🌹🌹🌹
╓━══════◐◐◑◐◑◑══════━╖
Bismillahirrahmanirraheem
╙━══════◐◐◑◑◐◑══════━╜
❖═══▩★★★۩ ۩★★★▩═══❖
🌹{ROOHANI TADABEER}
BY HAZRAT PEER
ZULFIQAR AHMAD
NAQSHBANDI DB🌹
❖═══▩■■۩PART'101۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ KHWAJA ABULHASAN KHARQAANI RH.ALAIH KI SHAANE ISTIGHNA ۩
⚄→Hamare mashaikh ALLah rabbul izzat ki yad me lage rehte the‚ unki nazar me insan ki azmat uske deen ki wajah se hui thi aur duniya ki wajah se unke haan insaan ki azmat nahi hoti thi. Khwaja Abulhasan rh.alaih silsilae aliya naqshbandiya ke buzurgon me se the. Wo ek faqeer admi the. ALLah ne unhe qubuliyat taamah aamah di thi. Unki khanqah par waqt ke ameer kabeer log bhi ate the.
⚄→ ek martaba unhone apne khuddaam ko hukm diya ke aaj sari khanqah ki safai karo. Us zamane me pakke farsh to nahi hote the balke kachhi mitti hoti thi. Juma ka din tha isliye kuch log nahane dhone me lag gaye aur kuch log khanqah ki safai karne me masroof ho gaye. Ap rh.alaih ke sar ke bal lambe the. Unke sar me khujli si hone lagi. Sar me khujli kabhi to ju'on ki wajah se hoti hai aur kabhi zada din na nahane ki wajah se bhi hoti hai....
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'102۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄→Hazrat ko khaarish si mehsoos hui to aapne apne ek khadim se farmaya ke zara mere baalon me dekho ke juon ki wajah se kharish horahi hai ya kisi aur wajah se. Usne kaha: ji' bahot achha. Ab Hazrat baith gaye aur us khadim ne juen dhundna shuru kardiya. Bahar logon ne jhadu dena shuru kardiya‚ khoob mitti udne lagi.
⚄→ALLah ki shaan ke aen usi waqt Sultaan Mehmood ghaznawi Hazrat ki mulaqaat ke liye pahonch gaya. Jab mureedon ne dekha ke Baadshah salamat agaye hain to wo ghabraye ke yahan to mitti ud rahi hai chunanche un me se ek bhaga ke mai Hazrat ko Baadshah ke aane ki ittela de du. Usne andar akar ajeeb manzar dekha ke Hazrat to sar jhukaye baithe hain aur ek khadim apke baalon me se juen talaash kar raha hai. Us mureed ne khadim ko ishara kiya ke wo Baadshah salamat arahe hain.....
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'103۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄→jab use maaloom hua ke Baadahah salamat arahe hain to wo khadim bhi ghabra sa gaya aur usi halat me usne kaha ke Hazrat! Hazrat! Hazrat ne uski raraf sar utha kar dekha to wo fir kehne laga' Hazrat! Wo Badshaah salamat arahe hain. Hazrat ye sun kar farmane lage‚ oho' me samjha ke tere hath me koi badi si joon agai hai. Isse andaza lagaiye ke inke dil me duniya ki kya haqeeqat hoti thi. Jab sultaan mahmood ghaznawi Hazrat abulhasan kharqani rh.alaih ke pas aya to Hazrat bethe rahe‚ wo khud akar Hazrat se mila. Usne milne ke baad ek theli me kuch paise Hazrat ko hadiya ke tor par pesh kiye magar hazrat ne Qubool karne se inkaar kardiya.
⚄→usne fir theli pesh ki‚ Hazrat ke pas us waqt ek khushk roti padi hui thi. Apne us theli ke badle me wo khushk roti pesh ki aur farmaya' ise khaiye. Ab usne roti ka luqma muh me dal liya lekin khushk luqma uske gale ke neeche utar nahi raha tha balke wo luqma uske gale me fans gaya. Hazrat rh.alaih ne jab dekha ke gale me luqma fans gaya hai to pucha kya baat hai. Luqma neeche utar nahi raha? Usne kaha ji haan nahi utar raha. Hazrat rh.alaih ne farmaya: apki ye theli bhi isi tarah mere gale se neeche nahi utar rahi.
♥SUBHAAN ALLAAH! Aesi naseehat ki.♥
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'104۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ SHYKH JEELAANI RH.ALAIH KI DUNIYA SE BERAGHBATI ۩
⚄→shykh Abdul Qadir Jeelani rh.alaih apki wiladat 470ء aur wafaat 561ء me hui‚ aap ka watan mulke iraan me waqe geelaan nami basti hai. Baatni uloom apne ustaad Abu Saeed mubarak bin Ali se hasil kiya.
⚄→ek martaba samane tijarat ek jahaz me araha tha‚ Kisi ne akar bataya ke Hazrat! Ittela mili hai ke wo jahaz doob gaya hai. Hazrat ne farmaya: ALHAMDULILLAAH. Thodi dee bad ittela mili ke Hazrat! Wo jahaz bach kar kinare lag gaya hai‚ Hazrat ne farmaya: ALHAMDULILLAAH. Ek admi puchne laga Hazrat! Dubne ki ittela mili to bhi ALHAMDULILLAAH aur bachne ki ittela mili to bhi ALHAMDULILLAAH?? Hazrat rh.alaih ne farmaya ke jab dubne ki ittela mili to me ne apne dil me jhanka to dil me iska gham nahi tha isliye mene kaha ALHAMDULILLAAH aur jab bachne ki ittela mili to mene dil me jhanka to isme khushi nahi thi‚ chunanche mene kaha ALHAMDULILLAAH.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'105۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAZRAT MIRZA MAZHAR JAANE JAANAAN RH.ALAIH KA ZOHDO WARA'A ۩
⚄→hamare silsilaye aaliya naqshbandiya ke ek shykh Mirza Mazhar jaane jaanaan rh.alaih ko waqt ke gawarnor ne paigham bheja ke Hazrat! Ap tashreef laiye. Apki khanqah me dur daraz se log fayeda uthane ke liye ate hain. Ham ne fesla kiya hai ke ap ke liye zameen ka ek bada tukda mukhtis kar diya jaye. Hazrat rh.alaih ne jawab bhijwaya ke ALLah rabbul izzat ne is duniya ko Qaleel farmaya. "AP KEH DIJIYE KE DUNIYA KI MATA'A QALEEL HAI." jis poori duniya ko ALLah ne Qaleel kaha‚ us Qaleel me se thoda sa hissa apke akhtiyar me hai‚ is thode se hisse me se ao thoda sa hissa dena chahte hain. To itna thoda lete hue mujhe sharm ati hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'106۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ NEEM ROZ KI HUKMRANI MACHHAR KE PAR SE BHI KAMTAR ۩
⚄→Ek martaba Hakime waqt ne shykh Abdul Qadir jeelani rh.alaih ke naam ek riq'a likha ke ap logon ko ALLah ALLah sikhate hain aur dur daraz se akar log apse Faizyaab hote hain isliye me ne khush hokar apko ilaqa neemroz ka gawarnor bana diya hai. Hazrat ne usi riq'a ki pusht par iska aesa jawab likh kar wapas bheja jo sone ki roshnai se likhne ke Qabil hai. Farmaya: jab se mujhe neem shab ki hukmrani mili hai tab se meri nazron me neemroz ki hukmrani machhar ke par ke barabar bhi nahi hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'107۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAZRAT MOLANA QASIM NANOTVI RH.ALAIH KA ISTIGHNAAYE QALBI ۩
⚄→insan jab istighna ke kaam karta hai to duniya uske piche bhagti hai. Hazrat molana Qasim Nanotvi rh.alaih farmaya karte the ke jo aadmi mujhe mohtaj samajh kar hadiya pesh kare‚ mera dil uska hadiya Qubul karne ko nahi karta. Albatta sunnat samajh kar pesh kare to mai use zarur Qubul karunga.
