Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, June 16, 2017

Shabe Qadr - Fazilat aur A'amaal,

⚈◢
✰══❖═══✰══❖═══
                       ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
═══❖══✰═══❖══✰

         *SHAB - E - QADAR*

              ❖══✰═══❖

    *◐☞ Shabe Qadar Kya Hai ? ◐*

❖_ Ramzanul Mubarak Ki Raato mai se Ek Raat Shabe Qadar Kehlati hai ,Jo bahut hi Qadar v Manzilat aur Khairo Barkat Ki haamil Raat hai ,Isi Raat ko Allah Ta'ala ne hazaar Mahino se Afzal qaraar diya hai , Hazaar Mahine ke 83 Saal 4 Mahine bante Hai'n,

❖_ Yani Shakhs Ki ye ek Raat ibaadat mai guzri usne 83 Saal 4 Mahine ka zamana ibaadat mai guzaar diya aur 83 Saal ka zamana kam se kam hai Kyunki *"Khairum min Alfi Shahar* Keh kar is Amr ki taraf ishara farmaya gaya hai k Allah Kareem Jitna zyada ajr ataa farmana chahega ataa farma dega ,is Ajr ka andaza insaan ke bas se baahar hai ,

              ❖══✰═══❖

*◐☞ Shabe Qadr Ka Mafhoom-◐*

❖_ Imaam Zahri Reh.farmate hai'n k " Qadr " ka ma'ani martaba se hai ,Chunki ye Raat baqi Raato ke muqable mai Sharf v martaba ke lihaaz se buland hai, isliye ise Laylatul Qadr Kaha Jata hai ,

❖_ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se marvi hai k chunki is Raat mai Allah Ta'ala Ki taraf se ek Saal Ki taqdeer v Faisle ka qalamdaan farishto ko saunpa jata hai is vajah se ye Laylatul Qadr kehlati hai ,

❖_ is Raat ko Qadr ke naam se tabeer karne Ki vajah ye bhi bayan Ki jati hai :-  is Raat mai Allah Ta'ala ne Apni qabile qadr Kitaab qabile Qadr Ummat ke liye Sahibe Qadr Rasool Ki ma'arfat Naazil farmayi , Yahi vajah hai k is Surah mai lafze Qadr teen dafa aaya hai _,"

*📚 Tafseere Kabeer, 28:32*

❖_ Lafze Qadr Tangi ke ma'ani mai istemal hota hai , Is lihaaz se is Raat ko Qadr Wali Kehne Ki vajah ye hai k is Raat Asmaan se Farshe Zameen per itni kasrat ke saath  Farishto ka nuzool hota hai k Zameen tang ho jati hai ,

*📚Tafseere Khaazin ,4:395*

❖_ Imaam Abu Bakar AL Varaaq " Qadr " Ki vajah bayan karte hue kehte hai'n k ye Raat ibaadat karne wale ko Sahibe Qadar bana deti hai Agarche WO pehle is laa'iq nahi tha ,

*📚Qurtubi ,131:20*

              ❖══✰═══❖

*◐☞ Ye Raat Kyu ataa Hui ?-◐*

❖_is Raat ke ataa kiye Jane ki Sabse Aham vajah Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ki is Ummat per Shafqat aur Aapki GAM khwari hai ,

❖_Baab maaja fi Laylatul Qadr -Mota Imaan Maalik Reh.mai hai --- Jab Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko Pichhle logo Ki Umaro per agaah farmaya gaya to Aapne unke muqable mai Apni Ummat ke logo Ki Umar ko kam dekhte hue ye khayal farmaya k meri Ummat ke log itni kam Umar mai Pichhli ummato ke barabar amal kese karenge ?

