Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, April 7, 2017

  *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi 551 SE 600

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Deen Ka Karo aur Achchha Gumaan Rakho*

↬• Hamara Kaam Karna bahane ke darje mai hai ,Haq ada to hoga nahi ,

★• Esa Do vajaho se nahi hota ,Ek Vajah to hamari kamzori hai Kyunki Allah Ta'ala ne insaan ko Za'ief ( Kamzor ) paida kiya , Doosri Vajah Haq ada na ho sakne Ki ye hai k Hum Khatakaar hai'n, Hadees mai Hai k Allah kehte hai'n tum Sab khatakaar ho ,

★ • isliye Allah ne Hume kuchh cheeze di hai bator bahane ke k isko kar lo to fir Apne dahane khol dete hai'n ,Atao ke darwaze khol dete hai'n,

★.  Mai'n Bande ke saath WO maamla karunga jo WO mere saath gumaan karega , isliye Huzoor Sallallahu Alaihivasallam farmate they Sahaba se k Allah ke saath achchha gumaan kiya karo ,

★• Jaabir ibne Abdullah Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne mujhe farmaya k Jaabir tumhari maut is haal mai aawe k tumhara gumaan Tumhare parwardigaar ke saath achchha ho ,

"__Ye bhi Allah se lene ka ek raasta hai k hum Apna kaam kare aur Allah se achchha gumaan kare fir Jesa hamara gumaan hoga wesa Allah kar denge ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Shaitaan Bando mai Badgumani Paida karta hai*

↬• Hume ye sikhaya gaya hai k ( Dawat ka ) Kaam karo aur Achchha gumaan rakho ,
"__K Allah ise qubool karenge , Allah Raaste kholenge , Hamare liye asaaniya'n paida karenge , Hamari Duae'n hamari ibaadate ,hamari koshishe Allah Ta'ala qubool karenge is gumaan ke saath kaam kare ,

★• Kyu ? Kyunki Shaitaan Aadmi ko mayoosi Ki taraf chalata hai ,Na ummeedi ke saath chalata hai aur Aadmi ka nafs ghabra jata hai ,

★ •Ulma ne likha hai k Aadmi ka nafs chhote Bachche Ki tarah hai , WO har Zimmedari se bhaagta hai, Achchhe kaam se ghabrata hai ,Khususan Deen se aur Haq kaam se ghabrata hai  ,Duniya ke kaamo se nahi ghabrata,

★. Allah se Na ummeed banana ,Uske Bando se bad gumaan banana ye Shaitaan ka khaas kaam hai ,
"__ Ulma ne likha hai k Shaitaan Bad gumaani ka sauda Deendaaro mai bechta hai , Kyunki Deendaar log kisi badi v buraai Ki taraf to jayenge nahi , Gunaah WO karenge nahi to inke tod ka Raasta Bad gumaani hai ,inko ek doosre se bad gumaan karo ,ye kaam Shaitaan karta hai,

★• Jab ye bad gumaan ban jayenge to inka zahan Taa'un karne se kat jayegi ,Bad gumaan banne ka sabse bada Asar ye hota hai , aur Haq ke liye Taa'un itna zaroori hai jitna zameen ke liye paani zaroori hai , Bad gumaani se inki taaqate ,inki salahiyate mehdood ho kar reh jayengi ,aage nahi badengi ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Logo Ki Khoobiya'n Dekho*

↬• Maulana ilyaas Sahab Reh. Farmate they k hamari Dawat to khoobiyo'n ka len den hai ,

★• Logo Ki khoobiya'n dekho , Jab Unki Khoobiya'n dekhi jayengi to unse kaam bhi liya jayega ,Kaam bhi diya jayega ,

★ •Maulana ilyaas Sahab Reh. ne Jab Kaam Shuru kiya ,Mewat walo se farmate they K Tumhare andar do Khoobiya'n hai'n  , Ek Tumhari Saadgi aur Doosri Tumhari Zafakashi ( Mehnat mashakkat bardasht karna ), in Khoobiyo'n per uthaya aur chalaya ,

