▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Chaar Mahine Ki Shara'i Haisiyat*
↬• Chaar Mahine agar Sahi Usoolo ke mutabiq Akaabir ki Hidayat ki Roshni mai lagte hai'n to isse insaani zindgi mai khaasi tabdiliya'n aati hai, islami mizaaj banta hai, Pehle Chille se Jang door hota hai ,Doosre Chille se Rang aata hai aur Teesre chille se dhang aata hai,
★• Teen Chille yani Chaar Maah ka Asar insaani tabiyat per iske asraat ka andaza is Aayate Kareema se bhi hota hai Jisme insaan ki ibtidayi Khalqat ke bare mai batlaya gaya hai,
"__Dekhiye Jab nutfa Rahame Maadar mai qaraar pakadta hai to Pehle Chille mai WO nutfa Alaqa ( yani bandha hua khoon ) banta hai aur Doosre chille mai Mudga ( gosht ki boti ) aur Teesre Chille mai Us mudga ke baaz A'aza ko haddiya'n bana diya jata hai aur un Haddiyo'n per gosht chadhta hai fir uske baad ( Yani Chaar Mahine ke baad ) usme jaan padti hai ," *( Surah Mominoon ,13-14)*
★ • Maloom hua k Agar Chaar Maah mai jismani takmeel ki tarah agar sahi usoolo ka lihaaz ho to roohani takmeel bhi hoti hai ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Dawat dena Alag Farz hai aur Amalkarna Alag Farz hai*
↬• Baaz log Ye aitraaz karte hai k Pehle khud tum Amal karo fir doosro ko kaho ,
★• Jo log is tarah aitraaz karte hai unhe samajh lena chahiye k Dawat dena Alag Farz hai aur Apni zaat se khud Amaal ko anjaam dena ye Ek mustaqil Farz hai , Esa ho sakta hai k Ek Aadmi khud muttaqi parhezgar nahi hai lekin doosro ko Dawat dena chahiye , Albatta Jaanne ke bavjood Uska Amal na karna uski saza uske liye Alag hogi aur Amal ke saath Jo Dawat hoti hai wo zyada Asar daar hoti hai,
★ • Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k humne arz kiya k,
Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ! Hum Nek kaamo ko na kaha kare jab tak khud Amal na kare aur na bure kaamo se roka kare jab tak k khud unse na bache ,
( Nahi ) Balki Nek kaamo ko kaha karo agarche na kar sako aur bure kaamo se roka karo agarche khud un Sabse na ruk sako ," ( Tabrani , Awsat )
★.is Hadees se pata chala hai k Jo Amal na kare uske liye bhi Haq nasihat hai ,wo logo ko Dawat de sakta hai, ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Deen Ke Mukhtalif Shobe ek Doosre keMadadgaar Hai'n ,Muqabil nahi*
↬• is daur ki sabse badi galat fahmi ye hai k Deen ke mukhtalif Shobo ko Jo ek Doosre Ke madadgaar hai'n gair shaouri tor per muqabil samajh liya gaya hai ,
★• Tareeqa agarche mukhtalif ho lekin sabka ek hi maqsood hai k Khuda aur Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki sahi maarfat ke saath unke bataye hue ahkaam unhi ke aqwaal v irshadaat ki Kaamil Roshni mai Amal karne wale ban jaye ,Lekin afsos k maqsad aur manzil ke mukammal tareeqe se nigaaho ke saamne na hone ne Deen ke in mukhtalif Shoba e jaat mai Logo ko aapas mai dast gireba ( ek Doosre ka mukhalif ) kar diya hai , har Shakhs Apne tareeqe ko sahi ko durust qaraar dene per tula hai ,Halanki ye tamaam Shobe baik waqt shar'an matloob hai,
★ • Kisi bhi Shobe ko muattal bekaar nahi kaha ja sakta ,Madarse ki line ho k Khaanqahi line ho ya Tabligi nizaam ho ,Ye tamaam Shoba e jaat aur unki afadiyat Muslim hai ,
★. Daure nabuwat se le kar mojooda zamane ki tareekh per nigaah daale k sahi Deen ki khidmat Sahi afraadkari aur rijaal saazi aur ahadgiri ka kaam unhi logo ne anjaam diya hai jinhone in Deen ke teeno mukhtalif aham Shobo ko bek waqt saath le kar chalne ki koshish ki hai ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Deen Ke Mazboot qile*
↬• Allama Sayyad Salman Nadvi Reh Deen ke in mukhtalif Shobo ke ek waqt matloob hone aur Deen ki sarsabzi v shadaabi inhi Teeno umoor ke saath marboot hone ko batlate hue likhte hai'n :--
★• Ummate muslima faraize nabuwat mai se Dawat e Khair aur Amr bil maroof aur nahi anil munkar mai jaanashee hai ,isliye Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko kaare nabuwat ke Jo Teen farz ata kiye gaye , *Tilawat ke ahkaam ,Taleem Kitaab v Hikmat aur Tazkiya* ye Teeno farz ummate muslima per bator kifaya aa'id hai'n ,
★ • Isliye Tamaam Akaabire ummat ne in Teeno farizo ki adaygi mai poori tavajjoh aur koshish shamil farmayi hai aur inhi ke mujahido ka noor hai Jisse Kashana islam mai Roshni hai ,
★.Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne in Teeno faraiz ko bahusn v khoobi anjaam diya hai ,logo ko ahkame ilaahi aur Ayaate rabbani padh kar sunate aur unki kitaabe ilaahi aur hikmate rabbani ki baate sikhate ,aur isi per iktfa nahi kiya balki apni Sohbat Faiz taseer aur tareeqe tadbeer se paak saaf bhi kiya , nafs ka tazkiya farmaya, Dilo ke amraaz ka ilaaj kiya aur buraaiyo ke zung v mail ko door karke akhlaaqe insaani ko nikhaara aur sanwara,
★• Chunache Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum aur unke baad Tabaieen aur Taba Tabaeen ke Teeno zamano tak ye Dono zaahiri aur Baatini kaam isi tarah saath rahe , Jo ustaad they WO Shekh they aur Jo Shekh they WO ustaad they ,
*__ Hindustan mai Jin buzurgo ke dam qadam se islam ki Roshni faili WO haqeeqat mai wahi they jinki zaat mai ( Dawat Tablig ke saath Saath ) madarsa aur Khanqah ke kamalaat ki jaamiyat thi ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Masjid Dawat Ka Markazi Maidaan Hai*
↬• Dawat Tablig mai Rasulullah Sallallahu Ki itteba v Pairvi mai uski tareqe ko apnaya hai Jis waqt Aap Sallallahu Alaihivasallam ne maqame Quba mai bani Abdul daar ke Yaha'n theharne ke baad Apne Dawat ke kaam ke liye Masjid E Quba ki buniyad rakhi thi ,
★•ese hi Jis waqt Aap Sallallahu Alaihivasallam ki ountni Aap Sallallahu Alaihivasallam ke nanihali rishtedar banu najjar ke mohalle mai beth gayi thi to Aapne Yaha'n bhi sabse pehle Masjid ke liye mansooba bandi ki thi aur Apne Dawati kaam ke liye iski tameer Shuru farma di thi ,
★ • Tablig Jama'at ne Masjid ko Apni Dawat ke liye bator Markazi Muqaam ke istemal kiya hai , islam mai Masjid ko Power House ki haisiyat haasil hai , Chunki ilm bhi yahi se haasil kiya jata hai aur mukhtalif ibaadate Namaz ,Zikr v azkaar ,Dua ,Tilawat ke zariye roohani tazkiya aur islahe baatin ka kaam bhi yahi se anjaam pata hai,
★. Masjid mai hi Adaabe zindgi seekhe jate hai'n ,aur Husne Akhlaaq ka dars bhi yahi se liya jata hai, Chunki masjide khamoshi aur sukoon v waqaar ki gumaz hoti hai aur Yaha'n roohani pakeezgi aur Jismani Taharat ek waqt haasil hoti hai, Apne ahlo ayaal aur Narm bistaro ko chhod kar Apne Ran ki taraf kaamil mutavajjah ke saath masjid mai aitkaaf ki niyat se shab guzari karte hai'n ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Ummate Muslima Ka Fariza*
↬• Qur'an e Paak aur Ahadees Sahih se ye saabit hai k Ummate muslima Apne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki itteba mai Poori ummat ke liye mabous hai ,is ummat ko bahar hi is vajah se nikala gaya hai k Ye Dawat v Tablig aur Amr bil maroof v nahi anil munkar ke farz ko anjaam de ,Jesa k Qur'an e Paak mai irshad hai k ,
"__Tum Ey musalmano ! behtreen ummat ho Jo logo ke liye zaahir ki gayi ,Achchhe kaamo ko batate ho aur bure kaamo se rokte ho _,"
★• Aalam ki khidmat aur unme Khair ki Dawat aur Buraaiyo ko rokna ,Bhalaiyo ko failana is ummat ki paidaish ka maqsad hai ,Esi haalat mai agar ye ummat apne is farz se gaflat barte to ye Apni zindgi ke maqsad se moonh modne wale hai'n ,
★ • Har zamane mai ummate muslima per ye farz kifaya hai k iski kuchh Jama'at is kaam mai lagi rahe aur agar isse Musalmano ki har Jama'at ne pehlu tahi ki to saari ummate muslima gunahgaar hogi aur agar kuchh Jama'ato ne is farz ko anjaam diya to ye farz poori ummat ki taraf se ada ho jayega ,
★. Qur'an e Paak ka irshad hai k ,
