Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Tuesday, October 11, 2016

TABLEEG RAHE NIJAT HAI 351 SE 400

 
       Bismillahirrahmanirraheem

              
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-351*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Khuda se Zinda Talluq aur Raahe Khuda Kï isteqamat*_

↬• Aaj log masa'ikh aur buzurgo mai karamaat dhoondhte hai'n, Us Shakhs ko buzurg maante hai'n jiske andar Karamat aur Khaariq Adaat cheeze payi jati ho chahe Wo Khuda se zinda talluq rakhta ho ya na rakhta ho ,Shariyat ke Ahkaam per Amal karta ho ya na karta ho ,Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ke tareeqo ko apnata ho ya na apnata ho ,

★• Lekin dar Haqeeqat Sabse Badi buzurgi ye hai k Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ka Sachchi pervi kare aur Aapke qadam ba qadam zindgi guzaare ,

★• Sekh Abu Saieyd Abul khair Reh .se logo ne Kaha k ,Fala Shakhs paani per chalta hai ,Unhone farmaya, " Haa'n ! Ghaas ka Tinka bhi paani per chalta hai ,( ye koi Kamaal Kï baat nahi )

*_ Fir kaha gaya ," Fala Aadmi Hawa mai udta hai ,"
farmaya :- ( theek hai) cheel aur makhkhi bhi Hawa mai udte hai'n "

*_ Fir kaha gaya k Fala Aadmi ek lahze mai ek Shehar se Doosre Shehar chala jata hai,
Farmaya :- ( isme kya rakha hai) Shaitaan to ek dam mai mashrik se magrib tak chala jata hai, in Baato Kï koi qeemat nahi ,Marde Haq dar asal Wo hai Jo makhlooq ke darmiyan nashisht v barkhasht rakhe ( milta julta ho ) ,Bivi Bachche rakhta ho aur Fir ek lahza bhi Khuda se gaafil na rahe ,"

★ • Hazrat Ji Kï zindgi isi Kï pervi thi ,Mujahid v Riyazat mai koi Kami nahi Kï ,aur husoole maarfat mai Kamaal Haasil kiya aur baaz dafa karamato ka bhi zahoor hua ,Lekin unke yaha karamato ki koi ahmiyat na thi ,balki isteqamat, itteba e Shariyat ,Allah se talluq aur Nabi Sallallahu Alayhivasallam se Muhabbat Kï ahmiyat zaahir thi ,

★. Subeh se shaam tak Hazrat Ji Reh logo ke saath uth te beth te they, Khate pite they, Har tarah ke Aadmiyo se guftgu karte they, Lekin ek Lamha bhi Khuda ke Zikr se gaafil aur Allah ke talluq se Khaali na hote they,,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *352 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-352*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Apni Khwahish Ka islaam*_

↬• Hazrat Ji ke nazdeek is waqt islam per chalna Jo mushkil ho raha hai aur har taraf islam ke khilaaf awaaze Buland ho rahi hai'n iski vajah ye hai k Musalmano ne islam ko apni khwahish ka bana rakha hai, Unhone islam ko apne mizaaj ke taabe bana liya hai ,

★• Farmaya ;- Aaj kehte hai'n k mojooda zamane mai islam chalne wala nahi hai , Sahi hai islam ko apni khwahish aur apni haalat ke mutabiq bana ke chalaoge to Wo islam rahega hi nahi ,Wo to tumhari banayi hui ek nayi cheez ho jayega ,"

★• Kisi ne apne Badan per Godne wale Sher Kï tasveer banani chahi ,Jab Wo Sooi se godne laga aur Takleef hui to godne wale se kaha k Kya bana rahe ho ? Usne kaha ",Sher Kï Dum bana raha hu'n ," Us Aadmi ne kaha k  Dum chhod do ,bager Dum ke bhi Sher Kï tasveer ban sakti hai,

*_ Godne wale ne doosri taraf se banana shuru kiya ,Ab fir usne kaha ,Kya bana rahe ho ? Usne kaha k Kaan bana raha hu'n ,,Usne kaha bager Kaan ke bhi Sher Kï tasveer ban sakti hai,

★ •To Bhai Dosto ! Yahi islam ke saath ho raha hai k Apne mizaaj ke badal Jane Kï vajah se islam per chalna mushkil ho raha hai to islam Ko chhoda ja raha hai aur  usko apni  khwahish ke mutabiq banaya ja raha hai, "

★. Aaj Deen ke Jin Ahkaam per Musalman Amal nahi kar rahe hai'n, Chahe Wo Ahkaam kisi Shobe ke ho ,Un per Amal karne se ya to Musalmano ke Maal per zad padti hai ya Jaan Jism per ,isliye in Ahkaam per Amal karna unke liye Sakht mushkil ho raha hai aur islam ke maanne ke bavjood uske Ahkaam ke khilaaf zindgiya'n guzaar rahe hai'n, "

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *353 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-353*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Avvaleen Shart*_

↬• Hazrat Ibne Masowd Raziyallahu Anhu Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke mutalliq farmate hai'n k ,Pehle humne imaan seekha ,uske baad Qur'an Kï Taleem Haasil Kï ,

★• Yahi vajah thi k Sahaba kiraam ke andar islam ka ahatram Allah v Rasool Sallallahu Alayhivasallam Kï qadro manzilat ,ahkaame khudawandi ka khayal aham tha ,Varna ilm  chahe Jitna bhi aa jaye ,agar imaan na ho to Wo ilm wabaale Jaan ban jata hai,

★• Hazrat Ji isi line per chal kar imaan billaah ko avvaleen shart qaraar dete Hai'n aur saath hi saath Tareeqa e muhammadi ko akhtyar karne aur Sunnat ko is shart Kï ek Kadi qaraar dete Hai'n,

★ • Farmate hai'n :- Sabse pehle kaam ye hai k apne mizaaj ko islam ke mutabiq bana liya jaye aur ye jab banega jab is baat ka Yaqeen paida ho jaye k Kisi makhlooq se kuchh nahi hota ,Sab Allah se hota hai aur Halaat ka banaav v bigaad aur kaamyabi v nakaami ,Cheezo ke hone na hone se nahi hoti balki Allah Ta'ala ke faisle se hoti hai,

*_Aur Allah Ta'ala banane aur chamkane ka faisla karenge jab mai Muhammad Sallallahu Alayhivasallam ke tareeqe per aa jaunga ,, *To is Raaste per chalne ke liye khaarji nahi balki dakhili daulate'n chahiye, Khuda ka Yaqeen ho ,Khuda ka dhyan ho, Khuda ka Khof ho ,Muhammad Sallallahu Alayhivasallam ke tareeqe per Khuda ke Khazane se Milne ka aur niyamato ke darwaze khulne ka Yaqeen ho,*

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *354 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-354*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Imaan v Yaqeen Kï Tashreeh*_

↬• Hazrat Ji Reh imaan Kï tashreeh kitne achhute andaz mai farmate hai'n,

*_imaan zawahir per Zawahir ke mutabiq Yaqeen karne ka naam nahi balki Zawahir v Rivaaj v  insaan ke Mushahidaat ke bar khilaaf Khuda wande Quddus Kï zaat v Sifaat aur unke wale Amaal aur un Amaalo per Unki wali Khabro per Yaqeen Jama lene ka Naam imaan hai ,"

★• Hazrat Ji ke nazdeek imaan v Yaqeen hi esi taaqat hai jiske zariye Ummat Muhammadiya Taraqqi kar sakti hai, Ummat ka ek khaas mizaaj hai Wo doosri qaumo Kï tarah nahi hai, iski tarkeeb iska mizaaj Sabse juda hai , isliye Sabse Pehle imaan v Yaqeen ko zinda karna zaroori hai,

★ • Hazrat Ji Kï nigaah mai gairullah Kï be yaqeeni itni zyada thi k ek lamha ke liye iske tasavvur ko bhi bardasht nahi karte they ,

★. Ek waqt farmaya :- Atom bom se darna esa hi hai jese mushrikeen apne patthar ke Buto se darte they aur Ummeed rakhte they, Atom bom aur atom bom walo Kï gardane qudrat ke haath mai Hai'n ,Atom bom se Wo hoga Jo Khuda chahega , Firoun bhi Apne aapko taaqatwar kaha karta tha ,magar Khuda ne usi paani  ko uske garq v barbaadi ka Samaan bana diya ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *355 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-355*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Androoni Tabdeeli*_

↬• Hazrat Ji Reh. Ke khayal mai Ummat Kï islaah berooni Tabdeeli se nahi balki Androoni Tabdeeli se ho sakti hai, Maal v Zar Kï zyadti ,Husno Jamaal ,Achchhi Poshaake ,Maaddi Taraqqi se Ummat Kï islaah Na-mumkin hai ,iske liye Zaroori Hai k Ummat apni andar Kï Duniya badle aur Allah se talluq badta chala jaye ,

★•Kaamyabi aur Na-kaami insaan ke andar ka Haal ka Naam hai  ,Bahar Kï Cheezo ke naqshe Ka Naam Kaamyabi aur Na-kaami nahi hai ,,,,

★• insaan ke andar Kï Maaya uska Yaqeen aur uske Amaal hai'n ,insaan ke andar ka Yaqeen aur andar se nikalne wale Amaal agar theek honge to Allah jal Shanh andar Kaamyabi Kï haalat paida kar denge ,Chahe Cheezo ka naqsha kitna hi past ho,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *356 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-356*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Ummat ka Jaama Tasavvur*_

↬•Hazrat Ji Maulana Yusuf Sahab Reh kisi khaas giroh ko pasand nahi karte they, Wo Ummat ke qaayal they aur Ummat ka ek jaama Tasavvur pesh karte they, aur Chahte they k ye Ummate Muslima Kï Dawat bane ,

★• Farmaya :- Ye Ummat Badi mashakkat se bani hai ,isko Ummat banane mai Huzoor Sallallahu Alayhivasallam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne Badi mashakkate uthaayi hai'n, aur Unke Dushmano Yahood v Nasaara ne hamesha iski koshish Kï hai k Musalman ek Ummat na rahe ,balki Tukde Tukde ho ,,Ab Musalman Ummat hone Kï sift kho chuke hai'n, Jab tak ye Ummat bane hue they, Chand Laakh bhi Duniya per bhaari they, "

★• Ye Ummat is tarah bani thi k Koi Aadmi apne khandaan ,apni biraadri ,apni Party, Apni Qaum ,Apne Watan ,Apni Zabaan ka haami na tha ,Maal v Jaaydaad aur Bivi Bachcho Kï taraf dekhne wala bhi na tha ,balki har Aadmi sirf ye dekhta tha k Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alayhivasallam kya farmate hai'n,

★ • Ummat Jab hi banti hai Jab Allah aur uske Rasool Sallallahu Alayhivasallam ke Hukm ke muqable mai saare Rishte aur Saare Talluqaat kat jaye ,

★. Ummat kisi ek Qaum aur ilaaqe ke rehne walo ka Naam nahi hai balki Sainkdo hazaaro qaumo aur ilaaqo se Jud kar Ummat banti hai, Jo koi kisi ek Qaum ya ek ilaaqe ko apna samajhta hai aur Doosro ko gair samajhta hai Wo Ummat ko zibah karta hai aur uske Tukde Tukde karta hai ,aur Huzoor Sallallahu Alayhivasallam Aur Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum Kï Mehnato per paani ferta hai ,

★• Ummat ko Tukde Tukde pehle humne kiya hai ,Yahood v Nasaara ne to uske baad kati kataayi Ummat ko kaata hai ,Agar Musalman ab bhi Ummat ban jaye to Duniya Kï Saari taaqate mil kar bhi Baal baanka nahi kar sakengi ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *357 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-357*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Ummat Kaise Banegi,*_?

