✿ ⚀✿
┌╦════════════────────┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════────────┘
┌╦═══════────────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════────────┘
⊙ PART -201⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
*✿●•·AZAAN KA AHTARAAM KARNE PAR BAKHSHISH*
✿●•·Allah RabbuL izzat ki Rehmat bakhshne ke liye bahane dhoonti hai Ek jahiL Aurat marte waqt kuch boL Rahi thi ghar waLon ne ghor kiya to mehsoos hua ke Arbi Zabaan me baat kar Rahi hai wo Ek moLvi Sahab ko buLa kar Laaye unhone jab ghor se suna to wo Aurat keh Rahi thi ye Do Aadmi mujhe keh Rahe hain ke jannat me dakhiL ho ja moLvi Sahab ne ye suna to bade hairaan hue unhone ghar waLon se poocha iska khaas AmaL kiya tha ghar waLon ne bataya ke wo bilkuL jahiL thi magar Azaan ke waqt kaam chor deti thi Subhaan'Allah
(pαʀт ⇨202)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════────────┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════────────┘
┌╦═══════────────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════────────┘
⊙ PART -202⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·IMAAM ABU AYYAUB SULEMAAN KI MAGHFIRAT KESE HUI
✿●•· Imaam abu Ayyub suLemaan bin dawud Shaaz Rm (234 h) ka jab inteqaaL hua to baad me kisi ne khaab me dekha usne poocha kiya Aapki maghfirat ho gayi hai Aapne farmaya Han meri maghfirat ho gayi hai poocha Allah RabbuL izzat ko Aapka konsa AmaL pasand Aaya jis ki Wajah se Aapki bakhshish ho gayi farmaya Ek martaba me kitaabe Le kar Ja Raha tha Raste me barish Shuru ho gayi Koi chat bhi Qareeb Nazar na Aayi chunache me kitaabo ke Upar dohra ho kar barish Apni kamar par jheLi magar kitaabe na bheegne di Allah RabbuL izzat ne usi AmaL ki bina par maghfirat farma di
(pαʀт ⇨203)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════────────┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════────────┘
┌╦═══════────────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════────────┘
⊙ PART -203⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·HAZRAT BAYAZEED BISTAANVI RM KA QABAR ME FARISHTON KO JAWAAB
✿●•· Allah waLon ke saath Qabar me Ajeeb mamLa hota hai hazrat bayazeed bistaanvi wafaat ke baad kisi ko khaab me Nazar Aaye usne poocha hazrat Aage kiya mamLa bana hazrat ne farmaya jab me pesh hua to Farishte Aaye or kehne Lage o buddhe tum kiya Laaye ho mene kaha jab koi Shehanshah ke darbaar me Aata hai to ye nahi poochte kiya lekar Aaye ho balke ye poochte tum kiya Lene Aaye ho Farishte mera jawaab sun kar wapas chaLe gaye
(pαʀт ⇨204)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════────────┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════────────┘
┌╦═══════────────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════────────┘
⊙ PART -204⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·RABIYA BASRI RM KA FARISHTON KO JAWAAB
✿●•· Rabiya basri Rm Allah RabbuL izzat ki nek bandi thi wafaat ke baad kisi ko khaab me miLi poocha Amma aage kiya bana kehne Lagi mere pass munkir nakeer Aaye or kehne Lage man Rabbuka Tera Rab kon hai mene unko jawaab diya ke Allah RabbuL izzat se ja kaho Aye Allah RabbuL izzat Teri 18 hazaar qisam ki makhLooq hai or tu mujh budhiya ko nahi bhooLa mera to tera siwa koi nahi hai bhaLa me tujhe kese bhooL jaungi Allah hu akbar
(pαʀт ⇨205)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════────────┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════────────┘
┌╦═══════────────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════────────┘
⊙ PART -205⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·HAZRAT JUNAID BAGHDAADI RM KA FARISHTON KO JAWAAB
✿●•· hazrat junaid baghdaadi Rm ki wafaat ke baad unko kisi ne khaab me dekha usne poocha hazrat aage kiya bana farmaya munkir nakeer Aaye or kehne Lage man Rabbuka Tera Rab kon hai mene kaha mera Rab to wahi hai jisne Farishton ko hukm diya tha Aadam AaLaihissaLam ko Sajda karo mera ye jawaab sun kar kehne Lage chaLo chaLo isko pehle hi se Tamaam Sabaq yaad hai Sunhan'Allah
(pαʀт ⇨206)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════────────┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════────────┘
┌╦═══════────────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════────────┘
⊙ PART -206⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·HAZRAT SHAIKH ABDUL QADIR JELAANI RM KA FARISHTON KO JAWAAB
✿●•· Hazrat Shaikh AbduL Qadir jeLaani ke haLaat e Zindigi me likha hai ke Apni wafaat ke baad kisi ko khaab me Nazar Aaye usne kaha hazrat Aage kiya mamLa bana farmaya Farishte mere pass Aakar kehne Lage man Rabbuka Tera Rab kon hai to mene unse poocha tum kahan se Aaye ho kehne Lage ham Arsh e iLaahi se niche Aaye hain mene kaha tum Arsh e iLaahi se itna fasLa te kar ke niche Aaye ho or Allah RabbuL izzat ko Nahi bhooLe me Zameen ki Sataah se kuch niche Aaya hun to kiya me Allah RabbuL izzat ko bhooL jaunga Sunhan'Allah
(pαʀт ⇨207)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════────────┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════────────┘
┌╦═══════────────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════────────┘
⊙ PART -207⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·MADEENA MANAWWARA ME MARNE KI TAMANNA