⚄→ek dafa ek admi ne akar apko hadiya pesh kiya‚ apne mehsus kiya ke ye to ahsan chadha kar hadiya de raha hai chunanche aapne inkar kardiya magar woh bhi piche laga raha ke Hazrat! Qubul lijiye. Hazrat! Qubul lijiye. Hazrat ne 2-4 dafa ke baad usko sakhti se dant diya ke nahi me Qubul nahu karunga jab usne dekha ke chehre par jalal hai to piche hat gaya. Jab masjid se bahar nikalne laga to uski nazar Hazrat ke juton par padi‚ uske dil me khayal aya ke Hazrat jab bahar niklenge to jute pehnenge hi sahi‚ chunanche usne wo paise Hazrat ke juton me rakh diye. Jab Hazrat masjid se bahar nikle aur pair jute me rakha to usme paise the. Apne dekha aur muskura kar farmaya ke ye wahi paise hain jo wo admi hadiye me pesh kar raha tha. Pehle suna karte the aur aj ankhon se dekh liya ke jo insan duniya ko thokar lagata hai duniya uske juton me aya karti hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'108۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAZRAT AQDAS THANVI RH.ALAIH KI HAMIYAT WA QANA'AT ۩
⚄→Hazrat Aqdas thanvi rh.alaih se ek nawab sahab bait hogaye. Bade maal paise wale the‚ us dor me jab ustaad ki tankhwah 5 rupiye maahana hua karti thi usne Hazrat ko 1lakh rupiye bhijwaya. Hazrat ne uske khat ki tehreer se mehsoos kiya ke ye to ahsaan jatla kar pesh kar raha hai‚ Hazrat ne mony order wapas kar diya jab mony order wapas gaya to wo sutputa gaya‚ usne fir khat lika' kehne laga Hazrat! Mene bait hokar apko 1lakh rupiya hadiya pesh kiya. apko aesa mureed aur kahin nahi milega. Hazrat ne khat padha aur jawab me likha ke agar tujh jesa mureed nahi milega to tujhe bhi mujh jesa peer bhi nahi milega. Jo tere laakh rupiye ko thokar mar de.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'109۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ DUNIYA SE BERAGHBATI AUR AHLE DUNIYA SE AHTIYAAT ۩
⚄→Khwaja Ahmad Saeed rh.alaih hamare sisilaye Naqshbandiya ke ek buzurg hain‚ Ap Hazrat Abu Saeed rh.alaih ke bete aur Shah Abdul Ghani ke bhai hain. Shah Abdul Ghani rh.alaih muhaddis hain jo Hazrat Qasim Nanotvi rh.alaih wagera ke ustad kahe jate hain. Jin ka faiz aaj Darul uloom Deoband ki wajah se poori Duniya me fail chuka hai.
⚄→Angrez ke daure Hukumat me khwaja Ahmad Saeed rh.alaih aur Shah Abdul Ghani rh.alaih yahan se hijrat karke Hijaz chale gaye‚ kam o besh 100 admiyon ka Qafila tha‚ wahan gaye to bahot tangi thi‚ Faaqe ho rahe the‚ aurten bhi thin‚ bachhe bhi the‚ us doraan me Shaah Abdul Ghani rh.alaih jo ke Aftab aur maahtab the unke dil me khayal aya ke kyu na ham yahan ke maqaami logon se rabta karen....
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'110۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄→Shah Abdul Ghani ke dil me khayal aya ke kyun na ham yahan ke maqami logon se rabta karen aur unko apni halat batayen taake bachhon ke liye kuch intezam hosake‚ unhone akar bhai Shah Ahmad Saeed rh.alaih se kaha ke mere dil me istarah ka khayal aya hai‚ Hazrat Shah Ahmad Saeed rh.alaih ne ajeeb jawab diya' farmaya: meri halat aesi hai ke jese ek rozadaar ne roza rakha hua hai aur uske aftaar karne me chand mint baqi hain‚ kya aese admi ko kisi wajah se roza todne ka hukm denge‚ chunke Aalim the isliye ilmi andaz me bat kahi‚ wo kehne lage ke agar itna thoda sa waqt baqi hai to roza mukammal karne ka mashwara diya jayega. Farmaya: mera yahi haal hai ke is duniya me rozadar hun‚ ab aftar ka waqt Qareeb hai aur mai ab apni duniya ka roza todna nahi chahta.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'111۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAROON RASHEED KE LADKE KA ZOHDO MUJAAHIDA ۩
⚄→Haroon Rasheed ka ek ladka tha wo ibtidaye jawani se hi bada neko kaar tha aur parhezgar tha‚ uske dil me akhirat ki tayyari ka gham lag gaya tha‚ wo mehfil me rehte hue bhi sada kapde paehenta aur dastarkhwan par khushk roti bhigo kar kha leta tha‚ usko duniya ki rangeeniyon se koi wasta nahi tha‚ goya wo ek darwesh admi tha. Ab log baten banate ke ye pagal hogaya hai‚
⚄→ek din Baadshah ko kuch logon ne bahot hi ziyada ghussa dila diya ke ap uska khayal nahi karte aur usko samjhate nahi' lehaza aap us par zara sakhti karen seedha jojayega‚ usne bachhe ko bula kar kaha ke tumhari wajah se mujhe apne doston me zillat uthani padti hai. Usne kaha Abba jaan! Agar meri wajah se apko zillat uthani padti hai to mujhe aap ijazat dedijiye me ilm hasil karne ke liye pehle bhi kahin jana hi chah raha tha agar aap ijazat den to me wahan chala jata hun...
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
🌹🌹🌹
╓━══════◐◐◑◐◑◑══════━╖
Bismillahirrahmanirraheem
╙━══════◐◐◑◑◐◑══════━╜
❖═══▩★★★۩ ۩★★★▩═══❖
🌹{ROOHANI TADABEER}
BY HAZRAT PEER
ZULFIQAR AHMAD
NAQSHBANDI DB🌹
❖═══▩■■۩PART'112۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄→agar aap ijazat den to mai wahan chala jata hun‚ Baadshaah ne ghusse me akar keh diya ke chale jao‚ chunanche usne tayyari kar li‚ ab Badshaah ne apni Bivi ko bataya lekin us waqt pani sar se guzar chuka tha chunanche bachhe ne kaha ke ab to mai niyat kar chuka hun lehaza ab mai nahi rukunga‚ jab uski walida ne uska pukhta irada dekha to usne use ek kurta aur ek anguthi dedi aur kaha' Beta! Ye 2 chizen apne pas rakhna‚ Qur'an majeed ki tilawat karna aur agar tumhe zarurat pade to anguthi ko istemaal me le ana‚
⚄→Bachhe ne wo dono chizen apni walida se le li aur rukhsat hogaya‚ wo jawan itna khubsurat tha ke log uske chehre ko dekha karte the. Uske samne duniya ki sab nematen mojud thin agar wo chahta to aiyyashi me apna waqt guzaarta‚ agar wo chahta to mehellaat ki sahulat bhari zindagi guzaarta magar nahi' uske dil me ALLah rabbul izzat ki muhabbat thi‚ uske dil me Aakhirat ka khauf tha‚ uske dil me Talabe ilm ka shauq tha. Usne kaha mujhe is duniyawi zindagi ki lazzaten nahi leni mujhe to Dayimi lazzaten hasil karni hain lehaza wo apne mehel ko chod kar chal pada.