↬• Farmate hai'n :- Sirf Kalma Namaz aur Tasbeeh se Ummat nahi Banegi ,Ummat Aapas ke mail milaap aur Mashrat ki islaah se aur Sabka Haq ada karne se ,aur Sabka ikraam karne se Banegi ,balki Jab Banegi Jab doosro ke liye apna Haq apna hissa qurban kiya jayega ,Huzoor Sallallahu Alayhivasallam aur Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne apna Sab kuchh qurban kar ke apne ouper takleefe jhel kar is Ummat ko Ummat banaya tha ,

★• Ummat ke banane aur bigaadne mai ,Jodne aur Todne mai ,Sabse zyada dakhal zabaan ka hota hai, Zabaan Dilo ko jodti bhi hai aur Phaadti bhi hai ,Zabaan se ek Galat baat per fasaad Kï laathiya chal jati hai aur ek hi baat Jod paida kar deti Hai, aur Phate hue Dilo ko mila deti Hai,

★• isliye Sabse zyada Zarurat hai k zabaano per qaaboo ho ,Aur ye jab ho sakta hai jab banda har waqt iska khayal rakhe k Khuda Har waqt aur har jagah uske saath hai aur uski har baat ko sun raha hai, "

★ • Mere Bhaiyo aur Dosto ! Allah v Rasool Sallallahu Alayhivasallam ne shiddat se un baato se mana farmaya hai Jinse Dilo mai farq pade ,foot ka khatra bhi ho ,Do Do Chaar Chaar alag kaanafoosi kare isse Shaitaan Dilo mai Badgumani paida kar sakta hai ,

★. Isse bhi mana farmaya hai k koi buraai Jo maloom na ho usko tajassus kar ke maloom kiya jaye aur buraai kisi Kï maloom ho gayi to usko Doosre ke saamne Zikr karne se mana farmaya aur Geebat ko haraam kiya gaya ,Ye cheeze Wo hai Jo Ummat mai aapas mai Farq paida kar ke Ummat Kï sift ko todti hai ,

★• Iska ilaaj aur Tod yahi hai k Tum apne ko Huzoor Sallallahu Alayhivasallam wali Mehnat mai laga do ,Musalmano ko Masjido mai laao ,Waha imaan Kï baate ho ,Taleem v Zikr ke halqe ho ,Deen Kï Mehnat ke mashware ho ,Mukhtalif tabqo aur Mukhtalif biraadriyo ke aur Mukhtalif zabano wale log Masjide Nabvi wale tareeqe per in Kaamo se Jude ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *358 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-358*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*islaam Kï Hayaat Ka Tareeqa*_

↬• Farmate they :-Ye khayal galat hai k Mulko Maal haath aa Jane se islam chamkega ,Mulko Maal to islam ko zinda dargor kar rahe hai'n,

★• Aaj jinke haatho mai Hukumat aur uske Khazane hai'n Wo Abu Bakar Raziyallahu Anhu aur Umar Raziyallahu Anhu ke numainde nahi hai'n balki Qaisar v Kisraa aur Shadda aur Qaroon ke numainde hai'n, Unse islam Kï tawaqqo rakhna bilkul galat hai ,Unke haatho mai islam ka Jo Haal hai usko dekh kar to Dil kehta hai, Allah is Murde mai ab kaise Jaan daalega ,"?

★• Deen Jab bhi chamka hai qurbaniyo'n se chamka hai, Aaj bhi qurbaniyo'n se hi chamkega ,islam ke liye qurbaniya'n ho to ye Dushmano ke ghaire mai bhi chamakta hai aur jab qurbaniya'n na ho to Apni Badshahat mai bhi MIT jata hai, "

★ • Ambiya Alaihissalam ka Paigaam aur Tajurba hai k Maslo ka Hal aur Kaamyabi na Maal mai hai ,na Hukumat mai ,na aksariyat mai ,Balki Allah ke Amr se wabasta ho Jane mai aur uski Raah mai Mujahida karne mai hai ,

★. Qur'an Majeed mai Ambiya Alaihissalam ke Jo waqiyaat Bayan farmaye gaye Hai'n, Un per gor kijiye ,unka Haasil aur Khulasa aur Rooh  Yahi hai k Aksariyat aur Daulat aur Hukumat kuchh nahi ,Asal cheez Allah ka faisla aur Uski Madad hai ,Aur Wo un Bando ke saath hai Jo uske ho jaye'n aur Uski Raah mai Qurbaniya'n de'n ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *359 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-359*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Zaat v Sifaat Ke bajaye Amaal v Akhlaaq*_

↬• Hazrat Ji Reh ke nazdeek Salaah v Falaah aur Kaamyabi Sarfarazi mai kisi Kï zaat v Sakhsiyat ka dakhal nahi hota balki uska maiyaar Amaal v Akhlaaq hai ,

★• Duniyavi haisiyat se ek kam se kam tar insaan ke Amaal v Akhlaaq agar achche hai'n to nusrat e khudawandi uske saath hogi aur Wo Kaamyabi v Sarfarazi Kï Buland se Buland satah per pahunch jayega ,

★• Aur Duniyavi haisiyat se kisi ke paas Daulat v imaarat ,izzat v wajahat aur quwwat v taaqat Kï Saari daulate Haasil hai'n magar Akhlaaq v Amaal ke lihaaz se Wo past tareen hai ,Khuda ka gazab usko apni lapet mai le lega aur uski Zaati haisiyat aur Sakhsiyat uske kuchh kaam na aa sakegi ,

★ • Allah Ta'ala Kï madad zaato Shakhsiyato Kï vajah se nahi aati balki unke Amaal v Akhlaaq aur Avsaaf Kï vajah se aati hai, Allah Ta'ala ne Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Kï Jo madad farmayi ,usi tarah Aapke Sahaba kiraaam aur baad mai Auliya Kiraam per Allah Ta'ala ke Jo inamaat hue aur Unki Jo madade farmayi gayi ,Wo Unki Shakhsiyato Kï vajah se nahi balki unke Amaal aur Khaas kar Allah ke liye Unki Qurbaniya'n aur Deen ke Raaste mai Unki mehnato Kï vajah se farmayi gayi ,

★. Aaj bhi Jo Allah Kï Wo madade chahe ,Wo unke liye Amaal aur unki Wali Qurbani aur Mehnato ke Raaste per pad jaye to Wo Allah Kï madad ko aata hua khud apni Aankho se dekh lega ,"

★• Amaal se muraad Hazrat Ji ke nazdeek, Allah ke awaamir aur Huzoor Sallallahu Alayhivasallam wale Amaal hai'n aur Ye Amaal Yaqeen aur ilme nabuwat Kï roshni se hat kar nahi paida hota ,isi tarah Akhlaaq bager Amaal Kï durustgi ke aur ibaadat ke nahi paida hote ,aur Akhlaaq Wahi theek hai Jinme Ikhlaas v lillahiyat ho ,Varna Unki koi qeemat nahi hai balki ESE Amaal tabaahi laane wale hote hai'n,

★. Aaj bhi Jo koi Allah Kï madade chahe Wo unke wale Amaal aur Unki wali qurbaniya'n aur Mehnato ke Raaste per Pad jaye to Wo Allah Kï madad ko aata hua apni Aankho se dekh lega ,

★• Aur Ye bhi fatmate they, K Jo insaan Khaliqe Kaaynaat aur Asale Kaaynaat Huzoor Sallallahu Alayhivasallam ko Jane aur maane bager Kaaynaat Kï Cheezo mai ghuste hai'n, Unki haisiyat Choro aur Dakuo'n Kï si hai ,Unhe'n Maal v Daulat to mil sakte hai'n magar Sukoon v mehboobiyat hargiz hargiz nahi mil sakti ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *360 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-360*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Ikhlaas v Lillaahiyat*_

↬• Hazart Ji ke nazdeek ikhlaas Amaale Saleha Kï Jaan hai ,Bager ikhlaas Amal Be-Rooh aur Be-jaan hota hai,

★• Jab tak Yaqeen aur ilm e nabuwat ke mutabiq ibaadaaat durust na ho jaye ,Akhlaaq nahi aate,aur Jab Tak hum mai Akhlaaq nahi aayenge Doosro mai Deen nahi felega ,,,,,,,Aur farmate they Agraaz ke liye kisi se koi Sulook karna Akhlaaq nahi hai, balki Koi kaam bhi Jab tak usme ikhlaas na ho uski qatan koi qeemat nahi ,

★• Mufti Zainul Aabedeen Reh Farmate hai'n k ek Din majlis se uthe aur mere kandhe per haath rakh kar farmaya :- Mufti Sahab ! Amal ikhlaas ke bager Murda to hai hi aur dekho Gharo ,Bazaro ,Daftaro ,Yaha'n tak k Madaris v Masajid mai bhi ese Murdaaro ke dhair lag rahe hai'n,

★ • Farmate They, Allah Kï Raza ke alawa kisi bhi Niyat se Karna nafsiyat hai ,Maal mil jaye ,Maal bad jaye ,Log tareefe kare ,Bada ban hai'n ,Shohrat mil jaye ,Ohda mil jaye ,Meri baat chalne lage ,Meri Raay poochhi jaye ,.....in Agraaz ke liye Amal karna hargiz Ikhlaas aur lilllahiyat nahi hai ,

★.  Jo Log Sirf Razae ilaahi ko maqsood bana kar chalte hai'n, Un per jab Allah ke Vaade poore hote Hai'n aur Maal v Mulk Kï niyamate'n milti hai'n to Wo Unko Apni zaat per Kgarch karne Kï bajaye Deen Kï ishaa'at aur Makhlooqe Khuda per Mahaz Raza e ilaahi ke liye kharch kar dete hai'n, Jese Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne kiya tha ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *361 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-361*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*ILM aur Ulma Kï Qadar*_

↬• Hazrat Ji Reh. Kï nigaah mai Ilm Kï Badi Azmat thi aur aksar ilm ko Haasil karne ke liye Targeeb diya karte balki Tableeg Dawat tehreek Ke Buniyadi usoolo mai ilm ka Haasil karna bhi hai ,Lekin Hazrat Ji us ilm ko mufeed jaante aur saraahte they Jo imaan aur Yaqeen ko paida karne wala ho Ya Jo imaan v Yaqeen ke zariye Haasil ho ,

★• Hazrat Ji Taleem V Ta'allum ( Seekhna Sikhana ) Kï esi saakht ke qayal they Jiske Nateeje mai ilm ke saath Amal ho ,Amal ke saath Taleem ho aur Taleem ke saath Ta'allum ho , Jiske zariye har Zarurat aur har moqe Kï amali Taleem mile ,aur Deen ke nazariyati Usool hi maloom na ho balki unka saleeqa bhi paida ho ,Huzoor Sallallahu Alayhivasallam aur Sahaba Kiraam ke yaha yahi Tarteeb thi aur Sahaba Kiraam ne isi tareeqe se Deen seekha tha aur Hazrat Ji isi per Zor dete they aur isi tareeqe ke liye jaddo jahad aur Jaani Maali Qurbani aur Mehnat v Mashakkat Kï Dawat diya karte they,

★• Ek Madarse mai Bukhari Shareef ka Khatm tha ,Khatm per Aapne farmaya :- Bhaiyo'n ! Aapne Bukhari khatm Kï ,ilm Haasil hua ,ab isi ilm per Teen Maqsado ke liye Mehnat Zaroori Hai,

*_1:-is ilm ke mutabiq apne andar ka Yaqeen,
*_2:- is ilm ke mutabiq Amal ,
*_3:- is ilm v Amal ko Aalam mai failana ,

★ • Ek Martaba Ulma ke Taleemi Halqe ke Khatm per farmaya:- Hum ye nahi chahte k Bukhari padhane walo ko Attahiyaat padhane per laga de magar ye zaroor chahte hai'n k Bukhari padhane walo ke nazdeek Attahiyaat yaad karane Kï bhi intehayi ahmiyat ho ,isliye k ye bhi Huzoor Sallallahu Alayhivasallam ke uloom mai se ek ilm hai , isko gair aham samajhne wala Kahi ka na rahega ,aur ye bhi chahte Hai'n k Taleem ka ye darja bhi mahireen e Bukhari Kï nigrani mai ho ,

★. Ek Waqt Farmaya :- Dekhiye Khoob Samajh lijiye ,Hum Akabire Ulma ke har waqt Mohtaaj hai'n, Unke bager charah kaar nahi ,unke Daaman ke saath wabastgi Hamari Sa'adat hai ,inki qadardani Uloome Nabuwat Kï qadardaani hai ,Jis Qadar hum Unki Qadar v Khidmat karenge aur Unki khidmat mai haazri ko Badi ibaadat samajh kar unke irshadaat se faayda uthaate rahenge ,Usi Qadar uloome nabuwat ke anwaraat se munawwar hote rahenge ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *362 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-362*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Poore Nizaam Kï Tabdeeli*_

↬• Hazrat Ji Reh Deen ke kisi khaas Shobe ke Daayi aur ilm bardaar nahi they balki poore nizaam Kï Tabdeeli chahte they aur poore Mashre mai Saleh inqlaab Lana Tareeqa e Muhammad Sallallahu Alayhivasallam ke zariye logo ka zahan v dimaag badalna chahte they,

★• Maulana Naseem Akhtar Sahab Fareedi Jo Hazrat Ji Reh ki khidmat mai kai Baad gaye ,Unhone apne tassuraat Tehreer farmaye ,Ek guftgu ke mutalliq likhte Hai'n:-

