Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Wednesday, December 14, 2016

✿ *JANNAT-KI-RAAHAI'N PART 101 SE MUKAMNAL ✿


✨⚡⚵



.                                   
        
    ❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈

╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
┆  ✿ *JANNAT-KI-RAAHAI'N*  ✿
╰•∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
  
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Masa'ib ke Waqt Sabr Karne Kï Fazilat:-,*
     
⚃➠ Hadeese Qudsi hai , Allah Ta'ala ka farmaan hai ,

"_Mai Jab Apne kisi Momin bande ko Azmaish mai mubtila karu ,fir Wo us Azmaish mai meri tareef bayan kare to us Raat neend se is tarah bedaar hoga gaya uski Maa'n ne use aaj hi janaa hai ,

Allah Ta'ala ( Apne farishto se ) farmate hai'n :- Maine Apne Bande ko Azmaaisho mai jakda hai , Tum uske liye wese hi Ajro sawab likho Jis tarah tum uski haalate Sahat mai likhte they_"

 Musnad Ahmad ,4/123 
        
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__ Jab Musalman ko koi musibat pahunche fir Wo kahe _ Jo Allah ka hukm ,beshak hum Allah Ta'ala ke liye hai'n aur hum Sab usi Kï taraf lot kar Jane wale hai'n ,

Ey Allah ! Mujhe is musibat ke badle Ajro sawab ataa farma _"

To Allah Ta'ala badle mai use behtreen badla ataa karte hai'n _"

.    Sahih Muslim ,2123
*
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Us insaan Kï Fazilat Jo Binaayi se Mehroom ho aur Fir Us per Sabr kiya ,*
     
⚃➠Hadeese Qudsi hai, Allah Ta'ala ka irshad hai :-

"__Jab mai Apne Bande ko uski Do sabse Mehboob cheezo ke bare mai Azmaaish mai mubtila karu aur fir Wo us per Sabr ka muzahira kare

To mai uske badle use jannat ka Vaaris bana dunga_"

 Sahih Bukhari ,5653
        
       ➠ Mehboob tareen cheez se matlab Uski Do Aankhe'n hai'n ,

*
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ ESA. Insaan Jo Zameen Per Gunaaho ke Daag se Paak ho kar Chalta hai ,*
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__insaan hamesha Aazmaish se do Chaar rehta hai, hattaki Wo waqt aata hai k Wo Ru e Zameen per Chalta hai aur Uske Badan per Gunaah ka ek Daag bhi baqi nahi hota ,"

 Musnad Ahmad ,3/78
        
⚃➠Aur Farmaya :-

"_ Musalman ko bimaari Kï vajah se Jo takleef pahunchti hai Allah Ta'ala uske badle mai uske gunaaho ko is tarah girate hai'n Jis tarah darakht se Patte jhadte hai'n ,"

 Sahih Bukhari ,566 Sahih Muslim ,6504
     
⚃➠ Aur Farmaya :-

"_ _Momin ko hone wala sar dard aur lagne wala kaanta ya koi bhi cheez Jo uske liye takleef dah ho ,Har takleef ke  badle mai Allah Ta'ala Roze Qayamat uska ek darja buland kar denge aur uske gunaaho ko mita denge ,"

.    Sahih Targeeb ,3434
*
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Allah Ke Khof se Rone Kï Fazilat ,*
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :

"__Wo Shakhs k Allah ke khof se uski Aankhe tapak pade , Uska Jahannam mai Jaana ese hi mushkil hai jese doodh ka than mai waapas Jaana , Neez Allah ke Rasste mai Padne wala gardo gubaar aur Jahannam ka Dhuwa Jama nahi ho sakte ,"

 Sahih Sunan Tirmizi, 1333
        
⚃➠ Aur Farmaya :-

"__Saat Log ESE honge Jinko Allah Ta'ala us Din Apne Arsh ka Saaya ataa farmayenge , Jis Din uske Siva koi aur saaya nahi hoga , Unme se ek Wo Shakhs hoga Jisne Khilwat v Tanhaai mai Allah ko yaad kiya fir ( Uske Khof se ) uski Aankho se Aansu Jaari ho gaye ,"

 Sahih Bukhari ,1433 Sahih Muslim ,2377
  *
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Teen Aadmi Jinki Aankhe Jahannam ko na dekhegi ,*
     
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__Teen Shakhs ESE honge Unki Aankhe Jahannam ko na dekhengi ,

