○ ○ ○
▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁
▏ *вɪѕмɪʟʟαнɪRRαHMαNiRRαHEEm* ▏
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╭┉─════─┉─════─┉─════─╮
│ ○ *SUNNAT OR BID'AT* ○ │
╰┉─════─┉─════─┉─════─╯
☞ *Muqadma_*
═◆ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Kï Khabro ke mutabiq Aakhir Zamane mai Fitno Kï Kasrat hone wali thi ,Wo hui aur Hoti chali gayi , Poori Duniya Fitno se ghiri hui hai ,Din Raat naye naye Fitno Kï baarish hai ,
═◆ Leki Jese Fitno ka zamana mushkilaat ka Zamana hai wese hi is zamane mai Sahi Tareeqa e Sunnat per qaayam rehne aur Doosro ko qaayam rakhne Kï Sakht zarurat hai,
═◆ Hadees Paak mai hai k Fitno ke zamane mai ibaadat karna esa hai Jese koi Hijrat kar ke mere paas ( Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ke paas ) aa jaye , Ek aur Hadees mai hai k Jo Sakhsh Fasaad ke zamane mai meri Sunnat ko zinda kare ,Uske liye So ( 100 ) shaheedo ka sawab hai ,
═◆ Ek Hadees Paak mai hai k Fitno ke zamane mai Sunnat ke mutabiq nek amal karne wale ka sawab Pachaas Aadmiyo ke Amal ke barabar sawab rakhta hai ,aur Wo Pachaas bhi aaj ke nahi balki Sahaba Kiraam mai se Pachaas Aadmi ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ Ek Dardmandana Guzarish_*
═◆ Aur Jis Waqt Bid'aat v Munkiraat Duniya mai fail jaye Us waqt ke Ahle ilm Ke liye Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshaad hai k Unko is waqt Apne ilm ka izhaar karna chahiye aur Jo esa na kare us per sakht Waieyd farmayi hai ,
═◆ Chunache har Zamane mai Ulma Kiraam ne Sunnat ke Sahi tareeqe ko Roshan kiya ,lekin Aaj Jin Fitno ka toofan hai unme ek taraf Be Deeni ,inkaare Khuda ,inkaare Risalat ,inkaare Hadees ,inkaare Khatme nabuwat ke Wo fitne hai Jinki zarb Barahe raast islaam Kï buniyaado per padti hai ,
═◆ Ek baat har waqt Peshe Nazar rakhne ke qaabil hai k Jo Shakhs Sunnat Kï itteba aur Bid'at Kï mukhaalfat Kï Dawat deta hai ,zaahir hai uska mansha Allah Ta'ala aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam Kï sachchi muhabbat aur Unke Deen Kï Hifazat hai aur kuchh nahi ,
═◆ Isi tarah Jo Shakhs kisi Bid'at mai mubtila hai ,mansha uska bhi Allah Ta'ala aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam Kï muhabbat aur unki raza haasil karna hi hai ,Aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke irshad ke mutabiq Bid'at ko Wo bhi gumraahi kehta hai aur bura samajhta hai ,Farq sirf itna hai k Sahi ILM na hone Kï vajah se Wo kisi Bid'at ko Bid'at nahi samajhta balki usko ibaadat aur Allah Ta'ala aur uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam Kï raza ka zariya samajh kar akhtyar kiye hue hai ,
═◆ isliye zarurat is baat Kï hai k har Musalman Kï khair khwahi ko Apna fariza samajhte hue Hamdardi v khair khwahi ke lahje mai har Musalman ko Haqeeqat se waaqif karaya jaye , Tashaddud ,Taana Zani ,ilzaam tarashi ,ke tareeqo se poori tarah door rahe ,Varna kabhi islaah nahi hogi , "Bid'ati ,Wahaabi jese Taano se parhez kiya jaye aur kisi Kï baat ko tod marod kar uske mansha ,maqsad ke khilaafBaat us per galat ilzaam lagana Khula Bohtaan hai ,Jiske Haraam hone mai kisi bhi tarddud Kï gunzaish nahi ,Akhirat ke hisaab ko saamne rakh kar esi baato se door raha jaye ,
═◆ Asal Kharaabi na waqfiyat aur Bid'at ko Bid'at na Samajhne se paida hui hai ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ Bid'at Kya Hai ?-*
