🌹🌹🌹
╓━══════◐◐◑◐◑◑══════━╖
Bismillahirrahmanirraheem
╙━══════◐◐◑◑◐◑══════━╜
❖═══▩★★★۩ ۩★★★▩═══❖
🌹{ROOHANI TADABEER}
BY HAZRAT PEER
ZULFIQAR AHMAD
NAQSHBANDI DB🌹
❖═══▩■■۩PART'151۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ NABI ALAIHISSALAAM KA MAQAME KHASHIYAT ۩
⚄→Ap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: 'aye logon! Mai tum me sab se ziyada ALLah se darne wala hun‚ khashiyat wala hun.' Aur isliye jab Ap صلی اللہ علیہ وسلم ne dua mangi to kaha: Aye Allah! Agar tu mujhse razi hai to mujhe kisi ki parwah nahi aur agar tu naraz hai to tujhe us waqt tak razi karna zaruri hai jab tak ke tu razi na hojaye.
⚄→to ye kyun aesa hota hai‚ isliye ke jo muqarrib hote hain‚ jo nek hote hain‚ jo ulama hote hain‚ jo maghfirat rakhne wale hote hain unko Allah ta'ala se muhabbat ka ta'alluq hota hai aur muhabbat ka ta'alluq rakhne ki wajah se unke liye mehbub ka ruth jana sabse badi takleef hoti hai. Isse badi koi takleef nahi hoti....
(Continue in next part
Insha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'152۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
⚄→jab koi muhabbat me pagal ho yani muhabbat me bahot fana ho aur usko zara sa bhi mehsus ho ke is bat ki wajah se mera mehbub mujhse ruth jayega, WO kabhi wo kam nahi karega aur har Waqt uske zehen me ye rahega ke is bat se mera afsar khafa na hojaye, mera mehbub khafa na ho jaye, mera Allah khafa na ho jaye to is khashiyat me muhabbat ka talluq ghalib hota hai. Mehbub ke ruth jane ka rang ghalib hota hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'153۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ KHAUFE KHUDA MANGNE KA TARIQAH ۩
⚄→Ham Allah se jahan duniya ki bahut sari nematen mangte hain, ham usse khauf wali nemat bhi mangen kyunki ye wo nemat hai ke jiski wajah se insan ki gunahon se jan chhut jati hai isliye dua mangte hue kahen ke aye Allah! Me apse aesa khauf mangta hun jiski wajah se mere andar se gunaho ka khot nikal jaye.
۩ MAQAME KHAUF ۩
⚄→insan aur jino ke alawa sari makhluq ko maqame khauf hasil hai. Aye insan! Tu ashraful makhluqat hai magar tere dil me khauf nahi. Behtar to ye tha ke ashraful makhluqat hone ki wajah se aala daRje ka khaufe khuda tere dil me hota.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'154۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI, ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ MALAIKA PAR KHAUFE KHUDA KA ASAR ۩
⚄→Hadeese pak me aya hai ke jab Nabi Akram صلی اللہ علیہ وسلم meraj par tashreef le gaye aur saatwe asman par pahuche to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne aese farishton ko dekha jo sajde me pade hue the aur unke Qad itne the ke unke kandhon ke darmiyan kai meel ka fasla tha. Unke kai kai par the magar wo sajde me pade hue kaanp rahe the aur kanpne ki wajah se unke jismon se ek awaz nikal rahi thi.
⚄→Nabi Alaihiissalatu wassalm ne Jibrail Ameen Alaihissalaam se pucha, aye Jibrail! Ye kya mumla hai ke ye farishte sajde ki halat me bhi hain aur unke jismon se awazen arahi hain?
⚄→kehne lage aye Allah ke mehbub صلی اللہ علیہ وسلم ye jab se paida hue usi waqt se sajde ki halat me hain aur QaYamat ke din tak sajde hi me rahenge magar inke upar Allah ke khauf ka aesa asar hai ke iski azmat ki wajah se ye tharra rahe hain jiski wajah se unke jismon se awaz nikal rahi hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'155۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ JIBRAILE AMEEN AUR KHAUFE KHUDA ۩
⚄→Nabi alaihissalatu wassalaam ne ek martaba Jibraile ameen alaihisalaam se pucha: aye jibrail! Kya tujhe bhi meri Rehmatul lil aalameeni se hissa mila hai? Arz kiya aye Allah ke Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ji han, mujhe bhi apki Rehmatul lil amaleeni se hissa mila hai. Ap صلی اللہ علیہ وسلم ne pucha' wo kese? Arz kiya' aye Allah ke Mehbub صلی اللہ علیہ وسلم! Jab aap duniya me tashreef nahi laye the us waqt mai apne anjam ke bare me dara karta tha. Mere samne kai nek logon ke anjam bure hue.
