📖📖📖
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦
*SHAB-E-MERAAJ*
~~~~~~~~~~~~~~
*MAAHE RAJJAB CHAND GHALAT*
*FEHMIYO KA IZAALA*
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
*✿●•· PART-01 ·•●✿*
*✿●•·ALHAMDULILLAHI WA KAFAA WA SALAMUN ALAA IBADIHIL'LAZEENAS TAFAA. AMMA BA’AD*
*✿●•· Maahe Rajab ke bare me logon ke darmiyan tarah tarah ki ghalat fehmiyan phaiL gayi hain Unki Haqeeqat samajh lene ki zaroorat hai*
*✿●•· RAJAB KA CHAND DEKH KAR AP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KA AMAL:*
*✿●•· Is poore maheene ke bare me jo baat saheeh Sanad se Huzoor Aqdas sallallahu alaihi wasallam se sabit hai , wo ye hai ke jab Aap Rajab ka Chand dekhte to ye dua farmaya karte the ke:*
*اَللّهُمَّ بَارِكْ لَنَا فِى رَجَبَ وَ شَعْبَانَ وَ بَلِّغْنَا رَمَضَان*
*✿●•· "Allaahumma Baarik Lanaa Fi Rajaba wa Sh'abaana ,wa Ballignaa Ramzaan*
*✿●•· Tarjuma*
*✿●•· Aye Allah! Hamare Liye Rajab or Sha’baan ke maheene me barkat ata farmaiye or Hame Ramazan tak pohanchaiye, yani Hamari Umar itni kar dijye ke hum apni Zindagi me Ramazan ko paaLen, goya ke pehle se Ramazanul Mubarak ki Aamd ka Ishtiyaq hota tha. Ye Dua Aap sallallahu alaihi wasallam se Saheeh Sanand ke sath sabit hai, is liye ye dua karna sunnat hai, or agar kisi ne Shuru Rajab me ye dua na ki ho to wo ab ye Dua karLe. Iske Alawa or Cheezen jo Aam logon me MAshhoor hogayi hain, un ki Shariyat me koi AsaL or Bunyaad nahi*
*✿●•·SHAB-E-MERAJ KI FAZEELAT SABIT NAHI*
*✿●•· MasLan 27 Rajab ki shab ke bare me ye Mashhoor hogaya hai ke ye SHAB-E-MERAJ hai aur is Shab ko bhi usi tarah Guzarna chahiye jis tarah Shab e Qadr guzari jati hai aur jo Fazeelat Shab e Qadr ki hai , kam o besh Shab e Meraj ki wahi Fazeelat samjhi jati hai, balke Maine to ek jagah ye likha hua dekha ke “*
*✿●•· SHAB E MERAJ KI FAZEELAT SHAB E QADAR SE BHI ZAYADA HAI*
*✿●•·Or phir us Raat me Logon ne Namazon ke bhi Khaas khaas tareeqe Mashhoor kardiye ke us Raat me itni Rakaten padhi jayen Or har Rakaat me Fulaan Fulaan khaas Soorten padhi jayen. Khuda jane kya kya Tafseelaat is namaz ke bare me Logon me Mashhoor hogayi Khoob samajh lijye , ye Sab be asal baaten hain, Shariyat me inki koi asaL Or koi bunyaad nahi*
*✿●•· SHAB-E-MERAJ KI TA’YEEN ME IKHTELAAF*
*✿●•· Sab se pehli baat to ye hai ke 27 Rajab ke bare me yaqeeni tor par nahi kaha ja sakta ke ye wahi Raat hai jisme Nabi kareem Sallallahu alaihi wasallam Meraaj par tashreef Le gaye the, kyu ke is baab me mukhtalif Riwayaten hain. Baaz Riwayaton se Maloom hota hai ke Ap sallallahu alaihi wasallam RABI UL AWWAL me tashreef Legaye the , baaz Riwayaton me RAJAB ka zikr hai aur Baaz Riwayaton me koi aur Mahina bayan kiya gaya hai. Is liye poore yaqeen ke sath nahi kaha ka sakta ke konsi Raat Saheeh Maine me MERAJ ki raat thi, jisme Huzoor sallallahu alaihi wasallam MERAJ tashreef Legaye*
*✿●•· WOH RAAT AZEEMUSH SHAAN THI*
