✾
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*Bismillahirrahmanirrahim*
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*✦ Sunnat Tareeqa ✦*
✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾
*📚 Hadees :* Hazrat Thumama bin Abdullah Raziyallahu anhu se rivat hai ki Anas Raziyallahu anhu 2 ya 3 saans mein paani peete the aur kaha karte the ki Rasoolullah ﷺ teen saanson mein paani peete they.
- 📗 (Sahih Bukhari, Vol 6, 5631)
*📚 Hadees :* Hazrat Jabir bin Abdullah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki jab hum kisi bulandi par chadhte to “Allahu Akbar” kahte aur jab hum neeche ki aur jaate to “Subhanallah” kahte.
- 📗 (Sahih Bukhari, Vol 4, 2993)
✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾
✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾
*📚 Hadees :* Hazrat Aisha Raziy Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ taharat mein, kangha karne mein aur Juta pahnanaye mein Dahine taraf (right side) se pasand farmate the..
- 📗 (Sahih Bukhari, Vol 7, 5854)
*📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Jab tum mein se koi shaksh Juta pahne to Dahine taraf (Right side) se shuru kare aur Utare to bahine taraf (left Side) se utarey, taki Dahini janib pahanne mein awwal ho aur utarne mein aakhri ho..
- 📗 (Sahih Bukhari, Vol 7, 5855)
✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾
*✦ Buri aur qaabile nafrat cheez ✦*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*📚 Hadees :* Hazrat Abdullah ibn Umar Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jaaiz cheezon mein sab se ziyaada buri aur qaabile nafrat cheez Allah ke nazdeek talaaq hai..
- 📗 (Abu Daawood: 2178)
*📚 Hadees :* Hazrat Saubaan Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Nabiye Kareem ﷺ ne farmaaya: Jo aurat bagair sakht majboori ke khud talaaq maange us par jannat ki khushbu haraam hai..
- 📗 (Abu Daawood: 2226)
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*✦ Doodh Peene ke baad ki Dua ✦*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*📚 Hadees :* Hazrat Abdullah ibn Abbaas Raziyallahu anhu bayaan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jise Allah Ta'ala doodh pilaaye to woh yeh dua padhe :
اَللَّهُمَّ بَارِكْ لَنَا فِيهِ وَزِدْنَا مِنْهُ
*[Allaahumma baarik lanaa feehi wazidnaa minhu]*
*📃 Tarjama :* Aye Allah ! Is mein hamaare liye barkat ata farma aur hamein ziyaada ata farma.
- 📗 (Tirmizi : 3455 )
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*✦ Khaane ke Baad Ki Dua ✦*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*📚 Hadees :* Hazrat Abu Saeed khudri Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ jab khaana kha kar faarig hote to yeh dua padhte:
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَجَعَلَنَا مُسْلِمِينَ
*Al hamdu lillaahillazi at'amanaa wa saqaanaa wa ja'alanaa muslimeen.*
*📃 Tarjama :* Tamaam ta'areefein Allah ke liye hain jis ne hamein khilaaya pilaaya aur musalmaan banaaya..
- 📗 (Tirmizi : 3457)
*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*✦ Daawat khane ke baad ki dua ✦*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*📚 Hadees :* Hazrat Miqdaad Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ ne (Daawat ke mauqe par) yeh dua padhi:
اَللَّهُمَّ أَطْعِمْ مَنْ أَطْعَمَنِي وَاسْقِ مَنْ سَقَانِي
*Allaahumma at'im man at'amanee wasqi man Saqaanee.*
*📃 Tarjama :* Aye Allah ! Jis ne mujhe khilaaya tu us ko Khila aur jis ne mujhe pilaaya tu us ko pila..
- 📗 (Sahih Muslim : 5483)
*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
┄
*✦ Kisi ko Rukhsat karne ki Dua ✦*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*📚 Hadees :* Hazrat Saalim farmaate hain ke hazrat Abdullah bin umar Raziyallahu anhuma jab koi aadmi safar ka iraada karta hai to us se farmaate ke mujh se qareeb ho jaao taake main aap ko is tarah rukhsat karoon jaise Rasoolullah ﷺ ham ko rukhsat farmaate the, phir yeh dua padhte :
أَسْتَوْدِعُ اللَّهَ دِينَكَ وَأَمَانَتَكَ وَخَوَاتِيمَ عَمَلِكَ
*As-taudiullaaha deenaka wa amaanataka wa khawaateema amalika.*
*📃 Tarjama :* Main aap ka deen aur aap ki amaanat aur aap ke kaamon ka anjaam Allah ke hawaale karta hoon.
