Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, April 7, 2017

( VAZU DURUST KIJIYE )


❀۞❀   
                                        
              *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
         ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
            
    ✅ *VAZU_DURUST_KIJIYE* ✅

       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _Vazu Ke Lafzi v Shara'i Ma'ani aur Fazilat*_

              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧

❉ Vazu Ke Lafzi Ma'ani " Safaai Suthraai " ke hai ,aur Shari'at Ki Zubaan mai Chehra ,Dono Haath aur Dono Paanv dhone aur Chothaai Sar ke masah karne ko Vazu kehte hai'n ,

*☞ Gunaaho Ki Maafi _*

❉ Hazrat Usman Gani Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

⇏Jis Shakhs ne Vazu kiya aur Khoob achchhi tarah Vazu kiya to uske Jism se Saare Gunaah nikal jayenge yaha'n tak k uske nakhoono ke niche se bhi _"

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 Sahih Bukhari v Muslim_*

*⇏Tashreeh _*

❉ Matlab ye hai k Jo Shakhs Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ki taleem v Hidayat ke mutabiq, Adaab v Sunan ke ahatmaam ke saath Pakeezgi haasil karne ke liye Achchhi tarah Vazu karega to usse sirf a'aza e Vazu Ki mail kuchel aur baatini napaaki hi door nahi hogi balki WO Shakhs Gunaaho se bhi Paak Saaf ho jayega ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Ma'arful Hadees _*
       
       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _A'aza E Vazu Ki Nooraniyat _*

              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧

❉ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

⇏ Mere Ummati qayamat ke Din bulaye jayenge to Vazu ke Asar se unke Chehre aur Haath Paanv Roshan aur munavvar honge ,

*❉ Tashreeh _*

⇏Durust Vazu ka Asar is Duniya mai to ye hota hai k Chehre aur Haath Paanv Ki safaai aur Dhulaai ho jati hai aur Jism Gunaaho se paak ho jata hai aur Khasaane Haq ko ek khaas qism Ki roohani nishaat v inbisaat Ki kaifiyat haasil hoti hai,

⇏Lekin Jesa k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne is Hadees mai  farmaya hai , Qayamat mai Vazu ka ek ajeeb v gareeb asar ye bhi zaahir hoga k Vazu karne wale Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Ummatiyo ke Chehre aur Haath Paanv Khoob Roshan aur tabaan honge aur ye unka imtiyazi shaan hoga ,

⇏Fir Jiska Vazu jitna kaamil v mukammal hoga uski ye nooraniyat aur tabaani bhi usi darje Ki hogi , Jiski Soorat yahi hai k Vazu Hamesha Dhyaan aur Ahatmaam ke saath mukammal kare aur jumla Adaab aur Sunnato Ki poori pabandi kare ,

         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Ma'arful Hadees _*
       
       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
          ☞ _*Vazu Ke Fara'iz _*

              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧

❉ Vazu mai Chaar (4) Cheeze Farz Hai'n :--

⇏1 :- Ek Martaba Saara Moonh Dhona,

⇏2 :- Ek Martaba Kohniyo'n Samet Dono Haath Dhona ,

⇏3 :- Ek Baar Chothaai Sar Ka Masah Karna ,

⇏4 :- Ek Ek martaba Takhno Samet Dono Paanv Dhona ,

         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Ma'idah - Sajar ,1/9*
       
       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
    ☞ _*Vazu Ki Sunnate :- (15),*

              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧

❉ Vazu mai Sunnate Mo'akada 15 hai'n :-

⇏1:- Vazu Ki Niyat Karna ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 Durre Mukhtaar ,1/72*

*❉ Tashreeh ,*

⇏Yani Vazu Shuru karne se Pehle Dil mai Sawab aur Allah Ta'ala Ki Khushnoodi v Raza Haasil Karne ka iraada kare , Sirf Haath moonh Saaf karne Ki niyat na ho ,

⇏Niyat Ke Alfaz Ye hai'n :-

"__Ey Allah ! Mai'n Aapki Raza ke liye Vazu karta hu'n ,
      

❉ 2 :- Bismillaah Kehna ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 Durre Mukhtaar , 1/74*

