💐💐💐
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*```BAATEN MERI YAADGAAR RAHENGI``*
┄┅════❁❁════┅┄
*DOSTI PAR EK NAZAR*
*●◗► Kuch Muhabbaten phooLon ki Tarah hoti hain khamosh khamosh Lekin unki mehak unke hone ki Pehchaan hoti hai kuch Lapakte ShoLo ki Tarah unme jaLne waLe khud bhi jaLte hain or unke Qareeb Rehne waLe bhi ye Tapish mehsoos karte hain Tab izhaar ki Zaroorat bhi kahan baaqi Rehti hai*
*●◗► Kuch Muhabbaton me Nadi ki Lehro ki Si Rawani hoti hai or kuch me medaani dariyao si Tughyani kuch Tootne waLe Tare ki Tarah hoti hain Aanan fanan chamak kar fana ho jani waLi Muhabbaten*
*●◗► Or kuch Muhabbaten Qatbi Sitaro ki si payedaar MustaqiL Raah dikhane waLi Muhabbaten Andhero me Roshni ban kar Chamakne waLi Muhabbaten*
*●◗► Kuch Muhabbaten Aabsharo ki Tarah hoti hain ke jab nichawar hoti hain to shor machati hain dan'danati hui or kuch parbato ke daman se phootne waLe jharno ki Tarah Thandi meethi Dheemi Dheemi Shaf'faaf Muhabbaten jeene ka Azm Ata karti hain*
*●◗► Tera ishq tha jo ghub'baar ban kar Qadam Qadam Mere Saath Tha*
*●◗► Teri khahishon ka Diya bhuja To nagar Nagar hai Dhuva'n Dhuva'n*
*●◗► MiLna or bichadna Zindagi ka hissa hai Lekin bichadne ke baad miLna zindagi ki Ummeed keh Lata hai faasLa kisi Rishte ko juda Nahi kar Sakta or waqt kisi new Rishte ki TakhLeeq Nahi karta Agar jazbaat sacche hon to Rishte hamesha Qayam Rehte hain*
*●◗► Dosti ka Rishta Aarzi Nahi hota sacchi dosti wo hai jo hamesha Qayam Rahe dosti sirf ek baar ki jaati hai or nibhaayi umar bhar jaati hai Duniya me sab se nayaab cheez izzat or sab se Qeemti cheez Dosti hai*
*●◗► Har new cheez acchi Lagti hai par dosti jitni bhi puraani ho Utni hi acchi or Pukhta hoti hai jahan Sadaqat or khuLoos nazar Aaye wahin dosti ka haath badhao warna Tanhaayi Sab se behatreen Rafeeq hai*
*●◗► Zindagi us waqt kitni Haseen o khoobsoorat Lagti hai jab koi dost diL o jaan se Dosti nibhane ka Ahad karta hai ek dusre ke gham me ShamiL hona wo Apni Muhabbat se hame jeene ki Raah dikhata hai*
*●◗► Lekin Aaj kaL to dost bin banaye hi ban jaate hain jo Apni gharz ke Liye Dosti ki Aad me dhong Rachate hain or waqt Aane par dhoka dene se bhi Gurez Nahi karte Dhoka de Jaate hain*
*●◗► Jab koi dosti ki Aad me kisi ko dhoka de uske Aytamaad ko Thes Pohchaye to phir jaante ho us diL par kiya guzarti hai phir uska ghuLaab jesa Nazukh diL ek dam se murjha Jata hai or Andar se Toot Foot kar bikhar jata hai*
*●◗►Kisi Shayar ne kitni khoobsoorat baat kahi hai*
*●◗►Muhabbat dekhLi hamne Zamane bhar ke Logon ki*
*●◗►Jahan Qeemat Zada ho wahan insaan bikte hain*
*●◗► Log kehte hain koi bhi Rishta badan par pehne hue kapde ki manind hota hai jise kisi bhi waqt TabdeeL change kiya ja sakta hai Lekin kayi Rishte Rooh ki Tarah hote hain jinke baghair insaan Zinda Nahi Reh sakta jaan se wabasta un Rishton me se ek Rishta Dosti ka Meri or tumhari Dosti ka*
*●◗►Dosti phooL ke manind hai jo Apni khushbu Apne chaaro Taraf bakhair deta hai Dosti ek madadgaar ki Tarah honi chahiye Jab bhi Zaroorat pade Kaam Aaye*
*●◗► Dosti ek mukammal Duniya hai SaaL ke SaaL guzar jaate hain Magar dosti Qayim or Dayim Rehti hai*
*●◗►Dosti Samandar hai kinaara hai Duniya me jeene ka Sahara hai*
*●◗► Dosti ek aise buLand pahaad ke manind hai jise bade se bada tufaan bhi Apni jagah Se Nahi hiLa sakta baLke usse Takrane se khud Reza Reza ho jata hai*
*●◗►Lekin Agar us Dosti ke pahaad ko kahi se Shak ka ek mamuLi sa kankar Lag jaye to ye pahaad Ret ke un TeeLon ke manind ho jata hai jisme hawa ke Saath muqabLa karne ki Taqat Nahi Rehti or wo Aahista Aahista khatm ho jata hai kiyu ke Shak ka wo kankar Aytamaad ki jagah Le Leta hai*
*●◗► Aap kon sa fesLa kab or kahan karne ja Rahe hain moqe or mehaL ko Zehan me Rakhna chahiye fesLa karte waqt diL Apni manwana chahta hai or dimaagh Apni Magar haqeeqat ye hai ham me Se Aksar Log Apne diL ke Qedi hain ham Logon me jazbaati pan hai or jazbaat ka Ta'alluq diL se hai ham Apne Aksaro beshtar fesLe jazbaat me Aakar karte hain or baad me pachtate hain*