★. Is tarah har qaum mai ,har tabqe mai kuchh na Khoobiya'n hoti hai , Unko dekha jata hai Dawat mai , Kyunki Hume logo Ki Salahiyato Ki zarurat hoti hai maalo Ki nahi ,
"__Har Nabi ne kaha - tumse maal ka koi sawal nahi lekin Hume logo Ki salahiyato Ki zarurat hai ,

★• Ummat Ki Salahiyate Deen per lage ye Amanatdaari hai , isliye Salahiyato ko dekhna aur Salahiyate achchhe gumaan se Nazar aati hai , Badgumaani se ayb Nazar aate hai'n, Nazar badal jati hai fir Uyoob zabaan per aate hai'n, Mahol mai uske charche hote hai'n fir Mahol bigad jata hai,

★• Maulana ilyaas Sahab Reh farmate they agar musalmano mai achchhe gumaan ka Mahol ban jawe to Allah Ta'ala Ki ataaya ke darwaze khul jawe ,
*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Deen Ka Raasta Dua Ka Raasta Hai*

↬• Allah Ta'ala se achchha gumaan rakhna , Ita'at karna , Apni Zimmedari ko poora karna Fir Allah Ta'ala se maangna ,

★• Maangne ka zor zyada hona chahiye Kyunki hamari Koshish ka aitbaar nahi hai ,Usme khamiya'n reh jati hai, Lekin Allah ke Vaade per aitmaad hai ,Aur Vaada ye hai k Tum Dua maango mai'n qubool karunga ,

★ • Duao'n se Allah Ta'ala ne bade bade kaam kar diye Jiska zikr hai Qur'an v Hadees mai , Moosa Alaihissalam ne Dua maangi Firoun Ki poori hukumat doob gayi ,

★.  Deen ka Raasta Dua ka Raasta hai , Deen Ki Mehnat se ,Deen Ki qurbaniyo se ,Deen Ko zinda karne se Dua taaqatwar banti hai ,

★•isliye Apni Dua se faayda uthana , Allah Ta'ala se maangna k Allah Duniya mai Deen zunda kar de ,Kyunki Allah Ta'ala ke yaha'n sabse Khushi ka samaan WO Deen hi hai , Allah Ta'ala ko bedeeni pasand nahi hai , Allah Ta'ala se hamara Rishta Deen ka hi hai , Jab Deen nahi hoga to Duniya khatm ho jayegi ,
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Hum Nateeje Ke Zimmedar nahi*

↬• Koshish Kar lo Bas , Aadmi Nateeje ka Zimmedar nahi hai, Log maane ya na maane , Nabiyo'n ko Sahaba Ko Allah ne Koshisho ka Zimmedar banaya tha ,

★• Fir  Jo nahi hua Allah ko manzoor nahi tha aur Jo hua Allah ka Fazal hai  , isliye Allah Ta'ala se Ummeed rakhe ,

★ •  Isteqamat is niyamate Deen ka Shukr hai , Jab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ki Wafaat hui to logo per ek sakta taari ho gaya , Kyunki Ummat ke Saamne isse bada koi haadsa nahi ,bada haadsa hua ,tabiyate beth gayi , Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu khade hue aur Khutba diya k Jo Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Ki ibaadat karta ho WO samajh le k Muhammad Sallallahu Alaihivasallam to Parda farma gaye aur Jo Khuda Ki ibaadat karta hai WO jaane k Allah Zinda hai , Fir Qur'an Shareef Ki aayate padhi Jo Uhad ke maidaan mai utri thi ,

★.  Yaad Rakho Jo Palat Jayega WO Apna nuqsaan karega aur Jo jamega Allah usko badla denge , Shukr karne walo ko Allah badla dete hai'n , Aur Allah Ta'ala ka Zaabta ye hai k Jab niyamat ka Shukr hoga to WO badegi ,
*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Husne Niyat*

↬• Achchhi Achchhi niyate karo , Ounchi Ounchi niyate karo ,

★• Kyunki Aadmi ko Allah Ta'ala WO denge Jo uski niyato mai hoga  ,isliye Ounchi Ounchi niyato ke saath kaam karo ,

★ • Ye Kaam esa hai Jese Asmaan se barasne wala paani ,Jisse har cheez zinda ho jayegi  , Deen Ki umoomi Mehnat se Deen ke jitne kaam hai'n Sabko paani milega ,

