Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Wednesday, December 14, 2016

*TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi 401 SE 450 *

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-401*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Hafte Waari ijtima ,*

↬• Jab muhallo Kï masajido mai hafto ke do Gasht ke zariye har ghar ek Aadmi teen chillo ke liye nikalne Kï awaaz lag rahi hogi ,Taleem aur tasbihaat per ahbaab Jud rahe honge ,har Masjid se Teen Din Kï Jama'at nikaalne Kï koshishe ho rahi hongi to Shabe Juma ka ijtima sahi nahaj per hoga aur kaam ke badne Kï soorte banengi ,

★• Jumeraat Ko Asr ke waqt se mohallo Kï masjido ke ahbaab apni apni Jama'ato Kï soorat mai Bistar aur Khaana Saath le kar ijtima Kï Jagah ( Markaz ) pahunche ,

★• Mashware se ese ahbaab se Umooman  Dawat ( Umoomi Baat ) dilwayi jaye Jo Mehnat ke maidaan mai ho aur Jinki tabiyat per kaam ke taqaze gaalib ho ,

★ • Bahut hi fikr ke Saath Tashkeel Kï jaye , Agar Awqaat vasool na ho to Raat ko bhi Mehnat Kï jaye , Ro Ro kar maanga jaye , Subeh ko Jama'ato Kï Tashkeel kar ke hidayaat de kar rawana kiya jaye ,

★. Teen Din Kï mohallo se taiyaar ho kar aayi hui Jama'ato ko umooman saat aath meal tak bheji jaye , Har Shabe Juma se Teen Chillo aur Chillo Kï Jama'ato ko nikalne ka rukh padna chahiye ,

★• Agar Shabe Juma mai khuda na khwasta Sab taqaze poore na ho sake to saare hafte apne mohallo mai fir iske liye koshish Kï jaye aur aainda Shabe Juma mai Mohallo se taqazo ke liye logo ko taiyaar kar ke laya jaye ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *402 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-402*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Kaam Kï Nazakat aur Uska ilaaj ,*

↬• Bhai Dosto ! Ye kaam bahut naazuk hai ,

★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne ek mehnat farmayi ,us mehnat se Sare insaano Kï Saari zindgi ke kamane ,khane ,byaah Shaadi ,mail mulaqaat aur ibadaat mamlaat vagera ke tareeqo mai mukammal tabdiliya'n aaye ,To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne khud is mehnat ke kitne tareeqe batlaye honge ?

★• Hume abhi ye kaam karna nahi aata aur na abhi haqeeqi Kaam Shuru hua hai , Kaam us Din shuru hoga ,Jab imaan v yaqeen ,Allah Kï muhabbat ,Allah ka dhyaan ,Akhirat Kï fikr ,Allah ka khof v khashiyat ,Zuhad v Taqwa se bhare hue log Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke Aali akhlaaq se muzayyan ho kar Allah Kï raza ke jazbe se makhmoor ho kar Allah Kï Raah mai jaan dene ke shoq se khiche khiche firenge ,

★ • Hazrar Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n :-

*__Allah Raham kare Khalid Raziyallahu Anhu per ,Uske Dil Kï tamanna sirf ye thi k Haq aur Haq wale chamak jaye aur Baatil aur Baatil wale MIT jaye aur koi tamanna hi nahi thi ,"

★. Abhi Jo Hume kaam Kï barkate nazar aa rahi hai'n, Wo kaam shuru hone se Pehle Kï barkate hai'n, Jese Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï wiladat ke waqt se hi barkato ka zahoor shuru hua tha, Lekin asal kaam aur asal barkate 40 saal baad shuru hui ,

★• Abhi to iske liye mehnat ho rahi hai k kaam karne wale taiyaar ho jaye , Allah jalshanhu kaam unse lenge aur hidayat felne ka zariya unko banayenge ,Jinki zindgi apni Dawat ke mutabiq badlegi ,

*__ Jinki zindgiyo mai tabdili na aayegi ,Allah jalshanhu unse apne Deen ka kaam nahi lenge , Ye Nabiyo ( Alaihissalam ) wala kaam hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *403 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-403*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Usool aur Sohbat,*

↬• is kaam mai agar apne aapko usool seekhne ka mohtaaj na samjha gaya aur usoolo ke mutabiq kaam na hua to sakht fitno ka khatra hai ,

★• Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne jab baahar mulko mai kaam shuru karne ka iraada farmaya to pehle tamaam Sahaba Raziyallahu Anhum ko teen din tak targeeb Dï aur fir farmaya ,Jis tarz per yaha'n Kaam hua hai bilkul usi tarz per baahar jaa kar bhi kaam karna hai ,is kaam Kï Noiyat Yahi hai,

★• Muqaam ,Zubaan ,Mashrat ,Mausam vagera ke aitbaar se is kaam ke usool nahi badalte ,is kaam Kï Nahaj aur usoolo ko seekhne aur un per qayam rehne ke liye us fiza mai aana aur baar baar aate rehna intehaai zaroori hai ,

★ • Jaha'n Hazrat Rehmatullahi Alayh ne jaan khapayi thi aur unke saath ikhtlaat bhi bahut zaroori hai , Jo is Jaddo Jahad mai Hazrat Rahmatullah ke saath they aur jab se ab tak is fiza ( Dawat mai ) mai aur kaam mai musalsal lage hue hai'n, uske bager kaam ka apne nahaj aur usoolo per qayam rehna bazaahir mumkin nahi ,

★. Isliye Dawat ka kaam karne wale ahbaab ko esi fiza mai ahatmam se nobat ba nobat bhejte rahe ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *404 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-404*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Naqsho ke bajaye Mujahida,*

↬• Tamaam Ambiya Alaihissalam apne apne zamane mai kisi na kisi naqshe ke muqable per aaye aur bataya k kaamyabi ka is naqshe se bilkul talluq nahi hai, Kaamyabi ka talluq barahe raast Allah Jalshanh Kï zaate aali se hai ,

★• Agar Amal theek honge ,Allah Jalshanh chhote naqshe mai bhi kaamyab kar denge aur Amal kharaab honge Allah Jalshanh bade se bade naqshe ko tod kar nakaam kar ke dikhayenge ,

★• Kaamyab hone ke liye us naqshe mai Amal theek karo ,Har Nabi ne Apne raaijul waqt naqshe ke muqable per mehnat Kï ,Aur Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam tamaam Aksariyat ,Hukumat ,Maal ,Zara'at aur San'at ke naqsho ke muqable per tashreef laye ,

★ • Aapki mehnat un naqsho se nahi chali ,Aapki mehnat mujahido aur qurbaniyo se chali hai , *Baatil aish ke naqsho se failta hai aur Haq takleefe uthane se failta hai,* Baatil mulko maal se chamakta hai to Haq Faqr v gurbat Kï Mashakkato mai chamakta hai ,

★. An is kaam ke zariye ummat mai muhahida aur Qurbani Kï istedaad paida karni hai ,is kaam ke liye bahut bada khatra ye hai k usko naqsho ke taabe kar diya jaye ,isse kaam Kï jaan nikal jayegi ,is kaam Kï Hifazat is me hai k kaam karne wale is kaam ke liye tamaam mayassar naqsho ko bhi Qurban karte hue Mujahide wali Shaklo ko qayam rakhe aur kisi soorat mai mujahide wali shaklo ko khatm na hone de ,

★• Gareebo mai apni mehnat ko badaya jaye ,Paydal jama'ate chalayi jaye ,Log aayenge k Hamara Paisa Deen ke kaam mai kharch kar lijiye ,Fir naqsho Kï Qurbani dene hogi , Keh dijiye k *Janab is kaam mai kharch karne ka sahi tareeqa v jazba sikhaya jata hai, Fir kharch ka mahal talash kar ke khud hi kharch kar dijiyega ,Yaha'n to tareeqa seekh lijiye,*

* __  is kaam Kï taleem ke liye rivaaji tareeqo ,akhbaar ,ishtehaar ,Press vagera aur Rivaaji alfaaz se bhi poora parhez Kï zarurat hai ,Ye kaam saara gair rivaaji hai , Rivaaji tareeqo se Rivaaj ko taqwiyat pahunchegi is kaam ko nahi ,  *is kaam Kï Shakle ,Dawat ,Gasht ,Taleem,Tashkeel vagera hai'n,*Maahware Kï zarurat ho to munasib sathiyo ko alag kar ke mashwara kar liya jaye ,ESA na ho k mashwara karne walo ka kisi moqe per umoomi Amaal se jod na rahe ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *405 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-405*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*College Ke Talba ( Students ) mai Dawati Kaam*

↬• College ke Talba mai is kaam ko uthaya jaye ,

★. Hostalo mai maqami Kaam ke liye Jama'ate banayi jaye , Ek Gasht hostal wale apne Hostal mai kare aur Hafte ka doosra Gasht baahar kisi mohalle mai ya doosre Hostal mai kare ,

★• Qareeb ke Mohalle Kï jama'ate bhi Hostalo mai jaa kar Gasht kare ,

*__Hostal wale ahbaab apni rozana Taleem aur Mahine ke teen Din Kï tarteeb bhi uthaaye ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *406 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-406*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Masturaat mai Kaam Kï Noiyat,*

↬• Masturaat mai kaam Kï nazakate aur bhi zyada hai'n, Jabki Be Pardgi ka ahatmal ho ,

★• Aam ijtimaat mai Masturaat ko bilkul na laya jaye ,Apne Apne Mohalle mai kisi Parde Daar Makaan mai qareeb qareeb ke makanaat se Aurate'n  kisi roz jama ho kar Taleem kar liya kare ,

*___iski ibtida is tarah kare k Mard Jo Baat ijtemaat ,Dawat , Taleem vagera se Sun kar jaye ,Apne ghar walo ko sunaye ,* isse in Sha Allah thode arse mai zahan banna shuru ho jayega ,

★• Fir Mohalle mai Taleem shuru hone ke baad esa ho sakta hai k Saare Shehar Kï Masturaat ka hafte mai ek esi jagah ijtima ho jaha Parde ka ahatmam ho ,Waha Taleem ke baad fir koi Aadmi Parde ke saath bayan kare ,Kabhi kabhi ek yom teen yom ke liye qurbo jawaar ke liye jama'ate banayi jaye ,

★ • Masturaat Kï Jama'at ke saath unke khawind ho ,Varna har Aurat ke saath uska Shara'i mahram saath ho ,Parde ke saath jaye , Parde daar makaan mai thehre ,Mard Masjid mai thehar kar kaam kare ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *407 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-407*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. __*Aakhri Baat_______*

↬• Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Jin maqamaat se mehnat uthaayi thi Unhi maqamaat ke logo ko is mehnat per uthane aur unhe inhi Raasto se Allah Kï Raah ki Mulko wali naqal harkat ke zinda hone ka zariya ye Umre ka Safar ban sakta hai ,

★• Har Jagah ke Purane kaam  karne walo se ikhtilaat aur is kaam mai yakjahti paida hone aur Usoolo ke Tafseel se saamne aane ka ye behtreen moqa hai ,

★• Ye Khat kuchh usool likhne Kï vajah se taveel ho gaya ,Aap Hazraat iske har juz aur har lafz ko gor se padhne Kï koshish farmayega to in Sha Allah bahut zyada nafe Kï tawaqqo hai ,

★ • Aap hazraat apne Yaha ke halaat se har pandrahve roz ittela farma diya kare to Hume taqwiyat hoti rahe ,

★. Tamaam ahbaab ko salaam madnoon ,

★• *Faqat Wassalaam :- Banda Muhammad Yusuf,*

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *408 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-408*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Raahe Khuda mai Nikalne Wali Jama'ato ko Alvidai Paigaam v Hidayaat :- 1,*

↬• Hazraat Ji Reh. har ijtima ke khaatme per ek jaame hidayat nama rukhsat hone wali Jama'ato ke saamne pesh karte they, aur tafseeli hidayat per taqreer farmate , Hazrat Ji Reh ne beshumaar ijtimaat mai hidayaat per Taqreere farmayi jinka zikr karna bhi mushkil hai ,Andaza karne ke liye sirf ek ijtima ke khatm per Jo hidayat farmayi thi ,Wo pesh Kï jati hai ,

★• Khutba Masnoona ke baad farmaya :-
" Aftaab Noorani hai ,iske andar noor hai , Wo Apne is Noor ke saath chakkar lagata hai to Duniya mai Noor failta hai ,Agar bajaye Noorani ke Wo khud Zulmaati hota aur Usme Noor Ke bajaye Zulmat hoti to Wo Duniya mai Zulmat failane ka zariya banta ,

★• Aap Log apne Ghar chhod kar nikal rahe hai'n aur door Qareeb Kï Duniya mai firenge , Agar Aap mai Noor hoga to Aapke zariye Noor failega aur Agar Aapke andar Zulmat hogi to wahi Zulmat failegi ,

★ • isliye Aapko koshish karni hai k Aapke andar noor ho aur Aap khud Noorani bane , Kisi insaan Kï zaat mai Noor nahi hai, Noor wale Amaal se insaan mai Noor aata hai ,