*___Jab Allah Ta'ala ne Aapke muqaddas Dil ko is maamle mai gamzada v pareshan dekha to --- Pas Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Laylatul Qadr ataa farma di Jo hazaar mahino se Afzal hai ,

❖_ iski Taa'id Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se manqool Rivayat se bhi hoti hai ,k Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki Baargahe Aqdas mai Bani Israel ke ek ese Shakhs ka zikr kiya gaya Jisne Ek Hazaar Maah tak Allah Ta'ala Ki Raah mai Jihaad kiya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne is per Tajjub farmaya aur Apni Ummat ke liye aarzu karte hue jab ye Dua Ki k Ey mere Rab meri Ummat ke logo Ki umare kam hone Ki vajah se nek Amaal bhi kam honge , To is per Allah Ta'ala ne Shabe Qadr inayat farmayi ,

*( Tafseer Khaazin ,4/397)*

❖_ Ek aur Rivayat mai ye bhi hai k Ek martaba Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Saamne Bani israiyl ke Chaar mukhtalif Shakhsiyaat Hazrat Ayyub Alaihissalam, Hazrat Zakariya Alaihissalam ,Hazrat Hizkeel Alaihissalam ,Hazrat Yusha Alaihissalam ka tazkira karte hue farmaya k in Hazraat ne Assi Assi Saal Allah Ta'ala Ki ibaadat mai mashgool rahe aur Palak jhapakne ke barabar bhi Allah Ta'ala Ki nafarmani nahi Ki ,

Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko in buzurg hastiyo per rashk aaya ,Imaam Qartubi Likhte hai'n k usi waqt Jibreel Alaihissalam Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki baargahe Aqdas mai haazir hue aur arz kiya - Ey Muhammad ( Sallallahu Alaihivasallam ) Aapki Ummat ke log in saabqa logo Ki Assi Assi Saala ibaadat per rashk kar rahe hai'n to Aapke Rab ne Aapko isse behtar ataa farmaya hai aur fir qiraat Ki " inna anzalnahu fi laylatil qadri...," is per Aap Sallallahu Alaihivasallam ka Mubarak Chehra khushi v masrrat se chamak utha , *(Qurtubi-20:130)*

❖_Chunache Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki tufel ye karam farmaya k is Ummat ko Laylatul Qadr inaayat farma di aur iski ibaadat ko Assi nahi 83 Saal 4 Maah se badh kar qaraar diya ,

              ❖══✰═══❖

*◐☞Laylatul Qadr is Ummat ki Khususiyat ◐*

❖_ Laylatul Qadr sirf  Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Ummat ki khususiyat hai , Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"_  Ye muqaddas Raat faqat meri Ummat ko ataa farmayi hai Saabqa Ummato mai se ye Sharf kisi ko bhi nahi mila ,"
*(Durre Mansoor- 6:371)*

❖_Mufassireen Kiraam likhte hai'n k Pehli Ummato mai Aabid use Qaraar diya jata tha Jo Hazaar Mahino tak ibaadat karta ,Lekin Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Sadqe mai is Ummat ko ye Fazilat haasil hui WO ek Raat ki ibaadat se isse behtar muqaam haasil kar leti hai ,Allah Ta'ala ne is Ummat ke afraad ko ye Shabe Qadr ataa kar di Jiski ibaadat is hazaar Maah se behtar qaraar di gayi _"

*( Fatahul Qadeer -5:472)*

❖_ Goya k ye Azeem niyamat bhi Sarkare Do Jahaa'n Sallallahu Alaihivasallam ki gulami ke Sadqe mai is Ummat ko naseeb hui hai ,

              ❖══✰═══❖

     *◐☞ Fazilate Shabe Qadr ◐*

❖_Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se marvi hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-

"__Jis Shakhs ne Shabe Qadr mai Ajro Sawab Ki Ummeed se ibaadat ki uske Pichhle gunaah maaf kar diye Jate Hai'n ,"
*(Sahih Bukhari-1/270)*

