▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
*вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Ey Gunaah karne Wale ,Gunaah ke Anjaam se Mutma'in na ho Jana*
↬• Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu ne farmaya :-
"__Ey Gunaah karne wale ,Gunaah ke bure anjaam se mutma'in na ho Jana , Gunaah karne ke baad baaz esi baate hoti hai'n Jo Gunaah se bhi badi hoti hai'n ,
★• Gunaah karte hue tumhe apne daaye baaye ke farishto se sharm na aayi ,tumne Jo Gunaah kiya hai ye isse bhi zyada bada Gunaah hai ,
★ • Tumhe maloom nahi k Allah tumhare saath kya karenge aur fir tum hanste ho ,Tumhara ye hansna Gunaah se bhi bada hai ,
★. Aur jab tumhe Gunaah karne mai kaamyabi haasil ho jati hai aur tum us Gunaah per khush hote ho to tumhari ye khushi us Gunaah se bhi badi hai ,
★• Aur Jab tum Gunaah na kar sako aur tum gamgeen ho jao to tumhara ye gamgeen hona us Gunaah ke kar lene se zyada bada hai,
★• Gunaah karte hue hawa ke chalne se tumhare darwaze ka parda hil jaye ,usse tum darte ho aur Allah tumhe dekh raha hai isse tumhara Dil pareshan nahi hota to ye kaifiyat us Gunaah ke kar lene se bada Gunaah hai,
Hayatus Sahaba ,3/588
▔▔
*- Bikhre Moti-Jild_6*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Zubeda Ki Ek Neki per Magfirat - Azaan Ka Adab Kijiye*
↬• Zubeda Khatoon Ek Nek Malika thi ,Usne Nehre Zubeda banwa kar makhlooq e khuda ko bahut faayda pahunchaya ,
★• Apni wafaat ke baad kisi ko khwaab mai nazar aayi ,puchha :- Zubeda Khatoon Aapke saath kya maamla pesh aaya ? Zubeda Khatoon ne jawab diya k Allah Ta'ala ne bakhshish farma di ,
★ • Khwab dekhne wale ne kaha :- Aapne Nehre Zubeda banwa kar makhlooqe khuda ko faayda pahunchaya Aapki bakhshish to honi hi thi ,
"_ Zubeda Khatoon ne kaha :- nahi ! Jab Nehre Zubeda wala Amal pesh hua to Parwar digaare Aalam ne farmaya k Ye kaam to tumne khazano ke paiso se karwaya ,agar khazana na hota to Nehar bhi na banti ,mujhe ye batao k mere liye tumne kya Amal kiya ?
Zubeda Khatoon ne kaha k mai'n to ghabra gayi thi k ab mere liye kya banega ,Magar Allah Rabbul izzat ne mujh per maharbani farmayi ,Mujhe kaha gaya k tumhara Ek Amal Hume pasand aa gaya ,
★. Ek martaba tum bhook ki haalat mai tum dastarkhwan per beth kar khana khaa rahi thi k itne mai Allahu Akbar ke alfaz se azaan ki awaaz sunayi di ,Tumhare haath mai luqma tha aur sar se Dupatta sarka hua tha ,Tumne luqme ko waapas rakha ,Pehle Dupatte ko theek kiya ,fir luqma khaya , Tumne luqma khane mai takheer mere naam ke adab ki vajah se ki ,Chalo humne tumhari magfirat farma di ,
★• Maulana Ahmad Ali Lahori Reh farmaya karte they k insaan jab azaan sune to adab ki vajah se khamosh ho jaye,Azaan ka jawab de aur Aakhir mai masnoon Dua padhe ,mera tajurba hai k azaan ke adab ki vajah se use maut ke waqt Kalma padhne ki tofeeq naseeb hogi ,
▔▔
*- Bikhre Moti-Jild_6*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Muhammad Bin Qasim Reh. Ka ek Ghar Ujda Lekin Laakho Karodo insaan Islam mai Aa gaye*
↬• Muhammad bin Qasim Reh Jinke zariye Sindh aur Panjaab musalman hua , Unki Shadi ko chaar mahine ho gaye they, Unke Chacha Hajjaj bin Yusuf ne Apni Beti Nikaah mai di thi , Chaar Mahine baad unko bheja tha ,So Do saal tak WO yaha'n rahe hai'n ,
★• Aaj take Musalmano ke Naama A'amaal unke naam per jaa rahe hai'n ( Yani Unki mehnat se Mulk mai islam aaya ,Aaj Jitne Musalman bhi hai'n un Sab ke Nek kaamo ka Ajr unke Naama A'amaal mai bhi jata hai ) ,
★ • Saade Do saal baad giraftaar ho gaye ,Suleiman ke zulm ka shikaar hue ,Jail mai Shaheed hue , Apne ghar ko Sirf chaar mahine abaad dekh sake they aur hamesha ke liye Duniya chhod gaye , Lekin Karodo insaano ki hidaayat ka Ajro Sawab Apne Naama A'amaal mai likhwa gaye aur abhi tak likha ja raha hai ( qayamat tak likha jata rahega ),
▔▔▔
*- Bikhre Moti-Jild_6*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Hazrat Maulana Umar Palanpuri Reh. Ka istaqbaal inteqaal ke Baad*
↬• Hazrat Maulana Umar Sahab Palanpuri Reh Ka inteqaal hua ,Abhi Janaza rakha hai ,Ek Sahibe Nisbat ne MaKashfe mai dekha k Allah Ta'ala farishto se farma rahe hai'n k ,
"__Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki qabre athar se farsh nikaal kar Hazrat Maulana Reh ki qabr mai bichha diya jaye ,
Aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki qabre athar mai naya farsh Jannat se laa kar bichha diya jaye ,_ "
★• Jis Shakhs ne Apni Poori Zindgi Deen ke liye qurban ki ,Zindgi ka ek ek lamha Allah ke laadle paigambar ke Deen ke liye qurban kiya ,Agar uska ye ikraam kiya jaye to isme tajjub ki kya baat hai ?
▔▔▔
*- Bikhre Moti-Jild_7*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Hazrat Uqba bin Aamir ko Huzoor Ki Badi Ajeeb Nasihat*
↬• Musnad Ahmad mai hai k Hazrat Uqba bin Aamir Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ek roz meri Rasoole Khuda Sallallahu Alaihivasallam se mulaqaat hui ,Maine Jaldi se Aapka haath thaam liya aur Kaha :-
Ya Rasulallah ! Momin ki Nijaat kis Amal per hai ?
Aapne Farmaya :- Ey Uqba ! Zubaan thaame rakh ,Apne ghar mai hi betha raha kar aur Apni khataao'n per rota reh ,"
★• Fir dobara Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam se meri mulaqaat hui to Aapne khud mera haath pakad liya aur Farmaya :-
"__Uqba ! Kya mai'n tumhe Toraat ,Injeel ,Zaboor aur Qur'an mai utri hui tamaam Soorto'n se behtar Soorte'n bataau'n ,
Maine Kaha :- Haa Huzoor ! Zaroor irshad farmaiye , Allah Ta'ala mujhe Aap per Fidaa kare ,
"__Pas Aapne mujhe Surah " Qulhuwallah ..., Qul A'auzu birabbil falaq ...aur Qul A'auzu birabbin naas .., batayi , " Fir farmaya dekho Uqba ! inhe na bhoolna aur har raat inhe padh liya karna ,"
★ • Farmate hai'n k fir na mai'n inhe bhoola aur na koi raat inko padhe bager guzaari ,
"__Maine fir Aapse Mulaqaat ki aur Jaldi kar ke Aapka daste Mubarak Apne haath mai le kar arz kiya k Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Mujhe behtreen A'amaal irshad farmaye ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
Sun ! Jo tujhse Kate Tu usse Jud ,
Jo tujhe mehroom rakhe Tu use de ,
Jo tujh per Zulm kare Tu usse darguzar kar aur maaf kar de ,
▔▔▔▔▔▔
*- Bikhre Moti-Jild_7*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Saathi Tahanjud Ke Liye Uthe*
↬• Saathiyo ko chahiye k Raat ke Aakhri hisse mai Tahajjud ke liye uthe ,
★• Hazrat Sayyadna Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu ka qaul hai :-
"_Raat Ke Aakhri hisse mai murg ka uthne mai tujh per sabqat le Jana ,tere liye baa'ise nadamat hai,"
( Yani Agar Murga humse Pehle Uth kar Baang dene laga to Apne aap per afsos hona chahiye )
★ •Raat ko utho isliye k ishaaq Raat ko Raazo Niyaaz Karte hai'n ,Dost ke darwaze aur Chhat ke ird gird parwaaz karte hai'n , Har Jagah ke darwaze Raat ko band kar diye jate hai'n, Sivaye Dost Ke darwaze ke ,K jise Raat ko Khol dete hai'n,
★. Nihayat Khushu Khuzu ke saath chaar Raka'at ,Aath Raka'at ya Barah Raka'at Tahajjud ada kare ,
" __Hazrat Khwaja Abu Yusuf Hamdani ka mamool tha k Pehle Do gaana mai Aaytul kursi wala ruku aur Surah Baqrah ka Aakhri ruku padhte ,Fir Aath Raka'at mai das das aayaat padh kar Surah Yaseen mukammal farmate , Aakhri Do Raka'at mai teen teen baar Surah ikhlaas padhte , ( Hazrat Khwaja Abu Yusuf Hamdani Reh ki Sohbat mai Hazrat Shekh Abdul Qadir Jilaani aur Hazrat Khwaja Muinuddin Chishti Ajmeri ne faizaan paya hai , Aap in dono buzurgo ke Peer taleem kehlate hai'n )
*- Bikhre Moti-Jild_7*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Jo Haal Aadmi Ko Allah Ke Qareeb Kar de WO Achchha Haal hai*
↬• Sahaba Kiraam Ki is baat per badi nazar hoti thi k hamare ouper Gam aur Pareshaniya'n aa rahi hai ya nahi ,WO isko Allah Ta'ala ki muhabbat ki alaamat samajhte they, Bhook aur Faaqa aata tha to Wo khush hote they k Faaqa WO ni'amat hai Jo Parwardigaar Apne payaro ko ataa kiya karte hai'n, Gam aur Pareshani per khush hote they k Parwardigaar ne hume Apna samjha ,