★. Isliye Noor wale Amaal karne hai ,taki Andar mai Noor aaye aur Aapke zariye noor faile aur Zulmat wale Amaal se apne aapko bachana hai taki Aap Zulmat failne ka zariya na bane ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *409 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-409*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Noor Wale Amaal,*

↬• Noor Wale Amaal Wo Muhammadi Sallallahu Alaihivasallam Amaal hai'n Jo Allah Kï raza ke liye kiye jaye ,in Amaal ko itni Kasrat se aur Tasalsul aur Yaksui ke saath karne Kï zarurat hai k Aap unke Noorani Rang mai Rang jaye ,

*_ *_Wo Noorani Amaal ye Hai'n :--*

★• 1- ikhalaas ke saath imaan v yaqeen haasil karne Kï Dawat Jo Ambiya Alaihissalaam Kï khaas miraas aur Allah Kï makhlooq ke saath sabse badi khair khwahi hai ,

★• 2:- Namaz aur Jumla ibadaat Jisme Zikr v Tilawat, Dua v istigfaar Sab shamil hai'n,

★ • 3:- ilm mai maahgooli  ,Khaas kar Wo ilm Jisme insaano ke Amaal v Af'aal ke Akhirat mai zaahir hone wale nateejo ka bayan ho ,Yani Targeeb v Tarheeb ,

★. 4:- Achchhe Akhlaaq Jo Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke akhlaaq they aur Jinki Aap Sallallahu Alaihivasallam Taleem Dï ,Jiska khulasa aur haasil hai Allah Kï Raza ke liye uski makhlooq Kï Khidmat aur uske saath achchha bartaav ,

★• Ye hai'n Wo Noorani Amaal Jinke musalsal aur Kasrat se karne se Noor paida hota hai aur Zindgi Noorani banti hai , Aapko inhi Amaal mai mashgool rehte hue firna hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *410 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-410*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Do Dushman aur Bachne ka Tareeqa,*

↬• Yaad rakhiye , Aap sirf apne Ghar ,apne Ghar walo aur apne khaas mahol ko chhod kar Jaa rahe hai'n , Nafs aur Shaitaan ko chhod kar nahi ja rahe hai'n ,Dono Dushman har qadam per aur Din Raat aapke saath rahenge ,Aapki Buri Aadate bhi Aapke saath ja rahi hai'n ,

★• Ye Sab cheeze Aapko un Amaal Kï taraf kheechengi ,Jinse Aapme Zulmat aaye aur Aap Khuda se door aur uski raza se mehroom ho ,

★• Aap in Dushmano se sirf is tarah bach sakte hai'n k is baat ka poora ahatmaam kare k Sone ke chhe  saat ghanto ke alawa Din Raat ke tamaam Awqaat mai apne ko Noorani Amaal mai mashgool rakhe ,

★ • Ya Aap imaan Kï ya imaan wale Amaal Kï Dawat dete hue , Ya Namaz aur Zikr v Tilawat vagera kisi ibaadat mai mashgool ho Ya Taleem v Ta'allum mai lage ho , Ya koi Khidmat wala kaam anjaam de rahe ho ,

★. Nafs aur Shaitaan ke Shar se bachne Kï Sirf Yahi soorat hai k Aapka Waqt in Kaamo se faarig aur khaali na ho ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *411 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                           
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-411*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Raza E ilaahi :- 1,*

↬• For Ye Amaal bhi Noor haasil hone ka zariya usi soorat mai banenge Jab k Sirf Allah Kï Raza aur Akhirat ke sawab per nigaah rakhte hue kiye jaye ,Agar Khuda na Khwasta niyat khalis na rahi to yahi Amaal Jahannam mai kheech le jayenge ,

★•Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Kï mashoor Hadees hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ( Jiska Mafhoom hai ) k  ,

"__ Qayamat mai sabse pehle Teen Aadmiyo ke bare mai Jahannam ka faisla hoga aur Jahannam mai sabse pehle Unhi ko jhonka jayega , Unme se ek Wo Aalime Deen aur Aalime Qur'an hoga Jo Umar bhar Qur'an Seekhne Sikhane mai mashgool raha ,

★• Doosra ek Daulatmand hoga Jisko Duniya mai Allah ne Khoob Daulat se nawaza aur Wo Allah Kï Dï hui daulat ko Neki ke Kaamo mai Khoob Kushadgi se kharch karta tha ,

★ • Aur Teesra Shakhs ek Shaheed hoga Jo Jihaad ke maidaan mai Dushman Kï talwaaro se Shaheed hua hoga ,

★. Lekin in Teeno Aadmiyo ne ye Amaal Khalisatan Raza e ilaahi ke liye nahi kiye they ,balki Duniya mai Naam aur Shohrat v izzat haasil karne ke liye kiye they ,

★• Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ( mafhoom hai ) k Qayamat ke din Jab ye Teeno Qism ke Aadmi Allah Ta'ala ke Huzoor mai pesh honge to Allah Ta'ala farmayega k Hum Dilo aur Niyato ka haal jaante hai'n, Tum logo ne ye achchhe achchhe aur Noorani Amaal hamari raza ke liye nahi kiye they ,balki Duniya mai Naam ,Shohrat ke liye kiye they ,aur Ye cheeze tumhe Duniya mai mil chuki , Ab Tumhare liye yaha kuchh nahi ,

*__ iske baad unko unke Amaal Kï vajah se ghaseet kar Jahannam mai fikwa diya jayega ,Balki Hadees mai ye bhi hai k Pehle Wo Jahannam honge jinke liye  Jahannam ka faisla kiya jayega ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *412 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Raza E ilaahi :- 2,*

↬• Sochiye to kis qadar larza dene wali hai ye Hadees , Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu is Hadees ko Rivayat farmate to kabhi kabhi maare khof Ke unki Cheenkhe nikal jati ,aur Un per Behoshi ka daura pad jata tha,

★• Aur ek dafa jab ek Tabaiy ne bhi yahi Hadees Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se sun kar Hazrat Muawiya ke Saamne Naqal Kï to Hazrat Muawiya Raziyallahu Anhu itna roye k logo ko unki jaan ko khatra ho gaya ,Bahut dair ke baad unki haalat theek hui aur unhone farmaya :-

"__ Allah Ta'ala ne Qur'an e Paak mai sach farmaya hai aur uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne Allah Kï taraf se bilkul Sahi pahunchaya hai k Jo koi Apne Amaal se Duniya aur Duniya Kï zaibo zeenat chahega Usko uske Amaal ka Poora  nateeja Duniya mai hum de denge aur uske liye usme bilkul kami nahi Kï jayega , Un logo ke liye Akhirat mai Sivaye dozakh Kï Aag ke aur kuchh na hoga , aur Jo Amal unhone kiye they Wo zaaya ho jayenge aur be kaar aur laa haasil honge ,

★• Bahar haal Noorani Amaal Noor paida karne ka zariya isi soorat mai ho sakte hai'n Jabki Wo khalis Allah Kï Raza ke liye aur Akhirat ke liye kiye Jaye ,

★ •Isliye Aapko ek taraf to  apne Tamaam awqaat Unhi Amaal mai mashgool rakhne hai'n aur doosri taraf iska bhi ahatmaam karna hai k Niyat Sahi rahe ,

★. Shaitaan jab kisi Bande ko Achchhe Amal se jata nahi sakta to usko Niyat mai fasa daalne ki koshish karta  hai  , Allah wale Amal agar Gairullah ke liye kiye jaye to unme Allah wali Niyat nahi rehti ,

★• Aur agar Allah Kï raza ke liye Wo Amaal kiye jaye Jo dar Haqeeqat raza wale Amaal nahi hai'n to unme Allah Kï nisbat nahi aati aur Wo Raza e ilaahi ka waseela nahi bante ,

*__isliye dono koshish zaroori hai, ek Allah Kï raza wale Amaal mai mashgooli ,esi mashgooli k unka rang chad jaye ,Doosri Sahi Niyat ka ahatmam ,Jiska matlab ye hai k har Amal se  maqsad Allah Kï raza ho ,Saari Kaamyabi bas Allah Kï raza mai hai aur uski narazgi mai tamaam nakaami aur na muraadi hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *413 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Asal Kaam Sirf Chaar ,:- 1-- imaan v Yaqeen Kï Dawat*

↬• Mai Bata Chuka hu'n k is nikalne ke zamane mai bas Apne Aapko Chaar Kaamo mai mashgool rakhna hai ,

★• *1:- Sabse pehli cheez hai ,imaan v Yaqeen Kï aur imaan wale Amaal Kï Dawat ,*

*_ is Dawat ke liye Umoomi Gasht honge ,Khusoosi Gasht honge ,Jinke usool v adaab Gasht ke liye nikalte waqt batlaye jayenge ,unko dhyan Se suna jaye , Fir jab Aap Dawat ke liye galiyo bazaaro mai niklenge to Shaitaan aapko waha ke naqsho Kï taraf mutavajjoh karega ,isliye sabse pehle Dua karni chahiye k Allah Ta'ala Shaitaan v Nafs ke shar se bachaye aur Apni marzi ke mutabiq  kaam karne Kï Tofeeq de ,

★• Poore Gasht mai iska ahatmam ho k bas Allah Jalshanhu per ,Uski sifaate Aaliya per nazar rahe ,Nigaahe nichi rahe aur Apna maqsad nigaah ke saamne rahe ,

★ • Jis tarah Jab kisi mareez ko Aspataal le kar jate hai'n to khud mareez aur uske saathi Aspataal Kï Aalishaan imaarat ko aur waha ke naqsho ko Dil chaspi se nahi dekhte balki unke saamne bas mareez ka ilaaj hota hai ,

★. *Khusoosi Gasht* mai agar dekha jaye k Wo Sahab jinse Aap Milne gaye hai'n us Waqt tavajjoh se baat sunne ko taiyaar nahi hai'n to munasib tareeqe se Jaldi Jaldi baat khatm kar ke unke paas se uth aana chahiye aur unke liye Dua karne chahiye aur agar Dekha jaye k Wo Sahab mutavajjah hai'n to fir poori baat unke saamne rakhni chahiye aur waqt faarig karne ke liye bhi kehna chahiye ,

★• Khusoosi Gasht mai Jab Deeni Akaabir  Kï Khidmat mai haazri ho to unse Sirf  Dua Kï darkhwast Kï jaye aur unki tavajjoh dekhi jaye to kaam ka kuchh zikr kar diya jaye ,

★•Umoomi Gasht kar ke logo ko Masjid mai Jama kiya jaye aur unke saamne imaan v Yaqeen Kï baat rakhi jaye aur tashkeel Kï koshish Kï jaye ,Fir tashkeel kar ke mutmain na ho jaye balki Jin logo ne Vaade kiye hai'n aur naam likhwaye hai'n Unko Allah ke raaste mai nikalne aur vaado ko Amal mai le aane Kï poori koshish kare ,aur Apne imkaan bhar iska intezaam kare k unka waqt achchhi tarah guzre ,

*_ Jo Log is waqt nikalne ka faisla na kar sake to unko muqami Gasht ,muqami ijtima ,Taleem ,zikr v Namaz Kï pabandi per amaada kiya jaye aur in Kaamo ka nizaam bana diya jaye ,

★• Jab Dawat ke silsile Kï ye Saari mehnat kar chuke to us kisaan Kï tarah Jo zameen mai been bikherta hai aur fir Allah se lo lagata hai ,Poore khuloos ke saath Allah se Dua kare ,Wahi Dilo ko Palatne wala hai ,Wahi Jisko chahe imaan v Amaal deta hai aur Jiske liye nahi chahta usko mehroom rakhta hai ,

------ *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *414 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Taleem _Nawafil _Zikr v Tilawat*

↬• Dawat Ke baad doosra kaam Taleem ka hai , Jab Taleem ke liye bethe to adab se bethe ,Dil Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke laye hue ilm Kï azmat se daba hua ho ,Fazail ka muzakra ho , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï Taleem farmayi hui Duae'n yaad Kï jaye ,

★• Jo waqt Dawat aur Taleem Se khali ho aur koi doosra zaroori kaam bhi us waqt na ho , usme nawafil padhe jaye ,ya Qur'an Majeed Kï tilawat Kï jaye ya Zikr v tasbeeh mai mashgool raha jaye ,Allah ke kisi Bande Kï khidmat Kï jaye ,

★• Jis tarah Aadmi Namaz mai qayaam mai hota hai ya ruku mai ,Sajde mai ya Qa'ade mai hota hai Usi tarah Allah ke raaste mai nikalne ke baad Aadmi ya Dawat mai laga ho ya Taleem ya Zikr v ibaadat mai ya Allah Kï kisi makhlooq Kï Khidmat mai ,,,,,

★ • Ye Chaar Kaam is poore zamane mai bator Asal maqsad ke kiye jaye aur itne kiye jaye k yahi Aadat v mizaaj ban jaye , Ye ijtimayi bhi kiye jayenge aur infiradi bhi ,

