❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SAR KI HIFAZAT KIJIYE
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
01
▣ Aagaaz ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Hadeese Baala me Pehli Hidayat Sar aur Usse Mutalliq A'aza ki Hifazat ki di gayi he ,isse ye Muraad nahi k Sar ko Mahaz jismani Bimariyo se bachaya jaye aur Dava vagera ke Zariye se uski Hifazat ke tareeqe akhtyar kiye jaye ,
◈ Balki Maqsood ye he k Sar aur Usse Mutalliq A'aza ko har us Bimari se mehfooz rakha jaye jisse Shariyat me muma'anat vaarid hui he ,
◈ Maslan - Hamara Sar Allah ke Darbaar ke alawa kisi aur ke Darbaar me na Jhuke ,Hamari Aankhe na-jaa'iz cheezo ko na dekhe ,Hamare Kaan Haraam Awaaz ko na Sune ,Hamari Zabaan na-jaa'iz baato ka talaffuz na kare ,
◈ Qurane Kareem aur Ahadees e Taiyaba me in cheezo ki Hifazat per mukhtalif andaaz me zor diya gaya he ,Jiski Qadre Tafseel in sha Allah Agle Part se pesh ki jayegi ,
☆ Next - 2 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 40
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺
━─━─━─━─━─━─━─
◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SAR KI HIFAZAT KIJIYE
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
02
▣ Shirk Se Bachna ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Sar ki Hifazat ka Avval sabaq ye he k Aadmi ka dimaag kisi bhi haal me Allah Rabbbul izzat ke saath ibaadat me kisi doosre ko Sharek karne ka ravadaar na ho ,isliye k Allah Ta'ala ke alawa doosre ko ma'abood banana ya samajhna Islam ki nazar me Na-qabile maafi Jurm he ,
◈ Allah Ta'ala ka irshad he ,
Tarjuma :- Beshak Allah Ta'ala nahi bakhshta usko Jo uska shareek kare ,aur bakhshta he usse niche ke Gunaah jiske chahe ,
Surah An- Nisa ,84:116
◈ Hadees Sharif me Sakhti ke saath Shirk ki muma'anat vaarid hui he ,aur na sirf Shirke Haqeeqi ( Yani ma'abood samajh kar gairullah ko sajda karna vagera) Balki Shirke Shaiba ( Yani gairullah se ma'abood jesa maamla karna ) se bhi bachne ki talqeen farmayi gayi he ,
◈ Marzul Wafaat me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ummat ko Jo chand Aham tareen Vasiyate irshad farmayi unme ek ye bhi thi ,k ,
" Khabardar ! Tumse pehli ummato ke log apne Ambiya aur Nek logo ki Qabro ko Sajdagaah bana lete the ,Khabardar ! Tum Qabro ko Sajdagaah mat banana ,Me Tumko is kaam se rokta hu'n ,"
Muslim Sharif, 1/201
◈ Lihaza Sar ki Hifazat is baat me he k Hamara Sar Allah Ta'ala ke Darbaar ke alawa kisi ke saamne na jhuke aur Allah Ta'ala jesi Ta'zeem aur kisi ki na ki jaye ,
☆ Next - 3 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 40
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
03
▣ Ek Galat Fehmi Ka ijaala ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Aaj kal Qabro KE saamne Sar Jhukane aur Matha tekne ka Rivaaj aam he ,Jab logo ko is bad Amli se mana kiya jata he aur unke saamne Sahih Ahadeed padhi jati he Jinme Qabro KE Sajde se muma'anat Kï gayi he to unme se baaz Be - Tofeeq log ye taveel karte he'n k ," Hadees me jis Sajde se mana kiya gaya Wo Namaz wala Sajda he yani Qabro ko esa sajda na kiya jaye jesa Namaz me hota he ,iske alawa doosri tarah sar jhukana mana nahi he ,"
◈ Halanki Ye taveel bilkul be- asal he ,Yaha Jo Hukm Sajde ka he Wahi Hukm Ruku ya kisi bhi tarah Matha tekne ka he aur is tarah Kï sabhi ibaadaat jesi harkate Gairullah ke liye Na-jaa'iz aur Haraam he ,Khud Fuqha ne iski sarahat farmayi he ,
◈" Aur isi tarah Jaahil log ulma Sarbaravar Hazraat KE saamne Zameen choomne ka Amal karte he'n Wo Haraam he ,aur is Amal ka karne wala aur isse Raazi hone wala dono gunahgar he'n ,isliye k ye But Kï ibaadat KE mushabe he ,aur kya iski takfeer Kï jayegi ? To agar ibaadat aur Tazeem Kï niyat se ho to takfeer hogi aur agar mahaz ahatram ke tor per ho to takfeer to na hogi magar Wo gunahe Kabira hoga ,
Durre Mukhtar ,
◈ " Aur Fatawa Zahidi me he k Ruku KE qareeb tak Jhuk kar Salam bhi Sajde hi KE Hukm me he ,aur muheet me he k Badshah KE saamne Jhukna makrooh tehrimi he aur Fuqha KE Zaahir Kalam se yahi maloom hota he k is tarah Kï taqbeel per Sajde hi ka Hukm lagaya gaya he ,
Shaami ,9/428
◈ Bahar haal Fuqha Kï in ibaraat se ye tay ho gaya he k Muma'anat sirf Namaz jese Sajde take mehdood nahi he balki jis tarah bhi had se zyada tazeem Kï jaye aur ibaadat Kï soorat apnayi jaye Wo gairullah KE saamne mamoo he ,isliye Jo Shakhs bhi Allah se Sharm karega Wo Apne Sar ko kabhi bhi Qabro vagera KE saamne jhukane Kï jurrat na kar sakega ,
☆ Next - 4 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 42
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
04
▣ Shirk e Khafi.(Riyakari )-1▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Shirk Kï ek qism aur he Jise Shirke Khafi ya Riyakari ke Naam se Jana jata he ,iska matlab ye he k Allah Kï ibaadat isliye Kï jaye taki koi doosra Shakhs isse khush ho ,Ya isse koi Duniyavi maqsad ho Ya Shohrat v izzat ,Daulat vagera uske zariye haasil ho jaye ,
◈ Shariyat Kï Nazar me Ye Amal Chahe Kufr v Shirk ke darje ka nahi lekin apni zaat ke aitbaar se nihayat mabgooz he aur insaan Kï saari mehnat ko barbaad kar deta he ,
◈ Jo Shakhs Akhirat ke Amal ko muzayyan kare halanki Wo Akhirat ka taalib na ho to us per Asmaan v zameen me laanat Kï jati he ,
Targeeb , 1/32
◈ Jo Akhirat KE kisi Amal se Duniya ka taalib ho uske chehre per fatkaar hoti he ,iska zikr mita diya jata he aur uska naam Jahannam me likh diya jata he ,
Targeeb v Tarheeb ,1/32
◈ Jo Shakhs Namaz ko isliye achcha padhe taki log use dekhe aur Jab tanhaai me jaye to Namaz kharab padhe ( Adaab v Sharayat ka lihaaz na rakhe ) to ye esi ahanat he jiske zariye se Wo Allah ta'ala Kï toheen kar raha he ,
Targeeb v Tarheeb ,1/33
☆ Next - 5 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 42
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
05
▣ Shirk e Khafi.(Riyakari )-2. ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Jisne Riya ke qasd se Roza rakha usne Shirk kiya ,Jisne dikhawe ke liye Namaz padhi usne Shirk kiya aur Jisne Shohrat ke liye Sadqa kiya usne bhi Shirk kiya ,
Targeeb v Tarheeb ,1/33
◈ Shirke Khafi ye he k Aadmi khada ho kar Namaz padhe aur Jab ye dekhe k koi Shakhs use dekh raha he to apni Namaz khoob achchhi kar de ,
Ibne maaja ,310 Targeeb v Tarheeb ,1/33
◈ Ey logo ! Chhipe hue Shirk se bachte raho ,
Sahaba Kiraam ne arz kiya ," Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Chhipa hua Shirk kya he ?
To Aapne farmaya ,k ek Aadmi Namaz ke liye khada ho to logo ko uski taraf dekhne Kï vajah se apni Namaz ko khoob koshish karke muzayyan kare to ye poshida Shirk he ,
Targeeb v Tarheeb ,1/34
◈ Me Sabse zyada tum per jis baat ka Andesha karta hu Wo Shirke Asgar he ,
Sahaba Raziyallahu anhum ne puchha ,k Shirke Asgar kya hota he. ?
To Aap _ﷺ_ne jawab diya ye Riya he ,Allah ta'ala logo ko unke Amaal ka badla dete waqt irshad farmayega k unhi logo ke paas jao jinko Duniya me tum ( apni ibaadat ) dikhate the to dekho kya tum unke paas koi badla paoge ,
Targeeb v Tarheeb ,1/34
◈ Allah Ta'ala se panaah mango Jubbul Hujn ( Gam Kï Ghaati ) se ,
Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya, Ya Rasulullah _ﷺ_ Jubbul Hujn kya he ?
To Aap _ﷺ_ne irshad farmaya k Wo Jahannam me esi Vaadi he jisse Khud Jahannam har din Chaar So ( 400 ) martaba panaah maangti he ,
Aap _ﷺ_se puchha gaya k ,Ey Allah ke Rasool _ﷺ_ usme kon log Dakhil honge ,?