Ek Woh Aankh Jisne Allah ke Raaste mai Pehra diya ,

Doosri Wo Aankh Jo Khaahiyate ilaahi se Ashk baar ho gayi ,

Aur Teesri Wo Aankh Jo Allah Kï Haraam Karda Cheezo ko dekhne se ruk gayi _"
        
.    Sahih Targeeb ,1231

  *
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Chhe ( 6 ) Khaslate Jannat Ka Zariya Hai ,*
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__ Tum Apne bare mai in Chhe ( 6 ) cheezo Kï zamanat de do , Mai ( Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ) tumhe Jannat Kï zamanat deta hu'n ,

1:- Jab baat karo to Sach karo ,
2:- Vaada karo to use poora karo ,
3:- Tumhare Paas koi Amanat rakhi jaye to uska paas karo ,
4:- Apni Sharmgaah Kï Hifazat karo ,
5:- Nigaahe nichi rakho ,
6:- Aur Apne haatho ko ROK lo ,

 Musnad Ahmad ,323 ,Sahih Targeeb ,1901
   *
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Bhalaai Ke Kaam mai Sifarish Karne Kï Fazilat,* 
        
⚃➠Allah Ta'ala ka Farman hai :-

      *مَّن يَشْفَعْ شَفَاعَةً حَسَنَةً يَكُن لَّهُ نَصِيبٌ مِّنْهَا*

     *Surah An-Nisa, Aayat 85*
     
"_ Jo Bhalaai Kï Sifarish karega Wo usme se hissa payega ,"
        
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"_ Sifaarish karo Tumhe Ajr ataa kiya jayega ,"
       

.    Sahih Bukhari ,1432 Sahih Muslim ,6634
*
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Allah Ke Yaha'n Mehboob Tareen insaan aur Doosro Kï Haajate Poori Karna,*
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-

"__ Allah ke Nazdeek Mehboob Tareen insaan Wo hai Jo Logo ke liye Sabse Zyada Nafa Rasa'n hai aur Allah ke nazdeek pasandeeda tareen Amaal Woh khushiya'n Hai'n Jo ek insaan Apne Bhaiyo'n ke liye baant ta hai Ya unse Takleefo ko door karta hai ,ya Unki Bhook mitaane ka samaan karta hai,

Aur Farmaya :- 
Mera Apne Bhai ke saath chalna k uska koi kaam kar du'n mere nazdeek us baat se zyada Mehboob hai k mai Masjid e Nabvi mai ek maah tak aitikaaf bethu ,

Hattaki Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Jo Shakhs apne kisi Musalman Bhai ka koi kaam karne ke liye uske saath chala hattaki uska Wo kaam kar diya ,Allah Ta'ala us Din use saabit qadam rakhega ,Jis Din k Qadam dagmaga jayenge ,"

 Tabrani ,16/453 
        
⚃➠Aur Farmaya :-

"_Jisne Kisi Momin se Duniya Kï koi musibat door Kï , Allah Ta'ala Roze Qayamat ke Masa'ib mai se ek musibat usse kam kar denge aur Jisne kisi Tang haal ke saath Asaani ka rawayya akhtyar kiya, Allah Ta'ala Duniya v Akhirat mai uske liye Asaaniya'n paida farma dega ,

Aur Jisne Apne kisi Musalman Bhai Kï parda poshi Kï ,Allah Duniya v Akhirat mai uski Parda Poshi farmayega ,

Allah Ta'ala Apne us Bande Kï madad farmate rehte hai'n, Jab tak Banda Apne Musalman Bhai Kï madad karta rehta hai ,"
    

.    Sahih Muslim ,6793

*
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Allah Se Muhabbat Karne Wale Ko Allah insaano mai Mehboob bana Deta Hai ,*
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__ Jab Allah Tabarak v Ta'ala Kisi Bande se Muhabbat karte hai'n to Jibraaiyl Alaihissalam ko bula kar kehte hai'n :-

Beshak mai fala Bande se muhabbat karta hu'n tu bhi usse muhabbat kar , To Jibraaiyl Alaihissalam bhi usse muhabbat karte hai'n ,

Fir Jibraaiyl Alaihissalam Asmaan mai ye awaaz lagate Hai'n :- Bila Shubha Allah Ta'ala fala Bande se muhabbat karta hai, lihaza tum bhi usse muhabbat karo ,