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'156۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
⚄→maine shaitan ka anjam bhi dekha tha. Jiski wajah se mai bhi darta tha ke pata nahi mera anjam kya hoga lekin jab Aap صلی اللہ علیہ وسلم tashreef laye to Allah ta'ala ne Aap صلی اللہ علیہ وسلم par ek Ayat utari ye ayat chunki mere bare me hai aur isliye mujhe apne achhe anjam ka pata chal gaya isliye mere dil par jo gham sawar tha apki RAHMATUL LIL AALAMEENI ke sadqe me mujhe ab is gham se nijat naseeb ho gai hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'157۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ ARSH PAR ALLAH TA'ALA KI JALALATE SHAN KA ASAR۩
⚄→mairaaj wali hadees men aaya hai ke jab Nabi kareem صلی اللہ علیہ وسلم arsh se upar jaane lagey toh aapne arsh ke andar se ek awaaz suni‚ Jaise kisi chiz par bohat ziyada wazan ho toh is men se awaz aati h‚ Maslan koi bhaari admi kursi par baithe to ismein se awaaz nikalti hai. istarah arsh mein se awaaz nikal rhi thi‚
⚄→aap ne pucha jibrail! yeh awaaz kaisi? Arz kiya
Ae Allah k mehboob! Is arsh par Allah ki jalaalat-e-shaan ka aisa asar hai ke Allah ka arsh bhi is ki haiyyat se sehma jaa raha h.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'158۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ MAKHLUQAATE AALAM KI TASBEEH ۩
⚄→Nabi alaihisssalaam ne irshad farmaya ke insaan ke siwa Allah ki jitni makhlooq hai Woh sab Allah ki ibaadat karti h‚
⚄→Quran paak mein Allah taala farmate hain jo koi bhi chizz hai woh Allah taa'la ki hamd aur tasbih bayaan karti hai. lekin tum iski tasbih ko samajh nahi sakte.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'159۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩MAKHLUQAATE ALAM MEIN ARKAANE NAMAZ KI TAQSEEM۩
⚄→irsaade baari ta'ala hai:
(Har chiz ko apni namaz aur tasbih ka pata h)
Nabi Akram صل اللہ علیہ و سلم
Ne irshad farmaya: ke Allah taala ne darakhto ko qayam ki halat mein paida kiya. Woh saari zindagi Qayam ki halat mein rehte hain.
⚄→Allah ta'ala ne chaupayon ko ruku ki halat me paida farmaya‚ wo sari zindagi ruku ki halat me rahte hain. Allah paak ne keedo ko sajde ki halat mein paida kiya, woh saari zindagi sajde ki halat mein rehte hain‚
⚄→Allah taa'la ne pahaado ko attahi yaat ki shakal mein paida kiya woh saari zindagi attahi yaat ki shakal mein rehte hain...
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'160۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
⚄→Ae! Insaan makhlooq ko faqat ek ek amal mila aur saari zindagi isi amal par zindagi guzaar rahi hai,
⚄→tujhe Allah taala ne tamaam amaal ka majmu'aa ataa farma diya , Tu qayam karta hai toh tujhe darakhton ki ibadat ke saath ek munasibat mil jaati hai. Ruku karta hai toh chopaaiyon ka ajar bhi tujhe mil jaata hai
⚄→sajda karta hai toh keedo ki ibadat ka bhi ajar ataa kar diya jaata hai aur qaide mein baith kar ibada karta hai toh pahaado ki ibadat ka bhi ajar mil jaata hai. Allah ta'ala ne tujh par kitna bada karam kardiya ke usne tujhe ek kamil ibadat ata kardi. Magar ajeeb bat ye hai ke jab tu namaz me khada hota hai to namaz ki halat me bhi tu duniya me gum hota hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
◆Part -161◆
©ontinue....
Next time Insha Allah
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
☆☆☆
❖═══▩■■۩PART'161۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ DARAKHT KA RUKO AUR SAJDA۩
⚄→hadees paak mein farmaya gaya hai ke tum mein se koi aadmi bhi kisi Saaye daar aur phal daar darakht k niche paishaab yaa paakhana naa kare.