*❉ Tashreeh :-*

⇏" Bismillaahir rahmaanir Raheem "Padh kar vazu Shuru kare ,

❉ Baaz Rivayaat mai Ye Dua bhi manqool hai ,

*"Bismillaahil Azeemi Walhamdulillaahi Alaa Deenil islaami ,"*

Padh kar Vazu Shuru kare ,

❉ 3:- Dono Haatho ko Gatto  tak Dhona ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 Durre Mukhtaar ,1/75*

⇏4 :- Miswaak Karna ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar, 1/77*
       
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ _*Miswaak Karne Ka Tareeqa,*

              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧

❉ Miswaak karne ka tareeqa ye hai k Miswaak dahine Haath mai is tarah le k Miswaak ke ek sire ke qareeb Angutha aur Doosre sire ke aur mutthi baandh kar pakde ,

❉ Pehle ouper ke daanto Ki lambaai mai dahini taraf Miswaak kare , Fir baayi taraf , isi tarah fir niche ke daanto mai kare ,

"__Daanto Ki chodaai mai Miswaak na kare ,

❉ Aur ek baar Miswaak karne ke baad Miswaak ko moonh se nikaal kar nichode aur fir paani se bhigo kar kare ,isi tarah teen baar kare ,

❉ iske baad Miswaak ko dho kar diwaar vagera se khadi kar ke rakh de , Zameen per wese hi na rakhe ,

         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar ,1/78*
       
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ _*Miswaak Ki Qism aur Lambaai ,*

              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧

❉ Miswaak esi khusk aur sakht lakdi Ki nahi honi chahiye k Jo Daanto ko nuqsaan pahunchaye aur na esi tar aur  naram k mail ko saaf na kar sake balki darmiyani darje Ki honi chahiye , na bahut naram na bahut sakht ,

❉ Zehreele darakht Ki bhi nahi honi chahiye , Peelu , Zetoon ya Neem ya Kisi kadwe darakht Ki ho to behtar hai ,

*⇏ Miswaak Ki Lambaai ,*

❉ Lambaai mai ek baalisht honi chahiye , istemal mai tarashte tarashte agar kam ho jaye to kuchh muzayqa nahi ,

❉ Aur jab pakadne ke qabil na rahe to badal leni chahiye ,

❉ Aur motaai mai ungli se zyada nahi honi chahiye aur Sidhi honi chahiye, girah daar na ho ,

"__Agar Miswaak na ho to Kapde ya Ungli se Miswaak ka kaam lena chahiye ,

         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar , 1/78,*
        ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❉ 5- Kulli Karna ,

*⇏Tashreeh _*

❉ Kulli teen baar kare Lekin Paani har baar hona chahiye aur moonh bhar kar hona chahiye aur Kulli mai is qadar mubalga karna chahiye k Paani halaq ke qareeb tak pahunch jaye , Ba sharte k Rozadaar  na ho , Agar Rozadaar ho to is qadar mublaga na karna chahiye,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar, 1/78*

❉ 6:-  Naak mai Paani Daalna,

*⇏Tashreeh _*

❉ Naak mai Teen baar Paani Lena chahiye aur har baar naya paani hona chahiye aur is qadar mubalga kiya jaye k Paani nathno Ki jad tak pahunch jaye Ba Share k Vazu karne Wala Rozadaar na ho , Agar Rozadaar ho to usko zyada mubalga nahi karna chahiye ,

         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar, 1/79*
      

❉ 7- Daadhi Ka Khilaal Karna ,

*⇏Tashreeh_*

❉ Khilaal Karne ka tareeqa ye hai k Dahine Haath ke chullu mai paani le kar thodi ke niche ke baalo Ki Jado mai daale aur Haath Ki Pusht gardan Ki taraf kar ke Ungliya'n baalo mai daal kar niche se ouper Ki taraf le jaye ,

❉ Dhyaan rahe k agar Vazu karne wala Hajj ya Umrah ka ahraam baandhe hue ho to use Daadhi mai Khilaal nahi karna chahiye, Kyunki Khilaal karne mai Baal tootne ka andesha hai aur Muhrim ko Baal todna mana hai ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar ,1/79*

❉ 8 :- Haatho Ko Ungliyo Ki taraf se Dhona na k Kohniyo Ki taraf se ,

❉ 9- ( 1) :- Haath Ki Ungliyo'n Ka Khilaal Karna ,

*❉ Tashreeh_*

"__Haath Ki Ungliyo'n ke Khilaal Karne ka tareeqa ye hai k ek Haath Ki pusht doosre Haath Ki hatheli per rakh kar ouper ke Haath Ki Ungliya'n niche ke Haath Ki Ungliyo'n mai daal kar kheench le ,