- 📗 (Tirmizi : 3443)
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*✦ Jab kisi ko naya kapda*
*pehne dekhe to yeh dua de ✦*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*📚 Hadees :* Hazrat Abu Nazrah Raziyallahu anhu farmaate hain ke jab Sahaaba-e-kiraam Raziyallahu anhuma naya kapda pahente to un ko yeh dua di jaati :
تُبْلِي وَيُخْلِفُ اللهُ
*Tublee wa yukhlifullaah.*
*📃 Tarjama :* Tum pehno aur puraana karo, Allah tumhein aur de.
- 📗 (Abu Dawood : 4020)
*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*✦ Aa'ina dekhne ki Dua ✦*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*📚 Hadees :* Hazrat Abdullah Bin Masood Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ farmaate the :
اللَّهُمَّ حَسَّنْتَ خَلْقِي فَحَسِّنْ خُلُقِي
*Allaahumma hassanta khalqee fahassin khuluqee.*
*📃 Tarjama :* Aye Allah ! Tu ne meri soorat achchhi banaai hai, pas tu meri seerat bhi achchi bana de.
- 📗 (Ibn-e-Hibban: 989)
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*✦Sawaari pr sawaar honeki dua✦*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*📚 Hadees :* Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu anhuma se marwi hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ jab safar par jaate aur apni sawaari par sawaar hote to teen martaba *"Allaahu Akbar"* kehte phir padhte :
سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَذَا وَمَا كُنَّا
لَهُ مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَى رَبِّنَا لَمُنْقَلِبُونَ
*Subhaanal lazee sakhkhara laanaa haazaa wamaa kunnaa lahoo muqrineena wa innaa ilaa rabbinaa lamunqaliboon.*
*📃 Tarjama :* Paak hai woh zaat, jis ne is sawaari ko hamaare qabze mein de diya, warna ham isko apne qaabu mein karne waale na the aur bila shuba ham ko hamaare Rab ki taraf laut kar jaana hai.
- 📗 (Muslim, 3339, 3113)
*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*✦ Ghar se Nikalte Waqt ki Dua ✦*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*📚 Hadees :* Hazrat Anas Bin Maalik Raziyallahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab koi aadmi apne ghar se nikalte waqt (yeh alfaaz) kahe:
بِسْمِ اللهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللهِ لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ
*Bismillahi tawakkaltu alallaahi laahaula walaa quwwata illaa billaah*
to us se kaha jaata hai tujhe poori rehnumaai mil gai, tere kaam bana diye gaye, teri hifaazat ka faisla hogaya. Aur shaitaan maayoos wa naamuraad ho kar us se door hojaata hai to doosra shaitaan kehta hai, tu is shakhs par kaise qaabu pa sakta hai jise rehnumaai mil gai ho, jis ke kaam bana diye gaye hon aur jis ki hifaazat ki gai ho.
*📃 Tarjama :* Main Allah ke naam se nikalta hoon, main ne Allah par bharosa kiya, gunaahon se bachne ki taaqat aur nek kaam karne ki quwwat Allah ta'ala hi ki taraf se hai.
- 📗 (Abu Dawood: 5095)
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*✦ Ghar mein daakhil hone ki Dua ✦*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*📚 Hadees :* Hazrat Abu Maalik Ash'ari Raziyallahu anhu se marwi hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab aadmi apne ghar mein daakhil ho to yeh dua padhe:
اَللّٰهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ خَيْرَ الْمَوْلَجِ وَخَيْرَ الْمَخْرَجِ بِسْمِ اللهِ وَلَجْنَا وَبِسْمِ اللهِ خَرَجْنَا وَعَلَى اللهِ رَبِّنَا تَوَكَّلْنَا
*Allaahumma inni as-aluka Khairal maulaji wa khairal Makhraji bismillaahi walajnaa Wa bismillaahi kharajnaa Wa'alallaahi rabbinaa tawakkalnaa*
Phir use chaahiye ke apne ghar waalon ko salaam kare.
*📃 Tarjama :* Aye Allah ! Main aap se andar jaane aur baahar nikalne ki bhalaai ka Sawaal karta hoon, ham Allah Ta'ala hi ke naam se daakhil Hote hain aur Allah Ta'ala hi ke naam se baahar nikalte hain, aur ham ne apne Rab Allah hi Par bharosa kiya.
- 📗 (Abu Dawood: 5096)
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
No comments:
Post a Comment