★• Ek Sahabiya ka Waqiya hai k ghar ke andar leti hui thi ,Miya ne kaha k mujhe paani laa de , Raat ka waqt tha Jab WO paani ka pyala le kar aayi us waqt Miya ki neend lag gayi , Ab ye khuda ki Bandi Paani ka pyala le kar intezar mai khadi rahi k Miya ki Aankh khulegi to mai'n unhe paani ka pyala pesh kar du,
★ • Jab Subeh ka waqt hua ,Miya ki aankh khuli , Unhone dekha k Bivi Paani ka Pyala le kar unke inttezar mai khadi hai ,Ye dekh kar bahut khush hue , Kehne lage k Achchha mai'n tujhse itna khush hu'n k Aaj Jo bhi mutalba karegi mai'n tere is mutalbe ko poora karunga ,
"__Bivi ne kaha :- Achchha fir mera mutalba ye hai k Aap mujhe talaaq de dijiye ,
★. Ab pareshan hue k itni muhabbat karne wali ,Khidmat karne wali ,itni wafadaar ,Nek Bivi talaaq ka mutalba kar rahi hai , aur qaul bhi mai de betha hu'n, Poochhne lage k Talaaq Kyu chahti ho ? Bivi ne kaha :- Aapne khud hi kaha hai k Jo mutalba karegi mai poora Karunga , Ab Apne qaul ko nibhaiye aur mujhe talaaq de dijiye ,
"__Fajar Ki Namaz ke baad apna masla le kar Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke paas chal pade ,Abhi Raaste mai hi jaa rahe they k Khawind ka paanv kisi Patthar se takraya aur WO niche gir gaya ,Uske badan se kuchh khoon nikla ,Bivi ne foran dupatta faada aur zakhm saaf kar ke patti baandhi ,
★• Kehne lagi k nahi ,Ab masla poochhne ki zarurat nahi kyunki ab mujhe Aapse talaaq lene ki zarurat nahi hai , WO Kehne laga k ye kya baat hui talaaq maangi thi to bhi meri samajh mai baat nahi aayi , Ab mutalba chhod diya ,ye baat bhi samajh mai nahi aa rahi hai ,asal baat kya hai ,Bivi ne kaha k ghar chal kar bataungi ,
"__Jab ghar pahunche to Khawind ne bethte hi kaha k bataiye , Kenhe lagi Aapne hi to Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Hadees sunayi thi k Jab Allah Ta'ala kisi se muhabbat karte hai'n to pareshaniya us taraf YU daudti hai jis tarah paani ounchi jagah se nichi jagah ki taraf jata hai, Mai'n Aapki Bivi hu'n ,Kitna arsa Aapke saath guzaar chuki hu'n ,Maine Aapke ghar mai daulat dekhi ,Sukh dekha ,Araam dekha ,Khushiya dekhi ,Magar Maine kabhi Aapke ghar mai GAM aur Pareshani nahi Delhi ,Mere Dil mai ye khayal paida hua k kahi esa to nahi k Aapke Dil mai Nifaaq ho ,Jiski vajah se Hamare saath Allah Ta'ala ka bartaav Apne pyaro jesa nahi hai ,
"__isliye Maine kaha k Mere Aaqa Sallallahu Alaihivasallam ki Hadees sachchi hai Jo kuchh dekh rahi hu'n ye galat ho sakta hai ,Lihaza Maine chaha tumse talaaq le lu ,lekin jab Raaste mai jate hue Aapko zakhm laga ,Pareshani aayi to Maine foran samajh liya k Aapke imaan mai kisi qism ka shak nahi kiya ja sakta , Ab mai saari Zindgi Aapki Bivi ban kar Aapki khidmat karungi ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*- Bikhre Moti-Jild_7*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
✧✦
❈…… .. _*Istigfaar Pehle Padhe Ya Darood Shareef*
↬• Shekhul Arab Maulana Hazrat Gafoor Reh. Se puchha ,istigfaar Pehle padhe k Darood Shareef ,
★•Farmaya k istigfaar ki misaal Kapde ke dhone wale saabun ki si hai ,Jabki Darood Shareef ki misaal Kapde per lagane wale Atar ki si hai , Aap ye bataiye k Kapde ko Pehle Atar lagaye ya Saabun se dhoye ?
★ • Saail ne arz kiya k Hazrat Pehle Saabun se dhona chahiye fir Atar lagana chahiye ,
★. Farmaya :- Bas isi tarah Pehle khoob Naadim v Sharminda ho kar istigfaar padhe taki Dil Dhul jaye ,Fir muhabbat v aqeedat se Darood Shareef padhe taki Atar lage aur Muhabbate Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ki khushbu Ang ang mai samaa jaye ,
★• Ek Shakhs ne Rabiya Basriya Reh ke paas Duniya ki buraai ka tazkira kiya ,
To unhone farmaya :- Aainda mere paas na aana Tumhe Duniya se bahut muhabbat hai ,"
"___( Duniya esi mal'oon cheez hai k uska tazkira Allah walo ko buraai se karna bhi gawara nahi tha,)
▔▔▔▔▔▔
*- Bikhre Moti-Jild_7*
✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Bikhre Moti --1*
↬• Luqmaan Hakeem ne farmaya :- Mai chaand aur Suraj ki roshni mai parwarish paata raha Magar Dil Ki roshni se badh kar Kisi ko Saudmand na paya ,
★• Jis ghar mai aara'ish na ho bigad jata hai, isi tarah Jis Dil mai GAM na ho to WO bhi bigad jata hai ,
★ • Yahya bin Muawiya ne farmaya :- Dil handiya ke maanind hai Jabki Zubaan Chamche ki maanind ,Chamcha wahi nikaalta hai Jo Haandiya mai hota hai,
★. Qayamat ke bazaar mai Saude ki itni qeemat na hogi Jitna Momin ka Dil Khush karne ki ,
★• Namaz mai Jee na lagne ki vajah esi hai jese Chamde ke kaarkhane mai kaam karne wala Atar ki dukaan per jaye to uska Dam khutne lagta hai ,
★• Ek Taajir ne 30 saal roze rakhe ,ghar wale samajhte they k Din ka khaana Dukaan per khaata hoga ,Dukaan wale Samajhte they ghar se khaa kar aata hoga ,Kisi ko pata na chalne diya , ise ikhlaas kehte hai'n,
★• Jo ibaadat Duniya mai maza na degi WO Akhirat mai kya Jaza degi _",
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*- Bikhre Moti-Jild_7*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Gunahgaar aur Shaitaan*
↬• Jo gunaah per pachhtaye use Wali Samjho , Jo Gunaah ki parwaah na kare use Gunahgaar insaan samjho , Jo Gunaah Karke itraaye use Shaitan samjho ,
★• Gunaah Ko na dekho k kitna chhota hai Balki Allah Ta'ala ki azmat ko dekho k Kiski nafarmaani ki ja rahi hai ,
★ • Agar Tum galtiyo'n ko chhupane ke liye Darwaze band karoge to Sach bhi bahar hi reh jayega ,
★. Allah Ta'ala ki bargaah mai WO Gunaah Jo tumhe ranjeeda kar de us Neki se behtar hai Jo tumhe naza'n ( magroor ) kar de,
★•Sach per chalne walo ka har qadam Shaitaan ke Seene per hota hai ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*- Bikhre Moti-Jild_7*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Ikhlaas Kya Hai ?*
↬• Hazrat Ibrahim Tayyami Reh. ne kaha :- ikhlaas ye hai k Apni Nekiyo'n ko is tarah chhupaye k Jis tarah Apni Buraaiyo ko chhupata hai,
★• Saathiyo ko chahiye k Logo ko Allah ki Ni'amate yaad dilaye taki Shukr kare ,Apne Gunaah yaad dilaye taki Tauba kare , Nafs v Shaitaan ki adawat yaad dilaye taki Bach sake ,
★ • Ek gaafil ne kisi Shekh se kaha k Aapka mureed Riya se Zikr karta hai , Shekh ne farmaya :- uske paas to timtimata hua chiraag hai ,Lihaza bakhshish ki ummeed hai, Aapke paas to ye bhi nahi ,
★. Jisne Mamoolaat mai pabandi haasil kar li us per Rahmat hogi ,
★• Taqwa Ye hai k Roze Mahshar Koi tumhara girahbaan na pakde , Hum ESE Zamane mai paida hue hai'n k Salfe Saleheen ne Apne ilm aur Taqwa ke bavjood isse panaah maangi thi ,
★• Shekh Usman Khairabaadi Reh .Girahko ko Khote Sikke ke badle mai bhi maal de dete they, Marte waqt Dua maangi k " Ey Allah Maine logo ke Khote Sikke qubool kiye , Tu mere Khote A'amaal ko qubool farma _,"
★• Abul Hasan Noori Reh. Ki Dua ye hoti thi k Ey Allah ! Agar meri magfirat nahi karni to Jahannam ko mujhse bhar de aur baqi sab insaano ki magfirat nahi karni to jahannam ko mujhse bhar de aur baqi Sab insaano ki magfirat farma de ,
★• Jisse Hasad ho uske liye buland darjaat ki Dua karna Hasad ka behtreen ilaaj hai ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*- Bikhre Moti-Jild_7*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Ek Qeemti Nasihat:- Deen Ke Kaam Ke Zariye Shohrat talab karna Kamar Tod deta hai*
↬• Duniya mai ( Deen ke kaam ke zariye ) Apni Shohrat Ke talab hargiz na ho ,Kyunki Jisko is baat ki khwahish hoti hai uska Deen barbaad ho jata hai aur Aalame Akhirat mai Khaali haath Pahunchta hai ,
★• Magar ye k koi Allah Ta'ala ke iraade se bager Apni khwahish se zaahir aur mashhoor ho gaya ho ,Jese Auliya e Kamileen ko pesh aata hai , Sufiyan bin Ainiya Reh farmate they k Agar Auliya e Kamileen ko Shohrat ki khwahish hoti to unko koi bhi na peshchanta ,