To Aap _ﷺ_ne farmaya k Riyakariyo'n ke liye ise taiyar kiya gaya he ,
Targeeb v Tarheeb ,1/34
◈ Ye irshadat hamari tambeeh ke liye kaafi he k Hume Apne har us Amal v Aqeede se mehfooz karna chahiye Jo Allah ta'ala se Sharm Karne ke taqaze ke manafi ho ,Riyakari aur ibaadat me Allah KE saath doosre ko shareek Karna dar haqeeqat Allah ta'ala ke saath nihayat be hayai aur be sharmi he ,
☆ Next - 6 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 43
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
06
▣ Takabbur -1 ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Allah Ta'ala se Haya karne ka ek aham taqaza ye he k hamara Sar aur Hamara dimaag Kibr v khudnumai se poori tarah Paak ho ,Kibriyai sirf aur sirf zaate ilaahi ko Zeba deti he ,Qurane Kareem Khule lafzo me Elaan karta he ,
◈ Surah Al-Jathiya, Aayat 37:
وَلَهُ الْكِبْرِيَاءُ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ
_" Aur usi ke liye badaai he Aasmano me zameen me aur wahi he Zabardast hikmat wala ,
◈ Zameen per Akad kar chalna aur Sar ko takabbur ke andaz me rakhna Quran Hadees Kï Nazar me Sakht Na-pasandida he ,Qurane Kareem me farmaya gaya :-
◈ Surah Al-Isra, Aayat 37:
وَلَا تَمْشِ فِي الْأَرْضِ مَرَحًا إِنَّكَ لَن تَخْرِقَ الْأَرْضَ وَلَن تَبْلُغَ الْجِبَالَ طُولًا
_ " Aur mat chal zameen per Akadta hua tu faad na daalega zameen ko aur na pahunchega pahado tak lamba ho kar ,
☆ Next - 7 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 46
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
07
▣ Takabbur -2 ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Allah Ta'ala Farmate he'n ,Badaai meri chaadar he aur Azmat meri izaar he ,Jo inme se koi cheez bhi mujhse lene Kï koshish karega ,Me use Jahannam me Dakhil karunga ,
⚀•RєԲ: Abu Daowd ,2/66,ibne maaja 308 ,Muslim 2/ 329 ,
◈ Koi bhi Esa Shakhs Jannat me Dakhil nahi ho sakega jiske Dil me Raai ke daane ke barabar bhi Takabbur ho ,
⚀•RєԲ: Muslim ,1/5 ,Tirmizi ,2/20 Mishkaat 2/433
◈ Tumhare se pehli ummato ka ek Shakhs Takabbur Kï bina per tehband latka ta tha to use zameen me dhansa diya gaya aur Wo qayamat tak dhansta hi chala ja raha he ,
⚀•RєԲ: Nasa'i 2/298, Targeeb v Tarheeb 3/356
◈ Jo Shakhs badaai ki vajah se Apne Kapde ( Takhne se ) niche latkaye to Allah Ta'ala qayamat ke din uski taraf Rehmat Kï Nazar na farmayenge ,
⚀•RєԲ: Bukhari Sharif 2/860 Targeeb v Tarheeb ,3/357
◈ Jo Shakhs Apne ko bada samjhe aur Chaal me Takabbur ka izhaar kare to Allah Ta'ala se Wo is haal me milega k Allah Ta'ala us per gussa hoga ,
⚀•RєԲ: Ravaah Tabrani ,Targeeb V Tarheeb ,3/357
◈ Khulasa ye he k Takabbur aur Khud pasandi esi bad tareen khaslat he Jo insaan ko Duniya v Akhirat kahi ka nahi chhorti ,Fir Allah Ta'ala ke muqable me Takabbur karna nauzu billah nihayat be hayai Kï baat he ,
◈ Tavazo ke zariye insaan bulandi ke naqabile tasavvur maqaam tak pahunch jata he aur Takabbur Kï vajah se agarche khud ko kitna hi bada samajhta rahe magar logo Kï Nazar me Kutte aur Khinzeer se badtar ho jata he ,,Allah Ta'ala is manhoos Buraai se Hume mehfooz rakhe aur Apni zaate Kaamil se haya karne Kï tofeeq bakhshe ,,( Aameen )
☆ Next -Zaban Ki Hifazat , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 46
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
08
▣ Zaban Kï Hifazat-1 . ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Sar ke mutalliq A'aza me insaan Kï Zaban ko sabse zyada ahmiyat haasil he ,Ye chhoti si Zaban agar Sahi Raaste per chalti he to Azeemul Qadr Darjaat ko haasil karne ka zariya aur Waseela banti he ,aur Zaban hi Agar be haya ban jaye aur Allah Rabbul izzat ke Khof se beniyaz ho kar mamnoo kalmaat hi bolti rahe to insaan ke liye had darje Saqawat aur mehroomi Kï vajah ban jati he ,
◈ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal farmate he'n ,
"_Jab Aadmi Subeh so kar uthata he to Saare A'aza Zaban ke saamne Azizi karte hue kehte he'n k Hamare waaste Allah se darti reh ! Isliye k hum tere saath he'n ,agar tu sidhi rahegi to hum sidhe rahenge aur agar Tu Tedi hogi to hum Tede honge ,"
⚀•RєԲ Tirmizi ,2/66 Bayhqi ,Shobul imaan ,Mishkaat ,2/413
◈ Maloom hua k Zaban ko qabu me rakhna Allah se haya ka Haq ada karne wale ke liye zaroori he ,isi bina per Rasulullah Sallallahu ne Nihayat takeed ke saath Zaban Kï hifazat Kï Targeeb di he ,
"_Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k ,Jo ( galat baat kehne se ) Khamosh raha Wo Nijaat pa gaya ,"
⚀•RєԲ :- Bayhqi fi Shobul imaan ,4/254
◈ Ek Sahabi Uqba bin Aamir Raziyallahu Anhu ne Aap Sallallahu Alaihivasallam se daryaft kiya k Nijaat kese haasil hogi ,?
" Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Jawab diya ,Apni Zaban ko qabu me rakho aur Tumhara ghar tumhe gunja'ish de ( bila zarurat Waha se na niklo ) aur Apni galti per Roya karo ,"
⚀•RєԲ:- Tirmizi 2/ 66 Bayhqi Shobul imaan ,1/492
☆ Next - 9 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 50
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
09
▣ Zaban Kï Hifazat-2 ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Hazrat Sufiyan bin Abdullah Saqfi Raziyallahu Anhu ne Aap Sallallahu Alaihivasallam se daryaft kiya k ,Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Aap mere ouper sabse zyada kis baat ka khof karte he'n ?
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Apni Zaban pakdi aur ( aur uski taraf ishara karke ) farmaya ,Sabse zyada khatre Kï cheez ye Zaban he ,
⚀•RєԲ:- Tirmizi 2/66 Mishkaat 2/413
◈ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,insaan ka khamoshi Akhtyar karne ka martaba Saath ( 60 ) saal Kï ibaadat se bad kar he ,
⚀•RєԲ:- Mishkaat ,2/414 Bayhqi Shobul imaan ,4/245
◈ Ek moqe per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Abuzar Gafari Raziyallahu Anhu ko khitab karte hue farmaya ,
" Ey Abuzar ! Kya mai Tumhe esi do aadate na batau'n Jo peeth per halki ( Yani karne me asaan ) aur Mizaan Amal me Bhaari he ,"
Maine arz kiya, Zaroor Bataiye ,
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,(1) lambi khamoshi (2) Khush Akhlaqi ___
Qasam he us zaat Kï jiske qabze me meri jaan he ,Makhlooq ne in dono Aadato se badh kar koi Amal nahi kiya ,"
⚀•RєԲ:- Mishkaat 2/415,Bayhqi fi Shobul imaan ,4/242
◈ Ek martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,Jo Shakhs mujhse is Cheez Kï Zamanat le le Jo iske do Jabdo ke darmiyan he ( yani Zaban ) aur us Cheez Kï Jo iske pairo ke darmiyan he ( yani Sharmgah ) to uske liye Jannat Kï mai Zamanat leta hu'n ,"
⚀•RєԲ:- Bukhari Sharif, 2/958
◈ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrate Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se khitaab karte hue farmaya ,
" Kya Tum jaante ho Kya cheez logo ko sabse zyada Jannat me Dakhil karegi ,?Wo Allah ka Taqwa aur Khush Akhlaqi he ,
aur kya Tumhe maloom he sabse zyada kya Cheez logo ko Jahannam me pahunchayegi ? Wo do darmiyani cheeze he'n yani Moonh aur Sharmgah ,"
⚀•RєԲ:- Ravaah Tirmizi ,Mishkaat 2/412
◈ Hazrat Bilaal bin Haaris Raziyallahu Anhu irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam naqal farmate he'n,
" Beshak Aadmi koi khair Kï baat Zaban SE nikaalta he magar uske darje ko koi nahi jaanta k Allah Ta'ala us Kalme ke zariye uske liye qayamat tak Apni Raza ko likh dete he'n ,
Aur Aadmi koi bura Kalma Kehta he uske darje ko bhi nahi jaanta k Allah Ta'ala uski vajah se qayamat tak usse apni naraazgi muqarrar farmaya dete he'n ,"
⚀•RєԲ:- Mishkaat ,2/412
◈ Ye irshadaat Mubarak Hume batate he'n k Zaban Kï hifazat kis qadar Zaroori Cheez he ,Jiska lihaaz rakhe bager Allah Ta'ala se haya ka Haq hargiz ada nahi ho sakta ,
☆ Next - 10 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 51
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
10
▣ Zaban Kï Aafate'n ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Zaban ke Zariye Jo gunaah hote he'n Wo beshumar he'n ,Un sabko tehreer me Lana dushwaar he ,Lekin Imaam Gazali Reh. ne Ahya ul uloom me Zaban ke gunaah ko 20 Unwano me Sametne Kï koshish Kï he ,
◈ 1- Be zarurat Kalam ( baat ) karna ,
◈ 2- Zarurat se Zyada baat karna ,
◈ 3- Haraam Cheezo ka tazkira karna( Maslan Filmi story, Faasiqo Kï Majliso ka zikr vagera),
◈ 4- Jhagda karna ,
◈ 5- Doosre Kï hakarat Kï garz se Shor machana ,
◈ 6- Gaali bakna aur Fahash kalami karna ,
◈ 7- Mithaar Mithaar kar baat cheet karna ,
◈ 8- Doosre per laan taan karna ,
◈ 9- Na-jaa'iz mazaq karna ,
◈ 10- Gana gana ya Padhna ,Galat Ashaar ( Sher Shayri ) Padhna,
◈ 11- Doosre ka istehza karna ,
◈ 12- Kisi ka Raaz Zahir karna ,
◈ 13- Jhoota Vaada karna ,
◈ 14- Jhoot Bolna ,
◈ 15- Kisi Kï peeth pichhe buraai karna ,
◈ 16- Chugli khana ,
◈ 17- Dogli baate karna ,
◈ 18- Gair Mustahiq Kï Tareef karna ,