★yun waqt ke shahzaadon ne ilm talab karne ke liye mehellat ki zindagi ko bhi laat mardi.★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
◆Part -113◆
©ontinue....
Next time Insha Allah
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
☆☆☆
❖═══▩■■۩PART'113۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ ALLAH HI KAAFI HAI ۩
⚄→"KYA ALLAH TA'ALA APNE BABNDE KE LIYE KAAFI NAHI HAI" Is ayat par ghaur karen ke kitni ajeeb ayat hai. Beshak ALLah rabbul izzat ki zaat aesi zaat hai jo kaafi hai‚ uske aage kisi waseele ya sahare ki zarurat nahi rehti. Is ayat me hamare liye targheeb hai ke ham ALLah ta'ala ko apne liye kaafi samjhen‚ ALLah ko hi apna ma'abood banayen. "(ALLAH MUJHE KAAFI HAI USKE ALAWA KOI MA'ABOOD NAHI)" ALLah ko hi apna sab kuch maan liya to duniya ke banaye hue but dil se khud bakhud nikal jayenge.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
🌹🌹🌹
╓━══════◐◐◑◐◑◑══════━╖
Bismillahirrahmanirraheem
╙━══════◐◐◑◑◐◑══════━╜
❖═══▩★★★۩ ۩★★★▩═══❖
🌹{ROOHANI TADABEER}
BY HAZRAT PEER
ZULFIQAR AHMAD
NAQSHBANDI DB🌹
❖═══▩■■۩PART'114۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ FAAQON KI QADRO
QEEMAT ۩
⚄→ke kisi aadmi ne Hazrat ibraheem rh.alaih se faaqon ki shikayat ki. Hazrat ne farmaya: tujhe faaqon ki Qadro Qeemat ka kya pata' hamse faaqon ki Qadar pooch kar dekh ke hamne ye faaqe Badshaahi dekar khareede hain. Qayamat wale din jab in faaqon aur museebaton par ajar milne lagega to amra bhi tamanna karenge ke kaash hame bhi Deen ki khatir duniya me takaleef ati aur hame bhi aaj ajro sawaab milta. Masaib o takaleef ko mangna nahi chahiye agar ajayen to fir khush dili se bardasht karna chahiye. Isliye ke jo sabr aur tasleem o raza se ye takaleef bardaasht kar lete hain unhen nai nai zindagiyaan naseeb hoti hain.
"KASHTIGAANE KHANJARE TASLEEM RAA
HAR ZAAN AZ GHAIBE JAAN DEEGARE UMMAT"
(Jo log tasleem ke khanjar se Qatl hojate hain‚ unhe ghaib se har lamhe nai zindagi naseeb hoti hai.)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'115۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAMESHA TAWAKKUL RAKHE ۩
⚄→insan ALLah ta'ala par hamesha tawakkul rakhe ye na soche ke mai kya khaunga‚ kahan se khaaung? Wo log jo zohad ikhtiyaar karte hain unhen to sochna chahiye ke hamara kaam Bandagi karna hai aur Raaziq ka kaam Rozi pahochana hai. ALLah ta'ala ke chaahat ko tod dene se pehle behtar hai ke insaan khud hi apni chaahaton ko tod de aur pur sukoon zindagi guzarne ki ibteda kare.
⚄→agar ham apni chahaton aur aarzuon ko nahi todenge fir ALLah Rabbul izzat is tarah chahaton ko todenge ke hosh thikane ajayenge. Iske bar'aks jab insaan khud apni chahaton ko todta hai‚ apni arzuon‚ apni khwahishat ko ALLah ta'ala ki raza ki khatir Qurbaan kardeta hai aur har kaam ALLah ta'ala ki raza aur khushi ke liye karne lagta hai‚ us waqt fir ALLah ta'ala bhi bande ki jayez Duaaon aur chahaton ko pura kardiya karte hain.
"KHUDI KO KAR BULAND ITNA KE HAR TAQDEER SE PEHLE
KHUDA BANDE SE KHUD PUCHE KE BATA TERI RAZA KYA HAI"
❖═══▩■■۩PART'116۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ DUNIYA KI MUHABBAT NIKAALNE KA TAREEQA ۩
⚄→ALLah walon ki nazar me sone aur chandi ki Qeemat me koi farq nahi hota‚ ye dono chizen unke liye mitti ki tarah hoti hain. ALLah wale dil se duniya ki muhabbat nikaal kar ye ahsaas paida kar dete hain ke hame ALLah ke saath ta'alluq mazboot karna hai‚ Dil se duniya ki muhabbat nikaalne ke liye ALLah wale fikre Aakhirat insaan ke dil me paida kar dete hain. Jab fikre Aakhirat ghalba karti hai to muhabbate duniya bahot kam hojati hai aur Aakhir kaar nikal jaati hai. Ye sachhe Peer ki nishani hai ke wo duniya ki muhabbat insaan ke dil se nikaal dete hain.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'117۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ EK WAQIYA ۩
⚄→Hazrat maulana Ahmad lahauri rh.alaih apne Darse Qur'aan me ek Ajeeb Waqiya sunaya karte the. Farmate the ke mai Bazaar ja raha tha mujhe ek Buzurg nazar aaye‚ unke chehre ki Nooraniyat batati thi ke ye koi sahibe nisbat Aadmi hain‚ maine Qareeb hokar Salaam kiya. Unhone mujhse pucha Ahmad Ali insaan kaha rehte hain?? Farmate hain maine ird gird dekha Bazaar Bandon se bhara hua hai. Maine kaha Hazrat ye sab insaan hi to hain ye baat sunkar unhone ajeeb se andaaz me ek nigaah dodaayi aur kehne lage ye sab insaan hain? Unke kehne me koi taaseer aesi thi ke mujh par aesi kefiyat hui ke mujhe Bazaar kutte billi aur janwaron se bhara nazar aaya‚ unme koi koi khuda ka banda tha‚ jab meri ye kefiyat khatam hui wo Buzurg chale gaye the‚ Hazrat ye waqiya Darse Qur'aan me suna kar farmaya karte the:
«ALLAH TO SABKA EK‚ ALLAH KA KOI EK
«HAZAARON ME NA MILEGA‚ LAAKHON ME TU DEKH"
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'118۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄→Toh sachhi baat to yahi hai ke 100 feesad shariat par amal karne wale aaj ke daur me bahut thode log hain‚ daayen baayen Aage peeche jidhar bhi dekho bas khwahishaat ki duniya hai‚ jism budhe horahe hain‚ Aarzuen jawaan horahi hain.
«RAAT DIN HON MAHUTAN AARAI WA TAN PARWARI'
«WAAYE NADAANI ISI KO ZINDAGI SAMJHA HUN MAI'
⚄→aaj kal ki adalaten insaano se bhari hui hain ye is baat ki daleel hai ke dilon me adaawaten bhari hui hain. Jab adawaten dilon me bharti hain tab adalaten insano se bharti hain. Aese waqt me ALLah rabbul izzat ki yaad ke liye waqt farigh karlena ye ALLah rabbul izzat ki badi meherbani hai aur isi me sukoon hai aur isi me dil ka ilaj hai.
