Bismillahirrahmanirraheem
Shaadi Ke Baad Pehli Raat
====================
Shadi karna sunnat hai aur islam ka ek hissa hai. Isliye har insaan ko shadi karna chahiye. Bagher kisi jaiz wajah ke agar koi shaadi nahi kar raha ya der se kar raha hai to ye islam ke khilaf hai.
Jin logo ki shadi hone wali hoti hai, unme se bahut se logo ke dimaag mein kuch sawal hote hain ki islam ke hisab se shaadi ke baad ki pehli raat ko kya karna chahiye, ya iska sahi tariqa kya hai.
Hum yaha pehli raat ki kuch baat karege, lekin ye baat sirf islam sikhne ki niyat se padhiye, dil mein kuch gandagi na rakhiye aur na koi ghalat comment karna.
Hamara maksad sirf un logo ko islam ka tariqa batana hai jinko is baare mein maalumaat kam hai.
Shaadi ke baad jab ladka Room mein jaaye to sabse pahle salam kare, kheriyat maalum kare aur thodi baat karne ke baad ladki ki peshani (forehead) ke baal sidhe haath se ahista se pakadiye aur ye dua padhe.
Hadees dekhiye, Hazrat Muhammad (sallallahu alayhi wasallam) ne irshad farmaya : jab koi shaks nikah kare aur pehli raat (suhag raat) ko apni dulhan ke paas jaye to narmi ke sath uski peshani ke thode se baal apne sidhe hath me le kar yah duwa padhe
اللهم إني أسألك خير ها وخير ما جبلتها عليه وأعوذ بك من شرها و شر ما جبلتها
Allah'humma inni as' aluka khairaha wa khaira maa jabaLtaha alaihi " wa'A'Auzu bika min sharriha wa sharrima JabaLtaha
Tarjuma: A allah me aap se iski bhalay or iski aadato ki bhalay ka suwal karta hu, or iski buray or buri aadato se panah chahta hu.
(Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne Hasin : page-164)
(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 473)
Peshani ke baal pakad kar dua karne se pahle apni biwi ko ye bata sakte hain ki ye hamare aaqa Hazrat Muhammad (sallallahu alyhi wasallam) ka hukm hai, warna jis ladki ko nahi maalum ho wo kuch ghalat na sochne lage
Iske baad agar wazu na ho to wazu kar lijiye aur 2 rakat namaz nafil, Allah ka shukr ada karne aur usse dua karne ke liye padhiye, kuch hazraat ne kaha h fajar se pehle padhle beharhaal shuru me padhe ya Aakhir me
niyat ki mene 2 rakat namaz nafil shukrane ki waste Allah ta'ala ke Rukh mera kaaba shareef ke taraf Allah hu Akbar. Phir humesha jaise namaz padhte ho waise hi namaz padhe Aur namaz ke baad Shaadi Saath kheriyat se hone ke liye Allah ka shukr ada kijiye aur ye dua kariye ki Allah is shaadi ko kaamyab banaye, aage bhi hansi-khushi rakhe, bacche nek de, aur is tarah bhi duwa kar sakte hain "aye Allah tera shukra aur Ahsan hai ki tune hume ye din dikhaya aur hume is khushi or niyamat se nawaza aur hume apne Habib sallallahu Alayhi wasallam ki sunnat par amal karne ki Tofeeq ata farmayi. aye Allah humari is khushi ko humesha isi tarah Qayam rakh hume mel-milap pyar muhabbat ke sath zindagi guzarne ki Tofeeq ata farma. aye Rabbe Qadir hume nek farmabardar aulad ata farma. Aameen ya Rab,
Aur iske alawa jo bhi aap shaadi ki kaamyabi ke liye dua karna chahe kar sakte hain. Dua ke pahle aur aakhir mein darud sharif padh lijiye.
Namaz ke baad kisi bhi kaam mein jald-baazi na karen, balki ladki se is tarah baat kariye ki uski thodi jhijhak door ho jaaye. Thoda apne baare mein baat kariye thoda uski suniye. Jab ladki ki thodi jhijhak door ho jaaye to aur aap saath mein sone ka irada karen to usse pahle ye dua padh lijiye.
