Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Saturday, October 15, 2016

•KHAWATEEN KE FIQHI MASAIL• ROZA AITAKAAF ZAKAAT O SADQA•


🌹🍀🌹
      ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁

           βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

          ✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL✦

                   ▦══─────────────══▦

                          ⊙  Roza  ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞01- Doodh pilane se Aurat ka Roza tootta he ya Nahi•

ⓢ Agar kisi Aurat ne apne Doodh pite bachche ko doodh pilaya to uska Roza toot gaya ya nahi?

★ Roza nahi tootega,

📓 Fatawa Darul Uloom Devband,, 6/408

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 02-Doodh pilane Wali Aurat Roza rakhe ya nahi?  •

ⓢ Jo Aurat bachche ko doodh pilati ho usko Roza rakhna chahiye ya nahi? Jabki Aurat kamjor ho,?

★ Agar bachche ki taraf se ya us Aurat ki taraf se andesha ho k Aurat ke roza rakhne ki vajah se bachcha halaak ho jaaega ya Aurat bevajah zaief ke halaak ho jaaegi,

→ ya uske doodh na rahe aur bachcha halaak ho jaaega to is soorat me Aurat Ramzan Sharif me Roza aftaar kare aur baad me iski qaza kare,

📓 Fatawa Darul Uloom Devband,, 6/464

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 03- Gair Rozadar Shohar ne Rozadar Bivi se Sohbat ki to Kya hukm he? •

ⓢ Ek Mard bager Roza maahe Ramzan me apni rozadar bivi se is gumaan me k shayad roza se nahi he Sohbat karta he, Bivi ne Samjha mera Roza shohar ko maloom he aur shayad roza me mubashrat jaa’iz hogi, Taaham Mard se daryaft kiya to Mard Foran alag ho gaya, Ab kaffara kiske zimme he?

★ Is soorat me agar dakhool ho gaya to kaffara Aurat per laazim he,

→ aur agar ek dafa 60 miskeeno ko khana nahi khila sakte to ye durust he k ek miskeen ko 60 din tak dono waqt khilate rahe,

→Ya rozana usko qeemat nisf saa’a gandum ki dete rahe,

→Ya 60 miskeeno ko is tarah qeemat taqseem kare k har miskeen ko ek fitra ki qeemat yani nisf saa’a gandum pone do ser ki qeemat de de,

📓Fatawa Darul Uloom Devband, 2/437

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 04- Haamla Aurat ki Raza’at ki muddat puri na hui thi k Fir hamal ho gaya, Ye kya kare?  •

ⓢ Ek haamla aurat bevajah andesha nuqsaan hamal roza rakhne se mehroom rahi aur baad me raza’at ki mazuri rahi,

ⓢ Ab raza’at ki muddat puri bhi nahi hui hamal fir qaraar pa gaya, Ab haamla roza kis tarah rakhe,?

★ Agar haalat e hamal me usko Roza rakhne ki taqat nahi he ya bachche ki taraf se andesha he to jis waqt uska tawatar hamal munqata ho usi waqt qaza kare,

📓 Fatawa Darul Uloom Devband, 2/461

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞05- Haiz wali Aurat ka Ramzan me khana peena   •

ⓢ Agar Ramzan me Aurat khaas Ayyam ki vajah se Roza na rakhe to usko din me khana peena durust he ya nahi?

★ Agar Haiz ki vajah se Roza nahi rakha ya Roza rakhne ke baad haiz aa gaya to khana peena jaa’iz he,lekin doosro ke saamne na khaye aur agar din ko haiz se paak hui to din ka baaqi hissa rozadaar ki taraf rehna wajib he,

📓 Ahsanul Fatawa, 4/428

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞06-  Nifl Roza me Haiz Aa gaya to Qaza Wajib he •

ⓢ Ek Aurat ne nifl Roza rakha, din ke kisi hisse me haiz aa gaya to kya paak hone ke baad ye Roza Qaza karna hoga?