"__Aur chahiye k Tumme ek Jama'at esi rahe Jo logo ko Neki ki Dawat karti rahe aur achchhe kaamo ki Taleem deti rahe aur buri baato se rokti rahe aur yahi WO log hai'n Jo falaah ko paane wale hai'n ,"
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Ummate Muslima Jaanasheen e Nabihai*
↬• Ummate Muslima faraize nabuwat mai Dawate Khair aur Amr bil maroof nahi anil munkar mai Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki jaa'n nasheen hai ,
★• isliye Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko Kaare nabuwat ke Jo Teen farz ata hue hai'n :- Tilawate ahkaam ,Taleeme Kitaab v Hikmat aur Tazkiya , ye Teeno farz ummate Muslima per bhi bator kifaya aa'id hai'n ,
★ • Chunache Aap Sallallahu Alaihivasallam ke baad Sahaba Kiraam Razyallahu Anhum aur Taabai v Tabe taabai aur Akaabir Aaimma e ummat ne in Teeno farizo ki adaygi mai poori tavajjoh aur koshish farmayi , aur inhi ke mujahido ka noor hai Jisse kashaane islam mai Roshni hai ,
★. Nabuwat ke Ye Teeno farz is Aayat mai bayan hue hai'n :--
"__Ek Rasool aur unhi mai se Jo Allah ki Aayato ko padh kar sunata aur unki Paak v Saaf karta aur Kitaab aur Hikmat ki Taleem deta hai ,"
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Taleem aur Tazkiya Ki Yakjaai*
↬• Haasil ye hai k Ummate Muslima ke mizaaj ke mutabiq ye zaroori hai k Daa'i ,Dawat aur tareeqe Dawat Teeno cheeze theek theek tareeqa e nabuwat aur uswa e nabuwat ke mutabiq ho ,
★• Daa'i khud bhi Qalban aur Qaliban Daa'i e Avval Janabe Muhammad Sallallahu Alaihivasallam se nisbat rakhta ho , Jis had tak ye nisbat qavi hogi Dawat mai taseer aur kashish paida hogi , fir zaroori hai k ye Dawat wahi ho yani Khaalis islaam v imaan aur Amale saleha ki Dawat ho ,
★ • Fir Dawat ka tareeqa bhi wahi akhtyar kiya jaye Jo Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne akhtyar farmaya tha , Jis had tak in Teeno umoor mai ahade Risalat v nabuwat ke saath qurb v munasbat jitni zyada hogi ,Utni hi zyada Dawat ki quwwat mai taseer aur Dawat ke daayre mai wus'at paida hogi aur zalalat se hifazat aur siraate mustaqeem ki taraf rahbari ki taaqat mai izaafa hoga,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Tablig Ki Ahmiyat*
↬• Hakimaana Tablig v Dawat Amr bil maroof nahi anil munkar islam ke jism ki reedh ki haddi hai ,is per islam ki buniyaad ,islam ki quwwat, islam ki wus'at aur islam ki kaamyabi munhasir hai ,
★• Aur Aaj Sab zamano se badh kar iski zarurat hai ,aur gair muslimo ko Muslim banane se zyada aham aur zaroori kaam Musalmano ko Musalman, Naam ke Musalmano ko Kaam ka Musalman aur qavi Musalmano ko Deeni Musalman banana hai , Haq hai k Aaj Musalmano ki haalat dekh kar Qur'an e Paak ka Ye farman ," Ey imaan walo ! Imaan lawo ," ( Yani Ey Musalmano Pakke Sachche Musalman bano ) ,
★ • Qur'an e Paak ke is farmaan ko ,is Nida ko Poore Zor Shor se buland kiya jaye k Musalmano sachche aur Pakke Musalman bano ,Shehar Shehar ,Gaanv Gaanv aur dar dar fir kar Musalmano ko ( Haqeeqi ) Musalman banane ka kaam kiya jaye ,aur is Raah mai jafakashi ,Mehnat kashi aur Himmat aur mujahida kiya jaye ,
★. Aur is maqsad ko haasil karne ki khaatir apni azeez cheezo ko qurban karne aur har rukawat ko beech mai se hatane ke liye har mumkin koshish ki jaye ,Kashis se koshish se ,Jaan maal se ,har raah se isme qadam aage badhaya jaye aur maqsad ko haasil karne ke junoon ki kaifiyat apne andar paida ki jaye ,Jiske bager Deen v Duniya ka na koi kaam hua hai aur na hoga ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Ahle ilm aur Ashabe fazal v kamaal kikhidmat mai darkhwast-
↬• Ey Arbaabe ilm aur Ashabe fazal v Kamaal ! Tablig ka Dawati kaam hamare Akaabir v aslaaf aur hamare masha'ikh ka qeemti sarmaya aur unki miraas hai ,Jisko unhone Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki niyabat mai ummat mai Deeni bedaari ke liye Qur'an v Hadees ki Roshni mai Shuru kiya aur iske liye Usoolo Adaab hudood mutaiyan kiye ,
★• Ab is kaam ki zimmedari hamare Aapke kaandho per hai ,Akaabir Aslaaf ko Jo karna tha kar ke chale gaye ,Ab hamari Baari hai ,humko apne Awaam ko sambhaalna aur unko le kar chalna hai ,
★ • is Dawat Tablig ke kaam ko Jisko hamare Akaabir ne Goya khoon paseene se seencha hai ,is kaam ki hifazat karni hai ,isme Jo khas v khashak aur rode v kaante dakhil ho gaye unko ho unko door kar ke is kaam ko le kar chalna hai aur Apne Deeni Bhaiyo ki sarparasti karni hai ,
★. Hamare liye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne badi shifarishe farmayi hai'n ,Ummat ko Ulma Kiraam ki takreem v tazeem ka hukm diya hai , Ye bhi Sifarish farmayi k unki lagzisho ko maaf kar diya karo , Ye bhi farmaya k Jo unka ikraam na kare uska humse koi talluq nahi aur misaal de kar farmaya :-
"__is rooe Zameen per Ulma ki misaal Asmaan ke sitaaro ki si hai jinse khushki aur tari ke andhero mai rehnumayi haasil ki jati , Jab ye sitaare be noor ho jaye to bahut khatra hota hai k Raaste chalne wale bhatak jaye ,"
*
↬• Tablig Awaam per bhi farz hai aur Aap per bhi farz hai, Ye kaam har ek ke zimme hai ,
★• Ye tareeqa Jo hai k Ulma aitraaz kare muballigeen per aur muballigeen aitraaz kare Ulma per , isse zof aur takraav paida hoga aur Jo kaam ho raha hai Wo bhi ruk jayega ,
*__Ab agar Ulma hazraat Tablig ke muqabil aa jaye aur Jama'ate Tablig Ulma ke muqabil aa jaye aur Jama'at yu kehne lage k Ulma ka kaam sirf ye hai k Wo madarse mai kitaabe padhaye inke paas Dawat ka kaam nahi hai ,aur Ulma yu kahe k Jaahil log Tablig ka kaam karte hai'n, inko shaoor nahi hai ,to isse takraav paida ho jayega ,lihaza zaroori ye hai k ek jama'at doosre se mil kar kaam kare , Tabligi hazraat logo mai Deen ke jazbaat. paida kare aur Ulma Hazraat makaatib qaayam karte chale jaye ,
★ • isliye humko Do kaam karne honge Ek to baatini sabab ke darje mai Wo ye k. istigfaar v Tauba ke saath Allah Ta'ala se baar baar Dua maangna , Doosra Zaahiri sabab ke darje mai ye hai k Apne Akabireen Kï hidayaat v tambihaat se istefada karna hoga , Maslan Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh ke malfuzaat aur Wo maktubaat Jo Hazrat Maulana Sayyad Abul Hasan Nadvi reh ke Naam tehreer farmaye , in hidayaat Kï roshni mai Aap mehsoos karenge k musalsal kaam karne Kï aur kaam ko aage badhane Kï zarurat hai ,aur abhi bahut kaam baqi hai ,
★. Kyunki Hazrat Maulana ilyaas Sahab reh ke farmaan ke mutabiq to ye chalat firat hamare kaam Kï ibtida aur Alif Ba Ta hai ,aur Asal maqsad Ummat ko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqo per Lana hai aur Deen ke Sare Shobe zinda karna hai aur Sare Shobo ke zinda karne ke liye Qur'an v Hadees Kï tashreeh v Taleem ke liye Hakimul Ummat Hazrat Thaanvi Reh Kï talimaat se bhi Faayda uthana hai ,Jisko Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh ne farmaya tha k mera Ji chahta hai k Tareeqa mera aur Taleem Hazrat Thaanvi Reh Kï ho ,
★• Ashabe Tablig ke awaam aur Khawaas ke liye badi sa'adat balki zimmedari Kï baat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke farmaan ke mutabiq Apne Ulma se Wo Rabt v bartaav rakhe jiski Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Ummat ko hidayat aur Sifarish farmayi hai ,
"__ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,mai Apne baad wale khulfa ko Allah Ta'ala se darne Kï wasiyat karta hu'n aur Wasiyat karta hu'n k in Ulma Kï izzat kare ,"
*
↬• Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Jo Shakhs hamare bado ki tazeem na kare ,hamare bachcho per Raham na kare aur hamare Aalim ka Haq na pehchane WO meri ummat mai se nahi ," ( Muntakhab Ahadees ,150)
★• Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Zawiul hayyiaat hazraat ki lagzisho aur khataye'n nazar andaz yani maaf kar diya karo ilaa ye k Jiska hudood se talluq ho ," ( Abu Daowd) ,