بسم الله اللهم جنبناالشيطان و جنب الشيطان ما رزقتنا
Bismillahi allah'humma jan'nib nash'shaitana wa janni'bish'shaitana ma Razaq'taha
Tarjumah : Allah Ke Name Se Shuru Karta Hu. A Allah Ham Dono Ko Shaitan Se Door Rakhye, Or Jo Kuch Ladka, Ladki Hame Naseeb Kare Usko Bhi Shaitan Se Door Rakhe.
"Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt padhega (Dua wahi jo upar likhi hai) to Allah RabbuL izzat us padhne wale ko agar Aulad ata farmaye to us Aulad ko Shaitan kabhi bhi nuqsan na pahuncha sakega"
(Bukhari shareef Jild 3,Safa 85, Tirmizi shareef,Jild 1,Safa 557)
Note : Ye yaad rakhiye ki jo peshani ke baal pakad kar dua karna hai wo sirf pehli raat mein hi padhna hai aur ek hi baar padhna hai, lekin ye waali dua
("Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitaan ma Razaq tana
aapko hamesha padhna, jab bhi biwi ke saath sone ka irada ho usse pahle is dua ko padhna zaruri hai, chhoti si dua hai, 4-5 baar padhne se yaad ho jaayegi, agar is dua ko padhe bagher aap biwi ke saath sote hain to ho sakta hai ki shaitan/jinn bhi aapke saath-saath aapki biwi se sohbat kar le. Is dua ko padhne se Allah hifazat farmata hai.
Miya biwi ka saath mein sone ka sahi tariqa ye hai ki dono ek dusre ke badan ko bila zarurat na dekhe, Hazrate Ayesha siddiqa Raz farmati hain jiska mafhum hai ki "Hazrat Muhammad (sallallhau alyhi wasallam) ne na kabhi unke badan ko dekha na unhone".
Saath mein sote time bila zarurat baat na karen, aur jab saath mein soye to apne upar ek chadar daal len (yaani pura badan khula na rahe). Porn film ko dimaag se nikaal den kiyu ki wo veshya (prostitute) hoti hain aur ye aapki biwi hai, isliye sirf islami tariqe ke hisab se hi saath mein soyen
(1) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
Pakhane ki jagah me Aurat se Sohbat (sex) karna haram hai
(2) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
Jisne Aurat ya Mard se uske piche ke mukam se sohbat (sex) ki usne yaqinan kufr kiya (Abu Dawood Shareef)
(3) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
Allah RabbuL izzat Qayamat ke din aise Shakhs ki taraf nazre rehmat nahi farmayega. Jisne apni Aurat ke piche ke Raaste se sohbat ki
(Bukhari shareef,Tirmizi shareef ,Ibne maja Shareeef)
Isliye biwi ke saath jaanwaro jesa kaam na karen, short mein mera matlab hai ki porn movies jesa kuch na karen. Balki sirf islami tariqe se saath mein soiye.
Jab aurat ka mahina (haiz/maahvaari) ho us time uske saath let-beth sakte hain, kiss kar sakte hain lekin sohbat nahi kar sakte, jab tak ki wo ghusl karke paak na ho jaaye. Isi tarah roza ki haalat mein saath nahi so sakte, lekin peshani (forehead) par kiss kar sakte hain. roza kholne ke baad so sakte hain,
Shaadi baad ladka-ladki ko ek dusre ki zarurato ko bhi samajhna chahiye ki hamara saathi kab kya chah raha hai.
Bahut se logo ko ye galat fahmi hoti hai ki agar shadi ke baad pehli raat mein miya biwi saath me nahi soye to dusre din walima nahi ho sakta, Jabki aisa kuch bhi nahi hai, bagher saath soye bhi walima kiya ja sakta hai.
Ek aur zaruri baat ye thi ki ladka ho ya ladki koi bhi apne dost/saheli ko apni raat ki baat na bataye, aksar dekhne mein aaya hai ki subah ladki ko uski saheli pakad leti hai aur ladke ko uske dost, aur wo unse raat ki baat puchte hain, lekin islam mein is baat ko bahut sakhti se mana kiya gaya hai ki koi apni personal baat apne dosto/saheli ko na bataye aur ye ek gunah bhi hai. Is baat ka ek duniyavi nuksan ye bhi hai ki agar koi dulha apne dost ko raat ki baat suna deta hai to phir baad mein uski bhabi jab bhi uske saamne aayegi usko dulha ki sunai hui baat yaad aa jaayei aur ho sakta hai wo imagine bhi karne lage. Isliye is burai se bachiye. Aur apni biwi ko khud beizzat na kariye. Ladki ko bhi apni saheliyo ko kuch baat nahi batana chahiye.
