02-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-251
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Dawat Tablig Kï Mehnat ki Haqeeqat ,
↬• Hamare Kaam ke Tareeqe me Deen ke waaste Jama'ato ki Shakl me gharo se door nikalne ko bahut zyada ahmiyat he ,
★• iska khaas faayda ye he k Aadmi iske Zariye Apne purane aur Thehre hue mahol se nikal kar ek naye Nek aur Chalne firne wale mahol me aa jata he , Jisme uske Deeni jazbaat ke badne ka bahut kuchh samaan hota he ,
★• Aur is Safar v Hijrat Kï Vajah se Jo tarah tarah Kï takleefe ,musibate pesh. aati he'n aur dar badar firne me Jo Zillate Allah ke liye bardasht karni hoti he , unki Vajah se Allah Kï Rehmat khaas tor se mutavajjah ho jati he ,
★ •( " Jo is Raaste me Jaddo Jahad karega , Allah zaroor ba zaroor usko Hidayat dega , ") isi WAASTE is Safar v Hijrat ka zamana jis qadar lamba hoga usi qadar mufeed hoga ,
★. Ye safar Gazwaat hi ke safar Kï khususiyate rakhta he aur isliye Ummeed bhi wese hi Ajr Kï he , ye agarche Qitaal nahi magar Jihaad hi ka ek hissa zaroor he Jo Baaz haisiyato se agarche qitaal se kam he , lekin Baaz haisiyato me usse bhi Buland he ,
★• Jese Qitaal me Shifa- e- Gaiz ( gusse ka ilaaj ) aur itfa- e -shola- e -gazab ( gusse Kï aag bujhana ) Kï soorat he aur Yaha ( Tablig jama'at me ) Allah ke liye Sirf Kazm-e -Gaiz ( Gusse ko pi Jana ) aur uske Deen ke liye qadmo me pad kar aur minnate v khushamade karke bas Zaleel hona he ,
*__Ye Kaam Dar haqeeqat Bahut bade darje ka he , AFSOS ! K log iski haqeeqat ko samajhte nahi ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 252 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
03-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-252
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Purano Kï Sohbat ,
↬• Hamare is Kaam ko samajhne aur Seekhne ke liye Sahi tarteeb ye he k Pehle Yaha'n ( Nizamuddin Markaz ) aa kar kuchh din qayaam kiya jaye aur Yaha'n ke rehne walo ( Tablig ke Purane Zimmedaro ) se baate Kï jaye , Uske baad Apni Jagah jaa kar kaam kiya jaye ,
★• Ye bhi Zaruri he k. Apne jin Bado se hum Deeni barkaat haasil kare unse apna talluq sirf Allah ke liye rakhe aur Sirf usi line Kï un baato v kaamo aur Halaat se matlab rakhe ,
★• Baqi doosri laino Kï unki niji aur gharelu baato se betalluq balki be khabar rehne Kï koshish kare kyuki ye apna apna maamla he.
★ • Laa muhala usme kuchh kadurate hongi aur jab Aadmi Apni tavajjoh unki taraf chalayega to wo uske andar bhi aayegi aur kisi waqt aitraaz bhi paida hoga , Jo doori aur Mehroomi ka sabab ho jayega ,
★. Isiliye Buzurgo Kï kitaabo me " Saalik " ( Seedhe Raaste pe chalne walo ko ) buzurgo ke gharelu halaat per Nazar na karne Kï takeed Kï gayi he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 253 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
04-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-253
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Juma Kï Mehnat ,
↬• ILM wale aur Asar wale hazraat ek silsila ye shuru kare k Har Juma ko pehle se SOCH kar tay kar liya kare k hum Juma fala'n Mohalle Kï Masjid me padhenge ,
★• Aur is intikhaab me gareeb ,pichhdi aur Jaahil Abaadiyo ka zyada lihaaz rakhe , Jese jin Mohallo me Dhobi ,Sakke ,Taanga chalane wale ,Kuli ,aur Sabji bechne wale rehte ho ,( Jinme Deen se Jihalat aur gaflat agarche bahut zyada he lekin nafarmani aur inkaar Kï haalat paida nahi hui he ),
★• To ese logo ko Abaadi Kï Masjid pehle se tajveez kar le aur Apne talluq walo aur Milne julne wale logo ko bhi iski ittela de de , aur saath chalne per bhi unhe ubhaare ,
★ • Fir waha'n pahunch kar Jume Kï Namaz se pehle Mohalle me tabligi gasht karke logo ko Namaz ke liye Taiyaar kar ke Masjid me laye fir thodi der ke liye unhe rok kar Deen Kï ahmiyat aur uske Seekhne Kï zarurat samjha kar Deen Seekhne ke waaste Tablig Jama'at me nikalne Kï Dawat de ,
★. Aur unko samjhaye k is tareeqe per woh kuchh roz me Deen ka zaruri ILM v Amal seekh sakte he'n,
★• Fir is Dawat per agar Thode se thode Aadmi bhi taiyaar ho jaye to kisi munasib jama'at ke saath unko bhejne ka bandobast kare ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 254 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
05-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-254
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Gareeb Nikalne Walo Kï Madad kare ,
↬• Agar kisi jagah ke kuchh gareeb log Tabligi Jama'at ke saath nikalne ko taiyaar ho jaye aur Kharch se majboor ho to koshish kar ke Jaha tak ho sake Unhi ke mahol se kuchh Ameero ko bhi unke saath ke liye uthaya ( Taiyaar kiya ) jaye ,
★• Aur unko ye bhi bataya jaye k Allah Kï raah me nikalne wale gareebo aur kamzoro Kï imdaad ka Allah ke yaha kya darja he ,
★• Lekin saath hi poori ahmiyat se ye baat bhi unko yaad karayi jaye k agar wo apne kisi gareeb saathi Kï madad karna chahe to uske usool aur uska tareeqa is Raah ke Purane Tajurbekaar kaam karne walo se zaroor maloom kare ,aur Unke mashware se hi ye kaam kare,
★ • Usool ke khilaf aur galat tareeqe per kisi Kï madad karne se kisi waqt bahut si kharabiya'n paida ho jati he ,
*_ Fir Deen ke liye nikalne wale gareeb aur majboor logo per kharch karne ke kuchh usool Hazrat ne bayan farmaye aur irshad farmaya k isko likh lo ,,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 255 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
06-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-255
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Deen Ke liye Nikalne wale Gareeb Aur Majboor logo Per Kharch ke Usool -1,
↬• 1- Majbooro ko is tarah hikmat se diya jaye k Wo isko Kisi mustaqil silsila na samjhne lage aur unme israaf paida na hone paye ,
★• 2- Dena " Taleef "ke liye ho ( Yani Deen se lagaav aur talluq paida karne ke waaste ho ) Isliye sirf zarurat bhar hi taleef ho ,fir jese jese unme Deen Kï qadar v talab aur is kaam se talluq v lagaav badta jaye ,usi qadar maali imdaad se haath kheencha jaye ,
★• Aur saath rehne v baat cheet vagera ke zariye ye jazba unme paida kiya jaye k Wo Mehnat Majdoori kar kar ke ye kaam kare ,ya JIS tarah apni doosri zarurato ke liye Qarz lete he ,isko bhi ek aham zarurat samajh kar moqe ke hisaab se iske liye qarz le ,
★ • is Raaste me Doosre ka ahsaanmand na hona " azeemat " he ,Hijrat ke waqt Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu jese fidaayi ne Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ko ountni pesh Kï thi to Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne qeemat tay karke qarz li ,
★. Lekin Jab tak ragbat v talluq ka ye darja aur jazba paida na ho us waqt tak munasib tor per unki maali madad Kï jati rahe ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 256 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
07-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-256
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Deen ke liye Nikalne wale Gareeb Aur Majboor Logo per Kharch Ke Usool -2,
↬• Maali imdaad ke adaab me se ek ye bhi he k Bahut hi Chhupe tor per aur izzat v ahatram ke saath diya jaye ,aur dene wale Ameer log Deen Kï khidmat me lage hue gareebo ke qubool kar lene ko unka ahsaan samjhe ,
★• Aur unko apne se bada samjhe k bavjood tangi v gareebi ke Wo Deen ke liye ghar se nikalte he'n ,Deen ke liye ghar se nikalna Hijrat Kï sifat he aur unki Madad karna Nusrat Kï sifat he ,
★• Aur Ansar kabhi muhajireen ke barabar nahi ho sakte ,
★ • 4- is Raah me kaam karne walo Kï madad Zakaat v Sadqaat se zyada Tohfe Kï soorat me Kï jaye ,
★. Zakaat v Sadqaat Kï misaal haandi ke mail kuchel aur Raddi hisse Kï si he k usko nikaalna zaroori he ,Varna saari Haandiya kharab rahegi ,
★• Aur Tohfe Kï misaal ese samjho jese k Taiyaar Khane me khushbu daali jaye aur us per Chandi Sone ke waraq laga diye jaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 257 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
08-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-257
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Deen Ke liye Nikalne Wale Gareeb Aur Majboor Logo Per Kharch Ke Usool-3,
↬• 5-Deen ke liye ghar se nikalne walo Kï madad Kï ek Sabse badi soorat ye bhi he k Unke ghar walo ke paas jaa kar unke Saude vagera aur unki zaroorato Kï Fikr kare ,
★• Aur unko Araam pahunchane Kï koshish kare ,Unhe bataye k Tunhare ghar ke log kese Azimusshan Kaam me nikle hue he'n aur Wo kitne khush naseeb he'n ,
★• Garaz ye k khidmat aur Targeeb se itna mutma'in kare k Wo khud Apne ghar ke nikle hue logo ko likhe k " hum log yaha har tarah Araam se he'n ,tum itminan ke saath Deen ke kaam me lage raho ,"
★ • 6- Maali madad ke sislsile me halaat jaanne Kï koshish karne Kï bhi zarurat he ,( Yani Deen ke kaam me lage rehne walo ke halaat per gor kare aur toh lagaye k unki kya zaruriyaat he'n ,aur unki guzar basar kesi he ,) ,
★. 7- Halaat Jaanne Kï ek soorat jisko khaas tor se rivaaaj dena chahiye ye he k Bade log Apni Aurto'n ko Deen ke waaste nikalne wale gareebo ke GHARO me bheja kare ,
★• Unse un gareeb ghar walo Kï hosla afzaai aur Dildaari bhi hogi aur unke andruni halaat ka bhi kuchh ILM hoga ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 258 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
09-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-258
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..INFAAQ FI SABILILLAAH ,
↬• Khuda Kï RAAH me kharch karne per Quran v Hadees me Duniyavi Barkaat ka Jo Vaada kiya gaya he ,Wo uska Ajr nahi he ,
★• Nekiyo'n ke Asal ajr ko to Duniya bardasht hi nahi kar sakti ,Waha'n Kï khaas niyamato Kï bardasht yaha kaha'n ?