*_ Aaj khair v Shar  Neki Badi ka imtiyaz baqi nahi raha ,Aaj ke Daur mai hum Sab mil kar ye kaam Anjaam de le k Ummat Khair v Shar mai imtiyaz karne lage to Bada kaam ho jaye ,Namazo Kï tashkeel ,Zakaat ka nijaam ,Roza ramzan ka ahatmam ,Fariza e hajj ke adaab Kï takmeel aur tamaam akhlaqi aur maaahi sudhaar ka masla aage ka marhala hai ,

★• Neki aur Badi ka Fark samajh jane ke baad fir saare ahkaame khudawandi per Zor dete ,Chahe Wo tijaarat v zara'at ke mutalliq ho ya Akhlaaq v maashre ke silsile ke ho ,Ya ibaadat v riyazat ke mutalliq ho ,Hazrat Ji Bazaar aur Masjid Dono ke nizaamo Kï durustgi ke Daayi they,

★ • Farmate they :- Hum ye chahte hai'n k Bazaar se Masjid tak nizaam aur Masjid se Betullah tak ka nizaam durust ho jaye ,"

★. Farmate they :-Muslim Kï har cheez Deen hai ,Basharte k Allah Ta'ala ke bheje hue Ahkaam aur Adaab ke rang mai rangi hui ho ,Hamara Khana Peena ,Sona Jaagna ,Hamara Bivi Bachcho ke saath bartaav ,Hamara Bolna aur Khamosh rehna hi Hume Taraqqi dilwate hai'n aur Allah Kï Raza aur uske vaade poora karwate hai'n, Jabki Allah ko Haazir Naazir samajh kar uske Ahkaam v farmaan ke mutabiq apne Nafs Kï khwahishaat ko daab kar ROK kar Muslim wali rakhi hui Tarteeb v utaari hui tarkeeb ke mutabiq Shab v Roz ke har kaam ko Huzoor Sallallahu Alayhivasallam wali zindgi Kï jhalak ke saath kiya jaye ,,

★• Aaj hamara ghar aur Dar ,Hamari Tijarat aur Khaitiya'n ,Hamari Bivi aur Bachche ,Sab hi mai Allah Ta'ala se qurb karne ke bajaye usse door karne Kï sift ka galba paya ja raha hai,,,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *363 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-363*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*infiradiyat Ya ijtimaiyat*

↬• Hazrat Ji Reh ke nazdeek is waqt Jitne bhi Masail Musalmano ko darpesh hai'n aur jin mushkilaat se Ummat e islamiya do Chaar hai ,Unka ijtimayi Mehnat aur infiradi Koshish hai,infiradiyat unka Hal nahi ,

★• Jo Log inka Hal infiradi Koshish ya infiradi Amaal ke zariye karna chahte hai'n Wo na to Ummat ke mizaaj se waaqif hai'n Na Wo koi Masla hal kar sakte hai'n, infiradi Amal se Taaqat toot kar Reh jati hai aur Ummat ko faayda pahunchne ke bajaye Nuqsaan pahunch jata hai ,

★• Ek Shakhs sirf Namaz Padhta hai lekin Doosro Kï Namazo Kï fikr nahi karta ,Ek Shakhs Roza rakhta hai aur Sirf Apne Roze per mutma'in ho kar Zindgi guzaarta hai aur Ummat se Be Parwaah ho kar Zindgi basar karta hai ,Uske Amal se na usko koi faayda pahunch sakta hai, na Ummat ko ,

★ • Farmaya:- Hamari Galat kaari Kï vajah se hamara zahan infiradi ban chuka hai ,Deen ke bare mai bhi aur Duniya ke bare mai bhi ,Yaha'n ke bare mai bhi aur Akhirat ke bare mai bhi ,Zahan bas ye ban gaya k Apni zaat wale Haal mai laga rahe ,Chahe Deen ka Haal ho ya Duniya ka ,isse Apna Musalla durust ho jayega ,

★. Lekin Shakhsi Ahwaal per taaqat kharch karne se Bala v Musibat kam nahi hoti balki izaafa hi hota hai, Ijtimayi ahwaal ko jab tak theek na bana liya jaye ,Us waqt tak Shakhsi haalat ka durust hona mushkil hai ,

★• Farmaya :- ijtimayi masle ke bigadne Kï soorat mai agar Qaum ke Auliya Allah  sudhaarne ke liye Raato ko Ro Ro kar bhi Duae'n karenge to Unki Duae'n bhi halaat ko behtar nahi bana sakti ,Agar Khuda Ta'ala ke yaha se faisla ho jaye k Kisi mulk ke insaan Bhooke mare to agar Bhook se bachne ke liye ek ek Shakhs poori tarah Jaan bhi khapa raha hoga tab bhi ek ek kar ke bhook se halaak ho jayenge ,Apni Zaat ke masle mai lag Jana hi to ijtimyi bigaad ka zariya hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *364 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-364*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Ijtimayi Taaqat Ka Masraf*_

↬• Aaj Fasaad v Halaakat aur bigaad badhta ja raha hai, Aaj Duniya bad akhlaqi,Be zameeri ,Khuda faramoshi aur halakat v tabaahi aur bepanaah musibato ke dahane per khadi hai , Har Taaqate maaddi taraqqiyo mai kharch ho rahi hai lekin ye taraqqiya'n hi zawaal ki vajah ban rahi Hai'n,

★• Farmaya :-Jis cheez per Allah Ta'ala Taaqat lagwana chahte hai'n Usme lagne se to Masail theek hote hai'n aur Jin Makhlooqaat per insaan khud taaqat kharch karta hai ,Usse Masail bigadte hai'n, infiradi bhi bigadte hai'n aur Ijtimayi bhi ,Taaqate jab makhlooq per kharch hone lage to Khuda ka gazab naazil hota hai aur Nateeja ye hota hai k Jo ek Doosre ke hamdard hote hai'n Wo Jaan lewa ho jate hai'n,

★• Doosri jagah Hazrat Farmate hai'n,:- Jo kuchh bhi hai zameen se Asmaan tak aur Jo is waqt mojood hai aur Jo aage aane wala hai ,Saari cheeze Allah Allah Kï makhlooq hai aur saare ahwaal bhi uske makhlooq hai'n, To bas jab kuchh Lena ho uske liye Allah hi per taaqat kharch Kï jaye ,Agar Khof se ghabrahat hai to bhi Allah hi se raabta paida kiya jaye ,Jis Khof ko Allah se hatwaoge Wo hamesha ke liye hat jayega ,

★ • Agar makhlooq per taaqat kharch kar ke koi cheez Haasil Kï to vajood uska bhi Allah hi ke paida karne se hoga ,Jo Shakhs Allah se na le aur Makhlooq se le To bahut hi pachhtana padega ,

★. Is waqt ke bigaad Kï vajah sirf ye hai k Hum sab Jo Allah Paak ke hukmo per Jaan khapane wale hote ,Wo makhlooq per Jaan khapane aur usi se lene ke Galat Tasavvur ke aadi ho gaye ,Allah Paak ke hukmo per Jaan Khapane per Allah Kï madad ka Yaqeen hoga usi qadar gaib se darwaze khulte jayenge ,

★• Agar Khuda ke Deen per Jaan khapane walo Kï miqdaar bade aur is per Yaqeen ho k chunki pyari zaat se waasta hai ,Hamari margoobaat ho ya makroohaat Allah hi Kï taraf se hai ,ye baat hai to Dilo ko poori tarah makhlooq mai Allah Paak ka Yaqeen paida karne ke liye, Thokre khaye aur Raat ko uski janaab mai gidgidakar dua maange ,to in sha Allah har tarah ijtimayi aur infiraadi ahwaal durust aur muwafiq ho jayenge ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *365 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-365*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Dawat Ka Khusoosi Kaam,*_

↬• Hazrat Ji Reh . Saare masail ka Hal Chahe Wo infiradi ho ya ijtimayi ,isme samajhte they k Har Fard ka imaan v yaqeen khuda per mazboot ho aur Jalwat v Khilwat mai uska raabta khuda se qaayam ho ,Huzoor Sallallahu Alaihivasallam wale Amaal ( Jinme ibaadat se le kar akhlaq v mashrat aur maamlaat tak hai'n) ka haamil ho aur in saari cheezo ka Daayi ho aur Ye Dawat Duniya mai ijtimayi tor per di jaye aur khusoosan ek esi Jama'at ho Jiska mojoo yahi ho ,

★• Farmate they :- Shaitaan tumhare Saath hai ,iska ilaaj ye hai k Tumme ek Jama'at ho Jiska mojoo hi Bhalaai aur Neki Kï taraf bulana ho aur Buraai aur fasaaad se rokna ho ,

★• imaan ke liye khair v Neki ke Raaste per chalne ke liye mehnat karta rahe ,Namazo per mehnat kare ,Zikr per mehnat kare ,Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke laye hue ilm per mehnat kare ,Buraiyo aur musibato se bachane ke liye mehnat kare aur in Mehnato Kï vajah se ek Ummat bani rahe,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *366 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-366*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Mehnat Ka Sahi Raasta,*_

↬• Aaj Duniya mai Mehnat Kï kami nahi ,Har Shakhs mehnat karta hai, Koi Kam koi zyada ,Lekin ye saari Mehnate apne zaati agraaz v maqsad aur Araam v raahat wali cheezo per Kï Jati hai ,

*_Hazrat Ji ke nazdeek ye saari Mehnate bekaar ja rahi hai'n, Mehnat Wo hai jisse insaan ka Haal badle aur Zahiri Tip Taap ke badle baatini araaatgi paida ho ,

★• Farmate they :- Aaj Kal is Duniya mai cheezo ke haasil karne ke liye barah raaat cheezo per mehnat karne ka rivaaj hai ,Khait wale Khait se Galla haasil karne ke liye bas Khait per hi mehnat karte hai'n, Tijaarat aur Saudagari wale aur Kaarkhane wale Bas dukaano aur kaarkhano per mehnat karte hai'n, Yahi Mehnat Aaj kal aam hai ,

★• Doosra Raasta ye hai k Mehnat v mujahida kar ke apne andar Taqwa paida kiya jaye aur fir Allah Ta'ala inaam ke Tor per apne khazana e gaib se cheeze aur barkate naseeb farmaye ,

★ • Qurane Paak mai farmaya gaya hai, Aur Jo Allah Ta'ala ka taqwa akhtyar kare to Allah Ta'ala uske waaste Raah nikaalenge aur usko waha se rizq ata farmayega jaha usko waham v gumaan bhi na hoga ,

★. Aur farmaya Jo Taqwa akhtyar karega Allah uske Kaamo ko asaan karega ,

★• Aur ek Jagah farmaya k ,agar in logo mai imaan aur taqwe Kï sifaat hoti to hum un per zameen v Asmaan Kï Barkato ke darwaze khol dete ,

★• Ab Duniya mai sirf maaddi cheezo per mehnat ka rivaaj hai, Taqwa paida karke Allah Ta'ala se Sahi Talluq qaayam karke Allah Ta'ala ke fazal v karam se lene ka Raasta log biilkul bhool gaye ,Halanki Yahi Raasta hai Jiski Dua har Namaz Kï har Raka'at mai Kï jati hai ,

★• Allah ke saare Nabiyo ,Rasoolo aur unki Raah per chalne wale sabhi maqbool bando ka yahi Raasta hai aur iske bar aks Jo log Allah Kï hidayat se mehroom hai'n aur Jin per khuda ka gazab hai Unka Raasta ye hai k Wo Allah Kï zaato sifaat ke yaqeen ,ibadaat se bilkul be parwaah aur bilkul be fikr ho kar sirf maaddi lino per mehnat kare ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *367 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-367*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Mehnat Ka Faayda,*_

↬• Nabiyo'n wali Mehnat na apni zaat ke liye thi ,na Duniyavi taraqqi ke liye ,Balki insaano Kï hidayat Maqsad rehta tha ,

★• Yahi Maqsad qayamat tak ke liye is Raaste ( Dawat) mai mehnat karne walo ka  hona chahiye , aur isi mai Khuda Kï madad aur aage ke liye Raaste khulte hai'n,

★• Hazrat Ji Reh. Farmaya karte they k ,Is Mehnat ka Faayda ye hai k Mehnat karne walo ko aur Saath hi Saath doosre insaano ko hidayat mil jaye aur insaan Deen per itna hi chalenge jitni khuda Kï taraf se hidayat milegi ,

★ • Mehnat Kï Satah jitni buland hoti jayegi utni hi khuda Kï taraf se hidayat Kï taqseem aam hoti jayegi , Woh Mehnat Jab khatm ho jati hai to hidayat Musalmano mai se nikalna shuru ho jati hai, Pehle Hidayat Karobaar Mashrat mai se nikalti hai k Karobaar mai Jo Deen ke ahkamaat hai'n unko chhod kar doosre tareeqo se Karobaar chalane lagte hai'n, Fir fara'iz nikalte hai'n aur fir Mukhtalif buraiya'n dakhil hone lagti hai'n Yaha tak k Musalman Deen se nikalne lagte hai'n,

