▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL✦
PART— 65
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ - Haiz V Nifaas - ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 1- Haiz ki Tareef ,
ⓢ Haiz kise kehte hai’n ?
★• Sahatmand balig gair haamla Aurat ko har maah aage ki raah se Jo mamuli khoon aata he, use haiz kehte hai’n,
☞ 2- Nifaas ki tareef ,
ⓢ Nifaas kise kehte hai’n?
★• Bachcha paida hone ke baad aage ki raah se Jo khoon aata he, use nifaas kehte hai’n,
☞ 3- Isthaza ki Tareef ,
ⓢ Isthaza kise kehte hai’n ?
★• Isthaza us khoon ko kehte hai’n Jo haiz v nifaas ki bayaan kardah tareef ke khilaf aaye,
Maslan- haiz me 3 din se kam aur 10 din se zyada aane wala khoon haiz nahi isthaza he,
Aur nifaas me 40 roz se zyada aane wala khoon isthaza he,
☞ 4- Muddate Haiz ,
ⓢ Haiz ki muddat kya he?
★• Kam se kam haiz ki muddat 3 din raat he aur zyada se zyada 10 din raat he,
★•aur haiz ke darmiyan Aurat kam se kam 15 din paak rehti he yani ek haiz ke baad kam se kam 15 din tak doosra haiz nahi aata aur zyada se zyada paak rehne ki koi had muqarrar nahi he, mumkin he k kisi Aurat ko saari zindgi hi haiz na aaye,
☞ 5- Muddate Nifaas ,
ⓢ Nifaas ki muddat kitni he?
★• Zyada se zyada nifaas ki muddat 40 Din he aur kam ki koi had nahi chahe kuchh der khoon aakar band ho jaye to bhi woh nifaas he aur ye bhi mumkin he k kisi Aurat ko bilkul hi nifaas na aaye,
Masaile Gusl,,, 17
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 6- Nifas aur Haiz ke darmiyan Paaki ki Muddat ,
ⓢ Nifaas aur Haiz ke darmiyan paaki ki muddat kitni he?
★• Haiz aur Nifas ke darmiyan paaki ki muddat kam se kam 15 din he,
Masail e Gusl,, 29
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 7 - Halate Haiz me Zikr aur Tasbeeh aur Ha’iza per dam ,
ⓢ Aurat Halate haiz me zikr aur tasbeeh vagera kar sakti he ya nahi??
ⓢ Haiz ya nifaas wali aurat per Qurane paak pad kar dam karna jaa’iz he ya nahi?
★• Halate haiz me Tilawate Quran ke Siva har qism ka zikr jaa’iz he, Quran ki aayat bhi dua ki niyat se padna jaa’iz he,
★• Dam karna Jaa’iz he,
Ahsanul Fatawa,, 2/27
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 08- Ayyame Aadat ke Baad Khoon aana ●
ⓢ Ek Aurat ki Aadat mustmarah ye he k har mahine 5 roz haiz aata he, kabhi kabhi Chhate din bhi aa jata he, kabhi to yaha'n tak nobat aati he k naha dhokar 2-3 Namaze padti he fir khoon aa jata he, iska kya hukm he??
★ 5 Din guzarne ke baad jab khoon band ho jaye to namaz ke akhir waqt me gusl karke namaz pade fir agar khoon aa jaye to namaz chhod de,
Ahsanul Fatawa,, 2/68
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 10- Ayyam ke Dauraan Shohar ka Bivi ko Haath lagana
ⓢ Kya Maahwari me Shohar apni Bivi se Hambistari ya Ghutno se Zere Naaf ke hisse ko Haath laga sakta he??
★ Khaas Ayyam ki haalat me hambistari sakht haraam he, balki naaf se lekar ghutno tak hissa v badan ko shohar ka haath lagana aur mas karna bhi bager parda jaa'iz nahi,
Aapke masail aur unka Hal,, 2/ 68
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 11- Napaaki ke Ayyam me Qurane Paak Yaad karna ◆
★ Quran sharif hifz karne ke dauran napaaki ki haalat me kisi pen vagerah ki madad se Qurane paak ke safe palat kar yaad karna jaa'iz he ya nahi??
★ Aurto'n ko khaas Ayyam me Qurane paak ka zuban se padna jaa'iz nahi,
★hifz ko bhoolne ka andesha ho to bager zuban hilae dil me sochti rahe'n, zuban se na pade,
→( albatta Quran paak sun sakti he) kisi kapde vagerah se safe ulatna jaa'iz he,
Aapke masail aur unka Hal ,, 2/72
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 12- Napaaki ki Haalat me Nakhun Kaatna ◆
ⓢ Napaaki ki haalat me agar Nakhun kaate jaye to kya jab tak wo badkar dobara na kaate jaye paak nahi ho sakte?
★ Napaaki ki haalat me nakhun nahi kaatne chahiye,
→ Magar ye galat he k jab tak nakbun na bad jae paak nahi ho sakte,
Aapke masail aur unka Hal,, 2/81
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 13- Bachcha Paida hone ke Baad Jima'a ki Muma'anat kab tak? ◆
ⓢ Jis Aurat ko Bachcha paida ho uske saath kab tak jima'a ki muma'anat he?