═◆ Asal Lugat mai Bid'at har nayi cheez ko kehte hai'n ,Chahe ibaadat se mutalliq ho ya Adaat se , Aur iatlaah Sharah mai Har nayi ijaad v tareeqa e ibaadat ko Bid'at kehte hai'n ,Jo Zyada Sawab haasil karne Kï niyat se Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam aur Khulfa e Rashideen ke baad akhtyar kiya gaya ho,
═◆ Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba Kiraam ke Zamane mai uska daaiya aur Sabab mojood hone ke bavjood na to Kisi Qaul se saabit ho ,na kisi fayl se ,Na sarahatan na isharatan ,
═◆ is Tareef se maloom hua k Adaat aur Duniyavi zarurat ke liye Jo naye naye alaat aur tareeqe roz marrah ijaad hote rehte hai'n, Unka Shara'i Bid'at se koi talluq nahi ,Kyuki Wo Bator ibaadat aur niyat sawab ke nahi kiye jate ,Ye Sab jaa'iz aur mubaah hai'n ,Basharte k Wo kisi Shara'i hukm ke khilaaf na ho ,
═◆Ye bhi maloom hua k Jis kaam Kï zarurat Aap Sallallahu Alaihivasallam ke zamane mai mojood nahi thi baad mai Kisi Duniyavi maqsad ko haasil karne ke liye paida ho gayi , Wo bhi Bid'at mai dakhil nahi ,
*__Jese Madarise islamia aur Taleemi ,Tabligi Anjumane ,idaare aur Qur'an Hadees ko samajhne ke liye Kitaabe ,vagera vagera k ye Sab cheeze ek tarah se ibaadat bhi hai'n aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke zamane mai mojood bhi nahi thi ,Fir bhi inko Bid'at isliye nahi keh sakte k inki zarurat Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke Mubarak zamane mai mojood nahi thi , baad mai jese jese zarurat paida hoti gayi Ulma e Ummat ne usko poora karne ke liye samaan ,tadbeere aur soorte'n akhtyar kar li ,
═◆ isko yu bhi kaha ja sakta hai k ye Sab cheeze na apni zaat mai ibaadat hai'n na koi unko is khayal se karta hai k inme zyada sawab milega balki Wo cheeze ibaadat ka zariya hone Kï haisiyat se ibaadat kehlati hai'n , Yani Kisi mansoos Deeni maqsad ko poora karne ke liye zarurat e zamaan v makaan koi nayi soorat akhtyar kar Lena mana nahi ,
═◆ is Tafseel se ( Jo part 3 mai guzar chuki hai ) ye bhi maloom ho gaya k Jin Kaamo Kï zarurat Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke zamane mai aur Unke baad yaksaa ( Ek Jesa hai ) unme koi esa tareeqa paida karna Jo Aap Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum se saabit nahi usko Bid'at kaha jayega ,aur ye Qur'an v Hadees Kï roshni mai mamnoo v na-jaa'iz hoga ,
═◆ Maslan Darood v Salaam ke waqt khade ho kar padhne Kï pabandi , Fuqra ko khana khila kar isaale sawab karne ke liye Khana Saamne rakh kar mukhtalif Soorte'n padhne Kï pabandi, Namaz Ba Jama'at ke saath kai kai martaba Dua maange Kï pabandi ,isaale sawab ke liye Teeja ,Chahallum vagera Kï pabandi, Rajjab v Shabaan vagera Kï Barakat wali Raato mai khud paida Kï gayi qism Kï Namaze aur Unke liye Charaga ( roshni ) vagera aur fir Khud ijaad Kï hui cheezo ko Farz ya waajib Kï tarah samajhna , Unme Shareek na hone walo per malamat ,laan taan karna vagera ,
═◆ Zaahir hai k Darood v Salaam ,Sadqa Khairaat ,Isaale sawab ,Barakat wali Raato mai Namaz v ibaadat, Namazo ke baad Dua ,ye Sab cheeze ibaadat hai'n, inki zarurat jese Aaj hai Wese hi Ahade Sahaba mai bhi thi ,inke zariye Sawabe Akhirat aur Raza e ilaahi haasil karne ka zoq v Show jese Aaj Kisi Nek Bande ko ho sakta hai ,Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ko isse zyada tha, Kon Daava kar sakta hai k Usko Sahaba Kiraam se zyada ibaadat ka Zoq v Shoq Raza e ilaahi haasil hai ?
