Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Saturday, November 5, 2016

○ AQAA'ID ○

✯✰✮

       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
        *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

                 *```✧ Aqaaid ✧```*

*❧ Aqaaid :* Aadmi jin Deeni baaton par dil se yaqeen rakhta hai, un ko "Aqaaid" kehte hain.

*❧ Hadees :* Hazrat Umar Raziy Allahu Anhu bayaan karte hain ke ham Rasoolullah ﷺ ki khidmat mein haazir the, ek shakhs ne aa kar Aap ﷺ se daryaaft kiya ke mujhe bataaiye Imaan kya hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Imaan yeh hai ke tum Allah ko, us ke farishton ko, us ki kitaabon ko, us ke Rasoolon ko aur Qayaamat ke din ko haq jaano, haq maano aur har achchhi buri tqdeer ko bhi haq jaano, haq maano.

           [Sahih Muslim : 102]

❧ Islaam mein aqaaid ki bahot ziyaada ahmiyat hai, balke Deen ki bunyaad hi aqaaid par rakhi gai hai, yahi wajah hai ke jab bhi kisi qaum ke aqaaid mein fasaad aur bigaad paida huwa, to un ki islaah ke liye Allah Ta'ala ne Nabi aur Rasool ko mab'oos farmaaya, saare paigambaron ne apni qaum ko aqaaid durust karne aur sahi aqeeda par mazbooti ke saath jame rehne ki daawat di.

  
❧ Qur‘aan wa Hadees mein bhi aqaaid ke mutaalliq baatein intehaai wazaahat ke saath aur bade muassir andaaz mein bayaan ki gai hain, jaise Allah ki wahdaaniyat aur us ki zaat wa sifaat par Imaan laana, aasmaani kitaabon aur Rasoolon ke barhaq hone ka yaqeen rakhna, Aap ﷺ ke aakhri Nabi hone aur Qur’aan ke aakhri aasmaani kitaab hone ka aqeeda rakhna aur farishton aur aakhirat ke din par Imaan laana wagaira.

❧ Ek jagah Allah Ta'ala ne irshaad farmaaya: Aye Imaan waalo! Allah par Imaan rakho, aur us ke Rasoolon par aur us kitaab par jo Allah ne apne Rasool par utaari hai aur har us kitaab par jo us ne pehle utaari thi. Aur jo shakhs Allah ka, us ke farishton ka, us ki kitaabon ka, us ke Rasoolon ka aur Yaum-e-Aakhirat ka inkaar kare, to woh bhatak kar gumraahi mein bahot door ja pada.

           [Sura-e-Nisa: 136]

❧ Aqeeda ek aisi bunyaadi cheez hai, jis mein zarra baraabar bhi kami wa ziyaadati ki gunjaaish nahin, thoda sa tazalzul bhi bade khasaare aur nuqsaan ka baais hota hai. Aqaaid ka aamaal se bhi bahot gehra ta'alluq hai, bade se bada amal bhi Allah ke yahaan aqaaid ki durustagi ke bagair qubool nahin hota.

❧ Maslan agar koi aadmi Allah ko na maane, us ke saath kufr wa shirk kare, ya Huzoor ﷺ ko aakhri Nabi aur Rasool tasleem na kare aur Aap ﷺ ke baad kisi bhi tarah se Nabi ke aane ka aqeeda rakhe, to phir woh shakhs chaahe jitna achchha kaam kare, Allah Ta'ala ke yahaan badle ka mustahiq nahin hoga aur use koi sawaab nahin milega.

❧ Is liye hamein aqaaid par poori mazbooti ke saath jame rehne aur un ko apne dil mein bithha lene ki zaroorat hai, taake hamaara Imaan durust rahe, Allah ke nazdeek hamaara amal qubool ho aur phir hamein us ka behtareen badla naseeb ho.