❖_Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se marvi hai k Ramzanul Mubarak ki aamad per ek martaba Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__ Ye Jo Maah tum per aa raha hai usme ek esi Raat hai Jo hazaar Maah se afzal hai ,Jo Shakhs is Raat se Mehroon reh gaya Goya WO saare khair se Mehroon raha aur is Raat ki bhalaai se wahi Shakhs Mehroon reh sakta hai Jo waqatan Mehroon ho _,"
*(Sunan ibne maaja:20)*

❖_Ese Shakhs ki mehroomi mai waqaatan kya shak ho sakta hai Jo itni badi ni'amat ko gaflat ki vajah se gawa de , Jab insaan mamooli mamooli Baato ke liye kitni Raate jaag kar guzaar leta hai to Assi Saal ki ibaadat se Afzal ibaadat ke liye chand raate kyu na jaage ?Jis Raat mai Jibreele Ameen farishto ke saath utarte ho aur ibaadat karne walo ke liye Duae magfirat karte ho ,

         
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴*

*📚Shabe Qadr Aur Uski Fazilat,*
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔         

                      ❖══✰═══❖

*◐☞Shabe Qadr Ko Makhfi Kyu Rakha gaya ? ◐*

❖_ itni aham aur Ba Barkat Raat ke makhfi hone ki bahut si hikmate bayan ki gayi hai'n unme se chand ye hai'n :-

❖_ 1- Digar Aham makhfi umoor maslan isme Aazam ,Jume ke Roz Qubuliyate Dua ki ghadi ki tarah Raat ko bhi makhfi rakha gaya ,

❖_2- agar ise makhfi na rakha jata to sirf isi Raat ke amal per iktfa kar liya jata , Zoqe ibaadat ki khatir isko zaahir nahi kiya gaya ,

❖_3- Agar kisi majboori ki vajah se kisi Shakhs ki WO Raat reh jati to shayad is sadme izala mumkin na hota ,

❖_ 4- Allah Ta'ala ko chunki Bando ka Raat ke Awqaat mai jaagna aur bedaar rehna mehboob hai ,isliye Raat ki taa'iyn na farmayi taki iski talash mai mutaddid raate ibaadat mai guzaare ,

❖_ 5- is Raat ke Makhfi rakhne ki ek vajah gunahgaaro per Shafqat bhi hai Kyunki agar ilm ke bavjood is Raat mai gunaah sarzad hota to isse Laylatul Qadr ki azamat majrooh karne ka jurm bhi likha jata ,
              ❖══✰═══❖
*◐☞ Ek Jhagda Shabe Qadr ke ikhfa ka Sabab bana◐*

❖_ Ek nihayat aham vajah iske makhfi kar dene ki ek jhagda bhi hai ,Hazrat Ubaada bin Saamit Raziyallahu Anhu se marvi hai k ,

"_ Ek martaba Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Shabe Qadr ki taa'iyn ke bare mai agaah farmane ke liye ghar se Bahar tashreef laye lekin Raaste mai do Aadmi Aapas mai jhagad rahe they,

Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- mai'n tumhe Shabe Qadr ke bare mai ittela dene aaya tha magar fala'n ki ladaai ki vajah se iski taa'iyn utha li gayi ,

❖_is Rivayat ne ye bhi Waaze kar diya k ladaai jhagde ki vajah se insaan Allah Ta'ala ki bahut si ni'amato se Mehroon ho jata hai, Yahi vajah hai k Aaj Ummat barkato aur sa'adato se Mehroon hoti ja rahi hai ,

        *(Bukhari -1/172)*

              ❖══✰═══❖
*◐☞Shabe Qadr Kab Talash Kare? ◐*

❖_ Shabe Qadr ke Waqt ke bare mai Ulma ke bahut se aqwaal hai'n, Lekin Aksar Ulma is per mutafiq hai'n k WO Ramzanul Mubarak ki Aakhri 10 Raato mai se koi Raat hoti hai ,Aur un 10 Raato mai bhi Taaq Raato ( 21-23-25-27-29) mai Shabe Qadr ki ummeed zyada hai aur 27 Vi Shab mai Sabse zyada ummeed hai ,Hatraki baaz Ulma ne isi tareekh ko Goya mutaiyab kar diya hai ,