★. Isliye Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Apni Nabuwat ko Paani se tashbeeh di hai k Jo ilm aur Hidayat de kar Allah ne mujhe bheja hai WO Baarish ke Paani Ki tarah hai ,

★•Deen Ki Doosri mehnate Jo is Duniya mai log kar rahe hai'n unke bare mai hamara zahan Taa'un ka ho , Jo kaam hum nahi kar rahe WO kar rahe hai'n, Ye hamare madadgaar hai aur Hum unke madadgaar hai'n ,
"__ Allah Ta'ala ka Hukm hai k Neki aur taqwe ke kaamo mai ek doosre ke madadgaar raho ,
,inko muqabil na samjha jaye ,Fareek na samjh jaye ,to dono taraf se Taa'un hoga , Badan ka har hissa Apni taaqat se alag alag kaam karta hai, ese hi jitne tabqaat hai'n Ummat mai unki Apni Apni taaqate hai'n, Unki taaqate is kaam per lage ye hum chahe ,Hume un sabki qadar karni chahiye,
"___Aur Kaam ko maqsad bana kar karo to halaat khush gawaar rahenge ,

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Husne Ma'ashrat*

↬• Jis Tarah qurbaniyo se kaam ko nafa hota hai ,Kaam badhta hai ,tarakki karta hai, isi tarah is kaam ko Husne Ma'ashrat se bhi nafa pahunchta hai ,

★• Yani hamara logo ke saath bartaav achchha ho ,insaaf ka bartaav ,Akhlaaq ka ,Ahsaan ka bartaav ye Husne Ma'ashrat kehlata hai,

★ •  Jo Apne liye Pasand karenge WO doosre ke liye pasand karenge ,fir koi Shikayat nahi hogi , Ye insaaf Ki baat hai , fir Ahsaan Ki usko Haq bhi diya aur zyada bhi diya , Allah ne dono baato ka Hukm diya , Aapas ke rahan Sahan mai ye zaroori hai ,

★.  Apni taraf se nafa pahunchao ahsaan kar ke ,Talluq ko Paani pahunchao , Doosro ke saath achchha bartaav ,Isliye farmaya - Logo ! Salaam ko felaao , Khoob Salam karo ,aur Khane khilaao ,Rishtedari jodo Silah Rahmi karo ,Apna nasab naama pehchano taki Rishtedaro ka Haq ada karo ,

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Naram Ban Kar Kaam Karna*

↬• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam jab Dawat ke liye Sathiyo'n ko bhejte to unki narmi ke liye Hidayat dete they ,Naram Ban kar kaam karna ,Basharate Sunana ,Nafrate mat dilana ,

★• Husne Ma'ashrat se kaam ke liye Raasta khulte hai'n  ,Maulana ilyaas Sahab Reh farmate they Ma'ashrat jitni achchhi hogi Kaam utna achchha hoga ,

★ •iske muzaakre karo taki baat taza ho jawe  , Apne andar isteqamat paida karo ,Apne Aapko paaband kare , Yaksooi ke saath kaam kare  ,

★. Jo Zimmedari di hai use yaksooi se poora kare , Jitni Zimmedari poori Ki jayegi Allah Ta'ala Ki utni madade hongi  , Pehle Zimmedari fir Madad , Hazrat farmate they , Madad gaib mai hoti hai saamne nahi hoti aur Apne waqt per aati hai, Allah Ki madad ke tareeqe alag alag hai'n, Har Nabi Ki madade Alag alag hui , WO hi jaanta hai kiski madad kese karni hai ,

★. Huzoor Sallallahu Alaihivasallam farmate they meri madad Roab se hui ,Saamne wale per Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka Roab padta tha ,Halanki Aap bahut naram hote they, Mukhlis Sahaba bhi bolne Ki Himmat nahi karte they,
*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Ye Kaam Bager dekhe ka Hai*

↬• Niyat rakho k Mujhe Allah Ta'ala ka Kaam karna hai Maut tak -aur Niyat ke saath ajr shamil ho jayega ,fir Zimmedari Lena Asaan ho jayega,

