank kar aur Joota pehan kar Betul Khala Tashreef le jate the ,

↳ ₢ Kanzul Ummal ,7/20 ibne Sa'ad ,1/29

❉ 3 - Betul Khala me Dakhil hone se pehle ye Dua Padhe ,

➧  " Bismillahi Allahumma inni A'uzubika Minal Khubusi Wal Khaba'isi ,""

↳ ₢ Bukhari, Muslim ,Tirmizi, Ibne maaja

❉ 4- Betul Khala me Dakhil hote waqt Baaya Qadam rakhe ,

↳ ₢ Ibne maaja ,Alaykum bisunnati ,11

➧ 5- Jab Badan Nanga ho to Asaani ke saath Jitna nicha hokar Khol sake utna hi behtar he ,

↳ ₢ Tirmizi, 1/10 , Abu Daowd, 1/6 Mishkaat, 1/42

➧ 6- Betul Khala se nikalte waqt Dahina Payr Bahar nikaale aur Bahar aa kar ye Dua padhe ,

➧ "  Gufranaka Alhamdulillahillazi  Azhaba annil azaa Wa Aafaani ,"

↳ ₢ Ibne maaja ,

❉ 7- Betul Khala Jane se pehle Anguthi ya Kisi Cheez per Quran Sharif Kï Aayat ya Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka Mubarak Naam likha ho aur Wo dikhayi deta ho to usko utaar kar baahar hi chhor de , Taveez jisko momjaama kiya gaya ho ya Kapde me see liya ho usko pehan kar Jana jaa'iz he ,

↳ ₢ Nasa'i ,1/289, Abu Daowd ,1/4 ,Ibne maaja

❉ 8- Rafa Haajat ke Waqt Qibla Kï taraf na chehra kare aur na us taraf peeth kare ,

↳ ₢ Mishkaat ,1/22 Tirmizi ,1/8 Ibne maaja ,Bukhari

➧ 9- Rafa Haajat karte waqt bila zarurate Shadeed Kalaam na kare ,Isi tarah Allah ta'ala ka Zikr bhi na kare ,

↳ ₢ Abu Daowd ,1/3 Mishkaat, 1/43

❉ 10- Peshab Pakhane ke Chheento se Bahut bache Kyuki aksar Azabe Qabro peshab ke Chheento se na bachne se hota he ,

↳ ₢ Bukhari , Ibne maaja ,29

➧ 11- Peshab karte waqt ya istanja karte waqt uzv khaas ko daaya haath na lagaye balki baaya haath lagaye ,

↳ ₢ Bukhari 1/27, Abu Daowd 1/5 ,

❉ 12- Baaz Jagah Betul Khala nahi hota us Waqt esi Aad Kï jagah me Rafa Haajat karna chahiye jaha kisi doosre Aadmi Kï nigaah na pade ,

↳ ₢ Ibne maaja, Abu Daowd 1/12,

➧ 13- Peshab karne ke liye Naram Jagah Talash kare taki Chheente na ude aur zameen Jazb karti jaye ,

↳ ₢ Tirmizi, 1/12, Abu Daowd 1/2

❉ 14- Beth kar Peshab kare Khade ho kar Peshab na kare ,

↳ ₢ Tirmizi ,1/9

➧ 15- Peshab karne ke baad  sukhana ho to diwaar vagera Kï aad me sukhana chahiye,

↳ ₢ Shaami ,1/337

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï pyari Sunnate -9 ,

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

☞ Masjid Me Dakhil hone aur Bahar nikalne Kï Sunnate,

                 █ ℘αят - 03 █

☞ Masjid Me Dakhil Hone Kï Sunnate,
             
❉ 1- Daahina Payr Masjid me Dakhil karna ,

↳ ₢ Bukhari 1/61, Abu Daowd 2/339

➧ 2- Bismillah  Padhna ,

↳ ₢ Ibne maaja 56

❉ 3- Darood Sharif Padhna ,

➧ " Assalatu Wassalamu Alaa Rasulillah ,"

↳ ₢ Ibne maaja 56 ,Tirmizi 1/71 ,Mishkaat 1/70 ,Faizul Qadeer 1/432

❉ 4- Dua Padhna ,

➧ " Allahum Mafta'ali Abwaaba Rahmatika ,"

↳ ₢ Ibne maaja ,56

❉ 5- Aitkaaf Kï niyat karna ,

↳ ₢ Shaami ,2/435

█☞ Wazu Sunnat ke mutabiq Ghar per Karna chahiye aur Sunnate Ghar per Padh kar Jana chahiye ,Moqa na ho to Masjid me Padhna ,

↳ ₢ Mirqaat ,2/390-404

☞ Masjid Se Bahar Nikalne Kï Sunnate,

❉ 1- Baaya payr Masjid se baahar nikaalna ,

↳ ₢ Bukhari 1/61,

➧ 2- Bismillah Padhna,

↳ ₢  Ibne maaja ,56

❉ 3- Darood Sharif Padhna,

➧ " Assalatu Wassalamu Alaa Rasulillah ,"

↳ ₢ Ibne maaja ,56 Tirmizi ,1/70 ,Mishkaat ,1/70

❉ 4- Dua Padhna,

➧ " Allahumma inni  min Fazlika ,"

↳ ₢ Ibne maaja ,56 Mishkaat ,1/67

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate, 13

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

         ☞  Wazu Kï Sunnate ,

                 █ ℘αят - 04 █

             
❉ 1- Wazu Kï Niyat karna ,Maslan ye k mai Namaz ke mubah hone  liye Wazu karta hu'n,

↳ ₢ Nasa'i ,1/24

➧ 2 - "_Bismillahir Rahmaanir Raheem '" Padh kar Wazu karna ,

↳ ₢ Majmua Azzawa'id ,1/513 Amalul Yom Wal layl ,42

❉ 3 - Dono Haatho ko Pahuncho tak Dhona ,

↳ ₢ Abu Daowd ,1/15

➧ 4 - Miswaak Karna agar Miswaak na ho to Ungli se Daanto ko malna ,

↳ ₢ Miraaqi ,1/105-106

➧ Miswaak Pakadne ka masnoon tareeqa Jo Hazrat Abdullah Ibne Masoud Raziyallahu Anhu se Marvi he k Daahine Haath Kï Chhungliya Miswaak ke niche Rakhe aur Angutha Miswaak ke oupri sire ke niche rakhe aur Baqi Ungliya Miswaak ke ouper rakhe ,