"__ isme Ulma ,Masha'ikh ,Aaimma e Masajid aur Ashabe Madaris vagera sabhi shamil hai'n jinki galtiyo'n ko maaf karne ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne sifarish farmayi hai ,
★ • Aapne irshad farmaya:- is rooe Zameen Ulma ki misaal Asmaan ke sitaaro ki si hai, Jinse Rehnumai haasil ki jati hai ,( Musnad Ahmad)
"__ Muraad ye hai k Ulma ke na hone se log gumraah ho jate hai'n_" ( muntakhab Ahadees, 308 )
★. Bila Shunha Ulma Kiraam minara e ilm aur Hidayat ke Roshan chiraag hai'n, Unse Raabta rakhte hue ,apne kaamo mai unko Shareek karne ki koshish karna chahiye, unse Roshni haasil karna chahiye ,aur Adaab ki ri'ayat aur hamesha unka istehzar rakhna chahiye ,
★• Dawat Tablig ke bahut se tareeqe hai'n, WO bhi Tablig ke mukhtalif tareeqe akhtyar kiye hue hai'n,Hum unse aajizana darkhwast kar ke apne kaamo mai unko shareek kare ,unki hidayaat aur unke mashwaro ko khaas Ahmiyat aur tarjeeh de aur koshish kare k har ilaaqe mai Tablig ka kaam ka Zimmedar aur Ameer Nayabe Rasool ,Nabi ka Janasheen ,Yani Aalim e Deen hi ho ,iski koshish aur iska intezar na kare k Jab poore tor per kaam mai shareek ho tab hi hum unki niyabat ko qubool kare balki unki thodi si qurbani aur Shirkat v himayat ko bhi ganimat Jane aur unki sarparasti haasil kare ,Unke mashwaro ko tarjeeh de ye na samjhe k ye Dawat Tablig ka kaam nahi kar rahe ,WO bhi Deen ke bahut se Shobo ki zimmedari liye hue hai'n balki WO Jo Deeni kaam kar rahe hai'n unke kaamo mai bhi hamara ta'awun aur Shirkat hoti rehni chahiye,
↬• Humko chahiye k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke farman ke mutabiq Ahle ilm ke Huqooq wajiba aur Huqooq nafila ko maloom kare aur unko ada karte rahe ,in Sha Allah WO hamare Kaam mai shareek honge aur hamari rehnumai karenge ,
★• Shaitaan aur Dushmanane islam ki sazish hi hai k Awaam v khwaas ,Ulma v Awaam ,Ahle madarsa v Ahle Tablig, Ahle Tablig v Ahle khanqah mai aapas mai doori kar de aur Awaam ka Ulma se raabta kaat de ,Sab ek doosre se takrane lage , aur apne Ulma v Akaabir ( jinki tazeem v takreem ka Hume hamare Nabi Sallallahu Alaihivasallam ne humko hukm diya hai ) ki mukhalfat kar ke unse muqabla karne lage ,
★ • Esa karenge to hum Allah Ta'ala ki nusrat se mehroom aur Past Himmat ,Kam Himmat aur kamzor hote chale jayenge ,
★. Hum Sab ek doosre ke Khair khwaah hai'n ,Bad khwaah nahi ,Haleef hai'n Hareef nahi ,Rafeeq hai'n Fareeq nahi ,Mufeed hai'n Muzir nahi ,Muawin hai'n muqabil hani ,is tarah Sab ko mil kar ek doosre ka ta'awun karte hue kaam karna hai aur Dushmanane islam ki saazish v koshish ko nakaam karna hai ,
★• Beshaq Shaitaan logo mai fasaad daal deta hai, waqayi Shaitaan insaan ka sareeh Dushman hai ,( Para -5 ,Surah Bani israiyl ,)
"_Aur Musalman Mard aur Musalman Aurte'n ek doosre ke Deeni Rafeeq hai'n, Nek baato ki Taleem dete hai'n aur buri baato se rokte hai'n, ( Surah Tauba ,)
,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Sahaba Kiraam ka Allah ke Raaste mai nikalne ka Shoq v Ragbat -
↬• Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k agar teen baate na hoti k -
1- Allah ke Raaste mai Safar karna ,
2- Apni peshani ko Allah ke liye Sajde mai tekna ,
3- Apni qaum ke paas bethna Jo umda baate chunti hai ,Jese k achchhi khajoore chuni jati hai'n, ( yani hadees Paak ke halqe )
To mujhe Allah se mil Jana ( yani mar Jana ) zyada Mehboob tha ,
*- Hayatus Sahaba ,1/485*
★• Ibne Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Gazwa e Badar mai mai'n Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai Allah ke Raaste mai chalne ke liye pesh kiya gaya ,Aapne mujhe chhota samjha aur Apne saath le Jane ke liye qubool nahi kiya ,
"_Mere ouper kabhi bhi esi sakht Raat nahi guzri thi ,ranj ki vajah se saari Raat neend nahi aayi aur mai'n rota hi raha ,
"__Jab Aa'inda saal aaya to mai'n chalne ke liye pesh kiya gaya Aapne manzoor farma liya ,Maine is baat per Allah ka Shukr ada kiya ,
*- Hayatus Sahaba, 1/485*
*
↬• Abu Nofil farmate hai'n k Haaris bin Hishaam Raziyallahu Anhu Makkah se nikle ,Ahle Makkah ko unki rawangi se intehaai qalq tha ,Koi Roti khane wala Makkah mai esa nahi bacha Jo unhe pahunchane na nikla ho ,
★• Jab ye Makkah se chal kar Butha ya kisi aur Muqaam per jaha'n Allah ne chaha khade hue ,log bhi unke ird gird khade ro rahe they ,Jab unhone logo mai ye ghabrahat dekhi to kaha :-
"_ Ey logo ! Khuda ki qasam mai tum logo se naraaz ho kar nahi ja raha hu'n aur na ye k ek Shehar chhod kar doosra Shehar akhtyar kar raha hu'n lekin ye Amr ESA hai k Jiske liye Quresh ke kuchh log nikle they Jo na khandaani they, aur na Daulat mand they, WO is Amr ki badolat humse aage bad gaye ,
★ • Khuda ki qasam agar Makkah ke pahaad sone ke ho jaye aur hum unko Allah ke Raaste mai kharch kar de tab bhi hum unke ek Din ke sawab ka muqabla nahi kar sakte ,
★. Khuda ki qasam agar hum log Duniya mai is fazliat ko gum kar chuke hai'n to hamari ye Talab v Aarzoo hai k Akhirat mai to unke shareek ho jaye'n ,Allah ke nazdeek zyada muttaqi WO hai jisne is kaam ko kiya ,
★• Ye keh kar Mulke Shaam ki taraf rawaana ho gaye apne saath apne ghar walo ko bhi le gaye aur wahi jaa kar Shaheed ho gaye,
*- Hayatus Sahaba, 1/459*
----*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Allah Ke Raaste Ka Gubaar Jannat Ki khushbu hai*
↬• Rabi'a bin Zaid Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam darmiyani raftaar se chale ja rahe they k Achanak Aapne ek Qureshi Jawan ko dekha k Raaste se hat kar chala ja raha tha,
Aapne farmaya k Kya ye fala'n Shakhs nahi ?
Logo ne kaha Haa,'n !
Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne usko bulwaya aur puchha k Tum Raaste se hat kar Kyu chal rahe ho ?
Usne kaha :- gubaar ( dust ) ki vajah se ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- Qasam hai us zaat ki Jiske qabze mai meri jaan hai Beshak ye bhi ek qism ki Jannat ki khushbu hai _,"
*- Hayatus Sahaba, 3/513 Majmauz Zawa'id, 5/287*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Allah Ke Raaste mai Paidal Chalna*
↬• Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu farmate hai'n k mai'ne Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se suna hai ,
"__Aap farmate they k kisi Bande ke Allah ke Raaste mai Dono qadam gubaar Aalood nahi hue ,magar Allah Ta'ala un dono qadmo per Aag Haraam kar deta hai,"
Ye Sun kar Maalik Raziyallahu Anhu aur tamaam Log Apni sawariyo se utar kar paidal chalne lage , Chunache Aaj ke Din se zyada pyada ( Paidal )chalne wale na dekhe gaye ,_"
*- Hayatus Sahaba, 1/514,*
*★• Faayda,* _ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad Sun kar Sahaba Kiraam per ek Shoq ki kaifiyat aur halaat taari ho gaye , is jazbe mai aa kar sawari se utar kar paidal chalne lage ,Varna sawari hote hue paidal chalna shar'an matloob nahi hai ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Allah Ke Raaste mai Nikalna Chhod kar Khaiti mai mashgool ho Jane Walo ke liye Wa'iyd*
↬• Yahya bin Abi Umru Shibaani farmate hai'n k Ahle yaman ki ek Jama'at Hazrat Abdullah bin Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ke paas haazir hui aur usne Hazrat Abdullah se kaha k,
"__ Aap us Shakhs ke bare mai kya farmate hai'n Jo islam laya aur uska islam intehaai achchha raha aur usne Hijrat ki uski Hijrat bhi behtreen saabit hui aur usne Allah ke Raaste mai mehnat ki aur uski ye Allah ke Raaste ki mehnat bhi achchhi rahi ,Fir WO Apne maa'n baap ke paas yaman chala gaya unke saath intehaai husne sulook aur Raham ka bartaav kiya ,
Hazrat Abdullah ne farmaya:- Tum log khud uske bare mai kya kehte ho ?