★• Ye hamara kaam hai zaahir ke Khilaf ,Rivaaz ke Khilaf ,Duniya ka kaam alag hai k Asbaab Jama karo ,maal Jama karo , Hamare yaha'n ye nahi hai balki Allah Ta'ala ka Hukm samajh kar kaam karna hai ,

★ • Hazrat Farmate they Kitne saude Duniya ke hote hai'n Jo dekh kar hote hai'n ,Deen ka kaam kuchh dikhayi nahi dega ,k kar lo fir dekh lena ,Jo Vaada Allah Ta'ala ka hai WO poora ho jayega , Ye kaam bager dekhe ka hai  ,bas Hukm dekhna hai ,Hukm samajh kar Karna hai ,

★• Achche Akhlaq se , Uslook se kaam kare , Husne Sulook kaam ka Dhang achchha , Achche tareeqe se kaam ko pesh kare , Achche Sulook se Dil usko qubool karte hai'n ,Be dhange pan se baat nahi li jayegi ,
"__Huzoor Sallallahu AlaihivasaAchchee ek Aadmi zina Ki ijazat maangne aaya to usko Husne Sulook se samjhaya to Zina Ki nafrat paida ho gayi ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Achche Dhang Se Baat Chalaao*

↬• Achchhe Dhang se Apni baat chalaao ,Achchhe dhang se Apni baat samjhao chahe dair lage ,

★•  Dair lagegi to baat pukhta hogi aur Haq Jo hai WO dair se hi failta hai , Dhuwa jaldi ouper nikal jata hai ,is tarah Baatil jaldi fail jata hai Dhuwe Ki tarah se ,lekin  Haq ko failne mai is tarah dair lagegi jis tarah kisi cheez ko zameen se ugne mai dair lagegi ,

★ •  Haq Ki jade Dilo mai jamti hai aur iske Nateeje dair se aate hai'n ,isliye is per qaabu rakho ,is per apne Aapko paaband rakho ,Allah se ummeed rakh kar taqaze poore Karo ,

★. Nooh Alaihissalam se Allah ne kitne saal kaam liya fir Nateeja aaya ,isliye Nabiyo'n Ki Zindgi batayi k Haq Ki speed bahut dheemi hoti hai lekin WO Dilo mai ugta hai ,isliye iski jad kat ti nahi hai halaat se ,

★•Deen Haq hai ,iske liye Sabr karna padega , Hum Allah Ta'ala ka kaam karenge aur Allah Ta'ala Apne kaam ka  haami hai ,Apne kaam Ki Himayat karne wala hai ,Apne kaam Ki  madad karne wala hai ,Jo Allah Ta'ala ka kaam karega Allah uski madad karega ,isliye Allah Ta'ala ke kaam ko Allah wala ban kar karna hai ,

★•Baaz martaba Allah Ta'ala ESE logo se kaam leta hai jinko kuchh dena nahi chahta bas Apna kaam liya aur mardood kar ke nikaal diya ,isliye Allah Ta'ala se qubooliyat Ki Dua maangni hai ,istigfaar bhi kare ,taki koi kasar hai to Allah parda daal de , Allah Ta'ala mujhe bhi Tofeeq de aur Aap Hazraat ko bhi Tofeeq de ,
*Aameen,*
----- *Baqi hidayaat agle part mai*,
*,   ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                           
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-561*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Majmua Ko Bikherne Ki Shaitaan Ki Koshish*

↬• Jab Deen Ke Kaam Karne Walo ka ek Majmua Taiyaar ho jata hai to islam Ki quwwat ka zariya Banta hai,

★• To is Majmua ko bikherne ke liye Shaitaan infiradi ibadaat mai khalal paida karne aur inko infiradi A'amaal se rokne se bilkul gaafil ho jata hai aur Ye sochta hai agar kisi Fard ko Maine Amal se rok diya to ye ek fard ka nuqsaan hai , isme itna nafa nahi Jitna nafa usme hai k Jo Majmua Taiyaar hua hai Deen Ki Hifazat ke liye ,Deen Ki isha'at ke liye , is Majmua ko kisi tarah bikhera jaye , is per Shaitaan Ki quwwat lagi hai ,