◈ 19- Apni galtiyo'n se be khabar rehna ,
◈ 20- Awam me esi Deeni baate bayan karna Jo unki samajh se bahar ho ( matlab Taqdeer aur Zaate Sifaat Khudawandi se mutalliq guftgu karna )
◈ Ye sab gunaah es he'n Jo amuman Zaban hi se hote he'n ,Allah Ta'ala se haya aur Sharm karne ke liye Apne aapko in sab munkiraat se bachana zaruri aur laazim he ,
☆ Next - 11 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 52
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
11
▣ Jhoot -1. ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Zaban ke Zariye Sabse zyada jis Gunaah ka irtkaab karke be hayai ka saboot diya jata he Wo Jhoot bolna aur Jhooti gawahi dena he ,
◈ Qurane Kareem me Jhoot Bolne walo per laanat Kï gayi he ,irshad he :- " Pas laanat kare Allah un per Jo k Jhoote he'n ,"
⚀•RєԲ: Surah Aale imraan ,Aayat 61,
◈ Aur Hadees Mubarak me mukhtalif Andaz me is gunaah Kï shana'at ko bayan kiya gaya he, Ek Hadees me irshad he ,:
"-Jab Aadmi Jhoot bolta he to us Kalme Kï ( Jhoot Kï )badbu Kï vajah se Jo usne bola he Rehmat ka farishta usse ek meel door chala jata he ,"
⚀•RєԲ: Ravaah Tirmizi, 2/18
◈ Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Sachchai ko Akhtyar karne aur Jhoot se bachne Kï nihayat takeed farmayi he ,
" Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu naqal karte he'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,,
" Sach ko Akhtyar karo isliye k sach bolna Neki Kï taraf le jata he aur Neki Jannat tak pahuncha deti he, Aur Aadmi barabar sach bolta rehta he aur Sach ka mutlashi rehta he Yaha k Allah ke nazdwek uska naam Siddiqeen me likh diya jata he ,
Aur Jhoot se bachte raho ,isliye k Jhoot fisq v fijoor Kï taraf le jata he ,aur fisq v fijoor Jahannam Kï tak pahuncha deta he ,aur Aadmi barabar Jhoot bolta he yaha tak k uska naam Jhooto me likh diya jata he ,"
⚀•RєԲ: Mishkaat ,2/412
◈ Rasulullah Sallallahu ne mazaq me bhi Jhoot bolne se mana farmaya he ,balki ese Shakhs ke liye Teen martaba bad dua farmayi he ,
" Jo Shakhs logo ko hansane ke liye Jhoot bole uske liye barbadi ho ,barbadi ho ,barbadi ho ,"
⚀•RєԲ : Ravaah Ahmad v Tirmizi, Mishkaat 2/413
▣ Aaj kal Aam log hansne hansane ke liye nit naye tareqe Akhtyar karte he'n aur mahaz isliye Jhoot bolte he'n taki Log hanse ,Unko Aap Sallallahu Alaihivasallam Kï Bad Dua Yaad rakhna chahiye aur is bure kaam se Baaz aana chahiye ,
☆ Next - 12 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 55
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
12
▣ Jhoot -2. ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Rasool e Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Jhoot bolne ko badi khyanat qaraar diya he ,Ek Hadees me he ,:-
" Ye Badi Khayanat he k Tu Apne Bhai se esi guftgu kare jisme Wo Tujhe Sachcha Samajhta ho Halanki tu usse Jhoot bol raha he ,"
⚀•RєԲ: Ravaah Abu Daowd Mishkaat ,2/413
◈ Jhoot bolne ko munafiq Kï khaas Alamato me shumar kiya gaya he ,Ek Hadees me irshad e Nabvi Sallallahu Alaihivasallam he ,
" Munafiq Kï Teen ( khaas ) nishaniya'n he'n ,Jab baat kare to Jhoot bole, Jab Vaada kare to uske khilaf kare ,aur Jab use Ameen banaya jaye to usme Khayanat kare ,"
⚀•RєԲ: Bukhari ,2/900 Muslim ,1/56
◈ Ek Hadees me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Sach ko Jannat Zamanat qaraar dete hue irshad farmaya ,:-
" Tum mujhse apni taraf se Chhe ( 6 ) baato Kï garanti le lo ,mai Tumhare liye Jannat Kï Zamanat leta hu'n ,
1- Jab baat karo to Sach bolo ,
2- Jo Vaada karo use poora karo ,
3- Apni amanat ko ada karo ,
4- Apni Sharmgaho Kï hifazat karo ,
5- Apni Nigaahe nichi rakho ,
6- Aur Apne Haatho ko ( Zulm se ) roke rakho ,"
⚀•RєԲ: Bayhqi fi Shobul imaan ,4/204-320
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne sach bolne ko un Amaal me Shumar farmaya Jo Muhabbat e Khuda aur Rasool Sallallahu Alaihivasallam Kï nishani he ,,Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ,
" Jis Shakhs ko ye baat pasand ho k Wo Allah aur Uske Rasool se Muhabbat kare aur Allah aur Uska Rasool usse Muhabbat kare to Wo Jab bole sach bole
Aur Jab use koi Amanat supurd Kï jaye to use ada kare aur Apne padosi ke saath achchha bartaav kare ,"
⚀•RєԲ: Bayhqi fi Shobul imaan ,2/201
☆ Next - 13 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 57
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
13
▣ Sach Me Hi Nijaat He ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Jhoot se bachna aur har maamle me Sach ko Akhtyar Karna Qurbe ilaahi ( Allah ke qareeb hone ) ka ek bahut bada Zariya he , is Sifaat Kï badolat insaan me waqai Allah Rabbul Aalameen se Sharm v Haya ka jazba paida hota he aur Khairaat Kï Tofeeq ata hoti he ,
◈ iske bar khilaf Jhoot ke maamle me laparwahi baratna sakht Sakht nuqsaan aur Mehroomi ka sabab he ,Jhoot se Waqti tor per koi duniyavi faayda to uthaya ja sakta he lekin Anjaam ke aitbaar se Wo Nijaat ka zariya nahi ban sakta ,aur Sach bol kar ho sakta he waqti nuqsaan mehsoos ho lekin iska natija aakhir me hamesha achchha aur mufeed hi baramad hota he ,
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ,
" sach ko talash karo agarche isme Tumhe halakat maloom ho ,isliye k Nijaat isi ( sach bolne me ) he ,
⚀•RєԲ: At Targeeb v Tarheeb ,3/365
◈ Tajurba se bhi ye baat saabit he k jhoote Aadmi ka aitmaad ( trust ) logo me nahi rehta ,aur Log use achchhi nigaah se nahi dekhte ,Yahi Vajah he k--
" Hazraate Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum farmate he'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Jhoot se Zyada koi Sifaat na-pasand na thi , "
⚀•RєԲ: At Targeeb v Tarheeb ,3/367
◈ Aap Sallallahu Alaihivasallam ka ye bhi irshad he k ,
" Momin me har sift ho sakti he lekin Wo Jhoota nahi ho sakta ,( Yani agar Jhoota ho to uske imaan me kami hogi ,)
⚀•RєԲ: At Targeeb ,3/368
◈ Aur Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ka ye irshad naqal farmaya he k
"Koi Shakhs us waqt tak kamaale imaan haasil nahi kar sakta jab tak k Mazaaq ( tak ) me Jhoot bolne aur Jhagda karne se Baaz na aa jaye agar wo Haq per hi kyu na ho ,"
⚀•RєԲ: At Targeeb, 3/ 367
☆ Next - 14 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 59
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
14
▣ Yeh Bhi Jhoot He ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Hazrat Abdullah bin Aamir Raziyallahu Anhu farmate he'n k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam hamare ghar tashreef farma the ,Meri Walida ne ( meri Jaanib band mutthi badha kar ) kaha ,
" Yaha'n Aao me Tumhe dungi ,( Jese Maa'n Apne Bachche ko paas bulane ke liye ESA karti he ) ,
Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne Walida se irshad farmaya ,
" Tumhara ise kya dene ka iraada tha ?
Walida ne Jawab diya ,k me ise Khajoor dena chahti thi ,"
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,k
" Agar tum Khajoor na deti to tumhare Naama e Amaal me ek Jhoot likha jata ,"
⚀•RєԲ:Targeeb v Tarheeb ,3/370
◈ Is Hadees se maloom huva k bahut si esi baate jinhe mashre me Jhoot nahi samjha jata he ,in per bhi Jhoot ka gunaah ho sakta he ,
◈ Bachcho ko jhooti tasalli dena ,Jhoote Vaade karna ,isi tarah hansne hansane ke liye aur mahaz tafreeh tabiyat ke liye Jhoot bolne ko goya halaal samjha jata he, Jabki is maqsad se Jhoot bolna bhi sakht gunaah he ,
☆ Next - 15 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 60
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
15
▣ Tijarat Me Jhoot Ka Rivaaj ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Khareed Farokht ke maamle me bhi Dil khol kar Jhoot bola jata he aur bilkul bhi iske gunaah hone ka ahsaas nahi kiya jata ,Tajiro Kï Nazar me Dukaan ka maal bikna chahiye chahe Jhoot bolna pade , Grahako ko rijhane ke liye tarah tarah ke hathkande istemal kiye jate he'n aur Mahaz Chand Roz ke nafe ke liye Akhirat Kï mehroomi mol li jati he ,
◈ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,
" Aksar Tajir Qayamat ke din Faajiro Kï Saf me uthaye jayenge ,Magar Wo (Taajir ) Jo Allah se dare aur Neki kare aur Sach bole ,"
⚀•RєԲ: Mishkaat ,1/244 Tirmizi ,1/230
◈ Ek doosri jagah irshad farmaya,
" Haa'n ( Khareed Farokht halaal to he ) magar ye (Taajir )qasme kha kar gunahgar hote he'n aur Jab baat karte he'n to Jhoot bolte he'n ," ( isiliye inhe faajir kaha gaya he )
⚀•RєԲ: Targeeb ,2/366
◈ Hazrat Abuzar Gafari Raziyallahu Anhu farmate he'n k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,
" Teen Aadmi ese he'n Jinki taraf Allah Ta'ala Rehmat Kï Nazar nahi farmayega aur na unka tazkiya karega aur unko dardnaak azaab hoga ,"
Mene arz kiya, " Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Ese badnaseeb log kon honge ,?"