⚄→sahaba karaam ne pucha: Ae Allah ke nabi صل اللہ علیہ و سلم is mein kya hikmat h???
Aap صل اللہ علیہ و سلم ne farmaya: darakht ka saaya jab ghathta aur badta hai toh yeh darakht Allah taa'la ke saamne ruku aur sajda kar raha hota hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'162۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ OONT KE DIL MEIN KHOFE KHUDA۩
⚄→hadees paak mei aaya hai k ek sahabi rz.anhu Huzur صل اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya k Ae Allah k nabi! mein aapki khidmat mein ek baat arz karne ke liye hazir hua hu.
⚄→poocha kya baat hai?? arz kiya k
Ae Allah ke nabi! mera ek oont hai‚ mein saara din mehnat mazduri karta hu.
is oont par saman laata hu, aur mein iske daana paani ka poora poora khAyal rakhta hu.
⚄→lekin jab mein raat ko akar sota hu toh kabhi kabhi woh aisi dardnaak awaazein nikalta hai ke meri aankh nahi lagti. ab mein aapki khidmat mein haazir hua hu.
aap dua farma dijiye ke oont mujhe raaat ko sone de...
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'163۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
⚄→Nabi akram صل اللہ علیہ وسلم ne jab ye bat suni to Aap صل اللہ علیہ وسلم ne farmaya: humne mud'dai ki baat sunli ab hum mud'da alai ko bhi bulayengey.
chunancha is oont ko bulane ka hukm diya gaya. bade adab wa ehtaraam ke saath chalta hua baargaahe nabuwat mein hazir hua.
⚄→woh nabi kareem صل اللہ علیہ وسلم k saamne aakar attahi yaat ki shakl mein baith gaya. Nabi kareem صل اللہ علیہ و سلم. ne irshad farmaya: ke tera maalik teri shikayat bayaan kar raha hai k woh tere daane paani ka khyal rakhta hai lekin tu iska khyal nahi rakhta aur raat ko aisi awaaz nikalata hai jiss se tere malik ki nind kharab hojati hai,
yeh kya muamla hai?
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'164۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
⚄→yeh sunkar oont ki aankhon mein aansoo aagaye aur kehne laga, Ae Allah ke mehboob صل اللہ علیہ و سلم. muamla yeh hai ke hum dono saara din mehnat mazdoori karte hai. yeh mera khyal rakhte hai mein inka khyaal rakhta hu..
⚄→yeh bhoj ladte hai aur mein lekar pohchaata hu. yeh mujhe daana pani bhi dete hai hum dono achche saathi h,
⚄→nabi kareem صل اللہ علیہ و سلم ne irshad farmaya: jab achche saathi ho toh phir isko sone q nahi dete ho???
woh kehne laga Ae Allah ke nabi صل اللہ علیہ وسلم. muala yeh hua hai k kai martaba yeha thake hue ghar aate hai magrib k baad khana khate hai aur kabhi kabhi in par nind gaalib aajati hai.
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'165۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
⚄ →to dil mein sochte h ke thodi der ke liye kamar sidhi karlu phir mein uth kar isha ki namaz padh lunga, lekin jab kamar sidhi karne ke liye lait te hai toh nind gehri hojati h.
⚄→unhone isha ki namaz nahi padhi hoti hai. raat ko kaafi der hojaati hai chunke mein qareeb hota hu isliye nind nahi aati.
⚄→k kahin aisa naa ho ke qayamat ke din Allah taa'la mujhse puche ke tune apne saathi ko kyu nhy jagaya tha, taake woh mere hukm ki pabandi kar leta, ae mehboob! mere upar bhi thakawat ki wajah se nind ka galbaa hota hai magar mein Allah taa'la ki jalaalate shaan ki wajah se dartaa hu, aur dardnaak awaazein nikaalta hun ke.
MERE MAALIK UTH JAA AUR APNE MAALIK KI BANDAGI KAR...
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'166۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
⚄→Ae insaan! ek janwar k dil mein to khaufe khuda ka yeh haal hai ke Allah ka hukm toot raha hai aur isko nind nahi aarahi hai.
⚄→aur tu ashraful makhlooqaat hai aur Allah taala ke hukmo ko todta firta hai. tere ghar mein Nabi alaihissalatu wassalaam ki sunnaton ko zibah kiya jata hai.