*_ ijtimayi se matlab Wo hai Jo Jama'ati nizaam ke tahat ho ,Jese Khusoosi Gasht aur Umoomi Gasht mai Dawat aur Jama'at Kï Taleem ke waqt mai Taleem aur Jama'at ke saath Farz Namaze aur unke aage pichhe Kï Sunnate aur Jama'at ke taqseem kiye kaam ke mutabiq khana pina ke intezamaat Kï daud dhoop ,, Ye Sab ijtimayi Amaal Hai'n ,

★. Infiradi Dawat ,infiradi Taleem ,infiradi ibaadat aur infiradi Khidmat Wo hogi Jo Jama'ati program ke alawa koi Shakhs Apne is khaali waqt mai kare jisme koi ijtimayi kaam na ho , Har Shakhs ko ijazat hai k Wo isme araam kare ,

★• Ab agar koi Allah ka Banda Apne us waqt mai araam karne ke bajaye Kisi Shakhs ke paas ja kar Dawat imaan Kï baate kare ya kisi Allah ke Bande ko koi Dua yaad karaye ya namaz Sahi karaye ya masjid ke kisi kone mai Khade ho kar nawafil padhne lage ya kisi saathi Kï koi Khidmat karne lage to Sab soorte infiradi Amal Kï hongi ,

*_ Bahar haal Allah ke Rasste mai nikalne ke zamane mai ye Chaar kaam Asal maqsood ke tor per kiye jaye ,,Tab unki Zindgi mai Noor aayega aur fir in Sha Allah Noor failega ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *415 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Chaar Na guzair Zaroorate ,*

↬• in Chaar Kaamo ke alawa Chaar hi kaam na guzair zaroorat ke tor per kiye jayenge aur sirf baqadre zarurat hi kiye jayenge ,

★• 1- Khana Pina ,
      2- Qaza e Haajat ,
      3- Sona ,
      4- Baaham Baat cheet karna ,

★• Ye na guzair zaroorate Hai'n ,inko bas itna hi Waqt diya jaye Jitna zaroori hai, Sone ke liye Din Raat mai bas Chhe ghante kaafi Hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *416 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Chaar Baate Jinse Ruka Jaye,*

↬• Chaar Baate Wo hai'n Jinse poore Ahatmam ke saath bacha jaye ,

★• 1- Kisi se sawal na kiya jaye balki kisi ke saamne apni koi zarurat Zaahir bhi na Kï jaye ,ye bhi ek tarah ka sawal hi hai. ,

★• 2- Dil ke Sawal se bacha Jaye ,Matlab ye hai k zabaan se to sawal na kare lekin Dil mai Kisi Bande se kuchh haasil hone Kï tama ho ,Goya bajaye zabaan ke Dil mai sawal ho ,

★ • 3:- israaf ( fizool kharch ) se bhi bacha Jaye ,fizool kharchi har haal mai mana hai lekin Allah ke raaste mai nikalne ke zamane mai iske nateeje Apne Haq mai bhi bahut bure hote Hai'n aur doosre Saathiyo ke Haq mai bhi ,

★. 4- Bager ijazat kisi saathi Kï koi cheez na istemal Kï jaye ,baaz awqaat doosre Aadmi ko isse badi takleef pahunchti hai aur Shar'an haraam hai , Haa usse ijazat le kar istemal karne mai koi harj nahi ,

★• Bas ye Hai'n zaroori baate jinki pabandi is Raaste mai nikalne walo ke liye zaroori hai aur Aap logo ke 24 ghante in pabandiyo ke saath guzarne chahiye, in Amaal Kï poori pabandi karte hue Aap Allah Kï Zameen aur Allah Kï makhlooq mai fire aur Apne liye aur poori ummate muslima ke liye aur Aam insaano ke liye Allah se hidayat maange ,bas yahi Aapka Amal aur Aapka wazeefa ho , Agar Aapne esa kiya to Allah Ta'ala jo Rahmaano Raheem hai hargiz mehroom nahi rakhega ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *417 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Haqeeqi Imaan hi Kaamyabi Kï Jad Hai,*

↬• Dawat Kï Mehnat ka Asal maqsad ye hai k Aadmi ka imaan bane ,Chunki imaan hi Wo Asal maaya hai Jiske Zariye Duniya aur Akhirat Kï Zindgi Kï Haqeeqi kaamyabiya haasil ho sakti Hai'n ,

★• Allah Ta'ala ne bhi Qur'an Paak mai Duniya v Akhirat Kï Kaamyabi ka Jo vaada kiya hai Wo isi imaan v Yaqeen per kiya hai,

★• Aaj Ummat Kï nakaami aur Shikasht aur har jagah pichhadne Kï vajah yahi Hai Kï uske paas Yaqeen Kï Wo daulat nahi rahi Jo har qism Kï Fatah v Galba Kï buniyaad thi ,Chunache Nusrat v Kaamyabi, izzat v azmat ,bulandi v sarfarazi ,galba v fateh ,aman v sukoon ,zameen Kï Hifazat v jaa'nashini ,Duniya mai rizq Kï wus'at ye tamaam umoor Jisko har insaan haasil karna chahta hai Wo isi Haqeeqi imaan per moqoof hai ,

★ • Allah Ta'ala ne ek moqe per  *( Surah Momin :51 )*  Apni Do nusrato ko imaan hi ke saath mutalliq farmaya hai ,irshade Khuda wandi hai. :-

"_ Hum Paigambaro Kï aur imaan walo Kï Duniyavi Zindgi mai bhi madad karte hai'n aur us roz bhi jisme gawahi dene wale Khade honge " ( Yani Qayamat ke Din ) ,

★. Imaan wale hi is Duniyavi aur Akhirat Kï dono Zindgiyo mai Kaamyab aur Mansoor rehte hai'n , is hawale se irshade Khuda wandi hai , ( Surah Ar Room :48 ) :-

"Aur Ahle imaan ka gaalib karna Hamare zimme hai ,"

★• Yani Momino Kï Allah Kï taraf se madad v iaanat hoti rehti hai , Aur Allah Ta'ala ne Haqeeqi izzat ka mustahiq Momin ko qaraar diya hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *418 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Imaan Walo ke liye hi Allah ke Vaade Hai'n,*

↬• Allah Ta'ala ka irshad hai , *( Surah Aale imraan : 139 )*

"__Aur tum Himmat mat haaro aur ranj mat karo aur gaalib tum hi rahoge agar tum poore Momin rahe, ( imaan v Yaqeen ke raaste per mustaqeem rehne mai tumhari bulandi ka raaz hai )

★• Gaalib aur Faateh bhi Momin hi rahenge , *( Surah Al Maa'idah : 56)*

"_ Aur Jo Shakhs Allah se Dosti rakhega aur uske Rasool se aur imaan daar logo se ,so Allah ka giroh hi bila shak gaalib hai ,"

★• Aman v Aafiyat ,chain v sukoon ka Vaada bhi Allah Ta'ala ne isi Haqeeqi imaan per kiya hai , *( Surah Al An'aam :83)*

"_ Jo log imaan rakhte hai'n aur Apne imaan ko Shirk ke saath makhloot nahi karte Unhi ke liye Aman hai aur Wohi raah per chal rahe Hai'n ,"

★ • Momin hi ko zameen Kï Khilafat aur Jaa'nashini ka mustahiq qaraar diya gaya hai , *( Surah An- Noor : 55 )*

"__Tumme Jo Log imaan laye aur Nek Amal kare unse Allah Ta'ala vaada farmata hai'n k unko zameen mai Hukumat ataa karega , Jesa k unse Pehle logo ko Hukumat Dï thi ,

★. Imaan walo se Magfirat. Aur izzat ki Rozi ka vaada kiya gaya hai ,

"_Jo log imaan le aawe aur Nek kaam karne lage unke liye Magfirat aur izzat Kï Rozi hai , *( Surah An Noor :55)*

★• Ek Doosri Aayat mai imaan aur Amaale Saleha per bakshish v magfirat aur be paya Ajro sawab ka vaada kiya gaya hai , *( Surah Al faatir :7 )*

"__Jo Log imaan laye aur achchhe kaam liye unke liye bakshish aur bada Ajr hai ,"

★• iske alawa beshumaar Aayate Hai'n Jo Kaamil imaan aur Matloob Yaqeen per Duniya v Akhirat dono Kaha'n mai inamaate Khudawandi se sarfarazi per dalalat karti hai'n ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *419 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Imaan Ki Dawat imaan Walo ke liye hai,*

↬• Aaj Hamare paas Wo imaan nahi raha Jo nihayat hi anokhi tajjub khez cheeze humse Zaahir karwata tha ,Jo Hume Kï haraam karda cheezo se bacha kar uski ita'at farmabardari wala banata tha ,is waqt hamare paas imaan Kï soorat ya uski rivaaji shakl reh gayi hai ,balki hum sirf naam aur Khandaan ke Musalman reh gaye ,is per imaan ke is khaali daave ne hume imaan Kï Dawat se mustagni aur be niyaaz kar diya ,

★• Musalman is waqt imaan Kï is Mehnat ko Ajeebo gareeb nazar se dekhte hai'n aur Ye charcha kar dete hai'n k Dawat ka maidaan to gair musalim hai ,Musalman nahi , Agar esa hai to fir Kyu Allah Ta'ala ne in aayato mai Musalmano se imaani taraqqi ka mutalba kiya hai ,

"_ Ey Momino ! Imaan Le aao , " ( Surah An Nisa , 136 )

"__ Dehatiyo ne kaha Hum imaan le aaye , Aap keh dijiye, Tum imaan nahi laaye  ,lekin Musalman hue ho ,Abhi tak imaan Kï Haqeeqat tumhare Dilo mai jagah nahi bana saki hai ," ( Surah Al Hujraat :14 )

★• Hazrat Ji Reh farmate they ,Agar imaan v Yaqeen Kï Dawat Kï mehnat na Kï jaye to gair Muslimo ka islaam mai dakhila to darkinaar raha ,Khud Musalman imaan Kï kamzori Kï vajah se Duniya ke muzahire se mutassir ho kar rahi sahi imaani daulat Se bhi haath dho bethenge ,

★ • Dawat Kï khususiyat ye hai k ye Faasid Yaqeen ( cheezo aur maalo ke Yaqeen ) ko Sahi Yaqeen ( Allah aur Amaal ) Se badal deti hai , Yahi vajah hai k Sahaba Kiraam Ba Kasrat imaan ka muzaakra kiya karte they ,

★. Unko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï baato per is qadar Yaqeen haasil tha k Wo iske muqable mai Zaahiri cheezo ,tajurbaat ,mushahidaat tak ka inkaare kar dete they ,Wo Apni isi imaani kaifiyat Kï tajdeed ke liye Allah Kï zaato sifaat ,farishto ,taqdeer ,Qayamat Kï alamaat ,qabr ,barzakh ,Jannat Kï niyamato aur akhirat ke azabaat ka muzaakra kiya karte they,

★• Yahi vajah thi k kabhi apni is imaani satah mai kuchh kami mehsoos karte to nifaaq ka khadsa karne lagte , ( K mai to munafiq ho gaya , Hazrat Hanzla Raziyallahu Anhu ka waqiya hai )

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *420 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Amaale Saleha Ki Ahmiyat,*

↬• Dawat Tablig Kï is mehnat mai imaan ke baad sabse zyada jis cheez per zor diya jata hai Wo Aamaal hai'n ,Chunki imaan aur Amaale Saleha per hi Deen Kï Kaamyabi aur salaah v falaah  ka daaro madaar hai ,

★• Jis tarah Gunaah aur Bad Amaaliya hawadis aur pareshaniyo ka Sabab bante hai'n, ese hi Amaale Saleha mai Allah Ta'ala ne Wo taseer aur quwwat rakhi hai k usi ke zariye tamaam khairo barkaat vajood mai aate hai'n, Allah Kï madade aur nusrate naazil hoti hai, rizq mai wusat aur kusaadgi ata Kï jati hai,

★• Allah Ta'ala ka irshad hai ," Beshak Jo log imaan laaye aur unhone nek Amaal kiye ,Allah Ta'ala unke liye makhlooq ke Dilo mai Muhabbat paida kar denge ," ( Surah Maryam ,96)

★ • Allah Ta'ala ka irshad hai ," Aur Jisne Nek kaam kiye honge aur Wo imaan bhi rakhta hoga to use uske Amal ka Poora badla milega aur usko na kisi zyadti ka khof hoga aur na hi Haq talfi ka ( Yani ye na hoga k Gunaah ke bager likh diya jaye aur na ho koi kam likh kar Haq talfi Kï jayegi ) 
( Surah Taaha ,112 )

★. Aur Jo Shakhs Allah Ta'ala se darta hai to Allah Ta'ala har mushkil se Khalasi Kï koi na koi soorat paida kar dete hai'n aur usko esi jagah se rozi pahunchate hai'n jaha'n se usko khayal bhi nahi hota ," ( Surah At Talaaq ,2 v 3 )

★• Maal aur Aulaad to duniya Kï Zindgi Kï ( fana hone wali ) ronaq hai aur Achchhe Amaal Jo hamesha baqi rehne wale hai'n , Wo Aapke Rab ke yaha'n Yani Akhirat mai sawab ke aitbaar se bhi hazaar darja behtar hai aur ummeed lagane ke aitbaar se bhi hazaar darja behtar hai ," ( Surah Al Kahaf ,46 )