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" (Ek )Wo Jo Apne Kapde ko Takhne se niche latkaye ,( doosre ) Wo Jo Sadqa karke ahsaan jataye ,( Teesre ) Wo Jo Apne samaan ko jhooti qasam ke zariye farokht kare ,"
⚀•RєԲ: Muslim ,Targeeb
☆ Next - 16 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 61
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
16
▣ Jhooti Tareef ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Shaitan ne is Zamane me Jhoot ke felane ke liye nit naye Tareeqe ijaad kar rakhe he'n ,inhi me se ek Rasm logo Kï jhooti Tareef karne aur be saropa alqaab dene Kï bhi he ,aur to aur khud Ulma bhi is bare me ahatyaat nahi karte ,
◈ Jalso ke isthaar me is jhoot Kï bharmaar hoti he ,Hattaki ek mamooli Shakhs ke Saath ek ek line ke adaab v alqaab laga kar, muqarriro ke tarruf me mukammal Jhoot ka izhaar kiya jata he ,fir is Amal ko Jhoot samjha bhi nahi jata ,Allah Kï Nazar me ye Amal nihayat na pasandida he , Khaskar jab kisi na ahal aur Faasik v faajir Kï Tareef Kï jati he ,( Jesa k Aaj kal leadero aur Afsaro Kï khushamad vagera ka Tareeqa he ) to is gunaah Kï Vajah se Arshe khudawandi tak kaanp uthta he ,
◈ Ek Hadees ke alfaaz he'n :-
"Jab faasiq Shakhs Kï Tareef Kï jati he to Allah Rabbul izzat ko gussa aata he aur iski bina per Arshe Khudawandi harkat me aa jata he ,"
⚀•RєԲ: Mishkaat ,2/414
◈ Maaldaro aur Ohdedaaro aur Faasiqo faajir logo Kï Tareef karne wale log is Hadees se ibrat haasil kare aur Soche k Wo apni Zaban ko is gunaah me mubtila karke kis qadar behayaai ka saboot de rahe he'n ,
☆ Next - 17 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 62
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
17
▣ Tareef me Ahatyat ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Fir Chunki mahaz Tareef karna bhi fitne SE khali nahi he k Jis Shakhs Kï Tareef Kï ja rahi he bahut mumkin he k Wo Apni Tareef sun kar Ajab aur Takabbur me mubtila ho jaye aur Apne andar Kï buraaiya usse poshida ho jaye ,
◈ isliye Shariyat ne moonh per Tareef karne walo Kï Himmat shikni ke ahkamaat diye gaye he aur Khwah khwah Tareef karne me ahatyat se kaam lene Kï takeed Kï gayi he ,taki Zaban Kï hifazat ke saath saath Apne Musalman bhai Kï khair khwahi bhi peshe Nazar rahe ,
◈ Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu naqal karte he'n k ek Shakhs ne Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ke saamne kisi Shakhs Kï tareef Kï to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,
" Tumne use halaak kar daala ,, Ya
farmaya k " Tumne us Aadmi Kï kamar tod Dï ,"
⚀•RєԲ: Bukhari ,2/895 ,Muslim ,2/414
◈ Doosre moqe per Farmaya ,:-
Tere liye halakat ho Tune Apne saathi Kï gardan kaat Dï ,( ye jumla kai baar irshad farmaya ) Tumne JIS kisi Kï Tareef hi karni ho to Wo yu'n kaha kare k Mera fala'n ke bare me gumaan he ( maslan Wo Nek he ) Jabki Wo use waqai esa hi samajhta ho ,Allah Ta'ala hi haqeeqat haal ka jaanne wala he ,aur Tareef karne wala jazm v Yaqeen ke saath kisi Kï Tareef na kare ,( k iska haqeeqi ILM sirf Allah ko he ) ,
⚀•RєԲ: Mafhoom Bukhari v Muslim ,
◈ isi tarah ek aur Hadees me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,
Jab tum ( mufaad parast ) Tareef karne walo ko dekho to unke moonh me mitti daal do ,
⚀•RєԲ: Muslim ,2/414 ,Mishkaat ,2/412
◈ Maqsad ye he k ese logo ko moonh na lagao aur Wo Tumse jin Duniyavi munafe Kï ummed baandhe hue he UNHE poor a na karo ,Taki Wo fir aage is beja kaam Kï jurrat na kare , Algaraj Haya e Khudawandi ka taqaza ye he k hum apni Zaban ko har un cheezo se mehfooz rakhe jisme Jhoot paya jata ho ,
☆ Next - 18 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 63
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
18
▣ Geebat ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Zaban ke Zariye Jo Gunaah saadir aate he'n unme ek ghinavna Jurm Geebat he , Ye Aaj Chaay Kï Hotalo se lekar Safed posh logo Kï Mubarak majlis tak fela hua he ,Ab ye marz is qadar Aam ho chuka he k iski buraai aur gunaah hone ka ahsaaa tak dil se nikalta ja raha he ,Aaj ke daur me Allah Kï khaas Tofeeq ke bager is gunaah se bachne ka tasavvur bhi nahi kiya ja sakta ,
█ Geebat karna Murdaar Bhai ka Gosht Khane ke barabar he █
◈ Geebat Kï Shana'at ka andaza isse lagaya ja sakta he k Qurane Kareem ne Geebat se bachne ka Hukm karte hue Geebat karne ko Apne murdaar bhai ka Gosht Khane ke misl qaraar diya he , irsha hota he ;:--
⚀•RєԲ: Surah Al-Hujraat, Aayat 12:
وَلَا يَغْتَب بَّعْضُكُم بَعْضًا أَيُحِبُّ أَحَدُكُمْ أَن يَأْكُلَ لَحْمَ أَخِيهِ مَيْتًا فَكَرِهْتُمُوهُ
" Aur Bura na kaho pichhe ek Doosre ke ,bhala khush lagta he tumme kisi ko k Khaye Gosht Apne Bhai ka Jo Murda ho so ghin aati he tumko isse ,"
◈ Zahir he koi Shakhs hargiz hargiz is baat ka tasavvur nahi kar sakta k kisi bhi Murda ka Gosht khaye Wo bhi Apne mare hue Bhai ka ,Qurane Kareem ye Yaqeen hamare dil me bithana chahta he k Jis tarah tumhari tabiyat Apne Bhai ka Gosht Khane per amaada nahi ho sakti ,usi tarah tumhe uski buraai karne se bhi poori tarah ahatraaz karna chahiye ,Kyuki Geebat karna goya uski izzate nafs ko bech khana he ,Jo usi tarah makrooh aur na-pasandida he jese uska Gosht khana na-pasandida aur karahat wala hota he ,
☆ Next - 19 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 66
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
19
▣ Geebat Kya He ? ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Jab Geebat per kisi ko Toka jata he to Wo foran jawab deta he k Kya hua ? Mai to Haqeeqat haal bayan kar raha hu'n ,Mano k ye Haqeeqat bayan karna jaa'iz he , Halanki ye khaam khayal he ,
◈ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ,:-
" Kya tumhe maloom he Geebat kya he ? "
Sahaba ne arz kiya:- Allah aur uska Hukm Rasool zyada jaanta he ,
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
" Apne Bhai ke bare me un baato ka zikr karna Jo use na-pasand ho ( Geebat he ),"
Ek Shakhs ne sawal kiya k agar mere bhai ke andar Wo Sifaat ho Jo mene kahi he'n ( to kya fir bhi Geebat hogi ?)
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- k agar woh buraai tere saathi me payi jaye tabhi to Wo Geebat hogi aur agar woh baat uske andar na ho to tune us per bohtaan baandha he ,( Jo Geebat se bhi bada gunaah he ) "
⚀•RєԲ: Muslim ,2/22
◈ isse maloom hua k us buraai ka bayan kar dena bhi Geebat he Jo buraai us Shakhs me payi jati ho , aur iske umoom me har esi buraai shamil he jisse us Shakhs Kï izzat me farq aata ho chahe Wo Duniya Kï buraai ho ya Deen Kï ,Jism Kï buraai ho ya akhlaaq Kï ,Aiulaad Kï buraai ho ya Bivi Kï ,Khadim Kï buraai ho ya Gulaam Kï ,,
◈ Khulasa ye he k Jis cheez ke bayan se kisi Kï be izzati hoti ho uska izhaar Geebat ke Hukm me Dakhil he ,
☆ Next - 20 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 67
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
20
▣ Saamne Buraai Karna Bhi Gunaah he ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Aur Baaz ne ye bhi likha he k Jis Tarah peeth pichhe buraai karna Geebat he isi tarah saamne buraai karna bhi Shana'at me Geebat ke barabar balki usse badhkar he ,
◈ Aallama Aloosi Reh. Naqal karte he'n:-
" Geebat chahe kisi Kï gair mojoodgi me Kï jaye ya uski mojoodgi me ( dono soorto me ) koi farq nahi he ,Yahi qabile aitmaad baat he ,"
⚀•RєԲ: Roohul ma'ani ,26/158 Zawajir ,2/26
◈ Aam tor per Geebat Kï ye taveel bhi Kï jati he k " Sahab ye baat to me uske moonh per keh chuka hu'n ,"
Yani ye samjha jata he k Geebat Wo he Jo Sirf peeth pichhe Kï jaye aur saamne kisi Kï buraai kare to Wo Geebat nahi he , Halanki Mufassireen Kï tashreeh se ye baat waazeh he k Kisi ke saamne har esi baat kehna Jo use buri lage aur uski izzat me iski Vajah se farq aye ,Ye sab soorte Geebat Kï waiyd me shamil he'n aur inse ahatraz Kï zarurat he. ,Haa'n agar kisi Kï Geebat, be izzati Maqsood na ho balki islaah ya doosro ko Shar se bachana vagera ho to uske Masaa'il zarurat aur majboori ke tahat Fuqha Kï kitabo me alag se bayan kiye gaye he'n ,
⚀•RєԲ: Aalamgeer 5/362 Ma'arful Quran ,8/123
☆ Next - 21 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 68
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
21
▣ Zara Aankhe Kholiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Hadees Mubarak me nihayat shiddat se islami mashre se is ghinovni buraai ki buniyade ukhaad fekne Kï talqeen farmayi gayi he ,Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Geebat ke mutalliq istni sakht waiyde irshad farmayi he'n jinhe padh kar rongte khade ho hate he'n ,
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne Safare Meraaj me dozakh ke muana ke waqt kuchh ese logo ko dekha Jo murdaar kha rahe the ,to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Jibraiyl Alaihissalam se puchha k ye kon log he'n to Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ne jawab diya ,
" Ye Wo log he'n Jo ( Duniya me ) logo ka Gosht khate the ,( yani unki Geebat karte the ) "
⚀•RєԲ: At Targeeb v Tarheeb ,3/330
◈ isi tarah Aap Sallallahu Alaihivasallam ne dozakh me kuchh ese bad naseebo ko bhi dekha Jo Apne taambe ke nakhoono se apbe chehro aur Seeno ko kharoch rahe the ,unke bare me puchhe jane per Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ne farmaya,
" Ye wahi log he'n Jo logo ka Gosht khate the aur unki izzato se khilwad karte the ,"
⚀•RєԲ: Abu Daowd ,2/669 Ravaah Bayhqi ,5/300
◈ Safare meraaj ke dauraan kuchh esi Aurto'n aur Mardo ko dekha Jo Seeno ke bal latke hue the, unke bare me puchhne per Hazrat Jibraiyl Alaihissalam jawab diya ,
" Ye Zaban aur Aankh ke isharo ke zariye Geebat karne wale he'n ,"
⚀•RєԲ: Ravaah Bayhqi ,Targeeb v Tarheeb ,3/330
◈ Ek Hadees me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne Geebat aur kisi Musalman Kï Aabru Rezi ko bad tareen sood se Takbeer Farmaya ,
" Sold ke Sattar (70) se zyada darwaze he'n ,inme sabse kamtar sood ke darwaze ka Gunaah esa he jese ( Na'uzubillah ) koi Shakhs apni Maa'n se ba haalate islam badkaari kare aur Sood ka ek dirham 35 martaba zina karne se bhi sakht he ,aur Sabse sakht tareen sood ,sabse bada sood aur sabse bad tareen sood kisi musalman Kï izzat v hurmat ko pamaal karna he ,
⚀•RєԲ: Ravaah Bayhqi, 5/299 Targeeb ,3/326
◈ Ek Hadees me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne Hazraate Sahaba Raziyallahu Anhum ke majme me Farmaya k Geebat zina se badhkar he , Sahaba ne Hairat se sawal kiya k ,Hazrat ye kese ? To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne jawab diya ,:-