═◆ Hazrat Huzaifa bin Yamaan Raziyallahu Anhu farmate hai'n :-
*"__ Jo ibaadat Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ne nahi Kï Wo ibaadat na karo ,Kyuki Pehle logo ne pichhlo ke liye koi Kasar nahi chhodi Jisko ye poora kare , Ey Musalmano ! Khuda Ta'ala se Daro aur Pehle Logo ( Sahaba Kiraam ) ke tareeqo ko akhtyar karo _"*
*Ref:-* A'atsaam ,1/310
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ Bid'at Ke Na-Jaa'iz v Mamnoo hone Kï Vajah,*
═◆ Gor Karna Chahiye k Jab ye Sab kaam Ahade Risalat mai bhi jaari they To unke liye ESE tareeqe Akhtyar karna Jo Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba Kiraam ne Akhtyar nahi kiye ,Akhir inka maqsad kya hai?
═◆ Kya ye maqsad hai k in ibaadaat ke ye tareeqe mazAllah Aap Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko maloom na they, Aaj in Daavedaaro per inkshaaf hua hai ,isliye ye kar rahe hai'n ??
*☞ Deen mai Koi Bid'at nikaalna Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam per Khayanat Kï Tohmat Lagana Hai ,*
═◆ Aur agar Kaha jaye k Unko maloom they magar logo ko nahi bataya to kya ye MazAllah un Hazraat per Deen mai Khayanat aur Tableeg v Risalat ke fara'iz mai kotaahi ka ilzaam nahi hai ?
═◆ isliye Hazraat imaam Maalik Reh. ne farmaya hai k Jo Shakhs koi Bid'at ijaad karta hai Wo Goya ye Daava karta hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne mazAllah Risalat mai Khayanat Kï k Poori Baat nahi batlaayi ,,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ Bid'at Nikaalna Ye Daava Karna hai K Deen Ahade Risalat mai Mukammal nahi hua Tha ,*
═◆ Ek taraf to Qur'an e Paak ka ye Elaan hai k " Maine Aaj Tum per apna Deen Mukammal kar diya ," Doosri taraf ibaadat ke naye naye tareeqe nikaal kar Amalan ye Daava kiya ja raha hai k Shariyat e islaam Kï takmeel aaj ho rahi hai , Kya koi Musalman Jaan Boojhkar isko qubool kar sakta hai ,?