✿●•·Huzoor e Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ho sake to madeene me Aakar mar jaa Ek or moqe par irshad farmaaya jo koi madeene me dafan hua wo mera hamsaye hai jab ye Farameen e RasooL Sallallahu Alaihivasallam Akabireen e ummat tak pohche to unki Zindagi ki Sab se badi Tamanna ye hoti thi ke Dayaar e mehboob Sallallahu Alaihivasallam me maut Aaye Hazrat Umar RaziyaLLahu Anhu Aksar Ye dua mangte the Aye Allah RabbuL izzat meri Qabar Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Shehar me bana
(pαʀт ⇨208)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════────────┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════────────┘
┌╦═══════────────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════────────┘
⊙ PART -208⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·MADEENA MANAWWARA ME MARNE KI TAMANNA
✿●•·Hazrat imaam maLik Rm ne Saari Zindagi me Sirf Ek martaba hajj kiya haLanke Madeena manawwara me Rehte the iski wajah ye thi ke unko khof Laga Rehta tha ke kahin mujhe madeena manawwara se bahar maut Na Aajaye is Tamanna ke bawajood Adab itna tha ke Sarzameen e madeena me boL o baraaz Nahi karte the isliye wo yun karte the ke madeena manawwara ke Aakhri had tak chaLe jaate or Rafa'e Hajat ke liye is tariqe se bethte ke Aap khud to madeena manawwara ki hudood me bethte or boLo baraaz madeena manawwara ki hudood se bahar girta ek martaba Aap ne farmaya mujhe teen cheezen pasand hain Roza e RasooL Sallallahu Alaihivasallam ki mujawirat hadees e nabvi Sallallahu Alaihivasallam ki Tadrees or RasooLuLLah Sallallahu Alaihivasallam ke shehar me dafan hona Subhanallah muhabbat o Adab ka ye haseen imtezaaj bahut kam dekha gaya hai
✿●•· Hazrat moLana Qasim nanotvi Rm ne ek martaba Safar e Hajj se wapsi par apne diL ki Tamanna ko Kaghaz par yun khoL kar Rakha
✿●•· Ummeed Lakho hain Lekin badi ummeed ye hai
✿●•· Ke ho Sagaan madeene me mera Naam shumaar
✿●•· Jiyun to Saath Sagaan haram ke Tere phirun
✿●•· Marun to khaaye madeene ke mujhko moro maar
(pαʀт ⇨209)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -209⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·MARNE KE BAAD SAWAAB POHUCHNE KI TEEN SOORTE
✿●•·Mere doston hadees paak me Aaya hai Jab insaan mar jata hai to uske AmaL munqata ho jate hain Siwaaye teen AmaLon ke SubhanAllah banda fot ho jata hai Magar uske Nama e AamaaL ke teen Khate khuLe Rehte hain Ek khata Sadqa e Jariya ka agar usne duniya me koi aisa kaam kiya tha jo Sadqa e Jariya tha to ye khata khuLa Rahega uska Sawaab usko pohuchta Rahega dusra khata aisa iLm hai jisse usne dusron ko fayeda pohchaya ho yaani dusron ko neki ki taraf buLaaya ho or teesra nek AwLaad hai bas hame chahiye ke AwLaad ki TaLeem o tarbiyata par khusoosi tawajjoh den take wo nek ban kar hamare liye duniyavi Sharafat Or Ukhravi nijaat ka zarya bane
(pαʀт ⇨210)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -210⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·LAMHA E FIKAR
✿●•·Mere doston Allah RabbuL izzat ke nek bande Apne anwaraat o barakaat Sameet tezi se is duniya se Rukhsat ho Rahe hain or ye jagah ZuLmaat se bhari Ja Rahi hai Shayateen is khaLa ko pur kar Rahe hain yani ye duniya shaitaano se bharti Jaa Rahi hai or yun Lagta hai ke ye duniya Apne Anjaam ko pohuchna chahti hai Aap dekhen ke jo buzurg Aaj duniya se jaa Rahe hain baad waLon me un jesa koi nazar Nahi aata Aaj wo waqt hai ke jin AwLiya ke diLon me pahaad ke barabar imaan hai wo bhi darte hain thar tharate hain or kaanpte hain kahin murtad ho kar maut na Aajaye or ek ham jese ghafiL hain jin ke diLon me zarra barabar imaan hai or ham uski hifazat se bhi ghafiL hue bethe hain Allah RabbuL izzat hame Samjh Ata farmaaye take ham apne imaan ki hifazat kar sake hame Apne imaan ki hifazat Aakhri Lamhe tak karni hai imaam qurtabi ne farmaaya ke maut to bahut Badi museebat hai magar usse bhi badi museebat ye hai ke maut se ghafLat ki jaye or uske Liye AmaL na kiya jaye Allah RabbuL izzat ham sabko maut ki tayyari karne ki tofeeq Ata farmaaye or ham sab ka khaatma imaan par Naseeb farmaaye Aameen ya RabbuL AaLameen
(pαʀт ⇨211)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -211⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·DIL KI SAFAAYI
✿●•·Mere doston Allah RabbuL izzat ne ye Zindagi hame Apni bandagi ke Liye di hai hame chahiye ke jese Duniya ke kaam kaaj ke liye koshish karte hain usi Tarah Aakhirat ke liye bhi koshish karLen Aaj ki nojawaan Ladki subah subah uthti hai to use fikar hoti hai mujhe Nashta tayyar karna hai phir Apne ghar me Dusting Safaayi karni hai mujhe yahan viper Lagana hai mujhe fanichar ko Saaf karna hai mujhe parde dhone hai bechaari din ke Kayi Ghante isi Qisam ke kaamo me Laga deti hai Agar poocha jaye ke ye safaayi kiyu kar rahi hai to kahegi ke Log kiya kahenge ke kitne bekaar Log hain logon ki nazar me accha banne ke liye ham chaar paanch ghante Laga dete hain Lekin Agar Allah RabbuL izzat ne keh diya ke mere bande tera dil bhi to mera ghar tha tujhe iski Safaayi karne ke liye 10 minutes bhi na mile Astaghfaar ke liye tujhe chand mint na mile mere mehboob SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam par darood bhejne ke liye kuch fursat na miLi ham us waqt Allah RabbuL izzat ko kiya jawaab denge
(pαʀт ⇨212)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -212⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·ALLAH RABBUL IZZAT SE TA'ALLUQ BANA KAR RAKHO
✿●•· Ek Aadmi ne Agar kisi ke yahan mehmaan jana ho or uske Saath Ladaayi karLen or phir wahan mehmaan ke tor par jaye to kiya wo mehmaan nawaazi karenge ??