*✿●•· Or agar bil farz ye tasleem bhi kar liya jaye ke Ap sallallahu alaihi wasallam 27 Rajab hi ko Meraj tashreef le gaye the , jis me ye azeemush shaan waqiya pesh aya or jisme Allah RabbuL izzat ne Nabi e kareem sallallahu alaihi wasallam ko ye Maqaam ata farmaya aur apni baargaah me hazri ka sharf bakhsha, or Ummat ke liye Namazon ka tohfa bheja, Beshak wo Raat badi Azeemush Shaan thi, kisi Musalman ko uski azmat me kya shubah ho sakta hai?*
*✿●•· APKI ZINDAGI ME 18 MARTABA SHAB E MERAJ KI TAREEKH AYI LEKIN*
*✿●•· Ye waqiya San 5 Nabawi me pesh aya yani Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke Nabi banne ke panchwe saal ye Shab e Meraj jiska matlab ye hai ke is waqiye ke baad 18 saal tak ap duniya me tashreef farma rahe, lekin in 18 saal ke dauraan ye kahi sabit nahi ke Ap sallallahu alaihi wasallam ne Shab e Meraj ke bare me koi Khaas hukm diya ho, ya us ko manane ka Ahtemam farmaya ho , ya uske bare me ye farmaya ho ke us raat me Shab e Qadr ki tarah Jaagna zyada Ajr O Sawaab ka baais hai, na to Aap Sallallahu Alaihivasallam ka aisa koi Irshad sabit hai aur na Aap Sallallahu Alaihivasallam ke zamane me is Raat me jaagne ka ahtemam sabit hai, na khud Huzoor sallallahu alaihi wasallam Jaage aur na Sahaba Ikram Raziyallahu anhum ko is ki takeed ki aur na Sahaba Ikram Raziyallahu anhum ne apne tor par iska ahtemam farmaya*
*✿●•· USKE BARABAR KOI AHMAQ NAHI*
*✿●•· Phir Sarakar e Do Aalam sallallahu alaihi wasallam ke duniya se tashreef Le jane ke baad 100 saal tak Sahaba Ikram Raziyallahu anhum Duniya me mojood Rahe, is poori Sadi (100 years) me koi ek waqiya aisa sabit nahi hai , jis me Sahaba Ikram Raziyallahu anhum ne 27 Rajab ko Khaas Ahatmam kar ke manaya ho, jo Cheez Huzoor Aqdas sallallahu alaihi wasallam ne nahi ki aur jo ap sallallahu alaihi wasallam ke Sahaba Ikram Raziyallahu anhm ne nahi ki usko deen ka hissa qarar dena ya usko Sunnat qarar dena ya uske sath Sunnat jesa MamLa karna bid'at hai, agar koi Shakhs ye kahe ke me (Ma’azallah) Huzoor sallallahu alaihi wasallam se zyada janta hu ke konsi Raat zyada fazeelat wali hai ya koi Shakhs ye kahe ke Sahaba Ikram Raziyallahu anhum se zyada Mujhe Ibadat ka zoq hai agar Sahaba Ikram Raziyallahu anhum ne ye amal nahi kiya to mai usko karunga, uske barabar koi ahmaq nahi*
*✿●•· BANYE SE SIYAANA SO BHOLA*
*✿●•· Hamare walid Hazrat Mufti Muhammad Shafi’ sahab Qaddasallahu Sirrahu farmaya karte the ke Urdu me ek Misaal aur kahawat hai jo Hindustan ke andar mashhoor thi ab to log uske Maine bhi nahi samjhte , wo ye ke*
*✿●•· BANYE SE SAYANA SO BHOLA”*
*✿●•· Yani jo Shakhsh ye kahe ke me Tijarat me Banye se zayada hoshyaar hun, me usse zayada tijarat ke Gur janta hi to haqeeqat me wo shakhs BhoLa yani pagal hai, isliye ke Banye se zayada tijarat ke gur janne wala aur koi nahi hai, ye to Aam Zarbul misaal ki baat thi*
*✿●•· SAHABA IKRAM SE ZAYADA DEEN KO JANNE WALA KON?*
*✿●•· Lekin jahan tak deen ka talluq hai , haqeeqat ye hai ke Sahaba Ikram Raziyallahu anhum , Tabaeen aur Tabe Tabaeen deen ko sab se zayada janne wale , deen ko Khoob samajhne wale , deen par Mukammal tor par amal karne wale the, ab agar koi Shakhsh ye kahe ke me unse zayada Deen ko janta hu ya unse zayada Deen ka zoq rakhta hu ya unse zayada Ibadat guzar hu to haqeeqat me wo shakhs pagal hai, wo deen ki Fahem nahi rakhta.*