↳ ₢ Shaami ,1/85

❉ 5 - Teen baar Kulli karna ,

↳ ₢ Abu Daowd ,1/14

➧ 6 - Teen baar Naak me paani daalna aur Teen baar Naak Chhinakna ,

↳ ₢ Abu Daowd ,1/15

❉ 7 - Kullli aur Naak me paani Chadhane me mubalga karna agar Roza na ho ,

↳ ₢ Abu Daowd ,1/19

➧ 8 - Har Uzv ( Part )  ko Teen baar dhona ,

↳ ₢ Bukhari 1/27-28

❉ 9 - Chehra Dhote waqt Daadi ka Khilaal karna ,

↳ ₢ Abu Daowd ,1/19

➧ 10 - Haatho aur Payro ko dhote waqt Ungliyo ka Khilaal karna ,

↳ ₢ Abu Daowd ,1/19

❉ 11- Ek baar tamaam Sar ka Masah karna ,

↳ ₢ Shaami ,1/243

➧ 12 - Sar ke Masah ke saath Kaano ka Masah karna ,

↳ ₢ Nasa'i ,1/29 ,Shaami 1/243

❉ 13 - A'aza e Wazu ( Wazu ke Parts )  ko mal mal kar dhona ,

↳ ₢ Miraaqi ,112

➧14 - Pe dar Pe Wazu karna ,

↳ ₢ Miraaqi ,113

❉ 15 - Tarteeb se Wazu karna ,

↳ ₢ Hidaya ,1/23

➧ 16 - Daahini taraf se pehle dhona ,

↳ ₢ Bukhari ,1/29

❉ 17- Sar ke Agle hisse se Masah shuru karna ,

↳ ₢ Bukhari ,1/31

➧ 18- Gardan ka Masah karna ,halaq ka Masah na kare ye Bid'at he ,

↳ ₢ Miraaqi ,1/115

❉ 19 - Wazu ke baad Kalma e Shahadat Padh kar ye Dua padhe ,

➧ " Allahummaj Alni minat Tawwabeena Waj Alni minal mutahireena ,""

↳ ₢ Tirmizi ,1/18

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari  Sunnate ,14

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

☞  Gusl Karne Ka Masnoon Tareeqa,

                 █ ℘αят - 05 █

             
❉ Pehle Dono haath gatto tak dhona ,

➧ Fir istanje Kï jagah dhona ,Chahe najasat lagi ho ya na lagi ho har haal me Haath aur istanje ko dhona Chahiye ,
( Aur istanje Kï jagah dhone  se matlab ye he k Chhota aur Bada dono istanje ki jagah dhona )

❉ Fir Badan per kisi jagah Napaaki lagi ho to usko Paak karna ,

➧ Fir Masnoon Tareeqe per Wazu karna ,

❉ Wazu ke baad Teen martaba Sar per paani daale ,( itna paani daale k Sar se paanv tak Saare Badan per beh jaye ) aur Badan ko Haatho se malna taki Badan ka koi hissa khushk na rehne paye , agar Baal barabar bhi Khushk reh gayi to Gusl na hoga ,

➧ Fir Waha se hat kar Paak jagah per aa kar paanv dhona lekin agar Wazu ke waqt payr dho liye ho to ab dhone Kï zarurat nahi ,

❉ Gusl ke baad Badan ko Kapde se Pochhna bhi saabit he aur na pochhna bhi ,lihaza dono me se Jo soorat bhi Akhtyar Kï jaye Sunnat hone Kï niyat kar liya Kijiye ,

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Bahishti Zever ,Shaami 1/97-157-159 Nasa'i ,1/31,Tirmizi 1/18   Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,14

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

       ☞  Juma Kï Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 06 █

             
❉ 1- Gusl karna ,

↳ ₢  Bukhari ,1/120

➧ 2 - Achche Aur Saaf Kapde Pehanna ,

↳ ₢ Abu Daowd ,1/154

❉ 3 - Masjid me Jaldi Jane Kï fikr karna ,

↳ ₢  Tirmizi, 1/112 Ibne maaja, 1/76

➧ 4 - Masjid Paidal Jana ,

↳ ₢ Ibne maaja, 1/56

❉ 5 - imaam ke qareeb bethne Kï koshish karna ,

↳ ₢ Ibne maaja ,76 Tirmizi ,1/111

➧ 6 - Agar Safe pur ho to logo Kï gardane faand kar Aage na badhna ,

↳ ₢ Abu Daowd ,1/159 Tirmizi ,1/111

❉ 7 - Koi fizool kaam na karna Yani maslan Apne kapdo se ya Baalo se lahu v lahab ( khel ) na karna ,

↳ ₢ Ibne maaja, 78

➧ 8 - Khutba ko gor se Sunna ,

↳ ₢  Tirmizi 1/ 114 ,Ibne maaja 78

❉ 9 - Juma ke Din Jo Surah Kahaf padhega uske liye Arsh ke niche se Asmaan ke barabar buland ek Noor zaahir hoga Jo Qayamat ke andhere me uske kaam aayega aur is Juma se Pehle Juma tak ke tamaam Gunaah ( Sagira ) uske maaf ho jayenge ,

↳ ₢ Bahishti Zever ,Ibne kaseer ,122 Targeeb v Tarheeb 1/353

➧ 10 - Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k Juma ke Din mujh per Kasrat se Darood bheja karo k Darood mere huzoor pesh kiya jata he ,

↳ ₢ Ibne maaja, 76

❉ 11 - Juma ke Din Baalo me Tel Lagana aur Khushbu ya itr ka istemal karna Masnoon he ,

↳ ₢ Bukhari ,1/121

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,31

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

       ☞ Khane  Kï  Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 07 █

             
❉ 1 - Dastarkhwan bichhana ,

↳ ₢ Bukhari ,2/818

➧ 2- Dono haath gatto tak dhona ,

↳ ₢ Bukhari ,2/ 809 Muslim, 2/172

❉ 3-" Bismillah " Padhna buland awaaz se ,

↳ ₢ Bukhari ,2/810

➧ 4 - Daahine Haath se khana ,

↳ ₢ Muslim ,2/172

❉ 5 - Khane Kï Majlis me Jo Shakhs sabse zyada buzurg aur bada ho usse khana shuru karana ,

↳ ₢ Muslim ,2/171

➧ 6 - Khana ek qism ka ho to Apne saamne se khana ,

↳ ₢  Bukhari ,2/810

❉ 7 - Tek lagakar na khana ,

↳ ₢ Bukhari ,2/812

➧ 8 - Khane me koi aib na nikaalna ,

↳ ₢ Bukhari ,2/814 ,Muslim 2/187

❉ 9 - Agar koi luqma gir jaye to utha kar saaf karke kha Lena ,

↳ ₢ Muslim ,2/175

➧ 10 - Joota utaar kar khana khana ,

↳ ₢ Mishkaat ,2/367

❉ 11 - Khane ke waqt ukdu bethna k Dono ghutne khade ho aur sureen Zameen per ho , ya ek ghutna khada ho aur doosre ghutne ko bichha kar us per us per bethe ,Ya dono ghutne zameen per bichha kar qaayde Kï tarah Bethe aur aage Kï taraf Zara jhuk kar Bethe ,