*__ inke alawa beshumaar Aayate hai jinme Amaale Saleha Kï ahmiyat ,unki qadro qeemat ,unse Duniya v Akhirat Kï Kaamyabi v sarfarazi ,usse Muhabbat e ilaahi ,raza e ilaahi aur be paaya rizq ke husool Kï Khush khabriya sunayi gayi hai'n ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *421 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Amaal hi Halaat Kï Durustgi ka Waahid Sabab Hai,*

↬• Hazrat Ji Reh . ek moqe per yu farmate hai'n ,

"_ mai Duniya ko Darul Asbaab maanta hu'n magar insaano Kï ijtimayi v infiradi Kaamyabi, sukoon, mehbubiyat ,quwwat aur tamaam achche halaat ka waahid Sabab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï aamad ke baad sirf Huzoore aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke vajoode athar se saadir hone wale Amaal hai'n ,

Jab kisi fard ,khandaan ,tabqa ,Jama'at, Qaum ya mulk mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam wale Amaal aa jayenge to Khuda inko daaren mai Kaamyabi ataa karega ,Chahe inke paas kaaynaati asbaab ho ya na ho _"

★• Deen v Shariyat mai Amaal ko khaas Ahmiyat haasil hai, Allah Ta'ala ne tamaam barkate ,raahate aur Dilo dimaag ka sukoon isi mai rakha hai aur Amaal hi per Kaamyabi ka vaade farmaye hai ,

★• Hazrat Ji Reh . farmate they , " Halaat Kï buniyaad mulko maal ,zar v zameen ,raaket vagera per nahi ,balki Halaat ki buniyaad Amaal hai'n,  Halaat mulko Maal ,chaandi Sona Kï badaulat theek nahi honge , Jo ye samajhta hai dhoke mai hai ,Haqeeqat ye nahi , Allah Ta'ala ne Halaat ko Amaal ke zariye joda hai ,Halaat ko cheezo ke zariye nahi joda , jese Amal karega wese Halaat pesh aayenge ," 

★ • Ek aur moqe per farmaya ,"  Huzoor Sallallahu Alaihivasallam wale Amaal ke bager kabhi bhi Duniya mai kaamraani naseeb nahi ho sakti ,chahe kaaynati asbaab kitne hi haath aa jaye , Balki Kaaynati asbaab Hukumat, Tijarat , Zara'at vagera mai Jab tak Huzoor Sallallahu Alaihivasallam wale Amaal Kï rooh na aa jaye asbaab murda hai'n _"

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *422 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Amaale Saleha aur Deen Ki Mehnat,*

↬• Ek martaba Hazrat Ji Ina'amul Hassan Sahab Reh. Duniya Kï be waqati aur Amaale Saleha Kï Ahmiyat v waqat ko bayan karte hue farmate hai'n :-

★• Maal Daulat Sona Chaandi ,Ohda Mansab Sab Allah ke inamaat mai se Khusoosi inaam nahi hai balki Umoomi hai aur iske liye imaan bhi shart nahi hai , Ye cheeze imaan walo ko bhi de dete hai'n, Allah ka Khusoosi inaam imaan hai aur imaan bhi Wo Jo Amaale Saleha ke saath ho ,

★• Aur fir imaan aur Amaale Saleha walo mai se Khusoosi inaam un per hai Jinhe Allah Ta'ala Deen Kï mehnat aur Jaddo Jahad ke liye qubool farmaye ,isliye Hume Amaalo ka ahatmam karna hai , Amaalo per jamna hai , Amalo Kï taseer Duniya mai bhi Zaahir hoti hai aur Akhirat mai bhi ,,

★ • Amaal ke liye Deen Kï mehnat karna hai aur Raat mai Khuda se maangna hai  ,Amal hi se Duniya aur Akhirat Kï Zindgi banti hai , Jitni hamari Zindgi Amaal per aa jayegi Utne hi hum bante chale jayenge aur Jaha'n per bhi honge bane hue rahenge ,

★. Ek Doosre jagah Yu'n farmaya :- Halaat Amal ke taabe hai ,Amaal agar achchhe honge to Allah Ta'ala Duniya ke Halaat bhi achchhe banayenge ,Amaal Kï koshish ke baad Hamare Deen v Duniya ke Halaat durust honge ,isliye Hume Amaal Kï mashq karni hai aur Amaal mai Apne Aapko lagana hai ,

★• Asal masla Akhirat ka hai Duniya ka har masla Khatm hone ke liye Hai ,lekin Akhirat ka bigadna badi pareshani Kï baat hai,

*__Amaal insaan Kï fikr ke taabe hote hai'n, agar insaan ko Duniya Kï fikr hogi to Duniya ke Amaal karega aur Akhirat Kï fikr hogi to Akhirat ke Amaal karega ,*

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *423 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Amal Qaul se Zyada Mo'assir Hai,*

↬• Hazrat Ji ina'amul Hasan Sahab Reh ne ek moqe per Kehne ke muqable mai Karne ko tarjeeh dete hue qaul ke muqable Amal ke Vazni aur mo'assir hone ko batlate hue farmate hai'n :-

★•" Amal Qaul se zyada qavi hai ,ESE hi Amal tashkeel se zyada qavi hai ,Asar paida karna Allah ke haath mai hai ,Bager Amal ka qaul Akhirat mai pakadwayega , qaul ke mutabiq agar Amal na hua to nuqsan ka Sabab hai , Taqreer to hum khoob kar le , Wah Wah Farishte bhi jhoom rahe ho ,lekin Jab mimbar se utar kar aaye to Amal ke aitbaar se hum Kore ho ye bade khasare Kï baat hai ,

★• Hazrat Shekhul Hadees Reh Farmate Hai'n :-

"__ Ek buzurg ke saamne koi Shakhs Hijaaj Zaalim ko bad dua dene laga ,unhone Farmaya ,esa na karo ,Ye Jo kuchh ho raha hai tumhare hi Amaal ka nateeja hai , Mujhe ye khof hai k agar Hijaaj mazool ho jaye ya mar jaye to tum per Bandar aur Suwar na Haakim bana diye jaye ,

★ • Matlab ye hai k tumhare Amaal tumhare Haakim Hai'n , Jese Amaal honge ,wese Hukkaam musallat kiye jayenge ,

★. Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad hai  ( Jiska mafhoom hai ) ,k  Ek Nabi Alaihissalam ne Allah Jalshanh se yahi ishkaal arz kiya tha k Ey Allah ! Tera ek Banda Musalman hota hai, Nek Amaal bhi karta hai, tu usse Duniya hata leta hai aur balaae'n us per musallat karta hai aur ek Banda Tera kaafir hota hai Wo Teri nafarmani karta hai, tu usse balaae'n hata leta hai aur Duniya usko ataa karta hai,

_Haq Ta'ala Shanh ne wahi bheji k mere Momin Bande Kï kuchh saiyaat ( buraiya'n ) hoti hai ,Unki vajah se ye maamla karta hu'n ,K Jab Wo mere paas pahunche to uski khoobiyo ka badla du'n ,aur kaafir Kï bhi kuchh Khoobiya'n hoti hai, isliye ye maamla uske saath karta hu'n ,taki jab Wo mere paas aaye to uski buraiyo'n ka badla du'n ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *424 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Tableeg Ke Kaam Ki Haqeeqat,*

↬• Akaabir ke Qaul ke mutabiq is kaam Kï Haqeeqat bas itni Hai k Jese Azaan ke zariye logo ko Namaz ke liye ikatthaa kiya jata hai aur Log mujtama ho kar Namaz ada karte hai'n,

★• Namaz ke is Amal per kisi tanzeem ya tehreek ka itlaaq nahi kiya ja sakta ,isi tarah is kaam ka Asli maqsad bhi sirf itna hai k log Dawat Kï is Aali mehnat ke zariye Deen v imaan Kï Haqeeqat ko apni Zindgi mai le aaye ,

★• Chunache Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh is baat Kï bepanaah mukhalfat karte they k unke is Deen Kï Umoomi bedaari aur Shaoor paida karne wale kaam ko " Tableeg Jama'at " ke naam se mosoom kiya jaye ,Farmate Hai'n :--

"__ Apne is kaam ka Naam Tableeg ya Tabligi Jama'at humne nahi rakha ,balki naam rakhne ke masle per humne kabhi gor hi nahi kiya ,bas Aap se Aap ye naam chal pada aur esa mashoor ho gaya k kabhi kabhi hum bhi yahi naam lete Hai'n ,"

★ • Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh farmate hai'n :- mera hamesha ye khayal raha hai k is kaam ke liye "Tableeg " ka unwaan aur iske karne walo ke liye " Tabligi Jama'at " ka naam bahut so ke liye galat fahmiyo aur Zahni uljhano ka Sabab banta hai , Tableeg ke is lafz se log samajhte hai'n k ye Wa'az v Nasihat ka kaam hai aur Tabligi Jama'at wa'az v nasihat karne walo Kï koi Team ya Party hai , isliye ye zaroori samjhte hai k is Jama'at ke har fard ko itna ilm zaroor hona chahiye Jitna k Wa'az v Nasihat ke liye zaroori hai ,,is tarah se Amal mai bhi koi kami nahi honi chahiye ,

"__ Jab Wo Firne wali Tabligi Jama'ato mai ESE logo ko dekhte hai'n Jinhe Sahi Vazu karna bhi nahi aata to unke Dilo mai sakht aitraaz paida hota hai ,isi tarah Jab Wo dekhte hai k Tabligi Jama'at wale sabse zyada israar is baat per karte hai'n k Log Apne ghar Chhod kar is kaam ke liye bahar nikle aur lambe lambe safar kare to bhi hairat hoti hai ,

★. Bahar haal is kaam ke saare aitrazaat sirf isliye paida hote hai'n k yaha Tabligi Jama'at ka kaam Wa'az v Nasihat samjha jata hai Halanki Asal Haqeeqat ye hai  k Deeni aur  Dawati mahol mai Khaas usoolo ke saath kuchh Amaal Kï pabandi karte hue Zindgi guzaarna ,Jisse imaan Kï kaifiyat mai taraqqi ho ,Deen se talluq badhe ,Amaal v Akhlaaq Kï kuchh islaah ho aur Deen ke liye Jaani v Maali Qurbani Kï aadat pade ,

★• Algaraz Tableeg se muraad Yahi Amali program hai aur iske liye har Musalman ko Chahe uske ilm v Amal mai kitni hi kami ho ,iski Dawat Dï jati hai balki jaha'n tak bas chale kheenchne Kï koshish Kï jati hai aur saath lene ke liye koi shart nahi lagayi jati balki is ummeed per k in Sha Allah is Jama'ati mahol aur fiza se mutassir honge aur Allah Ta'ala Jo Haadi aur muqallibal quloob hai Him Sab per Apna fazal farmayega ,isliye Jama'ato mai har tarah ke aur har qism ke log hote hai'n ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *425 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Fawaa'id e Tableeg,*

↬• Chunache is kaam Kï vajah se Ummat mai fara'iz v nawafil zinda ho rahe hai'n ,Log Saal ha Saal Kï chhooti hui Zakaat ada kar rahe hai'n ,Hujjaaj kiraam Kï tadaad bad rahi hai aur Haqeeqat e hajj Ke usool aur Mosame Hajj ko nabuwat wale Amaal ke saath guzaarne Kï fikr kar rahe hai'n ,

★• Maa'n Behno mai Uffat v Hayaa aur Parda zinda ho raha hai , Deeni v Duniyavi nihayat pashemanda ilaaqo mai Bid'at v Rasmiyat ko chhod kar Sunnat per chalne wale log paida ho rahe hai'n ,

★• Africa mai Faqr v iflaas mai murgi ke ando ,zariya e maas paaltu jaanwaro ko bech kar log Dawat e Deen Kï mehnat ke liye Sahaba Kiraam wali qurbaniya'n zinda kar rahe hai'n ,Europe, America mai magribiyat v maadda parasti ko chhod kar log apni aulaado ko Deeni madariso mai dakhil kara rahe hai'n , Gair Soodi Bank kaari ke bare mai Ulma se ruju kiya ja raha hai , Arbistaan mai Siyasat v Hukumat se le kar mamooli mazdoor tak zuhad v qana'at ,fikre Akhirat ke mizaaj per aa rahe hai'n ,

★ • Ummat ke logo mai Deeni Hamiyat v gairat parwaan chad rahi hai ,College aur University aur ESE mulk jaha'n se Behayaai ke nit naye andaaz izaad kiye jate hai'n, Unme chehro per Daadhi ,Saro per amaama aur Jism per Masnoon libaas Kï esi nooraniyat jhalak rahi hai Jo Deeni madaris mai payi jati hai ,

★. Zaahir hai in tamaam inqlaabaat ko bayan karne wali Mehnat ko sirf Tableeg ka Naam dena Sarasar Zulm aur Uski Haqeeqat per parda daalna hai aur mahaz lafze Tableeg ko le kar uski Shara'i haisiyat tai karna bhi na ma'aqool maloom hota hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *426 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Tableeg aur Tableegi Ke farq ko Malhooz rakhe,*