Ladka aur ladki ko is baat ki jaankari hona chahiye ki jab dono ek saath so lete hain to islam ki nazar se dono naa-paak ho jaate hain, naa-paak hone ke baad dono na namaz padh sakte hain na quran sharif ko haath laga sakte hain, isliye saath mein sone ke baad ghusl karna (nahana) zaruri hai, ghusl jitni jaldi kar lo utna accha hai. Ghusl sirf saade nahane ko nahi kahte balki ghusl ka ek khaas tariqa hota hai. Ghusl sunnat tariqe se bhi ho jaata hai aur agar sirf uske farz bhi poore kar liye to ghusl ho jaayega, Mujhe jo aasan tariqa laga mein wo bata raha hu.
Sabse pehle dil mein niyat kar lijiye ki mein naa-paaki ko door karne ke liye ghusl kar raha hu (lafz muh se kehna zaruri nahi dil mein irada kar lena kaafi hai). Ab apne badan ki wo jagah dho lijiye jaha gandagi lagi hai, phir jese wuzu karte hain, pura wazu kar lijiye, lekin ghusl ke wazu mein gharare karna zaruri hain (agar roza ho to gharara na karen). Jab pura wazu kar chuke to 3 baar sar par paani daaliye, phir 3 baar sidhe kaandhe par paani daliye, phir 3 baar ulte kaahnde par paani daliye, iske baad pure badan par paani bahaiye, aur phir pure badan ko haath se ragadiye, agar saabun (soap) laga rahe ho to yu bhi ragadna ho jaata hai isliye phir alag se ragadne ki zarurat nahi, ragadne ki wajah ye hai ki pure badan par paani phel jaaye, ek baal ke barabar bhi jagah sukhi na rahe, agar sukhi rah gayi to ghusl complete na hoga. isliye har jagah paani pahuchane ki koshish kariye, apni baglo mein, baalo mein, pet ki naaf mein, taango ke beech mein piche ki taraf aur aage ki taraf, yaani sab jagah paani pohuch jaaye, ladkiya apne kaano ki baaliyo aur naak ki nath ko paani daal kar ghumaye taaki paani andar tak chala jaaye, agar anguthi pahani hain to anguthi ko aage piche kare. Jab ye yaqeen ho jaaye ki paani sab jagah pohuch gaya aur koi bhi hissa sukha na raha to ab aapka ghusl ho gaya. aur aap paak ho gaye. Agar ladki ne nail-polish laga rakhi hai to uska naakhun se saaf karne ke baad hi ghusl kare kiyu ki nail-polish ki wajah se naakhun sukhe rah jaate hain isliye ghusl nahi ho paata. Agar ghusl ka jo tariqa hai wesa ghusla na kiya gaya to insan agar pure samudra (dariya) ke paani se bhi nahaLe to paak nahi hoga.
(1) Islam ke hisab se, jab tak ladka-ladki ki shaadi na hui thi tab tak unka ek dusre ko pyar se dekhna, pyar se baat karna ye sab gunah tha, lekin jab unki shadi ho gayi to ab in dono ka pyar se baat karna, saath mein acche se rahna, ek dusre ko pyar karna sab sawab ban jata hai.
(2) Jab miya biwi ek dusre ko pyar ki nazar se muskura kar dekhte hain to Allah RabbuL izzat dono ko muskura kar dekhta hai Allah RabbuL izzat insan se har pal ka hisab lega, lekin kuch kaam aise hain jinke time ka hisab Allah nahi lega, usmein se ek miya-biwi ka saath bethna bhi hai
(3) Agar kisi ladki se uska dulha naraz hokar so gaya to us ladki par farishte raat bhar laanat karte hain
(4) Ladke ko chahiye ki apni biwi ka har tarah se dhyan rakhe, uski har sahi baat puri karne ki koshish kare. Usko khush rakhe.