❉ 9- (2) :- Payr Ki Ungliyo'n Ka Khilaal karna ,( Payr Dhote Waqt )

*❉ Tashreeh _*

"__Teen baar Payr dhote waqt Payr Ki Ungliyo'n ka har baar Khilaal Karna , aur Khilaal ka tareeqa ye hai k Baaye Haath Ki chhoti ungli se is tarah Khilaal kare k daahine Payr Ki chhoti ungli se Shuru kare aur Baaye Payr Ki chhoti ungli per khatm kare ,  
         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar, 1/80*
      

❉ 7- Daadhi Ka Khilaal Karna ,

*⇏Tashreeh_*

❉ Khilaal Karne ka tareeqa ye hai k Dahine Haath ke chullu mai paani le kar thodi ke niche ke baalo Ki Jado mai daale aur Haath Ki Pusht gardan Ki taraf kar ke Ungliya'n baalo mai daal kar niche se ouper Ki taraf le jaye ,

❉ Dhyaan rahe k agar Vazu karne wala Hajj ya Umrah ka ahraam baandhe hue ho to use Daadhi mai Khilaal nahi karna chahiye, Kyunki Khilaal karne mai Baal tootne ka andesha hai aur Muhrim ko Baal todna mana hai ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar ,1/79*

    
❉ 8 :- Haatho Ko Ungliyo Ki taraf se Dhona na k Kohniyo Ki taraf se ,

❉ 9- ( 1) :- Haath Ki Ungliyo'n Ka Khilaal Karna ,

*❉ Tashreeh_*

"__Haath Ki Ungliyo'n ke Khilaal Karne ka tareeqa ye hai k ek Haath Ki pusht doosre Haath Ki hatheli per rakh kar ouper ke Haath Ki Ungliya'n niche ke Haath Ki Ungliyo'n mai daal kar kheench le ,

❉ 9- (2) :- Payr Ki Ungliyo'n Ka Khilaal karna ,( Payr Dhote Waqt )

*❉ Tashreeh _*

"__Teen baar Payr dhote waqt Payr Ki Ungliyo'n ka har baar Khilaal Karna , aur Khilaal ka tareeqa ye hai k Baaye Haath Ki chhoti ungli se is tarah Khilaal kare k daahine Payr Ki chhoti ungli se Shuru kare aur Baaye Payr Ki chhoti ungli per khatm kare ,  
         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar, 1/80*
      

*❉ 10_* :- Ek Baar Tamaam Sar ka Masah Karna_,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚Durre Mukhtaar, 1/80*

*⇏Tashreeh_*

❉ Sar Per Masah karne ka Asaan tareeqa ye hai k Dono Haath Ungliyo'n aur Hatheliyo ke sahit tar kar ke Sar ke aage ke hisse per rakh kar , is tarah pichhe le jaye k Saare Sar ka Masah ho jaye ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚Shaami ,1/80_*

*❉ 11 :- Kaano Ka Masah Karna :-*

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚Durre Mukhtaar, 1/82_*

*⇏Tashreeh _*

❉ Sar ke Masah Ke saath Kaano ka Masah karna ,Lekin Kaano ke Masah ke liye naye sire se paani se haatho ko tar nahi karna chahiye balki Sar ke Masah ke liye Jo Haath tar kiye they wahi iske liye bhi kaafi hai ,

⇏Haa'n agar Sar ke Masah ke baad Amaama ya Topi ya koi aur esi cheez chhoo li Jisse Haatho Ki tari jaati rahe to fir dobara tar kare ,

❉ Kaano ke Masah ka tareeqa ye hai k Dono Haatho Ki Shahadat Ki Ungliyo'n ko kaano ke suraakh aur Androoni hisse mai achchhi tarah ghumaye aur Anguthe se unki pusht ( Bahar Ki taraf ) per Masah kare ,

         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Shaami ,1/83-84*
       

*❉ 12:- Har Uzv Ko Teen Baar Dhona _*

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar ,1/80*

*⇏Tashreeh _*

❉ Har Uzv ko teen baar is tarah dhona chahiye k har baar poora dhul jaye aur agar ek baar Adhaa aur fir doosri baar baqi dhoya to do baar na samjha jaye balki ek hi baar samjha jaye,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Shaami _1/80_*