★• is Duniya me to Pahaad Jesi sakht Makhlooq aur Hazrat Moosa Alaihissalam jese Bade Paigambar bhi ek Tajalli Kï taab na la sake ,
★ • Jannat Kï niyamate'n agar Yaha'n bhej Dï jaye to KHUSHI se maut waqe ho jaye ,Yahi haal waha'n Ke azaab ka he ,agar Dozakh ka ek Bichchhu is Duniya Kï taraf rukh kare to ye saari Duniya uske Zehar Kï tezi se sookh jaye ,
★. Khuda Kï RAAH me kharch karne walo Kï misaal Quran paak me Jo us Shakhs se di gayi he Jisne Ek Daana boya aur usse Saat So (700) daane paida hue ,
★• To ye misaal Duniyavi barkaat Kï hi he ,Akhirat me iska Jo Ajr milega Wo to bahut ouncha hoga ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 259 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
10-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-259
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Kaam se Pehle Allah se Dua Kijiye,
↬• is Raah me kaam karne ki sahi Tarteeb yu he k Jab koi qadam uthana ho ,Jese khud tableeg me Jana ho ya kisi ko bhejna ho ,Ya Shukook v Shubhaat rakhne wale Kisi Shakhs ko mutmain karne ke liye usse mukhatab hone ka iraada ho ,
★• To sabse pehle apni Na-ahliyat ka aur bebasi aur wasayal v asbaab se apne khali haath hone ka khayal karke Allah ko haazir naazir aur qaadire mtlaq Yaqeen karte hue poori gidgidahat v Rone ke saath usse arz kare ,
★• K ,Ey Khuda ! Tune barha bager asbaab ke bhi sirf apni poori qudrat se bade bade Kaam kar diye ,ilaahi Bani Israeli ke liye tune sirf apni qudrat se hi Samandar me khushk raasta paida kar diya ,
★ • Hazrat Ibrahim Alaihissalam ke liye tune apni Rehmat aur Qudrat hi se Aag ko guljaar bana diya tha ,aur Ey Allah ! Tune apni Chhoti Chhoti Makhlooq se bhi bade bade kaam liye he ,Ababeel se tune Abraha ke haathiyo wale lashkar ko haar dilwayi aur apne ghar Kï hifazat farmayi ,
★. Arab ke Ount charane wale anpado se tune Deen ko saari Duniya me chamkaya aur Kaisar v Kisra Kï hukumato ko tukde tukde kara diya ,
★• Pas Ey Allah ! Apni is purani sunnat ke mutabiq mujh nikamme ,nakaara aur Aajiz v kamzor bande se bhi kaam le le ,aur mai tere Deen ke JIS kaam ka iraada kar raha hu uske liye Jo tareeqa tere nazdeek sahi he mujhe uski taraf rehnumayi farma aur Jin asbaab Kï zarurat ho Wo sirf apni qudrat se ata farma de ,
*__Bas Allah se Ye Dua maang kar fir kaam me lag jaye ,Jo asbaab Allah Kï taraf se milta rahe unse kaam leta rahe ,aur sirf Allah hi Kï qudrat v madad per poora bharosa rakhe hue apni poori koshish karte rahe aur Ro Ro kar usse madad aur " injaaze Va'ad ,"( Quean paak ka Vaada ) Kï darkhwast bhi karta RAHE balki Allah hi ko Asal samjhe aur Apni koshish ko iske liye shart aur Parda samjhe ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 260 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
11-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-260
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Khud se Zyada Doosro per Mehnat ,
↬• Khud Kaam karne se bhi zyada tavajjoh aur Mehnat doosro ko is Kaam me lagane aur unhe Kaam sikhane ke liye karni chahiye,
★• Shaitan jab kisi ke mutalliq ye samajh leta he k ye to kaam ke liye khada ho hi gaya he aur ab mere bethaye bethne wala nahi he to fir uski koshish ye hoti he k Khud to laga rahe magar doosro ko lagane Kï koshish na kare ,
★• Isliye Wo is per Raazi ho jata he k ye Shakhs is bhalai ke kaam me poore tor se is qadar masroofiyat se lag jaye k doosro ko Dawat dene aur lagane ka usko hosh hi na ho ,
★ • Isliye Shaitan ko haar is tarah hi Dï ja sakti he k doosro ko uthane aur unhe kaam per lagane aur kaam sikhane Kï taraf zyada se zyada tavajjoh di jaye ,
★. Aur Dawat ilal khair aur Dalalat ilal khair ( Neki Kï taraf Dawat aur Neki ke KAAMO per dalalat ) ke kaam per ajro sawab Ke Jo vaade Quran v Hadees me farmaye gaye he'n unka khayal aur dhayan karte hue aur usi ko apni tarakki aur takarrub ( khuda ke qareeb hone ) ka sabse bada zariya samajhte hue iske liye koshish Kï jaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 261 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
12-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-261
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Deen me Thehraav nahi ,
↬• Ya to Aadmi Deen me taraqqi kar raha hota he aur Ya niche girne lagta he ,
★• iski misaal yu samjhiye k Baag ko jab paani aur Hawa muwafiq ho to hariyali v taazgi me taraqqi hi karta rehta he ,
★• Aur jab mausam muwafiq na ho ya paani na mile to esa nahi hota k ye hariyali aur taazgi apni jagah per thehri rahe balki usme kami shuru ho jati he ,Yahi haalat Aadmi ke Deen Kï hoti he ,
★ • Logo ko Deen per laane aur Deen ke kaam me lagane Kï tarqeebe socha karo ( Jese Duniya wale apne Duniyavi maqasid ke liye tarkeebe socha karte he'n) aur Jisko JIS tarah se mutavajjah kar sakte ho uske saath usi raaste se koshish karo ,
★. Tabiyat mayoosi ( na ummeedi ) Kï taraf zyada chalti he ,kyuki mayoos ho Jane ke baad Aadmi apne ko Amal ka zimmedar nahi samajhta aur fir use kuchh karna nahi padta ,Khoob samajh lo ye NAFS aur Shaitan ka bada dhoka he ,
★• Asbaab Kï KAMI per Nazar daal kar mayoos ho Jana is baat Kï nishani he k tum asbaab parast ho aur Allah ke Vaado aur uski gaib Kï taaqato per tumhara Yaqeen bahut kam he ,
*__Allah per bharosa kar ke aur Himmat karke utho to Allah hi asbaab paida karte he'n ,Varna Aadmi khud kya kar sakta he. ,Magar Himmat aur taaqat bhar koshish shart he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 262 , in sha Allah ta'ala ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
13-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-262
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Gair Qaumo Kï Pairvi Na kare ,
↬• Zara socho to ! Jis Qaum ke Aasmani Uloom ( Yani Hazrat Maseeh Alaihissalam ka laya hua ilm ) ka chiraag ,Uloome Muhammadi ( Quran v Sunnat ) ke saamne bujh gaya balki Allah Kï taraf se mansookh kar diya gaya ,
★• Aur barahe Raast usse Roshni haasil karne ko saaf mana farma diya gaya, Usi Qaum Kï ahwa v amaani ( yani un Isaai Qaumo ke apne khud ke banaye hue nazariyo ,tareeqo ) ko is Quran v Sunnat ke haamil Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Kï Ummat ka Akhtyar kar Lena aur usko sahi kaam ka tareeqa samajhna kitna bura aur kis qadar Allah ko gussa dilane wala hoga ,?
★• Aur Aqal ke hisaab se bhi ye baat kitni galat he k Ummat wahih ( Quran v Sunnat ) ke mehfooz hote hue bhi ( Jisme Zindgi ke tamaam infiradi v ijtimayi shobo ke mutalliq poori hidayate mojood he'n ) Gair Qaumo Ke Tor tareeqo ki pervi Kï jaye ,Kya ye Uloome Muhammadi Kï na-qadri nahi he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 263 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
14-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-263
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Bahut Saada aur Bahut Najuk Kaam he ,
↬• Hum jis Deeni Kaam Kï Dawat dete he'n, Zahir me to ye bada Saada sa kaam he ,lekin haqeeqat me bada Najuk kaam he ,
★• Kyuki yaha maqsood sirf Karna Karana hi nahi he balki apni koshish karke apni majboori ka Yaqeen aur Allah Ta'ala Kï qudrat v madad per bharosa paida karna he ,
★• Allah ka Tareeqa yahi he k agar Allah Kï madad ke bharose per apni saari koshishe hum kare to Allah Ta'ala hamari koshish aur harkat hi me apni madad ko shamil kar dete he'n,
★ • Apne ko bilkul be kaar samajh kar bethe rehna to " Jabriyat " he aur apni hi taaqat per bharosa karna ," Qadriyat " ( qadar karna ) he ( aur ye dono gumrahiya'n he'n ) aur sahi Islam in dono ke darmiyan he ,
★. Yani Allah Ta'ala ne mehnat aur Koshish Kï Jo hakeer si taaqat aur salahiyat hume de rakhi he ,Allah ke Hukm ko POORA karne me usko to poora POORA laga de ,aur isme koi kasar na chhode ,
★• Lekin nateeje ke paida karne me Apne ko bilkul Aajiz aur be bas Yaqeen kare aur sirf Allah Ta'ala Kï madad hi per bharosa kare aur sirf usi ko kaam karne wala samjhe ,
*__Farmaya -- Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke namoone se iski poori tafseel maloom Kï ja sakti he, Musalmano ko hamari Dawat bas yahi he.