      *(Qurtubi -10/121)*

❖_ Isliye Ramzan ke Aakhri Ashre mai bil khusoos ghutne tek kar Shabe Qadr ki talash mai lag Jana chahiye , itni Azeem Fazilat ke haasil karne ke liye Daa Raate ibaadat mai guzaar dena koi mushkil nahi ba-sharte k Dil mai Jazba aur Tadap ho ,
              ❖══✰═══❖
*◐☞ Shabe Qadr Kin A'amaal mai Guzaare? ◐*

❖_ Hadees mai aata hai k Shabe Qadr ki Fazilat to use bhi haasil hoti hai Jo Magrib aur Isha ki namaze Ba-jama'at adaa kare , *(Roohul Ma'ani-16/354)*Lekin Ye Sabse Adna darja hai , Behtar ye hai k is Raat mai mukhtalif ibaadato ko jama kare aur khoob Ji laga kar aur nihayat zoq v shoq aur bashashat se ibaadat mai mashgool rahe ,

❖_ Tilawate Qur'ane Kareem is tarah Tavajjoh ke saath kare k jab Ayaate Rehmat se guzre to Allah Ta'ala se rehmat ka ummeedwaar ho ,aur Jab Ayaate Azaab se guzre to Jahannam se panaah maangne ,

❖_ isi tarah nawafil ki Kasrat kare ,moqa mile to Kam az Kam Salatut tasbeeh padhe, neez hamdo sana ,istigfaar, darood Sharif aur Aaho zaari ke saath Dua aur munajaat mai mashgool rahe ,Ye poori Raat qubuliyat ki Raat hai ,is Raat mai Malayka Asmaan se utarte hai'n aur ibaadat karne walo ko apne jhurmut mai le lete hai'n , Malayka ki Sohbat ki vajah se Dil naram ho Jate Hai'n ,Khushu khuzu ki kaifiyat paida hoti hai ,isliye Duniya aur Aakhirat ki har tarah ki bhalaiya'n maangni chahiye aur har tarah ki buraiyo'n aur Shar se panaah maangni chahiye,

❖_ Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n k maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se arz kiya k agar mujhe Shabe Qadr naseeb ho jaye to mai kya Kalimaat ada karu ?

To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k  :- Ye Dua karo

-*__
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
۔
*Allahumma
innaka Afuwwu Tuhibbul Afwa Fa'afu Anni ,*

"Ey Allah ! Aap bahut maaf farmane wale hai'n isliye mujhe bakhsh dijiye ,"
*(Roohul Ma'ani -16/354)*

*👉🏻__Wazahat_*

Yaha ye Wazahat zaroori hai k Shabe Qadr ke liye koi mustqil ibaadat Shariyat aur Sunnat se saabit nahi hai ,Balki is bare mai Ummat ke afraad ko azaadi di gayi hai k WO Apni bashashat ke aitbaar se jis ibaadat mai zyada ji lage usme apna waqt sarf kare ,

*Jesa k dekha jata hai k Shabe Qadr ke moqe per bahut se pamphlet aur ishtehaar lagaye Jate hai'n jinme baaz A'amaal aur Nawafil ke khaas fazail likhe hote Hai'n ,WO Sab be Asal hai'n, unko hargiz laazim na samhha jaye aur Khaas tor per Namaze Qaza e Umri ke naam se bataya jata hai k Jo Shakhs Shabe Qadr mai zikr karda khaas Duao'n ke saath 2 Raka'at Nifl padhega uski guzishta Saath Saal ki Farz namaze maaf ho jayengi , To ye bilkul Jhoot aur fraud hai , Nifl padhne se Farz namaze hargiz maaf nahi ho sakti ,Unki qaza zaroori hai ,*