★• Majmua ko bikherne ke liye iske chand Buniyadi kaam  hote Hai'n , inme sabse buniyadi kaam ye hai k inke Dilo mai ek doosre ke liye wasawis ke zariye Badgumaani paida karo , Taki ye Apni asal se apni asya se ,Apne Markaz se aur Deen Ki ijtimiyat ke moqe se bikhar jaye ,aur Bikhar kar inki Salahiyate aur inki quwwate mujtama na rahe ,

★ •Shaitaan Badgumaani paida karta hai ye uska sabse bada harba hai  ,k Agar Dawat ke zariye Ummat mai Deen Ka istaqbaal paida ho to Kaam karne wale Majmua ko bikherne ke liye inko inke Bado se Badzan kiya jaye ,

★. Ye Shaitaan ka Buniyadi kaam hai aur Ye mashwara ye dega k hum to iske zariye Kaam chahte Hai'n  ,

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Shaitaan Ka Kaam :-Badgumaani aurDeen ko Chaah Ko Nafrat mai Tabdeel Karna*

↬• Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Waleed ibne Uqba Raziyallahu Anhu ko bheja k Jao tum Banu Mustalik se zakaat wasool kar lao , Ye Amaanat daari ka zamana tha ,Poore qabile se zakaat wasoolne ke liye Sirf ek Aadmi ko bheja ,

★• Qabile ko pata chala k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ka Qaasid zakaat Ki wasooli ke liye aa raha hai to poora Qabila iske istaqbaal ke liye Bahar nikal aaya Kyunki WO hamari ek ibaadat ( Zakaat Farz ibaadat hai ) ko karwane ke liye aa raha hai  ,

★ • Jab  ye dekha k Deen ka istaqbaal bad raha hai ,poora Qabila khushi se zakaat dene ke liye Taiyaar hai aur ek Aadmi zakaat ki wasooli ke liye ja raha hai to Ek munafik  ne  usse ye kaha k Jiski tum zakaat ki wasooli ke liye ja rahe ho WO poora Qabila Basti se Bahar nikal aaya hai tumhe qatl karne ke liye ,

★. Ye Ek Dohri chaal hoti hai ,ek to is galatfahmi ko paida kiya k WO zakaat ke munkir Hai'n ,Zakaat ka inkaar Farize ka inkaar hai , Ek munafik ne istaqbaal ko inkaar mai tabdeel kar diya ,

★•Shaitaan Jinke Dilo mai Deen ka istaqbaal hai unko , Awaam ko badzan karega Deendaaro ki taraf se aur Jo inko badzan karega Awaam ki taraf se ,

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Tehqeeq Kiye Bager Koi qadam naUthaao*

↬• Akele Sahabi ghabra gaye ,Ye wahi se waapas ho gaye ,aakar arz kiya k Raaste mai ye khabar mili hai k Poora Qabila mere qatl ke liye Bahar nikal aaya hai , Bada Gunaah hua k Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Qaasid ke qatl ka iraada aur Zakaat ka inkaar ,

★•  Mai'n Ye baat kar raha hu'n Khairul Quroon ki Jisme Farize ka ada na karna Kufr samjha jata tha ,Fara'iz ki adaaygi islam ki Shara'it mai se hai ,Aur Dil bilkul saaf they ( Sahaba Ke ) Usme ek munafik ki ek ( Jhooti ) khabar per Sahaba Kiraam ne ye mashwara kar liya k Hume un per hamla karna hai aur qatl karna hai Banu Mustalik ko ,

★ •To Wahi aa gayi :--- Ey imaan walo! Agar Tumhare paas koi faasik koi khabar le kar aaye to tum iski tehqeeq kar Lena , Tehqeeq isliye taki Faasik ka Fisk khul jaye ,Jaldi na karna balki Tehqeeq karna k baat sahi hai ya galat hai , Esa na ho k tum Tehqeeq kiye bager koi qadam uthaa lo aur esa qadam uthaa lo k is aqdaam ki koi talaafi na ho ,

"__Nadamat Aadmi ko tab karni padti hai jab Kisi cheez ki talaafi na ho ,

★. Jitna koi iraada kiya ja raha hai mahaj jhooti khabro aur mahaj Badgumaani per kiya ja raha hai ,Saara qila isi per tameer hai ,iska haqeeqat se door ka bhi koi waasta nahi ,Kyunki is kaam mai ikhtilaaf ki koi cheez nahi hai, sirf Badgumaaniya hai'n Jo paida ki ja rahi hai'n ,