Chunache Ahle Asmaan bhi usse muhabbat karne lagte Hai'n aur Wo Shakhs ru -e- zameen per bhi ( makhlooq mai ) Mehboob ban jata hai ,

.    Muttafiq Alayhi / Sahih Muslim ,7485
*
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Roze Qayamat Allah Ta'ala Jisko Bula Kar Akhtyar Dega ,*
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"_Jisne Allah Ta'ala ke liye Tawazo aur inksaari akhtyar karte hue Kisi libaas ko tark kar diya Halanki Wo usko pehanne per qaadir tha ,

To Allah Ta'ala Roze Qayamat use Saari makhlooq ke saamne uska Naam le kar pukarega aur use Akhtyar dega k Wo imaan ka Jo libaas marzi chahe pehan le ,"
        
.    Sahih Sunan Tirmizi ,2017

*
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Akabbur Kï Mazammat ,*
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__Woh Shakhs Jannat mai dakhil na ho sakega Jiske Dil mai ek raai ke barabar bhi takabbur hoga _"

 Sahih Muslim ,261,263
        
➠is Hadees ke Aakhir mai Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne takabbur Kï wazahat karte hue farmaya ,_" Takabbur ye hai k Aadmi Haq ko thukra de aur Logo ko haqeer samjhe _"
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__ Kya mai tumhe Jahannamiyo Kï khabar na du'n ? Har Sar kash ,Bakheel aur Mutakabbir Jahannami hai _",

 Muttafiq Alayhi/ Sahih Bukhari ,4918
        
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__Yu'n hua k ek Shakhs Do Chadaro mai mabloos takabbur se chal raha tha aur Uske Nafs ne use khud pasandi aur Takabbur mai mubtila kar diya tha  k Allah Ta'ala ne use zameen mai dhansa diya ,Ab Wo Qayamat ke din tak zameen mai dhansta chala jayega ,"

 Sahih Muslim ,5434

*_Allah Ta'ala ESE khofnaak azaab se mehfooz farmaye ,*
        
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"_ Jahannam aur Jannat Aapas mai Jhagde , Jahannam ne kaha :- mere andar bade bade mutakabbir aur Sarkash log honge ,

Aur Jannat ne kaha :- mere andar kamzor aur miskeen qism ke log honge ,

To Allah Ta'ala ne unke darmiyan ye faisla farmaya :- Ey jannat ! Tu meri Rahmat hai ,mai tere zariye se jis per chahunga Raham karunga ,

Aur Ey Dozakh ! Tu mera Azaab hai ,mai tere zariye jise chahunga Azaab dunga aur Tum dono ko bharna meri zimmedari hai ,
      

.    Sahih Muslim ,7101

*
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Sharmgaah aur Pait ke maamle mai Pakeezgi ka Daaman Thaamne wala ,*
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :

"_ Saat logo ko Allah Ta'ala us Din apne Arsh ke saaya ataa farmayega k jis Din uske Siva koi or saaya na hoga ,

Aur ek Aadmi Jiska Aap Sallallahu Alaihivasallam ne zikr farmaya Wo hai Jisko kisi Haseen v Jameel aur Hasab v Nasab wali Aurat ne buraai Kï Dawat Dï to usne kaha :- bila Shubha ,mai Allah se darta hu'n _"

 Sahih Bukhari , 1423 Sahih Muslim ,2377
        
⚃➠ Aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Teen Jannatiyo Kï khabar Dï , Jinme se ek ye hai :-

"_ Woh Shakhs Jo sahibe ayaal hone ke bavjood halaal khaata hai aur uffat v paaki ka daaman apne haath se nahi chhod ta ,"

  Sahih Muslim ,7136
     
⚃➠Aur farmaya :-  Jo Shakhs Apne do jabdo ke darmiyan mojood zubaan aur do taango ke darmiyan ( Sharmgaah ) Kï zamanat de de ,

Mai ( Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ) usko Jannat Kï zamanat deta hu'n _"

.    Sahih Bukhari ,6474
*
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Us Shakhs Kï Fazilat Jisne Umar Lambi Paayi aur Nek Amaal kiye ,*
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__ Logo mai sabse behtreen Wo Shakhs hai Jisne Lambi Umar paayi aur Amaale Saleha kiye ,"