↳ ₢ Mirqaat ,8/102 Sharah Muslim 2/180

➧ 12- Khane ke Bartan ,Pyala v Plate ko saaf kar Lena ,Fir Bartan uske liye Dua e Magfirat karta he ,

↳ ₢ Ibne maaja 235 ,

❉ 13 - Khane ke Baad ungliyo'n ko Chaatna ,

↳ ₢  Muslim ,2/175

➧ 14 - Khane ke Baad Dua Padhna ,

➧ " Alhamdu lillahillazi At'amana wa Saqaana wa Jamal and Muslimeen ,"

↳ ₢ Tirmizi,2/184 Abu Daowd, 2/182 Ibne maaja,236

❉ 15 - Pehle dastarkhwan uthana fir khud uthna ,

↳ ₢ Ibne maaja ,237

➧ 16 - Dono haath dhona ,

↳ ₢ Tirmizi ,2/6 Abu Daowd ,2/182

❉ 17 - Kulli karna ,

↳ ₢  Bukhari ,2/820

➧ 18 - Agar Shuru me "_Bismillah " Padhna bhool jaye to yu'n padhe ,

_" Bismillahi Avvalahu wa Aakhirahu ,"

↳ ₢ Tirmizi ,2/7 Abu Daowd ,2/173

❉ 19 - Jab kisi Kï Dawat Khaye to Maizban ko ye Dua de ,:-

➧ _ " Allahumma At'im Man at'amani wasqi man Saqaani ,"

↳ ₢ Muslim ,2/180

❉ 20 - Sirka istemal karna Sunnat he ,Jis ghar me Sirka mojood he Wo ghar Saalan ka mohtaaj nahi samjha ja sakta ,

↳ ₢ Ibne maaja ,238

➧ 21 - Khalis gandum agar koi istemal karta he to use chahiye k usme kuchh Jo bhi mila le chahe thodi miqdaar me ho taki Sunnat per Amal ka sawab haasil ho jaye ,

↳ ₢ Jaamia Sageer ,2/979

❉ 22 - Gosht khana Sunnat he ,Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ka farman he k Duniya aur Akhirat me khano ka sardaar Gosht he ,

↳ ₢ Tabrani ,8/ 232

➧ 23 - Apne musalman bhai Kï Dawat qubool karna sunnat he, Albatta agar ( zyada Aamdani ) Sood ya Rishwat ( Kisi bhi haraam kamai ) ki ho ya badkaari me mubtila ho to uski Dawat qubool nahi karna chahiye ,

↳ ₢ Abu Daowd ,2/169

❉ 24 - Mayyat ke Rishtedaro Yani Mayyat ke ghar ke logo ko Khana dena Masnoon he,

↳ ₢ Muslim ,2/172

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,14

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

     ☞ Paani Pine Kï Sunnate ,

                 █ ℘αят - 08 █

             
❉ 1 - Daaye haath se Pina ,Kyuki Baaye haath se Shaitan pita he ,

↳ ₢ Muslim ,2/176

➧ 2 - Paani pine se pehle agar khade ho to beth Jana Khade ho kar pina mana he ,

↳ ₢ Muslim, 2/173

❉ 3 - " Bismillah " keh kar Pina aur pine ke baad ," Alhamdulillah " kehna ,

↳ ₢ Tirmizi 2/10,Mishkaat 2/371

➧ 4 - Teen saans me pina aur Saans lete waqt Bartan ko moonh se alag Karna ,

↳ ₢ Muslim ,2/174 Tirmizi ,2/10

❉ 5 - Bartan ke toote hue kinaare Kï taraf se na pina ,

↳ ₢ Abu Daowd, 2/167

➧ 6 - Mashak se moonh laga kar paani na piye ya Koi bhi esa Bartan jisse dafatan paani zyada aa jane ka ahatmal ho ya ye andesha ho k isme koi Saanp ya Bichchhu aa jaye ,

↳ ₢ Bukhari ,2/841 Muslim 2/173

❉ 7 - Paani pi kar agar doosre ko dena he to pehle Daahine wale ko de aur fir usi tarteeb se daur khatm ho ,iski tarah Chaay ya Sharbat bhi pesh kare ,

↳ ₢ Bukhari 2/840 Muslim 2/174

➧ 8 - Doodh pine ke baad ye Dua padhe ,:-

➧ " Allahumma Baarik Lana fihi wa zidna minhu ,"

↳ ₢ Abu Daowd ,2/168 Tirmizi ,2/183

❉ 9 - Pilane wale ko Aakhir me pina ,

↳ ₢ Tirmizi ,

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,37

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

     ☞ Libaas  Kï  Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 09 █

             
❉ 1- Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko Safed Rang ka kapda passand tha ,

↳ ₢ Shama'il Tirmizi, 5 Ibne maaja 255

➧ 2- Qameez ,Kurta vagera pehne to pehle Daaya haath Aasteen me daale ,fir Baaya haath ,isi tarah pajama aur Salwaar ke liye pehle Daaya paanv fir Baaya paanv ,

↳ ₢ Tirmizi, 1/306

❉ 3- Pajama ,Salwaar ya Lungi takhne se ounchi rakhe ,Takhne se niche latkane se Allah Ta'ala naraaz hote he'n ,

↳ ₢ Bukhari ,2/861 Muslim ,2/194

➧ 4- Naya Kapda pehan kar ye Dua padhe,:-

➧ " Alhamdu lillahillazi kasaani haazasavba wa razakaniihi min gayri havlim minni wala quwwatin ,"

↳ ₢ Abu Daowd, 2/202

❉ 5- Amaama ke niche Topi rakhna ,

↳ ₢ Mirqaat ,8/215

➧ 6- Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko Kurta bahut pasand tha ,

↳ ₢ Tirmizi ,1/306 Abu Daowd 2/202 ,Ibne maaja 255-256

❉ 7- Syaah saafa baandhna Masnoon he ,Shamla chhorna bhi Masnoon he ,

↳ ₢ Nisaa'i ,2/299

➧ 8- Topi Pehanna Sunnat he ,

↳ ₢ Mirqaat ,8/215

❉ 9- Qameez ya Kurta vagera utaarna ho to pehle Baaya haath Aasteen se nikaale fir Daaya haath ,isi tarah Salwaar aur Pajama utaarte waqt pehle Baaya payr bahar nikaale fir Daaya ,

↳ ₢ Tirmizi 1/306 ,Mishkaat 2/374

➧ 10- Joota Pehle Daaye paanv me pehne fir Baaye paanv me ,

↳ ₢  Bukhari ,2/879 Muslim ,2/197

❉ 11- Utaarte waqt Pehle Baaye paanv se utaare fir Daaye paanv se ,

↳ ₢ Bukhari 2/870 ,Muslim 2/197,

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,40

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

         ☞ Baalo Kï Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 10 █

             
❉ 1- Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Sar Mubarak ke Baalo Kï lambaai Kaano ke darmiyan tak aur doosri rivayat ke mutabiq Kaano tak aur ek aur Rivayat ke mutabiq Kaano Kï Lo tak thi ,unke qareeb tak hone Kï bhi rivayat he ,