❧ Aqaaid mein Islaam ke paanch kalime, Imaan-e-Mujmal aur Imaan-e-Mufassal tarjame ke saath diye gaye hain aur Imaan-e-Mufassal mein zikr kiye gaye 7 bunyaadi aqaaid (Tauheed, Farishte, Aasmaani Kitaabein, Ambiya, Aakhirat, Taqdeer aur Ba'as Ba'adal Maut) ko mazmoon ki shakl mein diya gaya hai. Pehle donon kalime aur Imaan-e-Mujmal wa Mufassal tarjame ke saath yaad karaayein, baaqi kalimon ke tarjame achchhi tarah samjha kar zahen mein bithha dein. Padhaate waqt is baat ko bhi waazeh kiya jaaye ke in kalimon aur asbaaq mein maujood tamaam cheezon par dil se yaqeen rakhna zaroori hai.

            *✾ Kalima-e-Taiyyibah ​✾*

           لَآ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ مُحَمَّدٌ رَّسُوْلُ اللّٰهِ

❧ La ilaaha illallaahu Muhammadur rasoolullaah.

*❧ Tarjama :* Allah ke siwa koi ma'abood nahin, (Hazrat) Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain.

📓 [Tabraani Sageer : 992]

        ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

       *✾ Kalima-e-Shahaadat ✾*

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُهٗ

❧ Ash-hadu allaa ilaaha illallaahu wa ashhadu anna Muhammadan ‘abduhoo wa rasooluh.

*❧ Tarjama :* Main gawaahi deta hoon ke Allah ke siwa koi ma'abood nahin aur main gawaahi deta hoon ke (Hazrat) Muhammad (ﷺ) Allah ke bande aur us ke Rasool hain.

📓 [Mustadrak : 9]

          ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

        *✾ Kalima-e-Tamjeed ​✾*

سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَقُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ ‏الْعَلِىّ الْعَظِيْم

❧ Subhaanallaahi walhamdu lillaahi walaa ilaaha illallaahu wallaahu akbar walaa haula walaa quwwata illaabillaahil aliyyil‘azeem

*❧ Tarjama :* Allah har aib se paak hai aur tamaam ta’areefein Allah ke liye hain aur Allah ke siwa koi ma'abood nahin aur Allah sab se bada hai, gunaahon se bachne ki taaqat aur nek kaam karne ki quwwat Allah hi ki taraf se hai, jo bahot buland azmat waala hai.

📓 [Abu Daawood : 832]

          ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

        *✾ Kalima-e-Tauheed ✾*

لَآ إِِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ وَحْدَهُ لا شَرِيْكَ لَهْ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ يُحْى وَ يُمِيْتُ بِيَدِهِ الْخَيْرُ وَهُوَ عَلى كُلِّ شَيءٍ قَدِيْرٌ

❧  Laa ilaaha illallaahu wahdahoo laa shareeka lahoo, lahul mulku walahul hamdu yuhyee wayumeetu biyadihil khair wahuwa ‘alaa kulli shai-in qadeer.

*❧ Tarjama :* Allah ke siwa koi ma'abood nahin, woh akela hai, us ka koi shareek nahin, usi ke liye baadshaahat hai aur usi ke liye tamaam ta'areefein hain, wahi zinda karta hai aur wahi maut deta hai, usi ke qabze mein tamaam bhalaai hai aur woh har cheez par qaadir hai.

📓 [Musnad-e-Ahmad : 26551]

 
       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

        *✾ Kalima-e-Istigfaar ​✾*

اَللَّهُمَّ اِنّىْ أَعُوْدُ بِكَ أَنْ أُشْرِكَ بِكَ شَيئًا وََّ أَنَا أَعْلَمُهُ وَأَسْتَـغْفِرُكَ لِمَا لاأَعْـلَمُ

❧ Allaahumma innee a'oozubika an ushrika bika shaiaun wa-ana a'alamuhoo wa astagfiruka limaalaa a'alam.

*❧ Tarjama :* Aye Allah ! Main teri panaah chaahta hoon is baat se ke main tere saath kisi ko shareek karoon, is haal mein ke main us ko jaanta hoon aur aise gunaah se bhi maafi chaahta hoon jis ko main nahin jaanta.