 Sahih Sunan Tirmizi ,1898 
        
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Qaza e Qabila Kï shaakh bali ke do Afraad Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke haath per imaan laaye ,unme se ek to Shaheed ho gaya aur doosra Agle saal mar gaya ,

Talha bin Abdullah ka bayan hai k Maine khwaab mai Jannat  dekhi ,Maine dekha k baad mai Marne wala Shaheed se pehle jannat mai chala gaya ,

Mujhe is per bada tajjub hua ,Subeh hi Maine iska tazkira Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se kiya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"_ Kya usne Aainda ramzaan ke Roze nahi rakhe they aur chhe hazaar Raka'at namaz nahi padhi thi aur usne saal Kï fala namaz Kï itni itni Raka'at nahi padhi thi ,"
     
 Sahih Targeeb ,372 
        
⚃➠Kitna Khush Naseeb hai Wo Shakhs Jisne lambi Umar paayi aur Nek Amaal kiye aur Afsos sad afsos hai us Shakhs Kï Zindgi per Jisne lambi Umar paayi lekin gande Amaal kiye ,Kyunki Amaal ka daromadaar khaatme per hai ,Hum Allah Ta'ala se Dua kare k Allah Hume ,hamare Walden aur Tamaam Ummat e muslima ko Husne Amal Kï Tofeeq ataa farmaye aur sabka khaatma bil khair farmaye ,Beshak wahi Dua ko sunne wala hai ,
   *
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Sadqa Roze Qayamat Nijaat Ka Zariya Hoga,*
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__ tumme se har Shakhs se Allah Tabarak Wa Ta'ala Kalaam karega aur uske aur Allah ke darmiyan koi tarjumaan nahi hoga , Pas Wo Apne Daaye dekhega to use siva e uske Amaal ke koi cheez nazar nahi aayegi , Fir Wo Apne Baaye dekhega to waha'n bhi use uske Amaal hi nazar aayenge , Fir Wo Apne saamne dekhega to saamne Jahannam Kï aag Shola zan hogi , Tum Jahannam se bachaav ka samaan karo , Chahe khajoor ke ek tukde ka Sadqa kar ke hi Sahi ,"

 Muttafiq Alayhi / Sahih Bukhari, 7512
        
⚃➠Aur farmaya :- " Sadqa Gunaaho ko is tarah khatm kar deta hai jis tarah paani aag ko bijhaa kar khaaktar kar deta hai ,"

 Musnad imaam Ahmad ,23/ 425
     
⚃➠Aur farmaya :-

"__ Jo Shakhs halaal kamaai se ek khajoor ke barabar Sadqa karta hai Kyunki Allah Kï taraf to rizqe halaal hi pahunchta hai ,

To Allah Ta'ala khajoor ke us sadqe ko apne Daaye haath ke saath qubool karta hai, fir is tarah uski parvarish karta hai jis tarah tum ghode ke Bachche Kï parvarish karte ho hattaki Wo Sadqa badhte badhte Pahaad Kï tarah ho jata hai,

 Muttafiq Alayhi/ Sahih Bukhari, 7429
        
⚃➠Aur farmaya:- Saat logo ko Allah Ta'ala apne arsh ka saaya ata farmayega ,Jis roz uske Siva koi aur saaya na hoga , Unme se ek Shakhs Wo hai Jisne is tarah Chhipa Kar Sadqa kiya k Baaye haath ko bhi pata nahi chala k uske Daaye haath ne kharch kiya hai ,"

 Sahih Bukhari, 1423 Sahih Muslim, 2377
        
⚃➠Aapne Farmaya :- Neki ke kaam Halaakat ke gadho se bachate Hai'n ,Chhipa kar kiya hua Sadqa Allah ke gusse ko bujha deta hai aur Silah Rahmi se Umar mai izaafa hota hai aur insaan Kï har Neki Sadqa hai aur Duniya ke Ahle maroof Akhirat mai bhi Ahle maroof honge ,

.    Sahih Jamia Sageer ,3796

   *
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Wo  Roza Jo insaan ko Jahannam se Door karta hai,*
     
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Jisne maidaane Jihaad mai ek din Roza rakha ,Allah Ta'ala uske chehre ko 70 saal Kï musafat tak Jahannam se door kar deta hai ,"

 Muttafiq Alayhi/ Sahih Bukhari ,2840
        
⚃➠Aur farmaya :- Jisne Allah Kï raah ( jihaad ) mai ek din Roza rakha, Allah Ta'ala uske aur Jahannam Kï aag ke darmiyan itni badi khandak ka faasla kar dete hai'n, Jitna k Asmaan aur zameen  ke darmiyan hai ,"

Sahih Sunan Tirmizi, 1325
     
⚃➠Aur farmaya :- Jannat mai ek darwaza hai Jiska Naam 'Rayaan " hai ,Qayamat ke din Roze daar usme dakhil honge ,unke alawa koi aur Shakhs usme se dakhil na ho sakega ,

Awaaz Aayegi ,Kaha'n Hai'n Rozedaar ?