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 264 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
15-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-264
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Ziyarat Ka Mafhoom ,
↬• Panjab ke ek Deendar Musalman ka zikr karte hue farmaya :-
★• Wo Jab pehli dafa aaye to ittefaq se mai'n us waqt ibne maaja Sharif ka Sabaq padha raha tha ,Unhone Salam kiya ,Maine Hadees ke Dars me mashguliyat Kï vajah se jawab nahi diya ,
★• Fir Wo wahi beth gaye aur thodi der ke baad ( sabaq hi ke dauran ) unhone kaha k mai'n fala jagah se aaya hu'n ,Maine uska bhi koi jawab nahi diya ,
★ • Kuchh der baad Wo uth kar chalne lage to ab Maine unse puchha k Aap kyu aaye the ? Unhone kaha k " Ziyarat ke liye "
Maine kaha ,Jis Ziyarat ki Hadees me targeeb aur Fazilat aayi he Wo yeh nahi he ,k kisi Kï sirf soorat dekh li jaye to ye esa he Jese kisi Kï tasveer dekh li ,
★. Shara'i Ziyarat ye he k Uski baat puchhi jaye ,Uski Suni jaye ,aur Aapne to na kuchh kahi aur na meri kuchh Suni , " Unhone kaha k kya mai'n thehar jau ? ,mene kaha Zaroor ,
★• Chunache Wo thehar gaye aur fir Jab unhone meri baat ko suna aur Samjha aur Yaha ke kaam ko dekha to apne bade bhai .......ko bulaya ,
*_Agar mai'n usi waqt usi TOR per thodi baat unse kar leta to Jo kuchh baad me hua kuchh bhi na hota aur Bas Wo " Ziyarat "hi karke chale jate ,
*_Farmaya :- Zamane ke badalne se Deeni istilaahaat ke maa'ne bhi badal gaye aur unki Rooh nikal gayi ,Deen me ," Muslim Kï Muslim se mulaqaat " Kï fazilat isliye he k unme Deen Kï Baate ho ,Jis mulaqaat me Deen ka koi Zikr na ho Wo be Rooh he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 265 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
16-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-265
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Islaah Kï Tarteeb,
↬• Hamare Nazdeek islaah Kï tarteeb yu he k ( Kalma- A- Tayyiba ke zariye imaani muahido ko taza karne ke baad ) sabse pehle Namazo Kï durustgi aur poore hone Kï fikr Kï jaye ,
★• Namaz Kï BARKAT poori Zindgi ko sudharegi ,Namaz hi ke Salaah aur Kamaal se baqi Zindgi per salahiyat aur Kamaal ka Faizan hota he ,
★• Hamari is Deeni Dawat me kaam karne wale sab logo ko YEH baat achchhi tarah Samjha deni chahiye k Tabligi Jama'ato ke nikalne ka maqsad Sirf doosro ko pahunchana aur batana hi nahi balki is zariye se apni islaah aur apni taleem v tarbiyat bhi maqsood he ,isliye nikalne ke zamane me ILM aur Zikr me mashguliyat ka bahut Zyada ahatmam kiya jaye ,
★ • Deen ke ILM aur Allah ke Zikr ke ahatmam ke bager nikalna kuchh bhi nahi he ,fir ye bhi zaroori he k ILM v Zikr me ye mashguliyat is Raaste ke apne bado se talluq rakhte hue aur unki hidayat v nigrani me ho ,
★. Ambiya Alaihissalam ka ILM v Zikr Allah Ta'ala ke zere hidayat tha aur Sahaba Kiraam Kï Huzoor Sallallahu Alaihivasallam poori poori nigrani farmate the,
★• Isliye har zamane Ke logo ne Apne bado se ilm v Zikr liya aur unki nigrani aur rehnumayi me poori tarah seekha ,Ese hi Aaj bhi hum apne Bado Kï nigrani ke mohtaaj he'n ,Varna Shaitan ke jaal me fans Jane ka bada dar he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 266, in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
17-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-266
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Jo Allah Kï Madad v Rehmat Kï Ummeed na Rakhe Gunahgar he ,
↬• Dosto Hamara ye Kaam ( Islahi v Tabligi Koshish ) ek tarah ka taskheer ka Amal he ,( Yani Jo koi is kaam me lagega aur usko apni DHUN bana legal Allah Ta'ala uske kaam banata rahega ),
★• Agar Tum Allah ke kaam me lagoge to zameen v Asmaan aur Fiza Kï hawae'n tumhare kaam anjaam dengi ,
★• Tum Allah ke Deen ke liye ghar aur karobaar chhor kar nikle the ab Aankho se dekh Lena k Tumhare karobaar me kitni barkat hoti he ,Allah Kï Madad karke Jo uski Madad v Rehmat Kï Ummeed na rakhe Wo gunahgar aur be naseeb he ,( Akhri Jumla Aapne ese andaz aur itne josh me kaha k Majlis me haazir rehne walo ke Dil hil gaye ),
★ • Hamare is kaam Kï sahi tarteeb to yahi he k Pehle qareeb qareeb jaya jaye aur Apne mahol me kaam karte hue aage bada jaye ,lekin kabhi kabhi Kaam karne walo me PAKKA iraada aur kaam Kï pukhtgi paida karne ke liye Shuru me door door bhej diya jata he ,in lambe safaro se PAKKA iraada aur kaam ka ishq paida hoga ,
★. Hamare is kaam me felaav se Zyada Rusookh ( pahunch ) aham he ,lekin is kaam ka Tareeqa esa he k rusookh ke saath hi felaav bhi hota jayega ,
★• Kyuki Rusookh bager iske paida hi nahi hoga k is Dawat ko le kar Shehro Shehro aur Mulko Mulko fira jaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 267, in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
18-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-267
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Ek Niyaazmand se Ek Din Farmaya ,( Jinko Tablig ke alawa Kitaabe aur Majmoon vagera likhna unka khaas kaam tha ),
↬• Mai ab tak isko pasand nahi karta tha k is Tabligi kaam ke silsile me Kuchh Zyada likha padha jaye aur Tehreer ke zariye iski Dawat Dï jaye balki mai isko mana karta raha ,LEKIN AB Mai kehta hu k likha jaye aur Tum bhi khoob likho ,
★• Magar fala fala kaam karne walo ko meri ye baat pahuncha kar unki Raay bhi le lo ,( Chunache un naamzad HAZRAAT ko Hazrat Kï ye baat pahuncha kar mashwara talab kiya gaya ,un Hazraat ne apni ye Raay Zaahir Kï k is bare me ab tak Jo Tareeqa raha he wahi ab bhi rahe ,Hamare nazdeek yahi behtar he ),
★• Pehle hum bilkul Kasm-pursi Kï haalat me the koi hamari baat sunta nahi tha aur Kisi Kï samajh me hamari baat aati nahi thi ,Us waqt yahi zaroori tha k hum Khud hi Chal fir kar logo me Talab paida kare aur Amal se apni baat samjhaye ,
★ • Us waqt agar Tehreer ke zariye aam Dawat Dï jati to log kuchh ka kuchh samajhte Aur apne samajhne ke mutabiq hi raay qaayam karte aur agar baat kuchh Dil ko lagti to Apni samajh ke mutabiq kuchh sidhi kuchh ulti uske kaam Kï shakl banate aur fir Jab natije galat nikalte to ( Dawat ko ) galat kehte ,
★. Isliye hum ye behtar nahi samajhte k Logo ke paas Tehreer ke zariye Dawat pahunche ,Lekin Allah ke Fazal v Karam aur uski Madad se ab halaat badal chuke he'n, Hamari bahut si Jama'ate Mulk ke Charo taraf nikal kar kaam ka Tareeqa dikhla chuki he aur ab log Kaam ke taalib ban kar khud hamare paas aate he'n,
★• Aur Allah Ta'ala ne hume itne Aadmi de diye he'n k agar alag alag simto me talab ( maang ) paida ho aur kaam sikhane ke liye Jama'ato Kï zarurat ho to Jama'ate bheji ja sakti he'n ,
* __To ab in halaat me bhi Kas-m-pursi wale shuru zamane hi ke kaam ke tareeqe ke har har hisse per Jame rehna theek nahi ,isliye mai kehta hu'n k Tehreer ke Zariye bhi Dawat deni chahiye,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 268 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
19-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-268
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Apne Bado se Kaam Qadar ke Saath lo ,
↬• Ab ye kehna chhor do k Teen Din do ya Paanch Din do ya Saat din do ,Bas ye kaho k Raasta ye he ,Jo jitna karega Utna payega ,iski koi Had nahi Koi sira nahi he ,
★• Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ka Kaam Sab Nabiyo se aage he aur Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu Kï ek Raat aur ek Din ke kaam ko Hazrat Umar Raziyallahu Anhu nahi pa sake ,fir iski Had hi kya he ,Yeh to Sone Kï khaan he Jitna khodoge utna niklega ,
★• Jazbaat aur Dil ka rukh badle bager Zindgi ke kaam badalwane Kï koshish galat he ,Sahi Tareeqa ye he k logo ke Dilo ko Allah Kï taraf fer do , fir unki poori Zindgi Allah ke Hukmo ke maathat ho jayegi ,Laa ilaaha illallaah ka yahi maqsad he aur hamari mehnat Kï yahi Buniyad he ,
★ • Logo se Deen per Amal karane ke liye pehle unme haqeeqi imaan ,Akhirat Kï fikr aur Deen Kï qadar paida karo ,
★. Allah ka ina'am bahut he magar uske yaha gairat bhi he ,Wo naqadro ko nahi deta ,
★• Tum bhi apne Bado se Deen ko qadar ke saath lo aur is gadar ka taqaza ye bhi he k unko apna bahut bada Mohsin samjho aur poori tarah unki tazeem karo ,Yahi mansha he us Hadees ka jisme farmaya gaya he k Jisne Apne mohsin ka Shukr ada na kiya usne Allah ka bhi Shukr ada nahi kiya ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 269 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
━═─────────────────═━
☆
20-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-269
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Miskeen Gareebo Kï Qadar karo,
↬• is silsile ka ek usool ye he k Azaad Ravi aur Khud Raay ( manmarzi ) na ho ,balki apne ko un Bado ke mashwaro ka paband rakho jin per Deen ke bare me un Akabir mahoomeen ne bharosa Zahir kiya ,Jinka Allah ke saath khaas talluq jaana aur maana raha he ,
★• Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ke baad Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ka paimana yahi tha k unhi Akabir per Zyada Bharosa karte the jin per Huzoor Sallallahu Alaihivasallam khaas bharosa farmate the,
★• Aur fir Baad me Wo HAZRAAT Zyada bharose ke qabil samjhe gaye jin per Hazrat Abu Bakar aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhum ne bharosa farmaya tha ,Deen me bharose ke liye bahut tayaqquz ( hoshiyari aur bedaari ) ke saath intikhaab ( chunaav ) zaroori he ,varna Badi gumrahiyo ka bhi khatra he ,
★ • Aam tor per kaam karne wale log Bade Aadmiyo aur numaya hastiyo'n ke pichhe lagte he'n aur Allah ke gareeb aur khasta haal Bande agar khud bhi aa jaye to unki taraf mutavajjah nahi hote ,Ye maddiyat he ,