" insaan zina karke Tauba kare to Allah Ta'ala mahaz uske sachchi Tauba karne per uski Tauba qubool farma leta he ,aur ek rivayat me he K uski magfirat farma deta he ,aur (iske bar khilaf )Geebat karne wale Kï us waqt tak magfirat nahi hoti jab tak usko Wo Shakhs maaf na kar de ( Jiski Geebat Kï gayi ) ,
Aur Hazrat Anas Raziyallahu Anhu Kï rivayat me he k Zina karne wala ( bade Gunaah ke ahsaas se ) Tauba kar leta he ,aur Geebat karne wale ko ( Apne Gunaah ka ahsaas na hone Kï Vajah se ) Tauba Kï Tofeeq nahi hoti ,( Yahi Vajah he k Geebat Kï Shana'at zina se bhi zyada he ) ,
⚀•RєԲ: Mafhoom Ravaah Bayhqi v Mishkaat ,
◈ in Rivayaat se andaza lagaya ja sakta he k Shariyat me Geebat kis qadar nagawaar sift he ,Jisse bachna har Musalman ke liye laazim he,
☆ Next - 22 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 669
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
22
▣ Ulma Kï Geebat ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Ulma Kiraam aur Akabire Millat Kï Tehqeer v tazleel Kï garaz se Geebat ka irtkaab Aam logo Kï geebato ke muqable me zyada shiddat aur qabahat rakhta he ,Vajah ye he k Allah Ta'ala Kï Nazar me Ulma Kiraam Kï jama'at ka darja nihayat buland he ,isliye UNKI be izzati aur be toqqeri bhi Allah Ta'ala ko bahut zyada na-pasand hoti he ,
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k Allah Ta'ala ne farmaya,
Jo mere kisi Wali se Dushmani rakhta he ,mai uske khilaf elaane Jung kar deta hu'n ,
⚀•RєԲ: Bukhari ,2/963
◈ isi tarah misaal mashoor he k Ulma ka Gosht nihayat zehreela hota he ,Jo unki Geebat karne walo ko Sakht nuqsaan pahunchata he ,Ulma aur Auliya e Allah Kï tehqeer v tazleel esa jurm he Jiski saza Allah Ta'ala na sirf Akhirat me balki Duniya me bhi deta he ,
◈ Jo log is bare me ahatyat nahi rakhte Wo qudrati tor per Duniya hi me zillat v khwari aur tangiyo me mubtila kar diye jate he'n, isliye har MUSALMAN
Ka Farz he aur Danaayi ka taqaza he k Wo Apne ko azabe Khudawandi se bachaye ,aur Allah ke khaas bando Kï buraai karke Apne liye tabahi ka samaan taiyar na kare ,aur kisi esi Majlis me bhi shirkat na kare jisme logo Kï geebate Kï jati ho ,
☆ Next - 23 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 74
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
23
▣ Chugal Khori ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Chugal Khori bhi darasal Geebat hi ka ek A'ala darja he ,Kisi Shakhs ke raaz ko doosre ke saamne zaahir karna ,Quran me kai jagah is per laanat Kï gayi he aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Chugal khor ke bare me nihayat Sakht waiede irshad farmayi he ,
◈ Mashoor HADEES he ," Chugal Khor Jannat me nahi jayega ,"
⚀•RєԲ: Muslim ,1/70
◈ Ek moqe per Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ," Zyadatar qabr ka azaab Chugal khori aur Peshab Kï Chheento se na bachne Kï Vajah se hota he ,"
⚀•RєԲ: At Targeeb v Tarheeb ,3/323
◈ isiliye Zaban Kï HIFAZAT me ye bhi Dakhil he k hum chugli Kï gandgi me mulavvis hone se mehfooz rakhe ,
◈ Geebat Sun kar khamosh rehna bhi Gunaah he ,Jaha'n tak ho sake Apne musalman Bhai se khush gumaan reh kar uski taraf se safaai dene ka ahatmam rakhna chahiye ,Ye ahatmam rakhna nihayat baaise ajro sawab he ,Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k
"Jo Shakhs apni wusat ke mutabiq ( Jiski chugli Kï jaye ) us Shakhs Kï taraf se safaai pesh karta he to Allah Ta'ala Duniya aur Akhirat me uski madad farmata he ,"
⚀•RєԲ: At Targeeb v Tarheeb ,2/335
◈ Imaam Gazali Reh. ne likha he k Jab koi Shakhs kisi Kï Geebat ya chugli sune to use 6 baato ka khayal rakhna chahiye ,
* 1- Chugal khor Kï shikayat per hargiz Yaqeen na kare ,isliye k wo khabar dene wala faasiq he ,
* 2- Chugal khor ko uske is galat kaam per agaah kare aur use aar dilaye ,
* 3 -Chugal khor Ke kaam ( Chugli) ko dil se bura samjhe aur is bina per usse na-pasandidgi ka Izhaar kare ,
* 4- Jiski chugli Kï gayi he uski taraf se badguman na ho ,
* 5- Chugal khor ne Jo baat pahunchayi he uski khud tehqeeq me me na pade ,
* 6- Chugal khor ke is kaam ko kisi doosre se bayan na kare varna khud chugli karne wale ke darje me aa jayega ,
⚀•RєԲ: Ahya ul uloom ,3/94
☆ Next - 24 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 75
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
24
▣ Gaalam Galoch - Fahash Kalaami ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Zaban se saadir hone wale bad tareen gunaho me laan taan ,Fahash kalaami karna Dakhil he ,Ye bad zababi kisi bhi Sahibe imaan ko hargiz zeba nahi deti ,Zaban ke zariye takleef dene wale logo ko Qurane Kareem me sakht gunahgar qaraar diya he ,aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne bahut si hadees Mubaraka me Gaalam galoch ,Bad zabani aur Fahash kalaami Kï sakht mazammat farmayi he ,
" Momin per laanat karna esa ( hi bura ) he jese usko qatl karna ,"
⚀•RєԲ: Muslim ,1/74
◈ " Musalman ko gaali dena fisq he ,"
⚀•RєԲ: Muslim ,1/58
◈ " Jab koi Shakhs kisi cheez per laanat karta he to uski laanat Asmaan Kï taraf jati he. ,Waha uske liye darwaze band hote he'n ,Fir zameen Kï taraf utarti he to uske darwaze ko bhi band paati he ,Fir Daaye Baaye Jane ka raasta dhoondhti he aur jab koi raasta nahi paati to jis per laanat Kï gayi he us Shakhs Kï taraf aati he ,agar Wo laanat ka Mustahiq he to ,varna laanat karne wale ko lot jati he ,( Yani laanat karne wale Kï laanat khud usi ke gale me pad jati he ),
⚀•RєԲ: mafhoom Ravaah Abu Daowd ,
◈ Kaamil musalman Wo he jiske haath aur Zaban se Aam musalman mehfooz rahe ( Wo Kisi ko haath aur zaban se takleef na de ),
⚀•RєԲ: Muslim ,1/48
◈ Ek moqe per Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Apne Walden ko gaali dena gunaah e kabeera he ,,
Sahaba ne arz kiya ,Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Bhala ye kese mumkin he k koi Shakhs khud Apne Walden ko gaaliya de ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,
Haa'n ( ye is tarah mumkin he k ) Wo kisi Shakhs ke Baap ko gaali de Fir Wo Shakhs uske baap ko gaali de ,isi tarah ye kisi Kï Maa'n ko gaali de fir uski Maa'n ko gaali di jaye ,,( is tarah ye gaali dene wala khud Apne Walden ko gaaliya dilwane ka Sabab ban gaya ),
⚀•RєԲ: Mafhoom Muslim Sharif
◈ Ek martaba Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Kï majlis me kuchh logo ko Machchharo ne kaat liya ,unhone Machchharo ko bura bhala kehna shuru kiya, Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne unko mana Farmaya ,
" Machchhar ko bura bhala na kaho ,Wo achchha Jaanwar he ,isliye k Wo tumhe Allah Kï yaad ke liye bedaar aur mutnabba karta he ,"
⚀•RєԲ: Targeeb v Tarheeb ,3/315
◈ isi tarah Aap Sallallahu Alaihivasallam ne murg ko laanat karne se bhi mana Farmaya ,
◈ Zara gor Kijiye Jab jaanwaro ko bura bhala kehne se roka gaya he to insaano ko ek doosre per laan taan Kï kese ijazat Dï ja sakti he ,?
☆ Next - 25 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 80
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
25
▣ Apni izzat Apne Haath ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ is bad zabani aur fahash kalami se insaan ka waqaar khaak me mil jata he ,Chahe Aadmi kitna hi ba-salahiyat aur ounche ohde per ho ,lekin bad-zabani ki vajah se logo ki nazro se gir jata he ,isiliye apni izzat aur waqaar ki hifazat ke liye bhi zaban per control Karna zaruri he ,
◈ Aaj jab hum Muslim Maahre ki taraf nazar uthate he'n to ye dekh kar Sar sharm se jhuk jata he k hamare yaha gaaliya'n logo ke takiya kalaam ke tor per istemal hoti he, Aur ye sirf Bado ka hi haal nahi balki Sadko per khelte koodte Bachche bhi gaaliyo ke maamle me Apne Bado se pichhe nahi ,Ye nihayat takleef dah soorate haal he ,
◈ Hamara ye Fariza hona chahiye k Hum khud Apne islami Rang me range aur zaban ki hifazat karke Allah ta"ala se Sharm v Haya ka saboot de Taki Hume mashre me ba-waqaar maqaam ho sake aur hamari aane wali Nasle bhi ba-izzat tor per Zindgiya'n guzaar sake ,
◈ Khulasa ye he k hamari zaban jhoot geebat chugli fahash kalami laan taan aur har us gunaah se mehfooz rehni chahiye Jinka zaban se saadir hona mumkin he ,
☆ Next - 26 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 83
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
26
▣ Aαnkh ki hifazat ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Shara'i Tor per Sar ki hifazat ka teesra aham hissa Aankh he isko gunaho se mehfooz rakhna he ,Aaj Jo Duniya me fahashi aur be hayai ka daur he uski sabse badi vajah badnazri he ,Shaitan insaan ke haath me badnazri ka hathiyar dekar poori tarah mutma'in ho chuka he ,
◈ Cinema haalo ,TV programo aur Videos in shaitani cheezo ne mukarram v mohatram Rishto ki Aankho se Haya v sharm ka pani nesto nabood kar diya ,
◈ Ba izzat gharano ka mashrati waqaar khaak me mil gaya ,achchhe deendaar ki sharafat daagdar ho gayi ,is badnazri ki vajah se bade bade Taqwe ki minaro me darare pad gayi aur Zara si be ahatyati se zindgi bhar ki nek naami per batta laga diya ,
◈ islami shariyat ne bad nazri ke har darwaze KO band karne per nihayat zor diya he ,Qurane Kareem me farmaya gaya he ,
Surah An-Noor, Aayat 30:
قُل لِّلْمُؤْمِنِينَ يَغُضُّوا مِنْ أَبْصَارِهِمْ وَيَحْفَظُوا فُرُوجَهُمْ ذَٰلِكَ أَزْكَىٰ لَهُمْ
" Aap Musalman Mardo se keh dijiye k Apni nigaho KO nichi rakhe aur Apni sharmgaho ki hifazat kare Ye unke liye zyada safaai ki baat he ,"
◈ is I tarah Hidayat Musalman Aurto'n KO bhi khususiyat ke saath di gayi aur unhe paband kiya gaya k wo Apne A'aza e zeenat KO fitne ke moqo per zahir na kare ,( Surah ,Noor 31) Surah Ahzab me Parde ke ahkamaat diye gaye,
☆ Next - 27 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 85
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
27
▣ Aankh Kï Hifazat- Hadees Sharif ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ " Nazar Shaitan ke teero me se ek Zehreela Teer he ,Jo ise mere khof se chhor de to mai iske avaz use esa imaan ataa karunga Jiski mithaas Wo Apne Dil me mehsoos karega ,"
⚀•RєԲ:➻ At Targeeb v Tarheeb ,3/23
◈ Ek doosri Hadees me Ummat ko sakhti se mutnabba farmaya :
" Apni nazre nichi rakho aur Sharmgaho Kï hifazat karo varna Allah Ta'ala tumhare chehro ko be Noor bana denge ,"
⚀•RєԲ:➻ At Targeeb v Tarheeb ,3/25
◈ Ek moqe per Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam se sawal kiya gaya k agar achanak kisi ( Ajnabi ) Aurat per Nazar pad jaye to kya kare'n ?
