•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*PART-- ⑤ ①*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Tilawate Qur'an e Kareem Kï Fazilat*_
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya:-
"_ ( Logo !)Qur'an e Kareem ko Padho ,Yaqeenan Roze Qayamat apne Padhne walo Kï Sifaarish karega ,"
*Ref-$_* Sahih Muslim ,1871
⚃➠Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya:-
"_ Sahibe Qur'an ko Kaha jayega k Qur'an ko Padhna Shuru karo aur Jannat Kï manzile chadho aur is tarah tarteel ke Saath padhte Jao Jese Duniya mai Padha Karte they ,Jaha'n Aakhri Aayat ka akhtaam hoga ,Wahi Manzil tera qayaam hoga ,"
*Ref-$_* Sahih Sunan Tirmizi, 2329
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya:-
"_ Jisne Kitaabullaah ka ek Harf Padha ,Uske Liye har Harf ke badle mai ek Neki hai aur ek Neki Das Guna tak badha di jati hai, Mai nahi kehta :- k ( Alif Laam Meem ) ek harf hai ,Balki Alif alag harf ,Laam alag harf aur Meem alag Harf hai ,"
*Ref-$_* Sahih Sunan Tirmizi, 2327
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya:-
*_ Sahibe Qur'an ( Hafize Qur'an) Roze Qayamat aayega to Qur'an kahega :- Ey mere Rab ! Isko Khoobsurat Libaas se Araasta Kijiye,
Chunache use izzat v Sharf ka taaj Pehnaya jayega ,
Qur'an fir Goya hoga :- Ey mere Rab ! Isko aur Libaas pehnaiye ,
Allah Ta'ala izzat v Sharf ka ek aur Taaj use pehna dega ,
Qur'an fir kahega :- Ey Rab ! Tu isse Raazi ho jaa ,
To Allah Ta'ala us per Raazi ho jayenge aur usse kaha jayega :- Padho aur Jannat Kï manzile chadhna Shuru karo ,
Aur fir har Aayat ke badle mai uske liye ek Neki badha di jayegi _"
*_Ref-$_* Sahih Sunan Tirmizi, 2327
╟❥ *Next-52 Soon in Sha Allaah*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*PART-- ⑤ ②*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Surah Ikhlaas Se Muhabbat Per Jannat Ka Vaada*_
⚃➠ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k ek Aadmi ne arz kiya :-
Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alayhivasallam ! Mai Surah Qul huwallahu Ahad se Muhabbat Karta hu'n,
To Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya:-
Tera isse Muhabbat karna Tujhe Jannat mai dakhil kar dega ,"
*Ref-$_* Jamia Tirmizi, 2826
╟❥ *Next-53 Soon in Sha Allaah*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*PART-- ❺ ❸*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Usne Apne Aapko Jahannam se Bacha Liya*_
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
➠" Aulaade Aadam ke Har Fard Kï Takhleeq mai 360 Jod Ka Farma hai, Jisne Teen So Saath (360) martaba Allah Kï Hamd v Badaail Bayan Kï ,Laa ilaaha illallaah Padha ,Allah Kï Paaki Bayan Kï aur Usse Bakshish ka talabgaar hua ,
➠Koi Patthar Ya Kaanta Ya Haddi Logo ke Raaste se Hata Dï aur Amr bil ma'aroof v Nahi Anil Munkar ( Bhalaai ka Hukm kiya aur Buraai se Roka ) ka fariza anjaam diya ,
➠Wo Shakhs Us Din is Haalat mai Shaam Karta hai k usne Apne Aapko Jahannam Kï Aag se door kar liya ,"
. Sahih Muslim ,2327
╟❥ *Next-54 Soon in Sha Allaah*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*PART-- ⑤④*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Mamooli si Chaar Aadate'n Jannat mai Dakhile Ka Sabab Hai,*_
⚃➠Ek Roz Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Farmaya :-
➠Aaj Tumme se Kisi ne Roza rakha hai ,?
Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne kaha :- Maine ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Aaj Tumme se Kisi ne Kisi Janaze mai Shirkat Kï hai ?
Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne Kaha :- Maine ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne puchha :- Aaj Tumme se Kisi ne Miskeen ko khana khilaya ?
Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne kaha :- Maine ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne puchha :- Kya Aaj Tumme se Kisi ne mareez Kï iyaadat Kï hai ?
Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne kaha :- Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam Maine ,Maine Kï hai ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Jis Shakhs mai ye Aadaat Jama ho gayi ,Wo Jannat mai dakhil ho gaya ,"
Sahih Muslim ,2371
⚃➠imaam Qurtubi Reh .ne is Hadees Kï Sharah mai likha hai :- is Ajr ka mustahiq Wo Shakhs hai jisne ek Din mai in Khasa'il ko Jama kar liya ,"
╟❥ *Next-55 Soon in Sha Allaah*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*PART-- ⑤ ⑤*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Padosi Ke Saath Husne Sulook Jannat mai Jane Ka Sabab Hai,*_
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Farmaya :-
➠"Allah Kï Qasam ! Wo Shakhs Momin nahi hai, Allah Kï Qasam !Wo Shakhs Momin nahi hai, Allah Kï Qasam ! Wo Shakhs Momin nahi hai,
Kisi ne Kaha :- Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Kon Shakhs ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- Wo Shakhs k uska Padosi uski Shararato se Mehfooz na ho ,"
Sahih Bukhari ,6016
⚃➠Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
➠ " Wo Shakhs Jannat mai dakhil na ho sakega Jiska Padosi uski Shararato se mehfooz nahi ,"
Sahih Muslim ,170
⚃➠ Imaam Navvi Reh .ne likha hai k Jo Shakhs apne Padosi ke Saath Husne Sulook rawa rakhta hai ,Wo Ajro Sawab ka mustahiq hai aur Sunnate Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam aur Kitabullah Kï Wazeh nusoos is per gawaah hai'n, "
. Sharah Muslim ul Navvi ,1/207
╟❥ *Next-56 Soon in Sha Allaah*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*PART-- ⑤ ⑥*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Allah Kï Khatir Kisi se Muhabbat Kï Fazilat aur us per Bade Ajro Sawab ka Waada*_
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
➠" Roze Qayamat Allah Ta'ala farmayega :-Wo Log kaha'n hai'n Jinhone meri Jalalate Shaan Kï khatir ek doosre se Muhabbat Kï ,Aaj mai unko Apna Saaya ata farmaunga ,Aaj mere saaye ke alawa koi Saaya nahi hai ,"
Sahih Muslim ,2494
⚃➠Hadeese Qudsi hai ,Allah Az v Zal ka farmaan Hai :-
➠ "Wo Log Jinhone meri Jalalate Shaan Kï khatir ek doosre se Muhabbat Kï ,Unke liye Noor ke Mimbar honge ,Jin per Ambiya aur Shohda bhi Rashk karenge ,"