✿●•·Mere doston duniya me mehmaan nawaazi nahi hoti to jisne Allah RabbuL izzat se bigaadLi or phir Allah RabbuL izzat ke huzoor pohuch gaya to phir uska kiya banega ??
(pαʀт ⇨213)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -213⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·JAHANNAMI KA PASEENA
✿●•· Hazrat Abu bakar Siddeeq RaziyaLLahu anhu farmaya karte the ke jis Aadmi ne maut ki tayyari kiye baghair is duniya se Aage Qadam uthaya wo aisa hi hai jese usne museebaton ke samandar me chaLaang laga di Duniya ke gham or museebaten Aakhirat ki pareshaaniyon ke muqaabLe me to koi hesiyat Nahi Rakhti Aaj dekho bahar nikaLte hain jo garmi garmi karte phirte hain garmi ki haisiyat kiya hai Agar jahannami ke paseene ka ek Qatra mashriq me rakh diya jaye or Aadmi maghrib me khada ho to use maghrib me khade hue garmi pohchegi jis ki wajah se duniya me hi wo insaan paseene paseen ho jayega Agar paseene ke Qatre me itni garmi hai to sochiye jo khud jahannam me hoga uska kiya haal hoga ??
(pαʀт ⇨214)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -214⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·APNE AAP KO ALLAH RABBUL IZZAT KE SAPURD KARNA
✿●•· Insaan ko biL Aakhir is duniya e faani se koch kar ke Allah RabbuL izzat ke huzoor pesh hona hai kaash ke ye insaan Apni Zindagi me kehta ke Aye Rab e kareem meri Muhabbaton ki intehan Tere liye meri chahaten Tere liye meri Tamannaye Tere Liye meri Aarzu Tere liye Aye Allah RabbuL izzat meri maaLi ibaadaten meri jaani ibaadaten mera jeena marna Sab tere Liye hai kaash ham duniya hi me yun Apne Aap ko Sapurd kar dete phir dekhte ke ek ek AmaL par sone ka bhao Lagaya jata
✿●•·Meri Zindagi ka maqsad Tere deen ki Sarfarazi
✿●•·me Isi Liye musaLmaan or isi Liye Namaazi
✿●•·KHUSHNASEEB INSAAN
✿●•·Khushnaseeb insaan wahi hai jo maut ke waqt Kaamyaab ho jaye or Agar maut ke waqt Nakaami hui to haqeeqat me bahut hi Zada nakaam insaan hai duniya ki chaandni chaar din ki hai magar phir Andheri Raat hai to sochiye to Sahi phir kiya banega
✿●•·Ab to ghabra ke kehte hain mar jayenge
✿●•·mar ke bhi chen na paya to kidhar jayenge
(pαʀт ⇨215)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -215⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·INSAAN KI QABAR ME BESAROSAMANI
✿●•·Insaan ko duniya ki takleefen bimaariyan ULjhane or Pareshaaniyan Aati hain to insaan yahi soch leta hai ke Aakhir ye ek na ek din kat jayegi lekin Agar Qabar me insaan ke liye museebaten Aagayi to wahan kiya banega Qabar ke Andar Tanhaayi hogi koi sunne waLa nahi hoga Qabar ke Andar khamoshi hogi koi baat karne waLa nahi hoga Aye Acche kapde pehanne ki diLdadah or shoqeen behan Zara qabar ke Libaas kafan ko yaad karLe Aye mehfiLon me beth kar muskurahaten dene waLi zara maut ke waqt ki khamoshi ko bhi yaad karLe duniya ki Lazzaten lene waLi zara maut ki TakLeefon ko bhi yaad karLe Aye duniya ke Aalishan or khoobsoorat kapdon me Zindagi guzaarne waLi Zara qabar ki besarosamani ko bhi dekhLe Aaj duniya me Teri kothi Tera ghar Samaan se bhara hota hai phir bhi sochti hai ke Abhi meri Zarooraten zada hain or Samaan thoda hai Magar Qabar me to Tere pass Samaan hi Nahi hoga wahan Faqat nekiyan kaam Aayengi
(pαʀт ⇨216)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -216⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·BENAMAZI KO QABAR ME SAZA
✿●•·Hadees paak me Aaya hai ke Qabar me ek farishta mutaiyyan kar diya jayega Agar kisi ne zohar ki namaaz qaza ki hogi to wo Farishta usko guraz se marega hatta ke Asar ka waqt ho jayega Agar Asar ki namaaz qaza ki hogi to maghrib tak or Agar maghrib ki qaza ki hogi to isha tak or Agar isha ki qaza ki hogi to subah tak or Agar subah ki namaaz qaza ki hogi to zohar tak Farishta usko Guraz se marega or jab wo Farishta marega to mayyat Qabar me 70 haath tak zameen me dhas jayegi phir nikLega or Farishta phir marega isi tarah maar pad Rahi hogi us waqt cheekhenge chiLLayenge magar koi bhi Aawaaz sunne waLa nahi hoga koi behan pass nahi hogi koi maa pass nahi hogi Tere pass koi Apna nahi hoga jise tu gham suna sakega wahan to Farishta hoga use Allah RabbuL izzat se jo hukm milega wo uske matabiq karta chaLa jayega