*✿●•· IS RAAT ME IBADAT KA AHTEMAM BID’AT HAI*
*✿●•· Lihaza is raat me Ibadat ke liye khaas ahtemam karna Bid’at hai , yun to har raat me Allah Ta’ala jis Ibadat ki tofeeq de wo behter hi behter hai , Aaj ki raat bhi jag len, kal ki raat bhi jag len, isi tarah sattaisvi(27th) raat ko jaag len, dono me koi farq aur koi numaya Imtiyaz nahi hona chahye.*
*✿●•· 27 RAJAB KA ROZA SABIT NAHI*
*✿●•· Isi tarah 27 Rajab ka roza hai, baaz log 27 Rajab ke roze ko fazeelat wala roza samajhte hain, jaise Aashure aur Arfa ka roza fazeelat wala hai isi tarah 27 Rajab ke Roze ko bhi fazeelat wala Roza khayal kiya jata hai, baat ye hai ke ek ya do zaeef Riwayaten to iske bare me hain, lekin Shaeeh Sanad se koi Riwayat sabit nahi.*
*✿●•· HAZRAT FAROOQ E AZAM NE BID’AT KA SADDE BAAB KIYA*
*✿●•· Hazrat Farooq e Azam Raziyallahu anhu ke zamane me baaz log 27 rajab ko roza rakhne lage , jab Hazrat Farooq e Azam Raziyallahu ko pata chala ke 27 Rajab ka khaas ahtemam kar ke log Roza rakh rahe hain, to chaunke un ke yahan deen se zara idhar udhar hona mumkin nahi tha, Chunache wo foran ghar se Nikal pade aur ek ek Shakhsh ko jakar zabardasti farmate ke tum mere samne Khana khao aur is baat ka saboot do ke tumhara roza nahi hai, baqayeda ahtemam kar ke logon ko khana khilaya , take logo ko ye khayal na ho ke Aaj ka Roza zayada Fazeelat ka hai . balke ye jaise aur dino me Nafli Roze rakhe jasakte hain usi tarah is din ka bhi Nafli Roza rakha ja sakta hai, dono me koi farq nahi. Ap ne ye ahtemam is liye farmaya take bid'at ka Sadde baab ho or deen ke andar apni taraf se ziyadti na ho.*
*✿●•· RAAT ME JAAG KAR KON SI BURAI KARLI?*
*✿●•· Isi se ye baat bhi maLoom hui ke baaz log jo ye khayal karte hain ke agar hum ne is raat me jag kar Ibadat karli aur din me Roza rakhliya to kon sa Gunah karliya? Kya hum ne Chori karli? Ya Sharab peeli? Humne Raat me Ibadat hi to ki hai, aur agar Din me Roza rakh liya to kya kharabi ka kaam kiya?*
*✿●•· DEEN “ITTEBAA” KA NAAM HAI*
*✿●•· Hazrat Farooq e Azam Raziyallahu anhu ne ye batla diya ke Kharabi ye hui ke is din ke andar Roza rakhne ko Allah Ta’ala ne nahi bataya aur khud sakhta Iltezamaat ka ahtemam karna kharabi hai. Me ye kayi baar arz kar chukka hu ke saare DEEN ka Khulasa “ITTEBA” hai ke Allah aur Rasool sallallahu alyhi wasallam ka Hukum maano , na Roza rakhne me kuch rakha hai, na Iftar karne me kuch rakha , na Namaz padhne me kuch rakha, jab Hum kahen ke Namaz padho to namaz padhna Ibadat hai aur jab hum kahen ke Namaz na padho to Namaz na padhna Ibadat hai, jab hum kahen ke Roza rakho to Roza rakhna Ibadat hai aur jab hum kahen ke Roza na rakhe to roza na rakhna Ibadat hai, agar us waqt Roza rakhoge to Ye DEEN ke khilaf hoga. Deen ka Saara khel Itteba me hai, agar Allah Ta’ala ye haqeeqat Dil me utar de to saari Bid’aton ki khud sakhta Iltezamaat ki jad kat jaye*
*✿●•· KUNDE KI HAQEEQAT*