↳ ₢ Shama'il Tirmizi ,Ganimatul Talibeen ,43-44 Mirqaat ,8/197 Bahishti Zever ,11/115

➧ 2- Poore Sar per Baal rakhna Kaano Kï Lo tak ya isse kisi qadar niche Sunnat he aur poora Sar mundwana bhi Sunnat he aur agar Katarwana chahe to poore sar ke Baal sab taraf se barabar katarwana jaa'iz he ,

➧lekin aage Kï taraf se Bade rakhna aur gardan Kï taraf chhote kara dena jisko Angrezi Baal kehte he'n Jaa'iz nahi ,

➧ isi tarah Sar ka kuchh hissa mundwa dena aur Kuchh Chhor dena bhi jaa'iz nahi , Allah Ta'ala har musalman ko isse bachaye ,

↳ ₢ Bahishti Zever ,11/115

❉ 3- Daadhi ko Badhane aur Moonchho ko kam karne ke mutalliq Ahades me Hukm waarid he ,

↳ ₢ Bukhari ,2/575 Muslim ,1/129

➧ Daadhi mundwana ya ek Musht se Kam katarwana Haraam he ,Allah Ta'ala har Musalman ko isse mehfooz rakhe ,Ek musht Daadhi rakhna Waajib he aur ek Musht Kï miqdaar Sunnat se saabit he ,

↳ ₢ Bahishti Zever ,11/115

❉ 4- Moonchho ko katarne me Mubalga karna Sunnat he ,Lambi Lambi moonchhe rakhne per hadeeso me sakht waied aayi he ,

↳ ₢  Bahishti Zever ,11/115

➧ 5- Zere Naaf ,Bagal aur Moonchho ke Baal aur Nakhoon vagera door karke saaf suthra rehna ,agar 40 din guzar jaye aur safaai na kare to gunahgar hoga ,

↳ ₢  Bukhari ,2/875

❉ 6- Baalo ko dhona ,Tel Lagana aur Kangha karna Masnoon he ,lekin zarurat na ho to beech me ek aadh din naaga kar dena chahiye ,

↳ ₢ Avjaza ul Masalik ,14/268

➧ 7- Kangha kare to pehle Daayi taraf se shuru kare ,

↳ ₢  Bukhari ,1/61 Bahishti Zever, 11/116

❉ 8- Kangha Karte hue ya Hasbe Zarurat Jab bhi Aaina dekhe to ye Dua kare ,:-

➧" Allahumma Anta Hassanta Khalqi Fa Hassin Khuluqi ,"

↳ ₢ Mishkaat ,2/381 Hisne Haseen ,346

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,42

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

☞ Bimari ,ilaaj aur Ayadat Kï Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 11 █

             
❉ 1-Bimari me Dava aur ilaaj karana Masnoon he ,ilaaj karata rahe magar Bimari Kï Shifa e Nazar Allah Ta'ala hi per rakhe ,

  ⚀•RєԲ:- Navvi Sharah Muslim ,2/225

➧ 2- Kalonji aur Shehad ke saath ilaaj karna Sunnat he ,

  ⚀•RєԲ:- Bukhari ,2/848

❉ 3- ilaaj ke dauraan nuqsaan pahunchane wali cheezo se parhez karna chahiye ,

  ⚀•RєԲ:-Bukhari ,2/843

➧ 4- Apne Bimaar Bhai Kï ayadat ke liye Jana Sunnat he ,

  ⚀•RєԲ:- Bukhari ,2/844

❉ 5- Bimaar Pursi karke Jald Lot aana Sunnat he , Kahi tumhare zyada der tak bethne se Bimaar ko takleef na ho ya ghar walo ko kaam me khalal na pade ,

  ⚀•RєԲ:- Mishkaat ,1/138

➧ 6- Bimaar Kï har tarah tasalli karna Masnoon he ,Maslan usse ye kahe k in Sha Allah tum jaldi achchhe ho jaoge ,Allah Ta'ala badi qudrat wale he'n koi dar ya khof paida karne wali baat Bimaar se na kahe ,

  ⚀•RєԲ:- Mishkaat ,1/137
 
❉ 7- Jab kisi mareez Kï Ayadat kare to usse yu'n kahe ,Koi harj nahi in Sha Allah ye Bimaari gunaho se Paak karne wali he fir uski Shifayabi ke liye Saath  martaba ye Dua padhe ,:-

➧ " As'alullaahal Azeema Rabbal Arshil Azeemi ayyashfiyaka ,"

  ⚀•RєԲ:- Bukhari ,2/845

➧ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Farmaya k Saat martaba isko padhne se mareez ko Shifa hogi ,Haa'n agar uski maut hi aa gayi ho to doosri baat he ,

  ⚀•RєԲ :- Mishkaat ,1/135

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,44

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

           ☞ Safar Kï Sunnate,

                 █ ℘αят - 12 █

             
❉ 1- Jaha'n tak ho sake Safar me Kam se kam Do Aadmi jaye ,Tanha Aadmi safar na kare ,Albatta zarurat aur majburi me koi harj nahi ,

  ⚀•RєԲ :- Fatahul Baari ,6/53

➧ 2- Sawari ke liye Rakaab me paanv rakhe to " Bismillah " Padhe ,(ya  Sawaari per chadte waqt )

  ⚀•RєԲ :- Tirmizi ,2/182

❉ 3- Sawari per achchhi tarah beth jaye to teen martaba " Allahu Akbar " kahe fir ye Dua padhe :-

➧ " Subhanallazi Sakhkhar Lana haaza wama Kunna Lahu Muqrineena Wa inna ilaa Rabbina laa Munqaliboon ,"

  ⚀•RєԲ :- Muslim ,1/434

❉ 4 - Raaste me Theharne Kï zarurat pesh aaye to Sunnat ye he k Raaste se hat kar qayaam kare ,Raaste me padaav na daale k aane Jane walo ka Raasta ruke aur unko takleef ho ,

  ⚀•RєԲ :- Muslim ,2/144

➧ 5 - Safar ke dauraan jab Sawari Ounchaai per chade to " Allahu Akbar " kahe ,

  ⚀•RєԲ :- Bukhari ,1/420

❉ 6 - Jab Sawari Ouchaai se niche aane  lage to to " Subhanallah " kahe ,

  ⚀•RєԲ :- Bukhari ,1/420

➧ Mirkaat me he k Ye Sunnat Safar Kï he lekin Apne gharo me ya Masjid Kï Seedhiyo per chadhe waqt Daahina paanv badhaye to " Allahu Akbar " kahe chahe ek hi Seedhi ho  aur Niche utarte waqt Baaya paanv aage badhaye to " Subhanallah " kahe chahe mamooli utaar ho ,to Sunnat ke Sawab Kï tawaqqo he ,