(pαʀт ⇨217)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -217⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·QABAR ME AJDAHA
✿●•·Baaz Logon ke liye Qabar me Ajdaha MusaLLat kar diya jayega Ajdaha kaat'ta Rahega duniya me Agar shehad ki makkhi kaat Le to takleef se kiya haal hota hai Agar Qabar me us Ajdahe ne kaatna shuru kar diya to Qayamat tak wo kaat'ta Rahega
✿●•·QABAR KI GARMI
✿●•·Agar Qabar ko jahannam ka gadha bana diya gaya to wahan ki Tapish ka kiya mamLa hoga Aaj to Aurten Apne chuLhe ke pass thodi der beth'ti hain to kehti hain hamse garmi me nahi betha jata bhaLa Qabar ki garmi ke Liye kiya kar chuki ho Qabar ki garmi ke Liye kiya bandobast kiya hai ??
(pαʀт ⇨218)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -218⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•NOJAWAAN LADKIYON KI GHALAT FEHMI
✿●•·Aaj duniya Namazen padhna mushkiL TiLawat karna mushkiL parde ke saath Zindagi guzaarna Mushkil Nek o kaari ke saath Zindagi guzaarna Mushkil hai jab kisi Ladki se kaha jata hai ke khuda ki bandi duniya ka iLm to hasiL kar liya Ab deen ka iLm bhi hasiL karLe to jawaab deti hai Abhi meri umar hi kiya hai me kon si Amma daadi ban gayi hun goya Baccho ke zehan me ye Tasavvur hai ke Amma daadi ban kar Namazon ki pabandi karte hain kiya nahi dekhte nojawaano ko bhi maut Aati hai wo bhi Qabar me pohcha di jaati hain Agar Aap ko bhi Isi haaL me maut Aagayi to phir sochiye Aage kiya banega ??
(pαʀт ⇨219)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -219⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•HAROON RASHEED RM KE YAHAN USTAAZ KA MAQAAM
✿●•·Haroon Rasheed ek nek baadshah guzra hai ULama ka bada Qadardaan tha or chahta tha ke meri AwLaad bhi nek bane iske do bete mamoon Rasheed or Ameen ur Rasheed the unhe usne imaam yusuf Rm ki khidmat me bheja ke unki taLeem o tarbiyat kare take ye deendaar bane haroon Rasheed ek martaba madarse me gaya to kiya dekhta hai uska beta ustaaz ko wazu karwa Raha tha wo paani daL Raha tha or ustaaz Apne pao'n dho Rahe the baadshah khush hone ki bajaaye Naraaz hone Laga or imaam abu yusuf se kehne Laga Hazrat mene to bheja tha ke Aap mere in beton ko Adab Sikhaayen Aapne farmaaye bhai Adab hi to Sikhaya hai ke ye Shehzada hone ke bawajood mere pao'n dhuLa Raha hai kehne Lage nahi maza to tab Aata ke jab ye ek haath se paani daaLta or dusre haath se Aapke pao'n dho raha hota ghor karen ke wo baadshah hai or use Apni AwLaad ko Adab sikhaane ka itna shonq hai
(pαʀт ⇨220)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -220⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•HAROON RASHEED OR USKI BIVI KI SAKHAWAT
✿●•· Haroon Rasheed ke bare me Aata hai ke wo ek saaL hajj kiya karta tha or 200 ULama ko Apne Saath Apne kharch par le jaya karta tha or Dusre SaaL jihaad karta tha or jis saaL jihaad karta tha us saaL 400 ULama ko Apne kharch par hajj ke liye bheja karta tha ke me to jihaad par ja Raha hun isliye 200 ki bajaye 400 Aadmiyon ko hajj ke liye bheja karta tha iski bivi zubeda khatoon bhi ek nek Aurat thi jisne nehar zubeda banwaayi dono nek the chunke waqt ka baadshah tha isliye usko duniya ki bahut zada masroofiyat thi
(pαʀт ⇨221)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -221⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•HAROON RASHEED RM KE BETE KI QABIL E RASHK ZINDAGI
✿●•· Allah RabbuL izzat ki shaaan dekhiye ke haroon Rasheed Rm ka ek beta tha use Allah waLon ki sohbat mil gayi thi or use ye Samjh Lag gayi thi ke waaqi mujhe duniya me Apne Allah RabbuL izzat ko Raazi karna hai or Sab se pehLe maut ki tayyari karni hai isliye wo har waqt ibaadat me laga Rehta tha uth'ti jawaani thi uske chehre par noor tha Magar wo Sada libaas me Rehta Shahzaadon ki poshaakon se use Nafrat thi koi Aan baan thaat baat usme Nahi thi Wo Zehad ke saath Zindagi guzaarta tha wo mehaL me Rehte hue koi murghan gizaaye Nahi khata tha wo dastarkhan ke kone par beth'ta or khushk Roti kha kar guzara karta Log poochte tum dastarkhan ki baaqi niyamaten