Sahih Sunan Tirmizi ,1948
⚃➠ Aur Farmaya :- Koi Shakhs Shahar ke doosre Kone mai Apne Bhai se Mahaz Allah ki Raza ke liye mulaqaat Karne ke liye Jata hai ,To ESA Shakhs Jannati hai ,"
Sahih Targeeb ,194 Sahih Jamia Sageer ,2604
╟❥ *Next-57 Soon in Sha Allaah*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*PART-- ⑤ ⑦*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Musafa Gunaaho Kï Bakhshish Ka Sabab Hai,*_
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
➠" Jab Do Musalman Aapas mai milte hai'n, Musafa karte hai'n To Juda hone se Pehle Allah Ta'ala unke Gunaah maaf Kar dete hai'n_"
Sahih Sunan Tirmizi ,2197
⚃➠ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
➠" Jab Do Musalman Aapas mai mile ,Unme se ek Apne Musalman Bhai ka haath thaam le to Allah Ta'ala per Haq hai k Wo un dono Kï Dua qubool farmayega aur unke Haath Juda hone se pehle Allah unke Gunaah maaf kar dega ,"
Musnad ul imaam Ahmad ,19 /436
*_ Aur "Allah Ta'ala per Haq hai "ka matlab ye hai k insaan ka ESA Haq hai Jo Allah ne azrahe karam v fazal apne zimme liya hai ,Jisko Wo poora farmayega ,
.*☞ Yaha'n Ye Baat Yaad rahe k Gair Mahram Khwateen se Musafa karna qatan jaa'iz nahi hai ,Kyunki Shariyat ne isko haraam qaraar diya hai ,
╟❥ *Next-58 Soon in Sha Allaah*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*PART-- ⑤ ⑧*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Ek Ghoont Paani Pilane se Jannat Ka Vaada,*_
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
➠" Ek Shakhs ne Kutte ko Shiddate Pyaas se Mitti chaat te hue dekha ,Usne Apna Joota liya aur Use Paani se Bhar kar Kutte ko pilane laga ,Yaha'n tak k Us Kutte ne Sair ho kar Paani pi liya ,
To Allah Ta'ala ne uski ye Neki qubool kar li aur Use Jannat mai dakhil kar diya ,"
. Sahih Bukhari ,174
╟❥ *Next-59 Soon in Sha Allaah*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*PART-- ⑤ ⑨*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Darguzar Aur Saaf Dili Baa'ise Jannat Hai,*_
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k ,Hum Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke Paas Bethe hue they, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- Abhi Ek Jannati Aadmi tum per namudaar hoga ,
Chunache Ek Ansari Shakhs namudaar hua Jiski Daadi se Vazu ka Paani ke Qatre gir rahe they aur usne apne baaye haath mai apne joote pakad rakhe they,
➠Agle Din bhi Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne yahi Baat nahi k abhi ek Jannati Aadmi zaahir hoga ,Chunache wahi Ansari Shakhs usi pehli haiyat mai namudaar hua ,
Usse Agle Din bhi Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne yahi baat Farmayi chunache Wahi Ansari Aadmi usi pehli haalat mai Zaahir hua ,
➠is dafa jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Majlis barkhast Kï to Abdullah bin Amaru bin Aas Raziyallahu Anhu uske pichhe pichhe chal pade ,Qissa Mukhtasar k Hazrat Abdullah bin Amru ne us Shakhs se puchha :-
" Maine Aapka pichha is vajah se kiya k mai dekhu ,Aap kya Amal karte hai'n ?aur Fir mai bhi Wo Amal karke ( Aapke Muqaam ko pahunch jau ) lekin Maine dekha k Aap koi zyada Amal to nahi karte ,Kya Aap bataenge k Wo Konsa Amal hai Jisne Aapko Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Bayan karda us Aala martabe ka haamil banaya hai ,
Usne Jawab diya :- Yahi kuchh hai Jo Tune dekha hai ,lekin itna hai k Maine apne Dil mai Kisi Musalman ke bare mai kabhi koi khot nahi rakha aur na hi Maine Kisi se koi Hasad paal rakha hai, us niyamat per Jo Allah Ta'ala ne use ata ki hai ,
To Hazrat Abdullah bin Amru bin Aas ne farmaya:- Haa'n ye hai Wo cheez Jisne Aapko is muqaam tak pahunchaya hai ........"
Musnad Ahmad ,20/125
⚃➠Aur ek Rivayat us Shakhs ke ye alfaz naqal hue hai'n :-
"_ Jab mai Raat ko Apne Bistar per daraz hota hu'n to mere Dil mai Kisi ke bare mai Koi Hasad aur Keena nahi hota ,"
╟❥ *Next-60 Soon in Sha Allaah*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*PART-- ⑥0*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Musalmano Ke Uyoob Kï Pardadaari aur Bila vajah Raaz Faash karne Kï Hurmat,*_
⚃➠Allah Ta'ala ka irshad hai :-
"_ Wo Log Jo chahte hai'n k Momino mai behayaai faile ,Wo Duniya aur Akhirat mai dardnaak saza ke mustahiq hai, Allah Jaanta hai aur Tum nahi jaante ,"
Surah An-Noor :19
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"_ Jo Banda Kisi Bande Kï Duniya mai Pardadaari karta hai, Allah Ta'ala Akhirat mai uski Pardadaari farmayega ,"
Sahih Muslim ,6538
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
*_ Ey Wo jama'at Jo Sirf Zabaan se imaan layi hai aur imaan abhi uske Dil mai nahi utra ! Apne Musalman Bhaiyo'n Kï ek doosre se geebat na karo aur na unke uyoob Kï justju karo ,
Jo Kisi Musalman ke uyoob Kï toh lagata hai ,Allah uske uyoob ko afsha kar deta hai aur use uske ghar mai ruswa kar deta hai ,"
Sahih Sunan Abi Daowd ,4083
╟❥ *Next-61 Soon in Sha Allaah*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*
︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶
✨⚡⚵
⚵
.
❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈
╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
┆ ✿ *JANNAT-KI-RAAHAI'N* ✿
╰•∽–∽–∽–∽–∽–∽•
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Jo Haq per hone ke Bavjood Jhagda Chhod De ,*_
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
*_Mai us Shakhs ko Jannat Ke Kinaare per ek ghar Kï zamanat deta hu'n Jo Haq per hone ke bavjood Jhagde se dastbardaar ho jaye aur Jo Shakhs Mazah mai bhi jhoot bolna chhod de,
Mai Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Jannat ke darmiyan mai usko ek ghar Kï zamanat deta hu'n aur us Shakhs ko Jannat ke A'ala darje mai ghar Kï zamanat deta hu'n Jo apne Akhlaaq ko achchha kar le ,"
. 📚 Sahih Sunan Abi Daowd ,1540
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Logo Ke Darmiyan Sulah Karwane Kï Fazilat,*_
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
"_ Logo ! Mai tumhe esa Amal na batau'n Jo Namaz ,Roza aur Sadqa v Khairaat se bhi Afzal hai ?