★•Shaitaan ka ye kaam hai k inke darmiyan foot daalo Badgumaani se  ,

*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*ita'at Ka imtihaan Hoga*

↬• Allah Ta'ala Kaam karne walo ka imtihaan lete hai'n k is Darje per pahunch ne ke baad inhe Apne  kaam per Apni baat per yaqeen kitna hai ,k ye kisi Khabar se mutassir to nahi hote ,esi khabre bahut Hai'n seerat mai ESE imtihaan bahut hai'n ,

★•  Imtihaan bahut sakht honge k Apni zaat ka aitmaad aur Apni raay aur Apni chaah ko  Nabi ke Hukm per ESE qurban karna padega k uska koi Shubha aur iraada baqi na rahe ,aur Sakht imtihaan unka hota hai Jo kisi darje mai aage bad jate Hai'n ,Unka imtihaan us darje ke aitbaar se hoga,

★ •  Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke ek Kaatibul wahi they, Jab Aap per koi wahi aati thi to inko bulaya jata tha likhne ke liye ,WO Aapki wahi ki kaifiyat dekhte they, Aapka paseene ko Aapki thartharahat ko Gungunahat ko dekhte aur intezar karte k Aayat likhwaye ,

★. Aaj itne arse ke baad ek musalman Qur'an ke ek harf ko bhi yaqeen karta hai k ye Allah ki kitaab hai ,to un Sahabi ke yaqeen ki kya kaifiyat hogi Jo Aapne saath Aapke Saamne beth kar wahi ki kaifiyat ko dekhe ,

★• Aap Sallallahu Alaihivasallam per wahi naazil hui , Allah ne insaan ki takhleeq ke marahil naazil kiye k humne insaan ko kese paida kiya , Allah ne in Sahabi ka imtihaan lene ke liye inki zubaan per ye alfaaz jaari kar diye  Ba barkat hai WO zaat Jo sabse achchha paida karne wali hai ,

"__Aur udhar ye Aayat Aap per wahi kar di ,inki zubaan per alfaaz they aur Aapki Zubaan per wahi  Kalmaat ek ,Aapne farmaya ye bhi likho , Kehne lage nahi mai ye nahi likhunga ( ye to mere kalmaat hai ) WO kehne lage ( nauzubillaah ) Asmaan se koi wahi nahi aati Jiski baat achchhi lagti hai likhwa dete hai'n , Rivayat mai hai islam se murtad ho gaye aur Nabuwat ka daava kar diya k mai'n Nabi hu'n mere ouper bhi wahi aati hai,
*,

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*ita'at Ka maiyaar bahut Ouncha hai*

↬• Hukm aayega Tabiyat ke Khilaf ,Hukm aayega mamool ke Khilaf, Hukm aayega Haisiyat ke Khilaf ,Jazbe ke Khilaf, K hum dekhna chahte Hai'n k Allah aur Allah ke Rasool ki ita'at Kis darje tak pahunchi hai,

★•  Ye imtihaan hoga , is imtihaan mai Jo Kamyaab hoga WO to baqi rahega, aur Jo fail ho gaya WO ijtimaiyat ki saff se nikal jayega ,aur Jo ijtimaiyat ki saff se niklega to iski khusoosiyat ye hai ,dastoor ye hai k ijtimaiyat ki saff se nikalne wala doosro ki khair mai rukawat banega ,

★ • Shaitaan ne Aadam Alaihissalam ko Sajde se inkaar kiya  ,Hukm se inkaar Ki vajah khud inkaar hai ,Nafarmani ke liye itna kaafi hai k Allah ke kisi Hukm ki illat per  gor kare k ye Hukm kyu diya gaya ....mai'n isse behtar hu'n ,Ye mere saath zyadti hai k mai'n isko Sajda karu ,,,

★.  To WO is Saff ( Farishto ki saff ) se nikal gaya ,Jab isse nikal gaya to fir iska kaam sirf ye hai k Wo khair mai Rukawat bane ....teri izzat ki qasam mai Sabko gumraah kar dunga , to Allah ne bhi chhoot de di k Jaa Jo tujhse ho sake kar le lekin ye baat yaad rakh ,imaan walo per tera bas nahi chalega ,
*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Mamool Ke Khilaf Hukm*