★→maqsood ye hai ke ham 2rangi ko chhoden aur yak rangi zindagi ko akhtiyaar karen‚ ye jo ek chehre par ham 2 chehre saja lete hain‚ ye ALLah ta'ala ko bahot napasandeeda hai.
«DO RANGI CHHOD DE YAK RANGI HOJA'
«SARASAR MOM HOJA YA SANG HOJA'.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'119۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ JISM UDHAAR KA MAAL HAI ۩
⚄→ye jism udhaar ka maal hai ye hamari milkiyat nahi hai‚ ye us paida karne wale ki hai‚ maalik wo hai hame kuch der istemal karne ke liye Parwardigaar ne ata farma diya aur jo udhar ke maal par farifta hota fire usi ko pagal aur deewana kehte hain ke udhar ke maal par farifta hua fir raha hai‚ ham is jism ko neki ke kamo me jitna istemal kar sakte hain utna kar len dastur yahi hai agar ghar me istri kharab hojaye aur ham bhai ke ghar se mangayen ke ji hame Daftar jana hai to Bivi ek joda istri nahi karti wo apne bhi kar leti hai bachhon ke bhi karleti hai‚ 2-4 din ke karleti hai ke apni istri aane me time lag jayega to udhar liya hai bar bar maangi bhi nahi jati‚ ab thodi der me jitne kaam nikaal sakte ho nikaal lo‚ jis tarah udhaar ki chiz par log thodi der me zada se zada kaam nikalte hain isi tarah ye jism bhi udhar ka maal hai hame isse bhi zada se zada neki ke kaam lena chahiye.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'120۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ UJR BAAQI REHTA HAI ۩
⚄→Pichle saal aapne jo ibaadaten ki aaj aapko uski takleefen yaad nahi hain. Thakawat yaad nahi hain magar NAAMAYE AAMAL me uska ujr maujud hai‚ to ibadaton ki thakawaten to utar jati hain magar ujr Namaye Aamaal me maujud hua karte hain isliye hame is jism ko khub thakana chahiye‚ momin ko chahiye ke neki karke thake aur thak kar neki kare‚ hamare Akaabir itni ibadat karte the ke jab raat ko bistar par sone ke liye jaate aese paaon uthate the jaise thaka hua oont paaon ghaseet kar chala karta hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'121۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ INSAANI WAJUD KI MISAAL ۩
⚄→insani wajud chakki ke manind hai‚ chakki me gandum pees le to aapne fayeda utha liya aur khali chalti rahegi to Nuqsaan dah‚ ham bhi agar is jism se ibadat karlen to hamne fayeda utha liya warna ye jism bekar raha‚ Baaz Buzurgon ne kaha ke insaani jism Barf ke manind hai‚
⚄→ek Buzurg farmate the ke mujhe ek Barf wale ne sabaq sikha diya unhone ne kaha wo kese? Kehne lage mai Bazar me gaya‚ mene ek Barf wale ko dekha ke uski Barf pighalti ja rahi hai aur khareedne wala koi nahi‚ ab usko pareshani laahaq hai ke agar koi nahi khareedega to Barf pighal jayegi mere paise to zaya hojayenge‚ bil aakhir wo Baazar me khade hokar awaz lagane laga' logon! Rehem karo is shakhs par jiska sarmaya pighal raha hai‚ to ye zindagi bhi sarmaya hai jo pighalti chali jarahi hai.
«HORAHI HAI UMR MISLE BARF KAM'
«RAFTA RAFTA CHUPKE CHUPKE DAM BADAM'.....
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'122۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄→jo din aaj hamari zindagi me ghuroob hua ye laut ke dobara tulu nahi hosakta‚ ye din guzar gaya ab jo din baqi hain wo guzrenge aur Bil aakhir zindagi guzar jayegi insan yahi sochta rehta hai‚ jab puchte hain na ek dusre se sunao ji kya haal hai‚ waqt achha guzar raha hai? Ham yahi kehte hain ke waqt achha guzar raha hai aur maut ke waqt pata chalega ke waqt ne to kya guzarna tha mai khud hi guzar gaya‚ ham jaise kai aaye aur guzar gaye isliye kisi Aarif ne kaha ke bekaar insaan se to murda ziyada behtar hai isliye ke murda kam jagah gherta hai aur bekaar insaan ziyada jagah gherta hai.
⚄→aapne dekha hoga ke jo paani khada hota hai usme keede janm lete hain. Jis tarah khade pani ke andar keede janm le lete hain usi tarah faarigh zehen ke andar mazmoom khayalat janm le lete hain‚ jo shakhs apne dilo dimagh ko ALLah ki taraf mutawajjah nahi rakhega shaitani‚ shehwani‚ nafsaani khayalaat khud bakhud uske zehen me ayenge.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'123۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ ALLAH WALON NE WAQT KESE GUZARE? ۩
⚄→Hamare akabir ne zindagi ki Haqeeqat ko samjha aur unhone apne jism ko ibadaton me khoob thakaya Nabi صلی اللہ علیہ وسلم itni ibadat farmate the Hadees paak me aata hai ke “
"Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ke Qadmen mubarak ke upar waram ajaya karta tha" paaon mubarak sooj jaya karte the itni ibadat karte the.
⚄1→ imame Aazam Abu Haneefa rh.alaih ke baare me likha hai ke Ramzanul Mubarak me ek Qur'aan paak din me Tilawat karte aur ek Qur'aan paak raat me Tilawat karte aur 3 Qur'aan paak Taraweeh me pura karte to Total unke 63 Qur'aan paak hojate the.
⚄2→ ek Buzurg the unki 80 saal umr thi aur 80 saal ki umr me wo rozana 70 martaba Ka'abatullaah ka Tawaf kiya karte the‚ ek Tawaf ke 7 chakkar hain to 70 Tawaf ke 490 chakkar aur har Tawaf ki 2 raka'at Wajibuttawaf‚ inko 70 se zarb do to 140 to Naflen hogain aur ye unki zindagi ka ek amal tha Baaqi aamaal aur mamulaat iske alawa hua karte the.
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'124۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄3→ imam Abu Yusuf rh.alaih waqt ke cheef justis the. Aalime islaam ke apne zamane me sab se bade Qaazi the‚ wo saara din Deen ka kaam karte jab raat hoti to har raat me 200 Raka'at Nafil parha karte the itne masroof Bande aur raat ko itni ALLah ta'ala ki ibadat karte‚ unhone Deen ke liye apni zindagiyan khub guzari.
⚄4→ chunanche hamare ek Buzurg guzre hain Khwaja Fazal Ali Quraishi rh.alaih wo khud farmaya karte the ke mai wuzu karke apni zameen me kaam karne ke liye nikalta tha aur zaban se ALLah ka zikr bhi karta tha‚ har roz 70‚000 martaba "isme-Zaat" ka zikr karne ka mera ma'amool hua karta tha. Hamare liye ek Tasbeeh padhna SUBHAAN-ALLAH ki mushkil hoti hai‚ chunanche kitne log hain‚ rozana 10‚000 martaba KALMAYE TAOYYIBA ka zikr karte hain.