★. Khoob samajh lo ,Jo khud ba khud tumhare paas aa gaya Wo Allah ka diya hua aur uska bheja hua he aur Jiske pichhe lag kar tum use laye Wo tumhari kamaai he ,
★• Jo Allah Kï Khaalis Ata ho uski qadar Apni kamaai se Zyada honi chahiye, Zara socho to Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne Dua Kï thi ,ey Allah mujhe miskeen Kï HAALAT me zinda rakh aur miskeeni hi Kï haalat me mujhe maut de aur Qayamat ke roz gareebo Kï Jama'at me mujhe uthaa,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 270 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
━═─────────────────═━
☆
21-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-270
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Aurto'n Se Khitaab ,
↬• Hazrat Gangohi Navvrallahu Marqadhu ke nawase Hazrat Hafiz Mohammed Yaqoob Sahab Gangohi Apne gharane Kï Aurto'n ke saath Hazrat Kï Ziyarat v ayadat ke liye tashreef laye ,Hazrat ne Parde ke pichhe unko Khitab karte hue farmaya,( Mukhtasar Jumlo me likha he )
★• Mujhe Deen Kï niyamat Aap hi ke gharane se mili he ,Mai Aapke ghar ka gulaam hu'n ,Gulam ke paas agar koi cheez aa jaye to use chahiye k Tohfe me apne Maalik ke saamne pesh kar de ,Mujh Gulam ke paas Aap hi ke ghar se haasil kiya hua " Vurasate Nabuwat " ka Tohfa he ,iske Siva aur isse behtar mere paas koi saugaat nahi he jisse mai pesh kar saku ,
★• Deen kya he ? Har moqe per Allah ke Hukmo ko talash karte hue aur unka dhyan karte hue aur apne NAFS ke taqazo Kï milawat se bachte hue unko poora karne me lage rehna ,aur Allah ke Hukmo Kï talash aur dhyan ke bager KAAMO me lagna hi Duniya he ,
★ • Mai Aurto'n se kehta hu'n k Deeni kaam me tum apne ghar walo Kï madadgaar ban jao ,unhe itminan ke saath Deen ke KAAMO me lagne ka moqa de do aur gharelu KAAMO ka unka bojh halka kar do ,Taki woh be fikr hokar Deen ka kaam kare ,agar Aurte'n ESA nahi karengi to " Hibalatus Shaitan " ho jayengi ,( Yani Shaitaan ka Jaal v Fanda ),
★. Deen Kï Haqeeqat he Jazbaat ko Allah ke Hukmo ka paband karna ,Sirf Deeni Masail ke jaanne ka naam Deen nahi he ,Yahudi Ulma Deen Kï baate aur Shariyat ke bahut jaante the lekin apne jazbaat ko unhone Allah ke Hukmo ka paband nahi kiya tha ,isliye magzoob aur mardood ho gaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 271 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
━═─────────────────═━
☆
22-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-271
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Allah ke Deen Kï Madad Karo ,
↬• Isi Baatcheet ke dauran Hazrat se Kisi khaas maamle me Dua Kï darkhwast Kï gayi to farmaya ,___
★• Jo koi Allah ka taqwa Akhtyar kare yani jazbaat ko Allah ke Hukmo ke taabe kar de to fir Allah Ta'ala uski tamaam mushkile gaib ke parde se Hal karte he'n aur ese tareeqo se uski madad karte he'n k khud use waham v gumaan bhi Nahi hota ,
★• Allah Kï khaas madad hasil karne Kï yaqeeni aur shartiya tarteeb ye he k uske Deen Kï madad Kï jaye ,
★ • " in tansurullaha Yansurukum ," Agar tum Allah ke deen Kï madad karo to halaak karne wali cheeze tumhare liye Zindgi aur Araam ka samaan ban jaye ,Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne Ji jaan se Allah ke Deen Kï madad Kï to Allah ne Aag ko gulzaar bana diya ,ESE hi Hazrat Moosa Alaihissalam aur unki Qaum ko us dariya ne jiski khasiyat dubona he salaamti ke saath saahil tak pahuncha diya ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 272 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
━═─────────────────═━
☆
23-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-272
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..2 Jamadilula 1363 ( 25-04-1944) Hijri ,Devband Ke Talba Kï Jama'at ko khitaab ,
↬• Apne Tamaam Ustaado Kï izzat aur un sabka adab v ahatraam aapka khaas aur bada farz he ,Aapko unki esi izzat karni chahiye jese Kï Deen ke imaamo Kï Kï jati he ,
★•Woh Aap logo ke liye Nabvi ILM ke haasil karne ka zariya he'n ,Agar unke darmiyan kuchh niza'ata ( Jhagde ) bhi ho tab bhi Adab v izzat ka talluq sabke saath barabar rehna chahiye, Chahe Muhabbat v aqeedat kisi ke saath kam aur kisi ke saath Zyada ho lekin tazeem me fark na aana chahiye aur Dil me unki taraf se buraai na aana chahiye,
★• Quran Majeed ne to har Momin ka yeh Haq bataya he k Unki taraf se apne Dilo ko saaf rehne Kï Allah Ta'ala se Dua Kï jaya kare ,
★• Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam farmaya karte the ,Tumme se koi mujhe ek doosre Kï na pahunchaya kare ,mai chahta hu'n k mai jab tumhare paas aau'n to mera Seena sabki taraf se saaf ho ,
★ • in cheezo ka ajr ( yani chhote bado ke Huqooq Kï ri'ayat ) Arkaan se kam nahi he balki Zyada hi he , unke Huqooq Kï adaygi ka maamla bahut aham he aur fir is darje me ilme Deen ke Ustaado ke Huqooq ka maamla Zyada najuk he ,
★. To in Talbao'n ko mera ye paigaam pahunchao k Apni Zindgi ke is pehlu ki islaah Kï khaas tor per fikr kare ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 273 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
━═─────────────────═━
☆
24-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-273
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..ILM aur Amal Ka Jod Ho ( Devband Ke Talba se Khitaab )
↬• Doosri baat ye he k Hamesha is fikr me lage raho aur is fikr ke bojh ke saath Zindgi guzaro k Jo kuchh padha he aur Jo padhenge uske mutabiq Zindgi guzare ,ilme Deen ka ye pehle Zaroori Haq he ,
★• Deen koi fun aur falsafa nahi he balki Zindgi guzaarne ka Wo Tareeqa he Jo Ambiya Alaihissalam lekar aaye ,
★• Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne, " ilmun laa yanfa'a" se ( Yani us ILM se Jo Amal per na daale ) panaah maangi he ,aur iske alawa bhi Aalim Be-Amal ke liye Jo Sakht Saza dene Kï Waiyde Qur'an v Hadees me aayi he'n Wo Aapke ilm me he ,
★ • Ye bhi Samajh Lena chahiye k Aalim Be-Amali Namaz na padhna aur Roza na rakhna ,.............nahi ,Ye to Aam logo ke Aam gunaah he'n ,Aalim ka gunaah ye he k Wo ILM per Amal na kare aur Uska Haq ada na kare ,
★. Qurane Kareem me Ahle Kitaab Ulma ke mutalliq farmaya ,"unke Vaada todne Kï Vajah se humne un per laanat Kï aur unke Dilo ko sakht kar diya ,
★• Allah Kï baato ko felane Kï koshisho me Jaan dene ke shok ko zinda kare aur iska Tareeqa sikhe aur is per Allah Ta'ala Kï taraf se Jo Vaade he'n ,Yaqeen ke saath unse Ummeede lagate hue aur uske gair Se bilkul Ummeed na lagate hue balki gairo Se Ummeede khatm karte hue Kaam karna Sikhe ,
★• Jitni Zarurat iski he k Allah hi se Ummeed rakhi jaye ,utni hi Zarurat is koshish Kï he k Allah ke alawa gairo Se Ummeed na rakhi jaye ,balki bilkul Nazar ANDAZ karke kaam karne Kï mashk Kï jaye ,
*_ Hadees me he k Jo log gairo se Kuchh Ummeed rakh kar achchhe kaam karenge ,Qayamat me unse Keh diya jayega k Jao unhi Se JAA kar apna ajr lo ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 274 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
━═─────────────────═━
☆
25-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-274
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .Qad aflahal Mu'aminoona ,,,,
↬• Namaz qaayam karna saari Zindgi ko durust karne wali cheez he, Lekin Namaz qaayam karne Kï takmeel hogi un khoobiyo ke paida karne se Jinka Zikr Namaz ke silsile me Qur'an Kareem me alag alag tor per kiya gaya ,
★• Isse ye saaf maloom hota he k Namaz me Khushu bhi Namaz qaayam karne me dakhil he aur bager Khushu ke Namaz padhne wale " Muqimeene Salaat " nahi he'n ,
★• Aur Khushu paida karne Kï tarkeeb v tadbeer ye he k Allah Ta'ala ke saamne haazir hone ke Yaqeen ko Zyada se Zyada badaya jaye ,
★ • Namaz me jis Falah aur Kamyaabi ka Vaada he usko sirf Akhirat Kï kaamyabi hi me munahsir karne Kï koi Vajah nahi balki Duniya Kï kaamyabi v Kaamrani bhi isme dakhil he ,aur Matlab ye he k Jin logo me ye imaani Khoobiya'n ho ,hamari gaibi madad Duniya me bhi unka Raasta saaf karne aur falaah v kaamrani tak pahunchane ki zimmedar he ,
★. Gaibi Madad aur Gaibi taaqat jis cheez ka naam he Wo pehle se hawale nahi Kï jati balki theek waqt per Saath kar di jaya karti he Goya Allah ke khazane me Jama he ,
★• Aur imaan v tavakkul Kï shart ye he k Us per bharosa apne haath Kï haasil Kï hui taaqat se Zyada hona chahiye,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 275 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
━═─────────────────═━
☆
26-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-275
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Apni Qadar karo (Devband ke Talba hi se farmaya ,,)
↬• Tum Apni Qadar v qeemat to samjho ,Duniya bhar ke khazane bhi tumhari qeemat nahi ,
★• Allah Ta'ala ke Siva koi bhi tumhari qeemat nahi laga sakta ,Tum Ambiya Alaihissalam ke naayab ho Jo saari Duniya se keh dete he'n,
★• Tumhara Kaam ye he k Sabse ummedo ko khatm karte hue aur Sirf Allah ke ajr per Yaqeen v bharosa rakhte hue tavaajo aur tazallul ( apne ko kam aur past samajhna )se imaan walo Kï khidmat karo ,isi se Abdiyat Kï takmeel v tazien hogi ,
★ • Allah Ta'ala ne Zaahir v Baatin Kï Jo taaqate hume di he'n maslan Fikr v Raay aur haath paanv ,,,ye sab Allah Ta'ala ka inaam he ,aur Allah ke KAAMO me aur Uske Deen ke liye in cheezo ka istemal karna bhi isme shamil he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 276 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
━═─────────────────═━
☆
27-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-276
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Apni Taaqato ka sahi istemal ho ,
↬• Muslim ka Muslim se milna bas islam ko felane ke liye ho ,Varna Muslimo aur gair Muslimo Kï mulaqaat me kya fark he ?