↬• Ye Aam v Khaas samajhta hai k Dawat Tableeg ka kaam koi tanzimiyo aur Aam idaaro Ki tarah nahi k jisme member chune Jaye aur galti per jama'at se khaarij karne ka elaan kar diya Jaye ,

★• Balki ye to ummat Ke har fard ko poore Deen per qaayam karne aur poore Deen ka Daayi banane Ki Aam mehnat hai, isme Arabi ,Ajami ,Shehri ,Dehati ,Aalim ,Jaahil ,Kaala ,Gora ,Ameer ,Gareeb ,Gair mazhab aur mukhtalif mijaaz ke tabqo Ke log sabhi daakhil hai'n aur daakhil ho rahe hai'n,aur Allah Ta'ala is kaam ko unki islaah ka zariya bana raha hai ,

★• isliye ye cheez namumkin hai k kuchh be usooli karne Wale ,galat tarjumani karne Wale afraad isme na ho Balki kisi bhi Deen v Duniya Ke jis Shobe mai Insaan kaam kar Raha hai unse is qism Ki galtiya hoti rehti hai , k Lekin kisi fard Ki galti ko le kar ya kisi mohalle ya ilaaqe walo Ki galti ko dekh kar nafse Tableeg ko Majrooh karna ya poore kaam karne walo ko taan karna ,aur kaam Ki beahumaar inqlaabi tabdiliyo se Nazar andaz kar Lena kisi Sahibe faham Aadmi ka kaam nahi ,

★ • Jese Aksar Musalmano Ki Amali kotahiyo ki vajah se islam nahi chhoda ja sakta isi tarah kisi tabligi Ke gulu ko dekh kar usoole Dawat ka nuqs nahi kaha ja sakta ,

★. Yahi vajah hai k Hazrat Maulana Ilyas Sahab reh. farmaya karte they,

"__Ye kaam Dhobi Ghaat ka kaam hai,Jaha har qism Ke Paak Napaak kapde dhulne jate hai'n,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *427 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Dawat Ki Khususiyat,*

↬• Tabligi Jama'at Ki ye Khususiyat aur imtiyaz hai ,ikhlaas , inabat ilallaah ,iski Duae'n ,Jaddo Jahad , Qurbani aur Sabse bad kar Allah Ta'ala Ki Raza v qubiyat Ki ummeed ,

★• isliye Hazrat Maulana Ilyas Sahab reh ne iske usoolo aur zaabto ko zaroori qaraar diya aur hamesha talqeen Ki gayi, 

★• Kalma tayyiba Ke ma'ani v taqazo per gor, Fara'iz v ibaadat Ke fazail ka ilm ,ilm v zikr Ki fazilat v istigfaar ,Zikre khudawandi mai mashgooliyat ,ikraame Muslim aur Musalmano Ki Haq Shanai v adaaygi ,har amal mai sahi niyat v ikhlaas,tarke maala yani Allah Ke raaste mai nikalne aur Safar karne ke fazail v targibaat v shoq ,

★ • Ye Khususiyaat hai jinhone is Dawat ko Ek siyasi ,maaddi tehreek v mansab ka zariya banne se mehfooz farmaya aur ek khaalis Deeni Dawat aur Husoole Raza e ilaahi ka zariya rahi,

★. Ye usool v Anaasir Jo Dawat v Jama'at Ke liye zaroori qaraar diye gaye hai'n tamaam kitaabo Sunnat se makhooz hai'n aur Raza e ilaahi ke husool v Deen Ki hifazat Ke liye Ek pasbaan v muhafiz ka darza rakhte hai'n, in sab ke makhooz kitaabo Sunnat v ahadeese Nabvi Sallallahu Alaihivasallam hai'

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *428 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Jab Wasa'il Maqasid Ban Jate hai'n,*

↬• Kisi bhi Deen ke Shobe mai wasa'il maqasid ban jate hai'n aur Haqeeqi maqasid se nigaahe ojhal hoti hai ,to Wo wasa'il Bid'at ban jate hai'n,  Jese Sufiyo ne tasavvurr Saikh ya zikr ke khaas ibtidayi tarbiyati wasa'il ko maqasid bana liya aur Asal madsood Sifte Ahsaan aur Shariyat Kï pabandi ko pashe pusht daal diya, aur wasa'il ko fara'iz v maqasid se zyada Ahmiyat Dï to Wo Bid'ati ban gaye ,

★• isliye Akaabire Dawat is pehlu per hamesha zor dete hai'n k ye hamari Naqal harkat be rooh aur safar be manzil na reh jaye ,Varna Sab se badi nadaani hogi ,

★• Baqaul maulana Ibrahim Devla Sahab DB ke hai k ,Maqsad ko Bhula kar kaam karna esa hai jesa k dol Kï rassi le kar paani ko bhool jaye Ya Azaan de kar Namaz ko chhod de ,

★ • Hazrat Maulana ilyas Sahab Reh farmaya karte they ,:-

"__Tableeg Kï ijaad aur Alif- Ba- ta ibaadaat se hai aur ibaadaat ke Kamaal ke bager hargiz mashrat aur mamlaat tak islami umoor Kï pabandi nahi pahunch sakti ,isliye ibaadaat ko felane aur muntaha tak pahunchne Kï koshish mai lag jaye ,maamlaat v mashrat aur baahami akhlaaq Kï durustgi ke zariye Siyasat walo tak bhi pahunch hogi , iske Siva kisi juziyaat mai padna apne sarmaya ko Shaitaan ke hawale kar dene ke Siva kuchh nahi,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *429 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Saadgi aur ikhlaas,*

↬• Maulana Sayyad Abul A'ala Modoodi Marhoom is Dawat Tableeg Kï saadgi ,ikhlaas, Jaddo Jahad v Amal ,Nahje Nabuwat se iski qurbat aur iske khamosh inqlaab per tabsira karte hue likhte hai'n _,

"__ Ye qabile qadar nateeje Jo ginti ke chand barso mai saamne aaye hai'n mahaz ikhlaas aur mehnat ka nateeja hai , Yah'n na koi Kametti hai ,na Chanda hai ,na is tehreek ka koi judagaana naam hai ,na iske member bharti kiye jate hai'n, na koi Ameer v Ra'ies iske pichhe hai ,na koi akhbaar nikalta hai ,na koi Jhando ke numaishi muzahire hote hai'n, na Apne  Kaarnamo ka ishtehaar diya jata hai,

"__ Yahi vajah hai k is Akele Aadmi ( Maulana ilyas Sahab Reh ) ne Jo mazboot kaam kiya hai, Wo hamari badi badi Anjumano aur badi badi Tehreeko se Wo kaam aaj tak na ban paya ,

★• Haqeeqat mai is Noiyat Kï tehreek Hindustan Kï islami tareekh mai ya to hazrat Sekh mujaddid Sarhindi Reh ne uthayi thi ,Ya Hazrat Sayyad Ahmad Barelvi Reh ne iska ahya kiya tha ,ab Maulana ilyas Reh ko Allah ne isko taza karne Kï Tofeeq bakhsi hai ,

★. Hazrat Maulana ilyas Reh farmaya karte they k mai har Momin ko Apna Mohsin samajhta hu'n k usne imaan laa kar mere bojh ko kam kar diya ,varna us tak Dawat ka pahunchna bhi meri zimmedari hoti ,"

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *430 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Kisi Fiqhi Maslak Ya Silsila Tasawwuf Kï Dawat Nahi,*

↬• Poore Kaam Ka buniyaadi dhaancha aur usme Dawat diye Jane wale A'amaal is qism ke rakhe gaye hai'n k isme kisi khaas fiqhi maktab ya silsila tasawwuf Kï bu bhi mehsoos nahi hoti hai ,

★• Jesa k ilm ke number mai Sare Aalam mai ye baat chalayi jati hai k *Masa'il apne ( maslak ke ) Ahle Haq ulma se maloom kare,chahe Wo Kisi bhi fiqhi maslak se talluq rakhta ho ,*

★• Aur jab Qur'an Paak ke halka Taleem mai Qur'an seekhne ke liye Jodiya'n banti hai  to Umoomi tor ( Khususan Jab Mukhtalif maslak ke sathi ho ) per attahiyaat aur Duae qunoot vagera fara'iz v tareeqa e namaz ka muzakra nahi kiya jata Kyuki isme fuqha e ummat Kï raay mukhtalif hai ,

★ • Alhamdulillah iski vajah se Ummate muslima mai se firqavaari asbiyat khatm ho rahi hai aur ek hi Jama'at mai Hanafi ,Shafai ,Salafi aur najdi mukhtalif log poori ijtimaiyat ke saath kaam kar rahe hai'n ,

★. Isi tarah zikr ke number mai ye kaha jata hai k Jo log jis kisi peer v murshid se bayt ho Wo unka bataya hua mamool poora kare ,varna Subeh Shaam 100-100 martaba Teesra kalma ,Darood Shareef aur istigfaar Kï tasbeeh poori kare ,

★• Na kisi khaas Silsila Tasawwuf Kï baat Kï jati hai na kisi peer v murshid Kï taraf Bayt Kï Dawat Dï jati hai aur Jis zamane mai umooman Hazrat Ji Reh se log Bayt liya karte they Wo khud zaati israar se liya karte they, magar bator ahatyatan isko bhi ijtimayi tor per tark kar diya gaya tha ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *431 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Tablig Ke Kaam Ki Zarurat ,*

↬• Hindustan Aur Digar Mulko ke is be-deeni ,La- ilmi v jahalat Aur Deen ke fasaad v bigaad Aur Amaal v Akhlaaq Ki kharabi ke is daur mai Tablig Ki isi Kalme Aur imaan wali mehnat ki logo ke islaahe haal Aur unme Deen Ki talab paida karne ke liye zyada mo'assir hi sakti hai ,

★• is bare mai Maulana Modoodi Yu likhte hai k ,is waqt Musalman Jis haalat mai mubtila hai k ye Laa ilaaha illallaah se bhatak gaye hai ,inko is Tarah Musalman banaya jaye Jis Tarah Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Ahle Arab Ki banaya tha ,

★• is waqt umuman ye rujhaan paya jata hai k Tablig v Dawat Ki ye jaddo jahad Musalmano ke bajaye gair muslimo mai ki jaye to zyada mufeed hogi ,islam Ka daayra badega ,asar badega ,

★ • Halanki is tarah Ka nazariya Quroone Avval ( Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke zamane ) Ki Dawat v Tablig Ki jaddo jahad se Bilkul mail nahi khaata , Avval to har Musalman khud Amaal v Akhlaaq Aur islam Ki wo tasveer ban jaye k hamare Tarze Amal Ki dekh kar gair khud ba khud islam Ki taraf khiche chale aaye , chunache ye Kaam gair muslimo Ki islam mai dakhil karne ke liye aur tarbiyat ke liye sabse bada mu'awin hai ,

★. Hazrat Thaanvi Reh farmate they :- Deen ki Hifazat 2 tarah se hoti hai ,ek berooni hamlo ko rokna ,doosri khud Apni androoni Deeni haalat ko mukamnal karne ,Aur Apni haalat ko mukamnal karna Ye zyada zaroori hai,

★• Agar koi Badshah foj  ko barkhast kar Dr  ladaai ke samaan barbaad kar de, sara khazana luta de ,ab Agar koi dushman hamla kar de Aur Badshah ladne ko amaada bhi ho jaye to kya wo KamyaB ho sakta hai ?

"__ Esi hi haalat ho gayi hai ,ladte hai magar haath mai talwaar hi nahi ,,isliye apne Ansar islam ko raasikh karna ,shariyat Ka itteba karna ,yahi androoni Hifazat hai ,kaamil Musalman ban jao ,ahkaame Shariyat Ki poori tarah pervi pabandi karo , Hamare buzurgo ke Amaal dekh kar,unki mashrat ko dekh kar islam mai log dakhil hote they, zor zsbardasti se nahi ,magar ab Hamare Amaal kharab, Akhlaaq Kharaab , mashrat gandi ,mamlaat kharab ,Agar koi Musalman hona bhi chahe to kya dekh kar ho ?