⚄5→ Laahor me ek Aalim silsila me dakhil hue to unhone subah ke naashte ke liye Dawat di kehne lage ke Hazrat mere Walid Aashiqe Qur'aan the‚ hamne unse kaha ke bhai ab hame naashte me itni dilchaspi nahi rahi‚ unke haalat sunne me dilchaspi ziyada hogai hai‚ aap hame apne Walid ke Waqiyat sunayen....
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'125۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄→aap hame apne Walid ke waqiyaat sunayen wo kehne lage ke ji ek waqiya sunaata hun‚ mere Walid ko kisi Buzurg ne bata diya ke agar 2 saal tak rozana ek Qur'aan Majeed ki Tilawat karoge to Qur'aan Majeed ka Faiz tumhari ayinda Nasal me jaari hojayega‚ mere walid sahab ne iska irada kar liya aur roz Qur'aan Paak padhne ka mamul bana liya ek Qur'aan paak rozana padhna. Sardi‚ Garmi‚ Khushi‚ Ghami‚ Sehat‚ Bimari‚ Des‚ Pardes har haal me unhone rozana ek Qur'aan Majeed parha‚ hatta ke 2 saal mukammal hue‚
⚄→ iska natija ye hua ke mere walid ke jitne bete aur jitni betiyan unke aage jitne bete betiyan 10 saal se upar ki umr ke sab ke sab Qur'aan Paak ke Hafiz hain‚ mere Walid ki nasal me Nareena aulad ya maadeena aulaad hamare khandaan ka 10 saal ke upar ka har bachha Qur'aan paak ka hafiz hai ALLahu Akbar ye log abhi zinda hain‚ fot shuda logon ki baten nahi kar raha‚ agar ye log aaj ke is daur me itni ALLah ta'ala ki ibadat karsakte hain to kya ham rozana ek paare ki tilawat nahi kar sakte.
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'126۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄6→ hamare qareebi rishtedaron me se ek BuZurg the‚ Aalim the‚ wo kehne lage jab mai apne Hazrat se Bait hua to unhone mujhe ek Qur'aan Paak rozana Tilawat ka hukm diya khud mujhe farmane lage ke is waqt mujhe Bait hue 43 saal ka arsa guzar chuka hai in 43 saalon me ek din meri Tilawat Qaza nahi hui‚
⚄→agar ye log aese amaal naame le kar ALLah ke Huzoor pesh honge ke 43 saal me ek din bhi Qur'aan Paak ka ek paara parhna isme naagha nahi hua to fir sochen ke ham us din kya karenge?? Karne wale aaj ke daur me bahot kuch karrahe hain‚ hamne to dekha Huffaaz ko bhi Ramzaani Hafiz bas Ramzaan aya to din raat bhag daud karke kuch karliya aur uske baad unme aur Aam naujawano me koi farq nahi.
⚄7→ hamare ek Qareebi ta'alluq wale ek Dost hain. Unki walida saheba Qur'aan Majeed ki Hafiz hain ALLah ta'ala ki shaan unko Qur'aan Majeed istarah yaad hai ke jis tarah aam logon ko soore fatiha yaad hoti hai‚ jab chahen jis waqt chahen jahan se puchen ek lafz bolen wo usi ke aage se parhna shuru kardeti hain‚ ALLah teri shaan wo hairan hoti hain ke kya Hafize Qur'aan bhi bhulte hain aur waqai jo mehnat karte hain‚ ALLah rabbul izzat unko nemat ata farmate hain.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'127۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ AAJ BHI KESE KESE MAUJUD HAIN ۩
⚄→Hame ek dafa miri jaane ka ittefaq hua‚ Ramzanul Mubarak me to ek jagah ham ne Taraweeh parhi ek ajeeb bat suni wo kehne lage ke is Musalle par jo Qurra sunate hain‚ wo bade chune hue hote hain‚ magar khas bat ye hai ke 36 saal me yahan Taraweeh parhane wale kisi Hafiz ko ek martaba bhi luqma lena nahi pada‚ ALLahu Akbar! To aaj ke daur me agar aese log maujud hain to ham kyun Qur'aan Majeed ko achhi tarah nahi padhte hain‚
⚄→ye faqat ahemiyat hai‚ waqt intezar nahi karta kisi ka‚ to jab ye jism udhar ka maal hai‚ hame chahiye ke ham isse jitna ziyada ibadat karsaken. Neki karsaken‚ makhlooqe khuda ki khidmat karsaken‚ Deen ka kaam karsaken‚ ham isko khub ALLah ke Deen ke liye thakayen‚ farigh rehna khushi ki baat nahi hai. Adeemul fursat hojana ye khushi ki baat hai‚ fursat hi na mile itna Deen ke kaam me insaan lag jaye.
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'128۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄1→ek sahab chand din pehle milne ke liye aaye 16 saal se SAAYEMUD DAHAR the‚ 16 sal se mutwatar roze ki halat me zindagi guzaar rahe the.
⚄2→hamare ek Qari sahab jinko hamare baaz Doston ne dekha hoga‚ is saal ijazat bhi di‚ khilafat bhi di‚ chitraal ke the‚ ALHAMDULILLAAH unki zindagi ke is waqt 23 saal guzar chuke hain‘ ek din roza ek din aftaar‚ 23 saal is tarteeb par wo zindagi guzaar chuke hain‚ to bhai agar aj ke daur me aese log zinda maujud hain‚ jo ALLah ke liye ye kuch karte hain to kya 10 din ham ALLah ta'ala ki khub ji bhar ke ibadat nahi kar sakte.....
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'129۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ WAQT KI QADAR KAREN ۩
⚄→Hamare mashaikh ne farmaya waqt jo hai wo sone ki dilliyon ki manind hai istemaal karlo to chaandi banalo aur ziyada ikhlaas ke sath karo to sone ki dilli banegi aur agar istemal nahi karoge to mitti ke dhele ke manind guzar jayega. Balke Baaz Buzurgon ne to yun kaha ke waqt ek kaatne wali Talwaar hai‚
⚄→imam Shafai rh.alaih farmate the ke mujhe sufiya ki 2 baton se bahot fayeda hua‚ ek bat to ye ke waqt ek kaatne wali Talwar hai agar tum ise nahi kaatoge to ye tumhe kaat kar rakh degi. Aur dusra farmaya karte the ke ye baat mujhe bahot achhi lagti hai ke agar tum Nafs ko Haqq me mashghul nahi karoge to Nafs tumhe Baatil me mashghul kardega‚
⚄→to baat bilkul sachhi hai ham Nafs ko paalne me mashghul hain aur Nafs hame Jahannum me dhakka dene me mashghul hai‚ baharhaal jitna bhi waqt hai hamara wo Taye shuda hai.
AYE SHAMA'A TERI UMR TABIYI HAI EK RAAT‚
HANS KAR GUZAARDE YA ISE RO KAR GUZARDE‚
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'130۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAQEEQI ZINDAGI KON SI ?? ۩
⚄→is hamari zindagi ke auqaat me jo yaade ilaahi me waqt guzar raha hai ye to zindagi hai aur baqi sari ki sari sharmindagi‚ ek bade Miyaa se kisi ne pucha ke bade Miyaa umr kitni?? Kehne lage 15 saal usne kaha kyun jawaan banne ka ziyada hi shauq hai ke 15 saal keh rahe ho‚ kehne lage nahi bhai jabse Tauba karke ALLah se sulaah ki hai 15 saal guzre hain‚ ye meri zindagi hai aur isse pehle wali saari sharmindagi hai.