📓 [Majma'uz Zawaaid : 17670]

         ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

          *✾ Imaan-e-Mujmal ✾*

اَمَنْتُ بِاللهِ كَمَا هُوَ بِأَسْمَائِهِ وَصِفَاتِهِ وَقَبِلْتُ جَمِيْعَ أَحْكَامِهِ

❧  Aamantu billaahi kamaa huwa bi-asmaa-ihee wasifaatihee waqabiltu jamee-‘a ahkaamih.

*❧ Tarjama :* Main Imaan laaya Allah par jaisa ke woh apne naamon aur sifaton ke saath hai aur main ne us ke tamaam ahkaam qubool kiye.

 
       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
         

         *✾ Imaan-e-Mufassal ✾*

اَمَنْتُ بِاللهِ وَمَلَئِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ وَالْيَوْمِ الْاَخِرِ وَالْقَدْرِ خَيْرِهِ وَشَرِّهِ مِنَ اللهِ تَعَالَى وَالْبَعْثِ بَعْدَالْمَوْتِ

❧ Aamantu billaahi wa malaaikatihee wa kutubihee wa rusulihee walyaumil aakhiri walqadri khairihee wa sharrihee minallaahi ta'aalaa walba'asi ba'adal maut.

*❧ Tarjama :* Main Imaan laaya Allah par aur us ke Farishton par aur us ki Kitaabon par aur us ke Rasoolon par aur Qayaamat ke din par aur is baat par ke achchhi aur buri taqdeer Allah Ta'ala ki taraf se hoti hai aur maut ke baad dobaara zinda kiye jaane par.

  
       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

           
                *✾  Tauheed  ✾*

❧ Allah ek hai, woh apni zaat wa sifaat mein akela hai, Allah Ta'ala ki zaat wa sifaat mein koi us ke maanind nahin, woh badi qudrat waala hai, har cheez us ki qudrat se qaaim hai, woh jis ko nafa aur faaida pohnchaane ka iraada kare, tamaam insaan aur jinnaat mil kar bhi us ko nuqsaan nahin pohncha sakte aur woh jis ko nuqsaan pohnchaane ka iraada kare, tamaam insaan aur jinnaat mil kar bhi us ko nafa nahin ponhcha sakte,

❧ Qur'aan mein hai: Aur agar tumhein Allah koi takleef ponhcha de to us ke siwa koi nahin jo use door kar de aur agar woh tumhein bhalaai ponhchaane ka iraada kar le to koi nahin hai jo us ke fazl ka rukh pher de.

📓 [Sura-e-Yunus: 107]

❧ Allah Ta'ala ko kisi saamaan aur madadgaar ki zaroorat nahin, sab us ke mohtaaj hain, woh kisi ka mohtaaj nahin, wahi haajaton ko poora karta hai, wahi duaaon ko sunta hai, wahi gunaahon ko maaf karta hai, sirf wahi zaat bandagi aur ibaadat ke laaiq hai aur sirf wahi zaat madad talab kiye jaane ke laaiq hai, woh badi shaan waala aur azmat waala hai. Garz tauheed ka matlab yeh hai ke Allah Ta'ala jis tarah apni zaat mein yakta hai usi tarah apni tamaam sifaat mein bhi yakta aur akela hai, us ki zaat wa sifaat mein koi us ka shareek nahin hai,

❧ Qur'aan mein hai : Koi cheez Allah Ta'ala ke maanind nahin hai.

       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

                *✾  Farishte  ✾*

❧ Farishte Allah Ta'ala ki nooraani makhlooq aur us ke muazzaz bande hain, woh gunaahon se paak hain, din raat Allah Ta'ala ki ibaadat mein mashgool rehte hain, jin kaamon par Allah Ta'ala ne un ko laga diya hai, un hi mein lage rehte hain, kabhi Allah Ta'ala ki naafarmaani nahin karte.

❧ Qur'aan mein hai: Farishte Allah ke kisi hukm mein us ki naafarmaani nahin karte aur wahi karte hain jis ka unhein hukm diya jaata hai.