═◆ isliye yaqeen Kijiye k ibaadat ka Jo tareeqa Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ne akhtyar nahi kiya Wo dekhne mai kitna hi dilkash aur behtar nazar aaye ,Wo Allah Ta'ala aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke nazdeek Achcha nahi , *isko imaam Maalik Reh ne farmaya k Jo kaam us zamane mai Deen nahi tha ,use Aaj bhi Deen nahi kaha ja sakta ,*
═◆ Aaj agar koi Shakhs Magrib Kï Namaz Teen ke bajaye Chaar Raka'at aur Subeh Kï Do ke bajaye Teen ya Chaar Raka'at padhne lage ,Ya Roze magrib tak rakhne Kï bajaye isha ke baad tak rakhe to har Samajhdaar Musalman isko bura aur galat aur Na-Jaa'iz kahega , Halanki usne ye kaam Zyada Sawab ke liye kiya , Kuchh Allah ka naam hi zyada liya ,fir usko bura aur Na-Jaa'iz samajhna Kya sirf isliye nahi k Usne Aap Sallallahu Alaihivasallam ke batlaye hue aur sikhaye hue tareeqe per zyaadti kar ke ibaadat Kï soorat badal daali ,aur ek tarah se uska Daava ye kiya k Shariyat ko Aap Sallallahu Alaihivasallam ne mazAllah Mukammal nahi kiya tha ,Usne kiya hai ,Ya mazAllah Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ada e Amanat mai kotahi aur Khayanat barti hai k ibaadat ke ye Jaye aur mufeed tareeqe logo ko nahi bataye ,
═◆ Ab gor Kijiye k Namaz Kï Raka'at Teen ke bajaye Chaar padhne mai aur Namazo ,Duao'n ,Darood v Salaam ke saath esi sharte aur tareeqe izaafa karne mai kya farq hai ,Jo Aap Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum se manqool nahi ,
*__Haqeeqat ye hai k ibaadaat mai Apni taraf se Qaido ,Sharto ka izaafa Shariyate Muhammadiya Kï tarmeem aur Tehreef hai ,isliye isko Shiddat ke saath radd kiya gaya hai ,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ Bid'at Tahreefe Deen ka Raasta hai,*
═◆ Bid'at Kï sabse badi kharabi ye hai k Agar ibaadaat mai apni taraf se qaide ,sharte aur naye naye tareeqe paida karne Kï ijazat de Dï jaye to Deen Kï tahreef ho jayegi Kuchh arse ke baad ye bhi pata nahi chalega k Asal ibaadat Jo Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne batlayi thi ,Kya thi aur Kesi thi ?
═◆ Pichhli Ummato mai tahreefe Deen Kï sabse badi vajah ye hui hai k unhone Apni Kitaab aur Apne Paigambar Kï batlayi hui ibaadaat mai apni taraf se ibaadat ke naye naye tareeqe nikaal liye ,aur Unki Rasm chal padi ,Kuchh Arse ke baad Asal Deen aur Nayi paida Kï gayi rasmo mai Koi imtiyaz na raha ,
═◆ Khulasa ye hai k Jo cheez Shariyat Kï roshni mai Bid'at hai Wo mutlaqan mamnoo aur Na-Jaa'iz hai , Albatta Bid'at mai kuchh darjaat hai ,baaz sakht Haraam Qareeb Shirk ke hai'n ,baaz makrooh ,
═◆ Qur'an v Hadees aur Asaare Sahaba Raziyallahu Anhum v Tabaieyn Reh v Aaimma e Deen mai Bid'at Kï kharabi aur unse Bachne Kï takeed per beshumaar Ayaat v rivayaat hai'n,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ Bid'at Kï Mazammat Qur'an v Hadees mai ,*
═◆ Allama Shaatbi Reh. ne "Kitabul A'atsaam " mai Aayaate Qur'aniya kaafi tadaad mai is mozu per Jama farmayi hai , Unme se Do Aayate is jagah likhi jati hai'n :-
═◆ 1:-
وَلَا تَكُونُوا مِنَ الْمُشْرِكِينَ مِنَ الَّذِينَ فَرَّقُوا دِينَهُمْ وَكَانُوا شِيَعًا كُلُّ حِزْبٍ بِمَا لَدَيْهِمْ فَرِحُونَ
Surah Ar- Room , 31-32
═◆ Tarjuma :- Mat ho mushirkeen mai se Jinhone tukde tukde kiya Apne Deen ko aur Ho gaye firqe aur Partiya'n , Har ek Party apne tarz per Khush hai ,
═◆ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se is Aayat Kï tafseer mai Naqal farmaya k isse muraad Ahle Bid'at Kï Party hai ,