★• Allah ne Jo zaahir v Baatin Kï taaqate ata farmayi he unka sahi istemal ye he k unko usi kaam me lagaya jaye jisme Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne apni taaqate lagayi ,
★• Aur Wo kaam he Allah ke bando ko aur khaas kar gaafilo aur be talabo ko Allah Kï taraf Lana aur Allah Kï baato ko felane ke liye Jaan ko be qeemat karne ka rivaaj dena ,
★ • Ye kaam agar hone lage ( Alhamdulillah Aaj halaat ban chuke he'n) to abse hazaro Guna Zyada Madarse aur hazaro Guna Zyada hi khanqaahe qayam ho jaye ,balki har Musalman Madarsa aur Khanqaah ho jaye aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï layi hui niyamate'n is Aam andaz me batne lage Jo uski Shaan ke mutabiq he,
★. Allah ka kaam karne aur Uski madad ke Mustahiq hone Kï sharto me se ye he k Aadmi apne Aapko aajiz v lachaar samjhe aur Sirf Allah hi ko kaam banane wala Yaqeen kare ,iske bager madad nahi hoti ,Hadees Paak me he ," mai unhi ke saath hu'n jinke dil toote hue he'n ,"
★• Har Musalman ke liye uski namojoodgi me Dua karna Haqeeqat ke liye Dua karna he ,Hadees me he k Jab koi Musalman apne kisi Musalman bhai ke liye Khair v falaah Kï koi Dua karta he to Allah ke farishte kehte he'n k Ey Allah ke bande yahi cheez Allah tujhe bhi de ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 277 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
27-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-277
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Khairiyat ka Maiyaar ,
↬• Hamare is kaam ( Dawat Tablig ) me ikhlaas aur Sachche Dil ke saath ijtimaiyat aur mil jul kar aapsi mashware Se kaam karne Kï badi Zarurat he aur iske bager bada khatra he ,
★• Hazrat Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu, Hazrat Abu Ubaida aur Hazrat Ma'az Raziyallahu Anhu se farmate the k ,Mai tumhari nigrani se be niyaaj nahi hu'n ,mai bhi Aap logo se yahi kehta hu k mere halaat per Nazar rakhiye aur Jo baat tokne Kï ho us per tokiye ,
★• Hazrat Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu ke Governoro ke paas se jab koi qasid aate to Aap unse governoro Kï khairiyat puchhte aur unke halaat maloom karte ,lekin iska matlab Deeni khairiyat aur Deeni haal puchhna hota tha na k Aaj kal ke rivaaj ke mutabiq mijaz pursi ,
★ • Chunache ek Governor ke paas se aane wale qasid se jab Aapne Governor Kï khairiyat puchhi to unhone kaha ,," Waha khairiyat kaha'n he ,Maine to unke dastarkhwan per Do Do saalan Jama dekhe ,"
★. Goya k Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Jis tarze Zindgi per Sahaba Kiraam ko chhor gaye the bas us per qaayam rehna hi in hazraat ke najdeek khairiyat ka maiyaar tha ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 278 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
28-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-278
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Deen ke Liye Kam se Kam Pasina to bahao ,
↬• Allah Se uska Fazal aur Rizq vagera maangna to Farz he aur Apni ibaadat v khidmat vagera ka Duniya hi me BADLA chahna Haraam he ,
★• Tamaam gunaah Kufr hi Kï Shaakhe aur Uski Aulaad he'n aur isi tarah Tamaam Nekiya'n imaan Kï Aal Aulaad he'n ,Hamari ye tehreek dar Haqeeqat imaan Kï tajdeed ( taza karna ) aur uski takmeel Kï tehreek he ,
★• Deeni kaamo ko be maqsad ya Allah ke Hukm Kï ita'at aur Allah Kï Raza aur Akhirat ke sawab ke Siva aur maqsado ke liye karna bhi Deen ko Lahu v La'ib ( Na-jaa'iz khel kood ) banana he ,
★ • Farmaya - Jin jagaho ko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne jaano Kï baazi laga kar ,aur Sahaba Kiraam ne Deen Kï RAAH me Apne ko mita kar Jo kuchh haasil kiya tha ,tum log usko Araam se lete lete kitaabo se haasil kar lena chahte ho,
★. Jo ina'amaat aur Natije khoon se wabasta the unke liye Kam se Kam Pasina giraana to chahiye,
★• Waha haal ye tha k Hazrat Abu Bakar v Hazrat Umar Raziyallahu Anhum bhi Deen Kï RAAH me apne ko mita dene ke bavjood aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï khuli hui aur yaqeeni khush khabriyo ke bavjood is Duniya se Rote Rote hue gaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 279 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
29-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-279
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Nikalne ke Zamane Kï Mehnat ,
↬• Ye bhi zaroori he k Khaas tor se Nikalne ke zamane me Sirf Apne khaas kaamo me mashguliyat rahe aur doosre Tamaam kaamo se alag raha jaye ,
★• Wo khaas kaam ,1- Tabligi Gasht ,2- Ilm ,3- Zikr ,4- Deen ke liye ghar chhor kar nikalne wale apne saathiyo Kï khaas tor se aur Allah Ta'ala Kï Aam Makhlooq Kï Aam tor se khidmat Kï mashq ,
★• 5- NIYAT ka Sahi hona aur ikhlaas v Ahtisaab ( apna muhasba karna ) ka ahatmam aur ittihame nafs ( Nafs Kï Shirkat Kï tohmat ) ke saath baar baar is ikhlaas v Ahtisaab Kï tajdeed karna,
★ • Yani is kaam ke liye nikalte waqt bhi ye khayal karna aur Safar ke darmiyan me bhi baar baar is khayal ko taza karte rehna k hamara ye nikalna sirf Allah ke liye aur un Akhirat Kï niyamato ke laalach me he Jinka Vaada Deen Kï madad karne aur is Raaste Kï takleefe uthane per farmaya gaya he ,
★. Yani baar baar is dhyan ko Dil me jamaya jaye k agar mera ye nikalna khalis ho gaya aur Allah Ta'ala ne usko qubool farma liya to Allah Ta'ala Kï taraf se mujhe Wo niyamate'n Zaroor milengi Jinka Vaada is kaam per Qur'an Paak aur Ahadees me farmaya gaya he aur woh yeh hongi ,
★• Bahar haal in Allah ke vaado per Yaqeen aur inki Ummeed ke dhyan ko baar baar taza kiya jaye aur apne saare Amal ko usi Yaqeen aur usi dhyan se bandha jaye ,bas isi ka naam " imaan v Ahtisaab " he aur Yahi hamare Amaal Kï Rooh he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 280 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
30-04-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-280
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Allah Ke Vaado Ka Yaqeen Paida Karo ,
↬• Haay !Allah ke Vaado per yaqeen nahi raha ,Allah ke Vaado per Yaqeen aur bharosa paida karo aur fir us Yaqeen v bharose hi Kï Buniyad per Kaam karne Kï mashq karo ,
★• Aur Allah ke Vaado ke ma'ane bhi khud na gado ,tumhara ilm aur Tajurba bahut mehdood he ,Allah ke Vaado ka matlab uski Shaan ke mutabiq samjho aur usse yuhi maango k Apni Shaan aur Apni qudrat ke mutabiq un Vaado ko poora farma ,
★• Akhirat Kï Niyamato ka MATLAB aur Asal Haqeeqat ka tum is Duniya me kya andaza kar sakte ho aur Kyukar Wo andaza sahi ho sakta he ,Jabki Hadeese me un niyamato Kï khoobi hi ye Bayan Kï gayi he k ,---
*__Jannat me esi niyamate'n he'n Jo na to kisi Aankh ne dekhi he Aur na kisi kaan ne uska haal suna he aur na kisi insaan ke Dil me kabhi uska khayal aaya he ,
★ • Afsos humne uski Vaada Kï hui niyamato ko apne ilm v samajh aur is Duniya ke apne mushahide aur Tajurbe ke mutabiq samajh kar aur uski Ummeed baandh kar bada ghaata kar liya ,
★. " Laqad Hajjartum wasian," uski niyamate'n aur uski ATA v bakhshish to uski Shaan ke mutabiq hogi ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 281 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
01-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-281
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Kufr Taqatwar he ,ijtimayi Koshish honi chahiye,
↬• Pasand ko mubashrat ke barabar samajhna bada dhoka he aur Shaitaan yahi karta he k Aadmi ko Pasand per hi Qaane ( Kaafi samajhne wala ) bana deta he ,
★• is irshad ka matlab ye he k Kisi achchhe kaam ko sirf achchha samajh lene se us kaam me Shirkat nahi hoti ,balki usme lagne aur usko karne hi se uska Haq ada hota he ,
★• Lekin bahut Se logo ko Shaitaan ye dhoka deta he k Woh kaam se muttafik ho Jane ko kaam me lag Jana aur Shamil hona samajhne lagte he'n ,Ye shaitaan ka bada dhoka he ,
★ • Hamari ye tehreek Dushman Nawaz Dost kush he ,aa jaye jiska Ji chahe ,