MERI ZEEST KA HAAL KYA PUCHTE HO
BUDHAAPA NA BACHPAN NA MERI JAWAANI
JO CHAND SA'ATEN YAADE DILBAR ME GUZREEN
WAHI SA'ATEN HAIN MERI ZINDAGANI
⚄→Jo chand sa'aten ALLah ta'ala ki yaad me guzar gain wo meri zindagi hai aur baaqi saari ki saari sharmindagi hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'131۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ AAKHIRAT KI TAIYYARI KI FIKR ۩
⚄1→ ek Buzurg guzre hain Uwais Qarni rh.alaih‚ Qarn ek Qabeela tha uske rehne waale the‚ ye Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ke daur me the walida ki khidmat karte the‚ unse ijazat lekar Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ke Deedar ke liye haazir hue‚ magar ALLah ke mehboob safar par ja chuke the‚ peeche walida akeli thin. Beemar thin‚ isliye waise hi wapas agaye‚
⚄→jab Nabi صلی اللہ علیہ وسلم tashreef laaye aur Aap ko pata chala to mo'atbar kitabon me likha hai ke Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ne apna Jubba Hazrat Umar rz.anhu ko diya aur kaha ke etum unki talash karna falaan jagah‚ nishaniyan batain ke waha tumhe milenge aur unko meri taraf se ye Jubba hadiya pesh karna aur unko kehna ke wo meri ummat ke liye maghfirat ki Dua karen...
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'132۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄→chunanche kuch arsa ke baad Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ka wisaal hogaya to baad me Hazrat Umar rz.anhu aur Hazrat Ali rz.anhu ye dono Hazraat unki talash me gaye‚ unko ek jagah paa liya unko jubba bhi diya unko bataya bhi‚ Sahee kitabon me likha hai ke bas thodi si guftugu aapas me hui uske baad Uwes Qarni rh.alaih ne kaha ke aapne bhi Aakhirat ki taiyyari karni hogi aur maine bhi Aakhirat ki taiyyari karni hai‚ achha fir Roze Mehshar ko milenge‚ unko rukhsat kardiya.
⚄2→ hamare ek Buzurg guzre hain‚ Hazrat Maulana Husain Ali waan bichraan wale‚ unke baare me bhi yahi hai‚ koi bhi milne aata thodi der usse guftugu karte jo kaam ki guftugu thi aur guftugu karne ke baad kehte' bhai aapne bhi Aakhirat ki taiyyari karni hai aur mai ne bhi taiyyari karni hai‚ achha fir milenge faarigh kardete the‚
★ye kese log the har din apni Aakhirat ki taiyyari me lage hue the.★
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'133۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄3→ chunanche ek aadmi ne Raabi'a Basriya rh.alaih se Dua karwani thi kisi pareshaani me fansa hua tha wo kehte hain‚ mai fajr ke baad gaya milne ke liye to wo naflen padh rahi thin‚ mai ne kaha zohar ke baad sahi fir gaya to naflen padh rahi thin‚ maine kaha Asir ke baar sahi Asir baad gaya to Tilawate Qur'aan kar rahi thin‚ ke maghrib baad sahi to fir naflen padh rahi thin‚ kehne lage isha ke baad sahi ishaa ke baad bhi unhone nafil ki niyat baandhi aur puri hi nahi kar rahi thin‚
⚄→Hatta ke isi tarah unhone puri raat guzaardi‚ fajir ka waqt agaya to fajir parhi‚ me fajir padh kar fir jaldi gaya to kehne lage ke fajir ke baad ishraq padh kar thodi der unki aankh lag gai jab mai waha pahucha to mere paon ki awaz sunkar unki aankh khuli to wo aese achanak uth baithin jaise koi banda bada late hojata hai aur jana hota hai kahin aese uth baithin aur Dua mangne lagin: "Aye ALLah! Me aesi aankh se teri panah mangti hun jo nind se bharti hi nahi hai"
⚄→ab bataiye ke thoda sa hissa din ka sone me guzaara aur us par bhi astaghfaar kar rahi hain.
♥SUBHAAN ALLAH♥
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'134۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ JANNATIYON KI HASRAT ۩
⚄→Jab koi khushi ki baat aati hai na to gham ki baat bhul jate hain‚ jab bhi khushi hoti hai bande ko to gham bhul jate hain‚ pakki bat hai jannat me jane se badh kar bhi koi khushi hosakti hai? Nahi hosakti isiliye jannati jab jannat me jayenge to kahenge:
الحمداللہ الذی اذھب عنا الـــــــحــــــزن
Hamse wo gham chala gaya aur jannat me kitni khushi hogi ke insaan ALLah ta'ala ka deedar karega Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ka deedar karega nekon ki mehfil hogi aur ye khushi hogi ke ab ye nematen hamse kabhi wapas nahi li jayengi‚
⚄→is khushi ke haal me bhi bande ko ek hasrat rahegi Hadees pak me ata hai Hazrat Shekhul Hadees Maulana muhammad Zakariya rh.alaih ne Fazaile zikr me ye Hadees hai wo farmate hain: ahle jannat ko kisi bat par hasrat nahi hogi siwaye ek bat ke ke wo waqt jo unhone duniya me ALLh ki yad ke baghair yani ghaflat me guzara tha‚ jannatiyon ko ghaflat me guzre hue us waqt par hasrat hua karegi" ke kaash ham isme ghaflat na karte to aaj hamare darje itne ziyada buland hote‚
★ab batao jo hasrat jannat me bhi jaan na chhoregi wo kesi badi hasrat hogi‚ to isliye apne waqt ko ALLah ta'ala ki yaad se ma'amoor karlijiye.★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'135۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ 5 CHIZON KI QADAR KAREN ۩
⚄→Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: paanch(5) ko paanch se ghanimat samjho.
⚄1→ zindagi ko ghanimat samjho maut se pehle
⚄→fursat ko ghanimat samjho mashghuli se pehle
⚄→jawani ko ghanimat samjho budhape se pehle
⚄→maal ko ghanimat samjho faqr(faqeeri) se pehle
⚄→aur sehat ko ghanimat samjho bimari se pehle
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'136۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄→ek aur Hadees pak me Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ne irshad farmaya: "2 nemat aesi hain jinme aksar log dhoka khaye hue hain."
⚄1→sehat
⚄2→fursat
⚄→hadees pak me ye mazmun aya to hame chahiye ke ham apne waqt ki qadar karen jo Parwardigar ne hame inaam ke taur par ata famaya‚ kisi shayar ne kaha:
NOOR ME HO YA NAAR ME REHNA
HAR JAGAH ZIKRE YAAR ME REHNA
CHAND DHOKE KHIZAN KE BAS SEH LO
FIR HAMESHA BAHAAR ME REHNA....
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'137۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄→bas ye chand din mehnat karke guzaaren fir iski barkaten aap aankhon se dekhenge insha Allah‚ aaj jis chiz ki kami hai hamare andar wo ye ke ham sunte to hain lekin sun sun kar sunn hojate hain‚ amal nahi karte to sunna aur sunkar amal karna ye aaj waqt ki zarurat hai.
⚄→Nabi صلی اللہ علیہ وسلم is baat par sahabae kiraam se bait liya karte the ke tum jo sunoge uspar amal karoge ispar mere hathon par bait karo‚ ALLahu Akbar! Isliye jo log sunte hain aur amal karte hain ALLah ta'ala aese logon ko pasand farmate hain: To sunne ki niyat yani amal ki niyat se baith kar sunenge‚ ek jagah irahad farmaya: "ISME NISHANI HAI US QAUM KE LIYE JO SUNTE HAIN" aur ek jagah farmaya: "AGAR ALLAH UNKE SATH KHAIR KA IRADA KARTA TO UNKI BAAT SUNWA DETA" isliye har banda baat nahi suna karta....
