Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, June 16, 2017

πŸ’Ž Sadqa Tul Fitr πŸ’Ž

🌼🍀🌼

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
      * вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                         
          ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
    
        💎 Sadqa Tul Fitr 💎                                         
        ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

      *✺  Sadqatul Fitr Kyu? ✺*                      
                    ◆◇◆◇◆

★ Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Rozo ko fizool v la'ayani aur Fahash baato ke asraat se paak saaf karne ke liye aur misqeeno mohtaajo ke khane ka bandobast karne ke liye Sadqatul Fitr waajib qaraar diya he,

*↳ ®  Sunan Abi Daoud,*

★ Faayda: -

is hadees me sadqa e  fitr ki 2 hikmate aur uske 2 khaas faaydo ki taraf ishara farmaya gaya he,

→Ek ye k musalmano ke jashn v masarrat ke is din me sadqa e fitr ke zariye mohtaajo misqeeno ki bhi shikam seri aur asoodgi ka intezam ho jayega,

→Aur doosre ye k zabaan ki be-ahatyatiyo aur be-bakiyo se Roze per Jo bure asraat padte honge ye sadqa e fitr unka bhi kaffara aur fidya ho jayega,

★ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne musalmano me se har gulaam azaad per, har mard aur Aurat per chhote aur bade per sadqa e fitr laazim kiya he,

→ek saa'a khajoor ya ek saa'a Jo aur hukm diya he k ye sadqa e fitr Namaz Eid ke liye Jane se pehle adaa kar diya jaye,
      
*↳® Sahih Bukhari v Muslim, *

*↳®Fiqhul ibadaat, 301*  
        ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

      *✺ Sadqa e Fitr ka Nasaab ✺*                     
                    ◆◇◆◇◆

★ Sone chandi aur maale tijaarat aur ghar me roz marrah istemal ki cheezo se zaa'id samaan ki qeemat laga kar usme naqdi jama ki jaye, in paancho ka majmua ya inme se baaz 87.479 gram Sone ya 612.35 gram Chandi ke barabar ho jaye to sadqa e Fitr waajib he,

★ Teen jode kapdo se zyada libaas aur Radio, TV jesi khurafaat insani hajaat me dakhil nahi, isliye inki qeemat bhi hisaab me lagayi jayegi,

*↳ ®  Ahsanul fatawa, 1/373*

★Kisi ke paas apni Riha'ish ka bada qeemti makaan he aur pehanne ke qeemti kapde he'n, magar inme sachcha gota thappa nahi he,

neez gharelu samaan he Jo istemal me aata rehta he magar zever aur Rupiya nahi,

ya kuchh samaan zarurat se zyada bhi he aur kuchh Sachcha gota thappa zever aur Rupiya bhi he magar sabka majmua Saade Bavan tola chandi ki qeemat se kam he to ese shakhs per sadqa tul fitr waajib nahi,

*↳®Fiqhul ibadaat, 302*                  ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

*✺ Ek se Zyada Makaan ka Hukm✺*
                    
                    ◆◇◆◇◆

★ Agar kisi ke paas do makaan he, ek me khud rehta he aur ek khali pada ho ya kiraye per diya ho to shar'an ye doosra makaan zarurat se zaa'id he,

★ Agar iski qeemat itni ho jitne per zakaat waajib hoti he to us per sadqa e fitr waajib he, aur ese shakhs ko zakaat ka paisa dena bhi jaa'iz nahi,

★ Albatta agar is per uska guzaara ho to ye makaan bhi zaruri asbaab me dakhil ho jayega, aur us per sadqa e fitr waajib nahi hoga,

★ Masla.: -

Kisi ke paas zever nahi na maale tijaarat na rupiya he magar kuchh aur samaan zarurat se zaa'id  he jiski majmui qeemat saade Bavan tola chandi ki qeemat ke barabar he to ese shakhs per zakaat to waajib nahi lekin sadqa tul fitr waajib he,
      
*↳® Ahkamul Ramzan, *

*↳®Fiqhul ibadaat, 302*  

✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

*✺ Makrooz per Fitra Waajib hone Ki Soorat ✺*                       
                    ◆◇◆◇◆

★ Kisi ke paas zaruri samaan se zaa'id maal o asbaab he lekin wo Qarzdaar bhi he to qarz munhama karke dekho kya bachta he?