★ is Roza ki Qaza wajib he,

📓 Ahsanul Fatawa,, 4/438

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 07-Kaffara ke Roze ke darmiyan haiz aa gaya  •

ⓢ Agar kisi Aurat ne Roza rakh kar tod diya aur ab use kaffare ke Roze rakhna he, Kaffare ke Roze rakhna shuru kiye to chand Roze ke baad uske maahvari ke din aa gaye, Ab wo Roza nahi rakh sakti,

ⓢ aur kaffare ke Rozo me naaga nahi honi chahiye, Esi Surat me esi Aurat ke bare me kya hukm he?

★ Maahvari ki vajah se Kaffare ke roze koi harj nahi, Maahvari khatm hote hi foran roze shuru kar de,

→ isi tarah 60 roze pe dar pe kare,
agar maahvari khatm hone ke baad ek din ka bhi naaga kiya to naye sire se 60 roze rakhna padenge,

📓Ahsanul Fatawa,, 4/ 442

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 08- 60 saala Mareeza Fidya de Sakti he ya nahi? •

ⓢ Ek Mareeza Jisko T B ka marz lahiq he aur Umar bhi taqriban 60 saal he aur nihayat kamzor he, Sahat ke asaar nazar nahi aate, Doctoro ne sakhti se mana kiya k roza na rakhe aur agar roza rakhegi to sehat per bura asar padega,
Kya ye Fidya de sakti he?

★ Agar Aainda zamane me bhi tandurusti ke asaar nazar nahi aate to Fidya dene ki shar’an ijazat he, 

★ Ek roze ka fidya Pone do Ser gandum ya iski qeemat he,

📓 Khairul Fatawa,, 4/75

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 09-  Shiddate Pyaas se Jaan ka Khatra ho Jaye to Aftaar ka Hukm •

ⓢ Shiddate pyaas ki haalat gair ho jaye to Aftaar kar sakte hai’n ya nahi?

★ Roze ki haalat me agar pyaas itni shiddat lage k jaan khatre me pad jaye to roza todne ki ijazat he,

📓 Khairul Fatawa,, 4/ 42

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞10-  Shawaal ke 6 Roze Rakhna •

ⓢ Eid ke baad 6 Roze Eid ke foran baad lagataar rakhe jaye ya kuchh waqfa se bhi rakh sakte hai’n?

★ Dono tarah durust he, behtar ye he k mutafarriq rakhe jaye,

📓 Khairul Fatawa, 4/ 42

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞11-  Roze ki haalat me Aankh me Davai daalna  •

ⓢ Ramzanul Mubarak me Aankho me Roza ki haalat me behne wali Davai daali to kya roza toot gaya he ya nahi?

★ Aankh me behti hui Davai daalne se Roza nahi toot ta,

📓 IEZAA,, 4/ 46

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 12-  Qaza e Ramzan ke liye Niyat ka Hukm •

ⓢ Kisi ke zimme Ramzan Mubarak ke chand rozo ki qaza baaqi he, unko Ada kiye bager nifli Roze rakhna he, ye uske nifli Roze honge ya Ramzan e Mubarak ki Qaza shumar honge?

★ Nifli Roze shumar honge, kyuki Qaza e rozo ke liye niyat qaza shart he,

📓 Eizaa,,58

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 13-Ba- haalate Roza injection Lena •

ⓢ Ba-haalate roza Jo injection gosht me liya jata he usse roza nahi toot ta lekin Jo injection rag me diya jata he jisse haajat ta’aam bhi rafa ho jati he to esa injection rag me lene se Roza per asar andaaz hoga ya nahi?

★ Ba-zaria injection jism me davaa pahunchane se Roza toot ta nahi he,

📓 Fatawa Rahimiya, 2/38

       ▦══─────────────══▦

                      ⊙  AITKAAF  ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 01- Aurat ko aitkaaf me haiz aane per Hukm •

ⓢ Agar aurat ko aitkaaf ki haalat me haiz aa jaye to wo itne dino ke aitkaaf ki qaza karegi ya nahi?