kiyu nahi khate wo jawaab me kehta mujhe hisaab bhi to dena padega isliye me faqat khushk Roti khata hun wo Zameen par bistar bicha kar sota Saare ghar waLe hairaan the ke pata nahi is jawaan ko kiya ho gaya hai use uzra Samjhate Umara Samjhate baaqi dusre log samjhate ke Aakhir tum Baadshah ke bete ho Shahzaade ho bade bade Log Yahan Aate hain or dekhte hain ke baadshah ka beta aisa hai to wo Samjhte hain shayad baadshah ka beta pagaL ho chuka hai ye majnu ban chuka hai baadshah ko is Tarah ki baaten sunni padti hain isliye Behtar hai ke tum Apni Zaahiri ShakL o soorat ko Shahzaadon ki Tarah bana kar rakho wo Aage se jawaab deta ke me unke Samne Zaahiri ShakL o soorat ko bana kar kiya phirunga mujhe to Apni ShakL o soorat Allah, RabbuL izzat ke liye banana hai take mera moLa mujhse Raazi ho jaye mene duniya ko Raazi bhi kar liya to me Kaamyaab nahi hunga meri Kaamyaabi ka ta'alluq Allah RabbuL izzat ki Raza me hai Lihaza me to Saadi Zindagi guzarunga or Apne AllahRabbuL izzat ko Raazi karunga mujhe maut ka pata nahi kab Aajaye me to har waqt maut ke liye tayyar hun take maut ke waqt jaate hue mujhe takleef na ho Tum bhi Apni Zindagi ki is Ravish ko chordo ye TakaLLufaat ye duniya ki Raah o Rasam ye duniya ki zeb o zeenat Sab faani hai yahin Reh jayengi tum maut ko mat bhooLo Chunache Ajeeb si mehfiL ho jaati jis mehfiL me Log khushi ki baaten kar rahe hote wahan ye Shahzaada Aajata jis ki wajah se unko chup hona padta or yun mehfiL ka Rang badaL jata Log baadshah ko kehte ke Aap hakeemo se iska iLaaj karwayen kuch isko Samjhayen pata nahi kiya hai soookh kar kata'n banta ja raha hai or na kisi se baat karta bas har waqt tasbeeh padhta hai musaLLe par betha Rehta hai Namazen padhta Rehta hai TiLawat karta Rehta hai isko to goya duniya me kisi or se koi gharz Nahi isliye Lagta hai ke ye kuch bimaar hai
(pαʀт ⇨222)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -222⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•HAROON RASHEED RM KE BETE KI QABIL E RASHK ZINDAGI
✿●•·Ek din baadshah ne use buLaya or socha me usko Samjhaunga isliye bete ko bitha kar kaha beta dekho me baadshah hun mere pas Riaaya hai har chote bade ne Aana hota hai Log tumhe mehfiL me dekhte hain to kehte hain tum majnu ho pagal ho mujhe baaten sunna padti hain mujhe teri wajah se Dusron ke samne ziLLat uthaani padti hai tum zara Apni Zaahiri ShakL o soorat ko badaL Lo hame Allah RabbuL izzat ne bahut diya hua hai Acche kapde pehan sakte ho ye Sab niyamaten Allah RabbuL izzat ki hain tum nek ban kar bhi Allah RabbuL izzat ki niyamaten istemaal kar sakte ho wo kehne Laga Abba jaan baat ye ke jab me in niyamaton ko istemaal karunga to mujhe unka hisaab dena padega Allah RabbuL izzat ki niyamaton ka shukr bhi Ada karunga phir bhi Quraan paak gawaahi De Raha hai ke Qayamat ke din tumse niyamaton ke bare me SawaL kiya jayega Isliye Abba jaan me to Qayamat ke din jawaab na de sakunga isliye chahta hun me duniya se jitna kam kha sakun khaun jitna sada pehan Sakun pehnu me duniya se diL Lagane ki bajaye Aakhirat se diL Lagaun wahan Allah RabbuL izzat mujhe poshaak pehna denge Acchi Zindagi Ata farma denge AsaL Kaamyaabi ye Kaamyaabi hogi jab kaafi taweeL baat ho gayi to baap ne naraaz ho kar kaha tumne Logon ke Samne beizzat kar diya hai jab us nojawaan ne ye suna to wo kehne Laga Agar meri wajah se Aapko Apni beizzati bardaasht karna padti hai to phir me yahan se kahin door chaLa jata hun take Aapko koi pareshaani na ho meri Apni Zindagi ka mamLa hai Qayamat ke din me Allah RabbuL izzat ke huzoor me akeLa khada hunga Abba ji Na Aap mere saath honge na meri maa mere saath hogi na ye umara uzara mere saath honge Allah RabbuL izzat Apne bandon ko Ek ek kar ke Apne Samne buLaayenge jese Qataar me khade hue ek ek Aate hain or unse hisaab poochenge Aye Abba jaan jab mujhe AkeLe hi jawaab dena hai to phir me kiyu na wo Zindagi guzaarun jiska jawaab me de sakta hun mujhe un niyamaton ki koi Zaroorat nahi mujhe to faqat Allah RabbuL izzat ki Raza chahiye Me to Apni Zindagi me ibaadat karunga me Apna waqt duniya ki cheezon me kiyu zaaye karun ??