⚄→magar tujhe ehsaas nahi hota teri aulaad teri aankhon ke saamne Allah k hukmo ko todti hai lekin tu apne seene mein magmoom nahi hota. aakhir koi toh waqt aayega jab hamein apne dil mein Allah ka khauf paida karne ki zarurat mehsoos hogi.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'167۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
۩ ABDULLAH BIN MUBARAK AUR KHAUFE KHUDA ۩
⚄ →Abdullah bin mubarak ne saari zindagi hadeese padhai. yahan tak ke ek waqt mein 40 40 hazaar shagird inse hadees padha karte. jab woh faut hone lagey toh apne shaagirdon se farmaya ke mujhe chaarpai se utha kar zameen par litaa do.
⚄→niche naa hi koi qaaleen tha, naa koi farsh tha, naa koi sange marr marr laga hua tha. taa ham shaagirdon ne taameele hukm mein inko litaa diya.
(Continue in next part
in sha Allah)
1 ® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'168۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
⚄ →yeh dekh kar talabaa ki chikhe nikal gai ke itne bade muhaddis apni daadhi ko pakad kar apne rukhsaar ko zameen par ragadne lag gaye aur rote hue dua karne lage ke Ae Allah! Abdullah ke budhaape par raham farmana.
⚄→jisne saari zindagi hadees padhaai aur usne yeh nahi kaha Ae Allah! maine hadees ke dars diye, maine logo ko deen ki taraf bulaya, maine logo ko neki ki taraf raagib kiya. koi amal is qabil nhy samjha ke Allah ke huzoor mein pesh kar sake...
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'169۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.6 ↴ ↴
★KHUSHU WALI ZINDAGI★
★GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
❖→▩APNE ANDAR KHAUF PAIDA KIJIYE▩
⚄ →bil aakhir aajizi kar rahe hai k Ae Allah! Abdullah ke budhape par rahem farma aur safed baalo ko paish karte the k Ae Allah! koi amal aisa nahi jo aapke saamne pesh kar sake aap hi mujh par rahem farmaaiye..
⚄→hamein bhi istarah karna chahiye ke hum bhi apne gunaaho ko yaad karke Allah ke saamne naadim ho aur iska khauf talab kare taake gunaho se bach sake. istarah mangey ke hamein jo kuch bhi milna hai Allah taa'la ke dar se hi milna hai. is dar se hatt kar hum jayengey toh humein kuch bhi nahi mil sakta.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'170,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ IMAAN WALO KO IMAAN LANE KA HUKM ۩
⚄→Aye iman walo! (Allah aur uske Rasool صلی اللہ علیہ وسلم par iman le aao) ye ek ajib ayat hai, kyunki khitab bhi iman walo ko hai,,,
,⚄→ye to nahi kaha: (aye kaafiron!), Ye bhi nahi kaha: (aye munafiqon!), Ye bhi nahi kaha: (aye mushrikon!)
⚄→balki farma rahe hain: aye iman walon! Allah aur uske Rasool صلی اللہ علیہ وسلم Par iman le aao. Dusri dafa iman lane ka kya matlab hai? Mufassireen ne iski tafseer likhi hai' iska matlab hai yani tum taqwa ikhtiyar karo. Ek dusra matlab ye hai ke aye zaban se iqrar karne walo apne dil se bhi iski tasdeeq karlo.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI, TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'171,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ IQRAARUL LISAANI AUR TASDEEQE QALBI۩
⚄→dil se tasdeeq karna ek bada kaam hai. kalma padh lene se kaam nahi hota balke kaam ki ibtidaa hoti hai. insaan kalma padhkar islaam ki hado mein daakhil hojaata hai.
⚄→lekin kamil imaan paida karne ke liye amaal-e-sauleha ko ikhtiyaar karna zaroori h...
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI, TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'172,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →isi ko kehte hai
IQRAARUL LISAANI AUR TASDEEQE QALBI...
aur imaan laane ke baad insaan ko inhi dono baaton ki talqeen ki jaati hai. IQRARE BIL LISAN ka darja to insan ko kalma padte hi naseeb hojata hai.
⚄→hum kalma padhne wale jitne bhi hai, sab ke sab IQRAARE BIL LISAAN mein 100 fisad shamil hai. lekin TASDEEQE QALAB mein muratib hain, jo jitne nek amaal karta hai woh uss baat ki utni hi tasdeeq karta hai. lahaza jo kamil momin hoga woh apne amaal ke zariye iski 100 fisad tasdeeq karega uska koi amal bhi khilaafe shara'a naa hoga.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI, TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'173,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ KIRDAAR KE GHAAZI BANNE KI ZARURAT۩
⚄ →qaul wa fe'al dono mein fark hota hai. qaul se fe'al tak bat pauhachne ke liye kuch karke, dikhana padta hai. zabaan se baat kehdena aur chiz hai aur amal se is chiz ,ko sabit kardena aur chiz hai.