↬• ita'at Ka imtihaan hoga , Hukm laya jayega mamool ke Khilaf,

★• Mamool ke Khilaf Hukm laye hai'n Tahwile Qibla ,Namaz mai Qibla yu'n tha  to yu'n kar diya gaya aur ye Hukm bhi Namaz ke dauraan laye ,

★ • Kyunki Hum ita'at ki ujlat dekhna chahte hai'n k ita'at mai kitni jaldi karte hai'n ,

★. Halanki Namaz ke sare Amaal musalsal hai'n ,Koi mauqa Namaz ka zikr se khaali nahi ,

★•K Hum dekhna chahte hai'n k Kon inke saath firta hai kaabe  ki taraf aur Kon baqi rehta hai qibla Avval ki taraf ,
*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Ijtimaiyat Ke Liye Ek Doosre Ka Ta'wunKare*

↬• ijtimaiyat ki Asal Buniyad hai WO ita'at hai ,agar ita'at per hai'n to mujtama rahenge ,

★• Ijtimaiyat ke liye sabse Buniyadi cheez ek doosre ka Ta'wun hai , Ek Doosre ka Ta'wun karo Deen ke kaamo mai ,isliye Deen Ke jitne bhi Shobe hai'n ,Makatib hai ,Madaris hai ,Deeni tehreeqe hai'n in sabka bahami Ta'wun ho,

★ • Agar Bahami Ta'wun nahi hoga to Deen chahne walo ke is tarah Firke banenge Jis tarah Duniya walo ke Firke bante hai'n , Aur Ahle Duniya ke Firko se WO Deen ka nuqsaan ,WO fasaad nahi hoga Jo Ahle Haq ke firko se hoga,

★. Duniya Tabqaat mai bat jawe aur ek doosre ko khaa jawe to WO fassad nahi hoga Jo Ahle Haq ki tafreeq se hoga ,Tafreeq ka Buniyadi sabab ek doosre ka Ta'wun na karna hoga ,isliye ye Hukm farmaya k Deen ke kaamo mai ek doosre ka Ta'wun karo ,

★• Ta'wun ka kya matlab hai ?Ta'wun ka to Sirf zahan mai ye matlab hai k Maali Ta'wun kar do ,Maulana Sahab farmate they k maali Ta'wun se WO Fitne aayenge Jo fitne sadiyo mai nahi aayenge ,

"__Maali Ta'wun Deen mai Ta'wun ki sabse adna Shakl hai  , Maali Ta'wun to Deen mai Gair Muslim bhi kar dega ,Ta'wun ka matlab ye hai k Deen ke Tamaam Shobe ek doosre ka difa kare ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🎤 *- Hazrat Ji Maulana Sa'ad Sahab DB.( QulHind Mashwara 20-03-17 )*

*📁 Admin Ki Diary_,*

                          
     *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
          ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
                          *PART-568
          ✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
            ❈…… .. _*Ek Doosre Ka Difa kare*

↬• Deen Ke tamaam Shobe ek doosre ka difa kare ,

★• Agar Difa nahi karenge to Baatil ko inke darmiyan dakhil ho jayega ,Kyunki ek doosre ka Difa na karne ki vajah se Baatil ko inke darmiyan ghusne ka Raasta mileg , Usko fatan Nazar aayegi ,

★ • Hazrat Farmate they k Khuda ki qasam musalmano ki jama'ate us waqt tak mujtama nahi reh sakti Jab tak ek doosre ke fayl ( kaam ) ki taveel na kare , Aur Har Jama'at apne kaam ko Apna nahi balki doosre ( Deen ) ke kaam ko bhi Apna kaam samjhe  ,

★•Aadmi Apne ghar ke fard ka Difa karta hai chahe kitni hi badi galti kyu na ho ,ye Koshish k galti saabit na ho ,Ye maamla Ab musalmano ki do Jama'ato mai nahi hai. ,Jo ek aam musalman ke darmiyan hua karta tha ,

"___Musalmano ke gunaah ko saabit karne ka to Sahaba Kiraam ke Zamane mai koi tasavvur hi nahi tha ,