★. Aur Jab ye Deen Kï Mehnat Kï jati hai to hidayat khuda Kï taraf se aani shuru ho jati hai fir Jis darje mai Mehnat taraqqi karti jayegi hidayat failti jayegi ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *368 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-368*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Mehnat Kï Satah aur Uske Nata'ij,*_

↬• Duniya mai Deen ke liye jitni Mehnat Kï Jati hai Usi ke ba-qadar uska nateeja baramad hota hai, agar mehnat is satah Kï Kï jaye k Jo log Be Namazi hai'n Wo Namazi ban jaye ,To Namazi banne lagte hai'n magar aur doosre ahkaam Kï pabandi nahi hoti ,agar ibadaat Zikr v Tilawat Kï mehnat Kï jaye to log Aabid v zaahid aur Shab bedaar ban jayenge magar maamlaat v maashrat ka Khana khali reh jata hai,

★• Hazrat Ji Reh. Mehnat Kï is satah per Raazi nahi they, balki esi Mehnat karana chahte they Jisse Deen ke Sare ahkaam Kï pabandi ho aur " Udkhulu fissilmi Kaaffah," ka darja haasil ho ,Wo iske liye zyada se zyada waqt Kï Dawat dete ,Unke saamne poore Aalam Kï hidayat ka masla tha ,

★• Farmate they, Asal imaan Kï Mehnat ka naqsha ye hai k esi fiza paida ho jaye k Jisko jis waqt jaha ke liye kaha jaye Sab mashagil chhod kar Raahe khuda mai chala jaye aur Jab Bahar ke Aadmi Deen seekhne ke liye is maqaam per aaye to Yaha bhi unke Saath lag jaye ,hame in jesi mehnat karne wala banna hai ,poori pooori Jaan lagane wala banna hai ,

★ • Jab Ye Qurbaniya Kamaal darje tak pahunch jayengi to un qaumo ko bhi Aapke zariye hidayat milengi Jo Asmaan per ud rahi hai'n, Wo Musalman Jo zindgi ke Kisi Shobe mai bhi islam Kï baat sunne ko taiyaar nahi Wo apne tamaam Kaamo ko islam ke ahkamaat ke muwafiq banane lagega aur Aap Hazraat Kï qurbaniyo ka badla Huzoor Sallallahu Alaihivasallam hoze kausar per khade ho kar dilwayenge Jaha Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ansar Se Milne aur unki qurbaniyo ka sila dilwane ka Vaada farmaya ,

★. Ba sharte k ye Tai kar lo k Khuda Jo kuchh in mehnato ke baad dega Wo haasil kar ke doosro ko denge aur khud na lenge ,esa karne mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï jhalak payi jayegi Kyunki Aap Qurbaniyo ke daur mai Sahaba Kiraam ke Saath they aur Jab Niyamate Milne ka waqt aaya to Aap taahreef le gaye aur sirf Akhirat per nigaah rakhenge ,Wahi hazraat Akhirat mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se zyada qareeb honge ,in sha Allah,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *369 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-369*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Tableeg Ka Maqsad,*

↬• Tableeg ka Maqsad Kisi Khaaa cheez Kï isha'at nahi hai balki iske zariye Hume har us cheez ko zinda karna hai Jisko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam musalmano Kï falah ke liye le kar aaye aur Hum Musalman Kï istedaad ke mutabiq Amal per daalte rahe ,

★• is sabki buniyaad Allah Kï Raza ke liye ghar baar chhodne Kï aadat ko umoomiyat dena hai ,Jitni ye cheez aam ho jayegi Haq Ta'ala Kï rehmat Kï baarish aam tor per naazil honi shuru ho jayegi ,

★• Hazrat Mufti Zainul Aabedeen Sahab Hazrat Ji Reh ke mutalliq apne tassuraat is Tarah bayan karte hai'n:-

*_Dawat ke Amal ko Hazrat Ji Reh tamaam Amaale nabvi mai zyada taaqatwar aur Ambiya Alaihissalam ka maqsade hayaat yaqeen karte they ,aur farmate they, Ye Ambiya ka khaasul khaas Amal tha ,Ambiya Alaihissalam wali madade isi Amal ke Saath hai'n basharte k ye Amal Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqe per ho ,

★ • Hazrat Ji Reh is Amal ke liye har Tarah Kï intehayi Qurbani chahte they, Us waqt Aam Dawat ye thi  Waqt ka tihaai hissa Yani har saal chaar Mahine Berooni naqal harkat mai sarf kiye jaye baqi Aath mahine apne muqaam per is Tarah guzaare jaye k Adha waqt Masjid aur uske Amaal mai sarf ho aur baqi Adha ghar aur uski zaruriyaat ko diya jaye ,

★. Ek martaba purano se farmaya :- is kaam ko Asal banaao aur baqi Kaamo ko iski silwato mai karna seekho ,aur chahte they k har Shehar aur har mulk is Dawat ka maidaan bane ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *370 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-370*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Sirf Naqal Harkat Kaafi nahi,*

↬• Hazrat Ji Reh Farmate they :-

*_ Mere Dosto Khaali Naqal Harkat aur logo ke uthne aur Mulko mai nikal Jane ka Naam Kaam nahi hai ,Asal to ye hai k khud Kaam karne wali ke Dilo mai Allah Rabbul izzat ka yaqeen taraqqi kar raha ho aur Gairullah Kï nafrat paida ho rahi ho aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï itteba ka zoq ubhar raha ho ,Namazo mai taraqqi ho ,ilme Deen se apne ko sairaab kiya ja raha ho ,

★• Zikr mai Kasrat Kï ja rahi ho aur usse nooraniyat mehsoos ho rahi ho ,ikraame Muslim Kï mashq is qadar bad rahi ho k Muslim to Muslim gair insaan tak ko apne se behtar samajh kar Khidmat ka maadda badh raha ho ,in Sab Amaal ka Maqsad Allah Kï Raza Joi ho fir in Amaalo ke paida karne ke liye Allah Ta'ala ke Bando mai apni Jaan khapayi ja rahi ho ,iske liye Jo kuchh bardasht karna pade kar jaye ,

★• Agar Ye halaat Kaam karne walo Kï taraqqi per ho to samajho k Kaam ho raha hai ,Varna mere Dosto ! Duniya mai Behtreen taqreer karne wale mojood hai'n, Agar nahi hai'n to Allah Ta'ala ke Deen ko maqsood bana kar Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqe per Jaan Kï Bazi to darkinaar Awqaat tak lagane walo Kï kami hai ,

★ • Bahut hi Mubarak hai'n Aap Hazraat k in tamaam Amaalo ko paida karne ke liye koshish aur fikr mand hai'n, Maqami gasht hafte mai do ya kam se kam ek din aur Rozana fazail Kï taleem ka har gaanv aur har Masjid mai ahatmaam karne ka iraada bhi farmaye ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *371 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-371*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Gair Rivaaji Kaam,*

↬• Dawat o Tableeg ka ye Kaam Jisko shuru hi se Rivaaji Tareeqo aur wasaail se bachaya gaya ,Hazrat iski baar baar Wazaahat farmate they, k Hamari ye Dawat hamesha Rivaaji tareeqo se hat kar khaalis Minhaaje Nabuwat Kï Line per chalayi jaye ,

★• Farmate they ,:- is Kaam Kï taleem ke liye Rivaaji tareeqo, akhbaar ,ishtehaar vagera aur Rivaaji alfaaz se bhi poora parhez Kï zarurat hai ,Ye Kaam Sara ka saara gair Rivaaji hai ,Rivaaji Tareeqo se Rivaaj ko taqwiyat milegi Dawat ko nahi ,Asal Kaam Kï Shakle Dawat ,Gasht ,Taleem ,Tashkeel vagera hai'n,

★• Farmate they :- humne is Kaam ke liye koi Anjuman nahi banayi ,Na is Kaam ka koi Daftar hai ,Na register hai ,na Fund hai ,Ye Saare Musamano ka Kaam hai ,Humne alag tareeqe se koi Jama'at bhi nahi banayi hai ,

★ • Jis tarah Masjid mai Namaz ke Amal mai mukhtalif tabqo aur mashgalo wale Musalman aa kar Jud jate hai'n aur Namaz se faarig ho kar apne apne gharo aur mashgalo mai chale jate hai'n, Usi Tarah hum Aap sabhi se kehte hai'n k Kuchh waqt ke liye apne gharo aur mashgalo se nikal kar ye mehnat aur mashq Kijiye, fir apne gharo aur mashgalo mai aa kar in usoolo ke mutabiq lag jaye ,

★. Haqeeqat mai ye Kaam Rivaaj ke bilkul khilaf hone Kï bina per mushkil maloom hota hai Lekin thodi mehnat v mujahida ke baad iske Sare usoolo Kï riayat karne per bahut hi asaan hai balki Rivaaji tareeqo se karne per be intehayi mushkilaat paida ho jati hai agarche bazaahir Rivaaji tareeqo mai sahulat nazar aati hai,

★• isliye ijtimayi tor per poori koshish farmayi jaye k Kaam minhaje nabuwat se hatne na paye aur Apni saadgi ke Saath Din Kï mehnato aur Raat Kï Duao'n Kï miqdaar badhti chali jaye ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *372 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-372*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Kaam Kï Noiyat Juda aur Mumtaaz Hai,*

↬• Tabligi Kaam zaahir ke bilkul khilaaf hai aur iski Noiyat saare tareeqo se Juda aur mumtaaz hai ,

★• is Raaste per chalne ke liye Khaarji nahi balki dakhili daulate chahiye ,Khuda ka Yaqeen ho ,Khuda ka dhyaan ho ,Khuda ka khof ho ,Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqo per Khuda ke khazano se Milne ka aur niyamato ke darwaze khulne ka yaqeen ho ,

★• Kuchh ilaaqo mai Tableeg Kaam karne wale kuchh ahbaabo ne Kaam ko wus'at dene ke liye " Tabligi Manzil " banane ka iraada kiya aur iske liye ishtehaar shaay kiya taki badi raqam Jama ho sake aur Manzil Kï tameer mai asaani ho ,Hazrat Ji Reh ko jab iski khabar hui to sakht naraaz hue aur apne qareebi talluq rakhne walo ko isse door rehne Kï talqeen Kï ,

★ • Fareedi Sahab ko ek maktoob tehreer Farmaya :- Ye cheeze hamare usool ke sakht khilaaf hai, Jabki Nafse tableeg ke liye chande ka Lena khilaaf hai to Mitti aur gaare ke liye to kehna hi kya ,Unko Dawat apne usool mai lagne ke liye aur bekaar cheezo se apni tavajjohaat ko hataane ke liye de ,aur unko ye bhi likh do k agar Aap logo ko Tabligi Manzil banani hi hai to ye elaan kar de k ye usool Tableeg ke khilaaf hai , Varna ye cheeze aainda Kaam mai rukawat ka Sabab banegi ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *373 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-373*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Dawat Ke Kaam Ke Dasto Baazu*_

↬• Hazrat Ji Reh Yaqeen aur Namaz ko is Kaam Kï Buniyaad samajhte hue ILM v ZIKR ko Dawat v Tableeg Kï Tehreek ke Do Baazu qaraar dete they,

★• Farmate they :- ilm v Zikr is Kaam ke do Baazu hai'n, inme se kisi ek Kï kami aur susti Asal Kaam ke liye sakht muzir aur kamzor karne wali hai ,Har ek apni Jagah nihayat zaroori hai ,ilm v Zikr ke marakiz Khanqaahe'n hai'n aur Madaris hai'n ,

*_Hum apne in dono baazuo'n ko mazboot karne ke andar har waqt Ahle ilm ,Ulma ,Sulha aur Mashaikh ke mohtaaj hai'n, Chunki inke paas ilme nabuwat aur Jawahire nabuwat mojood hai ,Hamare zimme laazim hai k hum is ilm v Zikr Kï vajah se unki khoob qadar kare ,Unki Khidmat kare ,Unki Sohbat ko apne liye Baaise islaah v nijaat samjhe , is bina per Tableeg ke aham numbero mai se hai ,Ulma v Masaaikh Kï ziyarat aur unse Duao'n ko Lena ,unke saamne halaate Tableeg sunana aur mufeed mashwara haasil karna ,

★• Is Waqt badqismati se Tableeg ke Kaam karne walo mai kuchh ese log paida ho gaye hai'n Jo ilmi Halqo ke buad Kï vajah se Ulma aur Masaaikh se mustagni ho kar band alfaaz mai in haamilane uloome nabuwat per tanqeed kar guzarte hai'n, Jo dar haqeeqat unki islaahe baatini aur deeni taraqqi Kï Raah mai rukawat ban jati hai,

