★
★
┱✿
┋ *AMAANAT _KI _AHMIYAT _*
┗═════════════════✿
*┱✿Amanat Ki Ahmiyat,*
┱ Surah Mominoon Ki ibtedayi aayato mai Allah Ta'ala ne falaah pane wale momino Ki Pehli sifaat bayan farmayi hai k WO Apni Namazo mai Khushu akhtyar karne wale hai'n ,
┱ Doosri Sifaat ye bayan farmayi k WO Lagu aur Behuda kaamo aur Baato se airaaz karne wale hai'n ,
┱Teesri Sifaat ye bayan farmayi k WO Zakaat ka fariza anjaam dete hai'n aur doosre ye k WO Apne Akhlaaq ka tazkiya karte hai'n ,
┱ Chothi Sifaat ye bayan farmayi k WO Apni Sharmgaho Ki hifazat karne wale hai'n, Yani Apni Azmat aur Asmat ka rahaffuz Karne wale hai'n ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Amaanat aur Ahad Ka Paas Rakhna,*
┱ isse agli Sifaat ye bayan farmayi k WO Log Apni Amaanato aur Apne Ahad Vaado ka paas rakhne wale hai'n ,
┱ Yani ek Momin Ki Duniya v Akhirat ke liye ye zaroori hai k WO Apni Amaanat ko mehfooz rakhe aur Apne Ahad ,vaado ko poora kare ,
┱ Qur'an e Kareem mai ye dono cheeze alag alag bayan farmayi hai'n ,Ek Amaanat aur Ek Ahad ,Momin ki Alaamat ye hai k WO Amaanato ka paas karne wala hai aur Apne Ahad ko poora karne wala hai,
┗═════════════════✿
*┱✿ Amaanat Qur'an aur Hadees mai,*
┱ Falah ke liye ye zaroori qaraar diya gaya hai k insaan Amaanat mai koi khayanat na kare ,Balki Amaanat ko theek theek uske ahal tak pahunchaye ,
┱ Qur'an e Kareem mai Allah Ta'ala farmate hai'n ,
إِنَّ اللَّهَ يَأْمُرُكُمْ أَن تُؤَدُّوا الْأَمَانَاتِ إِلَىٰ أَهْلِهَا
( Surah An-Nisa, Verse 58 )
"__Yani Allah Ta'ala Hume hukm dete hai'n k Amaanato ko unke mustahiq logo tak pahunchao , " Qur'an aur Hadees mai iski badi takeed waarid hui hai ,
┱ Ek Hadees mai Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Teen cheeze esi hai'n k agar WO kisi insaan mai paayi jaye to WO khaalis munafiq hai , Pehli ye k Jab WO Baat kare to jhoot bole ,doosri ye k jab WO kisi se Vaada kare to Vaade ki khilaaf varzi kare aur Jab uske paas Amaanat rakhwayi jaye ya Jab usko kisi cheez ka Amaanat daar banaya jaye to WO usme khayanat kare ,"
*(Mafhoom Bukhari Sharif )*
┱ Ye munafiq Ki Amaanate hai'n, Momin ka kaam nahi ,isliye iski badi takeed waarid hui hai,
┗═════════════════✿
*┱✿ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ka Ameen hona,*
┱ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Nabuwat se pehle bhi poore Makka mai "Saadiq " aur "Ameen " ke laqab se mashoor they , Yani Aap sachche they, Aapki Zabaan Mubarak per kabhi jhoot nahi aata tha ,
┱Aap Amaanat daar they, Jo log Aapke paas Amaanat rakhwate they unko poora bharosa hota tha k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam is Amaanat ka Haq ada karenge ,
┱ Chunache Jab Aap Makka Mukarrama se Hijrat farma rahe they ,us waqt ye Aalam tha k Kuffaar ne Zulmo sitam ke Pahaad tode hue they , Aapke khilaaf qatl ke mansoobe banaye ja rahe they , is haalat mai Raat ke waqt Aapko Shehare Makka se nikalna pada,
┱ us waqt bhi Aapko ye Fikr thi k mere paas logo Ki Jo Amaanate rakhi hui hai'n unko agar pahunchaunga to ye raaz khul jayega k mai'n yaha'n se jaa raha hu'n ,To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko saari Amaanate supurd farmayi aur unko Apne Bistar per litaya aur unse farmaya k mai'n jaa raha hu'n ,Tum ye Amaanate inke maaliko tak pahunchao ,aur jab is kaam se faarig ho jao to fir Hijrat kar ke Madina Munavvara aa Jana ,
"__WO log Jo Aapke khoon ke pyase they, Jo Aapke saath dushmani ka maamla kar rahe they, Unki Amaanato ko bhi un tak waapas pahunchane ka intezam farmaya ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Hamare Zahno mai Amaanat,*
┱ Aam tor per log Amaanat ka Jo matlab samajhte hai'n WO ye hai k Kisi Shakhs ne Apne kuchh paise ya Apni koi cheez hamare paas laa kar rakhwa di ,aur humne usko hifazat se rakh di ,aur us cheez ko khud istemal nahi kiya aur koi gadbad nahi ki , khayanat nahi ki ,