★ •Sayyadi Muhammad Umri Reh farmate they k " Zahoor aur Shohrat ki talab Kamar Tod deti hai ," Yaad rakhe ! Is kaarkhana e Duniya mai Koi wali aur Aalim ESA nahi Jiska Dil Shohrat se mukdar na ho , WO Shohrat ke baad is is Sada e Qalb ke zarre ko dhoondhte aur taraste hai'n , Jo Shohrat se Pehle Allah Ta'ala ke saath Apne Dil mai paate they, Magar ab nahi paa sakte ,isiliye Tamaam Aarifeen Apne ibtidayi ahwaal ki taraf chokanne hote hai'n, isko khoob samajh le ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*- Bikhre Moti-Jild_7*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦ĺ
❈…… .. _*Haqq Bhaari Hota Hai*
↬• Haq Lekar ,Sachchi Baat Le kar Huzoor Sallallahu Alaihivasallam aaye aur Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne iski tasdeek Kï , Ye Paband hai'n, Parhezgaar hai'n, Motbar hai'n to sach Baat Maan lo,_,
★• Is Niyamat Ka yahi taqaza hai , iske saamne apne Aapko bichha do ,Apne Aapko qurbaan kar do ,Tab hoga ye , Fir koi dar nahi ,Sivaye iske k Allah ka kaam hai aur Allah ka kaam ho jaye bas Allah ke kaam ko poora karna hai, Allah ke kaam ka Haq ada karna hai,
★ •Saari Duniya ke kaamo se iski Noiyat bikul alag hai ,isliye ye kaam ( agar isko kaam ke tareeqe se karo to ) nafs per bahut bhaari hai ,
★. Huzoor Sallallahu Alaihivasallam per is kaam ka bahut bojh tha , Haq bhaari hota hai ,aur Kadwa hota hai , isse tarbiyat hoti hai ,Kyunki Kadwi dava hi bimaari door karti hai ,
★• Aur Bojh liye bager Aadmi banta nahi, isliye Bojh Lena padega ,is kaam ka , Ye Bojh wala Amal hai , Allah ko ,
★• Allah ki Makhlooq ko , Apne nafs ko bahut si cheeze dekhni padegi , Ye saaf suthra kaam hai , isme Nafs Kï koi aamzish ( milawat ) nahi ,isko Dilo Kï safaai ke saath kiya jayega,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Sahaba Raz. Dilo Ke Saaf they*
↬• Ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate they k ye Ashaabe Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Dilo ke bahut Paak saaf they,
★• Ye bahut badi baat hai ,Kyunki Allah Dilo ko dekhte hai'n , Sahaba Raziyallahu Anhum ke Dilo mai koi garz nahi , Duniya Kï Muhabbat nahi , Apni badaai ka khayal bhi nahi , Ye sirf Allah ke fazal ke Bhikhaari they
★ • Isi ka Asar tha k Ansar ( Raziyallahu Anhum ) Bhai ho gaye ,Varna bahut badi Dushmani thi ,Tareekhi Dushmani Mamooli nahi ,
★.Lekin Dil ESE Saaf ho gaye k Allah ne inke Bhai hone Kï gawahi Dï ,
★•Ye log ( Sahaba Kiraam ) ek doosre per Raham karne wale they, Logo Kï khidmat karne wale they ,
★• Sahaba Kiraam logo se kehte they k hamare Azaa'im Aakhirat banane ke hai'n ,Hum kisi garaz ke liye nahi aaye , Jitna Dilo ka rukh Aakhirat Kï taraf hoga ,Wo Apne Aapko har Shar ,Har fitno se bacha lega ,
★• Ye Deen Kï samajh hone Kï alamat hai k Apni Aakhirat banawe , Jis Amal se ,Jis mata , Jis harkat se Aakhirat na bane Wo Khail hai Dhoka hai , isliye Apne Aapki hifazat karni padegi , Mehfooz rahoge to Apni cheez ko bhi mehfooz rakh sakoge varna Apni cheez bhi kho doge ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Sahaba Kiraam Ka ilm gehra tha*
↬• Ashaabe Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ka ilm bhi bahut gehra tha ,Kyunki ilm ke bager Allah ke Hudood v Quyood Kï hifazat nahi ho sakti ,
★•Hazrat Maulana Ilyaas Sahab Reh farmate they mujhe Apne kaam ke bare mai ye khatra hai k Aakhir mai ye kaam Na-waakifo ke haath mai chala jayega aur Wo Hudood v Quyood Kï koi hifazat nahi karenge ,
★ • Sahaba Kiraam Tehqeek ke saath , Ahatyaat ke saath Apne Deen per chalte they , Dekha Dekhi nahi , Suni Sunayi nahi , Naqal bhi nahi , Tehqeeq ke saath chalte they,
★. Naqal to utaarni hai , Sirf Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï , Unki Naqal ka hukm hai ,Ahkaam mai bhi , Adaab mai bhi tamaam cheezo mai , Aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko hukm diya gaya tha k Aap tamaam Nabiyo Kï Naqal Aapke andar aa jaye , Aap nabiyo Kï naqal utaare , Ummat Aapki Naqal utaaregi ( Taki Nabiyo wali Khair aa Jawe ) , isliye Jo maaya hume milegi Wo Nabiyo wali milegi ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Mauqa Mahal Dekh Kar Logo se Baat Karo*
↬• Logo se mauqa mahal dekh kar baat karo , Logo se WO Baate karo Jo unki samajh mai aaye ,bardasht mai aaye ,
★• Varna , Ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate they agar logo ne kisi ke saamne koi Rivaayat pesh ki aur Log usko nahi samjhenge to WO Rivaayat unke liye Fitna banegi iski had ko WO nahi samjhenge , Jahalat mai na Haq maloom hota hai na had maloom hoti hai,
★ • Isliye Usool hai k WO Baate karo Jo unki samajh mai aaye ,Samjhe aur Samajh kar naqal kare ,
★. Ek maulana Jama'at le kar nikle , Nav Umar Bachche Jinhe Qur'an padhna tak nahi aawe , Socha inko Qur'an sikhaya jaye , Waha ke Zimmedaro ne kaha Pehle imaan sikho fir Qur'an sikho , Un Bachcho ka Qur'an Sikhna band ho gaya ( Rivaayat ko Samjhe nahi aur ) Qur'an aur imaan mai farq paida kar diya , Qur'an imaan hai aur imaan Qur'an hai ,
"__ isliye ibne Masoud Raziyallahu Anhu ne farmaya Rivaayat ko nahi samjhenge to fitna banegi , Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh ne farmaya tha k na-waakif log hudood v quyood ko nahi samjhenge ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Saari Umar ilm ki Talash mai Rahe*
↬• Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke zamane mai kitaabe nahi thi , Us zamane mai Chhapne ke aujaar nahi they,
★• Ulma ne likha hai Lekin unki Yaad itni pakki thi k Lambi Lambi hadeese unko yaad ho gayi , Unki Yaddasht ki ek aur Vajah tammul tha k Jo Baat ( Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki taraf se aayi ) us per Amal kar liya ,Ab bhoolne ka sawal hi nahi ,ilm mehfooz hone ki ye vajah thi ,
★ •Fir ( ilm ko ) pahunchane ki fikr , Marte marte bhi Hadees batate they k ye Hadees reh gayi thi , Saari Umar ilm ki talash mai rahe ,Chhoto se bhi ilm lete they, bado se bhi ilm lete they,
★. Takalluf aur Banawat inme ( Sahaba Kiraam mai ) nahi hota tha ,Apna maiyaar batane ki baat nahi hoti thi ,Galti ho to maan lete , Jo andar they WO bahar bhi they ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Sahaba Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Hayaat Ki Tafseer hai'n*
↬• Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Zindgi ke jitne Pehlu hai'n WO Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne Roshan kiye , Aane wali ummat ke liye ,
★ • Ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate they ,Unke ( Sahaba Kiraam ke ) akhlaaq aur Adaab ki Pervi karo ,mai Kaabe ki qasam khaa kar kehta hu'n Ye log Sidhe Raaste per they,
★ • Kyunki Sahaba Kiraam ki Jo Hayaat hai WO Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Hayaat ki tafseer hai ,Aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Jo Hayaat hai WO Qur'an ki tafseer hai, is tarah Qur'an tak pahunchna hoga , Hayatus Sahaba Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko samajhne ke liye aur Qur'an ko samajhne ke liye hai ,
★• Aur unko takeed ki jati thi k Dekho tumko khuda ne aage kiya hai Tumhare pichhe wale tumhare pichhe chalenge isliye Tum sidhe rehna ,
★. Ye baat hum per bhi aati hai k Allah ne Hume Kaam mai aage kiya hai ,Log pervi karenge ,hamari naqal utarenge ,isliye Sidhe ( Raaste per ) raho ,
★•Hamari mehnat mai Yahi asaar chalte hai'n ( naqshe Qadam ,Amaal ,Af'aal ) Sahaba Kiraam ke af'aal ,Baate Hayatus Sahaba mai saare Asaar hai'n ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Mahol Banana Padta hai*
↬• Deen Ke liye Mahol banana padta hai ,Deen ka Mahol hoga to Deen Parwaan chadega ,
★• Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Apne daure khilafat ke zamane mai Mahol ki poori ahatyaat rakhte they k Mahol na badle ,Ouncha Makaan koi na bana le taki log ye na dekhe , Musalman ko Dekhe Uski Duniya ko na dekhe ,
★ • Mashrat se Deen qaa'im hota hai ,Hukumat se Deen qaa'im nahi hota ,Kitni Hukumate hai'n islami aur Kitna Deen hai ?