⚄→aaj yahi chiz toh zyada tawajja talab hai. hum qaul ke toh gaazi, hai magar amaal mein shikhast khane wale hai.
MASJID TO BANA DI SHAB BHAR MEIN IMAAN KI HARARAT WALO NE...
MAN APNA PURAANA PAAPI HAI, BARSO MEIN NAMAZI BAN NA SAKA.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI, TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'174,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ IMAAN KI NISHAANDAHI۩
⚄ →dar asal imaan ki nishaandahi insaan ke amaal se hoti hai. jis qadar imaan me pukhtagi hoti hai us qadar imaan mazboot hota hai, phir insaan ka amal hi tableeg ka darjaa hasil kar leta hai. isliye khamosh tableeg jitni moyassir hai itni zabani tablig moyassir nahi hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI, TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'175,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ MUAMLAAT HO TOH AISE ۩
⚄ →aap hairan hongey ke duniya mein pura mulk do sahaba karam rz.anhum ke dukaan bana lene se musalmaan hogaya..
woh kaise??
do sahaba karaam rz.anhm Indonesia gaye wahan jaakr unhone apni dukaan banali.
⚄→woh din mein 5 dafaa dukaan band bhi karte aur juma ke din chutti bhi karte. jab woh dukaan se chale jaate to log unke intezaar mein khade rehte...
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI, TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'176,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →Aur qataare bhi lagI rehti. log kehte ke humne yahan muamlaat ki safai dekhi hai. Lehazaa hum toh sauda yahi se lengey. jab tabyatein maanus hogai toh logo ne inse poocha k"bhai! kya baat hai aap darmiyaan mein dukaan band karke chale jaate hai?
⚄→"aur log phir bi aapse sauda lena pasand karte hai. aapko dukandaari ka yeh usool kisne bataye hai"? logo k puchne par unhone bataya ke hum musalmaan hai aur hamare paigamber صل اللہ علیہ و سلم ne hamein tijaarat ke usool bataye hai...
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI, TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'177,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →jab inlogo ko iss baat ka pata chala toh inhone bhi kaha ke hum bhi musalmaan banna chahte hai. chunancha log musalmaan hona shuru hogaye..
⚄→hatta ke in do sahaba ki barkat se pure mulk ke log musalmaan hogaye. ghaur kijiye k aaj kal toh log taqreero aur khutbo se musalmaan nahi hote. magar sahaba ki dukaandaari se log musalmaan hojate hai.
YEH HOTI HAI QAUL AUR FA'AL MEIN MUTABIKAT
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI, TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'178۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ LAMHAYE FIKRIYA ۩
⚄→aj jo ham apne ap ko musalman kehte hain, ham zara ghaur karen k hamari aankhen musalman ban gain? Agar ye musalman ban chuki hain to ye fir ghair mehram ki taraf nahi uthengi.
⚄→agar ghair mehram ki taraf uth jati hain to abhi musalman nahi bani. Kya ye zaban musalman ho chuki hai? Agar ban gai hai to isse jhut aur ghibat nahi nikal sakti aur agar nikalti hai to fir abhi musalmaan nahi bani...
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI, TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'179,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →kya hamare kaan musalmaan ban gaye hai? agar ban gaye hai toh phir khilaafe shar'a baat nahi sun sakte aur agar sunte hai to phir abhi musalmaan nahi bane.
⚄→kya hamari sharmgah musalmaan ban gai hai.? agar yeh ban gai hai toh phir isse khata nahi ho sakti aur agar khata hojaati hai toh abhi musalmaan nahi bani.
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI KLIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'180,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →hum apne har har uzoo ke baare mein sochein k humne apne kis kis uzoo ko musalmaan bana liya hai? aur agar har har uzoo gunaho mein luthdaa hua nazar aata hai toh musalmaani kis chiz ka naam hai?
⚄→jab yeh aazaa infiraadi taur par musalmaan nahi hue toh hum apne aapko haqiqqee maane mein kaise musalmaan keh sakte hai.?