Un logo ne arz kiya, Hum logo ka khayal ye hai k WO ulte payro fir gaya ,
★• Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu ne farmaya, Nahi WO murtad nahi balki Jannat mai hai ,Ab mai tum logo ko esa Aadmi bataye deta hu'n Jo Apni aydiyo ke bal waapas ho gaya ,
"__Wo Shakhs hai Jo islam laya aur uska islam bahut achchha saabit hua aur Hijrat ki aur uski Hijrat bahut behtar rahi aur Allah ke Raaste mai mehnat ki aur Apni mehnat mai bhi achchha raha ,
"__Uske baad usne Kisi Nabti kisaan ki Zameen ka iraada kiya aur usko jaziya aur lagaan per liya fir us Zameen mai mashgool ho gaya ,Din Raat usi ki sarsabzi ki fikr rahi aur Allah ke Raaste ki mehnat chhod betha , Pas ye Shakhs WO hai Jo Apni aydiyo ke bal waapas ho gaya,
*- Hayatus Sahaba, 1/5-8
---*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Allah Ke Raaste mai Nikalne mai Niyat Khaalis na ho to koi Ajro Sawab nahi*
↬• Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ek Shakhs ne Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazri ho kar arz kiya :-
Aap farmaiye k ek Aadmi ne ujrat aur Shohrat ki garz se Allah ke Raaste mai Shirkat ki uske liye kya sawab hai ?
"__Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
Uske liye koi sawab nahi ,"
Us Aadmi ne teen martaba Aapse daryaft kiya har martaba Aapne farmaya :-
Uske liye koi Ajr nahi ,
Fir Aapne farmaya k Allah Ta'ala kisi Amal ko qubool nahi karta jab tak k WO khaalis Allah ki raza mandi ke liye na ho _,"
*- Hayatus Sahaba, 1/533*
❈…… .. _*Ameere Jama'at Kam Umar ya Kam darje ka ho uske saath bhi Jana chahiye*
↬• Muhammad bin Sureen farmate hai'n k Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu Ke Saath gazwa Badar mai Shareek hue ,Fir ye hamesha Musalmano ke har gazwe mai shareek hote rahe ,
★• Magar ek saal gazwa mai nahi gaye ,isliye k Ameer Nav Umar ko muqarrar kiya gaya tha , Us Saal ye ghar bethe rahe lekin is baat ka baad mai hamesha afsos karte rahe aur farmate rahe k mera kya harj tha koi bhi Ameer banaya jata ,
★ • Maloom hua k Jama'at mai Jane ke liye ye na dekhe k Ameer kaun hai ,Allah ke Raaste mai Allah ke waaste nikle ,Allah usko zaroor nawazenge ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Allah ke Raaste mai nikalne Ke sawab ka Andaza*
↬• Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Abdullah bin Rawaha Raziyallahu Anhu ko Kisi sirya mai bheja aur us Jama'at ki rawangi Juma ke Din hui ,
★• Apne Saathiyo ko unhone bhej diya aur kaha k main Aap Sallallahu Alaihivasallam ke saath Juma padh lu fir in logo se mil jaunga ,
★ • Jab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke saath namaz padhi ,Aapne unko dekh kar farmaya :-
"__Tum Apne Saathiyo ke saath Kyu nahi gaye ? ,
Unhone kaha :- Maine socha k Aapke saath Juma padh lu fir un logo se jaa kar mil lunga ,
"__Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k :- Agar tum Jo kuchh Rooe Zameen per hai usko kharch kar do to unke Subeh Subeh chalne ka sawab nahi paa sakte ,
*- Hayatus Sahaba, 1/497*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Allah Ke Raaste mai Nikal Kar Khidmat Karna*
↬• Hazrat Abu Qilaba Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke kuchh Sahaba ek safar se wapas aa kar apne ek saathi Kï badi Tareef karne lage ,
★• Chunache Unhone kaha k humne falane Jesa koi Aadmi nahi dekha , Jab tak yeh chalte rahe Qur'an padhte rahe Aur Jab hum padaav daalte ,to yeh utarete hi Namaz shuru kar dete ,
★ • Aap Sallallahu Alaihivasallam ne puchha ,Uske kaam kaaj kaun karta that ? Bahut si baate aur bhi puchhi aur ye bhi puchha k uske ount ya sawari ko chaara kaun daalta tha ?
★. Un Sahabi Raziyallahu Anhum ne arz kiya ,Hum ye Sare kaam karte they,
"__Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Tum Sab usse behtar ho ( Uski khidmat kar ke Tumne uske tamaam Nek Amaal ka sawab le liya hai ) ,
*- Hayatus Sahaba ,1/772 Ba hawala Targeeb ,4/173*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Allah ke Raaste mai Nikal Kar zikr karna, Kharch karna*
↬• Hazrat Mu'aaz bin Jabal Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
"__Us Aadmi ke liye khush khabri ho Jo Allah ke Raaste mai Nikal Kar Allah ka Zikr zyada se zyada kare, Kyunki use har Kalime ke badle Sataar Hazaar nekiya'n milengi aur unme se har Neki das guna hogi aur iske alawa aur bhi Allah ke Yaha'n use milega,"
★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se puchha gaya ,Ey Allah ke Rasool ! Aur kharche ka Kya sawab hoga ?,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, Kharch ka sawab bhi utna hi hoga ,
★ • Hazrat Abdur Rahman Kehte hai'n k maine Hazrat Mu'aaz Raziyallahu Anhu se kaha :-- Kharch ka sawab to Saat so Guna hai,
★.Hazrat Mu'aaz Raziyallahu Anhu ne farmaya :-
"__ Teri samajh to thodi hai , Ye sawab to us waqt milta hai jab Aadmi Khud apne ghar thehra hua ho aur Allah ke Raaste mai nahi gaya ho aur ( doosro per ) kharch kiya ho , Jab Aadmi khud Allah ke Raaste mai jaa kar kharch karta hai to Allah ne uske liye Apni Rahmat ke Wo khazane chhipa rakhe hai'n, Jin tak Bando ka ilm pahunch nahi sakta aur na Bande unki khoobi bayan kar sakte hai'n , Yahi Log Allah Kï jama'at hai'n aur Allah Ki jama'at hi gaalib aa kar rehti hai,"
*-- Hayatus Sahaba ,1/795 ba hawala -Haysami -5/282*
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Allah Ke Raaste mai Nikal Kar ikatthe mil kar rehna*
↬• Hazrat Abu Saalma khushni Raziyallahu Anhu farmate hai'n k log Jab kisi manzil per padaav dala karte they to bikhar jaya karte they aur ghaatiyo'n aur Waadiyo'n mai fail jate they,
"_ To Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Tumhara ye ghaatiyo'n aur Waadiyo'n mai bikhar Jana Shaitaan Kï or se hai ,
★ • is farmaan ke baad Musalman jaha'n bhi thehar te ,ikatthe ho kar mil jul kar rehte ,
*- Hayatus Sahaba ,1/805 Targeeb ,5/40*
★. Bayhaqi Kï ek rivayat mai ye bhi hai ( k iske baad sahaba itne qareeb qareeb rehne lage k ) Yu'n kaha Jane laga k agar in musalamano per ek chaadar daali jaye ,to in Sab per hi aa jaye ,
*-- Hayatus Sahaba - 1/805 ,Bayhaqi -9/152
━═─────────────────═━
☆
❈…… .. _*Daayi ke liye Sabse Zaroori Hidatat*
↬• "Aur isse behtar kiski baat ho sakti hai Jo Logo ko Khuda Ki taraf baulaye aur Khud bhi Nek Amal Kare_,"
★• Is Aayat mai Daayi illallaah Ki fazilat bayan Ki gayi hai ,matlab ye hai k sabse achchhi baat Us shakhs Ki hai Jo Logo ko Allah Ki tara Dawat de Aur ye Dawat dena logo ko Allah ki taraf bulana aam hai ,Chahe taqreer kar ke Dawat de ,Dars tadrees ke zariye Dawat de ,Kitaabe likhe,Mazameen likhe Sab hi Dawat mai Shamil hai aur sabko Dawat Ka Sawab milega,
★ • Aage farmaya Sirf Dawat hi na de ,balki uske saath khud bhi Amaale Saleha kare ,mahaz Dawat kaafi nahi Jab tak Amal bhi Saleha na ho ,Aur Dawat mai Jaan tab tak paida nahi hoti Jab tak Khud Daayi Ka Amale Saleha na ho , Dawat ke Amaale Saleha laazim hai,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Tawazo aur Gusse Ki Baato per bhi Sabr v Tahammul*
↬• "Aur kahe k mai Farmabardaro mai se hu'n,"
★• isme ye batlaya gaya hai k Deen Ke Kaam karne ke baad bhi Daayi mai takabbur na ho k mai ye Kaam kar raha hu'n , Apne ko Aam Musalmano mai shumaar kare k Jis tarah or log hai'n mai bhi unhi mai se Ek hu'n , Tawazo akhtyar kare ,Allah ne Jo tofeeq di hai usko Allah Ka fazal v in'aam samjhe ,
★ • "Un logo ne kaha k tum hamari tarah mamooli Aadmi ho Tum Jhoot bolte ho," ( Surah Yaseen )
★. Ye qaum Antakiyata Ka qissa hai ,Allah Ke Rasool to Haq Ki Tablig farma rahe they aur udhar se jawab mil raha tha k Tum to Hamare hi jese insaan ho ,Tum Nabi aur Paigambar nahi ho sakte ,Nabuwat ke daave mai tum jhoote ho , Tumhari nahusat se hum log qahat mai mubtila ho gaye ,is tarah ki badi sakht baate kehte they,
★• Lekin Allah Ke Rasool ne Sakht Kalaami se jawab nahi diya ,balki farmaya hamara Rab jaanta hai k hum Allah Ke Rasool hai ,tum nahi maante to na mano hamara Kaam to Sirf baat pahuncha dena hai ,maanna na maanna tumhara Kaam hai , Paigambar ne kitni narmi se jawab diya ,
"___Maloom hua k Daayi ko gussa Ki Baato mai bhi nihayat Sabr v tahammul aur narmi se Kaam lena chahiye ,Sakht Kalaami se pesh na aaye balki narmi se baat kare,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Daayi KO Hidayat Yafta hone Ke saath Mukhlis aur mustagni Hona zaruri*