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne jawab diya k foran Waha se Nazar hata lo ,"
⚀•RєԲ:➻ Mishkaat ,2/1682
◈ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko Aap Sallallahu Alaihivasallam ne nasihat farmayi thi k ,
Ali ek dafa bila iraada dekhne ke baad doosri martaba ( Ajnabi Aurat ko )dekhne ka iraada mat karna ,isliye k Pehli ( bila iraada ) Nazar to maaf he magar doosri martaba dekhne Kï gunja'ish nahi he ,"
⚀•RєԲ:➻ Mishkaat ,2/269
◈ Hazrat Hasan Basri Rehmatullah Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam se mursalan rivayat karte he'n k Aapne irshad farmaya k ,
" Allah Ta'ala Kï laanat he us Shakhs per Jo qasdan ( bila uzr kisi ke satar ko ya Ajnabi Aurat ko ) dekhne wala ho ,
Aur Wo bhi mal'oon he jise ( bila uzr ) dekha jaye ,"
__( maslan Mard satar Khol kar ghoome ya Aurat be parda fire ) ,
⚀•RєԲ:➻ Mishkaat ,3/270
◈ in paak Hadeeso se ba Asaani andaza lagaya ja sakta he k Shariyat Kï Nazar me nigaah Kï hifazat per kis qadar zor diya gaya he ,
☆ Next - 28 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye,
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
28
▣ Parde Ke Ahkaam -1▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Islami fiqha me poori tafseel aur wazahat ke saath Parde aur hijaab ke ahkaam bayan kiye gaye he'n, taki inko peshe Nazar rakh kar insaan har aitbaar se Apni Nazar ko Jahannam ka iydhan banane se mehfooz rakh sake ,Hakimul Ummat Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanvi Reh. ne " islahir Rusoom " me Parda Ke ahkamaat ka Khulasa bayan farmaya ,Jiski talkhees darje zel he ,
◈ Mard ke liye Naaf se ghutne ke niche tak Mardo aur Aurto'n se Badan chhipana farz he ,Sivae apni Bivi k usse koi Uzv chhipana zaroori nahi ,lekin bila zarurat use bhi Badan dikhana khilafe Avla he ,
◈ Aurat ko doosri ( Musalman) Aurat ke saamne naaf se ghutne tak Badan kholna jaa'iz nahi he ,isse maloom hua k Baaz Aurte'n ( Khususan dehaat me ) doosri Aurto'n ke saamne nangi beth jati he'n ,Ye bilkul Gunaah he ,
◈ Aurat ko Apne Shara'i Mehram ke saamne naaf se ghutne tak aur Kamar aur Pet kholna Haraam he ,Albatta Sar ,Chehra ,Bazu aur pindli kholna Gunaah nahi , ( Mehram Wo he jinse hamesha ke liye Nikaah Haraam he ),
◈ Aur jisse Umar me kabhi bhi Nikaah sahi hone ka ahatmal ho Wo shar'an Mehram nahi balki Na-mehram he ,Aur Shariyat me Jo Hukm mahaz Ajnabi aur gair Aadmi ka he wahi Hukm inka bhi he agarche unke saath karabat ka Rishta ho , Jese - Chachazad ,Fufizad ,Khala Zad ,Mamuzad Bhai ya Behnoi ya Nandoi vagera ye sab Na-mehram he ,aur inse wahi parhez he Jo Na-mehramo se hota he balki Chunki ese moqo per fitne ka hona asaan he isliye aur zyada ahatyat ka Hukm he ,
◈ Jo Shar'an Na-Mehram ho uske saamne Sar aur Bazu aur Pindli vagera kholna Haraam he ,aur agar sakht majboori ho maslan Aurat ko zaroor kaam ke liye ghar se bahar nikalna padta ho ya koi Rishtedar kasrar se ghar me aata jaata ho aur ghar me tangi Kï bina per har waqt Parda nahi rakha ja sakta sirf esi haalat me jaa'iz he k Apna Chehra aur dono haath kalaai ke Jod tak aur Payr Takhne ke niche tak khole rakhe ,iske alawa aur koi hissa Badan ka kholna jaa'iz nahi hoga ,lihaza esi Aurto'n per laazim he k Sar ko khoob dhaanke ,Kurta badi Aasteen ka pehne ,Pajama gararadar na pehne aur Kalaai aur Takhne na khulne de ,
☆ Next - 29 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye,
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
29
▣ Parde Ke Ahkaam -2▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Jis Uzv ko Zaahir karna jaa'iz nahi, usko mutlaqan dekhna Haraam he go shehwat bilkul na ho ,aur jis Uzv ko dekhna aur us per Nazar karna jaa'iz he usme shart he k Shehwat ka andesha na ho ,Agar Zara SA shak ho to us waqt dekhna Haraam he,
◈ Jis Uzv ko dekhna Haraam he ,agar ilaaj Kï zarurat se uski taraf dekha jaye to jaa'iz he ,magar shart ye he k Nazar us jagah se aage na badhe ,
◈ Na-Mehram Mard ke saath Aurat ka Tanha makaan me rehna Haraam he ,isi tarah agar tanhaai na ho doosri Aurat mojood ho magar Wo bhi Na-mehram ho tab bhi Mard ka us makaan me hona jaa'iz nahi he ,Albatta agar us Aurat ka Mehram ya Shohar ya us mard Kï koi Mehram ya Bivi bhi us makaan me ho to muzayqa nahi ,( magar fitne se mehfooz hona yaha bhi shart he ,)
◈ Na-mehram Mard Aurat me baham ham kalami ( baat cheet ) bhi bila zarurat mamnoo he ,Aur zarurat ke waqt bhi fizool baate na kare ,Na hanse na mazaaq Kï koi baat kare ,Yaha tak k lahja ko naram bhi na kare ,
◈ Mard ke gaane Kï Awaaz Aurat ko aur Aurat ke gaane Kï Awaaz Mard ko sunna mamnoo he ,Hazraat e Fuqha ne Nojawan Na-mehram ka Salam karna ya uska Salam lene se bhi mana kiya he ,
◈ Na- Mehram Aurat ka Jhoota Mard ke liye aur Na-mehram Mard ka Jhoota Aurat ke liye istemal karna makrooh he ,
☆ Next - 30 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 89
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
30
▣ Parde Ke Ahkaam -3 ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Agar Na-mehram ka Libaas vagera dekh kar tabiyat me maylaan paida hota ho to uska bhi dekhna Haraam he,
◈ Esi Na-balig ladki Jiski taraf ragbat hoti ho uska Hukm Baaliga Aurat ke maanind he ,
◈ Jis tarah Buri niyat se Na-mehram Kï taraf dekhna ,uski Awaaz sunna ,usse bolna aur chhoona Haraam he ,Usi tarah uska khayal Dil me jamana aur usse lazzat Lena bhi Haraam he aur Ye Dil ka zina he ,
◈ isi tarah Na-mehram ka Zikr karna ya sunna ya Photo dekhna ya usse Khat kitabat ( Msgs karna ) karna ,Garz jiske zariye se bhi khayalaat faasil paida hote ho Wo sab Haraam he ,
◈ Jis Tarah Mard ko ijazat nahi k Na-mehram Mard Aurat ko Bila zarurat dekhe ,isi tarah Aurat ko bhi jaa'iz nahi k bila zarurat Na-mehram ko jhaanke ,isse maloom hua k Aurto'n Kï ye aadat k Shadi vagera ke moqe per Dulha ko ya Baraat ko jhaank kar dekhti he'n ,buri baat he ,
◈ Esa Bareek kapda Pehanna Jisme Badan jhalakta ho Wo nange hone ke barabar he , Hadees me iski mazammat aayi he ,
◈ Mard Ko gair Aurat se Badan dabwana jaa'iz nahi,
☆ Next - 31 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 91
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
31
▣ Parde Ke Ahkaam -4 ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Bajne wala ESA Zever Jiski Awaaz Na-mehram tak pahunche ,Ya esi khushbu Jiski mahak gair Mehram ke dimaag tak pahunche ,istemal karna Aurto'n ko jaa'iz nahi, Ye bhi be-pardgi me Dakhil he ,
_:-_Aur Jo Zever khud na bajta ho magar doosri cheez se lagkar Awaaz deta ho usme ye ahatyat waajib he k Paanv zameen per aahista rakhe taki afsa na ho ,Chhoti Bachchi ko bhi bajne wala Zever na pehnaye ,
◈ Na-mehram Peer ke saamne Be-Parda hona Haraam he ,
◈ Be Dadi wala khoobsurat aur pur kashish Ladka bhi ahkaam me Ajnabi Aurat ke maanind he ,Yani andesha Shehwat ke waqt uski taraf Nazar karna,usse musafa ya muanqa karna ,uske paas tanhaai me bethna ,Usse gana sunna ya uske saamne gana sunna usse Badan dabwana ya usse bahut Pyar aur ikhlaas se baate karna ye Sab Haraam he ,
◈ Safar me agar koi Mard Mehram ( ya Shohar ) saath na ho to Aurat ko safar karna Haraam he ,
◈ Baaz log jawan ladkiyo ko ( ya Balig ke qareeb Bachchiyo ko ) Mardo se ( Bina ho ya Na-bina ) be-parda padhwate he'n ,Ye bilkul khilafe Shariyat he ,
◈ Ahkaame Parda ke Sab Masail Quran v Hadees Kï Roshni me aur islahir Rusoom me Hashiye per inke fiqhi hawale bhi darj he'n ,in Maslo ko padh kar Hume sochna chahiye k Aaj hamare gharane me in per kitna Amal hota he aur kitna Khilaf hota he ,
__:- Allah Ta'ala Hume Shariyat per Kaamil TOR per Amal Kï Tofeeq ataa farmaye ,Aameen ,
☆ Next - 32 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 91
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
32
▣ Bareek Aur Chust Libaas Bhi Mamnoo He ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Parde me Ye bhi he k Mard v Aurat ka Libaas esa na ho jisse A'aza chhipne ke bajaye aur ubhar kar aa jaye , Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne Jahannam me Jane wali baaz Aurto'n Kï ye sift bayan farmayi he k wo libaas pehanne ke bavjood nangi hongi ,
◈ Aur is Jumle Kï tafseer me farmaya k isse ya to esa Libaas Muraad he Jo poori tarah saatir na ho aur ya esa bareek Libaas Muraad he Jo Badan Kï rangat ( aur haalat ) ko na chhupa sake ,
◈ Tabrani me Mashoor Sahabi Hazrat Jareer bin Abdullah Raziyallahu Anhu ka ye irshad naqal kiya gaya he,
" Aadmi esa Libaas pehanta he jise pehanne ke bavjood Wo be Libaas rehta he ,"( yani bareek Kapde Jo saatir na ho )
◈ Aaj kal naye fashion me ye dono baate kasrat se chal padi he ,Ya to ese bareek Libaas pehne jate he'n Jinse Badan poori tarah jhalakta he ,Ya fir ese Chust ( tight ) Libaas istemal kiye jate he'n Jo Badan ko ubhaar dete he'n ,
◈ is tarah ke Libaas Mard v Aurat dono ke liye baaise Sharm v gairat ke khilaf he ,Jabse Jiens ( tight pent ) aur T Shirt ka behuda fashion chala he ye be gairati aam ho gayi he , Ladke aur Ladkiya Sare aam is be haya Libaas ko pehan kar be hayai ka muzahira karte firte he'n ,Magar Hume ahsaas bhi nahi hota , Jabki Allah se Sharm ka taqaza ye he k hum khud bhi in be hayaiyo se bache aur Apne ghar walo ko bhi bachane Kï koshish kare ,
☆ Next - 33 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 92
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
33
▣ Tanhaai me bhi Bila Zarurat Satar na Khole ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Allah Ta'ala se Sharm v Haya ka taqaza ye he k hum tanhaai me bhi jaha tak ho sake satar ko chhupane ka ahatmam kare ,
◈ Hazrat ibne Hakeem Apne Dada ka waqiya bayan karte he'n k unhone Aap Sallallahu Alaihivasallam se arz kiya k ,Ey Allah ke Rasool ! Hum apna Satar kisse chhupaye ,aur kisse na chhupaye ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Bivi aur Baandi ke alawa sabse chhupao ,
Fir un Sahabi ne arz kiya k ,Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ! Agar hamare saath doosre log bhi rehte ho to kya kare ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,Jaha tak mumkin ho koshish karo k tumhare Satar per kisi Kï Nazar na pad sake ,
Fir unhone arz kiya k ,Ya Rasulullah ! Agar Hum Tanha ho to kya kare ?