★. Bhai ! Is waqt Kufr v ilhaad bahut taqatwar he ,esi haalat me muntshir aur infiradi islahi koshisho se kaam nahi chal sakta ,isliye poori taaqat ke saath ijtimayi koshish honi chahiye,
★• Kaynaat ko tumhara khadim isliye banaya gaya tha k Tum Allah Ta'ala ka kaam karo aur uski ita'at v bandgi aur uski marzi ke farog me lage raho ,Jab Tumne apna ye Farz chhor diya to zameen v Asmaan bhi Tumse fir Gaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 282 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
02-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-282
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Haqeeqat e ilm v Zikr,
↬• ilm v Zikr ko mazbooti se thaamne Kï zyada zarurat he ,magar ilm v Zikr Kï Haqeeqat achchhi tarah samajh Lena chahiye,
★• Zikr Kï Haqeeqat he laparwahi na hona aur Deeni farayaz Kï adaygi me lage rehna ,Sabse ounche darje ka Zikr he ,,
★• isliye Deen Kï madad aur uske felane Kï koshish me lage rehna Zikr ka ouncha darja he ba sharte k Allah ke Hukmo aur Vaado ka khayal rakhte hue ho,
★ • Aur nifli Zikr is waaste he k Aadmi ke Jo Avqaat fara'iz me mashgool na ho Wo bekaar baato me na guzre ,Shaitaan ye chahta he k fara'iz me lagne se Jo Roshni paida hoti he aur Jo taraqqi haasil haasil hoti he Wo bekaar baato me laga ke usko barbaad kar de ,isse hifazat ke liye nifli Zikr he,
★. Garz k fara'iz se Jo waqt faarig ho usko nifli Zikr se poora kiya jaye taki shaitaan bekaar baato me mashgool karke Hume nuqsaan na pahuncha sake ,
★• ( Aur nifli Zikr ka Ek khaas aham faayda ye bhi he k isse Aam Deeni KAAMO me Zikr Kï shaan paida hoti he Aur Allah ke Hukmo ke poora karne me aur uske Vaado ke Shoq me Kaam karne Kï maharat paida hoti he,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 283 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
03-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-283
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Sirf Jaan Lena ilm nahi he ,
↬• Fara'iz me lagna Yaha'n tak k Namaz me padhna bhi agar Allah ke Hukmo aur Vaado ke dhyan ke saath na ho to Asli Zikr nahi , Balki Jism ke kuchh hisso ka Zikr he aur Dil Kï gaflat he
★• ,Aur Hadees me Dil hi Ke mutalliq he k ,
Insaan ke Vajood me Yahi Wo center he k agar Wo theek ho to fir sab theek he aur agar ye kharab ho to sab kharab he ,
★• To asli Cheez he bas Allah ke Hukmo aur Uske Vaado ke dhyan ke saath Allah me kaamo me laga rehna ,Yahi hamare nazdeek Zikr ka haasil he ,
★ • Aur ilm se Muraad Sir Deeni Masai aur Deeni uloom ka jaanna nahi he ,
★. Dekho Yahood apni Shariyat aur Apne Asmaani uloom ke kese Aalim the k Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ke nayabo ke nayabo tak ke huliye aur naqshe ,Yaha'n tak k unke Jismo ke Til ke mutalliq bhi unko ilm tha ,lekin kya in baato ke sirf jaan lene ne unko faayda diya ??
★• ( Kuchh Rivayato me he k Kuchh Yahoodi Ulma ne Hazrat Farooqe Azam Raziyallahu Anhu ke Badan ke kisi khaas hisse per Til ya Til ke qism ka koi nishaan dekh kar unke mutalliq bata diya tha k Ye Shakhs Nabi -a- Akhiruzzama'n Sallallahu Alaihivasallam ka khalifa he'n ,aur baitul muqaddas inke daur me fatah hoga ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 284 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
04-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-284
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Deen ke liye Jismo Jaan ka lagana Maqsood he Maal ka lagana nahi ,
↬• Ilm ke liye Jo Waz- A- Muhammadi thi ,( Yani talab aur Azmat v Muhabbat ke saath dosti v mail jol se ilm haasil karna aur Zindgi se Zindgi seekhna ),
★• iski khususiyat ye thi k iske zariye jitna ilm badta tha usi qadar apni Jihalat aur apni ilm Kï kami ka ahsaas taraqqi karta tha ,
★• Aur ilm haasil karne ka Jo tareeqa aaj Jaari ho gaya he uska nateeja ye he k ilm jitna aata he Zom ( Guroor ) usse zyada paida hota he ,FIR Zom se Kibr( Takabbur) paida hota he aur Kibr jannat me nahi jayega ,
★ • iske alawa ilm ke Zom ke baad ilm haasil karne Kï tadap nahi rehti ,Jiski Vajah se ilm Kï taraqqi khatm ho jati he ,
★. Ek Sahab Jo Tabligi Jama'at me Jane ke liye apne aapko pesh kar chuke the ,unhone Hazrat Kï khidmat me 100 Rupiya pesh kiya ,Hazrat ne unko qubool farma liya aur Farmaya :::-
" Mera Jee Chahta he k Jo log Deen ke liye Jism v Jaan ka hissa nahi dete ,Mai unka MAAL na lene Kï qasam kha lu'n ,"
★• Fir isi silsile me farmaya ::- Maal ka kharch karna Jo ibaadat he to Ye maqsood Vizzaat nahi he ,balki iski mashruiyat ( jaa'iz hona ) is Waaate se he k Maal Se lagaav na paida ho ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 285 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
05-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-285
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Imaan ka Taqaza ,
↬• Imaan ye he k Allah aur Rasool Sallallahu Alaihivasallam ko Jis cheez se Khushi aur Araam ho Bande ko bhi usse Khushi aur Araam ho ,
★• Aur Jis cheez se Allah aur Rasool Sallallahu Alaihivasallam ko nagawari aur takleef ho Bande ko bhi usse nagawari aur takleef ho ,
★• Aur Takleef jis tarah talwaar se hoti he usi tarah sui se bhi hoti he ,Pas Allah v Rasool ko nagawari aur takleef Kufr v Shirk se bhi hoti he aur Gunaah Se bhi ,Isliye Hukmo bhi Gunaah se nagawari aur Takleef honi chahiye,
★ • Farmaya ::-- Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke zamane me Ummul Momineen Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke Yaha'n Jab maale ganimat ( Jung me jeeta hua maal ) me se unka hissa pahuncha ( Jo shayad miqdaar me Zyada hoga aur usse unko dilbastgi ka andesha hua hoga ) To pareshan ho kar Dua farmayi k ,Ey Allah is Ghar me ye fir na aaye ,
★. Chunache esa hi hua ,( Yani unki wafaat ho gayi )
★• Niyat ke saath Momin Bando Kï khidmat Abdiyat Kï seedi he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 286 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
06-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-286
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Momin ka Rupiya Allah ke Kaam Aaye ,
↬• Mashwar badi cheez he ,Allah Ta'ala ka Vaada he k Jab tum mashware ke liye Allah per bharosa karke jam kar bethoge to uthne Se Pehle Tumko Neki Kï Tofeeq mil jayegi ,
★• Farmaya :- Hazrat Farooqe Azam Raziyallahu Anhu aur isi tarah Doosre Sahaba Raziyallahu Anhum Kï Aamdaniya'n bahut thi aur Apne ouper kharch karne me bhi Wo Bahut soch samajh kar Kharch karne wale the ,
★• Unka khana unka Pehanna bahut mamooli tha aur nihayat saada balki fakeerana Zindgi guzaarte the, iske bavjood unme Se Bahut se Duniya se qarzdaar gaye ,
★ • Kyuki Wo Apni saari Aamdani Deen Kï Raah me kharch kar dete the, Dar asal Momin ka Rupiya isiliye he k Wo Allah ke kaam aaye ,
★. BARKAT ye he k koi cheez aadtan jis waqt aur jis haalat me khatm ho jani chahiye Wo usme khatm na ho aur baqi rahe ,
★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï Dua se baaz Avqaat Khane vagera me barkat ke Jo waqiyaat hue he'n unki qism yahi thi k Asal cheez khatm nahi hoti thi ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 287 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
07-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-287
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Pichhe Kï Nahi Aage Kï fikr ho ,
↬• Jo Kaam ho chuka Uska kya Zikr karna he ,Bas ye dekho k Jo kuchh Hukmo karna tha usme se kya reh gaya ,aur Jo kuchh kiya ja chuka usme Kitni aur kesi kesi kotahiya'n hui ,
★• ikhlaas me kitni kami rahi ,Allah Ta'ala ke Hukm Kï azmat ke DHYAN me kitna kusoor hua ,Amal ke adaab Kï talaash me aur itteba Kï koshish me kitna nuqsaan raha ?
★• in Hukmo ke bager pichhle kaam ka Zikr muzakrah aur us per khush hona bas esa he jese Raaste chalne wala musafir khada hokar pichhe Kï taraf dekhne lage aur khush hone lage ,
★ • Pichhle kaam Kï sirf kotahiya'n talaash karo aur unko poora karne Kï fikr karo aur Aainda ke liye socho k kya karna he ?