📓 [Sura-e-Tahreem: 6]

❧ Farishte na mard hain na aurat, woh khaane peene ke mohtaaj nahin, un ki giza apne rab ki ibaadat wa bandagi karna aur us ke ahkaam ko baja laana hai, woh ibaadat se uklaate nahin hain, woh ibaadat se takabbur aur aar nahin karte, Allah Ta'ala ne un ko shaklein badalne ki taaqat de rakhi hai, kabhi woh insaan ki shakl mein haazir hote hain aur kabhi doosri shakl mein, aasmaanon aur zameenon ke saare intezaamaat Allah Ta'ala ne un ke supurd kiye hain. Farishte beshumaar hain, un ki tadaad Allah Ta'ala ke siwa koi nahin jaanta.

❧ Qur’aan mein hai: Aur tumhaare parwardigaar ke lashkaron (Farishton) ko us ke alaawa koi nahin jaanta.

📓 [Sura-e-Muddassir: 31]

  
❧ In mein 4 farishte bahot mash'hoor wa muqarrab hain:

1) Hazrat Jibraeel Alaihissalam.
2) Hazrat Meekaaeel Alaihissalam.
3) Hazrat Israafeel Alaihissalam.
4) Hazrat Izraaeel Alaihissalam.

📓 [Umdatul Qaari : 22/458]

*(1)* Hazrat Jibraeel Alaihissalam Allah Ta'ala ke ahkaam, kitaabein aur paigaamaat Rasoolon ke paas laate the.

📓[Sharahul Arbaeen Nawawiyyah: 6/3; Al Bidaaya Wannihaaya: 1/46]

*(2)* Hazrat Meekaaeel Alaihissalam Allah Ta'ala ki tamaam makhlooq ko rozi ponhchaane aur baarish wagaira ke intezaamaat par muqarrar hain, un ki maatahati mein beshumaar farishte kaam karte hain, baaz baadalon ke intezaam par muqarrar hain, baaz hawaaon, bijli aur kadak wagaira par aur baaz daryaaon, taalaabon aur nehron wagaira par muqarrar hain. Woh tamaam cheezon ka intezaam Allah Ta'ala ke hukm ke mutaabiq karte hain.

📓[Shua'bul Imaan: 158, Al Bidaaya Wannihaaya: 1/46]

*(3)* Hazrat Israafeel Alaihissalam Qayaamat ke din soor phoonkenge.

📓 [Shua‘bul Imaan: 353]

*(4)* Hazrat Izraaeel Alaihissalam makhlooq ki rooh qabz karne par muqarrar hain. Un ki maatahati mein beshumaar farishte hain, momin bandon ki jaan nikaalne waale farishte alag hote hain aur kaafir bandon ki jaan nikaalne waale farishte alag hote hain.

📓[Al Bidaaya Wannihaaya: 1/47]

  
❧ In 4 mash'hoor farishton ke alaawa aur farishton ka zikr bhi Qur'aan wa Hadees mein kiya gaya hai, jin mein se chand farishton ke kaam zikr kiye jaate hain:

*(1)* 4 farishte jin ko "Kiraaman Kaatibeen" kehte hain jin mein se 2 din mein aur 2 raat mein har ek bande ke saath hote hain, ek daayein kandhe par jo us ki neki likhta hai, doosra baayein kandhe par jo us ki buraai likhta hai.

📓[Sura-e-Infitaar: 11,12 ; Durre Mansoor: 8/440]

*(2)* Kuchh farishte aafaton aur balaaon se insaan ki hifaazat karne par muqarrar hain, jo aage peechhe se us ki hifaazat karte hain, jin ko "Hafazah" kaha jaata hai.

📓[Sura-e-An'aam: 61 ; Sura-e-Ra'ad: 11]

*(3)* Kuchh farishte insaan ke mar jaane ke baad qabr mein us se sawaal karne par muqarrar hain, jin ko "Munkar Nakeer" kehte hain.

📓 [Tirmizi : 1071]

❧ Allah Ta'ala ke tamaam farishton par Imaan laana zaroori hai. Jo un ka inkaar kare woh momin nahin ho sakta hai.