✿●•·Jab bete ne ye baat kahi to baadshah ne phir use samjhaya Aapne keh diya hai ke meri wajah se Aapko ZiLLat uthaani padti hai isliye Ab me is ghar me Nahi Rahunga ye baat keh kar wo nojawaan khada hua baap ne badi minnat sama'at ki take Ruk jaye Magar wo kehne Laga Ab Raste juda hain me ja kar ibaadat karunga Take Allah RabbuL izzat ke huzoor me Kaamyaab ho jaun
✿●•·Jab wo jane Laga to baadshah ki bivi ko pata chaLa usne usko chaandi ki badi Qeemti Anguthi di take Safar me Zaroorat padne par kaam Aasake or usko ek Quraan paak de diya or kaha beta tumhe Quraan shareed padhne ka bahut shonq hai tum ghanton beth kar Quraan paak padhte ho tum is Quraan ko padhoge tumhe Apni maa bhi Yaad Aayegi ke Ammi ko tum bhooL nahi sakte maa ka diL bhi tumhare liye Tadapta Rahega is Tarah yaad ka Ta'alluq darmiyaan me Rahega bete ne wo Anguthi or Quraan liya or wahan se chaLa gaya or kisi basti me Allah waLe Rehte the wo wahan chaLa gaya wahan usne Apni Zindagi guzaarna shuru ki wo wahan masjid ke Andar Aytakaaf ki niyat se Rehta wahan sara din zikr or ibadat karta hafte sirf ek din wo mazdoori karta or mazdoori me jo kuch use paise milte uski 7 Rotiyan banti thi Rozana ek Roti khareed kar paani ke saath kha leta or guzara ho jata
(pαʀт ⇨223)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -223⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•HAROON RASHEED RM KE BETE KI QABIL E RASHK ZINDAGI
✿●•·Ek Aadmi ko makaan banwana tha usne mazdooron ki jagah par ja kar dekha ke mujhe koi mazdoor mil jaye use ye wahan betha hua miLa usne kaha me Aapko mazdoori ke liye Apne ghar Le jana chahta hun usne kaha Accha meri kuch Shara'it hain us nojawaan ne kaha jab namaaz ka waqt ho jayega to me Zaroor Namaz padhunga me Namaz nahi chor sakta usne kaha bahut Accha us Shahzaade ne kaha Accha me kaam karunga to mujhe kaam karne ke Liye Aap poori Tarah se Aazaadi denge usne kaha bahut Accha khair wo usko Le kar chaLa gaya us nojawaan ko diwaar banani thi usne Shaam tak itni badi diwaar banadi malik ne socha ke do Aadmi mil kar bhi itni diwaar Nahi bana sakte us khuda ke bande ne Namazen bhi padhi kaam bhi kiya or do'gunaah kaam kar ke jane Laga usne usko jitni Raqam te ki hui thi usse Zada deni chahi Magar Usne inkaar kar diya kehne Laga me Zada Raqam Le kar kiya karunga usne kaha me khush ho kar de Raha hun ke tumne Zada kaam kiya hai kehne Laga me to itni Raqam Lunga jitni ki mujhe Zaroorat hai mujhe to itne paise chahiye ke har din Ek Roti miL jaye Chunache usne te Shuda Raqam hi Li or chaLa gaya us Aadmi ne beth kar socha ke ye kitna nek Nojawaan hai ke kehta hai mujhe duniya se kiya wasta me to thoda Sa khana kha kar guzara kar Leta hun baaqi waqt Allah RabbuL izzat ki Ibadat me guzaarta hun to isi nek ke hatho se mera makaam banna chahiye Chunache usne AgLe din koi or mazdoor na buLaya wo phir bazaar me gaya or kaha mujhe mazdoori ke liye faLan nojawaan chahiye Logon ne bataya wo hafte me ek hi din kaam karta hai or baaqi 6 din Allah RabbuL izzat ki ibaadat me masroof rehta hai usne kaha bahut Accha jab wo din Aayega me phir usko Ghar Le jaunga Chunache AgLe hafte wo usi din pohcha phir wahi nojawaan miLa wo use lekar Apne ghar Aaya Ab jab wo nojawaan kaam karne Laga to us malik ne socha ke zara usko chup kar dekhta hun ke ye kaam kese karta hai ke usne mera do'gunaah kaam kiya tha usne dekha ke wo nojawaan ek haath se Gara us diwaar par rakhta hai or jese hi Ent ko utha kar upar rakhta hai to wo Ent khud ba khud Aise diwaar par padti ke bilkuL Apni jagah par beth'ti hai usko waqt zaaye karna nahi padta bas gara Rakha or Ent ko utha kar Rakhta gaya or Enten Nageene ki Tarah jamti Gayi wo kehne Laga us bande ke saath koi khudaayi madad hai ke AllahTala'a thode waqt me Zada kaam Le Rahe hain Chunache bada khush hua ke ye kitna nek Nojawaan hai ke jisko Allah RabbuL izzat ne jawaani me ibadat ka aisa Shonq De Diya