★Jis roz haiz shuru hua sirf usi ek din ki qaza wajib he,

📓 Ahsanul Fatawa,, 4/ 503

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 02-Khawind ki ijazat ke bager Aitkaaf me bethna •

ⓢ Aurat apne khawind ki ijazat ke bager Ramzanul Mubarak me aitkaaf me beth sakti he ya nahi?

★ Aurat apne khawind ki ijazat ke bager Aitkaaf me na bethe,

📓 Khairul Fatawa,, 4/ 144

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 03- Aurat ka Aitkaaf ke liye jagah Tabdeel karna •

ⓢAurat aitkaaf ki jagah mutaiyan karne ke baad tabdeel kar sakti he ya nahi?

★ Aitkaaf ke liye jagah mutaiyan karne ke baad tabdeeli jaa’iz nahi he andar ho ya bahar,

📓 Khairul Fatawa, 4/ 142

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 04- Aurat ka Aitkaaf me khana pakana •

ⓢ Aitkaaf karne wali aurat ghar ki masjid me khana paka sakti he ya nahi,?

★ Agar uska koi khana pakane wala na ho to masjide bait me khana paka sakti he, masjide bait per tamaam ahkaam masjid ke jaari nahi hote,

📓 Fatawa Mehmudiya,, 3/161

       ▦══─────────────══▦

                ⊙  Zakaat  Sadqa ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 01- Mahar Per Zakaat ka Hukm

ⓢ Mahar e Nikaah ki zakaat Mard Aurat ke zimme wajib he ya nahi?

ⓢ aur Mahar Ada nahi hua lihaza esi Surat me Mahar per zakaat ka hona lazim he ya nahi?

★ Mard jab Mahar aurat ko de de aur wo miqdaare nisaab ho aur us per saal bhi guzar jaye tab aurat ke zimme uski zakaat wajib hogi,

→agar wo miqdare nisaab nahi balki isse kam he aur aurat ke paas itni miqdaar mojood he jisko Mahar ke saath milakar poora nisaab ho sakta he to usko milakar zakaat Ada ki jaa’egi,

→Agar nisaab poora nahi ho sakta to us per zakaat nahi,

→ isi tarah Mahar vasool hone se pehle zakaat wajib nahi,

📓 Fatawa Mehmudiya, 3/87

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 02-Aurat ka Bager Shohar ki ittela apne samaan v Zever ki Zakaat dena  •

ⓢ Jis Aurat ke paas Zever Jahez ka ho wo bager Shohar ko ittela ke Zakaat Ada kar sakti he ya nahi?

★ Jahez ka Zever aurat ki milk he, uski zakaat uske zimme laazim he,

→Shohar se ijazat lene aur ittela karne ki zarurat nahi,

📓Fatawa Darul Uloom Devband, 6/47

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞  03-Bivi ke Sahibe Nisaab hone se Shohar Sahibe Nisaab ka Hukm•

ⓢ Bivi agar Sahibe nisaab ho to uski vajah se Shohar bhi sahibe nisaab samjha jaa’ega ya nahi?

ⓢ Aur zakaat aur Qurbani kiske zimme he?

★ Bivi ke sahibe nisaab hone se shohar sahibe nisaab nahi hota,

→ Aur Qurbani vagera uske ( shohar ) zimme wajib nahi,

📓 Fatawa Darul Uloom Devband,  6/50

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞  04-  Zevraat jo Barabar na Pehne jaye un per Zakaat ka Hukm•

ⓢ Jo zever maah do maah rakh diya aur do maah teen maah barabar pehna gaya aur wo zever baqadre nisaab balki zyada he, us per zakaat he ya nahi?

★ Zever Sona Chaandi ka jab bamiqdaar nisaab ho usme zakaat wajib he,

→ chahe istemal kare ya na kare,

📓 Fatawa Darul Uloom Devband, 6/59

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 05- Shohar Bivi ko aur Bivi Shohar ko Zakaat dene ka Hukm •

ⓢ Mard apni Aurat ko ya Aurat apne Mard ko zakaat de sakti he ya nahi?