★.Iqtedaar se kaam nahi chalta ,itteba se kaam chalta hai, isse Mahol Banta hai , Fir jab Doosre aayenge WO bhi ese hi ho jayenge itteba karne wale ,
★• isliye is kaam ke Zariye Apni Zindgi badalni padegi , Ouper se niche aana hai ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Niche Aane mai Tarakki hai*
↬• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko Mairaaj per bhi bulaya aur Gareebo mai bhi bithaya ,
★• Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Urooj bhi diya aur Saadgi bhi di ,Hamara Kaam bahut ouncha hai ,Lekin Saada hai , Apni Zindgi ko Saada banaya to Ye Amal mai aaya ,
★ • Niche aane mai tarakki hai , Ouper Jane mai nahi , Umoomi gasht mai Tarakki hai ,Khusoosi mai nahi ( Zarurat per karna padta hai ) Umoomiyat Asal hoti hai, Jaari paani ki tarah ,
★. Hamara har Aadmi har kaam kare ,Kyunki Jama'at hai Team nahi hai , isse Saadgi aati hai , Khala nahi padega , Mimbar per bhi bethna hai aur Kitchen mai bhi bethna hai ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Bhaai Chaara*
↬• Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne Apni mehnat se Mashra banaya ,is Mashre se unka Deen Ka Bhaai Chaara nazar aata tha ,
★• Ek Aadmi Hijaaj se Madina aaya , Logo ne puchha ( Madine Walo ko ) kesa paya ? Farmaya :- Khuda ki qasam Maine esa paya jese Ek Maa'n ki Aulaad hai'n , Mujhe bhi unhone Ajnabi nahi samjha ,
"__Farmaya :- Jaante ho ye Kyu paida hua ? Kyunki imaan hi unko ESA mila , Allah Ta'ala ki Ni'amate Deen se Bhaai ho gaye ,
★ • Huzoor Sallallahu Alaihivasallam jab Dawat dete they to Jodiya'n banate they k Tum iske Bhai ,Tum iske Bhai , Pehle hi Din se Bhai bana diya , ESA Bhaai Chaara banaya ,
★. Koi Masla pesh aa jaye to mil jul kar us per gor karo , Ye Hukm tha , Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Aapke baad bhi Masa'il pesh aayenge , Qur'an Hadees mai bhi ja
wab na mile to Kya kare ?
"__Aapne Farmaya :- Ey Ali , ibaadat guzaar bando ko Jama karna aur unse mashwara karna ,
★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam zyadatar Abu Bakar aur Umar Raziyallahu Anhum ki raay per rehte they , Aap Sallallahu Alaihivasallam farmate they Tum dono ki raay ek ho gayi to mai uske khilaaf nahi karunga , Farmate they ,Har Nabi ke Vajeer hote hai'n, Har Nabi ke musheer hote hai'n, mere Do Musheer Asmaan mai hai'n, Do Musheer Zameen per hai'n, Jibreel aur Miqa'il Asmaan mai, Abu Bakar aur Umar Zameen per ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Mashwara Kar ke Raay Lena*
↬• Mashwara Karo aur Raay Lo ,Kyunki Mashra hamara hai ,Hume logo ki Salahiyato ki zarurat hai ,
★• is kaam ke liye Logo ke maalo ki zarurat nahi hai ,Logo ki salahiyato ki zarurat hai ,Logo ki Salahiyate Haq per aaye ,Haq ki khidmat kare ,iske liye Bhai Chare ka Mahol banana padega taki har koi apna kaam samajh kar isko kare ,
★ •Raay lo ,Puchho ,Raay hi ek Sahara hai isteqamat ke liye , Mahol ke liye , isse Dil bhi judte hai'n , Jab Salahiyato ko kaam per lagaya to Dil Judenge ,
★. Isliye Nabi Salahiyato ko dekhte they chahe WO mukhalif hi Kyu na ho , Khalid ibne Waleed Raziyallahu Anhu mukhalif they to Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko intezar tha k Ye Sab Salahiyate Deen per lage , Aapne farmaya k agar ye Deen per Apni Salahiyate lagaye to hum isko aage aage rakhe , Ye nahi k isne nuqsaan pahunchaya to isko maaro kaato , ye Siyasat hai ,
★• WO Khud farmate they, Maine bahut ghode daudaye Aapki mukhalfat mai ,
"__Lekin is kaam mai Salahiyato ko pehchaan kar Unse Kaam Lena , Ye mashware se hoga ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Mashware mai Khair Hai*
↬• Ek martaba Aurto'n ki iddat ka Masla aaya ,WO Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke saamne rakha gaya,
★• Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya Quresh ki Budhi Aurto'n ko Jama karo ,Unko masla diya k Tum gor karo , Unhone bataya k ye masla hai ,To Hal ho gaya ,
★ • Masle jab aayenge to Salahiyate theek karengi , Agar Mashwara karenge to khair hai ,Mashwara nahi karenge to nadamat se nahi bach sakenge ,Ye zaroor pachhtayenge ,
★. Ye Mashra Maahol hai, isko qaa'im rakho taki Jo bhi aawe is kaam ko Samjhe , Zimmedari ko samjhe , Ye Amaanat hai , isliye Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko bahut Fikr thi k mere baad kya hoga ?
★• Ek Din Khutba dene ke liye Khade hue ,Kehne lage k Maine Khwaab dekha hai - Ek murge ne mujhe 3 thonge maari , Asma Binte Umair Raziyallahu Anha ne iski tabeer batayi k koi gair Arabi Aadmi Aapko Shaheed karega ,
"__Farmaya mai'n Sura se Zimmedar tay karta hu'n k WO mere baad Zimmedar banaye , Ye WO log hai'n jinse Huzoor Sallallahu Alaihivasallam raazi rahe unko maine chhanta hai , Mashware ki Zimmedari Amaanat daar ,Taqwe walo ko di,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Ummat Ka Kaam ,Ummatpane se Hoga*
↬• 3 Din tak Abdurrahman Bin Auf Raziyallahu Anhu jaage , Har ek se Raay li , fir tay kiya k Hazrat Usman Gani Raziyallahu Anhu Ameer ( Khalifa ) honge ,
★• Ye hamara Maashra hai , Hum ye kaam mil kar karenge , Ummat ka kaam hai ,Ummatpane se hoga , is Maashre per Deen qaa'im hota hai , Fitno ke darwaze band hote hai'n ,
★ • Nahi to Maashra bigda, to Hazrat ilyaas Sahab Reh . farmate they k Jo Saalo mai fitne aane wale they WO Mahino mai aayenge ,Tezi ke saath , Dilo ki Pakeezgi Sabse Pehle khatm ho jayegi ,
★. Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne puchha Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se - Kya is Shar ke baad koi khair aayegi , Farmaya- haa'n Khair to aayegi Magar Dil ese nahi rahenge ,Dil bigad jayenge ,
★• Dilo Ki Pakeezgi per Allah Ta'ala ki Madad aati hai , Allah Dilo ko dekhte hai'n k iski kya Talab hai , isliye Allah ko hi dikhana hai ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Nafrate Paida na Kare*
↬• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam jab Muballigeen ko bhejte they to farmate ,Logo ko basharate sunana Allah ke inamaat ki ,halaat ke banne ki ,Akhirat ki Ni'amato ki ,Khabardaar koi Nafrat ka Sabab paida na karna,
★• Ma'az ibne Jabal Raziyallahu Anhu ne ek baar Ishaa ki Namaz Padhayi , Bahut Lambi Namaz padhayi , ( Aalim Aadmi they bahut ounche darje ke ) , Ek Ansari Sahabi ne Namaz Tod kar alag Namaz padhi ,
"__ Puchha Kyu alag Namaz padhi , Kya tum munafik to nahi ,? Kehne lage :- Alhamdulillah mai'n munafik nahi hu'n Musalman hu'n ,Mukhlis hu'n ,( Lekin ) Mai'n ye Masla Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke paas le jaunga ,
★ • Aap Sallallahu Alaihivasallam ke saamne Masla rakha ,Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Din bhar to Mai'n Apne Baag mai kaam karta hu'n ( mazdoor Aadmi hu'n )Shaam ko yaha'n aata hu'n to Mai'n thaka hua rehta hu'n ,
★. To Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Ma'az Raziyallahu Anhu per naraaz hue , Bolo Ma'az Kya fitna khada karoge ( Yaha'n Fitne se muraad nafrat hai ) khabardaar Mukhtasar Namaz Padhao , Taki ijtimaiyat khatm na ho ,
★• Halanki Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ek martaba farmaya tha k Ey Ma'az yaad rakho mujhe tumse muhabbat hai ,
"__Pehli Ummato ke Deen is vajah se barbaad ho gaye k WO fat gaye ,to unka Deen bhi fat gaya ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Ounche Akhlaaq*