★ • Halanki Hazrat Ji Reh ne is galat tasavvur per Amal karne ko mohlik qaraar diya hai, isi Tarah se Ahle Madaris ka ek tabqa esa hai Jo apni ilmi mashgooli Kï vajah se Dawato Tableeg Kï is umoomi tehreek per beja tanqeed kar guzarta hai ,

★. Hazrat Ji Farmate they :- Sahaba Kiram se le kar aaj tak Khaas Kaam karne walo aur Jama'ato se galtiya'n bhi hoti rahi hai'n, magar unki galtiyo'n Kï vajah se Ye zaroori cheeze mamnoo qaraar nahi Dï gayi balki islaah Kï gayi aur un galtiyo'n ko chhaant diya gaya , Ahle Tableeg bhi hamare hi Tarah insaan hai'n, Unme na tajurbe kaar Shakhs bhi hai'n, Unki kisi kotaahi per nafse Tableeg per nakeer karna galti se khaali na hoga ,

★• isliye mai tamaam Bhaiyo'n se ummeedwaar hu'n k har ek doosre Kï izzat afzaai Kï koshish kare aur gandgi uchhaal kar Musalmano mai mazeed tafreeq paida na kare ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *374 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-374*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Sakhsiyat Nahi balki Kaam, Aur Ijtemaat Asal nahi*

↬• Hazrat Ji Reh ke nazdeek Sakhsiyat to faani hai aur Kaam baqi hai ,iski zindgi ka akhsaar is per hai k iska talluq khuda Kï baqi rehne wali zaat se ho ,

★• Hazrat Ji Reh khud is Dawat ke  kaam ko is satah per le aaye they k kisi waqt bhi unki Sakhsiyat Kï chhaap na padne paye ,Agar ye baat na hoti to Yaqeenan Hazrat Ji Reh ke inteqal ke baad Aam tehreeko Kï Tarah Jo Sakhsiyat Ke sahare chalti Hai, ye kaam bhi ruk jata ya madhdham pad jata ,

★• Magar Hazrat Ji Reh Umar bhar Kaam karne walo ka mizaaj is Tarah banate rahe k Sakhsiyat ko Mehboob jaante hue bhi Asal kaam ko Sakhsiyat ke sahare per na chalaya jaye ,Isliye Unke inteqal ke baad Khuda ke Karam se kaam rukne ya kam hone ke bajaye Badta chala gaya ,

★ • Hazrat  Ji Reh ijtemmaat ko kaam Kï Buniyaad nahi samajhte they balki is per zor dete k ijtemaat kaam ka waseela aur zariya hai ,Asal kaam nahi ,

★. Bangal ke ijtime ke waqt tehreer farmaya :- mere Azeez ijtima ka bada hona Jabki amali shaklo per qaabu paane se nikal jaye ,Kuchh masarrat Kï baat nahi ,Aap hazraat iski koshish kare k Awqaat dene wale ijtimaa per apne Awqaat moqoof na rakhe balki abhi se Awqaat faarig karne walo ke rawana karne ka ahatmam farmaye ,

★• Aur Jo abhi na nikal sake ,Unki jama'ato ke zariye pehle hi se esi shakle akhtyar kar le k Waqt per unka nazam kar ke rawana karne ke bajaye pehle se poori Tarah taiyaar ho ,Unke Saath waha ke purano ko bhi jod diye gaye ho ,Bas ijtima se unki rawangi ho jaye ,

*_ Hazrat iski Dawat dete k ijtima se pehle itna kaam kar liya jaye k fir ijtimaat ke baad Jama'ato Kï rawangi ho jaye aur Log Sirf taqreer sunne ,Shirkat karne na aaye balki waqt le kar aaye , Pehle mulaqaa kar ke unse awqaat liye jaye , door nazdeek ke liye taiyaar kiya jaye ,Ijtima sirf Rivaaji Jalsa na bane balki Logo ke nikalne aur Waqt dene ka zariya bane ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *375 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-375*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Juhad v Mashakkat aur Allah Se Talluq - Aham Rukn,*

↬• Hazrat Ji Reh is per poori quwwat se zor dete k Purane Kaam Karne wale Juhad v Mashakkat aur Allah se Gehra talluq ke zariye is kaam ko aage badaye ,Chahe Wo ijtimaat ke zariye ho ya Mulaqaato ke zariye ho ,

★• Farmate they :- Aap Hazraat Mil Jul kar Allah Rabbul izzat Kï baargaah mai unki bhar poor madado ka poori Tarah yaqeen kar ke gidgidate hue ,bilbilate hue Duae'n karte hue Jitna Aapas Kï mulaqaato ke zariye is Mubarak v Aali kaam ke liye mehnat karenge in sha Allah Allah Ta'ala is kaam mai Jama'at wali barkaat shamile haal ho kar taraqqi v farog Kï soorate paida hogi ,

★• Aapas mai ek doosre Kï qadar kare ,ikraam v aizaaz ke Saath ,Muhabbat ke Saath waqt guzaare ,taleem ka bhi ahatmam kare ,Tasbeeh Kï taraf bahut mutavajjah ho k iske bager Sab kuchh bekaar hai ,

★ • Miya Ji Mehraab ke Naam ek khat tehreer farmate hue likha ;- is baat Kï poori zarurat hai k Namaze fajar ke baad Jitne bhi kaam karne wale hai'n unke saamne mukhtasar tasreeh v Targeeb rozana karke unko aamaada kiya jata rahe aur Kaam se zyada achchhe tareeqe per zor diya jata rahe ,apne kuchh saathi mashware ke liye muntakhab karke tamaam masaail ke liye mukhtasar mashwara karte jaya kare ,Jama'ato ko bahar rawana karne Kï koshish ko badaya jaye ,Jitna Jaddo jahad karne walo Kï miqdaar mai izafa hoga utna is shobe mai ummoomi taraqqi ke darwaze khulenge ,Jitna Amal wajood mai aa jaye us per qana'at ke bajaye taraqqi e Amal Kï har waqt fikr rahe ,

★. Apne Aazizi v inksaari v tawaazo Kï mashq ko badaya jaye ,ek doosre Kï qadardaani v aizaaz ikraam Kï poori pabandi Kï jaye ,Apne ko khadim aur doosro ko Asal karne wala yaqeen karke har izzat ke moqe per doosro ko aur zillat ke moqe per apne ko badaya jaye ,aur Aapas mai mashware ka ahatmam aur ek doosre ke mashware Kï waq'at Kï jaye ,

★• Aur ek doosre Kï diljoi Kï poori poori koshish Kï jaye ,is Raaste Kï takleef ko bizzaat Mehboob yaqeen kiya jaye ,Zikr v taleem v Da'awaat ka poora ahatmam kiya jaye ,Bado se chhota banne Kï mashq ke liye mila jaye aur apne uyoobb per har waqt nigaah daali jaye ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *376 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

☞ *Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He*, 

              ⚀ *Talib e Dua*, 
             ⊙ *Haqq Ka Daayi*, 
*, ━═─────────────────═━

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-376*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Usool Kï Paabandi ,*

↬• Hazrat Ji Reh Dawat ke Kaam ke liye usool Kï Pabandi behad zaroori samajhte they, Wo Chhe ( 6 Sifaat ) usool Jin per is kaam ka poora poora akhsaar hai unki pabandi ko laazmi qaraar dete ,

★• Ek Waqt Tehreer farmaya :- Usool Kï pabandi ka bahut hi zyada lihaaz rakha jaye ,ilm v Zikr, Khidmat ikraam e Muslim, Tableeg Dua vagera mai sabko mshgool rakhte hue layani se parhez ka ahatmam kiya jaye ,Raato ko Rone ko bahut badaya jaye ,bilkhusoos ikrame Muslim ke number ki khoob Wazaahat karte hue Amal kiya jaye aur karaya jaye ,

★• Haaji Fazal Azeem Sahab ko tehreer farmate hue likha :- Kaam ka Faayda hamesha uske usoolo ke Saath karne se hota hai , Usoolo Kï be unwaani ka fasaad iske islaah ko daab leta hai aur iske khair se muntafa nahi hone deta , Jama'ato ke nikalne Kï khabre to Jagah Jagah se aati hai, magar unke usool ke istemal Kï Jo kaam ke liye Rooh aur Magaz Kï haisiyat rakhte hai'n, unka tazkira tak nahi hota ,

★ • Sabse aham juz ilm v Zikr ka ahatmam hai Jo Mahaz Allah Ta'ala Kï marziyaat per chalne aur Amaale marziya ke zariye Allah Ta'ala ka qurb haasil karne aur apne nafs aur khudi ko mitaane ke liye hai , ilm v Zikr Kï taraf nisbat rakhne wale buzurgo Kï azmat ko dil mai mehsoos karna ,

★. Jo kaam kiya jaye uski ittela ke zariye aur mushawrat ke zariye unki badaai ko pehchanna aur unke huqooq ko ada karna aur isi Tarah Duniyavi line mai maaddi bado ke huqooq ko ada karna aur apne maaddi Kaamo mai unki mushawrat ko bhi Shamil karna ,

★•Doosra aham juz ye hai k Apne se chhote ,Deen Kï Line ,ilm Kï Line ,Maal Kï Line ,Rishte Kï Line ke chaaro Line ke chhoto ke Saath Raham v Shafqat v hamdardi aur ikhwat ke zariye unhe is kaam ke andar zyada se zyada lagane Kï koshish karna aur unki zimmedarana nigrani karna ,

*_ is Line ke huqooq ada karne Se Wo Mashakkat uthaane wala tabqa jiske andar humse kai zyada khuloos hai ,Kasrat se isme Shareek hoga ,Jinke is kaam mai lage bager kaam fair mustaqil ,satahi aur Juzvi hai ,Aur arbaabe Ahle ilm v Zikr ke huqooq Kï adaygi ke zariye kaam mai Vazan aur Noor Paida hoga ,Jiske bager kaam satahi aur na payedaar hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *377 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-377*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Aurto'n mai Kaam,*

↬• Hazrat Ji Reh jis Tarah Mardo mai Deeni Dawat ka Kaam zaroori samajhte they usi Tarah Aurto'n mai bhi is kaam Kï zarurat ko mehsoos karte they, isliye k Aurto'n hi Kï durustgi se Mardo aur Bachcho mai Deeni inqlaab paida ho sakta hai ,

★• Hazrat Ji Reh Kï zindgi mai bahut pehle se Aurto'n mai kaam shuru ho chuka tha ,Hazrat Aurto'n mai kaam karne ke silsile mai nazakato ko bayan karte hue mukhtalif hidayaat diya karte they,

★• Ek Maktoob mai Maulana Abdullah Sahab Balyavi ko Aurto'n mai kaam ke tareeqo Kï Wazaahat Farmate hue likhte hai'n :--

*__ Aurto'n Kï Tableeg mai Sirf ye kiya jaye k Aurte'n Deeni Kutub padhe ,Padhaye ,Sunaye ,islaami rivaaj Kï poori pabandi kare aur apne mutalliqeen ko bhi iska paband kare ,Apne Mardo ko Deen seekhne ke liye Tableeg ke andar Baahar bheje ,Taki Jo kuchh Seekh kar aaye Wo unko sikhaaye ,Aurto'n ko gasht Kï qata'an ijazat na Dï jaye ,"

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *378 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-378*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Har Haal mai Dawat Ka Kaam*_

↬• Hazrat Ji Reh har haal mai Dawat e Deen ke Kaam se talluq ko zaroori samajhte they, Chahe Bimaari ho ya Dandurasti ,Khushi ho ya Gam ,Tangdasti ho ya Farakhi ,Unke Nazdeek in tamaam soorto mai Dawat mai lagne se Sawab badht hai aur insaan Kï Deeni taraqqi ke Raaste khulte hai'n, Khusoosan Kaam se talluq rakhne walo ko kisi waqt bhi gaflat aur kotahi ko bahut bada nuqsaan samajhte they,

★• Ek Sahab Jo Apni alaalat Kï bina per Kaam se be talluq ho gaye they, Unko tehreer farmaya :-

*_ Mere Dost ! Ye kaam Haq Ta'ala Kï ek niyamat hai Jo ata Kï gayi hai ,Niyamat Kï qadardaani aur Haq Kï adaaygi niyamat ko badhati hai aur isme kotaahi bahut Khatre Kï cheez hai ,Kaam Dhandha aur Dukh Bimaari to har Dam Aadmi ke Saath hai aur is imtehaan ke liye hai k Hamara Banda hamare talluq Kï vajah se Hamare Hukm Kï qadardaani kar ke Deen ko muqaddam karta hai Ya gaflat ke Saath zarurat aur apne Dukh Sukh ko Apni Raay se dekhta hai ,