(pαʀт ⇨224)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -224⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•HAROON RASHEED RM KE BETE KI QABIL E RASHK ZINDAGI
✿●•·Jab AgLa Hafta Aaya to wo phir wahan gaya take use Le kar Aaye Logon ne kaha wo bimaar hai Aaj wo mazdoori ke liye Nahi Aaya poocha ke wo kahan hoga unhone kaha janaab wo faLan masjid ke Qareeb ek jagah par Rehta tha Aap Jayen Wahan ja kar dekhiye ye wahan gaya to dekha ke nojawaan Zameen par leta hua hai usko bukhaar tha jiski wajah se uski haLat kharaab ho chuki thi jab wo Qareeb pohcha to usne Ladke se kaha Aye nojawaan tum bade bimaar ho Mere Saath mere ghar Aao me tumhaare liye koi dawa ka bandobast kardun Kehne Laga Nahi mujhe Shifa dene waLe ne hi to bimaar kiya hai mere to Ab maut ke siwa koi dawa kaam nahi Aayegi me to Ab bas jaane ke Qareeb hun meri mohLate Zindagi itni hi thi me Ab duniya se ja Raha hun bas mujhe is baat par khushi hai ke me Apne imaan ko bacha kar le ja raha hun mene duniya ki Zindagi par kabhi bharosa nahi kiya kabhi duniya se diL nahi Lagaya me jaanta tha ye sab cheezen Aarzi hain isliye me duniya se hamesha door bhaagta tha Aakhirat ki tayyari karta Rehta tha Aaj AlhamduLiLLah me Acche haal me Ja Raha hun usne kaha ke mujhe batao ke tumhare liye kiya kar sakta hun kehne Laga mere pass Amanat hai tum ye Amanat unko pohcha dena jinhone mujhe di thi wo kehne laga wo kiya usne Apni ungLi se wo Anguthi nikaaL kar de di or apna Quraan paak hawaLe kiya or kaha ke waqt ke baadshah ke pass chaLe jana or use keh dena ek pardesi ne ek do cheezen Amanat Li thi Ab wapas bheji hai isko QabooL karLen jese hi usne suna ke ye haroon Rasheed ki baat kar Raha hai tab use Ahsaas hua ke han ham sunte the ke baadshah ka ek Shahzaada hai jo is Tarah diwaana or pagaL hai kahin ye wo to nahi itne me us nojawaan ne kaLma padha or Allah RabbuL izzat ko piyaara ho gaya Ab uska diL ghamzadah tha usne use kafna diya dafna diya phir wo Quraan paak or Anguthi le kar chaLa ke me haroon Rasheed ko de Aaun
(pαʀт ⇨225)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -225⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•HAROON RASHEED RM KE BETE KI QABIL E RASHK ZINDAGI
✿●•· Jab Shehar me pohcha to dekha police Aarahi hai or Logon ko hata Rahi hai hato bacho ki Sadaayen Aarahi hain baadshah ki sawaari Aarahi hai Chunache thodi door peeche baadshah Apne uzara ke saath Aaraha tha jis Sawaari ke upar baadshah sawaar tha jab wo sawaari us Aadmi ke Qareeb Aayi to usne kaha baadshah saLamat Aapko Nabi e kareem Sallallahu alaihivasallam ke saath Qurbatdaari Rishtedaari ka wasta Aap meri baat sun lijye Chunache haroon Rasheed ne Apni Sawaari ko khada karwa diya usne wo Anguthi or Quraan usko dikhaya or kaha ye ek pardesi ne Aapki taraf bheja hai Baadshah ki Aankho me Aansu Aagaye or kehne Laga Aye mukhatib tu mere saath Aa or mere ghar Aakar ye baaten zara bata de me wahan par tujhse ye cheezen Le Lunga Chunache baadshah Apne mehaL me Aaya or Aate hi usne us Aadmi ko buLwaya or kaha Aye mukhatib mujhe Lagta hai tu mujhe gham ki koi khabar sunaayega lekin bata to Sahi mere jigar goshe ka kiya haaL hai tune usko kis haal me dekha wo kehne Laga wo nojawaan tha chehre par noor tha wo hafte me ek din mazdoori karta tha mene bhi do mazdoori usse karwaayi hain wo poore din me ek Roti khata tha baaqi Sara din ibadat karta tha sookh kar kanta ho gaya tha isi Tarah uski Zindagi guzri mene use Aakhri Lamhe me dekha use kaLme pe maut Aayi usne kaha tha ye Amanaten mere baap tak pohcha dena baadshah dekh kar Rone Lag gaya or kehne Laga tumhe bhi khayaaL na Aaya tum ek Shahzaade se Apna makaan banwate Rahe usne kaha baadshah saLamat Agar mujhe pata hota ke wo Aapka beta or Shahzaada hai to me kiyu usse makaan banwata magar