↬• Har Nabi ounche Akhlaaq ke saath bheja gaya hai ,Makhlooq ke saath Akhlaaq se pesh aate they, Khidmat karte they,
★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko to Akhlaaq ka sabse ouncha maiyaar diya Kyunki Aapke saamne sabse ounchi Jahalat thi ,
★ •Isaa Alaihissalam ke baad 600 baras hue koi samajhane wala inko nahi aaya , Us Jahalat ko khatm karna hai , Us Jahalat ko Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Akhlaaq se khatm kiya ,
★. 40 baras to logo ne Aap Sallallahu Alaihivasallam ko bager Deen ki Dawat ke Akhlaaq wala dekha hai , Abhi Nabuwat nahi aayi thi ,Aapko har maamle mai Akhlaaq wala dekha ,Amanatdaar dekha ,
★• Fir Nabuwat aayi ,Log mukhalif ho gaye , Aapne insaaf ,Ahsaan ,isaar bhi dikhaya logo ko , isse Jahalat dabi , Jab Aap Kamjor they tab bhi Aapne Akhlaaq dikhaye ,Jab Chaaro taraf se log Aapke mukhalif ho gaye tab bhi Aapne Apne Akhlaaq dikhaye,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Sachchaai aur Amanatdaari*
↬• Fatah Makka ke mauqe per bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Akhlaaq dikhaye k Mai'n Haakim nahi hu'n , Ye Allah ka Deen hai isme Tumhara bhi hissa hai , hissa tumhe dena hai ,
★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne unke saath ahsanaat kiye , Unko jhukta diya ,Maaldaar bana diya , Jo Salahiyat wale they unko Maal nahi diya ,Unko Kaam per lagaya , Khalid bin Waleed ,Amr bin A'as ko maal nahi diya ,Kaam per lagaya , inko aage rakha , Ahal Walo se kaam liya , Na- ahal ke paas kaam jaye to ye Qayamat ki Alaamat hai ,
★ •isliye is kaam mai Apne Aapko Amanatdaar banana hai ,Sachchaai aur Amanatdaari ,Ye hamare Mazhab ki Rooh hai'n, Hamara mazhab sachcha hai ,baqi Mazhab baatil hai ,isliye Allah Ta'ala is kaam mai Sachcho ko lete hai'n, Qayamat mai bhi Sachchaai hi nafa degi ,
★. Allah Ta'ala se maange isko k Allah Ta'ala Hume zimmedariyo per qaa'im rakhe aur Amanatdaari ke saath ,Apni kotahiyo ki nadamatdaari ke saath k Humse poora nahi ho raha hai , Tanhaiyo'n mai Allah se maafi maange ,
★• Tanhaai sahi hogi to bahar bhi sahi hoga ,Khilwate sahi nahi to Jalwate bhi sahi nahi ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Maqsade Zindgi*
↬• Musalman ka Maqsade Zindgi uska Deen hai , Allah ne Musalman Ko Deen ke liye Paida kiya hai aur Deen ko Musalman ke liye utaara hai Asmaano se aur Poora Deen Utaar kar Allah ne hume diya hai ,
★• Hajj ke moqe per Jab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Hajj kiya to Ye Aayat utri thi k Maine Aaj tumhara Deen poora poora kar diya ,aur Tumhare liye Zindgi guzaarne ka ye tareeqa pasand kiya hai Jo mai'n de raha hu'n ,
★ • Pasand Kar ke Allah ne Deen diya ,Socho Allah Jis Cheez ko pasand kare ,WO cheez kesi hogi , Us Deen ki kya haisiyat hogi Jisko Allah pasand kar ke de raha hai ,
★. Isliye is Deen ki Ahmiyat ko samajhna hai k Allah ne kaisa Noor Humko diya hai ,
★• Jab ye Aayate utri to Yahood ne ye kaha k agar ye Aayate hamare Ouper utarti to is Tareekh ko Eid manate , Har saal jashn karte ,Tyohaar mañate is Din ko , Farmaya k hamari to Eid ho chuki ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Duniya Ka Samaan Dhoka hai*
↬• Aur Allah Ta'ala ne ye bhi bata diya k Deen ke bager Aapko Kamyaabi nahi milegi ,Jo Kamyaabi hogi WO Deen se hogi , Bager Deen ke agar koi cheez milti hai to WO Dhoka hai,
★• Dhoke ka Shuru hissa nafa wala hota hai , Jab Nateeja aata hai to pachhtawa , Hamesha Dhoke ka aakhir pachhtawah hai , isliye Allah Ta'ala ne kaha k ye Saara Samaane Duniya Dhoka hoga ,iske pichhe tumhe pachhtana padega ,k Allah ne Jo pasand kar ke cheez di thi Usko to li nahi ,humne usko chhod kar doosri cheez le li to Dhoka khaaya ,
★ • Isliye Allah Ta'ala ne agaah kar diya k Sahi cheez aur Sachchi cheez Lena aur Sahi aur Sachchi Cheez WO Jo Allah aur Uska Rasool de , Humko Allah ne Deen diya ,Ye ek baat hai,
★. Doosri Baat ye hai k hamare Jo halaat sahi honge ya bigdenge Kyunki Hum Kalme wale hai'n ,hamare halaat ke banne bigadne ka Jo talluq hai WO Duniya ki cheezo se nahi hai , hamari Line alag hai , isliye Duniya ki cheez kam aayi ya zyada aayi isse hamari Kamyaabi ka koi talluq nahi hoga ,
★• Hamari Kamyaabi ka talluq Deen se hoga , Kyunki ye hamari Line hai ,Allah ne Hume Hukmo wali Line di hai ,agar Hum Hukmo per rahenge to Kamyaab ho jayenge ,Hukmo ko chhod denge to Na-kaam ho jayenge,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Mehnat se Nafa Nuqsaan Khulta hai*
↬• Jo cheez Jitni qeemti hoti hai uski Mehnat bhi utni qeemti hoti hai,
★• Haq se faayda uthane ke liye Haq ki mehnat karni padegi ,Deen Haq hai , Deen E Haq ke liye Mehnat karo to Allah Ta'ala iske nafe kholenge ,iske faayde zaahir honge , iske na hone ke nuqsaan bhi khulenge,
★ • Mehnat ka ye Asar hota hai k nafa nuqsaan khulta hai , Jis cheez ki Mehnat se Aadmi BeKhabar hota hai us cheez ke nafe nuqsaan se bhi Aadmi Bekhabar hota hai, aur Jis cheez ki mehnat se Ba-Khabar hota hai Us cheez ke Nafe Nuqsaan se bhi Ba-khabar hota hai,
★. Hum Deen ki Mehnat mai aayenge to Deen hone ka kya nafa hai khulega ,aur Deen na hone ka kya nuqsaan hai ye bhi khulega ,
★•Agar ye nahi hai ( Deen ki Mehnat ) to hum kuchh nahi janenge ,Deen hoga to kya ,Deen na hoga to kya ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Insaani Zindgi ka Pehla Sabaq*
↬• Deen esi cheez hai k Deen per rehna ,Deen per chalna ye to insaani Zindgi ka Pehla sabaq hai ,
★• Jabse Allah Ta'ala ne Aadam Alaihissalam ko vajood diya tha Pehla sabaq yahi diya tha k Maine tumhe Zameen per Jo basaya hai to Zameen ki cheezo ki tarakki ke liye nahi basaya ,tumhe to Maine ek khaas kaam ke liye basaya hai aur Tumhari tamaam zaruriyaat ka Maine intezaam kar diya hai ,
★ • Kehte hai'n Aadam Alaihissalam ke paida karne se 6 Din Pehle Asmaan ,Zameen, Zameen ke andar ki tamaam cheeze Jo Qayamat tak hoti rahengi WO Sab bana di , Saatva Din Juma ka Us Din Aadam Alaihissalam ko paida kiya Asar ke waqt ,
★. Fir Jab Zameen per utaara k Zameen ko Abaad karna Sirf isliye hai k Zameen per tum Allah Ta'ala ke Hukmo ko poora karoge Allah Ta'ala ke Hukmo per chaloge ,Allah Ta'ala ke Hukmo ki Raah banaoge ,
★•Aur ye bhi farma diya k Aur Jo is Raaste per rahega WO bhi Kamyaab rahega ,Aur Jo is Raaste se hatega WO kabhi Kamyaab nahi hoga ,
"__insaani tareekh ka ye Sabaq hamara Pehla sabaq hai Aaj ka nahi hai ,
-
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Bhoola Sabaq Nabiyo'n Ke Zariye Yaad Dilaya*
↬• Fir Ye sabaq hum bhoole ,Allah ne yaad karaya , Nabi bheja ,Fir bhoole fir yaad karaya , Ese Allah Ta'ala Rasool bhejte rahe ,
★• Kyunki Aadmi Duniya mai aa kar Duniya ke asbaab ko Duniya ki cheezo ko ,Zarurato ko dekh kar maqsad bhool jata hai ,Ye iski aadat hai k jis kaam ke liye gaya tha usko bhool gaya ,Doosri cheezo mai reh gaya ,
★ • To Allah Ta'ala Apni Rehmat se uski yaad dahani karate hai'n , Dekho tum ek kaam ke liye bheje gaye ho us kaam per rehna hai ,us kaam ko kar ke mere paas aana hai , iske liye Rasoolo ka Silsila chalaya Allah Ta'ala ne , WO Silsila Huzoor Sallallahu Alaihivasallam per poora ho gaya aur Jo baat kehni thi poori poori WO aapko de di k ab aane wali tamaam insaniyat ke liye ek hi zaabta hoga , agar WO kamyaab hona chahe to isi Raaste se hoga ,