KHURD NE KEH BHI DIYAA 'LAA ILAAHA' TOH KYA HASIL
DIL WA NIGAH MUSALMAAN NAHI TOH KUCH BHI NAHI.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'181۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ IMAAN KA MAQAAM ۩
⚄ →dil imaan ka mahal hai jo ke imaan se bharta hai. yeh bohat badi daulat hai hatta ke insaan ke paas iski jaan se bhi zyada keemti daulat iska imaan hai. Allah rabbul izzat ke yahan imaan ki itni keemat hai ke agar saari duniya kaafiro se bhar jaye toh woh ek momin ke barabar nhy ho sakte,
⚄→qayamat ke din 1 aadmi 99 daftar gunaho ko lekar aayega aur iske muqable ek farishte ke paas ek choti sI parchi hog...
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'182,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →kagaz ka woh purza uske gunaho ke 99 daftaron se bhaari hojayega. woh puchega ya Allah yeh kya muamla hai?
⚄→Allah rabbul izzat farmayengey yeh tera imaan hai. is imaan ke muqable main zameen wa aasmaan ko rakh diya jaaye toh bhi imaan bhari hoga. Hame bhi ye chizen achhi tarah zehen nashin kar leni chahiye ke hamara iman hamari asal daulat aur khazana hai. Kyuki jab insan ko kisi chiz ki ahemiyat ka pata nahi hota to woh use asani se gawa deta hai. Maslan daku daka dal lete hai aur bande ko pata bhi nahi chalta.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'183۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ EK DILCHASP HIQAYAT ۩
⚄ →shaikh sa'adi rehmatullah alaih ne ek hikayat likhi. woh farmaate hai ke jab mein chota tha toh meri walda ne mujhe sone ki anghoti bana kar di. mein anghoti pehen kar bahar nikla toh mujhe ek thag mila.
⚄→uske paas gudd ki dalli thi. usne mujhe bulaya aur kaha ke yeh chakho. meine gudd chakha toh mitha laga phir usne kaha ab apni anghoti chakho, jab apni anghoti chakhi toh koi lazzat mehsoos nahi hui. woh kehne laga yeh be lazzat chiz dedo aur lazzat wali chizz lelo. Mene uski baton me akar use sone ki anguthi dedi aur gudd ki dalli leli.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'184,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ IMAAN AUR MUSHAIDE MEIN FARK ۩
⚄ →yeh aajiz iss baat ko samjhane ki khaatir aap hazraat se yeh sawaal puchta hai, aap iska jawab dijiyega. kya aap hazraat ka imaan hai ke mere haath mein qalam hai?
(saamayeen ne baik zaban hokar kaha, ji haan.) sab hazraat farma rahe the ji haan.
⚄ →hanlaake yeh jawab galt hai. Sawal yeh tha ke kya aapka imaan hai ke mere haath mein qalam hai aur aap dekh kar farma rahe hai ji haan. Mere bhai! dekh kar kehna toh musha'ida kehlaata hai. Lehaaza yeh imaan nhy hai.
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'185,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →agar yeh aajiz yeh sawal karta ke kya aapka imaan hai ke meri jaib mein qalam hai aur aap mujhpar yaqeen karte hue ke munbar per baith kar kyun jhut bolengey tasdeeq kardete toh yeh imaan hota lihazaa ab toh yeh musha'ida hai.
⚄→imaan aur musha'ida ke darmiyaan fark karne ki zaroorat hai. dekhna kuch aur chiz hai aur bin dekhe kisi par aietemaad karke kuch maan lena aur chiz hai.
⚄ →Imaan yeh hai ke hum ne nabi صل اللہ علیہ و سلم par aietemaad karte hue har chiz ko tasleem karliya jo apne rabb ki taraf se laaye h, yeh bin dekha sauda hai jab dekhlengey toh phir iski qeemat nahi rahegi.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'186۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆t☆☆☆☆☆★
۩ SABSE ZYADA AJEEB IMAAN ۩
⚄ →Nabi صل اللہ علیہ و سلم ne ek martaba jihaad se waptas tashreef laate hue darya ke kinaare par padaao daala. aap apni zarurat se farig hue, aur aap ne usi waqt tayammumt farmaliya.
⚄→ek sahabi رضی اللہ عنہ ne arz kiya: Aye Allah ke nabi صل اللہ علیہ و سلم woh samne paani hai, farmya kya malum ke yahan se wahan jaane tak meri zindagi saath degi yaa nahi. isliye meine ahtiyaatan tayammum karliya hai. Fir apne jakar wuzu kiya aur namaz ada ki.