═◆ 2:-
قُلْ هَلْ نُنَبِّئُكُم بِالْأَخْسَرِينَ أَعْمَالًا الَّذِينَ ضَلَّ سَعْيُهُمْ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَهُمْ يَحْسَبُونَ أَنَّهُمْ يُحْسِنُونَ صُنْعًا
Surah Al-Kahf, 103-104
═◆ Tarjuma :- Aap farmaiye k Kya tumhe batlaye k kaun log Apne Amaal mai sabse zyada khasare wale hai'n , Wo log jinki sa'i v amal Duniya Kï Zindgi mai zaay v bekaar ho gayi aur Wo yahi samajh rahe hai'n k hum achchhe Amal kar rahe hai'n ,
═◆ Hazrat Ali Karamullah Vajhu aur Sufiyan Soori Reh vagera ne أَخْسَرِينَ أَعْمَالًا ki tafseer Ahle Bid'at se Kï hai ,aur bila Shubha is Aayat mai Ahle Bid'at Kï haalat ka Poora naqsha kheench diya gaya hai k Wo Apne Khud tarasha hue Amaal ko Neki samajh kar Khush hai'n k hum zakheera e Akhirat haasil kar rahe hai'n , Halanki Allah Ta'ala aur uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke nazdeek unke Amaal Ka na koi vazan hai ,na sawab balki ulta Gunaah hai ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ Bid'at Kï Kharaabi Hadees mai :-*
═◆ Bid'at Kï Kharaabi se rokne ke bare mai beshumaar Rivayaat Hadees hai'n , Unme se chand Rivayaat likhi jati hai'n :-
═◆ 1:- Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"_ Jo Shakhs hamare Deen mai koi nayi cheez dakhil kare Jo Deen mai dakhil nahi , Wo mardood hai _"
*Ref-$_* Mishkaat ba hawala Bukhari ,
═◆ Hazrat Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Apne Khutbe mai farmaya karte they :-
"__Hamdo Salaat ke baad Samjho k behtreen kalaam Allah Kï kitaab hai aur behtreen tareeqa aur tarze Amal Muhammad ( Sallallahu Alaihivasallam ) ka tarze Amal hai ,aur bad tareen Cheez nayi paida Kï Jane wali Bid'ate hai'n aur har Bid'at gumrahi hai aur har Bid'at Jahannam mai ( le Jane ka zariya ) hai ,
*Ref-$_* A'atsaam ,1/76
═◆ Hazrat Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu bhi yahi khutba diya karte they aur Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu apne Khutbe mai in Alfaazo ke baad ye bhi farmate they :-,
"__Tum bhi naye naye kaam nikaloge aur log tumhare liye nayi nayi soorte'n ibaadat Kï nikalenge , Khoob samajh lo k har naya tareeqa e ibaadat gumrahi hai aur har gumrahi ka thikaana Jahannam hai ,
*Ref-&_* A'atsaam ,1/76
═◆ Sahih Muslim mai Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Jo Shakhs logo ko Sahi tareeqe hidayat Kï taraf bulaye to un tamaam logo ke Amal ka sawab usko milega Jo uski itteba kare , Bager iske k unke sawab mai kuchh kami Kï Jaye ,aur Jo Shakhs kisi gumrahi Kï taraf logo ko Dawat de to us per un Sab logo ka Gunaah likha jayega Jo uska itteba karenge ,bager iske k unke gunaho mai kuchh kami Kï jaye ,
═◆ Bid'at ke naye naye tareeqe ijaad karne wale aur unki taraf logo ko bulane wale iske bure Anjaam per gor kare k iska wabaal tanha Apne Amal hi ka nahi balki jitne log usse mutassir honge un Sab ka wabaal un per hai ,
═◆ Abu Daowd aur Tirmizi ne Hazrat Arbaaz bin Saariya Raziyallahu Anhu se ba sanad Sahih Rivayat kiya hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ek roz hume khutba diya jisme nihayat moassir aur baleeg vaaz farmaya , Jisse Aankhe behne lagi aur dil dar gaye , baaz hazraat ne arz kiya :-
Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ! Aaj ka vaaz to esa hai jese rukhsati vasiyat hoti hai ,to Aap Hume batlaiye k hum aainda Kis tarah Zindgi basar kare ?