★ Nahi, ( Mard Apni Aurat ko Zakaat nahi de Sakta )

📓 Fatawa Darul Uloom Devband, 6/292

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 06-Aurat ka Fitra kis per Wajb he •

ⓢ Aurat ka fitra kis per wajib he, Mard per ya Baap per ya?

★ Aurar jab sahibe nisaab ho to Fitra usi per wajib he, agar Shohar Ada karega to Ada ho jaaega, Baap per wajib nahi,

📓 Fatawa Darul Uloom Devband, 6/324

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 07- Bachcho ke Naam kiye Gaye Zever per Zakaat ka Hukm •

ⓢ Agar koi shakhs apni bachchiyo ke naam alag alag 5-5 tola sona ya zever rakh de k unki Shaadi me kaam aa sake to ye shar’an kesa he?

ⓢKya majmu’a per zakaat wajib hogi ya ye alag alag hone ki surat me wajib na hogi,?

★ Chuki zever bachchiyo ke naam kar diya gaya he isliye we iski Malik ban gayi, isliye us shakhs ke zimme iski zakaat nahi aur har ek bachchi ki milkiyat chuki nisaab ( Saade saat tola sona)se kam he isliye unke zimme bhi zakaat nahi,

★ Albatta Jo ladki balig ho aur uske paas zever ke alawa bhi naqad kuchh rupiya paisa ho chahe uski miqdaar kitni hi kam ho aur us per saal bhi guzar jaye to us ladki per zakaat laazim hogi,

→kyuki jab sone chandi ke saath kuchh naqdi mil jaye aur majmu’a ki qeemat saade bavan tola chandi ke barabar ho jaye to zakaat farz ho jati he,

★ Aur Jo ladki nabalig he uski milkiyat per zakaat nahi jab tak wo balig nahi ho jati,

📓Aapke Masail aur unka Hal, 3/366-367

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 08-Zever ke Rang per Zakaat nahi magar Khot Sone me Shumaar hoga •

ⓢ Kya zakaat khaalis sone per lagaenge ya zeveraat jis me rang vagera bhi shamil ho, ?

ⓢ kya us rang ke vazan ko shamil karte hue zakaat laazim hogi aur is tarah se khot ka kya masla he?

★ Sone me Jo rang vagera lagate he un per zakaat nahi,

→ kyuki inko alag kiya ja sakta he albatta Jo khot mila dete hai’n wo Sone ke vazan hi me shumaar hoga,

→ us khot mile hue sone ki bazaar me Jo qeemat hogi uske hisaab se zakaat Ada ki jaaegi,

📓Aapke Masail aur unka Hal, 3/365

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 09- Bivi ke Zever ki  Zakaat ka Mutalba kisse hoga •

ⓢ Agar Shohar ki zaati milkiyat me koi Zever esa na ho jis per zakaat wajib hoti ho,
lekin jab uski bivi shadi hokar uske ghar aaye k us per zakaat wajibul Ada ho
aur bivi shohar ke ye halaat jaante hue k wo maqrooz bhi he aur uski itni tankhwah bhi nahi k wo zakaat ki raqam nikaal sake to
kya shohar per bager bivi ki taraf se kisi qurbani ke zakaat v qurbani wajib rahegi?

ⓢ aur kya Allah ta’aala shohar hi se iska mutalba karenge
aur kya bivi ye kehkar bari zimme ho jaaegi k shohar hi unka aaqa he aur unhi se sawal v jawab kiya jaaega,?

★ Chunki Zever bivi ki Milkiyat he isliye Qurbani v Zakaat ka mutalba bhi usi se hoga,

→Aur agar wo Ada nahi karti to gunahgar bhi wahi hogi,

→ Shohar se iska mutalba nahi hoga,

📓 IEZAA,, 3/346

        ⊙ Talibe Dua, 
        ⓖ Ahle deoband Group , 

     ━═─────────────────═━
★☆★

No comments:

Post a Comment