"__isliye musalman esi be asal aur pur fareb baato per bilkul yaqeen na kare balki Shabe Qadr mai har tarah ki Bid'at aur Rusumaat se door rehte hue ikhlaas aur khushu Khuzu ke saath ibaadat mai mashgool rahe taki Allah Ta'ala ki rehmat se faayda uthaya ja sake,
              ❖══✰═══❖
*◐☞ Shabe Qadr Ko Wasool Karne Ka Sabse Yaqeeni Zariya ◐*

❖_ Shabe Qadr ki ibaadat ka sawab haasil karne ki tamanna har musalman ke Dil mai rehni chahiye aur Koshish karni chahiye k Shabe Qadr ka koi lamha bhi ibaadat se gaflat mai na guzre , isliye Allah Ta'ala ne hume "Aitikaaf " ki ibaadat ataa farmayi hai k Jo Aadmi Ramzanul Mubarak ke Aakhri Ashre mai Aitikaaf ki sa'adat haasil kare WO Yaqeeni tor per Shabe Qadr se Mehroon nahi rahega ,

❖_Shabe Qadr ko haasil karne ke liye Aitikaaf se zyada Yaqeeni zariya koi nahi hai ,Agar Aap Motaqif nahi hai'n to kitni hi koshish kar le poori Raat ka Mukammal tor per ibaadat mai guzaarna nihayat mushkil kaam hai , Lekin Motaqif Shakhs Apne Aitikaaf ki bina per agar Sota bhi rahega to WO indallaah ibaadat guzaaro mai shumaar hoga aur uski Raat ka koi bhi lamha zaaya na hoga , isliye Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Shabe Qadr ke husool ke liye Aitikaaf ka ahatmam farmate they ,

❖_Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Ramzan ke pehle Ashre ka Aitikaaf farmaya fir darmiyani Aahre mai Aap ek Turki Khaima mai ( masjid ke andar ) Motaqif rahe ,Jiski Chhat per Chataai daali gayi thi , Chunache Aap Sallallahu Alaihivasallam ne apne daste Mubarak se chataai hata kar ek taraf farmayi aur logo se khitaab karna shuru kiya ,log qareeb ho gaye to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ,

"_ Maine Shabe Qadr ki talash mai Pehle Ashre aa Aitikaaf kiya fir doosre Ashre ka Aitikaaf kiya ,fir mujhe bataya gaya k WO Mubarak Raat Aakhri Ashre mai hai ,Lihaza Jo Tumme se Aitikaaf karna chahe WO Aitikaaf kare ,"

Pas logo ne Aapke saath Aitikaaf kiya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,mujhe WO Shab is haal mai dikhayi gayi hai k uski Subeh ko mai Paani aur mitti mai sajda kar raha hu'n ,Chunache 21 tareekh ki Subeh ki namaz mai barish hui ,masjid ( kachchi thi ) jal thal ho gayi ,To jab Aap Sallallahu Alaihivasallam Namaz se faarig hue to Aapki peshani Mubarak aur naak mitti aur Paani se alood thi ye ikkisvi shab ka qissa hai ,

*( Muslim Sharif -1/370 Bukhari Sharif -1/271)*

👉🏻 isliye Jo hazraat Shabe Qadr ko Haasil karna chahte hai'n Unhe Aitikaaf ka ahatmam zaroor karna chahiye , Allah Ta'ala hum sabko is Mubarak Raat ki ibaadat ki Tofeeq ataa kare ,(Aameen )

*Is Haqeer Gunahgaar Bande ko bhi Apni Khaas Duao'n mai Yaad Rakhiye, ( Ahle deoband )*
     
  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴*
*📚Tohfa e Ramzan -Shabe Qadr Aur Uski Fazilat,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
💐 .  *Alhamdulillaah__Mukammal Hue,*💐
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 
                

No comments:

Post a Comment