Is per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- mai tumhe vasiyat karta hu'n Allah Ta'ala se darne Kï aur Hukkame islaam Kï ita'at karne Kï ,agarche tumhara Haakim jinsi gulaam hi kyu na ho , Kyunki tumme se Jo log mere baad zinda rahenge Wo bada ikhtilaaf dekhenge ,
Isliye tum meri Sunnat aur mere baad khulfa e Rashideen ,Muhaddiseen Kï Sunnat ko akhtyar karo aur usko mazboot pakdo aur Deen mai ijaad ( naye paida kiye Jane wale ) tareeqo se bacho Kyunki har nayi ijaad tarze ibaadat Bid'at hai aur har Bid'at gumrahi hai ,
*Ref-$_* A'atsaam ,
═◆ Aur Hazrat Siddiqa Raziyallahu Anha ne farmaya k ,
"__ Jo Shakhs kisi Bid'ati ke paas gaya aur uski tazeem Kï to goya usne islaam ko dhahane mai uski madad Kï ,"
*Ref-$_* A'atsaam ,1/84
═◆ Aur Hazrat Hasan Basri Reh ne farmaya k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai k ,
"__ Agar tum chahte ho k Pul Siraat per tumhe der na lage aur seedhe jannat mai jao to Allah ke Deen mai Apni raay se koi naya tareeqa na paida karo ,"
*Ref-$_* A'atsaam ,
═◆ Hazrat Huzefa bin Yamaan Raziyallahu Anhu ne farmaya k ,
"_ Musalmano ke liye Jin cheezo ka khatra hai Unme sabse zyada khatarnaak do cheeze hai'n , Ek ye k Jo cheez Wo dekhe usko us per tarjeeh dene lage Jo unko Sunnate Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se maloom ho ,Doosre ye k Wo gair Shaoori tor per gumrah ho jaye ,"
═◆ Aur Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu ne farmaya k :-
"_Khuda Kï qasam ! Aainda zamane mai Bid'ate is tarah fail jayegi k agar koi Shakhs us Bid'at ko tark karega to log kahenge k Tumne Sunnat chhod Dï ,"
*Ref-$_* A'atsaam ,1/90
═◆ Hazrat Hasan Basri Reh ne farmaya k , Bid'at wala Aadmi Jitna zyada Roza Namaz mai mehnat karta jata hai utna hi Allah Ta'ala se door hota jata hai ",
Aur ye bhi farmaya k , Bid'ati Aadmi ke paas na betho k Wo tumhare Dil ko bimaar kar dega ,
═◆ Sahibe Bid'at ( Bid'ati Aadmi ) ko to Tauba naseeb nahi hoti ,Kyunki Wo to Apne Gunaah ko Gunaah hi nahi samajhta ,Tauba Kis se kare ?
═◆ Hazrat Umar bin Abdul Azeez Reh ka ye kalaam Hazrat imaam Maalik Reh aur Tamaam Ulma Waqt ke nazdeek hamesha Yaad rakhne ke qaabil hai :-
"_ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne kuchh Sunnate Jaari farmayi aur Aap ke baad Khulfa e Rashideen ne kuchh Sunnate jaari farmayi , unko karna kitabullah Kï tasdeeq aur ita'at e ilaahi Kï takmeel aur Allah ke Deen mai quwwat haasil karna hai ,Kisi tarah na unme tagayyur jaa'iz hai na badalna aur na uske khilaaf kisi cheez per nazar karna ,
Jo in per Amal karega hidayat payega aur Jo in sunnato ke zariya Allah Ta'ala Kï madad haasil karna chahega Uski madad hogi aur Jo inke khilaaf karega usne Musalmano ke raaste se mukhalif raasta Akhtyar kar liya , Allah Ta'ala uski uski is akhtyar Kï gayi tajveez per chhod dega aur fir Jahannam mai jalayega aur Jahannam bura thikaana hai ,
*Alhamdulillah ______
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
*ʀεғεʀεηcε:- ┬*
*Sunnat v Bid'at ( Hazrat Maulana Mufti Shafi Sahab Reh.)*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Ahle deoband Group
91-7037363325
◆══◆══◆══◆══◆══◆
No comments:
Post a Comment