↬• " ESE logo Ki Raah chalo Jo tumse mu'awza nahi maangte aur khud Raahe raast per hai'n ," ( Surah Yaseen )
★• Allah Ke Nabi ne Jab Haq Ki Tablig Ki to qaum ne unke saath bura sulook kiya ,Jiska Qissa Qur'an Majeed mai mazkoor hai ,
★ •Ek Shakhs Jo Nabi per imaan le aaya tha usne kaha k Are ese Shakhs Ki baat Maan lo Jo tumse kisi qism ka Ajr nahi chahta aur khud bhi hidayat yafta hai ,inki itteba mai khair hi khair hai, Jo log inki itteba karenge wo bhi hidayat yafta ho jayenge ,
★. Isse maloom hua k Daayi KO mukhlis aur mustagni hona zaruri hai ,mustagni hone ka matlab ye hai k Kisi qism ka sawal na kare ,agar mukhlis hai lekin hidayat yafta nahi hai to khud bhi gumrah hoga doosro KO bhi gumraah karega ,aur agar Haq per to hai magar mustagni nahi hai balki khudgarz hai to uski baat ka koi aitbaar na hoga ,
★• isliye Daayi mai dono hi baate hona zaroori hai ,tabhi uski baat ka asar hoga , Yahi Vajah hai k Nabi se pehle ye elaan karaya gaya k mai tumse kisi Ajr ka sawal nahi karta ,mujhe to sirf Tumhari khair khwahi matloob hai ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Daayi Ka Wasf aur Dawat Ka Usool*
↬• Asal baat ye hai k Daayi ka haal aur uska mijaaz hi ESA hota hai k wo Kaamyabi Ki koshishe v tadbeere karta hai lekin fir bhi nakaami haath hoti hai to kudhan hoti hai aur andar hi andar ghulta rehta hai ,aur sachche Daayi ke andar ye baat khud ba khud payi jati hai ,
★• Lekin Daayi in halaat mai bhi na ummeed nahi hota aur mahaz is vajah se k log baat nahi maante Dawat ke kaam KO nahi chhodta ,Afsos aur Gam to zaroor hoga lekin iski vajah se Kaam KO nahi chhoda Jayega varna Dawat ke usool ke khilaf hoga,
★ • Kaamyabi ho ya na kaamyabi , hamari mehnat ka asar zaahir ho ya na ho ,kuchh fayda mehsoos ho ya na ho ,Dawat barabar di jayegi ,
"_kam se kam itna fayda to hai hi k hum Bari Zimma ho jayenge, hujjat poori ho jayegi ,Daayi Sawab ka mustahiq hoga ,kya ye fayda hi kya kam hai ?
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Apni aur Ghar Walo Kï islaah Kï zarurat*
↬• Daayi ko Apne ghar walo Kï taraf se gaafil nahi hona chahiye ,Daayi ke ghar ka mahol agar theek na hoga to uski Tablig ka asar na hoga ,aur Khud ka bhi Deen per qaayam rehna mushkil hoga ,Ghar ka mahol Deeni ho to Deen per Jame rehna asaan hoga,
★• Hazrat Ibrahim Alaihissalam ka mamool tha k Apni Bivi ko Raat mai Namaz padhne ke liye jagaya karte ,Khud bhi padhte aur apne Ahal se bhi Namaz padhwate ,
★ • Hadees Paak mai aaya hai k Allah us shohar se khush hota hai Jo Raat ko uth kar Wazu kare aur Namaz padhe fir Apni Bivi ko bhi jaga de ,Agar Wo na uthe to paani chhidak de ,
★. Aur Allah Ta'ala esi Aurat se khush hote hai'n Jo Raat ko uth kar wazu kare,Namaz padhe fir Apne Shohar ko jaga de ,Agar na uthe to paani chhidak de ,
★• ESE Miya Bivi Jo Dono Namaz padhte ho Allah un per raham karta hai aur Fakhar karta hai aur ESE Shohar Bivi Dono Allah Kï nigaah mai Mehboob hote hai'n,,
"__Isliye iski bhi aadat daalni chahiye aur ghar ka mahol Deeni banane Kï koshish karte rehna chahiye ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Apne Ghar Walo ko Nasihat ka Hukm*
↬• Hazrat Ismail Alaihissalam Ki babat irshad hai k Wo Apne ghar walo ko ( Ahalo Ayaal ) ko nasihat karte ,Namaz zakaat Kï talqeen farmate they,
★• Maloom hua k Daayi Apne ghar walo Kï taraf se gaafil na ho ,unko Namaz Kï talqeen karte rahe ,Buri baato se rokte rahe ,
"_Lekin Aaj humse yahi nahi hota,Khud ka haal to ye hai k Har Saal chilla lag raha hai Lekin Bivi Be-Parda ,Be-Namazi hai , Bachcho ko na Namaz Kï parvaah na rozo Kï ,aur in Sahab ko saari Duniya Kï to fikr hai Lekin ghar Kï taraf se gaafil ,bas chilla lagane ko kaafi samajhte hai'n ,
★ • Hamari Bad haali ka ye Aalam hai k Chilla lagane se pehle Jo hamara haal tha ,Wahi haal chilla lagane ke baad bhi rehta hai ,Chille se pehle agar kisi Kï taraf se Dil mai keena aur bugz v hasad tha Wo ab bhi bhara hua hai , Jis tarah kisi Kï zameen aur kisi ka Haq dabaye hue they ab bhi dabaye hue hai'n,
★. Inhi Sab baato se Deen ko nuqsaan pahunchta hai aur ese hi log Kaam ( tablig ) ko badnaam karte hai'n ,inki vajah se poori jama'at aur Deen ka kaam karne wale bhi badnaam hote hai'n ,unse badgumaan hote hai'n, Nafrat karte hai'n, Ese halaat mai kaam mai taraqqi hone ke bajaye Kaam ko nuqsaan pahunchta hai ,
★• Isse pata chalta hai k Chilla Apni islaah ke liye nahi lagaya tha, Apni islaah Kï Fikr Pehle hona chahiye , Zabani Tablig ke saath Aapki zindgi bhi Amali Tablig ka namoona hona chahiye, K Jab Aapka Dil Aa'ine ki tarah saaf hona chahiye , Sari ladaai jhagde ,Keena ,bugz se Dil paak aur saaf ho, Jiska Haq dabaya usko waapas kare ,Har ek ke kaam aaye ,Har ek se khush mijazi se mulaqaat kare ,Log mehsoos kare k Aapki zindgi mai Dawat ke kaam se tabdeeli aayi hai ,Fir dekhiye Aapka ye ek chilla logo ke liye hazaaro chillo ka zariya banta hai ya nahi ? Aur log mutassir hote hai'n ya nahi ?
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*- Allah Ke Raaste mai nikalne ki Ahmiyat*
━═─────────────────═━
❈…… .. _*Islam Ki Mehnat*
↬• Islam Haq hai ,iski Mehnat ke liye Chaar Maah maange Jate Hai'n, iske liye Chaar Line ki Mehnat hai,
★• 1- Sunne ki Mehnat : Taleem ,
2-- Bolne Ki Mehnat : Dawat ,
3-- Sochne Ki Mehnat : Zikr
4-- Maangne Ki Mehnat : Dua ,
★ • Imaan Mujahide se Pakega ...Dawat dene se banega ....Hijrat e Safar se Failega ....Huqooqul ibaad ki adaaygi se bachega ,
* Hazrat Maulana Ahmad Laat Sahab ,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Daayi ijtimayi Fikro ke saath infiraadi Nekiya'n bhi karta rahe*
↬• Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
★• Tumme se Aaj Roza kisne rakha hai ? Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne farmaya :- maine , ,
★ •Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne puchha : Tumme se aaj kisne kisi Bimaar ki iyaadat ki hai ? Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne kaha - maine ,
★. Fir Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne puchha :- Tumme se Aaj kaun Janaze mai Shareek hua ? Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne kaha - mai'n ,
★• Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne puchha :- Aaj kisne kisi miskeen ko khana khilaya hai ? Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne kaha -- maine ,
*__ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- Jo Aadmi ek din mai ye saare kaam karega WO Jannat mai zaroor jayega ,
* Hayatus Sahaba , 2/648*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Neki Ka Hukm Karna aur Buraai se Rokne ki Ajeeb Fazilat*
↬• Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
★• Kya mai tumhe ese log na batau'n Jo na Nabi honge aur na Shaheed ,lekin unko Allah ke waha'n ouncha maqaam milega k Qayamat ke Din Nabi aur Shaheed bhi unhe dekh kar khush honge aur WO Noor ke khaas mimbaro per honge aur Pehchane jayenge ,
★ • Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne puchha :- Ya Rasulallah ! Wo kaun log Hai'n ? ,
"_Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Ye WO log Hai'n Jo Allah Ta'ala ke Bando ko Allah ka Mehboob banate Hai'n aur Allah Ta'ala ko uske Bando ka Mehboob banate Hai'n aur Logo ke Khair khwaah ban kar Zameen per firte Hai'n ...,
★.Maine arz kiya k ye baat to samajh me aati hai k WO Allah ko uske Bando ka Mehboob banaye , lekin ye samajh me nahi aa raha k WO Allah ke Bando ko Allah ka Mehboob kese banaenge ? ,
"__Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Ye log Allah ke Bando ko un kaamo ka hukm denge Jo kaam Allah ko Mehboob aur pasand hai aur un kaamo se rokenge Jo Allah ko pasand nahi , WO Bande jab unki Baat maan kar Allah Ta'ala ke pasandeeda kaam karne lag jaye to ye Bande Allah Ta'ala ke Mehboob ban jayenge _,"
* Hayatus Sahaba, 2/805*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Purane Ho to Aise Ho*
↬• Hazrat Mu'aaz bin Jabal Raziyallahu Anhu Aap Sallallahu Alaihivasallam Kï qabr Mubarak per khade ro rahe they,
★• Hazrat Mu'aaz Raziyallahu Anhu se Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne puchha :- Kyu ro rahe ho ?,
★ • Farmaya :- maine ek Hadees suni thi k Allah Paak ese logo ko pasand karta hai Jo muttaqi ho aur Chhupe hue ho , Ese k agar kisi Majlis mai aaye to koi unko na pehchane , aur agar majlis mai na ho to koi na dhoondhe k fala'n Sahab kaha'n gaye , Majlis mai kyu na aaye ?