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'138۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄→Hamre Hazrat rh.alaih majma ko farmate the oho! Sun rahe ho fir farmaya karte the tum nahi sun rahe ho‚ to waqayi sunne ka bhi apna darja hota hai‚ jahannami jahannam me jayenge to farishte unse puchenge ke tum log kyu jahannam me aaye tumhe koi samjhane wala nhi tha? To jahannami aage se jawab denge: aye kaash! Agar ham sun lete ya hamare andar aqal ki ratti hoti to ham dozakh walon me se na hote" to isliye imaan wale sunte hain aur apni aqal samajh se usko sochte hain aur usko amli jama pehnate hain‚
⚄→aj kal to insaan apne zameer ki awaz khud nahi sunta‚ jab koi insaan gunaah karta hai to ALLah ta'ala ne uske andar ek zameer ki nemat banai hai wo zameer cheekhta hai chillata hai wo malaamat karta hai batata hai‚ kai nahi sunte suni ansuni kardete hain‚
⚄→halanke wo hamara sachha sathi hai‚ kabhi kabhi insaan apne aap ko zameer ki adalat me katehre me khada karke apne baare me raaye le ke mai kya hun? Bilkul sahi fesla milega‚ isliye kehte hain apne aap ki haqeeqat maloom karni ho to apni haqeeqat apne dil se pucho‚ Dil wo gawah hai jo kabhi rishwat Qubool nahi karta sachhi gawahi deta hai‚ Dil hamesha batayega ke tum kitne pani me ho‚ Duniya ke samne ham jo bante firen.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'139۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ AAJ KE DAUR KI 5 KHAMIYAN ۩
⚄→Aaj ke zamane me 5 khamiyan aam hain:
⚄1→ pehli bat ke ham ilm to hasil kar lete hain Amal me utni koshish nahi karte‚ isliye jisse baat karo wo kehta hai ji mujhe pata hai‚ bhai jante to sab hain. ALLah ta'ala to ye dekhte hain ke maante kitna hain? Agar sirf ilm ke upar maghfirat honi hoti to shaitaan ki to hamse pehle hojati‚ uske ilm me to hame koi shak nahi hai to sirf ilm ke upar maghfirat nahi hogi‚ jis tarah chiraagh jalaaye baghair fayeda nahi deta usi tarah ilm amal ke baghair fayeda nahi deta.
⚄2→Dusri bat ke ham ALLah ta'ala ki nematen to maangte hain istemal bhi karte hain magar in nematon ka shukr ada nahi karte‚ hamare upar ALLah ta'ala anginat nematen bhejte hain. Agar tum ALLah ta'ala ki nematon ko ginna chaho tum shumaar bhi nahi kar sakte‚ itni anginat nematen hain magar ham ALLah ta'ala ka shukr ada nahi karte‚ koi sharbat pila de to uska bhi shukriya aur jo Parwardigaar dastar khwan par itni nematen khilata hai‚ pait bhar kar uthne ke bad khane ki Dua bhi yaad nahi rehti‚ isliye ek Buzurg farmate the‚ aye dost ALLah ta'ala ki nematen kha kha kar tere dant to ghis gaye‚ uska shukr ada karte hue teri zaban to nahi ghisi.
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'140۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄3→ teesri baat ke ham gunaah kar baithte hain magar astaghfaar nahi karte‚ baaz to is wajah se ke wo sochte hain karlenge yaani niyat hoti hai‚ gunah chhodne ki magar kehte hain haan abhi chhodenge‚ akmaalush-shiyam me ajeeb baat likhi hai wo farmate hain aye Dost tera tauba ki ummeed par gunaah karte rehna aur zindagi ki ummeed par tauba ko muakkhir karte rehna teri aqal ka chiragh gul hone ki daleel hai‚ Rabi'a Basriya farmaya karti thin ke ham log jo astaghfar karte hain itni ghaflat se ke astaghfaar par astaghfaar karne ki zarurat hai.
⚄4→ baat ye ke ham maiyyat ko to dafan karte hain magar ibrat nahi pakadte‚ ek sahab ajeeb waqiya sunane lage kaehne lage mere hamsaya me ek sahab the unki wafat hogai to hame bhi sadma hua to mai ne apne ghar me bachhon ko bata diya ke bhai ab kam az kam ek mahina T.V nahi hona chahiye kyunki hamare samne wale padosi se hamara itna achha ta'alluq hai to unko itna sadma hua aur unke walid jawanul umr the aur achha karobar tha to mere ghar ke bivi bachhon ne mere sath wada karliya ke ham 40 din tak T.V ko on nahi karenge.....
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'141۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄→mere ghar ke bivi bachhon ne mere sath wada karliya ke ham 40 din tak T.V ko on nahi karenge‚ kehne lage chautha(4th) din guzra to jis ghar me wafat hui thi us ghar me T.V ki awaz arahi thi‚ iska matlab ye hai ke un bachhon ne Baap ko dafan to kiya ibrat nahi pakdi to ham maiyyat ko dafan to karte hain ibrat nahi pakadte ke hamne bhi aana hai‚
⚄→Hasan Basri rh.alaih ke bare me aata hai ke Qabrastaan jane ke baad is qadar un par gham Taari hota tha ke kai martaba jis 4paai par murde ko lejaya jata us 4paai par unko lita kar wapas laya karte the aesi halat hojati thi‚
⚄→Allama Abdul wahaab She'araani Rh.alaih ki kitabon me likha hai ke Salfe Saaliheen jab janaze ko lekar chalte the to janaze ke piche har bande ki aankh se aansu tapakte the‚ bahar wale bande ke liye pehchaanna mushkil hojata tha ke janaze ka wali kon hai‚ maut ko yad karke sare rote nazar arahe hote the‚ Aakhirat ko yaad karke gunahon ko yad karke wo janaze se ibrat pakadte the.
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'142۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.5 ↴ ↴
★WAQT KI QADAR KIJIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄→aur Paanchwi cheez ke aj ke daur me Dost ahbaab Fuqra ki naseehat to sunte hain‚ uski perwi nahi karte‚ bas sunne tak hi kaam rakhte hain aur fir apas me taqabul karte hain‚ ye ek nayi museebat ke falan ka bayan aesa hota hai aur falaan ka aesa hota hai. O! Khuda ke bande bajaye iske ke ham isme paden ham ye kyu nahi sochte jo hame bataya gaya hai usme hamare liye amal ka kya paigham diya hai.
FIKRE DUNIYA KARKE DEKHI FIKRE UQBAA KARKE DEKH
CHHOR KAR AB FIKR SAARE ZIKRE MAULA KARKE DEKH
KON KISKE KAAM AYA KON KISKA HAI BANA
SABKO APNA KARKE DEKHA AB RAB KO APNA KARKE DEKH
⚄→bade duniya se dil lagaye ab baqi dino me Rab se dil laga ke dekhen ke Wo Parwardigar kitni meherbaniyan farmata hai‚ insha Allah ham Aadab ke sath waqt guzarenge to Rab kareem ham par meherbani farmayenge‚ Rab kareem ham aap sabka yahan hazir hona qubool farmayen.