Sahaba ne arz kiya :- Kyu nahi Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Woh hai Logo ke darmiyan Sulah karwana aur Yaad rakho Logo ke darmiyan fasaad karwana deen ka safaya kar deta hai ,"
📚 Sahih Sunan Tirmizi, 2037
⚃➠Ek aur Rivayat mai hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
*_ ( Fasaas angezi ) moond dene wali hai ,mera matlab ye nahi hai k Wo Baalo ko moond deti hai ,balki Deen ka safaya karti hai ,"
. 📚 Jamia Tirmizi ,2510 ,Sahih Targeeb ,2827
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Azaan aur Moazzin Kï Fazilat,*_
⚃➠ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
*_ Jisne Barah ( 12 ) saal azaan kahi ,uske liye Jannat Waajib ho gayi aur Azaan kehne ke avaz uske liye har roz Saath ( 60 ) nekiya'n aur takbeer kehne ke avaz har roz tees ( 30 ) nekiya'n likh di jati hai'n ,"
📚 Sahih Sunan ibne maaja ,594
⚃➠Aur farmaya :-
*_ Roze qayamat Azaan kehne walo Kï gardane sabse lambi hongi ,"
📚 Sahih Muslim, 850
⚃➠Ek Rivayat mai hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
*_ Moazzin Kï darazi awaaz ke ba-qadar uske Gunaah maaf kar diye jate hai'n aur uske Saath Namaz mai Shamil hone wale namaziyo ke Sawab ke ba-qadar usko zyada Sawab milta hai ,"
📚 Sahih Jamia Sageer ,6443
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu ne Abdurrahman bin Abi Sa'asa se Kaha :-
"__ Mai tumhe dekhta hu'n k tum bakriyo'n aur Jungle ko Pasand karte ho ,Jab Tum Bakriyo'n ke rewad ke Saath ho ya baadiya Paimayi kar rahe ho aur Namaz ke liye Azaan kaho to Azaan mai apni awaaz ko ouncha karo ,
Jungle ke daro diwaar mai jaha'n jaha'n Moazzin Kï awaaz pahunchti hai, Usko sunne wale Jinn v ins aur doosri har cheez qayamat ke din uske liye gawahi degi ,"
Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu ne bayan farmaya k maine ye baat Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suni hai ,"
. 📚 Sahih Bukhari ,609
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Khushu v Khuzu Se Do Raka'at Namaz ada karna v Masjid Kï taraf chal kar jane Kï Fazilat,*_
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :
*__ Jisne Vazu kiya aur achchhe tareeqe se ( sunnat ke mutabiq ) kiya ,fir nihayat khushu v khuzu aur Dilo dimaag ko mutavajjah kar ke Do raka'at padhi ,Uske liye Jannat Waajib ho gayi ,"
📚 Sahih Sunan Nasaa'i ,147
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Andhero mai masjido Kï taraf chal kar aane walo ko qayamat wale Din kaamil roshni ( Milne ) Kï khush khabri suna do ,"
📚 Sahih Sunan Abi Daowd ,255
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
*__ Jo Shakhs Subeh ya Shaam ke waqt Masjid Kï taraf jata hai to Jab bhi Wo Subeh ya Shaam ko Masjid Kï taraf jata hai,Allah Ta'ala uske liye Jannat mai mehmani taiyaar karte hai'n ,"
. 📚Sahih Muslim ,1522
┅┅━━═۞═━━┅
☞ _*Saat Log Jinko Allah Ta'ala Apne Arsh Ka Saaya Ata farmayega,*_
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
"__Saat Tarah ke Log Jinko Allah Ta'ala Roze qayamat Apne Arsh ka Saaya ata farmayega ,Jis Roz uske alawa koi aur Saaya na hoga ,
*1_*insaaf parwar Hukmraan ,
*2_*Wo Nojawaan Jo Allah Kï ibaadat mai parwaan chada ho ,
*3_*Wo Shakhs k Har waqt uska Dil Masjid ke Saath atka hua hai ,
*4_*Wo Do Shakhs Jo ek doosre se Mahaz Allah ke liye Muhabbat karte hai'n, Unka ittehaad aur ifteraaq hamesha Allah Kï Razamandi ke liye hota hai,
*5_*Wo Shakhs K Sahibe Haisiyat aur Haseen v Jameel Aurat usko Dawate Gunaah de ,To Wo jawab de :Mai Allah Ta'ala se darta hu'n ,
*6_* Wo Shakhs Jo is Tarah Chhipa kar Sadqa kare k Baaye haath ko maloom na ho k Daaye haath ne kya kharch kiya hai ,
*7_* Aur Wo Shakhs k Wo Tanhaai mai Allah Ta'ala ko yaad kare aur uski Aankhe Ashk baar ho jaye ,
. 📚Sahih Bukhari ,1423 Sahih Muslim ,2377
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Vazu Ke Baad Toheedo Risalat Kï Gawaahi Dene Kï aur Do Raka'at Tahiyatul Vazu Kï Fazilat ,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Tumme se koi bhi Vazu kare aur ( Sunnat Ke mutabiq ) achchhe tareeqe se Vazu kare aur Vazu se faarig hone ke baad ye Kalimaat padhe :
*Ashhadu allaa ilaaha illallahu Wahdahu Laa Shaeeka Lahu wa Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasooluhu ,*
( Mai Gawaahi deta hu'n k Allah ke alawa koi ma'abood nahi ,Wo yakta hai,uska koi Shareek nahi aur mai Gawaahi deta hu'n k Muhammad Sallallahu Alaihivasallam uske Bande aur Rasool hai'n ,)
Us Shakhs ke liye Jannat ke aatho darwaze khol diye jate hai'n, Jisse marzi chahe dakhil ho jaye ,"
📚 Sahih Sunan Abu Daowd ,155
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Namaze Fajar ke waqt Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu ko Mukhatib karke farmaya :-
"__ Ey Bilaal ! Mujhe apna wo Amal bataao Jis per islaam laane ke baad tum ko Sabse zyada Ajro Sawab Kï ummeed hai ,Aaj Raat Maine Apne aage tumhare qadamo Kï awaaz Suni hai ,"
*_Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu ne arz kiya : - Maine Raat ya Din ko Jis waqt bhi Vazu kiya hai ,us Vazu se Jo Namaz Allah Ta'ala ne meri qismat mai likhi ,Wo Maine zaroor Padhi hai ,Bas Yahi Wo Amal hai k islaam laane ke baad mai us per Sabse zyada Ajro Sawab Kï ummeed rakhta hu'n _"
. 📚 Sahih Bukhari ,1149
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Vazu aur Miswaak Kï Fazilat,*
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"_ Jisne Achchhi Tarah Vazu kiya , uske Jism se Gunaah nikkal jate hai'n Hattaki uske nakhoono ke niche se bhi ,"
📚 Sahih Muslim ,577
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Vazu Kiya aur uske baad farmaya :-
"__ Jo is Tarah Vazu kare ( Jis Tarah Maine kiya hai ) to uske pehle Gunaah maaf kar diye jate hai'n aur iski Namaz aur uske Masjid Kï taraf chal kar Jane ka Sawab us per mustzaad hai ,"
📚 Sahih Muslim ,543