*●◗► ek misaaL Aaj ham whatshap fb social media college har jagah par Dostiyan paaLne ka Shonq Rakhte hain ye bhi dekhne me Aaya hai wo insaan jo AkhLaaqi Qadro se bhara hai jiski khoobiyan uski jismani khamiyon se bahut buLand hain jo ek Azeem Tareen insaan hai jiske Saath Muhabbat ibaadat ho jab Zara ye socha jaye ke us mazoor insaan ko paane par mujhe Apne Waliden ke saath saath Na jane kiya kiya khona padega to khuLoos ka har jazba mar jata hai Muhabbat be'rang ho jaati hai or apne diL par Rona aata hai ki me kis insaan ke pyaar me pagaL tha ya thi*
*●◗► Ye ek Haqeeqat thi jo mene bayaan ki insaan ke AkhLaaq or uski Acchayi ka Ta'alluq dimaaghi soch se hai jab ke Zahiri pan ka Ta'alluq diL se hai or Aksar o beshtar diL hi jeet jata hai insaan diL ka Qedi hai*
*●◗► Lafz Dosti Zabaan se ada karna kitna SehaL or Aasaan hai magar iske mafhoom ko samjhna kisi ke Liye Aasaan Nahi dar AsaL ye Lafz Chaar Huroof ka majmua hai Dayanat daari wafadaari Sacchayi or Tabedaari muraad hai Agar in chaaro cheezon ka wajood doston ke darmiyaan Qayam rehta hai to dosti ka Rishta Kabhi Nahi Toot'ta*
*●◗► Dosti ek khoobsoorat Rishta hai bahut kam Log is Rishte ko Samjh paate hain wo baaten wo masaiL jo ham Apne maa baap bhai behan se Share nahi kar sakte uska haL ham Apne mukhLis Doston se pooch sakte hain wo Tamaam khoobiyan jo ham mukhtalif Rishton me ALheda ALheda dhoondte hain wo Tamaam ek mukhLis Dost me miL sakti hain*
*●◗► ALgharz maa baap or bhai behan ke baad Sab se Azeem or Muhabbat bhara Rishta Dosti ka hai jab bhi ham khud ko Tanha mehsoos karen pareshani se nidhaaL hon Hamari Saanse toot Rahi ho to un Lamho me ek hi Rishta ek hi Sahara aisa hai jo hame khade Rehne me madad deta hai ye Rishta ye Sahara Dost hi ka to hai*
*●◗► Jab tum kisi ko Apna Dost banate ho To Apne diL me Ek Qabristaan bhi Tameer karLo jisme Aap uski buraai'yon ko dafan kar sako usse jang na karo us par Apni bartari ka izhaar na karo uske mutalliq dusron se poochte na phiro ho sakta hai uska dustman Aapko koi ghaLat baat bata de or ye ghaLat fehmi tumhari Judaayi ka Sabab Ban jaaye or yun tum Ek Acche Dost se mehroom ho jao*
*●◗► Dosti zindagi ka Sab se bada wafadaar or Qeemati Rishta hai jiske Samne heere Moti Sona chaandi har mehgi se mehgi cheez ki koi Qeemat Nahi Rehti Agar isme khuLoos wafa hamdardi Muhabbat Aytamaad ke moti piroye Jaayen to ye kabhi Nahi Toot'ti or Agar hasad Bughz Kina Adawat Nafrat ke moti Piroye jaaye to ye yun bikhar jaati hai jese Sookhe patte bikhar jaate hain*
*●◗►Mere doston mere diL me bhi ek Qabristaab tumhari buraiyon ke liye hai Magar isme koi Qabar mojood Nahi*
*●◗► kehte hain ke insaan Apne doston se hi pehchana jata hai or yahi sach hai Dosti zindagi ke Liye Bahut Zaroori hai ye wo jazba hai jiski misaaL miLna mushkiL hai Dosti begharz honi chahiye or Agar koi Dost ki madad kar ke usse badLe ki Ummeed Rakhta ho to phir aisa shakhsh dosti ke mafhoom se waqif Nahi kiyu ke dosti me badLe ki Ummeed Nahi rakhni chahiye Dosti me bade imtehaan bhi Aate hain or usme jaan ki baazi bhi Lag sakti hai Aise Dosti Rakho ke Zamana uski misaaLe de kiyu ke Dost To mar jaate hain Lekin Dosti Zinda Rehti hai jis Tarah jism Saans ke baghair NamukammaL hai isi tarah insaan Dosti ke baghair NamukammaL hai insaan Sab se zada Apne Doston ke Qareeb hota hai Sab Saath chord dete hain Lekin Saccha Dost kabhi Saath Nahi chorta jis Tarah phooL Shaakh ke baghair murjhaya Sa Lagta hai isi tarah insaan Dosti ke baghair murjha Jata hai*
_*Next -955 Continue In Shaa Allah*_
•─━━━═════════━━━─•
✍🏻 _*Muhammad Babar Rashidi*_
_*Join Group*
*Ahle deoband*
*℡ +91-7037363325* ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*
💐💐💐
No comments:
Post a Comment