*❉ 13 - Tarteeb se Vazu karna _*

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar ,1/83*

*⇏Tashreeh _*

❉ Vazu is Tarteeb se karna chahiye Jis Tarteeb se likha gaya hai,

_ Yani Pehle Niyat Karna,
Fir Bismillaah padhna ,
Fir Dono Haatho ko gatto tak Dhona ,
Miswaak karna , 
Kulli karna ,
Fir Naak mai Paani daal kar saaf karna , 
Fir moonh Dhona ,
Fir Daadhi ka Khilaal karna ,
Fir Haatho ka Dhona, 
Fir Ungliyo'n ka Khilaal karna ,
Fir Sar ka Masah Karna,
Fir payro ka Dhona,
Fir payro Ki Ungliyo'n ka Khilaal karna ,
         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _ Ilmul Fiqha ,1/78*
      

      
*❉ 14 :- Pe Dar Pe Vazu Karna ,*

*⇏Tashreeh ,*

❉ Ek Uzv ko dhone ke baad doosre Uzv ke dhone mai is qadar dair na kare k Pehla Uzv Hawa aur Motdal Mausam Ki vajah se Khushk ho jaye ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar ,1/83*

*❉ 15 -A'aza e Vazu ko Mal Mal kar Dhona _*

*⇏Tashreeh_*

❉ Yani Vazu mai Jo A'aza dhoye jate hai'n Jese Chehra ,Haath ,aur Payr , inhe Khoob mal kar dhoye ,Khaas tor per Sardiyo'n ke Zamane mai iska zyada khayal rakhe Kyunki Khushki Ki vajah se Jism ke kuchh Hisse ke khushk rehne ka zyada andesha hai ,

         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Ilmul Fiqha ,1/78 _*
       
       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ _*Vazu Ke Mustahabaat :-(14)*_

              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧

*⇏Vazu mai 14 Mustahabaat Hai'n :-*

❉ 1 :- Paak aur Ounchi Jagah Per beth kar Vazu Karna ,

*⇏Tashreeh_* _Vazu ke liye kisi Ounchi Jagah per bethna chahiye taki must'amal paani Jism aur Kapde per na pade,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar, 1/86*
       
❉ 2 :- Vazu Karte Waqt Qibla Ki Taraf Moonh Kar ke bethna ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar, 1/84*
       
❉ 3 :- Vazu Ka Bartan Mitti ka Hona ,

*⇏Tashreeh_* __ ( Mitti ka Bartan na ho to ) Plastic , Steel , Silver ,Taanba , Peetal Ke Bartan se Vazu Karna bhi bila karahat Durust hai ,
         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Aalamgiri ,1/6_*
      

❉ 4 :- Vazu Karne mai Kisi se Madad na Lena ,

*⇏Tashreeh _* __Yani Kisi doosre Shakhs se A'aza e Vazu ko na dhulwaye balki Khud hi dhoye aur Agar koi Shakhs Paani deta Jaye aur A'aza Ko khud hi dhoye to kuchh harj nahi , isi tarah Bimari v alalat Ki bina per kisi doosre se dhulwaye to bhi koi harj nahi ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar ,1/86*

❉ 5 :- A'aza e Vazu Ka Jaha'n tak Dhona Farz  hai Usse Zyada Dhona ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Aalamgiri ,1/6*

❉ 6 :- Daahine Haath se Kulli karna aur Naak mai Paani Daalna ,

❉ 7 :- Baaye Haath se Naak Saaf Karna ,

         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Aalamgiri ,1/6_*
      

❉ 8:- Anguthi ,Chhalle ,Choodiya'n Vagera agar esi ho k jism tak paani pahunchne mai rukawat na bane to unko Harkat dena ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Ilmul Fiqha _1/79*

❉ 9:- Kaano ka Masah Karte waqt Chhoti ungli ka dono Kaano ke suraakh mai Daalna ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Aalamgiri _1/6*

❉ 10 :- Payr Dhote waqt Dahine Haath se Paani Daalna aur Baaye Haath se Malna ,
         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Aalamgiri_1/6*
      

❉ 11:- Sardiyo'n Ke mausam mai Pehle Haath Payro ko tar ( geele ) Haath se malna taki A'aza Per dhote waqt paani asaani se pahunch jaye ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Ilmul Fiqha ,1/79_*