*__isliye is mehnat ki Zarurat har shakhs ko hai ,*

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *432 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Tablig Ek Amali Zindgi Ka Naam Hai,*

↬• Log aksar Tablig ke Kaam ko Tehreeeo mai ,kitabo mai ya logo Ki Zabani sun kar samajhne Ki koshish karte hai , Halanki Tablig Ka ye kaam mahaz Amal Aur Zindgi hai , Bager isme Shirkat ke iski haqeeqat aur iski Ahmiyat ko samajhna mushkil hai ,

★• Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh likhte hai k , Ummat mai imaan Aur imaan wali Zindgi paida karne Aur Aam karne Ka ye nihayat sahi tareeqa hai ,Ye yaqeen Din Raat Ki Rafaqat Aur mushahide se hua aur saath  hi ye andaza ho gaya k Agar Hazrate wala ( Maulana ilyaas Sahab ) mujhe guftgu farma kar mutma'in karna chahte to galiban mai mutma'in na hota _"

★• Maulana ilyaas Sahab Reh ko iska poori shiddat se ahsaas hua k is waqt sabse muqaddam talab Ki Tablig Aur Musalmano mai apne Musalman hone ka ahsaas paida karna hai aur ye Deen seekhe bager nahi aata, aur Duniyavi cheezo se zyada isko seekhne Ki Zarurat hai ,

★ • Ye ahsaas aur talab paida ho gayi to baqi marahil aur manazil khud tay ho jayenge ,

*___is waqt Musalmano Ka umoomi marz Be-Talabi ka hai ,logo ne galat fahmi se samajh liya hai k imaan mojood hai , isliye imaan ke baad Ki cheezo Ka darja hai unme mashgool ho gaye , Halanki Sire se imaan paida karne hi Ki Zarurat baqi hai ,

★. Quroone Avval mai talab walo ke liye taleem v islaah aur hidayat v irshad Ka poora ahatmam tha lekin ab taleem v Tablig aur irshad v islaah ko ye samajh liya gaya k ye Talibeen ke liye hai ,

★• Jinko apne marz ka ahsaas hi Sire se nahi aur Jo Talab se khaali hai unki taraf se tavajjoh Bilkul hat gayi , Halanki unme talab paida karne Ki Tablig Ki Zarurat hai,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *433 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Talabe Deen aur Islaam ke Usoolo Ki Buniyaad Kalma Taiyaba*

↬• islam ka Kalma Taiyaba hi Allah Ta'ala Ki Rassi ka WO sira hai Jo har Musalman ke haath mai hai, Musalman Jab tak is kalme ka iqraar karta hai usko Deen Ki taraf le Jane ka moqa hai ,

★• Deen ka ahsaas v talab paida karne ka zariya yahi hai k unse is Kalme hi ke zariye taqarrub paida kiya jaye aur isi ke zariye khitaab kiya jaye ,Yaad na ho to yaad karaya jaye ,Galat ho to usko sahi kiya jaye ,Kalme ke maani aur mafhoom bataye jaye aur samjhaya jaye  k khuda Ki bandgi v gulami aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ki tabedaari ka iqraar unse kya mutalba karta hai ?

★ • isi tarah Unko Allah aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke ahkaam Ki pabandi per laya jaye Jinme se sabse umoomi sabse muqaddam Namaz hai  , Jisme Allah ne ye qabiliyat rakhi hai k WO saare Deen Ki istedaad v quwwat paida kar deti hai ,

★. Jis Bandgi ka Kalme mai iqraar tha Uska Namaz sabse khula saboot hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *434 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Ummat Ki islaah Ka Kaam*

↬• Ummat Ki islaah Ka ye kaam itna bada aur itna faila hua hai k iske liye chand log aur chand jama'ate kaafi nahi ,iske liye Musalmano Ki Musalmano mai koshish karne ki Zarurat hai,

★• isliye ba-qaul Maulana ilyaas Sahab Reh " Agar Karodo ke vaaste laakho nahi uthenge to kis tarah  Kaam hoga ,na jaanne wale jitne Karodo hai'n utne Jaanne wale utne laakh nahi ,

★ • Maulana Reh ke nazdeek iske liye Aalame islam mai ek umoomi aur daaimi harkat v jumbish Ki Zarurat hai aur ye harkat v jumbish Musalmano Ki Zindgi mai asal aur mustaqil hai , Sukoon v waqoof aur Duniya Ka ashgaal aarzi hai ,

★.  Musalmano ne jabse is Jama'ati Zindgi aur asli Kaam ko chhod diya ya ya saanvi darja de diya ,Us waqt se andruni aur roohani zof v kamzori aur unki pasti ka daur shuru Jo gaya ,

★•Aur ye Tablig do tarah Ki hogi ,Ek maaddi Tablig yani A'aza v Jawarah se talluq rakhne wali , Wo ye hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ki layi hui baato ko failane ke liye mulk ba mulk aur aqleem dar aqleem Jama'ate bana kar firne ki  sunnat ko zinda kar ke farog dena aur mazboot karna hai , Doosri Roohani ,isse muraad jazbaat Ki Tablig yani Haq Ta'ala ke hukm per Jaan maal Ki qurbani dene Ka rivaaj daalna ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *435 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Bhalaai ko Failane aur Buraai ko mitane ka mo'assir zariya*

↬• Jab mahol aur fiza ko hamwaar kar liya jata hai, Khair ko rivaaj dene ki koshish Ki jati hai to Usi Bhalaai Ki Dawat ,musalsal jaddo jahad aur koshish ke nateeje mai maahol is qadar durust aur sahat afza'n ho jata hai k waha'n Buraaiya'n aur munkiraat ke jaraasim ko panapne ka moqa hi nahi rehta,

★• Bajaye munkiraat aur buraaiyo'n ke ek ek kar ke door karne Ki koshish ke Bhalaaiyo'n ko is qadar rivaaj diya jaye k log usi ke aadi ho jaye ,

★ •  Aur Kisi bhi buraai ke karne ke liye maahol is qadar ajnabi aur na aasna ho jaye k us buraai ke karne Ki Jurrat aur Himmat hi na ho sake ,

★. Ek martaba Hazrat Ji ina'amul Hasan Sahab Reh tak ye baat pahunchayi gayi k Dawat Tablig mai " Amr bil maroof " to bahut hai lekin iska doosra pehlu " Nahi anil munkar " nahi  ,jabki Qur'an mai Dono ka hukm ek jagah hai ,to Aapne farmaya :-

"__ Hum log Nahi anil munkar ek dam nahi karte ! Balki Aadmi ko pehle qareeb aur manoos karte hai'n ,aur jab hamare saath usko talluq ho jata hai to fir usko buraai se rokne Ki targeeb dete hai'n ,Jiska asar ye hota hai k WO mutassir ho kar qubool karta hai ,"

★• Ek moqe per farmaya k ,Hum is kaam ke zariye se ummat mai achchhaiya lane Ki koshish kar rahe hai'n ,kharabiya door karne Ki koshish nahi kar rahe hai'n isliye k Roshni lane ke liye to mehnat Ki zarurat hai lekin Andhera bhagane ke liye kisi mehnat Ki zarurat nahi ,jese jese Roshni aayegi ,andhera khud khatm ho jayega ,"

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *436 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Poori Ummate muslima Mehnat Ka maidaan Hai*

↬• Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh ne kisi ek ilaaqe ,shehar ya sooba ya mulk ko khaas tor per apni mehnat ka maidaan nahi banaya ,

★•  Kyunki agar ek hi maqaam per apni koshish aur tavajjoh ko mehdood rakha jaye aur doosre maqaam Ki taraf qat'an tavajjoh na jaye to doosre maqaam mehroom reh jate hai'n ,

★ •Tablig ke liye kisi khaas jagah ko makhsoos kar Lena aur baqi jagaho ko iske baad mai rakhna  sangeen buniyadi galti hai , Khatarnaak aur zehreela khayal hai ,Ye hargiz hargiz isko Dil mai jagah na de aur is khayal ko Dil mai na aane de _"

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *437 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Ilm v Zikr Ki Umoomi v Buniyadi Mehnat*

↬• Tablig ke tarze Dawat mai ilm v zikr ko khaas ahmiyat haasil hai ,lekin ilm v zikr ka WO aam mafhoom nahi Jo umuman logo ke dimaag mai basa hua hai k ilm se muraad Kitaab aur Zikr se muraad kuchh khaas qism ke azkaar ,

★• Maulana ilyaas Sahab Reh ne ilm v zikr ko Khaas is maani ke saath mehdood nahi rakha balki ilm v zikr se matlab tamaam Amaal v ashgaal ke bare mai Jo ahkaam waarid hue hai'n uske dhyaan aur istehzaar ke saath un Amaal ko anjaam dena ,yani poori insani mashrat zikr mai tabdeel ho jaye  ,

★ • Aur ilm se matlab bager kisi sazo samaan ke Ahle ilm Ki sohbat v ikhtlaat aur rafaqat v ijtima mai thode se mehdood waqt mai apne mahol se nikal kar Nek mahol akhtyar karte hue chalat firat ke zariye nafse deen ko haasil kiya jaye, Jesa k daure Risalat mai tareeqa tha  ,

★.Maulana ke nazdeek Musalmano ke har tabqe ko Deen seekhne aur apni zindgi mai haqeeqi Deen Dari paida karne ke liye aur Deendaro aur ilm e Deen rakhne walo ko apni satah se taraqqi karne ke liye apne mashagil se kuchh waqt nikaalne aur apne ko us waqt ke liye faarig karne Ki zarurat hai  ,

★• Sahab Kiraam Ki zindgi chaar cheezo se ibaadat thi , Taleem , Zikr , Tablig v khidmate Deen aur Kasbe ma'as ( Rozi Roti kamana ) , Ab pehle Ki teen cheezo Ki jagah chhothi cheez Duniya kamane ne le li aur zindgi Ki poori wusat ko is tarah ghair liya k kisi cheez ke liye qatan koi gunzaish nahi rahi ,,

*__ isliye zaroori hai k Ahle Deen aur Ahle ilm aur kam se kam Ahle Talab aur Ulma Ki rafaqat ho ,Jo sab is maqsad ke liye Jama hote ho ,Mahol ke asraat v khayal ke saath waqt guzre ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *438 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Ilm Ka Mafhoom*

↬• Dawat Tablig mai ilm ke mafhoom ko Hazrat Ji ina'amul Hasan Sahab Reh ne is tarah bayan farmaya :-

★• Taleem do tarah Ki hoti hai ,Ek to khusoosi Taleem Jo madarso mai padhayi jati hai, Jin logo mai Deen ke ilm ko haasil karne Ki Talab hoti hai Wohi in madarso mai aate hai'n ,Doosre WO Taleem Jo umoomi hai WO ye Dawat Tablig hai ,taki inke andar Talab paida ho ,

★ • Ye umoimi Taleem us khusoosi  Taleem se zyada zaroori hai,isliye k Jab umoomi Taleem Ki fiza banegi to uska Asar Khusoosi Taleem per padega ,aur umoomi Taleem se khusoosi Taleem zinda hogi , isliye madarso ko Taleem ke saath saath Dawat ke kaam ko bhi usi ahmiyat ke saath karna chahiye ,taki umoomi aur khusoosi dono Taleem zinda ho ,

★. Ek moqe per farmaya :-ilm aur Amal ek hi hai ,Jab tak Zahan mai mojood hai to usko ilm kahenge aur Jab Badan mai aa jaye aur jism se zaahir hone lage to Amal hai  ,Amal mai aane per hi zahni cheez ko taqwiyat milti hai,"

★• Ek martaba farmaya :- Dawat ka maqsad ye hai k har shobe wale apne kaam ke saath Deen Ki mehnat mai lage , Unse unke Shobe hargiz hargiz chhudane nahi hai'n ,balki unhi Shobo mai rehte hue Deeni aur Dawati kaam karna hai ,"

★• Ek martaba farmaya :- Ulma ka Awaam ke saath agar raabta qaayam raha to ye ummmat chalne wali hogi aur Ulma usko chalane wale honge aur Agar chalne wale na ho to ilm ka ye chiraag jal kar khatm ho jayega aur iski Roshni se kisi ko faayda na hoga _"

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *439 in. sha Allah ta'ala*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Mehnat Ka maqsad Maahol ke bigaad ko Door Karna*

↬• Ye haqeeqat hai k insaan maahol se asar leta hai ,Jis maahol mai WO uthata beth ta hai agar WO Deendaar ho to WO khud bhi Shareef aur Deendaar hota hai, aur agar Maahol bigaad aur bad chalni ka ho to WO khud bhi bigadta hai,

★• Dawat v Tablig ke zariye ye chaha ja raha hai k Maahol aur bigaad aur fasaad ko door kiya jaye aur  imaan v Amaal wala maahol taiyaar kiya jaye ,

★ • Hazrat Ji ina'amul Hasan Sahab Reh Maahol ko banane Ki mehnat per zor dete hue farmate hai'n :-

"__Jesa Maahol hota hai, Wesa Aadmi ban jata hai, agar maahol Deen ka hota hai to Aadmi ke andar Deen aata hai ,Maahol agar Duniya ka hota hai to Duniya aati hai , Hume asal mehnat maahol banane Ki karni hai ,taki Hum Deen per chalne wale aur Deen Ki koshish karne wale ban jaye ,

★. Ye gashto ka karna ,Taleem karna ,Tasbihaat padna ,Namazo ka ahatmaam ke saath padhna  ,Ye chaar kaam hai'n, in Charo kaamo ko ahatmam se karoge to isse maahol banta jayega, Jis jagah Namazo ka maahol ho waha'n Be-Namazi ko apne Aapko sambhalna mushkil ho jata hai, WO bhi Namaz padhne lagta hai , isliye Hume is baat Ki koshish karni chahiye k hamara maahol Deeni maahol bane,"