★• Bahar haal samajhdaar wahi hai Jo is waqt is cheez Kï qadar kare aur Ye bhi zaahir hai k kaam karte rehne aur Milte Julte rehne hi se Aadmi aage badhta hai ,"

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *379 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-379*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Ek Maa'n Kï Khidmat mai Guzarish*

↬• Ek purane qareebi Rafeeq Jo Markaz mai muqeem they aur unki vajah se Tableeg Kaam ko bahut Faayda pahunch raha tha ,Unki Waalida ne unko bula liya ,To Hazrat Ji Reh ne Un Mohatrama Kï Khidmat mai in alfaaz mai unke Markaz mai Ruke rehne Kï ijazat maangi ,:- Adaabo Salam ke baad farmaya :-

★• "_ Aalam mai Jab Deen ke liye Daud Dhoop karne wale Kasrat se they, har Shakhs uske liye Qurbani deta tha ,Bachche Machal machal kar Jaan qurbaan karne ke liye aage badhte they ,Maae'n Bachcho ki Qurbani per Sajda e Shukr ada karti thi ,

★• Parvarish isliye hoti thi k Ye Allah ke Deen ke kaam aayega aur Kaam aa Jane per isko Sa'adate Azeemi samjha jata tha , Ese Waqt mai Musalmano ke liye Haq Ta'ala Kï taraf se beshumaar nusrate Saath hui ,Bavjood Qillat ke Duniya per gaalib hue ,Duniya ko jab Thukraya to Duniya Qadmo mai aayi ,Ounto Kï Nakele pakad kar nikle to Allah ne Hukumat Kï baag dor haath mai de Dï ,

★ • Khulasa ye hai k Huzoor E Akram Sallallahu Alaihivasallam ke Mubarak Kaam ke liye apni zarurato ko pichhe daal kar har waqt Kamar kase hue they, Jab Ansare Madina ne beshumaar Jaddo Jahad Kï aur Gharo ko chhodne aur Aalam mai firne Kï vajah se Tijaarato aur Bagaat ka pada hone laga to Ansare Madina ne Huzoor E Akram Sallallahu Alaihivasallam se sirf Chand Hafte ke liye mohlat maangi ,to Haq Ta'ala ne Quran mai Tambeeh farmayi ,

★. Mohatrama Asal baat ye hai k Jab tak is jazbe se kaam karne wale mojood rahe k apni zarurat rahe na rahe Allah ke Deen Kï koshish hoti rahe ,Tab tak Allah Ta'ala Kï beshumaar rehmate shamile haal rahi aur Musalman Aalam mai Sardaar bane rahe ,

*_Aur Jabse Musalmano ne apni zarurato ko muqaddam karne ka rivaaj daal diya aur Aalam mai Deen Kï zarurat ke muqable mai Apni zarurato ko qurban karne wale nahi rahe to Allah Kï nusrato se Mehroomi Shuru ho gayi ,Nobat Yaha tak aa gayi k Aaj Aalam mai chaaro taraf Musalmano per balaao ke pahaad toot rahe hai ,Masa'ib khul kar saamne aa gaye hai ,ESE waqt mai kuchh kuchh Jaddo Jahad ( Dawat Tableeg ) Deen Kï taraqqi ke liye Shuru hui ,Markaz mai Aadmiyo Kï Shiddate qillat hai ,Ese Waqt mai Aapne apne Bete ko bulaya hai ,Kaam Kï zarurat ke peshe Nazar to mai yahi darkhwast karunga k Deen Kï ahama zarurat ke peshe nazar Aap rukhsat marhamat farma de ,Aapse yahi Guzarish hai ,Agar Aapka fir bhi bulane kA israar ho to mujhe foran Taar dijiye mai bhej dunga,"

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *380 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-380*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Ek Aham Tareen Maktoob*

↬• Hazrat Ji Reh . ka ek ahamtareen Maktoob darj kiya ja raha hai Jo Haqeeqat mai Tableeg ke maqasid ,Usool ,Tariqa e kaar ,Munafe, Nata'ij v samraat aur Khurooj fi sabilillaah Kï zaroori hidayaat per bahut jame hai ,

★• Ye Maktoob un saari Jama'ato ke liye hai Jo Tableeg ke Safar per rawana hoti rehti hai'n aur Un tamaam hazraat ke liye Jo is Raaste mai apne Awqaat faarig karte rehte hai'n nihayat hi mufeed aur iska padhna bahut zaroori hai ,

*__ Chunki Ye Maktoob bahut Taveel hai isliye humne sahuliyat ke etbaar se aur Padhne mai asaani aur mufeed ho isliye moqa moqe per bagli surkhiya laga Dï hai'n ,

★• Baad Khutba v Salaam aur Khairo aafiyat ke Hazrat ne taraqqi ki Duae'n Dï :-

*__Allah Jalshanhu Aap Hazraat Ko taraqqiyaat ata farmaye ,sahi nahaj per Aap Hazraat Kï Hifazat farmaye aur poori Tarkeeb v tarteeb Kï samajh ata farmaye , ( Aameen )

------- *Khat Ki Baqi hidayaat in sha Allah agle part mai*,

★• 🔜 *381 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-381*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Ek Aham Khat --1,Kaamyabi Aur Nakaami Ka Daromadaar,*

↬• Allah Rabbul izzat Jal jalaalhu v Amm nawaluhu ne insaano Kï Tamaam Kaamyabiyo ka daromadaar insaan ke androoni maaya per rakha hai ,Kaamyabi aur Nakaami insaan ke andar ke haal ka Naam hai ,

★• Bahar Kï cheezo ke naqshe ka Naam Kaamyabi v Nakaami nahi hai, izzat v zillat ,araam v takleef ,sukoon v pareshani ,Sahat v Bimaari insaan ke andar ke halaat ka Naam hai ,

★• In halaat ke banne ya bigadne ka bahar ke naqsho se talluq bhi nahi ,Allah Jalshanhu mulko maal ke Saath insaan ko zaleel kar ke dikha de aur Faqr ke naqshe mai izzat de kar dikha de ,

★ • insaan ke andar Kï maaya uska Yaqeen aur Uske A'amaal hai'n, insaan ke andar ka yaqeen aur andar se nikalne wale A'amaal agar theek honge to Allah Jalshanhu andar Kaamyabi Kï Haalat paida farma denge ,chahe cheezo ka naqsha kitna hi past ( پست ) ho ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *382 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-382*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Ek Aham Khat --2, imaan Billaah,*

↬• Allah Jalshanhu tamaam Kaynaat ke har zarre ke aur har fard ke Khaaliq Maalik hai'n, Har cheez ko apni qudrat se banaya hai ,Sab kuchh unke banane se bana hai ,Wo banane wale hai'n Khud bane nahi ,

★• Aur Jo khud bana hua hai usse kuchh banta nahi ,Jo kuchh qudrat se bana hai Wo qudrat ke maathat hai ,har cheez per unka qabza hai ,Wo hi har cheez ko istemal farmate hai'n, Wo Apni qudrat se un cheezo Kï shaklo ko bhi badal sakte hai'n aur Shaklo ko qaayam rakh kar sifaat ko badal sakte hai'n,

★• Lakdi ko Azdaha bana sakte hai'n aur Azdaha ko Lakdi bana sakte hai'n, isi Tarah har Shakl per chahe mulk ho ya maal Kï ,barq Kï ho ya bhaap Kï ,unka hi qabza hai aur Wo hi tasarruf farmate hai'n,

★ • Jaha'n Se insaan ko tameer nazar aati hai waha'n se takhreeb laa kar dikha de aur Jaha'n se takhreeb nazar aati hai waha'n se tameer laa kar dikha de, Tarbiyat ka nizaam wohi chalate hai'n, Saari cheezo ke bager Ret per daal kar paal de aur Saare saazo samaan mai Parvarish bigaad de ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *383 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-383*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Ek Aham Khat -- 3, imaan v Yaqeen Ka nateeja aur Uski Dawat,*

↬• Allah Jalshanhu Kï zaate aali se talluq paida ho jaye aur uski qudrat se baraahe raast Faayda uthane ke liye Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Kï taraf se tareeqe le kar aaye hai'n, Jab unke tareeqe Zindgi mai aayenge to Allah Jalshanhu har naqshe mai Kaamyabi de kar dikhayenge,

★• *Laa ilaaha illallaahu Muhammadur Rasoolullah mai apne yaqeen aur apne jazbe aur apne tareeqe ko badalne ka mutaalba hai ,*

★• Sirf yaqeen Kï tabdeeli per hi Allah Ta'ala is zameen v Asmaan se kai gunaa zyada badi jannat ata farmayenge ,

★ • Jin Cheezo mai se Yaqeen nikal kar Allah Kï zaat mai aayega un saari cheezo ko Allah Paak musakhkhar farma denge ,

★. Is Yaqeen ko paida karne ke liye ek to is Yaqeen Kï Dawat deni hai ,Allah Kï badaai samjhani hai ,Unki Rububiyat samjhani hai, Unki qudrat samjhani hai, Ambiya Alaihissalam aur Sahaba Kiraam ke Waqiyaat sunane hai , Khud Tanhaaiyo mai beth kar Sochna hi Dil mai is Yaqeen ko utaar ta hai ,Jiski majma mai Dawat Dï hai , Yahi Haq hai aur Fir Ro Ro kar Dua maangni hai k Ey Allah ! Is Yaqeen Kï Haqeeqat se nawaaz de ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *384 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-384*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Ek Aham Khat--4, Namaz Ka Ahatmam aur Uski Dawat,*

↬• Allah Jalshanhu Kï qudrat se Barahe Raast Faayda haasil karne ke liye Namaz ka Amal diya gaya hai,

★• Sar se le kar Payr tak Allah Kï Raza wale makhsoos tareeqe per pabandiyo ke Saath apne ko istemal apne ko istemal karo ,Aankho ka ,Kaano ka ,Haatho ka ,Zubaan ka aur Payro ka istemal theek ho , Dil mai Allah ka dhyaan ho Allah ka khof ho ,

★• Yaqeen ho k Namaz mai Allah ke Hukm ke mutabiq mera har istemal Takbeer v Tasbeeh ,Ruku v Sajda ,saari kaynaat se zyada inamaat dilane wala hai , is Yaqeen ke Saath Namaz padh kar haath faila kar maanga jaye ,To Allah Paak apni qudrat se har zaroorat ko poora karenge ,

★ •Esi Namaz per Allah Paak Gunaaho ko maaf bhi farma denge ,Rizq mai barkat bhi denge ,taa'at Kï Tofeeq bhi milegi ,esi Namaz seekhne ke liye doosro ko Khushu v Khuzu wali Namaz Kï Targeeb v Dawat Dï jaye ,is per Akhirat aur Duniya ke nafe samjhaye jaye ,

★. Huzoor Sallallahu Alaihivasallam aur Hazraate Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum wali Namaz ko Sunana Khud apni Namaz ko achcha karne Kï mashq karna ,Ahatmam Se Vazu karna ,Dhyaan Jamana ,Qiyaam mai ,Qa'ade mai ,Ruku mai ,Sajde mai bhi dhyaan kam se kam teen martaba jamaya jaye k Allah mujhe dekh rahe hai'n,

★• Namaz ke baad socha jaye k Allah Kï Shaan ke mutabiq Namaz na hui ,is per Rona aur Kehna k , Ey Allah ! Hamari Namaz mai Haqeeqat paida farma ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *385 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-385*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Ek Aham Khat :-5, Ilm aur Zikr*

↬• ilm Se muraad ye hai k humme tehqeeq ka jazba paida ho jaye ,

★• Mere Allah mujhse is haal mai kya chahte hai'n ? aur fir Allah ke dhyaan ke Saath apne aapko us Amal mai laga dena ye Zikr hai ,

★• Jo Aadmi Deen Seekhne ke liye Safar karta hai uska ye safar ibaadat mai likha jata hai, is Maqsad ke liye chalne walo ke payro ke niche Sattar hazaar Farishte apne paro ko bichhate hai'n, Zameen v Asmaan Kï saari makhlooq unke liye Duae'n magfirat karti hai'n,

★ •Shaitaan per ek Aalim Hazaar Aabido se zyada bhaari hai ,Doosro mai ilm ka shoq paida karne Kï koshish Kï jaye ,Fazail sunaye jaye ,Khud taleem ke halko mai betha jaye ,Ulma Kï Khidmat mai haazri Dï jaye ,isko bhi ibaadat Yaqeen kiya jaye ,