       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

             

       *✾ Aasmaani Kitaabein ✾*

❧ Allah Ta'ala ne bahot si chhoti badi kitaabein Hazrat Jibraeel Alaihissalam ke zariye bahot se paigambaron par utaareen, taake woh apni apni ummaton ko Deen ki baatein batlaaein, chhoti kitaabon ko "Saheefe" aur badi kitaabon ko "Kitaab" kehte hain. Allah Ta'ala ki bheji hui kitaabon mein se 4 kitaabein mash'hoor hain :

(1) Taurait
(2) Zaboor
(3) Injeel
(4) Qur'aan Majeed.

📓 [Sahi Ibne Hibbaan: 361]

*(1)* Taurait Hazrat Moosa Alaihissalam par naazil hui.

📓 [Sahih Muslim: 4536]

*(2)* Zaboor Hazrat Dawood Alaihissalam par naazil hui.

📓 [Sura-e-Nisa: 163]

*(3)* Injeel Hazrat Isa Alaihissalam par naazil hui.

📓 [Sura-e-Hadeed: 27]

*(4)* Qur'aan Majeed Hazrat Muhammad ﷺ par naazil huwa.

📓 [Sura-e-Dahar: 23]

❧ In 4 kitaabon ke alaawa kuchh saheefe Hazrat Shees Alaihissalam par, kuchh Hazrat Idrees Alaihissalam par, kuchh Hazrat Ibrahim Alaihissalam par, kuchh Hazrat Moosa Alaihissalam par aur kuchh doosre paigam-baron par naazil huwe.

📓 [Sahi Ibne Hibbaan: 361]

           ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

       *✾ Aasmaani Kitaabein ✾*

*❧ Tamaam aasmaani kitaabon ke baare mein musalmaanon ka yeh Aqeeda hona chaahiye:*

*(1)* Tamaam aasmaani kitaabein insaanon ki rahnumaai ke liye naazil hui hain, un sab mein hidaayat ki baatein hain, waaz wa naseehat se bhare mazaameen hain, amr-o-nahi aur Jannat ke inaamaat aur Jahannam ki sazaaon par mushtamil baatein hain aur apne apne zamaane mein un ke ahkaamaat par amal karne mein bandon ki najaat hoti hai, Qur'aan Majeed ke naazil hone ke baad pichhli tamaam kitaabein aur shareeatein mansookh ho gaeen, ab Qayaamat tak sirf Qur'aan Majeed par hi amal karne mein bandon ki najaat hai.

📓[Sura-e-Maaida: 44,49; Muslim: 6378; Sharhul Aqaaidun Nasafiyyah: 142, 143 Meem]

*(2)* Pichhli aasmaani kitaabon mein se bahot si kitaabein to aaj maujood nahin hain aur jo kitaabein maujood hain, un mein se koi kitaab apne asli alfaaz aur maani ke saath mahfooz nahin hai, un mein Allah Ta'ala ke kalaam ke saath insaanon ka kalaam bhi shaamil ho gaya hai, gumraah logon ne un mein bahot si baatein apni taraf se mila di hain aur bahot saari baaton ko badal diya hai, is liye un pichhli kitaabon ki jo baatein Qur'aan ke muaafiq hain, woh to sachchi hain aur jo Qur’aan ke khilaaf hain woh jhooti hain aur jo baatein na muaafiq hain na mukhaalif hain un ke baare mein ham khaamosh rahenge, na un ko sachcha jaaneinge aur na 
unhein jhutlaaeinge.

📓[Sura-e-Maaida: 13; Bukhaari: 4485]

*(3)* Allah Ta'ala ki naazil ki hui tamaam kitaabon aur saheefon ke baare mein yeh Imaan rakhna zaroori hai ke sab Allah Ta'ala ki taraf se naazil hui theen, jo bhi in kitaabon aur saheefon mein se kisi ka inkaar kare, to woh momin nahin hai.

📓 [Sura-e-baqarah: 4; Sura-e-Nisa: 136; Sharhul Aqeedatut Tahaawiyyah Libne Abil Iz: 1/297]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book

           ❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

No comments:

Post a Comment