┱ Bas Amaanat ka yahi mafhoom samajhte hai'n, beshaq Amaanat ka Ek Pehlu ye bhi hai, Lekin Qur'an v Hadees mai jaha'n Amaanat ka lafz aaya hai uske maani aur uska mafhoom isse kahi zyada wasee hai ,aur bahut kushada hai , Bahut saari cheeze iske andar aa jati hai'n,
┗═════════════════✿
*┱✿ Ye Zindgi aur Jism Amaanat hai ,*
┱ Sabse pehli cheez Jo Amaanat ke andar dakhil hai WO hamari "Zindagi " hai ,ye hamari zindagi Jo hamare paas hai , isi tarah hamara poora jism sar se le kar paanv tak ye Amaanat hai,
┱ Hum is Jism ke maalik nahi ,Allah Ta'ala ne ye jism Jo Hume ata farmaya hai aur ye a'aza Jo hume ata farmaye hai'n, Ye Aankhe jisse hum dekhte hai'n, ye kaan jisse hum sunte hai'n ,Ye naak jisse hum soonghte hai'n , Ye moonh jisse hum khaate hai'n, Ye Zubaan jisse hum bolte hai'n , Ye Sab Allah Ta'ala ki Amaanat hai,
┱ Batao ! Kya tum ye a'aza kahi bazaar se khareed laye they ? Balki Allah Ta'ala ne bager kisi mu'awze ke aur bager kisi mehnat aur mashakkat ke paida hone ke waqt se hume de diye hai'n,
┱ Aur hume ye farma diya k in a'aza se aur in quwwato se lutf uthaao ,in a'aza ko istemal karne ki tumhe khuli ijazat hai ,albatta in a'aza ko hamari ma'asiyat aur gunaah mai mat istemal karna ,
┗═════════════════✿
*┱✿ KhudKushi Kyu haraam hai ,*
┱ Chunki ye zindagi ye jism aur ye a'aza Amaanat hai'n, isi vajah se insaan ke liye khudkushi karna haraam hai, aur Apne Aapko qatl kar dena haraam hai,
┱ Kyu haraam hai ? Isliye k ye jaan aur Jism hamari milkiyat hota to hum Jo chahe karte ,Chahe isko tabaah karte ya barbaad karte ya aag mai jala dete ,
┱Lekin chunki ye jaan aur Jism Allah Ta'ala ki Amaanat hai ,isliye ye Allah Ta'ala ke supurd karni hai , Lihaza jab Allah Ta'ala hume Apne paas bulayenge us waqt hum jayenge , Pehle se khudkushi kar ke Apni jaan ko khatm karna Amaanat mai khayanat hai ,
┗═════════════════✿
*┱✿ ijazat Ke Bavjood Qatl Ki ijazat nahi,*
┱ Yahi vajah hai k agar koi Shakhs doosre se keh de k mai'n tumhe ijazat deta hu'n k tum mujhe qatl kar do ,Ya mai'n tumhe ijazat deta hu'n k mera haath kaat lo ,mera paanv kaat lo ,Koi Shakhs chahe kitni hi ijazat de de ,stamp paper per bhi likh de k mai'n isse koi mutalba nahi karunga , Lekin doosre Shakhs ko uski is peshkash ko qubool karna jaa'iz nahi, Balki haraam hai,
┱Albatta agar koi Shakhs doosre se kahe ye mere paise hai'n tum le lo ,aur tum in paiso ko Jo chaho karo ,to doosre Shakhs ko ye Haq haasil ho jayega k WO paise le le aur Jo chahe kare,
┱ Lekin Jaan lene ,a'aza kaatne ka Haq haasil nahi hoga , isse pata chalta hai k ye Jism aur Jaan hamare paas Allah Ta'ala ki Amaanat hai aur Jab Amaanat hai to usko us kaam mai istemal karna hai jiski maalik ijazat de ,aur us kaam se bachana hai jisse maalik naraaz ho aur Jo maalik ko na-pasand ho ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Waqt Amaanat Hai ,*
┱ isi tarah Zindgi ke ye lamhaat Jo guzar rahe hai'n, iska ek ek lamha Allah Ta'ala ki Amaanat hai ,
┱ in lamhaat ko ese kaam mai kharch karna hai Jo Duniya ke lihaaz se ya Akhirat ke lihaaz se faayde mand ho aur Jo kaam Allah Ta'ala ke Ahkaam ke mutabiq ho ,
┱ Agar in Lamhaat ko iske khilaaf kaamo mai kharch karenge to ye Amaanat mai khayanat ho jayegi ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Qur'an E Kareem mai Amaanat,*
┱ Yahi WO Amaanat hai Jiska zikr Allah Ta'ala ne Surah Ahzaab ke Aakhri ruku mai farmaya hai :--
إِنَّا عَرَضْنَا الْأَمَانَةَ عَلَى السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَالْجِبَالِ فَأَبَيْنَ أَن يَحْمِلْنَهَا وَأَشْفَقْنَ مِنْهَا وَحَمَلَهَا الْإِنسَانُ إِنَّهُ كَانَ ظَلُومًا جَهُولًا
*Surah Al-Ahzab, Aayat 72*
┱ Farmaya k is Amaanat ko humne Aasmaano per aur Zameen per aur pahaado per pesh kiya k ye Amaanat tum uthaa lo ,to un sabne is Amaanat ko uthaane se inkaar kiya k nahi ye hamare bas ka kaam nahi hai ,aur is Amaanat ke uthaane se dare ,WO Amaanat kya thi ?