★•Khud farma rahe k Maine zina kiya ,..Nahi tune Haath lagaya hoga ,..nahi nahi maine zina kiya hai ...Nahi tune Chhua hoga ,..Bosa liya hoga ,

★•Ese Do firke Jo jahannam mai jayenge bajaye ek Doosre ke Difa ke ek doosre ki kamzori batane mai lage  ,WO kahe ye is cheez per Nahi , Ye kahe WO is cheez per nahi hai ,

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    *PART-569*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Ek Doosre ke liye Rahmat Bano*

↬• WO lekin Rahmat kese ban sakte hai'n Jo ek doosre ki ni'amat ko Khatm karne ki Koshish mai ho ,

★•  Kisi ki ni'amat ko zaa'il karne ki fikr Hasad Paida karta hai to WO usse ni'amat ko chheene ki Koshish karte hai'n agar Chheenne se nahi milti to usko zaa'il karne aur Raasta dekhte hai'n ,

★ • ( Mushrikeen e Makka ) Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se Nabuwat ko nahi chheen  sakte they to kehne lage Likh kar de do k Aapke baad Hume Zimmedar banaya jaye ,Khilafat ,Siyasat Hume mile to hum Aap per imaan le aayenge ,

★. Mushrikeen Aapki Kitaab per bhi Hasad karte they K Qur'an Aap per kyu naazil hua , Hasad ne unko islam ki khair se Mehroon rakha ,Waqa'i ye Haqeeqat hai Hasad Aadmi ko tanha kar deta hai ,

★• Hasad Mehroomi ka sabab kyu hai ? ye sawal hai ,Kyunki Hasad karne wala Allah Ki takseem Se ikhtilaaf karta hai ,Allah ne isliye farmaya Qur'an mai k ye takseem hamari hai ,tum kaun ho hamari takseem mai dakhal karne wale ,

"__Hasad Nekiyo'n ko ESE khaa jati hai Jese aag lakdi ko khaa jati hai , isliye Ta'wun mai Hasad pehli rukawat hai ,Jiske Dil mai Hasad hoga khair ke kaam mai Ta'wun nahi karega ,Jo nekiya'n kamaai thi WO bhi gayi aur Majeed kamane ka moqa bhi nikal gaya , Khair ke kaam mai Ta'wun se Allah nawaazte hai'n ,aage badate hai'n isliye farmaya Nabi Ji Aap inke liye Rahmat hai'n ,

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-570*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Rahmat Bane*

↬• Rahmat ye hai k Aap Naram ho kar ( Dawat mai ) chale ,

★• Haq mai to nagawariya'n aur Kadwahat hai , Jo Haq per jamega Usse Log naraaz honge , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne khilafat dene se pehle hi farma diya tha k Umar ye baat yaad rakho k tumse Sab khush nahi honge ,

★ • wo Konsa zamana tha  ,Khairul quroon ka zamana ,aur kon hai'n Umar ,Farmaya k mere baad koi Nabi hota to Umar hote , Unse ye farmaya ,Tumhe Jo kaam karna hai WO kaam ESA hai k tumse Sab log khush nahi honge ,

★. Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k mai'n riyaya ke bare mai itna Naram ho jata tha k makkhan se zyada naram aur Fir Allah ka Dar paida ho to fir mai'n patthar se zyada Sakht ho jata tha , Allah ke Deen ke bare mai Umar sabse Sakht ,

★•Narmi ka matlab ye hai k Tum Apne Haq mai Naram ho jao aur Deen ke Haq mai Sakht ,isme ( Deen mai ) agar Narmi Akhtyar karoge to tum per dugna ( Double ) azaab hoga  , Ek Azaab ita'at ke na hone ka aur ek Azaab hoga Tumhare muta'a hone ka ,Matlab ye hai k tum per Zimmedari hai ,Apne Amal ka gunaah alag aur Tumhare pichhe chalne walo ka hisaab bhi tumse hoga ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *571 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🎤 *- Hazrat Ji Maulana Sa'ad Sahab DB.( Qul Hind Mashwara 20-03-17 )*

*📁 Admin Ki Diary_,*

☞ *Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He*,
                         
            
━═─────────────────═━

No comments:

Post a Comment