Wo uthenge aur us darwaze se jannat mai dakhil ho jayenge ,fir Wo darwaza band kar diya jayega aur uske baad koi usme dakhil na ho sakega , 

.    Muttafiq Alayhi/ Sahih Bukhari, 1896
*
        ┅┅━━═۞═━━┅

          *☞ Roze Ki Fazilat ,*
     
⚃➠ Farmane Risalat hai :-

"_ Jisne Ba haalate imaan Sawab Kï niyat se Ramzan ke Roze rakhe ,Uske pichhle Gunaah maaf kar diye jate hai'n, "

  Muttafiq Alayhi/ Sahih Bukhari, 38
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"_ Jisne Ramzanul Mubarak ke Roze rakhe aur uske baad Sawwal ke Chhe ( 6 ) Roze rakhe to goya usne poore zamane ke Roze rakhe ,"

Sahih Muslim, 2750
     
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__ Har maah Teen Din ke Roze rakhna ,Sara saal Roze rakhne ke barabar hai ,"

 Muttafiq Alayhi /Sahih Bukhari ,1979
        
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Arfa ke Roze ke mutalliq sawal kiya gaya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__ usse guzishta aur Aa'inda saal ke Gunaah maaf kar diye jate hai'n ,"

 Sahih Muslim ,2739
        
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Ashura ke Din ke Roze Kï baabat puchha gaya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"_ Uske guzishta saal ke Gunaah maaf ho jate hai'n ,"

 Sahih Muslim ,2739
  *
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Hajj aur Umrah Ki Fazilat,*
     
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__ Ek Umrah doosre Umrah tak ,darmiyani muddat ke gunaaho ka kaffara hai aur Hajje mabroor ka badla Jannat hi hai ,"

 Sahih Muslim ,3276
        
⚃➠Aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Haaji aur Uske liye Ajro sawab ka tazkira karte hue Farmaya :-

"__ Haaji jab apne ghar se nikalta hai ,Uski sawari abhi ek qadam nahi uthaati k uske badle mai uske liye ek Neki likh di jati hai aur uska ek Gunaah mita diya jata hai,

Jab Wo maidaane arafaat mai khada hota hai ,Allah Ta'ala Asmaane Duniya per aa kar farmate hai'n, :- mere in paraganda haal aur gubaar alood bando ko dekho ,beshak maine inke gunaaho Kï maaf kar diya hai, Chahe Wo Asmaan ke qatro aur ret ke tah ba tah teelo ke zarraat ke barabar hi ho ,

Aur Jab Wo Jamaraat Ko kankriya'n maarta hai to koi nahi jaanta k Allah Ta'ala ne uske liye kya Ajr taiyaar kar rakha hai ,hattaki Haaji sar mundwata hai to uske liye Qayamat ke Din har Baal ke badle mai Jo uske sar se girta hai ,ek Noor hoga

Aur jab Wo Khaana e Kaaba ka aakhri tawaaf karta hai to Wo Apne Gunaaho se is tarah Paak saaf ho jata hai jese uski Maa'n ne use abhi janam diya hai ,"
    

.    Targeeb ,1115
*
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞  A'amaal Ko Barbaad Karne Wale Umoor ,*
     
➠ *Wo Amaal Jinko Allah Ta'ala Gubaar Ki Tarah Uda dega ,*
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__Yaqeenan mai Apni Ummat ke un logo ko Khoob jaanta hu'n Jo Roze Qayamat Allah ke darbaar mai pesh honge aur inki Nekiya'n tahama ke pahaado Kï tarah saaf shaffaf hongi ,Lekin Allah Ta'ala un Sab ko Gubaar Kï tarah uda dega ,

To Hazrat Sobaan Raziyallahu Anhu ne puchha :- Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam, Hume wazahat se bataiye k Wo Kaun Hai'n ? Kahi'n Wo hum hi na ho aur Hume pata hi na ho ?