★ Jis Aurat ko bachcha paida ho uske liye muddate Nifaas zyada se zyada 40 Din he,
→ pas agar kisi Aurat ko is muddat me baar baar khoon kamo besh aata rahe to uska shohar 40 Din tak usse mujam'at nahi kar sakta, 40 Din ke baad jaa'iz he,
→aur chuki nifaas me kam miqdaar ki koi muddat nahi isliye agar 40 Din se pehle khoon munqata ho jaye to gusl ke baad sohbat jaa'iz he,
Fatawa Darul Uloom Deoband,,, 1/259
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 14-Hamal ka gir Jana aur Bachche ka Koi uzv ban jana ◆
ⓢ Kisi ka hamal gir gaya, agar bachche ka koi uzv ban gaya he to girne ke baad Jo khoon aaye to uska kya hukm he?
★ Kisi ka hamal gir gaya, agar bachche ka koi uzv ban gaya he to girne ke baad Jo khoon aa'ega wo bhi nifaas he,
→ aur agar kisi tarah ka koi uzv nahi bana gosht hi gosht he to uske baad Jo khoon aaye wo nifaas nahi,
→fir agar 3 din se zyada aaye to haiz he, 3 din se kam aaye ya paaki ka zamana abhi pure 15 din nahi hua to isthaza he,
Masaile Gusl,, 31
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 15- Chhe mahine ya Usse zyada Faasle per 2 Bachche Paida hona ◆
ⓢ 2 bachcho ki paidaish ke darmiyan 6 mahine ya isse zyada faasla ho aur do no ke baad Jo khoon aaye wo kis tarah shumar hoga??
★ Agar 2 bachche paida ho'n aur dono ki wiladat me 6 mahine ya isse zyada ka faasla ho aur do no ke baad khoon aaye to do no khoon juda juda nifaas samjhe ja'enge,
Masaile Gusl ,, 32
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 16- Hamal ka Saqit hona ◆
ⓢ Agar 2-1 maah ka hamal saqit ho jaye aur sivae Jame hue khoon ke ya gosht ke lothde ke kuchh na nikle aur uske baad khoon aaye to kya hukm he, ?
⇨ Wo nifaas nahi hoga,
Masaile Gusl,, 32
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 17- Makaame Operation se Khoon ka Aana ◆
ⓢ Agar kisi Aurat ke operation se bachcha paida ho aur khoon operation ki jagah se nikle, aage ki raah se na nikle to ye khoon kya hoga,?
★ Agar kisi Aurat ke operation se bachcha paida ho aur khoon operation ke makaam se nikle aage ki raah se na nikle to ye khoon nifaas nahi kehla'ega,
⇨ aur agar aage ki raah se bhi khoon bahar nikle to nifaas samjha ja'ega,
Masaile Gusl,,, 32
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 18- Isthaza ke Khoon ka Hukm ◆
ⓢ isthaza ke khoon ka kya hukm he?
★ isthaza ke khoon ka hukm majoor ke hukm ki tarah he jiski tafseel ye he k agar kisi Aurat ko isthaza ka khoon Jaari ho aur ek farz namaz ke pure waqt me barabar is tarah jaari ho k Aurat ko itna waqt bhi na mile k wo vazu karke us waqt ki namaz Ada kar le, jab is tarah musalsal khoon Jaari ho to ye aurat majoor kehla'egi,
Aur agar aurat ko itna waqt mil jata he jisme taharat ke saath namaz pad le aur is dauran khoon na aaye to fir ye aurat majoor nahi hogi aur majoor ke ahkaam us per jaari nahi honge balki tandurast ke hukm me hogi,
★ Ek baar aurat ke majoor hone per fir aainda uzr ke baqi rehne ke liye musalsal khoon Jaari rehna zaruri nahi balki woh farz namaz ke waqt kam se kam ek baar bhi khoon aa jaye to bhi aurat majoor rehne ke liye kaafi he, aur jab kisi farz namaz ka pura waqt esa guzre k usme ek baar bhi khoon na aaye to fir aurat majoor ke hukm me nahi rahegi, tandurast ke hukm me ho ja'egi,
Masaile Gusl,, 40
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 19- Isthaza ki Haalat me Qurane Kareem ki Tilawat aur Masjid me Jane ka Hukm ◆
ⓢ istahaza wali Aurat jiska khoon Jaari ho wo kya Qurane Kareem ki tilawat aur masjid me ja sakti he aur kya Baitullah ka tawaaf kar sakti he??
★ isthaza wali Aurat ko Qurane Kareem ki tilawat karna, Qurane Kareem ko bavazu chhuna aur masjid me jana, Baitullah ka tawaaf karna sab jaa'iz he, Jabki masjid ke mulavvis hone ka andesha na ho,
Masaile Gusl,, 40
⊙ Talibe Dua,
ⓖ Ahle deoband Group ,
━═─────────────────═━
★☆★
No comments:
Post a Comment