┱ WO Amaanat ye thi k unse kaha gaya k hum tumhe aqal denge aur samajh denge ,tumhe Zindgi denge aur ye Aqal ,Samajh aur Zindgi tumhare paas hamari Amaanat hogi ,aur hum tumhe bata denge k fala kaam mai is Zindgi ko kharch karna hai , aur fala kaam mai nahi karna ,
┱ Agar tum is Zindgi ko hamare Ahkaam ke mutabiq istemal karoge to tumhare liye Jannat hogi aur agar hamare Ahkaam ke khilaaf istemal karoge to tumhare liye jahannam hogi aur hamesha ka azaab hoga ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Insaan ne Amaanat Qubool kar Li ,*
┱ iske baad Humne Amaanat insaan per pesh ki k tum ye Amaanat uthaa lo ,
"__ Hadees Shareef mai aata hai k Allah Ta'ala ne Aalame Azl mai insaano ki takhleeq se hazaaro saal Pehle un tamaam rooho ko Jo qayamat tak paida hone wali thi ,un Sab rooho ko Jama farmaya , Aur har rooh ek chhoti si Chyunti ( ant ) ki shakl mai saamne aayi ,aur us waqt unke saamne ye Amaanat pesh ki ,k Asmaan ,Zameen aur Pahaad to Sab is Amaanat ko uthaane se inkaar kar gaye ,Tum ye Amaanat lete ho ? Insaan ne kaha haa'n mai leta hu'n, jab insaan ne qubool kar liya to ye Amaanat uske paas aa gayi ,
┱ Lihaza ye Zindgi Amaanat hai, Ye jism Amaanat hai, Ye A'aza Amaanat hai aur Umar ka ek ek Lamha Amaanat hai, Ab Jo is Amaanat ka paas karega WO insaan Duniya aur Akhirat dono jagah kaamyab hai , Yahi WO Amaanat hai jiska zikr Qur'an E Kareem ne doosri jagah farmaya :-
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَخُونُوا اللَّهَ وَالرَّسُولَ وَتَخُونُوا أَمَانَاتِكُمْ وَأَنتُمْ تَعْلَمُونَ
*Surah Al-Anfal, Aayat 27*
"__Ey imaan wall ! Allah
Aur uske Rasool ke saath khayanat na karo k tumne Allah Ta'ala se Amaanat li thi ,aur Allah ke Rasool ne tumhe is Amaanat ke bare mai bata diya tha ,is Amaanat ke khilaaf khayanat na karo ,aur Jo Amaanate tumhare paas mojood hai'n unko theek theek istemal karo ,Amaanat ka sabse pehla mafhoom ye hai ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Mulazmat ( Service ) Ke Fara'iz Amaanat hai,*
┱ Amaanat ka doosra mafhoom iske alawa ye hai jisko aam tor per log Amaanat nahi samajhte hai'n ,WO ye hai k Maan lijiye ek Aadmi ne kahi kahi mulazmat akhtyar ki hai , Us Naukri mai Jo fara'iz ( Jo kaam ) uske supurd kiye gaye hai'n WO Amaanat hai'n ,
┱ Un fara'iz ko WO theek theek anjaam de aur Jin waqto mai usko Duty dene ka paaband kiya gaya hai ,un waqto ka ek ek lamha Amaanat hai,
┱ Lihaza Jo Fara'iz uske supurd kiye gaye hai'n agar un Fara'iz ko theek theek anjaam nahi deta ,Balki Kaam Chori karta hai ,To ESA Shakhs Apne Fara'iz mai kotaahi kar raha hai aur Amaanat mai khayanat kar raha hai,
┗═════════════════✿
*┱✿ WO Tankhwaah ( Salary ) Haraam Hogi,*
┱ Maslan ek Shakhs Sarkaari Daftar mai mulazim hai , Usko is kaam per lagaya gaya hai k Fala kaam ke liye Log tumhare paas aaye to tum unka kaam kar dena , Ye kaam uske zimme ek Fariza hai ,jiski WO tankhwaah le raha hai,
┱ Ab koi Shakhs us kaam ke liye uske paas aata hai, WO usko taal deta hai ,Usko chakkar lagwa raha hai taki WO tang aa kar mujhe kuchh rishwat de de ,
┱ Aaj ke sarkaari daftar is bala se bhare pade hai'n ,Aaj Sarkaari Mulazim jis Ohde per bhi hai WO ye samajhta hai k Jo Shakhs mere paas aa raha hai uski khaal utaarna aur uska khoon nichodna mere liye halaal hai ,
┱ Ye Amaanat mai khayanat hai aur WO is kaam ki Jo tankhwaah uthaa raha hai WO tankhwaah bhi haraam ho gayi , Agar WO Apne farz ko theek theek anjaam deta aur fir tankhwaah leta to ye tankhwaah uske liye halaal hoti aur barkat ka sabab hoti ,
"__Lihaza is kaam karne per Jo rishwat le raha tha WO to haraam hi thi Lemin usne halaal tankhwaah ko bhi rishwat le kar haraam kar diya ,isliye k usne Apne farize ko sahi tor per anjaam nahi diya ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Mulaazmat Ke Awqaat Amaanat Hai'n,*
┱ isi tarah Mulaazmat ke liye Tay kiya tha 8 ghante duty dunga ,ab agar 8 ghante ki duty mai se Kuchh chori kar liya aur kuchh waqt Apne zaati kaam mai istemal kar liya to Jitna waqt usne Apne zaati niji kaam mai istemal kiya ,Us waqt mai usne Amaanat mai khayanat ki ,
"__Kyunki ye 8 ghante uske paas Amaanat they ,uske liye ye jaa'iz nahi tha k is waqt mai apna koi zaati kaam kare , Ye Awqaat bik chuke ,ab agar us waqt mai Dosto se baate shuru kar de ,ye Amaanat mai khayanat hai, aur Jitni dair ye khayanat ki utni dair ki tankhwaah uske liye halaal nahi ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Paseena Nikla Ya Nahi ?*
┱ Mai'n Kaha karta hu'n k Aaj Kal Jab log kahi Mulaazmat karte hai'n ya mazdoori karte hai'n to ye Hadees bahut yaad rehti hai k Mazdoor ko uski mazdoori paseena khushk hone se Pehle ada karo ,
┱ Magar mai'n ye arz karta hu'n k ye bhi to dekho k Paseena nikla bhi ya nahi ? Hume Paseena nikalne ki to koi fikr nahi hai k Jis kaam mai mera Paseena nikalna chahiye tha WO nikla ya nahi ?