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"_ Wo tumhare hi Bhai honge aur tumhari tarah gosht posht ke bane honge ,Lekin Wo ese log honge , Jab unhe Muharame ilaahi ke irtkaab ka moqa milega to esa karenge ,"

.    Sahih Sunan ibne maaja ,3424

* Yani Jab Unhe Gunaah Ka moqa milega to ye  Gunaah karenge ,
*
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ A'amaal Ko Barbaad Karne Wale Umoor ,*
     
*➠Roze Qayamat Ke Muflis ,*
        
⚃➠Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__Kya Tum jaante ho Muflis kon hai ?

Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya ,:-Hum to Usko Muflis kehte hai'n Jiske Paas Dirham v Dinaar hai'n na Saazo samaan ,

To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Meri Ummat mai se Muflis dar Haqeeqat Wo hai Jo Qayamat ke din apni Namazo ,Rozo aur Zakaat ko le kar Allah ke darbaar mai pesh hoga,

Fir ek Aadmi aayega ,Jisko usne gaali galoch kiya hoga ,Kisi per Zina Kï Tohmat lagayi hogi ,Kisi ka Maal khaya hoga ,Kisi ka khoon bahaya hoga ,Kisi zadokob kiya hoga, To uski Nekiya'n le kar in tamaam ko de Dï jayengi ,

Fir agar uski zyadtiyo ka ye qarz ada hone se Pehle uski Nekiya'n khatm ho gayi to un logo ke Gunaah le kar uske ouper daale jayenge aur akhir usko utha kar Jahannam mai faink diya jayega_"
    

.    Sahih Muslim ,6522

   *
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ A'amaal Ko Barbaad Karne Wale Umoor ,*
     
*➠Roze Qayamat Har Haqdaar Ko Haq Diya jayega,*
        
⚃➠Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"_ Jo Shakhs Apne Bhai per Uski izzat ya kisi aur maamle mai koi Zulm kare to use chahiye k usi Roz Usse maafi maang le ,isse Pehle k Wo Din aaye Jab uske paas na koi Dirham hoga na Dinaar ,

Agar uska koi achcha Amal hua to Wo us Zulm ke badle usse le liya jayega ,aur agar Uske A'amaal naame mai koi Neki na hui to us mazloom Kï buraiya'n le kar Zaalim per daal Dï jayengi ,"

 Sahih Bukhari ,6534
     
⚃➠ Aur Farmaya :- Roze Qayamat har Haqdaar ko uska Haq diya jayega ,Hattaki Be Seeng Bakri ko Seeng wali Bakri se badla dilwaya jayega ,"

 Sahih Muslim ,6522
   
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ A'amaal Ko Barbaad Karne Wale Umoor ,*    
        
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-

"__Baaz dafa Banda zabaan se esi baat karta hai Jiski Tabaah kari aur Hashr ka usko andaz nahi hota aur Wo us ek baat Kï vajah se Mashriq v Magrib Kï darmiyani musafat se bhi Zyada Jahannam mai gir jata hai ,"

 Muttafiq Alayhi /Sahih Bukhari, 6477
     
⚃➠ Aur Farmaya :- Us Shakhs ke liye Halaakat v tabaahi hai Jo kisi Qaum se baat karta hai, fir isliye jhoot bolta hai k Wo unko hansaaye ,Uske liye tabaahi hai ,uske liye tabaahi hai ,"

 Musnadul imaam Ahmad ,33/ 225
       

        
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"_ Tahband vagera ka Jo hissa takhno se niche raha ,Wo Aag mai hoga _"

 Sahih Bukhari ,5787
     
⚃➠ Aur Farmaya :-

"__ Allah Ta'ala ko bhi gairat aati hai aur Allah Ta'ala ko gairat us waqt aati hai ,Jab insaan ese Kaam ka irtkaab karta hai Jisko Allah Ta'ala ne us per haraam kar diya hai _"

 Muttafiq Alayhi / Sahih Bukhari,5223
        
        
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__ Jisne ( Jhooti ) qasam ke zariye kisi Musalman ka Haq maara ,Allah ne us per Jahannam Waajib aur Jannat Haraam farma Dï hai ,

Ek Shakhs ne kaha ;- Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Chahe Wo cheez mamooli ho ?