★•Ek moqe per Yu'n farmaya k ,

"_ Hidayat kisi ke qabze mai nahi ,WO sirf Khuda paak ke qabze mai hai ,aur Khuda e paak us waqt hidayat dete hai'n jab Hidayat ka sabab akhtyar kiya jaye ,Har cheez ke liye Allah Ta'ala ne  sabab banaya hai ,Jab sabab ko akhtyar kiya jata hai to WO cheez haasil ho jati hai, Chunache paisa haasil karne ke liye Dukaan ko ,Galla haasil karne ke liye Kheti ko aur Aulaas haasil karne ke liye Nikaah ko sabab bana rakha hai aur is Asbaab ke zariye se in cheezo ko Allah Ta'ala Wajood marhamat farmate hai'n,

"__Ese hi Hidayat ka sabab Allah Ta'ala ne Deen Ki koshish ko banaya hai ,Jitni Deen Ki koshish karenge ,Utna hi Allah Ta'ala Hidayat ke faisle farmayenge , Hume Khuda se Hidayat utar wane ke liye Deen Ki koshish karna hai aur Raato ko duae'n karna hai ,"

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *440 in. sha Allah ta'ala*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Zaat v Sakhsiyat ke bajaye Usool aur Kaam per Zor*

↬• Akaabir e Tablig ,Khususan Maulana ilyaas Sahab Reh, Maulana Yusuf Sahab Reh aur Maulana ina'amul Hasan Sahab Reh ,Hamesha is baat per yaqeen rakhte they k Kaam Ki taraqqi aur Urooj zaat aur Shakhsiyat per moqoof nahi hai ,balki ikhlaas v istakhlas aur usoolo per jamne mai hai aur ye kaam se talluq rakhne walo ke Amaal v Akhlaaq Jis qadar buland honge usi qadar Dawat ke kaam ka maiyaar buland hoga ,

★• Maulana Manzoor Sahab Nomani Reh  likhte hai'n k   ,

"Maulana ilyaas Sahab Reh  hameaha is baat Ki taqeed farmate rahe k unki Dawat ko unki Shakhsiyat ke saath wabasta na kiya jaye , WO kisi bhi tarah iske rawadaar na they k unki Shakhsiyat Ki taraf Dawat di jaye ,Akhir mai isko bhi napasand farmate they k Dawat ke tarruf ke silsile mai unka naam liya jaye ,ye ahatyaat ,tawazo ,benafsi aur ikhlaas ke alawa Aham Deeni masaleh per mubni thi ,"

★ • Hazrat Ji Reh farmate they :- Tumme se bahut se meri ziyarat aur musafe ki niyat se aate hai'n aur chale jate hai'n , mai Kehta hu'n k is kaam ki azmat ko samjho ,Jiski vajah se Khuda ne tumhare Dilo mai meri muhabbat aur aqeedat daali hai ,is kaam mai apna waqt ,jaan aur maal lagao aur is kaam se judo ,meri zaat to faani hai ,"

★.  Hazrat Ji ina'amul Hasan Sahab Reh ek martaba Bangladesh ke ijtima mai shareek na ho sake to Aapne farmaya :-

"__ Haazri mai makhlooq per nazar aa sakti hai ,gair haazri mai sirf khaaliq per nazar jamne ka qavi imkaan hai ,Haazri mai bojh auro per hota hai, gair haazri mai Sara bojh Aap Sab per hoga Jo tamaam futuhaat e gaibi ke liye Kunji ka kaam dega ,

__,Aadmi ki nigaah jab zaat per hoti hai to kaam na hone per Allah ki taraf tavajjoh badti hai , Kaam ke nahaj ke sahi hone ki fikr badti hai aur kaam hone per apne andar Khuda ka Shukr paida hota hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *441 in. sha Allah ta'ala*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Ijtimaat Asal nahi Kaam Asal Hai*

↬• Akaabir E Tablig hamesha is baat per zor dete rahe hai'n k Dawat v Tablig ki buniyaad ijtimaat per nahi hai ,balki Asal ye hai k usoolo ki pukhtgi ke saath ijtimai naqal harkat musalsal ho ,

★• Hazrat ji Maulana Yusuf Reh farmate they ;- is kaam mai ijtimaat na buniyaad hai na maqsood , balki Apne nahaj per na hone ki buniyaad per muzir hai ,isliye maahana ijtimaat bilkul na kiye jaye ,har jagah maqami ijtimaat haftewari Apni noiyat ke saath yani poori shab bedaari ho ,aur waqt lagane ka mutalba karte hue kiye jaye,

★ • Hafiz Yusuf Sahab farmate hai'n k Hazrat Ji ina'amul Hasan Sahab Reh bhi ye nahi farmate they k ijtimaat ya Jod karo, lekin Jab iske liye koi Jama'at tareekh lene aati to farmate they k esi mehnat karo k ilaaqe wale so fisad Namazi ban jaye ,Taleem karne wale aur tasbihaat ada karne wale ban jaye  ,

★. Ek moqe per farmaya :- ijtimaat mai hamara nuqsaan hai ,hamara kaam to ye hai k Aadmi Dawat per mehnat kare  , ijtimaa tay hone per ijtimaa walo ka kaam to ye reh gaya k jama'ate bheji jaye aur Jama'ato ka kaam ijtimaa se nikalna reh gaya ,is waqt quwwate Dawat nikal jati hai aur ijtimaa ke bager koshish karne se har ek mai Dawat ki quwwat aa jati hai aur kaam mai umoomiyat aati hai _"

★• Ek martaba farmaya :- Kaam ka Aaj istaqbaal hai , Lekin saath mai bahut se khatraat bhi hai'n , Kaam Jitna naam v namood se mehfooz rahega utna hi achcha hai , ijtima mai asmiyat aur hangama hota hai , nataa'ij zaahir hone ka inkaar nahi hai , pehle manfa'at wala pehlu gaalib tha ab mazarrat wale pehlu ke gaalib hone ka shubha hai ,lihaza ijtimaat se bachte hue kaam ho to achchha hai ,"

"__Aaj bila iraada ijtimaat ki kasrat badh gayi hai , Ji chahta hai k kaam ho ijtimaa na ho ,Ye Aslam raasta hai , Jama'ate firne se maahol banta hai ,lekin ijtimaat se hangamiyat aati hai aur ijtimaat ki vajah se Jama'ato ki kaarkardgi mai zof aata hai,

----- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *442 in. sha Allah ta'ala*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Na-Muwafiq Jagaho Per Kaam Ka Tareeqa*

↬• Muwafiq Mahol mai kaam karna utni badi hunarmandi nahi hai jitna k Na-muwafiq aur mukhalfat ke mahol mai apne usool aur nahaj ki hifazat karte hue kaam karna hunarmandi hai ,

★•  Kaam karne wale ki istedaad aur salahiyat ka behtreen andaza bhi ese hi moqe per hota hai, isliye Hazrat Ji ina'amul Hasan Sahab Reh baar baar farmate they k :-

"__Maahol ki na-muwafqat aur mukhalfat se ghabrana nahi chahiye ,isliye k Karne wali zaat sirf Allah Ta'ala ki hai aur WO jab karne per aata hai to Buto se bhi Toheed zaahir kara deta hai aur baatil ke naqsho se Haq ki awaaz uthne lagti hai ,"

★ •Chunache Markaz Nizamuddin se atraaf mai Jane wali jama'ato ko har jagah yaksa maahol nahi milta ,Kahi mukhalfat hoti hai , kahi masjid mai qayaam ki mumanat hoti hai ,isliye ese maahol mai agar kaam karna pad jaye to Hazrat Ji ki avval nasihat aur takeed ye hai k jaha'n tak ho sake narmi ki jaye ,agar mukhalif apne sakht ravayye per Jama rahe to fir khamoshi akhtyar ki jaye,

★. Dawat Tablig ki mehnat aur Tarteeb masjid se chalti hai , ab agar Masjid ka koi zimmedar mutawalli vagera Bayan karne se mana kar de to ESE moqe per kya kiya jaye ? Hazrat Ji is mushkil ka hal is tarah bayan farmate hai'n :-

"__Agar masjid mai mutawalli bayan karne se mana kare ya iska khatra ho to bhi unko Hikmat se Dawat di jaye ,bajaye bayan ki ijazat lene ke Deen ki Dawat de ,agar WO ise qubool kar le to ese mai ijazat khud ba khud hogi aur agar WO bilkul rok de to fir zid na kare ,balki doosri masjid mai kaam kare ,"

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *443 in. sha Allah ta'ala*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Faza'ile A'amaal hi Kyu ?*

↬• Maulana ilyaas Sahab Reh ne Qur'an v Hadees ,quwwate nisbat aur faham v farasat se is Deeni mehnat ka ek khaas taleemi rukh tay kiya , isi taleemi rukh ka ek buniyadi hissa ye hai k hamari ijtimayi nisaabi Taleem farui aur fiqhi masalik aur makatib fikr mai se kisi ek ki Dawat ya jaanib na ho ,taki ummat ke tamaam tabqaat Dawat per mujtama ho jaye ,

★• Chunki ummat ka 70-80 % tabqa Aaj imaani rooh ,jazba ,qurbani ,Deen ke mitne ka gam ,Qur'an se talluq ,Namaz ,Roza, Hajj ,Zakaat ki ahmiyat v farziyat aur haqeeqat se khaali hai , iske bar aks Duniya ki hirs v Muhabbat ,bukhl v tamaa ka daur hai ( Jo saari be deeni ki jad hai ),

★ • isliye Maulana ilyaas Sahab Reh ne apne waqt ke sabse bade muhaddis ,Shekh e tariqat ,Ustado ke ustaad ki qalam se is unwaan per Aayate Qur'ani ,Ahadees Sharifa ,unki tasrihaat aur Akabire ummat ke waqiyaat v malfuzaat ko ( Jo sahih sanad se saabit ho aur shoq v zoq ko ubhaarne wale ho ) Jama karwaya  ,

★. Is baat ka  Daava kabhi nahi kiya gaya k isme saari shariyat aa gayi, lihaza Dawat ke kaam karne wale doosri tafseer v Hadees aur fiqha ki kitaabo se mustagni hai'n balki ummat ka ye mijaaz banaya ja raha hai k Deeni Talab paida ho jane ke baad ibadaat ,maamlaat ,mashrat ke huqooq aur masail ka muta'ala Tafseer ki kitaabo ka ilm haasil karna aur khud Aalim banna ho to Apne Ahle Haq Ulma se ruju ho jaye , iske natije mai madaris aur kutub khaane aabaad ho rahe hai'n ,

★• Aalame Arab ki ilmi aur Deeni fiza ke aitbaar se yahi kitaab munasib samjhi gayi varna har aane wale ka apna maslak ,fiqh ki kitaabo le kar aane se bahut se ikhtilafaat paida ho jate  ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *444 in. sha Allah ta'ala*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Bukhari v Muslim Kyu Nahi ?%*

↬• Bila Shubha hadees ki 6 kitaabe aur bil khusoos Bukhari v Muslim Sahih ahadees ke naqal karne mai Ek imtiyazi muqaam rakhte hai'n ,

★•  Lekin Jo Shakhs inki fehrist per ek nazar daalega to use andaza hoga k ye tamaam kitaabe fiqhi ( masail ) ki tarteeb per hai'n  ,

★ •Ahle ilm tabqa jaanta hai  k ye kitaabe sirf Tarjuma ke saath padhna mufeed nahi hai balki inke unwaan ,ahadees ke mukhtalif pehlu tashna e bahas hote hai'n ,Yahi vajah hai k ye kitaabe University, Madarso ki Jama'at mai khusoosan Darse Nizaami mai Daure Hadees yani Aalmiyat ke aakhri saal mai padhayi jati hai'n ,

★. Zamane ki zarurat aur taqaze ko dekhte hue ( Be talabo mai Talab v Shok paida karne ke liye)  Hazrat  Shekhul Hadees Maulana Zakariya Reh ne in Rasa'il v fazail mai ( jinme aksar maulana ilyaas Sahab Reh ke hukm se likhe gaye )  mizaaje Dawat banane wale aur aham Amaale Shariyat per mustamil mawaad ko tafseer ,hadees ,seerat ,tareekh ,Asmaur rijaal ,masaleh Shariyat, Shara'i tasawwuf ki 84 kitaabo se Jama kiya hai , Jinme taqriban har fun ki aham kitaabe shamil hai'n ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *445 in. sha Allah ta'ala*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Musalmano mai Tablig*

↬• Hazrat Shekhul Hadees Reh farmate hai'n k :-Ye ishkaal kiya jata hai k Musalmano ke liye Jama'at bhejne ka mamool Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke zamane mai nahi tha ,isliye ye Bid'at hai , Jab ye baat Ahle ilm ki taraf se kahi jati hai to zyada hairat hoti hai,

★• Jabki -Amr bil maroof v nahi anil munkar aur  Deen ki isha'at  ke liye Jo bhi koshish ho WO Jihaad mai dakhil hai fir bhi ye kehna k ye tareeqa Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke zamane mai nahi tha to ye galat hai ,

★ •Kya Madaris ka mojooda tareeqa e tadrees ,Mudarriseen ke Sabaq ki taqseem, Ghanto ki pabandi , Teen maah , Chhe maah ke imtihanaat vagera Jo is zamane mai nihayat aham aur zaroori hone ke kya Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke zamane mai yahi tareeqe they?  ,

★. Esa kya koi aqalmand keh sakta hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke zamane mai Top ,Bandooq se ladaai nahi thi lihaza ye Bid'at hai ,teero se ladna chahiye ,aur is sabko koi galat nahi kehta ,

★•Fir ye baat bhi galat hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke zamane mai Musalmano ke paas Jama'at bhejne ka tareeqa nahi tha  ,is silsile mai Hazrat Ji Maulana Yusuf Sahab Reh ki kitaab "Hayatus Sahaba " ko khaas tor se mulahiza karna chahiye, isme ek mustaqil Baab hai ,

"__Zaahir hai k kuffar ki taraf bhi Jama'ato ko bhejna unki Hidayat ke liye hi tha aur Jab Musalman Deen se be khabar aur be tavajjohi mai kufr ki taraf bad gaye ho to kya unki Hidayat ki zarurat nahi ?"