┱ Aur waqai hum ujrat ke haqdaar bane ya nahi ? Isko to koi nahi dekhta ,bas ye mutalba kiya jata hai k mazdoori ada karo ,
┱ Bahar haal ye Fara'iz ki adaaygi mai kotahi aur ye waqto ka churaana ye Sab Amaanat mai khayanat hai aur iske badle Jo paise mil rahe hai'n WO haraam hai'n , WO insaan Apne pait mai Aag ke angaare kha raha hai ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Khaanqah Thaana Bhoon Ka usool ,*
┱ Hakeemul Ummat Maulana Hazrat Ashraf Ali Thanvi Reh ki khaanqah mai aur Madarse mai ye tareeqa tha k Ustaado ke liye ghante muqarrar they k fala waqt mai WO ustaad aayega aur fala kitaab padhega ,aur madarse ki taraf se koi qanoon aur zaabta muqarrar nahi tha ,
┱ Magar har Shakhs ka mizaaj bana diya gaya tha ,isliye jab koi ustaad takheer ( late ) aata to WO Register per note likh deta k Aaj mai itni takheer se aaya, aur agar madarse ke Awqaat ke darmiyan koi dost ya azeez rishtedaar mulaqaat ke liye aa gaya Aur uske saath baatcheet mai mashgool ho gaye to us waqt ghadi dekh kar Ustaad waqt note kar leta k ye dost us waqt aaya aur us waqt waapas gaya aur itna waqt dost ke saath Baat Cheet mai sarf hua
"_Aur jab tankhwaah ka waqt aata to WO poore mahine ka goshwara pesh karta aur ek darkhwast pesh karta k humse is Mahine mai ye kotaahi hui aur humne itna waqt Apni zaati masrufiyaat mai kharch kiya Lihaza itne waqt ki tankhwaah hamari kaat li jaye ,
┱ is tarah har ustaad Mahine ke khatm per Darkhwast de kar Apni tankhwaah katwata tha ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Apne Fara'iz Sahi Tor Per Anjaam Do ,*
┱ Aaj Naare to bahut lagaye jate hai'n k hamara Haq Hume poora milna chahiye ,Lekin hum apna fariza poora poora ada kare aur hamare zimme Jo wajibaat hai'n unko ada kare ,iski kisi ko fikr nahi ,
┱ Qur'an v Hadees ye kehte hai'n k har Shakhs Apne Fara'iz Baja lane ki fikr kare ,Jab har Shakhs Apne Fara'iz sahi tor per baja layega to doosro ke huqooq khud ba khud ada ho jayenge ,
┱ Awqaat mai chori karna Amaanat mai khayanat hai aur iske Natije mai achchhi khaasi halaal Mulaazmat ki Aamadni ko haraam bana lete hai'n, Agar Yani Sarkaari Mulaazim Sabeh ko sahi waqt per aaye aur Shaam ko sahi waqt per jaye aur Apne Fara'iz ko sahi tor per ada kare aur Dil mai ye Niyat kare k Ya Allah ! Mai Aapki makhlooq ki khidmat ke liye yaha betha hu'n ,
"__ Chunki Apna pait aur Apne Bivi Bachcho ka pait paalne ke liye tankhwaah zaroori hai is vajah se tankhwaah leta hu'n ,lekin meri niyat ye hai k makhlooq ki khidmat karu ,To is soorat mai ye poore 8 ghante uske liye ibaadat aur Ajro sawab ka baa'is ban jayenge aur tankhwaah bhi halaal hogi ,
"__Lekin agar Awqaat ( Time ) ki Chori kar li ya Apna Fariza poore tor per anjaam nahi diya to usne Halaal Aamdani ko haraam bana kiya ,Us tankhwaah ko aag ke angaare bana liye,
┗═════════════════✿
*┱✿ Halaal aur Haraam mai Farq Hai,*
┱ Aaj in Paiso mai farq nazar nahi aa raha hai Balki Halaal aur Haraam dono dekhne mai ek jese nazar aa rahe hai'n ,Lekin Jab ye hamari zaahiri Aankhe band hongi aur Allah Ta'ala ke saamne peshi hogi us waqt pata chalega k Ye Haraam Aamdani Jo le kar aaya tha WO Aag ke angaare they, Jo Apne pet mai bhar raha tha ,
┱ Aaj hamari poori qaum azaab mai mubtila hai ,Kisi ko Sukoon nahi hai ,Kisi ko chain v Araam nahi hai ,Kisi ka masla Hal nahi hota ,har ek insaan bhaag daud mai mubtila hai, Ye Sab isliye k Amaanat mai khayanat karna is qaum ki ghutti mai pad gayi hai ,
┱ Aur Jis qaum ko halaal aur haraam ki parwaah baqi na rahi ho WO falaah kaha se payegi , Qur'an e Kareem ka farmaan ye hai k falaah un logo ko milegi Jo Amaanato ka Ahad ka paas karne wale hai'n,
┗═════════════════✿
*┱✿ Aariyat Ki Cheez Amaanat hai,*
┱ Amaanat ki ek qism ye hai k kisi doosre ki koi cheez Aapke paas aaryatan aa gayi hai ,Aaryat ka matlab ye hai k Jese kisi se koi cheez istemal ke liye lena hai ,Maslan koi kitaab doosre se padhne ke liye le li ,ya pen le liya ,Ya gaadi le li ,Ye cheeze Amaanat hai'n ,
┱ Lihaza pehli baat to isme ye hai k jab zarurat poori ho jaye jad se jald us cheez ko uske maalik tak pahunchana zaroori hai, Aaj log iski parwaah nahi karte ,
┱ Chunache ek cheez waqti zarurat ke saath aapne doosre se li thi ,ab zarurat khatm ho gayi lekin WO cheez Aapke paas padi hui hai ,waapas pahunchane ki fikr nahi hai ,Aur asal maalik baaz Awqaat maangte hue sharmata hai ,