__Unke Dil hidayat ke chiraag hai'n , har fitne se mehfooz rahenge ,
★. Purane ho to ese ho , Kaam khoob kare , Talluq sirf Allah Ta'ala ka hi bahut hai ,magar Chhupe hue ho , Zameen per zyada log na pehchante ho , Aasmaan per Sab jaante ho _,"
* Hayatus Sahaba , 6/ 785*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Purane Saathiyo'n Kï Aulaad Kï Ri'ayat*
↬• Purane Qurbaniya'n dene wale Saathiyo'n Kï Aulaad Kï Ri'ayat aur Unke Saath Husne Sulook Zaroori hai , Varna na nifl ibaadat qubool hogi na Farz ,
★• Hazrat Abdur Rahman bin Auf Raziyallahu Anhu farmate hai'n, Jab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka Duniya se tashreef le Jane ka waqt qareeb aaya to Hazraate Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz kiya:-
"__Ya Rasulallah ! Hume wasiyat farma de'n ,
★ • Huzoor e Akram Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Muhajireen mai se Jo Sabiqeen Avvaleen hai'n mai'n Tumhe unke saath aur unke baad unki Aulaad ke saath Achchhe Sulook Kï wasiyat karta hu'n ,
__Agar tum is wasiyat per Amal nahi karoge to tumhara na nifl amal qubool hoga aur na farz Amal qubool hoga _,"
* Hayatus Sahaba ,2/485*
★ Deen Ka kaam Karne wale Saathiyo'n Kï Aulaad Kï ri'ayat zaroori hai. Sabse achchha Sulook ye hai k unko bhi Dawat ke Kaam mai Muhabbat ke saath chalaya jaye aur khair khwahi ka maamla kiya jaye ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Chhe ( 6 ) " غ " Se Bachna Zaroori Hai*
↬• Dawat Ka kaam Karne Wale Saathiyo ke liye Chhe "غ ( Ga ) " Ke Jumle Jinse Bachna Zaroori hai , Bachte rahe to Allah Ta'ala ki zaat se Taraqqi Ki Ummeed hai,
★• 1- Gulu se Bachna ,
ِ لَا تَغْلُوا فِي دِينِكُمْ
"_Tum Apne Deen mai Na-Haq gulu mat karo ," (Surah Al-Maeda, 77)
★ • 2- Gil ( Keena ) se Bachna :-
لَا تَجْعَلْ فِي قُلُوبِنَا غِلًّا لِّلَّذِينَ آمَنُوا
"_Hamare Dilo mai imaan walo ki taraf se Keena na hone dijiye ," ( Surah Al-Hashr, 10:)
★. 3- Guroor se Bachna :-,
َلَا تُصَعِّرْ خَدَّكَ لِلنَّاسِ
"__Logo se apna rukh mat fairo ," (Surah Luqman, 18:)
★ • 4- Gaflat se Bachna :-
َلَا تَكُن مِّنَ الْغَافِلِينَ
,"__ Tu gaflat karne walo me se mat ho ," ( Surah Al-Araf, 205 )
★ • 5-- Geebat se Bachna :-
"__Geebat ( Anjaam ke aitbaar se ) Zina se zyada hai ,"
★ •6-- Gusse se Bachna :-
:
فَبِمَا رَحْمَةٍ مِّنَ اللَّهِ لِنتَ لَهُمْ وَلَوْ كُنتَ فَظًّا غَلِيظَ الْقَلْبِ ................ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ الْمُتَوَكِّلِينَ
"__Aur agar Aap tand Khu ,Sakht tabiyat hote to ye Aapke paas se door ho jate ,so Aap inko maaf kar dijiye aur Aap inke liye istigfaar kar dijiye aur inse khaas khaas baato mai mashwara lete raha kijiye, Fir jab Aap raay pukhta kar le'n to Khuda per aitmaad kijiye ,," ( Surah Aal-e-Imran, 159 )
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*27 Saal Baad Allah Ke Raaste Se Waapas Aana-
↬• Hazrat imaam Rabiatul Raay Rahmatullah Ke waalid Abdurrahmaan Farog Ko Khurasaan Kï taraf ek muhim per Jana pada ,Us waqt Rabia Maa'n ke pet mai they, Farog ne chalte waqt Apni Bivi ke paas Te'iys(23 ) Hazaar dinaar ghar ke kharch ke liye chhod diye they ,
★• Khurasaan pahunch kar kuchh ese ittefaqaat pesh aaye k Farog poore Satta'iys (27) Saal tak watan waapas nahi aa sake ,
★ • Rabia Kï waalida nihayat roshan khayal aur aqalmand thi , Rabia ke liye unhone Taleem ka A'ala se A'ala intezam kiya aur isme jitna rupiya unke paas tha Sab kharch kar dala ,27 Saal baad jab Farog Madina waapas aaye to ghode per sawar they aur haath mai ek neza tha ,Makaan per pahunch kar Neze Kï nok se darwaza khatkhataya ,Dastak Sun kar Rabia darwaze per aaye ,Baap Bete aamne saamne ,Lekin ek doosre se bilkul anjaan they,
★ .Rabia ne Farog ko Ajnabi samajh kar kaha :- Ey Allah ke Dushman ! Tu mere makaan per Hamla karta hai , " Farog bole :- Nahi ,Balki Ey Allah ke Dushman tu mere haram mai ghusa hua hai, " isi me baat bad gayi aur nobat Yaha'n tak pahunch gayi k dono ek doosre ke dasto gireba ho gaye ,
★•is Shor gul aur hangame mai aas paas ke log Jama ho gaye , Khabar imaam maalik bin Anas Reh. Ko bhi pahunch gayi, unhone aate hi Farog ne unko bataya k ye mera hi ghar hai ,mera Naam Farog hai aur mai Fala'n ka gulaam hu'n ,
"__Hazrat Rabia Kï maa'n ne andar se jab ye suna to bahar nikal aayi ,aur kaha :- Haa'n ye Farog mere Shohar hai'n aur Ye Rabia mere ladke hai'n, Farog jab Khurasaan Kï muhim per ja rahe they Rabia mere Shikam mai they ,,,, ( Baqi hissa Agle part mai )
★ • Is Haqeeqat ke khul Jane ke baad Baap Bete dono gale lage aur khoob roye , Farog ghar mai dakhil hue ,
★ .Mamool ke mutabiq Hazrat Rabia Reh .waqt per masjid mai tashreef le gaye aur dars shuru kiya, Hazrat imaam Maalik Reh. Hasan bin Zaid Reh. Ibne Abi A'ala aur doosre ayaane madina shareek they,
★• Walida ne dars ka waqt pehchan kar Farog se kaha k Jao Namaze Masjide Nabvi mai padhna , Farog yaha aaye ,Namaz padhi fir unhone dekha k Darse Hadees ka zabardast halqa laga hua hai ,Wo bhi qareeb chale aaye , Hazrat Rabia ne dars mai khalal na padhne Ke khayal se sar jhuka liya aur ese ho gaye Goya unhone dekha hi nahi,
★• Farog is haalat mai Rabia ko pehchan na sake ,logo se puchha ; -Ye kaun hai'n? Logo ne unko jawab diya :- Rabia bin Abi Abdurrahman _"
★• Abdurrahman Farog khushi se betaab ho gaye aur kehne lage , Allah Ta'ala ne mere Bete ka martaba buland kiya hai , ghar waapas aaye to Bivi se bole :- Maine aaj tumhare bete ko esi shaan mai dekha hai k kisi Sahibe ilm v fuqha ko nahi dekha ,
★• Hazrat Rabia Kï walida ne kaha k Aapko kya cheez zyada pasand hai , Wo ( 23 ) hazaar dinaar ya ye manzilate ilmi ?