❉ 7- Jis Shehar ( City ) ya Gaanv me Jane ka iraada ho Jab usme Dakhil hone lage to to Teen baar ye Dua padhe ,:-

  ⚀•RєԲ :-Mirqaat ,5/339

➧ " Allahumma Baarik lana feehaa,"

➧ Fir ye Dua padhe ,

" Allahummarzuqna janaa Haa wa Habbibna ilaa Ahlihaa wa Habbib Saalihi Ahlihaa ilaynaa ,"

  ⚀•RєԲ :- Mirqaat ,5/339 Hisne haseen ,

❉ 9 - Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k Jab safar Kï zarurat poori ho jaye to Apne ghar laut aaye ,Safar me Theharna Achchha nahi ,

  ⚀•RєԲ :- Hisne Haseen ,284

➧ 10 - Door daraaz ke safar se bahut dino baad zyada Raat gaye agar ghar aaye to usi waqt ghar me na jaye balki behtar he k Subeh makaan me jaye ,

  ⚀•RєԲ :- Bukhari ,1/421

➧ Albatta agar ghar walo ko der se aane Kï khabar ho aur unko tumhar intezar bhi ho to usi waqt ghar me Dakhil hone me koi harj nahi ,

❉ 11 - Safar me Kutta aur Ghungru saath rakhne Kï muma'anat aayi he ,kyuki inki Vajah se Shaitaan pichhe lag jata he aur Safar Kï Barkat Jati rehti he ,

  ⚀•RєԲ :- Mishkaat ,2/339 Muslim ,2/202

➧ 12 - Safar se laut kar aane wale ke liye ye Masnoon he k ghar me Dakhil hone se pehle Masjid me Jaa kar do raka'at Namaz padhe ,

  ⚀•RєԲ :- Mishkaat ,2/339 Muslim ,1/248

❉ 13 - Jab Safar se waapas aaye to ye Dua padhe,:-

➧ " Aa'iboona Taa'iboona Aabidoona Li rabbina Haamidoona ,"

  ⚀•RєԲ :- Muslim ,1/248 Tirmizi ,2/182

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,46

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

☞ Azaan v Aqamat Kï Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 13 █

             
❉ 1- Azaan v Aqamat Qibla ru kehna Sunnat he,

  ⚀•RєԲ :- Bayhqi, 56 Shaami ,1/292

➧ 2- Azaan ke alfaaz thehar thehar kar ada karna aur Aqamat ke alfaaz jaldi jaldi ada karna Sunnat he ,

  ⚀•RєԲ :-Tirmizi ,1/48

❉ 3- Azaan me " Hayya Alassalaah ,Hayya Alal falaah ," kehte waqt Mo'azzin ko Daaye aur Baaye moonh ferna Sunnat he lekin seena aur qadam qibla rukh hi rahe ,

  ⚀•RєԲ :-Miraaqi ,1/277 Shaami ,2/53

➧ 4- Jab Mo'azzin se Azaan ke kalmaat sune to jis tarah Wo kahe usi tarah kehte jaye ,aur " Hayya Alassalaah ,v ,Hayya Alal falaah ," ke jawab me " La havla walaa quwwata illaa billaahi ," kahe ,

  ⚀•RєԲ :-Bukhari ,1/86 Muslim ,1/166

❉ 5- Fajar Kï Azaan me " Assalatu Khairum mimananam " ke jawab me " Sadaqta wa Bararta ," kaha jaye ,

  ⚀•RєԲ :- Miraaqi ,1/285

➧ 6- Aqamat ka jawab bhi Azaan Kï tarah diya jaye lekin " Qad qaamatis Salaatu ," ke jawab me " Aqaa mahallaahu wa adaa mahaa ," Kaha jaye ,

  ⚀•RєԲ :-Abu Daowd ,1/78

❉ 7- Azaan ka jawab dene ke baad Darood Sharif Padhna Sunnat he ,

  ⚀•RєԲ :- Muslim ,1/166

➧ Darood Sharif padh kar ye Dua padhe Jo Bukhari Sharif me manqool he ,

" Allahumma Rabba Haazihid Da'awatit Taammati wassalatil qaa'imati Aati Muhammada nil Waeelata wal fazeelata wab ashu maqaamam mahmooda nillazi wa attahu innaka laa tukhliful mee'aad ,"

  ⚀•RєԲ :- Bukhari ,1/86

➧" innaka laa tukhliful mee'aad ," Bukhari Sharif me nahi he ,isko imaam Bayhqi ne Sunani kabeer me naqal kiya he ,

  ⚀•RєԲ :- Hisne Haseen ma Sharah Fazl Mubeen ,

➧ " Wad darajatar rafee'ata " ka lafz aur ," Ya Arhamar raahimeena ," vagera alfaaz Jo mashoor he'n ,inka saboot rivaayaat me nahi he ,

  ⚀•RєԲ :-Mirqaat ,2/331

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,21

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

☞ Namaz Kï Sunnate'n,-* 1-Qayaam Kï Sunnate ,

                 █ ℘αят - 14 █

             
❉ 1- Takbeer e Tehrima ke waqt Seedha Khada hona yani Sar ko past ( Jhuka kar ) na rakhna ,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/302

➧ 2- Dono Pairo ke darmiyan 4 Ungal ka faasla rakhna aur Pairo Kï ungliya'n Qibla Kï taraf rakhna ,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/357

➧ Baaz Fuqha Kiraam ne 4 Ungal ke faasle ko mustahab kaha he,

  ⚀•RєԲ :- Kazzafil Shaami ,3/48

❉ 3- Muqtadi Kï takbeer e Tehrima imaam Kï Takbeer e Tehrima ke saath hona ,( Muqtadi Kï Takbeere e Tehrima imaam Kï Takbeer e Tehrima se pehle Khatm ho gayi to iqtida sahi nahi hogi ,)

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/35

➧ 4- Takbeer e Tehrima ke waqt dono haath Kaano tak uthana ,

  ⚀•RєԲ :-Abu Daowd ,1/105

❉ 5- Hatheliyo ko Qibla Kï taraf rakhna ( Takbeer ke waqt ),

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/35 Shaami , 2/202-203

➧ 6- Ungliyo ko Apni haalat per rakhna ,Yani na zyada khuli ho aur na zyada band ho ,( Takbeer ke waqt )

  ⚀•RєԲ :-Miraaqi ,1/349

❉ 7- Daahine Haath Kï hatheli Baaye haath Kï hatheli Kï pusht per rakhna ,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/352-351

➧ 8- Chhungliya aur Anguthe se halqa bana kar gatte ko pakadna ,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/352

❉ 9- Darmiyani 3 Ungliyo ko Kalaai per rakhna ,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/352