┱ To Jitni dair WO cheez uske maalik ki khush dili ke bager Aapke paas rahegi ,utni dair Aap Amaanat mai khayanat ke gunahgaar honge ,
"__Ye Sab shariyat ke Ahkaam hai'n Jinka Shariyat ne Hume hukm diya hai Lekin hum log Din Raat Ahkaam se laparwahi mai mubtila hai'n ,Doosro ki cheeze hamare paas padi hui hai'n aur waapas karne ki fikr nahi ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Doosre Ki Cheez Ka istemal,*
┱ Ek baat ye hai k Agar doosre ki cheez hamare istemal mai hai to us cheez ko maalik ki marzi ke khilaaf istemal karna bhi Amaanat mai khayanat hai,
┱ Maalik ne jis kaam ke liye di us kaam mai istemal Karna to jaa'iz hai ,kyunki uski marzi usme shamil hai ,Lekin iski marzi ke khilaaf Chori Chhipe istemal kiya jayega to ye Amaanat mai khayanat hogi ,
┱ Ye bada gunaah hai ,Maslan kisi ne Aapko kisi khaas maqsad ke istemal ke liye gaadi di ,to ab us khaas maqsad mai istemal karna to jaa'iz hai lekin us khaas maqsad ke alawa kisi kaam mai istemal karna na-jaa'iz ,haraam aur Amaanat mai khayanat hai,
┗═════════════════✿
*┱✿ Daftar ( Office ) ki Cheezo ka istemal,*
┱ Jo Daftar mai Mulaazmat karte hai'n , Unko Daftar ki taraf se bahut si cheeze istemal karne ke liye milti hai'n , ab Daftar ke qawaid aur zaabte ke tahat un cheezo ka istemal jaa'iz hai ,aur agar un qawaid aur zaabte ke khilaaf istemal kiya jaye to haraam hai ,aur Amaanat mai khayanat hai,
┱ Maslan Daftar ki taraf se Aapko Pen mila hai ,Paid mila hai, Lifafe mile hai'n , Ye Daftar mai Aapke liye Phone laga hua hai ,Ya Daftar ki taraf se Aapko gaadi mili hui hai Ya motor cycle mili hui hai , Aur in cheezo ke istemal ke bare mai Daftar ke kuchh qanoon aur zaabte hai k in qawaid ke tahat hi inka istemal kiya jaye ,
┱ To agar ab us daayre mai istemal kiya to jaa'iz hai aur usse hat kar Apne un cheezo ko Apne zaati niji kaam mai istemal kar liya to khayanat hai, aur iske nateeje mai khayanat ka bada gunaah insaan ke zimme laazim aa jata hai,
┱ Kaha'n tak Shumaar kiya jaye ,Zindgi ke har shobe mai kahi na kahi hamare paas Amaanat mojood hai ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Dawao'n -Medical Bill Ka galat istemal,*
┱ Ek Sahab ko Daftar se ijazat thi k inke ghar ka koi Aadmi Bimaar ho jaye aur uske ilaaj per Jo kharch aaye to uska bill Jama kara de to Daftar se unko raqam waapas mil jayegi ,
┱ Lekin inhone ye sakhawat shuru kar di k Apne Dosto aur Rishtedaro ko usme shamil kar liya , ab jhoot iske andar mojood hai, dagabazi aur Amaanat mai khayanat iske andar mojood hai, Jaha istemal karne ki ijazat hai bas wahi per istemal karna halaal hai, iske alawa haraam hai , Ye Sahab samajh rahe k hum Neki kar rahe hai'n doosro ke saath ,Lekin haqeeqat mai bahut bada gunaah hai, Jiske Natije mai Akhirat mai gardan pakdi jayegi ,
┱ Ye to sirf sakhawat ki had tak baat thi ,Jabki logo ne isko Aamdani ka zariya bana rakha hai, Maslan Kisi se keh diya tum Dawa kharid kar Bill Hume de do Jo paise milenge usme se aadhe tumhare aadhe hamare ,
"___Aaj Amaanat ka lihaaz na rakhne ke Natije mai maahra tabaah ho chuka hai ,aur ye Jo Din Raat musibate pareshaniya ,Bimariya ,Bad Amaaliya ,qatlo gaarat ka bazaar garam hai Ye Sab Kyun na ho ? Jabki humne Apne aapko un kaamo ke liye muntakhab kar liya Jo kaafiro ke they, In Kaafiro ne to Kam se kam apni had tak Amaanat aur dayanat ko apna liya hai ,Jiske Natije mai Allah ne Duniya mai Unko urooj de diya ,aur Humne Qur'an E Kareem ki hidayaat ko tark kar diya ,Jiska Natija ye hai k har jagah past aur zaleel ho rahe hai'n ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Majlis Ki Baate'n Amaanat Hai'n,*
┱ Ek aur Cheez hai Jiski taraf Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne wazahat ke saath tavajjoh dilayi , Chunache Aapne farmaya "Al majalisu bil Amaanati ," Yani insaano ki majliso mai kahi gayi baat bhi Amaanat hai ,
┱ Maslan Do chaar Aadmi bethe hue they, unme se kisi ek ne koi baat kahi to Aapke liye jaa'iz nahi k uski ijazat ke bager uski baat ko kahi aur jaa kar naqal kar de ,isliye k Jo baat uske moonh se nikal kar Aapke kaan mai padi hai WO Aapke paas uski Amaanat hai,
┱ Lihaza agar ye baat kisi aur se bayan karni hai to Pehle usse ijazat lo k mai'n tumhari ye baat fala'n se naqal karna chahta hu'n ,Aapki ijazat hai ya nahi ? Uski ijazat ke bager us baat ko kahi aur jaa kar bayan karna Amaanat mai khayanat hai ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Raaz Ki Baat Amaanat hai,*