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Miswaak Moonh ko saaf rakhti hai aur Rab Ta'ala Kï Raza mandi ka baa'is hai ,"
📚 Sahih Bukhari ,
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Paanch Namazo Kï Fazilat ,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Paanch Namaze aur Juma Aainda Juma tak ke Gunaaho ka kaffara hai ,Basharte k Kabeera Gunaaho ka irtkaab na kiya jaye ,"
( Matlab Ye hai k Kabeera Gunaah Tauba se hi maaf honge )
📚 Sahih Muslim ,550
☞ *Us Shakhs Kï Fazilat Jo Jangal mai Tanha Namaz Padhta hai ,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Jab koi Shakhs be aabo gayaah maidaan mai Safar kar raha ho aur Wahi'n Namaz ka waqt ho jaye To usko chahiye k Vazu kare ,Paani na mile to tayammum kare , Fir Woh Takbeer keh kar Namaz ke liye khada ho jaye ,
To Allah Ta'ala ke Do Farishte uske Saath Namaz padhte hai'n aur agar woh Pehle Azaan kahe aur fir Takbeer kahe to Allah Ta'ala ke Lashkar door door hadde nazar tak uske pichhe khade Namaz padh rahe hote hai'n ,"
📚 Sahih Targeeb ,249
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Allah Ta'ala Bakriyo'n ke us Charwaahe per tajjub karte hai'n Jo Pahaad Kï Choti per Azaan kehta hai aur Namaz padhta hai ,Allah Ta'ala usko dekh kar farmata hai :-
Mere Bande Kï taraf dekho ! Woh Azaan kehta hai aur Namaz qaayam karta hai aur mujhse darta hai ,Beshak Maine Apne Bande ko maaf kar diya aur use Jannat mai dakhil kar diya ,"
📚 Sahih Sunan Nasaa'i ,642 ,Sahih Abu Daowd ,1062
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Namaze Asr aur Fajar Kï Fazilat,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
*__ Jisne Do Thandi Namaze Padhi Wo Jannat mai dakhil ho gaya ,"
📚 Sahih Bukhari ,574 ,Sahih Muslim, 1432
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
*__ Wo Shakhs hargiz Jahannam mai dakhil nahi hoga Jisne Sooraj Tulu hone se qabl aur Sooraj Guroob hone se qabl Namaz Padhi _"(Yani Fajar aur Asr Kï Namaz )
📚Sahih Muslim ,1434
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Jisne Subeh Kï Namaz Padhi Wo Allah Ta'ala Kï zimmedari mai hai ,"
. 📚 Sahih Muslim ,1491 ,1492
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Fajar aur Isha Kï Namaz mai Haazri Nifaaq se Panaah Gaah hai,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
*__ Munafiqeen per Fajar aur Isha Kï Namaz se zyada bhaari koi aur Namaz nahi hai ,agar Unhe iske anjaam ka yaqeen ho jaye to Wo Ghisat kar aaye ,"
📚 Muttafiq Alaihi/ Sahih Bukhari ,657
➠is Hadees ka mafhoom e mukhalif ye hai k Jo Shakhs Subeh aur Isha Kï Namaz mai Shamil hua ,Mahaz Allah Kï Raza mandi ke liye ,Esa Shakhs Nifaaq Kï Alaamato se mehfooz hai ,,,Wallahu A'alam ,!
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Namaz Ko Chhodne Wale Ka Kufr,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
*__ Hamare aur Kaafiro ke darmiyan farq Namaz hai ,Jisne Namaz chhod Dï usne Kufr kiya _"
📚 Sahih Sunan Tirmizi ,2113
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
*__ Musalman aur Kufr v Shirk ke darmiyan farq Namaz hai _"
📚 Sahih Muslim ,243
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Umru bin Aas Raziyallahu Anha se Rivayat hai k ,
*__Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne ek roz ek Namaz ka Zikr kiya aur Farmaya :--
"__ Jisne is Namaz Kï Pabandi Kï Roze qayamat uske saamne ek Roshni hogi aur Burhaan hogi aur Jahannam se azaadi ka parwana milega ,
Aur Jisne uski pabandi na Kï Wo Roshni v Burhaan se mehroom kar diya jayega aur Jahannam uska thikaana banegi aur Roze qayamat Wo Qaroon ,Firoun ,Hamaan aur Ubai bin Khalf ke Saath hoga ,"
. 📚Musnad Ahmad ,2/169
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Jama'at Ke Saath Namaz na Padhna Munafqat Kï Aham Alaamat Hai,*
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu ka Bayan hai k ,
*__Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke daur mai Maine dekha k Wahi munafiq Namaz se pichhe rehta tha Jiska Nifaaq sabko maloom hota tha aur baaz Mareez qism ke Logo ko do Aadmiyo ke sahare laya jata aur saf mai khada kar diya jata ,"
📚 Sahih Muslim, 1485
☞ *Namaz mai Takbeere Tehrima Ke ahatmam Kï Fazilat,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
*__Jisne Allah Ta'ala Kï Khaatir Chalees ( 40 ) Din Takbeere Avla ke Saath Namaz padhi , Allah Ta'ala use Do cheezo se khalaasi ata farmate hai'n ,
Ek Jahannam Kï Aag se aur Doosra Munafqat se _",
. 📚 Sahih Sunan Tirmizi. 200
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Esa Amal Jo illiyyeen mai Likh diya Jata hai,*
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
*__Jo Shakhs Naha dho kar apne ghar se Farz Namaz ada karne ke liye nikla ,Usko ek Hajj ka Sawab ata kiya jata hai
Aur Jo Shakhs Chaasht Kï Namaz ada karne ke liye nikla aur uske peshe nazar aur koi kaam nahi tha , Use ek Umrah ka Sawab ata kiya jata hai
Aur ek Namaz ke baad doosri Namaz padhna k darmiyani Waqfa mai koi lagu baat nahi Kï to Uska ye Amal illiyyeen mai likh diya jata hai _",
. 📚 Sahih Sunan Abu Daowd , 522
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Namaze Juma Ke Liye Jaldi Jane ka Ajro Sawab,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Jisne Juma Ke Roz Gusl kiya aur Jald hi Juma ke liye rawana ho gaya , fir bager sawaari ke paidal gaya aur imaam ke qareeb ho kar betha aur Khutba Suna aur Us dauraan koi behooda baat na Kï
To use har qadam ke badle ek saal ke barabar Ajro Sawab milega ,
Goya Wo ek Saal pehle Roze rakhta raha aur ek saal tak qayaam kiya _",
. 📚 Sahih Sunan ibne Maaja ,891
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Jibraiyl Alaihissalam mere Paas aaye , Unke haath mai Safaid Aa'ina tha , Jisme ek Siyaah nishaan tha ,
Maine kaha : Jibraiyl Alaihissalam ye kya hai ? Kehne lage :- Ye Roze Juma hai ,Jise Allah Ta'ala ne Aapke aur Aapke baad Aapki Ummat ke liye ied bana diya hai ,
Maine kaha :- Hamare liye isme kya Fazilat hai ?