★. Ye hamara Pehla sabaq hai Tableeg , Deen per rehna ,Deen ke liye Zameen mai Raasta banana k Deen ke liye Raasta banao taki Duniya ke log is Deen per chale , Duniya mai Jao aur tumhari Mehnat se Duniya mai ESA Raasta ban jawe k log asaani se Sunnat Shariyat per chale ,
★• Yahi is Ummat ka maqsad hai Ye Ummat Duniya mai esi Zindgi guzare ,esi Mehnat kare k logo ke liye Haq raasta khul jawe k ye Rassta Haq hai ,Andhera Ujaala khul jawe ,Doodh aur Paani alag ho jawe ,ye hamara kaam hai,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Is Mehnat Ko Seekh kar Kare*
↬• Allah Ta'ala ne Apne Nabi ( Sallallahu Alaihivasallam ) se kehalwate hai'n k Keh do ye mera Raasta hai , Ye meri Line hai , Mai'n Allah ki taraf Dawat deta hu'n ,Poore yaqeen ke saath aur Ye Dawat Mai'n bhi dunga aur meri Ummat bhi degi ,
★• Is Mehnat ko seekh karke ,Amal karke achchhi tarah samajh le, Fir Duniya mai jawe , Apne Kaam ke liye jawe to bhi ye kaam kare ,
★ • Kaam Saamne nahi hota to uska nafa saamne nahi hota ,Fir log karne wale ko Bewakoof kehte hai'n ,
★. Nabiyo'n ko Sahaba ko Log Bewakoof kehte, Ye pagal hai ,Har Nabi ko Pagal kaha gaya , Jab Nabi ka kaam ban jata tha to Kehte Jadugar hai , Halanki Qudrat se unke kaam ban jate they, Ye rukawat daalte they Khuda unke kaam bana dete ,
★•Isme koi Shak nahi k is kaam mai bada Asar hai , Zindgiyo ko badalne mai ,Zindgiya'n badal jayegi , Haq samajh mai aa jayega , Haq Dil mai utar jayega , Kyunki Haq to Dil mai jagah leta hai , Jiske Dil mai betha ,nahi niklega kuchh bhi karo ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Mehnat Ka Asar - Aadmi ki Zindgi badal jati Hai*
↬• Is kaam mai bada Asar hai ,Zindgiyo ko badalne mai , Zindgiya'n badal jati hai , Aur Jo Jitna Jahalat mai hoga Us per is Kaam ka utna hi zyada Asar hoga ,
★• Isliye humne Duniya mai dekha hai Kitne hi Chor Pakke paaband Wali ban gaye , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate they k Islam ki qadar WO pehchanega Jisne Jaahiliyat mai Apne Din kaate honge ,
★ • Hazrat Jaafar Raziyallahu Anhu ne Najaasi Baadshah ke saamne kaha tha k Hum to Jaahil they, murdaar jaanwar khaate they, Ek Doosre ko tang karte they, Yateemo ka maal khaate they, Fir Allah Ta'ala ne Hume Deen diya ,
★. Isme koi shak nahi ,is Mehnat mai Asar hai Bahut , isliye kehte hai'n Jaadu hai ,Jaadu kuchh nahi hai , Baarish ke paani se Zameen Zinda ho jati Hai , Ese hi Mehnat ka Asar hai ,Aadmi ki Zindgi badal jati Hai ,
★• Paaband ,Parhezgaar , Muttaqi ho jawe , is Kaam ke zariye se Allah Paak Apna Dar daal dete hai'n , Dilo mai dar pada bas battery charge ho gayi , aur jab Dil dar se khaali hai to fir Zindgi Hukmo per nahi jati ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Samjhana Bahut Zaroori Hai*
↬• Shuru mai Kasmpursi hoti hai, Rukawate aati hai ,Koi sunta nahi hai ,
★• Allah Ta'ala rukawate Pehle daalte hai'n madad baad mai dete hai'n , Ye Allah ki Shaan hai , Jese Pehle Bachcha bhooka hoga fir Maa'n ka doodh baad mai , Ye parwarish k nizaam hai ,Bhook Pehle denge fir Giza denge ,
★ • Bhook ke baad Jo Giza jayegi WO Badan ka hissa banegi ,ESE hi is kaam mai rukawate aayengi ,Aadmi mehnat karega to uske andar talab paida hoti hai Kaam ki Deen ki , Fir Allah Ta'ala usko Deen dete hai'n, Fir WO ( Deen ) nikalta nahi ,
★. Yaad rakho samjhana zaroori hai ,Maulana Yusuf Sahab Reh farmate they k hum samjhane mai kami na kare , Ek cheez to hai Bayan kar dena , ye bhi theek hai ,Lekin asal to samjhana hai , Kyunki Allah Ta'ala ne har ek ki samajh alag alag rakhi hai , Paanch ungliya'n ek jesi nahi banayi ,
★• Bahut se log bahut samajhdaar hote hai'n, ishare mai samajh jate hai aur faisla kar lete hai'n k yahi karna hai , Logo mai Allah ne samajh rakhi hai ,
"__Hadees mai hai - Log Apni jagah itne qeemti hai'n jese Sone aur Chaandi ki kaane hoti hai Zameen mai
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Khush Naseeb Bande*
↬• Allah tak pahunchne ke liye Allah Ta'ala ko khush karne ke liye logo ke darmiyan raasta banana ,
★• Isse Allah ki khushoosi madade utarti hai'n, dono taraf utarti hai'n, Kaam karne walo per bhi utarti hai'n aur Jinme kaam karoge Unme bhi utarti hai'n ,
★ • Kaam karne walo mai Jo madade utarti hai'n WO ye hoti hai k Mehnat karne ki vajah se Allah Ta'ala unke Dilo mai kaam ki Ahmiyat bada dete hai'n ,fir Allah unse kaam lenge aur ye kaam karenge Duniya mai , Allah Ta'ala ki taaqat se ye chalenge ,
★. Jitna Aadmi is kaam mai chalega Allah Ta'ala is kaam ki Ahmiyat uske Dil mai badate chale jayenge , Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ke Dil mai Jo Ahmiyat thi WO kisi Ke Dil mai nahi thi , WO itna bhi nuqsaan Deen ka bardasht nahi kar sakte they k Deen mai nuqsaan aawe aur Mai'n Zinda rahu ,
★•Khush Naseeb hai'n WO Bande Jinke haatho se Khair aur Bhalaai fail jawe aur Shar aur Buraai mit jawe ,Qabile Mubarak baad hai'n , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam farmate they, Khush Naseeb hai'n WO Bande Jinko Allah Ta'ala khair ke failne ka zariya banaye ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Is ( Deen ) Ni'amat Ka Shukr Kare*
↬• Allah Ta'ala ne WO Mubarak Ni'amat Hume ataa farmayi hai ,isliye is Ni'amat ka Shukr hi yahi hai k Apne Aapko is Ni'amat ke liye khapa dewe ,Apne aapko thaka dewe aur Apni nafi apna maal aur Apni jaan is per laga dewe , ye iska shukriya hai ,
★• Jab iska Shukr adaa karenge to ye Ni'amat aur badayenge Allah Ta'ala aur itna badayenge k Dushmano ko Dost bana denge ,Deen ke Dushman Deen ke Dost ho jayenge , Maarne wale Marne wale ho jayenge Apne Deen ke liye ,ESA bana denge Allah ,
★ • Allah Dilo ki Dushmani nikaal kar Dilo mai Tauba daal dete hai'n , Fir WO Tauba kar ke aate hai'n ,Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke paas Tauba kar ke aate they , Fir itna kaam kiya k koi nahi kar sakta ,
★. Maulana Yusuf Sahab Reh farmate they k Jab Log Mehnat karenge Allah ke Deen ki to Allah Ta'ala Dilo per yahi Asar dalenge ,inko pata nahi chalega ,
*"__Jab Mehnat had tak pahunch jati hai tab Allah Ta'ala Dilo ke palatne ka faisla karte hai'n ,*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Hazrat Khalid ibne Waleed Raziyallahu Anhu Ki Tauba*
↬• Rivayato mai hai'n k Hazrat Khalid bin Waleed Raziyallahu Anhu Sahaba Kiraam ki Jama'at mai bahut bahadur Aadmi they , Unko Aap Sallallahu Alaihivasallam se bahut dushmani thi , WO Aapka chehra bhi dekhna nahi chahte they ,itni inke Dilo mai tangi thi Aapki taraf se,
★• Jab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Umra ko gaye to Khalid ibne Waleed Makka mai hi they, Jab Musalman nahi hue they to Makka se isliye chale gaye k mai'n inko dekhna nahi chahta ,itni Dushmani thi inke andar ,
★ • Lekin Allah ki Shaan, Allah Jo chahte hai'n WO hoga , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Umre mai unke Bhai se puchha k tumhara Bhai kaha'n hai , Unko maloom tha k WO Aapki vajah se chala gaya lekin adab ki vajah se unhone ye nahi kaha Balki ye jawab diya k Ya Rasulallah Allah usko layega ,
★. Apne farmaya itna samajhdaar Aadmi hai , agar WO Apni samajh ko hamare kaam per lagawe to hum uski qadar kare aur hum to usko aage rakhe , Unke Bhai ne ye baat unko likh di k tu to ye soch raha hai lekin Teri yaha qadar ho rahi hai, to Khalid ibne Waleed bahut mutassir hue aur faisla kar liya k Kuchh bhi ho Madina hi Jana hai ,
★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke paas aaye aur maafi ki guzarish ki k maine aapki mukhalfat mai bade ghode daudaye ,