Aameen
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'143۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ KHUSHU KA MATLAB ۩
⚄→Lughat me khushu ke maani sukoon‚ Tawaza‚ khauf aur tazallul ke hain.
Muhaqqiq ulama ne khushu ki tareefen mukhtalif alfaz me bayan ki hain‚ Baaz ne kaha: "khushu intehai tazallul‚ khauf aur Aaza ke sukoon ko kehte hain."
⚄→Hazrat Qatada rh.alaih kehte hain ke "Dil ka khushu ALLah ka khauf hai aur nigaah ko nicha rakhna hai."
Mujahid kehte hain: "khushu Aankhen nichi karke aajizi se jhukne ko kehte hain."
⚄→Hazrat Ali rz.anhu farmate hain: "har taraf se tawajjah ka hatana khushu hai."
Ibne Abbas rz.anhu farmate hain: "khushu karne wale wo hain jo ALLah se darne wale hain aur namaz me sukoon karne wale hain."
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'144۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ KHASHIYAT KHUSHU PAIDA KARTI HAI۩
⚄→khushu ka sahi maane ye bana ke ALLah ta'ala ki narazgi se dar kar gunahon ko chhorne wale mard aur chhorne wali aurten‚ isliye baaz mufassireen ne khushu ka lafzi tarjama khauf bhi diya hai. Yaani ALLah rabbul izzat ki azmat aur jalal ki wajah se insan ke dil ka hebat zada hojana aur uska gunahon se hat jana‚ hukme khuda ko torne se hat jana isko khushu kehte hain aur ye shan faqat ALLah rabbul izzat hi ki hai ke insaan usse is tarah dare.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'145۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ HUZUN AUR KHAUF ME FARQ ۩
⚄→ 2Alfaz hain huzun aur khauf. Khauf kehte hain dar ko. Dar 2 tarah ka hota hai‚ Andruni aur Beruni. Andar ke dar ko huzun kehte hain aur bahar ke dar ko khauf kehte hain‚ jab bhi kisi beruni chizon ka dar hoga to use khauf kahenge aur jab andar ka koi gham‚ rog ya koi masla hoga to use huzun kahenge. Isiliye jannati jab tak jannat me dakhil nahi honge to unke dil me fikar hogi ke pata nahi banega kyA? Aur dakhil hote hi kahenge.
"ALHAMDULILLAAHIL LAZEE AZHABA ANNAL HAZAN"
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'146۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
⚄→jab wo huzun chala jayega dil ka gham chala jayega to sukoon hojayega. Khauf aam taur par saza aur azab ke bare me istemal hota hai. Maslan...↓
★khauf saanp se‚ ke dans na le.
★khauf chor se‚ ke maal na hamse chheen le.
★khauf Qatil se‚ ke hame Qatal na karde.
⚄→to beruni jitne bhi anasir hain unse jab takleef pahuchne ka dar hota hai to usko dar kehte hain. Momin ko ALLah ta'ala se bhi khauf ata hai isliye ke wo khaliq hai aur ham makhluq hain aur wo Aqa hai ham uske bande hain iske bawajud ham kotahiyan karte hain‚ manmaniyan karte hain.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'147۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ ALLAH TA'ALA KA IZHARE TA'ASSUF ۩
⚄→ALLah ta'ala ne manmaniyan karne walon se inteqam lene ka hukm diya hai.
⚄→ek jagah ALLah ta'ala irshad farmate hain: "HAM MUJRIMON SE INTEQAM LENGE"
®→Hameem sajda:22
TO ye kotahiyon par‚ ghaflton par‚ aur gunahon par azab hone ka dar hai isko khauf kehte hain. Iski misal yu samajhiye jaise→ bachhe se koi qeemti bartan tut jaye to wo kamre me chup kar betha hota hai‚ magar usko dar hota hai ke Ammi ko pata chalega to mujhe thappad lagenge aur Abbu ko pata chalega to jute lagenge.
⚄→to uske dil me khauf hota hai‚ wo dar raha hota hai aur dar ki simt me kya chiz ghalib hoti hai? Saza ka dar ghalib hota Hai ke mujhe saza milegi isiliye isko khauf kehte hain. Jab kisi bande ko apne gunqhon ki bina par ALLah ke samne pesh hone se dar lage to isko khauf kehte hain.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'148۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ 2 GUNE AJAR KA WADA ۩
⚄→Dil me ALLah ka khauf hona bhi ibadat hai aur is par 2 guna ajar milta hai.
Allah ta'ala ne faemaya: "JO APNE RAB KE SAMNE KHADA HONE SE DARA‚ USKE LIYE 2 JANNATEN HAIN."
®→Arrahman:46
⚄→aaj duniya‚ ghar me 2 ghar banati hai‚ ek ahle khana ke liye aur ek mehman khana. to khane 2 hue‚ ahle khana ke liye aur fir mehman ke liye. Aese hi ALLah ta'ala usko jannat me itna bada ghar denge ke ek hoga ghar uske ahle khana ke liye aur dusra uske mehmano ke liye. Ye nahi hoga ke pehle is mohalle me rahega aur fir dusre mohalle me jakar rahega. 2 ghar milenge.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'149۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ KHASHIYAT KISE KEHTE HAIN? ۩
⚄→khashiyat ka lafzi tarjama bhi darna hai lekin is dar ki noaiyyat aur hoti hai. khauf ki noiyyat hoti hai saza mikne ki aur khashiyat ki noiyyat hoti hai kisi ke ruth jane ki. Jaise bivi darti hai apne khawind se magar kyun?? Isliye nahi ke agar me ne waqt par khana na banaya to mere akar jute lagayega. Nahi balke wo darti hai ke mind karega‚ mere sath uska jo muhabbat ka talluq hai wo nahi rahega. To is muhabbat ki bina par khawind ki narazgi ka usko jo dar hota hai usko khashiyyat kehte hain.
⚄→ab dekhen! Ek bahut hi kaali kaluti badsurat shakal ki bhi koi aurat hai‚ usko badshah ne apne mehel me rakhliya. Ab uski tawaqqaat se badh kar usko jagah mil gai ke ye to sochti thi ke me to logon ke gharon ke baitulkhala dhone ke qabil thi lekin badshah ne use apne mehel me safai ke liye rakh liya‚ khwab gah ki sajawat banawat ke liye rakh liya lehaza ab ye dil ke andar sehmi rahegi....
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'150۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
⚄→Lehaza ab ye dil ke andar sehmi rahegi ke kahi mujhse koi ghalti na ho jaye! Kahin badshah meri chhutti na karwade! Ab dar usko bhi lag gaya magar dar me usko saza milne ka pehlu ghalib nahi balke uske dil me yahi khauf hai ke me to kisi qabil na thi aur badshah ne mujhe apni khidmat ke liye chun liya to kisi amal ki wajah se kahin mehroom na ho jaun. Badshah se dur na hojaun isko khashiyat kehte hain.
⚄→ ALLah ta'al irshad farmate hai.
"BESHAK JO ULAMA HOTE HAIN WAHI ALLAH SE DARTE HAIN"
Magar is dar me konsa pehlu ghalib hota hai? Allah ke ruth jane ka. Ulama ke dil me to har waqt ye gham aur dar laga rehta hai ke koi amal hamse aesa na ho ke hamare malik hamse ruth jayen. Isko khashiyat kehte hain.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
◆Part -151◆
©ontinue....
Next time Insha Allah
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
☆☆
No comments:
Post a Comment