┱ isi tarah Kisi ne aapko Apne Raaz ki koi baat keh di aur saath mai ye bhi keh diya k isko Apni had tak rakhna ( Kisi se kehna nahi ) ,
┱ To jab tak uski marzi na ho is baat ko Kahi aur jaa kar naqal karna ( Kisi ke saamne uska Raaz khol dena ) ye Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ke irshad ke mutabiq Amaanat mai khayanat hai,
┱ Aaj hum logo ka Haal ye hai k agar doosre ke Raaz ki koi baat maaloom ho gayi to ab usko saari Duniya mai batate firte hai'n , Ye Sab Amaanat mai khayanat hai,
┗═════════════════✿
*┱✿ Jism Ke A'aza Amaanat Hai'n ,*
┱ Agar Zara gehri nazar se dekho to insaan ka apna wajood bhi Allah Ta'ala ki Amaanat hai, Ye Jism Sar se le kar Paanv tak hamari milkiyat nahi hai , Balki Allah Ta'ala ne istemal ke liye hume diya hua hai ,
┱ Ye hamare Haath ,Hamare paanv ,Hamari Aankhe ,Hamare Kaan Kya hum inko kahi bazaar se kharid kar laye they ? ya khud humne banaye they ?
┱ Balki ye Sab Allah Ta'ala ki ataa hai , Aur Allah Ta'ala ne Hume muft diye hai'n, Ye Aankhe bhi Amaanat hai, Hamare Kaan bhi Amaanat hai ,Hamare haath bhi Amaanat hai, hamare Paanv bhi Amaanat hai , Lihaza jab Amaanat hai to agar unko Allah Ta'ala ki marzi ke khilaaf istemal kiya jayega to WO Amaanat mai khayanat hogi ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Aankh Ki Khayanat ,*
┱ Maslan agar Aankh se un cheezo ko dekha jaa raha hai Jo Allah Ta'ala ki marzi ke khilaaf hai ,aur Na-Mahram per lazzat lene ke liye nazar daali jaa rahi hai , Filme dekhi jaa rahi hai Jinka dekhna haraam hai ,
┱ To ye Aankh Allah Ta'ala ki nafarmani aur masiyat mai istemal ho rahi hai, Allah Ta'ala ne to ye Aankh tumhe isliye di thi k tum isse nafa uthaao ,Duniya ke Haseen Manazir iske zariye dekho , iske Zariye Apne Bachcho ko dekh kar khush ho, iske zariye Apne Walden ko dekh kar khush ho ,iske zariye Apne Bhai Bahan Dost Ahbaab ko dekh kar khush ho aur iske zariye Duniya ke kaam chalao ,
┱ Lekin agar Tumne is Aankh ko fasaad mai istemal kar liya ,gunaah aur ma'asiyat mai istemal kar liya to ye Allah Ta'ala ki Amaanat mai khayanat hai ,
┱ Aankh ki khayanat ko Allah Ta'ala jaante hai'n k tumne isko esi jagah istemal kiya jaha'n istemal karne se Allah Ta'ala ne mana farma diya tha ,Ye esa hai jese k kisi shakhs ne doosre ke paas apna maal bator Amaanat rakhwaya aur WO chori chhipe Aankh bacha kar us maal ka istemal karna chahta hai , Wahi maamla Allah Ta'ala ki di hui niyamat ke saath bhi karta hai ,aur bewakoof ko ye pata nahi hai k Allah Ta'ala se koi Amal chhup nahi sakta , isliye Allah Ta'ala ne Aankho ki khayanat ko bahut bada gunaah aur Jurm qaraar diya hai aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne is per waiyd farmayi hai ,
"__Aur agar Aankh ki Amaanat aur Niyamat ko sahi jagah istemal karo to Allah Ta'ala ki Rahmat ka nuzool hota hai , Hadees Sharif mai hai k agar ek Shakhs baahar se ghar ke andar dakhil hua aur usne Apni Bivi ko muhabbat ki nigaah se dekha aur Bivi ne Shohar ko muhabbat ki nigaah se dekha to us waqt Allah Ta'ala dono ko Rahmat ki nigaah se dekhte hai'n , agarche Usne Apni zaati lazzat ke liye Apne faayde ke liye is niyamat ka istemal kiya Magar Chunki Allah Ta'ala ke Hukm ke mutabiq kiya ,isliye un per Allah Ta'ala ki Rahmat naazil hui ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Kaan aur Haath Ki Khayanat,*
┱ Ye kaan Hume isliye diye gaye they k iske zariye zarurat ki Baate sune ,Achichi Baate bhi Sune , sirf Chand cheezo per pabandi laga di k gaana bajana mat sunna ,mosiqi mat sunna, Geebat mat Sunna ,Galat aur Jhooti Baate, ma'asiyat ki Baate sunne se Hume roka gaya hai ,
"_Lekin humne is Kaan ko ma'asiyat ki Baate sunne mai istemal kiya , Ye Allah Ta'ala ki Amaanat mai khayanat hai ,
┱ Ye haath Allah Ta'ala ne isliye diye they k taki Hum iske zariye jaa'iz maqasid ko hal kar sake , Kamana ,mehnat karna ,Jaddo Jahad karna ,Lekin Agar humne in haatho se esi cheezo mai istemal kiya jisme istemal jaa'iz nahi tha ,to ye Amaanat mai khayanat hai ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Zabaan Ki Amaanat ,*
┱ Zabaan Allah Ta'ala ki ek esi Amaanat hai Jo paidaish ke waqt se chal rahi hai aur marte dam tak chalti rehti hai, Zabaan ki Zara si harkat se na Jane kya kya Kaam insaan le raha hai,