Allah hum sabko sunnat tariqe se har kaam karne ki taufik ata farmaaye, Aameen
Note: Jis kisi ko kuch confusion hai ya kuch aur zyada detail mein puchna chahta ho to iske liye personal message kariye
*Mahar Khalis Aurat ka Haqq He,*
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Muqarrah Mahar Naqdi ki shakl me ho ya Sona chandi ya Jaaydad ki shakl me, Chahe Nikaah ke waqt Ada kar diya gaya ho ya Shohar ke zimme baqi ho .......Ye khalis Aurat ka haq he,
✪ Isme Aurat ko har tarah ke tasarruf ka mukammal akhtyar he .isme Ladke ke Walden, Azizo aqarib me se kisi ka koi haq nahi,
✪ Balki Shohar ko bhi akhtyar nahi k Aurat ki ijazat ke bager Mahar Farokht kare ya usme kisi tarah ka tasarruf kare,
*Mahar Ki Adaygi Kab laazim he,*
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Nikaah ke waqt tay shida Mahar ya Mahare Misl waajib ho jata he Jab Rukhsati hokar Miya Bivi tanhayi me ek doosre se mulaqaat karle, ya isse pehle hi kisi ek ka inteqal ho jaye, Dono hi soorto me Ye Mahar Ada karna laazim aur Mokada ho jata he,
✪ Aurat ko mutaalba karne ka poora poora haq ho jata he,
✪ Albatta agar Khilwate Sahih se pehle talaaq waq'a ho jaye to mukarrara Mahar ka adha hissa saaqit ho jayega aur aisi soorat me Mahar tay shuda na ho tab ab Mahar laazim nahi hoga, Albatta darmiyana darje ka ek Joda laazim hoga,
*Mahar ki Kam se Kam Miqdaar,*
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Shariyat e Mutahara ne Nikaah ke liye Mahar ko zaruri qaraar Diya he, iski kam se kam Miqdaar Fuqha e Ahnaaf ke nazdeek 10 Dirham Chaandi ya iski qeemat he
✪ 10 Dirham Chaandi ka Vazan : -
1 Dirham Chandi = 3.402 Gram,
10 Dirham Chaandi = 3.402 × 10
= 34.020 Gram Chaandi,
⇨Taqriban 3 Tola chandi,
*Mahar ki Zyada Miqdaar Kitni ?*
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Shariyate Mutahara ne Mahar ki miqdaar mutayyan karke waajib qaraar nahi diya k har Mard ko Shadi ke waqt itna Mahar Ada karna har soorat me laazim he,
✪ Aur iski zyada se zyada Miqdaar ki bhi koi had muqarrar nahi ki gayi he, balki ise Shohar ki haisiyat aur iateta'at par moqoof rakha he, K Jo shakhs jis qadar Mahar dene ki isteta'at rakhta ho usi qadar muqarrar kare,
✪ Albatta Mahar ki kam se kam had zaroor muqarrar ki gayi he take koi Shakhs isse kam Mahar na baandhe, Chunache Hanfiya ke Maslak me kam se kam Miqdaar 10 Dirham he,
*Bhari Mahar ki Muman'at,*
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Albatta bahut zyada Mahar muqarrar karna Shar'an pasandida baat nahi he,
✪ Chunache Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Azwaje Mutaharat neez Banate Taiyyabaat ke liye Jo Mahar Muqarrar hua he wo nihayat Mo'atdal aur munasib he, Aaj ke halaat me isi par amal kiya jaye to behtar he,
✪ Hazrat Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu ke bare me mankool he k unhone farmaya,
" Khabardar Aurto'n ka bhari Mahar na baandho, agar bhari Mahar baandhna duniya me buZurgi aur azmat ka sabab aur Allah ta'ala ke nazdeek taqwe ka mojib hota to yaqeenan Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam iske zyada mustahiq the, ( Aap Sallallahu Alaihivasallam bhari se bhari Mahar baandhte ),
Magar me nahi jaanta k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne 12 auqiya chandi se zyada Mahar par apni Azwaaj Mutaharat se Nikaah kiya ho, Ya isse zyada Mahar par apni Sahabzadiyo ka Nikaah karaya ho: "
Ahmad, Tirmizi, Abu Daoud, ibne maaja,,Nasa'i,
*Kam Mahar wali Aurat Ba Barkat he,*
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k,
Ba barkat Aurat wo he k Jiska kharcha kam ho,