Is per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, " Tu logo se zyada Allah se iska mustahiq he k usse Haya Kï jaye ,"
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,6/151
◈ Imaam Bayhqi is Jumle Kï tashreeh me farmate he'n k ," is baat se Sharm Kï jaye k Allah Ta'ala Hume Apne Satar per Nazar karte hue na dekhe ,Kyuki Allah Ta'ala se to koi cheez kisi jagah bhi chhupi nahi he ,is aitbaar se goya k Satar poshi KO chhor dena Allah ke saamne behayai he aur Satar ka ahatmam rakhna Haya he ,
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,6/151
◈ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne ek martaba taqreer ke dauran nasihat farmayi ,
" Ey musalmano ! Allah se Sharm kiya karo ,us zaat Kï qasam jiske qabze me meri jaan he ,me jab qaza e Haajat ke liye Sehra me jata hu to Allah Ta'ala se Sharm Kï vajah se Apne Kapde lapet kar jata hu ,( yani hattal imkan Satar poshi ka ahatmam karta hu ) ,
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,6/122
◈ isi tarah ek Rivayat me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne ummat ko ye hidayat farmayi ,
" Allah Ta'ala Haya karne wala satar poshi ko pasand karne wala he isliye jab tumme se koi Gusl ka iraada kare to kisi cheez se aad kar le ,"
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,6/161
◈ Ye hidaytat him sabke liye layaqe Amal he ,Aaj kal umuman tanhaai me Satar ka ahatmam nahi rehta , gharo ke bahar sadko per lage hue nalo aur pani tankiyo per badi badi umr ke log bhi Satar ka ahatmam kiye bager Gusl karte hue Nazar aate he'n ,Zara for kare jab hamari Shariyat tanhaai me bhi zarurat se zyada satar Kholne se mana karti he to bhala Aam jagaho per is behayai aur be gairati Kï kaha ijazat ho sakti he,?
☆ Next - 34 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 93
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
34
▣ Miya Bivi bhi Satar Ka Khayal Rakhe ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ islami taleem ye he k Miya Bivi bhi Aapas me bilkul Be-sharam na ho jata kare balki jaha tak mumkin ho Satar ka khayal rakha kare ,
◈ Ek Rivayat me Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal farmate he'n,
"Jab Tumme se koi Shakhs Apni Bivi ke paas jaye to hattal imkaan satar poshi kare aur Jaanwaro Kï tarah bilkul nange na ho jaya kare ,"
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,6/163
◈ Maloom hua k Haya ka taqaza yehe k Miya Bivi bhi ek doosre ke Satar ko na dekhe, Sayyadna Hazrat Aayesha Raziyallahu Anhuma farmati he'n k" poori Zindgi na maine Aap Sallallahu Alaihivasallam ka Satar dekha na Aap Sallallahu Alaihivasallam ne mera dekha ,"
isliye Hume is baat ka khalis lihaaz rakh kar Sharm v Haya ka saboot dena chahiye ,
◈ Walden ke Amaal v Akhlaq ka Aulaad per bahut Badan Asar padta he ,Agar hum Sharm v Haya KE taqazo per Amal karenge to hamari Aulaad bhi inhi Sifaat v khaslato wali hogi ,
◈ Aaj Television per Nange aur insaniyat se gire hue manazir ( scene ) dekh kar hamare mashre me unki naqal utarne Kï koshish Kï jati he aur iska bilkul khayal nahi rakha jata k hamara Rab aur hamara Khaliq v maalik tanhaaiyo me bhi hamare amaal se poori tarah waqif he ,Wo is badtareen haalat me Hume dekhega to usko kis qadar nagawar guzrega ,Isliye Allah se Sharm zaroori he ,Ye Sharm ka jazba hi Hume buri batao SE bacha sakta he ,
◈ iske alawa Satar poshi me laparwahi ka ek nuqsan fuqha ne likha he k isse Aadmi ki yaddasht kamzor hoti he ,aur zaroori baate bhi use yaad nahi rehti ,
__ Allama Shaami Reh. Farmate he'n k Bhool ( yaddasht ) ka marz PAIDA karne wali CHEEZO me se ye bhi he k Aadmi apni Sharmgah se khel kare aur uski taraf dekhe ,
⚀•RєԲ:➻ Shaami ,1/225
☆ Next - 35 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 94
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
35
▣ Miya Bivi Apna Raaz Bayan na Kare ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Isi tarah ye bhi badi be-sharmi aur be-gairati Kï baat he k Miya Bivi Apne Raaz ko Apne dosto ,Saheliyo se bayan kare ,Ek Hadees me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Qayamat ke Roz Allah Kï Nazar me logo me sabse bad tareen martaba per Wo Shakhs hoga Jo Apni Bivi ke paas jaye aur uski Bivi uske paas aaye ,Fir unme se ek Apne saathi ka Raaz ( kisi doosre ke saamne bayan kare ) faash kar de ,"
⚀•RєԲ:➻ Ravaah Muslim, 4641, Targeeb v Tarheeb ,3/141
◈ Hazrat Asma bint Yazeed Raziyallahu Anhuma farmati he'n k ek Martaba mai doosre Mardo aur Aurto'n ke saath Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam Kï khidmat me haazir thi k Aapne irshad farmaya k ,
" Mumkin he koi Mard apni Bivi ke saath kiye Jane wale Fayl ( kaam ) ko bayan karta ho aur koi Aurat Apne Shohar ke saath kiye Jane wale kaam Kï doosro ko khabar deti ho ,"
Aap Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad sunkar log khamosh rahe ,magar Maine arz kiya k ,Ji Haa'n , Ey Allah ke Rasool ! Mard bhi ESA karte he'n ,"
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" To esa na kiya karo isliye k ye kaam ESA hi he jese koi Shaitan ( Sare Aam ) chudel se jimaa kare aur log use dekh rahe ho ,"
⚀•RєԲ:➻ Ravaah Ahmad ,Targeeb v Tarheeb ,3/61
◈ islam Be hayaiyo Kï baate felane se rokta he ,Miya Bivi ka apna Raaz bayan karna bad tareen qism Kï be hayai he , Hume is bad tareen fayl se ahatraaz karna chahiye ,Khaas TOR per naye Shadi Shuda Jode is hidayat ka khayal rakhe ,isliye k bigde mashre me unhe Apne Raaz bayan karne per majboori kiya jata he ,Hadees se maloom ho gaya k ye bayan karna aur Bayan karne per majboor Karna sakht gunaah he ,Allah Ta'ala Hume mehfooz rakhe, Aameen,
☆ Next - 36 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 96
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
36
▣ Doosre Ke Ghar me Taak Jhaank ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Aankho ke zariye kiye Jane wale gunaho me se ek Gunaah ye bhi he k Aadmi kisi doosre Shakhs ke ghar jaye aur ijazat lene se pehle Darwaze ya Khidki ke surakho ke andar jhaankne lage ,Ya Darwaza Khula ho to Seedha Darwaze ke saamne Jaa kar khada ho jaye ,
◈ Ek martaba Hazrat Sa'ad bin Ma'az Raziyallahu Anhu Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ke hujre Mubarak me tashreef laye aur Darwaze ke bilkul saamne aa kar ijazat maangne lage ,To Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne unko ek Kinare khade hone ka ishara karte hue farmaya k ,
"_Ey Sa'ad ! Ese ( Aad me ) khade ho kar ijazat liya karo ,isliye k asal me ijazat ka Hukm to Nazar hi Kï vajah se he ,"
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,6/443
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam is tarah taak jhaank ko Sakht na pasand farmate the ,
Hazrat Sahal bin Sa'ad farmate he'n k ek Shakhs ek martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam ke daulat Khane ke suraakh me jhaankne laga ,Us waqt Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ke daste Mubarak me seeng thi ,jisse Aap Sallallahu Alaihivasallam Sar ko khuja rahe the ,To Aapne ( us Shakhs Kï harkat ko dekh kar ) farmaya ,
" Agar mujhe maloom hota k Tu dekh raha he to mai yahi ( bareek Seeng ) Teri Aankh me chubho deta ,Kyuki ijazat lene ka Hukm to isi vajah se he k ( doosre Kï ) Nazar se hifazat rahe ,
⚀•RєԲ:➻ Bukhari Sharif ,2/922
◈ Sayyadna Hazrat Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu irshad farmate he'n k ,
" Jis Shakhs ne dakhile Kï ijazat se pehle ghar ka sahan Aankh bhar kar dekha to usne Gunaah aur fisq ka kaam kiya ,"
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,6/444
◈ isliye Allah se Sharm v Haya ka taqaza ye he k apni nigaho ko is bad amali se mehfooz rakhe ,Allah Ta'ala Hume Tofeeq ata farmaye ,,Aameen,
☆ Next - 37 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 97
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
37
▣ Kaan Ki Hifazat ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Allah Ta'ala Se Sharm v Haya ka ek aham taqaza ye bhi he k insaan Apne Kaano ko galat Awaaz sunne se mehfooz rakhe ,in galat awaazo me Allah ke nazdeek sabse bad tareen Awaaz Gaane Bajane Kï awaaz he ,Qurane Kareem me isko Shaitan Kï Awaaz ,Bekaar baat ,Kahu lv lahab Kï cheez " qarar diya gaya he ,