❉ 12:- Har Uzv ko Dhote waqt  *" Bismillaahir Rahmaanir Raheem "* aur *Kalima e Shahadat* Padhna ,

❉ 13 :- Vazu mai aur Vazu Ke baad Jo Duae'n Ahadees Shareef mai aayi hai'n Unko Padhna ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar _,1/86*

❉ 14 :- Vazu ke Baad bache hue Paani ko Khade ho kar Peena ,

         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Aalamgiri _1/6*
      

       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ _*Vazu Ke Makroohaat :-  (9)*

              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧

*❉ Vazu Ke 9 Makroohaat Hai'n _,*

❉ 1 :- Jo Cheeze Vazu mai Mustahab hai'n unki Khilaf varzi Karne se Vazu Makrooh ho jata hai ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Ilmul Fiqha _ 1/79*

❉ 2 :- Paani Zarurat Se Zyada Kharch Karna ,

❉ 3 :- Paani is qadar Kam kharch karna k Jisse A'aza Ke dhone mai kami reh jaye ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar _1/89*

❉ 4 :- Vazu Karte hue bila Uzr koi Duniya Ki Baat karna , Haa'n zarurat Ki baat kehne mai koi harj nahi ,
         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Ilmul Fiqha _1/79*
       

❉ 5 :- Vazu mai A'aza e Vazu ke alawa digar A'aza ko bila zarurat Dhona ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Ilmul Fiqha _1/73,*

❉ 6 :- Moonh aur Doosre A'aza Per Zor se Chheente maarna ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Aalamgiri _1/6 _*

❉ 7 :- Teen baar se Zyada A'aza Ko Dhona ,

❉ 8 :- Naye Paani se Teen baar Masah Karna ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Durre Mukhtaar _,1/89*

❉ 9 :- Vazu Ke baad Haatho ka Paani Chhitakna ,
         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Ilmul Fiqha _,1/79*_
       
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ _*Vazu Ka Masnoon Tareeqa -

              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧

❉ Jab Aap Vazu karna Chahe to Vazu Karne se Pehle Dil mai iraada kare k mai'n Allah Ta'ala Ki Khushnoodi ke liye Vazu karta hu'n ,

⇏Fir Vazu Karne ke liye Qibla Ki taraf moonh kar ke Kisi Paak aur ounchi jagah per beth jaye taki Vazu mai istemal hone wala paani Jism aur Kapdo per na gire ,

❉ Vazu Shuru karte Waqt *"Bismillaahir Rahmaanir Raheem*" Padhe Ya Ye Dua Padhe ,

*" Bismillaahil Azeemi Walhamdu Lillaahi Alaa Deenil islaami _"*

*⇏Tarjuma,_*  _Allah Ta'ala Ke naam se Shuru karta hu'n aur Haq Ta'ala ka Shukr hai Deene islaam Naseeb hone per ,

❉ Fir Sabse Pehle Dono Haath teen dafa Gatto tak dhoye aur dhote waqt ye Dua Padhe ,

*" Allaahumma inni As'alukal yumna wal Barakata Wa A'auzubika minash shoomi Wal Halakati _*"

*⇏Tarjuma _* __ Ey Allah ! Mai Aapse Deen aur Duniya Ki barkat maangta hu'n aur Bad bakhti aur Halaakat se Aapki panaah chahta hu'n ,

❉ Fir Daaye Haath se Teen martaba Kulli kare aur Miswaak kare , agar Miswaak na ho to kisi mote Kapde ya sirf ungli se apne daant saaf kare taki Sab mail kuchel door ho jaye aur Agar Roza na ho to gar gara kar ke Paani Khoob achchhi tarah Saare moonh mai Pahunchaye aur Agar Roza ho to gar gara na kare ,

⇏Fir Ye Dua Padhe :-

*"Allaahumma A'ainni Alaa tilawatil Qur'ani wa Zikrika wa Shukrika wa Husni ibaadatika _*

*❉Tarjuma _* __Ey Allah ! Qur'an e Kareem Ki Tilawat karne mai aur Apne Zikr v Shukr aur Achchhi tarah ibaadat karne mai meri madad  farma ,
__*

        
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε*

*📚 _Makhooz :-- Shaami v Aalamgiri ,*
      

           ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
❀۞❀

No comments:

Post a Comment