"__Farmate they k mai'n Aapki mukhalfat mai bahut koshish karta tha lekin Mai'n dekhta tha k madad to inhi ki hoti hai ,isliye inka Kufr kamzor pad gaya ,
*__Ye hoga k Deen ki log mukhalfat karenge aur madad Allah Deen walo ki karenge ,*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Ye Dawat Ka Tareeqa Hota Hai*
↬• Dawat un logo ke liye nahi hai Jo hamari Haa'n mai Haa'n milaye Balki Dawat unke liye bhi hai Jo hamari Haa'n mai Haa'n milaye aur Unke liye bhi hai Jo hamari Haa'n ko kaate ,
★• Dawat mai ikhlaas bhi chahiye Dawat mai Akhlaaq bhi chahiye , Wo ( Daayi ) Buraai ke Jawab mai Bhalaai kare to Dawat Tarakki karti hai ,
★ • Huzoor Sallallahu Alaihivasallam yahi karte they k isne hamare saath Dushmani ki hai ,hamare saath Buraai ki hai , Hum to iski madad karenge ,
★. Isliye Allah ke Raaste mai firna zaroori hai ,Allah ke Raaste mai firne mai Akhlaaq ki mashq hoti hai ,
★• Khidmat karta hai Aadmi Usse Akhlaaq wala banta hai , Aadmi ikhlaas wala banta hai , Fir Apne Akhlaaq aur ikhlaas se WO logo ke Dilo ke ferne ka zariya banta hai ,
"__Hum to is mehnat ko makhlooq ki hidayat ke liye kar rahe hai'n k is Mehnat ke zariye se makhlooq ko hidayat ho jawe , Jis Kaam ke liye Allah Ta'ala ne insaan ko banaya us Kaam per aa jawe ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Mehnat ko Samajh Kar Karna Hai*
↬• Ye Asli cheez hai Mehnat ko Mehnat se samajhna hai , Sohbat se Mehnat ko samajhna hai ,
★• Jab ye Dono Baate hongi k kaam karne walo ki Sohbat mai Reh kar Mehnat ko samjha jayega aur Kaam karne wale isko samjhayenge , Qurbaniyo per Zindgi padegi to fir Allah ka hidayat ka Jo Vaada hai WO poora karenge aur Fir halaat banna shuru ho jayenge , Rukawate door ho jayengi aur Log Apni Salahiyato ko Apni Soch samajh ko Allah Ta'ala ke Deen per laga denge ,
★ • Ab to Allah ne Kaam ko asaan bana diya hai ,Asaan banne ke baad bhi Aadmi kaam mai na lage to ye Mehroomi hai , Allah isse hifazat farmaye ,
★. Isliye is kaam ko Apna odna bichhona banana hai , Jaha'n bhi jaye Phool ki tarah Apni khushbu chhode ,
★• Imaan Wala kahi bhi jawe Apne imaan ki baat chalawe ,Imaan ki Dawat chalawe , Jab iski mashq hogi to jaha'n jayenge Apni Baat rakhenge , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam jaha'n bhi jate Apni Baat rakhte they,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Ummat Ke Saath Deeni Talluq Paida Karo*
↬• Hikmat ke Saath Baat rakhi jati hai ,Fir Dil palat te Hai'n Chahe Kitni hi buri Zindgi ho ,
★• Maine Suna Tha Maulana Ilyaas Sahab Reh. Ke bare mai Jab unhone Kaam Shuru Kiya ,Dehli Shehar bhi itna bada nahi tha , Jab Kabhi Safar ke liye Railway Station jate they to Raaste mai ek Purana Qila tha , Waha'n kuchh log bethe hue hote they ,
★ • Dekha k Apne hi Bhai Hai'n to Unhe Salaam karte they , Achchhe Hai'n ,? Khairiyat se Hai'n ? Itna puchh kar aage chale gaye ,Aur kuchh nahi kaha ,
"__Fir waapsi hui Kuchh Din baad fir salaam kiya ,Khair Khabar puchhi ,Aage kuchh nahi kaha , Chand baar esa hua , WO log sochne lage k Bade Miya aate Hai'n Salam karte hai'n Khair Khairiyat puchhte Hai'n ,aage to kuchh puchhte nahi , Asal mai ye Dakuo'n ka giroh tha ,
★. Ek. Dafa fir ESA hi hua aur Fir kaha mai'n aapka Bhai hu'n ,WO saamne masjid Hai Mai'n waha'n rehta hu'n , Kabhi kabhi hamare paas bhi aa jaya karo ,
★• Talluq Paida kar ke kaam karaya jata hai , isliye hum ye kehte hai'n k Ummat ke saath Deeni Talluq Paida karo , Jab Ummat ke saath Deeni Talluq Paida ho jayega to fir ye Ummat ko Deen ki taraf khichega ,Chahe Chor ho ,Daku ho , Luchcha ho , Dawat ka matlab ye hai k Ummat ke saath Deeni Talluq Paida karo ,
↬• Jese Tijarati talluqaat hai'n ,Karobaari talluqaat hai'n logo ke ek doosre se ,Ese hi is mehnat mai yahi kaha jata hai k Ummat ke saath Deeni Talluq paida karo k Kon hai'n , kya Hai'n ,Khairiyay hai ? Salaam kare , HADEES hai Salaam Karne se muhabbat paida hoti hai ,
★• Un Dakuo'n ke Group ka Jo Bada tha ( Sardaar ) WO aaya fajar mai Chaadar oad kar , Fajar ke baad baat hoti thi , Us Zamane mai log bade mujahide se aur badi qurbaniyo se chalte they , To unki baat bhi bahut Asar karti thi ,
★ • Usne baat suni , Baat Sun kar WO to Hakka Bakka reh gaya ,k Hum kya sochte they aur ye kya hai'n , ye to Zameen Asmaan ka fark hai ,
★. Jese Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya k islaam ki qadar WO janega jisne Jaahiliyat mai apne Din kaate honge , inke to Jaahiliyat mai ,gunaaho mai Din kat rahe they , To ye to pighal gaye aur faisla kar liya k Ab chahe kuchh bhi ho Ab Jaan Maal Zindgi is Kaam per lagani hai ,
★•Allah ta'ala is Mehnat ke zariye se ,Jab ye Mehnat ek Taaqatwar Mehnat banti hai to iske Asraat Dilo per padte hai aur Dil Allah Ki taraf palta kha jate hai'n aur Yahi hamara maqsad hai ,k hum Ummat mai chal fir kar esi Mehnat kare apni qurbaniyo ke saath k logo ke Dilo ka Allah Ki taraf palatna ho jawe ,
"__isliye ye Nabuwat wala kaam hai ,Nabuwat ka kaam isliye hai k Nabi Allah aur Bando ke darmiyan hota hai ,Allah se leta hai aur bando ko deta hai , Allah se Hidayat Lena aur Bando ko dena , Hidayat per Apni Zindgi ko daalna aur logo mai isko chalane Ki Mehnat karna ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Pehli Zimmedari -Apne Aapko Deendaar Banana*
↬• Mai'n Kaha karta hu'n k Hamari Teen Zimmedariya hai'n , Ek Zimmedari har musalman Ki ye hai k WO Apne Aapko Deendaar banawe ,
★• Jis Tarah Apne Aapko khush haal banate hai'n ,Maaldaar banate hai'n , Tandurast banate hai'n , Ye har Aadmi chahta hai ,Ese hi Apne Aapko Deendaar banana ,Ye pehli zimmedari hai ,
★ • Allah Ta'ala ne farmaya Ey imaan walo Apne Aapko bhi aur Apne Ahlo Ayaal ko bhi Dozakh Ki aag se bachao , Dozakh se hum kese bachayenge , Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate they is Aayat ka matlab ye hai k Apne Aapko Deendaar banao taki Dozakh se Bach jao ,Kyunki Dozakh Haq hai aur Jannat Haq hai ,WO Saamne aane wali hai ,
★. Deen ke bager Kaamyabi nahi hogi Dhoka hoga ,Jab Zindgi poori hogi aur WO Dhoka lamba hoga Usse nikal nahi sakega Aadmi ,
★• Har Aadmi se Qabr mai uske Deen ka sawal hoga ,Zindgi to poori ho gayi Kya kar ke aaye , Tumhe kis kaam ke liye bheja tha ,
"__itna Deen Sikhe ,itni Mehnat kare k imaan qavi bane , itna imaan qavi bane , itna taaqatwar bane k WO Allah ke Farzo per khada rahe , Allah ke haraam kaam se bacha rahe aur Allah ke Deen ke taqazo per chalta rahe , itna imaan qavi banana zaroori hai ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Akhirat Ko Samajhna Hai*
↬• Masla Asal Akhirat hai , Yaha'n chahe Khot nazar na aawe lekin Jab nateeja aawega to khara khota alag ho jawega , isliye Akhirat bane , Duniya guzarne ke liye hai aur Akhirat baqi rehne ke liye hai,
★• Hazrat Maulana Ilyaas Sahab Reh .farmate they Zindgi ka jo zamana hum zameen per guzaarte hai'n WO bahut thoda hai ,aur uske baad ka zamana bahut lamba hai ,
★ •Qabr ka Zamana bahut lamba , Jab tak qayamat ka Soor na fuke tab tak qabr mai rahega fir Soor fookne ke baad Jab tak doosra soor na fuke usi haal mai rahega , Fir qayamat ka maidaan WO bhi bahut lamba , Ek Ek marhala bada lamba hai ,
★. Farmate they _thodi der ke liye to hum badi Mehnat karte hai'n ,itne bade muqaam aur itne bade bade marhalo ke liye kitni Mehnat karni chahiye socho ,