◈ isi tarah Hadeese Paak me bhi Gaane Bajane per Sakht Waiede warid hui he ,Ek Hadees me irshad he ,:-
" Do Awaaze Duniya aur Akhirat me Qabile laanat he ,ek Khushi ke waqt Music Kï Awaaz, doosre musibat ke waqt bayn karne Kï awaaz ,"
⚀•RєԲ:➻ At Targeeb v Tarheeb ,4/184
◈ " Jo Shakhs apni Baandi se beth kar Gaana sune uske Kaano me Qayamat ke Dïn Seesa pighla kar daala jayega ,"
⚀•RєԲ:➻ Qurtibi ,7/ 21-50 Hashiya Abu Daowd ,2/674
◈ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ek taveel Hadees me Wo alamaat bayan farmayi he jinke paye Jane ke waqt ummat Muslima Azaab se do Chaar hogi unhi me se ek alamat ye he :-
" Aur Gaane wali Baandiya aur Gaane Bajane ke alaat Aam ho jayenge ,"
⚀•RєԲ:➻ Tirmizi ,2/45
◈ Ek Hadees me Hazrat Ayesha Raziyallahu Anhuma Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmati he'n :-
" Jiska inteqal ho jaye aur uske paas koi Gaane Bajane wali Baandi ho to uski Namaze Janaza na padho ",
⚀•RєԲ:➻ Qurtubi ,7/51
_ is Rivayat se Aap Sallallahu Alaihivasallam Kï Nazar me Gaane Kï napasangi ka andaza lagaya ja sakta he ,
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
" Gana Bajana Dil me nifaaq ko ese ugata he jese Paani Kheti ko ugaata he ,
⚀•RєԲ:➻ Mishkaat ,2/411
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ,
" Meri Ummat ke kuchh log Sharaab piyenge magar usko doosri cheez ka naam denge aur Unke Saro per Gaane Bajane ke alaat bajaye jayenge To Allah Ta'ala unhe zameen me dhansa dega aur unhi me se Baaz ko Bandar aur Khinzeer bana dega ,"
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,4/282
☆ Next - 38 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 98
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
38
▣ Qawwali Bhi Haraam he ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Shariyat islami ne Jis Shiddat se Musalmano ko Gaane Bajane se roka gaya he ,Afsos he k Aaj usi kasrat ke saath ye Aam ho gaya ,ab har Daro Diwar se gaane bajane Kï Awaaz aati he ,
◈ Aur Fir is per hi bas nahi k Aadmi khud Sun kar gunahgar ho balki Tez tareen Awaaz me ise baja kar saare Mohalle walo ko gunahgar banane Kï koshish Kï jati he ,
◈ Isse aage Badh kar Shaitan ne Qawwali Kï Shakl me is Haraam kaam ko jaa'iz karne ka bahana bhi ghad liya he ,Aaj Qawwaliya music Kï thaapo per gaayi jaati he aur Tablo ,Harmonium ke Saaz per ashaar padhe jate he'n, Ye Ashaar chahe kitne hi Sahi kyu na ho Music aur Alaate mosiqi ke saath mil Jane Kï vajah se inke Haraam hone me koi takhfeef nahi ho sakti ,
◈ Allama Shaami Reh. Farmate he'n k ,
" Aur Jo hamare zamane ke Soofi log ( Qawwaliya gaate aur Wajd ) karte he'n Wo haraam he ,Esi majliso me jaana aur Shareek hona bhi jaa'iz nahi he ,"
⚀•RєԲ:➻ Shaami ,6/49
◈ Afsos he k Aaj Qawwali ko ibadat samajh kar ise jaali Banawti ruhaniyat ke husool ka zariya banaya Jane laga he , Waqya ye he k Aam Gaano ke muqable me mazhabi Ashaar Kï Qawwaliya aur zyada Khatarnak he ,isliye k inme Allah aur Rasool ka naam music ke saath liya jata he ,Jo Allah aur uske Rasool ke ahkamaat ke saath bhadda mazaaq he ,Ye ESA he Nauzu billah jese Quran Kareem aur Hadees paak ko music ke saath padhne lage ,
◈ Zahir he koi bhi Musalman ise hargiz bardasht nahi kar sakta ,isi tarah Allah Ta'ala se Sharm v Haya ka taqaza aur Gairate islami ka muqtaza ye he k him Na-jaa'iz awaazo ke saath Allah uske muqaddas Rasool ka naam Lena bhi hargiz pasand na kare ,
◈ in Qawwaliyo ka sabse zyada be dardi ka istemal mahe Ramzanul Mubarak me hota he ,Ramzan Kï Wo Mubarak aur Roohani Sa'ate jinme ek Farz ka sawab Sattar Guna tak zyada ho jata he ,unme Qawwaliyo aur Gaano ka Sunnat Sakht gunaah he ,magar Afsos he k in Raato me bhi poori poori raat bulan awaaz se Qawwaliya bajti rehti he k Logo ka ibaadat karna bhi dubhar ho jata he ,Ye Allah aur uske Rasool ke saath saath Maahe Ramzan Mubarak Kï bhi toheen aur naqadri he ,Allah hifazat kare,
☆ Next - 39 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 102
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
39
▣ Doosro ki Raaz ki Baate Sunna ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Kaan se kiye Jane wale gunaho me ek bada gunaah ye he k Aadmi doosro Kï Raaz Kï baato ko sunne Kï koshish me laga rahe ,
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,:-
" Jo Shakhs logo Kï esi baate gor se sune jin baato ko doosro ko sunna na pasand samjhte he'n To uske Kaano me qayamat ke roz pighla hua Seesa daala jayega ,"
⚀•RєԲ:➻ Bukhari Sharif, 2/1042
◈ Ek Hadees me irshad farmaya he ,
" Agar tum logo ke poshida v uyoob vagera ke darpe honge to tum unhe fasaad me mubtila kar doge ya fasaad ke qareeb tak pahuncha doge ,"
⚀•RєԲ:➻ Abu Daowd, 2/680
◈ in haqaiq Kï Roshni me Hume Apne kirdaar ka jaayza lene Kï zarurat he ,Aaj har Aadmi doosro Kï toh me laga hua he k kya cheez layaqe tanqeed mile aur hum baat ka batangad banaye ,
◈ Apne uyoob se laparwahi aur doosro ke aybo ko khud kurede ye fasaad aur badgumaniyo Kï buniyaad he ,Tajurba batata he k esa Aadmi kabhi chain se nahi reh sakta hamesha zehni pareshani aur uljhan me mubtila rehta he ,
◈ iske bar khilaf Jo Shakhs Apne kaam SE kaam rakhe aur doosro ke maamlaat me zyada na pade uski Zindgi nihayat sukoon se guzregi ,Shariyat Kï ye hidayate Duniya aur Akhirat Kï falaah Kï zaamin he ,isliye Zindgi ke har mod per Hume inka lihaaz rakhna chahiye, Aur Allah Ta'ala se waqai Sharm v Haya ka saboot dena chahiye ,
☆ Next - 40 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 104
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SαЯ Kï Hïƒαzαт Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
40
▣ Daadhi Mundwana Bhi Be Sharmi He ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Allah Ta'ala ne Mard aur Aurat dono me A'aza Kï sinakht me farq rakha he wahi inke darmiyan imtiyaz Kï ek waazeh alamat Daadhi ko qarar diya he ,Qudrati TOR per Mardo ke Chehre per Daadhi nikalti he aur Aurto'n ke nahi nikalti ,Ye esa waazeh farq he jisse pehli Nazar me Mardo aur Aurto'n me imtiyaz ho jata he , Ab Jo Shakhs Daadhi mundwata he Wo Mard hone ke bavjood Aurto'n se mushabhat Akhtyar karta he aur is tarah Kï mushahbat me Hadees me sakht laanat aayi he ,
◈ Ek Hadees Paak me irshad farmaya ,
" Mushrikeen Kï mukhalfat karo ,Daadhiya'n badhao aur moonchho ko khoob katarwao ,"
⚀•RєԲ:➻ Bukhari Sharif, 2/875
◈ Maloom hua k Daadhi mundwana asal mushrikeen aur Aag parasto ka kaam he aur Daadhiya rakhna Ahle imaan ka Ashaar he ,aur iska shumaar un sunnato me hota he Jo pehle Ambiya Alaihissalam se bhi saabit he aur Jise fitrat kaha jata he ,
◈ in Vujuhaat se Daadhi rakhne ko Waajib aur Daadhi mundwane ko Haraam kaha jata he isme ye keh kar takhfeef nahi Kï ja sakti k " Mahaz ek Sunnat hi to he ,Kare achcha he na kare to Gunaah nahi ,"
◈ Jesa k Aam log keh dete he'n isliye k Avvalan kisi Sunnat Kï is tarah tahqeer khud taqazae Muhabbat Nabvi Sallallahu Alaihivasallam ke khilaf he ,Doosre ye k ise Sirf Sunnat e Zaa'id ke darje me rakhna galat he ,
◈ Agar ye mahaz Sunnate Zaa'id hoti to Aap Sallallahu Alaihivasallam iske khilaf karne per nagawari ka izhaar na farmate ,aur na is qadar takeed Kï jati ,
*__Isi vajah se Tamaam Fuqha ke nazdeek Daadhi mundwana aur ek musht se kam hone Kï soorat me use katarwana Haraam qaraar diya gaya he ,
☆ Next - 41 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 107
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
Assalmaualaikum .in my opinion is group ka name ahle DEOBAND rakhna nhi chahiye.....is naam ki wajah se firqa parasti ko badawa mileage .........aese log Jo dusre naam ka group banaye hue h is ki bat nhi manege.....
ReplyDeleteFir jaisa aap sab munasib samjhe
Walaikum assaLaam WaramatuLLahi wabarakatuh mere bhai haqq ko kiya chupana kayin hazraat ne is masLe par baat ki hamse ki Name change karo par kuch Hazrat kehte hain jab deoband ka Name msg me Aajata h to diL ko tasaLLi ho jaati hai
DeleteAssalmaualaikum .in my opinion is group ka name ahle DEOBAND rakhna nhi chahiye.....is naam ki wajah se firqa parasti ko badawa mileage .........aese log Jo dusre naam ka group banaye hue h is ki bat nhi manege.....
ReplyDeleteFir jaisa aap sab munasib samjhe