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *446 in. sha Allah ta'ala*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Musalmano mai Deen Ki Dawat ke Amal ki wazahat*

↬• Avval to ye k Tablig ka azeem kaam sirf Musalmano ke liye khaas nahi hai , balki inki chalat firat aur is kaam ki barkat se beshumaar gair muslimo ko Allah Ta'ala ne imaan jesi Azeem daulat se Sarfaraz farmaya ,

★• Aur bil farz agar maan bhi liya jaye k kuffar ke paas nahi jate to bhi ye Amal Qur'an v Hadees ke khilaaf nahi hai ,balki is Amal ke saboot mai bahut saari Ahadees mojood hai'n ,

★ •Maslan Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ma'az bin Jabal Raziyallahu Anhu ko Yaman ki taraf bheja ,Sahaba ki Jama'at ko Kufa ki taraf gayi Musalmano ki Jama'at ki Dawat ke liye  ,isi tarah Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Hazrat Abdullah bin Masoud Raz. Ko sahaba ki Jama'at ke saath kufa ki taraf bheja aur ibne yasaar ,Imraan bin Husain Raz. Basra ki taraf tashreef le gaye ,Ubada bin Saamit aur Abu Darda Raz Shaam ki taraf gaye Ahle islam aur Musalmano ki Dawat ke liye ,

★. Musalmano mai Dawat ka Faayda banisbat gair muslimo ke jaldi zaahir hota hai ,Qur'an Paak mai ishara mojood hai k Umme Maktoom Raziyallahu Anhu ka lihaaz rakhna Quresh ke mutakabbir Sardaro ke muqable mai behtar aur mufeed hai ,

★• Daure Nabvi mai bhi sahaba ki Jama'ate Musalmano ke paas islahe Amaal aur Dawate Deen ke liye rawana ki jati thi ,aur Khud Musalman bhi Jama'at aur wafad ki shakl mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai Deen Seekhne ke liye aate they , Chunache Wafad Abdul Qais ka qissa kaafi mashoor hai ,Jisko imaam Bukhari Reh samet tamaam muhaddiseen ne zikr farmaya hai,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *447 in. sha Allah ta'ala*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Tablig Sirf Ulma ki Zimmedari Nahi*

↬• Tablig sirf Ulma ka kaam hai ,awaam aur Jaahilo ka nahi , mutlaqan ye nazariya bilkul sahi nahi ,

★•Hazrat Shekhul Hadees Maulana Zakariya Reh farmate hai'n :- Ye aitraaz darasal Tablig aur Vaaz mai farq na karne ki vajah se paida hota hai , Vaaz dar haqeeqat sirf Aalimo ka kaam hai ,iske liye Aalim hona zaruri hai ,taki Jo kuchh keh raha hai WO shariyat ke muwafiq ho ,Koi baat Qur'an v Hadees ke khilaf na kahi ja sake ,

★ • Aur Tablig Jiske ma'ani sirf paigaam pahunchane ke hai ,Koi kisi ke haath bhi bhej sakta hai ,iske liye Aalim hona bilkul zaroori nahi ,Tabligi Jama'at per ye ishkaal bilkul durust nahi hota ,isliye k inki Tablig mai sirf Chhe Number mutaiyan bataye jate hai'n, Unhi ki mashq karayi jati hai aur unhi ka paigaam le kar Shehar Shehar mulk mulk bheja jata hai_"

★. Hazrat Maulana Abdul Baari Nadvi Sahab Reh Ulma aur Awaam ke tabligi farize ke darmiyan farq batate hue farmate hai'n :-

"__ Aur ye Tablig ya Amr bil maroof ya nahi anil munkar sirf Ulma hi ka kaam nahi , Albatta iski do qisme hai'n , Ek khitabe Kaam ,doosre khitabe khaas ye hai k ijtihaad mai ,ba soorat Vaaz v khitaab ye to Ulma hi ka kaam hai ,magar infiradi tor per har Musalman doosre Musalman ko nasihat kar sakta hai , k is tarah Jo masail wazeh aur saaf saaf hai'n unme se har Shakhs ba awaaz buland keh sakta hai ,

__ Jese imaan Lana farz hai ,Namaz roza ,zakaat ,hajj farz hai, lekin is maamle mai faraiz se itni be parwahi hai k avvalan to inki taraf tavajjoh hi nahi aur koi tavajjoh dilaye to tarah tarah ke uzr aur bahane talash kiye jate hai, ( inki taraf Dawat dena ,tavajjoh dilana sabki zimmedari hai ),

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *448 in. sha Allah ta'ala*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Tablig Har Ummati Ki Zimmedari*

↬• Ye baat k Tablig ke liye Sirf Aalim hona zaruri nahi hai ,is per be shumaar Ahadees aur Asaare Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum dalalat karte hai'n :-

★•Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Hajjatul Vidaa ke moqe per bahut se elanaat farmaye they aur ye bhi irshad farmaya tha k  Jo haazir hai'n Wo Gaaybeen ( yani Jo yaha'n mojood nahi hai'n ) ko ye paigaam pahuncha de'n ,Halanki Hajjatul vidaa mai Sava Laakh ka majma tha ,Kya saare hi Aalim they ? Unme WO Sahaba bhi they Jinhone isse pehle Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki ziyarat bhi nahi ki thi ,

★ • Chunki sirf ek khaas paigaam pahunchana tha ,isliye iske waaste Aailm hone ki zarurat nahi samjhi gayi ,isliye Aapne kai martaba ye elaan farmaya k Haazreen Gaybeen ko ye paigaam pahuncha de'n ,

★.  Isi tarah Imaam Bukhari Reh ne ek mustaqil Baab is unwaan per bandha hai ( Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka wafad Abdul Qais ko imaan aur ilm ki hifazat aur Apne pichhe logo ko iski Tablig per ubhaarna ) ,Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne is wafad ko chand baate batayi aur farmaya k in baato ko mehfooz rakho aur Apni qaum mai jaa kar inko pahuncha do ,

"__ Aap Sallallahu Alaihivasallam ka unhe islaam ke buniyadi umoor imaan ,namaz jesi digar Amaal ki talqeen karna is baat per dalalat karta hai k WO Aalim nahi they iske bavjood Aapne unko Apni qaum mai Tablig per mamoor farmaya,

★• Imaam Bukhari Reh ne ek Sahabi Raziyallahu Anhu ka waqiya likha hai (Jiska mafhoom hai) ,Jo dehaat ke rehne wale they,unhone arz kiya k Allah ne Aapko Rasool bana kar bheja hai ? Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k mere qaasid ne sach kaha ,unhone arz kiya k ya Rasulullah Aapke qaasid ne ye bataya k hamare ouper paanch namaze farz hai, Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k sach kaha , unhone ye bhi kaha k Aapne qaasid ne kaha k hamare ouper ek maah ke roze hai'n, Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k sach kaha , Unhone arz kiya k ya Rasulullah us zaat ki qasam jisne Aapko Rasool bana kar bheja hai mai in cheezo mai se kisi mai kami ya zyadti nahi karunga ,Ye keh kar WO sahabi Jane lage to Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k agar isne sach kaha to Jannat mai dakhil hoga, ( Bukhari , 133 )

"__is hadees mai kami ya zyadti na karne mai mukhtalif qaul hai'n jinme se ek qaul ye hai k Apni qaum ke paas pahunchane mai kami zyadti na karunga ,

------ *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *449 in. sha Allah ta'ala*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Ab Kaam Pehle ki tarah na raha*

↬• Bahut se log ye aitraaz karte hai'n k Kaam karne walo mai pehle ki tarah Khuloos v lillahiyat ,qurbani aur mar mitne ka jazba nahi raha ,Pehle ke muqable mai is waqt in Sifaato se Tablig ka kaam karne wale khali nazar aate hai'n ,

★• Hazrat Shekhul Hadees Maulana Zakariya Reh farmate hai'n k Zamane ka aam asar har cheez per hai to ahle ilm isse bahar kaha ho sakte hai'n, Zamana Jitna bhi Zamana e nabuwat se door hota jayega ,itne hi fitne v Shar badte jayenge lekin hum log apne andar har qism ke zof v kamzori ko tasleem karte hai'n lekin Ahle ilm ke liye wahi pehle manzar chahte hai'n aur isi maiyaar ko jaanchna chahte hai'n, Halanki Khud Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne iski pesheen goi farmayi hai  *( Mafhoom Bukhari,7068 )* k  tum per koi saal aur koi Din esa nahi aayega Jisse baad wala saal aur Din isse zyada bura na ho Yaha'n tak k tum apne Rab se ja milo ,"

★ •Hazrat Alqama Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se naqal farmate hai'n k koi Din esa na aayega Jo ilm ke aitbaar se guzishta din se kam na ho aur Jab Ulma na rahe aur Nek baato ka hukm karne wala aur buri baato se rokne wala na rahega to us waqt Sab hi halaak ho jayenge , *( Fatahul Baari 21/13)*  ,

★. Isliye Deen aur Duniyavi Umoor mai kami ,zof to ho kar rahega ,esi haalat mai salaah v falaah ki koshish karte hue Jo kuchh mojood hai usko ganimat samajhna zaroori hai k iske baad isse kami hi ki taraf ruju karna padega , is zamane mai jin Aankho ne Akaabir ko dekha hai ,unke faiz v uloom se istfaada kiya hai WO unke baad wali naslo ko un Jesa na paa kar airaaz aur roo gardani karte hai'n,  *( Aitdaal fi maratib Arrijaal ,192)*

★• Is tehreer ki Roshni mai agar sirf kamzori rahegi to baqi Khair se bhi mehroomi ho jayegi ,isliye Tablig ke kaam ki guzishta noiyat na hone ki vajah se isse airaaz khud apne liye nuqsaan dah hoga  ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *450 in. sha  Allah ta'ala*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Chalees ( 40 ) Din ( Chilla ) ka mutalba--Qist-1,*

↬• Agar Tablig wale Chille per zor dete hai'n to ye koi be Asal cheez nahi hai, balki halaat ke tagayyur aur badalne mai isko khaas dakhal hai , Na sirf Qurani Ayaat ,Ahadees balki Buzurgo ka tajurba aur mushahida bhi is per dalalat karta hai ,

*Yani Chalees Din Lagataar Amal karne ki bahut barkat aur taseee hai , Chalees Din Amal karne se Rooh aur Baatin per Achchha asar murattab hota hai ,*

★•  Qur'an E Paak ka irshad hai, "_ Humne Moosa se Tees Raat ka Vaada kiya aur humne iski takmeel Das Din se ki , Chunache unhone apne Rab ki taraf se mutaiyan Chalees Din ki muddat poori kar li ," *( Al A'araaf ,142 ),* Ye Aayate Shrifa Sufiyo ke chillo ki Asal hai ,Jisme ye hazraat bahut se barkaat ka mushahida karte hai'n ,

★ • Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu ki mashoor hadees hai Jisko Sahibe mishkaat ne Bukhari aur Muslim dono se naqal kiya hai , Farmate hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__Aadmi ki ibtidayi khalqat maa'n ke Raham mai Chalees Din to nutfa rehti hai aur Chalees din tak khoon ka lothda rehta hai ,fir Chalees Din tak WO Boti bana rehta hai, " ( is Hadees se saaf zaahir hai k Halaat ke badalne mai 40 din ko khaas dakhal hai ),

★. Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jo Shakhs Chalees Din ikhlaas ke saath esi tarah namaz padhe k Takbire Avla faut na ho to usko Do parwane milte hai'n, Ek parwana Jahannam se chhutkare ka , Doosra nifaaq se bari hone ka , " *(Tirmizi, 241)*

★•Ek Hadees mai hai Jobona Shakhs meri  Masjid mai Chalees Namaze esi tarah padhe k ek Namaz bhi uski Masjid se faut na ho to uske liye Aag se bara'at likhi jati hai aur azaab se bari hona likha jata hai aur WO Shakhs Nifaaq se bari ho jata hai  _,"  *( Musnad Ahmad, 12583 )*

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *451 in. sha Allah ta'ala*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

No comments:

Post a Comment