Iski sharah me Mulla Ali Qari Rh ne farmaya,
" Us Aurat ka Mahar kam ho aur wo Aurat qana'at pasand ho, Jiski vajah se zyada kamane ke liye shohar ko pareshani na uthana padti ho, Qana'at ek laazim daulat he, "
Mirkaat Sharah Mishkaat, 6/270
✪ Khulasa Kalaam ye he k is Hadees me Aurat ka Mahar kam hone ko qabile tareef qaraar diya he, isi par Amal hona chahiye,
*Mahar Faatmi ki Tafseel,*
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Mahar Faatmi se murad Mahar ki wo miqdaar he Jo Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke liye Tay Hui thi, isliye isko Mahar Faatmi kaha jata he,
✪ Nikaah me Mahar Faatmi muqarrar karna Shar'an zaruri nahi, isse kam ya zyada muqarrar kiya ja sakta he,
✪ Kyuki khulfa e Rashedeen aur Sahaba ikraam ne Mahar Faatmi se zyada muqarrar karna saabit he aur kam muqarrar karna bhi saabit he,
⇨ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke Mahar ki miqdaar Kya thi, isme Sahi Rivayat ke mutabik iski miqdaar 480 Dirham ya 1632 Gram bhi keh sakte he'n,
To is lihaaz se 1632 Gram taqriban 140 Tola hua,
Ahsanul fatawa, 17/5,
Hazrat Mufti Shafi Sahab Rh ki tehqeeq ke mutabik 131 Tola 3 masha Chandi,
Hashiya Bahisti zever,
*Mahar Maaf Karwana -Kist*
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Ek rivaaj ye chala he k Shuru me badi miqdaar me Mahar Tay kar liya jata he, Nikaah form me bhi likha jata he aur Nikaah ke waqt sabke saamne iyjaab v qubool me is bhari Mahar ka zikr kiya jata he k itne Mahar ki avaz me Nikaah qubool kiya,
✪ Lekin baad me mukhtalif heele bahano ke zariye Mahar Maaf karwane ki koshish ki jati he,
✪ Pehle guzar chuka he k Mahar khalis Aurat ka haq he, Usko haq mahar me tasarruf ka mukammal akhtyar he, Shohar ya kisi aur ko Mahar waapas lene ya Aurat ki razamandi ke bager usme tasarruf karne ka bilkul akhtyar nahi, aur zabadasti maaf karwane se maaf bhi nahi hoga,
✪ Aur ye bhi yaad rahe k zabardasti maaf karwana ye dar haqeeqat maafi nahi balki ek tarah ka gasab he k zabardasti Aurat ke haq per qabza kar liya,
✪ Shar'an isko maaf karna bhi nahi kaha ja sakta isse Shohar ka zimma faarig na hoga, Zindgi me Ada karna laazim rahega, Agar zindgi me Ada nahi kiya to Marne ke baad unke tarke se Mahar ka qarz vasool karke Bivi ke hawale kiya jayega,
*Shohar ko Mahar Hadiya karna,*
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Aurat Bager kisi Jabro Karah ke apni razamandi v ragbat se Mahar ka kuchh hissa ya Kul Mahar Shohar ko Hadiya kar de, Ye Shohar ke liye halaal he,
✪ Surah An-Nisa, Aayat- 4:
وَآتُوا النِّسَاءَ صَدُقَاتِهِنَّ نِحْلَةً فَإِن طِبْنَ لَكُمْ عَن شَيْءٍ مِّنْهُ
✪ Tum log Biviyo ko unke Mahar khushdili se de diya Karo, Agar wo Biviya'n khushdili se chhod de tumko us Mahar me koi Jabro ( aur yahi hukm kul ka bhi he ) to ( is haalat me ) tum usko khao ( kaam me lo ) mazedar khushfawar samajhkar,
*Mahar e Misl,*
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Mahar e Misl ka matlab ye he k Aurat ke Baap ke gharane me se Jo Aurat uske misl ( Barabar ki ) ho,
✪ Yani agar ye kam umar he to wo bhi Nikaah ke waqt kam umar ho, agar ye khoobsurat he to wo bhi khoobsurat ho, Jis ilaaqe ki ye rehne wali he usi ilaaqe ki wo bhi ho, Agar ye Deendar hoshiyar ya saliqamand, Padhi likhi he to wo bhi esi hi ho,
✪ Garz Walid ke khandan me Jo Aurate'n in baato me uski tarah thi, unka Jo Mahar Tay hua tha wohi uska Mahar e Misl he,
-- Baap ke gharane ki Aurto'n se muraad uski Fufi, Chachazad Behne vagera he,
*Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, safa 126 se 141*
Babar bhai namaz k msail upload kro
ReplyDelete