★. Ye mat socho k ek Shakhs ne hamari baat samajh li aur aitraaf kar liya balki is per gor karo k ESE kitne laakh aur Karod baqi he Jinko hum abhi Allah Kï baat pahuncha bhi nahi sake aur kitne he'n Jo Jaankari aur aitraaf ke baad bhi hamari koshisho Kï kami Kï Vajah se Amal per nahi pade ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 288 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
08-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-288
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Namaz Deen Ka Sutoon ,
↬• Namaz ko Hadees me ," imaadud Deen " ( Deen ka sutoon ) Farmaya gaya he ,
★• iska matlab ye he k Namaz per baqi Deen mu'allaq he aur Wo Namaz hi se milta he ,
★• Namaz se Deen ka tafaqqoh bhi milta he aur Amal Kï Tofeeq bhi milti he ,Fir jesi Jiski Namaz hogi Wesi hi uske Haq me ata bhi hogi ,
★ • Isliye Namaz Kï Dawat dena aur Logo ki namazo me khushu v khujoo paida karne Kï koshish karna bilwaasta poore Deen ke liye koshish karna he ,
★. Farmaya::- Jo kaam Awaam mukhliseen Se liya ja sakta ho aur usse un mukhliseen ke darje aur Ajr me Taraqqi Kï Ummeed ho ,
*_Wo unse na Lena aur usko khud karna ,Un mukhliso ke saath hamdardi nahi he balki un per ek tarah ka Zulm he ,aur Allah ke Kanoon Kï naqadri he ,
★• Bhai Deen per Amal bade tafaqqoh ko chahta he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 289 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
09-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-289
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Ahle Haq ko Dawat Kï zyada zarurat ,
↬• Ye bahut aham usool he k Har tabqe ko Dawat usi cheez Kï Dï jaye jiska Haq hona aur zaroori hona Wo khud bhi maanta ho aur Amal me kotahi ko apni kotahi samajhta ho ,
★• Jab Wo tabqa un cheezo per Amal karne lagega to agli cheezo ka ahsaas khud ba khud paida hoga aur unki adaygi Kï salahiyat bhi paida hogi ,
★• Farmaya ::- Jo jitne Zyada ahle Haq he'n unme utne hi Zyada kaam aur koshish Kï zarurat he ,unka Deen ke waaste uthna bahut zaroori he kyuki Wahi Asal aur Jad ho sakte he'n,
★ • Afsos ! Jo log Deen ke liye Kuchh bhi nahi kar rahe he'n aur Deen ke maamle me bilkul hi gaafil aur pichhde hue he'n ,Hum unko dekh dekh kar Apni Zara si koshisho v harkat per qaane aur mutma'in ho jate he'n,
Aur samajhne lagte he'n k hum apna Haq ada kar rahe he'n ,
★• Halanki chahiye ye k Allah ke jin bando ne Deen ke liye apne ko bilkul mitaya tha hum unke namoono ko Nazar ke saamne RAKH kar hamesha apne ko chhota aur kotahi karne wala samajhte rahe'n aur JITNA kar rahe usse zyada karne ke liye har waqt harees aur bechain rahe'n,
*__Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko hamesha iski laalach rehti thi k kisi tarah Deen Kï khidmat me Wo Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ka maqaam paa le ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 290 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
10-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-290
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Lambi Baat aur Lamba mutalba na ho ,
↬• Tablig ke adaab me se ye he k baat bahut lambi na ho aur Shuru me logo se sirf utne Amal ka mutalba kiya jaye Jisko Wo bahut mushkil aur bada bojh na samjhe ,
★• Kabhi kabhi lambi baat aur lamba mutalba logo ko moonh ferne Kï vajah ban jata he ,
★• Bahut se log ye samajhte he'n k bas pahuncha dene ka naam Tablig he ,Ye badi galat fehmi he ,Tablig ye he k Apni salahiyat aur qabiliyat Kï had tak logo ko Deen Kï baat is tarah pahunchayi jaye ,Jis tarah pahunchane se logo Ke maanne Kï Ummeed ho ,AMBIYA Alaihimussalaam Yahi Tablig laye he'n ,
★ •Farmaya ::- Fazail ka Darja Masail se Pehle he ,Fazail se Amaal ke Ajr per Yaqeen hota he Jo imaan ka maqaam he aur isi se Aadmi Amal ke liye Taiyaar hota he ,
★. Masail maloom karne Kï zarurat ka ahsaas to tab hi hoga jab Wo Amal per Taiyaar hoga ,
★• isliye hamare nazdeek fazail Kï ahmiyat zyada he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 291 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
11-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-291
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Qur'an Sharif Achchhi Tarah Padhna ,
↬• Tabligi Jama'at ke nisaab ka ek aham hissa Tajveed he ,Qur'an Sharif achchhi tarah padhna badi zaroori cheez he ,
★• Tajveed Dar Asal Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se naqal ho kar hum tak pahunchi he ,
★• Lekin Tajveed Kï taleem ke liye jitna Waqt zaroori he ,Jama'at me utna waqt nahi mil sakta ,isliye un Dino me to sirf iski koshish Kï jaye k logo ko iski zarurat ka ahsaas ho jaye aur kuchh lagaav ho jaye aur Fir Seekhne ke liye Wo mustaqil waqt kharch karne per Taiyaar ho jaye ,
★ • Doosro ko Deen Kï Dawat aur Ragbat dilana Sirri ( chhupi hui ) ibaadat he ,kyuki Aam log isko ibaadat nahi samajhte aur isme ounche darje ka taadiya bhi he Jo Zahri ( Zahiri ) ibaadato me Khair ka khaas pehlu hota he ,
★. Buzurgo Kï khidmat ka maqsad dar Asal ye hota he k unke Jo Aam aur mamooli kaam Doosre log kar sakte ho Wo unko apne zimme le le ,Taki unke Avqaat aur unki taaqate un bade KAAMO ke liye faarig rahe ,Jo wohi poora kar sakte he'n,
★• Jese kisi waqt ke buzurg ya kisi Aalim ya mufti ke Wo Aam kaam Aap Apne zimme le le Jo Aapke bas ke he'n ,aur unko inki taraf se faarig aur be fikr kar de ,To Wo Hazraat Deen ke Jo bade bade kaam karte he'n ( jese islaah v irshaad ,Dars v fatwa dena vagera ) to Wo Zyada itminaan aur Sukoon se unko poora kar sakenge ,
*_ Aur is tarah ye khaadim unke un bade kaamo ke Ajr me hisseadar ho jayenge ,to dar Asal bado Kï khidmat unke bade kaamo me Shareek hone ka ek zariya he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 292 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
12-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-292
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Muhabbat Ka Taqaza ,
↬• Farmaya ::-Asli Muhabbat ka taqaza ye hota he k Muhabbat karne wale aur Mehboob ke jazbaat aur khwahishaat tak me poora ittihaad hota he ,
★• Mere Bhai Maulana Muhammad Yahya Sahab ( Reh.) Ka ye haal tha k bavjood ye k Wo Khanqaah Se door rehte the ,lekin Aksar ESA hota k achanak unke Dil me Khanqaah Jane ka taqaza paida hota aur Wo foran chal dete aur Jab darwaza kholte to Hazrat Gangohi ( Reh. ) ko intizaar me betha paate ,
★• Farmaya ::- K Allah Ta'ala se Jab kisi Bande ko Sachchi Muhabbat ho jati he to fir yahi maamla Allah Paak ke saath ho jata he k Uski khushiya'n Bande ki khushiya'n ho jati he ,
★ • Aur Jo baate Allah ko na pasand hoti he Bande ko bhi unse nafrat ho jati he ,Aur is Muhabbat ke paida karne ka tareeqa he Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqe Kï farmabardari ,
★. Jo log Deendar aur Deen ko jaanne wale hone ke bavjood Deen ke felane ke liye aur ummat Kï islaah ke liye Wo koshish nahi kar rahe Jo Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Kï qaayam maqaami taqaza he ,
★• Unke bare me Ek Roz Hazrat Kï zaban se nikal gaya k ," un logo per BADA Raham aata he ," uske baad der tak istigfaar farmate rahe ,fir irshad farmaya::-
*__Maine istigfaar is per kiya k meri zaban se ye daave ka Kalma nikal gaya tha k " mujhe un logo per Raham aata he ,""
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 293 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
13-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-293
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Hamari Masjide Masjide Nabvi Ka Namoona bane ,
↬• Farmaya :- Masjide'n ,Masjide Nabvi Kï Betiya'n he ,isliye Unme Wo sab kaam hona chahiye Jo Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï Masjid me hote the ,
★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï Masjid me NAMAZ ke alawa Taleem v Tarbiyat ka kaam bhi hota tha aur Deen Kï Dawat ke silsile ke sab kaam bhi Masjid hi se hote the ,Deen Kï Tablig ya taleem ke liye Kaafilo ( Jama'ato ) Kï rawangi bhi Masjid hi se hoti thi ,Yaha'n tak k Faujo tak ka nazm bhi Masjid hi se hota tha ,
*__Hum chahte he'n k Hamari Masjido me bhi usi Tareeqe per ye sab kaam hone lage ,
★• Sahi kaam ka tareeqa ye he k Jo kaam niche darje ke logo se liya ja sakta ho ,Wo unhi Se liya jaye ,Unse ounche darje ke logo ka usme lagna Jabki Niche darje ke kaam karne wale bhi naseeb ho ,badi galti he balki ek tarah se niyamat Kï nashukri he aur niche darje walo per Julm he ,
★ • Deen Kï Dawat ka ahatmam mere nazdeek is waqt itna zaroori he k agar ek Shakhs Namaz ( Nifli ) me MASHGOOL ho aur ek NAYA Aadmi aaye aur Wapas Jane lage aur fir uske haath aane Kï Ummeed na ho ,To mere nazdeek Namaz ko darmiyan me Tod kar usse Deen Kï Baat kar leni chahiye aur Usse baat karke ya Usko ROK kar Apni Namaz fir Se padhni chahiye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 294 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
14-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-294
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Har Achchhe se Achchhe Kaam ke khatm per istigfaar ho ,
↬• Farmaya :- Meri haisiyat ek Aam Momin se ounchi na samjhi jaye ,Sirf kehne per Amal Karna Bad Deeni he ,
★• Mai'n Jo kuchh kahu'n Usko Kitaab v Sunnat per pesh karke aur khud gor v fikr karke Apni zimmedari per Amal karo ,Mai'n to bas mashwara deta hu'n ,