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'187,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →iske baad sahaba kiraam rz.anhum Aap صل اللہ علیہ و سلم ke gird halqa bana kar baith gaye. Nabi صل اللہ علیہ و سلم ne farmaya: Ae mere sahaba! yeh batao sab se zyada ajeeb imaan kinka hai?
sahaba رضی اللہ عنہم ne kaha ke aye Allah ke nabi صل اللہ علیہ و سلم sabse zyada ajeeb imaan farishto ka hai.
⚄→nabi صل اللہ علیہ و سلم ne farmaya nahi. farishte kaise imaan nahi layengey woh tog noor se bane hue hai, arsh ke upar ke imaan ko dekhte hai. Aur woh Allah ki maasiyat kar hi nahi sakte..
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'188,۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →iske baad صحابہ کرام رضی اللہ عنہم ne arz kiya: aye Allah ke nabi صل اللہ علیہ و سلم Allah aur us ke Rasool صل اللہ علیہ و سلم hi zyada behtar jante hain ke kis ka imaan zyada ajeeb hai.
⚄→Nabi صل اللہ علیہ و سلم ne irshaad farmaya ke mere صحابہ رضی اللہ عنہم mere baad meri ummat ke kuch log aayengey‚ woh mere parda farma jaane ke sainkdo saal baad paida hongey. woh log aise waqt aayengey jab naa toh woh mera deedar karengey, naa quraan ko utarta dekhengey aur naaa farishto ko utarta dekhengey.
⚄ →mazeed bar'aa har taraf fitne hongey‚ shakook wa shohbaat paida kiye jayengey. Lekin jab ulma inke saamne meri baaton ko paish karengey toh woh meri mohabbat mein us baat ko bin dekhe maan lengey.
Un logo ka imaan Allah rabbul izzat ke nazdeek bada ajeeb hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'189۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ ISTIQAMAT KI AHEMIYAT ۩
⚄ →yaqeenan yeh badi ajeeb baat hai ke humne Allah aur رسول صل اللہ علیہ و سلم ko bin dekhe manaa hai. is mishkate nabuwat ko farozaa hue 1400 saal guzar chuke hai. aaj charon taraf fitne hain‚ zulmat hain, fasaad hain.
⚄→har taraf log imaan par daaka daalne ke liye tayyar hain aur aaj sidhe raste se hatane ke liye maujud hain. is waqt jo imaan ke upar jamaa hai woh Allah rabbul izzat ke yahan bade darje wale hain.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'190۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ ZINDAGI GUZARNE KE DO TARIQE ۩
⚄ →zindagi guzarneke do tariqe hain‚ ek tariqa nazar ki zindagi guzarna yaani jo aankh dekhti hai usko maan lena. maslan aankh dekhti hai ke rishwat lene mein faida hai, paisa aaraha hai. aankh dekhti hai ke dhoka dekar maal kamao munaafa zyada hai‚ aankh dekhti hai ke milawat karlein toh zayada amadni hoti hai.
⚄→yaani aankh dekhti hai ke in kaamo mein zyada faida hai. ab jo banda ispar amal karega woh goyaa mushaayedaa aur nazar ki zindagi guzarne wala hoga‚ aur dusra tariqa yeh hai ke khabar ki zindagi guzaarna. maslan ek aadmi Allah rabbul izzat ko dekhta hai ke milawat karne se mana farma diya gaya hai. isliye nuqsaan dekh kar piche hat jaata hai...
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'191۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →woh samajhta hai ke rishwat lena gunah hai. Lehaza woh piche ruk jaata hai. isi tarah kisi ko dhoka dekar maal hasil karna gunah hai. lihaza woh bhi piche hat jata hai. isko imaan waali zindagi bhi kehte hai.
⚄→bil alfaaz deegar khabar ki zindagi se muraad yeh hai ke Allah rabbul izzat ki taraf se jo deen mila hai uspar aankhein band karke yaqeen kar liya jaaye aur jo aadmi apni aankh se dekhta phirta hai shar'ai yaa gair Shar'ai har tareeqe se faida uthane ki koshish karta hai.
yeh do nazar ki zindagi guzarne wala hai. Yeh sab yaad rakhna ke hamari kamyaabi khair ki zindagi guzarne mein h. nazar ki zindagi guzarne mein nahi. misaalo se baat wazeth karne ki koshish ki hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'192۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ ZINDAGI GUZARNE KE DO TARIQE ۩
★→ PEHLI MISAAL
⚄ →jadoogaron se muqable ke dauran moosa a.s ke chaaro taraf saanp maujud hain. aapke haath mein faqat asaa hai. aisi halat mein aqal se pooche ke kya karna chahiye toh aqal kahegi ke apni laathi ko mazbooti se pakde.