"__Farog bole :- Allah Ta'ala Kï qasam ! Ye wajahat zyada Mehboob hai , " Bivi kehne lagi :- Maine Wo Sab Rupiya is per sarf kar diya hai ," Farog ne kaha :- Tumne Wo Rupiya sahi masraf mai kharch kiya hai ,"
*Tareekh Bagdaad, 8/420*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Saathiyo ke Saath Narmi Ka Maamla Karna*
↬• Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam Jab bhi kahi Lashkar rawana farmate to us Lashkar ke Ameer Ko takeed se hidayt farmate they k Apne zerdasto ke saath Narmi ka Maamla karna ,Unko Tangi mai mubtila na karna ,Unko Basharat aur khush khabri dete rehna,
★• isi tarah jab kisi Ko kisi ilaaqe ya qaum ka governer aur Ameen Bana kar bhejte to Unko hidayt farma dete k Qaum ke saath Adl v insaaf aur hamdardi ka Maamla karna aur unke saath Narmi ka Maamla karna ,unhe Tangi aur sakhti mai mubtila na karna, Unko Duniya v Akhirat mai kaamyabi ki Basharate Dena aur Akhirat ki ragbat dilate rehna aur Unme nafrat na failana aur unke darmiyan muwafqat aur ittehaad paida karna aur ikhtelaaf na failana ,
★ • Hadees Shareef ke Tarjuma ka mafhoom hai k Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ma'az bin Jabal Raziyallahu anhu aur Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu anhu Ko yaman rawana farmaya aur rawangi ke waqt ye hidayt farmayi k Tum dono Narmi aur Asaani ka Maamla karte rehna, logo mai tanaffur na paida karna jisse log faraar ka Raasta akhtyar kare aur Aapas mai muhabbat v shafqat ka Maamla karte rehna aur ikhtelaaf v foot ki baate na karna , ( Bukhari ,1/426)
★. Imaam Gazali Rehmatullah ne likha hai k Kalaam mai Narmi akhtyar kijiye Kyunki Alfaz ki banisbat lehje ka Asar zyada padta hai ,
★• ,Sahi Muslim mai hai k Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ne bad dua farmayi ,EY Allah ! Jo meri ummat ka daayi ho agar wo ummat per sakhti kare ,to tu bhi uske saath sakhti ka Maamla karna aur agar Narmi kare to tu bhi uske saath Narmi ka Maamla karna, isliye har jagah Zimmedar Apne mathato ke saath Narmi ka Maamla kare,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Waa'iz e Madina Ko Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha Ki Teen Aham Nasihate*
↬• Hazrat Sha'abi Reh. Kehte hai'n , Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ne Madina walo ke Waa'iz Hazrat ibne Abi Saa'ib Reh.se farmaya :-
★•Teen kaamo mai meri baat maano ,Varna mai tumse sakht ladaai karungi ,
Hazrat ibne Abi Saa'ib Reh ne arz Kiya ,Wo Teen kaam kya hai'n ?Ummul Momineen mai Aapki baat zaroor maanunga ,
★ • Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ne farmaya :- Pehli Baat ye hai k Tum Dua mai Ba Takleef Qaafiya Bandi se bacho, Kyunki Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke Sahaba Raziyallahu Anhum is tarah qasdan nahi Kiya karte they,
★.Doosri Baat ye hai k Hafte mai ek dafa logo mai bayan Kiya Karo ,___ aur zyada karna chaho to do dafa ______varna zyada se zyada teen dafa Kiya Karo, isse zyada na karo Varna log ( Allah ki ) is kitaab se ukta jayenge ,
★• Teesri Baat ye hai k esa hargiz na karna k Tum kisi jagah jaao aur waha wale Aapas mai baat kar rahe ho aur Tum unki Baat kaat kar Apna Bayan shuru kar do , Balki unhe apni baat karne do aur jab woh tumhe moqa de aur kahe to fir Unme bayan karo _,
Hayatus Sahaba , 3/239
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Asmaan Ki Taraf Sar utha kar istigfaar Kijiye ,Allah Muskura kar maaf kar denge*
↬• Hazrat Ali bin Rabiya Reh kehte hai'n k mujhe Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Apne pichhe bithaya aur Hira ki taraf le gaye ,
★• Fir Asmaan ki taraf Sar utha kar farmaya :-
EY Allah ! Mere gunaaho Ko maaf farma , Kyunki tere alawa koi gunaaho Ko maaf nahi karta ,"
★ • Fir meri taraf mutavajjah ho kar muskurane lage ,Maine kaha :- EY Amirul Momineen ! Pehle Aapne Apne Rab se istigfaar Kiya fir meri taraf mutavajjah ho kar muskurane lage, ye kya baat hai ?
★. Unhone farmaya :- Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ne ek din mujhe Apne pichhe bithaya tha aur Hira ki taraf le gaye they , fir Asmaan ki taraf Sar utha kar farmaya :- EY Allah mere gunaaho Ko maaf farma Kyunki tere alawa koi gunaaho Ko maaf nahi karta, " fir meri taraf mutavajjah ho kar muskurane lage they , Maine kaha Ya Rasulullah ! Pehle Aapne Apne Rab se istigfaar Kiya fir meri taraf mutavajjah ho kar muskurane lage,iski kya vajah hai ?
★• Farmaya :- is vajah se Muskura raha hu'n k mera Rab Apne Bande per ta'ajjub kar ke muskurata hai ( aur kehta hai ) is Bande Ko maloom hai k mere alawa aur koi gunaaho Ko maaf nahi karta,
Hayatus Sahaba , 3/350
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Apne Dosto ki islah v tarbiyat ki fikr*
↬• Apne Dosto ki islaah v tarbiyat se kabhi gaflat na kijiye aur Apne Dosto mai wo bimari kabhi na paida hone dijiye jo islah v tarbiyat ki raah mai Sabse badi rukawat hai ,
★• Yani Khud Pasandi aur Kibr ,Dosto ko hamesha amaada karte rahiye k wo apni kotahiyo aur gaflato Ko mehsoos kare ,aur is Haqeeqat Ko har waqt yaad rakhe k apni kotahiyo Ko mehsoos na karne aur apni baraat per israar karne se nafs Ko badtareen Giza milti hai ,
★ • Dar asal numa'ish aajizi dikhana ,alfaz mai Apne Ko haqeer kehna ye nihayat asaan hai Lekin apne nafs per jhoot sehna ,Apni kotahiyo Ko thande dimaag se Sunna aur Tasleem karna, aur apne nafs ke khilaf Dosto ki tanqeede bardasht karna bahut mushkil kaam hai ,Lekin Haqeeqi Dost Wahi hai jo bedaar zahan ke saath ek doosre ki zindgi per nigaah rakhe aur is pehlu se ek doosre ki islah v tarbiyat karte rahe ,Kibr aur Khud Pasandi se bachate rahe,
★. Nabi Kareem A Alaihivasallam farmate hsi'n:- Teen Baate halaakat mai daalne wali hai,
1- Esi khwahish k Insaan uska taabe aur gulaam ban kar reh jaye,
2- Esi Hirs jisko Peshwa maan kar Aadmi uski pervi karne Lage,
3- Aur Khud Pasandi, aur ye bimari in teeno mai Sabse zyada khatarnaak hai ,( Mishkaat , Bahyqi)
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Har Momin Apne Bhai Ka Aa'ina hai-
↬• Aa'ina chehre ke unhi Daag dhabbo Ki sahi sahi tasveer pesh karta hai Jo fil waqe chehre per mojood hote hai,na wo Kam batata hai aur na zyada , Aur unhi uyoob Ko batata hai jo saamne aate hai ,chhupe hue uyoob Ko zaahir nahi karta,
★• isi tarah Aap bhi Apne Bhai Dosto ke Wahi uyoob unke saamne zaahir kare jo aam zindgi se Aapke saamne aaye ,Tajassus aur Toh mai na lage ,
★ • Poshida uyoob Ko kuredna koi akhlaqi khidmat nahi ,Balki ek tabaah kun aur Akhlaq soz ayb hai ,
★. Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne ek martaba mimbar per chade aur nihayat ounchi awaaz mai Apne hazireen Ko tambeeh farmayi :-
"___Musalmano ke uyoob ke pichhe na Pado ,Jo Shakhs Apne Musalman Bhaiyo ke Poshida uyoob ke dar pe hota hai, Khuda uske Poshida uyoob Ko tasht azhaam karne per tul jata hai aur jiske ayb afsha karne per Khuda tul jaye usko ruswa kar ke hi chhodta hai , agarche wo Apne ghar ke andar ghus kar hi kyu na beth jaye," ( Tirmizi )
★•Aa'ina garz se paak ho kar belaag Andaaz mai apna farz ada karta hai aur Jo Shakhs bhi uske saamne apna chehra pesh karta hai wo bager kisi garaz ke uska sahi naqsha uske saamne rakh deta hai, na wo kisi se bugz aur keena rakhta hai aur na kisi se inteqaam leta hai ,
"__Aap bhi zaati agraaz ,bugz keena aur har tarah ki bad niyati se paak ho kar be laag ahatsaab kijiye aur isliye kijiye k Aapka Bhai ,Dost Apne Ko sanwaar le , Jis tarah Aa'ina Ko dekh kar Aadmi Apne Ko sanwaar leta hai,
↬• Aa'ina Aapke Daag dhabbe us waqt zaahir karta hai jab Aap apne Daag dhabbe dekhne ke iraade se uske saamne Jaa khade hote hai warna Wo bhi mukammal khamoshi Akhtar kar leta hai,
★•is tarah Apne Bhai Dosto ke uyoob usi waqt zaahir kare jab wo Khud Ko iske liye Aapke samne pesh kare aur Farakh dili se tanqeed v ahatsaab ka moqa de aur Aap bhi mehsoos kare k is waqt iska zahan tanqeed sunne ke liye taiyaar hai , ,