Unhone Jawab diya :- isme Aapke liye Bhalaai ka samaan hai , isme ek esi ghadi hai , us waqt insaan apne Rab se Bhalaai ka Jo samaan bhi maangta hai ,agar Wo uski qismat mai likha hai to Wahi ata kar diya jata hai aur agar Wo uski qismat mai nahi likha to Allah Ta'ala usse behtar cheez zakheera kar lete hai'n ,
Isi Tarah agar Wo kisi Shar se Panaah maangta hai to agar Wo uski qismat mai likhi hui thi to Allah Ta'ala use us Shar se Nijaat de dete hai'n aur agar Wo uski qismat mai nahi thi to Allah Ta'ala usse badi Shar se use Panaah dete hai'n,
Maine Kaha :- is Aa'ine mai ye Siyaah nishan kya hai ?
To unhone jawab diya :- Ye Wo ghadi hai Jo Juma ke Roz hoti hai ,"
📚 Sahih Targeeb v Tarheeb , 3761
⚃➠ Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Juma ke Roz Jis Ghadi Kï aamad ka intezaar hota hai , Use Asr ke baad se Sooraj Guroob hone tak talash karo __"
. 📚 Sahih Sunan Tirmizi ,406
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Wo Dua Jo Radd Nahi Hoti ,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ka farmaan Hai:-
"__ Machhli Wale ( Hazrat Yunus Alaihissalam ) ne Machhli ke pait mai ye Dua Kï thi :
*لَّا إِلَٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ*
(Surah Al-Anbiya, Aayat 87)
"_:- Tere Siva Koi ibaadat ke layaq nahi hai ,Yaqeenan mai hi Zaalim hu'n _"
Koi Shakhs Jab bhi Kisi cheez ke bare mai ye Dua karta hai to Allah Ta'ala usko Dua ko zaroor qubool farmate hai'n_"
. 📚 Sahih Sunan Tirmizi ,2785
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Qubooliyat e Dua Kï Kaifiyat,*
⚃➠ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Jo Musalman bhi Allah Ta'ala se Dua kare ,Ba-Sharte k usme Qata Rahmi aur Gunaah Kï koi baat na ho to Allah Ta'ala use in Teen mai se Ek na Ek zaroor ata farma dete hai'n ,:-
Ya To fauri uski Dua qubool kar li jati hai
ya Use Akhirat ke liye Zakheera kar liya jata hai,
Ya Uske ba-qadar Koi musibat usse door kar di jati hai,
Sahabi Raziyallahu Anhu ne Kaha :-
Tab to hum Kasrat se Duae'n karenge ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
Allah Ta'ala bhi usi Kasrat se inaayat farmayenge _"
. 📚 Al Adabul Mufarrid : 1/ 248
*__ Ek Aqalmand Musalman ko chahiye k Wo Apne Rab per Husne Zan rakhte hue Kasrat se Dua kare ,Allah Ta'ala Kï Khairo Barkaat ka silsila kabhi munqata nahi hoga , Uske Khazane labrez hai'n, Uska Daur kabhi khatm nahi hoga ,
*Allah Ta'ala Hum sabko Kasrat se Duao'n ke ahatmam karne Kï Tofeeq ata kare,*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Fajar Kï Do Sunnato Kï Fazilat,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Fajar Kï Do Sunnate Duniya aur Usme Mojood har cheez se zyada behtar hai ,"
📚 Sahih Muslim, 1685
☞ *Sunnate Moakkada Kï Fazilat,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Jis Shakhs ne ek Din aur Raat mai Barah ( 12 ) Raka'at Pabandi se ada Kï ,Wo Jannat mai dakhil ho gaya ,
Chaar Raka'at Zuhar se Pehle ,Do Zuhar Ke baad aur Do Raka'at magrib ke baad aur Do Raka'at isha ke baad aur Do Raka'at Fajar se Pehle _",
📚 Sahih Sunan Nasa'i ,1693
⚃➠ Sahih Muslim Kï Rivayat mai ye alfaz hai k ,
"__ Allah Ta'ala ese Shakhs ke liye Jannat mai ek ghar bana dete hai'n
ya Kaha k uske liye Jannat mai ek ghar bana diya jata hai,"
. 📚 Sahih Muslim ,1693
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Zuhar Kï Namaz Kï Sunnato Kï Fazilat aur Us per Ajre Azeem ka Waada,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,:-
"__ Jisne Zuhar se pehle Chaar Raka'ato air Uske baad Chaar Raka'ato ko pabandi se ada kiya ,Allah Ta'ala ne us per Jahannam Haraam kar di hai ,"
📚 Sahih Sunan Tirmizi ,352
☞ *Kisi Gunaah Ke ho Jane ke Baad Do Raka'at Namaz padhne Kï Fazilat,*
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"___Jo Shakhs kisi gunaah ka irtkaab kar bethe ,Fir Wo uthe aur Vazu kar ke Namaz padhe aur Allah Ta'ala se apne us gunaah Kï bakhshish ka talabgaar ho to Yaqeenan Allah Ta'ala use maaf kar dete hai'n ,"
. 📚 Sahih Sunan Tirmizi ,333, 2404
*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Jannat Mai Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Kï Rafa'at ,*
⚃➠Rabiya Bin Ka'ab Aslami ne Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se arz kiya :-
Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Mai Jannat mai Aapki Rafa'at chahta hu'n ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
" _ Kya Kuchh aur bhi chahiye ?"
Usne Kaha :- Nahi ,Bas yahi mil jaye ,
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Fir Sajdo Ki Kasrat se Apne saath Ta'awun karo ,"
📚 Sahih Muslim, 1094
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Jahaano Ke Rab ke Liye Sajdah Rez hone Kï Fazilat,*
⚃➠ Hazrat Sobaan Raziyallahu Anhu Bayan karte hai'n k maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se kaha :
Mujhe koi esa Amal bataiye Jo mujhe Jannat mai le Jane ka Baa'is ban jaye ,
Ya Maine ye kaha k Allah ke nazdeek Mehboob tareen Amal konsa hai ?
To Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :
"__Allah Ta'ala ke liye Kasrat se Sajde kiya karo , Tera Allah ke liye Ek Sajda tere liye ek Darja Buland kar dega aur Ek gunaah tere Naama Amaal se qalam zad kar diya jayega ,"
📚Sahih Muslim ,1094
⚃➠ Aur Farmaya :-
"__ Banda Allah Ta'ala ke liye Ek Sajda nahi karta k Allah Ta'ala uske badle uske liye Ek Neki Raqam aur Ek gunaah uske naama Amaal se qalam zad kar dete hai'n, aur uska Ek darja buland kar diya jata hai ,(Agar Tum is ajre azeem ke talabgaar ho ) to fir kasrat se Sajda kiya karo ,"
. 📚 Sahih Sunan ibne Maaja ,1171
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Chaasht Kï Do Raka'ato Kï Fazilat*
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :
"__ Namaze Chaasht Kï pabandi to wahi karta hai Jo Allah Ta'ala se Ba -Kasrat maafiyo ka khwaatgaar hota hai ,
Neez Kaha k ye to Ba-Kasrat Rujoo ilallaah karne walo Kï Namaz hai ,"
📚 Sahih Jamia Sageer , 7628
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :
"_ Agar Tum Chaasht Kï Do Raka'at Padh liya karo to Tumhara Shumaar gafileen mai se nahi hoga ,"
. 📚 Musnad Bizaar ,9/336
*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Qayamul Layl ( Tahajjud ) Kï Fazilat,*
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :
"__Raat ko Ek esi ghadi aati hai ,Jo Musalman isko paa le ,Wo us waqt Allah Ta'ala se Duniya v Akhirat Kï Jo Bhalaai bhi talab karega , Allah Ta'ala use ataa farmayega aur Ye ghadi har raat aati hai ,"
📚 Sahih Muslim, 1767
⚃➠ Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Jisne Raat ke waqt Das Ayaat tilawat Kï , use ajr ka Ek khazina ata kiya jata hai aur Wo khazina Duniya aur uski har cheez se behtar hai ,
Jab qayamat ka Din hoga ,Tera Rabb farmayega : Padhta ja aur Jannat ke ek darje ke badle ek aayat padhta ja ,
isi tarah jab Wo Aakhri aayat par pahunchega to Allah Ta'ala farmayega , Pakad lo ,
To Banda apne haath ke ishare se kahega :- Ey parwardigaar tu hi khoob jaanta hai ( k Kya pakdu )
To Allah Ta'ala farmayega :- Ek haath se Jannat ko pakdo aur doosre haath se iski niyamate samet lo ,
. 📚 Sahih Targeeb v Tarheeb , 238
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Taharat Kï Haalat mai Raat Guzaarne Kï Fazilat,*
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :
"__Wo Shakhs Jo Raat ko Vazu kar ke Soya, to ek farishta uske sha'aar mai Raat guzaarta hai ,
Jonhi Wo Bedaar hota hai to Farishta Kehta hai :-,
Ey Allah fala Bande ko maaf kar de ,"
📚 Sahih ibne maaja ,3/328
➠ "Sha'aar se matlab ,insaan ka Wo kapda hai Jo Uske Badan per hota hai,
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Namaz e ishraaq Kï Fazilat,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Jisne Subeh Kï Namaz Jama'at ke saath padhi ,Fir Suraj Tulu hone tak Allah Ta'ala ke Zikr mai mashgool raha ,
Fir Do Raka'at Namaz padhi , Use ek mukammal , Mukammal aur Mukammal Hajj v Umrah ka sawab ata kiya jata hai ,"
. 📚 Sahih Sunan Tirmizi ,480
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Arkaane islaam Kï Azeem Fazilat,*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Ek Dehaati Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke paas aaya aur Kehne laga :-
Ey Allah ke Rasool Koi esa Amal bata de'n ,Jiske karne se mai Jannat mai dakhil ho jau'n ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :
"_Sirf Allah Ta'ala Kï ibaadat kar ,Uske saath kisi ko Shareek mat thehra , Farz namazo ko qaa'im kar ,Farz Zakaat ada kar aur Ramzan ke Roze rakh ,"
Usne kaha :- Us zaat Kï qasam Jiske haath mai meri jaan hai ! Na is per kabhi kuchh zyada karunga aur na isme se kuchh Kam Karunga ,
Jab Wo waapas lota to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Jo kisi Jannati ko dekhna pasand karta hai ,Wo is Shakhs ko dekh le ,"
. 📚Sahih Bukhari ,1397 ,Sahih Muslim ,107
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Ba- Jama'at Namaz Kï Fazilat ,*
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Jab imaam ( Gayril magdoobi alayhim walad daalleen ) Kahe to Tum Aameen kaho ,
Jiski Aameen Kï awaaz farishto Kï Aameen Kï awaaz se hum aa hang hogi ,Uske guzishta tamaam gunaah maaf kar diye jate hai'n_"
. 📚 Sahih Bukhari ,782 ,Sahih Muslim ,912
⚃➠ *is sawab se wahi Shakhs faizyaab ho sakta hai Jo Ba- Jama'at Namaz ka iltzaam kare ,*
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Yateemo aur Baiwao'n Kï Kifaalat,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :
"__ mai aur yateem Kï kifaalat karne wala jannat mai is tarah honge , Jis tarah ye Do ungliya'n "
Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne angushte shahadat aur darmiyan wali ungli ke darmiyan kuchh faasla rakh kar unki taraf ishara kiya ,
📚 Sahih Bukhari ,5304
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Baiwa aur miskeen Kï khabar geeri karne wala Allah ke Raaste mai jihaad karne wale Kï tarah hai ,"
Raavi ka bayan hai k mere khayal mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye bhi kaha :-
"__aur us Shabe zinda daar Kï tarah Jo is me susti v kaahili ka muzahira nahi karta aur us Roze daar Kï tarah Jo naaga nahi karta ,"
📚 Muttafiq Alaihi / Sahih Bukhari ,5353
⚃➠Aur farmaya :-
"__Jisne apne yateem Bachche ko ya kisi ke Yateem bachche Kï kifaalat Kï Yaha tak k Allah ne use is qaabil bana diya k Wo Apne paanv per khada ho sake
To ese Shakhs ke liye Jannat waajib ho gayi ,"
. 📚 Majma'azzawa'id ba hawala Tabrani ,8/162
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Kasrate Aulaad aur Unki Nek Tarbiyat Kï Fazilat,*
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka farman hai :-
"___Jab koi insaan marta hai to uska har Amal usse munqata ho jata hai, Magar Teen Amaal ese hai'n k Marne ke baad bhi insaan se unka talluq qaayam rehta hai :-
1- Sadqa Jaariya ,
2- Esa ilm k log baad mai usse mutafeed ho,
3- Ya Nek Aulaad Jo uske liye Dua kare ,
📚 Sahih Muslim, 4199
⚃➠ Aur Farmaya :-
"__ Allah Ta'ala apne Nek Bande ka Jannat mai ek darja buland farmayega to Wo dekh kar kahega :-Ey mere Rab ! Ye darja mujhe kese mila ?