⚄→aur jo saanp aap ke qareeb aaye yeh laathi iske sar par maare aur ise kuchal kar rakh de. is tarah aap saanp se bach jayengey magar laathi ko haath se math chodna aur agar chodd baithe toh ummeed ka aakhiri sahara bhi khatm hojayega...
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'193۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →aur parwardigaar se puche ke iss halat mein mujhe kya karna hai toh Allah taa'la ki taraf se hukm aata hai k Ae mere pyaare moosa! aap apne asaa ko zameen par daal dijiye.
⚄→ab aqal cheekhti hai chillati hai, shor machaati hai, aur kehti hai ke nahi nahi laathi ko zameen par naa daalna warna tumhari umeed ki aakhiri kiran bhi khatm hojayegi...
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'194۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →magar hazrat Moosa alaihis salam Allah rabbul izzat ke paigamber the. lehazaa unhone uske mutabiq amal kiya jo Allah taala ka hukm tha.
⚄→jaise hi moosa alaihis salam ne asaa ko zameen par daala woh asaa azdaha ban gaya aur usne sab saanpo ko kha liya aur Allah rabbul izzat ne moosa alaihis salam ko kamyaab farma diya.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'195۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
★→ DUSRI MISAAL
⚄ →hazrat moosa alaihis salam ke saamne daryae neel hai aur piche firon ki fauj zafar mauj hai. Jab moosa alai his salam ke sahaba ne dekha toh kaha: ab toh hum pakde gaye.
⚄→farmaya hargiz nahi. ek yaqeen bhari tawaaz uthi..
MERA RABB MERE SAATH HAI WOH ZARUR MERI REHNUMAAI FARMAYEGA.
( continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'196۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →ab aise mauqe par aqal se puche k bande ko kya karna chahiye. aqal kahegi k aagey paani ka darya hai aur piche insaano ka darya aur tum darmiyaan mein ho.
⚄→tumhare haath mein sirf laathi hai. tum isse mazbooti se pakadna aur dushmant ka datt kar muqabla karna ho sakta hai tum kamyaab hojaao...
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI5 TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'197۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →Allah ta'ala se puchiye ke Rabbe kareem in halaat mein kya karna chahiye. Allah ta'ala irshaad farmate hain: Ae mere pyare moosa! aap is laathi ko paani par maariye.
⚄→aqal chikhti hai, chillati hai shor machaati hai, aur kehti hai k agar paani par laathi marogey toh kya banega...
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'198۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →Agar laathi maarni hai toh firon ke sar par Maro, paani par maarne se kya milega? hazrat moosa A.s ne wahi kiya jiska Allah taa'ala ki taraf se hukm tha.
⚄→chunancha hazrat moosa a.s ne jab Assa ko paani par maara toh baarah raaste ban gaye. Allah ne inko kamyaab bana diya aur firon aur iski qaum ko darya mein garq farmaa diya.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'199۩■■▩═══❖
★⚄→TADABEER NO.7 ↴↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGIT GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
★→teeseri misaal
⚄ → jab hazrat moosa alaihis salam bani israil ko lekar darya se aagey waadie tehma mein pauhanche toh dekha ke wahan paani nahi hai. hazrat moosa alaihis salam ki ummat ke log paani na hone ki wajah se parehsan hue.
⚄→aur kehne lagey hazrat yahan toh paani bhi nahi hai kya karein? is mauqe par aqal se poochein toh aqal kehti hai ke aap ke paas is waqt toh koi hathyaar nahi hai sirf ek laathi hai lihazaa aap iss lathi ki madad se kunwa khod dein. Ho sakta hai iss ghadhe se paaani nikal aaye...
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'200۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.7 ↴ ↴
★IMANO YAQEEN★
★AUR ISTEQAMAT KI★
★ZINDAGI GUZARIYE★
★☆☆☆☆☆☆★
⚄ →lekin zaraa ahista ahista ehtiyaat se khoddta taake kahin laaathi toot na jaye. agar laathi toot gai toh ummeed ka aakhiri sahara bhi khatm hojayega.
⚄→iss halat mein Allah ta'ala se puchiye k yaa Allah ab kya karna chahiye toh Allah taala farmaate hai mere pyaare nabi alaihis salam aap paththar par laathi maariye...
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
◆Part -201◆
©ontinue....
Next time Insha Allah
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
☆☆☆
No comments:
Post a Comment