★. Aur Ro ro kar maanga jaye k Allah Jalshanhu ilm Kï Haqeeqat ata farma de ,

★• Har Amal mai Allah Jalshanhu ka dhyaan Paida karne ke liye Allah ka Zikr hai ,Jo Aadmi Allah ko yaad karta hai Allah Ta'ala usko yaad farmate hai'n, Jab tak Aadmi ke hont Allah ke Zikr mai hilte rehte hai'n Allah Jalshanhu uske Saath hote hai'n,

★• Allah Paak apni Muhabbat v magfirat ata farmate hai'n, Allah ka Zikr Shaitaan se Hifazat ka qila hai ,

★•Khud Allah ka dhyaan Paida karne ke liye doosro ko Allah ke Zikr per amaada karna ,Targeeb dena ,Khud dhyaan Jama kar k mere Allah mujhe dekh rahe hai'n, Zikr karna aur Ro ro kar Duae'n maangna k Ey Allah ! Mujhe Zikr Kï Haqeeqat ata farma ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *386 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-386*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Ikraam e Muslim*

↬• Har Musalman ka ba Haisiyat Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka Ummati hone ke ikraam bhi karna hai , Har ummati ke aage bichh Jana ,Har Shakhs ke huqooq ko ada karna aur Apne huqooq ka mutalba na karna ,

★• Jo Aadmi Musalman Kï parda poshi karega Allah Jalshanhu uski Parda poshi farmayenge , Jab tak Aadmi apne Musalman bhai ke kaam mai laga rehta hai Allah Jalshanhu uske kaam mai lage rehte hai'n ,,

★• Jo Apne Haq ko maaf kar dega Allah Jalshanhu usko Jannat ke beech mai Mahal ata farmayenge ,Jo Allah ke liye doosre ke aage tazallul akhtyar karega Allah Jalshanhu usko raf'at v bulandi ata faryenge ,

★ • iske liye doosro mai Targeeb ke zariye ikraame Muslim ka shoq paida karna hai ,Musalman Kï qeemat batani hai ,Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke akhlaaq ,hamdardi ,isaar ke waqiyaat sunane hai ,

★. Khud iski mashq karni hai aur Ro ro kar Allah Jalshanhu se Huzoor Sallallahu Alaihivasallam wale akhlaaq Kï Tofeeq maangni hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *387 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-387*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Husne Niyat*

↬• Har Amal mai Allah Jalshanhu Kï Raza ka jazba ho ,Kisi Amal se Duniya Kï Talab ya apni Haisiyat banana Maqsood na ho ,

★• Allah Kï Raza ke jazbe se thoda sa Amal bhi bahut inamaat dilwayega ,aur iske bager bahut bade bade Amal bhi giraft ka Sabab banenge ,

★• Apni Niyat ko durust karne ke liye doosro mai Dawat ke zariye niyat ko sahi karne Kï fikr v Shoq paida kiya jaye ,

★ • Apne Aap per Amal se pehle aur har Amal ke dauraan niyat ko durust karne Kï mashq Kï jaye , Mai Allah ko Razi karne ke liye ye Amal kar raha hu aur Amal Kï takmeel per apni niyat ko naaqis qaraar de kar Tauba v istigfaar kiya jaye aur Ro Ro kar Allah Jalshanhu se ikhlaas maanga jaye ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *388 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-388*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Allah Ke Raaste Kï Mehnat aur Dua ,*

↬• Aaj Ummat mai kisi had tak infiraadi amaal ka rivaaj hai lekin unki Haqeeqat nikli hui hai ,

★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï khatme Nabuwat ke tufail poori Ummat ko Dawat wali Mehnat mili thi ,iske liye Bando ka talluq Allah Jalshanhu se qaayam ho jaye ,iske liye Ambiya Alaihissalam wale tarz per apne jaan v maal ko Jhonk dena aur Jinme Mehnat kar rahe hai'n unse kisi cheez ka taalib na banna ,iske liye Hijrat bhi karna hai ,

★• Jo doosro ka talluq Allah Jalshanhu se jodne ke liye imaan v amale saleh Kï Mehnat karenge ,Allah Jalshanhu unko Sabse Pehle imaan v Haqeeqato se nawaaz kar Apna talluq ata farmayenge ,

★ • is Raaste mai ek Subeh ya ek Shaam ka nikalna poori Duniya aur Jo kuchh isme hai ( ba aitbaar maal ke bhi aur ba aitbaar cheezo ke bhi ) is Sabse behtar hai ,

★. Isme har maal ke kharch aur Allah ke har Zikr v Tasbeeh aur Har Namaz ka Sawab Saat Laakh guna ho jata hai , is Raaste mai Mehnat karne walo Kï Duae'n Ambiya Alaihissalam Kï Duao'n Kï Tarah qubool hoti hai'n yani Jis Tarah unki Duao'n per Allah Jalshanhu ne zaahir ke khilaaf apni qudrat ko istemal farma kar unko Kaamyaab farmaya aur baatil khaako ko tod diya , isi Tarah is Mehnat ko karne walo Kï Duao'n per Allah Jalshanhu Zaahir ke khilaaf apni qudrat ke muzahire farmayenge ,aur Agar Aalami Buniyaad per Mehnat Kï gayi to tamaam Ahle Aalam ke quloob mai unki Mehnat ke asar se tabdiliya layenge ,

★•Deen Ke doosre Amaal Kï Tarah Hume ye Mehnat bhi karni nahi aati , Doosro ko is Mehnat ke liye amaada karna hai ,iski ahmiyat aur qeemat batani hai ,Ambiya Alaihissalam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke waqiyaat sunane hai'n, Khud Apne aapko Qurbani Kï shaklo aur Hijrat v Nusrat wale Amaal mai lagana hai ,

*__ Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum har haal mai Allah Kï Raah mai nikle hai'n, Nikaah ke waqt ,Rukhsati ke waqt ,ghar mai wiladat ke moqe per aur wafaat ke moqe per ,Sardi mai ,Garmi mai ,Bhook mai ,faaqe mai  ,Sahat mai ,Bimaari mai ,quwwat mai ,zof mai ,Jawani aur budhape mai bhi nikle ,aur Ro ro kar Allah se maanga hai k Hume is Aali Mehnat ke liye qubool farma le ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *389 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-389*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Masjido Mai Karne Ke Kaam,*

↬• in cheezo se ( 6 Sifaat se ) munaasbat paida karne ke liye har Shakhs se chahe Wo Kisi bhi shobe se talluq rakhta ho ,Chaar Maah ka mutalba kiya jata hai ,

★• Apne mashagil ,saazo samaan se aur ghar baar se nikal kar in sifaat Kï Dawat dete hue aur khud mashq karte hue Mulk ba Mulk ,Aqleem ba aqleem ,Qaum ba Qaum firenge ,

★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne har Ummati ko Masjid wala banaya tha ,Masjid ke kuchh makhsoos Amaal diye they, un Amaal se Musalmano Ka zindgi mai imtiyaz tha ,

*__ Masjid mai Allah Kï badaai Kï ,imaan Kï ,Akhirat Kï baate hoti thi ,Amaal se zindgi banne Kï baate hoti thi ,Amalo ko theek karne ke liye Taleem hoti thi ,Imaan v Amale Saleh Kï Dawat ke liye Mulko aur ilaaqo mai Jane Kï tashkeele bhi masjid se hi hoti thi , Allah ke Zikr Kï majlis masjid mai hoti thi ,

★ • Masjid mai ta'awun, isaar aur Hamdardiyo ke Amaal note they, Har Shakhs, Haakim ,Mahkoom ,Maaldar ,gareeb ,Taajir ,zara'a ,mazdoor Masjid hi mai aa kar zindgi seekhta tha ,aur Bahar jaa kar apne apne shobe mai Masjid wale tassur se chalta tha ,

★. Aaj hum dhoke mai pad gaye k Hamare paise se Masjid chalti hai ,Masjide Amaal se khaali ho gayi aur Cheezo se bhar gayi ,Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Masjid ko bazaar walo ke taabe nahi kiya , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï Masjid mai na Bijli thi ,na Paani tha ,Na gusal khane they, Kharch Kï koi shakl nahi thi ,

★• Masjid mai aa kar Daayi banta tha ,Mu'allim aur muta'allim banta tha , Zaakir banta tha ,Namazi banta tha,mutee banta tha ,muttaqi ,Jaahid banta tha ,Baahar jaa kar theek zindgi guzaarta tha ,Maajide Bazaar walo ko chalati thi ,

*__ in chaar maah mai har Jagah jaa kar masjido mai har ummati ko laane Kï mashq kare ,Masjid Wale Amaal seekhte hue doosro ko ye Mehnat seekhne ke liye teen chillo ke waaste amaada kare ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *390 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-390*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Maqaami Gasht v ijtima'a,*

↬• Waapas ( Waqt lagane Ke baad ) Apne maqaam per aa kar apni basti Kï Masjid mai in Amaal ko zinda karna hai ,Hafte mai Do martaba Gasht ke zariye Basti walo ko Jama karke unhe inhi Amaal Kï taraf mutavajjah karna aur mashq ke liye har ghar se ek fard ko Teen chillo ke liye Bahar ( Raahe Khuda mai ) nikaalna hai ,

★• Ek Gasht apni Masjid ke mahol mai aur doosra Gasht doosri Masjid ke mahol mai kare , Har Masjid mai maqaami Jama'at bhi banaye ,Har Masjid ke ahbaab rozana fazail Kï taleem kare ,

❈…… .. _*Har Mahine Teen Din Kï Jama'at ,*

★• Apne Shehar ya Basti ke qareeb Dehaat mai kaam Kï fiza bane iske liye har Masjid se Teen Din ke liye Jama'ate bane Aur 5 Kos ke ilaaqe mai jaye ,

★ • Har Saathi mahine mai Teen Din Pabandi se lagaye ,Teen Din per hukman Tees Din ka Sawab milega , Poore saal Har Mahine Teen Din lagaye to poora saal Allah Kï Raah mai Shumaar hoga ,

★. Androon Milk ke taqaze poore hote rahe aur Apni mashq qaayam rahe aur jaari rahe ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *391 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-391*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Chilla aur Teen Chille Lagana aur Unki Dawat dena ,*

↬• Har Saal ahatmam se Chilla lagaya jaye ,

★• Umar mai kam se kam Teen Chille ,Saal mai Chilla ,Mahine mai Teen Din ,Hafte mai Do Gasht, Rozana Taleem ,Rasbihaat ,Tilawat ye kam se kam nisaab hai k hamari zindgi Deen wali banti rahe ,

★• Agar hum ye chahe k Hum Sabab v zariya bane ijtimayi tor per poori insaniyat Kï zindgi ke sahi rukh per aane aur Baatil ke toot ne ka ,to iske liye is nisaab se bhi aage badhna hoga ,

★ • Hamare Waqt aur Hamari Aamdani ka nisf ( half )  Allah Kï Raah mai lage aur Nisf Karobaar aur ghar ke Masa'il mai , Kam se kam ye ho k Ek tihaai Waqt aur Aamadani Allah Kï Raah mai aur Do Tihaai apne mashagil mai , Yani har saal Chaar maah Kï tarteeb bithayi jaye ,

★. Aap Hazraat Umar mai kam se kam Teen Chillo Kï Dawat Khoob jam kar de , isme bilkul na ghabraye ,iske bager Zindgi ke rukh nahi badlenge ,

★• Jin ahbaab ne khud abhi Teen Chille na diye ho Wo bhi is niyat Se Dawat de k Allah Jalshanhu iske liye Hume qubool farmaye ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *392 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-392*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Gasht aur Iski Ahimyat ,*

↬• Gasht ka Amal is kaam mai Reedh Kï haddi Kï si ahmiyat rakhta hai, Agar ye Amal sahi hoga to qubool hoga , Dawat Qubool hogi ,Hidayat aayegi aur Gasht qubool na hua to Dawat qubool na hogi ,Dawat qubool na hui Dua qubool nahi hogi ,Dua qubool na hui Hidayat nahi aayegi ,

❈…… .. _*Gasht Ka Mozu aur Dawat ,*

★• Gasht Ka mozu ye hai k Allah Jalshanhu ne hamari Duniya aur Akhirat ke MASA'IL ka hal Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqe per zindgi guzaarne mai rakha hai ,

★• Unke tareeqe hamari zindgiyo mai aa jaye ,iske liye Mehnat Kï zarurat hai ,is Mehnat per Basti walo ko amaada karne ke liye Gasht ke liye Masjid mai Jama karna hai ,

★ • Namaz ke baad elaan kar ke logo ko roka jaye , Elaan Basti ka koi Ba- Asar Aadmi ya imaam Sahab kare to Zyada munasib hoga , agar Wo humko ( Mehmaan Jama'at ko ) kahe to Hamare saathi kar de ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *393 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-393*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Gasht Ke Adaab ka Bayan ,*