wo to apne aapko faqeer samjhta tha durwesh samjhta tha or kehta tha mujhe to Aakhirat ki tayyari karni hai me wahan ke mehLaat me Rahunga to baadshah ne Ro kar us nojawaan se mukhatib ho kar kaha Aye mere bete tu choti umar me tha me tera baap badi umar me tha bete tere baaL kaLe the mere safeed the magar maqsad e Zindagi tune Samjh Liya tha Me nahi samjh saka bete me dhoke me pada hua tha mene Zindagi ke din zaaye kar dijye mere pass Aakhirat ki tayyari nahi Aye mere bete tune jawaani me duniya ki haqeeqat ko Samjh liya tha tune duniya me diL nahi Lagaya tu duniya ki Lazzaton ke peeche Nahi bhaga Duniya ki Aasaish ke peeche nahi bhaga bete tune maut ko yaad Rakha Har Lamhe ye baat zehan me Rahi ke mujhe Allah RabbuL izzat ke huzoor pesh hona hai bete tu saccha tha Tera baap jhoota tha beta tu hidayat par tha tera baap bhatka hua tha Aaj tu Hidayat le kar duniya se chaLa gaya Tera Baap Apne baaLon ko safeed kar betha magar gunaahon se Apne chehre ko Siyaah kar betha me Apne malik ke Samne kiya Le kar jaunga Ye duniya ke mehLaat ye duniya ki Ronaqe ye duniya ki Saari niyamaten Sab Yahin Reh jayengi Tere baap ka kiya haal hoga jab Zanjeeron me baandh kar use pesh kiya jayega or kahenge Aye duniya ke hukmarano tumhaari Zanjeeren tab khuLengi jab tu sabit karega ke tune niyamaton ki Qadar ki or hamare hukmo ke mutabiq Zindagi guzaari thi bete us din me ghareeb hunga or Teri haisiyat baadshah waLi hogi Aaj duniya mujhe baadshah kehti hai Magar Aakhirat ka me faqeer hun wo baaten bhi karta Raha or Rota bhi Raha phir usne kaha waaqi me Apni Zindagi ko badaL kar Allah RabbuL izzat ki Raza HasiL karunga
♢Allah RabbuL izzat hame bhi Apni Sacchi Muhabbat ata farmaaye Aameen ya RabbuL AaLameen
(pαʀт ⇨226)
Nεxт тimε insнα αllααн
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿
┌╦════════════─┐
│║Bismillahirrahmanirraheem
└╩════════════─┘
┌╦═══════─────┐
│║MAUT KI TAYYARI
└╩═══════─────┘
⊙ PART -226⊙
┄─━━━━□□□━━━━─┄
✿●•·KHULASA E KALAAM
✿●•·Mere doston Aaj hamare Samne do Raste hain ek khahishaat or Shehwaat yani shaitaan ka Rasta hai or Dusra neki or parhaizgaari Yani Rehmaan ka Rasta hai fesLa hamare Akhtiyaar me hai Jo Rasta Aaj Akhtiyaar karenge manziL wahi banegi Ye kabhi nahi ho sakta ke Zindagi to fasq o fujoor me guzare or marte waqt bayazeed bistaanvi Rm or junaid baghdaadi Rm jesi maut Aajaye kiyu ke mere Aaqa Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya tum jesi Zindagi guzaaroge usi haaL me maut Aayegi or jis haaL me tumhe maut Aayegi usi haaL me tum Allah RabbuL izzat ke samne khade kiye jaoge Jis dhab par Zindagi guzar Rahi hai usi dhab par maut Aayegi Lihaza Apni Zindagi ke Rukh ko badaL Lijye nek o kaari ki Zindagi Apna lijye ye thode Dino ki baat hai uske baad hamare liye Sa'adaton ke darwaazen khuLne waLe hain hazrat nisaar Fat'hi Rm ne kiya hi Acchi baat kahi hai
✿●•·Noor me ho ya Naar me Rehna har jagah yaad Yaar me Rehna
✿●•·chand jhonke khizaa'n ke bas SehLo phir hamesha bahaar me Rehna
✿●•·Khushnaseeb hain wo Log jo nek o kaari ki Zindagi guzaarte hain or maut ke waqt uske Liye khushiyon ke darwaaze khuL d jaate hain Allah RabbuL izzat hame isLaam par Zindagi guzaarne ki tofeeq Ata farmaaye or imaan ke saath maut Ata farma kar Aage ki manziLon ko Aasaan farmaaye ye kaam Allah RabbuL izzat ke liye koi Mushkil Nahi hai Dua hai ke Allah RabbuL izzat hame Aakhirat ki Kaamyaabi naseeb farma de duniya ki izzaten naseeb farma de or hame imaani isLaami Quraani Zindagi basar karne ki tofeeq Ata farma de Aameen ya RabbuL AaLameen
(AlhamduLiLLah mukammaL)
┃
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
Maut ki tayyari
Az
Hazrat moLana
Peer Zulfiqar Ahmad
Naqshbandi DB
┄─━━━━□□□━━━━─┄
▁▂▃▄━╯✍╰━▄▃▂▁
M.Babar Rashidi
AhLe deoband
╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯
✿ ⚀✿
No comments:
Post a Comment