★• Akhirat Samjha kar Dawat dete they , Akhirat ko samajhna hai , Dilo se Akhirat ka rukh nikal gaya hai , is Mehnat Ki barkat se Rukh hua hai Akhirat Ki taraf ( Varna bhoole Bethe they Akhirat ko ) ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Doosri Zimmedari- Hamara Mahol Deeni Ho*
↬• Doosri Zimmedari Apne mahol ko Deendaar banana k hamara Mahol Deeni bane , Jis Mahol mai hum Zindgi guzaarte hai'n WO hamara Mahol Deeni ho ,
★• Kyunki Mahol mai Deen hoga to hum Deen per baqi reh sakte hai'n aur Mahol mai Deen na hua to Deen per baqi rehna mushkil ,Mahol Ki vajah se Aadmi Deen per baqi rehta hai , Jese Sardi hoti hai to sabko Sardi lagegi , Garmi ka mausam hai to Sabko Garmi lagegi ,
"__Ese hi Deendaari ka Mahol hai to Sab Deen per chalenge ,aur Deendaari ka Mahol nahi hai to Deen per chalna mushkil ,
★ • Isliye Allah Nabi bhejte they , Nabi Mahol banate they , Isliye Mahol per Mehnat karo , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Mehnat se Mahol banaya tha , Log jangalo mai bhi Deen per rehte they ,Munafiq they WO bhi Deeni kaam chhodte nahi they , Halanki Andar se maante nahi they lekin Mahol bana hua tha to zahiri tor per paband rehte they,
★. Mahol banana hamara Kaam hai , Ye Jo mulaqate hoti hai, Gashte hoti hai , Naqal Harkat hoti hai isse Mahol Banta hai , Logo mai Deen aata hai Harkat se ,
★• Mahol ghar se shuru hota hai k ghar Deeni bane , Mohalla Deeni bane ,Shehar Deeni bane , ilaaqa Deeni bane , isliye waqt Ki miqdaar batayi k Rozana Kaam ( Dhaai ghante mai , 8 ghante ) , hafte mai kaam ( Do gasht ) karo , Mahine mai ( 3 Din ,10 Din ) ,Saal mai kaam karo ( 40 Din ,Chaar maah ),taki Mahol bane fir Jeena Asaan ho jayegi , Varna Deen per Jeena mushkil hai ,
*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Apne Gharo mai Deen Laao*
↬• Mehnat se Mahol Banta hai aur Apne andar Amal Ki quwwat paida hoti hai,
★• Jin logo mai Amal Ki quwwat nahi hoti WO Hajj mai bhi Namaz nahi padhte ,Kyu ? Kyunki unme Namaz Ki taaqat nahi thi,
★ • Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Hajj karaya sahaba ka to Pehle Mehnat karayi fir Aakhir mai Hajj karaya ,Mehnat wala Hajj ,
★. Aaj bhi dekh lo Mehnat ( Deen Ki ) kar ke Hajj per jao to fark pad jayega , Chaar Maah Chilla laga kar Jane wale ka hajj alag aur Jo ghar se ,Dukaan se ,Paise se hajj ko jawe uska Hajj alag , Nabuwat ka tareeqa hai k Pehle Mehnat karo ,
★• Apne ghar se Mahol Banta hai , Apne gharo mai Deen laao ,varna gharo mai khane pine Ki baate reh jayegi ,Kya kamaya ? Kya Khaaya ?
"__isliye Hamare bade kehte hai'n apne gharo mai taleem karo rozana ,Rozana bachcho ke kaano mai WO baat padegi to WO paaband ho jayenge , Badi khair hai , Gharo mai Deen aa gaya ,Zindgiyo mai Deen aa gaya ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Teesri Zimmedari - Saare Aalam mai Deen aawe iski Fikr*
↬• Saare Aalam mai Deen aa jawe iske liye Soch fikr ,uske liye kishish , Ye Teesri Zimmedari hai ,
*★• Apne ko Deendaar banana , Mahol Banana aur Sare Aalam mai Deen aawe iski fikr karna ,ye hamara Kaam hai ,isko Nusrat kehte hai'n ,*
★ • isteqamat aur Nusrat ye dono cheeze zaroori hai ,isteqamat yani apne Aapko paaband banana aur Apne Aapko paaband bana kar Ummat ke liye Deen Ki Mehnat Ki ,Ye Nusrat hai ,
★. Agar ye Ummat Apne Deen per isteqamat ke saath rahe , har haal mai Deen per rahe , Halaat Ki vajah se Hukm na chhode , Jese Roza Sardi mai bhi rakhte hai'n, Garmi mai bhi rakhte hai'n, Chhote Dino mai bhi rakhte hai'n aur Bade Dino mai bhi rakhte hai'n,
★• Allah ne ibaadat ka nijaam hamara esa banaya hai k ibaadat mai halaat se guzarta hai Banda , Maulana Yusuf Sahab Reh .farmate they hamari ibaadate halaat ke saath nahi hai Hukm ke saath hai , Garmi ka roza hai rakhenge , Hum halaat wale nahi hum Hukm wale hai'n ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Mehnat Se Har Line Ka Deen Zindgi mai Aayega*
↬• Har haal mai Deen per chalne ke liye Mehnat madadgaar banti hai , Ye Mehnat hogi to musalman har haal mai Deen per rahega,
★• Jo Mehnat Mujahida karenge hum unhe har haal mai Hidayat denge ,, Mehnat karne se ye taaqat paida hoti hai k har haal ka Deen Aadmi kama lega ,
★ • Fir Karobaar ka Deen bhi Aadmi pa lega , Hamara Karobaar Deeni Karobaar ,Sachchaai wala , Sachcha aur imaandaar taajir qayamat ke Din Allah ke Arsh ke niche hoga , Kyunki unki Tijarat mai bhi Deen hai ,
★. Har cheez ka Deen dakhil karna hai , Khaane ka Deen ,Pine ka Deen ,Kamane ka Deen ,WO is Mehnat se aayega , Chunache logo Ki tijaarate badal gayi ,Pehle tijaarat kesi karte they k ab tijaarat Shariyat ke mutabiq karte hai'n , Ab Shadi Shariyat ke mutabiq , Len Den Shariyat ke mutabiq ,
★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam poora Deen lekar aaye , har Line ka Deen ,Mehnat se ye faayda hoga k har line ka Deen Zindgi mai aayega , Doosro ka kya Haq hai WO ada karne wale banenge , Abhi to Haq maangne wale hai'n to ladaaiya'n hoti hai, aur Jab Deen aayega to Haq dene wale banenge , To muhabbate paida hongi ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧
❈…… .. _*Daowd Alaihissalam Ke Zamane Ka Ek Qissa*
↬• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam kabhi kabhi qissa sunaya karte they , Ek Dafa ek qissa sunaya k Suno Daowd Alaihissalam ke Zamane mai Do Aadmi they ,
★• Ek Aadmi Ki zameen thi Doosre ne Kharidi , Kharidne ke baad usne kaam Shuru kiya , Khudaai Ki to usme se ek Ghada nikla ,Usme Sona bhara hua tha ,( Pehle Zamane mai log Apni Daulat ko zameen mai dabaate they hifazat ke liye ) ,
★ • WO Aadmi Jisse zameen Kharidi thi uske paas gaya k Maine Jo Aapse zameen Kharidi thi Usme se ye nikla hai ,Ye Aapka hai mera nahi hai ,Aap le lo , WO kenhe laga Maine to Aapko zameen bechi zameen mai Jo kuchh hai WO bhi bech diya ,isliye ye Aapka hai ,mai'n nahi leta , Dono lene ko taiyaar nahi ,
★. Fir Daowd Alaihissalam ke paas Faisla gaya ,Unhone Dino ke bayaan sun kar farmaya k Tumhare koi aulaad hai ? Ek ne Kaha mere ladka hai ,Doosre ne Kaha mere Ladki hai , Farmaya unki Shaadi kara do aur ye maal unko de do ,
★• Imaan se Khandaan ban gaye varna abhi to gale kat jate , imaan Banta hai to huqooq ada hote hai'n ,fir Muhabbate paida hoti hai'n , isi ko kehte hai'n Duniya aur Akhirat Ki bhalaai , WO milti hai Deen Ki vajah se ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Dua Momin Ka Hathiyaar Hai*
↬• Duae'n Momin Ka Hathiyaar hai , Halaat paida hote hai'n kabhi kabhi to Uske liye Allah ne Duao'n ka Raasta diya hai , K Duae'n maango ,
★• Tumhari Duao'n se masle Hal honge , Khususan Deen ke Kaam ke saath Jo Duae'n hoti hai'n Usme Qubuliyat hoti hai , Ye in'aam hai Allah ka ,
★ • isliye Hume Allah ne Hume ye Deen Ki niyamat di hai aur Ahsaan kiya hai hum per , Tumhara Urooj tumhari kamyaabi ,tumhari tarakki Sab isi ke saath hai ,isliye isko ikhlaas se qurbaniyo se isko chalana hai aur Allah hi chalayega ye tay hai,
★. Allah apne Deen ka madadgaar hai ,Jab Log Allah ke Deen Ki madad per aayenge to Apni madade Shamile haal kar denge ,
★• Duniya ke Mulko mai pahunch gayi ye baate ,Ek hi Baat sunoge aap Poori Duniya mai , ye kon chala raha ? K Allah chala raha hai , Apni qudrat se ,
"__Hum is mehnat mai chalenge to Allah Apni qudrat hamare saath karenge , Ye qaayda hai , Jo is kaam ko karega Allah Apni qudrate uske saath karte hai'n ye Basharat hai ,
*
●●●
No comments:
Post a Comment