Agar nisaab zakaat ke barabar bache to us per sadqa tul fitr waajib he, kam bache to waajib nahi,

*↳ ®  Ba- Hawala,, Sharah Bidaya, 168*

*↳®Fiqhul ibadaat, 303*              ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

*✺ Fitra Waajib hone Ka Waqt ✺*                  

                    ◆◇◆◇◆

★ Eid ke din jis waqt Fajar ka waqt aata he usi waqt ye sadqa tul fitr waajib hota he,

★ Agar koi Fajar ka waqt aane se pehle hi mar gaya to us per sadqa e fitr waajib nahi, Uske maal me se fitra nahi diya jayega,

*↳ ®  Ba- Hawala,,, Hindiya 1/191*

★ Behtar ye he k Eid ul Fitr ke liye Jane se pehle sadqa tul fitr Ada kar de, agar pehle na diya to baad me Ada kar de,

★ Agar kisi ne sadqa tul fitr Eid ke din se pehle hi Ramzan me de diya tab bhi Ada ho gaya, Ab dobara dena waajib nahi,

*®Ba- Hawala,,,,,,Sharah Tanveer, 2/125*

★ Sadqa tul fitr apni taraf se aur apni chhoti nabalig aulaad ki taraf se dena waajib he,
Balig aulaad aur apni Bivi ki taraf se dena waajib nahi, Haa'n koi Balig ladka majnoon ho to uski taraf se bhi Ada kare,
      
*↳® Ba- Hawala,,, Hidaya, 1/190 *

*↳®Fiqhul ibadaat, 303*                 ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

             *◆Fitre Ki Miqdaar◆*                   
                     ◆◇◆◇◆

★ Sadqa e fitr me agar gandum de ya khalis gandum ka aata de to ek shakhs ki taraf se Ek Ser Saade Barah Chhataank de balki ahatyatan poora Do kilo ya kuchh zyada dena chahiye, kyuki zyada dene me koi harj nahi balki behtar he aur agar khalis Jo ya Jo ka aata dena ho to iska doguna ( Yani ek saa'a ) waajib he,

★ Agar Genhu aur Jo ke Siva koi aur Anaaj dena ho jese Chana, Jwaar vagera to itna de k uski qeemat itne Genhu ya itne Jo ke barabar ho jaye jitne ouper bayaan hue,

★ Agar Genhu aur Jo nahi de balki itne Genhu aur Jo ki qeemat de de to ye sabse behtar he,

★ Agar ek Aadmi ka sadqa e fitr ek hi faqeer ko de de ya thoda thoda karke kai faqeero ko de de, Dono jaa'iz he,

★ Agar kai Aadmiyo ka sadqa e fitr ek hi faqeer ko de diya tab bhi durust he,

*↳®Fiqhul ibadaat, 304*  
     ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰

*✺ Sadqa e Fitr ke Bare me Kotahiya ✺*                       
                    ◆◇◆◇◆

★ 1- Baaz log galti se ye samajhte he k jis per Zakaat Farz nahi us per Sadqa e fitr bhi waajib nahi, halaanki bahut se logo per zakaat Farz nahi hoti magar sadqa e fitr waajib hota he jesa k pehle guzar chuka,

★ 2- Ek kotahi sadqa e fitr ke mutalliq baaz dehaat me ye he k isko jaante hi nahi, isliye isko Ada nahi karte,  Ahle ilm aur wa'azeen ko chahiye k Juma ke khutbe me ya kisi moqe per khud dehaat me jaakar masail se agaah kare,

★ 3- Ek kotahi iske mutalliq ye he k gair masraf me kharch karte he'n, iska masraf wahi he Jo zakaat ka he, Jin masarif me kharch karne se zakaat Ada nahi hoti unme kharch karne se sadqa e fitr bhi Ada nahi hota,

  *↳ Alhamdulillah Mukammal Hue,*

*↳®Fiqhul ibadaat, 305*                 
               ------------
    *→ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others*
     ━═─────────────────═━

🌼🍀🌼

No comments:

Post a Comment