┱ Ye Zabaan itni badi ni'amat hai k agar ek martaba Zabaan ko harkat de kar ye keh de _ *"Subhanallaah _Alhamdulillaah_* Hadees Sharif mai hai k iske zariye se Mizaane Amal ka adha palda bhar jata hai , isliye iske zariye Akhirat ki taiyaari karni chahiye ,
┱ Lekin agar is Zabaan ko jhoot bolne mai istemal kiya ,Geebat karne mai istemal kiya, Musalman ka Dil Dukhane mai istemal kiya ,Doosro ko takleef pahunchane mai istemal kiya to ye Amaanat mai khayanat hai ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Mansab aur Ohda Zimmedari Ka Fanda Hai,*
┱ Agar Kisi ke paas koi mansab ya Ohda hai ( Maslan Koi Sadar hai , Secretary hai ,Ya Koi Kisi Daftar mai A'ala Officer hai , Ya Koi Leader hai ) to WO koi munfa'at nahi hai ,WO koi Foolo ki Saij nahi hai Balki Zimmedari ke Fande hai'n,
"___ Ye esi Zimmedari hai k Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Agar Dariya e Faraat ke kinaare Koi kutta bhi bhooka Pyasa mar jaye to mujhe ye Dar lagta hai k Qayamat ke roz mujhse sawal na ho jaye kmai'n Ey Umar ! Tere Ahade Khilafat mai Fala Kutta Bhooka Pyasa mar gaya ,
┱ Rivayat mai aata hai k Jab Hazrat Umar Raziyallahu Anhu per Qatilana hamla hua aur Aap Shadeed Zakhmi ho gaye to Kuchh Sahaba Kiraam Aapki Khidmat mai aaye aur arz kiya k Hazrat Aap Duniya se tashreef le ja rahe hai'n, Aap Apne baad Kisi ko Khalifa aur Jaanasheen naamzad farma de ,Taki Aapke baad WO Hukumat ki baag dor sambhaal le aur Baaz hazraat ne ye tajveez pesh ki k Aap Apne Sahab zaade Hazrat Abdullah bin Umar ko naamzad Farma de taki Aapki wafaat ke baad WO khalifa ban jaye ,
┱ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Pehle to jawab mai farmaya k :- Nahi ,Tum mujhse ESE Shakhs ko Khalifa banwana chahte ho Jise Apni Bivi ko talaaq deni bhi nahi aati ,
┱ Waqiya ye tha k Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu ne ek martaba Apni Bivi ko Haalate Haiz ( Maahwaro ke Dino ) mai talaaq de do , Jab Aurat ayyaam ki haalat mai ho to us waqt talaaq dena Shar'an jaa'iz nahi hai ,Ye masla unko maloom nahi tha ,Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam ko iski khabar hui to Aapne Farmaya k tumne galat kiya isliye an Ruju kar lo aur fir agar talaaq deni ho to paaki ki haalat mai dena ,
"__Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne is Waqiye ki taraf ishara farmaya k Tum ese Shakhs ko Khalifa banwana chahte ho Jise Apni Bivi ko talaaq deni bhi nahi aati ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Hazrat Umar Raziyallahu aur Ahsaase Zimmedari,*
┱ Iske baad Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne un hazraat ko doosra Jawab ye diya k baat dar asal ye hai k Khilafat ke bojh ka fanda Khattaab ki Aulaad mai se ek Shakhs ke gale mai pad gaya to ye bhi kaafi hai ,( Iska matlab khud Ki zaat thi k 12 saal tak ye fanda mere gale mai pada raha Yani Aap Raziyallahu Anhu Khalifa rahe yahi kaafi hai ,)
"__ Ab is khandaan ki kisi doosre fard ke gale mai ye fanda mai nahi daalna chahta ,is waaste k Kuchh pata nahi k Jab Allah Ta'ala ke saamne Mujhe is Zimmedari ka hisaab dena hoga ,us Waqt mera kya Haal hoga ,....,
┱ Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu WO Shakhs hai'n Jo Khud Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Zabaan Mubarak se ye Khush Khabri Sun chuke hai'n k " Umar Fil Jannah ," k Umar Jannat mai jayega , Is basharat ke baad is baat ka koi ahatmaal baqi nahi rehta k Jannat mai na jaye Lekin iske bavjood Allah Ta'ala ke saamne Hisaab Kitaab ka dar us Amaanat ka kitna ahsaas hai ,
┱ Ek moqe per Aapne farmaya k Qayamat ke Roz agar mai is Amaanat ke hisaab ke nateeje mai barabar sarabar bhi chhoot jau'n k mere ouper na koi gunaah ho aur na Sawab ho aur mujhe "A'araaf " mai bhej diya jaye *( Jo Jannat aur Jahannam ke darmiyan ek ilaaqa hai Jisme un logo ko rakha jayega Jinke gunaah aur Sawab barabar honge )* to mere liye ye bhi kaafi aur Mai'n khalasi paa jaunga ,
"__Haqeeqat ye hai k us Amaanat ka Ahsaas Jo Allah Ta'ala ne ataa farmayi hai agar us Ahsaas ka thoda zarra Allah Ta'ala hamare Dilo mai paida farma de to hamare saare masle Hal ho jaye ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu aur Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ka Parnaala,*
┱ Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu Jo Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke Chacha hai'n unke Parnaale ka Waqi'a mashoor hai , Unka ghar masjide Nabvi Ke bilkul saath mila hua tha ,unke ghar ka ek Parnaala Masjide Nabvi ke Sahan mai girta tha ,