➧ 10- Naaf ke niche haath baandhna ,

  ⚀•RєԲ :- Shaami ,2/187

❉ 11- Sana Padhna ,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/351

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,23

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

☞ Namaz Kï Sunnate'n,* 2- Qiraat Kï Sunnate,

                 █ ℘αят - 15 █

             
❉ 1- Ta'awwuz yani " A'uzu billahi ....." Padhna,

  ⚀•RєԲ :-  Tahtavi, 1/353

➧ 2- Tasmiya yani " Bismillahi......" Padhna,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/353

❉ 3- Chupke se Aameen kehna ,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/355

➧ 4- Fajar aur Zuhar me " Tawale mufassal " yani Surah Hujraat se Surah Burooj tak ,

➧ Asr v ishaa me" Avsaate mufassal " yani Surah Burooj se Surah Lam yakun tak ,

➧ Aur Magrib me" Qasare Mufassal " yani Surah Lam Yakun se Surah Naas tak Kï Soorto me se koi Soorat Padhna ,

  ⚀•RєԲ :-  Tahtavi ,1/357-358

❉ 5- Fajar Kï pehli Raka'at taveel ( Lambi ) karna ,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/360

➧ 6- Sana ,Ta'awwuz ,Tasmiya aur Aameen ko aahista kehna ,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/355-356

❉ 7- Farz Kï teesri aur Chothi Raka'at me Sirf Surah Fatiha ka Padhna ,

  ⚀•RєԲ :-  Tahtavi ,1/368

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,25

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

          ☞ Ruku Kï  Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 16 █

             
❉ 1- Ruku Kï Takbeer kehna ,

  ⚀•RєԲ :-  Tahtavi ,1/360

➧ 2- Ruku me dono Haatho se ghutno ko pakadna ,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/361

❉ 3- Ghutno ko pakadne me Ungliyo ko Kushada rakhna ,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/362

➧ 4- Peeth ko bichha dena ,

  ⚀•RєԲ :- Shaami ,2/196

❉ 5- Pindliyo ko sidha Rakhna ,

  ⚀•RєԲ :- Shaami ,2/197

➧ 6- Sar aur Sureen ko barabar rakhna ,

  ⚀•RєԲ :- Shaami ,2/196-197

❉ 7- Ruku me Teen baar  " Subhanallaha Rabbiyal Azeemi ," Padhna,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/144

➧ 8- Ruku se uthne me imaam ko " Sami allaahu liman Hamidah " ba- awaaz buland kehna aur Muqtadi ko ," Rabbana Lakal Hamdu ," aur Munfarid ( Tanha namaz padhne wale ) ko dono kehna ( Aahista se  ) aur Ruku ke baad itminaan se sidha khada hona ,

  ⚀•RєԲ :- Shaami ,2/201

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,26

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

        ☞ Sajde  Kï  Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 17 █

             
❉ 1- Sajde me jaate waqt Takbeer kehna,

  ⚀•RєԲ :- Shaami ,2/202

➧ 2- Sajde me pehle dono ghutno ko rakhna,

  ⚀•RєԲ :- Shaami ,2/202 Tahtavi ,1/363

❉ 3- Fir Dono Haatho ko rakhna,

  ⚀•RєԲ :- Shaami ,2/202 Tahtavi ,1/363

➧ 4- Fir Naak rakhna,

  ⚀•RєԲ :- Shaami ,2/203 Tahtavi ,1/363

❉ 5- Fir peshani rakhna,

  ⚀•RєԲ :- - Shaami ,2/203 Tahtavi ,1/363

➧ 6- Sajde me Sar dono Haatho ke darmiyan rakhna,

  ⚀•RєԲ :-- Shaami ,2/202 Tahtavi ,1/364

❉ 7- Sajde me Pet ko raano se alag rakhna aur pehluo'n ko baazuo'n se alag rakhna,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/365

➧ 8- Kohniyo'n ko zameen se alag rakhna,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/365

❉ 9- Sajde me Teen baar " Subhaana Rabbiyal A'alaa ," Padhna ,

  ⚀•RєԲ :- Hidaya ,1/109

➧ 10- Sajde se uthne Kï Takbeer kehna ,

  ⚀•RєԲ :- Shaami ,2/210-211

❉ 11- Sajde me uthne me pehle Peshani ,fir Naak ,Fir Haatho ko fir ghutno ko uthana ,

  ⚀•RєԲ :- - Shaami ,2/203 Tahtavi ,1/364

➧ 12- Dono Sajdo ke darmiyan itminan se bethna ,

  ⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/366

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,26

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔      
        ❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

        ☞ Qa'ade  Kï  Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 18 █

             
❉ 1- Daaye pair ko khada rakhna aur Baaye pair ko bichha kar us per bethna ,

⚀•RєԲ :- Tahtavi ,1/366

➧ 2- Dono Haatho ko Raano per rakhna,

⚀•RєԲ :-  Tahtavi ,1/366

❉ 3- Tashahud me " Ashhadu Allaa ilaaha ," per Shahadat Kï ungli ko uthana aur " illallaahu " per jhuka dena ,

⚀•RєԲ :- Tahtavi, 1/367

➧ 4- Qa'ada Akhirah me Darood Sharif Padhna,

⚀•RєԲ :-  Tahtavi, 1/369

❉ 5- Darood Sharif ke baad Dua e Masoora un alfaaz me Jo Quran v Hadees ke mushaba ho Padhna ,

⚀•RєԲ :-  Tahtavi, 1/371

➧ 6- Dono taraf ( Daaye Baaye ) Salam ferna ,

⚀•RєԲ :-  Tahtavi, 1/373

❉ 7- Salam Kï ibtida Daahini taraf se karna ,

⚀•RєԲ :-  Tahtavi, 1/373

➧ 8- imaam ko muqtadiyo ,Farishto aur Saleh jinnaat Kï niyat karna ,

⚀•RєԲ :-  Tahtavi, 1/373-374

❉ 9- Muqtadiyo ko imaam ,Farishto aur Saleh Jinnaat aur Daaye Baaye muqtadiyo Kï niyat karna ,

⚀•RєԲ :-  Tahtavi, 1/375

➧ 10- Munfarid ( Tanha Namaz padhne wale ) ko Sirf Farishto Kï Niyat karna ,

⚀•RєԲ :-  Tahtavi, 1/375

❉ 11- Muqtadi ko imaam ke saath saath Salam ferna ,

⚀•RєԲ :-  Tahtavi, 1/375

➧ 12- Doosre Salam Kï Awaaz ko pehle Salam Kï Awaaz se past ( halki ) karna ,

⚀•RєԲ :-  Tahtavi, 1/375

❉ 13- Masbooq ko imaam ke Faarig hone ka Intezar karna ,

⚀•RєԲ :-  Tahtavi, 1/375

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,28

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

       ☞ Sone  Kï  Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 19 █

             
❉ 1-  Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se in Tamaam cheezo per istrahat farmana saabit he ,--