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Agarche Wo peelu ke darakht Kï Shaakh hi ho _"

 Sahih Muslim ,351
     
⚃➠ Aur Farmaya :-

"__ Jab Banda kisi per laanat karta hai to laanat Aasmaan Kï taraf chadti  hai ,lekin Assmaan ke darwaze uske liye band kar diye jate hai'n ,fir Wo uske Daaye Baaye raasta talash karti hai , Jab use dakhil hone ka koi raasta nahi milta to Wo usi ki taraf lot ti hai ,

Jis per laanat bheji gayi thi agar ,agar to Wo Shakhs us laanat ka mustahiq ho to theek ,varna Wo laanat karne wale Kï taraf palat jati hai ,"
       

.    Sahih Sunan Abu Daowd, 4099

   *
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ A'amaal Ko Barbaad Karne Wale Umoor ,*
     
*➠ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__Us zaat Kï qasam Jiske haath mai meri jaan hai ! Agar tum Gunaah na karo to Allah tumhe khatm kar ke ESE log paida farmayega Jo Gunaah karenge , fir Allah se Apne kiye Kï maafi maangenge aur Woh unhe maaf farma dega _"

 Sahih Muslim ,6899
        
⚃➠ Aur Farmaya :-

"__Jab Musalman kisi galti aur Gunaah ka irtkaab karta hai to Daayi taraf betha farishta chhe Sa'aat tak apne Qalam ko roke rakhta hai ,fir agar Wo Apne kiye per naadim v pasheman ho kar Allah se bakshish ka talabgaar ho to Wo farishta apna qalam pichhe hata leta hai ( likhne se baaz rehta hai,) varna ek Gunaah likhta hai ,_" 

 Sahih Jamia Sageer ,2097    

⚃➠Aur Farmaya :-

"__Jab Banda koi Gunaah karta hai to uske Dil per ek siyaah nishan pad jata hai, agar Woh us Gunaah se dast bardaar ho jaye aur Tauba kar ke Allah se maafi maang le to uska Dil dobara saaf ho jata hai,

Lekin agar Wo dobara Gunaah ka irtkaab kare to Wo nishan badh jata hai aur akhir badhte badhte poore Dil ko Siyaah aur zang alood kar deta hai aur yahi Wo Zang aloodgi hai Jiska zikr Allah Ta'ala ne Qur'an Majeed mai is tarah kiya ," Asal baat ye hai k unke Dilo per inki bad Amaaliyo ka zang chad gaya hai _"
       

.    Sahih Bukhari ,6306
*
        ┅┅━━═۞═━━┅

       *☞ Jald Tauba Kijiye*
     
*➠ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__Us zaat Kï qasam Jiske haath mai meri jaan hai ! Agar tum Gunaah na karo to Allah tumhe khatm kar ke ESE log paida farmayega Jo Gunaah karenge , fir Allah se Apne kiye Kï maafi maangenge aur Woh unhe maaf farma dega _"

 Sahih Muslim ,6899
        
⚃➠ Aur Farmaya :-

"__Jab Musalman kisi galti aur Gunaah ka irtkaab karta hai to Daayi taraf betha farishta chhe Sa'aat tak apne Qalam ko roke rakhta hai ,fir agar Wo Apne kiye per naadim v pasheman ho kar Allah se bakshish ka talabgaar ho to Wo farishta apna qalam pichhe hata leta hai ( likhne se baaz rehta hai,) varna ek Gunaah likhta hai ,_" 

 Sahih Jamia Sageer ,2097    

⚃➠Aur Farmaya :-

"__Jab Banda koi Gunaah karta hai to uske Dil per ek siyaah nishan pad jata hai, agar Woh us Gunaah se dast bardaar ho jaye aur Tauba kar ke Allah se maafi maang le to uska Dil dobara saaf ho jata hai,

Lekin agar Wo dobara Gunaah ka irtkaab kare to Wo nishan badh jata hai aur akhir badhte badhte poore Dil ko Siyaah aur zang alood kar deta hai aur yahi Wo Zang aloodgi hai Jiska zikr Allah Ta'ala ne Qur'an Majeed mai is tarah kiya ," Asal baat ye hai k unke Dilo per inki bad Amaaliyo ka zang chad gaya hai _"
       

.    Sahih Bukhari ,6306

   ╟❥ *Alhamdulillah_____*   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄• 
                                     
 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*
     ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶

       

No comments:

Post a Comment