Allah Ta'ala farmayega :- tere Bete Kï istagfaar Kï badolat ye tujhe naseeb hua _"
📚 Musnad Ahmad ,2/ 509
⚃➠ Aur Sunan Bayhqi ( Jild 7/ Safa 78 ) mai ye alfaz hai'n ,
"__Tere Bete ka tere liye Dua karna is bulandi darja ka baa'is hua _"
⚃➠ Chunache har Maa'n aur Baap ka ye farz hai k Wo Apni Aulaad ki Nek tarbiyat kare ,Tab hi is Ajre Azeem ka husool mumkin ho sakta hai ,
⚃➠Aur Aulaad ka bhi ye farz hai k Wo Apne Walden ke liye har waqt Dua kare aur ye Walden ka Haq hai Jo Allah ne Aulaad per farz kiya hai ,
➠ Chunache farmane ilaahi hai :- "_ Kaho , Ey Allah ! Mere Walden per Raham farma ,Jis tarah Bachpan mai unhone meri parvarish Kï _"
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Us Aulaad Kï Fazilat Jo Allah Kï ita'at mai Parvaan chadhi _*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka farmaan hai :-
"__ Saat Afraad ko Allah Ta'ala us Din apne arsh ka saaya ata farmayega ,Jis Din k uske Siva koi saaya na hoga
Aur farmaya k unme ek Wo Nojawaan hoga Jisne Apni Jawani Allah Kï ibaadat mai guzaari hogi ,"
. 📚 Sahih Bukhari ,1423 ,Sahih Muslim ,2377
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Apni Betiyo'n Kï Aala tarbiyat Karne Wale Ka Ajr,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Jo Shakhs apni betiyo'n ke baa'is kisi aazmaish mai mubtila hua ,Fir Wo unke saath achcha bartaav kare to Wo Betiya'n uske liye Jahannam Kï Aag se Parda ban jayegi ,"
📚 Muttafiq Alayh /Sahih Muslim ,6636
⚃➠Aur Farmaya :-
"_ Jisne do Betiyo'n ko paala Posa ,Yaha tak k Wo Baalig ho gayi ,
Mai aur Wo Roze qayamat is tarah ikatthe honge Jis tarah ye Do ungliya'n Aapas me ikatthi hai'n ,"
📚 Sahih Muslim ,6638
⚃➠ Hazrat Aayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n k ek miskeen Aurat mere paas aayi , Do chhoti Bachchiya'n uski goad mai thi ,Maine khane ke liye unhe teen khajoore pesh Kï , Usne Apni dono Bachchiyo'n ko ek ek khajoor de Dï aur teesri khajoor khud apne moonh mai daalne hi wali thi k uski Betiyo'n ne Wo khajoor bhi usse maang li ,To usne us khajoor ke do hisse liye aur dono ko ek ek de diya ,
Mai uski ye haalat dekh kar badi hairaan hui ,Jab Maine ye maajra Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke gosh guzaar kiya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"_ Yaqeenan Allah Ta'ala ne iske badle iske liye Jannat waajib kar Dï hai _,
( Ya farmaya ) Allah ne iske badle ise Jahannam se Azaadi ata farma Dï hai _,"
. 📚 Sahih Muslim ,6638
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Qur'an e Kareem ko Hifz Karne aur Apni Aulaad ko Hifz Karwane Kï Fazilat ,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Roze Qayamat Jab Haafize Quran aayega to Qur'an e Kareem kahega :-
Ey mere rab isko libaas pehna de to usko izzat v sarf ka taaj pehnaya jayega ,
Qur'an e Kareem kahega :-
Ey mere rab ! Iska sarf aur badha de to use izzat v sarf ka ek or libaas pehna diya jayega ,
Fir Wo kahega :-
Ey mere rab ! Isse Raazi ho ja to Allah Ta'ala us per raazi ho jayenge ,
Fir usko kaha jayega :- Padhta ja aur Jannat Kï manazile tay karta ja , aur har Aayat ke badle uski ek Neki badha Dï jayegi _"
. 📚 Sahih Sunan Tirmizi ,2328
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Wo Ajr Jo Momin Ko Maut ke Baad bhi milta Rehta hai ,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Wo Amal aur Nekiya'n k marne ke baad bhi Momin ke liye unka silsila jaari rehta hai,
Unme se ek Wo ilm hai Jo usne Sikhaya aur uski naahro isha'at Kï
Aur doosri Nek Aulaad Jo usne sogawaar chhodi , Ya musahif Jo Wo Varsa mai chhod gaya
Usne koi masjid tameer Kï ya koi musafir khana banaya Ya koi Nahar banwayi
Ya Ba haalate Sahat v Hayaat Apne maal se sadqa kiya ,
In Amaal ka Ajr use Marne ke baad bhi milta rahega ,"
. 📚 Sahih Sunan ibne maaja ,198
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Us Shakhs Kï Fazilat Jisne Apne Kamsin Bachche Kï Maut per Sabr Kiya ,*
⚃➠Abu Hasaan Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k Maine Abu Huraira Raziyallahu Anhu se kaha :-
Ey Abu Huraira Raziyallahu Anhu ! Mere Do lakhte jigar faut ho chuke hai'n, Kya Aap Hume Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka koi esa farmaan sunayenge Jo hamare liye itminaan aur tasalli ka baa'is ho ?
Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne kaha :- Haa'n
"__Unke chhote Bachche bila rok tok jannat mai ghoomenge ( Roze qayamat ) har Bachcha apne Waalid ya Walden se milega aur uska kapda ya haath is tarah thaam lega Jese mai tumhare is kapde ko pakad raha hu'n aur us tak nahi chhodega Yaha tak k Allah Ta'ala us Bachche ko aur uske Waalid ko Jannat mai dakhil kar dega ,"
📚 Sahih Muslim ,6644
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Us Aurat Ka Ajr Jiska Hamal Zaay ho gaya ,Fir Usne Sabr kiya _*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Us zaat Kï Qasam Jiske Haath mai meri Jaan hai ! Agar koi Aurat Hamal saaqit hone per sawab Kï Niyat kar le ,
To Wohi Saaqit Shuda Bachcha Apni Maa'n ko Apni naaf ke saath kheench kar Jannat Kï taraf le jayega ,"
. 📚 Musnad Ahmad ,5/241
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Apni Bivi se Husne Sulook Kï Zarurat v Fazilat_*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Momin mai se Kaamil tareen imaan wala Wo Shakhs hai Jo unme se akhlaaq ke lihaaz se Achchha hai ,
Aur Tumme se behtreen Wo Shakhs hai Jo Apni Biviyo'n ke liye behtreen hai ,"
📚 Sahih Sunan Tirmizi ,928
⚃➠ Hazrat Muawiya bin Haydah Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Puchha gaya :-
Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Humme se kisi Kï Bivi ka us per kya Haq hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"_Jab Tu khud khaye to usko bhi khila aur Jab Tu khud pehne to Usko bhi pehna aur Uske chehre per mat maar aur na usko badsoorat qaraar de aur usko mat chhod magar Ghar mai hi _"
📚 Sahih Sunan Abu Dauwd :- 875
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Momin Mard ko Momin Aurat se nafrat rawa nahi , Agar uski ek aadat usko na-pasand ho to koi doosri ada usko zaroor pasand hogi _"