★• Hazrat Umar Raziyallahu Anhu apne saathiyo se kaha karte the k," Tumne mere Sar bahut badi zimmedari daal Dï he ,tum sab mere Amaal Kï nigrani kiya karo ,"
★ • Mera bhi Apne Dosto se bade israar aur mannat se ye darkhwast he k Meri nigrani karo ,Jaha'n galti karu'n waha'n toko aur meri hidayat v durustgi ke liye Duae'n bhi Karo ,
★. Farmaya :- Shariyat me Jo ye Taleem di gayi he k Har achchhe Se achchhe kaam ke khatm per istigfaar kiya jaye ,mere nazdeek isme ek Raaz ye bhi he k Shayad is achchhe kaam me mashguli aur masroofiyat Kï Vajah se kisi Doosre Hukm ko poora karne me kotahi ho gayi ho ,
★• Khaas kar jab kisi kaam Kï lagan me Dil lag jata he aur Dil v Dimaag per wo kaam chhaa jata he to fir iske alawa Doosre KAAMO me Aksar der ho jati he ,
*_ Isliye hamare is kaam me lagne walo ko khaas tor se kaam me zamane me aur kaam ke khatm per istigfaar Kï kasrat apne ouper zaroori kar leni chahiye,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 295 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
15-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-295
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Chhoti Neki Bade kaam tak pahunchne ka Zariya banti he ,
↬• Farmaya :- Ulma Se kehna he k in Tabligi Jama'ato Kï Chalat firat aur Mehnat v koshish Se Deen Kï sirf Talab aur qadar hi paida Kï ja sakti he aur unko Deen Seekhne per Taiyaar kiya ja sakta he ,
★• Aage Deen Kï taleem v Tarbiyat ka kaam Ulma aur Sulha Kï tavajjoh hi se ho sakta he ,isliye Aap hazraat Kï tavajjoh Kï badi zarurat he ,
★• Kisi silsile se mojoda zamane ke ek mashoor Sahibe ilm aur Sahibe Qalam Deen Kï KHIDMAT karne wale ka Zikr aa gaya, Jinki baaz Amali kamzoriyo Kï bina per khaas Deendar halqo ko un per aitraaz he to Farmaya :--
*__Mai'n to unki qadar karne wala hu'n ,Agar unme koi kamzori ho to Mai'n iska ilm bhi haasil karna nahi chahta ,Ye maamla Allah ka he ,Shayad unke paas iska koi uzr ho ,Hukmo to Aam Hukm ye he k Duae'n karo ,
★• Shaitaan ka ye bahut bada Dhoka aur fareb he k Wo mustaqbil me bade kaam Kï Ummeed bandha kar us Chhoti Neki se ROK deta he Jo us waqt mumkin hoti he ,Wo chahta he k Banda is waqt Jo Neki kar sakta he Kisi bahane se usko usse hata de ,aur is Daav me Wo Kamyaab ho jata he ,
★• Fir mustaqbil me Aadmi jis bade kaam Kï Ummeed baandhta he Aksar uska waqt hi nahi aata ,Bade KAAMO Kï ummede Aksar bekaar hi hoti he ,aur iske Khilaf Jo Neki us waqt Mumkin ho ,agarche Wo Chhoti se Chhoti hi ho ,usme lagna Aksar bade kaam tak pahunchne ka zariya ban jata he ,isliye aqalmandi ye he k Jo Neki jis waqt Jitni mil sake Us per to usi waqt Amal kar liya jaye aur Fursat se jaldi faayda utha liya jaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 296 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
08-07-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
*вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
*PART-296*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. *Kaam hikmat aur Basirat se kare'n*
↬• Ye Baat zaruri he k Apni mehnato ke saath saath is kaam Kï Haqeeqat aur iska tarze tareeq aur iske Usool v Adaab samajhne Kï koshish bhi karte rahe'n aur apne Buzurgo se tehqeeq bhi karte rahe'n ,
★• Allah Ta'ala Kï Aayat aur Ahadees e Nabvi se mutabqat karte rahe'n taki is kaam ko sirf taqleedi tareeqe per nahi balki apne Qalbi inshrah aur Basirat ke saath karne wale ho ,aur is kaam Kï Haqeeqat hum per khulti chali jaye ,
★• Aur Hikmat ke saath Hume is kaam ko karna aa jaye taki Musalmano ke Aam tabqe ko bhi aur khwaas ko bhi Jo mukhtalif Deeni Kaamo me LAGE hue hai'n Apni Hikmat aur Akhlaq ke zariye iski taraf mutavajjah kar sake aur kisi ko is baat per ishkaal na rahe aur is aitraaz ka moqa na mile k ye kaam poore Deen ke liye aham darja rakhta he aur tamaam Shobe iske andar Dakhil hai'n,
★ • Apne ko Kam ilm samajhte hue aur mohtaaj jaante hue Haq Ta'ala Shanh se iski Duae'n bhi kar rahe ho k Allah Hume ye baat samjha de ,Kyuki Shaitaan Aaj bahut asaani se Hume is Baat per mutmain kar deta he k Hum is kaam ko samajh gaye ,
★. Halanki Maulana ilyaas Sahab Reh ka ye malfooz he k Mai'n is kaam ka hazaarva hissa bhi logo ke saamne pesh nahi kar sakta aur Jo kuchh pesh kiya uska hazaarva hissa bhi Kisi ne nahi samjha ,
★• To Jab inka ye farmana he to hum kis darje mai isko samajh sakte hai'n,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *297 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Saieyd Ahmad Khan Sahab Reh*.
*Tabligi Kaam Ke Aham Usool*
☆
16-05-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
*вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
*PART-297*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. *Deeni Shobo se Taqabul na Ho*
↬• Abhi tak to Hume Dawat dena bhi nahi aayi aur iski Hikmat aur Basirat se bhi waqfiyat nahi hui Jiski Vajah se bahut se Hazraat ko Khususan Kisi Deeni Shobo ko chalane walo ke liye Hamari Dawat aur Hamare Bayano se aitraaz paida ho jate he'n k Goya Hum in Shobo ko naaqis samajh rahe he'n, ya Unko Haqeer samajh rahe he'n ,
★• Agar Hume Dawat ka Sahi Sahi tarz aa jaye to har ek Hume apna Hamdard aur Khairkhwah samajh kar Khud bhi qareeb hoga aur Hume bhi apne se qareeb karega ,
★• Masalan Jab Hum Dawat ke Number ko aur uski ahmiyat ko Bayan karte he'n to Kabhi ilm walo ke Shobo per yani Madaris per is tarah foqiyat dete he'n Goya Wo iske muqable me kuchh bhi nahi ,aur Kabhi zikr walo ke muqable me ,
★ • Jesa k Bahut se Taqreer karne wale Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï Fazilat Doosre Ambiya Alaihissalam ke muqable me is tarah Bayan karne lagte he'n k Doosre Ambiya Alaihissalam Kï tanqees laazim aane lagti he aur unka ye tarze Bayan Deen ke liye Bahut Khatarnak he, Ese hi hamara tarze Bayan bhi Khatarnak ho jata he,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *298 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Saieyd Ahmad Khan Sahab Reh*.
*Tabligi Kaam Ke Aham Usool*
☆
10-07-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
*вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
*PART-298*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. *Ahle ilm ko Dawat dene ka Tarz*
↬• Tarze bayan ye hona chahiye k pehle ilm ke khoob fazail bayan kare aur ilm walo ke darjaat bayan kare Jo Aayaate Qurani aur Ahadees me aaye he'n ,aur itna bayan kare k Khud hamara Dil ilm aur ilm walo Kï Azmat aur Muhabbat se bhar jaye ,
★• is Nisbat se k ye ilm Haq Ta'ala Kï Sunnat he aur hum apne apne ko ilm aur ilm walo ka mohtaaj samjhe ,
★• Fir ye kahe k ye ilm poori Ummat ke har Fard mai ba-qadr iski ahatyaaj aur zaruriyaat ke Kaise aa jaye ,iske liye Mehnat hai ,
★ • Agar is ilm aur is Mehnat ko karte hue ilm Kï isha'at kare to Ummat ka koi fard ESA Jaahil na rahe k usko zarurat ke ba-qadr ilm na pahuncha ho ,Aurat ho ya Mard har ek iska mohtaaj hai ,isliye hum is Mehnat mai ahle ilm ke zyada mohtaaj hai'n,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *299 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Saieyd Ahmad Khan Sahab Reh*.
*Tabligi Kaam Ke Aham Usool*
☆
11-07-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
*вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
*PART-299*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. *Ahle Zikr ko Dawat dene ka Tarz*
↬• ESE hi Zikrullah Kï aur Zikr walo Kï Khoob ahmiyat bayan kare Jo Quran v Ahadees me aayi hai ,
★• Aur is qadar zok v shoq ke saath hum bayan karne wale ho k hamara Dil Zikr Kï Azmat aur Zikr karne walo ke ahatraam se bharpoor ho jaye aur mutassir ho jaye ,
★• Fir ye Bayan kare k Zikr ka to Ummat ka har Fard mohtaaj hai Aurat ho ya Mard ,Unme Zikr Failane ke liye hum Zikr karne walo ke mohtaaj hai'n,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *300 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Saieyd Ahmad Khan Sahab Reh*.
*Tabligi Kaam Ke Aham Usool*
☆
12-07-2016
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
*вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
*PART-300*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. *Deen ke Shobo me Taqabul nahi Ta'awun ho*
↬• Bayan me Ek number ko Doosre number ka muqabil na thehraya jaye ( Kyunki Muqable se Tanqees ka Shaa'iba aa jata he) Baliki Mu'awin qaraar diya jaye ,Kyunki Deen ke Tamaam Shobe ESE hi hai'n Jese insaan ke A'aza Jawarah ,
★• Aankh se DEKHNE ka kaam ,Zaban se bolne ka kaam ,haath se pakadne ,Kaano se Sunne ,Pairo se Chalne ,Dimaag se Sochne ka kaam ,Ye saare kaam insaan ke liye zaroori hai'n, Agar ek Uzv me bhi kamzori hogi ya Nuqs hoga to usse Tamaam Jism ko Takleef hogi aur Cheezo se istefada me nuqsaan hoga ,
★• In sab A'aza Kï sakht zarurat he, Ye sab A'aza ek Doosre ke madadgaar hai'n, Muqabil nahi hai'n,
★ • isi tarah se Allah ka Zikr aur ilm ,ibaadat , Khidmat aur Maamlaat sab ek doosre ke mu'awin hai'n muqabil nahi ,
★.Mu'awin hone hi Kï Vajah se Deen mukammal hota he, Dawat to sirf in Tamaam Shobo ko Duniya me Failane Aur Aam karne hi ke liye hai ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *301 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Saieyd Ahmad Khan Sahab Reh*.
*Tabligi Kaam Ke Aham Usool*
☞ *Allah Ke Paigam ko Duniya tak Pahunchana aur Apne Per Mehnat Karna Hamare Faraiz me Shamil He*,
☆
No comments:
Post a Comment