┱ Ek martaba Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki is Parnaale per nazar padi to dekha k WO Parnaala Masjide Nabvi mai nikla hua hai , Aapne usko Todne ka hukm farma diya , Masjid ki taraf kisi ko Parnaala nikaalna jaa'iz nahi hai ,
┱ Jab Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ko maloom hua to mulaqaat ke liye Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke paas tashreef le gaye aur farmaya k Umar ye tumne kya kiya ? Unhone farmaya k Parnaala Masjide Nabvi mai nikla hua tha ,isliye gira diya , Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ne farmaya k ye Parnaala maine Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki ijazat se lagaya tha ,
┱ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne jab ye Suna k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki ijazat se lagaya tha to foran farmaya k Aap mere saath chale ,Chunache Masjide Nabvi mai tashreef laa kar khud Jhuk kar ruku ki haalat mai khade ho gaye aur Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu se farmaya k Ey Abbaas ! Khuda ke liye meri Kamar per sawaar ho kar is Parnaale ko dobara lagao ,isliye k Khattaab ke bete ki ye majaal k WO Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ke ijazat diye hue Parnaale ko tod de ,
┱__Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ne farmaya k Aap rehne de ,Mai'n laga lunga ,Lekin Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya k nahi jab Maine toda hai to Mai'n hi iski saza bhugtunga ,
*__Baharhaal Shariyat ka Asal masla to yahi tha k Haakim ki ijazat ke bager WO Parnaala lagana jaa'iz nahi tha ,lekin Chunki Hazrat Abbaas Raziyallahu ko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne usko lagane ki ijazat de di thi ,isliye usko lagana unke liye jaa'iz ho gaya ,
┱ Aaj ye Haal hai k Jis Shakhs ka Jitni Zameen per qabza karne ka Dil chaha qabza kar liya aur iski koi fikr nahi k ye hum gunaah ka kaam kar rahe hai'n, Namaz bhi ho rahi hai aur Khayanat bhi kar rahe hai'n , Ye Sab kaam Amaanat mai khayanat ke andar dakhil hai, isse parhez karne ki zarurat hai ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Telephone Per Doosro ki Baate Sunna,*
┱ Do Aadmi Aapse alahida ho kar Aapas mai sargoshi kar rahe hai'n aur Aap Chhup kar unki Baato ko Sunne ki fikr mai lage hue hai'n k mai'n inki Baate sun lu K kya Baate ho rahi hai , Ye bhi Amaanat mai khayanat hai,
┱ Ya Telephone karte waqt Kisi ki Line Aapke Phone se mil gayi Ab Apne unki Baato ko Sunna shuru kar diya , Ye Sab Amaanat mai khayanat hai , Tajassus mai dakhil hai aur Na-jaa'iz hai , Halanki Aaj is per bada fakhr kiya jata hai , Mujhe fala'n ka Raaz maloom ho gaya ,isko bada hunar aur bada fun samjha jata hai , Lekin Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka farmaan hai k ye khayanat ke andar dakhil hai aur Na-jaa'iz hai ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Chiraag Se Chiraag Jalta Hai,*
┱ Har insaan Allah Ta'ala ke saamne Apne A'amaal ka Jawabdah hai , Log kya kar rahe hai'n, unko dekh kar mai'n bhi unke jesa ban jau'n ,iska koi jawaaz nahi ,
"__ Agar har insaan ke Dil mai Zameer ki Shama Roshan ho jaye ,Taqwe ki Shama Roshan ho jaye k mujhe Allah Ta'ala ke saamne jawab dena hai , Agar ek Aadmi ke Dil mai ye Ahsaas paida ho jaye to Allah Ta'ala ki Sunnat ye hai k Ek Chiraag se Doosra Chiraag jalta hai ,aur Doosre se Teesra Chiraag jalta hai ,aur is tarah Mahol mai ujaala ho jata hai ,
┱ Lihaza har insaan Apni Jagah per Amaanat ka paas karne ki fikr kare ,Ye na soche k Saari Duniya ek taraf ja rahi hai ,Mai'n Akela kya karunga _,
┱ Baat ye hai k Duniya mai jab bhi koi kaam hua hai WO Akele hi insaan se hua hai , Paigambar Jab Duniya mai tashreef late hai'n to WO Tanha hote hai'n, Koi unke saath nahi hota , Lekin Jab Kaam Shuru kar dete hai'n to Allah Ta'ala ki taraf se madad hoti hai ,
*Mai'n To Tanha hi Chala tha Jaanibe Manzil ,*
*Log Kuchh Milte gaye ,aur Qaafila Banta gaya,*
┱ Dua Farmaiye k Allah Ta'ala hum Sabko in Baato per Amal karne ki Tofeeq ataa farmaye aur Amaanato ka paas rakhne ka ki Tofeeq ataa farmaye , ( Aameen )
╙══════════╜
ReF✿┅╮
*_ Huqooqul ibaad aur Mamlaat ( Mufti Taqi Usmani DB)*
*╟❥Alhamdulillaah.........*
╨─────────────────────❥
No comments:
Post a Comment