➧ Boriya ,Chataai ,Kapde ka Farsh ,Zameen ,Takht ,Chaarpaai ,Chamda aur Khaal ,

⚀•RєԲ :-  Zaadul Ma'aad ,1/108

❉ 2- Ba-Wazu sona Sunnat he ,

⚀•RєԲ :-  Abu Daowd ,2/331

➧ 3- Jab Apne Bistar per aaye to use Kapde ke goshe se teen baar Jhaad le ,

⚀•RєԲ :-  Muslim ,2/349

❉ 4- Sone se pehle " Bismillah ...." Kehte hue darje zel umoor anjaam de__

➧ 1- Darwaza Band kare ,
➧ 2- Chhirag ( light ) bujha de ,
➧ 3- Mashkiza ka moonh baandhe ,
➧ 4- Bartan dhaank de ,

⚀•RєԲ :-  Muslim ,2/170

❉ 5- Ishaa Kï Namaz ke baad Qissa Kahaniyo Kï muma'anat he ,Namaz padh kar so Jana chahiye ,albatta vaaz v nasihat ke liye ya rozi ma'ash ke liye jaagne Kï ijazat he ,

⚀•RєԲ :-  Mirqaat ,2/275

➧ 6- Sote waqt har Aankh me teen teen salaai Surma Lagana Aurat aur Mard dono ke liye Masnoon he ,

⚀•RєԲ :-  At Targeeb v Tarheeb ,3/ 89

➧ 7- Sote waqt Tasbeeh Fatima ka ahatmaam kare yani
" Subhanallah 33 baar ,Alhamdulillah 33 baar aur Allahu Akbar 34 baar padhe ,

⚀•RєԲ :-  Bukhari ,2/935 Muslim ,2/350 Tirmizi ,2/178

➧ Jab Sone ka iraada ho to Quran Sharif Kï Aayat aur Soorte'n padhe ,Maslan - Alhamd Sharif ,Aaytal kursi ,Surah Mulq ,Chaaro Qul aur Darood Sharif,,,, agar zyada na padh sake to do -ek soorte'n zaroor padh lo k ye Duniya v Akhirat Kï bhalaai aur Nek Bakhti Kï Buniyad he ,

⚀•RєԲ :-  Musnad Ahmad, 1/358 Ibne maaja ,,258

❉ 8- Sote waqt Daahini Karwat per Qibla Rukh Sona Masnoon he ,

⚀•RєԲ :-  Abu Daowd, 2/332

➧ Pat letna is tarah k Seena Zameen Kï taraf aur Peeth asmaan Kï taraf ho mana he ,

⚀•RєԲ :-  Tirmizi ,2/105 Abu Daowd, 2/331

❉ 9- Bistar per Let kar ye Dua padhe ,:-

➧ "_ Allahumma Bismika Amutu Wa Ahyaa ,"

⚀•RєԲ :-  Bukhari ,Muslim

❉ 10- Sone se pehle teen baar Astagfaar padhe ,

➧ " Astagfirullahallazi Laa ilaaha illaa huwal Hayyul Qayyoomu Wa Atubu ilayhi ,"

⚀•RєԲ :-  Tirmizi ,2/177

➧ 11- Agar khwab me koi darawni  baat Nazar aaye aur Aankh khul jaye to teen martaba Baayi taraf thuthkaar do aur-

" A,uzu billahi minashshaytaani rrajeemi ,"

teen baar padho aur Karwat badal kar so jao ,

⚀•RєԲ :-  Muslim ,2/241

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,56

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

       ☞ Nikaah  Kï  Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 20 █

             
❉ 1-  Masnoon ( Barkat wala) Nikaah Wo he Jo saada ho jisme hangama ya zyada takalluf aur Jahez vagera ka Jhanjhat na ho ,

⚀•RєԲ :-  Mishkaat ,2/268

➧ 2- Nikaah ke liye Nek aur  Saaleh fard ko talash karna aur Mangni ya paigam bhejna Masnoon he ,

⚀•RєԲ :- Mishkaat ,2/267

❉ 3- Juma ke Din Masjid me Nikaah karna pasandida aur Masnoon he ,

⚀•RєԲ :-  Mirqaat ,6/276

➧ 4- Nikaah ko mashoor karna Sunnat he ,

⚀•RєԲ :- Mishkaat ,2 /276

❉ 5- Haisiyat ke mutabiq Mahar muqarrar karna Sunnat he ,

⚀•RєԲ :- Mishkaat ,2/277

➧ 6- Shadi Kï pehli Raat ho to Bivi Kï peshani Pakad kar ye Dua padhe,::---

➧ " Allahumma inni As'aluka Khayra haa Wa Khayra maa Jabaltaha Alayhi Wa A'uzu  bika min Sharrihaa wa Sharri maa Jabaltaha Alayhi ,"

⚀•RєԲ :- Abu Daowd, 1/293 Ibne maaja ,138

❉ 7- Jab Bivi se Sohbat ka iraada kare to Ye Dua padh le fir agar Aulaad hogi to us per Shaitan Musallat nahi ho sakta aur usko nuqsaan nahi pahuncha sakta ,,Dua ye he ,:::---

➧" Bismillahi Allahumma Jannibnash Shaytaana Wa jannibish Shaytaana Maa Razaqtana ,"

⚀•RєԲ :- Bukhari ,2/776 Abu Daowd, 1/293 Ibne maaja ,1/138

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,14

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

       ☞ Waleema Kï Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 21 █

             
❉ Shabe uroosi ( Bivi ke saath Pehli Raat ) guzaarne ke baad Apne Azeezo ,Dosto ,Rishtedaro aur Masakeen ko Waleeme ka khana khilana Sunnat he ,

➧ Waleeme ke liye zaroori nahi he k Bade paimane per Khana taiyaar karke khilaye balki thoda Khana ,haisiyat ke mutabiq taiyaar karke Khilana bhi adaaygi e Sunnat ke liye kaafi he ,

❉ Bahut hi Bura Waleema he k Maaldar aur Duniyadar logo ko to bulaya jaye magar gareeb miskeen ,mohtaaj aur Deendar logo ko dhutkaar diya jaye ,Ese Waleeme se bachna chahiye,

➧ Waleeme me Adaaygi Sunnat Kï niyat rakho ,Deendar Gareeb aur mohtaaj logo ko bulao ,Ameero me se bhi jisko Dil chahe bulao magar gareebo ko dhakke na do ,

❉ Jo Waleema Naam aur Dikhawe ke liye ya logo Kï Tareef ke liye kiya jaye uska koi sawab nahi balki Allah Ta'ala Kï narazgi aur gussa ka andesha he ,