📚 Sahih Muslim ,3233
⚃➠ Imaam Navvi Reh .likhte hai k ,
"__ use laayaq nahi k usse bugs aur nafrat kare ,isliye k agar use uski koi aadat na-pasand hai to uski koi na koi aur ada esi baharhaal hogi Jo usko raazi karegi ,
Maslan Wo bad khalq hai lekin Deendaar ya Khoobsoorat ya Paak daaman hai _"
. 📚 Sharah Muslim az Navvi Reh. 10/300
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Aurat Per Apne Khawind Kï ita'at Farz aur Jannat Ka Zariya Hai ::-
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya: -
"__Agar mai kisi ko Hukm deta k Wo Kisi insaan ko Sajda kare to Yaqeenan mai Aurat ko Hukm deta k Wo Apne khawind ko Sajda kare ,
Kyunki uske Apni Bivi per bahut zyada huqooq hai'n ,
Aur koi Aurat us Waqt tak imaan Kï haalat haasil nahi kar sakti Jab tak Wo Apne Khawind ke huqooq ada na kare ,
Agar Khawind usse Hambistari Kï Khwahish kare to us per uski khwahish ka ahatraam zaroori hai , Chahe Wo kajawa baandhe ount per sawaar ho _"
📚 Mustarak Haakim ,4/190 Sahih Targeeb ,938
⚃➠ Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"_ Kisi insaan ko ye rawa nahi hai k Wo kisi insaan ko Sajda kare, Agar kisi insaan ko Sajda karna rawa hota to mai Aurat ko hukm deta k Wo Apne Khawind ko Sajda kare ,
Agar Qadmo se le kar sar tak uska ang ang zakhmo se choor ho aur un zakhmo se peep beh raho ho fir ye Aurat apni zabaan se usko saaf kare to bhi Wo uska Haq ada nahi kar sakti ,
. 📚 Musnad Ahmad ,3/158 Sahih Targeeb , 1936
*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Kya mai Tumhe Wo Aurte'n na bataau Jo Jannat Kï Waaris banengi ,
Humne kaha :- Kyu nahi ,Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Zaroor bataye ,
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
Har Wo Aurat Jo Kaseer Aulaad hai ( Jinke zyada Aulaad hai ) aur apne Khawind se toot kar muhabbat karti hai ( Yani bahut zyada muhabbat karti hai ) ,
Jab Wo gusse mai ho ya us per zyaadti ki gayi ho ya uska Khawind usse naraaz ho jaye to Woh kahe :-
Ye mera haath tere haath mai hai ,mai us waqt tak apni Aankh ko neend ke maze se lutf andoz nahi hone dungi ,Jab tak tu mujhse raazi nahi ho jata _"
📚 Muajjam Tabrani ,Sahih Targeeb ,1941
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ;-
"_ Jab koi Aurat Paanch Waqt namaz padhe ,Mahine bhar roze rakhe aur Apni Aabru ko mehfooz rakhe aur Apne Khawind Kï ita'at guzaari kare ( to Roze Qayamat) usse kaha jayega , Jannat ke Jis darwaze se chaaho Dakhil ho jaao __"
. 📚 Musnad Ahmad v Tabrani ....Sahih Targeeb ,1932
*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Allah Ta'ala us Aurat Kï taraf nahi dekhega ,Jo Apne Khawind Kï Shukr Guzaar nahi hoti , Halanki Wo usse kisi soorat bhi mustagni nahi ho sakti ,"
📚 Mustarak Haakim ,2/207 Musnad Bizaar ,6/340 Sahih Targeeb, 1944
⚃➠ Hazrat Husain bin Mohsin Ka bayan hai k Uski foofi Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke paas aayi , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne usse kaha :-Kya tu Khawind wali hai ?
Usne kaha :- Haa'n
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne puchha :- Tera usse Sulook kesa hai ?
Usne kaha :- mai uski khidmat mai koi kasar utha nahi rakhti ,
To Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-Tum is baat ko hamesha apne peshe nigaah rakhna k Tera Apne Khawind se Sulook kesa hai , Beshak Wo hi Tera Jahannam hai aur Wo hi Jannat ,"
📚 Musnad ul imaam Ahmad ,45/ 341
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
"__Do insaan ese hai'n K unki Namaz unke Saro se aage nahi jaati ,unme se ek Wo hai Jo Apne Aaqao'n ( maalik ) ko chhod kar bhaag jaye , Yaha tak Wo waapas aa jaye ,
Aur Doosri Wo Aurat hai Jo Apne Khawind Kï nafarmaan ho , Yaha tak k Wo apne us rawayye se tauba kar le ,"
. 📚 Sahih Targeeb, 1948
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Biviyo'n mai insaaf karna Farz aur Usse Pehlu tahi intehaai Khatarnaak hai ,*
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
" __ Jiske Paas Do Biviya'n ho ,Fir Wo unke darmiyan adl v insaaf na kare , Wo Roze Qayamat is haal mai aayega k uski ek taraf maflooj hogi _"
📚 Sahih Sunan Tirmizi, 912 ,Sahih Sunan ibne maaja, 1969
⚃➠Aur farmaya :-
"__ Jiski Do Biviya'n ho Fir usne apna daamane ulfat unme se ek Kï Taraf jhuka diya to Wo Roze Qayamat is haal mai Allah ke darbaar mai pesh hoga k uski ek taraf niche dhalak ( Jhuk ) rahi hogi _"
📚 Sahih Sunan Abu Daowd ,1867
⚃➠ Aur farmaya :-
"__insaaf karne walo ka muqaam v martaba Allah ke yaha'n ye hai k Wo ( Roze Qayamat ) uske daaye haath noor ke mimbaro per biraajmaan ( rakhe hue ) honge aur Allah Ta'ala ke dono haath Daaye hai'n ,
Aur ye Wo log hai'n Jo Apne faislo mai aur Apne ghar walo ke darmiyan insaaf karte hai'n aur insaaf ka daaman Kabhi haath se nahi chhod te ,"
. 📚 Sahih Muslim ,4698
┅┅━━═۞═━━┅
☞ *Masa'ib Ke Waqt Sabr Karne Kï Fazilat -1,*
⚃➠ Allah Ta'ala ka farmaan hai :-
"__ Bila Shubha Sabr karne walo ko bager hisaab ke Ajr se nawaza jayega _"
📚 Surah Az- Zumar ,10
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"_ Sabr ( insaan ke liye ) roshni hai ,"
📚 Sahih Muslim ,7425
⚃➠ Aur farmaya :-
"__Momin Kï bhi ajab Shaan Hai ,Uska maamla to khair hi khair hai aur ye Fazilat Momin ke Siva kisi ko haasil nahi hai,
Agar usko khushi haasil hoti hai to Shukr karta hai, Ye bhi isliye baaise khair hai ,
Aur agar usko koi takleef pahunchti hai to Sabr karta hai To ye bhi uske liye baaise khair hai ,"
📚 Sahih Muslim ,7425
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Jab Musalman ko koi musibat pahunche fir Wo kahe :- Jo Allah ka hukm ,be shak hum Allah Ta'ala ke liye hai'n aur hum Sab usi ki taraf lot kar Jane wale hai'n ,
Ey Allah ! Mujhe is musibat ke badle Ajro sawab ata farma _"
To Allah Ta'ala badle mai use behtreen badla ata karte hai'n ,"
. 📚Sahih Muslim ,2123
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶
No comments:
Post a Comment