*✿●•· Shab e Meraj ki to phir bhi kuch asal hai ke is Raat me Huzoor Aqdas sallallahu alaihi wasallam itne Aala muqaam par tashreef le gaye lekin is se bhi ziyada Aaj kal Mu'aashre me Farz o Wajib ke darje me jo cheez phaiL gayi hai wo kunde hain, agar Aaj kisi ne kunde nahi kiye to wo Musalman hi nahi, Namaz padhe ya na padhe, Roze rakhe ya na rakhe , Gunahon se bache ya na bache, lekin kunde zaroor kare, agar koi Shakhsh na kare ya karne walon ko mana kare to us par Lanat aur malamat ki jati hai, Khuda jaane ye Kunde kahan se Nikal Aye? Aur Quran o Hadees me, Sahaba ikram Raziyallahu anhum se, Tabaeen se ya Tabe tabaeen aur Buzrugan e Deen se, kahin se iski koi asal sabit nahi, aur isko itna zaroor samjha jata hai ke agar Ghar me Deen ka koi dusra kaam ho ya na ho, lekin Kunde zaroor hon, iski wajeh ye hai ke isme zara Maza aur Lazzat aati hai, aur hamari Qaum Lazzat aur Maze ke piche hai, koi mela theLa hona chahye aur koi or hota ye hai ke Janab! Pooriyan pak rahi hain, HaLwa pak raha hai, aur idhar se udhar jarahi hai aur udhar se idhar aarahe hain aur ek mela ho raha hai to chaunke ye bada maze ka kaam hai is waste Shaitan ne isme Mashghool kardiya ke Namaz padho ya na padho, wo koi zaroori nahi magar ye kaam zaroor hona chahye*
*✿●•· YE UMMAT KHURAFAAT ME KHO GAYI*
*✿●•· Bhaiyo! In cheezon ne is Ummat ko Khurafaat me Mubtala kardiya hai Haqeeqat Riwayaat me kho Gayi Ye ummat khurafaat me kho gayi Ke is qisam ki cheezon ko Laazmi samajh liya gaya aur Haqeeqi cheezen pase pusht daal di gayin, iske bare me Rafta Rafta apne Bhaiyo ko samjhane ki zaroorat hai, isliye ke Bahut se log Sirf na waqfiyat ki wajah se karte hain unke Dilon me koi Inaad nahi hota, lekin Deen se waqif nahi, un becharon ko iske bare me pata nahi wo samajhte hain ke jis tarah EID UL AZHAA ke moqe par Qurabani hoti hai aur gosht idhar se udhar jata hai ye bhi Qurbani ki tarah koi zaroori cheez hogi, aur Quran o Hadees me iska bhi koi saboot hoga, is liye aise logon ko Muhabbat , pyar aur Shafqat se samjhaya jaye aur aisi taqreebaat me Khud Shareek hone se parhez kiya jaye*
*✿●•· BEHARHAAL KHULASA YE HAI*
*✿●•· Ke Rajab ka Mahina Ramazan ka muqaddama hai isliye Ramazan ke liye pehle se apne ap ko tayyar karne ki zaroorat hai is liye Huzoor Aqdas sallallahu alaihi wasallam 3 mahine pehle se Dua bhi farma rahe hain aur logon ko tavajjoh dila rahe hain ke ab is Mubarak mahine ke liye apne apko tayyar kar lo aur apna Nizaamul auqaat aisa banane ki fikr karo ke jab ye Mubarak mahina aye to uska ziyada waqt Allah ki Ibadat me sarf ho. Allah Ta’ala apni Rehmat se iski Fahem ata farmaye aur Saheeh tor par Amal karne ki Tofeeq ata farmaye*
*✿●•· AMEEEN WA AAKHIRU DA’WANA ANIL HAMDU LILLAHI RABBIL AALAMEEN*
*ALHAMDULILLAH MUKAMMAL*
~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~
*✿●•· Reference -*
*Islaahi Khutbaat*
*(Maulana Mufti Taqi Usmani DB )*
*Muhammad babar rashidi*
*Plz forward to all Muslim*
*Ahle deoband Group*
*📱91 - 7037363325*
📖📖📖
No comments:
Post a Comment