★ • Aur agar Aap ye kaifiyat na paye to hikmat ke saath apni baat Ko kisi aur moqe ke liye utha kar rakhe aur khamoshi Akhtar kare ,
★.Aur uski gair mojoodgi mai to is qadar ahatyaat kare k Aapki zabaan per koi esa lafz bhi na aaye Jisse uske kisi ayb ki taraf ishara hota ho, isliye k ye geebat hai aur geebat se Dil judte nahi Balki toot te hai ,
*
↬• Aaine mai Apni sahi tasveer dekh kar na to koi jhunjhlata hai aur na gusse se beqaabu ho kar Aaine ko todne Ki himakat karta hai, Balki foran Apne ko banane sanwarne mai lag jata hai,
★• Aur Dil hi Dil mai Aaine ki qadaro qeemat mehsoos karte hue Zabane Haal se uska Shukriya ada karta hai aur kehta hai k waqayi Aaine ne mere banne sanwarne mai badi madad ki ,
★ • isi tarah Jab Aapka Dost Apne alfaz ke Aaine mai Aapke saamne Aapki sahi tasveer rakhe to Aap jhunjhla kar Dost per jawabi hamla na kare ,Balki uska Shukr guzaar ho k usne Dosti ka Haq ada kiya aur na sirf zabaan se Balki Dil se uska Shukriya ada karte hue usi lamhe Apni islaah v tarbiyat ke liye fikr mand ho jaye aur intehaai farakh dili aur ahsaan mandi ke saath Dost ki qadar v azmat mehsoos karte hue usse darkhwast kare k Aainda bhi WO Aapko Apne qeemti mashwaro se nawaazta rahe ,
★.Aur aakhri ishara ye hai k Musalmano mai se har Ek Apne Bhai ka Aaina hai aur Bhai Bhai ke liye ikhlaas v muhabbat ka paikar hota hai ,wafadaar ,khairkhwaah hota hai, humdard aur gamgusaar hota hai ,Bhai ko musibat mai dekh kar tadap uthta hai aur khush dekh kare baag baag ho jata hai,
★• Isliye Bhai aur Dost Jo tanqeed karega usme intehaai Dil sozi aur gamkhwari hogi ,Muhabbat aur khuloos hoga ,Be paya dardmandi aur khair khwahi hogi ,aur lafz lafz jazba e islaah ka Aaina hoga ,aur esi hi tanqeed se dilo ko jodne aur zindgiyo ko banane ki tawaqqo ki ja sakti hai,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Allah Ta'ala Ki Shandaar Tareef ,Ek Dehaati Ki Dua aur Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka qeemti Hadiya*
↬• Hazrat Anas Raziyallahu Anhu bayan Karte hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ek dehaati ke paas se guzre ,WO Apni Namaz mai Dua maang raha tha aur Keh raha tha:-
★• Ey WO Zaat Jisko Aankhe dekh nahi sakti ,
"_Ey WO zaat k Kisi ka khayal v gumaan us tak nahi pahunch sakta ,
"__Ey WO zaat k ausaaf bayan karne wale uske ausaaf bayan nahi kar sakte ,
"__Ey WO zaat k hawaadise zamana us per asar nahi ho sakte ,
"__Ey WO zaat k use gardishe zamana se koi andesha nahi ,
★ • Ey WO zaat Jo Pahaado ke wazno ko jaanti hai ,
"__Ey WO zaat Jo Samandaro ke paimano ko jaanti hai ,
"__Ey WO zaat Jo Baarish ke qatro ki tadaad ko jaanti hai,
"__Ey WO zaat Jo darakhto ke patto ki tadaad ko jaanti hai,
"__Ey WO zaat Jo un tamaam cheezo ko jaanti hai Jis per raat ki tareeki chhaati hai ,aur jinko Din Roshan karta hai,
★. Ey WO zaat jisko Asmaan doosre se Chhipa nahi sakta ,
"__Ey WO zaat jisko zameen doosri zameen se Chhipa nahi sakti ,
"__Ey WO zaat k samandar ke pait mai kya hai WO bhi tujhe maloom hai ,
"__Ey WO zaat k chattaano mai kya chhipa hai WO bhi Tu jaanta hai ,
*_Tu meri Umar ke Aakhri hisse ko sabse behtar bana de aur mera behatreen din WO bana jis Din meri tujhse mulaqaat ho ,
★• Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ek Aadmi ke zimme lagaya k Jab ye Dehaati Namaz se faarig ho jaye to ise mere paas le aana , Chunache WO Namaz ke baad Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazir hua ,Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke paas Ek kaan se kuchh sona Hadiya mai aaya hua that , Aapne use WO Sona hadiya mai diya fir puchha k Ey A'arabi ! Tum kaun se qabile se ho ? Usne kaha :- Ya Rasulallah ! Bani Aamir bin Saasa qabile ka hu'n ,
Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- kya tum Jaante ho Maine tumko ye Sona kyu hadiya kiya ?
Usne kaha :- Ya Rasulallah ! Hamari Aapko Jo Rishtedari hai uski vajah se ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Rishtedari ka bhi Haq hota hai lekin Maine tumhe Sona is vajah se Hadiya kiya k tumne bahut umda tareeqe se Allah ki shaan bayan ki hai ,"
hayatus Sahaba ,3/368-369
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Wali Ho Kar Nabi Ka Kaam Karo-1*
↬• Hazrat Suleman bin Yasaar Reh. mashoor muhaddis hai'n , Ek martaba Hajj ke safar per rawana hue to Jangal mai Ek jagah padaav daala, unke saathi kisi kaam ke liye Shehar gaye to WO Apne khaime mai Akele they,
★• Itne mai Ek khoobsurat Aurat unke khaime mai aayi aur kuchh maangne ka ishara kiya ,Unhine kuchh khaana usko dena chaha to us Aurat ne k ,
Mai'n Aapse WO chaahti hu'n Jo Ek Aurat Mard se chahti hai, Dekho tum Nojawan ho mai'n khoobsurat hu'n ,Hum dono ke lutf andoz hone ke liye tanhaai ka moqa bhi hai,
★ • Hazrat Suleman bin Yasaar Reh.ne ye suna to samajh gaye k Shaitaan ne meri Umar bhar ki Mehnat Zaaya karne ke liye is Aurat ko bheja hai ,
★.WO Khofe khuda se zaaro qataar Rone lage ,itna roye itna roye k WO Aurat Sharminda ho kar waapas chali gayi , Hazrat Suleman bin Yasaar Reh ne Allah ka Shukr ada kiya k musibat se jaan chhooti ,
★• Raat ko soye to Hazrat Yusuf Alaihissalam ki Khwab mai ziyarat hui ,Hazrat Yusuf Alaihissalam ne farmaya :- Mubarak ho , Tumne wali ho kar WO kaam kar dikhaya Jo Ek Nabi ne kiya tha ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Wali Ho kar Nabi Ka Kaam Karo-2*
↬• Hazrat Juned Bagdadi Reh. Ke daur mai Ek Ameer Shakhs tha ,Jiski Bivi Rashke Qamar aur Pari chehra thi ,us Aurat ko Apne husn per bada naaz tha ,
★• Ek martaba banaav singaar karte hue usne naaz nakhre se Apne shohar se kaha k Koi Shakhs esa nahi Jo mujhe dekhe aur meri tama'a na kare , Khawind ne kaha k mujhe ummeed hai k Juned Bagdadi Reh ko teri parvaah bhi nahi hogi ,
"__Bivi ne kaha mujhe ijazat ho to Juned Bagdadi Reh ko Aazma leti hu'n , Ye konsa mushkil kaam hai , Yahi ghoda aur yahi godhe ka maidaan ,Dekh leti hu'n Juned Bagdadi Reh kitne paani mai hai'n , Khawind ne ijazat de di ,
★ • WO Aurat ban sanwar kar Juned Bagdadi Reh ke paas aayi aur Ek masla poochhne ke bahane chehre se NaQaab khol diya , Juned Bagdadi Reh ki nazar padhi to unhone zor se Allah ke naam ki zarb lagayi , Us Aurat ke Dil mai ye naam pevast ho gaya ,Uske Dil ki haalat badal gayi ,Apne ghar waapas aayi aur Sab naaz nakhre chhod diye ,Zindgi ki Subeh Shaam mai badal gayi ,
★. Saara Din Qur'an e Kareem ki tilawat karti aur saari raat musalle per khade ho kar guzaar deti ,Khashiyate ilaahi aur muhabbate ilaahi ki vajah se Aansuo'n ki ladiya'n uske rukhsaar per behti rehti ,
★•Us Aurat ka Khawind kaha karta tha k Maine Juned Bagdadi Reh ka kya bigada tha k usne meri Bivi ko Raahiba bana diya aur mere kaam ka na chhoda ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Momin Chaar Haalato ke Darmiyan rehta hai*
↬• Hazrat Abi bin Ka'ab Raziyallahu Anhu ne farmaya :-
"_Momin Chaar Haalato ke darmiyan rehta hai,
Agar kisi takleef mai mubtila hota hai to sabr karta hai ,
Aur agar koi ni'amat milti hai to Shukr karta hai ,
Aur agar Baat karta hai to sach bolta hai ,
Aur agar koi faisla karta hai to insaaf wala faisla karta hai ,
★• Momin paanch qism ke nooro mai chalta firta hai ,uska kalaam noor hai , aur uska ilm noor hai, Momin andar jata hai to noor mai aur baahar aata hai to Noor se aur qayamat ke din ye noor Ki taraf lot kar jayega ,
★ • Aur kaafir paanch qism Ki zulmato ( andheriyo) mai chalta firta hai , uska kalaam zulmat hai ,uska Amal zulmat hai ,Kaafir andar jata hai to zulmat mai aur baahar aata hai to zulmat se aur qayamat ke din ye beshumaar zulmato Ki taraf lot kar jayega _,
Hayatus Sahaba ,3/586
━═─────────────────═━
☆ *- Bikhre Moti-
☞ *Allah Ke Paigam ko Duniya tak Pahunchana aur Apne Per Mehnat Karna Hamare Faraiz me Shamil He*,
*
━═─────────────────═━
No comments:
Post a Comment