↬• Fir Gasht Kï ahmiyat ,zarurat aur qeemat batayi jaye ,iske liye amaada kiya jaye, Jo Taiyaar ho unko achchhi Tarah Adaab samjhaye ,

★• Allah ka Zikr karte hue chalna hai , Nigaahe nichi ho ,Hamare tamaam Masa'il ka talluq Allah Jalshanhu Kï zaate aali se hai ,in bazaaro mai faili hui Cheezo se kisi masle ka talluq nahi ,Cheezo per nigaah na pade ,dhyaan na jaye , agar nigaah pad jaye to Mitti ke dhele maloom ho ,

★• Hamara Dil agar in cheezo Kï taraf fir gaya to fir hum jinke paas ja rahe hai'n, Unka Dil un cheezo se Allah Kï taraf kese firega ,

★ • Qabr ka dakhila saamne ho ,is Zameen ke niche Jana hai ,Mil jul kar chale ,

★. Ek Aadmi baat kare ,Kaamyab Hai Wo baat karne wala Jo Mukhtasar baat kar ke Aadmi ko Masjid bhej de ,

*_ Bhai Hum Musalman hai'n ,Humne Kalma Laa ilaaha illallahu Muhammadur rasoolullah padha hai ,Hamara Yaqeen hai k Allah paalne wale hai'n, Nafa nuqsaan ,izzat v zillat Allah ke haath mai hai , Agar Hum Allah ke Hukm per Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqe per zindgi guzaarenge to Allah Raazi ho kar hamari zindgi bana denge , Hum sabki zindgi Allah Jalshanhu ke Hukm ke mutabiq Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqe per aa jaye ,iske liye Bhai masjid mai kuchh Fikr Kï baat ho rahi hai , "
Namaz padh chuke ho to bhi utha kar masjid mai bhej de ,

★•( Zarurat ho to aage Namaz ko bhi unwaan bana le )  Allah ka Sabse bada Hukm Namaz hai ,Namaz padhenge to Allah rozi mai barkat dega ,Gunaaho ko farma dega , Duae'n qubool farmayega ,( Basharate Sunayi jaye Waiyde nahi ,) Namaz ka waqt ja raha hai ,Masjid mai chale ,

*_ Ameer Kï ita'at karni hai, Waapsi mai istigfaar karte hue aana hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *394 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-394*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Gasht ka Tareeqa,*

↬• Gasht ke Adaab ka muzakra karne ke baad Dua maang kar chal de ,

★•  Gasht mai Dus Aadmi jaye ,Masjid ke qareeb makanaat per Gasht kare , Makanaat na ho to Bazaar mai Gasht kar le ,

★• Jama'at mai zyada Aadmi ese ho Jo Gasht mai usoolo Kï pabandi kar le ,

★ • Masjid mai Do Teen Aadmi chhod de ,Naye Aadmi zyada ho jaye to unko bhi samjha kar masjid mai maahgool kar de ,

★. Masjid mai ek saathi Allah Jalshanhu Kï taraf mutavajjah ho kar Zikr v Dua mai mashgool rahe ,Ek aane wale ka istaqbaal kare , Zarurat ho to Vazu karwa kar namaz padhwa de aur Ek saathi aane walo ko Namaz tak mashgool rakhe ,Apni zindgi ka Maqsad samjhaye,

★• poore ghante Gasht ho, Namaz Se saat aath minute pehle Gasht khatm kar de , Sab takbeer Avla ke Saath Namaz mai Shareek ho ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *395 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-395*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Ijtima mai Dawat ( Umoomi Baat ),*

↬• Jis saathi ke bare mai mashwara ho jaye ,Wo Dawat de ,

★• Ye samjhaye k Allah Jalshanhu Kï zaate Aali se talluq qaayam hua to Duniya aur Akhirat mai kya nafa hoga aur agar Allah Jalshanhu Kï zaate Aali se talluq qaayam na hua to Duniya aur Akhirat mai kya nuqsaan hoga.

★• Jese Khat ke Shuru mai 6 numbero ka tazkira kiya hai ,us tarz per har number ka Maqsad, uska nafa ,uski qeemat aur haasil karne ka Tareeqa bataya jaye ,

★ •Saada andaz mai Bayan ho ,isse in sha Allah Majme Kï samajh mai kaam aayega aur iski zarurat bhi mehsoos karega aur samjhega k hum bhi seekh sakte hai'n,

★. Hamare saathi bhi Dawat ( Umoomi Baat ) mai ahatmam se jam kar Bethe ,Mutavajjah ho kar aur mohtaaj ban kar sune ,Jo Baat keh raha hai ,Hum apne Dil mai kahe k " Haq hai " isse Dil mai imaan Kï lahare uthengi aur Amal ka jazba paida hoga ,

★• Teen Chillo Kï baat Jam kar rakhi jaye ,Naqad naam liye jaye ,iske baad chille ke liye waqt likhwaye jaye , aur Fir Jo jis waqt ke liye taiyaar ho jaye usko qubool kar liya jaye ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *396 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-396*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Mutaalba aur Taahkeel,*

↬• Mutaalba aur Tashkeel ke waqt Mehnat sari Dawat ka magz banti hai, Agar Mutaalba per Jam kar mehnat na hui to Fir kaam Kï baate Reh jayegi aur Qurbani wajood mai na aayegi ,to Kaam Kï jaan nikal jayegi ,

★• Dawat dene wala hi Mutaalba kare ,Ek saathi Khade ho kar naam likhe , *Naam Likhne wala mustaqil taqreer Shuru na kare* ( Ye Aksar Dekhne mai aata hai k Naam likhne wala saathi bhi apni Baat Shuru kar deta hai aur 5-10 minute le leta hai ,Jisse Majme mai Bethe hue logo per ek bojh sa lagne lagta hai ,Bahut se log uth kar jane bhi lag jate Hai , ) Ek do Jumle targeebi  keh sakte hai'n ,lekin Baat Shuru na kare ,

★• Fir Aapas mai ek doosre ko amaada karne ko kaha jaye , Fikr ke Saath apne qareeb bethne walo ko taiyaar kare , Uzr ka dil joi aur Targeeb ke Saath Hal bataye , Nabiyo'n aur Sahaba kiraam Kï qurbaniyo ke qisso Kï taraf ishara kare aur fir amaada kare ,

★ •Aakhir mai muqaami Jama'at bana kar unke Hafte ke do Gasht, rozana taleem ,tasbihaat ,Mahine ke teen Din vagera ka nazm tay karaye ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *397 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-397*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Dawat Ka andaaz ,*

↬• Dawat mai Ambiya Alaihissalam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Saath Allah Jalshanhu ne Jo madade farmayi hai'n Wo to bayan ki jaye ,

★• *Aur Jo hamare Saath madade hui unko bayan na kiya jaye ,

*_ Dawat mai fiza e Haazra ( Jo Aaj Aam ho raha hai Ya mojooda Pasti ,) Kï baate na Kï jaye ,

★• Ummat mai Jo imaani Amal ,Akhlaaqi kamzoriya'n aa chuki hai ,Unke tazkire karne se behtar hai k asli khoobiyo'n Kï taraf yani Jo Baat ( Ek Musalman ke andar  ) paida honi chahiye uski taraf mutavajjah kare ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *398 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-398*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Taleem Ka Amal,-1,*

↬• Taleem mai Dhyaan, azmat ,Muhabbat, Adab aur Tavajjoh ke Saath bethne Kï mashq Kï jaye ,

★• Sahara na lagaya jaye ( Yani Tek laga kar na Bethe ),

★• Ba Vazu bethne Kï koshish ho , Tabiyat ke bahano ki vajah se Taleem ke dauraan na utha jaye , Baate na Kï jaye ,

★ • Agar is Tarah bethenge to Farishte majlis ko dhaank lenge ,Ahle majlis mai ita'at ka maadda paida hoga, Azmat Kï mashq se Hadees Paak ka Wo Noor Dil mai aayega Jis per Amal Kï hidayat milti hai ,

★ . Taleem mai bethte hi Adaab v Maqsad Kï taraf mutavajjah kiya jaye , Maqsad ye hai k hamare andar Deen Kï Talab paida ho jaye ,

★• Fazaile Quran Majeed padh kar Thodi der Kalaam Paak ke un soorto ki tajveed Kï mashq Kï jaye Jo umuman Namaz mai Padhi jati hai, Attahiyaat , *Duae Qunoot Vagera ka muzakra v taseeh ijtimayi taleem mai na ho ,* infiradi seekhne sikhane mai taseeh kare ,

------- *Taleem ka Baqi hissa agle part mai*,

★•  *399 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-399*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Taleem Ka Amal ,-2*

↬• *(Part 398 se Aage ),*

★• Allah Paak Tofeeq de to har Kitaab mai se teen chaar Safe padhe jaye ,

★• Taleem mai apni taraf se Taqreer na ho , Hadees Shareef Padhne ke baad do teen Jumle ese keh diye jaye k us Amal ka jazba v Shoq ubhar aaye ,

★ • Hazrat Shekhul Hadees Maulana Muhammad Zakariya Sahab Reh Kï taleef farmudah Fazaile Quran Majeed ,Fazaile Namaz , Fazaile Tableeg ,Fazaile Zikr, Fazaile Sadqaat ,Hissa avval ,Dom ,Fazaile Ramzan ,Fazaile Hajj ( Ayyame Ramazan v Hajj mai ) aur Maulana Ahatahamul Hasan Sahab Kandhalvi Reh Kï " Musalmano Kï mojooda pasti ka Waahid ilaaj " sirf ye kitaabe hai'n Jinko ijtimayi Taleem mai Padhna aur Sunna hai aur Tanhaai mai beth kar bhi inko padhna hai ,

★. Kitaabo ke baad Chhe numbero ka muzakra ho , Sathiyo se number bayan karaye jaye ,

*_Jab Taleem Shuru Kï jaye To Apne mai se Do Sathiyo ko taleem ke Gasht ke liye bhej diya jaye , 15-20 minute baad Wo saathi aa jaye to doosre do saathi chale jaye , is Tarah Basti walo ko Taleem mai Shareek karne Kï koshish hoti rahe ,

★• Bahar nikalne ke zamane mai rozana Subeh aur baad Zuhar dono waqt Taleem do teen ghante Kï jaye aur Apne muqaam per rozana usi tarteeb se ek ghante taleem ho ya ibtida mai jitni der ahbaab Jud sake ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *400 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-400*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Mashwara*

↬• Kaam ke taqazo ko sochne ,Unki tarteeb qaayam karne ,Un taqazo ko poora karne Kï shakle banane mai aur Jo ahbaab Awqaat faarig kare unki munasib Tashkeel mai aur Jo munasib Masa'il ho unke liye ahbaab ko mashware mai Joda jaye ,

★• *Allah Jalshanhu ke dhyaan aur Fikr ke Saath Duae'n maang kar mashware mai behta jaye ,*

★• Mashware mai apni Raay per israar aur Amal karwane ka jazba na ho ,isse Allah Kï madad hat jati hai, Jab Raay Talab Kï jaye amanat samajh kar Jo Baat apne Dil mai ho keh Dï jaye ,

★ •Raay rakhne mai *Narmi* ho ,Kisi saathi Kï Raay se taqabul ka tarz na ho , Meri Raay mai nafs ke shuroor Shamil hai'n, Ye Dil ke andar khayal ho ,Agar faisla kisi doosri Raay per ho jaye to Khof aur zyada Duae'n maangi jaye ,

★. Hamare Yaha'n faisle Kï Buniyaad Kasrate Raay per nahi hai aur maamle mai har ek se Raay Lena bhi zaroori nahi hai , Dil Joi sabki zaroori hai ,

★• Ameer ko is Baat ka Yaqeen ho k in ahbaab Kï fikr aur mil beth kar bethne Kï Barkat se Allah Jalshanhu sahi Baat khol denge ,Ameer apne aapko mashware ka mohtaaj samjhe ,Raay lene ke baad goro fikr se Jo munasib samajh mai aata ho Wo keh de , Baat is Tarah rakhe k kisi Kï Raay ka istakhfaaf na ho ,Agar tabiyate mukhtalif ho to is baat per shoq aur ragbat ke Saath amaada kar le aur saathi Ameer Kï baat per ese Shoq se chale k unki hi Raay tay payi hai ,isi mai Tarbiyat hai ,

*__ Agar iske baad amalan esi shakl nazar aaye k hamari Raay hi zyada munasib thi fir bhi hargiz taana na diya jaye ,Ya ishara bhi na kiya jaye ,isi mai khair hai ( Jo faisla ho chuka usme Jamne mai hi khair hai ), Jo Ameer ko taana de uske liye sakht Waieyd aayi hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *401 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅

No comments:

Post a Comment