⚀•RєԲ :-  Bukhari ,2/ 778

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,52

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

☞ Bachcha Paida hone Kï Sunnate'n,

                 █ ℘αят - 22 █

             
❉ 1- Jab Bachcha Paida ho to uske Daaye kaan me Azaan aur Baaye Kaan me Takbeer kehna,

⚀•RєԲ :- Tirmizi ,1/278

➧ 2- Jab Bachcha Saat Roz ka ho jaye to uska Achchha sa Naam rakhna ,

⚀•RєԲ :- Abu Daowd ,2/36

❉ 3- Saatve Roz Aqeeqa karna ,Agar Saatve (7)Roz aqeeqa na kar sake to Chohdhve (14) roz varna ikkeesve(21) roz kar de ,

⚀•RєԲ :-Abu Daowd ,2/36

➧ 4- Bachche ka Sar mundwa kar Baalo ke Vazan ke barabar Chandi khairaat karna ,

⚀•RєԲ :- Tirmizi ,1/278

❉ 5- Sar Mundne ke baad Bachche ke Sar me Zaafran laga dena ,

⚀•RєԲ :- Abu Daowd ,2/37

➧ 6- Ladke ke Aqeeqe me Do bakre ya Do bakriya aur Ladki ke aqeeqe me ek Bakra ya Bakri Zibah karna ,

⚀•RєԲ :- Tirmizi ,1/278 Ibne maaja, 228

❉ 7- Aqeeqe ka Gosht Dada ,Dadi,Nana ,Nani vagera Sab hi kha sakte he'n ,

⚀•RєԲ :- Bahishti Zever, 3/43

➧ 8- Aqeeqe ka Gosht paka kar ya Kachcha taqseem kiya ja sakta he ,

⚀•RєԲ :- Bahishti Zever ,6/12

❉ 9- Kisi buzurg se Chhuhara chabwa kar Bachche ke moonh me daalna ya chatana aur Dua karana ,

⚀•RєԲ :- Bukhari ,2/820 Muslim ,2/209 Mishkaat ,2/362

➧ 10- Jab Bachcha Saat baras ka ho jaye use Namaz v Digar Deen Kï baate sikhana ,

⚀•RєԲ :- Mishkaat ,1/58

❉ 11- Jab Bachcha Das baras ka ho jaye to sakhti se Daant kar Namaz padhwana aur Zarurat Peshab aaye to saza dena taki Namaz ka Aadi ho jaye ,

⚀•RєԲ :- Mishkaat ,1/58

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,52

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

☞ Mashrat  Kï  chand  Sunnate'n --1 ,

                 █ ℘αят - 23 █

             
❉ 1- Salaam karna musalmano ke liye bahut badi Sunnat he ,Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne iski bahut takeed farmayi he ,isse Aapas me Muhabbat badhti he ,

➧ Har musalman ko salaam karna chahiye chahe pehchanta ho ya na ho ,Kyuki salaam islami Haq he kisi ke jaanne aur sanasaayi per moqoof nahi ,

⚀•RєԲ :- Bukhari Sharif ,2/ 921

❉ 2- Bachcho ko bhi Salaam karna Sunnat he ,

⚀•RєԲ :- Bukhari ,2/921 Muslim ,2/214

➧ 3- Salaam karne ka Sunnat Tareeqa he k Zaban se ,   " Assalamu Alaykum ,"
kahe ,Haath se ya Ungli ke ishare se Salam karna ya iska jawab dena Sunnat ke khilaf he ,Agar door ho to Zaban aur Haath dono se Salam kare ,

⚀•RєԲ :- Mishkaat ,2/399 Tirmizi ,2/99

❉ 4- Kisi Musalman bhai se mulaqaat ho to Salam ke baad musafa karna Masnoon he ,Aurat Aurat se musafa kar sakti he ,

⚀•RєԲ :- Mishkaat ,2/401

➧ Baqi Agle part me ,,,,,

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,60

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
❥✦❥

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

●═══════════════════════●

❈℘γαяε Nαв'i' Ki ℘γαяi Sบททαтε ❈

●═══════════════════════●

☞  Mashrat  Kï  chand  Sunnate'n--2 ,

                 █ ℘αят - 24 █

            
➧ Pichhle Part se Jari ,,,,,

❉ 5-  Agar Kisi Majlis me jaye to Jaha'n moqa mile , Jagah mile beth jao doosro  uthaa kar khud beth Jana gunaah Kï baat aur makrooh he ,

⚀•RєԲ :-Bukhari Sharif, 2/401,Muslim ,2/21

➧ 6- Agar koi Shakhs Aapse Milne aaye to Aap apni jagah se Zara sa khisak  jaye ,Chahe majlis me gunja'ish ho ,Ye bhi Sunnat he aur isme us aane wale ka ikraam he ,

⚀•RєԲ :-Zadul Talibeen ,56 Shobul imaan ,6/468

❉ 7- Kahi agar sirf Teen Aadmi ho to ek ko chhor kar Kaana Foosi Kï ijazat nahi k Khamkhwah uske Dil me shubhaat Kï vajah se Ranjeeda hoga ,aur Musalman Bhai ko Ranjeeda karna ( Dil dukhana ) bahut bada gunaah he ,

⚀•RєԲ :- Muslim ,2/219

➧ 8- Kisi ke Makaan per jaana ho to usse ijazat lekar Dakhil hona chahiye ,

⚀•RєԲ :- Mishkaat ,2/401

❉ 9- Jab Jamaai aaye to sunnat he k usko rokne Kï poori koshish kare ,

⚀•RєԲ :- Bukhari ,2/919

➧ Agar moonh koshish ke bavjood band na rakh sake to Baaye haath Kï pusht ko moonh per rakh le  aur Ha ha Kï Awaaz nikale ye Hadees me mamnoo he ,

❉ 10- Agar kisi ka achchha Naam Suno to usse Apne maqsad ke liye nek faal samajhna Sunnat he ,aur usse khush hona bhi Sunnat he , Bad fali lene ko sakht mana farmaya gaya he ,

➧ Jese Raaste chalte kisi ko Chheenk aa gayi to ye samajhna k kaam na hoga ya Kawwa bola ,Ya Bandar Nazar aa gaya ya ullu bola to inse aafat aane ka gumaan karna sakht nadaani he aur bilkul be asal galat aur gumrahi ka aqeeda he ,isi tarah kisi ko manhoos samajhna ya kisi Din ko manhoos samajhna bahut bura he ,

⚀•RєԲ :- Mirqaat ,9/2-6

➧ Sunnat per Amal karne se Banda Allah Ta'ala ka Mehboob ho jata he ,isliye ahatmam se is per Amal karna chahiye,

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε

�� Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,61

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔              ╭─━═☜█✼✦✼ █☞═━─╮ 
              ⊙Join Group ⊙
           ✧ AhLe deoband ✧

          ╰─━═☜█❈✦❈ █☞═━─╯
ُُ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
   
━═─────────────────═━

No comments:

Post a Comment